Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »



"Ab kaise tabiyat ha Raj Bhai?" ... Harshit, Ritika aur Raj drawing room me baithay baate kar rahe the

"Ab to kafi bahter ha is baar ka treatment buhut jaroori tha Wo theekh ho gaya ab 1 month ke bad jana ha dobara se" ... Raj ne jawab diya

"Bhagwan ka shuker ha ke ap jaldi theekh ho rahe hain, bake sab bhi theekh se ho jaye ga" ... Harshit ne muskurate hue kaha

"Aur Ritika aap kaise han?" ...

"Me bhi theekh hoon, ap sunayen apke stody kaise chal rahe ha ?" ... Harshit ka use Bhabi ke bajaye Ritika ka kahnn thoda ajeeb laga

"Stody ache chal rahe ha, waise aj me apko thoda parisha karne bhi aya tha" ...

"Pareshaan karne Wo kaise? " ... Raj aur Ritika dono ne hairan ho kar kaha

"Wo mujhe ek assignment mile ha jo ke mujhe samajh nahi aa rahe, Aunty bata rahe then ke aap kafi intelligent stodent rahe han to me soch raha tha agar aap meri thodi help kar dain to" ... Harshit ne bataya

"Ohhhh, intelligent ka to pata nahi lekin han jitna mujhe pata ha utne help jaroor kar sakti hoon" ...

Uske baad Harshit aur Ritika assignment ke bade me baat karne lage, Raj wahan kuch der baitha raha aur fir un se excuse kar ke uper apne bed room me chala gaya. Ritika aur Harshit wahan kafi der baithe rahe Wo use kafi der tak assignment ke bade me samjhate rahe, thode der baad Ritika ko khayal aaya ke kafi samay gujar gaya ha aur Raj uper bed room me ja chuka ha, use kafi ajeeb laga ke etne der se Raj akela hoga aur wahan yahan baithi ha. Us ne jaldi jaldi akhri kuch points Harshit ko samjhaye aur fir use see off kar ke uper bed room me aye to Raj apne laptop pe kaam kar raha tha

"Ap uper bed room me kyun aa gaye?" ...

"Tum dono assignment ke bade me bat kar rahe the me kya karta wahan baith ke bore ho raha tha" ...

"Acha, mujhe laga shayad ap naraz ho gaye hain" ...

"Pagal ho tum, is me naraz hoone wale kya baat ha, mee socha etne tak me apna kuch kaam kar leta hoon" ...

"Chalain ab to me aa gaye hoon, ab ye laptop band kijiye" ...

"Ok je jaise apka hukam" ... Raj laptop band kar ke bed pe Ritika ke sath aa gaya

"Raj agar me apko kuch aisa batayon jise sun kar aapko mujh pe buhut ghusa aaye to fir aap kya karan ge? " ... Ritika ne jaise faisla kar liya ke Wo aaj Raj ko bata kar he rahe ge

"Mujhe tum pe gusa nahi aa sakta" ....

"Ap farz karan na ke apko gusa aa gaya to fir aap kya karan ge?" ...

"I dont know, mee kabhi aisa socha he nahi ke me tum pe gusa hoon ga to me kaise bata sakta hoon tumhe" ...

"Me apko kuch aisa batane lage hoon jise sun kar shayad apka mere per se aitbaar khatam ho jaye, lekin meri ap se bas ye vinti ha ke mujh pe gusa mat hoye ga, me apke narazgi nahi sahan kar payon ge, ye baat me ap se hamisha ke liye chupa bhi sakte the, lekin Papa Ji hamisha bolte the ke such
chahe jitna bhi mushkil ho kabhi us se hatna nahi chaahiye aur me nahi chahti ke me ek jhoot ke sahare apke sath sare zindagi gujar don, mee aj tak kabhi jhoot ka sahar nahi liya, ap nahi jante me etne samay se kaise mushkil se raat ko so pate hoon sirf yahe baat sochte hoon ke mee aap se jhoot bola ha" ...

"Ritika ab bata bhi do, tum mujhe pareshaan kar rahe ho ab" ... Raj uske etne lambi baat sun ke bol utha

"Raj mee aap se shadi ek majboori ke waja se ke the" ...

"Kaise majboori? " ... Raj ek dam se uske taraf jhuk gaya

"Apko pata ha na Papa Ji buhut beemar ho gaye the unke operation ke liye buhut sara paisa chaahiye tha jo ke mere paas nahi tha ap us waqt America me the me mama ke paas gaye the to unhoon ne mujhe offer kya ke Wo operation ka kharcha utha sakte hain agar me ... " ... Ritika ne apne baat darmiyan me chod de

"Agar tum mujhse shadi kar lo?" ... Raj ne uske baat puri kar de

"Ji .. " ... Ritika bas yahe kah saki

"Ritika tumhe ye baat mujhe shadi se pehle batane chaahiye the" ...

"Me batana chahte the lekin mama ne mana kya tha batane se, fir aapke tabiyat ko dekh kar meri himmat nahi hue batane ke aj bhi buhut himmat kar ke me apko ye bata paye hoon" ...

"Lekin ap mama se kuch nahi kahan ge" ... Ritika ne jaise ek naye dar se kaha

"Ye aisi baat nahi jo me chup kar ke sun lon, tum ne aur mama dono ne mere sath theekh nahi kya" ... Raj ye kah kar bed se uth gaya

"Raj pleaze meri baat sunan, jo hona tha Wo to ho gaya na, hum chahe jaise bhi mile lekin ab to sath hain na" ...

"Meray liye ye buhut eham ha, mee kabhi nahi chahta ka me tumse shadi kise blackmailing me aa ke karon" ...

"Raj Wo blackmailing nahi the bus us samay halaat aise the ke hum dono ko ek dusre ke jaroorat the aur mama aur me shayad apne apne jaroorat ke aagay jhuk gaye" ...

"Aur mujhe kise ne kuch nahi bataya, mama ka to me samajh sakta hoon lekin tumhe aisa nahi karna chaahiye tha, buhut galat kya tum ne Ritika" ...

"Mujhe kuch samay akela rahna ha, me ye nahi kah raha me tum pe ghusa hoon, me samajh sakta hoon lekin is samay me akela rahna chahta hoon" ... Raj ye kah kar bahar stody room ke taraf chala gaya

Ritika ko pata tha ke Wo jo hamisha suchi aur khari baat pasand karta ha uska reaction kuch aisa he hona tha lekin ab Wo ye soch rahe the ke Raj agay kya kare ga, kya Wo uske baat man le ga aur Rachna Garewal se baat nahi kare ga ya fir Wo un se bhi jawab mange ga aur ise baat ka Ritika ko dar tha ke agar us ne Rachna Garewal se baat kar le to uska natija kafi kharab ho sakta ha, en he sochoon me kab raat gujar gaye Ritika ko pata he nahi chala aur anay wale subha uske liye ek aur bada dhajka le kar anay wale the ye use pata nahi tha

Subha Ritika ke ankk khuli to use Raj kamray me najar nahi aaya, Wo jaldi se washroom gaye take munh dho ke Raj ka pata kar sake lekin jaise he washroom se bahar aayi use Raj bed pe baitha apne doctoruments dekhta hua najar aaya, Wo puri tarah taiyaar ho chuka tha office jane ke liye, Wo Raj ke kareeb aa kar baith gayi

"Ap naraz hain mujhse ?" ...

"Nahi, naraz kyun hoon ga bhala" ...

"To aap sari raat kamre me kyun nahi aye ?" ...

"Bus aise he, me kuch soch raha tha aur smoking kar raha tha is liye nahi aya" ...

"To kya socha aap ne" ...

"Kuch nahi, mujhe mummy se baat karni hoge is mamle me" ...

"Mee ap se kaha tha ke ap aunty se koi bat na karan is bade me, ap please meri baat samajhye is tarah aur jyada problem ho jaye ga" ...

"Agar me baat nahi karon ga tab bhi mujhe sakoon nahi mile ga, tumhe ye baat mujhe buhut pehle bata dene chaahiye the Ritika" ...

"Me batana chahti the lekin apke tabiyat ko dekh kar meri himmat nahi hue, Raj ab jo ho gaya use jane dijiye na bhale aunty ne us samay meri majboori ka faayadaa uthaya ho lekin meri soch bhi to khud-garj the na, kasoor to mera bhi ha, aur jane anjane unhoon ne mujhe aap jaise insaan ke patni bana diya jo meri khush qismati ha warna kahan aap aur kahan me, me to kise tarah bhi aap ke qabil nahi the" ...

"Tum kis laiq ho ye koi mujhse pooche, me kabhi aisa nahi chahta tha me tumse mohabbat karta tha me chahta tha tum apne marzi se shadi ke liye haan karo, mujhe is soch ne sari raat sone nahi diya ke tum ne kise majboori me aa kar shadi ke, tum nahi samajh sakten kitna mushkil ha is baat ko manana" ...

"Me samajhte hoon lekin Raj ab to me bhi ap se mohabbat karte hoon na chahe jaise bhi humare shadi hue lekin ab to hum ek dusre se mohabbat karte hain na" ...

"Baat mohabbat karne ya na karne ke nahi ha baat asool ke ha, mere liye ye baat buhut matter karti ha ke humare shadi kaise hue" ... Raj ye kah kar kamre se bahar jana laga to Ritika ne uska hath pakad liya

"Ap mujhse naraz ho kar soye the, please mujhse naraz ho kar office mat jaye" ...

"Me tumse naraz nahi hoon Ritika" ... Raj ne mud kar dono hathoon se Ritika ke chahre ko apne hathoon me le liya

"Ap such kah rahe hain na" ...

"Me tumse jhoot kyun bolon ga bhala, mumy ko aisa nahi karna chaahiye tha" ... Raj ye kah kar office chala gaya

Sara din Ritika ke soch bus ise baat ke gird ghoomti rahe, use bas is baat ka khayal tha agar Raj ne Rachna Garewal se is bade me baat ke to unka reaction kaisa hoga. Use pata tha ke Rachna Garewal is baat pe buhut sakht ghusa hoon ge kyun ki unhoon ne us se promise liya tha ke Wo kabhi Raj se is bade me baat nahi kare ge lekin Ritika ke liye ek jhoot ke sahare sare zindagi guzarna na-mumkin tha. Wo to sirf Raj ke theekh hoone ka entazar kar rae the take Wo us se baat kar sake is bade me baat kar sake. Subha se shaam tak ka samay us ne kaise guzara ye Wo janti the ek ek pal ek sadi ke tarah guzar raha tha, akhir kaar shaam ke waqt Raj aur Rachna Garewal ke wapsi hue aur Wo seedha uske paas ayen

"Tum ne Raj se humare darmiyan hoone wale promise ka ziker kya ? " ...

"Ji ! " ... Ritika bas itna he kah saki

"Kyun?, jab mee tumhe kaha tha ka Wo baat sirf humare darmiya he rahni chaahiye" ...

"Me ek jhoot ke sahare apne sari zindagi nahi guzar sakti, mere liye ek ek pal guzarna mushkil tha us jhoot ke sahare" ...

"To ye baat tumhe tab karni chaahiye the jab mee tum se is baat ka ziker kya tha" ...

"Mere pas us samay aur koi rasta nahi tha" ...

"Halanki tum ne humare darmiyan kya hua promise toda lekin mujhe khushi ha ke tum ne such bola" ... Rachna Garewal ke baat sun kar Ritika ka munh khula ka khula rah gaya

"Mujhse aaj Raj ne is bade me baat ke the aur mee use bata diya ha ke me us samay bas uske khushi chahte the aur jo ho gaya use bhool jayo mee Raj ko bhi samjha diya ha" ...

"Thank you so much aunty" ... Ritika bas itna he kah saki
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »



"Thank you ke koi baat nahi, bas jo hua use bhool jayo aur ab anay wale zindagi me dobara is baat ka ziker nahi hona chaahiye" ... Rachna Garewal ye baat kah kar apne kamre me chali gayen to Ritika bhi apne bedroom me aa gayi

"Mujhe andaza nahi tha ke aunty etne asani se is baat ko samajh lain ge" ... Bedroom me aa ke Ritika ne Raj ke pas baith kar kaha

"To tumhara kya khayal tha Wo naraz hoon ge?, me janta hoon ke us samay tum mushkil me the unhoon ne tumhare mushkil ka faayadaa uthaya, mee un se sirf yahe baat ke unhe is tarah nahi karna chaahiye tha" ...

"Raj me nahi janti ke mere kis punnay ke badle mujhe aap ka sath mila ha me is qabil to nahi the" ... Ritika ke ankhain bheeg gaye thi

"Tum kis qabil ho ye mera dil janta ha, ainda aise baat na karna" ...

"Apke samne me kuch bhi nahi Raj" ... Ritika ye kah kar Raj ke baahoon me aa gayi

"Mujhse ek vaada bhi karo" ...

"Ji! " ...

"Ainda kabhi koi baat apne dil me nahi rakho ge, balke foran mujhe batayo ge, ye baate insaan ke zindagi per buhut bura asar dalti hain is se vishwas me kami hote ha, hume ek dusre ke har baat ka pata hona chaahiye" ...

"Me apko buhut pehle he batana chahte the lekin bus apke beemari ke waja se himmat nahi hue, Papa Ji hamisha kaha karte the ke jhoot pe khadi hoone wale emarat kabhi mazboot nahi hote aur me jhoot ke sath so bhi nahi sakte, me apko bata nahi sakte ye samay mee kitne mushkil me guzara ha, har pal mujhe apne bole gaye jhoot ke sharmindagi hote the" ...

"Jo ho gaya so gaya ho use bhool jayo bas ab humare anay wale zindagi me aisa koi pal nahi aayega ye vaada karna ha hum ne ek dusre se" ...

Raj ne ye kah kar Ritika ka mathe pe ek kiss kya aur use baahoon me utha kar bed per aa gaya aur apne pyaar se use bhigone laga. Raj aur Ritika dono soch rahe the ke ab unke zindagi me koi aise deewar nahi aye ge jo unhe door kar de lekin Wo is se anjaan the ke ek buhut bada toofan unka entazar kar raha ha

"Raj mat pya kijiye cig, apko pata ha mujhe kitne bure lagte ha cig aur kitna nuqsan hota ha is se, sab jante hain aap fir bhi baaj nahi ate cig peenay se, apke sehat ke liye theekh nahi ha ye, apna nahi to mera he khayal kar liya kijiye, apne zindagi ke dushman bane hain aur jante bhi hain ke apke zindagi sirf apke nahi ha mere bhi ha" ... Ritika jaise he bedroom me dakhil hue Raj ko cig peeta dekh kar kahe bina na rah saki

"Arey Jan-e-Raj tum hukam karo to sans lena bhi chod dain" ... Raj ne muskurate hue kaha

"Bus rahne dijiye aise he dialoguis bolte hain aap, cig peenay se kab se mana kar rahe ho Wo tak to chodi nahi aj tak aap ne" ...

"Tumhe kya pata cig kitne jaroori ha zindagi ke liye, kabhi tum bhi try karo na" ... Raj abhi tak use tang karne ke mood me tha

"Mujhe nahi karne ye gandi cheez try aur aap bhi bhujaye ise, aur is laptop ko bhi band kijiye sunday ko bhi apka kaam khatam nahi hota" ...

"Bhagwan jane kon se aise jaroori kaam hote hain aap ke jo patni se bhi jyada jaroori hain, kise bhi larki ko na kaam ke rasiya banday se shadi nahi karne chaahiye" ... Ritika ne khafgi se kaha

"Arey Arey, etne narazgi acha chalo ye kya laptop band ab hukam kijiye bande ke liye kya order ha" ... Raj ne laptop band kar ke sare tawaju Ritika ke taraf kar de

"Acha mujhe bataye ke aj raat ke party ke liye me kon se color ke saarhi pehnon ?" ...

"Tum pe to har rang he sundar lagta ha kise bhi color ke saarhi pehno ache lage ge" ...

"Dekhiye ye siyasi baate ap mere sath na kya kijiye aur mujhe pata ha apke is ache ka matlab, jaan chuda ke ap ko fir se kaam karna hoga na is liye ache ka raag alaap rahe hain" ... Ritika ne jale hue lahaje me kaha

"Hahahaha!, acha tum dikhayo to mujhe kon se saarhiyan tum ne select ke hain, un me se fir koi ek select karte hain" ... Raj ne hanste hue kaha

Ritika saarhiyan nikalne lage ke etne me nokar ne aa kar bataya ke Harshit sahib aye hain aur drawing room me unka entazar kar rahe hain, ye sun kar Raj aur Ritika dono drawing room me aa gaye jahan Harshit pahale se he Rachna Garewal ke sath baitha baate kar raha tha

"Kaise ho Harshit ?" ... Raj ne Harshit se milte hue kaha

"Me theekh hoon, ap kaise hain?, sorry ap logon ko distorb kya actoally mujhe ek project mila ha jis ke mujhe bilkul samajh nahi aa rahe to mee socha kyun na Ritika se thodi help le lon, apke ejazat se" ... Harshit ne muskurate hue kaha

"Han han, kyun nahi, Ritika tum Harshit ke help karo me bhi etne tak apna kaam khatam kar leta hoon" ... Raj ne Ritika ko kaha aur wapas apne bedroom ke taraf chala gaya

Ritika aur Harshit wahan baith kar project ke bade me baat karne lage, Rachna Garewal bhi wahan se uth ke chali gayen. Ritika aur Harshit project ke bade me baat karna shuru hue to unhe samay ka khayal he nahi raha, achanak jab Ritika ke nazar ghadi pe padi to 7 baj chuke the to use khayal aaya ke us ne Raj ke sath party pe jana ha. Us ne Harshit ko kaha ke baki ka kaam Wo khud kar le ge project pe aur kal use samjha de ge, Wo Harshit ko see-off kar ke jaise bedroom me aye to Raj bed pe baitha koi magzine dekh raha tha

"Sorry, Sorry mujhe andaja nahi hua ke etne der ho chuke ha, me taiyaari shuru karti hoon jaldi taiyaar ho jayon ge" ... Ritika ne Raj se kaha

"Shuker ha aap ko yaad to raha ke hume party pe jana ha warna mujhe to laga ke aap project ke chakar me bhool gaye hain" ...

"Ap mujhe missage bhijwa dete na" ...

"Wo kis khushi me?, tumhe pata to tha ke aj party pe jana ha, acha ab mazeed waqt barbad na karo aur jaldi se taiyaari shuru karo" ...

Ritika ko laga jaise Raj ko such me uska etne der lagana bura laga ha lekin Wo chup ho gaye. Party ke doran Raj ka mood bilkul theek ho gaya tha to Ritika bhi baat bhool gaye, wapsi pe unhoon ne Ritika ke pasindida flavor ke ice-cream bhi khaye. Wapas ate ate unhe 11 baj gaye, wapas aa kar Ritika ko khayal aaya ke us ne Harshit se vaada kya ha ke Wo project pe kaam kar ke kal use samjha de ge. Raj change kar ke bed pe lait gaya to Wo Harshit ka project le kar bed per aa gayi aur kaam karne lage

"Ab bus bhi karo na, baki ka kaam kal kar lena" ... Raj thode der to use kaam karte dekhta raha akhir us ne use kah he diya

"Raj mee ye aaj he khatam karna ha, kal Harshit ko ye project dena ha aur use samjhana bhi ha" ...

"To subha kar lena na yaar, ab etni raat ho gayi ha, mujhe sakht neend aa rahi ha" ...

"To aap so jaye na, me kaam khatam kar so jayon ge" ... Ritika ne kaam viyast Raj se kaha

"Ok! , theek ha, Good Nite" ... Raj ne use kaha aur dusri taraf karwat le kar so gaya

Thodi der baad Ritika ko ehsaas hua ke us kam ke dhun me us ne shayad sakht lahaje me baat kar de ha Raj se, ek dam uska dil kaam se uth gaya, us ne kitaban band kar ke Raj ke taraf dekha to Wo so chuka tha. Ritika ko apne rawaye pe afsoos hoone laga ke kyun us ne Raj ko aise kaha Wo subha utha kar bhi to kaam kar saki the, Wo etne pyaar se use kah raha tha, Ritika ka dil samne padi kitabon se uth chuka tha, us ne kitaban utha kar side table per rakh de aur sochne lage ke Raj ko uthaye ya nahi, us ne subha office bhi jana tha is time uske neend kharab karna use theekh nahi laga. Sari raat us ne jagte hue guzar de, project pe ek lafz bhi aur kaam us se nahi ho saka. Subha Raj apne alarm pe utha to Ritika soti jagti se halat me the. Raj uth kar washroom chala gaya to Ritika uth kar baith gaye, Raj naha kar washroom se bahar aya to wardrobe se apna suit nikal kar pehnane laga. Ritika is sare samay me ek pal ke liye bhi najar Raj se nahi hataye the Wo chup chaap office jane ke liye taiyaar ho raha tha Ritika ko andaja ho gaya tha ke Wo us se naraj ha. Raj ne jab tie bandhna shuru kya to Ritika se raha na gaya aur Wo utha kar khadi ho gaye

"Ye blue wale tie lagaye na ye jyada suit kare ge is suit ke sath" ... Ritika ne baat karne me pehal ke

"Nahi, ye theekh ha" ... Raj ne bas itna sa jawab diya aur tie bandhane laga

Ritika ko samajh nahi aa rahe the ke Wo use kaise manaye, Raj bed per baitha apne filis check kar raha tha aur Wo pareshaan i me kamre me ek taraf se dusri taraf chalne lagi. Raj ne filis se najar utha kar use dekha

"Kyun subha subha left right kar rahe ho, baith jayo aram se" ... Ye pehli baat the jo Raj ne khud se ke the

"Raj mujhe raat kam me andaja nahi hua, mujhe aise nahi kahna chaahiye tha aap se, mujhe foran apne baat ke sakhti ka andaja hua lekin tab tak aap so chuke the, mee apko uthaya nahi ke ap ne subha office bhi jana tha ke aap ke neend distorb hoge, ap mera yaqeen karan mera matlab apko hurt karna nahi tha, sare raat mee koi bhi kaam nahi kya bas yahe sochte rahe ke aap mujhse naraz ho kar so gaye, mujhe ek pal ke liye bhi neend nahi aaye, ap jante hain na apke narazgi mujhse bardasht nahi hote, mujhe samajh nahi aa rahe the me kya karon" ... Ritika bolna shuru hue to fir bolti he gaye
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Kitne paisay lo ge chup karne ke? " ... Raj jo ab bhi apne filis dekh raha tha use youn non-stop bolta dekh kar akhir bol he pada

"Ji ?" ... Ritika ko Raj ke baat jara bhi samajh nahi aaye

"Mee kaha kitne paise lo ge chup karne ke, non-stop train ke tarah chal padi ho tum to" ... Ab ke baar Raj ne muskurate hue kaha

"Ap mera mazak uda rahe hain?" ... Ritika ke ankhain bheeg gayen Raj ke baat sun kar

"Arey yaar ek to tumhare ansoo bas entazar me hote hain ke unhe rasta mile kise tarah bahar nikalne ka, mazak kar raha tha" ... Raj ne use apne paas bitha liya

"Raj mujhse naraz mat hua kijiye, ap nahi jante mere liye sans lena bhi mushkil ho jata ha, mujhse apke narazgi bardasht nahi hote" ...

"Me tumse bilkul naraz nahi, haan raat ko mujhe thoda sa bura laga tha lekin tumhare halat dekh kar Wo halka sa ghusa bhi jata raha" ...

"Raj mera to apke siwa duniya me koi nahi ha, ap jab chup ho jate hain mujhse baat nahi karte to mera dil tang hona shuru ho jata ha, meri to duniya aap pe shuru ho kar aap pe khatam ho jati ha, apke paas mohabbat karne ko buhut se log hain lekin mere paas to sirf aap hain apke elawa aur koi nahi, mujhe dant liya kijye magar youn chup na hua kijiye" ... Ritika ke ankhoon se ansoo bah rahe the

"Ok Jan-e-Raj theekh ha, ab bas karo chup kar jayo, dekho agar tum aise mere samne royo ge to mera office jane ko kahan dil kare ga, subha subha you apne husan ke teer na chaleo mujh pe, buhut kamzor dil ka banda hoon me" ... Raj ne muskurate hue kaha

"Pahale rulate hain fir ye dialoguis bolte hain, ek number ke cheater insaan hain aap, ab ye bahane mat banaye office na jane ke aur uthye pahale he der ho chuke ha" ... Ritika ne Raj ka mood badalte dekha to foran apne ansoo saaf kye aur uth khadi hue

"Acha theekh ha ja raha hoon, ab tum jayo aur apna huliya theek karo aur niche table per ayo Mummy wait kar rahe hoon ge aur haan Wo Project bhi complete kar lena jo tum ne raat meri narazgi ke chakar me nahi kya" ... Raj ne muskurate hue kaha aur kamre se nikal gaya

Ritika bhagwan ka shuker ada karti washroom ke taraf badh gaye, use Raj ke etne asani se maan jane pe hairat hor rahe the use lag raha tha ke Wo etne asani se nahi manay ga. Us ne dil me pakka erada kar liya ke Wo aab kabhi Raj ko naraz nahi kare ge aur kise bhi kaam ke liye Raj ko entazar nahi karaye ge, use andaja ho gaya ke Wo sab kuch bardasht kar sakti the lekin Raj ke narazgi nahi

"Ritika tum pagal ho aur apne sath sath mujhe bhi pagal kar do ge" ... Raj pure tarah barish me bheegne ke baad kahe bina na rah saka

"Is me pagal ke kya baat ha?, apko pata ha mujhe bachpan se he barish buhut pasand ha, Papa Ji cheekhte rah jate the aur me barish me bheegti rahte the" ... Ritika ne apne hathoon pe barish ke qatre jama karne ke nakam koshish karte hue kaha

"Aur ab tum badi ho gaye ho shayad tumhe andaja nahi" ... Raj ne use chaidte hue kaha

"To kya hua?, waqt ke sath pasand nahi badalti zarooriat badalti hain, mujhe barish me bheeg ke aise lagta ha jaise me nikhar gaye hoon bilkul us phool ke tarah jo barish ke pani se taza ho jata ha" ...

"Ok madam me haar gaya aap jeet gayen, ab aap nikharti rahiye me ja raha hoon, mere sare kapde bhigo diye tum ne" ... Raj ne ander jate hue kaha

"Ufff Raj, bilkul budhi rooh hain aap, sun rahe hain na budhi rooh hain aap" ... Ritika ne use door jate hue dekh kar jor se kaha

"Me budha he khush hoon" ...

Raj ne bedroom me aa kar kapde change kye use sakht uljhan ho rahe the geele kapdon se, kamre ke ander se Wo Ritika ko barish me bheegta hua dekh raha tha aur uske bachpane pe muskura raha tha. Uske yahi saadgi to use hamisha se pasand the kise kisam ke banwat nahi the us me Wo jaise the waise he najar ate the aur ise masoomiat ne Raj ko uska deewana bana diya tha. Thode der baad Ritika bhi kamre me aa gaye

"Kyun kya hua? , buhut jyada nikhar gaye ho kya? " ... Raj ne use chaidte hue kaha

"Ji nahi, akele bilkul maja nahi aa raha tha ise liye ander aa gaye hoon, thode der bhi barish me nahi khade rahe aap mere sath" ... Ritika ne khafgi se kaha

"To mujhe nikharne ka shok nahi ha na, me already buhut nikhra hua hoon" ...

"Ji, Ji bade khush fahmi ha aap ko" ... Ritika ne use juban dikha kar change karne washroom me chale gaye

Raat ko dinning table per Rachna Garewal ne Raj ko khoob danta ke Wo Ritika ko shopping karane nahi le gaya kafi samay se

"Tum kaam me itna buzy hote ho kafi samay se me dekh rahe hoon tum Ritika ko shopping pe nahi le gaye" ...

"Aunty mere paas to abhi kafi suits pade hain" ... Ritika ne kahna chaha

"To pade rahen na uska matlab ye to nahi ke shopping nahi karne, kam aj kam mahine me ek dafa to shopping karne jana chaahiye na" ...

"Ok Mummy me kal he ise shopping pe le jayon ga, ap naraz mat hoye" ... Raj ne baat sanbhali

"Yaad se mujhe dobara kahna na pade" ... Rachna Garewal ne kaha aur Ritika ne muskurate hue Raj ko dekha jaise use chida rahe ho

Agle subha office jane se pahale Raj Ritika ko shopping karane le gaya halanki Ritika ka khayal tha ke unhe shaam ke waqt shopping pe jana chaahiye lekin Raj ka kahna tha ke office ke kaam ka koi pata nahi chalta use der bhi ho sakti ha aur Wo mummy ke dant nahi khana chahta ise liye Wo use subha he le aya shopping pe

"Mummy ke dant ne charge kar diya aap ko" ... Ritika ne shopping karte hue use chaida

"Tum yahan shopping karne aye ho ya mujhe tang karne" ... Raj ne use ghoora

"Me to shopping he kar rahe hoon lekin kya karon raat wala chahra apka ankhoon se nahi jaa raha bar bar yaad aa raha" ... Ritika ne masoom se shakal banate hue kaha

"Dekh lon ga tumhe me" ... Raj abhi kuch aur bhi bolne wala tha ke uska mobila baj utha. Office me ek urgent meeting ke silsale me use office bulea tha

"Ritika tumhari aur kitne shopping rahti ha?" ... Raj ne call khatam kar ke us se poocha

"Abhi to kafi kuch laina ha warna mummy naraj hoon ge, aisa karte hain na aap office chale jaye me taxi se ghar chali jayon ge ya driver ko bula lon ge" ... Ritika ne kaha

"Nahi tum ais karo shopping karo aram se, me etne tak office ka chakar laga kar wapas aata hoon tab tak tum shopping khatam kar lena fir me tumhe ghar drop kar don ga" ....

"Ok, theekh ha" ... Ritika ne kaha aur Raj use shopping mall me chod kar office chala gaya

Office ja kar Raj ne meeting attend ke aur baki ka kaam jaldi jaldi niptane laga uska khayal tha ke kaam nipta ke Wo Ritika ko pick kare ga aur lunch bhi uske sath kare ga. Wo jaldi jaldi kaam nipta raha tha jab use Ritika ke call aye

"Hello Ritika, han shopping khatam ho gaye tumhare?" ... Raj ne call receive karte hue kaha

"Ji shopping bhi khatam ho gaye aur mee aap ko is liye phone kya tha ke aap mujhe pick karne mat aaye, yahan Harshit mil gaya ha mujhe Wo mujhe ghar drop kar de ga" ... Ritika ne jawab diya

"Harshit, hmmm acha theekh ha, mujhe ghar phunch kar text kar dena" ...

"Ji theekh ha aur suniye shaam ko jaldi aye ga, mee yahan se ek receipe ke book kharidi ha aj me cake banayon ge shaam ko" ...

"Ok theekh ha, acha mujhe kaam me rakhta hoon phone" ... Raj ne ye kah kar phone kat diya

Raj ne mobile ek taraf rakh ke apne tie ke knot dheeli kar de, uska dimagh musalsal soch raha tha use samajh nahi aa rahe the ke use Ritika ka Harshit ke sath ghar jana bura lag raha ha ya fir Ritika ka use mana karne. Uske baad Raj office me koi kaam na kar saka bas ise soch me dooba raha, use samay gujarne ka bhi andaja nahi hua, Wo to jab uske peon ne aa kar use apne jane ka batya to us ne ghadi dekhi to 5 baj chuke the. Us ne peon ko jane ka kaha, use Ritika ka ghar jaldi anay wale baat yaad the lekin uska dil nahi kar raha tha ghar jane ko us ne jaib se ek cig nikal ke sulgaya aur mobile utha kar dekha to wahan Ritika ke kayi missagis the us ne mobile dobara table pe faink diya . Wo abhi tak apne bechani ke waja nahi samajh paya tha aur ise soch me Wo cig pe cig pye ja raha tha ke achanak uske mobile baj utha
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Hello Ritika, han me office me he hoon" ... Raj ne call receive karte hue kaha

"Ap abhi tak office me baithe hain, time dekha ha aap ne 7 bajne wale hain, mee aap ko kaha tha ke jaldi aye ga" ...

"Ritika me yahan pe khail nahi raha kaam kar raha hoon" ... Raj ne is baar thode sakht lahaje me kaha
"To kab free hoon ge?" ...

"Mujhe nahi pata, jab free hoon ga aa jayon ga" ...

"Ye kya baat hue me aap ka entazar kar rahe hoon, mee cake banaya tha aap ke liye, aunty to kab ke ghar aa gaye hain, hum dono aap ka entazar kar rahe hain coffee pe" ...

"To tum log pee lo na mee roka to nahi ha, me is waqt meeting me hoon aur buzy hoon, ap please mujhe distorb karna band karo, jab free hoon ga to ghar he ayon ga kahin bhag nahi jayon ga" ... Raj ne ye kah kar mobile table pe faink diya

Wo Ritika se sakht lahaje me baat nahi karna chahta tha lekin na jane kyun use Ritika ke baat pe ghusa aa gaya. Us ne tie utar kar table pe faink de aur jaib se ek aur cig nikal kar sulga liya. Akhir kaar 11 baje Wo office se nikla ghar jane ke liye, ghar phunch kar use pata laga ke Ritika aur mummy khana kha chuke hain, Wo thake hue qadmon se bedroom aya to wahan Ritika koi magzine padh rahe the us ne washroom ja kar change kya aur bed pe aa kar lait gaya. Use pata tha ke Ritika us se naraj ha lekin Wo khud apne ander ke bhavna ko samajh nahi paa raha tha. Kafi der chup chaap laite rahne ke baad akhir Ritika ne us se baat ke

"Agar koi insaan galti kare to use sorry bhi bolna chaahiye" ... Ritika ke najar magzine per the

"Kya galti ke ha mee?" ...

"Ye bhi me batayon? " ...

"Zaher ha yahan pe aur to koi nahi ha jis se me ye baat poch sakta hoon" ...

"Ap itna late kyun aye?" ...

"Kyun ke me kaam kar raha tha" ...

"Aisa kya kaam tha?, mee aunty se bhi poocha Wo to kah rahe thi ke bas ek meeting the aur Wo to jaldi aa gayen the ghar aaj" ...

"To mummy ko kaam nahi hoga, mujhe kaam tha is liye me office me tha, mummy aur me ek he kaam nahi karte, tum ne office me kafi samay gujara ha tumhe andaja to hoga is baat ka" ...

"Ji, mujhe andaja ha lekin aisa bhi kya kaam jo aap kal nahi kar sakte the" ...

"Please me mazeed behas nahi karna chahta, har waqt ye bachoon ke tarah roothna manana mujhe pasad nahi grow-up, office me hazar tarah ke kaam hote hain ab me unhe chod kar tumhare pas to nahi baitha rah sakta" ...

"Raj mee ye kab kaha" ... Ritika kuch kahna chah rahe the ke Raj ne uske baat kaat de

"Mujhe neend aa rahe ha me soo raha hoon, Good Night" ... Raj ne ye kah kar side table pe lage light off kar de

Ritika ne magzine side table pe rakh diya , uske ankhoon se do ansoo uske gawd me aa gire. Ye pehli baar tha jab Raj is tarah us se naraj ho kar soya tha, choti moti baate to pahale bhi hote rahte then lekin us ne Raj ko kabhi is tarah nahi dekha tha aur use samajh bhi nahi aa rahe ke us se akhir kya galti hue ha, sirf phone kar ke ghar bulana itna badi galti to nahi ke us pe itna react kya jaye, yahe sochte sochte use pata nahi chala kab uske ankh lag gaye


Agli subha Raj ka bhaav bilkul normal tha jaise kuch hua he na ho, Ritika ne bhi dobara baat karna theekh nahi samjha ke kahin Raj fir se ghusa na ho jaye lekin mann he mann me Wo abhi tak kafi pareshaan the ke kal aisa kya hua jis ke waja se Raj ko ghusa aa gaya lekin buhut sochne ke baad bhi jab use samajh nahi aaye to us ne yahe socha ke shayad kaam ke dabav ke waja se Raj ne kal aisa react kya aur ab use is baat ko bhool jana chaahiye. Rachna Garewal ko kise kaam ke silsale me shaher se bahar jana pada aur ise waja se apne bhanji ke shadi me jana unke liye sanbhav nahi raha to unhoon ne Ritika ko khaas tor pe shadi pe jane ka kah kar khud shaher se bahar chali gayen. Ritika ke liye aise functions me jana hamisha se mushkil hota tha lekin Rachna Garewal ke baat talna bhi sanbhav na tha

"Raj me kaise lag rahe hoon ?" ... Ritika ne taiyaar hoone ke baad Raj se uske rayi mangi

"Jan-e-Raj aap to hamisha he pyaari lagti hain" ... Raj ne muskurate hue kaha

"Raj please na seriously bataye, aunty ke bhanji ke shadi ha aaj agar me ache na lagi na to aunty buhut khafa hoon ge wapas aa ke, aap jante hain

na Wo kitne particular hain en cheezon ke bade me" ...

"Me sach kah raha hoon yaar, tum hamisha he pyari lagti ho aur aj to kuch jyada he pyari lag rahe ho" ...

"Me buhut nervous ho rahe hoon Raj" ...

"Nervous hoone ke koi baat nahi tum hamisha he un neeli peeli ajeeb fashion wale ladkiyon se jyada achi lagti ho aur waise bhi ye light green color tum pe buhut suit kar raha ha" ...

"Acha chalan theekh ha fir, ap bhi chalte sath to jyada acha tha" ...

"Yaar ye ladiis function me mera kya kaam, me bore hoon ga wahan pe buhut, tumhe drop karne ja raha hoon na, jab tum buhut bore ho jana to mujhe phone kar dena me tumhe pick karne aa jayon ga" ... Raj ne muskurte hue kaha

"Chalan fir mujhe to chod kar ayan na" ... Ritika ne kaha

Raj aur Ritika jab function pe phunche to Ritika gadi se utarne lagi to Raj ne uska hath pakad liya

"Yaar dil nahi chah raha ke tum jayo" ...

"Kyun dil nahi chah raha? " ...

"Yaar etni achi lag rahe ho ke mera dil kar raha ha hum kahin long drive pe chalan" ...

"To theekh ha chaliye fir me nahi jati function pe" ...

"I m serious yaar, aj tum etni sundar lag rahe ho ke mera dil nahi chah raha ke tumhe koi aur dekhe" ...

"To theekh ha na me to taiyaar hoon nahi jati function pe" ...

"Chalo theekh ha fir" ... Raj ne ye kah kar gadi dobara start kar le

"Arey arey, kya kar rahe hain aunty mujhe jaan se mar dain ge agar me na gaye to" ... Ritika ne Raj ko gadi start karte dekh kar kaha

"Hahaha!, bas itna sa hosla tha, chalo theekh ha jab farigh ho jana to mujhe phone kar daina" ...

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »

Raj ye kah kar gadi le kar chala gaya, wapas ghar aa kar Wo apne office ka kaam karne laga, uske baad Wo tv dekhta raha, kafi time gujarne ke baad bhi jab Ritika ka phone na aaya to us ne Ritika ka number milea to Wo band tha, use kafi pareshaan i hue ke Ritika jo pahale jane ko taiyaar nahi ho rahe the ab 3 ghante gujarne ke baad bhi use phone nahi kya us ne. Us ne apne ek aur cousin ka number milea to us se baat kar ke use pata chala ke function abhi chal raha ha aur Ritika Harshit ke sath ha. Phone karne ke baad Raj ek baar sir se ajeeb tarah ke bechaini me ghir gaya waise he bechaini jaise use kuch din pahale Ritika ke Harshit ke sath ghar jane per hue the. Wo kafi der khali khali najron se tv dekhta raha fir us ne apna mobile off kar ke driver ko kaha ke jab Ritika madam ka ghar phone aye to Wo use pick karne chala jaye aur khud ja kar soo gaya. Ritika ko jab Raj ke bajaye driver pick karne aya to use andaja ho gaya ke kuch gad bad ha, uske mobile ke charging function ke darmiyan he khatam ho gaye the aur Wo Raj ko phone kar ke bulana chahti the lekin Harshit ke zid ke waja se Wo aisa na kar saki uske sath sath Harshit ke baki cousins bhi use rukne ke vinti karne lage to use rukna he pada, us ne Harshit ko kaha ke Wo Raj ko phone kar ke uske late anay ka bata de lekin youn driver ka aana jab Raj ne use khud kaha tha ke Wo use laine aaayega Ritika ko laga ke kahin Raj ke tabiyat na kharab ho gaye. Ghar phunchte he Wo bedroom me gayi to Raj gahri neend so raha tha, us ne use uthana theekh nahi samjha aur khud bhi so gaye. Agli subha uske ankh thoda der se khuli to us ne dekha ke samne Raj office jane ke liye taiyaar ho raha ha, Wo foran utha kar uske paas aa gayi

"Ap mujhe raat laine kyun nahi aye?, apki tabiyat theekh ha?" ...

"Han me theekh hoon" ...

"Ap laine kyun nahi aye mujhe?" ...

"Agar tum mujhe bata deten ke kab laine ana ha to jaroor laine aa jata aur tumhara mobile bhi off tha" ...

"Ji Wo charging khatam ho gayi the mere mobile ke is liye lekin mee Harshit ko kaha tha ke Wo apko call kar ke bata de" ...

"Shayad use samay nahi mila etne achi company chod kar mujhe phoon karne ka" ... Raj ne tanjiya andaaj me kaha

"Me samjhi nahi aapke baat" ...

"Kuch nahi waise bhi me late ho raha hoon office jane ke liye" ...

"Ap naraz hain mujhse?, Raj mera koi qasoor nahi ha is me" ...

"Ritika me tumse naraz nahi, ab mujhe office jana ha mujhe kaam ha" ...

"Acha Sorry, aj aap jaldi aaayega me apko dinner karayon ge acha sa aur buhut pyaar se maafi bhi mangon ge apne galti ke" ... Ritika ne pyaar se

Raj ke gale me baahain dalte hue kaha

"Enough, band karo ye third class romantic harkatin, ek patni ko pata hona chaahiye ke uske pati ka mood kaisa ha, har waqt ye fazool adayen mujhe bilkul pasand nahi, kindly grow-up and raasta chodo mujhe office jana ha" ... Raj ek dam se phat pada aur Ritika to jahan the wahin ke wahin khadi rah gayi us ne socha bhi nahi tha ke Raj etne sakhti se baat kare ga us se

Sara din Ritika apne bed per baithi Raj ke baton ke bade me sochti rahe use andaja tha ke us se galti hue ha lekin galti etne sangeen the ke Raj ne is tarah react kya, subha se shaam ho gayi lekin use apne sawal ka jawab na mila. Raat 8 baje Raj ke wapsi hue Wo bedroom me ate he apna bag pack karne laga jis se Ritika ko itna to andaja ho gaya ke Wo kahin bahar jaa raha ha lekin us me etne himmat nahi the ke Wo us se pooch sake. Etne me Raj ka phone baj utha jis me Wo kise meeting ke silsale me Dubai jane ke baat kar raha tha is se Ritika ko ye to pata lag gaya ke Wo Dubai ja raha ha lekin fir bhi Wo use kuch bol na saki. Raj apna bag taiyaar kar ke jis khamoshi se aya tha use khamoshi se chala gaya us ne ek baar bhi Ritika ke taraf nahi dekha tha aur Ritika ko sara din rone aur sochne ke waja se bukhar me tap rahe the uske jane ke baad takiye pe sir rakh kar foot foot kar ro di
Adawatain the, taghaful tha, ranjishan then magar
Bichadne wale me sab kuch tha bewafai na the

Ke dhoop chayon ka aalam raha judai na the
Wo humsafar tha, Wo humsafar tha

Agli subha Ritika ke ankh khuli to Wo bukhaar ke tapan ke waja se uska sara jism jal raha tha sari raat rone ke waja se ankhain sooj chuke then aur un me jalan ho rahe the, us ne buhut mushkil se bed se utri aur washroom gaye frish hoone ke liye aur fir se aa kar bed per gir se gayi use lag raha tha ke us me bahar jane ke himmat nahi ha us ne noker ko bula kar apne liye medicinis aur chaye wahin manga li. Sara din Wo bed per he laiti rahe, uska dimagh abhi tak kal hoone wale ghatna me he funsa hua tha aur Wo use ke bade me sochte rahe, kab subha se dopaher aur fir shaam ho gaye use pata he nahi laga. Shaam ko Rachna Garewal jab uske kamre me ayen to use bed per laita dekh kar pareshaan ho gayen fir Wo use jabardasti kamre se bahar le ayen aur fir doctortor ke paas le gayen, wapas aa kar bhi Wo raat tak uske sath baithi rahen aur use apne samne khana khilea, is sare dekh bhaal ka faayadaa ye hua ke raat tak Ritika ke tabiyat kafi had tak sanbhal chuke the. Rachna Garewal ne Raj ko phone kar ke uske bhi khaasi khabar le ke Wo Ritika ko aise halat me chod kar chala gaya aur use foran wapas aanay ka kaha

"Aunty Wo naraj hoon ge , Wo kise jaroori kaam se gaye hain aise me unhe tang karna theekh nahi" ...

"Patni se jyada jaroori koi kaam nahi hota aur sirf Wo e nahi ha office me uske jaga pe koi aur bhi jaa sakta tha lekin tumhare tabiyat kharab ha is samay tumhe Raj ke jaroorat ha" ....

"Aap hain na mere paas" ...

"Wo to theekh ha beta lekin Raj ko apne jimaydari ka ehsaas hona chaahiye na, tumhari ise dheel ke waja se Wo sara waqt kaam me vyast rahta ha aur tumhara theekh tarah se khayal nahi rakhta" ...

"Waise to me use kaha ha jaldi anay ka lekin Wo kah raha ha 2 din lag jayen ge, tum aisa karo use phone kar lo, tum dono me koi ladayi to nahi hue na? " ...

"Nahi aunty ladayi to kuch khaas nahi hue" ...

"Theekh ha mujhe waise pati patni ke beech me bolna acha nahi lagta lekin agar Wo tumse koi jyadati kare to tum mujhe bata sakti ho, me uske sath sath tumhari bhi maan ho, me tumhare sath koi jyadati bardasth nahi karon ge" ... Rachna Garewal ne Ritika ke sir pe hath fairte hue kaha

"Acha ab me chalti hoon raat kafi ho gaye ha tum bhi Raj se baat kar ke so jana" ...

Rachna Garewal ke jane ke baad Ritika ne Raj ka number milea to thode der baad us ne call pick kar li, kafi der tak dono bas chup chaap ek dusre ke khamoshi sunte rahe, dono me se kise me bhi bolne ke himmat nahi ho rahe the shayad, kabhi kabhi insaan buhut kuch hote hue bhi bol nahi pata aise me khamoshi ek aisa sahara hote ha insaan ke pas jo bina kuch kahe he samne wale ko buhut kuch samjha daiti ha, Raj aur Ritika ke beech bhi is samay khamoshi ke juban me baate ho rahe then, dono kuch bol nahi rahe the lekin dono ke khamoshi ek dusre se kayi baate kar rahe the, akhir Raj ne is khamoshi ko toda

"Kaise ho?, mummy bata rahe thi ke tumhare tabiyat theekh nahi?" ...

"Nahi kuch khaas nahi Wo bas aise he thodi sa sir me dard tha" ...

"Tabiyat kharab the to tum ne mujhe kal kyun nahi bataya?" ...

"Ap ne apne bhaav dekhe the us samay?, kuch bolne laiq choda tha ap ne mujhe?" ... Ritika na chahte hue bhi gila kar gaye

"I m Sorry Ritika, mujhe nahi pata mee aisa kyun kya aur kyun kaha tumse, mera vishwas karo me kal se ek pal sakoon se nahi raha saka bar bar mujhe apne kahi hue baate yaad ate thi aur " ... Raj bolte bolte chup ho gaya jaise Wo apne dard ko sahe tarah batane ke liye lafz soch raha ho

"Raj mujhe samajh nahi aa rahi ap mujhse itna khafa kyun ho gaye?, me to kabhi aapko khafa nahi karna chahti, apke narazgi mere liye kitni jaan-leva hoti ha apko pata ha na is baat ka" ...

"Me janta hoon Ritika bas shayad tumhara us din youn der se ana mujhe acha nahi laga" ... Raj chahte hue bhi Harshit ka naam na le saka, kabhi kabhi insaan apne ana ke qaid me aa kar dil ke baat nahi kar pata is samay Raj bhi shayad aise he kise bhavna se gujar raha tha, use lag raha tha ke agar us ne Harshit ke bade me kuch kaha to shsayad Ritika use ek tang dimagh aur shaki kisam ka insaan samjhe ge aur ye Wo nahi chahta tha lekin sath he sath apne dil ke baat na kar ke Wo Ritika tak ye baat bhi nahi phuncha paa raha tha ke use uska Harshit ke sath itna qareeb hona pasand nahi aa raha
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply