Ek Aurat ki Dastaan

User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

Ek Aurat ki Dastaan--9

gataank se aage...........................

Khair dhire dhire shaadi ki saari rasmein puri ki jaane lagi.. Raj ne Sneha ko varmala pahnaya aur badle me sneha ne bhi aisa hi kiya.. Iske baad phere hone lage.. Sabhi logon ne pheron ke baad dulha dulhan ko aashirwaad diya aur unke mangalmay jeevan ki shubhkaamnayen di..

"Congratulations.. Sneha.." Ek mardana aawaz Sneha ke kaano me padi jo usne pahle bhi sun rakhkhi thi.. Usne piche ghum kar dekh to wahan par Veer khada tha(Veer ke baare me jaane ke liye 4th updates padhen).. Uske haathon me ek foolon ka guladasta tha aur ek gift packet tha..

"Are Veer ji.. Aap..? Bahut achcha laga jo aap hamari shaadi me aaye.. " sneha ne Veer ka dhanyawaad kiya..

"Are ismein achcha lagne wali kya baat hai, mere pitaaji aapke pitaa ji ke dost hain.. Iss naate main bhi aapka dost hi hua.." Veer ne mazakiya lahze me kaha.. Jiska Sneha ne bas muskura kar uttar diya..

"By the way, ye aapke liye meri taraf se.." Veer ne wo guldasta aur gift pack Sneha ki taraf badhaya jo Sneha ne khusi khusi swikaar kar liya..

"Waise aap mujhe uss Lucky man se nahi milwa rahi jiski shaadi aapke jaisi khoobsurat ladki se hui.." Veer ki ye baat sunkar Sneha thoda sharma gayi lekin phir Raj ko bheed me khojne lagi. Tabhi use Raj ek taraf baatein karta dikh gaya.. Sneha ne use ishaare se apni orr bulaya aur Raj dhire dhire chalta hua Sneha ke paas aa gaya aur Uske paas ek hattte katte ladke ko khada paaya..

"Raj inse milo.. Ye hain hamare Papa ke dost ke bete.. Veer" Sneha ne intro karwaya.

"Hello.." Raj ne apna haath badhaya milane ke liye jise Veer ne swikaar kiya aur usne bhi haath milaya..

"Hello.. You are really lucky man jo Sneha jaisi khoobsurat ladki tumhein mili.. Warna sabko aisi ladki kahan milti hai jsike shareer ka ek ek ang khuda ne fursat se banaya ho.." Veer ne ye baatein double meaning me boli thi jo Raj ko samajhte der naa lagi aur uske chehre ka rang badal gaya..

Raj ke chehre ka badla hua rang dekhkar Veer samajh gaya ki wo kuch jyada hi bol gaya hai.. Isliye usne wahan se khisakna hi theek samjha..

"Ok.. Aap dono enjoy karo main uncle se mil leta hun.." Ye bolkar Veer wahan se nikal liya..

" Bada badtameej aadmin hai saala" Veer ke jaane ke baad Raj ne Sneha se kaha...

"Ab jaane bhi do jaanu.. Aaj hamare shaadi ki pahli raat hai, jyada tension mat lo.." sneha ne Raj ko shaant karte hue kaha.

"ok.. Tum kehti ho to" itna bolkar Raj ne apne honth Sneha ki taraf badhaye jise Sneha ne apne haathon se dur kar diya aur wahan se bhaag gayi.

***************************

Laal jode me Sneha phoolon se saje bistar par baithi Raj ka intezaar kar rahi thi.. Uska pura shareer gehno se lada hua tha aur uska ghunghat uske chehre ko chipaaye hue tha.. Pure kamre me itr ki khoosboo kamre ke vaatavaran ko aur bhi jyada khusnuma bana rahi thi.. Kamre me sir ek night lamp jal rahi thi jiski dhoodhiya roshni kamre ki sundarta me chaar chand laga rahi thi.. Kul milakar pura kamra kisis swarg ki tarah lag raha tha aur uske beech me baithi Sneha swarg ki apsara.

Tabhi baahar thodi aahat hui aur kuch aurton ke hasne ki aawazein aayi jisse Sneha samajh gayi ki Raj ab usse kuch hi kadam dur hai aur unn dono ke milan me ab kuch hi pal aur baaki reh gaye hain.

Tabhi Darwaza khulne ki aawaz aayi aur kadmon ki aawaz kamre ke andar aa gayi.. Wo do kadam dhire dhire Sneha ki oor badh rahe the jise sunkar Sneha ka dil bahut jor se dhadakne laga. Ghunghat ke andar chupe uske chehre par haya ki laali chaa gayi..aur usne apne dono haath kaskar ek dusre me jakad liye aur apne phoolon ki pankhudi jaise komal honth daanton ke beech daba liye, aur apne dono taangon ko kaskar daba liya jaise koi uski taangon ke beech se kuch churaa le jaane aaya ho.

Tabhi kadmon ki aawaz bistar ke bilkul paas aa gayi aur kuch hi kshano me kadmon ki aawaz aani band ho gayi aur kisi ke bistar par baithne ki aahat Sneha ko mahsus huyi.

"Ab ye ghunghat utha bhi do.. Kab tak ye chehra humse chupa kar rakhogi..?" Raj ne dhire se kaha.

"Itna hi chehra dekhne ka mann hai to khud utha lo naa mera ghunghat.." Sharam ke maare Sneha ke muhn se bahut dhire dhire aawaz nikal rahi thi.

"wo to hum utha hi lenge.." Raj ne apna haath badhate hue Sneha ka ghunghat uthane ki koshish ki magar Sneha ko itni sharam aa rahi thi ki usne apni saree ko kaskar pakad liya taaki wo uska ghunghat naa utha sake.

"Ghunghat utha de oo sanam;

warna main khaa lunga aaj ek kasam..;

Ki kal se tujhe nahi teri saheli ko kahunga..jaaneman jaaneman jaaneman.."

Ye shayari Raj ke muhn se nikalne ki der thi ki bas Sneha ne jaldi se ghunghat uthaya aur toot padi Raj ke oopar..

"Phir se ye baat boli to main tumheri jaan le lungi.." Sneha ne takiya uthakar Usse Raj ke oopar hamla kar diya aur takiyon ki barsat kar di.. Jawab Me Raj ne bhi dusra takiya utha liya aur shuru ho gayi takiya ladayi..

Bahut der ladne ke baad aakhirkaar dono thak gaye aur bistar par ludhak gaye..

"Kaash aaj Ravi yahan hota.." Kuch der yun hi chhat ki taraf dekhne ke baad Raj ne kaha..

"Haan Jaan.. Main tumhara dukh samajh sakti hun.. Riya bhi meri bahut achchi dost thi magar honi ko kaun taal sakta hai.." Sneha ye bolte hue Raj ke oopar chadh gayi..

" Sahi bola tumne ab jo ho chuka use to badla nahi jaa sakta.. Sneha.. Aaj hamari shaadi ki pahli raat hai aur aaj raat main tumse ek wada karna chahata hun.." Ye bolkar Raj ne sneha ke haath apne haathon me kaskar daba liya..

"chahe zindagi me koi bhi dhukh ho ya koi bhi khusi.. Main hameshaa tumhare saath rahunga aur ye saath tabtak bana rahega jabtak meri maut tumhein mujhse judaa na kar de.." ye bolkar Raj ne Sneha ko kaskar apni baahon me jakad liya.. Aur apne honth uske honthon par rakh diye.. Maahaul bada bhaavuk ho chuka thaa..

Aur haalat ko samajhte hue Sneha bhi Raj ka puraa saath de rahi thi..

Aaj raat wo dono do jism aur ek jaan hone wale they.. Aur hote bhi kyun naa.. Aaj unke milan ki raat jo thi..

Raj ne haath badhakar night lamp off kar diya aur phir dono kho gaye apne madhur milan ki raat me..

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

Train apni puri raftaar se aage badh rahi thi.. Bahar ghana andheraa pasraa hua thaa.. Biyaaban junglon se hoti hui wo railgaadi apni puri gati se chalti jaa rahi thi..

Train ke andar ka drishya bilkul alag tha.. Train ki halki halki jalti light sabke chehron par pad rahi thi.. Train ke khadkadte hue pankhe aur logon ki kharrate ki aawaz maahaul ko thoda ashaant kar rahi thi.. Sab log naa jaane kabke khaana khaa kar so chuke the..

Magar uss ladki ki aankhon me neend naa thi.. Wo apne beete dino ke khayalon me naa jaane kab se khoyi hui thi aur neend inhi khayalon ke kaaran uski aankhon se koson dur thi..

Tabhi kuch aadmiyon ke udhar aane ki aahat huyi..

"Hai to wo isi train me.. Magar mil nahi rahi.. Dhundhte raho, bach kar jaayegi kaha." Ek raubdaar aawaz aayi jise sunkar bahut saare logon ki neend khul gayi..

Isse pahle ki wo ladki kuch samajh paati.. Wo log uss seat ke paas pahunch gaye jahan wo ladki baithi hui thi..

"Sir mil gayi wo ladki.." Ek hawaldaar ne chillate hue kaha..

"Kidhar hai..?" Ek lamba chauda aadmi udhar pahuncha jahan wo ladki baithi hui thi.. Uss aadmi ne police ki wardi pehen rakhkhi thi aur uske seene me baayi taraf lage name plate me safed akshar chamak rahe the.. "Inspector Jawed Khan"..

"Oh.. To Mohtarama yahan chupkar baithi hain.. Kahan tak bach paati aap..? Hum Police waalon ko chutiyaa samjha hai kya..?" Uss ladki ke paas pahunchkar Inspector ne zor se chillate hue kaha..jisse wahan aas paas baithe sabhi log jaag gaye..

"Kya baat hai Inspector sahab..? Kyun itna shor macha rahe ho..?" Paas baithe ek yaatri ne pucha..

"Kya baat hai..? Pucho iss ladki se ki kya baat hai..? Kyun bhaag rahi hai ye police se..?" Itna bolkar inspector ne apne saath aayi Lady constable ko uss ladki ko giraftaar kar lene ka ishaara kiya.. Uska aadesh maankar uss constable ne uss ladki ko khich kar seat se uthaya aur uske haath me hathkadi pahna di.. Wo ladki jo ab tak bilkul shaant thi.. Uski aankhon se aansu nikal pade..

"Maine kuch nahi kiya inspector sahab.. Maine use sirf self defence ke liye maara tha.. Main nirdosh hun.. Mujhe chhod dijiye.." Uss ladki ne gidgidaate hue kaha..

"Tumahara kkhel khatam hua.. Bahut daudaya tumne humlogon ko lekin kaanoon ke haath se naa aajtak koi bacha hai aur naa koi bachega.. To tumne ye kaise soch liya ki tom humse bachkar faraar ho jaaogi.. Hamare paas pakki khabar thi ki tum isi train me ho.. Aur humne pahle tumhein yahan khoja lekin tum nahi mili.. Humein pata chal gaya tha ki tum kahin chup gayi ho.. Isliye humne bhi socha ki kyon naa tumhaare saath bhi ek khel khelaa jaaye.. Aur hum bhi shaanti se train me baith gaye kisi yaatri ki tarah.. Aur ab tum yahan hamare kabje me ho.. You are under arrest Misses Sneha..

Tum nirdosh ho yaa nahi iska faisla adaalat karegi magar mera kaam puraa hua.." Tabhi Train kisi bade station par ruki.. Aur police waale wahan use lekar utar gaye.

Phir agle din wo log use lekar wapas Rajnagar rawana ho gaye jahan pahunchne me unhe kareeb 12 ghante lag gaye..

Rajnagar station par utarne ke baad Sneha ke dimaag me bas ye kuch alfaaz ghum rahe they..

"Le aayi ye kis mod par zindagi..,

Naa idhar ke rahe, naa udhar ke"

Station se use sidha police station le jaaya gaya.. Jahan usse thodi bahut puchtaach ki gayi aur phir use ek lockup me band kar diya gaya.. Jahan wo aankhon me aansu liye ek baar phir apne ateet ki yaad me kho gayi..

*************************

Bade achche guzar rahe they unn dono ke din.. Shaadi ko bhi ab ek saal se jyada ho gaya tha.. Sab kuch achcha chal raha tha.. Shaadi ke baad dono honeymoon ke liye Switzerland gaye.. Isi dauraan wo dono bahut saare deshon me ghume.. Zindagi me anek rang bhar gaye they.. Unki zindagi aisi kat rahi thi ki jaise wo dono kisi sapno ki duniyaa me jee rahe hon..

Ek saal hone ko ho rahe the unki shaadi ko..tabhi ek din Sneha ne apne Raj ko zindagi ki sabse badi khuskhabri di.. Naa jaane kab se intezaar me the wo dono apne iss pyaar ke tohfe ke.. Chaaron taraf khusiyaan hi khusiyaa fail gayi thi.. Iss khuskhabri ke baare me sunte hi Thakur sahab ne bhi ek bahut badi party rakhkhi thi jo seher me huyi abhi tak ki sabse badi party thi.. Sab log kaafi khus the aur unn sab me sabse jyada Raj aur Sneha.. Magar naa jaane kisne unki khusiyon ko nazar laga di.. Aur phir unki zindagi me ek aisa bhuchaal aaya jisne sab kuch tabah kar diya..

"Kya jaante ho tum meri maa baap ki maut ke baare me..? Kisne maara unhe..?" Raj phone par kisi se baatein kar raha tha aur apne office ke cabin me lagatar idhar udhar ghum raha tha.

"Dekho, tumhein jitne paise chahiye main dene ke liye taiyyar hu.."

"Kya mujhe kahin paise lekar aana padega..? Kahan aana padega.. Jaldi batao.."

"Theek hai main kal hi paise lekar wahan pahunchta hun.. Tum saari jaankari mujhe de dena.." Raj ka pura chehra pasine se latpat tha aur wo bolte hue haanf raha tha..

Kuch dino se lagataar uske paas phone aa rahe they jiske jariye koi aadmi roz use lagataar uski maa baap ki maut ke baare me bolta rehta aur kehta ki use uski maa baap ki maut ke baare me sab pata hai..

Aur aaj pahli baar uss phone wale aadmi ne uske saamne paison ki maang rakhkhi thi jise Raj ne swikaar kar liya tha.. Magar use nahi pata tha ki ye swikriti use bahut mehengi padne wali thi.. Office se wo sidha Bank chala gaya taaki wo Paison ka intezaam kar sake.. Magar shayad paise to sirf ek bahana tha Raj ko fasane kaa..

Bank se usne 5 lakh Rupees nikale aur unhe ek bag me bhar kar ghar ki taraf chal diya.

"Are wah.. Ye bag me kya bhar ke laaye ho janab.." Ghar pahunchte hi Sneha ne Raj se mazak karte hue kaha..

"Iss bag me paise hain.." Raj Sneha se koi baat nahi chupaata tha isliye usne sidha bata diya..

"Par itne saare paise..? Itne saare paison ka kya karoge tum..?" Sneha ka ye sawal sunkar Raj ne puri kahaani bata di jo kuch pichle dino hua tha..

"Agar ye aadmi tumhare maa baap ke kaatil ko jaanta hai to phir itne saalon tak chup kyun tha.. Nahi mujhe to ismein bahut badi gadbad lag rahi hai Raj.. Tum wahan mat jaao please.. Tumhari jaan ko khatra bhi ho sakta hai." Sneha ke chehre par chintaa ka bhaav saaf dekhaa jaa sakta tha..

"Magar mujhe ek baar jaan to lena chahiye naa ki aakhir ye aadmi chahta kya hai aur itne saalon baad achanak kahan se aa tapka.. Mujhe har haal me iss aadm se milna hoga.." Raj jo abhi tak bistar par baitha hua tha usne uthate hue kaha..

"Agar aisi baat hai to fir main bhi tumhare saath chalungi.. Please" sneha ne gidgidaate hue kaha..

"Tum mere saath nahi aa sakti Sneha.. Wahan naa jaane kaun log hon... Aur main nahi chahta ki meri wajah se tumhari jaan khatre me pade.." Raj ne Sneha ke gaalon par haath rakhte hue kaha..

"Magar Raj..."

"Chup.. Bilkul chup.." Sneha ne kuch bolne ke liye muhn khola hi tha ki Raj ne uske muhn par haath rakhkar use chup kara diya.. Iske baad wo dhire dhire apna haath Sneha ki blouse par le gaya aur apna haath dhire dhire uske urozon par chalane laga.. Phir usne dhire dhire uski blouse ke saare button khol diye jisse Sneha ke pure shareer me sansanahat daud gayi..aur uski haalat kharab ho gayi.. Iske baad Raj ne dhire dhire uske saare kapde utaar diye.. Phir usne Sneha ko bistar ke kinaare se uthakar bistar par sulaa diya aur uske honthon par apne honth rakh diye. Sneha aur Raj dono ke shareer ki garmi itni jyada thi ki pure room ke vaatavaran ko garam kar rahi thi..

kramashah.........................

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

Ek Aurat ki Dastaan--10

gataank se aage..........................

.

Chumban lene ke kram me hi Raj apna haath Night lamp ki taraf le gaya aur Lamp off kar di aur phir dono kho gaye pyaar ke anokhe safar par iss baat se anjaan ki aage kya hone wala hai.. Shayad kuch aisa jiski buniyaad par aaj ye kaahani likhi jaa rahi hai... "Dhokha"

Subah Sneha uthi to uski nazar sidha ghadi ki taraf gayi... Subah ke 9:30 baj chuke they.. Shayad raat ki kaam kridaa me thakaan jyada hone ke kaaran uski neend itni der se khuli thi.. Usne bistar par apne agal bagal dekha to paaya ki Raj wahan nahi hai.

Wo jaldi se uthi aur Raj ko dhundhne lagi. Tabhi use bathroom se paani girne ki aawaz aayi..

Wo bathroom ki taraf dhire dhire badhne lagi.. Usne bathroom ke paas pahunchkar uska darwaza khatkhataya.. Par isse pahle ki wo kuch samajh paati ki ek haath ne baahar aakar use khinch liya..

"Oh chhodo.. Kya kar rahe ho subah subah.." Sneha ne khudko chuddane ki koshis ki magar Raj ki takatwar baajuon se nikal paana uske liye lagbhag asambhav saa tha.. Kaafi der koshish karne ke baad bhi jab wo khudko naa chudda paayi to usne haar maan li..

"Mujhe kam se kam fresh to ho lene do jaanu.. Fir jo karna hoga kar lenaa, please.." Usne gidgidaate hue kaha..

"To theek hai.. Main bahar 5 minute intezaar kar letaa hun.. Tum fresh hokar mujhe andar bulaa lena.." Raj ne mazakiyaa lahze me kaha aur isse pahle ki Sneha kuch bol paati wo bathroom se baahar nikal gaya..

"Are kam se kam ek towel to daal lo.." Sneha ne piche se aawaz lagayi par Raj ne baat ansuni kar di aur nanga hi baahar nikal gaya.

Sneha muskarati khadi reh gayi.. Raj nanga hi baahar aakar room me tehelne laga.. Aur aaj ke apne kaam ke baare me sochne laga.. Uss aadmi ne use shaam ko 5 Baje Raj nagar se thoda baahar bane ek mandir ke khandar me bulaaya tha.. Logon kaa manna tha ki uss khandar me ab bhagwaan nahi balki aatmaon ka waas tha jaisa ki hameshaa hota hai ki agar koi puraana ghar ya khandar ho to log use Bhoot bangla bana dete hain.. Ye sab sochte hue wo apne room ke aaine ke paas pahunch gaya..

Wo apne pure shareer ka muaayana karne laga.. Aur apne shareer par teel(mole) ginne laga..

"Are wah.. Lund par teel.. aaj pahli baar dikhaa.. Itne din se muth maar raha tha aur ab Sneha ke saath sota hun.. Phir bhi aaj pehli baar.." wo abhi ye sab bol hi raha tha ki tabhi darwaaze par dastak hui..

"Are betwaa aaj tohke Aafice nahi jaana hai kaa..?" Jaggu kaka ne bahar se aawaz lagayi jisse Raj hadbada gaya.. Lekin phir khudko sambhalte hue usne jawab diya..

"Haan kaka bilkul jaana hai.. Main bas aadhe ghante me niche aaya.. Aap office pahunch jaao." Raj ne unhe jaane ke liye keh diyaa..

"Achcha theek hai betaa.. Hum chalat hain.." Itnaa bolkar Jaggu kaka piche mudkar chal diye..

Iske baad Raj jaldi se bathroom me ghus gaya.. Jahan usne paaya ki Sneha ab nahaane ke liye ready thi..

Wo dono saath saath nahane lage.. Aur ek dusre ke shareer ko sehlaane lage.. Thandaa thandaa paani unke shareer par girta jaa raha tha magar wo unn dono ke tann ki garmi ko shaant karne me asamarth tha..

Sneha Raj ke pure shareer ka muayana kar rahi thi.. Aur uske lund ko baar baar apne muhn me lekar uski uttejna ko saantwe aasman par pahunchaa rahi thi..

Iske Baad Sneha oopar aa gayi aur Raj ke aage aakar khadi ho gayi..

Raj ne use jhukne kaa ishaara kiya jise samajhkar Sneha aage ki taraf jhuk gayi..

Iske baad Raj ne apna lund Sneha ki choot par rakha aur ek zordaar dhakka maara.. Paaani girne ke kaaran lund aaram se uski choot me chala gaya.. Iske baad dono me kareeb aadhe ghante tak chudai chalti rahi..

Phir dono naahakar bahar aa gaye ..

Dono ne kapde pehne aur naashta karne niche chal diye..

"To kitne baje jaaoge uss aadmi se milne..?" Dining table par Sneha ne Raj se pucha..

"Samay to usne 5 baje kaa diya hai.. To office se lautta hi usse mil lunga.. Wo jo koyi bhi hai.. Jara dekhun to sahi kya batata hai.." Raj ne bread par buttar lagate hue kaha..

"oh achcha.. Magar main bhi tumhaare saath jaana chahti hun Raj.. Tumhari jaan ko khatra ho sakta hai.." Sneha ek baar fir kal waali baat lekar baith gayi..

"Iska faisla to kal hi ho chukaa hai Sneha aur waise bhi tum hi batao ki kaun meri jaan lenaa chahega..? Meri to kisi se dushmani bhi nahi hai.. " 1aj ne Sneha ke gaal par haath rakhte hue kaha.

"Wo to theek hai Raj.. Magar.."

"Agar magar kuch nahi Sneha.. Main akelaa hi wahan jaaunga.. Ise ab tum meri ichcha maano ya mera faisla.." Raj ne sidhaa sa jawab diya.. Jise sunkar Sneha bhi chup ho gayi kyunki wo jaanti thi ki Raj ne ek baar jo faisla kar liya uske baad wo uss faisle par adig rahega.. Isliye Sneha ne uske baad usse aur jabardasti nahi ki..

Dono ne naashta kar liye.. Uske baad Raj ne apna bag uthaya aur bahar lagi apni car ki taraf chal diya.. Sneha bhi uske piche piche car tak gayi.. Car ke paas pahunchkar Raj ne Sneha ke hothon par ek chota sa chumban liyaa aur car me baithkar car start kar di aur haath hilaakar Sneha ko Bye kaha..

Sneha ne bhi badle me haath hilaakar use Bye kaha magar uska mann ab bahut kharab lag raha tha. Aisa lag raha tha jaise kuch bahut buraa hone wala hai.

Wo haath hilaati hui car ko jaati huyi dekhti rahi magar use ye nahi pata tha ki shayad ye uski Raj se aakhiri mulaakat ho. YA NAHI BHI.

Office me kaam kuch jyada tha isliye Raj ko 5 office me hi baj gaye..

"Oh no.. Main kahin wahan pahunchte pahunchte wo chala naa jaaye.." usne apni ghadi ki aur dekhte hue kaha aur car me baith gaya.

Usne kareeb kareeb 100 km prati ghante ki raftaar se gaadi ko bhagaya. Chunki wo jagah sahar ke bahar thi isliye udhar jyada traffic bhi nahi tha isliye use koi problem bhi nahi ho rahi thi. Kareeb 15 minute ki driving ke baad wo uss khandarnuma mandir ke saamne khada tha.

Uss khandar ko dekhkar aisa lag raha tha jaise ki kisi jamane mein wo Rajnagar ke logon ke liye samman ka pratik raha hoga.

Mandir ki chhat aur darwaze par lambi lambi jhaadiyaan ugg gayi thi. Bahar ki diwaren kaali pad gayi thi.. Bahar se hi dekhne par wo kisi Bhoot bangle se kam nahi lag raha tha. Raj dhire dhire uss khandar ke darwaze ki or badh raha jo atyadhik jhaadiyon ke kaaran kareeb kareeb band hone wala tha.. Aur unn jhaadiyon me saanp ya anya kisi jahreele aur khatarnaak janwar ke hone ki achchi khaasi sambhaavnaayen thi magar phir bhi Raj ko apne maa baap ke kaatil ka pata lagana tha ya jisne bhi ye jhoothi kahani banakar uska samay barbaad kiya tha, use pakadkar sabak sikhana tha.. Raj ne darwaze ke paas pahunchkar apne haathon aur pairon ki madad se unn jhaadiyon ko ek taraf kiya.. Aur phir madir ke prangan me ghus gaya.. Mandir ke andar ka drishya aur bhi darawna tha.. Chaaron taraf jhaadiyan ugi huyi thi, diwaron par bane hue chitra ab kaale pad gaye the, chhat par latke chamgadad(bat) drishya ko aur darawna bana rahe they.. Tabhi Raj ne jaise hi apne kadam badhaye naa jaane kahan se kabootron ka ek jhund uske oopar se guzar gaya. Dar ke maare Raj ki haalat kharab ho gayi magar phir bhi wo aage badhta raha..mandir ke andar ek bhi moorti nahi thi, aisa kaha jaata tha ki wahan ek baar Rajnagar ki sabse badi loot huyi thi jismein uss mandir ki saari moortiyaan dakaiton(decoits) ne loot li thi... Jismein se jyadatar moortiyan sone ki thi aur aaj ke jamane me unki kimat karodon me hoti..
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

Khair wo to doosri baat thi.. Raj abtak pure mandir me ghum chukaa tha par use ab tak koi nahi dikha tha..

"Puraa mandir chhan maara.. Par koi nahi mila.. Ab to andheraa bhi ghirne laga hai aur shaam ke 6:00 baj chuke hain.. Lagta hai kisi ne jaan boojh kar koi mazak kiya hai mere saath.." usne sar par aa rahe pasine ko ponchte hue kaha aur phir mandir se bahar nikalne ke liye darwaze ki taraf ghumaa..

Magar jaise hi usne apna sar ghumaaya to uski aankhen phati ki phati rah gayi..

"Kaun ho tum..?" usne chillate hue kaha magar isse pahle ki wo kuch samajh paata, kisi ne uske sar par piche se war kiya aur uski aankhon ke saamne andheraa chaa gaya..

***********

"Are Jaggu kaka.. Aap aa gaye..? Raj kahan hai..?" Sneha ne Jaggu kaka ke aate hi unse puchaa..

Halanki use pata tha ki Raj khandar ki taraf gaya hai magar usne keh diya tha ki khandar se wo sidha office aayega aur phir office se kaka ke saath hi gahr aayega..

"Kahe bitiya..? Oo abhi tak ghar nai aaya hai kaa..? Oo ta humse pahle hi aafice se nikal gaya tha..?" Jaggu kaka ne hairaani se kaha..

"Nahi kaka.. Wo to abhi tak nahi aaye.. Pata nahi kahan reh gaye.." Sneha ko chintaa hone lagi..

"oo dekho aa gaya Raj.." Achanak Jaggu kaka ne darwaze ki taraf ishaara karte hue kaha..

Sneha ne sar ghumakar dekha to paaya ki Raj andar chala aa raha hai..

"theek hai bitiya ab tum dono baat karo.. Hum tani firesh ho ke aate hain.." itne dino me Jaggu kaka ne toote foote hi sahi magar kuch angrezi shabd seekh jarur liye they.

"Aa gaye aap..? Par aap to Jaggu kaka ke saath aane wale they.. Mandir se sidha office nahi gaye kya..?" Sneha ne kaka ke jaate hi pucha..

"Are kyaa bataun jaan.. Office me bahut jyada kaam tha aur phir mandir gaya to paaya ki wahan koi nahi hai.. Shayad kisine ghatiyaa mazak kiya tha aur dekho ye paise bhi saath hi laane pade.." Raj ne bag dikhaate hue kaha..

"Hoga koi shaitaan jisne itna bekaar mazak kiya.. Aap jaakar haath muhn dho lijiye, main aapke liye khana laga deti hu.." Ye bolkar Sneha wahan se jaane lagi magar Raj ne use apni baahon me khich liya..

"Itni jaldi bhi kya hai..?" Ye bolkar Raj ne uske hothon par apne honth rakhe aur unhe badi berahmi se choosne laga..

"Chhodo mujhe... Jab dekho shuru ho jaate ho.. Jaggu kaka ne dekh liya to kya sochenge..?" Sneha ne apna muhn alag karte hue kaha..

"Duniyaa walon ke darr se hum pyaar karna to nahi chhod sakta naa meri jaan.." Itna bolkar Raj ne phir use chumne ki koshish ki maga iss baar Sneha ne apnaa haath chudda liya aur Raj ko chidhati hui wahan se bhaag gayi..

Raj ne ek shaitaani muskaan bhari aur uske muhn se ye shabd nikle.."Aaj raat to teri choot maarke hi rahunga.. Naa jaane kab se ye lund teri choot me ghusne ke liye tadap raha hai.." ye bolkar wo apna lund masalne laga.. Aur apne kamre me chala gaya aur achanak hi paglon ki tarah zor zor se hasne laga..

"Aaj raat meri zindagi ki sabse mazedaar raat hone wali hai.." Ye sochta hua Raj khaana kha raha tha aur baar baar Sneha ki taraf dekh raha tha jo use apni taraf dekhta hua paakar sharma rahi thi kyunki Jaggu kaka bhi wahin par baithe hue they aur Raj ka iss kadar ghoorna use thoda ajeeb lag raha tha kyunki Jaggu kaka ke saamne usne kabhi Sneha ko aise bhookhi nazron se nahi dekha tha.

Sneha ne aankhon hi aankhon me Raj ko kuch ishara kiya jisse wo samajh gaya ki wo use khana khane ke liye bol rahi hai aur apni nazar uss par se hatane ko bol rahi hai..

"Iss tarah Kaka ke saamne ghoorne me tumhein sharam nahi aati..? Agar wo dekh lete to kya sochte.." Dono apne kamre me sone aa gaye they aur Sneha ne apni narazgi zaahir ki..

"Are kya sochte..? Yahi sochte ki do pyaar karne wale aankhon hi aankhon me apne pyaar ka izhaar kar rahe hain.." Raj ne use aankh maarte hue kaha..

"Dhatt" Ye sunkar Sneha sharma gayi aur apna chehra Raj ke Seene me daba diya..

Iske baad shuru hua vaasna ka ek aisa khel jo raat bhar chala.. Aaj Raj use iss tarah chod raha tha jsie naa jaane uska lund kitne dino se pyaasa ho.. Har dhakke me itna zor laga raha tha ki Sneha ka dard ke maare buraa haal ho raha tha..

"Ohh... Aaj maar daaloge kyaa..?" Sneha ne dard me tadapte hua kaha..

"Iraada to kuch aisa hi hai.." Raj ne dhakkon ka zor aur badha diya..

Sneha ki haalat kharab ho gayi thi uske dhakke khaate khaate aur naa jaane wo kitni baar jhad chuki thi..

***********

"Aise langda ke kyun chal rahi ho..?" Subah Raj utha to dekha ki Sn'ha bathroom se bahar aa rahi hai aur use chalne me takleef ho rahi hai.

"khud karte ho aur ab mujhe poochte ho ki landa kyun rahi ho..?" Sneha ne muhn banate hue kaha..

"Ab gussa kyun hoti ho jaan.. Maaf kar do.. Aaaj raat se aisa nahi karunga. Promise.." Raj ne use apni taraf khinchne ki koshsh ki magar Sneha thoda dur hatt gayi..

"Kal raat tumhein ho kya gaya tha ? Pahle to kabhi aisa nahi kiya tha ?" Sneha ki aawaz se saaf pata chal raha tha ki wo naaraz hai.. Aaur itna bolkar wo kamre se bahar chali gayi..

"Sach me kal kuch jyada hi josh aa gaya tha mujhe.. Aaj se aisa nahi karunga warna shaq badh sakta hai mere oopar" Ye sochkar Raj ne apni chadar hatai aur uth kar bathroom me chala gaya..

kramashah.........................

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

Ek Aurat ki Dastaan--11

gataank se aage..........................

.

"Jaggu kaka ab aapko office jana band kar dena chahiye..?" Dining table par naashta karte hue Raj ne kaha..

"Are ee kaa kahat ho bitwa..? Agar aafice nahi jaayenge to ghar me din bhar kaa bhajan karenge..?" Jaggu kaka ne haste hue kaha..

"Are nahi kaka.. Main to soch raha tha ki aap itne saalon se mere bhale ke liye kaam kar rahe hain.. Aur ab aapki umar bhi ho chuki hai. Ab aapke aaram karne ke din hain.. Kaam to main bhi kar lunga."

"Are betwa tum kaahe chinta karat ho..? Waise bhi hamra mann ghar me lagega nahi to ghar me rahne ka kaa faaida.. Isse achcha aafice me du go aadmi se baat ta kar lenge.." Jaggu kaka ne kaha..

"Are phir bhi kaka.. Isi bahane aap Sneha ka khayal bhi rakh sakenge.. Aisi haalat me kisi kaa iske paas rehna jaroori hai.. Aur waise bhi baaki naukar log kuch jyada dekh bhaal bhi nahi kar paayenge Sneha ki jitni achchi tarah aap kar sakenge." Raj ne phir samjhane ki koshish ki jise sunkar Jaggu kaka bhi soch me pad gaye.. Aur phir thoda sochne ke baad bole..

"Tu theek kahat ho betwa, Bahurani ke paas ek aadmi ka to jarurat to hai.. Theek hai Betwa.. Aaj se hamara aafice jaana band.. Aur aaj se aafice ka sara kaahamar betwa karega.." Ye bolkar unhone Raj ke kandhe thaptapaye..

Sneha wahan baithkar sirf unn dono ki baatein sun rahi thi..

Pahle to use Raj ka Jaggu kaka ko ghar me rukne ke liye bolna ajeeb laga par jab Raj ne wajah batayi to phir use santushti huyi..

Jaggu kaka aur Sneha Naasta karke table se uth chuke they.. Raj ne car ki chabhi uthaayi aur Car me jaakar baith gaya. Uske chehre par ek shaitaani muskaan thi jo ab darawni hasi me badal chuki thi..

"Bahut din ho gaye.. Main Papa se nahi mili.." Raat ko sote hue Sneha ne Raj se kaha..

"Ismein kaun si badi baat hai..? Kal hi chalte hain 2-4 din ke liye.. Tumhara mann bhi lag jaayega aur tumhare papa tumhein dekh kar khus bhi ho jaayenge.." Raj ne Sneha ko chumte hue kaha..

"Par kya Jaggu kaka izazat de denge..?"

"Are unki chinta tum mat karo.. Wo meri baat kabhi nahi taalte.. Tum kal mere office se aane ke baad ready rahna. Hum dono kal hi chal rahe hain.." Ye bolkar Raj ne Sneha ko apne oopar baitha liya aur Sneha uske lund par uchalne lagi..

***********

"So everything is ready..? Can we go now..?" Agle din shaam ko office se aate hi Raj ne pucha..

"oh Yeah.. Why not...?" Sneha ko Raj ka angrezi me baat karna ajeeb sa laga kyunki English bolna use kuch jyada pasand nahi tha aur wo English ka istemaal sirf office me hi karta.. Khair Sneha ne apne sar ko jhatka dekar samjhaya ki ye sirf ke sanyog hai aur ye sochkar Bag uthane lagi..

"Kya kar rahi ho Sneha.. Itna bhari bag kyun utha rahi ho..? Tumhein pata hai naa ki tum maa banne wali ho..?" Ye bolkar Raj ne uske haath se bag le liya aur phir dono gaadi me baithkar Thakur Villa ki taraf chal diye..

"Aao beta.. Aaj achanak kaise pahunch gayi.. Phone bhi nahi kiya..?" Yun Sneha aur Raj ko achanak apne ghar me paakar Thakur sahab ki khusi ka thikana nahi tha..

"Bas Papa yun hi.. Aaapko surprise dene ka mann hua aur hum chale aaye.." Ye bolkar wo Thakur sahab ke gale lag gayi..

"Jaao Beta.. Tum log fresh ho kar aa jao uske baad baatein hoti rahengi.." Thakur sahab ne kaha jise maankar wo dono apne kamre me chale gaye fresh hone ke liye..

"To beta business kaisa chal raha hai..?" Raat ko khaane par Thakur sahab ne Raj se pucha..

"Bas uncle theek chal raha hai.."

"Aur sab kuch theek thaak hai naa..? Aaur wo naukar kaisa hai.. I'm sorry.. I mean Jaggu kaka kaise hain..?" Thakur sahab ne apni galti ko sudharte hue kaha..

"Are uncle ismein sorry ki kya baat hai..? Naukar ko naukar nahi kahenge to kya maalik kahenge ? Wo to naukar hai jo kayi saalon se hamara khaa raha hai.. To ismein sorry ka to sawal hi paida nahi hota.." Raj ki ye baatein sunkar Thakur sahab aur Sneha ko bada ajeeb laga.. Kal tak jise naukar kehne par hi Raj ka gussa saantwe aasman par pahunch jaata tha.. Aaj wo use khud naukar bol raha tha.. Jo ki ek ajeeb baat thi.. Teeno khana khaa kar uthe aur phir thodi der sofe par baithkar idhar udhar ki baatein karne lage..

"Theek hai bachchon.. Raat bahut ho gayi hai.. Aur Sneha ka iss haalat me itni raat tak jage rehna theek nahi hai.. Tum dono jaakar so jaao.. Aur main bhi chalta hun sone.." Ye bolkar Thakur sahab wahan se uthkar chale gaye aur Raj aur Sneha ne bhi ab sona hi sahi samjha.. Aur wo dono bhi apne kamre me chale gaye sone ke liye.."

Aaj subah subah jab Rajnagar ke log jage to un sab ki jubaan par sirf ek hi sawal tha..

"Thakur sahab ko kisne maara..?"

Thakur villa ke saamne achchi khaasi bheed jama thi.. Sab log yahi janna chahte they ki kaun ho sakta hai jisne itne bade aadmi ko oopar pahuncha diya..?

Tabhi Police ki do gaadiyaan apna siren bajate hue wahan pahunchi.. Sab log usi taraf dekhne lage.. Unn police ki gaadiyon me se kul 10 Police wale bahar aaye jo wahan pahunchte hi bheed ko wahan se hatne ke liye bolne lage..

Unmein se ek police wala jo Inspector rank ka lagta tha wo apni chhadi ek haath me liye hue that aur baar baar apne dusre haath me maarte hue andar chala gaya..

Andar Raj aur Sneha sofe par baithe hue they.. Unke chehre bade udaas lag rahe they aur Sneha ki aankhon se aansu band hone ka naam nahi le rahe they.. Uss ghar me kaam karne wale 5 naukar jismein se 4 mard they aur 1 aurat thi ek taraf kone me line me apna sar jhukaaye khade they..

Gate par khade rahne wale Mustande bhi wahin khade bewakoofon ki taraf idhar udhar taak rahe they..

Inspector ke jooton ki aawaz sunte hi sab udhar dekhne lage..

Ye aur koi nahi balki Inspector Jawed khan tha.. Usne ek sar sari nigaah hall me maujood sabhi logon ki taraf daali aur phir wo dhire dhire chalta hua crime scene ki taraf jaane laga..

Aur finally wo uss kamre me pahunch gaya jahan khoon hua tha.. Wahan par 2 constables pahle se maujood they jo ki laash ki jaanch kar rahe they aur saath hi saath uski tasveerein bhi utaar rahe they..

"kuch pata chala..?" Inspector ne kamre me ghuste hue kaha.

"Chaaku inke seene me maara gaya hai.." Ek constable ne Inspector ko aate dekhkar salute karte hue kaha..

"Hmm.. Aur kuch..?"

"Sir ye Murder weapon baramad hua hai.." Constable ne chaaku dikhate hue kaha jo ab ek plastic bag me band tha..

"Hmm.. Ye murder weapon ka milna to bahut achchi baat hai.. Kisi ne kuch bataya yaha..?"

"Haan sir.. Wo jo aurat khadi hai(line me khade naukaron ki taraf ishara karte hue) wo yahan naukrani ka kaam karti hai.. Usi ne sabse pahle laash dekhi thi.. Usne bataya ki wo subah jab Thakur sahab ke liye chaai lekar aayi to usne unka darwaza khula paaya.. Phir wo jab andar aayi to paaya ki pura kamra khoon se bhara pada hai aur Thakur sahab yahan kamre me mare pade hain.. Ye dekhkar wo zor se chillane lagi jise sunkar Ghar me maujood sabhi log yahan pahunch gaye aur phir unhone Police ko phone karke bula liya.." Constable ne apni baat puri ki..

"Aur kuch milaa crime scene se..?"

"Ji nahi sir... Haathapaayi ke bhi koi nishaan nahi hain.. Jisse saaf pata chalta hai ki khooni koi ghar ka aadmi hi hai.." Constable ne jawab diya..

"Haan yaani wohi hua jo har ghisi piti kahani me hota hai.." Inspector ne badbadate hue kaha..

"Jee sir..? Aapne kuch kaha.." Constable ne Inspector ko badbadate hue sunkar kaha..

"No nothing.. Tum aisa karo.. Iss laash ko postmartom ke liye bhijwa do.. Tab tak main bhi to dekhun ki aakhir maajra kya hai..?" Ye bolkar Inspector uss taraf badh chala jidhar sab log khade they.. Uske chehre par ek muskaan thi jaisi har case ke dauraan hoti thi.. Inspector Jawed khan aaj tak kisi bhi case ko suljhaane me fail nahi hua tha magar shayad ye case iss baat ko bakwass saabit karne wala tha..

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
Post Reply