Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Dekhiye Miss.Ritika open heart surgery ke elawa aur koi rasta nahi ha humare pas" ... Ritika ko jab phone per apne Papa ke hospital me hoone ke khabar mile me Wo seedha hospital phunch gaye the

"Doctortor ap kuch bhi kijiye lekin mere Papa ko theekh kar dijiye" ... Ritika ke ansoo uske galon per bah rahe the

"Miss. Ritika doctortor koi jadugar to hote nahi, ham sirf koshish he kar sakte hain bake sab to bhagwan ke hath me ha aur me apko bas yahe yaqeen dila sakta hoon ke, i will try my bist" ... Doctortor ne use tasalli de

"Miss.Ritika ye kuch doctoruments hain aur sath me jo kharcha hona ha, ye sab ke details ise me han, apke signatoris chaahiyen is pe aur kal tak paise bhi jama karane hoon ge kyun ke ham majeed operation ko late nahi kar sakte" ... Doctortor ne apne drawer me se kuch papers nikal ke Ritika ko de diye

Ritika Doctortor se papers le kar bahar aa gaye, us ne ICU ke darwaje ke bahar se apne Papa ko ek baar fir se dekha Wo is samay zindagi aur mawt ke jang lad rahe the, Wo kafi der wahan pe khade unhe dekhte rahe aur fir bahar aa gaye, taxi me baith ke Wo wapas apne flat pe aa gaye. Apne liye chaye banaye uske sir me shadeed dard ho raha tha, aur fir doctortor ke diye hue papers ko padhne lage, aur fir jab Wo us paper pe phunche jis me operation pe hoone wale kharche ke bade me likha tha Wo uth kar khade ho gaye, us me jo paise likhe the Wo harhij uske paas na the. Ritika ne ek baar padhne ke baad fir se us paper ko padha ke kahin pahale baar padhne me galti to nahi ho gaye us se, lekin doosri baar padhne per bhi us kaghaz pe likha kuch tabdeel nahi hua aur use padhne ke baad Ritika ke pareshaan i me majeed ejafa ho gaya kyun ke us pe jo amunht likha tha operation ke liye utne paison ke bade me shayad Ritika ne kabhi socha bhi nahi tha. Ritika jo pahale he Herman Disai ke beemari ke waja se pareshaan the operation pe hoone wale kharche ka padh kar majeed pareshaan ho chuke the use samajh nahi aa rahe the ke Wo etne paison ka entajam kahan se kare ge aur na he aisa koi tha jis se Wo paise mangte, sare raat us ne jagte gujaar de aur yahe sochte rahe ke etne sare paise Wo kahan se lee ge aur yahe sochte sochte use pata nahi laga kab Wo rone shuru ho gaye aur use pata nahi laga ke uske ansooyon me cheekhain bhi shamil ho chuke then, pata nahi kitne der tak Wo roti rahe aur akhir me uska gala sookh chuka tha, use paani ke shadeed kami mahasoos hue lekin Wo apne ander etne himmat nahi paa rahe the ke Wo kitchen me ja ke pani pee sake aur Wo in bed pe rote rote he use neend aa gaye. Uske ankh apne mobile ke bajne per khule us ne dekha to office se phone tha aur use office bulea gaya tha. Us ne uth kar munh dhoya aur kapde tabdeel kar ke office phunch gaye jahan ja ke use pata laga ke Maam uska entajar kar rahe han, Wo unke office me phunch gaye

"Miss.Ritika ap jante hain ke mujhe laparwahi bilkul pasand nahi ha, ap kal bhi bina bataye office se chale gaye aur aj bhi apko phone kar ke bulana pada, hum sara samay apke ane jane ke bade me fikarmand nahi ho sakte, agar apko job nahi karne to ap risign de dijiye" ... Rachna Garewal ne thande lahaje me use kaha

"I m Sorry Maam, me kal bina bataye chale gaye lekin masla he aisa tha ke mujhe kuch hosh na raha" ... Ritika to bus ro dene ko the

"Kya hua?" ... Ab ke baar Rachna Garewal ke awaj kuch naram the

"Maam, mere Papa ko heart problem ho gaya, kal unke college se he phone aya tha unke hospital jane ka aur fir wahan ja ke pata chala ke unke beemari buhut serious ho gaye ha aur ab unke open heart surgery hoge" ... Ritika ke ankh se 2 ansoo table pa ja gire

"Ohhhh, to apko batana chaahiye tha na, khair ap aisa karan ke apko jitne din ke chuti chaahiye application likh kar de dain, bhagwan ne chaha to apke pita jald he theekh ho jayen ge" ... Rachna ne uske baat sun kar naram lahaje me kaha

"Paison ke jaroorat to nahi ha" ... Rachne ne majeed kaha

"Wo Maam .... " ... Ritika bas itna he kah sake use samajh nahi aa rahe the ke Wo kaise kahe

"Han bolo koi masla ha to" ...

"Maam operation pe jo kharcha hona ha Wo buhut jyada ha aur mere paas etne paise nahi han" ... Ritika ke awaj bilkul sargoshi jaise mahasoos ho rahe the us ne kabhi socha bhi nahi tha ke use kise ke samne kabhi hath failana pade ga

"Hmmmmm!, tum aisa karo Mr.Gupta ko ja kar hospital ka addriss aur phone number batayo, tumhare pita ke operation ka kharcha company uthaye ge" ... Rachna Garewal ne jaise us me zindagi ke rooh phoonk de the

"Maam, mujhe samaj nahi aa raha me apka shukriya kaise ada karon" ... Ritika to jaise khushi ke mare roo dene ko the

"Shukriya karne ke koi baat nahi, uske badle tumhe bhi mere liye kuch karna hoga" ... Rachna ne pahale dafa muskura kar kaha

"Yis Maam!, ap jo kahan" ... Ritika etne khush the is samay to Wo Rachna ke har baat manane ko taiyaar the

"Pahale mere baat sun lo fir faisla karna ke tum kar sakte ho ya nahi" ...

"Dekho shayad tumhe ehsaas ho gaya ho ab ke jab koi apna zindage aur mawt ke jang lad raha ho to kaisa mahasoos karta ha insaan aur jab tum ne mujhe enkaar kya to mujhe kitna dukh hua hoga, shayad tumhe lage ke me ab tumhare kamjori se faayadaa utha rahe hoon lekin ek maan hoone ke nate aur mujhe pata ha ke Raj jaroor theekh hoga" ... Rachna ne bolna shuru kya

"Maam me apko pahale bhi bata chuki hoon ... " ... Ritika ne kuch kahna chaha lekin Rachna Garewal ne uske baat kaat di

"Let me complete first, dekho tum ne kaha ke tum apne Papa ke waja se Raj se shadi nahi kar sakte, lekin aj tumhare Papa zindage aur mawt ke jang lad rahe han, me ye nahi kahte ke me tumhare mada sirf is liye kar rahe hoon ke tum Raj se shadi karo lo, lekin mera khayal ha ab tumhan is bade me fir se sochna chaahiye" ... Rachna Garewal jis ne apne pure zindage businiss ke dayo paich khailte gujar de the unke liye Ritika jaise ladki ko baton ke jaal me funsana koi mushkil baat nahi the aur Ritika ke chahre ke bhaav se saaf lag raha tha ke Wo use apne baton me funsane me kamyab ho chuke han

"Theekh ha Maam, me dobara sochoon ge is baat pe" ... Akhir kafi der sochne ke baad Ritika bas itna he kah sake

"Theekh ha ab tum jayo apne Papa ke paas me kuch dino me chakar lagayon ge hospital ka" ... Rachna samajh chuke the ke Ritika uske baat samajh gaye ha

Ritika office se seedha hospital gaye lekin uske dimagh me abhi bhi Rachna Garewal ke batan ghoom rahe then. Doctortor se baat karne ke baad use pata chal chuka tha ke Mr.Gupta ne phone kar diya ha hospital ab use operation ke liye paison ke fiker ke jaroorat nahi the lekin use ab ek naye fiker lag chuke the aur Wo the Rachna Garewal ke batan. Use mahasoos ho raha tha ke Rachna Garewal ne jo hospital ane ke baat ke ye bhi ek ishara tha ke Wo kal ane se pahale uske jawab ka entajar kar rahe han. Filhaal us ne operation pe sare tawaju dena theekh samjha aur bhagwan ne uske duwa sun le aur uske Papa ka operation kamyab ho gaya. Doctortor ka kahna tha ke kuch dinon me Wo normal ho jayen ge. Ab Ritika soch rahe the ke use kya karna chaahiye, Rachna Garewal ne uske Papa ke operation ka kharch utha ke us pe aisa ehsaan kar diya tha ke ab uske liye Rachna Garewal ko enkaar karna itna asan na tha. Akhir kaar Wo faisle pe phunch gaye aur us ne Rachna Garewal ko phone milea

"Hello Maam, me Ritika baat kar rahe hoon" ... Rachna Garewal ke phone receive karne ke baad us ne kaha

"Hello Ritika, kaise ho?, Papa ki tabiyat ab kaise ha?" ...

"Ji bhagwan ka shuker ha operation kamyab ho gaya, Doctortors ka kahna ha kuch dino me Wo normal ho jayen ge" ... Ritika ne kaha

"Maam, me ap se us din wale mamle pe kuch baat karna chahte hoon" ... Ritika ne baat shuru ke

"Han bolo" ...

"Maam, mujhe Raj Sir ke sath shadi karna manjoor ha, lekin bus ap Papa ko ye mat bataayega ke Raj Sir ko kya beemari ha, ap jante han ke unka abhi itna bada operation hua ha aise halat me un se aise baat karna shayad theekh nahi aur waise bhi me unhe bilkul pareshaan nahi karna chahte" ...

"Theekh ha mujhe tumhare baat pe koi aitraaj nahi ha, lekin me chahte hoon ke ye shadi jaldi ho jaye is baar Raj ke wapas ate he" ... Rachna Garewal ne kaha

"Mujhe manjoor ha Maam, ap hospital jab ayen to Papa se baat kar lijiye ga is bade me" ... Ritika ne kaha

"Theekh ha, ek aur baat me chahte hoon ke tum Raj se khud baat karo aur batayo ke tum shadi karne ko taiyaar ho, mujhe pata ha tumhare aur Raj ke darmiyan kya baat hue aur tum ne use abhi tak koi jawab nahi diya , aur humare darmiyan jo baat hue uska jiker mat karna Raj se" ... Rachna Garewal samajh chuke the ke ab Ritika pure tarah unke hath me aa chuke ha

"Lekin Maam, Raj Sir se jhoot bolna mujhe theekh nahi lag raha" ... Ritika ne kuch kahna chaha

"Tum jhoot kahan bol rahe ho bus sirf such chupa rahe ho, me nahi chahte Raj ko mahasoos ho ke tum kise dabav me aa kar shadi kar rahe ho" ...

"Theekh ha Maam jaise ap kahan" ... Ritika ne hathyaar dal diye

"Ok Good, me kal he hospital ka chakar lagayon ge" ... Rachna Garewal ne ye kah kar phone kaat diya

Ritika ne phone band kar ke ek lambi saans le, use zindage me pahale bar ehsaas hua ke paisa kitna jaroori hota ha, us ne kitabon me padha tha ke paise se rishte aur insaan nahi kharide ja sakte lekin aj use ye sab baate kitabi lag rahe then, koi us se poochta ke asal zindage me kis tarah insaanon ko kharida jata ha rishton ke naam pe. Ab Wo soch rahe the ke use ab ek aur agni pariksha se gujarna ha, apne asoolon ko chod kar jhoot se nafrat karne wale Wo ladki aj rishton ke bandhan me aise funs chuke the ke sab kuch chod kar ek businiss woman ke hath me khail rahe the

Rachna Garewal ne agle din he hospital ja ke Herman Disai se rishte ke baat ke aur Herman Disai ne to shayad khaab me bhi nahi socha oga ke uske beti ke liye etne bade ghar se rishta aye ga, unhe to samajh nahi aa rahe the ke Wo apne khushi ko kaise chupayen aur ye rishta to unhe bhagwan ka prashad lag raha tha, middle class ke soch bhi buhut masoom hote ha Wo apne sath hoone wale kise khush gawar anhooni ko ya to uper wale ka kamal samajh leta ha ya apne khush qismati aur ek ajeeb se shukar gujari uske lahaje aur ankhain me aa jate ha aur insaan use bhagwan lagne lagte hain aur Herman Disai ko bhi is samay Rachna Garewal koi bhagwan he lag rahe the. Unhoon ne Rachna Garewal se kuch din mang liye ke Wo soch kar batayen ge aur sochna kya tha asal me to Wo sirf Ritika ke marji janana chah raha the is baat se anjaan the ke Ritika ko pahale he apne zindage ka faisla Rachna Garewal ke hath me de chuke the.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »

Rachna Garewal ke jane ke baad Herman Disai ne Ritika se uske marji poochi to us ne haan me jawab de diya . Ritika ko to ab Raj ke ane ka entajar tha Wo khud ko taiyaar kar rahet he Raj ka samna karne ke liye ke kaise uske samne ye jhoot bole ge lekin ab baat uske marji ke nahi the ab to use Wo e karna tha jiska Wo Rachna Garewal ko kah chuke the. 2 din baad use Rachna ne bataya ke Raj wapas aa chuka ha, to us ne Raj ko phone kar ke milne ka kaha

"Mom bata rahe thi ke apke pita ke tabiyat theekh nahi" ... Raj use apne pasandida ristorant le aya tha

"Ji, unke open heart surgery hue ha lekin bhagwan ka shuker ha ab tabiyat kafi bahter ha" ...

"Me 1,2 din me chakar lagayon ga" ... Raj ne kaha

"Apka treatment kaisa chal raha ha?" ... Ritika ne poocha

"Abhi to shuru hua ha 2,3 hafte ke baaf fir se jana ha, but doctortors ko kafi ummeed ha ke jald he theekh ho jayon ga me" ... Raj ne muskurate hue kaha

"Aap mujhh se koi baat karna chah rahe thi " ...

"Ji, apko yaad ha ap ne jane se pahale mujhh se ek baat kahe the" ... Ritika ne apne samne pade chaye ke cup pe ungli fairte hue kaha

"Han mujhe yaad ha aur mujhe jawab ka entajar bhi ha lekin ab to apke pita ke tabiyat theekh nahi to agar apko majeed samay chaahiye to ap le lo aram se jawab de dena" ... Raj ne kaha

"Nahi, me faisla kar chuke hoon aur mujhe lagta ha ab majeed der nahi hoone chaahiye, mujhe maam ke offer qabool ha" ... Ritika ne buhut mushkil se ye alfaaj nikale jaise lafz kahin funs gaye hoon uske gale me

"You mean ke apko mera proposal manjoor ha" ... Raj ke awaj me hairangi shayad us ne is tarah ka jawab ke ummeed nahi ke the

"Ji aur me ye bhi chahte hoon ke hum jald he shadi kar lain" ... Ritika ne kabhi nahi socha tha ke Wo kabhi kise ko aisa kahe ge, kise bhi ladki ke sab se badi khahish chahe jana hote ha ke koi use duniya me sab se jyada pyaar de lekin Ritika ko lag raha tha ke Wo duniya ke pahale ladki ha jo apne shadi ke baat khud he kar rahe

"Lekin apke pita ke tabiyat ... " ... Raj ne kuch kahna chaha lekin Ritika ne uske baat kaat li

"Unke tabiyat ke waja se he me aisa kah rahe hoon, shayad is baat se unke tabiyat sanbhal jaye" ... Ritika ke najrain apne samne pade cup pe jame thi jaise agar us ne Raj ko dekha to uske jhoot ka bhanda foot jaayega

"Theekh ha mujhe bhala kya aitraaj ho sakta ha mere liye is se bade khushi ke baat aur kya ho sakte ha" ... Raj ke awaj se uske khushi ka andaja lagaya ja sakta tha

"Meri ek choti se requist ha aap se" ... Ritika ne kaha

"Jaroor, bolan" ...

"Me chahte hoon ke filhaal shadi jyada hangame se na ho, hum court marriage kar laite hain aur filhaal me Papa ke paas rahna chahte hoon ek baar Wo theekh ho jayen ge fir jaisa apka dil chahe waisa function kar lijiye ga, bus mujhe Papa ke theekh hoone tak ka samay chaahiye" ... Ritika ne pahale baar Raj ke taraf dekha

"Mujhe koi aitraaj nahi me samajh sakta hoon is samay apke pareshaan i ko, me mom se baat kar lon ga mera khayal ha unhe bhi koi aitraaj nahi hoga, me un se baat kar ke rat ko apko bata don ga" ... Raj ne kaha

Rachna Garewal ko thoda ajeeb to laga ke unke akloti betay ke shadi etne khamoshi se lekin Raj ne unhe samjha liya aur Raj ke khushi dekte hue unhoon ne bhi jyada kuch nahi kaha. Raj aur Ritika ke shadi khamoshi se ho gaye, Herman Disai ko apne jaan se pyari beti ka bhavishr buhut acha dikhaai dene laga, ek pita is se jyada aur kya chah sakta ha ke uska damad har aitbaar se mukamal tha dawlat, shohrat, ezat sab kuch tha.

Ritika shadi ke baad bhi abhi tak Herman Disai ke sath he the lekin shayad Herman Disai bhi bus ise entajar me the apne beti ke bhavishr ke pareshaan i khatam hoone ke 10 din baad he Wo bhi apne patni ke paas chale gaye shayad un se ab apne patni se aur doori bardasht karna sanbhav na tha. Ritika ke liye ye jhatka buhut jordar aur shadeed tha, ek aise pita jo sirf pita he nahi uska dost bhi tha, zindage me Herman Disai ke elawa koi dusra shahkh uske itna najdeek na tha uske youn achanak chod jana, Ritika ko bilkul tod chuka tha. Herman Disai ke marne ke baad uska apne purane ghar me rahna ka koi karun na tha is liye Wo ab Raj ke sath uske ghar aa gaye the.

Apne 2 kamre ke flat ka muqable Wo is alishaan bunglow se kise tarah bhi nahi kar sakte the, shayad us bunglow ka servant quarter bhi uske flat se jyada sundar tha. Raj ka kamra uske personality ke tarah shandaar tha, pure kamre me off-white color ka paint tha, darwaje ke sath he ek buhut he bada bed pada tha jiske dono taraf side tablis pade then, bed ke samne ek buhut sundar sa sofa pada tha jiske samne ek table pade the, kamre ke left side pe ek aur sliding door tha jo bahar swimming pool ke taraf khulta tha sab se khaas bat jo pahale baar he us ne mahasoos ke us kamre me ane ke baad ke wahan pe koi khidki nahi the Wo kafi hairan hue kyun ke us ne kabhi koi kamra aisa nahi dekha tha jis me khidki na ho, use laga shayad uske mehdood jankari ke waja se use is baat ka pata nahi lekin Raj ne uske chahre pe pade uljhan ke bhaav padh liye the

"Kya hua?, koi uljhan ha?" ... Raj ne narmi se poocha

"Ji, ji nahi to, aise to koi baat nahi" ... Ritika ne apne sochoon se bahar nikalte hue kaha

"Dekhen Ritika, ab hum jeevan sathi han, pahale me apka Boss tha ab me apka pati hoon, ab koi jhijhak humare darmiyan nahi hoone chaahiye, me chahoon ga apke har soch mujhe pata ho, koi raaj na ho humare beech" ... Raj ne ek baar fir narmi se use samjhaya

"Wo me soch rahe the ke yahan pe koi khidki nahi ha" ... Ritika ne uske baat sunane ke baad kaha

"Bas etne se baat" ... Raj uske baat sun kar muskura diya aur side table se ek remote nikal kar ek butto daba diya aur Ritika ka munh hairat ke mare pura khul chuka tha kyun ke Raj ke button dabate he chat ka adha hisa apne jaga se hat chuka tha aur bahar asmaan saaf najar aa raha tha. Uske liye manjar bilkul kise jadoo ke tarah tha, kya kabhi aisa bhi ho sakta ha, uske dimagh me ye sawal ghoom raha tha

"Ap hairan mat hoon, ye khaas mee disign karaya ha, bachpan se he mujhe bed pe lait ke tare dekhne ka buhut shok ha jo apko pata ha ke kamre ke ander to ho nahi sakta ise liye mee chat ko dobara se re-disign karwa ke moving chat ka entajam karaya jo is remote se control hote ha, raat ko me ise ek taraf hata deta hoon" ... Raj ne muskurate hue use samjhaya

Ritika ko samajh nahi aa rahe ke apne qismat pe naaj kare ya roye, us ne kabhi sapne me bhi nahi soche tha ke use kabhi aisa jeevan sathi mile ga. Raj ka bunglow bilkul ek paristan ke mehal jaisa tha jo use apne bachpan ke sune hue kahaniyon ke yaad dilata tha lekin agle he pal jab Wo Raj ke beemari ke bade me sochte to use lagta shayad Wo duniya ke pahale ladki ha jis ne vivah se pahale he vidhwa hoone tak ka safar pura kar liya ha. Raj ke 40% wale baat aj bhi Wo bhooli nahi the, aur us ne itna socha tha is baat pe ke ab to kahin be use 40 likha najar aata to foran uske dimagh me Raj ke baat ghoomne lagte. Raj buhut he naram tabiyat ka insaan tha uska interist buhut kam cheejon me tha, uske zindage ghar se office aur fir gym, gym se stody aur stody se bedroom tak he the. Shuruwat me Wo buhut hairan hue ke kya koi insaan etne mehdood zindage bhi gujar sakta ha lekin fir use hansi aa gaye ke us ne khud bhi to sare zindage aise he gujare the, ghar se university aur fir Papa Ji, use Raj ke sath na-maloom sa bandhan judta dikhaai dene laga, halanki unke darmiyan abhi bhi buhut jhijhak the aam pati patni jaisa koi tawlaq bhi na tha, Wo dono ek he bed pe sote the lekin koi sharerik sanbhand na tha lekin kahin na kahin dono ke atmayen ek dusre se sath bandhate ja rahe then.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


Akhat ko kuch he dino me fir se America jana tha treatment ke liye. Rachna Garewal se uske tawlaqat pahale jaise he the un pe padi baraf bhi abhi pigli nahi the. Rachna Garewal ka khayal tha ke Raj ke America jane se ek function ho jana chaahiye aur Ritika ne is baat pe koi atiraaj na kya ke ab use apne naye zindage qadam to rakh diya tha to ab bhaid bhayo karne ka koi faayadaa na tha. Rachna Garewal ne ek shandaar fucntion ka entajam kya shaher ke sab se bade hotel me jis me sab nami garami logon ko bulea gaya. Ritika ko shaher ke sab se bade beauty parlour se taiyaar karaya gaya aur function ke raat uske sundarta dekhne laiq the, har kise ne Raj aur Rachna ke entikhaab ke daad de lekin Wo dono Ritika ke andker ke halat se anjaan the Wo apne Papa ke kami us raat buhut mahasoos kar rahe the kayi dafa uske ankhain bhar aayen lekin us ne khud ko rok liya. Use raat jab neend me Raj ke ankh khuli the use bed pe Ritika ka wajood najar nahi aaya, Wo uth ke baith gaya aisa pahale kabhi nahi hua tha ke raat ko kabhi uske ankh khuli ho aur Ritika apne bed pe na ho. Us ne bed se utar kar light on ke to Ritika kamre me nahi the, us ne ghadi pe waqt dekha to raat ke 3 baj rahe the. Wo bed se uth ke washroom ke taraf gaya lekin wahan bhi Ritka nahi the, Raj dobara bed ke taraf aya aur fir swimming pool wale darwaje ko khol kar bahar aa gaya to samne use Ritika swimming pool ke paas baithe najar aaye, us ne black color ka salwar kameez pehan rakha tha aur uska jism halke halke jhatke kha raha ta jis se lag raha ta ke Wo roo rahe ha. Wo uske sath ja ke baith gaya, Ritika uske ane ka ehsaas hua us ne sir utha ke Raj ko dekha lekin apne ankhoon se bahne wale ansoo saaf kye

"Kya hua?" ... Raj ne samne dekhte hue poocha

"Papa Ji ke yaad aa rahe ha" ... Ritika ne bina kise jhijhak ke kaha

"To bahar kyun aa gayen?" ... Raj abhi bhi samne dekh raha tha

"Ander apke neend distorb ho jate" ...

"To kya hua?, Kya humara bandhan is liye ha ke hum apne khushiyon ko bante aur ghum ko sirf apne tak rakhan?" ... Raj ne pahale baar uske taraf dekha

"Ritika mee apko pahale din kaha tha ke ab humare darmiyan kuch bhi chupa nahi hona chaahiye, agar apko apke Papa ke yaad aa rahe the to ap mujhe utha sakte then, ya fir agar apko rona he tha to ander kamre me he roo laite, Wo kamra jitna mera ha utna aapka bhi ha" ... Raj naram lahaje me ahista ahista bol raha tha

"Ji .. " ... Ritika uske baat ke jawab me bas itna kah sake

"Ainda aap ne chahe rona ho, hansna ho ya kuch bhi karna ho aap apne kamre me he kar sakte han, uske liye aap ko kahin aur jaga talash karne ke jaroorat nahi" ... Raj ne APNE KAMRE pe jor dete hue kaha

"Aab chalan?" ... Raj ye kah kar uth khada hua aur apna hath badha diya . Ritika ne apna hath uske hath me de diya aur Wo dono chalte hue kamre me aa gaye. Raj ne Ritika ka hath bed pe ane ke baad bhi nahi choda aur ise tarah uska hath pakad ke ankhain band kar ke soo gaya, Ritika ne ek najar use dekha aur iske harkat pe muskura de pehli baar use Raj pe be-sakhta pyaar aa gaya uska dil chaha ke Wo Raj ke balon me hath fair lekin us ne apne khahish ko apne ander daba liya aur ankhain band kar so gaye

Agle kuch dino me Raj America chala gaya apne treatment ke liye aur Ritika ko pahale baar ehsaas hua ke Wo ab Raj se kis had tak bandh gaye ha use Raj ke kami mahasoos hoone lage. Use abhi tak andaja nahi hua tha ke use Raj se mohabbat ho gaye ha ya mohabbat hoone lage ha apne ander palne wale jazbaat ko Wo abhi tak koi naam nahi de paye the lekin itna Wo yaqeen se kah sakte ke ab use Raj ke sath ke jaroorat mahasoos hoone lage the aur Wo be-chaini se Raj ke wapsi ka entajar kar rahe the.

Raj ke wapsi 10 din baad hue aur Ritika ko ye 10 din apne zindage ke sab se bure 10 din lage, us ne apne zindage me kabhi aisi bechani mahasoos nahi ke the, shayad apne ander hoone wale tabdeeli ko Wo khud bhi theekh tarah nahi samaj paa rahe the. Raj ke wapas ane ke baad use laga jaise zindage fir se jee uthe ha jo uske begair gujre 10 dinon me shayad kahin matam kar rahe the. Wo Raj ke jane ke baad jitne shidat se uske kami mahasoos kar rahe the uske ate he ek baar fir se ek jhijak fir se aa gaye, apne ander paida hoone wale jazbaat ko Wo koi naam nahi de sake the abhi tak. Use bus Raj ka apne aas paas hona pasand tha lekin Wo Raj ko apne ander hoone wale is tabdeeli ke bade me bata nahi paye the. Raj bhi uske jhijak pahale din se samajh raha tha aur ise liye us ne koi jabardasti karne ke koshish nahi ke the Ritika ke sath, shayad Wo chah raha tha ke Ritika unke darmiyan banane wale naye rishte se jab tak comfortable nahi ho jate tab tak use koi jabardasti nahi karne chaahiye uske sath. Raj ne wapas aa kar 3,4 din araam kya aur fir dobara se office jane laga, Rachna Garewal se Ritika ne office jane ke baat ke lekin unhoon ne use mana kar diya Wo nahi chahten ke Wo ab us office me dobara Raj ke patni ban kar jaye jahan Wo uske secretory ke tor per kaam karte rahe the aur Ritika ke liye hamisha Rachna Garewal se behas karna buhut mushkil hota tha. Wo sara din ya to tv pe channel ghumati rahte ya fir ghar ke ander bina matlab ghoomti rahti

"Hello, kya ho raha ha?" ... Ritika lounge me baithi tv ke channel ghuma rahe the jab Raj uske sath sofay pe aa ke baith gaya

"Kuch nahi bus aise he tv dekh rahe the, aap aa gaye" ...

"Nahi abhi tak raste me hoon, jaher ha apke samne baitha hoon to aa he gaya hoon na" ... Raj ne muskurate hue kaha aur tv ka remote utha kar ek news channel laga liya jise dekh kar Ritika ne bure shakal bana le

"Tumhe coffee banane ate ha?" ... Raj ne pahale dafa Ritika ko tum kah kar bulea

"Ji aate ha" ...

"To fir bana ke leo" ... Raj ne uske baat sun kar kaha uske najrain tv per he jami then

"Ji ... " ... Ritika ko achanak hoone wale is farmaish ke samajh nahi aye

"Coffee banana ata ha to fir bana ke leo, cheeni ke begair" ... Raj ne ek baar se kaha to is baar Ritika uske baat sun kar kitchen ke taraf chale gaye

Ritika kitchen me aa kar coffee banane lage lekin khud se Wo musalsal baate kar rahe the

"Ye kya baat hue ate he news channel laga ke baith gaye, me aj etne dil se taiyaar hue the etne bhi note nahi kya ke mee pehli baar saari pehni ha, bus ghise pite news aur sath he coffee ka order. Subha Subha newspaper padhne ke baad fir news channel dekhne ka kya faayadaa. Aur cheeni bhi nahi dalne, ye cheeni ke begair kaise coffee peetay hain, gale se kaise utarte hoge bhala coffee" ... Ritika musalsal bol rahe the apne aap se. Coffee bana kar Wo dobara lounge me aa gaye aur Raj ko coffee ka cup de kar dobara sofay per baith gaye

"Nice, ache coffee banaye ha tum ne" ... Raj ne coffee ka sip laite hue kaha, abhi tak uske najrain tv per jami then

"Thanks" ... Ritika ne bure se shakal bana kar kaha

"Tum ne apne liye nahi banaye" ... Raj ne is baar Ritika ko dekhte hue kaha

"Me bina cheeni ke coffee nahi pee sakte" ... Ritika ne jawab diya

"To fir apne cup me cheeni dal dene the na" ... Raj ne kaha

"Nahi waise bhi me etne coffee nahi peeti, mujhe chaye jyada pasand ha" ... Ritika ne jawab diya

Ritika thode der baad uth kar kamre me aa gaye aur thodi der baad Raj bhi kamre me aa gaya. Ritika ne wardrobe me se apna salwar kaameez nikala aur washroom ke taraf jane lage

"Kyun change kar rahe ho?, ache lag rahe ho saarhi me" ... Raj ne muskurate hue kaha

"Pata lag gaya aapko ke mee saarhi pehni ha" ... Ritika na chahte hue bhi gila kar gaye

"Ohhhh, to is waja se mood kharab tha, mee to pahale he note kar liya tha" ... Raj abhi bhi muskura raha tha

"Acha, to fir etne der baad kyun kaha" ... Ritika bed per baith gaye the

"Me tumhare chahre pe ane wale guse ke bhaav ka anand le raha tha" ... Raj uske samne sofay pe baith gaya

"To ap mujhe tang kar rahe the" ...

"Han kah sakte ho, waise buhut maja aa raha tha, tum guse me jyada ache lagte ho" ... Raj ne thoda sa agay badh ke Ritika ka hath pakad liya

"Fir sara time guse me he raha karon kya me?" ... Ritika ne Raj ke taraf dekte hue kaha

"Mujhe to tum har roop me ache lagte ho" ... Ritika ke dono hath ab Raj ke hathoon me the

"Ab aap mujhe confuse kar rahe han" ... Ritika edher udher dekhne lage, use Raj ke ankhoon me dekhna buhut mushkil lag raha tha

"Acha ji nahi confuse karta, acha suno kal mere dost ke party ha raat ko taiyaar ho jana wahan jana ha" ... Raj ne Ritika ka hath chodte hue kaha

"Acha, buhut bade party ha kya?" ... Ritika ne poocha

"Kyun?" ... Raj ne uske baat ka jawab diye begair sawal kar diya

"Nahi, waise he pooch rahe the" ...

"Han, kafi sare log hoon ge, uske anniversary ha kal, use silsale me party ha" ... Raj ko laga jaise Ritika kuch chupa gaye ha lekin us ne poocha nahi

"Theekh ha, me taiyaar ho jayon ge" ... Ritika ne kuch sochte hue kaha

Agle din Ritika subha Raj ke office jane ke baad sochna shuru ho gaye ha ke use party me kya pehanana ha, Wo buhut acha lagne chahte the, shayad kahin na kahin uske dimagh me tha ke Raj ka social circle jo ha Wo bilkul alag ha, us ne aj tak college aur university ke functions ke elawa kam he kise function ko attend kya tha aur kahan itna bada function jahan shayad shaher ke bade bade log hoon ge. Buhut der sochne ke baad us ne black saarhi chuni pehanane ke liye, Raj ke anay se pahale Wo taiyaar ho chuke the Wo kafi mann laga kar taiyaar hue the. Party uske soch se bhi kafi bade the, Raj ke dost ke patni us se kafi ache tarah mile aur party me logon se use milwaya lekin kahin na kahin Ritika comfortable nahi the. Party se wapsi pe car me Raj ko Ritika kafi khamosh lage
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »



"Kya hua buhut chup chup se ho?" ... Raj ne kaha

"Raj kya mee buhut jyada make-up kya hua tha?" ... Ritika ne poocha

"Nahi, bilkul theekh lag rahe ho, balke mera to khayal ha tum ne kafi halka make-up kar rakh ha, kyun kya hua?" ....

"Nahi aise he, Wo party me koi kah raha tha ke party make-up aisa nahi hota jaise mee kya hua ha" ... Ritika ne kaha

"What?, tum logon ke baate ko itna eham samajhte ho?, aur us pe pareshaan bhi ho rahe ho?" ... Raj ke awaj me hairange the

"Nahi Wo to me aise he kah rahe the" ... Ritika ne kaha uske baad unka safar khamoshi se gujra. Kamre me aa kar dono ne kapde change kye to

Ritika coffee bana kar le aye. Raj ko raat ko sone se pahale coffee peena pasand tha

"Tum apna muqabla logon se kyun kar rahe ho?" ... Raj ne poocha

"Me kise se muqabla nahi kar rahe Raj, me acha lagna chahte hoon, me chahte hoon apko mere waja se koi sharmindage na ho" ...

"Agar mujhe tum pe ya tumhare background pe koi sharmindage hote to me tum se shadi kyun karta?" ... Raj ne kaha

"Ritika mee tumhe kise fashion parade me shamil nahi karna, mujhe tumhare masoomiat aur sadgi pasand ha, tum jaise ho buhut ache ho tumhe tabdeel hoone ke koi jaroorat nahi, tum apne muqabla en banawti logon se kar rahe ho, tumhare ander jo sachaye aur khalis-pan ha yahe mujhe pasand ha, tum kabhi apne aap ko kise se kam mat samajhna, tum mere liye buhut khaas ho" ... Raj ke batan barish ke boondon ke tarah uske sharir pe gir rahe then, Ritika ko ek ajeeb sa sakoon mahasoos ho raha tha Raj ke batan sun kar

Us raat sone se pahale Ritika ke dil me Raj ke liye mohabbat kuch aur badh gaye the, itna to use yaqeen ho chuka tha ke ab Raj ke begair use zindage ke bade me sochna he uske liye sanbhav na tha lekin kahin na kahin Wo Raj ke beemari me abhi bhi buhut pareshaan the aur apne dil me paida hoone wale is jazbe ke baad to Wo aur bhi pareshaan ho chuke the. Wo Raj se is bade me kuch bol nahi sakte the halanki Raj kafi teji se theekh ho raha tha aur doctortors bhi kah rahe the ke uske 2,3 baar aur treatment karne pade ge lekin shayad jab insaan kise se mohabbat karne lagta ha to uske liye aur bhi jyada fikermand ho jata ha.

Agle subha jab Raj taiyaar ho kar office jane laga aur Wo use niche chodne aye to lounge me Rachna Garewal kise ke sath baithe then. Ritika ne pahale baar us shakhs ko dekha tha Wo 26,27 saal ka ek mard tha. Un dono ko dekh kar Rachna Garewal aur Wo shakhs khade ho gaye.

"Arey Harshit tum yahan achanak" ... Raj us shaksh ko dekh kar hairange se bola

"Ritka en se milo, Harshit Chopra, aur Harshit mere wife Ritika" ... Raj ne use introduce karaya

"Hello, Ritika" ... Harshit ne muskurate hue kaha

Harshit se pahale mulaqat kafi dilchasp rahe the, shayad uske waja ye the ke Ritika ke tarah Harshit bhi M.A Economics kar raha tha. Raj ke jariye use pata chala ke Harshit, Rachna Garewal ka bhanja ha aur Delhi me padhne ke silsale me aya hua ha, Harshit hostel me rahta tha lekin kabhi kabhar Rachna se milne unke bunglow per bhi aa jata tha. Rachna ko Harshit se kafi lagaav tha aur aksar Wo uske maali madad bhi kar diya karten then jab jab use jaroorat padte the.

Raj aur Ritika me din ba din dooriyan simat rahe then, ab Ritika entajar karte the ke kab Raj wapas aaayega aur Wo us se batan kare ge lekin abhi bhi unke sharir ek nahi hue the. Ab Raj agar office ka kaam ghar le aata to Ritika ko kafi bura lagta pahale pehal to us ne kuch nahi kaha lekin ab Wo saaf kahne lage the ke Raj office ka kaam le kar na aaye. Ritika ko ab Raj ke dobara America jane ka entajar tha Wo chah rahe the ke is baar Wo bhi Raj ke saath jaye lekin Raj is baat pe raji nahi tha

"Ap aaj fir kaam ghar le kar aa gaye hain" ... Ritika Raj ke liye coffee bana kar aye to Raj ko laptop pe kam karte dekh kar kahe bina na rah saki

"Arey kam nahi kar raha Wo to bus me youn he jara apne mails check kar raha tha" ... Raj ne muskurate hue jawab diya

"Ye mails wagera office me he check kar ke aaya karan, ghar me sara time mera hota ha yahan pe bhi aap office ka kaam le kar aa jate hain, apko pata ha na jyada prissure nahi dalna ap ne dimagh pe" ... Ritika ne nakli ghuse se kaha

"Jaise apka hukam, ghar me to aap ke he hukmurani chalti ha Mrs.Raj" ... Raj ne laptop band karte hue kaha

"Ab apne bina cheeni ke coffee pijiye, kaise pee laite hain ap bina cheeni ke coffee mujhe to ab tak ye samaj nahi aaye, etne kadwi hoti ha, pata nahi apke gale se niche kaise gujarte ha ye" ...

"Arey tum pee kar to dekho, coffee ka matlab sharbat peena nahi hota, agar coffee me cheeni dal di jaye to coffee ka zaiqa he kharab ho jata ha" ...

"Mujhe nahi peeni ye dawai jaise coffee ap he pijiye" ...

"Acha aap ne kya socha mujhe is baar apke sath America jana ha" ... Ritika ne kaha

"Abhi to kafi din pade hain America jane me, sochain ge aram se etne jaldi kya ha" ... Raj ka lahza saaf talne wala tha

"Mujhe ye samaj nahi aa rahe ke ap mujhe le kar kyun nahi jana chahte? " ... Ritika ka lahza fir se khafgi bhara tha

"Arey yaar aise koi baat nahi, mee kaha na abhi din pade hain sochain ge is bade me" ... Raj ne coffee ka cup ek taraf rakh ke Ritika ka hath pakad liya

"Kahin aap ka wahan kise gori ke sath chakar to nahi chal raha" ... Ritika ne Raj ko ghoorte hue kaha

"Hahahahaha!, ab ke ha na pakki patniyon wale baat" ... Raj ne ek jordar qahqa lagaya aur Ritika use dekhne lage us ne aksar Raj ko muskurate he dekha tha aise khul ke hanste hue pehli baar dekh rahe the

"Kya hua, kya dekh rahe ho?" ... Raj ne use youn dekhte hue kaha

"Kuch nahi, mee apko kabhi aise jor se hanste nahi dekha pahale" ....

"Arey Jan-e-Raj tumhare sath hota hoon to hamisha he hansta rahta hoon" ... Raj ab Ritika ke hathoon ke narmahat mahasoos kar raha tha

"Apka matlab ha ke me joker hoon?" ... Ritika ne naqli ghusa dikhaya

"Han kah sakte hain" ... Raj ne ye kah kar ek aur qahqa lagaya

"Arey Jan-e-Raj tum to oxygen ho meri, tumhara sath to mujhe hamisha he khushi deta ha" ... Raj ne ab Ritika ke chahre pe aye balon se khailte hue kaha

"Raj apko mujhse mohabbat kaise ho gaye?, me to buhut aam se hoon apke muqable me" ...

"Tum khud ko meri najron se dekho fir pata lage ga tum kitne khaas ho, aur mohabbat ke hoone ke koi shart thodi hote ha, ye to bus ho jate ha jab hooni hote ha" ...

"Lekin fir bhi, jab ap ne pehli baar mujhe bataya ke ap mujhe pasand karte hain mujhe yaqeen nahi aaya tha ke aap aur mujhse ... " ... Ritika ne apne baat adhoori chod de

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Mohabbat kaise ho jate ha ye to shayad koi nahi bata sakta jaise koi mohabbat ko define nahi kar sakta, iska ehsaas bilkul aisa ha jaise pani, pani ka bhi koi zaiqa nahi hota lekin jaise shadid pyaas me jab pani gale se guajrta ha to hum ek an-dekhi raahat deta ha jise bayaan nahi kya ja sakta, mohabbat bhi aise he hote ha ise bayaan nahi kya ja sakta lekin ye bhi jism ko ek an-dekhi raahat daiti ha bilkul aise he jaise kise murda jism me jaan pad jaye waise he mohabbat insaan ke jism me jaan dal dete ha" ... Raj bol raha tha aur Ritika bus use sun rahe the

"Tumhare jaise saadgi aur masoomiat mee aaj tak nahi dekhi, me tumhe interview wale din se he pasand karne laga tha, me jis society se belong karta hoon wahan pe haseen chahre buhut hain lekin koi khalis nahi, tumhare chahre pe jo masoomiat ha na Wo tumahre ander ke suchaye aur khalis hoone ke jhalak dete ha" ... Raj bol raha tha aur Ritika soch rahe the ke tumhe kya pata mee kitna bada jhoot bol ke shadi ke ha tumse aur jab me tumhe Wo such batayon ge tab tumhari mere bade me raye tabdeel ho jaye ge

"Kya hua?, kya sochne lag gayen" ... Raj ne Ritika ko kise sooch me doobe dekh kar kaha

"Kuch nahi aise he aapke baton ke bade me soch rahe the ke waqaye mohabbat kab kaise ho jate ha kuch pata nahi chalta" ...

"Acha kya tumhe mujhse mohabbat ho gaye ha? " ... Raj ne Ritika ke ankhoon me dekhte hue kaha

"Apko kya lagta ha?" ... Ritika ne ulta sawal kar diya

"Meri baat chodo, ye dil to sirf apne haq me he gawahi deta ha, iske baat pe kya aitbaar karna" ... Raj ne jawab diya

"Dil aksar such he bolta ha" ...

"Han lekin me tumhare munh se sunana chahta hoon" ...

"Such ya jhoot?" ...

"Sirf such chahe Wo kitna he kadwa kyun na ho" ... Raj ne Ritika ke karib hote hue kaha ab Wo uske itna paas aa chuka tha ke Ritika uske saanse saaf apne chahre pe mishoos kar rahe the

"Such sirf yahe ha ke mere erd gird ab sirf aap he aap hain, mujhe apke elawa aur kuch najar nahi aata ab" ... Ritika ne Raj ke ankhoon me dekte hue kaha aur Raj uske ankhoon me uske kafi lafjon ke suchaye saaf dekh sakta tha

"Kya zindage is se jyada sundar ho sakte ha ke jise chaha jaye uske munh se apne mohabbat ka eqrar suna jaye" ... Raj ne ye kahte hue apne hoont Ritika ke hoonto per rakh diye aur jaise waqt ruk gaya tha

Ritika pahale to Raj ke is achanak harkat pe kuch react na kar saki lekin ahista ahista uske dono hath Raj ke balon me ghoomne lage. Raj uske uper jhukta gaya ab Wo bilkul lait chuke the sofay pe uske saarhi ka pallu ek taraf gir chuka tha. Raj uske sare chahre ko aab choom raha tha lekin etne pyaar se jaise Wo koi naram se kaanch ki gudiya ha jise jor se choomne se uske tootne ka khatra ho. Raj ne ab use apne baanhoon me utha liya aur bed pe le aaya, ab Wo uske gardan pe pyaar ke nishaniyan laga raha tha, Ritika ke dono hath Raj ke hathoon me the jise us ne jor se pakda hua tha. Raj ab Ritika ke pure jism pe apne pyaar ke mohrain laga raha tha aur jaise he us ne Ritika ke pait (navel) ko apne hoonton se chua ek siski se Ritike ke munh se nikli aur us ne Raj ke hath chod ke bed pe jor se hath mara aur uska hath bed pe pade remote pe ja laga aur hath lagte he chat ek taraf ho gaye. Raj ab ahista ahista Ritika ko saarhi ke qaid se ajaad kar raha tha aur uske sundar jism ke ang ang ko apne hoonton se nihaar raha tha aur khule asmaan pe chamkta hua chand unke pyaar ke pahale milan ke gawahi de raha tha

Ritika ke jab ankh khuli to us ne Raj ko khud pe jhuke paya jo use dekh raha tha

"Subha Subha kya dekh rahe hain" ... Ritika bed pe pure tarah Raj ke taraf mud gaye

"Subha ho gaye mujhe to pata he nahi laga, itna haseen najara dekhte hue samay ka kahan pata lagta ha" ... Raj ne bhi muskurate hue jawab diya

"Acha ji, kon se haseen najare ke baat kar rahe hain aap?" ... Ritika ne ab apna sir Raj ke bazoo pe rakh diya

"Tumhe sota hua dekhna aur kya, is se bhi jyada haseen najara koi ha kya?" ... Raj ne Ritika ke ankhoon me dekhte hue kaha

"Kyun aise khaas bat ha mere sonay me?" ...

"Tum ne kabhi khud ko sota hua nahi dekha na, aisa lagta ha jaise koi masoom bacha so raha ho" ...

"Ek to apko pata nahi kyun apko me etne masoom lagte hoon, ache khasi chalak hoon me aise dhoke me mat rahiye ga" ... Ritika ne hanste hue kaha

"Acha to karo na koi chalaki mere sath yahe to me chahta hoon" ... Raj ne bhi hanste hue kaha aur Ritika ke hoonton pe apne hoont rakh diye

"Acha subha subha buhut romance ho gaya ab uthain office nahi jana kya?" ...

"Dil to nahi chah raha lekin jana pade ga" ...

"Acha sunain, mee apko jane ka kaha tha na aj me apne passport ke liye jayon ge mee faisla kar liya ha ke me apke sath jayon ge America is baar har haal me" ...

"Ritika yaar mere liye tumhare hote hue treatment karana buhut mushkil ho jaye ga" ...

"Wo kyun?" ...

"Dekho is baar meri jo treatment hooni ha Wo buhut najuk ha kyun ki is dafa agar kuch bhi uper niche ho gaya to fir mera bachna .... " ... Raj kuch aur bhi bolna chahta tha ke Ritika ne uske munh pe hath rakh diya

"Kuch nahi hoga aap ko, aisa kyun kah rahe hain aap aur me apke sath hoon ge to mujhe tasalli rahe ge" ...

"Lekin tumhare hote hue me kamjor na pad jayon mujhe yahe dar ha" ...

"Aisa kuch nahi hoga ap mera vishwaas kijiye" ...

"Theekh ha fir tum aj ja ke passport ke liye apply kar do, is baar hum dono jayen ge America" ...


Raj ke office ke jane ke baad Ritika passport office chale gaye, use is baat ke khushi the ke ab Raj uske samne hoga kyun ki use ab buhut mushkil lag raha tha ke Raj treatment ke liye jaye aur Wo peechay akela uska entazar kare, pichle dafa us ne jis tarah gin gin ke din gujare the Wo use ab bhi yaad tha. Raj aur uska qareeb hona jahan use khushi de raha tha wahin use abhi tak ye baat bhooli nahi the ke us ne Raj se shadi se pahale ek jhoot bola tha, kayi baar us ne koshish ke Raj ko batane ke lekin na bata saki kyun ke kahin na kahin use Rachna Garewal se kya hua vada bhi yaad tha is liye uske himmat nahi ho rahe the Raj ko batane ke aur uske tabiyat ko dekhte hue use lag raha tha ke abhi use kuch bhi batana theekh nahi hoga, Wo uska mann nahi todna chahte the

Ritika ke passport bante he Wo log America chale gaye jahan pe Raj ka treatment hona tha, treatment se ek din pahale Rachna Garewal bhi America phunch gaye unhe bhi is dafa hoone wale treatment ke sanjeedgi ka andaja tha. Jis din treatment hona tha Rachna Garewal aur Ritika dono hospital me he thi , Ritika to bhagwan se pratna kar rahe the ke sab kuch theekh ho jaye aur akhir 4 ghante ke mushkil entajar ke baad Doctortors ne treatment ke kamyab hoone ke khush khabri sunaye unhe. Raj ko abhi bhi ICU me rakha gaya tha jahan Wo behoshi ke dawai liye soo raha tha lekin Ritika aur Rachna Garewal ke liye yahe baat khushi ke the ke Wo theekh tha. Raj ko mazeed 1 hafta hospital rukna pada jis ke baad Doctortors ne use ghar jane ke ejazat day de lekin use 1 mahine ke baad fir aana tha uska abhi kuch treatment hona bake tha lekin khatre ke koi baat na the ab. Rachna Garewal to wapas india chale gayen lekin Raj aur Ritika na mazeed 2 hafte America me gujare aur uske baad wapas india aa gaye. India anay ke baad bhi 2 hafte tak Raj ghar pe araam karta raha aur Ritika sara samay uske sath rahe, aise he ek din Harshit Raj ka poochne unke ghar aa gaya
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply