'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »



mujhe, yu adrishya rehkar kya vaar karta hai, mard ka bachha hai to saamne aa, dekhu to sahi ki tu is hall se bachkar kaise niklega "
" kisi ne sach hi kaha hai ki khoobsurat aurat samjhdaar se samajhdaar mard ki aankho par apne jaadu ki patti baandh deti hai, dimaag ko apni khoobsurti

me is kadar jakad leti hai ki jo bilkul saaf hota hai, mard ushe bhi nahi samajh paata, khoobsurat naagin ke character ko bhi nahi "
Alfaanse gurraya," mai Irvi ke liye gaali bardaasht nahi karunga Singahi "
" lo, dekho inhe " Singahi ke in shabdo ke saath hi bahut se photo hava me uchhalkar Alfaanse ke chehre se takraaye, har ek photo me Chemboor ke saath Irvin thi, har ek photo ek se badhkar ek aapattijanak thi, Singahi ki aawaj fir goonji," ye hai tumhaari Irvi, yahi, jiske liye tum paagal huve jaa rahe ho, jiske liye is bachhe ki ye haalat bana di tumne "
Raina aankhe faad-faad kar farsh par pade un photos ko dekh rahi thi, jabki Alfaanse keh utha," ye trick photogrpahy se banaye gaye photo mujhe dhokha

nahi de sakte Singahi, mai nahi maan sakta ki Irvi aisi thi "
" jaanta hu ki filhaal tum nahi maanoge, kisi ne galat nahi kaha hai ki khoobsurat ladki ka jaadu sir chadhkar bolta hai, magar tumhaare is paagalpan ki

bhent mai Vikas ko nahi chadhne dunga, kuch na kuch aisa jaroor karunga jisse tumhaare sir par sawaar is bhoot ko utaar saku "
" tere farishte bhi nahi rok sakenge mujhe " kehne ke saath hi Alfaanse ne ek kone me pade chaaku par jump lagaayi magar abhi vah hava me hi tha ki uske

jabde par ek thokar padi.
ek cheekh ke saath Alfaanse ulat gaya, fir adrishya Singahi ne ushe hosh nahi lene diya, haalanki Maange khan bhi Alfaanse ki madad karne laga tha lekin

adrishya Singahi ke saamne bhala unki kaha chalti.
atah kuch hi der baad dono behosh ho chuke the.
idhar, peeda ki adhikta ke kaaran shayad Vikas bhi behosh ho chuka tha.
chehre par chamtkrit reh jaane vaale bhaav liye kambhe se bandhi Raina boukhlaayi si shunya me nihaar rahi thi, ekaek hi uske bahut sameep se Singahi ki

aawaj ubhri," thakur sahab ko dekh liya Raina beti aur Vijay ko bhi, aedi-choti ka jor lagaane ke baavjood bhi ve Alfaanse ko nahi rok sake, yadi mai sahi

waqt par nahi pahuch jaata to agle hi pal kuch bhi baaki nahi reh jaana tha "
" m..mai kis munh se aapka shukriya ada karu mahaan Singahi " Raina kaanpte swar me keh uthi.
" shukriya ki koyi baat nahi hai beti, Vikas ko bachaane me bhi mera swarth hai "
" s..swarth "
" yahi meri kamjori rahi hai, Vikas jaise bahaduro ki aisi mout nahi dekh sakta mai "
poori shraddha ke saath keh uthi Raina," aap sachmuch mahaan hai "
" is bevkoof ke sir se paagalpan abhi utara nahi hai aur Vikas ko turant hi achhe doctor ki jaroorat hai, atah mai ishe apne saath le jaa raha hu beti, darna

nahi, Singahi vaada karta hai ki tumhaare bete ko kuch nahi hoga aur bahut jald hi ye tumhaare saamne vaise hi khada hoga jaise ye is hall me aaya tha "
Raina chaahkar bhi virodh na kar saki.
fir usne dheere-dheere farsh par pade Vikas ke jism ko gayaab hote dekha aur dekhte hi dekhte Vikas ka jism poori tarah se adrishya ho gaya.

" uske baad kya hua beti " thakur sahab ne poocha.
" Singahi ke jaane ke kareeb dedh ghante baad Alfaanse ko hosh aaya, maine us par vyangya kase, lekin meri baat ka jawaab dena to door usne meri taraf dhyaan bhi nahi diya aur Maange khan ko hosh me laane ki koshish karne laga, Maange khan ke hosh me aate hi ve dono yaha se chale gaye aur uske baad ab aap log aa gaye ho "
" kya jaate waqt unme se kisi ne tumse kuch nahi kaha "
" nahi "
" kamaal hai "
" magar aap sab log yaha par kaise pahuch gaye "
" abhi, mushkil se 15 minute pehle Alfaanse ne khud mujhe phone karke kaha tha ki tum yaha milogi " Raghunath bola," maine fouran ye khabar thakur sahab ko di aur fir force lekar hum log yaha aa gaye "
" iska matlab ki ye jagah unhone hamesha ke liye chhod di hai "
" vo to theek hai Raina beti lekin ye to vahi baat ho gayi ki hum kuve se bache to khaayi me jaa gire, is waqt Vikas Singahi ke kabje me hai aur Singahi Alfaanse se kahi jyada bada aur khatarnaak mujrim hai, jaane vah Vikas ke saath.... "
" mai poori tarah se santusht hu daddy "
" kya matlab " chounkte huve thakur sahab ne poocha.
" Rajnagar me ya duniya ke kisi bhi kone me kisi ke bhi sanrakshan me Vikas itna mehfooz nahi rehta jitna ki vo ab hai, mai jaanti hu ki ab Vikas ko duniya ki koyi taakat nahi maar sakti "
swayam Raghunath, thakur sahab aur unke saath aaye kayi police officer Raina ko chounk kar dekhne lage, aur uske chehre par santushti ke bhaav dekhkar kuch aur chounk pade.

--------------------------------

vo five star hotel ka shaandaar kamra tha jisme is waqt Alfaanse aur Maange khan maujood the, ek mej par viraam ghadi rakhi huyi thi aur ve dono bahut hi dhyaan se viraam ghadi ki harkat karti suiyo ko dekh rahe the, viraam ghadi me do suiya thi.
ek badi, ek choti, badi suyi disha batati thi aur choti doori, unka saara dhyaan ishi viraam ghadi par kendrit tha ki tabhi darvaaje par kisi ne hulki si dastak di, ve dono ek saath chounke, parantu Alfaanse ke chehre par jald hi samanya bhaav bikherte chale gaye, bola," oh, coffee boli thi, waiter hoga, darvaaje par se hi usse tray le lo, andar mat aane dena "
Maange khan uthkar aage ki taraf badh gaya.
Alfaanse punah viraam ghadi ki suiyo me kho gaya, abhi ushe khoye huve thoda hi samay hua tha ki Maange khan ki cheekh saare kamre me goonj uthi. Alfaanse ne chounk kar sir uthaya aur darvaaje ki taraf dekha.
" t..tum " Alfaanse gurra utha.
" haan, hum hi hai lumad pyaare, tumhaare aashiq " kamre me daakhil hote huve Vijay ne kaha.
udhar Maange khan na keval furti se uchhalkar farsh par khada ho chuka tha balki ishaare ke intjaar me Alfaanse ki taraf dekh raha tha, Vijay ko yaha dekhkar Alfaanse ka chehra fir se sakht hota chala gaya," mai tumhe jinda..... "
" na, na, lumad pyaare " uski baat ko beech me hi kaat-te huve Vijay ne haath uthakar kaha," ab is angry youngmen vaali acting ki kya jaroorat hai, tumhaari aur diljale ki sanyukt yojna safal ho gayi hai, saala chacha diljale ko le gaya hai aur ab ye viraam ghadi bata rahi hai ki chacha ka adda kaha hai "
" k...kya matlab " Alfaanse boukhla utha," kya tum ye sab jaante ho "
" hum sab jaante hai lumad pyaare, trikaaldarshi jo thehre "
" tumhe Vikas ne bataya hoga "
" nahi pyaare, tum dono ne to khud ko tees maar khan samjha tha lekin hum bhi poore chaalis maar khan hai, yadi hum tumhaari madad na karte to apne is shadyantra me tum kabhi bhi kaamyaab nahi hote "
" tumne bhala hamari kya madad ki "
" is galatfahmi me mat rehna lumad pyaare ki apne tularaashi ki kothi par tum hame sachmuch shikast dekaar Raina ke saath nikal gaye the, hum us waqt tak itne nahi pitey the ki behosh ho jaaye, haan, behoshi ka naatak jaroor kar rahe the, vaise bhi Vikas ke chaaro taraf humne jo jaal bichaya tha vo dikhavati tha, apne saare aadmiyo ko humne aadesh de diya tha ki unhe tumse Vikas ko bachane ka mahaz naatak karna hai, bachana nahi hai "
" kyo "
" kyonki agar hum Vikas ko bachaane ki vaastavik koshish karte to haalaat itne na bigadte ki Vikas ki madad ke liye chacha ko aana padta, aur agar aisa na hota to tumhaari scheme fuss saabit ho jaati "
" tum vaakayi genius ho, lekin ye to batao ki tumhe ye ehsaas kab hua ki mai Vikas ke khoon ka pyasa hone ka sirf naatak kar raha hu "
" Irvin ka katl karne ke peeche ka kaaran Vikas tumhaara us ghar se sambandh vichhed karna bata raha tha, ye bahana tab tak to thos tha jab tak ki tumne control room vaala kissa nahi nibta liya tha lekin uske baad bekaar tha, us kaam ke nikalne ka baad us ghar se tumhaara naata tod dene se koyi laabh nahi tha aur bhale hi apna diljala dimaag se chahe paidal hi kyo na ho, lekin vo fir bhi aisa koyi kaam nahi karta jisse koyi laabh na ho ya jo tarko ki kasauti par khara na utarta ho "
" well " Alfaanse prashansha kar utha.
" udhar, jab surang me tum humse mile to diljale ko gaayab dekhkar tumne ek baar bhi ye swabhaavik prashan nahi kiya ki diljala kaha hai, fir jab humne Irvin ke baare me vo kaha jo hume Bogaan ne bataya tha to pata chala ki chacha tumhe vo sab pehle hi bata chuka hai, vida hote samay tumne ye bhi kaha ki tumhe Singahi ke vartmaan thikaane ki koyi jaankaari nahi hai, in sab baato se hi hamara maatha thanak gaya tha, baad me jab Vikas ne bataya ki usne Irvin ki hatya kar di hai, to tum dono shaitaano ki saari scheme hamare bheje me ghusti chali gayi "
" kya tum bata sakte ho ki hamari kya scheme thi "
" Singahi ke hamle ke baad tum mushkil se 15 ya 20 minute behosh rahe hoge, hosh me aate hi tumhe ve baate yaad aayi jo Singahi ne kahi thi yaani ki saare case ke douraan uska sudarshan chakra kis tarah se ghoomta raha tha, tumhe ushi waqt yakeen ho gaya hoga ki Irvin vaakayi charitraheen hai varna uski dhuri ke bina Singahi ka sudarshan ghoom hi nahi sakta tha, ushi kshan tumne Singahi se Kohinoor vaapis prapt karne ki yojna bana li, pehle ye pata lagana jaroori tha ki Singahi ka thikaana kaha hai, iske liye tumne transmitter par diljale se sampark sthaapit kiya, saare haalaat ushe bataye aur scheme samjha di "
" ye scheme kya thi "
" yahi ki diljala Irvin ki hatya kar dega, tum Irvin ke hatyaare se badla lene ki kasam khaaoge, fir Vikas ko is avastha me pahucha doge ki ant me Singahi ushe bachakar apne adde par le jaaye, Irvin ke pyar me tum andhe ho gaye ho, iski aadhaarshila tumne hamare dimaag me tabhi rakh di thi jab humne Irvin ko apshabd kahe the, hamara khayaal hai ki jab tum surang ke raaste se jaa rahe the tab Vikas Irvin ka katl karke lout raha tha, raaste me tum ushe kahi mil gaye hoge aur is viram ghadi se sambandhit transmitter tumne ushe de diya hoga "
" sachmuch Vijay, tumhe dhokha dena naamumkin hai "
" humne ye socha ki jo scheme tumne banayi hai, uspar Britain me amal kar paana kaafi mushkil hoga kyonki usme Bond aur Britain ki police bhi aade aati, atah suvidha ke liye hum diljale ko Bhaarat le aaye, yaha drama kuch jyada hi shashakt raha "
" agar tum pehle hi sabkuch samajh gaye the to fir ye sabkuch Vikas par spasht kyo nahi kiya "
" tum aur diljala agar sava sher ho to hum dedh sher hai pyaare " Vijay ne ajeeb se andaaj me chaati fulaate huve kaha," jab tumhi humse apne saare patte chupakar khel rahe the to hum apne patte tumhe kyo dikhaate, haan, black boy ko vo atpata sa aadesh dekar humne saanketik bhasha me sabkuch bata jaroor diya tha magar shayaad vah samjha nahi "
" khair, ab kya iraada hai "
" dono yaar milkar chacha ki taang todne chalenge "
" baitho, jara dekh to le ki vo Vikas ko kaha lekar jaa raha hai " kehne ke saath hi viraam ghadi ki or dekhte Alfaanse ne Vijay ko apne bagal me baithne ka ishaara kiya aur drishti viraam ghadi par poori tarah se jama di, Vijay bhi bahut dhyaan se dekhne laga.

------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


mr. M ke transmitter par Singahi ki aawaj ubhri," ek baar fir mai aap se pooch raha hu ki Kohinoor ki aap mujhe kya keemat denge "
" hum pehle bhi keh chuke hai ki us keemat se 100 crore British pound jyada jo duniya ke kisi bhi desh ne fix ki hai "
" mai ek badi duvidha me fans gaya hu mr. M "
" kahiye "
" jo baat aap keh rahe hai vahi America bhi keh raha hai, unke kehna hai ki duniya ka jo bhi desh Kohinoor ki jitni keemat lagayega ve usse ek crore jyada American dollar denge "
" duvidha tumhaari hai Singahi, hal bhi tumhe hi karni hai " saamne baithe Bond ko dekhkar M ne kaha.
" to suno, China aur Russia ke paschimi border se dedh hajaar kilometer door poorv me ek pattharo ka jungle hai, naam shayad aapne bhi suna hoga, is jagah ka naam stone forest hai, ye naam shayad kisi ne bahut soch-samajhkar hi rakha hoga, kyonki yaha meelo door tak pattharo ke alawa aur kuch nahi hai, chote-bade, har kism ke patthar maujood hai yaha, sabse kamaal ki baat ye hai ki yaha ki jameen pathreeli nahi, khair, yaha jo sabse bada patthar hai vo poora ek pahaad hai, itna jyada uncha aur vishaal hai ki aajtak uske top par koyi nahi chadh paaya hai, ekdum khurdura aur kaala patthar hai ye, iske nichle aur upari sirey utne hi bade hai jitna ki kisi khel ka maidaan hota hai, kamaal ki baat ye hai ki ye patthar jameen se juda hua nahi hai, jameen par sirf rakha hua hai, magar hajaaro haathiyo ki taakat bhi ushe tas se mas nahi kar sakti "
" aap to patthar ki khoobi bayaan karne lage "
" apne kisi pratinidhi ko aapne ishi patthar ke top par bhejna hoga "
" kisliye "
" vahi par mane Americi pratinidhi ko bhi bulaya hai, hum bhi vahi milenge, dono partiya aamne-saamne baithkar faisla karengi ki Kohinoor kishe chahiye "
" hame manjoor hai "
" ek hafte baad, aaj hi ke din, ishi samay "
" theek hai, magar hamara pratinidhi us patthar ke top par pahuchega kaise "
" aap helicopter ki sevaaye le sakte hai "
" ok "
" kishe bhej rahe hai aap "
mr. M ne kaha," James bond ko "
" theek hai magar yaad rakhiye, Kohinoor ki keemat bhale hi vaha tay ho magar pratinidhi peshgi ke roop me vaha kuch na kuch lekar jaroor pahuchna chahiye, taaki dono partiyo me nirnay hone ke baad souda pakka kiya jaa sake aur ye bhi yaad rakhiye ki ye peshgi Kohinoor ki hogi "
" hum samajh rahe hai "
udhar se sambandh vichhed kar diya gaya, mr. M ne apne maathe par ubhar aayi paseene ki boondo ko pouncha aur fir bole," souda tay karne ke liye bhi ajeeb jagah talaash ki hai jaalim ne, kya tum ye samajhte ho Bond ki vaha uska adda hoga "
" Singahi itna bevkoof nahi hai ki itni aasaani se apne adde ka pata bata de aur na hi is tarah khule aakash ke neeche uska adda ho sakta hai "
" yaani tumhaare khayaal se vah jagah Singahi ne keval milne ke liye chuni hai "
" yes sir "
" ho sakta hai " M ne kaha," tumhaari raay ke mutabik Singahi se itni aage tak ki baat humne kar to li hai, tum jaante ho ki America humse kahi jyada ameer desh hai, usse jyada to kya hum utni keemat bhi nahi de sakte jitni America de dega "
rahasymay aur katu muskaan ke saath James bond ne kaha," apne hi Kohinoor ko yadi 007 keemat dekar vaapis laaya to fir vah 007 hi kaha rahega "


transmitter par ek patthar ka jikra Vikas laghbhag ushi andaaj me karta chala gaya, jis andaaj me Singahi ne M se kiya tha, jab Vikas ruka hi nahi to Vijay ne kaha," bas...bas pyaare diljale, bor kyo kar rahe ho, humne tumse kisi patthar ki tareef karne ke liye nahi kaha hai, balki ye poocha hai ki chacha ke adde ki position kya hai "
" disha aur doori to viraam ghadi se aapko maalum ho hi gayi hogi guru "
" bilkul ho gayi hai pyaare "
" to maine jo address diya hai, yaani ki stone forest, vo viraam ghadi dwara batayi gayi disha aur doori se tally karta hai ya nahi "
" cent-percent tally karta hai pyaare "
" is jungle me sabse jyada kshetrafal vaala patthar... "
" fir vahi patthar, ama tum is patthar ke daaye-baaye bhi badhoge ya nahi "
" is patthar ke daaye-baaye badhna bekaar hai guru, kyonki darasal yahi Singahi dada ka adda hai aur is waqt mai ushi patthar ke andar se bol raha hu "
" kya matlab " chounkte huve Vijay ne poocha.
" darasal ye vishaal patthar andar se khokhla hai guru, kyonki sadiyo se patthar yahi aur ishi stithi me pada hai isliye kisi ko gumaan bhi nahi ho sakta ki patthar andar se khokhla hai aur ye khokhla sthaan hi uska adda hai "
" kamaal hai pyaare "
" is adde me aane-jaane ka ek hi raasta hai aur vah patthar ke sheersh me se hai, mai keh hi chuka hu ki is patthar par chadhna kisi achhe-khaase pahaad par chadhne jaisa hai, aaj tak jameen se shayad koyi bhi is patthar par nahi chadha hai "
" itni mehnat karke bina kisi vajah ke patthar ke sheersh par to vahi chadhega pyaare jiske sir par foda ho, jab kisi ko patthar ki visheshta maalum hi nahi to patthar ke sheersh par kya koyi dhaar dene jaayega "
" sheersh ke beechobeech ka dus gaj vargaakaar hissa ek taraf hat jaata hai aur fir is sthaan se ek lift dwara patthar ke andar tak jaaya jaata hai, patthar ko andar se inhone bahut si manjilo me baant rakha hai, jis bhi manjil par chaho, lift ruk jaati hai "
" aur "
" Singahi ka office bilkul nichli manjil par hai, ishi office par bahut saari screens lagi huyi hai, in screens par Singahi patthar ke chaaro taraf ke drishya dekh sakta hai "
" yaani ki patthar ke paas fatakna khatre se khaali nahi "
" ji haan "
" aur "
" jyada vistaarpoorvak mai aapko nahi bata sakunga, kyonki adde par bahut kuch hai aur yadi kisi guard ko shak ho gaya ki itni der tak toilet me mai kya kar raha hu to gadbad ho jaayegi, aap samajh hi sakte hai ki yaha pag-pag par khatra hai "
" so to hai pyaare, magar tum ye batao ki Kohinoor tak pahuche ya nahi "
" vishvaaspoorvak kuch nahi keh sakta guru, lekin haan, anumaan hai ki Kohinoor Singahi ke office me hi kahi maujood hai aur vaha har waqt Singahi rehta hi hai "
" yaanki ki daanv lagana mushkil hai "
" bahut kathin hai, fir bhi maine ek din chuna hai, aaj se choutha din "
" is din me aisi kya khaas baat hai pyaare "
" Kohinoor khareedne ke silsile me Mike aur Bond aa rahe hai, vaarta patthar ke sheersh par hogi aur unhe ye nahi bataya gaya hai ki patthar ke andar headquarters hai, patthar ke sheersh par unhe kuch aisi bhaasha me bulaya gaya hai ki ve sirf ishe milne ka ek sthaan hi samjhenge "
" hum samajh gaye pyaare "
" subah 10 baje ka waqt tay hua hai, jaahir hai ki us waqt Singahi dada apne office me nahi honge isliye maine tabhi ka waqt chuna hai "
" very good "
" meri madad ke liye yadi aap ushi samay vaha pahuche to uchit hoga "
" bilkul pahuch jaayenge pyaare, bilkul bhi fikr na karo "
" ok guru, over and all " dusri taraf se ubharne vaali Vikas ki is aawaj ke saath hi sambandh vichhed ho gaya aur transmitter off karte huve Vijay ne Alfaanse se kaha," ab bolo lumad bhai "
" kya bolu "
" is baar chacha saala patthar ke andar ghuskar baitha hai, ab sochna ye hai ki us patthar ko jiski apne diljale ne itni tareef ki fatah kaise karna hai "
kuch sochte huve Alfaanse ne kaha," screens ke jariye Singahi patthar ke chaaro taraf dekh sakta hai, iska matlab ye hai ki patthar ke najdeek pahuchna hi ek samasya hai "
" uske sheersh par to keval helicopter se hi pahucha jaa sakta hai pyaare "
" helicopter to khud hi itni aawaj karega ki hamara vaha tak pahuchna gupt nahi rahega "
ekaek hi Alfaanse ke dimaag me ek idea aaya, chutki bajaate huve vo bola," good, raat ke samay screens par ushe kuch dikhaayi nahi dega Vijay, vaha chaaro taraf andhera hota hoga aur hum bhi ushi andhere ka hissa ban jaayenge "
" chalo maan liya pyaare ki raat ka laabh uthakar hum patthar ke kareeb pahuch bhi gaye to bhi hum uspar chadhnege kaise, maan lo ki khoonti vagairah gaad kar parvatarohiyo ki tarah us par chadhna shuru bhi kar de to diljale ke mutabik patthar itna vishaal hai ki ek raat me chadhkar uske sheersh par pahuchna naamumkin hai, khoontiya gaadte huve chadhne me to vaise hi kaafi samay lagta hai, jaha suraj nikla nahi ki hum screens ke daayre me aa gaye "
" vaakayi, patthar ke sheersh par pahuchna ek samasya hogi "
" magar fir bhi hamare dimaag me ek idea aa raha hai pyaare "
" kya " Alfaanse ne utsuktapoorvak poocha.
" hamare paas ek bandar hai aur bandar bina khoontiyo ka prayog kiye insaan se kahi jyada furti se aise patthar par chadh sakta hai "
" very good, kya idea hai " Alfaanse bola," vaakayi me Vijay, tumhaare saath jitne bhi kshan gujaaro, utni hi baar tumhaara bheja choom lene ka dil karta hai "

-----------------------------------------

maachis ke barabar transmitter ko off karke Vikas ne joote ki aedi me rakha aur baahar nikal aaya.
bathroom ke baahar hi hari vardi pehne do shashastra guards uske saath ho liye.
pichhle 4 din se Vikas yahi tha, chamatkaarik upchaar ki vajah se ab vah poorn roop se swasth tha, uske sabhi jakhm bhar chuke the, unme ab koyi peeda nahi thi, haan, jakhmo ke daag abhi bhi baaki the.
in daago ke baare me Singahi ne aaj subah hi usse kaha tha," fikr mat karo bete, tumhaare jism par in jakhmo ka koyi nishaan nahi rahega, doctor Kotso jo marham aur khaane ki davaayi de rahe hai vo khud unhi ke dwara ijaad ki gayi aur aajmaayi huyi hai, jyada se jyada do ya teen din me tum poorn roop se swasth ho jaaoge "
aur isme koyi shak nahi tha ki doctor Kotso ke naam se pukaare jaane vaale us shakhs ki daavayi vaakayi me chamatkaari thi, 4 dino me jakhmo ka poori tarah bhar jaana chamatkaar hi to tha.
vah jaanta tha ki Singahi ke adde par Singahi ko hi dhokha dena naamumkin sa tha, magar jin paristhithiyo me Singahi ushe yaha laaya tha shayad unhi ke kaaran uske man me ek kshan ke liye bhi ye vichaar nahi aaya tha ki vah yaha kisi yojna ke antargat aaya hai uisliye in do guards ke alawa us par aur koyi vishesh najar nahi rakhi jaa rahi thi.
fir bhi Vikas ne itni saavdhaani barti thi ki 4 din me aaj usne Alfaanse se sambandh sthaapit karne ke liye transmitter ka prayog kiya tha.
dusri taraf Alfaanse ke sthaan par Vijay ko paakar vah chounka tha lekin Vijay ne saara maamla sanshep me ushe bata diya tha.
Sinaghi ko uske yaha pade rehne se koyi shak paida na ho ishi vajah se usne aaj subah yaha se jaane ki ichha prakat ki thi, jishe ye kehkar Singahi ne bade aaraam se thukra diya tha ki vah ushe tab tak baahar nahi jaane dega jab tak Alfaanse ke sir se ye Irvin ke pyar ka bhoot nahi utar jaata.
Vikas chup reh gaya tha, Kohinoor, Bond aur Mike se sambandhit baate ushe khud Singahi ne bataayi thi.
is baat par khush hota hua vo aage badh raha tha ki usne transmitter par baate bhi kar li hai aur kisi ko kaano-kaan khabar bhi nahi huyi.
hamesha ki tarah dono guards uske peeche hi the.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

ve ek gallery se gujar rahe the, doodhiya prakash se bhari aisi shaandaar gallery jaisi keval five star hotels me hi dekhi jaa sakti hai, Vikas ye dekhkar chakit tha ki baahar se kitne khurdure aur bhadde dikhne vaale patthar ke andar kitna shaandaar adda banaya gaya hai.
gallery paar karke vo ek hall me pahucha, hall ke beecho-beech ek gaddedaar bed tha aur pichhle 4 dino ka adhikaansh samay usne ishi bed par gujara tha.
beemaar sa vah punah bed par let gaya.

------------------------------

us waqt 9 baje the jab unhe stone forest ka vo vishaal patthar najar aaya jiski unhe talaash thi, door se hi, do haathiyo ki unchaayi vaale patthar ki back se unhone us patthar ko dekha, ushe jo raat ke is andhere me sannaate ke beech khada daravana raakshash sa mehsoos ho raha tha, patthar sachumch unki kalpanaao se kahi jyada vishaal aur uncha tha.
haalanki itna bada pahaad mil jaana swabhaavik baat hai, magar pahaad kyonki pahaad hota hai isliye ushe dekhkar ascharya nahi hota, magar is patthar ko dekhkar to Vijay aur Alfaasne jaise vyaktiyo ki aankho me bhi hairaani ke bhaav ubhar aaye, pahaad dhalva hote hai, atah unpar chadhne ki kalpana ki jaa sakti hai, lekin patthar to patthar hi hota hai, yaani bilkul khada, atah chadhkar iske sheersh par pahuchne ki kisi ne kalpana bhi nahi ki hogi.
aur is patthar par chadhne ka dus-saahsik kaarya karna tha Dhanushtankaar ko, ekaek hi Alfaanse bola," Vijay "
" farmaao pyaare "
" is patthar ke andar Singahi ke basne ke idea ki bhi daad deni hogi, agar Vikas hame andar ki mool stithi nahi batata aur agar hum us viraam ghadi ke sahaare hi yaha taak aaye hote to viraam ghadi keval yaha tak aakar is patthar ki taraf sanket karke ruk jaati, tab hum kalpana bhi nahi kar sakte the ki ye patthar andar se khokhla hoga, balki is viraam ghadi ko hi kharaab samajhkar ishe ispar patak kar chaknachoor kar dete "
" tumhaari baat solaah aane sahi hai lumad bhai " Vijay ne kaha," lekin samay kam hai, ab hum is patthar aur chacha ke dimaag ki daad dene ki bajaay aage badhe to hamare liye jyada uchit hoga "
" chalo " Alfaanse bola.
haalanki vaha se unhe patthar kaafi najdeek najar aa raha tha, parantu fir bhi uski jad tak pahuche me unhe tees minute lag gaye, Vijay ke kandhe par baitha Dhanushtankaar baar-baar apna chehra uthakar saare raaste par us patthar ke sheersh ko hi dekhta raha tha, shayad man me uthti is baavna ke adheen ki is vishaalkaay patthar par usne vijay praapt karni hai, man hi man ushe dar laga ki shayad ek raat me vah sheersh par nahi pahuch paayega.
jad me baithkar jab unhone patthar ke sheersh ko dekhna chaha to laghbhag unhe ulat hi jaana pada.
Vijay bola," ab saara daaromdaar tumhaare upar hai gaandiv pyaare "
andar se bhale hi Dhanushtankaar ki himmat jawaab de rahi ho lekin pratyaks me usne khud ko taiyaar hi dikhaya, tab Vijay bola," to pyaare ho jaao shuru, samay kharaab karne se kya laabh "
Dhanushtankaar ne apne coat ki jeb se addha nikala, haan, is abhiyaan par chalne se pehle vah apne saath adhha ki lekar chala tha, dhakkan kholkar usne do-teen ghoont chadhaaye.
is beech Vijay ne apne kandhe se rassi ka guchha nikaalkar na keval khol liya tha balki uska ek sira Dhanushtankaar ki choti si patloon me bandhi belt ke saath baandh diya tha.
dhakkan band karke usne addha jeb me rakha.
bade hi shraddha ke saath usne Vijay ke charan sparsh kiye, ushe pyar karte huve Vijay ne kaha," sambhalkar chadhna gaandiv pyaare, chookte hi neeche tumhaari laash aakar giregi "
jab usne Alfaanse ke pair chuve to Alfaanse ne kaha," tum jaroor safal hovoge Monto "
fir Dhanushtankaar ne apni saahsik yaatra shuru kar di.



jo rassi vah apne saath lekar aaye the vo Vikas dwara batayi gayi patthar ki unchaayi se 20 gaj jyada hi thi, ek hi patthar par ve dono gumsm se aamne-saamne baithe apne beech padi rassi ke guchhe ko dekh rahe the, us guchhe ko jo dheere-dheere kam ho raha tha, iske kam hone ki gati Dhanushtankaar ke patthar par chadhne ki gati se sambandhit thi, shuru-shuru me rassi kaafi tej gati se kam huyi thi magar ab gati samanya thi.
beech-beech me ve radium dial vaai wrist-watches me samay dekh lete the, unke dil keval is aashanka se dhadhak rahe the ki sahi samay tak Dhanushtankaar sheersh par pahuch bhi paayega ya nahi, jabki patthar par chadhte huve Dhanushtankaar ka dil jabardast sharirik shram karne ke kaaran buri tarah se dhadhak raha tha.
saanse dhounkni ki tarah chal rahi thi uski.
haath aur taange dukhne lagi thi.
patthar khurdura tha isliye vah chadh bhi paa raha tha, agar vah chikna hota to shayad vo chadh bhi na paata, bahut hi dhyaan se vah ek ke baad dusra kadam aage badhaata.
jaha vah hota vaha se pehle apna haath badhakar vah upar ke kisi ubhre huve hisse ko pakadta tha, tab us par chadhta, itni saaavdhaani ke baavjood kayi baar uske haath-paanv fisle, kayi baar girne se bacha tha vo.
aisi stithi anek baar aa rahi thi ki haath badhaane par ushe koyi khurdura aur ubhra hua bhaag na milta, aise prateyek mouke par ushe jump leni padti thi, upar ke khurdure bhaag tak pahuchne ke liye.
aur aisi prateyek jump par usne apna jeevan daanv par lagaya tha, jara si bhi anumaan me galti ushe mout ki gart me bhej sakti thi.
jab vah buri tarah se thak jaata, saanse aur taange aage badhne se inkaar kar deti, ushe lagta ki ab vah aur upar nahi chadh paayega to vah sustaane lagta.
ekaek hi uski najar wristwatch par padti.
samay ko apne se kahi jyada tej bhaagta dekh kar vo apni jeb se adhha nikaalta, kuch ghoont halak me utaarkar galey ko tar aur dimaag ko nashe me choor karke fir se chadhne lagta.
ek samay aisa aaya jab usne ek ubhre huve gaddhe me haath daala to do kabootaro ke udne ki aawaj sannaate me goonjti chali gayi, fadfadaane ke baad kabootaro ke achanak udne ki aawaj itni darawani thi ki Dhanushtankaar girte-girte bacha tha.
sehamkar usne apne ko ekdum se patthar ke saath chipka liya tha.
ye baat ushe kuch der baad samajh me aayi thi ki kabootaro ke is jode ne vaha apna basera banaya hua tha aur ve usse darkar ude hai, ye sochkar muskura utha Monto ki aise samvedansheel samay me kabootaro ke fadfadaane ki aawaj bhi kitni darawani lag sakti hai.
sanshep ye hai ki aise kayi tarah ke khatro ko paar karte huve vo ant me teen baje ke kareeb patthar ke sheersh par pahuch hi gaya, upar pahuchne ke baad usne ek minute bhi aaraam nahi kiya kyonki yojna ke mutabik vah pehle hi ek ghanta late the, jeb se ek moti keel nikaalkar usne vaha thoki, apni belt se rassi ak sira kholkar uspar baandha, majbooti ko parkha aur fir jis hathodi se usne keel gaadi thi vahi usne neeche fenk di.

------------------------------

2 bajne ka baad jitna bhi samay gujar raha tha vah Vijay aur Alfaanse par bahut bhaari pad raha tha, dil kuch jyada hi asamnya gati se dhadhak rahe the aur ve vyagratpoorvak us rassi ko kam hote huve dekh rahe the, kyonki 3 baje tak ka samay gujaarna unke liye mushkil ho gaya.
us samay ve uchhalkar khade ho gaye jab unke aaspaas hi kisi patthar se hathodi ke takraane ki aawaj aayi.
ye sanket tha Monto ki yaatra khatam aur unki yaatra shuru hone ka.
ab ve dono teji ke saath us rassi par chadhne lage, haalanki itni unchaayi par bhi rassi ke dwara chadhna koyi hansi-khel nahi tha lekin fir bhi jitna khatarnaak aur dus-saahas se bhara kaam Monto ne kiya tha, uske muakabale ye kaam kuch bhi nahi tha, sheersh par pahuchne me unhe teen ghante lage.
yaani ki suabh ke 6 baje ve sheersh par the, yaha hava bahut tej thi, jhakkad se chal rahe the, jism par maujood kapde chust hone ke baavjood fadfada rahe the.
udhar, poorv me gagan surkh hone laga tha.
patthar ke sirey se unhe surya ka upari sira bhi chamak raha tha, Alfaanse teji ke saath rassi ko kheenchkar uska guchha banane laga, Vijay patthar ke chaaro taraf faile stone forest ko dekh sakta tha, jaha ve the, vaha surya ki rashmiya pahuchne lagi thi jabki neeche stone forest me abhi tak andhera tha, Vijay ne Dhanushtankaar se poocha," yaha chupne ki koyi jagah talaash ki gaandiv pyaare "
Dhanushtankaar ne baayi or ishaara kiya.
ye dekhkar Vijay chakit reh gaya ki vaha ek chota sa antriksh rocket apna munh aasmaan ki taraf uthaaye choti-choti teen taango par khada tha, bas, baaki ka samoocha patthar ekdum maidaan ki tarah smatal tha.
yaani ki chupne ki kahi koyi jagah nahi thi.
shaayad isliye Dhanushtankaar ne us yaan ki taraf ishaara kiya tha, yaan ke andar chupne ka alawa chupne ki koyi jagah nahi thi, Dhanushtankaar ne apni diary nikaalkar likha," maine apne silenceryukt revolver se yaan ke darvaaje ka taala tod daala hai "
" arey jiyo mere pyaare " Vijay ne kaha aur fir Dhanushtankaar ko god me uthakar pyar se choomne laga, ishi beech Alfaanse ne na keval saari rassi kheench li thi balki Dhanushtankaar dwara gaadi gayi keel bhi ukhaadkar apni njeb me rakh li thi.
ab ve laghbhag doudte huve yaan ki taraf badhe.
patthar ke sheersh par poori tarah se dhoop fail gayi thi, yaan ke andar pahuchkar unhone sakhti ke saath yaan ka darvaaja andar se band kar liya tha.
yaan sampoorn aadhunik suvidhaao se paripoorn tha.
bahut si TV screens bhi thi, achhi tarah samajhne ke baad Alfaanse ne ek screen on ki to ye dekhkar unki aankhe chamak uthi ki iske dwara ve patthar ke sheersh ko dekh sakte the.
Dhanushtankaar ne jeb se sigaar ki dibbi nikaali aur ushe Vijay ko dikhaate huve apne chehre par yaachna ke se bhaav utpann kar liye, jaise ki keh raha ho," please, ek sigaar "
" piyo gaandiv pyaare, lambe-lambe sutte kheench kar piyo "

----------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »



" v..vo dekho Vijay, adde ke andar jaane ka ekmaatra raasta " josh ki adhikta ke kaaran Alfaanse laghbhag cheekh hi pada.
screen par sachmuch patthar ke sheersh par ek bahut bada vargakaar hissa hata hua najar aa raha tha, vah darvaaja theek beech me tha, teeno ki drishti us par chipak gayi.
Vijay ne samay dekha, paune 10 baj rahe the.
achanak hi patthar ke garbh se ek gadgadata hua helicopter baahar nikla, uski gadgadahat ki aawaj unhe yaan ke andar tak aayi thi, patthar ke garbh se nikalne ke baad helicopter bahut hi teji se aakaash ki taraf uda, patthar ka ek chakkar lagaya usne aur fir patthar ke sheersh par hi land kar gaya.
uske andar se Singahi ko nikalte unhone spasht dekha.
tabhi darvaaje ko paar karke patthar ke garbh me se ek lift nikli, lift ka darvaaja khulte hi paanch hari vardi vaale shashastra guards baahar nikle, unhone teen folding kursiya aur ek mej lift se baahar nikaali, lift vaapis chali gayi aur raasta band ho gaya.
ab koyi nahi keh sakta tha ki patthar ke andar jaane ke liye yaha koyi raasta hai, Singahi un guards ko bol-bolkar kuch samjha raha tha, yaan ke andar chupe ye teeno uski aawaj to nahi sun sakte the, magar jo kaaryavaahi ho rahi thi ushe dekh bhalibhaati sakte the.
beech me mej aur uske teen taraf teeno kursiya daal di gayi, paancho shashastra guards patthar ke sheersh par chaaro taraf bikhar gaye aur Singahi aaraam se un teeno me se ek kursi par baith gaya.
Vijay badbadaya," Bond aur cylce chain ka intjaar hai "
" m..magar Vijay, adde ke andar se Singahi helicopter dwara yaha kyo aaya hai "
" chacha bahut chaalaak hai pyaare, Bond aur cycle chain par vah yahi jataana chahta hai ki vah khud bhi unhi ki tarah yaha aaya hai "
abhi Vijay ka vaakya poora hua hi tha ki yaan ke andar punah halki si gadgadahat ki aawaj ne pravesh kiya aur screen par ek nahi balki do helicopter chakraate najar aaye.
" lo pyaare " Vijay bola," Kohinoor ke dono khareeddaar aa pahuche hai "
unke dekhte hi dekhte do minute ke antraal se dono helicopter land huve, Bond aur Mike helicopter se baahar nikle.
un dono ke hi haatho me bhaari atachiya thi.
un atachiyo ko dekhkar jaane kyo Alfaanse ki aankho me chamak utpann ho gayi, jabki Vijay keh raha tha," Bond ki ataichi kuch jyada hi bhaari maalum padti hai lumad bhai, ushe lekar Bond se theek se chala bhi nahi jaa raha "
Alfaanse chupchaap screen par najar aane vaali kaifiyat ko dekhta raha.

--------------------------------

paune 10 bajte hi pichhle teen dino ki tarah Vikas ne kaha," breakfast "
" s..sorry sir " do me se ek guard ne wristwatch dekhte huve ratey-rataye swar me kaha," abhi samay nahi hua hai, sirf paune 10 baje hai, breakfast ka samay saadhe 10 ka hai "
" please Robin " uska naam lekar Vikas ne yaachna si ki," bahut bhookh lagi hai, kabhi to niyam tod diya karo yaar, kisi ko bhookha maarne me tumhe kya khushi milti hai "
" sorry, mahamahim ka aadesh hai ki... "
magar Vikas ne uska vaakya poora nahi hone diya, shabd badalkar vahi yaachna karne laga, jab had hi ho gayi aur Vikas ne ye kaha ki agar ishi waqt ushe naashta na mila to vo bhookh se mar jaayega, fir uski laash ko breakfast karate rehna to vo dono guards ek-dusre ki taraf dekhkar muskuraaye, taras khaakar dusre ne kaha," aaj to inki baat maan hi lo Robin "
muskurata hua Robin muda, hall ka darvaaja kholkar vah baahar nikal gaya, Vikas jaanta tha ki naashta lekar ushe loutne me sirf 5 minute lagenge, atah in 5 minuto me hi ushe apna kaam karna hai, Robin ko baahar gaye abhi 30 second hi gujre honge ki darvaaje ki taraf dekhte huve Vikas ne kaha," arey, tum abhi tak gaye nahi Robin "
jhonk me guard ne palatkar darvaaje ki taraf dekha aur palang par khade Vikas ne kisi gorrille ki tarah uspar jump laga di, guard hadbada gaya, magar chook usse ho chuki thi, Vikas ka ek haath uske munh par dhakkan banke chipka aur dusre ki karaat gardan par padi.
ek ghuti-ghuti si cheekh ke saath vah farsh par lamba ho gaya.
Vikas ne furti se ushe kheenchkar ek kone me daala, douda aur darvaaje ke saath vaali deewar se satkar haanfne laga, ushe Robin ka intjaar tha.
apne baaye joote ki aedi se chota sa revolver nikaalne ke baad usne coat ki secret pocket se chota sa silencer nikala aur ushe revolver ki naal par abhi fix kiya hi tha ki darvaaja khula, haath me tray liye Robin andar daakhil hua.
kamre me apne saathi ko gaayab aur bed ko khaali dekhkar abhi vah chounka hi tha ki revolver taane Vikas uske saamne aa gaya, Robin ke chehre par hairat ke aseemit bhaav ubhre hi the ki daant bheenchkar Vikas gurraya," na..na.. cheekhna mat, varna mai tumhe goli maar dunga aur tum is revolver ki naal par lage silencer ko to dekh hi rahe ho "
hakka-bakka se khada reh gaya Robin, uski gun uske kandhe par latak rahi thi, Vikas ne aadesh diya," tray ko aaraam se mej par rakh do "
aadesh ka paalan karne ke alawa bechaara Robin aise haalaat me aur kar bhi kya sakta tha, aage badhkar usne tray ko mej par rakh diya, abhi usne tray ko mej par rakha hi tha ki uske sir par revolver ke daste ka itna jordaar vaar hua ki uski aankho ke aage aatishbaaji naach uthi.
munh par dhakkan bane huve ek haath ne uski cheekh ko uske halak se baahar nahi nikalne diya.
ushe behosh karne ke baad Vikas ne jaldi se apne kapde utaare aur 10 minute baad vah ek guard hi najar aa raha tha.
cap ka chajja usne antim kon tak apne maathe par jhuka liya aur darvaaja kholkar baahar aa gaya, baahar aakar vah sir jhukaaye teji se gallery paar karne laga.
uska lakshya Singahi ka office tha.
office uska dekha hua tha aur kam se kam yojna banate huve usne bilkul nahi socha tha ki ushe vaha tak pahuchne me koyi dikkat pesh aayegi, vah pichhle ek hafte se yaha tha aur is beech usne ye note kiya tha ki Singahi ke ye guards aapas me itne ghule-mile huve nahi hai, anavashyak roop se baat bhi nahi karte hai aur ye bhi jaroori nahi ki ve sab ek-dusre ka chehra pehchaante ho.
gallery ke baad ushe ek hall paar karna pada, is hall me bahut saare guards kayi machines par kaam kar rahe the, sir jhukaaye unke beech teji se Vikas kuch aise andaaj me chalta chala gaya jaise ushe kisi sthaan vishesh par pahuchne ki jaldi ho, aisa karne ke peeche uski do bhaavnaaye thi.
pehli ye ki vo jaldi apni manjil par pahuche aur dusri ye ki ushe is kadar vyast dekhkar anavashyak roop se koyi tokey nahi.
vah us gallery me pahuch gaya jisme ki Singahi ka office tha.
ye dekhkar uski baanche khil uthi ki gallery is waqt sunsaan padi hai, office ke band kamre ke saamne vah thithka, handle ghumakar darvaaja kholna chaha to pata laga ki vah locked hai.
ek kshan bhi vyarth kiye bina Vikas ne jeb se silenceryukt revolver nikaalkar darvaaje ke lock par ek nahi do goliya maari.
pitt..pitt ki aawaj ke saath hi lock toot gaya.
Vikas teer ki tarah andar pahucha.
ab badi teji se kamre ki talaashi lene me jut gaya vo, ushe maalum tha ki saadhe 10 baje doctor aur nurse uska checkup karne ke liye aayenge, kamre ki stithi hi unhe saari kahaani bata degi, atah saadhe 10 baje tak vah lift me pahuch jaana chahta tha.
magar Kohinoor mile tab na.
bina Kohinoor ke to uska ye saara mission hi bekaar tha.
20 minute ki bharpoor koshish ke baad bhi ushe Kohinoor nahi mila, saadhe 10 bajne me keval 5 minute reh gaye the, Singahi ki mej ke sameep khada vah hadbadaya sa chaaro taraf dekh raha tha ki achanak hi uski drishti mej par rakhe papervat par padi.
aah, vah papervat nahi Kohinoor tha.
mej par rakhe kuch kaagaj dabe huve the usse, ye sochkar Vikas romanchit ho utha ki apne office me Singahi aajkal Kohinoor se papervat ka kaam le raha hai, usne jhapatkar kohinoor uthaya, jaancha, parkha, santusht hote hi vah darvaaje ki taraf douda nahi balki jhapat sa pada.

---------------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


Kohinoor ki neelami si ho rahi thi sheersh par.
mukabala tha Mike aur Bond ke beech.
apni kursi par baitha hua Singahi dheeme-dheeme muskurata hua unke beech chal rahe muakabale ka lutf utha raha tha.
James bond vahi karta gaya jo vah sochkar aaya tha, yaani ki Mike jo bhi kehta vo usse ek crore dollar upar keh deta, stithi ye aa gayi ki vah rakam bahut peeche chhut gayi thi, jitne me Americi sarkar ne ushe Kohinoor khareedne ki anumati di thi.
fir jab Bond ne charam seema ke baad bhi hajaar dollar upar bol diye to Mike ajeeb si avishvashneeya drishti se Bond ko dekhne laga, Bond ke hontho par vijayi muskaan thi.
Singahi ne kaha," bolo mr. Mike "
" Kohinor ishe hi de dijiye " Mike jhunjhulaaye se andaaj me bola.
" vaakayi Kohinoor ki kadr Britain hi jaanta hai isliye vah naayaab heera Britain ke paas hi rehna chahiye, mubarak ho mr. Bond "
" thankyou " kehte huve Bond ne ataichi uthakar mej par rakh di, bola," ye peshgi rakhiye mr. Singahi aur souda pakka kijiye, aap chahe to ishe kholkar dekh sakte hai "
ataichi ko kholne ke liye Singahi ne abhi haath badhaya hi tha ki uski wristwatch spark karne lagi, Singahi chounk pada, wristwatch ka sambandh adde ke andar stith control room se tha aur uske is tarah se spark karne ka matlab tha khatra.
patthar ke andar koyi gadbad hai, Singahi ke dimaag me badi teji se vichaar kounda," magar kya "
patthar ke garbh me bhala kya gadbad ho sakti hai aur is waqt ushe pehli baar khayaal aaya ki patthar ke andar Vikas hai jo kuch gadbad kar sakta hai, magar filhaal vah is gadbad ko check nahi kar sakta tha, kyonki aisa karne ke liye darvaaja kholna jaroori tha aur Singahi nahi chahta tha ki Mike aur Bond ko is patthar ke khokhlepan ka pata chale.
atah unhe jaldi se tarkaane ke liye Singahi ne ataichi ke dono locks ko kholne ke liye dabaav daala aur uska aisa karna hi maano gajab ho gaya.
ataichi ke daaye-baaye se ispaat ke bane do haath na keval nikle balki Singahi ki gardan par aa jame, boukhlakar Singahi kursi samet peeche ulat gaya, magar uski gardan se ispaati haath nahi hatey the balki ataichi bhi uske seene aur pet se chipak gayi thi.
vaha maujood saare guards abhi kuch samajh bhi nahi paaye the ki revolver nikaalkar Bond garja," koyi bhi mujhpar hamla karne ki koshish na kare, kyonki ab ye ataichi mere hukum ke bina Singahi ko nahi chhodegi, meri mout ke saath hi tumhaara mahamahim bhi khatam ho jaayega "
paancho guards kinkartavyavimdh se khade reh gaye.
Mike ka haath apni jeb ki taraf jaa hi raha tha ki Bond revolver ka rukh uski taraf ghumakar gurraya," dont move mr. Mike, haath upar utha lo "
Mike ne aadesh ka paalan kiya aur vah bhi dilchasp drishti se Singahi ki taraf dekhne laga, is waqt ajeeb stithi me tha vah duniya ka mahaantam apraadhi, ataichi kisi chamgaadad ki tarah uske jism se chipki huyi thi, band ataichi ke faulaadi haath Singahi ki gardan par the.
apne haatho se Singahi ataichi ke haatho ko hataane ki bharpoor koshish kar raha tha.
us dilchasp drishya ko dekhkar vaha sabhi chamatkrit se the, vahi Bond thahaka laga utha," ab vah ataichi tumhe nahi chhodegi Singahi, tumhaare adrishya aur currentyukt hone ke saare art bekaar hai, vah un yaano ka chota roop hai jo bina maanav ke dusre grah par bheje jaate hai "
Singahi nirantar apne se chipi ataichi se joojh raha tha.
Bond ne aage kaha," is ataichi ko London se control kiya jaa raha hai, ye vahi se hat sakti hai aur vaha se ye tab hategi jab mai is transmitter par unhe aisa karne ka aadesh dunga aur aisa aadesh mai tab dunga jab tum Kohinoor mujhe sounp doge "
guards ki samajh me nahi aa raha tha ki is avsar par ve kya kare.
" ye ataichi apne aap me ek bahut hi vinaashkaari bomb bhi hai, mere aadesh dete hi vaha London ke control room me baitha vyakti ek button dabayega aur ye bomb fat jaayega "
Vijay aadi yaan ke andar screen par hi ye drishya dekh rahe the.
" bolo Singahi, Kohinoor mere havaale kar rahe ho ya nahi "
Singahi kuch bola nahi, keval ataichi se joojhta raha.
transmitter on karke Bond ne kaha," hello... hello John, Bond here, haatho ka pressure badha do "
is aadesh ke turant baad hi Singahi ne mehsoos kiya ki ataichi ke faulaadi haatho ka dabaav uski gardan par badh raha hai, uska gala bhinchne laga.
ab saans lene me bhi kathinaayi ho rahi thi ushe.
Bond ne chetavani si di ushe," bolo Singahi, bolo, Kohinoor dete ho ya.... "
vaakya adhoora hi reh gaya, kyonki tabhi sheersh ka darvaaja sarr se khula aur ek lift aakar darvaaje par khadi ho gayi, darvaaja khulte hi uske andar se Vikas ne baahar jump lagayi.
" t..tum " Bond chakit," is patthar ke garbh se "
" ye patthar khokhla hai Bond, dada ka adda yahi hai "
guards ki guns abhi Vikas ki taraf ghoomi hi thi ki,
pitt...pitt...pitt.
saara vaatavaran ek nahi, kayi guns ke garjano se kaanp utha aur ek hi pal me ve paancho guard cheekhkar shaheed ho gaye.
Singahi ke alawa sabhi ne chounk kar yaan ki taraf dekha.
Vijay, Alfaanse aur Dhanushtankaar ko dekhkar jaha Mike aur Bond bhouchakke reh gaye, vahi Vikas cheekh pada," Kohinoor mil gaya hai guru "
gun sambhaale ve teeno yaan ke darvaaje se koodkar us taraf bhaage jabki Vikas ka vaakya sunte hi Bond ke kaan khade ho gaye the, transmitter par bola," John, tumne Vikas ka vaakya suna hoga, quick John, Singahi ko chhodkar Vikas ko pakdo "
ek jhatke se ataichi ne Singahi ko chhod diya.
Singahi aajaad hua hi tha ki Vijay ne gun ke barrel ki jordaar chot uski kamar par ki, ek cheekh ke saath hi Singahi munh ke bal jaa gira.
Alfaanse ka ghoonsa Mike ke chehre par pada tha.
apne baaju failaaye hava me tairti ataichi Vikas ki taraf lapki, mutthi me Kohinoor dabaaye Vikas usse bachne ke liye bhaaga aur saath hi cheekha," ushe roko Bond, Kohinoor tumhaara hai aur vaada karta hu ki tumhe hi milega "
" mujhe vaada nahi Vikas, Kohinoor chahiye "
" lo " doudte huve Vikas ne Kohinoor Bond ki taraf uchhal diya, Kohinoor badi safaayi se lapak kar Bond ne jeb ke havaale karte huve kaha," thanks "
tab Vikas ne cheekhkar kaha," agar sachmuch ye ataichi bomb ka kaam bhi kar sakti hai Bond to ishe jaldi se darvaaje ke andar daakhil kar do, neeche se guards yaha pahuch gaye to bachna mushkil ho jaayega "
transmitter par John ko Bond kuch aise hi aadesh dene laga.
yahi vo kshan tha jab vaha ek helicopter ke start hone ki aawaj goonji, jab tak doudta hua Mike uske najdeek pahucha, tab tak helicopter upar uth chuka tha.
idhar, mouka lagte hi Singahi bhi yaan ki taraf bhaaga.
Vijay aur Dhanushtankaar uske peeche lapke.
yaan ke kareeb pahuchkar Vijay ne uske shareer par jump bhi laga di kintu ushe ek teevra jhatka laga aur vah vaapis aa gira.
kadachit bhaagte huve Singahi ne apne jism ko currentyukt kar liya tha.
unke dekhte-dekhte yaan ek jordaar dhamaake ke saath teer ki tarah sansanata hua aakash ki taraf chala gaya.
idhar Vikas ne cheekhkar Mike se kaha tha," helicopter sambhaalo uncle "
is prakaar, ek helicopter Mike ne tatha dusra Vikas ne sambhaal liya, fir Vijay aur Dhanushtankaar doudkar Mike ke helicopter me chadh gaye aur Bond Vikas ke helicopter me.
ek saath dono ne patthar ka sheersh chhod diya.
Vijay ne Mike se poocha," dollaro se bhari tumhaari vah bhaari si ataichi kaha gayi pyaare cycle chain "
" ushe kambakkht Alfaanse le uda hai "
sunkar Dhanushtankaar khii..khii karke hans pada, Vijay ne turant hi ushe kadi drishti se ghoora aur Dhanushtankaar ne turant apne honth kaskar band kar liye the, jaise bhavishya me is prakaar khilkhilakar kabhi na hasne ki pratigya kar raha ho.
udhar, dusre helicopter me Vikas keh raha tha," ye mat samajhna Bond uncle ki maine tumhaari us karamati ataichi se darkar tumhe Kohinoor diya hai "
" nahi to kya samjhu " Bond vyangyapoorvak muskuraya.
" Bhaarat ke pradhaanmantri par hamari pol khul gayi thi yaani ki unhe maalum ho gaya tha ki hum avaidh dhang se Kohinoor ko haasil karne London gaye the aur ushi jhamele me Kohinoor Singahi dada ke haath lag gaya hai "
gambheer hote huve Bond ne poocha," fir "
" unhone hame bahut latada, kaha ki beshak Kohinoor Bhaarat ka ha, magar ushe prapt karne ka ye tareeka bahut sharamnaak hai, Britain se Kohinoor rajnitik star par vaarta se hi liya jaayega, unhone humse ye bhi kaha ki Singahi se Kohinoor prapt karke Britain ke haatho me sounpna hamari naitik duty hai "
" aur tumne vahi naitik duty nibhaayi hai "
" haan "
" chalo yu hi sahi, magar Bond haara nahi hai "
" ab jara us ataichi ka kamaal to dikha do " kehte huve Vikas ne jhaankar neeche us vishaaltam patthar ko dekha, sheersh ka darvaaja abhi bhi khula pada tha, magar ataichi kahi bhi najar nahi aa rahi thi, Vikas bola," vah ataichi to patthar ke sheersh par kahi najar hi nahi aa rahi hai "
Bond seedha Vikas ko jawaab dene ke sthaan par transmitter me bola," hello John "
" yes sir " dusri taraf se aawaj ubhri.
" yaan kaha hai "
" khokhle patthar ke andar, is waqt vah us patthar ke beechobeech hai "
" good, ushe blast kar do John "
Bond ke in shabdo ke 30 second baad hi stone forest me ek karnbhedi dhamaka goonja, Bond tatha Vikas ne us vishaaltam patthar ke parkhachhe udte huve dekhe.
apne helicopter se Mike, Vijay aur Dhanushtankaar ne bhi us vishaal patthar ko khand-khand hote dekha aur khilkhilakar hanse ke chakkkar me Dhanushtankaar fir se khii..khii kar utha, Vijay ne kathor drishti se ushe ghoora, is baar Dhanushtankaar ne honth band nahi kiye, khii...khii karta hi raha vah.

THE END
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply