Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Raj to aap mujhe kah dete me kabhi na jaati, ap jante hain apke baat me kabhi nahi taalti lekin apke ye narazgi mere jaan le ge kise din" ... Ritika ek baar fir se rone lagi

"Ap jante hain na me apse kitni mohabbat karti hoon, mera to har rishta aap hain, mere paas to apke siwa koi apna nahi ha Raj, aap jab mujhse door hote hain to mujhe lagta ha mera dil band ho jaye ga" ....

"Me bhi tumse buhut mohabbat karta hoon Ritika aur ise mohabbat ke jor me aa kar me kabhi kabhi buhut possisive ho jata hoon, i m sorry Ritika, i love you very much" ...

"Ap wapas kab ayan ge?" ... Ritika ko Raj ke baate sun kar sakoon mahasoos hua

"Me to chahta hoon ke kal he wapas aa jayon lekin mera kal aana thoda mushkil ha me ek din ke baad aa jayon ga" ... Raj ne kaha aur kuch der aur baate karne ke baad phone band kar diya

Raj se baat hoone ke baad Ritika ko jaise bilkul sakoon mil gaya ho thodi he der me Wo be-khabar so chuki the. Agle din Wo buhut dil se taiyaar hue ke ek din Raj ne wapas aana tha uska dil chah raha tha ke Wo khud ko aur ghar ko saja le, sirf 2 din ke narazgi ne uska jo haal kya tha Wo sirf Wo e janti the. Us din dopaher ko use Rachna Garewal ka phone aaya jinhoon ne use bataya ke Harshit ke mummy aye hue hain aur Wo office se Harshit ke flat pe ja rahe hain aur Ritika ko bhi unhoon ne wahan bulea tha. Ritika ka kahin jane ka dil nahi ho raha tha lekin Rachna Garewal ko enkaar karna uske liye kabhi sanbhav nahi tha aur waise bhi pichle kuch samay se unka jo raviya raha tha uske sath us ne Ritika ke dil me unke liye kafi ezat aur mohabbat bana de the.

Wo driver ke sath Harshit ke flat per phunch gayi, wahan phunchi to use pata laga ke Rachna Garewal aur Harshit ke mummy bazaar se kuch saman laine gaye hain. Ritika ko wahan youn akele baithna theekh nahi laga us ne Rachna Garewal ko phone kya to us ne kaha ke Wo wahin pe ruke Wo 5 minute me wahin pe aa rahe hain unke baat sun kar Wo wahin baith gaye, etne me Harshit uske liye cold-drink le kar aa gaya aur Wo dono Harshit ke project ke bade me baate karne lage. Etne me Harshit ka mobile baj utha us Wo call receive kar ke baat karne laga lekin shayad use awaj theekh se nahi aa rahe the to Wo apne jaga se jaise utha uske hath se me pakda glass thoda sa hila aur cold-drink Ritika ke saadhi pe ja gira aur Ritika ke saadhi ka sara palllu bheeg gaya. Harshit ye dekh kar foran phone band kar uske paas aa gaya aur Ritika bhi apne jaga se khadi ho gaye, Harhist ne jaib se romaal nikal kar uske pallu saaf karna chaha to uska hath lagne se Ritika ka pallu uske baaju se niche aa gira, Ritika ne ghuse se Harshit ka hath jhatka aur jaise he samne dekha to Wo jahan the wahin ke whain khadi rah gaye ....

"Ritika" ... Raj jo samne khada tha bas itna he kah saka

"Raj aap kab aye?" ... Ritika ne foran pallu dobara apne kandhe pe dala

Raj ne koi jawab na diya Wo chup chaap kabhi Ritika dekhta aur kabhi Harshit uske chahre ke bhaav padhna mushkil tha ke Wo kya soch raha ha lekin us ne buhut jor se apna lab band kar rakhe the jaise Wo kuch bola to buhut bada tofaan aa jaye ga. Raj ke sath Rachna Garewal bhi khade then Wo bhi chup chaap dono ko dekh rahe then, akhir kaar ye takleef-dah khamoshi ko Rachna Garewal ne the toda

"Ritika, tum is tarah ... " ... Rachna Garewal ne apne baat puri nahi ke

"Aunty ye aap kya kah rahe hain" ... Ritika jaise unke baat ka matlab jaan gaye the

"Me Wo e bol rahi hoon jo dekh rahi hoon" ...

"Aunty ap aise baat soch bhi kaise sakti hain, Raj aap kuch bolte kyun nahi" ...

"Mera sochna bhi tumhe itna bura lag raha ha lekin jo tum kar rahi thi Wo tumhe theekh lag raha tha kya?" ...

"Aunty ye kya bol rahe hain aap? , aap ne khud he to mujhe yahan pe bhaija tha" ... Ritika ke ankhoon se ab ansoo bahne lage the

"Han mee bhaij tha lekin ye sab karne ke liye nahi bhaij tha, mere betay ke ezat ko youn ek kamre me anjaan mard ke sath munh kala kar ke tumhe jara sharam nahi aaye?" ...

"Itna ghatya-pan, etni be-sharmi, me kabhi soch bhi nahi sakti thi Ritika ke tum aisa karo ge" ... Rachna Garewal ke awaj me dukh aur mayoosi the

"Aunty ye aap kya kah rahe hain, itna ganda elzaam aap mujhh pe laga rahe hain, mee kuch nahi kya, Raj me be-gunnah ho aunty jo kah rahe hain mee aisa kuch nahi kya, mee aap ke sath koi dhoka nahi kya" ... Ritika ne ansooyon ke beech me mushkil se kaha

"Wo kya bole ga? , kya nahi diya tumhe Raj ne, dawlat, ezat, pyaar, azadi aur is sab ka ye sila diya tum ne hume, kya kami rah gaye the humare pyaar me, bolo jawab do?" ... Rachna Garewal ke awaj me ab ghusa tha

"Aur Harshit tum, tum to mere bhanjay the, tum ne ek pal ke liye bhi nahi socha ke Raj tumhara bhai ha aur tum youn uske ezat ke sath khail rahe ho, tumhe ham ne apne ghar ka hisa samjha tumhe mann, saman diya aur ye sila diya tum ne is sab ka, hume kahin munh dikhane laiq nahi choda tum ne" ... Rachna Garewal ne aab Harshit se sawal kya jo sir jhukayi baitha tha

"Aunty ye kya bol rahe hain, bhagwan se daran ye kis kisam ka elzaam laga rahe hain aap mujhh pe" ... Ritika ne aab agay badh kar Rachna Garewal ka baju pakda

"Bakwaas band karo" ... Rachna Garewal ne Ritika ke gaal pe ek tamacha marte hue kaha

"Ezat ke baat karti ho tum, kya thi tum?, han kya thi tum?, kise middle-class me palne wale ek mamooli ladki aur tumhe mere betay ne kahan phuncha diya aur tum ne jawab me humare munh per ye be-ghairti ka tamacha mara, na tum bahu banane ke laiq ho aur na patni, kise rishte ke ezat nahi rakhi tum ne" ... Rachna Garewal ka ghusa kise tor thand nahi ho raha tha

"Harshit tum kyun chup baithay ho, tum batate kyun nahi en sab ko, aisa kuch nahi humare beech, mee aisa kuch nahi kya, please kuch to bolo batayo en ko, bhagwan ke liye chup na raho ye meri zindagi aur mawt ka mamla ha" ... Ritika ne rote hue Harshit ko kaha

"Me kya bolon?, me tumhare is tarah bezati bardasht nahi kar sakta, koi paap nahi kya hum ne, mohabbat karna koi paap nahi ha fir kyun hum sab ke galiyan sunan, enko ye galat lagta ha to lagta rahe me tumse mohabbat karta hoon aur mujhe is baat pe koi sharmidagi nahi ha" ... Harshit ka ek ek lafz jaise Ritika ko kise kunwain me dhakail raha tha

"Hey Bhagwan, tum bhi?, tum bhi Wo bol rahe ho?, Bhagwan ke liye aisa na bolo ye jhoot na bolo Harshit sach bolo" ... Ritika to jaise uske baat sun kar pagal hoone ko the

"Me sach he bol raha hoon, tum soch bhi nahi sakte me tumse kitna pyaar karta hoon aur ye shakhs jo tumhari etne bezati hoone ke baad chup chaap baitha ha Wo tumse kya mohabbat kare ga, duniya se darna chod do Ritika apne dil ke suno bas" ... Harshit ne uske baju thaam kar kaha

"Chodo mujhe tum etne kamine insaan ho mujhe is baat ka jara sa bhi andaja hota to me tum pe thookna bhi pasand na karti" ... Ritika ne apne baju chudate hue kaha aur Raj jo chup chaap deewar ke sath laga khada pata nahi kahan dekh raha tha uske paas aa gaye

"Raj mera vishwaas kijiye mee kuch nahi kya, ye log jhoot bol rahe hain Raj, Ritika sirf aap ki ha Raj, Ritika sirf aap se mohabbat karti ha, apke mohabbat ke badle aisa ganda kaam me mar kar bhi nahi kar sakti, Raj aap jante hain na me jhoot nahi bolti, Bhagwan ke liye Raj mera vishwaas karan me bilkul sach bol rahe hoon" ... Ritika ne rote hue Raj ka baju hilea aur Raj ko ek dam se jhatka laga jaise use Wo e behosh tha aur hosh me aa gaya ho. Us ne apne najrain apna hath pakde us roti hue ladki pe dalen, kon ha ye ladki aur ye mera hath pakada ke kyun roo rahi ha, me janta hoon kya ise, Raj ne jaise apne dimagh per jor dete hue kaha, us kamray me hoone wale sare baaton ne jaise us se sochne samajhne ki taqat cheen le thi

"Raj ap bolte kyun nahi?, Raj please kuch boliye apke khamoshi mujhe maar dale gi, kuch to kahiye please Raj, ap jante hain me aisa nahi kar sakti, kah dijiye en se ke ye sab jhoot ha ap is sab pe vishwas nahi karte, please Raj boliye na enhan, ap kuch kahte kyun nahi?" ...

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


Raj ne dekha ke Wo roti hue ladki ap gir kar uska pair pakad kar bol rahe thi, Wo abhi bhi use pehchaan nahi paa raha tha, ye meri Ritika to nahi ho sakti, nahi ye meri Ritika nahi ha, pata nahi ye anjaan ladki kon ha aur kyun mera payon pakad kar roo rahi ha, us ne ek jhatke se apna payon us se chudaya aur bhagta hua us kamray se bahar nikal gaya, Wo ladki abhi bhi use pukaar rahe thi aur rote hue kuch bol rahe thi lekin Wo bhagta jaa raha tha jaise uske peechay mawt lagi ho, us ne apni gadi ke paas aa kar dam liya aur gadi me baith kar wahan se gadi bhaga kar le gaya, Wo sadkon pe bila-waja gadi bhagata raha use pata nahi tha uske manzil kahan ha Wo kahan jaa raha ha bas Wo peechay mud kar nahi jana chahta tha pehli baar Wo apne liye mawt mang raha tha, Wo sochne aur samajhne ke sarhadon se buhut door nikal gaya tha use bas itna pata tha ke Wo wapas mud kar use zindagi me kabhi dekhna nahi chahta, Wo mud kar us zindagi me kabhi jana nahi chahta

Sari raat Wo bina jane Wo gadi bhagata raha tha use pata nahi tha ke Wo kahan jaa raha ha kyun jaa raha ha Wo bas peechay mud kar nahi jana chaha tha akhir kaar use thakawat ka shadeed tareen ehsass mahasoos hua, ek nichle darje ke hotel me us ne ek kamra liya aur bistar per jaise gir sa gaya, Wo sona chahta tha lekin use neend nahi aa rahe the Wo jaise ankhain band karta bar bar Wo ek manzar uske ankhoon ke agay ghoomne lag jata aur us takleef se bachne ke liye Wo foran ankhain khol deta, ghadi ke tik tik use bata rahe thi ke waqt ruka nahi duniya waise he chal rahi ha bas sirf uske zindagi me kayamat aa gayi ha, pata nahi kitne ghante Wo use bistar par ek he andaaj me laita chat ko ghoorta raha, itna use vishwaas tha ke is ghatiya se hotel me koi insaan use dhund nahi sakta aur Wo chup chaap apne uper gujarne wale kayamat ka dard apne sath bant sakta ha, Wo rona chahta tha lekin use laga jaise uske akhain sookh gaye hain aur un me pani ke ek boond bhi baki nahi bachi. Akhir kayi aur ghante gujarne ke baad uske dimagh me padi us manzar ke baraf thoda thoda pigalna shuru hue to Wo kuch sohne ke qabil hua aur use yaad aaya ke Wo kise chod kar yahan bhag kar aaya tha apne patni jis se us ne duniya me sab se jyada mohabbat ke thi, us kamre me jis ladki ke bade me Wo sab bola ja raha tha Wo uske mehboob patni Ritika thi aur koi nahi

"Raj Such sirf yahe ha ke mere erd gird ab sirf aap he aap hain, mujhe apke elawa aur kuch najar nahi aata ab"....

"Raj me jhoot nahi bol sakti, me jhoot kar so nahi pati, mujhe neend nahi aati" ...

"Raj me aap se buhut mohabbat karti hoon, jitne aap karte hain us se kayi guna jyada mohabbat, mere paas apke elawa aur koi rishta nahi, mera to sab kuch aap hain Raj" ...

"Raj to aap mujhe kah dete me kabhi na jaati, ap jante hain apke baat me kabhi nahi taalti lekin apke ye narazgi mere jaan le ge kise din"...

"Ap jante hain na me apse kitni mohabbat karti hoon, mera to har rishta aap hain, mere paas to apke siwa koi apna nahi ha Raj, aap jab mujhse door hote hain to mujhe lagta ha mera dil band ho jaye ga"...

Uske kanon me awazain goonj rahe the, Wo jaise cheekhna chahta tha ke band karo ye awajain warna mera dimagh fut jaayega lekin use laga uske gale se awaj nahi nikal paye ge, us ne apne kanon per hath rakh liya jaise Wo un baton ka rasta rokna chahta ho lekin nakaam raha. Use dheeray dheeray Wo sab baate yaad aa rahe then, Ritika ka Harshit ke kaam ke liye use naraj karna, uske sath baith kar ghanton baate karna, Harshit ka achanak shopping mall phunch jana, shadi me mobile off kar ke Harshit ke sath hona, Wo sab kuch use yaad aa raha tha aur use lag raha tha jaise uska dil dard ke mare fut jaye ga. Kaash Wo uske sath ye sab na karti use kah daiti ke use pasand nahi use bata daiti ke uske maan ne use dhokay se shadi karwa de ha to Wo khud use azaad kar daita lekin youn uske bhavnayon ke sath na khailti

"Kyun Ritika, kyun kya tum ne aisa mere sath" ... Raj ne jaise us se sawal kya lekin uske sawal ke jawab dene ke liye wahan koi na tha

48 ghante use ghatiya se kamre me bhooke pyase pade rahne ke baad akhir kaar Wo utha, kab tak Wo is tarah duniya se chup sakta tha use duniya ka muqabla karna tha, jo hona tha Wo to ho gaya tha ab use badla nahi jaa sakta tha, us ne apne dil ke andar jhank kar dekha kya Wo Ritika ke is galti ko maaf kar sakta ha, kya Wo apne dil ke ander etne jaga bana sakta ha ke Ritika ko ab bhi apna sake, use koi jawab na mila. Us ne uth kar washroom me jaa kar khud ko frish kya aur Wo gadi ke chabi le kar bahar aa gaya, Wo wapas apne ghar ke taraf jaa raha tha us duniya me jahan se Wo 48 ghante pahale bhaag kar aaya tha jahan Wo kabhi nahi jana chaha tha lekin sach se insaan kabhi hamisha ke liye nahi bhaag sakta, sach ka samna to karna he padta ha, aur jab Wo wapas phuncha to zindagi waqaye waise nahi thi jaise Wo chod kar gaya tha, aur ek baat to pakki the ke Raj Garewale ke zindagi ab kabhi waise nahi ho sakti thi jaise pehle thi, zindagi me shayad sab kuch hoga lekin sans laine ke bawajood Raj Garewal mar chuka tha

"Uske baad kya hua?" ... Raj ke chup hote hi Anjali apne aap ko puchne se na rok saki

"Jab me wapas aaya to Ritika wahan se jaa chuki thi, mummy ne bataya ke Wo ghar aaye apna bag le kar chali gaye kahan gayi kise ko pata nahi" ...

"Anjali bhabi me wapas aaya tha sirf is aasha pe ke Ritika wahan hoge mujhe batane ke liye ke us ne ye sab kyun kya aur agar nahi kya to kis ne use

funsaya lekin Wo to wahan se ja chuki thi, mujhe akela chod ke, iska matlab tha us ne apni galti maan li the" ...

"To aap ne Ritika ko dhundane ke koshish nahi ke" ...

"Nahi" ... Raj ne bas itna kaha

"To aap ko kabhi uske yaad nahi aye? "...

"Ritika meri patni ke saht sath meri mohabbat ha, ye kise na-samajh bachay ke khahish nahi the jo samay ke sath badal jati ek matored shakhs ke mohabbat thi, jo tab bhi thi aur aaj bhi ha" ...

"To jab etni mohabbat ha to ek baar use dhund kar pocha to hota ke us ne agar aisa kya bhi ha to kyun kya ha?" ... Anjali apne aap ko kahne se na rok saki

"Jis insaan se aap apni zindagi se jyada pyaar karte hoon Wo agar aisa kare to kuch samajhne ke prastitti me nahi rahta, 2 saal mee kaise gujare hain me janta hoon, agar sirf sans laine ka matlab zinda rahna ha to fir me zinda hoon warna Raj Garewal 2 saal pehle he mar gaya tha" ... Raj ke awaj me gujre waqt ka dukh bol raha tha

"Me aap ka dukh samajh sakti hoon lekin fir bhi mere khayal me Ritika ko apne safayi ka mawqa na de kar ap ne uske sath jyadati ke ha" ...

"Ritika 2 saal pahale jab apke ghar se nikli the to seedha mere pas he aaye thi" ...

"To kya aap uske sath contact me thi ?" ...

"Nahi kyun ki mujhe Rohit ke waja se aksar india se bahar jana padta tha to raabta toot jata tha lekin mera addriss uske paas tha" ...

"Aap ne kaha tha ke aap ko thoda buhut pata ha, mee to aap ko apni kahani suna de, ab aap ko jo pata ha Wo kirpa kar ke mujhe baate Anjali Bhabi" ...

"Mera khayal ha bajaye me aap ko kuch batayo me aap ko ek letter de dete hoon, aap ko Wo padh kar sab kuch samajh aa jaye ga" ... Anjali ye kah kar ander chali gaye aur jab Wo wapas aaye to uske hath me ek letter tha jo us ne Raj ko pakda diya

"Ye kis ka letter ha?" ... Raj ne sawal kya
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Aap ise khol kar padh lain aap ko apne sare sawalon ke jawab mil jayen ge" ... Anjali ke baat sun kar Raj ne Wo letter khol kar padhna shuru kya Wo letter Harshit ka tha jo Ritika ko likha gaya tha lag bhag 3 months pahale
Ritika Ji ye letter jab aap ko mile ga to bhagwan jane me jinda hoon ga ya nahi lekin me jinda hoon ya na hoon me marne se pahale itna bada paap apne uper le kar nahi marna chahta. Mujhe samajh nahi aa rahi kahan se shuru karon kabhi kabhi insaan buhut kuch bolna chahta ha lekin uske paas alfaaj nahi hote aaj mera haal bhi kuch aisa he ha. Mee aap ke sath jo kuch kya Wo sab Rachna Garewal ke kahne pe kya aur shayad aap to ye sab pahale se he janti hoon ge to ye batane ka maqsad sirf ye tha ke is letter ke ek copy mee Raj ko bhi bhaije ha aur Wo ye sab nahi janta ke uski jindagi ko barbaad karne wali koi aur nahi uske MAAN ha.

Rachna Garewal ne pahale din se sab kuch plan kar ke rakha tha aur me is plan ka ek mohra tha jo aap logon ke vivah se pahale he is khail ka hissa tha. Ye sab khail tab shuru hua jab aap Rachna Garewal ke paas apne pita ke beemari ke samasya le kar gaye thi , Raj aap ko pehle he pasand karta tha aur us samay Raj ke beemari kafi khatarnak ho gaye thi to Rachna Garewal ko aap se bhadiya option najar nahi aaya jo unke marte hue betay ko khushi ke sath sath unke betay ko awlaad bhi de, aap ek middle class ke thi aur aap ko pahale he Rachna Garewal apne qaboo me kar chuki thi apke pita ke operation me madad kar ke. Rachna Garewal ko pahale se is baat ka anjada tha ke Raj aap se buhut mohabbat karta ha agar Wo theekh ho gaya to aap se uska peecha chudana asaan na hoga ise liye unhoon ne mujhe is plan me shamil kya take me aap dono ke beech deewar khadi kar sakon, shak aur nafrat ke deewar jo aap dono ko alag kar de aur me bhi aap ke tarah unke ehsanon tale daba hua tha unhoon ne hamisha mujhe financially support kya aur fir is kaam ke badle unhoon ne mujhe America me settle karna ka vaada kya aur me apne sunahre bhavishr ke chakar me aap logon ke zindagi me Wo zeher ghol gaya jis ke qeemat me aaj chuka raha hoon. Han Ritika Ji mujhe AIDS ho gaya ha aur doctortors ka kahna ha mere bachna sanbhav nahi aur me apne mawt se pahale aap ko aap ke zindagi wapas lawtana chahta hoon jo mere karaan barbaad hue. Mujhe puri ummeed
ha ke Raj bhi ye letter padhne ke baad meri baat pe yaqeen kar le ga aur agar fir bhi use koi shak ho to mee apne aur Rachna Garewal ke beech hoone wali kuch baton ko record bhi kya tha take Wo baad me mujhe dhoka na de agar chaahiye ho to me Wo bhi bhaij sakta hoon aur agar me jinda na rahoon to is letter ke sath me apna P.O Box number bhi bhaij raha hoon wahan jaa kar Wo recordings aap log haasil kar sakte hain, aasha karta hoon ke aap dono ke zindagi dobara se pehli jaise ho jaye ge jo meri waja se barbad ho gayi

Ap dono ka gunahgar Harshit

Raj jaise jaise Wo letter padhta ja raha tha use lag raha tha jaise uska dimagh fat jaayega ya uska dil band ho jaye ga, kya koi maan apne betay ke sath aisa kar sakti ha, use laga aaj uska duniya ke har rishte se emaan uth gaya ha, maan se jyada pavitr rishta to aur koi nahi hota lekin Wo rishta bhi itna bada dhoka de sakta ha ye us ne kabhi socha bhi na tha. Etne me uska mobile baj utha, hospital se call the aur wahan se Ritika ke hosh me aa jane ke khabar use sunaye ja rahe the. Wo teeno ab hospital ke taraf ja rahe the, Raj ka dimagh abhi bhi us letter me he atka hua tha, 3 saal bad Wo dobara Ritika ka samna karne ja raha tha lekin Wo bhi aise halaat me jab use bataya gaya tha ke uske zindagi tabah karne wali koi aur nahi uske maan the, kya Wo Ritika se najrain mila paye ga, kya Wo us se sawal nahi kare ge ke jab use uske jaroorat the to us ne uska sath kyun chod diya , kya Wo use maaf kar paye ge, kya Wo uske sath dobara dene per raaji ho jaye ge. Ye sare sawal uske dimagh me ghoom rahe the aur en sab ka jawab sirf Ritika ke paas tha

Rohit aur Anjali ko hospital se gaye hue kafi samay beet chuka tha, Wo Ritika ke tabiyat ka poochne ke baad chale gaye the shayad Wo un dono ko akele me baat karne ka samay dena chahte the lekin pichle 2 ghante se Wo dono chup chaap hospital ke us kamre me the jahan pe Ritika ko rakha gaya tha is beech ek dafa bas nurse ne aa kar Ritika ke drissing ke the uske elawa pichle 2 ghante me unke beech koi baat nahi hue the. Ritika bed pe laiti apne gujre hue 2 salon ke bade me soch rahe the jo us ne tanhai aur takleef me gujare the, use samajh nahi aa rahe the ke Wo kaisa mahasoos kar rahi ha, jism ke jalne ka dard kahin buhut peechay rah gaya tha Raj ke youn achanak anay ke bad uske aatma ek an-dekhi aag me jal rahi the jo har gujarte pal ke sath uske aatma ko aur jyada jalee ja rahi thi. Is ek pal ka us ne buhut entajar kya tha jab Raj use dhundata uske paas aata lekin ye entajar us ne tab kya tha jab Wo Raj ke ghar se Anjali ke paas gayi thi aur jaise jaise samay gujarta gaya uska entajar dard me badalta gaya, uska Raj pe vishwaas kamjor padta gaya.

Us din Rachna Garewal ne use apne ghar se nikal diya tha ye kah kar ke uska beta ab zindagi me kabhi uske shakal dekhna pasand nahi kare ga aur sath sath us se apni nafrat aur usko funsane ke liye jo plan banaya tha Wo bhi bata diya tha, ek pal ka to Ritika ko vishwaas he nahi hua ke koi maan apne betay ke sath bhi aisa kar sakti ha, Ritika ke sath tha unka koi rishta nahi tha lekin kya unhoon ne ye bhi nahi socha ke jis ladki ke sath Wo ye sab kar rahi hain Wo unke betay ke patni aur sirf patni he nahi uske mohabbat bhi ha use barbad karne ka matlab tha apne batay ke zindagi barbad karna lekin is sab ke bawajood Ritika ko vishwaas tha ke jab Raj wapas ghar aaayega to use wahan na paa kar Wo use dhundane ke koshish kare ga ek baar kam kaj kam us se pooche ga jaroor ke us ne aisa kyun kya lekin jab Raj na aaya to waqt ke sath sath uske ummeed khatam hoti gayi, Wo ye sochne per majboor ho gayi ke kya Raj ke mohabbat bas etni hi kamjor thi ke ek jhatke me he khatam ho gayi.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


Raj dusri taraf kamray me baitha 2 ghante se alfaaj dhundane ke koshish kar raha tha, kya kahe Wo us ladki se jo us se 2 feet ke fasle per bed per laiti aur use lag raha tha jaise Wo us se 2 sadyon ke fasle per ha. Aj jab Wo sab kuch jaan chuka tha to us me etni himmat nahi ho rahi thi ke Wo us ladki se jo uske patni aur mehbooba bhi thi ankh bhi mila sakta, us ne usko tab tanha chod diya jab duniya me sab se jyada use uske jaroorat thi, jab use Raj ke pyaar aur vishwaas ka sahara chaahiye tha us ne us se Wo sab cheen liya, jo hamisha kahti thi ke uske paas Raj ke siva koi sahara nahi aur us ne us ladki se Wo akhri sahara bhi cheen liya tha to aaj kaise Wo us se maafi mangta ya ye ummeed rakhta ke Wo use maaf kar day gi.

"Kabhi kabhi me sochta hoon ke ham apni zindagi ko itna mushkil kyun bana dete hain, zindagi ko waise he kyun nahi gujarte jaise ham kahte hain aur kitabon me padhte hain" ... Akhir kaar Raj ne us ghambeer khamoshi ko toda lekin Ritika ne uske baat ka koi jawab nahi diya

"Aksar jab log etne lambay samay ke bad milte hain to ek dusray ka haal chaal puchte hain lekin me to is qabil bhi nahi raha tum jis halat me ho Wo meri waja se he ha to me kya pochoon tum se" ...

"Me samajh nahi paa raha ke jo kuch bhi ho gaya us me mera qasoor kitna ha, kya ensaan ke apni maan bhi uske sath aisa kar sakti ha ya shayad me he galat soch raha hoon, jis insaan ne sari zindagi businiss me 1+1 = 11 kya ha Wo kabhi ye nahi samajh sakta ke 1+1 = 2 hote hain 11 nahi lekin me kabhi soch bhi nahi sakta tha ke yahi hisaab kitaab Wo apne betay per bhi karan gi ya shayad me he buhut jyada khush-feham tha"...

"Ab sochta hoon to hansi aati ha meri sare zindagi ek SHAYAD pe aa ke tik gayi ha" ... Raj ne hanste hue kaha lekin us hansi me jo dard tha Wo shayad sirf Wo i janta tha

"Mera rishta aap ke sath tha, mohabbat ka, vishwas ka, zindagi ka, mujhe kise aur se koi ummeed nahi thi" ... Ritika ne pehli baar apne lab khole

"Me janta hoon galti meri he ha lekin " ... Raj kuch kahna chahta tha ke Ritika ne uske baat kaat di

"Is ek lekin se gujra hua waqt wapas nahi aa sakta agar aisa hota to duniya ka har insaan apni galti sudhaar leta" ... Ritika ne dard bhare lahaje me kaha

"Ritika mujhe lafzon se khailna nahi aata, mee apne sari zindagi jo dil me ha Wo i kaha ha, me janta hoon ke me tumhara gunahgar hoon mee tumhe uske saza di jo galti tum ne kabhi nahi ke thi magar me tumse sirf yahi kah sakta hoon ke mujhe maaf kar do" ... Raj is baar uth kar Ritika ke bed ke kareeb aa gaya

"Kitna asan ha ye 4 lafj kahna MUJHE MAAF KAR DO, tan pe lage ghayo nahi ye mann pe lage ghayo hain, lafjon ke kaat kya hoti ha kaise ye aatma ko cheer dalti ha iska andaja nahi ha aap ko, mere uper jo eljaam lagaya gaya aur jo alfaaj bole gaye kya aap kabhi uski talkeef mahasoos kar sakte hain?, aur jis insaan se mee apni zindagi se badh kar pyaar kya uske najron me apni liye nafrat dekhna, apne vishwaas ka qatal hote dekhna, kya ye sab itna asan ha?, kya ye sab MUJHE MAAF KAR DO kahne se khatam ho jaye ga?" ... Ritika ke lafjon ke talkeef Raj apne dil per mahasoos kar raha tha aur ye bhi janta tha ke Wo jo kah rahi ha sach kah rahi ha

"Ritika ek galti to bhagwan bhi maaf kar deta ha, me manta hoon meri galti buhut badi ha lekin me use sudharna chahta hoon mujhe bas ek mawqa chaahiye" ...

"Kyun ki Wo bhagwan ha insaan nahi, insaanon se bhagwanon wala sabhayo kaise chah sakte hain aap?, kya 2 saal ba aa kar 4 lafj kahne se sab kuch khatam ho jata ha, kya me koi robot hoon jo button dabaya aur sari memory saaf ho gayi aur fir se zindagi zero se shuru kar li, nahi Raj me bhi insaan hoon mujhe bhi takleef hoti ha, agar ye baat aap 2 saal pahale mujhe aa kar kahte to me 1 minute na lagati sochne me lekin aaj 2 saal bad jab sab kuch aap ko pata lag gaya ha, aap jan chuke hain ke me be-gunnah hoon to aaj ap ko apni galti ka ehsaas hua ha, is sab me MERA wajood kahan ha?" ... Ritika ke sawalon ka Raj ke paas koi jawab na tha

"Raj is samay me mere se koi bhi ummeed mat lagaye ga, aap ko nirasha nahi karna chahti me, mujhe aap se aaj bhi utni he mohabbat ha jitni pehle the lekin buhut kuch badal chuka ha, insaan ke pasand kabhi nahi badalti lekin halaat insaan ko badal dete hain" ...

"Me tumhara entajar kar sakta hoon Ritika ,zindagi ke akhri saans tak, tum ne 2 saal mera entajar kya ha me sari zindagi tumhara entajar kar sakta hoon lekin me ab tumhe kisi qeemat pe apne zindagi se jane nahi doon ga" ... Raj ne ye kaha aur table pe rakhi apni gadi ke chabi utha li

"Me tum pe koi dabav nahi daal raha faisle ka tum jitna waqt lena chaho le sakti ho bas jo mee tumhare sath kya Wo tum mere sath na karna" ... Ye kah kar Raj darwaje ke taraf badh gaya

"Humare beech 2 saal nahi 2 janmon ka faasla aa gaya ha Raj use khatam karna itna asaan nahi" ... Raj ne kamre se nikalte hue Ritika ke awaj suni aur Wo sir jhukayi apni gadi ke taraf badh gaya apni bikhre hue zindagi ke tokdon ko jod kar dobara ek mukamal tasveer me dhaalna itna asan nahi tha

"Hello Raj" ... Raj ne jaise he call receive ke use Rachna Garewal ke awaj sunaye de

"Hello Mummy" ... Us ne thake thake lahaje me jawab diya

"Kahan ho tum, mujhe yahan aaye huve 2 hafte hoone wale hain aur yahan aa kar mujhe pata laga ke tum 1 mahine se ghar nahi aaye, mee kitne baar phone kya tum ne call receive nahi ki" ... Rachna Garewal ke awaj me fikarmandi thi

"Mummy me Mumbai me hoon, apko yaad ha na mera ek dost hota tha Rohit use ke paas hoon, Wo mujhe yahan pe mil gaya tha" ...

"Wo to theekh ha lekin ab 1 mahine se jyada hoone wala ha tum sab kuch chod kar wahin baith gaye ho" ...

"Bas kuch purani yadain taja kar raha tha" ... Raj ne dukhi hansi hanste huve kaha

"Beta yadain taja karne me businiss wagera sab bhool gaye kya? , aur wapas aanay ka kya socha ha tum ne?" ...

"Me is haftay aayon ga wapas yahan pe kuch kaam niptane hain me Rohit ke sath mil kar ek project shuru karna chah raha hoon" ... Raj ne jhoot bolte hue kaha Wo abhi Rachna Garewal ko Ritika ke bade me nahi batana chahta tha, Wo chah raha tha ke Ritika ko sath le kar wahan jaye tab he un se sawal jawab kare

"Ok theekh ha lekin tum jaldi wapas aayo, tum jante ho me akeli ho jati hoon yahan pe" ...

"Ji mummy, i will be back soon" ... Raj ne ye kah kar phone band kar diya

Raj ne phone band kar ke ek thandi saans bhari, us ne buhut mushkil se khud ko qaboo kya hua tha kuch bhi kahne se varna uska dil chah raha tha ke Wo cheekh cheekh kar jawab mange apne zindagi barbad hoone ka. Us din ke baad uske Ritika se jyada baat cheet nahi hue the itna to Wo janta tha ke Ritika ab tak uske saath jane ko raaji nah ha, us ne Anjali ko bhi kaha tha ke Wo Ritika ko samjhaye ke jo galti us ne ki ha Wo use sudharna chahta ha lekin abhi tak use Anjali ke taraf se koi achi khabar nahi mili thi aur waise bhi doctortors ka kahna tha ke abhi Ritika ko ek mahina aur hospital me rahna pade ga uske baad Wo ghar ja sakti ha

"Ritika tum ne kuch socha ha fir ke ab kya karna ha?" ... Us din bhi Anjali Ritika ko samjhane ke koshish kar rahe thi

"Sochna kya ha, mujhe ab Raj ke sath nahi rahna" ...

"Bachoon jaise baate mat karo" ...

"Ye bachoon jaise baat nahi ha tum nahi samjho ge jab koi apna bana kar paraya kar deta ha to kitni takleef hoti ha, mee apna aatma samman khoya ha tum us dard ko mahasoos nahi kar sakti jo en 2 salon me mee har pal mahasoos kya ha" ...

"Me manti hoon ke chot buhut gahri ha aur uska dard bhi shadeed ho lekin ye bhi sach ha ke Raj tum se aaj bhi utni he mohabbat karta ha jitni pahale karta tha, ye bhi sach ha ke jo kuch bhi huva us me Raj ka itna kasoor nahi ha aur ye bhi sach ha ke tum bhi us se utne he shidat se mohabbat karti ho jitna pahale karti thi" ...

"Me khud me etni himmat nahi paati hoon Wo sab kuch bhoolne ki aur fir se Raj ke sath zindagi gujarne ki" ...

"Ritika aaj Raj tumhare pas aaya ha sharminda ha, maafi mang raha ha, apni galti sudharna chahta ha, kya pata aaj tum use niraash kar do to ye mawqa tumhe zindagi me dobara mile ya nahi, is waqti ghuse me tum apna bhavishr kyun kharab karna chahti ho, me nahi chahti ke tum baad me apne is faisle pe pachtayo aur me nahi chahti ke tumhri baki ke zindagi pachtawon ke sath gujre" ... Anjali ne use fir se samjhaya aur is baar Ritika ne uske baat ka koi jawab na diya balke khamosh rahi

Anjali ke bar bar samjhane se Ritika ye sochne par majboor ho gayi thi ke agar Wo Raj ke sath nahi jati to Wo kya kare gi, sare zindagi Wo Anjali ke sath to rah nahi sakti is society me akeli awrat ka rahna kitna mushkil ha Wo is baat ko achi tarah janti thi use kise na kise sahare ke jaroorat padti ha aur agar baat sahare ke he thi to Raj se acha sahare to uske liye koi nahi ho sakta tha aur kya pata Wo fir se us se mohabbat karne lage waise he jaise Wo pahle karti thi.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


Dusri taraf Raj jab Delhi jaa raha tha to Anjali ne use dilasa diya ke Wo deewar me chaid karne me kamyab ho gayi ha us ne Ritika ko sochne per majboor kar diya ha aur Raj jab tak wapas aaayega Wo use manane me kamyab ho chuki hogi. Raj ko bhi Delhi jana tha waise bhi uske yahan baithay rahne se koi faayadaa nahi tha Ritika ko to waise bhi 1 mahina hospital me he rahna tha, ise liye Wo dobara Delhi chala gaya lekin wahan se Wo rojana Ritika ko phone jaroor karta jis me baate kam aur khamoshi jyada hoti lekin fir bhi use ummeed thi ke Wo us Ritika ko dobara paanay me kamyab ho jaayega jo use 5 saal pehle mili thi

1 mahine baad jab Raj wapas aaya to waqayi Anjali Ritika ko samjhne me kamyab ho gayi thi, Raj janta tha ke Ritika ne uske sath jane ka faisla sirf uski mohabbat ke liye nahi kya balke Anjali ke samjhane pe kya tha lekin use puri ummeed thi ke ek baar Wo uske paas aa jaye gi to Wo use mana le ga, apni purani Ritika ko dhund nikale ga. Is samay Wo Ritika ke bade me itna nahi soch raha tha balke uska sara dhiyan Rachna Garewal ke taraf tha, Wo janta tha ke Rachna Garewal ne Ritika ko uske zindagi se nikalne ke liye kitna bada plan racha tha aur ab use ek dam se uske sath wapas ghar aate dekh kar Wo jaroor ghusa hoon gi aur use dobara se apna lena na-mumkin sa tha unke liye lekin is se bhi jyada Raj ko is baat ka dar tha ke kya Wo khud pe qaboo rakh paayega Wo jaise bhi then uske maan thi aur agar ab unhoon ne kuch kaha Ritika ke bade me to shayad Wo khud ko bolne se na rok sake aur shayad Wo kuch aisa bol jaye jo uske khayal me bolna theekh nahi tha. Akhir Wo din aa gaya jab Wo Ritika ko dobara ghar le ke aaya, uska khayal tha ke subha ke waqt Rachna Garewal office hoon ge to Wo Ritika ko wahan chod kar akele me un se baat kare ga lekin us din Rachna Garewal ghar per he then. Raj ke sath Ritika ko dekh kar unka haal bikkul aisa ho gaya tha jaise unhoon ne koi bhoot dekh liya ho, kuch der tak Wo kuch bol he na saken lekin jald he Wo is jhatke se sanbhal gaye then

"Ye ... Ye yahan pe kya kar rahi ha aur tumhare sath kya kar rahi ha?" ... Rachna Garewal ne Raj se poocha

"Ye meri patni ha, mera khayal ha iska mere sath hona aisi koi anhooni baat to nahi" ...

"Tum isko wapas kaise la sakte ho Raj, bhool gaye is ne tumhare sath kya kiya tha?, aur waise bhi 2 saal tak tumhe is baat ka khayal nahi aaya ke ye tumhari patni ha?" ...

"Is bade me bad me bat karenge filhaal me is bade me koi baat nahi karna chahta" ... Raj ne jaise baat samaitna chahi

"Nahi baat abhi hogi aur isi waqt hogi, me is ladki ko yahan bardasht nahi kar sakti, tum shayad ise maaf kar sakte ho lekin me nahi jo kuch is ne humare sath kya aur humare khandan pe jo munh pe jo kalak mali me use hargij nahi bhool sakti" ...

"Bhoola to me bhi kuch nahi hoon mummy lekin ye waqt en sab baton ka nahi ha aur mee kaha na me is samay koi baat nahi karna chahta" ... Raj ne khud ko jaise kuch sakht kahne se roka

"Raj tum iske jaal me funs sakte ho me nahi, poocho is se 2 saal kahan thi kis ke sath thi?" ...

"Bas mummy, iske agay ek lafj nahi, me bhool jayon ga ke me apne maan se baat kar raha hoon" ...

"Raj tum ... tum is ladki ke liye mujhse aise baat kar rahe ho, ye ladki jis ka koi character nahi ha ... " ... Rachna Garewal kuch aur kahna chahti then ke Raj ne unki baat kaat di

"Agar ye ladki character-liss ha to saboot to is baat ka bhi nahi ha ke me Aditiya Garewal ka beta hoon" ...

"Raj tum ... tum apni maan ko gali de rahe ho?" ... Rachna Garewal ke awaj me hairat aur dard tha

"Aap ko nahi khud ko gali de raha hoon, me Aditiya Garewal ka beta nahi to bhi gali mujhe mil rahi ha, meri patni character-liss ha to bhi gali mujhe mil rahi ha, koi meri maan ko gali de ya meri patni ko gaali to mujhe he mil rahi ha na" ... Raj ne dukh bhare lahaje me kaha jaise bole jane wale ek ek lafj ki takleef mahasoos kar raha ho

"Kya duniya ke har patni se aise hi gawahi mangi jati ha uske character ki, kya ek shakhs ke kuch bolne se koi insaan character-liss ho jata ha?" ...

"Aisa julm to koi be-juban janwar per bhi nahi karta mummy jo aap ne is ladki per kya jo meri patni ha,kya bigada tha is ne aap ka, kon sa nuqsan phunchaya tha, etne buri lagne lagi thi to aap mujhse kahti ek baar ke tumhari patni mujhe bardasht nahi hoti TALAQ de do ise, me ise chod deta, maan aur patni ke beech me MAAN ko he chunta, aap ne is ladki ko nahi aap ne apne betay ko tod dala ha mummy, aap ne mujhe tod diya ha" ... Raj ke ankhoo se ansoo bah kar uske galon pe bah rahe the ab

"Me tumse buhut mohabbat karti hoon Raj, mee hamisha tumhare liye sab se acha pasand karne ke koshish ki ha" ... Rachna Garewal ne kahna chaha

"Ye kaisi mohabbat ha mummy jis ne mujhe he tod diya , aaj me apni patni se najrain tak nahi mila sakta, meri patni mere hote huve 2 saal tak is duniya se akeli ladti rahi, har dukh har ghum akeli bardasht karti rahi, ye kaisi mohabbat ha mummy" ... Raj ab jor jor se roo raha tha

"Ritika ne mujhse bewafai ki ye soch kar me 2 saal zinda raha, apke jhoot ko sach maan liya mee lekin aaj jab mujhe ye sab pata chala ha ke ye sab kuch mere sagi maan ne mere sath kya ha to mere ander sab kuch mar gaya ha, patni to dhoka de sakti ha lekin maan kasie dhoka de sakti ha?, aap ne jo kuch meri patni ke sath kya uske baad bhi mujhe yaqeen nahi aa raha ke meri maan aisi ho sakti ha, mujhe etni mohabbat karne wali maan aisi ho sakti ha" ... Wo ab ghutnon ke bal unke samne jhuka hua jor jor se roo raha tha

"Aap ne apne betay ko maar dala ha mummy" ... Wo kise chote bachay ke tarah roo raha tha

Rachna Garewal ne kuch bolna chaha lekin unhe laga lafj unke gale me funs gaye hain. Unho ne Ritika ke taraf dekha ye Wo ladki thi jis ko unhoon ne bad-kirdaar sabit karne ke liye itna bada plan banaya tha lekin aaj unka beta uske kirdaar ke qasman kha raha tha. Aaj unka apna beta bachoon ke tarah unke samne roo raha tha, un se sawal kar raha tha aur jis ka unke paas koi jawab nahi tha. Raj ke awaj unke kanon me goonj rahe thi

"Aap ne apne betay ko maar dala ha mummy" ...

Racna Garewal ne apne kanon pe hath rakh liye lekin Wo us awaj ka rasta na rok sakin, Wo peechay deewar se ja lage ek dam unke ankhoon ke samne andhaira chane laga aur akhri khayal jo unke dimagh me tha Wo Raj ke rone ka tha, unka beta roo raha tha lekin Wo use chup nahi kara sakti then

"Rahul, Tina, barish me nahi jana, thand lag jaye gi" ...

Raj ne apne laptop se najrain utha kar dekha to Ritika unhai barish me jane se mana kar rahi thi, ek muskurahat uske chahre pe aa gayi. Buhut kuch badal gaya tha, Rachna Garewal us ghatna ke baad 1 saal he zinda rah sake then shayad unke liye apne betay ke najron me girne ke bad zinda rahna zyada mushkil tha. Unke zindagi me Rahul aur Tina aa chuke the unke awlaad, jin ke anay ke baad unhe lagne laga tha ke zindagi ab mukamal ho chuki ha lekin sab kuch hoone ke bawajood bhi Raj janta tha ke uske zindagi me buhut kuch badal chuka tha. Ritika ke wapas aa jane ke baad Raj ko laga tha ke samay ke sath sath Wo apni purani Ritika ko panay me kamyab ho jaayega lekin ye soch bas uske soch he rahi. Ritika kabhi dobara Wo purani Ritika nahi ban saki jis se us ne mohabbat ke thi. Us ne ek achi patni hoone ke sari zimaydariyan puri ki lekin Raj us ke ander hamisha apni purani Ritika ko dhundata raha jo use kabhi dobara na mil saki.

Raj ne ek gahri sans le kar dobara se apne tawaju apne laptop kar li jahan Wo apni kahani ka akhri bhaag likh raha tha

"Kabhi kabhi me sochta hoon ke jo log awrat ko kamjor kahte hain un se bada bewaqoof koi nahi ha, awrat kamjor ha ya mazboot iska faisla Wo khud karti ha, agar uski marzi ho to mom ke gudiya ke tarah apne mehboob ke kahne pe us roop me dhal jati ha jis me Wo use dhalna chahta ha aur agar uske marzi na ho to insaan lakh sir patakta rahe Wo ek aisa pathar ka mehal ban jati ha jis ke deewaron se use bahar nikalna sanbhav nahi hota. Me bhi pichle 15 saal se apni patni ke khade kye us mehal me ghoom raha hoon lekin mujhe Wo chabi nahi mil rahi jis se me us mehal ka Wo darwaja khol sakon jo mujhe apni patni ke ander jane ka rasta de sake. Me 15 saal se en deewaron ke sath sir fod raha hoon lekin Wo rasta nahi dhund saka, meri patni ek aisa pathar ka mehal ban chuki ha jis ke bahar me baitha uske pigalne ka entajar kar raha hoon lekin kahin na kahin me ye janta hoon ke ye entajar shayad la-hasil ha"

Us ne akhri bhaag likh kar apna laptop band kar diya . Wo pichle 5 saal se apni is kitaab pe kaam kar raha tha jis ko abhi tak Wo koi naam nahi de saka tha. Is kitaab ko likhne ka maqsad dawlat ya shohrat nahi tha balke is kitaab ke jariye Wo un sab logon tak apni zindagi me hoone wale waqiye aur tabdeeliyon ka batana chahta tha, uska maqsad har us insaan ke madad karna tha jis ne kise se zinadgi se jyada mohabbat ki ho, Wo batana chahta tha ke mohabbat me kabhi kabhi choti se doori kis tarah insaan ke zindagi barbad kar sakti ha, jo shayad dikhne me mukamal ho lekin us zindagi me itna bada khala ho jis ko pur karna insaan ke bas se bahar ho. Shayad koi ye kitaab padh kar Wo galti na kare jo us ne ke thi, shayad ye kitaab padh kar koi ladki apni soch ka dhara badal sake, shayad is kitaab ko padh kar jo bichde dil ek ho jayen, shayad us kitaab ko padh kar Wo un sab logon ko samjha sake ke mohabbat me vishwaas de kar cheen lena kitna qatil sabit hota ha.

Ye sare shayad mil kar kise ke zindagi sanwaar dain aur jo takleef aur dard Wo apne ander mahasoos karta ha Wo kuch kam ho jaye. Raj ne ek cig sulgaya aur CD-pleer per apni pasandida ghazal ko ple kar diya .

Kamre ke ander aur bahar Wo 2 log majood the jinhoon ne ek dusre se be-entiha mohabbat ki thi etne ke shayad unka ek dusre ke bina sans lena bhi sanbhav nahi nahi tha lekin aaj Wo ek dusre ke paas hote hove bhi ek dusre se buhut door the, 2 log jinhoon ne mohabbat ka matlab ek dusre ko samjhaya tha lekin aaj Wo mohabbat kahin kho gayi thi bas zindagi guzar rahe thi aur pichle 15 saal se aise he guzar rahi thi, khamosh, chup chaap, aur shayad aise hi guzarti rahe, ek ensaan ke jhooti ana aur sirf ek lamhe ke vishwaas-ghat ne dono ke zindagi hamasha ke liye badal thi. Wo paas ho kar bhi door the, sath ho kar bhi akele the, ek dusre ko jante huve bhi anjaan the, humsafa hote huve bhi Wo is safar ko akela guzar rahe the. Kamre ke ander Abida Parveen ke awaj jadoo jaga rahe thi aur Raj soch raha tha ke shayad is se acha naam usko apni kitaab ke liye nahi mil sakta tha, Abida Parveel ke ganay ke bol usnke kano me goonj rahe the

Tarq-e-tawlaqat pe roya na to na me
Lekin ye kya ke chaain se soya na to na me

Wo humsafar tha magar us se humnawai na the
Ke dhoop chayon ka aalam raha judai na the

Wo humsafar tha, Wo humsafar tha

Adawatain the, taghaful tha, ranjishan then magar
Bichadne wale me sab kuch tha bewafai na the

Ke dhoop chayon ka aalam raha judai na the
Wo humsafar tha, Wo humsafar tha

Bichadte waqt un ankhoon me the humare ghazal
Ghazal bhi Wo jo kise ko kabhi sunaye na the

Ke dhoop chayon ka aalam raha judai na the
Wo humsafar tha, Wo humsafar tha



The End


प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply