गुड़िया

User avatar
rajsharma
Super member
Posts: 15829
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: गुड़िया

Post by rajsharma »

Thodi der baad Papa mere kamre mein aaye aur unhone bataya ke vo Gudiya ko ghar se bahut door phenk kar aa gaye hain.

"Ab aapko darne ki koi zaroorat nahi"

"Vo vaapis aa gayi toh?" Maine phir bhi darte hue puchha

"Ham use vahan door khaayi mein phenk kar aaye hain" Papa ne kaha "Aur vo gudiya toh vaise bhi langdi hai, Chahe bhi toh itna door nahi chal sakti. Aur phir aapke kamra bhi toh 1st floor par hai na. Aapke kamre ki sidhiyan vo langdi gudiya kaise chadhegi bhala?"

Main unki baat sunkar has di par phir bhi dil ko jaise tasalli nahi hui.

"Maine aapke saath so jaoon please?" Maine unse puchha

"Mummy yahan aapke kamre mein aapke saath soyegi" Mummy ne bed par mujhe apne kareeb khinchte hue kaha

"Aur vaise bhi toh aapki tabiat kharab hai na bachche. Ham aapko akela kaise sone de sakte hain?"

Poora din mere bukhar mein koi tabdeeli nahi aayi jiska nateeja ye hua ke main bistar se uth hi nahi paayi. Dawaiyan khaaye main bed par padi poora din soti rahi.

"Aap aaj mere saath soyengi na?" Maine dinner table par maan se puchha. Shaam hote hote mera bukhar kaafi kam ho chuka tha isliye raat ke dinner ke liye Papa mujhe uthakar niche hi le aaye the. Mujhe darr tha ke kahin ye soch kar ke mera bukhar utar gaya hai, Mummy mere saath sone ka apna irada badal na den.

"Haan ji beta" Maan ne jawab diya "Mummy aapke saath hi soyegi"

Aur aisa hua bhi. Us raat jab main soyi, toh mera sar maan ki bagal mein tha. Main poora din soyi thi isliye maan ke sone ke baad bhi kaafi der tak jaagti rahi thi. Aur jab soyi, toh aisi kachchi neend ke halki si aahat par bhi meri aankh khul jaati thi. Aur jaise hi meri aankh khulti, main sabse pehle Mummy ko dekh kar ye tasalli karti ke vo ab bhi mere saathi hi hain aur uske baad doosri tasalli ye karti ke

darwaza khula hua nahi hai.

"Vo langdi guidya bhala kaise aapke kamre ki sidhiyan chadhegi?" Mujhe papa ki kahi baat yaad aati toh thoda hausla aur mil jata.

Raat yun hi aankhon aankhon mein aur jaagne sone ka khel karte hue guzar rahi thi.

Aisi hi ek aahat par meri aankh phir khuli. Har baat ki tarah is baar bhi sabse pehle maine mummy aur phir darwaza band hone ki tasalli ki. Phir mera dhyaan us aawaz ki taraf gaya jiski vajah se meri aankh khuli thi.

Aawaz darwaze ki taraf se aa rahi thi. Main darr se seham gayi aur Mummy ka haath thaam liya. Aahat ek baar phir hui toh mujhe yakeen ho gaya ke aawaz darwaze ki bahar se aa rahi thi.

"Ek ......"

Aawaz phir aayi toh is baar mujhe saaf sunai di. Badi ajeeb si aawaz thi jaise koi haanfta hua bol raha ho.

"Do ......"

Aawaz ke saath saath saans ki aawaz bhi saaf sunai de rahi thi jaise koi bahut bhaag kar aaya ho aur badi mushkil se chal pa raha ho.

"Teen ......."

Aur iske saath hi Papa ki kahi baat bhi jaise ek baar phir mere kaan mein goonj uthi.

"Ham use bahut door phenk kar aaye hain beta ..... aur vaise bhi, langdi gudiya aapke kamre ki seedhiyan kaise chadhegi?"

"vo MERE KAMRE KI SEEDHIYAN CHADH RAHI HAI .... VO VAAPIS AA GAYI HAI !!!!!" Mere dimag mein jaise bomb sa phata.

"Chaar ......"

Aur iske saaath hi maine bagal mein leti apni maan ke kandhe ko pakad kar zor zor se hilana shuru kar diya.

Thodi der baad hi subah ki halki halki roshni chaaro taraf phel gayi par hamare ghar mein sab log jaag chuke the.

"Maine kaha tha na ke yahan mat aao. Kuchh hai is ghar mein" Bahar Mummy Papa ke saath jhagda kar rahi thi.

"Oh come on !!!" Papa ne jawab diya "Tum bhi kya bachcho ki baaton mein aa gayi. Vo ek chhoti bachchi hai aur dari hui hai"

"Jo bhi hai par kya tumne nahi dekha ke darr ke maare us bechari ki halat kaisi ho rakhi hai? Bukhar mein kaanp rahi hai vo. Darr ke maare uska gala beth gaya hai. She can barely speak"

"Doctor ko bula bheja hai maine" Papa ne jawab diya

"Baat Doctor ki nahi hai. I dont wanna stay in this house anymore. Lets go back"

"And ruined our vacation?"

"Is your vacation worth the life of your daughter?"

Is baat ka shayad Papa ke paas bhi koi jawab nahi tha. Kuchh pal ke liye khamoshi chha gayi.

"All right, we will head back tomorrow" Unhone Mummy ki zid ke aage hathyaar daalte hue kaha.

Main badi mushki se apne bed se uthi aur darwaze tak aayi. Darwaza kholkar maine apne kamre ke bahar ki seedhiyan gini. Poori 11 seedhiyan.

Raat ki aawaz ki taraf maine phir se dhyaan diya. Seedhiyon par koi nishan toh nahi the par mujhe yakeen tha ke vo aawaz us gudiya ke ghisatne ki thi. Vo langdi thi aur apne ek paon ko khinchte hue seedhiyan chadh rahi thi.

Maine fauran darwaza band kiya aur aakar bed par let gayi.

"We will head back tomorrow" Papa ki kahi baat ne mujhe tasalli toh di thi par ek bada sawal ab bhi baaki tha. Aaj ki raat kuchh hua toh?

"By the way, vo gudiya hai kahan?" Mummy ki bahar se phir aawaz aayi

"I threw it in the basement"

Vo ab bhi ghar mein hai? Vo phir aayi toh? Vo basement se nikal aayi toh? Papa ne toh kaha tha ke phenk aaye use? Isliye vo kal raat mere kamre mein aana chah rahi thi kyunki vo ghar mein hi hai?

Mere dimag ne jaise hazaro sawal utha diye aur mujhe Papa par gussa aane laga.

Us raat mere liye sona mushil tha. Lakh koshish karne par bhi neend nahi aa rahi thi. Mujhe bas yahi darr sata raha tha ke vo gudiya ab bhi ghar mein hi thi aur kahin phir kal raat ki tarah mere kamre ki sidhiyan chadhne ki koshish na kare. Par phir mummy ko apni bagal mein leti dekh kar tasalli ho jaati thi ke unke rehte vo mera kuchh nahi bigad sakti thi.

Darte darte kab meri aankh lag gayi mujhe pata hi nahi chala.

Aur ek baar phir aahat hui toh meri aankh khuli. Har baar ki tarah is baar bhi maine bagal mein dekha toh darr ke maare jaise jaan hi nikal gayi. Mummy meri side mein nahi thi.

"Mummy kahan gayi?" Mere dimag ne fauran sawal toh uthaya par koi jawab nahi diya. "Shayad apne kamre mein vaapis chali gayi?"

Kamre ke bahar phir vaisi hi aawaz aa rahi thi jaise ki kal raat aayi thi. Ek ghisatne jaisi aawaz jaise koi badi mushkil se chal pa raha ho.

Main jaanti thi ke vo aawaz kya thi.

Vo ek baar phir uth aayi thi. Basement se nikal kar mere kamre ki seedhiyan chadh kar mujh tak pahunchne ki koshish kar rahi thi.

"Nau" Aawaz aayi

Vo 9 seedhiyan chadh chuki hai matlab 3 kadam aur aur vo kamre ke andar aa jaayegi.

Kya karegi vo mere saath? Kya maar daalegi mujhe? Mummy kahan gayi? Sawal phir dimag mein uthe aur maine zor se cheekh maari jo shayad maine khud hi nahi suni. Bukhar se mera gala beth gaya tha aur aawaz hi nahi nikal pa rahi thi. Maine phir koshish ki par kamyabhi haath nahi aayi. Mere gale se sirf hawa hi nikli, aawaz nahi.

"Dus ....." Aawaz phir aayi.

Kehte hain ke jaan par aa bane toh ek cheenti bhi apne aapko bachane ki poori koshish karti thi main toh phir bhi insaan thi, chhoti thi toh kya. Main jaanti thi ke cheekhna chillana kaam nahi aayega. Maine fauran apne chaaro taraf dekha ke shayad koi bachav karne ke liye cheez mil jaaye par kuchh bhi aisa nazar

nahi aaya.

"Gyarah ....."

Aur iske saath hi mere kamre ki door knob ghoomi. Main jaanti thi ke vo bahar khadi darwaza khol kar andar aane ki koshish kar rahi hai.

"Vo gudiya toh landgi hai ... chalegi kaise ... aapke kamre ki seedhiyan chadhegi kaise"

Mujhe phir Papa ki kahi baat yaad aayi aur iske saath hi khud ko bachane ka tarika bhi dimag mein aa gaya.

Gudiya langdi hai aur mujhe pakad hi nahi sakti. Mujhe sirf bhagna hai. Bhaag kar Mummy Papa ke kamre tak pahunchna hai.

Main fauran apne bed se uthi aur tabhi usi waqt mere kamre ka darwaza khula.
Read my all running stories

(वापसी : गुलशन नंदा) ......(विधवा माँ के अनौखे लाल) ......(हसीनों का मेला वासना का रेला ) ......(ये प्यास है कि बुझती ही नही ) ...... (Thriller एक ही अंजाम ) ......(फरेब ) ......(लव स्टोरी / राजवंश running) ...... (दस जनवरी की रात ) ...... ( गदरायी लड़कियाँ Running)...... (ओह माय फ़किंग गॉड running) ...... (कुमकुम complete)......


साधू सा आलाप कर लेता हूँ ,
मंदिर जाकर जाप भी कर लेता हूँ ..
मानव से देव ना बन जाऊं कहीं,,,,
बस यही सोचकर थोडा सा पाप भी कर लेता हूँ
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- raj sharma
User avatar
rajsharma
Super member
Posts: 15829
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: गुड़िया

Post by rajsharma »

Jo himmat maine thodi der mein batori thi vo darwaza khulte dekh hawa ho gayi. Bhaagne ka mera plan fauran darwaze ko phir se band karne ke plan mein badal gaya. Darwaza thoda sa khula hi tha ke main fauran darwaze ki aur lapki aur jhatke se darwaza phir band kar diya taaki vo mere kamre mein na aane paaye.

Aur iske saath hi mujhe 2 aawazen sunai di.

Ek toh kisi ke girne ki aawaz aur doosri ek bahut jaani pehchani aawaz.

Mere Bhai ki aawaz.

Main vahan darwaze ke paas kitni der tak khadi rahi main nahi jaanti par vo bahut lamba waqt tha. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke hua kya par phir uske baad koi doosri aawaz nahi aayi.

Na kisi ke chalne ki aawaz.

Na ghisatne ki aawaz.

Na ginti ki aawaz.

Kuchh der baad maine himmat karke darwaza khola aur neeche ki taraf dekha. Neeche sidhiyon ke paas mera bhai gira pada tha aur uske aas paas bahut sara khoon tha jo uske sar se nikal raha tha.

Agle din subah ghar mein hungama macha hua tha. Kabhi Mummy ke rone ki aawaz aati toh kabhi Papa ke chillane ki aawaz toh kabhi kisi aur ke aane jaane ki aawaz. Kabhi police, kabhi ambulance kabhi koi toh kabhi koi, jaane kitne log aaye aur kitne gaye. Har kisi ki zubaan par ek hi sawal tha,

"Ye hua kaise?"

Kisi ne mujhse nahi puchha, kisi ko maine nahi bataya. Kabhi nahi. Aaj tak nahi. Ghar par manhoos hone ka label ek baar phir chipak gaya.

"All right" Mehra ghar se bahar aakar bola toh mera dhyaan toota "I will buy the house"

samaapt
Read my all running stories

(वापसी : गुलशन नंदा) ......(विधवा माँ के अनौखे लाल) ......(हसीनों का मेला वासना का रेला ) ......(ये प्यास है कि बुझती ही नही ) ...... (Thriller एक ही अंजाम ) ......(फरेब ) ......(लव स्टोरी / राजवंश running) ...... (दस जनवरी की रात ) ...... ( गदरायी लड़कियाँ Running)...... (ओह माय फ़किंग गॉड running) ...... (कुमकुम complete)......


साधू सा आलाप कर लेता हूँ ,
मंदिर जाकर जाप भी कर लेता हूँ ..
मानव से देव ना बन जाऊं कहीं,,,,
बस यही सोचकर थोडा सा पाप भी कर लेता हूँ
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- raj sharma
User avatar
raaj427097
Posts: 16
Joined: 28 Mar 2020 20:43

Re: गुड़िया

Post by raaj427097 »

बेहतरीन
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: 05 Dec 2017 04:33

Re: गुड़िया

Post by naik »

excellent story
Post Reply