एक अनोखा बंधन compleet

Post Reply
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--22

gataank se aage.....................

Nisha ke jaane ke baad chachi ne kaha, “beta kya ye sach hai ki tum gona nahi karna chaahte. Simran ko chhod dena chaahte ho.”

“chachi ji maine chacha ji ko sab bata diya hai.”

“haan inhone bataaya hai mujhe…magar main tumse shun-na chaahti hun.”

“haan ye sach hai. main ye baal-vivaah nahi nibha sakta. Maine kabhi ish shaadi ko shaadi nahi maana.”

“matlab hum sab bado ki koyi parvaah nahi tumhe. Tumhaare mammi, papa jeenda hote to pata nahi kya haal hota unka ye sab shun kar. Kya tumhe andaaza bhi hai ki kya thukraane ja rahe ho tum. arey hira hai simran hira. Lakho mein ek hai vo.”

“main kishi aur se pyar karta hun aur ushe apni patni maanta hun. Main ye gudde-gudiyon ka khel nahi nibha sakta.” Aditya ne kaha.

“ye shunte hi chacha aur chachi ki aankhe phati rah gayi.”

“mujhe to pahle se hi shak tha ish baat ka. Bahut badhiya beta.” Chacha ne kaha.

“kaun hai vo karam jali jo hamaari simran ka ghar ujaadne par tuli hai.” chachi ne kaha.

Chachi bahut gusse mein thi ishliye aditya ne chup rahna hi sahi samjha.

“matlab ki tumhara faisla atal hai.” chacha ne kaha.

“ji haan…main shaadi karunga to apni marji se aur vo bhi ush se jishe main bahut pyar karta hun.ish Baal-vivaah ko main nahi maanta.” Aditya ne kaha.

“Jaao beta ye sab khud hi kaho simran se jaakar. Hum ye sab nahi bol paayenge.” Raghu nath ne kaha aur nisha ko awaaj di jor se “nisha!”

Nisha muh latkaaye vaapis aayi vaha aur boli, “ji papa.”

“aditya ko le jaao simran ke paas. Ye kuch jaroori baat karna chaahta hai ush se.”

“aao bhaiya…” nisha ne kaha.

Aditya chupchaap uth kar chal diya vaha se.

“bhaiya kaun si jaroori baat hai?” nisha ne pucha.

“chhod vo sab…teri padhaayi kaisi chal rahi hai.”

“achi chal rahi hai. lijiye aa gaya bhabhi ka kamra. Aap dono baat karo main mammi, papa ke paas baithti hun.” Nisha kah kar chali gayi.

Aditya kamre mein dabe paanv daakhil huva. Ushka dil jor-jor se dhadak raha tha. simran bed ke paas khadi thi nazre jhukaaye. Anjaane mein hi aditya ki nigaah simran ke chehre par padi. Vo dekhta hi rah gaya ushe. Ek aakarshak nayan naks paaya tha simran ne. chehre par pyari si maasumiyat thi.

Aditya ne ushke kadmo ki taraf dekha aur bola, “kaisi hain aap.”

“main theek hun. Aap kaise hain.” Simran bhi aditya ke kadmo ko hi dekh rahi thi.

“kya khel khela na kishmat ne. kitni jaldi hum dono ki shaadi ho gayi thi. ush umar mein hamein shaadi ka matlab bhi nahi pata tha. bahut ro rahi thi aap, yaad hai mujhe. Pata nahi kya jaroorat thi itni jaldi ye sab karne ki.” Aditya ne apni baat kahne ke liye bhumika taiyaar ki.

“haan hamaare apno ne bachpan mein hi hamein ish rishte mein baandh diya.”

“aap hi bataayein baal-vivaah kaha tak jaayaj hai. gair kaanuni hai ye. Phir bhi hum log nahi maante.”

“baal-vivaah bilkul jaayaj nahi hai.”

“to aap maanti hain ki hum logo ke saath galat huva. Dekhiye ab hum bade ho chuke hain. Aur hamein apna jeevan saathi chun-ne ka haq hona chaahiye. Main ab ghuma phira kar nahi kahunga. Main ye baal-vivaah nahi nibha sakta hun. Aap bhi ish bandhan se khud ko azaad samajhiye.”

Ye shunte hi simran ke pairo ke neeche se jaise jamin nikal gayi. Bahut kuch kahna chaahti thi vo magar kuch nahi bol paayi. Hont jaise shil gaye the ushke. Aditya ka dil bhi bahut jor-jor se dhadak raha tha. vo fauran vaha se bhaag jaana chaahta tha.

“mujhse koyi bhool huyi ho to mujhe maaf kar dijiyega please. Chalta hun main.” aditya mud kar jaane laga

“shuniye…” simran ne himmat karke awaaj di.

Aditya vaapis muda aur bola, “kahiye…main aapki baat shune bina nahi jaaunga yaha se.”

“beshak baal-vivaah galat hai aur rahega. Ush vakt maine bhi vo khel enjoy nahi kiya. Magar meri parvarish kuch ish tarah ki gayi ki aapko ek devta bana kar mere dil mein baitha diya gaya. bachpan se yahi seekhaya gaya ki pati parmesvar hota hai ishliye aditya tumhaara parmeshvar hai. main sab kuch swikaar karti gayi khule man se. kab aapse pyar ho gaya…pata hi nahi chala. aur itna pyar kar baithi aapse ki apne parents se lad baithi aapke liye. Vo nahi chaahte the ki main aapke liye mumbai aaun. Magar main apni zid par adi rahi aur unhe mujhe bhejna pada aapke paas. Mujhe ek moka to de dijiye please. Baal-vivaah to galat hai magar mera pyar galat nahi hai. shaadi chaahe jaise bhi huyi ho magar main aapko tan,man dhan se apna pati maanti hun.”

“ye sab kah kar to gunahgaar bana diya aapne mujhe. Kaash ye dharti phat jaaye aur main ishmein sama jaaun.” Aditya sar pakad kar baith gaya bistar par.

Simran turant kadmo mein baith gayi aditya ke aur boli, “nahi please aisa mat boliye. Maine kuch galat kaha to ushke liye maafi chaahti hun aapse par aap apne liye ye sab na boliye.”

“simran uth jaao please. Mere kadmo mein baith kar aur gunahgaar mat banaao mujhe. Saari galti meri hi hai. kaash ish shaadi ko main bhi aapki tarah shaadi swikaar kar leta to aaj ye din nahi dekhna padta.

Bahut shunder ho aap. Ush se bhi jyada shunder aapka vyatitav hai. koyi bhi insaan aapke jaise jeevan saathi ko paakar khud ko dhanya mahsus karega. Magar main aaj aisi jagah khada hun jaha main chaah kar bhi aapko swikaar nahi kar sakta.”

“aisa kyon hai kya bata sakte hain mujhe.?” Simran ne pucha.

“jish tarah aapne mujhe apne dil mein baitha rakha hai ushi tarah maine apne dil mein zarina ko baitha rakha hai…aur main ushke bina jee nahi sakta. Vo meri jeendagi hai. ab tum hi bataao main kya karun. Tumhaar saath bachpan mein shaadi huyi thi. zarina ke saath pyar ne shaadi karva di meri. khun se maang bhari hai maine ushki. Tum mujhe apna pati maanti ho. Aur main zarina ko patni maanta hun. Tum hi bataao ab kya kiya jaaye.”

Tabhi achaanak aditya ki chachi daakhil huyi kamre mein. Chachi ko dekh kar simran fauran aditya ke kadmo ke paas se uth kar khadi ho gayi.

“main bataati hun kya karna hai. chalo abhi vaapis gujrat. Milna chaahti hun main ish zarina se. dekhun to sahi kya bala hai vo, jo ki kishi aur ka ghar ujaadne par tuli hai.”

“ushki koyi galti nahi hai chachi. Saari galti meri hai. aur vo mere saath hi aayi hai mumbai. ”

“to lekar aao ushe. Ya phir hum chalte hain hotel mein.”

“ushka ish sab se koyi lena dena nahi hai. ushki koyi galti nahi hai.”

“beta jishe tum patni maante ho aur jish se shaadi karna chaahte ho kya ushe hamse nahi milvaaoge.?”

Simran ek taraf khadi chupchaap sab shun rahi thi.

“main bhi chaahta hun ki aap sab milein ush se. aur hamaare pyar ko swikaar karein.” Aditya ne kaha.

“to jaao beta ushe abhi ishi vakt le aao. Hum milna chaahte hain ush se.” chachi ne kaha.

“haan bhaiya le aao ushe. Dekhein to sahi kaun hai vo jo hamaari pyari bhabhi ki jagah lena chaahti hai.” nisha ne kaha.

“baad mein mil lena shaanti se abhi nahi.” aditya ne kaha.

“le aaeeye unhe. Main bhi unse milna chaahti hun.” Simran ne kaha.

Aditya ne simran ki aankho mein dekha aur bola, “kya aap sach mein milna chaahti hain ush se.”

“haan..jish se aap itna pyar karte hain, ush se milna shobhagya hoga mere liye.” Simran ne kaha.

“theek hai main abhi ushe lekar aata hun. Aap sabhi ko meri zarina se mil kar khusi hogi.” Aditya uth kar chal diya.

Aditya ke jaane ke baad chachi ne simran ko gale se laga liya aur boli, “beta tum chinta mat karo. Aane do ish karam jali ko. akal theekane lagaaungi main ushki. hamaare seedhe saadhe aditya ko phansa liya. socha hoga atcha paisa hai, factory hai aur kya chaahiye. Tu fikar mat kar aditya tera hi rahega. Naam se to koyi muslim lagti hai. muslim ladki ko to ab banayenge hum apne ghar ki bahu.”

“par chachi kya faayda ish sab ka. Vo ushe pyar karte hain mujhe nahi”

“paagal mat bano tum patni ho aditya ki aur tumhe apne haq ke liye ladna hoga. Kayi baar apna haq lad kar hi milta hai.” chachi ne kaha.

“haan bhabhi mammi theek kah rahi hain. Hamein pata hai ki bhaiya sirf aapke saath khuss rahenge. Ye ladki jaroor koyi chaalbaaz hai jo ki khaata peeta ghar dekh kar ek shaadi shuda ladke ke peeche pad gayi aur apne prem jaal mein phansa liya. dekho besarmi ki bhi had kar di..bhaiya ke saath yaha chali aayi. Jaroor ushke parivaar wale bhi shaamil honge ushke saath.” Nisha ne kaha.

“mujhe kuch samajh nahi aa raha…pata nahi aisa mere saath hi kyon ho raha hai.”

“sab theek ho jaayega bas himmat mat haarna.” Chachi ne kaha.

………………………………………………………………………………………………

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

एक अनोखा बंधन--23

गतान्क से आगे.....................

ज़रीना बेसब्री से इंतेज़ार कर रही थी आदित्य के लौटने का. बार बार यही दुवा कर रही थी कि सब ठीक ठाक रहे. जब रूम की बेल बजी तो तुरंत भाग कर दरवाजा खोला उसने.

“आदित्य तुम आ गये…सब ठीक है ना.” ज़रीना ने एक साँस में पूछा.

“हां लग तो सब ठीक ही रहा है. चलो तुम्हे लेने आया हूँ मैं. सब तुमसे मिलना चाहते हैं.” आदित्य ने कहा.

ज़रीना थोड़ा परेशान सा हो गयी ये सुन कर. “मुझसे मिलना चाहते हैं…पर क्यों?”

“अरे मम्मी पापा के बाद अब चाचा, चाची ही मेरे सब कुछ हैं. उनसे तो मिलना ही पड़ेगा ना. हां थोड़ा गुस्से में हैं सभी. पर थोड़ा गुस्सा तो सहना ही पड़ेगा हमें. दिल के आछे हैं वैसे मेरे चाचा चाची. मुझे उम्मीद है कि वो हमारे प्यार को समझेंगे.” आदित्य ने कहा.

“आदित्य वो तो ठीक है…पर मुझे डर सा लग रहा है.”

“अरे डरने की क्या बात है, मैं हूँ ना. मेरे होते हुवे काहे का डर.”

“ठीक है मैं थोड़ा बाल-वाल संवार लू. तुम 5 मिनिट वेट करो.” ज़रीना ने कहा.

5 मिनिट बाद ज़रीना आदित्य के साथ उसकी चाची के घर की तरफ जा रही थी.

“तुमने क्या बताया मेरे बारे में उन्हे.” ज़रीना ने कहा.

“कुछ नही बस इतना ही के तुम्हे बहुत प्यार करता हूँ. ज़्यादा कुछ बताने का वक्त ही नही मिला. चाचा चाची गुस्से में हैं. हो सकता है कुछ उल्टा सीधा बोल दे. तुम शांत रहना. चुपचाप सब सुन लेना. ज़्यादा देर गुस्सा नही रहेंगे वो.” आदित्य ने कहा.

“वैसे मुझे गुस्सा आ जाता है बहुत जल्दी अगर कोई मुझे कुछ कहे तो. पर तुम्हारे लिए और इस प्यार के लिए सब सह लूँगी.” ज़रीना ने कहा.

“दट’स लाइक माइ ज़रीना. देखो जान वक्त हमें बहुत बुरी तरह आजमा रहा हैं. लेकिन ये वक्त बेकार नही जाएगा. कहते हैं की शांत समुंदर में नाव चला कर कोई अच्छा नाविक नही बन सकता. अछा नाविक बन-ने के लिए अशांत समुंदर की ज़रूरत होती है. जोखिम रहता है मानता हूँ मगर जोखिम के बिना इंसान जीना नही सीख पाएगा. भगवान किश्मत वालो को ही आजमाते हैं."

“वो तो ठीक है…इतना भी ना आजमाया जाए हमें कि टूट कर बिखर जायें हम.”

बाते करते-करते जल्दी ही पहुँच गये दोनो घर. चाची ने ही दरवाजा खोला इस बार भी.

“ह्म्म…तो तुम हो ज़रीना. सुंदर हो. बल्कि बहुत सुंदर हो. लगता है अपने चेहरे को ही हथियार बनाया है तुमने हमारे आदित्य को जाल में फँसाने के लिए.” चाची ने कटाक्ष किया.

ज़रीना ने आदित्य की तरफ देखा. आदित्य ने ज़रीना को पाँव छूने का इशारा किया.

ज़रीना पाँव छूने के लिए झुकी ही थी कि चाची दो कदम पीछे हट गयी और बोली, “बस-बस नाटक मत करो … आओ अंदर.”

ज़रीना अंदर आ गयी चुपचाप आदित्य के साथ. आदित्य के चाचा सोफे पर बैठे थे.

“ज़रीना ये हैं मेरे चाचा जी” आदित्य ने चाचा की तरफ हाथ से इशारा करके कहा.

ज़रीना उनके पाँव छूने के लिए उनकी तरफ बढ़ी पर उन्होने उसे हाथ का इशारा करके पीछे ही रोक दिया, “इसकी कोई ज़रूरत नही है.”

“चाचा जी ऐसा क्यों कह रहे हैं?” आदित्य ने मायूसी भरे भाव में कहा.

“आदित्य तुम अपने चाचा जी के पास बैठो हमे ज़रीना से अकेले में कुछ बात करनी है.” चाची ने कहा.

“चाची जी जो बात करनी है मेरे सामने कीजिए. ये कही नही जाएगी. मैं यहा ज़रीना को आप लोगो से मिलवाने लाया हूँ पर ये देख कर दुख हो रहा है कि आप लोग अपमान कर रहे हैं मेरे प्यार का. मेरे सामने ही इतना कुछ हो रहा है तो अकेले में तो सितम ढा देंगे आप लोग. चलो ज़रीना वापिस चलते हैं. किसी से कोई बात करने की ज़रूरत नही है.” आदित्य ने कहा.

“भैया हमें बात तो करने दीजिए. हम कोई राक्षस नही हैं जो कि खा जाएँगे इन्हे. यू गुस्सा होने से बात नही बनेगी. किसी समस्या का हाल बात चीत से ही निकलता है.” निशा ने कहा.

“तो बात चीत मेरे सामने कीजिए ना. अकेले में क्या कोई सीक्रेट बात करनी है.” आदित्य ने कहा.

“भैया हम सब आपका भला चाहते हैं. प्लीज़ हमें बात करने दीजिए इनसे. और इनका और सिमरन का मिलना ज़रूरी है. ये दोनो मिल कर इस बात का हल निकाले तो ज़्यादा अछा रहेगा.” निशा ने कहा.

“हां आदित्य आओ तुम यहा बैठो मेरे पास. ये लोग इस से कुछ बात करना चाहते हैं तो तुम्हे क्या दिक्कत है. ऐसे बच्चो की तरह बिहेव नही किया करते.” रघु नाथ ने कहा.

“ठीक है कर लो बात चीत. मगर मेरे प्यार का अपमान मत करना. मेरी जींदगी है ये और अगर इश्कि आँखो में आँसू आए तो मेरा दम निकल जाएगा.” आदित्य ने कहा.

ज़रीना के चेहरे पर अजीब कसम्कश थी. आदित्य उसकी ओर देख कर उसकी हालत समझ गया और उसके चेहरे पर हाथ रख कर बोला, “सुन लो क्या कहते हैं ये लोग. हम हर हाल में एक हैं और एक रहेंगे.किसी बात की चिंता मत करना.”

ज़रीना, निशा और चाची के साथ उस कमरे में आ गयी जिस मे सिमरन थी. सिमरन बिस्तर पर टांगे सिकोड कर घुटनो पर सर रख कर बैठी थी जब वो लोग अंदर आए.

“ये है सिमरन, मेरी प्यारी भाभी. भाभी ये है ज़रीना.” निशा ने दोनो को इंट्रोड्यूस करवाया.

ज़रीना और सिमरन ने एक दूसरे को देखा मगर कुछ बोले नही. निशा ने एक कुर्सी दे दी ज़रीना को बैठने के लिए.

“थॅंक यू.” ज़रीना ने कुर्सी पर बैठते हुवे कहा. निशा भी ज़रीना के साथ ही एक दूसरी कुर्सी खींच कर बैठ गयी. चाची बिस्तर पर टाँग लटका कर बैठ गयी.

“क्या तुम मुस्लिम हो?” चाची ने पूछा.

“जी हां” ज़रीना ने जवाब दिया.

“एक तो खून ख़राबा मचा रखा है तुम लोगो ने देश में. कभी भी कही भी बॉम्ब लगा देते हो. अब हमारे रिश्तो में भी दरार डालने लग गये तुम लोग. चाहती क्या हो तुम.” चाची ने कटाक्ष किया.

ज़रीना को बहुत गुस्सा आया ये सुन कर. चेहरा गुस्से से लाल हो गया उसका. गुस्सा स्वाभाविक भी था क्योंकि उसके अस्तित्व पर चोट की गयी थी. मगर वो चुप रही. कुछ नही कहा. वादा जो किया था आदित्य से सब कुछ शांति से सुन ने का. प्यार में क्या कुछ नही सहना पड़ता.
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

ज़रीना को बहुत गुस्सा आया ये सुन कर. चेहरा गुस्से से लाल हो गया उसका. गुस्सा स्वाभाविक भी था क्योंकि उसके अस्तित्व पर चोट की गयी थी. मगर वो चुप रही. कुछ नही कहा. वादा जो किया था आदित्य से सब कुछ शांति से सुन ने का. प्यार में क्या कुछ नही सहना पड़ता.

“कब से जानती हो उनको” सिमरन ने पूछा.

“ कॉलेज में थे साथ और हम दोनो के घर भी साथ साथ थे.” ज़रीना ने कहा.

“तो क्या तुम्हे नही पता था कि वो शादी शुदा हैं.” सिमरन ने पूछा.

“ये पता होता तो मैं आज यहा नही बैठी होती और ना ही आपको ये सवाल करने की ज़रूरत पड़ती.” ज़रीना ने सिमरन की आँखो में देखते हुवे कहा.

“झूठ कह रही हो तुम. भैया की पड़ोसी हो कर तुम उनकी शादी के बारे में नही जानती ऐसा कैसे हो सकता है” निशा ने कहा.

“हमारे परिवारों में बनती नही थी. कभी एक दूसरे के बारे में जान-ने का मोका ही नही मिला.” ज़रीना ने कहा.

“फिर ये प्यार का नाटक कैसे हो गया तुम दोनो के बीच. जब ऐसा था तो” चाची ने कहा.

“प्यार की शायद कोई वजह नही होती और जहा वजह ढुंडी जाती है वाहा प्यार नही होता.” ज़रीना ने जवाब दिया.

“वजह तो बहुत बढ़िया है तुम्हारे पास प्यार की. आदित्य के पेरेंट्स तो मारे गये गोधरा हादसे में. अब उसका घर और कारोबार सब कुछ तुम्हारे हाथ में आ सकता है. इन बातों के लिए इस बात को आसानी से इग्नोर किया जा सकता है की आदित्य पहले से शादी शुदा है.” चाची ने कहा.

“क्या हम यहा इस समश्या का हल करने के लिए बैठे हैं या फिर ‘मूड स्लिंगिंग’ के लिए.” ज़रीना ने कहा.

“तुम्हारे हिसाब से क्या हाल है इस समस्या का” सिमरन ने पूछा.

“मुझे नही पता…बस इतना जानती हूँ कि आदित्य मेरी जींदगी है.”

“तुम्हे शरम नही आती मेरे सामने ऐसी बाते करते हुवे. मेरे पति को अपनी जींदगी बताती हो. क्या ऐसी बाते करके हाल धुन्दोगि तुम इस समश्या का.” सिमरन भड़क गयी.

“हाल तुम बता दो सिमरन… मुझे सच में कुछ नही पता.” ज़रीना ने कहा.

“हाल सिर्फ़ एक ही है. मेरे पति का पीछा छ्चोड़ दो. तुम्हे पहले नही पता था उनकी शादी के बारे में माँ लेती हूँ मैं. मगर अब तो पता है ना. सब कुछ जान ने के बाद भी तुम क्यों हमारे बीच आना चाहती हो.” सिमरन ने कहा.

“क्योंकि जीना नही छ्चोड़ सकती मैं. आदित्य मेरी जींदगी है.” ज़रीना ने जवाब दिया.

“बेशर्मी की हद है ये तो. क्या यही संसकार दिए हैं तुम्हारे पेरेंट्स ने तुम्हे. और कैसे पेरेंट्स हैं तुम्हारे जिन्होने तुम्हे भैया के साथ अकेले मुंबई भेज दिया. वो सब भी लगता है इस खेल में शामिल हैं.” निशा ने कहा.

ज़रीना ने निशा की तरफ देखा. कुछ कहना चाहती थी मगर इतना भावुक हो गयी थी अपने अम्मी अब्बा की बात पर कि आँखे टपक गयी उसकी, “अब क्या कहूँ तुम्हे.” ज़रीना बस इतना ही बोल पाई.

“सच कड़वा होता है ना ज़रीना…वरना तुम रोने की बजाए निशा की बात का जवाब देती.” सिमरन ने कहा.

“हां बताओ कैसे भेज दिया तुम्हारे घर वालो ने तुम्हे आदित्य के साथ अकेले. ये तो वही लोग कर सकते हैं जिनकी कोई इज़्ज़त नही होती. दफ़ा हो जाओ हमारे आदित्य की जींदगी से वरना वो हाल करेंगे तुम्हारा की याद रखोगी जींदगी भर. हमारे होते हुवे सिमरन का हक़ कोई नही छीन सकता.”

“बस!.. बंद करो तुम सब ये बकवास.” ज़रीना ज़ोर से चिल्लाई. ज़रीना की आवाज़ बाहर रघु नाथ और आदित्य को भी सुनाई दी.

“क्या जानते हो तुम लोग मेरे बारे में. पंचायत लगा कर बैठ गये हो सिर्फ़ मुझे नीचा दिखाने के लिए. मेरे पेरेंट्स और मेरी बहन दंगो में मारे गये थे. अकेली हो गयी थी मैं…बिखर चुकी थी. आदित्य ने संभाला मुझे और जीने की उम्मीद दी. कब प्यार हो गया मुझे आदित्य से पता ही नही चला. मगर छ्चोड़ो अब ये सब. रखो अपने आदित्य को अपने पास. मुझे नही चाहिए कुछ भी. आप सब खुश रहें.” ज़रीना उठ कर चल दी वाहा से. मगर आदित्य को दरवाजे पर खड़ा देख कर रुक गयी और रोने लगी.

“तो आप लोगो ने रुला ही दिया मेरी…..” आदित्य अपना सेंटेन्स पूरा नही कर पाया क्योंकि ज़रीना ने थप्पड़ जड़ दिया था उसके गाल पर. थप्पड़ इतनी ज़ोर का था कि सभी को उसकी गूँज सुनाई दी.

“क्यों नही बताया मुझे कि तुम शादी शुदा हो. बता देते एक बार तो कभी ये प्यार ना करती मैं.” ज़रीना ने बहुत भावुक अंदाज में कहा.

आदित्य नज़रे झुकाए खड़ा रहा. कुछ भी नही कह पाया ज़रीना को.

“संभलो अपनी बीवी को आदित्य. मेरे पीछे मत आना आज के बाद. अगर आए तुम तो मेरा मारा मूह देखोगे. नही चाहिए मुझे तुम्हारा प्यार.” ज़रीना निकल गयी कमरे से बाहर.

आदित्य इतना शॉक्ड था कि समझ नही पाया कि क्या करे. वही मूर्ति की तरह खड़ा रहा. आदित्या की तरह सिमरन, निशा और चाची भी शॉक्ड थे.

आदित्य चलने ही लगा था ज़रीना के पीछे की चाची ने उसका हाथ थाम लिया. “जो हुवा अछा हुवा आदित्य. यही हाल था इस दुविधा का. जाने दो उसे.”

“मैं मर जाउन्गा चाची जी. जी नही पाउन्गा उसके बिना. प्लीज़ छोड़िए मुझे.” आदित्य ने कहा.

“ऐसा क्या जादू कर दिया है उसने तुम पर की तुम ये सब बोल रहे हो.”

“चाची जी मैं बाद में बात करूँगा आकर. पहले उसे रोक लूँ. अगर वो कही खो गयी तो मैं कही का नही रहूँगा.” आदित्य ने कहा और बाहर की तरफ भागा.

क्रमशः...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--23

gataank se aage.....................

Zarina besabri se intezaar kar rahi thi aditya ke lautne ka. Baar baar yahi duva kar rahi thi ki sab theek thaak rahe. Jab room ki bell baji to turant bhaag kar darvaaja khola ushne.

“aditya tum aa gaye…sab theek hai na.” zarina ne ek saans mein pucha.

“haan lag to sab theek hi raha hai. chalo tumhe lene aaya hun main. sab tumse milna chaahte hain.” Aditya ne kaha.

Zarina thoda pareshaan sa ho gayi ye shun kar. “mujhse milna chaahte hain…par kyon?”

“arey mammi papa ke baad ab chacha, chachi hi mere sab kuch hain. Unse to milna hi padega na. Haan thoda gusse mein hain sabhi. Par thoda gussa to sahna hi padega hamein. Dil ke ache hain vaise mere chacha chachi. Mujhe ummeed hai ki vo hamaare pyar ko samjhenge.” Aditya ne kaha.

“aditya vo to theek hai…par mujhe dar sa lag raha hai.”

“arey darne ki kya baat hai, main hun na. Mere hote huve kaahe ka dar.”

“theek hai main thoda baal-vaal sanvaar lu. Tum 5 minute wait karo.” Zarina ne kaha.

5 minute baad zarina aditya ke saath ushke chachi ke ghar ki taraf ja rahi thi.

“tumne kya bataaya mere baare mein unhe.” Zarina ne kaha.

“kuch nahi bas itna hi ke tumhe bahut pyar karta hun. jyada kuch bataane ka vakt hi nahi mila. chacha chachi gusse mein hain. Ho sakta hai kuch ulta seedha bol de. Tum shaant rahna. Chupchaap sab shun lena. Jyada der gussa nahi rahenge vo.” Aditya ne kaha.

“vaise mujhe gussa aa jaata hai bahut jaldi agar koyi mujhe kuch kahe to. Par tumhaare liye aur ish pyar ke liye sab sah lungi.” Zarina ne kaha.

“that’s like my zarina. Dekho jaan vakt hamein bahut buri tarah aajma raha hain. Lekin ye vakt bekaar nahi jaayega. kahte hain ki shaant shamunder mein naav chala kar koyi acha naavik nahi ban sakta. acha naavik ban-ne ke liye ashaant shamunder ki jaroorat hoti hai. jokhim rahta hai maanta hun magar jokhim ke bina insaan jeena nahi seekh paayega. bhagvaan kishmat walo ko hi aajmaate hain."

“vo to theek hai…itna bhi na aajmaaya jaaye hamein ki tut kar bikhar jaayein hum.”

Baate karte-karte jaldi hi pahunch gaye dono ghar. Chachi ne hi darvaaja khola ish baar bhi.

“hmm…to tum ho zarina. Shunder ho. Balki bahut shunder ho. Lagta hai apne chehre ko hi hathiyaar banaaya hai tumne hamaare aditya ko jaal mein phansaane ke liye.” chachi ne kataksh kiya.

Zarina ne aditya ki taraf dekha. Aditya ne zarina ko paanv chune ka ishaara kiya.

Zarina paanv chune ke liye jhuki hi thi ki chachi do kadam peeche hat gayi aur boli, “bas-bas naatak mat karo … aao ander.”

Zarina ander aa gayi chupchaap aditya ke saath. Aditya ke chacha sofe par baithe the.

“zarina ye hain mere chacha ji” aditya ne chacha ki taraf haath se ishaara karke kaha.

Zarina unke paanv chune ke liye unki taraf badhi par unhone ushe haath ka ishara karke peeche hi rok diya, “ishki koyi jaroorat nahi hai.”

“chacha ji aisa kyon kah rahe hain?” aditya ne maayusi bhare bhaav mein kaha.

“aditya tum apne chacha ji ke paas baitho humein zarina se akele mein kuch baat karni hai.” chachi ne kaha.

“chachi ji jo baat karni hai mere saamne kijiye. Ye kahi nahi jaayegi. Main yaha zarina ko aap logo se milvaane laaya hun par ye dekh kar dukh ho raha hai ki aap log apmaan kar rahe hain mere pyar ka. Mere saamne hi itna kuch ho raha hai to akele mein to shitam dha denge aap log. Chalo zarina vaapis chalte hain. Kishi se koyi baat karne ki jaroorat nahi hai.” aditya ne kaha.

“bhaiya hamein baat to karne dijiye. Hum koyi rakshas nahi hain jo ki kha jaayenge inhe. Yu gussa hone se baat nahi banegi. Kishi samashya ka hal baat chit se hi nikalta hai.” nisha ne kaha.

“to baat chit mere saamne kijiye na. akele mein kya koyi secret baat karni hai.” aditya ne kaha.

“bhaiya hum sab aapka bhala chaahte hain. Please hamein baat karne dijiye inse. aur inka aur simran ka milna jaroori hai. ye dono mil kar ish baat ka hal nikaale to jyada acha rahega.” nisha ne kaha.

“haan aditya aao tum yaha baitho mere paas. Ye log ish se kuch baat karna chaahte hain to tumhe kya dikkat hai. aise bachcho ki tarah behave nahi kiya karte.” Raghu nath ne kaha.

“theek hai kar lo baat chit. Magar mere pyar ka apmaan mat karna. meri jeendagi hai ye aur agar ishki aankho mein aansu aaye to mera dam nikal jaayega.” Aditya ne kaha.

Zarina ke chehre par ajeeb kasamkash thi. aditya ushki aur dekh kar ushki haalat samajh gaya aur ushke chehre par haath rakh kar bola, “shun lo kya kahte hain ye log. Hum har haal mein ek hain aur ek rahenge.kishi baat ki chinta mat karna.”

Zarina, nisha aur chachi ke saath ush kamre mein aa gayi jish me simran thi. simran bistar par taange shikod kar ghutno par sar rakh kar baithi thi jab vo log ander aaye.

“ye hai simran, meri pyari bhabhi. Bhabhi ye hai zarina.” Nisha ne dono ko introduce karvaya.

zarina aur simran ne ek dusre ko dekha magar kuch bole nahi. nisha ne ek kursi de di zarina ko baithne ke liye.

“thank you.” Zarina ne kursi par baithte huve kaha. Nisha bhi zarina ke saath hi ek dusri kusri kheench kar baith gayi. Chachi bistar par taang latka kar baith gayi.

“kya tum muslim ho?” chachi ne pucha.

“ji haan” zarina ne jawaab diya.

“ek to khun kharaba macha rakha hai tum logo ne desh mein. Kabhi bhi kahi bhi bomb laga dete ho. Ab hamaare rishto mein bhi daraar daalne lag gaye tum log. chaahti kya ho tum.” chachi ne kataaksh kiya.

Zarina ko bahut gussa aaya ye shun kar. Chehra gusse se laal ho gaya ushka. Gussa swabhavik bhi tha kyonki ushke astitav par chot ki gayi thi. Magar vo chup rahi. Kuch nahi kaha. Vada jo kiya tha aditya se sab kuch shaanti se shun ne ka. Pyar mein kya kuch nahi sahna padta.

“kab se jaanti ho unko” simran ne pucha.

“ college mein the saath aur hum dono ke ghar bhi saath saath the.” Zarina ne kaha.

“to kya tumhe nahi pata tha ki vo shaadi shuda hain.” Simran ne pucha.

“ye pata hota to main aaj yaha nahi baithi hoti aur na hi aapko ye swaal karne ki jaroorat padti.” Zarina ne simran ki aankho mein dekhte huve kaha.

“jhut kah rahi ho tum. Bhaiya ki padosi ho kar tum unki shaadi ke baare mein nahi jaanti aisa kaise ho sakta hai” nisha ne kaha.

“hamaare parivaaron mein banti nahi thi. kabhi ek dusre ke baare mein jaan-ne ka moka hi nahi mila.” Zarina ne kaha.

“phir ye pyar ka naatak kaise ho gaya tum dono ke beech. Jab aisa tha to” chachi ne kaha.

“pyar ki shaayad koyi vajah nahi hoti aur jaha vajah dhundi jaati hai vaha pyar nahi hota.” Zarina ne jawaab diya.

“vajah to bahut badhiya hai tumhaare paas pyar ki. Aditya ke parents to maare gaye godhra haadse mein. Ab ushka ghar aur kaarobaar sab kuch tumhaare haath mein aa sakta hai. in baaton ke liye ish baat ko aasaani se ignore kiya ja sakta hai ki aditya pahle se shaadi shuda hai.” chachi ne kaha.

“kya hum yaha ish samashya ka hal karne ke liye baithe hain ya phir ‘mud slinging’ ke liye.” Zarina ne kaha.

“tumhaare hisaab se kya hal hai ish samashya ka” simran ne pucha.

“mujhe nahi pata…bas itna jaanti hun ki aditya meri jeendagi hai.”

“tumhe sharam nahi aati mere saamne aisi baate karte huve. Mere pati ko apni jeendagi bataati ho. Kya aisi baate karke hal dhundogi tum ish samashya ka.” Simran bhadak gayi.

“hal tum bata do simran… mujhe sach mein kuch nahi pata.” Zarina ne kaha.

“hal sirf ek hi hai. mere pati ka peecha chhod do. Tumhe pahle nahi pata tha unki shaadi ke baare mein maan leti hun main. Magar ab to pata hai na. sab kuch jaan ne ke baad bhi tum kyon hamaare beech aana chaahti ho.” Simran ne kaha.

“kyonki jeena nahi chhod sakti main. Aditya meri jeendagi hai.” zarina ne jawaab diya.

“besharmi ki had hai ye to. Kya yahi sansakaar diye hain tumhaare parents ne tumhe. Aur kaise parents hain tumhaare jinhone tumhe bhaiya ke saath akele mumbai bhej diya. Vo sab bhi lagta hai ish khel mein shaamil hain.” Nisha ne kaha.

Zarina ne nisha ki taraf dekha. Kuch kahna chaahti thi magar itna bhaavuk ho gayi thi apne ammi abba ki baat par ki aankhe tapak gayi ushki, “ab kya kahun tumhe.” Zarina bas itna hi bol paayi.

“sach kadva hota hai na zarina…varna tum rone ki bajaaye nisha ki baat ka jawaab deti.” Simran ne kaha.

“haan bataao kaise bhej diya tumhaare ghar walo ne tumhe aditya ke saath akele. Ye to vahi log kar sakte hain jinki koyi ijjat nahi hoti. Dafa ho jaao hamaare aditya ki jeendagi se varna vo haal karenge tumhaara ki yaad rakhogi jeendagi bhar. Hamaare hote huve simran ka haq koyi nahi cheen sakta.”

“bas!.. band karo tum sab ye bakwaas.” Zarina jor se cheellayi. Zarina ki awaaj baahar raghu nath aur aditya ko bhi sunaayi di.

“kya jaante ho tum log mere baare mein. Panchayat laga kar baith gaye ho sirf mujhe neecha deekhane ke liye. Mere parents aur meri bahan dango mein maare gaye the. Akeli ho gayi thi main…bikhar chuki thi. aditya ne sambhala mujhe aur jeene ki ummeed di. Kab pyar ho gaya mujhe aditya se pata hi nahi chala. Magar chhodo ab ye sab. Rakho apne aditya ko apne paas. Mujhe nahi chaahiye kuch bhi. Aap sab khuss rahein.” Zarina uth kar chal di vaha se. magar aditya ko darvaaje par khada dekh kar ruk gayi aur rone lagi.

“to aap logo ne rula hi diya meri…..” aditya apna sentence pura nahi kar paya kyonki zarina ne thappad zad diya tha ushke gaal par. Thappad itni jor ka tha ki sabhi ko ushki gunj shunayi di.

“kyon nahi bataaya mujhe ki tum shaadi shuda ho. Bata dete ek baar to kabhi ye pyar na karti main.” Zarina ne bahut bhaavuk andaaj mein kaha.

Aditya nazre jhukaaye khada raha. Kuch bhi nahi kah paaya zarina ko.

“sambhalo apni biwi ko aditya. Mere peeche mat aana aaj ke baad. Agar aaye tum to mera mara muh dekhoge. Nahi chaahiye mujhe tumhaara pyar.” Zarina nikal gayi kamre se baahar.

Aditya itna shocked tha ki samajh nahi paaya ki kya kare. Vahi murti ki tarah khada raha. Aditya ki tarah simran, nisha aur chachi bhi shocked the.

Aditya chalne hi laga tha zarina ke peeche ki chachi ne ushka haath thaam liya. “jo huva acha huva aditya. Yahi hal tha ish duvidha ka. Jaane do ushe.”

“main mar jaaunga chachi ji. Jee nahi paaunga ushke bina. Please chodiye mujhe.” Aditya ne kaha.

“aisa kya jaadu kar diya hai ushne tum par ki tum ye sab bol rahe ho.”

“chachi ji main baad mein baat karunga aakar. Pahle ushe rok lun. agar vo kahi kho gayi to main kahi ka nahi rahunga.” Aditya ne kaha aur baahar ki taraf bhaaga.

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

एक अनोखा बंधन--24

गतान्क से आगे.....................

आदित्य भाग कर घर से बाहर आया मगर उसे ज़रीना कही दीखाई नही दी. आदित्य सीधा होटेल पहुँचा. मगर ज़रीना वाहा भी नही थी.

“कहा चली गयी तुम ज़रीना…क्या फिर से हम जुदा हो गये. क्या पहली बार की लड़ाई से हमने कुछ नही सीखा. तुम ऐसे छ्चोड़ कर नही जा सकती मुझे.” आदित्य ने कहा.

होटेल से निकल कर अदित्य ने ज़रीना को हर तरफ देखा. कोलाबा का चप्पा चप्पा छान मारा मगर वो उसे कही नही मिली. थक हार कर वो वापिस चाचा के घर आ गया ये सोच कर कि क्या पता वो वापिस आ गयी हो गुस्सा थूक कर. ऐसा सोचना था तो अजीब मगर प्यार हर उम्मीद का दामन थाम लेता है.

जब अदित्य घर आया तो सिमरन वाहा से जाने की तैयारी कर रही थी. अदित्य को देख कर तुरंत आई उसके पास, “कहा है ज़रीना, वो ठीक तो है ना.”

“कुछ कह नही सकता. मुझे वो कही नही मिली. कोलाबा का चप्पा चप्पा छान मारा मगर उष्का कही पता नही चला. होटेल भी नही पहुँची वो.”

“हे भगवान सब मेरी वजह से हुवा है. मैने भी बहुत कुछ बोल दिया उशे. आप दोनो के प्यार की पूरी कहानी नही जानती मगर इतना ज़रूर समझ गयी हूँ कि आप दोनो का प्यार इतना अनमोल है कि उसमे किसी छेड़ छाड़ की गूंजायस नही है. मैं पापी बन गयी हूँ आप दोनो के प्यार में तूफान खड़ा करने के कारण. आप दोनो मुझे माफ़ कर दीजिएगा. मैं जा रही हूँ वापिस. अब इस बाल-विवाह नामक कृति से मैं भी आज़ाद होना चाहती हूँ. कोई शिकवा नही है आप दोनो से. बल्कि ख़ुसी है कि इतना अनमोल प्यार देखने को मिला मुझे. आपको ज़रीना मिले तो मेरी तरफ से माफी माँग लेना उस से.मैने बहुत दिल दुखाया है उसका.”

“कैसे जा रही हो देल्ही…टिकेट बुक करवा रखी है क्या?” अदित्य ने कहा.

“नही टिकेट तो मिल ही जाएगी एरपोर्ट से. देल्ही मुंबई की मॅग्ज़िमम फ्लाइट्स होती हैं.”

“हां वो तो है. आपको छ्चोड़ने चलता मगर ज़रीना के लिए परेशान हूँ. मुझे माफ़ कर दीजिएगा आप.मुझे यकीन है की बहुत अछा लाइफ पार्ट्नर मिलेगा आपको.”

“आप से अछा नही मिल सकता जानती हूँ. पर आपकी अनभिलासा नही करूँगी अब क्योंकि वैसा करना पाप होगा. आप ज़रीना के हैं और ज़रीना आप की है. दुख बहुत है आपको खोने का मगर आप दोनो का प्यार देख कर ये दुख ख़ुसी में बदलता जा रहा है.

मुझे यकीन है कि ज़रीना जल्द मिल जाएगी आपको.”

“हां वो गुस्से में बैठी होगी कही चुप कर. मैं उसे ढूंड ही लूँगा. वापिस होटेल जा कर देखता हूँ, हो सकता है वो आ गयी हो.”

आदित्य होटेल पहुँचा तो उसकी ख़ुसी का ठीकाना नही रहा. रिसेप्षन से उसे पता चल गया की ज़रीना कमरे में है.

आदित्य खुश था कि ज़रीना कमरे में है. तुरंत भाग कर आया वो कमरे पर. मगर ज़रीना का थप्पड़ और उसकी कही बातें बार-बार उसके कानो में गूँज रही थी. आदित्या ने रूम की बेल बजाई. ज़रीना उस वक्त बिस्तर पर पड़ी थी पेट के बल. आँखो से आँसुओं की नदिया बह रही थी. बेल को अनशुना कर दिया ज़रीना ने और ज्यों की त्यों पड़ी रही बिस्तर पर. आदित्य बार-बार बेल बजाता रहा मगर ज़रीना ने दरवाजा नही खोला.

“ज़रीना दरवाजा खोलो…मैं बहुत परेशान हूँ. मुझे और परेशान मत करो. प्लीज़ दरवाजा खोलो…मेरा दिल बैठा जा रहा है…तुम ठीक तो हो ना…मुझे चिंता हो रही है तुम्हारी.” आदित्य ने कहा.

ज़रीना धीरे से उठी बिस्तर से और लड़खड़ाते कदमो से दरवाजे की तरफ बढ़ी और दरवाजा खोला.

“क्यों आए हो यहा…अपनी बीवी के पास नही रह सकते क्या…कहा था ना मैने की मेरे पीछे आए तो मेरा मरा मूह देखोगे.?”

“ज़रीना प्लीज़…ऐसी बाते मत करो. तुम्हारे बिना नही जी सकता ये तुम आछे से जानती हो.”

“पर अब तुम्हे जीना होगा. तुम कहते हो कि तुम वो शादी नही निभा सकते और मैं कहती हूँ कि मैं ये प्यार नही निभा सकती. प्लीज़ चले जाओ यहा से. नही चाहिए तुम्हारा प्यार मुझे.”

“ये क्या पागल पन है ज़रीना…और…और ये हाथ में खून कैसा है.” आदित्या की नज़र ज़रीना के दायें हाथ से टपकते खून पर गयी.

“सज़ा दी है खुद को तुम्हे थप्पड़ मारने की.” ज़रीना ने सुबक्ते हुवे कहा.

“तुम कौन होती हो खुद को यू सज़ा देने वाली. दीखाओ मुझे…अफ कितना खून बह रहा है.” आदित्या ने ज़रीना का हाथ पकड़ने की कोशिस की.

“खबरदार जो मुझे छुवा तो…कोई हक़ नही है तुम्हारा मेरे उपर अब.”

“अगर कोई हक़ नही है तो फिर क्यों सज़ा दी तुमने खुद को. पागल मत बनो दीखाओ मुझे…कितना खून बह रहा है.”

“आइ कॅन टेक केर ऑफ माइसेल्फ मिस्टर अदित्य. तुम अपनी बीवी को सम्भालो जाकर और अपने परिवार में खुश रहो.”

“ये क्या बकवास कर रही हो. अब मैं थप्पड़ मारूँगा तुम्हे अगर यू ही बकवास करती रही तो.”

“तो मारो ना रोका किसने है. मुझे जान से मार डालो. तुमने ही बचाया था मुझे एक दिन मरने से, तुम्हे हक़ है मुझे मारने का.”

“क्या सिर्फ़ इश्लीए हक़ है क्योंकि तुम्हे मैने बचाया था. क्या प्यार का हक़ नही है.”

“वो प्यार अब बिखर चुका है अदित्य. वो हक़ नही दूँगी तुम्हे मैं.”

“ग्रेट…तुम सच में पागल हो गयी हो. अरे अब सब कुछ ठीक हो चुका है. सिमरन समझ गयी है हमारे प्यार को. वो हमारे बीच से हट गयी है.”

“मुझे ये मंजूर नही है अदित्य.”

“क्यों मंजूर नही है तुम्हे क्या जान सकता हूँ.”

“तुमने मुझसे इतनी बड़ी बात छुपाई और अब पूछ रहे हो कि क्यों मंजूर नही है. क्या ग़लती है सिमरन की?.... और क्या ग़लती है मेरी? … सब तुम्हारी ग़लती है. मुझसे इतनी बड़ी बात ना छिपाते तो ये दिन नही देखना पड़ता. मेरे चरित्र को छलनी छलनी कर दिया गया आज. कभी मुझे मेरे मज़हब के कारण जॅलील किया गया तो कभी मुझे लालची लड़की की संगया दी गयी जो की तुम्हारी दौलत के पीछे पड़ी है. चलो ये सब भी सह लिया. मगर मेरे अम्मी, अब्बा का क्या कसूर था. बिना सोचे समझे उन्हे भी भला बुरा कहा गया. बहुत गहरी चोट लगी है दिल पे मेरे आज…जिनके घाव कभी नही भर पाएँगे. काश उन दंगो में अपने अम्मी, अब्बा और फ़ातिमा के साथ मैं भी मर जाती तो ये दिन तो नही देखना पड़ता.”

“ज़रीना!” आदित्या चिल्लाया और थप्पड़ जड़ दिया ज़रीना के गाल पर.

“तुम नही जानते अदित्य क्या बीती है मेरे दिल पर आज. तुम मेरी जगह होते तो समझते. सिमरन का हक़ पहले है तुम पर. वो पहले आई थी तुम्हारी जींदगी में.”
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
Post Reply