Raj mahal (horror story)

Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Raj mahal (horror story)

Post by Jemsbond »

Haf eez – udhar mahi bimaar hai mahal mein akeli hai upar se police koi karwaahi bhi nahi kar rahi kya karu? Kis uljhan mein fass gaya hoo ek toh charles kahan gaayab ho gaya even ek phone call toh kar letaaa

Achaanakk ksii ke kadmo ki awaaz apne piche sunaaii di…hafeez ne jaise hi piche mudhke dekhaa toh ek pal ke liye sehem utha..ek kaali pagadhi aur hatho mein tasbee aankho mein kajal aur ek kaali salwar kameez mein ek baba jaisa aadmi kharaa tha…bari bari aankho se hafeez ki or dekh raha tha..hafeez ne janaa wohh Norway ke dargahh ke saamne kharaa tha….ek chota sa dargah jo ooske theek baayi or tha..thodha duri pe
Hafeez – uhhhh wo..hhhh wohhh darasall ummm
Molvi – darrta kyu hai allah ke ghar ke saamne kahraa hai tuu
Haffezz – ummm asal mein yahan koi phone booth haii aas paas mujhe ek phone call karnatha mera network bhi nahi mil raha
Molvi – aao mere sath
Hafee – j..ji nahii main allahh ko nahi manta
Molvi – banda apna raasta bhul jaaye par khuda hamesha ooske liye apna darwaja khole rakhta hai kyunki who jaanta hai ek na ek din ooske dar pe wohh zarur aayegaa kyunki khuda apne bando ko kabhi musibat ke aalam nahi chodhtaa jo oose yaad karta hai osi ke liye Wohh hamesha saat deta hai
Hafeez – de..khiyee mujhhe bas ek phone callll karna haii plss meri biwi oos mahal mein

Molvi – nnaahiii yeee kyaa kiyaa tumnnne kyu leke gayee oos mahal mien oose tumhara mann hi dekhke bataa sakta hoo ki tum sehem uthe ho tumhari biwi ki jaan khatree mein hai
Hafeez – kya bol rahe hai aap?
Molvi – apni aankhe kholo dekho meri nazaro se kya in nazaro mein tumhein sacchai nahi dikhtiii pao ka shorr mitti ka khodha kaale libaas pehne wohh sainik wohhh darwaaja peetne ki awaaz kya wohh bhii jhoot hai tumhari biwi ki aatma pe oon shaitano ne kabza karna chaha kya ye bhi jhoot haiiii bollooo

Molvi ekdum dantte huye hafeez thithakke dekh raha tha ek pal ke liye gumsum kharaa tha…”kya huaa yakeenan tum bhi ye maante hoo? Tumhara aziz dostt gaayab haiii kya tumehin pata hai ki wohh kahan gaya? Wohh bhi oosi maut ki andhere mein chalaa gaya jahan ab tumhari biwi jaane walai hai”…….Hafeez ke anakho mein aansu ghul gayee wohh ekdum molvi ke pair mein girke rone lagaa

“nahii nahii sabkuch kho chukaa hoo kabhi akelepan mein kisi ko paa naa saka lekin meri biwi ko kuchh ho naa jaaye wohii agar wohi nahi rahii toh mainn kaise jee paunga aaj meri galtiyo ke kaaran mere na wishwas karne ke kaaran ooska ye haal ho raha hai main oose aur marne nahi dunga nahi marne dunga oose kahin dur le jaunga kabhi bhii jahan wohh mehfuz reh sake”…molvi ne hafeez ko uthaayaa aur ooske aansuyo ko ponchaa

Molvi – main ye sab kaise jaanta hoo ye toh uparwaale ki karamat haii lekin jo shaks raah mein bhatakke kayi saalo ke baad bhi laut aaye toh wohh ooske liye naya savera hota hai har koi andhwishwas manta hai yakeen dil se hota hai aur mujhe tumhei ndekhke hi lagta hai ki tumhein yakeen hai aur allah ke binaa tum is naapak roohon se apni biwi ko nahi bachaa sakte
Haffeez – mujhe kya karna hogaaa
Molvi – aao mere sathh

Kadhakti bijliyaa ho ho karti hawaa ko shorr se khidkiyaa hil rahi thii..mahi ne turant khidhki lagaa diii…..puri haveli hawao ke shorr se gunz rahi thi…mark ne darwaaje pe dastak di….”tumm gaye nahiii abhitakk”…mahi ne mark se puchaaa
“Wohhh saaheb abhi taka aye nahi upar se mausam bigadh raha haiii aap chahe tohh mainn aapko leke apne sath basti waise bhi yahan akele aap rukiye mat itna kuch sunne ke baad yahan beichani aur darr ke alawa aur kuch nahi lagega”……mark ne mahi ko lagbhag samjhaaete huye bola…mahi ne sirf itna hi kaha ki who akele reh lengii agar hafeez ne aake oose na paaya aur waise bhi wohh oose kisi musibat mein nahi chodh sakti

Mark darrein sehemein havelii se jaldi nikalke tufaani raat mein bhaag gayaa….khach khachhhh..bijli ki gargarahat mein mahi ko wohh saaf shabd sunaai diyaa….tehniaya hawaoa se hil rahi thi mahi ne lagbhag bahar ki or jhaankaa hawao ke lehraane se mahi ke aankho mein mitti padh gayii mahii andhere mein hi mombatti ke sahare botal liye paani chehre pe maarnii lagiii ooski aankhen jab saaf huyiii…tohhh saamne ke nazare ko dekhh wohh cheekh uthiii kamre ke theek saamne coat pant pehan huaa ek shaks kahraa tha

Andhere mein wohh saaya bas chupchap khara mahi ki or dekh raah tha..mahi ekdum chilla uthii..aur jab osne diwaar se lagke mombatti ise gaur kiyaa tohh wohh saaya gaayab ho gaya sirf munh se itna nikala “charles’….aur ooske baad bijli khadhak uthiii

Udhar hafeez ne molvi ke sath dargah ke baba ke chadar pe chuma aur oose apne sar se lagaa liyaa…”ye dargah bhi sufi baba ka dargahh haii jo is desh mein kareban barso pehle aaye they oonhone hi is khaufnaakkk jungle mein ek sthan chuna aur yahan is dargah ko banaya charo or ka darr kamm..”…..hafeez uthke nange pao molvi ke kareeb aaya

Hafeez – baba agar mujhse koi bhul ho gayi ho toh maanf kar dijiye mujhe bas kisi tarha mahi tak pahuchna haiii wohh shaitannnn wohh mahalll accha nahi hai
Molvi – jalddii tumheinnn jaana hogaa waise itne dintak mahal mein tum rahe kaise ?
Hafeez – jabse wohh mahi ne mujhe surah yaaseenn dikhaay aur fhir diwaar pe rakhaa
Molvi – iska matlabbb tumhari mahi jabtak oos kamre mein hai who surakshit hai ooske baad ooski zindagi khatre mein bas dua karo ki wohh kamre se nikale
Hafeez – yaadaaya oos raat bhi jab main mahal se bahar nikalaa toh mujhe ek thanda hawaa lagaa tha par mahi ke insist karne pe maine wohh locket pehen liyaa
Molvi – aaj tumhari zindagi mahi ke wajah se bacchi huyi hai bete sirf aur sirf mahi ke wajah se
Hafeez – ohhh mahiii ye maine kya kiyaa???/
Molvi – tumhein waqt pe mahal pahuchna hogaa mahi khatre mein haiii jaooo jaldiii
Hafeez – lekin main oos mahal se nikalunga kaise
Molvi – ek min zara

Molvi ne ek loban mein jalti mashaal di….”ye lo isse accha hathyaar aur kuch nahi ye paak mazaar ki aag haii sufi baba ke hardum jalti is aag ko agar tum oos shaitann pe barsaao tohh tum bach sakte ho bas tumhein ek baar oos tehkhaane mein utarna paregaaa….aur haann yaad rahe ye mashal ko jalaye rakhna iske bujhte hi ise fhir aag dena warnaa oon ki taqat tum pe aur haavi ho jaayegii jao allah tumhare sath haiii

Hafeez ne baba ki di wohh rumaal ko bandhaa aur aur chadar ko chumte huye who mashaal uthaayii aur sidhe raaste ki or daudh uthaa…..gaadhiii ko wohi chodh diyaa who jaanta tha eke k waqt keemati hai…..hafeez daudhta huaa mahal ki or jaa raha tha mann hi mann bas duaayein kar raha thak I sabkuc theek ho

Ho ho karti hawaao ke shorr meinn mahi mombatti ko baar baar jalane ki koshish kar rahi thi jo do baar bhuj chuki thi….achanakkk bijli zor se kadhki aur mahi se mombatii niche gir uthiii….andhere mein mombatti dikhaayi nahi de rahi thi mahi ne paas rakhkke lamp ko uthaayaa…aur dheere dheere mombatti khojne lagiiii

Achanakkkk mahi ko dikha ki mombatti kamre se theek bahar sidiyo ke paas pari huyi haiii mahi oose uthaane ke liye jaise bari ho ho karti hawaa se wohh mombatti sidhe andhere mein naa jaane kahan gir parii..mahi ekpal chupchaap lamb jalaye idhar udhar dekhte huye sidiyo se niche uatne lagii….dheere dheere ooske kamre ka darwaja apne aap band ho gayaa…mahi ekdum se upar aake darwaja kholne lagii leki darwaja jaise band ho hcukaa tha…”ohh nahiii kalam paak ki saari cheezein andar hi haii ohh noo meri taabeez”…..Mahi ekdum sehem uthiii

Achank se thak thakkk kati bijli ki gargarahat mein koi sidiyo se chadhta huaa aa raha tha…thak thakkk thak…kisi kadmo ki awaaz theek mahi ke kareeb aa rahi thi…”k..kaunn hai?”…mahi ne dheemein kahaa
“haff..eez tum hoo?”……Mahi ne andhere mein hi oos awaz pe gaur karte huye bola
Achanak dhadh dhadhhh karke wohh darwaja koi peet raha tha….mahi cheekh uthii wohh daudhti huyi kareeb dusri or jaake baith gayiii
Chupke oosne saaf dekha bijli ki roshni mein ki ek aadmiii theek mahi ke kamre ke samne aake khara hua hai….mahraja ka wastra jispe khoon lagaa haii lekinn bijli ke dusre roshni se pata chalaa ki sar nahii..mahi ekdum se apne muh pe haath rakh chuki thi….wohh cheez dheere dheere mahi ki or badhen lagaa

Mahi cheekh uthiii dhadh dhadhh karti huyi awaaz chrr chrr mein badal gayii koi khufiya darwaaj dheere dheere khol raha tha..ooske sath hi mantro ki awaaz pure mahal mein gunzne lagii…mahi ekdum sehem uthii sidiyo se niche utarne ke bajaay wohh upaar aa rahi thi lamp haatho se gir chukka tha oosne bijli mein saaf dekhaa ki ek sar katta aadmi talwaar liye ooske kareeb badh raha haii..mahi dheere dheere niche utarti chali gayii niche kamre se kuch log nikal rahe kaale libaas mahi ke aankho se aansu girne lage khauff pure rom rom mein bas sa gaya

Mahi daudh uthii…bachaaoo bachaaooo hellppp hellppp hafeezzzz…mahi cheekhte chillate huye main gate ke paas aayi dhadhh dhadhh hkart huaa darwaja khul nahii raha tha…mahi dekhti haiii piche ki andhere mein kuch 10 log kaale libaaz mein haatho mein mombattii liye dheere dheere mahi ke karee baa rahe haii ekdum udhte huyee mahii ye manzar dekhke ekdumm kaanpne lagiii aur achanakkk hi apna hosh khote huye sidhe carpet pe gir gayii….

Hafeez tabtalakkk daudhta hua ajungle ke raste aa raha tha..siyaar ke rone ki awaaz kadhakti bijli ye ke shor rmein taptap karta huaa barsaat hsuru ho chukka tha…”ohh nooisse toh mashaal bhuj jaayegiiii”….hafeez jald hi haveli ke kareeb daudhta hua aaya tha ooska pura badan geela tha..oosne apne baalon ko jhadhte huye turant mahal ki or dekha aur chutt para….”mmmahaiii mahiiiiiiiii”…..Hafeez chillata huuaa darwaaje ke paas aaya..ye kya darwaja laga huaa mashaall bhujhne lagii thii hafeez ne kaafi koshish ki lekin jaise darwaja band tha oosne mashal mein rakhi lobaan ko thodha sauthaaya

Aur sidhe darwaaje pe faikha chr chrr karta hua darwaja turant khul gaya hafeez ko yakeen nahi huaa..pure haveli mein jaise koi awaaz gunz rahi thi ghann ghann karte shabd…hafeez mashall liye jaldi andar aaya….charo or ekdum andhera ek taraf lamp girke bhuj chuki thii hafeez ki tanag oospe lagi wohh turant sidiyo se chadhta huaa upar aaya….kamre ka darwaja khula huaa tha mahii nahi

“Mahiiiii mahiiiiiiiiii”…..hafeez chillate huye sidhe sidiyo se niche utara…..ho ho karti hawaao ka shor aa raha tha…achanakk se hafeez ki nazar oosi kamre ki or pariii..fauran daudh utha oosi or….andar jaake dekhta hai toh hafeez ekdumm barf ki tarah thanda ho jata hai…mahi ko kuch log ghassite huye ooske ird gird munh lagaye maano jaise ooska ghost khaa rahe ho..hafeez ne turant gusse mein aake oonke munh pe ek mashaal de maara aur oosi waqt aaahh aahhhh aahah…karte huye oon bhayaanakk chehre waale sainko ko dekhh hafeez kaanp tuhaa wohh log dhuaa banke na jaane kahan gaayab ho gaye

Hafeez ne mahi ke upar roshni daali…ohhh noo mahii mahii issshhh…mahi ke ird daanton ke nishaan bedardi se oose nocha aur kanta gaya tha…hafeez ne mahi ke nabz ko dekhaa aur fhir charo or mahii zinda thii mahi ekdumm se hosh mein aane lagii….aur ekdum lipatke roe lagiii maano jaise kitne sehemi huyi thii

Hafeez – kuch nahi hogaa mahii main aa gaya hoo kuch nahi hoga achupp sshhh chuppp
Mahii – oonhone mujhhhe pakadhliya tha mujhe dard ho raha haiii aahh sss
Hafeez – khuda ka rehem hai ki tum sahi salamat ho

Hafeez ne turant mashaal uthaa liya oose yakeen ho gaya ki molvi saaheb aur khud mahi ka kehna sahi tha….haffeez ne char oor dekhaa aur fhir oosi khulii gufa meinn jhaankaa…”ye kundi kaise khuli? Kal tak toh band thi”…..mahi sehemi uthke hafeez se lipate dekh rahi thii
“ch..chalooo hafeez yahann se bhaag challee”…..Haffeez ne mahi ko chup karayaa oosne aag ka dhuaa jaise hi gufa ke andar kiyaa achanakkk kuch saaye ooske munh ki or se lagte huye mahal ke sheeshe ko todhke nikal se gaye….woh bhayankk cheekhhh sunke hafeez sehem uthaaa….yakeenan isi tehkhaane mein hi haii wohhh razz

Hafeez ne mahi ko tabeez diyaa aur dheere dheere sidiyo se niche utarne lagaa……thak thak karte huyeee….achanakk mahi chillaayiiii hafeez ne mudhke dekhaa ek sar kataa aadmi mahi ke theek saamne aake khara huaa..hafeez ne waapis bahar aana chaha lekin kisi ne badhke hafez ka pao pakra aur hafez sidhe munh ke bal zameen aur aadha sidiyo pe jaa gira…hafeez ko chot aayi mashal haath se do duri pe jaa gira…mahi cheekh uthii hafeez ka pao pakadhne wala haat hjsipe maans nahi sirf chamdaa ek shaitaannn mahraja ke swyama dada ki aatma….hafeez cheekh uthaaa…hafeez dheere dheere niche jaane laga mahi osoka haath pakadhne lagi….”nnnnhaiii mahiiii mahiiii wohhh mashaall aaahh aaaahh”….lagbhag oos shaitan ne hafeez pe chadhte huye ooske jaangh pe daant gadhaane chahe…hafeez ne kasske who mashaal uthaay aaur sihdhe osoke munh pe lagayaa wohh shaitan cheekhta huaa sidhe gufaa ke andhere mein gum ho gayaa...hafeez daudhtaa huaa sidhe upar aa uthaa…who sar katta aadmiii fhirr dheere dheere dono ke kareb aane laga hafeez mahi ko piche kiye larkharate huye kaanpte mashaal se oose dikhaa raha tha sar ke jagah gehra zakhm tha jisse khoon farsh pe tapak raha tha

Hafeez ne turanntt apni mashal ko sidhe ooske upar maarna chaha..wohh gaayab….hafeez ne mahi ki or dekha ajo sehemi rote huye hafeez se lipat gayii hafeez ne fhir thodha gaur kiyaaa
“mahiii dheekhoo jabtak ye mashal jal rahi ha wohhh hum par haavi nahi ho sakte ek hi raasta hai tum mere saht bahar chaloo in shaitano ko maarne ke liye humhe is tehkhaane mein aag lagani hongii
“k…kya keh rahe ho tummm”…..mahi ne chillate huye lagbhag kaha
“haann mahii ye pisachh haiii jabtak wohh taabut mein rakhi laash aur ink ihaddiya jalengi nahii ye log kabhi bhi is duniya se muqti nahi paayenge aur aaj humhein toh kal kisi aur ko aise hi taqleef dete rahenge”….mahi kuch dair hapasti rahi hafeez pasine pasine huye bas mashaal dikhata gayaa….hafeez ne turant lobaannn sahitt mashaal ki raakhhh ko sidiyo rakah ko mutthi bhar gufaa mein faikna shuru kar diyaa….mahi ne lighter hafeez ko diyaa….hafeez aur donoo milke waapis mashal ki roshni mein kisi tarah bahar aaye oonhonnne charles ki gaadhii se petrol nikaal liyaa….gadh ghaddh kartrahuaa saara petrol nikaalke baad…..MAHI Ki or ghurrne lagaa dono waapis khufiya kamre mein laut aaye

Hafeez ne paas rakhiii mombatiii li aur oose jalake mahi ko diyaa aur mashaal ki thodh ibahut roshni mein tehkhaaane mein pravesh karne lagaa…..andar aate hi mahi bhi utariii char oor azib si mehekkkkk mahi ekdumm chillauthiii….haffeezz wohhhhh….charless ki kaprapehnaa haddiyo khoon se lathpath haadiyo waali laash ek or giri huyii thiii hafeez ne munh pe haat hrakh liya ek pal ke liye ooske dil mein charles ke liye dukh aane lagaa osne apne aziz dost ko kho diya tha

Hafeez ne turannt saamne ki or dekhaa wohii taabuuttt…..hafeez ne mahi ko mombatti di aur char oor dekhaa haddiya kankaal saiiko ki wohi kaali poshakk aur wohh taabutt….hafeez ne dheere dhere oose tabautt ko hatana shruu kar diya grr grr karta huaa wohhhh parat jaise hi khulaa hafeez ekdumm sehem uthaa

Wohii kankaal wohiii shaitanannn…..khoon se pura haddi laalll phate huye kapro mein kide….mahi ne ek pal ke liye munh pe haath rakh liyaa..hafeez ne bina koi swaal kiye grr graa karta huaa petrool ka dhakkan khola aur pura ka pura hiii diwaar haadiyoo pe daalne lagaa….mashaal ki roshni meinn wohh sar katte shaitann waapis zinda nahi ho paaye…hafeez ne sidiya chadhte huye pura tehkahane mein petrol udhedh diyaa aur ooske saath hi ek mutthii lobaannn oos taabut pe giri laash aur baakiii haadiyoo par bhi daal diyaa….achanak se mahi cheekh uthiii

AAAAHHHH HAFEEZZZZZ……Kisi ne mahii ka gardan ko dono haatho se kasske pakada hua tha..hafeez ne dekhaa ki ek sar katta shaitan uthke mahi ka gala daba rahah aiii..hafeez sehem utha oosi ke sathhh kisi ne hafeez ka pao toh dusra pao paakdhliya shaitann fhrise jaagne lagaa..belchaa kaanpne lagaa….mahiii oosi parat pe gir uthiii…hafeez ne mashaal ki roshni jaise hi dono haddiyo pe daalii wohh cheekhti huyi jal uthii…hafeez ne oos sar katte shaitan pe aag lagaa diyaa..wohh cheekhta chillata hua idhar udhar bhaagn elaga diwaaro se takraane lagaaa…maut ka yeh bhayanak manzar shayad hi hafeez aur mahi ne dekha ho
Binak uch kahien bina kuch aur dekhen hafeez ne mahi ka haath pakra aur oose kaise bhi sidiyo se upar le jaane lagaa…..dono bhaagte huye upar aaye aur isi ke sath hh hafeez ne apna lighter jalaay aur sidhe tehkhaane mein giraa dalaa

AAAHHH AAAAAAAAAA AAAAAAAAAAAAHHHHHHH…..Aisi bhayanak cheezeinn gunzzne lagii maano jaisee ek sat hsabhi ko idard bhari aah nikaal raha hoo sar katte shaitannn maharajaja taabut se nikal rahi wohh laash sabkuch aag ki aagosh mein aane lagaa sidiya bhi jalne lagiii….hafeez ne turanntt mahi ko upar dhakelte huye khud nikalke jhat se tehkhaane ko lohe ke darwaaje ko band kar daala…..grr grr karta huaa pura tehkhaana aag ke shorr aur shaitano ki cheekhon ke sat hgunzne lagaa


Dono sehemu they theyyy jo muratiii sidiyo pe parii thii wohh ekdum se girke tut gayii…tasveere apnea app hillane lagiii pura mahal kaanpnelagaa….maano jaisa jalzala aa gaya ho…aisa bhayanak manzar shayad hi hafeez ne apni puri zidagi mei ndekhaa hoo

Osne bina kuch kahein mahii ka haat hthaama aur dono bina piche mudheinnn mahall se bahar nikal aaye…..charles ki gaadhi aur saaman wohi chodhhhh donooo ek dusre ka haath pakre duadhte huye mahal se dur jaane lagaa mashall ek haath mein liye dusre haath meinnn mahi ka haath…dono chut tpare sheher ki orrrr

Bina piche mudhe binaa mahal mein waapis jaane ko….dono ne thaan liya aj ki raat owhh mahal mein terehenge hi nahi..jab sheher pahucheyy toh logo mein halchal mach uthiiii har koiii dono ko sahanbhuti dene lagaa….agli subahhh sab koiii mahal mein aaya….har koi dekhna chahta thak itne saal band is manshus haveli mein kya waaqayi shaanti aa gayithi

Tekhaana jal chukka tha…..murti tut chuki thi idhar udhar ki tasveerein zameen pe giri hui thi maano jaise kal raat yahan zalzala aaya ho….mahi ne turant hafeez ke sath kuch logo ke sath milake sidiyo se niche jaake dekhaaa…ekdummm aag ki badbu ke alawa aur kuch anhii char oor haddiyaa gaayabbb laash gaayabbb bas bachi kuchi insaani laash thi…jo yakeenan charles kit hi dono ko behad afsos huaa

Kaafi baat batanagh baniii media mein failllaa aur sarkaar ne mahall ko aakhirkaar todhna ka elaan kar diya aur ooske theek ekdin pehle mahi aur hafeez oos manus haveli jko chodhne ke liye tayyar they contract ab adhura hi reh gaya tha…sarkaar maamle mein ye baat dab gayi thi…hafeez subah se gaayab tha jab mahi ne hafeez ko paaya

Toh wohhh namazar padh raha tha mahi hairaan ho uthi….hafeez ne namaz kahtam karke topi utaarke mahi ki or dekhaa…
Mahi : tum kabse namaz?
Hafeez –sochaa allah talaa ne meri purani zindagi mujhe waapis lautaa die k khushaall zindagi aur azaadi di toh kyaa main oonke liye itna sa oonke ibadat ke liye nahi kar sakta
Mahi – acchaa ohhh hafeezzz

Mahi hafeez ke gale lag uthi..hafeez ne mahi ki or dekhaa…dono jaan gaye they ki ab mahal manhus nahi rahi thi sabkuch tham chukaa tha…shaitano ki aatma mahraja ki aatma sabne mahal ko chodh diyaa tha…wohh jalti aag mein jal chuke they hafeez ka ye naya roop dekhkar mahi ko khushi huyii mahi aur hafeez saaman gaadhi mein rakhkeee mahall se dur nikal gaye piche chutt gayi puraniii tutiii khandar mein fhirse khaamosh aur sannate bhari mahalll

Hafeez ne gaadhi beeh mein roki aur donoo ne milake dargah pe chadar chadhaake molvi ko khub shukriyada kiya….aur iske sath hi dono waapis apne mazil ki or nikal gaye khushi mannn see…kaali andhere saaye ko piche chodhte huye

The end…..
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply