एक अनोखा बंधन compleet

Post Reply
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

“क्या नही समझा तुम्हारे बारे में जान जो ये सब बोल रही हो. तुम्हारे दिल में उठी हर हलचल मेरे दिलो दिमाग़ में तूफान मचा देती है. तुम ना भी कहो तब भी समझ सकता हूँ तुम्हारे दर्द को…क्योंकि हम जुड़ चुके हैं एक दूसरे से. जो चोट तुम्हारे दिल पर लगी है आज वही चोट मेरे दिल पर भी लगी है. खुद को मुझसे जुदा करके मत देखो. हम दो जिश्म एक जान है ज़रीना. तुम मुझसे दूर गयी तो मर जाउन्गा. मान लो की सिमरन को अपना भी लूँ तो भी कभी उसे खुश नही रख पाउन्गा. घुट-घुट कर जीएगी वो मेरे साथ. क्योंकि मेरी आत्मा तुम हो जान. मेरे दिल के मंदिर में तुम्हे भगवान बना कर बैठा चुका हूँ. उष मंदिर में किसी और की तस्वीर नही लगा पाउन्गा. सिमरन और मेरा रिश्ता इस समाज ने बनाया था पर तुम्हारा और मेरा रिश्ता भगवान ने बनाया है. भगवान के फ़ैसले का ही आदर करना होगा हमें. और सिमरन अब समझ गयी है. उस से मेरी बात हो गयी है. अब कोई रुकावट नही है हमारी शादी में.”

“उसकी आँखो में बेन्तेहा प्यार देखा है मैने तुम्हारे लिए. अभी हम किसी बंधन में नही बँधे हैं. तुम आराम से उसके साथ अपनी जींदगी की शुरूवात कर सकते हो.” ज़रीना ने कहा.

“मेरी आँखो में देख कर कहना ज़रा ये बात.” आदित्य ने कहा.

“अदित्य तुम कुछ भी कहो…पर मैं ये प्यार नही निभा सकती. किसी के पति को छीन-ने का इल्ज़ाम नही लेना चाहती अपने सर पर. ना ही ये इल्ज़ाम लेना चाहतीं हू की किशी लालच के कारण पड़ी हूँ मैं पीछे तुम्हारे.”

“बंद करो ये बकवास तुम.”

“ये बकवास नही है. अपने दिल पर पत्थर रख कर बोल रही हूँ.”

“मुझे खुद से दूर करने की बजाए एक खंजर गाढ दो मेरे सीने में तो ज़्यादा अछा होगा. अरे मैं कैसे निभा लूँ शादी सिमरन से जबकि मेरे मन मंदिर में तुम हो. तुम मेरी जींदगी हो जान. नही जी सकता हूँ तुम्हारे बिना. मर जाउन्गा तुमसे अलग हो कर तो पता चलेगा तुम्हे की क्या हो तुम मेरे लिए.”

ज़रीना कदमो में बैठ गयी अदित्य के और रोने लगी, “मैं भी कहा जी सकती हूँ तुम्हारे बिना. सोच कर भी डर लगता है.पता नही ये उलझन क्यों आ गयी हमारे जीवन. बड़ी मुश्किल से तो एक साल बाद मिले थे. अभी शांति से प्यार के मीठे दो बोल भी नही बोल पाए थे एक दूसरे को की ये सब हो गया. ऐसा क्यों हो रहा है हमारे साथ अदित्य.”

“उठो पहले तुम. मेरे कदमो में अछी नही लगती तुम.” आदित्य ने ज़रीना को कंधे से उठाते हुवे कहा.

“क्या हम सिमरन के गुनहगार नही बन जाएँगे. उस से मिली नही थी तो कुछ फरक नही पड़ता था. उस से मिली तो उसकी आँखो में तुम्हारे लिए प्यार देखा. खुद को एक लुटेरा महसूस कर रही हूँ. जिसने अचानक तुम्हारी जींदगी में आकर तुमको सिमरन से छीन लिया. मैं मर जाना चाहती थी आज. पर पता नही क्यों रुक गयी. क्योंकि मेरी जींदगी पर तुम्हारा हक़ है इश्लीए शायद खुद को मार नही पाई.”

“जान अगर मैं भी सिमरन को चाहता तो तुम्हारा सोचना सही होता. मैने कभी इतने सालो में सिमरन को सोचा तक नही…चाहने की तो दूर की बात है. अब वो मुझसे प्यार कर बैठी तो इसमे मेरा तो कोई कसूर नही है. मैं तो उस से मिला तक नही. और एक बात बता दूं. मम्मी, पापा की मौत के बाद मैं भी बिखर चुका था. तुम मिली मुझे तो जीने का हॉंसला सा हुवा. हम दोनो की हालत एक जैसी थी जब हम मिले थे. हम मिले और दो कदम साथ चल कर हमें एक दूसरे से प्यार हो गया. जान हम किसी कीमत पर जुदा नही हो सकते. ये तुम भी जानती हो और मैं भी जानता हूँ.”

ज़रीना अदित्य के सामने थी और अदित्य की आँखो में देख रही थी. दोनो खो गये थे एक दूसरे में. कब आँसू टपक गये दोनो के एक साथ उन्हे पता ही नही चला.

“बोलो ज़रीना क्या जी पाओगि मेरे बिना?”

“ऐसा सोच भी नही सकती अदित्य….मत पूछो ऐसी बात.” ज़रीना सुबक्ते हुवे बोली.

“फिर क्यों भाग आई थी मुझे छ्चोड़ कर वाहा से तुम.”

“मरने के लिए निकली थी वाहा से…जीने के लिए नही.”

आदित्य ने आगे बढ़ कर बाहों में जाकड़ लिया ज़रीना को, “ओह जान कभी छ्चोड़ कर मत जाना मुझे चाहे कुछ हो जाए. नही जी सकता हूँ तुम्हारे बिना ये बात समझ लो आछे से आज.”

“मैं भी कहा जी सकती हूँ तुम्हारे बिना. क्या हाल हुवा मेरा तुम्हे थप्पड़ मार कर सिर्फ़ मैं ही जानती हूँ. मुझे माफ़ कर दो प्लीज़.”

“माफी ऐसे नही मिलेगी”

“क्या करना होगा मुझे?”

आदित्य ने ज़रीना के चेहरे को अपने दोनो हाथो में थाम लिया. ज़रीना सिहर उठी. वो समझ गयी थी कि अदित्य क्या करना चाहता है. उसने अपनी आँखे बंद कर ली. उसके होन्ट खुद-ब-खुद थिरकने लगे.

आदित्य ज़रीना के थिरकते होंटो को देख कर मुश्कुरा उठा, “क्या चूम लूँ इन थिरकते लबों को.”

“मुझसे मत पूछो…कुछ भी नही कह पाउन्गि.” ज़रीना आँखे बंद किए हुवे ही बोली.

क्रमशः...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--24

gataank se aage.....................

Aditya bhaag kar ghar se baahar aaya magar ushe zarina kahi deekhayi nahi di. Aditya seedha hotel pahuncha. Magar zarina vaha bhi nahi thi.

“kaha chali gayi tum zarina…kya phir se hum juda ho gaye. Kya pahli baar ki ladaayi se hamne kuch nahi seekha. Tum aise chhod kar nahi ja sakti mujhe.” Aditya ne kaha.

Hotel se nikal kar aditya ne zarina ko har taraf dekha. Colaba ka chappa chappa chaan maara magar vo ushe kahi nahi mili. Thak haar kar vo vaapis chacha ke ghar aa gaya ye soch kar ki kya pata vo vaapis aa gayi ho gussa thuk kar. Aisa sochna tha to ajeeb magar pyar har ummeed ka daaman thaam leta hai.

Jab aditya ghar aaya to simran vaha se jaane ki taiyaari kar rahi thi. aditya ko dekh kar turant aayi ushke paas, “kaha hai zarina, vo theek to hai na.”

“kuch kah nahi sakta. Mujhe vo kahi nahi mili. Colaba ka chappa chappa chaan maara magar ushka kahi pata nahi chala. Hotel bhi nahi pahunchi vo.”

“hey bhagvaan sab meri vajah se huva hai. maine bhi bahut kuch bol diya ushe. Aap dono ke pyar ki puri kahaani nahi jaanti magar itna jaroor samajh gayi hun ki aap dono ka pyar itna anmol hai ki ushme kishi ched chaad ki gunjayas nahi hai. main paapi ban gayi hun aap dono ke pyar mein toofaan khada karne ke kaaran. Aap dono mujhe maaf kar dijiyega. Main ja rahi hun vaapis. Ab ish baal-vivaah naamak kruti se main bhi azaad hona chaahti hun. koyi shikva nahi hai aap dono se. balki khusi hai ki itna anmol pyar dekhne ko mila mujhe. Aapko zarina mile to meri taraf se maafi maanng lena ush se.maine bahut dil dukhaya hai ushka.”

“kaise ja rahi ho delhi…ticket book karva rakhi hai kya?” aditya ne kaha.

“nahi ticket to mil hi jaayegi airport se. delhi mumbai ki maximum flights hoti hain.”

“haan vo to hai. aapko chhodne chalta magar zarina ke liye pareshaan hun. mujhe maaf kar dijiyega aap.mujhe yakin hai ki bahut acha life partner milega aapko.”

“aap se acha nahi mil sakta jaanti hun. par aapki anbhilasa nahi karungi ab kyonki vaisa karna paap hoga. Aap zarina ke hain aur zarina aap ki hai. dukh bahut hai aapko khone ka magar aap dono ka pyar dekh kar ye dukh khusi mein badalta ja raha hai.

mujhe yakin hai ki zarina jald mil jaayegi aapko.”

“haan vo gusse mein baithi hogi kahi chup kar. Main ushe dhund hi lunga. vaapis hotel ja kar dekhta hun, ho sakta hai vo aa gayi ho.”

Aditya hotel pahuncha to ushki khusi ka theekana nahi raha. Reception se ushe pata chal gaya ki zarina kamre mein hai.

Aditya khuss tha ki zarina kamre mein hai. turant bhaag kar aaya vo kamre par. magar zarina ka thappad aur ushki kahi baatein baar-baar ushke kaano mein gunj rahi thi. aditya ne room ki bell bajaayi. Zarina ush vakt bistar par padi thi pet ke bal. aankho se aansuvon ki nadiya bah rahi thi. bell ko anshuna kar diya zarina ne aur jyon ki tyon padi rahi bistar par. Aditya baar-baar bell bajaata raha magar zarina ne darvaaja nahi khola.

“zarina darvaaja kholo…main bahut pareshaan hun. mujhe aur pareshaan mat karo. Please darvaaja kholo…mera dil baitha ja raha hai…tum theek to ho na…mujhe chinta ho rahi hai tumhaari.” Aditya ne kaha.

Zarina dheere se uthi bistar se aur ladkhadaate kadmo se darvaaje ki taraf badhi aur darvaaja khola.

“kyon aaye ho yaha…apni biwi ke paas nahi rah sakte kya…kaha tha na maine ki mere peeche aaye to mera mara muh dekhoge.?”

“zarina please…aisi baate mat karo. Tumhaare bina nahi jee sakta ye tum ache se jaanti ho.”

“par ab tumhe jeena hoga. Tum kahte ho ki tum vo shaadi nahi nibha sakte aur main kahti hun ki main ye pyar nahi nibha sakti. Please chale jaao yaha se. nahi chaahiye tumhaara pyar mujhe.”

“ye kya paagal pan hai zarina…aur…aur ye haath mein khun kaisa hai.” aditya ki nazar zarina ke daayein haath se tapakte khun par gayi.

“saja di hai khud ko tumhe thappad maarne ki.” Zarina ne shubakte huve kaha.

“tum kaun hoti ho khud ko yu saja dene wali. Deekhao mujhe…uff kitna khun bah raha hai.” aditya ne zarina ka haath pakadne ki koshis ki.

“khabardaar jo mujhe chuva to…koyi haq nahi hai tumhaara mere upar ab.”

“agar koyi haq nahi hai to phir kyon saja di tumne khud ko. Paagal mat bano deekhaao mujhe…kitna khun bah raha hai.”

“I can take care of myself mr aditya. Tum apni biwi ko sambhaalo jaakar aur apne parivaar mein khuss raho.”

“ye kya bakwaas kar rahi ho. Ab main thappad maarunga tumhe agar yu hi bakwaas karti rahi to.”

“to maaro na roka kishne hai. mujhe jaan se maar daalo. Tumne hi bachaaya tha mujhe ek din marne se, tumhe haq hai mujhe maarne ka.”

“kya sirf ishliye haq hai kyonki tumhe maine bachaaya tha. kya pyar ka haq nahi hai.”

“vo pyar ab bikhar chuka hai aditya. Vo haq nahi dungi tumhe main.”

“great…tum sach mein paagal ho gayi ho. Arey ab sab kuch theek ho chuka hai. simran samajh gayi hai hamaare pyar ko. Vo hamaare beech se hat gayi hai.”

“mujhe ye manjoor nahi hai aditya.”

“kyon manjoor nahi hai tumhe kya jaan sakta hun.”

“tumne mujhse itni badi baat chupaayi aur ab puch rahe ho ki kyon manjoor nahi hai. kya galti hai simran ki?.... aur kya galti hai meri? … Sab tumhaari galti hai. mujhse itni badi baat na chipaate to ye din nahi dekhna padta. Mere charitra ko chalni chalni kar diya gaya aaj. Kabhi mujhe mere majhab ke kaaran jaleel kiya gaya to kabhi mujhe laalchi ladki ki sangya di gayi jo ki tumhaari dauklat ke peeche padi hai. chalo ye sab bhi sah liya. Magar mere ammi, abba ka kya kasoor tha. bina soche samjhe unhe bhi bhala bura kaha gaya. bahut gahri chot lagi hai dil pe mere aaj…jinke ghaav kabhi nahi bhar paayenge. Kaash un dango mein apne ammi, abba aur fatima ke saath main bhi mar jaati to ye din to nahi dekhna padta.”

“zarina!” aditya cheellaya aur thappad jad diya zarina ke gaal par.

“tum nahi jaante aditya kya beeti hai mere dil par aaj. Tum meri jagah hote to samajhte. Simran ka haq pahle hai tum par. Vo pahle aayi thi tumhaari jeendagi mein.”

“kya nahi samjha tumhaare baare mein jaan jo ye sab bol rahi ho. Tumhaare dil mein uthi har halchal mere dilo deemag mein toofan macha deti hai. tum na bhi kaho tab bhi samajh sakta hun tumhaare dard ko…kyonki hum jud chuke hain ek dusre se. jo chot tumhaare dil par lagi hai aaj vahi chot mere dil par bhi lagi hai. khud ko mujhse juda karke mat dekho. Hum do jishm ek jaan hai zarina. Tum mujhse dur gayi to mar jaaunga. Maan lo ki simran ko apna bhi lun to bhi kabhi ushe khuss nahi rakh paaunga. Ghut-ghut kar jeeyegi vo mere saath. Kyonki meri aatma tum ho jaan. Mere dil ke mandir mein tumhe bhagvaan bana kar baitha chuka hun. ush mandir mein kishi aur ki tasvir nahi laga paaunga. simran aur mera rishta ish samaj ne banaaya tha par tumhaara aur mera rishta bhagvaan ne banaaya hai. bhagvaan ke faisle ka hi aadar karna hoga hamein. Aur simran ab samajh gayi hai. ush se meri baat ho gayi hai. ab koyi rukaavat nahi hai hamaari shaadi mein.”

“ushki aankho mein beinteha pyar dekha hai maine tumhaare liye. Abhi hum kishi bandhan mein nahi bandhe hain. Tum araam se ushke saath apni jeendagi ki shuruvaat kar sakte ho.” Zarina ne kaha.

“meri aankho mein dekh kar kahna jara ye baat.” Aditya ne kaha.

“aditya tum kuch bhi kaho…par main ye pyar nahi nibha sakti. Kishi ke pati ko cheen-ne ka iljaam nahi lena chaahti apne sar par. Na hi ye iljaam lena chaahtin hu ki kishi laalach ke kaaran padi hun main peeche tumhaare.”

“band karo ye bakwaas tum.”

“ye bakwaas nahi hai. apne dil par pathar rakh kar bol rahi hun.”

“mujhe khud se dur karne ki bajaaye ek khanjar gaad do mere sheene mein to jyada acha hoga. Arey main kaise nibha lun shaadi simran se jabki mere man mandir mein tum ho. Tum meri jeendagi ho jaan. Nahi ji sakta hun tumhaare bina. mar jaaunga tumse alag ho kar to pata chalega tumhe ki kya ho tum mere liye.”

Zarina kadmo mein baith gayi aditya ke aur rone lagi, “main bhi kaha ji sakti hun tumhaare bina. Soch kar bhi dar lagta hai.pata nahi ye uljhan kyon aa gayi hamaare jeevan. Badi mushkil se to ek saal baad mile the. Abhi shaanti se pyar ke meethe do bol bhi nahi bol paaye the ek dusre ko ki ye sab ho gaya. aisa kyon ho raha hai hamaare saath aditya.”

“utho pahle tum. Mere kadmo mein achi nahi lagti tum.” Aditya ne zarina ko kandhe se uthaate huve kaha.

“kya hum simran ke gunahgaar nahi ban jaayenge. Ush se mili nahi thi to kuch farak nahi padta tha. ush se mili to ushki aankho mein tumhaare liye pyar dekha. Khud ko ek lutera mahsus kar rahi hun. jishne achaanak tumhaari jeendagi mein aakar tumko simran se cheen liya. Main mar jaana chaahti thi aaj. Par pata nahi kyon ruk gayi. Kyonki meri jeendagi par tumhaara haq hai ishliye shaayad khud ko maar nahi paayi.”

“jaan agar main bhi simran ko chaahta to tumhaara sochna sahi hota. Maine kabhi itne saalo mein simran ko socha tak nahi…chaahne ki to dur ki baat hai. ab vo mujhse pyar kar baithi to ishme mera to koyi kasur nahi hai. main to ush se mila tak nahi. Aur ek baat bata dun. Mammi, papa ki maut ke baad main bhi bikhar chuka tha. tum mili mujhe to jeene ka honsla sa huva. Hum dono ki haalat ek jaisi thi jab hum mile the. Hum mile aur do kadam saath chal kar hamein ek dusre se pyar ho gaya. jaan hum kishi kimat par juda nahi ho sakte. Ye tum bhi jaanti ho aur main bhi jaanta hun.”

Zarina aditya ke saamne thi aur aditya ki aankho mein dekh rahi thi. dono kho gaye the ek dusre mein. Kab aansu tapak gaye dono ke ek saath unhe pata hi nahi chala.

“bolo zarina kya jee paaogi mere bina?”

“aisa soch bhi nahi sakti aditya….mat pucho aisi baat.” Zarina subakte huve boli.

“phir kyon bhaag aayi thi mujhe chhod kar vaha se tum.”

“marne ke liye nikli thi vaha se…jeene ke liye nahi.”

Aditya ne aage badh kar baahon mein jakad liya zarina ko, “oh jaan kabhi chhod kar mat jaana mujhe chaahe kuch ho jaaye. Nahi jee sakta hun tumhaare bina ye baat samajh lo ache se aaj.”

“main bhi kaha jee sakti hun tumhaare bina. Kya haal huva mera tumhe thappad maar kar sirf main hi jaanti hun. mujhe maaf kar do please.”

“Maafi aise nahi milegi”

“kya karna hoga mujhe?”

Aditya ne zarina ke chehre ko apne dono haatho mein thaam liya. Zarina sihar uthi. Vo samajh gayi thi ki aditya kya karna chaahta hai. ushne apni aankhe band kar li. Ushke hont khud-b-khud thirakne lage.

Aditya zarina ke thirakte honto ko dekh kar mushkura utha, “kya chum lun in thirakte labon ko.”

“mujhse mat pucho…kuch bhi nahi kah paaungi.” Zarina aankhe band kiye huve hi boli.

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

एक अनोखा बंधन--25

गतान्क से आगे.....................

आदित्य ने बिना वक्त गवायें अपने होन्ट ज़रीना के थिरकते लबों पर टीका दिए. ज़रीना सर से लेकर पाँव तक सिहर उठी… ऐसा लग रहा था जैसे की आदित्य ने शितार के तार छेड़ दिए हों.

दोनो के होन्ट दहक्ते अंगारों की तरह एक दूसरे से टकरा रहे थे. दोनो के प्यार का पहला चुंबन उनके प्यार की ही तरह अद्वित्य और सुंदर था. वक्त जैसे थम सा गया था. बहुत देर तक दीवानो की तरफ चूमते रहे दोनो.

दोनो को ऐसा चुंबन करने का पूरा अधिकार था. प्यार जो करते थे बेन्तेहा एक दूसरे को. होंटो की भासा भी बहुत प्यारी होती है. इसे भी होन्ट ही बोलते हैं और होन्ट ही सुनते हैं. चुंबन के उन पलों में दोनो के होन्ट बहुत कुछ कह रहे थे एक दूसरे को. लबों की हर हरकत कुछ कहती थी जिसे दोनो अपनी आत्मा की गहराई तक महसूस कर रहे थे.

वैसे तो कुछ भी और कहना मुश्किल हो रहा है दोनो के इस पहले चुंबन के बारे में. मगर इतना ज़रूर कह सकता हूँ की प्यार ही प्यार था दोनो के बीच चुंबन के उन पलों में जो की दोनो के प्यार को एक और गहराई दे रहा था. ये बात किस करते वक्त दोनो ही बखूबी समझ रहे थे.

चुंबन में लीन ज़रीना और आदित्य दीन दुनिया सब कुछ भूल गये थे. वक्त का अहसास भी खो गया था. वो चुंबन किसी मेडिटेशन से कम नही था. जिस तरह मेडिटेशन में लीन हो कर हम अपने अंदर बहुत गहराई में उतर जाते हैं ठीक उसी तरह ज़रीना और आदित्य अपने अंदर भी उतर गये थे और एक दूसरे की आत्मा को भी छू रहे थे. ये एक अद्विद्य घटना थी. वैसे ये प्यार करने वालो के साथ रोज होती है.

जब दोनो की साँसे उखाड़ने लगी तो एक दूसरे से अलग हुवे. दोनो की आँखे नम थी और साँसे बहुत तेज चल रही थी. एक दूसरे की बाहों में बने हुवे थे दोनो और बड़े प्यार से एक दूसरे को देख रहे थे. साँसे एक दूसरे से टकरा रही थी.

“ज़रीना चाहे कुछ हो जाए…मुझसे जुदा होने की बात सोचना भी मत. तुम जानती हो ना…मर जाउन्गा तुम्हारे बिना मैं.”

“ओह आदित्य प्लीज़ ऐसा मत कहो…..”

दोनो ने एक दूसरे की आँखो में देखा. आँखो ही आँखो में जाने क्या बात हुई. दोनो की आँखे नम हो गयी देखते-देखते और अचानक दोनो के होन्ट फिर से खुद-ब-खुद एक दूसरे से जुड़ गये.

किसी ने सच ही कहा है, भावनाओ में बह कर दो प्रेमियों में जो प्यार होता है वो होश में रहकर कभी नही हो सकता. प्यार की गहराई में उतरने के लिए दीवानेपन की बहुत ज़रूरत होती है.

अचानक आदित्य को कुछ ध्यान आया और उसने ज़रीना के होंटो से अपने होन्ट हटा लिए. “हाथ पर क्या किया तुमने?”

“चाकू से चीर दिया था.”

“पागल हो गयी थी क्या तुम… रूको मैं अभी आता हूँ.”

“आदित्य कही मत जाओ प्लीज़…हो जाएगा ठीक अपने आप.”

आदित्य ने ज़रीना की बात को अनसुना कर दिया और कमरे से बाहर आ गया. कुछ देर बाद वो वापिस आ गया. वो केमिस्ट से मरहम-पट्टी ले आया था.

“लाओ हाथ आगे करो.”

“नही डेटॉल मत लगाना बहुत जलन होती है इस से….प्लीज़” ज़रीना छोटे बच्चे की तरह गिड़गिडाई.

“हाथ चीरते वक्त सोचना चाहिए था ये…ये लगाना ज़रूरी है. लाओ हाथ आगे करो.”

“नही प्लीज़…” ज़रीना गिड़गिडाई.

आदित्य ने हाथ पकड़ा ज़बरदस्ती और घाव को डेटॉल से सॉफ किया.

“आअहह….धीरे से बहुत जलन हो रही है.”

“दुबारा ऐसा मत करना कभी…समझी”

“समझ गयी.” ज़रीना ने मासूमियत से कहा.

डेटॉल से घाव साफ करने के बाद आदित्य ने बेटडिन लोशन लगा कर पट्टी बाँध दी हाथ पर. “सब ठीक हो जाएगा.”

“आदित्य मैं सिमरन से मिलना चाहती हूँ.”

“छ्चोड़ो अब ज़रीना…क्या अपनी और ज़्यादा बेज़्जती करवाना चाहती हो.”

“सिमरन ने मुझे कुछ नही कहा ऐसा आदित्य. मुझे उस से मिलकर सॉरी तो बोलना चाहिए ना. प्लीज़ कुछ करो…मैं उस से मिलना चाहती हूँ.”

“वो तो देल्ही के लिए निकल रही थी. शायद एरपोर्ट पहुँच भी गयी हो.”

“तो हम एरपोर्ट ही चलते हैं. वही मिल लेंगे.”

“ठीक है फिर चलो जल्दी…वैसे तुम्हारा सॉरी बोलना नही बनता है क्योंकि सारी ग़लती मेरी है. फिर भी तुम कहती हो तो चलो.”

दोनो तुरंत होटेल से बाहर आए और एरपोर्ट के लिए टॅक्सी लेकर चल दिए. जैसे ही वो दोनो एरपोर्ट पहुँचे सिमरन अपनी टॅक्सी से उतर रही थी. आदित्य की नज़र उस पर पड़ गयी.

“वो रही सिमरन. अछा हुवा की यही बाहर ही मिल गयी..आओ जल्दी” आदित्य ने ज़रीना से कहा.

वो दोनो तुरंत टॅक्सी से निकल कर सिमरन की तरफ बढ़े.
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

“सिमरन!” आदित्य ने आवाज़ दी.

सिमरन चोंक कर रुक गयी और पीछे मूड कर देखा. ज़रीना और आदित्य उसकी तरफ बढ़े आ रहे थे.

“सिमरन…क्या थोड़ी देर रुक सकती हो, ज़रीना तुमसे कुछ बात करना चाहती है.” आदित्य ने कहा

सिमरन ने ज़रीना की तरफ देखा. दोनो ने आँखो ही आँखो में कुछ कहा. ज़रीना की आँखो में रिक्वेस्ट थी और सिमरन की आँखों में उस रिक्वेस्ट के लिए मंज़ूरी.

“हां शुवर…” सिमरन ने कहा.

ज़रीना ने आदित्य को वाहा से दूर जाने का इशारा किया. आदित्य बात समझ कर वाहा से हट गया.

ज़रीना सिमरन के करीब आई और बोली, “मुझे माफ़ कर दो सिमरन. तुम्हारा हक़ अंजाने में छीन लिया मैने. अगर कोई सज़ा देना चाहो तो दे दो मुझे. ख़ुसी-ख़ुसी सह लूँगी. अपने प्यार की कसम खा कर कहती हूँ कि मरने के लिए निकली थी वाहा से. पर पता नही क्यों मर नही पाई. ये जींदगी आदित्य ने दी है मुझे. उसे ही हक़ है इसे लेने का. हां पर एक हक़ तुम्हे भी है. मुझे जो सज़ा देना चाहे दे दो. पर प्लीज़ मुझे माफ़ कर दो.

मुझे सच में नही पता था कि आदित्य पहले से शादी शुदा है वरना मैं हरगिज़ दिल नही लगाती आदित्य से. और सिमरन मैं किसी लालच के कारण आदित्य के साथ नही हूँ. बस एक ही लालच है, वो है अपनी जींदगी का. जी नही सकती आदित्य के बिना. इसलिए आज मरने जा रही थी. अब तुम बताओ मेरी क्या सज़ा है”

सिमरन ने ज़रीना के चेहरे पर हाथ रखा और बोली, “तुम्हे आज इतना कुछ सुन-ना पड़ा वाहा उस कमरे में. वो सज़ा क्या कम थी जो और माँग रही हो. तुम जब आदित्य को थप्पड़ मार कर वाहा से गयी तो मुझे रीयलाइज़ हुवा की हम लोग क्या पाप कर रहे थे. कितना गिर गये थे हम सब. मुझे खुद ना जाने क्या हो गया था. शायद चाची जी और निशा की बातों का असर था मुझ पर. माफी तो मुझे माँगनी चाहिए तुमसे. मेरे कारण तुम्हे इतना अपमान सहना पड़ा. क्या कुछ नही सुना तुमने आज. थ्री विमन वर डेस्ट्रायिंग दा कॅरक्टर ऑफ वन विमन, नतिंग कॅन बी मोर पैंफुल्ल दॅन दिस.”

“सिमरन तुम्हे मेरे दुख का अहसास हुवा और मुझे क्या चाहिए. मगर इस से मेरा गुनाह कम नही हो जाता. अंजाने में ही सही पर गुनाह तो हुवा है मुझसे. पता नही मैं कैसे माफ़ करूँगी खुद को.” ज़रीना ने कहा.

“प्यार करती हो ना आदित्य से…तो खुद को गुनहगार मत मानो तुम. प्यार खुदा की देन है और ये किसी भी हालत में गुनाह नही हो सकता. तुम अपने दिल से ये बात निकाल दो कि मेरा कुछ छीन लिया तुमने. हां पहले-पहले मुझे भी यही लग रहा था. मगर आज जब तुम दोनो का प्यार देखा तो समझ में आया कि असल में प्यार क्या है. मैं तो आदित्य से एक तरफ़ा प्यार करती हूँ. आदित्य की आँखो में मैने अपने लिए कुछ नही देखा. बल्कि मेरे लिए उतनी क्न्सर्न भी नही देखी जितनी तुम्हारी आँखो में है. ऐसे में मैं उनके गले में पड़ जाउ 7 साल पहले हुई शादी का वास्ता दे कर तो बिल्कुल ग़लत होगा. ज़बरदस्ती रिश्ते निभाए जा सकते हैं ज़रीना कोई बड़ी बात नही है. ऐसा बहुत लोग कर रहे हैं दुनिया में. मगर ज़बरदस्ती बनाया हुवा रिश्ता कभी प्यार का वो फूल नही खिला पाएगा जिसकी कि एक पति पत्नी के रिश्ते में संभावना होती है. आदित्य की नज़रो में तुम्हारे लिए बेन्तेहा प्यार देखा है मैने. तुम दोनो का साथ लिखा है भगवान ने. जाओ दोनो खुश रहो. भगवान मेरी सारी ख़ुसीया तुम दोनो को दे दे.” आँखे टपक गयी सिमरन की ये आखरी कुछ लाइन्स बोलते हुवे.

ज़रीना ने फ़ौरन सिमरन के होंटो पर हाथ रख दिया, “बस…तुम्हारी और कोई ख़ुसी नही चाहिए हमें. जितना लिया है…वही बहुत ज़्यादा हो गया है. दुवा तो मैं करती हूँ कि मेरे हिस्से की सारी ख़ुसीया अल्लाह तुम्हे दे दे.”

“बस-बस अब और मत रुलाओ मुझे. जाओ अपने आदित्य के पास. और तुम दोनो मुझे भूल मत जाना. मिलते रहना मुझसे. तुम दोनो से कोई गिला शिकवा नही है अब. बल्कि प्यार है तुम दोनो से. जाओ अब मैं बहुत भावुक हो रही हूँ.”

ज़रीना ने सिमरन को गले लगा लिया और बोली, “काश दंगो में मर जाती मैं तो तुम्हे कोई भी तकलीफ़ नही होती.”

“बस थप्पड़ मारूँगी तुम्हे मैं अब. दुबारा मत कहना ऐसा.”

आदित्य ये सब देख कर रोक नही पाया खुद को और आ गया दोनो के पास.

आदित्य को देख कर सिमरन बोली, “आप ज़रीना का ख्याल रखना. पता नही कैसा नाता जुड़ गया है इसके साथ. इसे हमेशा खुश रखना. ये खुश रहेगी तो मैं भी खुश रहूंगी. कोई तकलीफ़ नही होनी चाहिए मेरी ज़रीना को.”

ये सुन कर आदित्य की आँखे नम हो गयी और वो भावुक आवाज़ में बोला, “थॅंक यू सिमरन. थॅंक यू वेरी मच…कुछ नही सूझ रहा कि क्या कहूँ तुम्हे.”

“कुछ कहने की ज़रूरत नही है. ये बताओ की शादी कर चुके हो या करने वाले हो?”

ज़रीना, सिमरन से अलग हुई और बोली, “ये तुम तैय करोगी अब कि हम कब शादी करें.”

“मेरी तरफ से तो आज कर लो…”

“सिमरन तुम्हारे पेरेंट्स तो कोई समस्या नही करेंगे ना. कोई क़ानूनी उलझन तो पैदा नही करेंगे ना.”

“वो सब मुझ पर छ्चोड़ दो. और क़ानूनी अड़चन कोई नही है तुम्हारे सामने. बाल-विवाह को कोर्ट नही मानता. सिर्फ़ एक अप्लिकेशन से अन्नुलमेंट हो जाएगा. तुम दोनो बिना किसी चिंता के शादी करो. कोई दिक्कत नही आने दूँगी मैं. बाल-विवाह का कोई लीगल स्टेटस नही है.”

“बहुत जानकारी है लॉ की तुम्हे?” आदित्य ने कहा.

“लॉ स्टूडेंट हूँ ना. इश्लीए” सिमरन ने हंसते हुवे कहा.

“चाचा, चाची छोड़ने नही आए?”

“नही वो लोग आ रहे थे पर मैने ही मना कर दिया. अच्छा मैं लेट हो रही हूँ. कही फ्लाइट मिस ना हो जाए.” सिमरन ने कहा

“हां-हां तुम निकलो…हम मिलते रहेंगे.” ज़रीना ने कहा.

सिमरन ने ज़रीना के माथे को चूमा और बोली, “गॉड ब्लेस्स यू. हमेशा खुश रहना. किसी बात की चिंता मत करना.”

सिमरन ने आदित्य की तरफ देखा और बोली, “आप भी अपना और ज़रीना दोनो का ख़याल रखना.”

“बिल्कुल आपका हुकुम सर आँखो पर.” आदित्य ने हंसते हुवे कहा.

सिमरन चल पड़ी दोनो को वही छ्चोड़ कर. आदित्य और ज़रीना दोनो उसे जाते हुवे देखते रहे.

क्रमशः...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--25

gataank se aage.....................

Aditya ne bina vakt gavaayein apne hont zarina ke thirakte labon par tika diye. Zarina sar se lekar paanv tak sihar uthi… aisa lag raha tha jaise ki aditya ne shitaar ke taar ched diye hon.

Dono ke hont dahakte angaaron ki tarah ek dusre se takra rahe the. Dono ke pyar ka pahla chumban unke pyar ki hi tarah advitya aur shunder tha. vakt jaise tham sa gaya tha. bahut der tak deewano ki taraf chumte rahe dono.

Dono ko aisa chumban karne ka pura adhikaar tha. pyar jo karte the beinteha ek dusre ko. Honto ki bhaasa bhi bahut pyari hoti hai. ishe bhi hont hi bolte hain aur hont hi shunte hain. Chumban ke un palon mein dono ke hont bahut kuch kah rahe the ek dusre ko. Labon ki har harkat kuch kahti thi jishe dono apni aatma ki gahraayi tak mahsus kar rahe the.

Vaise to kuch bhi aur kahna mushkil ho raha hai dono ke ish pahle chumban ke baare mein. Magar itna jaroor kah sakta hun ki pyar hi pyar tha dono ke beech chumbab ke un palon mein jo ki dono ke pyar ko ek aur gahraayi de raha tha. ye baat kiss karte vakt dono hi bakhubi samajh rahe the.

Chumban mein leen zarina aur aditya deen duniya sab kuch bhool gaye the. Vakt ka ahsaas bhi kho gaya tha. vo chumban kishi meditation se kam nahi tha. jish tarah meditation mein leen ho kar hum apne ander bahut gahraayi mein utar jaate hain theek ushi tarah zarina aur aditya apne ander bhi utar gaye the aur ek dusre ki aatma ko bhi chu rahe the. Ye ek advidya ghatna thi. vaise ye pyar karne walo ke saath roj hoti hai.

Jab dono ki saanse ukhadne lagi to ek dusre se alag huve. Dono ki aankhe nam thi aur saanse bahut tej chal rahi thi. ek dusre ki baahon mein bane huve the dono aur bade pyar se ek dusre ko dekh rahe the. Saanse ek dusre se takra rahi thi.

“zarina chaahe kuch ho jaaye…mujhse juda hone ki baat sochna bhi mat. Tum jaanti ho na…mar jaaunga tumhaare bina main.”

“oh aditya please aisa mat kaho…..”

Dono ne ek dusre ki aankho mein dekha. Aankho hi aankho mein jaane kya baat huyi. Dono ki aankhe nam ho gayi dekhte-dekhte aur achaanak dono ke hont phir se khud-b-khud ek dusre se jud gaye. Ye

Kishi ne sach hi kaha hai, bhaavnaao mein bah kar do premiyon mein jo pyar hota hai vo hosh mein rahkar kabhi nahi ho sakta. Pyar ki gahraayi mein utarne ke liye deewanepan ki bahut jaroorat hoti hai.

Achaanak aditya ko kuch dhyaan aaya aur ushne zarina ke honto se apne hont hata liye. “haath par kya kiya tumne?”

“chaaku se cheer diya tha.”

“paagal ho gayi thi kya tum… ruko main abhi aata hun.”

“aditya kahi mat jaao please…ho jaayega theek apne aap.”

Aditya ne zarina ki baat ko anshuna kar diya aur kamre se baahar aa gaya. kuch der baad vo vaapis aa gaya. vo chemist se marham-patti le aaya tha.

“laao haath aage karo.”

“nahi dettole mat lagaana bahut jalan hoti hai ish se….please” zarina chote bachche ki tarah gidgidaayi.

“haath cheerte vakt sochna chaahiye tha ye…ye lagaana jaroori hai. laao haath aage karo.”

“nahi please…” zarina gidgidaayi.

Aditya ne haath pakda jabardasti aur ghaav ko dettole se saaf kiya.

“aaahhhh….dheere se bahut jalan ho rahi hai.”

“dubaara aisa mat karna kabhi…samjhi”

“samajh gayi.” Zarina ne maasumiyat se kaha.

Dettole se ghaav saaf karne ke baad aditya ne betadine lotion laga kar patti baandh di haath par. “sab theek ho jaayega.”

“aditya main simran se milna chaahti hun.”

“chhodo ab zarina…kya apni aur jyada bejati karvana chaahti ho.”

“simran ne mujhe kuch nahi kaha aisa aditya. Mujhe ush se milkar sorry to bolna chaahiye na. please kuch karo…main ush se milna chaahti hun.”

“vo to delhi ke liye nikal rahi thi. shaayad airport pahunch bhi gayi ho.”

“to hum airport hi chalte hain. Vahi mil lenge.”

“theek hai phir chalo jaldi…vaise tumhaara sorry bolna nahi banta hai kyonki saari galti meri hai. phir bhi tum kahti ho to chalo.”

Dono turant hotel se baahar aaye aur airport ke liye taxi lekar chal diye. Jaise hi vo dono airport pahunche simran apni taxi se utar rahi thi. aditya ki nazar ush par pad gayi.

“vo rahi simran. Acha huva ki yahi baahar hi mil gayi..aao jaldi” aditya ne zarina se kaha.

Vo dono turant taxi se nikal kar simran ki taraf badhe.

“simran!” aditya ne awaaj di.

Simran chonk kar ruk gayi aur peeche mud kar dekha. Zarina aur aditya ushki taraf badhe aa rahe the.

“simran…kya thodi der ruk sakti ho, zarina tumse kuch baat karna chaahti hai.” aditya ne kaha

Simran ne zarina ki taraf dekha. Dono ne aankho hi aankho mein kuch kaha. Zarina ki aankho mein request thi aur simran ki aankhon mein ush request ke liye manjoori.

“haan sure…” simran ne kaha.

Zarina ne aditya ko vaha se dur jaane ka ishaara kiya. Aditya baat samajh kar vaha se hat gaya.

Zarina simran ke karib aayi aur boli, “mujhe maaf kar do simran. Tumhaara haq anjaane mein cheen liya maine. Agar koyi saja dena chaaho to de do mujhe. Khusi-khusi sah lungi. Apne pyar ki kasam kha kar kahti hun ki marne ke liye nikli thi vaha se. par pata nahi kyon mar nahi paayi. Ye jeendagi aditya ne di hai mujhe. Ushe hi haq hai ishe lene ka. Haan par ek haq tumhe bhi hai. mujhe jo saja dena chaahe de do. Par please mujhe maaf kar do.

Mujhe sach mein nahi pata tha ki aditya pahle se shaadi shuda hai varna main hargiz dil nahi lagaati aditya se. aur simran main kishi laalach ke kaaran aditya ke saath nahi hun. bas ek hi laalach hai, vo hai apni jeendagi ka. Jee nahi sakti aditya ke bina. Ishiliye aaj marne ja rahi thi. ab tum bataao meri kya saja hai”

Simran ne zarina ke chehre par haath rakha aur boli, “tumhe aaj itna kuch shun-na pada vaha ush kamre mein. Vo saja kya kam thi jo aur maang rahi ho. Tum jab aditya ko thappad maar kar vaha se gayi to mujhe realise huva ki hum log kya paap kar rahe the. Kitna gir gaye the hum sab. Mujhe khud na jaane kya ho gaya tha. shaayad chachi ji aur nisha ki baaton ka asar tha mujh par. Maafi to mujhe maangni chaahiye tumse. mere kaaran tumhe itna apmaan sahna pada. Kya kuch nahi shuna tumne aaj. Three women were destroying the character of one women, nothing can be more painfull than this.”

“simran tumhe mere dukh ka ahsaas huva aur mujhe kya chaahiye. Magar ish se mera gunaah kam nahi ho jaata. Anjaane mein hi sahi par gunaah to huva hai mujhse. Pata nahi main kaise maaf karungi khud ko.” Zarina ne kaha.

“pyar karti ho na aditya se…to khud ko gunahgaar mat maano tum. Pyar khuda ki den hai aur ye kishi bhi haalat mein gunaah nahi ho sakta. Tum apne dil se ye baat nikaal do ki mera kuch cheen liya tumne. Haan pahle-pahle mujhe bhi yahi lag raha tha. magar ag jab tum dono ka pyar dekha to samajh mein aaya ki asal mein pyar kya hai. main to aditya se ek tarfa pyar karti hun. aditya ki aankho mein maine apne liye kuch nahi dekha. Balki mere liye utni concern bhi nahi dekhi jitni tumhaari aankho mein hai. aise mein main unke gale mein pad jaaun 7 saal pahle huyi shaadi ka vaasta de kar to bilkul galat hoga. Jabardasti rishte nibhaaye ja sakte hain zarina koyi badi baat nahi hai. aisa bahut log kar rahe hain duniya mein. Magar jabardasti banaaya huva rishta kabhi pyar ka vo phool nahi khila paayega jishki ki ek pati patni ke rishte mein sambhaavna hoti hai. aditya ki nazro mein tumhaare liye beinteha pyar dekha hai maine. Tum dono ka saath likha hai bhagvaan ne. jaao dono khuss raho. Bhagvaan meri saari khusiyan tum dono ko de de.” Aankhe tapak gayi simran ki ye aakhri kuch lines bolte huve.

Zarina ne fauran simran ke honto par haath rakh diya, “bas…tumhaari aur koyi khusi nahi chaahiye hamein. Jitna liya hai…vahi bahut jyada ho gaya hai. duva to main karti hun ki mere hisse ki saari khusiya allaah tumhe de de.”

“bas-bas ab aur mat rulaao mujhe. Jaao apne aditya ke paas. Aur tum dono mujhe bhool mat jaana. Milte rahna mujhse. Tum dono se koyi gila shikva nahi hai ab. Balki pyar hai tum dono se. jaao ab main bahut bhaavuk ho rahi hun.”

Zarina ne simran ko gale laga liya aur boli, “kaash dango mein mar jaati main to tumhe koyi bhi takleef nahi hoti.”

“bas thappad maarungi tumhe main ab. Dubara mat kahna aisa.”

Aditya ye sab dekh kar rok nahi paaya khud ko aur aa gaya dono ke paas.

Aditya ko dekh kar simran boli, “aap zarina ka khyaal rakhna. Pata nahi kaisa naata jud gaya hai ishke saath. Ishe hamesa khuss rakhna. Ye khuss rahegi to main bhi khuss rahungi. Koyi takleef nahi honi chaahiye meri zarina ko.”

Ye shun kar aditya ki aankhe nam ho gayi aur vo bhaavuk awaaj mein bola, “thank you simran. Thank you very much…kuch nahi sujh raha ki kya kahun tumhe.”

“kuch kahne ki jaroorat nahi hai. ye bataao ki shaadi kar chuke ho ya karne wale ho?”

Zarina, simran se alag huyi aur boli, “ye tum taiy karogi ab ki hum kab shaadi karein.”

“meri taraf se to aaj kar lo…”

“simran tumhaare parents to koyi samashya nahi karenge na. koyi kaanuni uljhan to paida nahi karenge na.”

“vo sab mujh par chhod do. Aur kaanuni adchan koyi nahi hai tumhaare saamne. Baal-vivaah ko court nahi maanta. sirf ek application se annulment ho jaayega. Tum dono bina kishi chinta ke shaadi karo. Koyi dikkat nahi aane dungi main. Baal-vivaah ka koyi legal status nahi hai.”

“bahut jaankaari hai law ki tumhe?” aditya ne kaha.

“law student hun na. ishliye” simran ne hanste huve kaha.

“chacha, chachi chodne nahi aaye?”

“nahi vo log aa rahe the par maine hi mana kar diya. Atcha main late ho rahi hun. kahi flight miss na ho jaaye.” Simran ne kaha

“haan-haan tum niklo…hum milte rahenge.” Zarina ne kaha.

Simran ne zarina ke maathe ko chuma aur boli, “god bless you. Hamesha khuss rahna. Kishi baat ki chinta mat karna.”

Simran ne aditya ki taraf dekha aur boli, “aap bhi apna aur zarina dono ka khayaal rakhna.”

“bilkul aapka hukum sar aankho par.” Aditya ne hanste huve kaha.

Simran chal padi dono ko vahi chhod kar. Aditya aur zarina dono ushe jaate huve dekhte rahe.

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
Post Reply