Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »

Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

"Doctor Wo theekh to ho jayenge na" ... Us shakhs kee awaj me khof aur ummeed saaf mahasoos kee ja sakte the

"Dekhen abhi kuch kahna kafi mushkil ha, jab tak pahale surgery nahi ho jatee, me vishwas ke sath kuch bhi nahi kah sakta, gardan ke niche ka sharir kafi bure tarah jhulas chuka ha, han itna jaroor kah sakta hoon ke, we will try our bist" ... Mumbai ke ek jane mane hospital ke Burn Ward ke head Doctor.Rajesh ne apne samne baithe us shakhs ko tasalli dete hue kaha, jo pichle 1 ghante me un se ye sawal 10 se bhi jyada baar pooch chuka tha

"Doctor me use duniya ke bade se bade hospital le jane ko taiyaar hoon, agar yahan pe surgery theekh tarah nahi ho saktee to please ap mujhe bataye me charter plan pe use Europe, America kahin bhi le ja sakta hoon" ... Us shakhs ne betabi se kaha

"Me apko pahale bhi is sawal ka jawab de chuka hoon ke humara hospital India ke chand behtreen hospitals me se ek hai aur humare paas jane mane burn specialists bhi hain, jo india me he nahi duniya me bhi naam rakhte hain, jo treatment hum karenge Wo duniya ke kisee bade hospital me hoga, aise me patient ko bahar le ke jane ka faayadaa nahi aur waise bhi unkee jo halat ha aise samay me operation me der karna khatre se khali nahi hai" ... Doctor.Rajesh ne ek baar fir se tafseel se use samjhaya

"Ok Doctor, mujhe apkee baat pe vishwas ha, me bus apne tasalli karna chah raha tha" ... Us shakhs ne is bar thake thake se lahaje me kaha

"Ap chinta mat kijiye, bhagwan pe bharosa rakhye, hume operation me jaroor safalta milegee" ...

"Bhagwan kabhi mere bharose pe pura nahi utra Doctor" ... Ab ke baar us shakhs ke chahre pe ek takleef deh muskurahat thee

"Me samajhta hoon aisee halat me insaan ka har cheez se bharosa uth jata ha" ... Doctor.Rajesh ne ek baar fir se use tasalli dene ke koshish kee

"Ye kuch papers hain jin pe apko signh karne hain" ... Doctor.Rajesh ne apne drawer se kuch paperz nikal kar us shakhs ke samne rakh diye, jinhain bagair padhe us shakhs ne un per sign kar diye aur fir uth kar Doctor.Rajesh ke office se bahar jane laga

"Mr.Raj, kya aap operation se pahale apnee patni se milna chaahenge ?" ... Doctor.Rajesh ne use kamre se bahar jate dekha to Wo sawal pooch he liya jis ka shayad Wo kafi der se entajar kar rahe the

"Nahi" ... Raj ne unke baat ka buhut chota sa jawab diya

"Me pooch sakta hoon kyun? " ...

"Me use is halat me nahi dekh sakta" ... Raj ne unke baat ka jawab diya aur fir unke office se bahar aa gaya

Wo unke office se nikal kar bahar car parking me aa gaya, raat kafi beet chuki the jis karaan hospital ke bahar logon ka rush kafi kam tha, us ne bahar aa kar ek lambi saans li aur apne jaib se cig ka pack nikal kar ek cig jala li ke achanak ek awaj uske kanon me goonj uthe

"Raj mat pya kijiye cig, apko pata ha mujhe kitne bure lagte ha cig aur kitna nuqsan hota ha is se, sab jante hain aap fir bhi baaj nahi ate cig peenay se, apke sehat ke liye theekh nahi ha ye, apna nahi to mera he khayal kar liya kijiye, apne zindagi ke dushman bane hain aur jante bhi hain ke apke zindagi sirf apke nahi ha mere bhi ha"

Use laga jaise Wo kahin aas paas he ho aur use cig peeta dekh kar hamisha ke tarah us pe naraz ho rahe ho. Us ne hoonton me dabaya hua cig niche faink kar apne boot se masal diya aur samne bane canteen me ja ke baith gaya, use coffee ke shadid jaroorat mahasoos ho rahe the, us ne waiter ko coffee lane ka kaha aur thode der baad waiter use coffee de ke chala gaya. Us ne jaise he coffee ka pehla ghoont liya ek baar se ek awaz uske aas paas goonj uthe

"Raj ap bina cheeni ke coffee kaise pee laite hain mujhh se to ek ghoont bhi nahi liya jata, bina cheeni ke coffee aise he ha jaise bina teekhay ke bhail poori"

Us se coffee ka ghoont gale se utarna mushkil ho gaya, Wo awaj ab bhi uske aas paas he goonj rahe the

"Raj agar apko raat ko coffee peeni hote ha to apne liye he banwaya karan mujhe kyun jabardasti pila dete hain, khud to coffee pee kar maje se so jate hain aur me sare raat neend ke entajar me karwatain laite rahte hoon, ainda me kabhi raat ko coffee nahi pyon ge aur na aapko peenay don ge"

Use laga jaise ab Wo kabhi coffee nahi pee sake ga, uske ankhoon se ek ansoo ka qatra coffee ke cup me ja gira, us ne coffee wahin table pe chor de aur bill ke paise rakh kar canteen se bahar aa gaya. Us ne ghari pe time dekhe operation shuru hoone me 1 ghante bake tha, Wo fir se hospital ke ander aa gaya aur Doctor.Rajesh ke office me ja ke baith gaya, thode der baad Doctor.Rajesh apne office me aye

"Operation bus kuch he der me shuru ho jaye ga, patient ko operation theater me shift kar diya ha, ap yahin pe baithan ge ya operation theater ke bahar entajar karan ge??" ... Doctor.Rajesh ne us se kaha

"Me operation theater ke bahar baithoon ga" ... Raj ne kaha aur fir thode der baad Doctor.Rajesh aur Wo dono office se bahar aa gaye

"Bhagwan se prathna kijiye ga ke operation saffal rahe, dawa ke sath duwa bhi jaroori ha" ... Doctor.Rajesh ne Raj ke kandhe pe hath rakhte hue kaha aur fir operation theater ke ander chale gaye, unke sath unke sare team bhi operation theater ke ander ja chuke the aur unke jate he operation theater ke laal batti jal uthe

"Bhagwan ne mere baat sunana kab se chod diya ha Doctor" ... Raj ne unke jate he jaise khud se kaha

Operation shuru ho chuka tha, operation theater ke ander aur bahar do insaan zindagi aur mawt ke beech dol rahe the bus fark ye tha ke operation theater ke ander Wo larki behoshi the aur bahar baitha Wo shaksh hosh me tha, iske elawa dono ke halat me koi fark na tha, dono ke zindagi aur mawt ka faisla ane wale chand ghanton me hoone wala tha
"Raj ap bolte kyun nahi?, Raj please kuch boliye apke khamoshi mujhe maar dale ge, kuch to kahiye please Raj, ap jante hain me aisa nahi kar sakte, kah dijiye en se ke ye sab jhoot ha ap is sab pe vishwas nahi karte, please Raj boliye na enhe, ap kuch kahte kyun nahi? "

Wo door kahin khayalon me khoya hua tha ke achanak mobile ke ghanti use hosh ke duniya me wapas le aye, us ne number dekh kar call pick kar le

"Hello, Rohit" ...

"Han abhi operation chal raha ha, lag bhag 2 ghante ho chuke hain" ....

"Nahi tum yahan mat ayo, tum wahan pe sanbhalo waise bhi yahan ane ka koi faayadaa nahi, jab operation khatam hoga to me khud he tumhe phone kar dunga ya fir tumhare taraf aa jayon ga" ...

"Han theekh ha tum fiker na karo aur Anjali Bhabi ko bhi kaho ki Wo pareshaan na hoon, me operation khatam hote he tumhe phone kar don ga" ...

Us ne ye kah kar phone band kar diya aur fir se apne ghadi pe time dekha. Use lag raha tha jaise waqt ruk gaya ha 60 seconds use 60 saal ke barabar lag rahe the. Use entajar karna hamisha se bura lagta tha lekin us ne kabhi socha na tha ke kabhi use aisa entajar bhi karna pade ga jo har pal me uske jaan le ga,har gujarta minute ke sath use lag raha tha jaise uske zindagi ke saanse kam ho rahe hain, uska bus nahi chal raha tha ke operation theater ke ander chala jaye. Akhir 3 ghante ke takleef dah entajar ke baad operation theater ka darwaja khula aur Doctor.Rajesh apne team ke sath bahar ate dikhaai diye, Wo enhain dekh ke khada ho gaya uske chahre pe is waqt aasha aur nirasha ke bhaav saaf dekhe ja sakte the. Wo Doctor.Rajesh ko aise dekh raha tha jaise koi mujhrim apne mawt ke saza sunane wala ho

"Mubarak ho Mr.Raj ye pahale jung to hum ne jeet li ha, operation saffal raha" ... Doctor.Rajesh ne jaise uske bejaan wajood me zindagi ke rooh phoonk de the

"Doctor" ... Raj bus itna he kah saka

"Mr.Raj mene kaha tha na bhagwan pe bharosa rakhiye, abhi sahee halat to hume pattiyan khulne ke baad he pata chalegee , lekin mujhe pura vishwas ha ke agay bhi sab theekh ho jaye ga, ap thode der me mere office aayega ap se kuch baate karne hain" ... Doctor.Rajesh ne dostana muskurahat se kaha aur fir apne office kee taraf chale gaye

Raj ne ek lambi saans li jaise Wo mahasoos karna chahta ho ki Wo abhi zinda hai. Operation ke safalta ka sun kar uske ruki hue saanse bahaal ho chukee thi . Us ne washroom me ja ke apna chahra thande pani se dhoya, us ne sheeshe me apne aap ko dekha to use lag raha tha jaise uske sharir se kise ne sara khoon nichod liya ho uska chahra bilkul peela pad raha tha. Us ne pani se ek baar fir se apna chahra dhoya aur pani ke sath uske ankhoon se bahne wale kayi ansoo bhi shamil the, akhir kafi der apne chahre ko dhoone ke baad us ne apne jaib se tissue nikal kar apna chahra saaf kya aur Doctor.Rajesh ke office me aa gaya

"Aaiye Mr.Raj baithiye, coffee peena pasand karenge aap?" ... Doctor.Rajesh ne us se poocha

"Ji jaroor lekin bagair cheeni ke" ... Wo is sare samay me pahalee baar muskuraya tha aur uskee baat sun kar Doctor.Rajesh ne phone per coffee ka order diya

"Mr.Raj ap jante hain ke gardan se niche ka sharir kafi jhulas chuka ha, khaas kar kamar abhi bilkul exact sitoation to batana sanbhav nahi Wo to 48 ghanton ke baad he pata chalegee , lekin uske baad bhi kam aj kam 1,2 mahine apke patni ko yahin rahna hoga" ...

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Doctor Wo pure tarah theekh to ho jaye ge na, ap nahi jante Wo buhut kamjoor nervis ke ha choti choti baat pe ronay lag jati ha aur kahan itna bada hadsa" ... Raj ke awaj me bechani the

"Dekhiye Mr.Raj ye jo surgery ha koi jadoo nahi ha, dawai aur malham se sharir pe lage ghaav to samay ke sath gayab ho jayen ge lekin mann pe lage ghaav bharne me jyada samay lage ga, aise me aap ko har qadam pe apne patni ka sath dena hoga, ab unko apke jaroorat pahale se kayi jyada ha"... Doctor.Rajesh ne use tafseel se samjhaya

"Me apkee baat samajhta hoon, lekin mere liye use is takleef me dekhna buhut mushkil ha" ...

"Apko himmat karna pade ge Mr.Raj jitna ap bahaduri ka saboot dain ge utne jald he Wo theekh ho jayen ge" ...

"Theekh ha Doctor, i will try my bist" ... Raj ne unke maganye hue coffee ka akhri ghoont bhara

"Ab aap chahen to yahin pe araam kar sakte hain ya fir ghar jana chahen to ja sakte hain" ... Doctor.Rajesh ne kaha

"Ji mujhe jana ha mera dost aur unke patni bhi kafi chintak hain, unhe bhi batana ha operation ke bade me" ... Raj ne jawab diya

"Ok Mr.Raj" ... Doctor.Rajesh ne apne kursi se khade ho kar us se hath milea aur Wo un se mil kar bahar car parking me aa gaya wahan aa kar us ne ek baar fir se ek gahra aur lamba saans liya aur apnee gadi me baith gaya, ab uske gadi teji se Rohit ke ghar kee taraf ja rahe the, jahan use kayi sawalon ka jawab lena tha, Wo sawal jo pichle 10,12 ghanton se use tang kar rahe the.

"Kitna nuqsan hua bulding ko?" ... Raj is samay Rohit ke ghar uske sath drawing room me baitha tha

"Itna jyada nahi hua 7,8 kamre jale hain aur kitchen jahan se aag lage the, fire brigade walon ne aag pe qaboo pa liya tha, waise bhi mujhe building ke chinta nahi the Wo insured ha"... Rohit ne jawab diya

"Aur to koi nahi jala?" ... Raj ne poocha

"Nahi itna jyada koi nahi jala bus thoda buhut" ...

"Kuch pata chala aag lage kaise?" ... Raj ne poocha

"Han kitchen me gas cylinder phutne ke waja se aag lage aur fir short circuit ho gaya jiske waja se aag fail gaye" ... Rohit ne jawab diya

"Raj, I m very Sorry yaar, Wo Ritika Bhabi .... " ...

"Sorry kee jaroorat nahi Rohit, us me tumhara to koi qasoor nahi ha, is me kise ka bhi qasoor nahi ha siwaye mere" ... Raj ke awaj me takleef saaf mahasoos ke ja sakte the

Is se ke pahale Rohit kuch kahta uske patni Anjani coffee le kar aa gaye

"Thanks, Anjali Bhabi" ... Raj ne coffee ka cup un se laite hue kaha

"Raj bhai we are very sorry jo Ritika ke sath hua .... " ... Anjali ne kaha

"Sorry ke jaroorat nahi Anjali Bhabi, me abhi Rohit se bhi yahe kah raha tha" ... Raj ne uske baat beech me he kaat di

"Mujhe bus ye samajh nahi aa rahe ke Ritika pe Wo khirki kaise gire" ... Raj ne ghambeer awaj me kaha

"Raj Bhai, baat ye ha ke humare Old Home me ek uncle hote hain Anand Sahab, Ritika ka unke sath khaas lagav tha Wo kahte the ke use Wo apne Papa Ji ke yaad dilate hain, unke kamre ko bhi aag lag gaye the, bake sab to nikal aaye lekin Wo funs gaye aur unko bachane ke khatir Ritika unke kamre me chale gaye, unhe to Wo bahar le aye lekin unke kamre ke khidki toot ke us pe aa giri, Bhagwan ka shuker ha ke Anand Sahab ne dimagh se kaam laite hue us pe apne chadar daal ke use bacha liya aur bahar le aaye" ... Anjali ne tafseel se bataya

"Hmmm!, use adat ha apne siwa use sab ka khayal hota ha use" ... Raj ne thake thake se lahaje me kaha

"Anjali Bhabi kya apko pata tha ke Ritika mere patni ha?" ... Raj ne poocha

"Nahi, mujhe to is baat ka bhi andaja nahi tha ke aap Rohit ke dost hain" ... Anjali ne jawab diya

"Han, Rohit aur me college ke jamane ke dost hain, College ke baad me America chala gaya padhne ke liye aur fir kafi arse baad Rohit se New York me mulaqat hue jahan is ne bataya ke Wo UNO me job karta ha, fir India aane ke baad kayi baar Rohit ne mujhe apne paas bulea lekin me chah kar bhi ap logon se milne na aa saka, me to kal apne businiss ke silsale me Mumbai aaya tha ke etefaq se Rohit se mulaqat ho gaye aur me yahan aa gaya" ... Is baar Raj ne tafseel se jawab diya

"Tab he to ap se kabhi mulqat na ho sake" ... Anjali ne jawab diya

"Tum ne Aunty ko bataya hai? "... Is baar Rohit ne poocha

"Nahi yaar, Wo apne check-up ke liye America gaye hue hain, aise samay me unhe khabar karna majeed pareshaan karne wale baat ha unhe" ... Raj ne jawab diya

"Ritika kee halat ab kaise ha?, me to Rohit se kah rahee the ki hospital chalana lekin inhone kaha ke ap ne mana kar diya ha" ... Anjali ne kaha

"Han mee he Rohit ko mana kya tha, yahan pe bhi to kisee ko hona chaahiye tha sab sanbhalne ke liye, aur waise bhi wahan to bus operation hee hona tha,

Doctor ka kahna hai ki asal halat to pattiyan khulne ke baad he pata chalegee lekin Wo hopeful ha ke Ritika theekh ho jaye ge" ... Raj ne jawab diya

"Anjali Bhabi, me sab kuch janana chahta hoon, apko kya kuch pata ha, Ritika yahan kaise phunche, mere dimagh me kayi sawal hain jin ka jawab mujhe nahi mil pa raha" ... Raj jo kafi der se ye sawal karna chahta tha akhir kaar pooch baitha

"Raj Bhai, Ritika ne kabhi mujhe tafseel se kuch nahi bataya, me to bus itna jantee hoon ke uske pati ka naam Raj ha uske elawa us ne mujhe apke bade me aur kuch nahi bataya, lekin mee us se kuch na kuch fir bhi ugalwa liya tha, lekin me chahtee hoon ke is se pahale ke me kuch kahoon, me apke munh se saree kahani sunana chahtee hoon, agar apko aitraaj na ho to" ... Anjali ne jawab diya

Anjali kee baat sun kar Raj ne lamba saans liya jaise Wo khud ko bolne ke liye taiyaar kar raha ho

"Theekh ha, me ap logon ko shuru se batata hoon, Ritika se mere mulaqat 5 saal pahale hue" ... Raj apne zindagi ke kitaab ke pannay khol ke padhne laga

Garewal Group of Industriis ka naam india ke sath sath vidish me bhi ek jana mana naam tha, lekin iske shuruwat ek choti se leather industry se Dhanraj Garewal ne ke the aur apne mehnat se isko kamyabi ke rah pe lagaya, Dhanraj Garewal ke dihant ke baad unke akolte betay Aditiya Garewal ne iske baag-dor sanbhal li aur apne pita ke tarah din raat ke parwah kye bagair mehnat ke lekin is sab me kab unke jawani aye aur chale gaye ye unhe pata he nahi chala aur jab unhe ehsaas hua to kafi der ho chuke the, aisa nahi tha ke Wo etne jyada budhe ho gaye the ke un se koi ladki shadi na karti lekin Wo chahte the ke Wo kise aise larki se shadi karen jo sirf unke dawlat ke liye nahi balke un se pyaar karte ho. Aise me unke mulaqat ek University function me Rachna Disai se hue jo wahan pe MBA kar rahe the aur Aditiya Garewal ko Rachna pehli he najar me aaise baah gaye ke unhoon ne use propose kar diya . Rachna ek middle class family se the lekin us me jo khaas baat the Wo uske sundarta the, aur use apne sundarta ka andaja bhi tha aur middle class family se hoone ke bawajood us ne hamisha bade bade khaab dekhe the, ek middle class zindagi gujarna uska khaab kabhi na tha aur aise me Aditiya Garewal ka proposal to jaise uske sapnon ko such karne he aya tha aur us ne bina kise jhijak ke apne se umer me 10,15 saal bade Aditiya Garewal se shadi kar li.

Aditiya se shadi karne ke baad bajaye ek housewife ban ke rahne ke Rachna ne Aditiya ke sath office join kar liya aur fir dono pati patni ne Garewal Industry ko kamyabi ke naye bulandiyon per le gaye, apne pita ke tarah Aditiya ko bhi bhagwan ne ek he beta diya Raj Garewal aur dono pati patni ke jaan basi the us me lekin is sukhi parivar ko us waqt dhajka laga jab Raj 12 saal ka tha aur tab ek plane crash me Aditiya ke mawt ho gaye, Aditiya ke mawt ke baad Rachna ne himmat nahi hari aur Raj ko boarding bhaij kar us ne apne sare tawaju businiss pe laga de aur dish ke sath vidish me bhi apne businiss ko faila liya. Raj ka college khatam hoone ke baad unhoon ne use America agay padhne ke liye bhaij diya aur khud businiss ko sanbhalte rahen lekin un me aur Aditiya Garewal me jo ek wajiya fark tha Wo mizaaj ka tha, Aditiya bade naram tabiyat aur dostana kisam ke MD the lekin Rachna un se bilkul ulat the, pure staff mian Wo MADAM ke naam se jani jate the aur kise ke majal nahi the ke unke samne awaj nikal sake, Wo kaam ke mamle me had se jyada sakht then.

Raj jab apne padhai pure kar ke wapas aaya to apne mummy ke sath office join kar liya, use office join kye hue use 6,7 mahine ho chuke the aur ab Wo office me kafi settle ho chuka tha, aj kal uske secretory ke job ke liye interviews ho rahe the, jab Wo kise kaam se Mr.Gupta ke cabin me gaya

"Mr.Gupta Wo kal Deevan Group ke file de the mee apko stody ke liye" ... Raj ne Mr.Gupta ke cabin me dakhil hote hue kaha

" Yis Sir, Wo mee rakhe hue bus ye akhre candidate han interview ke uske baad me us file ko stody karta hoon" ... Mr.Gupta, Raj ko apne cabin me dekh kar khade ho gaye

"Acha, please jara jaldi kijiye ga, mujhe Wo file chaahiye" ... Wo unhe kah kar jaise he mura, pahale baar us ne gor kya ke un dono ke elawa bhi kamre me koi ha.

Table ke dusre ek ladki baithe the aur uske bade me jo sab se pahale baat Raj ne note ke Wo ye the ke Wo had se jyada nervous ha us ne chair ko dono hathoon se aise pakad rakha tha jaise agar us ne chair ko choda to Wo bhag jaye ge. Raj ab use uper se niche tak dekh raha tha, us ladki ne pink color ka salwar kameez pehan rakha tha, uske rangat bilkul doodh ke tarah sufaid the aur skin ke narmahat to use door se he mahasoos ho rahe the,us ne apne balon ko hairband se me jakra hua tha lekin fir bhi kuch lutan bar bar uske galon ko choo rahe the jinhain Wo bar bar ungli se apne kaan ke peechay atkane ke nakam koshish kar rahe the, make-up ke naam per us ne sirf lipstick laga rake the jis ne uske khoobsurat hoonton ko aur khoobsurat bana diya tha aur uske hoont halke halke kanp bhi rahe the, sab se jyada jis cheej ne Raj ko hairan kya Wo uske ankhain then us ne buhut kam logon ke ankhain green rang ke dekhe then, uske mathe pe halke halke pasine ke qatre the jo bilkul ghaas pe padi risham ke qatron jaise lag rahe the. A.C room me bhi usko pasina ana uske nervous hoone ke bata raha tha. Raj usko dekh ke soch raha tha ke Wo waqaye me etne sundar ha jitne use lag rahe ha ya use lag rahe hai.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Mr.Gupta aap aisa kijiye, Deevan Group ke file le kar mere room me chale jaye aur use stody kijiye enka interview me kar leta hoon"... Us ne Mr.Gupta se kaha

"Yis Sir! " ... Mr.Gupta ye kah kar file le kar bahar chale gaye aur Wo unke kursi pe baith gaya

"Ji to Miss ..." ... Raj ne apne baat adhori chod de aur apne samne padi uske file utha li

"Ritika Disai" ... Us ladki ne pahale baar juban kholi aur Raj ko laga jaise mandir me ghantiyan bajne lage hoon

"To apke qualification MA. Economics ha" ... Raj ne uske file padhte hue kaha

"Yis Sir!" ...

"Apko nahi lagta Msc.Economics, Secretory ke job ke liye sahe qualification nahi" ...

"Ji ... Ji" ... Ritika bus itna he kah sake aur sir jhuka liya, jaise Msc.Economics kar ke us ne koi buhut bada paap kar diya ho

"Koi experience ha apka?" ...

"No Sir" ... Raj ne pahale kabhi kise ka interview nahi kya tha lekin use yaqeen tha ke duniya ke kise interview me etne chote jawab aj tak kise ne interview me nahi diye hoon ge jitne Wo ladki de rahe the

"Miss.Ritika ap yahan pe kaise ayen?" ... Raj ne uske file band kar ke us se agla sawal kya

"Ji .... Taxi se" ... Ritika ko shayad is sawal ke bilkul ummeed na the

"Mera matlab ha is building ke ander kaise ayen?" ... Raj ko shayad use majeed nervous karne me maja ane laga tha

"Sir gate se" ...

"Good, to ap ne ander ate hue is building ka color to jaroor dekha hoga, kya ap bata sakte hain ke is bulding ka color kya ha?" ... Raj ne muskurate hue kaha

"Shayad silver, nahi blue, Blue color ha Sir" ... Ritika ne thode der sochne ke baad kaha

"Ap pure vishwas se kah rahe hain ke blue ha?" ...

"Yis Sir" ...

"Cricket dekhte hain aap?" ... Raj ne agla sawal kya

"Yis Sir, kabhi kabhar dekh laite hoon" ... Ritika ne Raj ke taraf aise dekha jaise use Raj ke dimagh halat pe shak ho raha ho, us ne khaab me bhi nahi socha tha ke us se interview me aise sawal bhi pooche ja sate hain

"To apko Tendulkar ke frontfoot drive jyada pasand ha ya backfoot?"... Raj uske chahre ke bhaav se kafi kuch samajh raha tha lekin us ne bharpoor ghambeerta se agla sawal kar diya

"Sir, dono he" ... Ritika ne kafi der sochne ke baad sir hilate hue jawab diya , jaise Wo apne dimagh me imagine kar rahe ho Tendulkar ke drivis

Raj se apne hansi rokna mushkil ho raha tha, Ritika se batan karne me use buhut maja aa raha tha, 15 minute majeed us se ulte seedhe sawal poochne ke baad us ne Ritika ko interview khatam hoone ke khabar sunaye aur kaha ke 2,3 din me use interview ke risult ke bade me bata diya jaye ga. Ritika uske baat sun kar etne jaldi se kamre se nikle jaise agar thode der aur Wo us kamre me baithe rahe to pata nahi uska kitna bada nuqsan ho jaye.

Ritika ne kamre se bahar aa kar 2,3 lambe lambe saans liye jaise Wo buhut door se bhag ke aye ho. Jab Wo bulding se bahar aaye to khud ba khud uska sir peechay ke taraf ghoom gaya bulding ka color dekhne ke liye aur use dekh kar koi hairange nahi hue ke building ka color silver tha, jitne nervous Wo interview dete hue the koi hairange ke baat nahi the ke ne color galat bataya tha. Us ne wahin khadi ek taxi me baith gaye aur use ghar ka pata bataya

"Me kah bhi rahe the ke me interview pe nahi jate, lekin Papa Ji mere koi baat sunte he nahi, aur Wo shakhs pata nahi mera majak uda raha tha ya such much pagal tha, lekin jo bhi ha ye job to mujhe kabhi nahi mil sakte, mera 25th interview bhi nakam raha"... Ritika jaise khud se bol rahe the, us se apne asnoo rokna mushkil ho raha tha. Lekin is baat se anjaan the ke uske zindagi kya naya mor laine wale ha

Herman Disai ne apne sare zindagi college me stodents ko physics padhte guzar de the, lekin unke apne zindagi ke laws of motion kabhi theekh nahi rahe, unhoon ne mohabbat ke shadi ke aur apne patni Pooja ke sath buhut sukhi zindagi gujar rahe the jab Ritika ke paida hoone ke baad unke patni ko cancer ne aisa jakda ke akhir kaar unke patni ke jaan le kar he choda, 2 saal tak Wo apne patni ko le kar har cancer specialist ke paas ghoomte rahe lekin bhagwan ne unka aur Pooja ka sath etne he likha tha shayad aur Pooja ke beemari me unhoon ne apne zindage bhar ke kamaye bhi laga de. Pooja ke marne ke baad unke zindage Ritika ke erd gird he ghoomte rahe, aur Ritika ke liye bhi uske Papa Ji he uske duniya the, dono ke ek dusre ke elawa kabhi kisi teisray ke jaroorat nahi padi. Ritika ne zindage me bus ek he dost banaye Anjali aur Wo bhi college ke baad Mumbai chale gaye, aur uske baat to Ritika aur bhi jyada apne Papa Ji ke close ho gaye, Ritika bake ladkiyon se buhut hat ke the use bake ladkiyon ke tarah make-up, kapdon ya boyfriends banane me koi dilchaspi nahi the, uske duniya apne padhai aur Papa Ji ke erd gird ghoomti the aur kabhi kabhi to uske Papa bhi use budhi rooh kahte the lekin Wo bus hans ke chup ho jate. Ritika ko pata tha ke uske Papa uske waja se kafi pareshaan hain kyun ke apne sare kamaye patni pe lagane ke baad unke paas bus sirf ek flat he bacha tha aur Wo uske shadi ka soch kar pareshaan hote the ke uske jahaiz ke liye paisa kahan se ekhata karenge aur college retire hoone ke bawajood Wo ek private college me padha rahe the, ise liye MA. Economics karne ke baad Ritika ne job ke talash shuru kar de the lekin uske sath ek masla tha ke jaise he Wo interview dene phunchate the had se jyada nervous ho jate the aur theekh tarah se interview nahi de pate the, ise liye ab tak 25 interviews dene ke baad bhi use job nahi mile aur Garewal Group of Industriis ka interview diye hue use 2 din ho chuke the lekin ab bhi Wo apne interview ke ghum me ghuli ja rahe the

"Papa Ji mee apko kaha bhi tha ke me etne bade company me interview dene nahi jate fir bhi aap ne mujhe bhaij diya " ... Us ne naraj lahaje me kaha

"To interview dene se kon sa nuqsan ho gaya aur waise bhi jab tum interview daina he nahi chahte the to ab uske bura hoone ka ghum kyun mana rahe ho?" ... Herman Disai ne muskurate hue kaha

"Ghum to hota ha na, 25 interview de chuke hoon me aur agar yahe haal raha to me world record bana lon ge interviews dene ka" ... Ritika ne afsoos bhare lahaje me kaha

"Chalo ise bahane tumhara naam world record holders ke list me to aa jaye ga" ... Herman Disai abhi bhi majak ke mood me the

"Ap bus mera majak udate rahiye" ... Ritika ne naraj lahaje me kaha

"Acha chalo jayo aur ache se chaye bana ke le ayo" ... Herman Disai ne uska mood tabdeel karne ke koshish ke aur Ritika unke baat sun kar kitchen me chale gaye, Wo chaye bana rahe the ke etne me uska mobile baj utha

"Hello" ... Us ne yis ka button dabate hue kaha

"Ji, Ritika Disai speaking" ...

"Ji ...... Ji ?? , ok ... ok thank you, me kal aa jayon ge" ... Ritika ke lahaje se lag raha tha jaise Wo kise shock me ho

"Papa Ji, Papa Ji" ... Us ne kitchen me he cheekhna shuru kar diya

"Kya hua??, kyun chila rahe ho?" ... Herman Disai ne fikarmand lahaje me kaha

"Papa Ji, mujhe Garewal Group of Industriis me job mil gaye, abhi wahin se phone aya tha" ... Ritika to hairange ke mare behosh hoone ko the

"Ab mujhe yaqeen aa gaya ha ke jis ne tumhara interview liya tha Wo waqaye pagal tha" ... Herman Disai ne muskurate hue kaha

"Acha ab is khushi me chaye ke saath mujhe kuch acha sa khileo" ... Herman Disai ne kaha aur Ritika ne haan me sir hila diya
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


Ritika ke liye job ka milna buhut bade khushi the, use jara se bhi ummeed nahi the ke use Garewal Group of Industriis me job mil jaye ge lekin ab to use bus is baat ke khushi ke the use job mil gaye. Us ne agle din he job join kar le, use Raj Garewal ke secretory ke tor per kam karna tha aur Mr.Gupta jo pahale is post pe kam kar rahe the unhoon ne uske buhut madad ke. Raj Garewal uske liye buhut acha boss sabit hua, shuru shuru me us se kafi galtiyan ho jate then lekin us ne kabhi us pe ghusa nahi kya balke aram se samjha deta. Ritika ko job join kye 2 mahine ho chuke the aur is sare samay me jo ek baat us ne mahasoos ke the Wo Raj Garewal ke bolti hue najrain the halanke us ne kabhi Ritika ko kuch kaha nahi tha lekin Ritika ko lagta tha ke uske najran use kuch kah rahe hain, lekin Raj ke uske sath dostana rawaye ne use buhut had tak relax kar diya tha ab use koi masla hota to seedha un se he pooch laite aur Wo hamisha uske madad kar dete the, kabhi kabhi to use sharmindage bhi hote ke Raj uska boss ha aur Wo uske pas apne masle le kar phunch jate ha magar Raj ne kabhi use is baat ka ishaas nahi hoone diya ke use uske madad karne me kise kisam ke pareshaan i hote ha. Ritika apne job se buhut khush the lekin bake sare staff ke tarah Rachna Garewal se uske bhi jaan jate the aur un se baat karte hue Wo hamisha had se jyada nervous ho jate the aur aksar galti bhi ho jate the us se, Raj ke muqable me Wo bilkul ulat then aur galti to Wo kabhi bardasht nahi karte then aur Ritika ke bad qismate the ke us se hamisha unke samne galti ho jate the.

"Miss.Ritika ap jara mere office me aye" ... Ritika apna kaam kar rahe the jab Raj ne use apne office me bulwaya aur Wo phone rakh ke unke office me aa gaye

"Yis Sir!" ...

"Ritika, mee apko is mahine ke financial statements ke file managaye the" ... Raj ne us se poocha

"Ji Sir, mee subha apke table per file rakh de the" ...

"Apke muraad is blue file se ha?" ... Raj ne uske samne ek file hilate hue kaha

"Yis Sir! , yahe file ha" ... Ritika ne sir hilate hue kaha

"Apko pura vishwas ha ke yahe file ha? "... Raj ne muskurate hue kaha

"Yis Sir!, yahe file me kal jate hue check kar ke apne drawer me rakh ke gaye the" ...

"Ritika, ap buhut ache shairi karte hain, lekin afsoos ye ha ke Garewal Group of Industriis ka koi publication house nahi ha warna mujhe buhut khushi hote apke shairi ke kitaab chapwane me" ... Raj ne ek baar fir se muskurate hue kaha

"Sir ... " ... Ritika ka to bus nahi chal raha tha ke koi jadoo ke chadi ghumaye aur Wo gayab ho jaye

"Shuker kijiye ke mee ye file check kar le, ap jante hain na Mom kitne sakht hain kaam ke mamle me, agar me unhoon ye bhijwa deta to apke khair nahi the" ...

"Thank you Sir and i m so sorry, Wo shayad dono blue color ke filis thi to galti se mee ye fil day de apko" ... Ritika se sharam ke mare bola nahi ja raha tha ek to galat file dene pe sharmindage uper se Raj ne uske shairi bhi padh le the

"Koi baat nahi, ab aisa kijiye Wo file le kar aye aur is baar dekh kar lee ga ye file Mom ko bhijwane ha" ... Raj ne kaha

"Thanks a lot Sir, ap ne bacha liya warna Madam ke pas chale jate to Wo yaqeenan mujhe job se hi nikal deten, pata nahi kyun mere jaan jate ha Madam se, mera to bus nahi chalta unke samne me khud ko gayab kar lon kahin" ... Ritika bolne pe aye to bolte chale gaye

"Ritika Wo ... " ... Raj ne kuch kahna chaha

"Ji Sir, me ja rahe hoon file lane, ye shairi wale file mujhe de dijiye, aur Thanks again Sir Madam ke guse se bachane ke liye" ... Ritika ne unke samne se apne shairi wale file uthate hue kaha aur jaise he mudi use laga Wo pathar ke ho gaye ha, Rachna Garewal uske peechay khade then aur pata nahi kab se khade uske baate sun rahe the. Ritika unke bhaav se unka gusa saaf mahasoos kar sakte the, use apne job saaf jate hue najar aa rahe the, Rachna Garewal use kadi najron se ghoor rahe then

Rachna Garewal ne use kuch kaha to nahi us din halanki Ritika ko lag raha tha ke Wo use job se nikal dan ge lekin aisa hua nahi. Us din ke baad Ritika aur bhi jyada koshish karne lage ke uska samna Madam se kam se kam ho lekin aisa hota kam he tha aur aksar us se koi na koi galti bhi ho jate kayi baar use Raj ne bachaya tha Madam ke guse se, ise sab me samay gujarta gaya aur Ritika ko office join kye 5 mahine ho gaye aur tab he achanak Raj ne office ana band kar diya , pahale pehal to Ritika ko laga ke shayad kise kaam ke waja se Wo office nahi aa rahe lekin jab 1 pura hafta Wo office nahi aye to us ne Mr.Gupta se poocha Raj ke bade me to tab use pata chala ke Raj ke tabiyat theekh nahi jis ke waja se Wo office nahi aa raha to Ritika ko kafi afsoos hua ke Raj ek hafte se beemar ha aur us ne ek baar phone kar ke bhi nahi poocha uske tabiyat ka, us ne Raj ke mobile pe call ke

"Hello! Sir, me Ritika baat kar rahe hoon" ... Raj ne jaise he call receive ke us ne kaha

"Ji Ritika, kaise hain aap?" ...

"Me theek hoon Sir, ap kaise han, mane suna ke apke tabiyat theekh nahi ha?" ...

"Man ab theekh hoon" ...

"Sorry Sir, mujhe pata nahi tha mujhe laga shayad ap apne kise kaam ke waja se nahi aa rahe aj Mr.Gupta ne bataya mujhe ke apke tabiyat theekh nahi" ... Ritika apne adat se majboor bolna shuru ho chuke the

"Its ok Ritika, ap ne phone kya mujhe buhut acha laga" ... Raj ne muskurate hue kaha

"Ap wapas office kab ayen ge?" ... Ritika ne poocha

"Me agle week se office ayon ga, mujhe kuch kaam se America jana ha aj raat"...

"Theekh ha Sir, Take care of yourself" ....

"You too, aur koshish kijiye ga kam he galtiyan hoon" ... Raj ne muskurate hue kaha aur phone band kar diya

"Buhut muskura rahe ho, lagta ha Ritika ka phone tha" ... Raj ne jaise he phone band kya use samay Rachna Garewal uske kamre me ayen aur uske chahre pe muskurahat dekh kar bolen

"Apko kaise pata chala?" ... Raj ne hairange se kaha

"Tumhare chahre ke muskurahat bata rahe ha, tumhe kya lagta ha mujhe pata nahi ke tumhe Ritika pasand ha" ...
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »



"Mom apko pasand nahi kya Wo ?" ... Raj ne poocha

"Wo buhut laparwah ha aur had se jyada bewaqoof bhi" ... Rachna ne kaha

"Mom Wo masoom ha bewaqoof nahi aur ap se buhut jyada darti ha ise liye apke samne us se galti ho jate ha" ...

"Tumhe lagta ha ke Wo tumhare sath adjust ho sake ge?, uske aur humare society me buhut fark ha Raj" ...

"Mom ap jante hain me en cheejon ke parwah nahi karta aur waise bhi ap jante hain ke filhaal aisa kuch nahi ho sakta" ... Raj ne kaha

"Kyun nahi ho sakta?" ...

"Mom, ap jante hain ke kyun nahi ho sakta, filhaal is topic ko jane dijiye mujhe packing karne ke ha raat ke flight ke liye" ... Raj ne baat badalte hue kaha aur Rachna Garewal use gor se dekh kar chup ho gayen

Agle din office me ane ke thode der baad Ritika ko Rachna Garewal ka bulawa aa gaya aur Wo bhagwan se prathna karte unke office phunch gaye aur unke bolne ka entajar karne lage, Rachna Garewal koi file check kar rahe then

"Baith jayo, mujhe tumse kuch baate karne hain" ... Rachna ne use khada dekh kar kaha

"Tumhare ghar me kon kon hota ha? " ... Rachna ne file band karte hue us se poocha

"Ji bus me aur mere Papa hote hain" ...

"Aur tumhare mother?" ...

"Ji unke death ho chuke ha" ... Ritika ke awaj me dukh tha, lekin use samajh nahi aa rahe the ke ye subha subha uska interview kyun ho raha ha

"Tumhara koi bf ha, ya engagement wagera? "... Rachna ne agla sawal kya

"No Maam" ... Ritika se to awaj nikalna he mushkil ho gaya, us ne kabhi socha bhi nahi tha ke Rachna Garewal kabhi aisa sawal bhi kar sakte hain us se

"Dekho mujhe bat ko gol gol ghumana nahi ata, me seedhi baat karna pasand karte hoon, agar tumhe aitraaj nahi ha to me tumhare pita se milna chahte hoon tumhare aur Raj ke shadi ke baat karne ke liye" ... Rachna ne is baar asal baat kah de

"Ji .... Ji" ... Ritika to jaise behosh hoone ko the

"Koi jaldi nahi ha tum soch lo aur agar chaho to apne Papa se bhi baat kar lo mujhe tum aram se sochne ke baad jawab de dena" ... Rachna ne uske halat dekhte hue kaha

"Ok, Maam" ... Ritika bus itna he kah sake

"Ok, you can go now" ... Rachna ne kaha aur Ritika unke bolte he foran unke room se bahar chale gaye

Agla pura hafta Ritika ne jaise kanton pe gujara, use samajh nahi aa rahe the ke Rachna Garewal ne kya soch kar use Raj se shadi karne ko kaha ha uske khayal me to Rachna Garewal use na-pasand karte then to fir ye shadi ke baat aur Raj jaise ameer aur handsome shakhs ke liye Wo us jaise mamooli ladki ko kyun pasand karan ge, ye sare aise sawal the jin ka uske paas koi jawab na tha, Wo soch soch kar thak gaye the lekin use bilkul samajh nahi aa raha tha ke ye sab kya ho raha, akhir kaar us ne faisla kya ke Wo Raj se is bade me baat kare ge aur Wo Raj ke wapsi ka entajar karne lage, akhir kaar hafta khatam hua aur Raj office aa gaya, aur uske aate he Ritika us se baat karne uske office phunch gaye

"Sir, mujhe ap se kuch baat karne ha" ... Ritika ne Raj ke office me phunch kar kaha

"Yis sure, bolo kya baat karne ha?" ... Raj ne kaha, to Ritika ne Rachna Garewal aur uske darmiyan hoone wale sare baat use suna de. Raj jaise jaise uske baat sun raha tha uske chahre ke bhaav badalte ja rahe the

"Ritika, mera khayal ha ye baat karne ke liye office theekh jaga nahi ha, lunch break me kahin bahar jaa kar is bade me baat karan ge" ... Raj ne bas itna kaha. Lunch break me Raj aur Ritika ek ristorant me aa gaye

"Ritika mujhe andaja nahi tha ke Mom etne jald baji karenge tum se ye baat karne me, shayad tumhe andaja nahi ha lekin me tumhe pasand karta hoon, shayad pahale din se he, lekin me filhaal is propsal ke haq me nahi tha" ... Raj ke bat sun kar Ritika ne kuch kahna chaha lekin Raj ne use rok diya

"Let me complete, tum jante ho me pichle 2 hafte office kyun nahi aaya? , mujhe pichle ek mahine se sir dard ke shikayat ha me pahale samjha ye ek aam sa dard ha lekin doctortor se check-up karane ke baad mujhe pata laga ke mujhe brain tumor ha, me ise silsile me America gaya tha apne check-up ke liye wahan Doctortors se baat karne ke baad mujhe pata laga ke mamla abhi itna sangeen nahi mera treatment ho sakta ha lekin fir bhi ye ek kafi ghambeer mamla ha doctortors ka kahna ha ke 60% chancis hain mere marne ke is treatment ke doran, jiska matlab ye ha ke 40% chancis hain mera jinda rahne ke, mujhe 2 hafte ke baad fir se America jana ha tab mera treamente shuru hoga" ... Raj ne use tafseel se bataya aur Ritika to bus hairange se uska chahra take ja rahe the, ek ke baad ek jhatka lag raha tha aj use

"Mee Mom se kaha tha ke me apna treatment karane ke baad khud tum se baat karon ga lekin Wo maan han unhe vishwas ha ke me theekh ho jayon ga lekin me ye risk nahi lena chahta tha, ab unhoon ne tumhe ye baat kar he de to ha me tumhe koi dhoka nahi dena chahta tha ise liye sab kuch saaf saaf tumhe bata diya ha, ab faisla tum ne karna ha ke tum kya chahte ho, mere treatment tak entajar karo ge ya fir ... " ... Raj ne apne baat adhori chod de

"Dekho me janta hoon ke mee tumhe ek mushkil halat me daal diya ha, faisla karna asan nahi agar tum ye failsa karte ho ke mere treatment hoone tak ka entajar karo ge to ho sakta ha ke tumhe lage ke ye khud garj faisla ha lekin me samajh sakta hoon aur mujhe is baat pe koi aitraaj nahi hoga aur agar tum kise aur ko pasand karte ho to tum abhi he enkaar kar sakte ho, us se humare profissional tawlaq pe koi fark nahi pade ga" ... Raj ne jaise uske mushkil thode asan kar de

"Nahi Sir, me kise ko pasand nahi karte, mee kabhi is bade me socha he nahi" ... Ritika bas itna he kah sake

"Theekh ha tum aram se soch samajh kar mujhe jawab de dena koi jaldi nahi ha" ... Raj ne uske baat sun kar muskurate hue kaha

Ritika ko laga tha ke Raj se baat karne ke baad uske muskhil thode asan ho jaye ge lekin uske mushkil to aur jyada badh gaye the, use samajh nahi a rahe the ke Wo kya jawab de. Raj use pasand karta ha ye baat uske liye ek dhajke se kam na the aur uper se uske aise beemari ye aur dhajka tha uske liye. Ab use samajh aa raha tha ke Rachna Garewal jase businiss woman kyun use proposal de rahe the apne betay ka. Wo apne betay ke khushi pure karna chah rahe the. Lekin uske liye dono maan betay ne mushkilan khade kar de then, agar Wo Raj ko han bolte the to use apne Papa ka khayal aa raha tha agar Raj ko kuch ho gaya to uske Papa ye ghum kase bardasht karenge aur agar Wo Papa ko sab kuch such bata dete ha to Wo kabhi raji nahi hoon ge is rishte ke liye aur agar Wo Raj ko kahte ha ke Wo entajar kare ge uske treatment hoone ka to use lag raha tha ye entahi ghatiya baat hoge balke ek khud garj faisla hoga halanki Raj ne use kaha tha ke Wo ye jawab de sakte ha lekin use kahin se bhi aisa jawab dena theekh nahi lag raha tha, is tarah jawab dane ka matlab to seedha yahe tha ke Wo Raj ke dawlat aur position ke chakar me us se shadi karne ko raji hue ha aur Ritika jaise naram aur hasas jajbat ke ladki ke liye aisa karna na-mumkin tha. Ritika le liye kise bhi faisle per phunchna ek na-mumkin se baat the, Raj apne elaaj ke silsale me dobara America ja chuka tha aur Rachna Garewal ne akhir kaar us se jawab laine ke liye use apne paas bula liya aur us ne unhan enkaar kar diya ke uske Papa ka uske elawa koi aur sahara nahi duniya me aur aise me uske liye itna bada risk lena sanbhav nahi ha. Wo Rachna Garewal ko enkaar kar ke wapas apne cabin me aa rahe the ke uska mobile baj utha

"Hello" ...

"Ji me Ritika baat kar rahe hoon" ...

"Kya??" ... Wo dusre taraf bolne wale ke baat sun kar sirf itna kah sake, use laga jaise pure duniya ghoomne lage ha, mobile uske hath se gir chuka tha aur Wo kise shock ke se halat me jahan khade the wahin khade rah gaye
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply