Ek Aurat ki Dastaan

User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

Ek Aurat ki Dastaan--4

gataank se aage..........................

.

Phir hall me ek bada sa cake aaya aur Riya uske saamne khadi ho gayi.. Uske bagal me hi Sneha khadi thi.. Phir Riya ne cake kaata aur sabne use "Happy Birthday" wish kiya aur gifts diye... Phir sabne khana khaya aur party khatam ho gayi...

"Kya main aapko ghar chhod dun Sneha...?" Party khatam hone ke baad Raj ne Sneha ke paas jaakar kaha...

"Nahi Raj... Waise hi maine tumse bahut madad le li... Ab aur nahi... Main abhi apne doston ke saath chali jaaungi... Tum rehne do..."

"Achcha theek hai Sneha... Kal milte hain college me..." Ye bolte samay Raj ke chehre par maayusi ki lakeerein saaf dekhi jaa sakti thi aur ye baat Sneha se bhi chhupi hui nahi thi..... Khair iske baad sab apne apne ghar chale gaye....

**********************

"Ab humein shaadi kar leni chahiye jaanu... Tumne mujhse wada kiya tha..." Riya ne uss ladke ko uske waade ki yaad dilate hue kaha...

"Riya meri jaan... Abhi tumhari umar hi kya hai... Abhi to tum sirf 20 ki ho... Sahi waqt aane par hum kar lenge shaadi..." ladke ne usski choochiyon par apne honth lagate hue kaha...

"Par hum kab tak bina shaadi ke iss tarah se shareereek sambandh banate rahenge..." Riya ne apni baat rakhkhi...

"Jaan... Abhi to hamare maze karne ke din hai... Kyun tum abhi se shaadi ke baare me soch soch kar pareshaan ho rahi ho... Jab waqt aayega to wo bhi ho jaayegi... " uss ladke ki jeebh dhire dhire Riya ke pate se hoti hui uski nabhi par aa gayi.. Aur phir uski choot par... Riya ki siskaari nikal gayi....

"Agar mujhe bachcha ho gaya to...?" Riya ne fir aashanka jatayi...

"Are nahi hoga jaan... Dekho maine condom laga rakhkhi hai naa..." Ladke ne apna lund dikhate hue kaha... Usspar Pink colour ka condom laga hua tha jo shayad strawberry flavour kaa tha...

Iss baat par Riya shaant ho gayi.. Uske paas ab bolne ke liye kuch nahi bacha tha.. Wo ladka ab uske oopar aa chuka tha.... Aur apna lund andar bahar kar raha tha... Pure kamre me uski siskaariyan gunj rahi thi.... Aur phir ladke ne dhakke tez kiye aur uski choot me hi jhad gaya... Par condom ne bacha liya...

Riya ko kuch samajh me nahi aaa raha tha ki wo kya kare... Kab tak aise awaih sambandh bana kar rakhkhe... Usne uss ladke ki taraf nazar daali... Jo ab aaram se khrrate maar raha tha aur uska lund ab bhi Riya ki choot me tha...

"Kuch samajh nahi aa raha yaar... Ki ab kaise usse baat karun... Koi idea hi nahi aa raha dimaag me... Aur dil hai ki maanta nahi... Kuch na kuch to karna padega yaar..." Raj aur Ravi ek garden me ped ke niche baatein kar rahe they... College to wo jaate nahi they...isliye dinbhar ghumte rehte they... Kabhi shopping mall to kabhi multiplex.. Aur nahi to kahin chaudibaazi(Ladkibaazi) me lage rehte they... Unka schedule bhi ajeeb tha... Raat me wo raat bhar padhte rehte aur bas 3 ghante sote they... Unke alawa ye baat kisi ko nahi pata thi ki wo college nahi jaate hain... Maa baap ko bhi unhone ullu banane me koi kasar nahi chhodi thi...

Par ek baat aur thi... Raj ke maa baap nahi they.. Uske maa baap ki mrityu ek car durghatna me uss samay ho gayi thi jab wo raat ko ek party se wapas aa rahe they.. Raj uss samay bahut chota tha isliye use ghar me hi chhod kar gaye they..Uska palan poshan ek naukar ne kiya tha.. Ya yun kah lijiye ki ek manager ne kiya tha... Kyunki wo padha likha nahi tha fir bhi uske Raj ke maa baap ke marne ke baad uska pura business sambhalta tha... Uska kaam bas itna hota tha ki wo office jaakar wahan par sabhi ko jaruri aadesh de deta tha aur baaki ka kaam office ke log sambhal lete they..yun to unka naam "Jaglal Ramkumar krishnakumar cheddi laal paswan" tha par Raj unhe "Jaggu kaka" kehkar pukarta tha..

Bachpan se unhone Raj ko apne bete ki tarah pyaar kiya... Jab uske maa baap mare they to Jaggu kaka sirf 25 baras ke they... Apne chhote maalik ki sewa karne ke liye unhone kabhi shaadi bhi nahi ki... Apne maalik ke liye wo jaan bhi dene ko taiyyar tha.. Aur isi pyaar muhabbat ke kaaran Raj bigad gaya tha...

Halanki use koi buri aadat nahi thi phir bhi jo ladka kabhi college naa jaakar Cinema dekhe aur mall me ghume use bigda hua naa kahen to kya kahen...

Khair wapas apni kahani par aate hain...

Ravi bhi soch me pad gaya ki aakhir wo Raj ki madad kaise kare...

"Abe sun.. Ek rapchik idea aaya hai veere..." Ravi ne uchalte hue kaha...

"jaldi bata jaldi bata..." Raj ne bhi utsahpurvak apn kaan uske muhn ke paas le jaate hue kaha...

"Tu mujhse pyaar kaa naatak kar..." Ravi ki ye baat sunkar Raj chaunk utha...

"Abe gay samjha hai kya...? Saale main tujhe pyaar karun... Mere paas lund nahi hai kya...?"

"Abe kaun si badi baat hai mujhse pyaar karna... News nahi dekhte kya aajkal..? India me gay marriage legal ho gayi hai... Tu mujhse pyaar ka natak karega aur Sneha ko ye baat pata chalegi to phir agar wo tujhse pyaar karti hogi to use humse jalan hogi... Aur wo aakar tumhein propose kar degi... Hai naa mast idea...?" Ravi ne uttejit hote hue apna gay banne ka idea bataya...

"Abe ghanta idea hai.. Pata nahi tere iss chutiya dimaag mein kaisi kaisi baatein aati rehti hain... Gay banayega mujhe... Chutiya kahin kaa..." Raj ne muhn banate hue kaha...

"Abe sale.. Muhn kyun bana raha hai... Waise bhi hum dono har jagah saath hi jaate hain.. Aur ab dekho jahan saare premi baithkar pyaar bhari baatein karte hain.. Hum bhi wahin baithkar do premiyon ki tarah baatein kar rahe hain...Ped ke niche.. Pyaar bhari baatein.. To hue naa hum gay..hahaha..." Ravi ne thahaka lagate hue kaha...

Par Raj ko abhi kuch bhi achcha nahi lag raha tha... Uske Dimag me to bad Sneha..sneha ki dhunn baj rahi thi..
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

"Band kar mazak yaar... Aajkal mazak nahi achche lagte.. Please kuch badhiya sa idea de.." Raj ne vinti ki...

"Main to kehta hun..ki jaakar pure college ke saamne use I love You bol do... Aur ek jor ka chumban uske hothon par jadd do..." Ravi ne phir bina soche samjhe jawab diya...

"Haan... I love you bol dun... Aur shahhed ho jaaun... Saale tune use kisi aire gaire ki beti samajh rakhkha hai kya...? Thakur khandaan ki eklauti beti hai... Jaan se marwa dega mujhe mera hone wala sasur..." itni darawni baat bolte hue bhi Raj use apna sasur bolna nahi bhoola... Use puri ummid thi ki wo kaise bhi Sneha ko jarur pata lega... Chahe iske liye use apni classes hi kyun na attend karni pade... Jo kaam usne kabhi nahi kiya hai wo bhi kyun na karnaa pade... Aur ant me usne ek faisla le hi liya... Ki wo kal college jaayega...

"Are betwa itna sawere sawere kahe naahat ho..? Kahin jaaye ka hai kaa...?"

"Haan kaka college jaana hai... Isliye aaj subah subah naha liya..

"Par abhi to subah ke 4 bajal hain.. Abhi kaun collegewa chalat hoyehain..?"

"Are kaka.. Aaj hamari extra class hai.. Isliye humein aaj 5 baje hi bula liya hai college me... Isliye abhi hi naha raha hun taaki 4 baje tak college pahunch sakun.."

"Achcha beta jaisan tohar marzi.." Jaggu kaka ne bhi ab jyada sawal jawab karna theek nahi samjha... Aaj Raj phir pagalon ki tarah subah 4 baje hi naha raha tha... Hhalanki college 10 baje shuru hota tha aur uske ghar se college tak ka raashta sirf 20 minute ka tha...phir bhi aaj use college jaane ki itni jaldi thi ki wo subah 4:30 me hi ghar se nikal gaya... Abhi bahar pura andhera hi tha... Sabhi log abhi ghar me rajayi me dubak kar soye hue they..par pyaar me pagal Raj nikal gaya college ke liye...

Ab use bas ek chinta khaaye jaa rahi thi..ki wo Ravi ke ghar kaise jaaye...? Uski maa agar usse sawal jawab karegi to wo kya jawab dega...? Wo abhi apni bike se kuch hi dur gaya tha ki use ek chaai ki dukaan dikhi.. Usne socha ki kyun naa yahan par thoda waqt bita liya jaaye...

Wo bike se utra aur chaai ki dukaan par baith gaya.. Ganimat thi ki wo dukaan itni subah suba khul gayi thi warna aaj use Ravi ki mummy ki daant sunni padti... Usne wahan baithte hi chaai ka order diya... Aur paas me hi pada newspaper utha kar padhne laga.. Newspaper ki har photo me use Sneha ka chehra dikh raha tha... Usne Newspaper ke akshar padhne ki koshish ki par aaj pata nahi kyon use Newspaper padhne me bhi mann nahi lag raha tha.. Uske dimag me bas ek hi shabd tha... Bas ek hi naam tha...."Sneha Sneha..." isi dauran wahan par chaai bhi aa gayi... Usne badi mushkil se chaai pi..kyunki chaai bhi aaj uski halak se niche nahi utar rahi thi... Ek ek pal uske liye kaisa guzar raha tha ye to sirf uska dil hi jaanta tha.... Jab usse aur jyada bardasht naa kiya gaya to wo wahan se uth gaya aur apni bike par baithkar bike start kar di... Ab use lag raha tha ki wo ek pal bhi Sneha ke binaa nahi reh paayega... Use kaise bhi uska chehra dekhna tha.. Kuch bhi karna tha par jise usne apne mann me Devi ke roop me basaya hai uska chehra dekhna hai... Uska dil zor se dhadak raha tha aur dimaag bhaari asmanjas me tha ki ab wo kya kare aur kya naa kare... Ant me usne ek faisla kar hi liya jisse wo kam se kam college jaane se pahle hi Sneha ka chehra dekh sakta tha... Aur isi faisle par amal karte hue usne apni gaadi ghuma di "Thakur Villa" ki taraf...

"Thakur-Villa" Ke bahar pahuchte hi usne apni bike ek side me laga di... Iske baad bike se utar kar tez dhadkano ke saath gate ki taraf badhne laga... Uski saansein aaj kuch jyada hi tez chal rahi thi.. Aisa lag raha tha ki wo chaai ki dukaan se bike par nahi balki daud kar yahan aaya ho... Jaise jaise wo gate ki taraf badh raha tha waise waise uske dil ki dhadkano ki gati aur jyada tez hoti jaa rahi thi.. Usne oopar wale ka naam liya aur phir aage badhne laga.. Wo bilkul kachue ki tarah dhire dhire aage badh raha tha.. Aisa lag raha tha ki jaise wo kisi jung par jaa raha ho.. Agar ye koi movie hoti to darshak abhi tak chilla kar bol rahe hote... "Abe chutiye aage badh naa..." Khair usne apni gati badha hi di.. Aur ab tez kadmon se badhne laga darwaze ki taraf... Jaisa ki har haweli me hota hai... Ghar ke saamne ek bada lohe ka darwaza laga hua tha jispar ek guard baithkar chaukidaari kar raha tha..

Darwaze par ek bada sa plate laga hua tha Jispar sunahre aksharon me "Thakur Villa" Likha hua tha...

Par uske niche wale plate me jo likha hua tha use dekh kar Raj ki hasi choot gayi... Niche chote se plate me likha hua tha..."Kutton se sawdhan"

usne pure sentence ko milakar padha to wo kuch aisa bana... "Thakur villa.. Kutton se sawdhan"

Usne jaldi se apna dimag iss bakwass se hataya aur phir apna kaam karne par laga diya.. Apna maksad pura karne par...

"Oye kidhar jaata hai..." Ek kadak aawaz uske kaano me padi... Usne sar ghuma kar dekha to uss haweli ka guard khada tha... Kareeb 7 ft. Lamba kadak aawaz aur mardon wali kadak moochein... Raj ki to use dekhte hi gand phatne lagi... Wo bina puche hi andar ghus raha tha aur uss guard ki nazar uspar pad gayi..

"Uncle ji.. Main kahin nahi jaa raha hun.. Ye to apna hi ghar hai... Main to bas iss ghar ki maalkin Sneha ji se milne jaa raha tha.." Raj ne haath jodte hue kaha...

"Aise choron ki tarah kyun jaa raha tha be...?" usne Raj ka collar pakad kar use utha liya...

"Mujhe chhod do bhai.. Sneha mere class me padhti hai aur main uska dost hun... Please.. Main bas usse milne jaa raha tha..." Use ab saans lene me takleef ho rahi thi.. Uska gala guard ke bade bade panjon me kaid tha...

"Jhoot bolta hai tum... Tum yahan chori karne aaya tha.. Aaj hum tumko aisa sabak sikhayega ki tum chori karna bhool jaayega..." Guard ne uske collar par apni pakad majboot kar di...

"Are bhai main chori karne nahi aaya tha..." Par Raj ki ye baat gale me hi atak gayi kyunki Guard ne uska gala itni zor se pakad rakhkha tha ki use saans bhi nahi li jaa rahi thi to aawaz kya nikalti...

"Abe Ramu, Shyamu, Mohan... Sab bahar to aao... Dekho aaj maine ek chor pakda hai..." Guard ne chillate hue kaha...

Uske itna bolte hi Saamne bane servants quarter se 3 mustande bahar nikle... Unhen dekhkar Raj ko pant me hi peshab ho gaya... Use pata tha ki aaj uski jaan jaane waali hai.. Usne yahan aakar bahut badi galti ki hai...

Teeno mustande uske saamne aaye... Aur teeno ne ek ek thappad use jama diya..."hamare sahab ke yahan chori karega saale..." Itna bolkar teeno ne milkar uspar laat ghuson ki baarish kar di... Bechare ke muhn aur naak se khoon ki ek dhara bah nikli... Pyaar jo naa karwaye wo kam hai.. Uske dimag me bas abhi yahi baat aa rahi thi.. Uske muhn se ab ghuti ghuti cheekh hi nikal paa rahi thi..par teeno mustande use maarte hue zor zor se gaaliyan bake jaa rahe they...

kramashah.........................

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

Ek Aurat ki Dastaan--5

gataank se aage..........................

.

Itna shor sunkar Thakur sahab aur Sneha daudte hue ghar se bahar nikle...

"Kya ho raha hai yahan...?" Thakur sahab ne kadakti hui aawaz me kaha..jise sunkar teeno mustande shaant ho gaye... Saamne Raj lahooloohaan awastha me pada hua tha... Tabtak Sneha ki nazar uss taraf jaa chuki thi par Raj ka chehra zameen ki taraf tha jisse wo uska chehra nahi dekh paayi.....

"Thakur sahab ye chor apne ghar me chupke se chori karne ke liye ghus raha tha.. Maine ise dekh liya aur pakad kar iski pitayi kar di.." Guard ne apna seena phoolate hue kaha jaise koi bahut bada kaam kar diya ho...

"Chor ko koyi aise janwaron ki tarah maarta hai kya...?" Sneha ne dayaniya nazron se uss chor ki taraf dekhte hue kaha...

"Maaf karna bitiya par chor ko dekhkar itna gussa aa gaya tha humko ki pura haath saaf karwa diye inn mustandon se.. Aur jab ee chorwa bola ki wo aapse milne aaya tha aur aapke saath padhta tha to humko aur gussa aa gaya ki ye sasuraa hamari bitiya ka naam beech me laa raha hai aur humne iski pitayi karwa di.." Guard ne kaha...

Saath padhne wali baat sunkar Sneha ka matha thanka aur wo daudti hui Raj ke paas pahunch gayi... Itni laat khaane ke kaaran wo ab tak behosh ho chuka tha... Sneha ne uska chehra jaise hi apni taraf ghumaya; uski cheekh nikal gayi.. Aur uski aankhon me aansu aa gaye...

"Beti tu ise jaanti hai kya..?" Sneha ki cheekh sunkar Thakur sahab ne pooch hi liya...

"Haan papa.. Ye mere hi college me padhta hai.. Iska naam Raj singhaniya hai.." Sneha ne Raj ka naam batate hue kaha..

Thakur sahab:- Raj singhaniya.. Hmm.. Ye naam to kuch jaana pehchana lag raha hai.. Kahin ye Pratap singhaniya ka beta to nahi..

"kaun Pratap singhaniya papa..?" Sneha ne sawal kiya..

"Ab jaane do beta.. Ise hosh aane do tab ye khud bata dega..." Thakur Sahab Use dekh kar kuch soch rahe they.. Shayad apne purane din yaad kar rahe they...

"Ise itna maarne ki kya jaroorat thi.. Dekho kya haal bana diya bechare ka... Tumlogon ko main abhi naukri se nikalwa dungi..." Ab Sneha ne unn mustandon ki taraf dekhte hue kaha.. Raj ab bhi uski god me pada hua tha..

"Maaf kar do bitiya... Par humein laga ki ee koi chor hai..." Guard ne safai dene ki koshish karte hue kaha...

"To isne kaha tha naa ki ye mere saath padhta hai.. Tum mujhe bulakar pooch bhi to sakte they..iss akele ko maarkar apni mardangi jhaadne lage..?" Pata nahi kyon aaj Sneha ko kuch jyada hi gussa aa raha tha... Thakur sahab ne pahle kabhi use itne gusse me nahi dekha tha.. Unhe laga ki sayad uski neend puri nahi huyi hai isliye wo gussa rahi hai...

"Beta ab jaane bhi do... Galti ho gayi unse.." Thakur sahab ne Sneha ke kandhe par haath rakhte hue kaha... Tab jaakar kahin wo shaant hui...

"Ise uthaakar andar le aao mere kamre me.." Sneha ne unn logon ko aadesh diya..

"Tum kya karogi iske saath..?"Thakur sahab uski baat sunkar asmanjas me pad gaye..

"Marham patti karungi papa aur kya...?"

"Par beta uske liye main doctor ko phone kar dunga.. Tumhein kya jarurat hai iski..?" Thakur sahab ne Sneha ki taraf dekhte hue kaha..kyonki Sneha ne aaj tak khud ki bhi mahram patti nahi ki thi aur achanak ab wo nurse banne chali thi..

"Papa.. Ye mere college me padhta hai.. Aapko chinta karne ki koyi jarurat nahi hai... Main kar dungi.." Sneha ne phir zidd ki..

"Achcha theek hai beta.. Jaisi teri marzi.." Thakur sahab ne jyada bahas karna theek nahi samjha aur unn mustandon ko Raj ko kamre me pahunchane ka aadesh dekar chale gaye...

***************************

"Mmm..main kahan hun...?" Raj ki aankhen dhire dhire khul rahi thi... Itni jyada maar kha kar wo aaj din bhar behosh raha tha.. Sneha ne use first aid dene ke baad doctor ko bhi bulaa liya tha taaki kisi tarah ki laaparwahi ki gunjaaish naa reh jaaye... Uske sar par patti bandi hui thi aur muhn par bhi patti sati huyi thi.. Wo uthne ki koshish karne laga par Sneha ne use uske kandhe pakad kar use uthne se rok diya..

"Main kahan hun.." Apni kamzor ladkhadati aawaz me usne ek baar phir pucha..

"Tum abhi mere ghar Thakur villa me ho.." Uske kaano me ek patli surili si aawaz gunj uthi... Usne sar thoda sa oopar karke dekhne ki koshish ki to saamne usne chaand se bhi sundar.. Apne sapno ki rajkumari Sneha ko paaya... Use dekhte hi aisa laga jaise uska dard ek pal me hi gayab ho gaya ho...

"Are Sneha tum... Par main yahan kaise pahuncha...?" usne muskuraane ki koshish karte hue kaha..

"Bhagwan ka shukar karo ki tum yahin tak pahunche ho.. Agar main wahan samay par nahi pahunchi hoti to abhi oopar pahunch gaye hote.." Sneha ne oopar ki taraf ishaara karte hue kaha...

"bahut maarte hain tumhaare naukar yaar... Keema bana diya mera.. Haye shareer me bada dard ho raha hai..." Raj ne angdayi lete hue kaha..

"usi kaam ke liye rakhka hai papa ne unhe.. Aur tumhein kya jarurat thi aise choron ki tarah andar ghusne ki..? Itna maara unhone tumhein..agar tumhein kuch ho jaata to..?" Sneha ne use daantte hue kaha...

"Main to sirf tumse milna chahta tha Sneha.."

"Itni subah subah koyi milne aata hai bhala..? Tumhein kuch ho jaata to mera kya hota..?" Naa chahte hue bhi uski jubaan se ye baat nikal hi gayi... Usne Raj ki taraf dekha jo muskurata hua pyaar bhari nazron se uski taraf dekh raha tha par Sneha ki himmat nahi ho rahi thi ki wo Raj se nazrein mila sake...

"Tumhein ab thode aaram ki jarurat hai... Main tumhare liye doodh bhijwa deti hoon.. Agar har phone karna ho to(Room me lage table ki taraf ishara karte hue) phone udhar hai... Ab main chalti hun... Kal subah milte hain..." Itna bolkar wo nazrein jhukaaye hue bahar ki taraf lagbhag daudti hui chali gayi... Usne Raj ko kuch bhi bolne kaa mauka nahi diya.. Par wo ab tak Sneha ke dil ki baat bhi jaan chuka tha aur ab uske chehre par ek ajeeb si muskaan thi jaise usne apna sabse bada lakshya paa liya ho..
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

Mohabbat mein teri kho gaye hum is kadar,

khayalon khawabon mein aye sirf tu hi nazar,

na hai koi hosh na koi khabar khud ki ab,

tu hi hai meri manzil tu hi hai har manzar

Subah Raj ki aankh jaise hi khuli to usne apne saamne Sneha ko khada paaya.. Pink colour ki salwar kameez me wo bahut hi jyada khoobsurat lag rahi thi.. Raj ka dil to kar raha tha ki wo uthkar use baahon me lekar jee bharkar pyaar kare..par wo iss waqt aisi jagah par tha jahan aisa karna uske liye mumkin nahi tha.. Usne raat me hi apne ghar phone kar ke bata diya tha ki wo aaj raat apne ek dost ke yahan rukega.. Isliye Jaggu kaka uska intezaar naa karen... Phir wo doodh peekar so gaya tha.. Naa jaane kitne dino ke baad use aisi chain ki neend sone ko mili thi.. Uske dil ko ek ajeeb sa sukoon mila tha...

Wo abhi leta hua ye sab soch hi raha tha ki saamne khadi Sneha bol padi... "Kyun Maharaj.. Aaj soye rehna hai kya..? Subah ke 7 baj gaye hain.. Papa niche tumhein bulaa rahe hain... Tum jaldi se fresh hokar niche aa jaao phir hum ikathhe college ke liye niklenge.." Sneha ne ek saans me saari baat bol di..

"Par wo raat me tum mujhse kuch kehna chahti thi..jo tum kehte kehte ruk gayi thi... Kya tum abhi apni baat puri nahi karogi...?" Raj ne use chhedte hue kaha.. Par ye sunkar Sneha ke gaalon par ek baar phir sharm ki laali chaa gayi... Wo iss baar phir wahan se bhaagna chahti thi par Raj ne uska haath pakad liya...

"Chhodo naa please..." Sneha ne haath khinchne ki naakam koshish karte hue kaha...

"Ye haath chhodne ke liye nahi pakda hai ji... Ab to agle saat janmon tak nahi chhodunga ye haath..." Raj ne maze lete hue kaha..

"Achcha ji.. Aisi baat hai... Par maine to abhi tak kuch kaha hi nahi to aapne kaise maan liya ki aap mera haath saat janmon tak pakad sakte ho... Ab chhodo jaldi..." Sneha ne phir se haath chhudane ki koshish ki par Raj ki pakad bahut jyada majboot thi..

"Itni aasani se nahi chhodne wala main ye haath.. Pahle tum wo bol do jo raat me bolna chahti thi.."

"Main bhala kya bolna chahti thi..?" Sharm ke maare Sneha jameen me gadi jaa rahi thi..

"Yahi ki.... You love me.." Raj ne ab sidha sidha point par aana theek samjha.. Par uske aise karne se Sneha ki haalat kharab ho rahi thi.. Wo haath chhudane ki koshish bhi kar rahi thi par wo har baar naakam ho jaata tha...

"Papa...." usne achanak darwaze ki taraf dekhte hue zor se kaha..jisse Raj ka dhyaan darwaze ki taraf chala gaya aur uski pakad Sneha ke haathon par kamzor pad gayi... Itna waqt Sneha ke liye kaafi tha... Usne jaldi se apna haath uski haathon se chuddaya aur hasti huyi neeche ki taraf bhag gayi.. Raj bas use dekhta hi reh gaya... Uski chanchalta par wo maskuraye bina naa reh saka...

Usne ghadi ki taraf dekh to subah ke 7:15 ho gaye they.. Wo jaldi se utha aur bathroom me ghus gaya.. Fresh hokar wo neeche gaya jahan Thakur sahab aur Sneha dining table par baithe uska intezaat kar rahe they.. Usne pahli baar thakur sahab ko aamne saamne dekha tha.. Haalanki unki photo paper me wo roz hi dekhta rehta tha par mila unse pahli baar tha.. Raj khud bhi ek ameer pariwar se tha aur uski company ke business relations bhi they thakur sahab ki company ke saath par usne inn sab me koi jyada interest nahi leta tha.. Waise bhi uska saara kaam to Jaggu kaka hi sambhalte they to use inn sab ki kya jarurat thi... Wo sidhiyon se utarta hua niche pahuncha.. Uske shareer me ab bhi halka dard ho raha tha par itna nahi ki wo sehen naa kar sake...

"Aao beta... Baith jaao.." Thakur sahab ne Raj ko dekhte hi use paas bulaya aur kursi ki taraf ishara karte hue use baithne ka nimantran diya... Baithte baithte Raj ne pahli baar Thakur sahab ko dhyan se dekha.. Thakur khaandaan ke anuroop hi unka chehra bhi raubila tha.. Chehre par kadak munchen thi aur gambhirta unke chehre se tapak rahi thi...

"Ab tabiyat kaisi hai beta...?"

"Tabiyat to theek hai uncle par ek baat kehna chahunga..." itna bolkar Raj ruk gaya...

"Bolo bolo.. Daro mat..." Thakur sahab ne use apne baat puri karne ko kaha...

"Ji bas ye bolna chahta tha ki.....aapke mustande pitte bahut zor se hain..." Raj ne mazakiya andaz me kaha... Ye sunkar paas baithi Sneha ki hasi chhut gayi...thakur sahab bhi bina muskuraye naa reh sake... Pahli nazar me hi ye ladka unhe pasand aa gaya tha par ye bhi janna jaruri tha ki ye choron ki tarah subah subah ghar me kyun ghus raha tha..

"Are beta.. Unka kaam hi hai pitna... Isi ke to unhe paise milte hain.. Par ye batao ki tum aise choron ki tarah andar kyun ghus rahe they... Unhe bata kar bhi to aa sakte they.." Thakur sahab ne kaha...

"Are kya bataun uncle... Tabiyat kharab hone ki wajah se main bahut dino se college nahi gaya tha... Subah morning walk par nikla to socha ki kyun na Sneha se jaakar notes le lun.. Issi chakkar me main sidha andar ghus gaya aur watchman ko bhi bolna bhool gaya.." Raj ne kahani banate hue kaha..

"Koyi baat nahi beta.. Agli baar se yaad rakhna.. Warna haddiyan bhi nahi bachengi..." Thakur sahab ne bhi mazakiya lahze me kaha..

"Uncle ji.. Aap chinta naa karen... Agli baar se uski jarurat hi nahi padegi.. Ab to humara rishta ho gaya hai... I mean dosti ka rishta..." Raj ne Sneha ki taraf dekhte hue kaha jo ab sar niche jhukaaye muskura rahi thi.. Uske chehre par ye muskurahat itni achchi lag rahi thi ki Raj ka mann kar raha tha ki uthkar uske hothon ko apne hothon me daba le..par haalat aur jagah sahi nahi they abhi..isliye use apne aap par kaaboo karna pada..

"Beta ek baat to batao.. Tum Dhanraj singhaniya ke bete Raj Singhaniya ho kya...?" Ab thakur sahab ne uske pariwar ke baare me janne ki koshish ki...

"Haan uncle main unhi kaa beta hun.. Par mujhe to ab unka chehra hi yaad nahi.. Aapko to shayad pata hi hoga unke baare me..." Raj ka chehra apne maa baap ke baare me sochkar udaas ho gaya tha...

"Haan beta... Bade bhale aadmi they tumhare mummy daddy... Hamare achche business relations hua karte they.. Bada dhakka laga tha jab humne unke maut ki khabar suni thi.. Khair chhodo.. Ye batao ki ab tum kiske saath rehte ho..?" Thakur sahab ne uske maa baap ki baat ko ab aage badhana theek nahi samjha.. Usne Raj ke chehre par aayi udaasi ko bhaanp liya tha...

"Uncle.. Mummy papa ke marne ke baad to meri parwarish Jaggu kaka ne ki... Main ab bhi unhi ke saath rehta hun.."

"Jaggu kaun..? Wo naukar...?" Thakur sahab ne Raj ke maa baap ke marne ke baad apn saare business relations uski papa ki company ke saath tod diye they kyunki unki nazar me ek naukar itni badi company kaise chala sakta tha par Jaggu kaka ne naa kewal wo company chalayi thi balki unki company hameshaa profit me hi rahi thi..

"Uncle.. Wo aapke liye naukar honge par mere liye to wo kisi devta se kam nahi hain.. Wohi meri maa hain..wohi mere baap.. Agar wo naa hote to main naa hota... " Raj ko yun ek naukar ka gungaan karte dekh thakur sahab ko achcha nahi laga aur unhone wahan se uthna hi theek samjha kyunki agar wo naa uthte to unke muhn se kuch galat nikal jaata jo ki unhe laga ki Raj ko pasand nahi aayega..

"Theek hai.. Tum dono naashta kar lo.. Mera naashta ho gaya..." Thakur sahab ne napkin me haath ponchte hue kaha aur fir kursi piche sarka kar Dining table se uth gaye aur apne kamre ki taraf chal diye...

"Lagta hai..unhe ek naukar ki taarif pasand nahi aayi.." Unke kamre me jaate hi Raj ne Sneha se kaha..

"Aisi koyi baat nahi hai Raj.. Unka pet bhar gaya hoga isliye wo uthkar chale gaye... Tum itna mat socho iske baare me.."Sneha ko pata tha ki baat yahi hai phir bhi usne apne baap ki jalan ko chhupane ki koshish ki..

"Koyi baat nahi Sneha.. Par ek baat yaad rakhna.. Agar Jaggu kaka ke liye mujhe apne pyaar ko kurbaan bhi karna pade to main wo bhi karunga.." Raj ne apna iraada bata diya..

"Par tumhara pyaar hai kaun jo tum use kurbaan karne ki baat kar rahe ho..?" Sneha ne baat ko badalne ki koshish karte hue mazakiya dhang se kaha..

"Aji.. Kyun mazak karti hain mohtarma... Ye aap bhi jaanti hai aur hum bhi ki hamara pyaar kaun hai..." Raj bhi ab mazak ke mood me aa gaya...

"Main kyun janne lagi bhala aapke pyaar ko... Aapke pyaar ko aap khud jaane aur aapka pyaar jaane..." Sneha ne bhi chatkhare lete hue kaha..

"Sneha.. Ek baar keh do naa.. I love you..." Raj ne phir se sidha point par aate hue kaha.. Ye sunkar Sneha thoda sharmayi par use Raj ko tadpane me bahut maza aa raha tha...

"Main kyun bolun..I love you..? Wo to aapka pyaar bolega aapse..." Sneha ne phir bhi tadpana nahi chhoda...

"Bol bhi do naa... Please..." Iss baar Raj ne haath jod liye uske saamne... Pyaar me log naa jaane kya kya karte hain.. Sneha ko ab uski ye tadap dekhi nahi jaa rahi thi... Usne abhi I love you bolne ke liye muhn khola hi tha ki Thakur sahab ke kamre se aawaz aa gayi..

"Sneha... Baithkar baatein hi karti rahogi kya... 9 baj gaye hain.. Tumhare college ka time ho gaya hai..." Iss aawaz ne Raj ka intezaar aur badha diya... Aur Sneha ko use aur tadpaane ka bahana mil gaya... Wo use muhn chidhati huyi dining table se uth gayi.. Aur Raj apne haath malta reh gaya.. Ye inezaar khatam hone kaa naam hi nahi le raha tha... Jab bhi Pyaar ka izhaar hone wala hot, koyi na koyi roda beech me aa hi jaata... Raj ko ab bahut gussa aa raha tha apni kismat par... Wo dining table se utha aur haath dhokar gate se bahar nikal gaya.. Usne Sneha ko bhi nahi bataya ki wo jaa raha hai.. Bahar nikalte hi teeno mustandee use phir se dikh gaye... Iss baar unke saath watchman bhi tha.. Use dekhte hi chaaro ne salaam thoka par Raj ne iss par koyi dhyan nahi diya.. Uske dimaag par to gussa chaaya hua tha... Usne apni bike start ki aur full speed ke saath college ki taraf badha di... Andar Sneha use dhundh rahi thi aur jab dhundhti huyi bahar aayi to use pata laga ki wo chala gaya hai.. Use samajh aa gaya ki Raj usse gussa hai..

kramashah.........................

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: Ek Aurat ki Dastaan

Post by rajaarkey »

Ek Aurat ki Dastaan--6

gataank se aage...........................

Jis din tu ayega mujhe sar-e-aam apnane,

us din main khamoshi k dayre ko tod dungi,

faaslo pe rehkar bhi humare jazbaat jude hai mazbut dhage se,

jab hum honge sath tou main apni sanso ki ladiya bhi tujhse jod dungi,

yu tou aaj bhi merre rukh saare terri hi taraf mudte hai,

per tujhe paa k main apni zindgi bhi terri taraf mod dungi,

intezaar hai mujhe us pal ka merre ajnabi..

jab thaam k terra hath main tanhai ka daaman hamesha k liye chhod dungi.........

College jaate hue Sneha ke mann me yahi baat ghum rahi thi.. Uska mann aisa kar raha tha jaise wo uddkar jaaye aur Raj ki baahon me sama jaaye. Par use sabse jyada darr apne Papa se lag raha tha.. Halanki usne apne dil me Raj ko jagah to de di thi par kya ye rishta Uske baap ko manjoor hoga.. Raj ke baare me use koi fikar naa thi kyunki wo jaanti thi ki wo usse beintehaa pyaar karta hai..

Inhi sochon me doobi hui wo college pahunch gayi..

************

Train par baithi ladki achanak chounk uthi.. Wo apne soch se baahar aa chuki thi.. Kyunki saamne jo log use dikhayi de rahe they unhe dekhte hi uski jaan nikal gayi.. Wo jaldi se apni seat se uthi aur bhaagti hui train me bane bathroom me ghus gayi..

"Khojo use.. Yahin kahin honi chahiye wo ladki.. Bach ke jaani nahi chahiye.. Warna hum sir ko kya jawab denge.." Bahar se aawazein aa rahi thi. Train abhi kisi anjaan station ar ruki hui thi. Usss ladki ko pata nahi chal paa raha tha, ki train kahan hai.

Usne bathroom ki khidki se aas paas dekha to paaya ki wo ek chota sa station hai..jahan ikke dukke log hi dikhayi de rahe the. Use side me ek board dikhayi ji jismein chote aksharon me Rampur dikhayi diya.

Wo to yunhi iss train me ghus gayi thi.. Jaahan use manzil le jaati wo wahin jaane wali thi.. Zindagi me ab uske kuch nahi bacha tha..

Haan.. Sabkuch kho diya tha usne.. Wo bhi ek hi jhatke me..

Jeene ki ichcha khatm ho chuki thi.. Par khudko maar bhi to nahi sakti thi.. Kaise khatm karti khudko...?

Uske pate me uske pati ke pyaar ka tohfa jo pal raha tha..

Tabhi train khul gayi... Shaam ho chuki thi.. Aur andhera ghirne ko tha. Bahar se aawazein aani bhi band ho chuki thi. Usne darwaza khola aur bahar jhanka..par use unme se koi aadmi nahi dikha..train bhi ab apni puri raftaar pakad chuki thi.. Wo apne seat par wapas aayi aur kuch sochne lagi.. Shayad yahi soch rahi thi ki use police ne yahan tak dhundh liya hai to aage bhi uska bachna ab mushkil hi tha.. Usne sar ko jhatka diya aur phir wapas unhi khayalon me kho gayi...

**********

Sneha college pahunch chuki thi magar Raj ab bhi use kahin dikhayi nahi de raha tha..

"Pata nahi kahan chala gaya.." Wo abhi ye soch hi rahi thi ki use saamne se Ravi aata hua dikhayi diya... Ravi ne dur se hi bhaanp liya tha ki Sneha usi ki taraf dekh rahi hai..bas uske ishaare ka intezaar kar raha tha.. Aur use jyada der intezaar bhi nahi karna pada..

Sneha ne haathon ke halke se ishaare se use apne paas bulaya taaki koi dekh naa le... Phir Sneha dhire dhire Garden ki taraf jaane lagi aur Ravi bhi uske piche piche Garden ki or chala gaya..

Ek sunsaan jagah paakar wo dono ruk gaye...

"Haan Sneha bolo.. Yahan kone me kyun bulaya.." Ravi ne shaitaani muskaan ke saath kaha..

"Jyada khush hone ki jarurat nahi hai... Ye batao Raj kahan hai...?" Sneha ke iss tarah se puchne se Ravi ne apne honthon ko normal kar liya aur kisi gentleman ki tarah khada ho gaya par jaise hi Sneha ne Raj ke baare me pucha to uski muskaan phir wapas aa gayi..

"kyun badi yaad aa rahi hai Raj ki.. Kya baat hai...?" Ravi ne phir se daant nikalte hue kaha..

Ravi ko aise daant nikaalte dekh kar Sneha ko bada gussa aaya aur uske sundaar chehra laal ho gaya..

Ye dekhkar Ravi bhai sahab phir shaant ho gaye..

"Dekho Sneha.. Main bhi subah se Raj ka phone try kar raha hun.. Par pata nahi kahan mar gaya saala.." Ravi ne bhi Raj ke prati gusse ka izhaar karte hue kaha..

"Aaj subah to wo mere ghar se nikla.. Par pata nahi phir kahan chala gaya..." Ab Sneha ke chehre par udaasi ka bhaav aa gaya..

"kya wo tumhare ghar par tha..?" Ravi ne aisa muhn banaya jaise use kuch pata hi naa ho.. Par ek baat Sneha note karna bhool gayi..wo ye ki Ravi ye bolte hue badi mushkil se apni hassi ko rok paa raha tha... Sneha ki surat aisi ho gayi..jaise wo bas ab rone hi waali ho..

"Kaahan chala gaya Mera Raj..?" Sneha ab shayad sach me rone lagi thi.. Uski siskiyaan saaf suni jaa sakti thi..

Ravi ye sab dekh kar mand mand muskuraaye jaa raha tha.. Aur saamne Sneha ke aansu ab aur tezi se beh rahe the...

Tabhi Sneha ko apne kandhon par kuch mehsoos hua... Usne piche ghumkar dekha to Saamne Raj khada tha.. Aur bade joron se has raha tha... Haste haste uski aankhon se paani nikal aaya...

Sneha ne jaise use haste dekha.. Uske aansu gusse me badal gaye aur "chataak" ki aawaz se pura garden gunj utha.

Thappad ki aawaz sunkar Garden me baithe saare log usi taraf dekhne lage ki aakhir maajra kya hai..

Ravi bhi unn dono ki hi taraf dekh raha tha.. Jis chehre par abhi tak muskaan thi..uski jagah ab khula hua muhn tha.

"Kya samajhte ho tum khudko..?"Sneha jor se chillayi.. Aawaz itni jyada thi ki wahan par khada har koi unhe sun sakta tha.. Kitne ladkon ko dil hi dil me sukoon mil raha tha ki aakhir iss Sneha ne Raj se picha chudaa hi liyaa ab..
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
Post Reply