Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Kitne paisay lo ge chup karne ke? " ... Raj jo ab bhi apne filis dekh raha tha use youn non-stop bolta dekh kar akhir bol he pada

"Ji ?" ... Ritika ko Raj ke baat jara bhi samajh nahi aaye

"Mee kaha kitne paise lo ge chup karne ke, non-stop train ke tarah chal padi ho tum to" ... Ab ke baar Raj ne muskurate hue kaha

"Ap mera mazak uda rahe hain?" ... Ritika ke ankhain bheeg gayen Raj ke baat sun kar

"Arey yaar ek to tumhare ansoo bas entazar me hote hain ke unhe rasta mile kise tarah bahar nikalne ka, mazak kar raha tha" ... Raj ne use apne paas bitha liya

"Raj mujhse naraz mat hua kijiye, ap nahi jante mere liye sans lena bhi mushkil ho jata ha, mujhse apke narazgi bardasht nahi hote" ...

"Me tumse bilkul naraz nahi, haan raat ko mujhe thoda sa bura laga tha lekin tumhare halat dekh kar Wo halka sa ghusa bhi jata raha" ...

"Raj mera to apke siwa duniya me koi nahi ha, ap jab chup ho jate hain mujhse baat nahi karte to mera dil tang hona shuru ho jata ha, meri to duniya aap pe shuru ho kar aap pe khatam ho jati ha, apke paas mohabbat karne ko buhut se log hain lekin mere paas to sirf aap hain apke elawa aur koi nahi, mujhe dant liya kijye magar youn chup na hua kijiye" ... Ritika ke ankhoon se ansoo bah rahe the

"Ok Jan-e-Raj theekh ha, ab bas karo chup kar jayo, dekho agar tum aise mere samne royo ge to mera office jane ko kahan dil kare ga, subha subha you apne husan ke teer na chaleo mujh pe, buhut kamzor dil ka banda hoon me" ... Raj ne muskurate hue kaha

"Pahale rulate hain fir ye dialoguis bolte hain, ek number ke cheater insaan hain aap, ab ye bahane mat banaye office na jane ke aur uthye pahale he der ho chuke ha" ... Ritika ne Raj ka mood badalte dekha to foran apne ansoo saaf kye aur uth khadi hue

"Acha theekh ha ja raha hoon, ab tum jayo aur apna huliya theek karo aur niche table per ayo Mummy wait kar rahe hoon ge aur haan Wo Project bhi complete kar lena jo tum ne raat meri narazgi ke chakar me nahi kya" ... Raj ne muskurate hue kaha aur kamre se nikal gaya

Ritika bhagwan ka shuker ada karti washroom ke taraf badh gaye, use Raj ke etne asani se maan jane pe hairat hor rahe the use lag raha tha ke Wo etne asani se nahi manay ga. Us ne dil me pakka erada kar liya ke Wo aab kabhi Raj ko naraz nahi kare ge aur kise bhi kaam ke liye Raj ko entazar nahi karaye ge, use andaja ho gaya ke Wo sab kuch bardasht kar sakti the lekin Raj ke narazgi nahi

"Ritika tum pagal ho aur apne sath sath mujhe bhi pagal kar do ge" ... Raj pure tarah barish me bheegne ke baad kahe bina na rah saka

"Is me pagal ke kya baat ha?, apko pata ha mujhe bachpan se he barish buhut pasand ha, Papa Ji cheekhte rah jate the aur me barish me bheegti rahte the" ... Ritika ne apne hathoon pe barish ke qatre jama karne ke nakam koshish karte hue kaha

"Aur ab tum badi ho gaye ho shayad tumhe andaja nahi" ... Raj ne use chaidte hue kaha

"To kya hua?, waqt ke sath pasand nahi badalti zarooriat badalti hain, mujhe barish me bheeg ke aise lagta ha jaise me nikhar gaye hoon bilkul us phool ke tarah jo barish ke pani se taza ho jata ha" ...

"Ok madam me haar gaya aap jeet gayen, ab aap nikharti rahiye me ja raha hoon, mere sare kapde bhigo diye tum ne" ... Raj ne ander jate hue kaha

"Ufff Raj, bilkul budhi rooh hain aap, sun rahe hain na budhi rooh hain aap" ... Ritika ne use door jate hue dekh kar jor se kaha

"Me budha he khush hoon" ...

Raj ne bedroom me aa kar kapde change kye use sakht uljhan ho rahe the geele kapdon se, kamre ke ander se Wo Ritika ko barish me bheegta hua dekh raha tha aur uske bachpane pe muskura raha tha. Uske yahi saadgi to use hamisha se pasand the kise kisam ke banwat nahi the us me Wo jaise the waise he najar ate the aur ise masoomiat ne Raj ko uska deewana bana diya tha. Thode der baad Ritika bhi kamre me aa gaye

"Kyun kya hua? , buhut jyada nikhar gaye ho kya? " ... Raj ne use chaidte hue kaha

"Ji nahi, akele bilkul maja nahi aa raha tha ise liye ander aa gaye hoon, thode der bhi barish me nahi khade rahe aap mere sath" ... Ritika ne khafgi se kaha

"To mujhe nikharne ka shok nahi ha na, me already buhut nikhra hua hoon" ...

"Ji, Ji bade khush fahmi ha aap ko" ... Ritika ne use juban dikha kar change karne washroom me chale gaye

Raat ko dinning table per Rachna Garewal ne Raj ko khoob danta ke Wo Ritika ko shopping karane nahi le gaya kafi samay se

"Tum kaam me itna buzy hote ho kafi samay se me dekh rahe hoon tum Ritika ko shopping pe nahi le gaye" ...

"Aunty mere paas to abhi kafi suits pade hain" ... Ritika ne kahna chaha

"To pade rahen na uska matlab ye to nahi ke shopping nahi karne, kam aj kam mahine me ek dafa to shopping karne jana chaahiye na" ...

"Ok Mummy me kal he ise shopping pe le jayon ga, ap naraz mat hoye" ... Raj ne baat sanbhali

"Yaad se mujhe dobara kahna na pade" ... Rachna Garewal ne kaha aur Ritika ne muskurate hue Raj ko dekha jaise use chida rahe ho

Agle subha office jane se pahale Raj Ritika ko shopping karane le gaya halanki Ritika ka khayal tha ke unhe shaam ke waqt shopping pe jana chaahiye lekin Raj ka kahna tha ke office ke kaam ka koi pata nahi chalta use der bhi ho sakti ha aur Wo mummy ke dant nahi khana chahta ise liye Wo use subha he le aya shopping pe

"Mummy ke dant ne charge kar diya aap ko" ... Ritika ne shopping karte hue use chaida

"Tum yahan shopping karne aye ho ya mujhe tang karne" ... Raj ne use ghoora

"Me to shopping he kar rahe hoon lekin kya karon raat wala chahra apka ankhoon se nahi jaa raha bar bar yaad aa raha" ... Ritika ne masoom se shakal banate hue kaha

"Dekh lon ga tumhe me" ... Raj abhi kuch aur bhi bolne wala tha ke uska mobila baj utha. Office me ek urgent meeting ke silsale me use office bulea tha

"Ritika tumhari aur kitne shopping rahti ha?" ... Raj ne call khatam kar ke us se poocha

"Abhi to kafi kuch laina ha warna mummy naraj hoon ge, aisa karte hain na aap office chale jaye me taxi se ghar chali jayon ge ya driver ko bula lon ge" ... Ritika ne kaha

"Nahi tum ais karo shopping karo aram se, me etne tak office ka chakar laga kar wapas aata hoon tab tak tum shopping khatam kar lena fir me tumhe ghar drop kar don ga" ....

"Ok, theekh ha" ... Ritika ne kaha aur Raj use shopping mall me chod kar office chala gaya

Office ja kar Raj ne meeting attend ke aur baki ka kaam jaldi jaldi niptane laga uska khayal tha ke kaam nipta ke Wo Ritika ko pick kare ga aur lunch bhi uske sath kare ga. Wo jaldi jaldi kaam nipta raha tha jab use Ritika ke call aye

"Hello Ritika, han shopping khatam ho gaye tumhare?" ... Raj ne call receive karte hue kaha

"Ji shopping bhi khatam ho gaye aur mee aap ko is liye phone kya tha ke aap mujhe pick karne mat aaye, yahan Harshit mil gaya ha mujhe Wo mujhe ghar drop kar de ga" ... Ritika ne jawab diya

"Harshit, hmmm acha theekh ha, mujhe ghar phunch kar text kar dena" ...

"Ji theekh ha aur suniye shaam ko jaldi aye ga, mee yahan se ek receipe ke book kharidi ha aj me cake banayon ge shaam ko" ...

"Ok theekh ha, acha mujhe kaam me rakhta hoon phone" ... Raj ne ye kah kar phone kat diya

Raj ne mobile ek taraf rakh ke apne tie ke knot dheeli kar de, uska dimagh musalsal soch raha tha use samajh nahi aa rahe the ke use Ritika ka Harshit ke sath ghar jana bura lag raha ha ya fir Ritika ka use mana karne. Uske baad Raj office me koi kaam na kar saka bas ise soch me dooba raha, use samay gujarne ka bhi andaja nahi hua, Wo to jab uske peon ne aa kar use apne jane ka batya to us ne ghadi dekhi to 5 baj chuke the. Us ne peon ko jane ka kaha, use Ritika ka ghar jaldi anay wale baat yaad the lekin uska dil nahi kar raha tha ghar jane ko us ne jaib se ek cig nikal ke sulgaya aur mobile utha kar dekha to wahan Ritika ke kayi missagis the us ne mobile dobara table pe faink diya . Wo abhi tak apne bechani ke waja nahi samajh paya tha aur ise soch me Wo cig pe cig pye ja raha tha ke achanak uske mobile baj utha
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Hello Ritika, han me office me he hoon" ... Raj ne call receive karte hue kaha

"Ap abhi tak office me baithe hain, time dekha ha aap ne 7 bajne wale hain, mee aap ko kaha tha ke jaldi aye ga" ...

"Ritika me yahan pe khail nahi raha kaam kar raha hoon" ... Raj ne is baar thode sakht lahaje me kaha
"To kab free hoon ge?" ...

"Mujhe nahi pata, jab free hoon ga aa jayon ga" ...

"Ye kya baat hue me aap ka entazar kar rahe hoon, mee cake banaya tha aap ke liye, aunty to kab ke ghar aa gaye hain, hum dono aap ka entazar kar rahe hain coffee pe" ...

"To tum log pee lo na mee roka to nahi ha, me is waqt meeting me hoon aur buzy hoon, ap please mujhe distorb karna band karo, jab free hoon ga to ghar he ayon ga kahin bhag nahi jayon ga" ... Raj ne ye kah kar mobile table pe faink diya

Wo Ritika se sakht lahaje me baat nahi karna chahta tha lekin na jane kyun use Ritika ke baat pe ghusa aa gaya. Us ne tie utar kar table pe faink de aur jaib se ek aur cig nikal kar sulga liya. Akhir kaar 11 baje Wo office se nikla ghar jane ke liye, ghar phunch kar use pata laga ke Ritika aur mummy khana kha chuke hain, Wo thake hue qadmon se bedroom aya to wahan Ritika koi magzine padh rahe the us ne washroom ja kar change kya aur bed pe aa kar lait gaya. Use pata tha ke Ritika us se naraj ha lekin Wo khud apne ander ke bhavna ko samajh nahi paa raha tha. Kafi der chup chaap laite rahne ke baad akhir Ritika ne us se baat ke

"Agar koi insaan galti kare to use sorry bhi bolna chaahiye" ... Ritika ke najar magzine per the

"Kya galti ke ha mee?" ...

"Ye bhi me batayon? " ...

"Zaher ha yahan pe aur to koi nahi ha jis se me ye baat poch sakta hoon" ...

"Ap itna late kyun aye?" ...

"Kyun ke me kaam kar raha tha" ...

"Aisa kya kaam tha?, mee aunty se bhi poocha Wo to kah rahe thi ke bas ek meeting the aur Wo to jaldi aa gayen the ghar aaj" ...

"To mummy ko kaam nahi hoga, mujhe kaam tha is liye me office me tha, mummy aur me ek he kaam nahi karte, tum ne office me kafi samay gujara ha tumhe andaja to hoga is baat ka" ...

"Ji, mujhe andaja ha lekin aisa bhi kya kaam jo aap kal nahi kar sakte the" ...

"Please me mazeed behas nahi karna chahta, har waqt ye bachoon ke tarah roothna manana mujhe pasad nahi grow-up, office me hazar tarah ke kaam hote hain ab me unhe chod kar tumhare pas to nahi baitha rah sakta" ...

"Raj mee ye kab kaha" ... Ritika kuch kahna chah rahe the ke Raj ne uske baat kaat de

"Mujhe neend aa rahe ha me soo raha hoon, Good Night" ... Raj ne ye kah kar side table pe lage light off kar de

Ritika ne magzine side table pe rakh diya , uske ankhoon se do ansoo uske gawd me aa gire. Ye pehli baar tha jab Raj is tarah us se naraj ho kar soya tha, choti moti baate to pahale bhi hote rahte then lekin us ne Raj ko kabhi is tarah nahi dekha tha aur use samajh bhi nahi aa rahe ke us se akhir kya galti hue ha, sirf phone kar ke ghar bulana itna badi galti to nahi ke us pe itna react kya jaye, yahe sochte sochte use pata nahi chala kab uske ankh lag gaye


Agli subha Raj ka bhaav bilkul normal tha jaise kuch hua he na ho, Ritika ne bhi dobara baat karna theekh nahi samjha ke kahin Raj fir se ghusa na ho jaye lekin mann he mann me Wo abhi tak kafi pareshaan the ke kal aisa kya hua jis ke waja se Raj ko ghusa aa gaya lekin buhut sochne ke baad bhi jab use samajh nahi aaye to us ne yahe socha ke shayad kaam ke dabav ke waja se Raj ne kal aisa react kya aur ab use is baat ko bhool jana chaahiye. Rachna Garewal ko kise kaam ke silsale me shaher se bahar jana pada aur ise waja se apne bhanji ke shadi me jana unke liye sanbhav nahi raha to unhoon ne Ritika ko khaas tor pe shadi pe jane ka kah kar khud shaher se bahar chali gayen. Ritika ke liye aise functions me jana hamisha se mushkil hota tha lekin Rachna Garewal ke baat talna bhi sanbhav na tha

"Raj me kaise lag rahe hoon ?" ... Ritika ne taiyaar hoone ke baad Raj se uske rayi mangi

"Jan-e-Raj aap to hamisha he pyaari lagti hain" ... Raj ne muskurate hue kaha

"Raj please na seriously bataye, aunty ke bhanji ke shadi ha aaj agar me ache na lagi na to aunty buhut khafa hoon ge wapas aa ke, aap jante hain

na Wo kitne particular hain en cheezon ke bade me" ...

"Me sach kah raha hoon yaar, tum hamisha he pyari lagti ho aur aj to kuch jyada he pyari lag rahe ho" ...

"Me buhut nervous ho rahe hoon Raj" ...

"Nervous hoone ke koi baat nahi tum hamisha he un neeli peeli ajeeb fashion wale ladkiyon se jyada achi lagti ho aur waise bhi ye light green color tum pe buhut suit kar raha ha" ...

"Acha chalan theekh ha fir, ap bhi chalte sath to jyada acha tha" ...

"Yaar ye ladiis function me mera kya kaam, me bore hoon ga wahan pe buhut, tumhe drop karne ja raha hoon na, jab tum buhut bore ho jana to mujhe phone kar dena me tumhe pick karne aa jayon ga" ... Raj ne muskurte hue kaha

"Chalan fir mujhe to chod kar ayan na" ... Ritika ne kaha

Raj aur Ritika jab function pe phunche to Ritika gadi se utarne lagi to Raj ne uska hath pakad liya

"Yaar dil nahi chah raha ke tum jayo" ...

"Kyun dil nahi chah raha? " ...

"Yaar etni achi lag rahe ho ke mera dil kar raha ha hum kahin long drive pe chalan" ...

"To theekh ha chaliye fir me nahi jati function pe" ...

"I m serious yaar, aj tum etni sundar lag rahe ho ke mera dil nahi chah raha ke tumhe koi aur dekhe" ...

"To theekh ha na me to taiyaar hoon nahi jati function pe" ...

"Chalo theekh ha fir" ... Raj ne ye kah kar gadi dobara start kar le

"Arey arey, kya kar rahe hain aunty mujhe jaan se mar dain ge agar me na gaye to" ... Ritika ne Raj ko gadi start karte dekh kar kaha

"Hahaha!, bas itna sa hosla tha, chalo theekh ha jab farigh ho jana to mujhe phone kar daina" ...

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »

Raj ye kah kar gadi le kar chala gaya, wapas ghar aa kar Wo apne office ka kaam karne laga, uske baad Wo tv dekhta raha, kafi time gujarne ke baad bhi jab Ritika ka phone na aaya to us ne Ritika ka number milea to Wo band tha, use kafi pareshaan i hue ke Ritika jo pahale jane ko taiyaar nahi ho rahe the ab 3 ghante gujarne ke baad bhi use phone nahi kya us ne. Us ne apne ek aur cousin ka number milea to us se baat kar ke use pata chala ke function abhi chal raha ha aur Ritika Harshit ke sath ha. Phone karne ke baad Raj ek baar sir se ajeeb tarah ke bechaini me ghir gaya waise he bechaini jaise use kuch din pahale Ritika ke Harshit ke sath ghar jane per hue the. Wo kafi der khali khali najron se tv dekhta raha fir us ne apna mobile off kar ke driver ko kaha ke jab Ritika madam ka ghar phone aye to Wo use pick karne chala jaye aur khud ja kar soo gaya. Ritika ko jab Raj ke bajaye driver pick karne aya to use andaja ho gaya ke kuch gad bad ha, uske mobile ke charging function ke darmiyan he khatam ho gaye the aur Wo Raj ko phone kar ke bulana chahti the lekin Harshit ke zid ke waja se Wo aisa na kar saki uske sath sath Harshit ke baki cousins bhi use rukne ke vinti karne lage to use rukna he pada, us ne Harshit ko kaha ke Wo Raj ko phone kar ke uske late anay ka bata de lekin youn driver ka aana jab Raj ne use khud kaha tha ke Wo use laine aaayega Ritika ko laga ke kahin Raj ke tabiyat na kharab ho gaye. Ghar phunchte he Wo bedroom me gayi to Raj gahri neend so raha tha, us ne use uthana theekh nahi samjha aur khud bhi so gaye. Agli subha uske ankh thoda der se khuli to us ne dekha ke samne Raj office jane ke liye taiyaar ho raha ha, Wo foran utha kar uske paas aa gayi

"Ap mujhe raat laine kyun nahi aye?, apki tabiyat theekh ha?" ...

"Han me theekh hoon" ...

"Ap laine kyun nahi aye mujhe?" ...

"Agar tum mujhe bata deten ke kab laine ana ha to jaroor laine aa jata aur tumhara mobile bhi off tha" ...

"Ji Wo charging khatam ho gayi the mere mobile ke is liye lekin mee Harshit ko kaha tha ke Wo apko call kar ke bata de" ...

"Shayad use samay nahi mila etne achi company chod kar mujhe phoon karne ka" ... Raj ne tanjiya andaaj me kaha

"Me samjhi nahi aapke baat" ...

"Kuch nahi waise bhi me late ho raha hoon office jane ke liye" ...

"Ap naraz hain mujhse?, Raj mera koi qasoor nahi ha is me" ...

"Ritika me tumse naraz nahi, ab mujhe office jana ha mujhe kaam ha" ...

"Acha Sorry, aj aap jaldi aaayega me apko dinner karayon ge acha sa aur buhut pyaar se maafi bhi mangon ge apne galti ke" ... Ritika ne pyaar se

Raj ke gale me baahain dalte hue kaha

"Enough, band karo ye third class romantic harkatin, ek patni ko pata hona chaahiye ke uske pati ka mood kaisa ha, har waqt ye fazool adayen mujhe bilkul pasand nahi, kindly grow-up and raasta chodo mujhe office jana ha" ... Raj ek dam se phat pada aur Ritika to jahan the wahin ke wahin khadi rah gayi us ne socha bhi nahi tha ke Raj etne sakhti se baat kare ga us se

Sara din Ritika apne bed per baithi Raj ke baton ke bade me sochti rahe use andaja tha ke us se galti hue ha lekin galti etne sangeen the ke Raj ne is tarah react kya, subha se shaam ho gayi lekin use apne sawal ka jawab na mila. Raat 8 baje Raj ke wapsi hue Wo bedroom me ate he apna bag pack karne laga jis se Ritika ko itna to andaja ho gaya ke Wo kahin bahar jaa raha ha lekin us me etne himmat nahi the ke Wo us se pooch sake. Etne me Raj ka phone baj utha jis me Wo kise meeting ke silsale me Dubai jane ke baat kar raha tha is se Ritika ko ye to pata lag gaya ke Wo Dubai ja raha ha lekin fir bhi Wo use kuch bol na saki. Raj apna bag taiyaar kar ke jis khamoshi se aya tha use khamoshi se chala gaya us ne ek baar bhi Ritika ke taraf nahi dekha tha aur Ritika ko sara din rone aur sochne ke waja se bukhar me tap rahe the uske jane ke baad takiye pe sir rakh kar foot foot kar ro di
Adawatain the, taghaful tha, ranjishan then magar
Bichadne wale me sab kuch tha bewafai na the

Ke dhoop chayon ka aalam raha judai na the
Wo humsafar tha, Wo humsafar tha

Agli subha Ritika ke ankh khuli to Wo bukhaar ke tapan ke waja se uska sara jism jal raha tha sari raat rone ke waja se ankhain sooj chuke then aur un me jalan ho rahe the, us ne buhut mushkil se bed se utri aur washroom gaye frish hoone ke liye aur fir se aa kar bed per gir se gayi use lag raha tha ke us me bahar jane ke himmat nahi ha us ne noker ko bula kar apne liye medicinis aur chaye wahin manga li. Sara din Wo bed per he laiti rahe, uska dimagh abhi tak kal hoone wale ghatna me he funsa hua tha aur Wo use ke bade me sochte rahe, kab subha se dopaher aur fir shaam ho gaye use pata he nahi laga. Shaam ko Rachna Garewal jab uske kamre me ayen to use bed per laita dekh kar pareshaan ho gayen fir Wo use jabardasti kamre se bahar le ayen aur fir doctortor ke paas le gayen, wapas aa kar bhi Wo raat tak uske sath baithi rahen aur use apne samne khana khilea, is sare dekh bhaal ka faayadaa ye hua ke raat tak Ritika ke tabiyat kafi had tak sanbhal chuke the. Rachna Garewal ne Raj ko phone kar ke uske bhi khaasi khabar le ke Wo Ritika ko aise halat me chod kar chala gaya aur use foran wapas aanay ka kaha

"Aunty Wo naraj hoon ge , Wo kise jaroori kaam se gaye hain aise me unhe tang karna theekh nahi" ...

"Patni se jyada jaroori koi kaam nahi hota aur sirf Wo e nahi ha office me uske jaga pe koi aur bhi jaa sakta tha lekin tumhare tabiyat kharab ha is samay tumhe Raj ke jaroorat ha" ....

"Aap hain na mere paas" ...

"Wo to theekh ha beta lekin Raj ko apne jimaydari ka ehsaas hona chaahiye na, tumhari ise dheel ke waja se Wo sara waqt kaam me vyast rahta ha aur tumhara theekh tarah se khayal nahi rakhta" ...

"Waise to me use kaha ha jaldi anay ka lekin Wo kah raha ha 2 din lag jayen ge, tum aisa karo use phone kar lo, tum dono me koi ladayi to nahi hue na? " ...

"Nahi aunty ladayi to kuch khaas nahi hue" ...

"Theekh ha mujhe waise pati patni ke beech me bolna acha nahi lagta lekin agar Wo tumse koi jyadati kare to tum mujhe bata sakti ho, me uske sath sath tumhari bhi maan ho, me tumhare sath koi jyadati bardasth nahi karon ge" ... Rachna Garewal ne Ritika ke sir pe hath fairte hue kaha

"Acha ab me chalti hoon raat kafi ho gaye ha tum bhi Raj se baat kar ke so jana" ...

Rachna Garewal ke jane ke baad Ritika ne Raj ka number milea to thode der baad us ne call pick kar li, kafi der tak dono bas chup chaap ek dusre ke khamoshi sunte rahe, dono me se kise me bhi bolne ke himmat nahi ho rahe the shayad, kabhi kabhi insaan buhut kuch hote hue bhi bol nahi pata aise me khamoshi ek aisa sahara hote ha insaan ke pas jo bina kuch kahe he samne wale ko buhut kuch samjha daiti ha, Raj aur Ritika ke beech bhi is samay khamoshi ke juban me baate ho rahe then, dono kuch bol nahi rahe the lekin dono ke khamoshi ek dusre se kayi baate kar rahe the, akhir Raj ne is khamoshi ko toda

"Kaise ho?, mummy bata rahe thi ke tumhare tabiyat theekh nahi?" ...

"Nahi kuch khaas nahi Wo bas aise he thodi sa sir me dard tha" ...

"Tabiyat kharab the to tum ne mujhe kal kyun nahi bataya?" ...

"Ap ne apne bhaav dekhe the us samay?, kuch bolne laiq choda tha ap ne mujhe?" ... Ritika na chahte hue bhi gila kar gaye

"I m Sorry Ritika, mujhe nahi pata mee aisa kyun kya aur kyun kaha tumse, mera vishwas karo me kal se ek pal sakoon se nahi raha saka bar bar mujhe apne kahi hue baate yaad ate thi aur " ... Raj bolte bolte chup ho gaya jaise Wo apne dard ko sahe tarah batane ke liye lafz soch raha ho

"Raj mujhe samajh nahi aa rahi ap mujhse itna khafa kyun ho gaye?, me to kabhi aapko khafa nahi karna chahti, apke narazgi mere liye kitni jaan-leva hoti ha apko pata ha na is baat ka" ...

"Me janta hoon Ritika bas shayad tumhara us din youn der se ana mujhe acha nahi laga" ... Raj chahte hue bhi Harshit ka naam na le saka, kabhi kabhi insaan apne ana ke qaid me aa kar dil ke baat nahi kar pata is samay Raj bhi shayad aise he kise bhavna se gujar raha tha, use lag raha tha ke agar us ne Harshit ke bade me kuch kaha to shsayad Ritika use ek tang dimagh aur shaki kisam ka insaan samjhe ge aur ye Wo nahi chahta tha lekin sath he sath apne dil ke baat na kar ke Wo Ritika tak ye baat bhi nahi phuncha paa raha tha ke use uska Harshit ke sath itna qareeb hona pasand nahi aa raha
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


"Raj to aap mujhe kah dete me kabhi na jaati, ap jante hain apke baat me kabhi nahi taalti lekin apke ye narazgi mere jaan le ge kise din" ... Ritika ek baar fir se rone lagi

"Ap jante hain na me apse kitni mohabbat karti hoon, mera to har rishta aap hain, mere paas to apke siwa koi apna nahi ha Raj, aap jab mujhse door hote hain to mujhe lagta ha mera dil band ho jaye ga" ....

"Me bhi tumse buhut mohabbat karta hoon Ritika aur ise mohabbat ke jor me aa kar me kabhi kabhi buhut possisive ho jata hoon, i m sorry Ritika, i love you very much" ...

"Ap wapas kab ayan ge?" ... Ritika ko Raj ke baate sun kar sakoon mahasoos hua

"Me to chahta hoon ke kal he wapas aa jayon lekin mera kal aana thoda mushkil ha me ek din ke baad aa jayon ga" ... Raj ne kaha aur kuch der aur baate karne ke baad phone band kar diya

Raj se baat hoone ke baad Ritika ko jaise bilkul sakoon mil gaya ho thodi he der me Wo be-khabar so chuki the. Agle din Wo buhut dil se taiyaar hue ke ek din Raj ne wapas aana tha uska dil chah raha tha ke Wo khud ko aur ghar ko saja le, sirf 2 din ke narazgi ne uska jo haal kya tha Wo sirf Wo e janti the. Us din dopaher ko use Rachna Garewal ka phone aaya jinhoon ne use bataya ke Harshit ke mummy aye hue hain aur Wo office se Harshit ke flat pe ja rahe hain aur Ritika ko bhi unhoon ne wahan bulea tha. Ritika ka kahin jane ka dil nahi ho raha tha lekin Rachna Garewal ko enkaar karna uske liye kabhi sanbhav nahi tha aur waise bhi pichle kuch samay se unka jo raviya raha tha uske sath us ne Ritika ke dil me unke liye kafi ezat aur mohabbat bana de the.

Wo driver ke sath Harshit ke flat per phunch gayi, wahan phunchi to use pata laga ke Rachna Garewal aur Harshit ke mummy bazaar se kuch saman laine gaye hain. Ritika ko wahan youn akele baithna theekh nahi laga us ne Rachna Garewal ko phone kya to us ne kaha ke Wo wahin pe ruke Wo 5 minute me wahin pe aa rahe hain unke baat sun kar Wo wahin baith gaye, etne me Harshit uske liye cold-drink le kar aa gaya aur Wo dono Harshit ke project ke bade me baate karne lage. Etne me Harshit ka mobile baj utha us Wo call receive kar ke baat karne laga lekin shayad use awaj theekh se nahi aa rahe the to Wo apne jaga se jaise utha uske hath se me pakda glass thoda sa hila aur cold-drink Ritika ke saadhi pe ja gira aur Ritika ke saadhi ka sara palllu bheeg gaya. Harshit ye dekh kar foran phone band kar uske paas aa gaya aur Ritika bhi apne jaga se khadi ho gaye, Harhist ne jaib se romaal nikal kar uske pallu saaf karna chaha to uska hath lagne se Ritika ka pallu uske baaju se niche aa gira, Ritika ne ghuse se Harshit ka hath jhatka aur jaise he samne dekha to Wo jahan the wahin ke whain khadi rah gaye ....

"Ritika" ... Raj jo samne khada tha bas itna he kah saka

"Raj aap kab aye?" ... Ritika ne foran pallu dobara apne kandhe pe dala

Raj ne koi jawab na diya Wo chup chaap kabhi Ritika dekhta aur kabhi Harshit uske chahre ke bhaav padhna mushkil tha ke Wo kya soch raha ha lekin us ne buhut jor se apna lab band kar rakhe the jaise Wo kuch bola to buhut bada tofaan aa jaye ga. Raj ke sath Rachna Garewal bhi khade then Wo bhi chup chaap dono ko dekh rahe then, akhir kaar ye takleef-dah khamoshi ko Rachna Garewal ne the toda

"Ritika, tum is tarah ... " ... Rachna Garewal ne apne baat puri nahi ke

"Aunty ye aap kya kah rahe hain" ... Ritika jaise unke baat ka matlab jaan gaye the

"Me Wo e bol rahi hoon jo dekh rahi hoon" ...

"Aunty ap aise baat soch bhi kaise sakti hain, Raj aap kuch bolte kyun nahi" ...

"Mera sochna bhi tumhe itna bura lag raha ha lekin jo tum kar rahi thi Wo tumhe theekh lag raha tha kya?" ...

"Aunty ye kya bol rahe hain aap? , aap ne khud he to mujhe yahan pe bhaija tha" ... Ritika ke ankhoon se ab ansoo bahne lage the

"Han mee bhaij tha lekin ye sab karne ke liye nahi bhaij tha, mere betay ke ezat ko youn ek kamre me anjaan mard ke sath munh kala kar ke tumhe jara sharam nahi aaye?" ...

"Itna ghatya-pan, etni be-sharmi, me kabhi soch bhi nahi sakti thi Ritika ke tum aisa karo ge" ... Rachna Garewal ke awaj me dukh aur mayoosi the

"Aunty ye aap kya kah rahe hain, itna ganda elzaam aap mujhh pe laga rahe hain, mee kuch nahi kya, Raj me be-gunnah ho aunty jo kah rahe hain mee aisa kuch nahi kya, mee aap ke sath koi dhoka nahi kya" ... Ritika ne ansooyon ke beech me mushkil se kaha

"Wo kya bole ga? , kya nahi diya tumhe Raj ne, dawlat, ezat, pyaar, azadi aur is sab ka ye sila diya tum ne hume, kya kami rah gaye the humare pyaar me, bolo jawab do?" ... Rachna Garewal ke awaj me ab ghusa tha

"Aur Harshit tum, tum to mere bhanjay the, tum ne ek pal ke liye bhi nahi socha ke Raj tumhara bhai ha aur tum youn uske ezat ke sath khail rahe ho, tumhe ham ne apne ghar ka hisa samjha tumhe mann, saman diya aur ye sila diya tum ne is sab ka, hume kahin munh dikhane laiq nahi choda tum ne" ... Rachna Garewal ne aab Harshit se sawal kya jo sir jhukayi baitha tha

"Aunty ye kya bol rahe hain, bhagwan se daran ye kis kisam ka elzaam laga rahe hain aap mujhh pe" ... Ritika ne aab agay badh kar Rachna Garewal ka baju pakda

"Bakwaas band karo" ... Rachna Garewal ne Ritika ke gaal pe ek tamacha marte hue kaha

"Ezat ke baat karti ho tum, kya thi tum?, han kya thi tum?, kise middle-class me palne wale ek mamooli ladki aur tumhe mere betay ne kahan phuncha diya aur tum ne jawab me humare munh per ye be-ghairti ka tamacha mara, na tum bahu banane ke laiq ho aur na patni, kise rishte ke ezat nahi rakhi tum ne" ... Rachna Garewal ka ghusa kise tor thand nahi ho raha tha

"Harshit tum kyun chup baithay ho, tum batate kyun nahi en sab ko, aisa kuch nahi humare beech, mee aisa kuch nahi kya, please kuch to bolo batayo en ko, bhagwan ke liye chup na raho ye meri zindagi aur mawt ka mamla ha" ... Ritika ne rote hue Harshit ko kaha

"Me kya bolon?, me tumhare is tarah bezati bardasht nahi kar sakta, koi paap nahi kya hum ne, mohabbat karna koi paap nahi ha fir kyun hum sab ke galiyan sunan, enko ye galat lagta ha to lagta rahe me tumse mohabbat karta hoon aur mujhe is baat pe koi sharmidagi nahi ha" ... Harshit ka ek ek lafz jaise Ritika ko kise kunwain me dhakail raha tha

"Hey Bhagwan, tum bhi?, tum bhi Wo bol rahe ho?, Bhagwan ke liye aisa na bolo ye jhoot na bolo Harshit sach bolo" ... Ritika to jaise uske baat sun kar pagal hoone ko the

"Me sach he bol raha hoon, tum soch bhi nahi sakte me tumse kitna pyaar karta hoon aur ye shakhs jo tumhari etne bezati hoone ke baad chup chaap baitha ha Wo tumse kya mohabbat kare ga, duniya se darna chod do Ritika apne dil ke suno bas" ... Harshit ne uske baju thaam kar kaha

"Chodo mujhe tum etne kamine insaan ho mujhe is baat ka jara sa bhi andaja hota to me tum pe thookna bhi pasand na karti" ... Ritika ne apne baju chudate hue kaha aur Raj jo chup chaap deewar ke sath laga khada pata nahi kahan dekh raha tha uske paas aa gaye

"Raj mera vishwaas kijiye mee kuch nahi kya, ye log jhoot bol rahe hain Raj, Ritika sirf aap ki ha Raj, Ritika sirf aap se mohabbat karti ha, apke mohabbat ke badle aisa ganda kaam me mar kar bhi nahi kar sakti, Raj aap jante hain na me jhoot nahi bolti, Bhagwan ke liye Raj mera vishwaas karan me bilkul sach bol rahe hoon" ... Ritika ne rote hue Raj ka baju hilea aur Raj ko ek dam se jhatka laga jaise use Wo e behosh tha aur hosh me aa gaya ho. Us ne apne najrain apna hath pakde us roti hue ladki pe dalen, kon ha ye ladki aur ye mera hath pakada ke kyun roo rahi ha, me janta hoon kya ise, Raj ne jaise apne dimagh per jor dete hue kaha, us kamray me hoone wale sare baaton ne jaise us se sochne samajhne ki taqat cheen le thi

"Raj ap bolte kyun nahi?, Raj please kuch boliye apke khamoshi mujhe maar dale gi, kuch to kahiye please Raj, ap jante hain me aisa nahi kar sakti, kah dijiye en se ke ye sab jhoot ha ap is sab pe vishwas nahi karte, please Raj boliye na enhan, ap kuch kahte kyun nahi?" ...

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Wo Humsafar Tha... (Completed) a love stori

Post by Jemsbond »


Raj ne dekha ke Wo roti hue ladki ap gir kar uska pair pakad kar bol rahe thi, Wo abhi bhi use pehchaan nahi paa raha tha, ye meri Ritika to nahi ho sakti, nahi ye meri Ritika nahi ha, pata nahi ye anjaan ladki kon ha aur kyun mera payon pakad kar roo rahi ha, us ne ek jhatke se apna payon us se chudaya aur bhagta hua us kamray se bahar nikal gaya, Wo ladki abhi bhi use pukaar rahe thi aur rote hue kuch bol rahe thi lekin Wo bhagta jaa raha tha jaise uske peechay mawt lagi ho, us ne apni gadi ke paas aa kar dam liya aur gadi me baith kar wahan se gadi bhaga kar le gaya, Wo sadkon pe bila-waja gadi bhagata raha use pata nahi tha uske manzil kahan ha Wo kahan jaa raha ha bas Wo peechay mud kar nahi jana chahta tha pehli baar Wo apne liye mawt mang raha tha, Wo sochne aur samajhne ke sarhadon se buhut door nikal gaya tha use bas itna pata tha ke Wo wapas mud kar use zindagi me kabhi dekhna nahi chahta, Wo mud kar us zindagi me kabhi jana nahi chahta

Sari raat Wo bina jane Wo gadi bhagata raha tha use pata nahi tha ke Wo kahan jaa raha ha kyun jaa raha ha Wo bas peechay mud kar nahi jana chaha tha akhir kaar use thakawat ka shadeed tareen ehsass mahasoos hua, ek nichle darje ke hotel me us ne ek kamra liya aur bistar per jaise gir sa gaya, Wo sona chahta tha lekin use neend nahi aa rahe the Wo jaise ankhain band karta bar bar Wo ek manzar uske ankhoon ke agay ghoomne lag jata aur us takleef se bachne ke liye Wo foran ankhain khol deta, ghadi ke tik tik use bata rahe thi ke waqt ruka nahi duniya waise he chal rahi ha bas sirf uske zindagi me kayamat aa gayi ha, pata nahi kitne ghante Wo use bistar par ek he andaaj me laita chat ko ghoorta raha, itna use vishwaas tha ke is ghatiya se hotel me koi insaan use dhund nahi sakta aur Wo chup chaap apne uper gujarne wale kayamat ka dard apne sath bant sakta ha, Wo rona chahta tha lekin use laga jaise uske akhain sookh gaye hain aur un me pani ke ek boond bhi baki nahi bachi. Akhir kayi aur ghante gujarne ke baad uske dimagh me padi us manzar ke baraf thoda thoda pigalna shuru hue to Wo kuch sohne ke qabil hua aur use yaad aaya ke Wo kise chod kar yahan bhag kar aaya tha apne patni jis se us ne duniya me sab se jyada mohabbat ke thi, us kamre me jis ladki ke bade me Wo sab bola ja raha tha Wo uske mehboob patni Ritika thi aur koi nahi

"Raj Such sirf yahe ha ke mere erd gird ab sirf aap he aap hain, mujhe apke elawa aur kuch najar nahi aata ab"....

"Raj me jhoot nahi bol sakti, me jhoot kar so nahi pati, mujhe neend nahi aati" ...

"Raj me aap se buhut mohabbat karti hoon, jitne aap karte hain us se kayi guna jyada mohabbat, mere paas apke elawa aur koi rishta nahi, mera to sab kuch aap hain Raj" ...

"Raj to aap mujhe kah dete me kabhi na jaati, ap jante hain apke baat me kabhi nahi taalti lekin apke ye narazgi mere jaan le ge kise din"...

"Ap jante hain na me apse kitni mohabbat karti hoon, mera to har rishta aap hain, mere paas to apke siwa koi apna nahi ha Raj, aap jab mujhse door hote hain to mujhe lagta ha mera dil band ho jaye ga"...

Uske kanon me awazain goonj rahe the, Wo jaise cheekhna chahta tha ke band karo ye awajain warna mera dimagh fut jaayega lekin use laga uske gale se awaj nahi nikal paye ge, us ne apne kanon per hath rakh liya jaise Wo un baton ka rasta rokna chahta ho lekin nakaam raha. Use dheeray dheeray Wo sab baate yaad aa rahe then, Ritika ka Harshit ke kaam ke liye use naraj karna, uske sath baith kar ghanton baate karna, Harshit ka achanak shopping mall phunch jana, shadi me mobile off kar ke Harshit ke sath hona, Wo sab kuch use yaad aa raha tha aur use lag raha tha jaise uska dil dard ke mare fut jaye ga. Kaash Wo uske sath ye sab na karti use kah daiti ke use pasand nahi use bata daiti ke uske maan ne use dhokay se shadi karwa de ha to Wo khud use azaad kar daita lekin youn uske bhavnayon ke sath na khailti

"Kyun Ritika, kyun kya tum ne aisa mere sath" ... Raj ne jaise us se sawal kya lekin uske sawal ke jawab dene ke liye wahan koi na tha

48 ghante use ghatiya se kamre me bhooke pyase pade rahne ke baad akhir kaar Wo utha, kab tak Wo is tarah duniya se chup sakta tha use duniya ka muqabla karna tha, jo hona tha Wo to ho gaya tha ab use badla nahi jaa sakta tha, us ne apne dil ke andar jhank kar dekha kya Wo Ritika ke is galti ko maaf kar sakta ha, kya Wo apne dil ke ander etne jaga bana sakta ha ke Ritika ko ab bhi apna sake, use koi jawab na mila. Us ne uth kar washroom me jaa kar khud ko frish kya aur Wo gadi ke chabi le kar bahar aa gaya, Wo wapas apne ghar ke taraf jaa raha tha us duniya me jahan se Wo 48 ghante pahale bhaag kar aaya tha jahan Wo kabhi nahi jana chaha tha lekin sach se insaan kabhi hamisha ke liye nahi bhaag sakta, sach ka samna to karna he padta ha, aur jab Wo wapas phuncha to zindagi waqaye waise nahi thi jaise Wo chod kar gaya tha, aur ek baat to pakki the ke Raj Garewale ke zindagi ab kabhi waise nahi ho sakti thi jaise pehle thi, zindagi me shayad sab kuch hoga lekin sans laine ke bawajood Raj Garewal mar chuka tha

"Uske baad kya hua?" ... Raj ke chup hote hi Anjali apne aap ko puchne se na rok saki

"Jab me wapas aaya to Ritika wahan se jaa chuki thi, mummy ne bataya ke Wo ghar aaye apna bag le kar chali gaye kahan gayi kise ko pata nahi" ...

"Anjali bhabi me wapas aaya tha sirf is aasha pe ke Ritika wahan hoge mujhe batane ke liye ke us ne ye sab kyun kya aur agar nahi kya to kis ne use

funsaya lekin Wo to wahan se ja chuki thi, mujhe akela chod ke, iska matlab tha us ne apni galti maan li the" ...

"To aap ne Ritika ko dhundane ke koshish nahi ke" ...

"Nahi" ... Raj ne bas itna kaha

"To aap ko kabhi uske yaad nahi aye? "...

"Ritika meri patni ke saht sath meri mohabbat ha, ye kise na-samajh bachay ke khahish nahi the jo samay ke sath badal jati ek matored shakhs ke mohabbat thi, jo tab bhi thi aur aaj bhi ha" ...

"To jab etni mohabbat ha to ek baar use dhund kar pocha to hota ke us ne agar aisa kya bhi ha to kyun kya ha?" ... Anjali apne aap ko kahne se na rok saki

"Jis insaan se aap apni zindagi se jyada pyaar karte hoon Wo agar aisa kare to kuch samajhne ke prastitti me nahi rahta, 2 saal mee kaise gujare hain me janta hoon, agar sirf sans laine ka matlab zinda rahna ha to fir me zinda hoon warna Raj Garewal 2 saal pehle he mar gaya tha" ... Raj ke awaj me gujre waqt ka dukh bol raha tha

"Me aap ka dukh samajh sakti hoon lekin fir bhi mere khayal me Ritika ko apne safayi ka mawqa na de kar ap ne uske sath jyadati ke ha" ...

"Ritika 2 saal pahale jab apke ghar se nikli the to seedha mere pas he aaye thi" ...

"To kya aap uske sath contact me thi ?" ...

"Nahi kyun ki mujhe Rohit ke waja se aksar india se bahar jana padta tha to raabta toot jata tha lekin mera addriss uske paas tha" ...

"Aap ne kaha tha ke aap ko thoda buhut pata ha, mee to aap ko apni kahani suna de, ab aap ko jo pata ha Wo kirpa kar ke mujhe baate Anjali Bhabi" ...

"Mera khayal ha bajaye me aap ko kuch batayo me aap ko ek letter de dete hoon, aap ko Wo padh kar sab kuch samajh aa jaye ga" ... Anjali ye kah kar ander chali gaye aur jab Wo wapas aaye to uske hath me ek letter tha jo us ne Raj ko pakda diya

"Ye kis ka letter ha?" ... Raj ne sawal kya
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply