एक अनोखा बंधन compleet

Post Reply
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

एक अनोखा बंधन--5

गतान्क से आगे.....................

“मिस्टर अदित्य पांडे एक बात बताओ. क्या आनाज़ में जान नही होती. क्या पॅडी ज़ींदा नही होती. जिस पेड़ से फ्रूट तोड़े जाते हैं क्या वो जींदा नही हैं. मार्स पर घास का एक तिनका भी नही उगता. एक घास का तिनका भी उतना ही जींदा है जितना की चिकन. अब बताओ क्या कुछ ग़लत कहा मैने.”

“मुझे नही पता लेकिन मुझे ये सब बर्दास्त नही है.”

“ये तुम्हारी प्राब्लम है मेरी नही.” ज़रीना ने कहा.

प्यार बड़ी जल्दी अपना हक़ जताने लगता है. यही बात अक्सर टकराव का कारण बन जाती है. आदित्य ज़रीना पर हक़ तो जता रहा था पर उसने ग़लत वक्त चुन लिया था. ज़रीना के लिए अपने भोजन को डिफेंड करना स्वाभाविक था. ये बात अदित्य की समझ में नही आ रही थी.

ज़रीना की भी ग़लती थी. वो ये नही समझ पा रही थी कि अदित्य का रिक्षन नॅचुरल है. उसे बहस में पड़ने की बजाए थोड़ा शांति से काम लेना चाहिए था. लेकिन ये बाते कहनी आसान हैं और करनी मुश्किल.

आदित्य फ़ौरन उठ कर बाहर आ गया. आदित्य को सामने ही हनुमान जी का मंदिर दीखाई दिया और वो मंदिर में घुस्स गया.ज़रीना को इतना बुरा लगा कि वो भी बिना खाना खाए बिल पे करके बाहर आ गयी. बाहर आकर अदित्य को ना पाकर उसकी आँखो में खून उतर आया.

“बस इतना ही प्यार था इसे मुझसे. चला गया छोड़ के मुझे. मैं ऐसे इंसान के साथ जींदगी नही बीता सकती.”

गुस्से में अक्सर हम सही फ़ैसला नही कर पाते और अपनी सोचने समझने की ताक़त खो बैठते हैं. ज़रीना इतने गुस्से में थी कि उसने तुरंत मौसी के घर जाने का फ़ैसला कर लिया. उसने ऑटो पकड़ा और सिलमपुर की तरफ चल पड़ी. हालाँकि ये बात और थी कि रास्ते भर उसकी आँखे टपकती रही.

आदित्य सोच रहा था कि ज़रीना अंदर चैन से बैठ कर खाना खा रही होगी. इश्लीए वो मंदिर से आराम से निकला. उसने रेस्टोरेंट के बाहर से ही झाँक कर देखा. ज़रीना वाहा होती तो दीखती. उसने अंदर आ कर पता किया. उसे बताया गया कि वो तो खाना खा कर चली गयी. अब वेटर बहुत बिज़ी रहते हैं. उन्हे क्या मतलब किसी ने खाना खाया या नही. उसके मूह से निकल गया कि वो खाना खा कर चली गयी. आदित्य के शीने पर तो जैसे साँप लेट गया.

उसने बाहर आ कर देखा लेकिन ज़रीना कही दीखाई नही दी. “ये प्यार इतनी जल्दी भिखर जाएगा मैने सोचा नही था.”

आदित्य ऑटो लेकर होटेल की तरफ चल दिया. उसे उम्मीद थी कि ज़रीना उसे होटेल में ही मिलेगी. लेकिन होटेल पहुँच कर वो दंग रह गया. ज़रीना वाहा होती तो मिलती. वो तो अपनी मौसी के घर पहुँच भी गयी थी और वाहा उसका बड़े जोरो का स्वागत भी हो रहा था.

आदित्य बेचारा अकेला बिस्तर पर लेट गया. “शायद वो चली गयी अपनी मौसी के यहा. अगर यही सब करना था तो कल मेरे साथ आई ही क्यों थी. कल ही चली जाती. चलो अछा ही हुवा. उसके साथ निभाना वैसे भी मुश्किल था.” ये बाते अदित्य सोच तो रहा था लेकिन सोचते सोचते उसकी अंजाने में ही आँखे भर आई थी.

“ज़रीना क्यों किया तुमने मेरे साथ ऐसा. तुम तो ऐसी नही थी. मुझे छोड़ कर चली गयी. क्या यही प्यार था तुम्हारा. मैं तुम्हे कभी माफ़ नही करूँगा.”

ज़रीना और आदित्या दोनो को ही प्यार ने बड़ी गहरी चोट दी थी. इधर अदित्य रो रहा था उधर ज़रीना की भी हालत खराब थी. उसे लोगो ने घेर रखा था. उस से पूछा जा रहा था कि वो दंगो से कैसे बची. ज़रीना ऐसी हालत में नही थी कि कुछ भी कहे. उसका तो दिल बहुत भारी हो रहा था. वो कयि बार वॉश रूम में आकर चुपचाप सूबक सूबक कर रोई.

इस तरह प्यार के इंतेहाँ में अदित्य और ज़रीना का प्यार फैल हो गया था. और इस फेल्यूर के बाद दोनो का ही बहुत बुरा हाल था. दोनो के दिलो में एक दूसरे के लिए नफ़रत उभरने लगी थी लेकिन आँखे थी कि प्यार में आँसू बहा रही थी. प्यार भी अजीब खेल खेलता है.

प्यार को समझना बहुत मुश्किल काम है. ये बात वही समझ सकते हैं जो कभी प्यार के पचदे में पड़े हों. ज़रीना चली तो आई थी गुस्से में अपनी मौसी के घर लेकिन उसके दिल पर अदित्य से दूर हो कर जो बीत रही थी उसे सिर्फ़ वो ही जानती थी. ऐसा नही था कि नाराज़गी दूर हो गयी थी उसकी. वो तो ज्यों की त्यों बरकरार थी. लेकिन फिर भी रह-रह कर वो अदित्य की यादों में खो जाती थी.

मौसी के यहा ज़रीना को गुम्सुम देख कर सभी परेशान थे. उन्हे लग रहा था कि ज़रीना ज़रूर कुछ छुपा रही है. लोग अंदाज़ा लगा रहे थे कि शायद दंगो के दौरान कुछ अनहोनी हो गयी होगी उसके साथ, जिसे वो छुपा रही है. इश्लीए लोगो ने उस से सवाल पूछने बंद कर दिए. उन्हे क्या पता था की ज़रीना की छुपी का कारण अदित्य है.

ज़रीना कोशिस तो खूब कर रही थी हँसने की मुश्कूराने की लेकिन बार बार उसका दिल भारी हो उठता था.

“बेटा तू कुछ बोल क्यों नही रही है. जब से आई है गुमशुम सी है. हमें बता तो सही की क्या बात है.” ज़रीना की मौसी ने पूछा.

“मौसी कुछ नही बस वैसे ही परेशान हूँ.” ज़रीना ने कहा.

“अम्मी और अब्बा की याद आ रही होगी है ना. फ़ातिमा का सुन कर बहुत दुख हुवा मुझे. अल्ला उन्हे माफ़ नही करेंगे जिन्होने फ़ातिमा के साथ ये सब किया.”

“मुझे वो सब याद ना दिलाओ मौसी. बड़ी मुश्किल से भूली हूँ मैं वो सब.” बोलते-बोलते ज़रीना की आँखो में आँसू उतर आए.

मौसी ने ज़रीना को गले से लगा लिया और बोली, “मेरी प्यारी बच्ची…चल छोड़ ये उदासी कुछ खा पी ले.”

“मुझे भूक नही है मौसी अभी.” ज़रीना ने कहा.

“चल ठीक है. जब तेरी इच्छा हो तब खा लेना….ठीक है. थोड़ा आराम कर ले, बहुत थक गयी होगी. तेरे लिए वही कमरा तैयार करवा दिया है जहा तू हर बार आ कर रहती है…ठीक है.”

“शुक्रिया मौसी” ज़रीना मुश्कुरा दी.

ज़रीना कमरे में आ कर बिस्तर पर गिर गयी और फिर आँसुओ का वो तूफान उठा की थामे नही थमा. “क्यों किया अदित्य तुमने ऐसा मेरे साथ. बहुत प्यार करती हूँ तुम्हे में…फिर आख़िर क्यों”

अब ज़रीना के पास अदित्य तो था नही जो कोई जवाब देता. प्यार के गम में डूबी हुई ज़रीना रोते हुवे सवाल पे सवाल किए जा रही थी जिनका उसे कोई जवाब नही मिल रहा था. बहुत रुला रहा था प्यार बेचारी को.
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

आदित्य की भी हालत कम नाज़ुक नही थी. पेट में चूहे कूद रहे थे लेकिन मज़ाल है कि मूह पे खाने का नाम आए. प्यार भूक प्यास सब भुला देता है. वो भूके पेट होटेल के बिस्तर पर पड़ा हुवा करवट बदल रहा था. पता नही उसे ऐसा क्यों लग रहा था कि अभी दरवाजा खुलेगा और ज़रीना अंदर आएगी. जब भी उसे अपने कमरे के बाहर आहट सुनाई देती तो वो फ़ौरन उठ कर देखता.वो दाए-बाए हर तरफ बड़े गौर से देखता. अब ज़रीना वाहा होती तो दीखती. हर बार निराश और हताश हो कर अदित्य वापिस अपने बिस्तर पर गिर जाता. हालत तो अदित्य की भी बिल्कुल ज़रीना जैसी ही थी बस फ़र्क इतना था कि उसकी आँखे इतनी नही बरस रही थी जीतनी की ज़रीना की. हां ये बात ज़रूर थी कि उसकी आँखो में हर वक्त नमी बनी हुई थी. आँसू भी टपकते थे रह-रह कर जब दिल बहुत भावुक हो उठता था.

“ज़रीना तुम्हे मुझे यू छोड़ कर नही जाना चाहिए था. मेरे बारे में तुमने एक बार भी नही सोचा. कितना प्यार करता हूँ तुम्हे और फिर भी तुमने ऐसा किया. तुम्हे माफ़ नही कर पाउन्गा मैं.” आदित्या ने अपनी आँखो के नीचे से आँसुओ की बूँदो को पोंछते हुवे कहा.

धीरे धीरे कब रात घिर आई पता ही नही चला. पूरी रात ज़रीना को नींद नही आई. आदित्य भी सो नही पाया. हां ऐसा होता है. प्यार कभी-कभी नींद भी छीन लेता है. ऐसी नाज़ुक हालत में सोना वैसे भी नामुमकिन था.

प्यार की एक इंट्रेस्टिंग बात ये भी होती है की सब नाराज़गी और नफ़रत सिर्फ़ उपर का दिखावा होती है. दिल की गहराई में कुछ ऐसी तड़प होती है एक दूसरे के लिए की उसे शब्दो में नही कहा जा सकता. ये बात कोई प्यार करने वाला ही समझ सकता है.

सुबह होते होते अदित्य और ज़रीना दोनो का ही गुस्सा ठंडा पड़ने लगा था. ज़रीना ने फ़ैसला किया कि वो दिन निकलते ही होटेल जाएगी और अदित्य के गले लग जाएगी और उस से खूब लड़ाई करेगी. बस दिक्कत की बात सिर्फ़ ये थी कि वो घर से निकले कैसे. कोई उसे अकेले कही जाने नही देगा और किसी को साथ लेकर वो अदित्य के पास जा नही सकती थी. इश्लीए जैसे ही दिन निकला वो चुपचाप घर से निकल पड़ी. देल्ही में ऑटो तो सारी रात चलते हैं. सुबह सुबह ऑटो मिलने में कोई दिक्कत नही हुई.

पर दिक्कत ये आन पड़ी कि ऑटो वाला ज़रीना को लक्ष्मीनगर की बजाए कही और ही ले आया. दरअसल ऑटो वाला नया था. उसे लक्ष्मीनगर की लोकेशन ठीक से पता नही थी बस यू ही अपने पैसे बनाने के चक्कर में चल पड़ा था अंदाज़े से.

“भैया ये कहा ले आए तुम मुझे ये लक्ष्मीनगर तो नही लग रहा.”

“ओह…ये लक्ष्मीनगर नही है क्या. ग़लती हो गयी मेडम”

ऑटो वाले ने दूसरे ऑटो वाले से लक्ष्मी नगर का रास्ता पूछा और फिर ऑटो को लेकर चल पड़ा.

होटेल पहुँचते पहुँचते सुबह के 9 बज गये. ज़रीना ने तुरंत ऑटो वाले को पैसे पकड़ाए और होटेल में घुस्स कर सीधा अपने उस रूम की तरफ चल पड़ी जिसमे अदित्य और वो एक साथ रुके थे. लेकिन पीछे से रिसेप्षन पर खड़ी एक युवती ने उसे टोक दिया.

“एक्सक्यूस मी मेडम, आप कहा जा रही हैं.”

ज़रीना मूडी और बोली, “रूम नो 114 में ठहरी हूँ मैं.”

“ओह हां मैं भूल गयी सॉरी. पर आपके साथ जो थे वो जा चुके हैं रूम छोड़ कर.”

“क्या?” ज़रीना के तो पैरो के नीचे से जैसे ज़मीन ही निकल गयी.

“कब गये वो?”

“बस अभी अभी निकले हैं”

“कहा गये वो?” ज़रीना का तो दिमाग़ ही घूम गया था.

“मेडम शायद आपने ठीक से सुना नही. वो चेक-आउट करके जा चुके हैं. अब कहा गये हैं हमें नही पता.”

ज़रीना चेहरा लटकाए हुवे होटेल से बाहर आ गयी.

“मेरा ज़रा सा भी वेट नही किया तुमने अदित्य. क्यों प्यार किया मैने तुमसे.” ज़रीना की आँखे फिर से भर आई.

बड़ा ही अजीब सा कुछ हो रहा था अदित्य और ज़रीना के साथ. ज़रीना होटेल पहुँच गयी थी और अदित्य सिलमपुर. बात सिर्फ़ इतनी थी कि दोनो ग़लत समय पर सही जगह पर थे.

आदित्य को ज़रीना की मौसी का घर तो पता था नही. हां बस गली का पता था. अदित्य पीठ पर बेग टांगे गली में चक्कर लगा रहा था. उसने किसी से ज़रीना की मौसी के घर के बारे में पूछने की जहमत नही उठाई. वो बस बार बार गली के चक्कर लगा रहा था.

“क्या वो मुझे भूल गयी इतनी जल्दी. बाहर आकर तो देखना चाहिए उसे मैं कब से घूम रहा हूँ यहा.”

क्रमशः...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--5

gataank se aage.....................

“mr aditya pandey ek baat bataao. Kya anaaz mein jaan nahi hoti. Kya paddy zeenda nahi hoti. Jish ped se fruit tode jaate hain kya vo jeenda nahi hain. Mars par ghaas ka ek tinka bhi nahi ugta. Ek ghaas ka tinka bhi utna hi jeenda hai jitna ki chicken. Ab bataao kya kuch galat kaha maine.”

“mujhe nahi pata lekin mujhe ye sab bardaast nahi hai.”

“ye tumhaari problem hai meri nahi.” zarina ne kaha.

Pyar badi jaldi apna haq jataane lagta hai. Yahi baat aksar takraav ka kaaran ban jaati hai. Aditya zarina par haq to jata raha tha par ushne galat vakt chun liya tha. zarina ke liye apne bhojan ko defend karna swaabhaavik tha. ye baat aditya ki samajh mein nahi aa rahi thi.

Zarina ki bhi galti thi. Vo ye nahi samajh pa rahi thi ki aditya ka reaction natural hai. Ushe bahas mein padne ki bajaaye thoda shaanti se kaam lena chaahiye tha. lekin ye baate kahni asaan hain aur karni mushkil.

Aditya fauran uth kar baahar aa gaya. Aditya ko saamne hi hanumaan ji ka mandir deekhaayi diya aur vo mandir mein ghuss gaya.Zarina ko itna bura laga ki vo bhi bina khana khaaye bill pay karke baahar aa gayi. Baahar aakar aditya ko na paakar ushki aankho mein khun utar aaya.

“bas itna hi pyar tha ishe mujhse. Chala gaya chod ke mujhe. Main aise insaan ke saath jeendagi nahi beeta sakti.”

Gusse mein aksar hum sahi faisla nahi kar paate aur apni sochne samajhne ki taakat kho baithte hain. Zarina itne gusse mein thi ki ushne turant mausi ke ghar jaane ka faisla kar liya. Ushne auto pakda aur silampur ki taraf chal padi. Halaanki ye baat aur thi ki raaste bhar ushki aankhe tapakti rahi.

Aditya soch raha tha ki zarina ander chain se baith kar khana kha rahi hogi. Ishliye vo mandir se araam se nikla. Ushne restaurant ke baahar se hi jhaank kar dekha. Zarina vaha hoti to deekhti. Ushne ander aa kar pata kiya. Ushe bataaya gaya ki vo to khana kha kar chali gayi. Ab waiter bahut busy rahte hain. Unhe kya matlab kishi ne khana khaaya ya nahi. ushke muh se nikal gaya ki vo khana kha kar chali gayi. Aditya ke sheene par to jaise saanp late gaya.

Ushne baahar aa kar dekha lekin zarina kahi deekhaayi nahi di. “ye pyar itni jaldi bhikhar jaayega maine socha nahi tha.”

Aditya auto lekar hotel ki taraf chal diya. Ushe ummeed thi ki zarina ushe hotel mein hi milegi. Lekin hotel pahunch kar vo dang rah gaya. Zarina vaha hoti to milti. Vo to apni mausi ke ghar pahunch bhi gayi thi aur vaha ushka bade joro ka swaagat bhi ho raha tha.

Aditya bechaara akela bistar par late gaya. “shaayad vo chali gayi apni mausi ke yaha. Agar yahi sab karna tha to kal mere saath aayi hi kyon thi. Kal hi chali jaati. Chalo acha hi huva. Ushke saath nibhaana vaise bhi mushkil tha.” ye baate aditya soch to raha tha lekin sochte sochte ushki anjaane mein hi aankhe bhar aayi thi.

“zarina kyon kiya tumne mere saath aisa. Tum to aisi nahi thi. Mujhe chod kar chali gayi. Kya yahi pyar tha tumhaara. Main tumhe kabhi maaf nahi karunga.”

Zarina aur aditya dono ko hi pyar ne badi gahri chot di thi. Idhar aditya ro raha tha udhar zarina ki bhi haalat kharaab thi. Ushe logo ne gher rakha tha. ush se pucha ja raha tha ki vo dango se kaise bachi. Zarina aisi haalat mein nahi thi ki kuch bhi kahe. Ushka to dil bahut bhaari ho raha tha. vo kayi baar wash room mein aakar chuchaap subak subak kar royi.

Ish tarah pyar ke imtehaan mein aditya aur zarina ka pyar fail ho gaya tha. aur ish failure ke baad dono ka hi bahut bura haal tha. dono ke dilo mein ek dusre ke liye nafrat ubharne lagi thi lekin aankhe thi ki pyar mein aansu baha rahi thi. Pyar bhi ajeeb khel khelta hai.

Pyar ko samajhna bahut mushkil kaam hai. Ye baat vahi samajh sakte hain jo kabhi pyar ke pachde mein pade hon. Zarina chali to aayi thi gusse mein apni mausi ke ghar lekin ushke dil par aditya se dur ho kar jo beet rahi thi ushe sirf vo hi jaanti thi. Aisa nahi tha ki naraajgi door ho gayi thi ushki. Vo to jyon ki tyon barkaraar thi. lekin phir bhi rah-rah kar vo aditya ki yaadon mein kho jaati thi.

Mausi ke yaha zarina ko gumsum dekh kar sabhi pareshaan the. Unhe lag raha tha ki zarina jaroor kuch chupa rahi hai. Log andaaja laga rahe the ki shaayad dango ke dauraan kuch anhoni ho gayi hogi ushke saath, jishe vo chupa rahi hai. Ishliye logo ne ush se sawaal puchne band kar diye. Unhe kya pata tha ki zarina ki chupi ka kaaran aditya hai.

Zarina koshis to khub kar rahi thi hansne ki mushkuraane ki lekin baar baar ushka Dil bhaari ho uthta tha.

“beta tu kuch bol kyon nahi rahi hai. Jab se aayi hai gumshum si hai. Hamein bata to sahi ki kya baat hai.” Zarina ki mausi ne pucha.

“mausi kuch nahi bas vaise hi pareshaan hun.” zarina ne kaha.

“ammi aur abba ki yaad aa rahi hogi hai na. fatima ka shun kar bahut dukh huva mujhe. Allaa unhe maaf nahi karenge jinhone fatima ke saath ye sab kiya.”

“mujhe vo sab yaad na dilaao mausi. Badi mushkil se bhuli hun main vo sab.” Bolte-bolte zarina ki aankho mein aansu utar aaye.

Mausi ne zarina ko gale se laga liya aur boli, “meri pyari bachi…chal chod ye udaasi kuch khaa pee le.”

“mujhe bhook nahi hai mausi abhi.” Zarina ne kaha.

“chal theek hai. Jab teri icha ho tab kha lena….theek hai. Thoda araam kar le, bahut thak gayi hogi. Tere liye vahi kamra taiyaar karva diya hai jaha tu har baar aa kar rahti hai…theek hai.”

“shukriya mausi” zarina mushkura di.

Zarina kamre mein aa kar bistar par gir gayi aur phir aansuvo ka vo thoofaan utha ki thamey nahi thama. “kyon kiya aditya tumne aisa mere saath. Bahut pyar karti hun tumhe mein…phir aakhir kyon”

Ab zarina ke paas aditya to tha nahi jo koyi jawaab deta. Pyar ke gam mein dubi huyi zarina rote huve sawaal pe sawaal kiye ja rahi thi jinka ushe koyi jawaab nahi mil raha tha. Bahut rula raha tha pyar bechaari ko.

Aditya ki bhi haalat kam naazuk nahi thi. Pet mein chunhe kood rahe the lekin majaal hai ki muh pe khane ka naam aaye. Pyar bhook pyas sab bhula deta hai. Vo bhuke pet hotel ke bistar par pada huva karvate badal raha tha. pata nahi ushe aisa kyon lag raha tha ki abhi darvaaja khulega aur zarina ander aayegi. Jab bhi ushe apne kamre ke baahar aahat shunaayi deti to vo fauran uth kar dekhta.vo daaye-baaye har taraf bade gaur se dekhta. Ab zarina vaha hoti to deekhti. Har baar niraash aur hataash ho kar aditya vaapis apne bistar par gir jaata. Haalat to aditya ki bhi bilkul zarina jaisi hi thi bas fark itna tha ki ushki aankhe itni nahi baras rahi thi jeetni ki zarina ki. Haan ye baat jaroor thi ki ushki aankho mein har vakt nami bani huyi thi. Aansu bhi tapakte the rah-rah kar jab dil bahut bhaavuk ho uthta tha.

“zarina tumhe mujhe yu chod kar nahi jaana chaahiye tha. mere baare mein tumne ek baar bhi nahi socha. Kitna pyar karta hun tumhe aur phir bhi tumne aisa kiya. Tumhe maaf nahi kar paaunga main.” Aditya ne apni aankho ke neeche se aansuvo ki bundo ko punchte huve kaha.

Dheere dheere kab raat ghir aayi pata hi nahi chala. puri raat zarina ko neend nahi aayi. Aditya bhi sho nahi paaya. Haan aisa hota hai. Pyar kabhi-kabhi neend bhi cheen leta hai. aisi naazuk haalat mein shona vaise bhi naamumkin tha.

Pyar ki ek interesting baat ye bhi hoti hai ki sab naraajgi aur nafrat sirf upar ka deekhava hoti hai. Dil ki gahraayi mein kuch aisi tadap hoti hai ek dusre ke liye ki ushe shabdo mein nahi kaha ja sakta. Ye baat koyi pyar karne wala hi samajh sakta hai.

Subah hote hote aditya aur zarina dono ka hi gussa thanda padne laga tha. zarina ne faisla kiya ki vo din nikalte hi hotel jaayegi aur aditya ke gale lag jaayegi aur ush se khub ladaayi karegi. Bas dikkat ki baat sirf ye thi ki vo ghar se nikle kaise. Koyi ushe akele kahi jaane nahi dega aur kishi ko saath lekar vo aditya ke paas ja nahi sakti thi. Ishliye jaise hi din nikla vo chupchaap ghar se nikal padi. Delhi mein auto to saari raat chalte hain. Subah subah auto milne mein koyi dikkat nahi huyi.

Par dikkat ye aan padi ki auto wala zarina ko laxminagar ki bajaaye kahi aur hi le aaya. Darasal auto wala naya tha. ushe laxminagar ki location theek se pata nahi thi bas yu hi apne paise banaane ke chakkar mein chal pada tha andaaje se.

“bhaiya ye kaha le aaye tum mujhe ye laxminagar to nahi lag raha.”

“oh…ye laxminagar nahi hai kya. Galti ho gayi madam”

Auto wale ne dusre auto wale se laxmi nagar ka raasta pucha aur phir auto ko lekar chal pada.

Hotel pahunchte pahunchte subah ke 9 baj gaye. Zarina ne turant auto wale ko paise pakdaye aur hotel mein ghuss kar seedha apne ush room ki taraf chal padi jishme aditya aur vo ek saath ruke the. Lekin peeche se reception par khadi ek yuvti ne ushe tok diya.

“excuse me madam, aap kaha ja rahi hain.”

Zarina mudi aur boli, “room no 114 mein thahri hun main.”

“oh haan main bhool gayi sorry. Par aapke saath jo the vo ja chuke hain room chod kar.”

“kya?” zarina ke to pairo ke neeche se jaise jameen hi nikal gayi.

“kab gaye vo?”

“bas abhi abhi nikle hain”

“kaha gaye vo?” zarina ka to deemag hi ghum gaya tha.

“madam shaayad aapne theek se shuna nahi. vo check-out karke ja chuke hain. Ab kaha gaye hain hamein nahi pata.”

Zarina chehra latkaaye huve hotel se baahar aa gayi.

“mera jara sa bhi wait nahi kiya tumne aditya. Kyon pyar kiya maine tumse.” Zarina ki aankhe phir se bhar aayi.

Bada hi ajeeb sa kuch ho raha tha aditya aur zarina ke saath. Zarina hotel pahunch gayi thi aur aditya silampur. Baat sirf itni thi ki dono galat samay par sahi jagah par the.

Aditya ko zarina ki mausi ka ghar to pata tha nahi. haan bas gali ka pata tha. aditya peeth par beg taange gali mein chakkar laga raha tha. ushne kishi se zarina ki mausi ke ghar ke baare mein puchne ki jahmat nahi uthaayi. Vo bas baar baar gali ke chakkar laga raha tha.

“kya vo mujhe bhool gayi itni jaldi. Baahar aakar to dekhna chaahiye ushe main kab se ghum raha hun yaha.”

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--6

gataank se aage.....................

Aditya ko ek baar bhi ye khyaal nahi aaya ki zarina shaayad hotel gayi ho. Kyonki vo pura din aur puri raat wait karta raha tha zarina ka ishliye shaayad ushe ye khyaal hi nahi aaya.

Ab vo kishi ka darvaaja khadka kar puche bhi to kya puche. Kya ye puche ki zarina ki mausi ka ghar kaha hai. Zarina ki mausi ka naam pata hota to shaayad baat ban jaati. Aur ye bhi pata nahi tha ki ushke saath bartaav kya hoga agar zarina ki mausi ka ghar mil bhi gaya to.

“bas samajh le aditya ushe teri koyi kadar nahi hai. Ye pyar khatam ho chuka hai. Kuch nahi bacha ab.” Aditya ne socha.

Aditya bhaari man se gali se baahar ki aur chal diya.

durbhaagya ki baat ye thi ki idhar aditya gali se nikal raha tha aur udhar gali ke dusri taraf se zarina aa rahi thi auto mein baith kar. Dono ek dusre ko dhund rahe the lekin na jaane kyon mulaakaat nahi ho paayi.

Aditya ne gali se baahar aakar auto pakda. Idhar aditya auto mein baitha, udhar zarina auto se utar kar mausi ke ghar mein vaapis aa gayi.

“main hi bevkoof thi jo nikal padi subah subah ushke liye jo mujhe chod kar ja chuka hai. Itna bedardi niklega ye aditya maine socha nahi tha. ye pyar meri jeendagi ki sabse badi galti hai.” Zarina sochte huve chal rahi thi.

“zarina beta kaha gayi thi tu itni subah savere hamein to chinta ho rahi thi.” zarina ki mausi ne kaha.

“kahi nahi mausi yahi paas mein hi gayi thi.”

“beta kuch to baat jaroor hai jo tu cheepa rahi hai.”

“kuch nahi hai mausi aapko vaham ho raha hai.”

“jab tera man ho bata dena beta, mujhe to teri bahut chinta ho rahi hai. Chal kuch kha le.”

Khaane ka man to ab bhi nahi tha zarina ka lekin phir bhi mausi ka dil rakhne ke liye ushne kuch khaa liya.

Aditya seedha railway station pahuncha aur kishi tarah se gujrat ki train ki ticket ka intezaam kiya. Ushe raat ki train ki ticket mili kishi tarah se jugaad karke. Bahut bechain ho raha tha delhi chodne ke khyaal se. vaha ushki zarina jo thi. Par ushe lag raha tha ki pyar vyar khatam ho chuka hai aur ab vaapis chalne mein hi bhalaayi hai. Jab train platform par pahunchi to vo bade bhaari man se train mein chadha.

Ush vakt zarina apne haath ki lakiro ko dekh rahi thi. “shaayad kishmat mein tumhaara saath nahi likha tha aditya. Ya phir shaayad saath likha tha par hum nibha nahi paaye. Jo bhi ho tum mujhe yu chod kar chale jaaoge maine socha nahi tha. I hate you.” Aur zarina ki aankhe phir se bahne lagi.

Aditya pahunch to gaya ghar vaapis gujrat. Lekin ghar ki taraf jaate vakt ushke paanv hi nahi badh rahe the aage. Vo jaanta tha ki zarina ke bina ush ghar mein rahna kitna mushkil hoga ushke liye. Jab vo ghar mein ghussa to vo manjar ushki aankho mein ghum gaya jab vo zarina ko saath lekar ghar se nikal raha tha railway station ke liye.

Aditya ne beg ek taraf patka aur sofe par gir gaya. Vakt jaise tham sa gaya tha aur jeevan ki khusiya jaise saath chod gayi thi. Duniya hi ujad gayi thi aditya ki.

Yahi haal kuch zarina ka tha. zarina bhi ush vakt apne room mein bistar par padi thi. Ushka bhi aisa hi haal tha jaise ki sab kuch ujad gaya ho ushka.

Jab mausi kamre mein ghussi to vo fauran uth kar baith gayi. “mausi aap…salam alekum.”

“salam alekum beta, kuch to bata sab khaireeyat to hai. Tum to hamse kuch bol hi nahi rahi ho. Jab se aayi ho kamre mein padi rahti ho bas.”

Ab zarina bataaye bhi to kaise. Ushki takleef ka kaaran aditya ka pyar tha aur ush pyar ko koyi nahi samajh sakta tha. mausi ko taalne ke liye ushne kaha, “kaaran to aap jaanti hi hain mausi. Sab kuch kho diya hai maine.”

“allah raham karey meri bachi par. Bahut kuch saha hai tumne zarina. Tumhe zeenda dekh kar jo khusi hamein mili thi vo hum lafzo mein bayaan nahi kar sakte. Ab yahi duva hai ki allah ka fazal ho tum par.”

“allah shaayad hum se rooth gayein hain mausi. Sab kuch beekhar gaya hai.” Zarina ne kaha.

Mausi zarina ko gale laga leti hai. “Vakt karvat lega beti. Vakt hamesa ek sa nahi rahta…aao thoda baahar ghum phir lo. Band kamre mein ghutan ho jaati hai baithe baithe.”

“theek hai mausi aap chaliye main aati hun.” Zarina ne kaha.

Bahut koshis ki zarina ne aditya ko bhulaane ki aur ushe apni yaadon se hataane ki. Lekin jab koyi dil mein bas jaata hai ushe itni asaani se nikaala nahi ja sakta.

Koshis aditya bhi kar raha tha zarina ko bhulaane ki. Lekin ghar ke har kone mein zarina ki yaadein basi thi. Vo ghar mein jaha bhi dekhta ushe zarina ka hi ahsaas rahta. Har kone mein bas zarina hi basi thi jaise. Aur na chaahte huve bhi ushki aankhe nam ho jaati thi.

Bhulaane ki koshis mein ek hafta beet gaya lekin kuch faayda huva nahi. pyar ki tadap, kasak aur meethi se bechaini har vakt barkaraar thi. Dheere dheere vo dono hi ye baat samajhne lage the ki vo dono pyar ke anokhe bandhan mein bandh chuke hain jishe vo chaah kar bhi nahi taud sakte. Unki har koshis bekaar jo ho rahi thi.

Aur phir ek aisi tadap uthi pyar ki jishne unke pyar ko aur jyada mahka diya. Ek raat aisi aayi jishmein dono kaagaz aur kalam lekar baith gaye aur kuch likhne ki thaan li. Zarina ko to aditya ka address pata hi tha. aditya ne bhi ghum phir kar kishi tarah zarina ki mausi ka address dhund hi liya. Do cheethiya leekhi ja rahi thi raat ke vakt ek saath. Delhi mein zarina likh rahi thi aur gujrat mein aditya likh raha tha. haan thoda vakt ka anter tha. zarina raat ke 12 baje likhne baithi thi aur aditya raat ke 2 baje likhne baitha tha.

Agle din chupke se dono ne apni apni cheethiya post kar di. Pahunchne mein 4 din lag gaye. Dono becahain the apni cheethi ka jawaab paane ki liye. Lekin unhe nahi pata tha ki dono ne ek saath cheethi likhi hai aur dono jald hi ek dusre ki cheethi padhne wale hain.

Pahle aditya ko cheethi mili zarina ki. Ghar mein baitha tha chupchaap muh latkaaye huve jab daakiye ne bell bajaayi ghar ki.

“aditya pandey aap hi ka naam hai.” Daakiye ne pucha.

“ji haan bilkul.” Aditya ne kaha.

“yaha sign kar dijiye, speed post aayi hai aapke naam.”

Aditya ne sigh kiye aur daakiye ne cheethi aditya ko pakda di. Jab aditya ne cheethi ke peeche bhejne wale ka naam dekha to aankho mein vo ronak aa gayi ushke ki vo jor se cheellaya “zarina!”

Daakiye ke bhi kaan phat gaye. Vo sar hilaata huva chala gaya.

Aditya ne fauran cheethi ko leefaafe se nikaala aur sofe par baith kar padhne laga. Cheethi ish parakaar thi :-

“mere pyare aditya,

Tum chale gaye jara si baat par mujhe chod kar. Kyon kiya aisa tumne. Kish haal mein hun main yaha kya tumhe khabar bhi hai. Koyi din aisa nahi jaata jab tumhaare liye aansu nahi bahaati. Har pal tumhaare liye tadapti rahti hun. Tum to shaayad mujhe bhool gaye honge. Main tumhaare liye paapi jo hun. Tumne ek moka bhi nahi diya mujhe kuch kahne ka aur chale gaye. Dil par kya beeti hai kah nahi sakti. Ye cheethi tumhe likh rahi hun kyonki apne dil ke haatho majboor ho gayi hun. Ush din ladaayi ke baad main bhi fauran khana khaaye bina baahar aa gayi thi. Bahut dhunda tumhe par tum to ja chuke the. Kya yahi pyar tha tumhaara. Main kya karti, mausi ke ghar aana pada mujhe. Agle din bhi main subah subah jaise-taise auto lekar hotel pahunchi. Lekin tum vaha se bhi nikal gaye check out karke. Mera intezaar bhi nahi kiya tumne. Khun ke aansu royi hun main tum samajh nahi sakte. Badi mushkil se vaapis aayi thi mausi ke ghar. Man to kar raha tha ki mar jaaun kahi jaakar par ish ummeed mein vaapis aa gayi ki kya pata tum mil jaao kahi. Tumhe to deekhaayi thi mausi ki gali maine. Agar pyar karte mujhse to mujhe dhund hi lete. Par nahi tumhe to mujhe chod kar bhaagne ki padi thi. Chale gaye chupchaap mujhe chod kar, socha bhi nahi ki kaise jeeungi main tumhaare bina.

Aur haan maine non-veg khana chod diya hai bilkul. Aage se kabhi dekhungi bhi nahi non-veg ko, khaane ki to dur ki baat hai. Mujhe ahsaas ho gaya hai ki tum theek the. Ped-podhon aur jeev jantuo mein kuch to farak rahta hi hai. Chicken mein jeevan jyada hai ek hari sabji ke mukaable. Main ye baat samajh gayi khud hi. Tumne to bahut bure tarike se samjhaane ki koshis ki thi. Mujhe araam se kahte to main khusi khusi tumhaare liye kuch bhi chod deti. Non-veg to bahut choti cheez hai aditya.

Ab ye bataao ki apni zarina ko kab le jaaoge yaha se. main khud aa jaati par akele safar karte huve dar lagta hai mujhe. Kabhi akele gayi nahi kahi. Bahut ghabraati hun main train mein. Agar nahi aaoge to mujhe aana to padega hi. Dil ke haatho majboor jo hun. in dino mein yahi jaana hai aditya ki bahut pyar karti hun main tumhe aur tumhaare bina nahi ji sakti. Aa jaao aditya main aankhe beechaaye tumhaara intezaar kar rahi hun. Le jaao apni zarina ko apne saath aur jaise ji chaahe vaise rakho.

Tumhaari zarina.”

Aditya ki haalat bahut nzaauk ho gayi padhte-padhte. Aansu tapak rahe the zarina ke ek-ek bol par. Baar baar padha ushne ek ek line ko. Dil mein pyar ki meethi meethi chubhan ho rahi thi. Kuch bol hi nahi pa raha tha aditya, likha hi kuch aisa tha zarina ne. ushne vo cheethi sheene se laga li aur sofe par late gaya.

Zarina ko aditya ki cheethi agle din mili. Vo to shoyi thi kamre mein jab mausi ne awaaj di.

“zarina beta tumhaara khatt aaya hai.”

Zarina ye shunte hi bistar se uth gayi. “mere liye khatt kaun bhej sakta hai. Kahi aditya ne to nahi bheja. Par ushe to yaha ka address bhi nahi pata hoga.”

Zarina turant bhaag kar baahar aayi. Ushne sign karke cheethi le li. Peeche aditya ka naam tha. vo to jhum uthi khusi ke maare. Par mausi ke kaaran apni khusi ko daba liya kishi tarah.

“kishka khatt hai beta.” Mausi ne pucha.

“hai ek saheli ka mausi main araam se room mein baith kar padhungi.”

“theek hai padh le. Pahli baar teri aankho mein chamak dekh rahi hun. Shaayad ye khatt kuch shukun dega tujhe. Ja padhle apni saheli ka khatt araam se.”

“shukriya mausi.” Zarina fauran room mein vaapis aa gayi. Room mein aate hi ushne kundi band kar li. Ushka dil bahut jor se dhadak raha tha. khusi hi kuch aisi thi fiza mein. Bahut furti se ushne leefafa khola aur cheethi nikaal kar bistar par baith gayi. Aditya ki cheethi kuch ish parkaar thi.

kramashah...............................
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

एक अनोखा बंधन--6

गतान्क से आगे.....................

आदित्य को एक बार भी ये ख्याल नही आया की ज़रीना शायद होटेल गयी हो. क्योंकि वो पूरा दिन और पूरी रात वेट करता रहा था ज़रीना का इश्लीए शायद उसे ये ख्याल ही नही आया.

अब वो किसी का दरवाजा खड़का कर पूछे भी तो क्या पूछे. क्या ये पूछे कि ज़रीना की मौसी का घर कहा है. ज़रीना की मौसी का नाम पता होता तो शायद बात बन जाती. और ये भी पता नही था कि उसके साथ बर्ताव क्या होगा अगर ज़रीना की मौसी का घर मिल भी गया तो.

“बस समझ ले अदित्य उसे तेरी कोई कदर नही है. ये प्यार ख़तम हो चुका है. कुछ नही बचा अब.” आदित्य ने सोचा.

आदित्य भारी मन से गली से बाहर की ओर चल दिया.

दुर्भाग्य की बात ये थी कि इधर अदित्य गली से निकल रहा था और उधर गली के दूसरी तरफ से ज़रीना आ रही थी ऑटो में बैठ कर. दोनो एक दूसरे को ढूंड रहे थे लेकिन ना जाने क्यों मुलाकात नही हो पाई.

आदित्य ने गली से बाहर आकर ऑटो पकड़ा. इधर अदित्य ऑटो में बैठा, उधर ज़रीना ऑटो से उतर कर मौसी के घर में वापिस आ गयी.

“मैं ही बेवकूफ़ थी जो निकल पड़ी सुबह सुबह उसके लिए जो मुझे छोड़ कर जा चुका है. इतना बेदर्दी निकलेगा ये अदित्य मैने सोचा नही था. ये प्यार मेरी जींदगी की सबसे बड़ी ग़लती है.” ज़रीना सोचते हुवे चल रही थी.

“ज़रीना बेटा कहा गयी थी तू इतनी सुबह सवेरे हमें तो चिंता हो रही थी.” ज़रीना की मौसी ने कहा.

“कही नही मौसी यही पास में ही गयी थी.”

“बेटा कुछ तो बात ज़रूर है जो तू छिपा रही है.”

“कुछ नही है मौसी आपको वेहम हो रहा है.”

“जब तेरा मन हो बता देना बेटा, मुझे तो तेरी बहुत चिंता हो रही है. चल कुछ खा ले.”

खाने का मन तो अब भी नही था ज़रीना का लेकिन फिर भी मौसी का दिल रखने के लिए उसने कुछ खा लिया.

आदित्य सीधा रेलवे स्टेशन पहुँचा और किसी तरह से गुजरात की ट्रेन की टिकेट का इंटेज़ाम किया. उसे रात की ट्रेन की टिकेट मिली किसी तरह से जुगाड़ करके. बहुत बेचैन हो रहा था देल्ही छोड़ने के ख्याल से. वाहा उसकी ज़रीना जो थी. पर उसे लग रहा था कि प्यार व्यार ख़तम हो चुका है और अब वापिस चलने में ही भलाई है. जब ट्रेन प्लॅटफॉर्म पर पहुँची तो वो बड़े भारी मन से ट्रेन में चढ़ा.

उस वक्त ज़रीना अपने हाथ की लकीरो को देख रही थी. “शायद किश्मत में तुम्हारा साथ नही लिखा था अदित्य. या फिर शायद साथ लिखा था पर हम निभा नही पाए. जो भी हो तुम मुझे यू छोड़ कर चले जाओगे मैने सोचा नही था. आइ हेट यू.” और ज़रीना की आँखे फिर से बहने लगी.

आदित्य पहुँच तो गया घर वापिस गुजरात. लेकिन घर की तरफ जाते वक्त उसके पाँव ही नही बढ़ रहे थे आगे. वो जानता था कि ज़रीना के बिना उस घर में रहना कितना मुश्किल होगा उसके लिए. जब वो घर में घुसा तो वो मंज़र उसकी आँखो में घूम गया जब वो ज़रीना को साथ लेकर घर से निकल रहा था रेलवे स्टेशन के लिए.

आदित्य ने बेग एक तरफ पटका और सोफे पर गिर गया. वक्त जैसे थम सा गया था और जीवन की खुशियाँ जैसे साथ छोड़ गयी थी. दुनिया ही उजड़ गयी थी अदित्य की.

यही हाल कुछ ज़रीना का था. ज़रीना भी उस वक्त अपने रूम में बिस्तर पर पड़ी थी. उसका भी ऐसा ही हाल था जैसे कि सब कुछ उजड़ गया हो उसका.

जब मौसी कमरे में घुसी तो वो फ़ौरन उठ कर बैठ गयी. “मौसी आप…सलाम आलेकम.”

“सलाम आलेकम बेटा, कुछ तो बता सब खैरीयत तो है. तुम तो हमसे कुछ बोल ही नही रही हो. जब से आई हो कमरे में पड़ी रहती हो बस.”

अब ज़रीना बताए भी तो कैसे. उसकी तकलीफ़ का कारण अदित्य का प्यार था और उस प्यार को कोई नही समझ सकता था. मौसी को टालने के लिए उसने कहा, “कारण तो आप जानती ही हैं मौसी. सब कुछ खो दिया है मैने.”

“अल्लाह रहम करे मेरी बच्ची पर. बहुत कुछ सहा है तुमने ज़रीना. तुम्हे ज़ींदा देख कर जो ख़ुसी हमें मिली थी वो हम लफ़ज़ो में बयान नही कर सकते. अब यही दुवा है कि अल्लाह का फ़ज़ल हो तुम पर.”

“अल्लाह शायद हम से रूठ गये हैं मौसी. सब कुछ बीखर गया है.” ज़रीना ने कहा.

मौसी ज़रीना को गले लगा लेती है. “वक्त करवट लेगा बेटी. वक्त हमेसा एक सा नही रहता…आओ थोड़ा बाहर घूम फिर लो. बंद कमरे में घुटन हो जाती है बैठे बैठे.”

“ठीक है मौसी आप चलिए मैं आती हूँ.” ज़रीना ने कहा.

बहुत कोशिस की ज़रीना ने अदित्य को भुलाने की और उसे अपनी यादों से हटाने की. लेकिन जब कोई दिल में बस जाता है उसे इतनी आसानी से निकाला नही जा सकता.

कोशिस आदित्य भी कर रहा था ज़रीना को भुलाने की. लेकिन घर के हर कोने में ज़रीना की यादें बसी थी. वो घर में जहा भी देखता उसे ज़रीना का ही अहसास रहता. हर कोने में बस ज़रीना ही बसी थी जैसे. और ना चाहते हुवे भी उसकी आँखे नम हो जाती थी.

भुलाने की कोशिस में एक हफ़्ता बीत गया लेकिन कुछ फ़ायडा हुवा नही. प्यार की तड़प, कसक और मीठी सी बेचैनी हर वक्त बरकरार थी. धीरे धीरे वो दोनो ही ये बात समझने लगे थे कि वो दोनो प्यार के अनोखे बंधन में बँध चुके हैं जिसे वो चाह कर भी नही तौड सकते. उनकी हर कोशिस बेकार जो हो रही थी.

और फिर एक ऐसी तड़प उठी प्यार की जिसने उनके प्यार को और ज़्यादा महका दिया. एक रात ऐसी आई जिसमे दोनो काग़ज़ और कलाम लेकर बैठ गये और कुछ लिखने की ठान ली. ज़रीना को तो अदित्य का अड्रेस पता ही था. अदित्य ने भी घूम फिर कर किसी तरह ज़रीना की मौसी का अड्रेस ढूंड ही लिया. दो चिट्ठियाँ लीखी जा रही थी रात के वक्त एक साथ. देल्ही में ज़रीना लिख रही थी और गुजरात में आदित्य लिख रहा था. हां थोड़ा वक्त का अंतर था. ज़रीना रात के 12 बजे लिखने बैठी थी और अदित्य रात के 2 बजे लिखने बैठा था.

अगले दिन चुपके से दोनो ने अपनी अपनी चत्तियाँ पोस्ट कर दी. पहुँचने में 4 दिन लग गये. दोनो बेचैन थे अपनी चिट्ठी का जवाब पाने की लिए. लेकिन उन्हे नही पता था कि दोनो ने एक साथ चिट्ठी लिखी है और दोनो जल्द ही एक दूसरे की चिट्ठी पढ़ने वाले हैं.
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
Post Reply