'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »



Vijay ne kaha," magar sochne vaali baat ye hai lumad bhai ki apne chacha ko is tarah ka jhootha prachaar karke kya haasil hoga "
" is rahasya se mujhe bhi jaldi hi parda uthana hoga varna ye kameena poori duniya me meri Irvi ko badnaam kar dega. saari duniya charitraheen samajhne

lagegi ushe, sach Vijay, tumhaari kasam, uske is prachaar ke peeche chupe huve rahasya se parda uthaana hi hoga mujhe "
" jaroor uthaao pyaare " Vijay ne baat taalte huve kaha.
kuch der tak shaant raha Alfaanse, jaise apni uttejit avastha par kaabu paane ki chesta kar raha ho, kuch der baad bola," kya mai tumhaari banayi is surang

se baahar nikal sakta hu "
" jaroor "
Alfaanse surang ke munh ki taraf badh gaya, kareeb jaakar hi thithka aur bola," ab tum log kya karoge "
" kya matlab "
" Singahi se Kohinoor vaapis lene ki koshish karoge ya Bhaarat vaapis jaaoge "
" chacha se Kohinoor prapt karna gud ka gassa nahi hai pyaare, filhaal to berang lifaafe ki tarah Bhaarat hi loutna hoga, vaha pahuchne ke baad hi aisi koyi

yojna bane to baat dusri hai kyonki uske maamle me to sabse kathin uske adde ka pata lagana hi hota hai, lekin haan, yadi tum hamari is maamle me koyi

madad kar sako to socha jaa sakta hai "
" shaadi ka card maine Siberia stith apne Gonjalo naamak shaagird se uske adde par pahuchvaaya tha, pata laga hai ki apne us adde ki gopneeyta khatam

hone ke baad Singahi ne apna adda vaha se change kar diya hai, change karke vah kaha gaya hai ye abhi tak pata nahi lag saka hai, magar mera naam bhi

Alfaanse hai, mai pataal me se bhi ushe dhoondh nikalunga, Irvi ko gaali dene ki keemat to ushe chukani hi hogi " kehne ke baad ek kshan bhi bina thahre vo

surang me reng gaya.
Vijay badbadaya," tum ek baar fir hame murkh banane ki naakaam koshish kar rahe ho pyaare "

-----------------------------------------

" hello Bond bhai " surang me bandhe pade Bond ke paas pahuchkar Vijay ne kaha," hame tumse dar tha, yahi ki apne jeete-ji tum hame Kohinoor ki chori me

safal nahi hone doge aur vah sach bhi nikla, jab tak tumhe baandhkar yaha nahi daal diya gaya tab tak tum hamare raaste me ajeeb-ajeeb adchane khadi

karte rahe fir hamara daanv laga aur tum yaha kaid ho gaye, tab humne socha tha ki hame apne abhiyaan me safal hone se koyi nahi rok sakega, magar apna

chacha beech me kood pada "
bolne se laachaar Bond ne ishaare se poocha.
Vijay ne jawaab diya," abhi kuch hi der pehle tumne apne lumad ko yaha se khote sikke ki tarah baahar jaate huve dekha hoga, hame bhi dekh hi rahe ho,

hamari shakle hi bata rahi hai ki Kohinoor chacha le uda hai aur is saale Bogaan ke dialouge to tumne sune hi the yaani ki tumhe ye bataane ki jaroorat to

nahi hai ki isme ye saala chacha kaha se kood pada "
Bond chupchaap ushe dekhta raha.
" ab hum yaha se nikalkar berang lifaafe ki tarah seedhe vaha jaayenge, jaha se hum aaye the, hum nahi chahte hi hamare loutne me tum koyi bhaari adangi

maaro, atah Britain ki seema cross karte hi tumhaare cheif ko suchit kar denge ki tum yaha aaraam farm rahe ho, tumhaare junior saathi tumhe yaha se le

jaayenge, uske baad agar chaho to chacha se Kohinoor vaapis laane ki koshish kar sakte ho "
bechara Bond.
is kadar laachaar tha vah ki koyi prashan bhi nahi kar skata tha, khud Vijay ne bhi uske munh se tape hatane ki koyi koshish nahi ki thi, vidaayi ke se

andaaj me Vijay ne uska kandha thapthapate huve Ashraf aadi se kaha," chalo pyaare "
Bond se thodi door nikal aane ke baad Aasha ne kaha," kya hum ye pata nahi lagayenge Vijay ki is waqt Vikas kaha hai "
aur is sawaal ka jawaab dene ke liye Vijay ne abhi munh khola hi tha ki saamne se unhe Vikas aata dikhaayi diya, Vijay bola," lo gogiyapaasha, vo aa raha

hai baagadbilla "
Vikas ka chehra gambheer tha, bilkul shaant.
uske kareeb aate hi Vijay ne poocha," kya teer chalakar aa rahe ho pyaare "
" aap bataiye guru, yaha kya ho raha hai " ladke ka lehja vyangatmak ho utha," aapki surang poori huyi ya nahi "
" tumhe ye jaankar ascharya hoga bete ki surang apne sahi samay par poori ho gayi thi "
" p..poori ho gayi thi " Vikas chounka.
Vijay ne bade aaraam se kaha," haan "
" fir kya hua " Vikas ne vyagratapoorvak poocha.
jawaab me Vijay ne kramvaar ushe saari ghatna suna di, sunne ke baad ek baar fir se ladke ka chehra sakht ho utha," iska matlab ab hame Singahi dada se

Kohinoor prapt karna hoga "
" waqt nikal chuka hai bete "
" kya matlab "
" aur ye waqt tumhaari vajah se nikla hai, yadi hum chaaro ki madad ke liye chacha ko gherte waqt tum bhi hamare saath hote to shayad chacha nikal nahi

sakta tha, khair, ab tum sunaao diljale, hum to ye jaanne ke liye bechain hai ki is surang se baahar jaakar tumne kya top chalaayi "
" maine Irvin ka katl kar diya hai "
Vikas ka vaakya un chaaro par ek saath bijli bankar gir pada, Vijay sahit ve sabhi jadvat se khade rehkar Vikas ko dekhte reh gaye aur hosh sa aane par

Vijay bola," kya bak rahe ho pyaare "
" mai theek keh raha hu guru, ab crimer uncle ka us ghar se hamesha ke liye link toot chuka hai "
Vijay ka chehra kanpattiyo tak garam hota chala gaya, gusse ke kaaran uska saara shareer kaanp raha tha, gusse me bharkar vah gurraya," magar ab hamesha

ke liye lumad ka link tumse jud gaya hai bevkoof "
" kya matlab "
" hum jaante the ki tum jaroor koyi ulta-seedha kaam karoge aur tumne dikha diya hai ki tumme kitni buddhi hai, jo aadmi Irvin ko gaali dene vaale ko

kachha chaba jaane ke liye taiyaar ho jaaye, vo Irvin ka katl kar dene vaale se baadla lene ke liye ksi kadar paagal ho jaayega, iski kalpana karna bhi kitna

bhayavah hai, isliye keh rahe hai murkh ki tumse hamesha ke liye lumad ka link jud gaya hai, dushmani ka link "

" mujhe iski parvaah nahi hai guru "
Vikas ke is vaakya ne to jaise Vijay ke tan-badan me hi aag laga di, itna gusse me najar aane laga vah jitna ki Ashraf aadi ne ushe aaj se pehle kabhi nahi

dekha tha, paaglo ki tarah cheekh pada vah," parvaah ushe hoti hai bevkoof jiski khopdi me dimaag ho, ab bhalaayi ishi me hai ki lumad ko kuch pata lagne

se pehle hi hum sab Britain ki seema se baahar nikal jaaye "
" aap to vyarth hi chintit ho rahe hai guru "
" jyada mat bolo diljale varna lumad ki jagah hum hi tumhaara havaaijahaaj bana denge " daant peeste huve Vijay ne kaha aur fir badi teji se ghoomkar bola,"

jaldi socho jhaanjharokhe, koyi aisi tarkeeb jisse hum aaj shaam tak hi Bhaarat pahuch jaaye "
" mai Bhaarat nahi jaunga guru "
Vijay uski taraf ghoomkar gurraya," kyo "
" Kohinoor liye bina Bhaarat.... "
aur had ho gayi, kamaal kar diya Vijay ne.
Vikas ka vaakya poora hone se pehle hi Vijay ne uchhalkar uske jabde par itna jordaar ghoonsa maara ki na sirf Vikas ke vaakya ke aage ke shabd ek cheekh

me badalkar reh gaye, balki surang ki chatt se takrakar vah door jaa gira, Vikas ko mouka diye bina Vijay us par jhapta aur uske seene par sawaar hota hua

bola," tera to baap bhi Bhaarat jaayega diljale "
na keval Vikas balki Vijay ke is anokhe roop par Ashraf aadi bhi chakit ho gaye the, uske neeche dabe huve Vikas ne kaha," m..meri baat to suno guru please "
magar Vijay ne apne sir ki bharpoor takkar uski naak par raseed kar di, ladka cheekh pada, naak se khoon ka favvara uchhal pada.
fir Vijay ne ushe sambhalne ka avsar nahi diya, Vikas ke jism par taabadtod ghoonse barsaata chala gaya vah, kuch bolne ki koshish me Vikas ke munh se

cheekhe nikalti rahi.
kisi tarah Vikas ne khud ko Vijay ki giraft se mukt karaya, uchhalkar khada hote huve bola," aapko kya ho gaya hai guru, ye to bataiye ki meri galti

kya...aah "
pet me padi Vijay ki thokar ne ushe cheekhne par majboor kar diya, Vijay kuch bhi batane ke liye taiyaar nahi tha, uske jism me jaise bijli bhar gayi thi, Vikas

ko maarta hi chala gaya vah, Vikas ne jawaab me koyi hamla nahi kiya, beech-beech me vah hamesha yahi poochta raha ki aakhir baat kya hai, magar Vijay

ne ushe itna maara ki ant me vo behosh ho gaya.
surang me behosh pade Vikas ke jism me ek jordaar thokar maari usne, bina kisi cheekh ke Vikas ka jism kisi laash ki tarah palat gaya, fir bijli se chal rahe

kisi putle ki tarah Vijay ghoomkar Ashraf aadi se bol," koyi tarkeeb dimaag me aayi "
Ashraf ne ek najar apni kalaayi me bandhi wristwatch par daali," abhi 7 baje hai Vijay, do-dhaai ghante se pehle kisi ko pata nahi lagega ki Kohinoor chori

ho chuka hai aur is beech me hum Bond ke transmitter ka istemaal Britain se baahar niklane ke liye kar sakte hai "
" v..very good " kehte huve Vijay ne apni ungli se Bond ki angoothi nikaali.

----------------------------------------

" kisne maara hai ishe, kis haramjaade ne maara hai meri Irvi ko, bolo " paaglo ki tarah chillate huve Alfaanse ne ek naukar ke jabde par ghoonsa maara to ek

lambi cheekh ke saath vah peeche jaa gira, magar uski parvaah kiye bina Alfaanse dusre naukar ki taraf jhapta, dono haath se uska girahbaan pakadkar ushe

buri tarah jhinjhodta hua gurraya," tu bol...tu bol kutte ki Irvi ko kisne maara hai "
" I..Irivin memsahab ko...usne apna naam Vikas bataya tha sahab "
" V...Vikas " apni poori shakti ke saath cheekhne ke baad vah shaant ho gaya, kuch aise andaaj me jaise ushe koyi jabardast shock laga ho.
chaaro taraf sannata khinch gaya, maut ka sannata.
beech me Irvin ki laash padi thi.
laash ke chaaro taraf ek bheed thi, pados ke logo ki, nauakro aur police ki bheed, Alfaanse ke us roop ne jisme vo is waqt najar aa raha tha, sabhi ko

kanpkapakar rakh diya tha.
koyi buri tarah ufanta jwalamukhi sa dikhaayi de raha tha Alfaanse, uske is roop ko dekhkar un police vaalo ki bhi taange kaanp rahi thi jinhe ishi ghar ke

kisi naukar ne phone karke bulaya tha. chaaro taraf khade logo ke chehre Irvin ke chehre ki tarah ekdum fakk aur nistej najar aa rahe the.
Alfaanse punah gurraya," tum kaha the, mai poochta hu ki tum us waqt kaha the kutto "
" y...yahi the sahab, usne darvaaja andar se band kar liya tha, hum darvaaja peet-te rahe, tabhi humne suna tha ki vah Vikas tha "
uska girahbaan chhodkar Alfaanse gurraya," us jaleel kutte ko koyi nahi rok saka "
sannata.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

Alfaanse laash ki taraf ghooma.
uff, chehra theek kisi patthar ke koyle jaisa lag raha tha.
kaala aur khurdura.
aankhe yu bhabhak rahi thi jaise angaare dahak rahe ho.
dekhne vaalo ke jism me jhurjhuri si doud rahi thi.
Alfaanse laash ki taraf badha, foolti-pichakti jabdo ki muscles spasht najar aa rahi thi, laash ke sameep apne dono ghutne farsh par rakhkar baith gaya vah.
haath aage badha.
daaye haath ka angootha Irvin ke khoon me dooba fir is angoothe ne Alfaanse ke mastak par khoon ka teeka kiya, munh se kisi hinsak bhediye ki si gurrahat

nikli," agar tune mujhe patni ke roop me ek kshan ke liye bhi kuch diya hai, agar maine kisi ek kshan ke liye bhi ye mehsoos kiya hai Irvi ki mai tumse pyar

karta hu to mai us kshan ki kasam khaata hu ki mai tere us hatyaare ka khoon pi jaaunga, Vikas ki boti-boti kaatkar cheel-kovo ko khila dunga, agar maine

teri maut ka badla nahi liya to mujh par dhikkar hai Irvi, dhikkar hai mujh par, Alfaanse ki bivi ke khoon se haath rangne vaala vah jaleel kutta is kshan ke

baad jitni bhi saanse lega utni hi baar dhikkar hai mujh par, uske aur uske himayatiyo ki khoon ki nadiya baha dega Alfaanse "
aisa mehsoos ho raha tha jaise ki vaha behti huyi hava bhi kaanp rahi ho.
sehamkar ve makkhiya bhi shaant ho gayi jo jakham par ikhatti ho gayi thi.

-------------------------------

transmitter on karke mr. M ne kaha," hello, M here "
" 007 reporting sir " dusri taraf se aawaj ubhri.
" yes, report do Bond, kya raha "
" maine in chaaro ko apne kabje me kar liya hai sir "
M ne poocha," kya unme Vikas bhi hai "
" yes sir "
" kya tum jaante ho Bond ki Vikas ne Irvin ki hatya kar di hai "
" haan, mai jaanta hu magar ye soochna aap tak kaise pahuchi ki Irvin ki hatya Vikas ne ki hai "
" saare London me ye hava hai, kehna chahiye ki London ka bachha-bachha ye keh raha hai ki Irvin ki hatya Vikas ne ki hai, aur sunte hai ki Alfaanse ne

apne mastak par Irvin ke khoon se teeka karke Vikas se Irvin ki mout ka badla lene ki kasam khaayi hai "
" ye sab mai jaanta hu sir aur isliye chahta hu ki filhaal Vikas ko Alfaanse ke supurd na kiya jaaye, agar ye mar gaya to vishv ke saamne Bhaarat ki pol

kholne ka hamara khvaab, khvaab hi reh jaayega "
" ab tumhaari yojna kya hai "
" in chaaro ko ek vimaan me baandhkar mai London ke chakkar lagana chahta hu "
" isse kya hoga "
" duniya ko sabak milega ki avaidh roop se Britain me ghusne vaale videshi jasooso ko Bond kya saza deta hai, mai saari duniya ko dikha dena chahta hu

cheif ki James bond ke mulk me jurm karna videshi kutto ko kitna mehanga padta hai, aap ek ghante me ek vimaan secret service ke gupt airport par pahucha

de, inhe lekar mai vahi pahuch raha hu "
" ok Bond, jaisa tum chahte ho, vaisa ho hoga "
" indhan se vimaan ki tanki full kara dijiyega " is vaakya ke turant baad dusri taraf se sambandh vichhed kar diya gaya.

----------------------------------------

secret service ke gupt airport ki jaankaari Vijay ko pehle se hi thi, us waqt kareeb 8 baje the, jab ek car is airport ke runway par ruki, yaha ye likh dena

aavashyak hai ki ye car chori ki thi aur Bond ke makeup me ishe yaha tak chalakar Vijay hi laaya tha.
car ke rukte hi junior jasooso ne darvaaja khola.
Bond ke se andaaj me hi Vijay baahar nikal aaya, ek najar usne run-way par khade vimaan par daali. ek junior se usne prahan kiya," tanki full hai na "
" yes sir "
" ve chaaro gaadi me pade hai, behosh aur bandhe huve, inhe gaadi se nikalkar vimaan ke paas le jaao aur is tarah baandh do ki jab vimaan hava me ude tab

dekhne vaalo ko vimaan ke saath-saath ye bhi hava me tairte najar aaye "
" ok sir " kehne ke baad junior badi tatparta ke saath apne kaam me jut gaye, gaadi ke andar sachmuch hi Vikas, Aasha, Ashraf aur Vikram behosh bandhe

pade huve the.
Vijay tej kadmo ke saath vimaan ki or badh gaya, seedhiya tay karke vah andar pahucha, vaha ek pilot, do uske helper aur do paricharikaaaye maujood thi,

un sabhi ne sainik dhang se Bond ko salute maara, Bond ne kaha," dono paricharikaaye aur helper bhi neeche chale jaaye, vimaan ko keval hum khud aur ek

pilot sambhaalega, quick "
aadesh hote hi ve vimaan se baahar chale gaye.
juniors ne apna kaam poora karne me keval 15 minute liye the, unki taraf se sanket milte hi Vijay ne button daba diya.
seedhiya simat gayi, darvaaja band.
aadesh hote hi pilot ne vimaan start kiya aur kuch hi der me vo hava me parvaaj kar raha tha, vimaan me bandhi rassiyo ke antim sirey par chaaro behosh

jism jhool rahe the.

-------------------------------

ascharya me dooba har ek Londonvaasi chehra upar uthaaye hava me parvaaj kar rahe us vimaan ko dekh raha tha, jiske saath-saath 4 insaani jism hava me

lehraate najar aa rahe the, vimaan ki chaar khidkiyo se chaar rassiya bandhi huyi thi.
do baaye, do daaye.
in chaar rassiyo par chaar jism bandhe huve the, log apne gharo ki chatt par khade hokar is vimaan ko dekh rahe the, kaash ve is vimaan ke andar ke drishya

ko bhi dekh sakte.
London ka ek chakkar lagaane tak Vijay kuch nahi bola tha lekin jaise hi pilot ne dusra chakkar lagaane ke liye vimaan modna chaha, Vijay ne jeb se revolver

nikalkar pilot ki kanpatti par rakh diya, bola," bas pyaare, ab bigdi huyi patang ki tarah chakraana chhodo.
pilot uchhal pada kyonki ye aawaj Bond ki nahi thi.
ye mehsoos karte hi uski sitti-pitti gum ho gayi ki ek revolver uski kanpatti par rakha hua hai, boukhlahat me uske munh se nikla," k..kya matlab, aap koun

hai "
" hum kaale chor hai pyaare, vimaan ko seedhe Bhaarat le jaane vaale raaste par daal do varna ek hi goli me tumhaari ye khopdi tarbooj ki taraf fat jaayegi "
marta, kya na karta.
ushe kya maalum tha ki revolver bilkul khaali hai.
Vijay ke aadesh par vimaan bilkul uncha aur uncha uthta chala gaya aur saath hi badhti chali gayi uski raftaar, udhar Ashraf, Vikram, Vikas aur Aasha

vaastav me behosh the kintu un sabhi ke haath is tarteeb se baandhe gaye the ki hosh me aane par umne se koyi bhi aasaani se khol sakta tha.
sabse pehle hosh aaya Vikram ko.
hava ke tej jhakkado ke beech usne khud ko tairte paaya aur khud ko is avastha me paate hi vah samajh gaya ki Vijay ki yojnapoori tarah safal ho gayi hai.
atah ye vimaan is waqt Vijay ke kabje me hai aur Bhaarat ki taraf badh raha hai, pehle se hi tay tha ki sabse pehle hosh me aane vaale ko kya karna hai aur

ushi ke anusaar Vikram ne sabse pehle apne haath swatantra kiye aur tej jhakkado ke beech us rassi par chadhne laga jiske jariye ushe us vimaan se baandha

gaya tha.
ye kaam aasaan nahi tha, ek saadharan vyakti ko asambhav hi mehsoos hoga parantu secret service ke prateyek agent ko is kism ke saahsik kaaryo ka

paryaapt parshikshan diya jaata hai, atah Vikram ke liye ye kaam kathin jaroor tha lekin asambhav nahi tha.
rassi bahut jyada lambi nahi thi, fir bhi vimaan ki khidki me pahuchne me ushe 30 minute lage, khidki ke raaste se andar aate hi usne khud ko rassi se mukt

kar liya.
fir ek-ek karke usne Ashraf, Aasha aur Vikas ko bhi vimaan me kheench liya.

us waqt dopahar ka ek baja tha jab Bond ne mehsoos kiya ki surang ke dusre sirey se is taraf kuch log aa rahe hai aur ye dekhkar uski aankho me chamak

ubhar aayi ki aane vaale secret service ke teen jasoos aur swayam mr. M hai.
M ke aadesh par uske bandhan khole gaye, munh se tape hataya gaya, ajeeb se paschataap bhare swar me M ne kaha," hame afsos hai Bond, sachmuch hum

bahut bada dhokha khaa gaye "
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

" maine to pehle hi kaha tha sir ki Vijay kisi bhi aawaj ki hubahu nakal karne me maahir hai, khair, ab ye bataiye ki aap yaha kaise pahuche "
" kuch hi der pehle us vimaan ka pilot louta hai jishe tumhaare makeup me Vijay ne ek prakaar se kidnap kar liya tha, ushe Bhartiya jasooso ne hi bataya ki tum yaha kaid ho "
" vah itni jaldi lout kaise aaya "
" Bhartiya jasoos ushe Bhaarat tak nahi lekar gaye, British seema paar karte hi ve paancho parachute ki sahayata se neeche kood gaye the aur unke vimaan

chhodte hi pilot vaapis aa gaya tha "
" ve bahut chalaak hai sir, vimaan ko yadi Bhaarat tak le jaate to ye spasht ho jaata ki ve Bhartiya the, ab hamare paas unhe Vijay group saabit karne ke liye

koyi saboot nahi hai "
" jo kuch hua Bond, hame to vah abhi tak bhi ek swapan sa lag raha hai, hum soch bhi nahi sakte the ki tum yaha kaid pade ho aur transmitter par unhone

hame ek baar nahi balki do-do baar dhokha diya, ve na sirf Irvin ka katl karke Britain se nikal gaye balki Kohinoor bhi le gaye "
" aapko kaise pata ki Kohinoor Vijay group ne churaya hai "
" Kohinoor ke chori hote hi unke is tarah Britain se nikal jaane se hi jaahir hai "
feeki si muskaan ke saath Bond ne kaha," yaani ki ye aapka anumaan hai "
" kya galat hai "
M ke is sawaal ka Bond ne ekdum se koyi jawaab nahi diya tha, bola," kya aapko ye jaankaari hai ki Alfaanse is waqt kaha hai "
" ushe logo ne antim baar Irvin ki laash ke paas Vikas se badla lene ki kasam khaate dekha tha aur tabhi se vah gaayab hai, koyi nahi jaanta ki vah kaha gaya "
" ye jaankar aapko ascharya hoga ki Kohinoor ka asli chor Alfaanse hai "
" k..kya keh rahe ho tum " mr. M uchhal pade.
jawaab me jab Bond ne unhe saara kissa sanshep me sunaya to ve ascharya ke saagar me gotey lagaane lage.
ye baat shayad unki kalpana me bhi nahi thi ki Kohinoor ko Singahi le gaya hai.

-------------------------------------

Bhartiya jasooso ki vah team raat ke 2 baje Rajnagar pahuchi, apni kothi par pahuchte hi Vijay ne black boy ko phone kiya, dusri taraf se receiver ke uthte hi

Vijay bola," hello pyaare kaale ladke "
" s..sir aap " black boy ki chounki huyi aawaj aayi," aap kaha se bol rahe hai "
" apne doulatkhaane se "
" oh, iska matlab aap aa chuke hai, Kohinoor prapt karne ke liye badhaayi sir, lekin ye mai kya sun raha hu, kya Vikas ne sachmuch Irvin ki hatya kar di hai "
black boy ke munh se uprokt vaakya sunkar Vijay chounk pada, bola," kya matlab pyaare, tumhe ye sab kaise maalum "
" Britain me stith Bhartiya jasooso ne report bheji hai sir "
" kya "
" yahi ki Britain me aaj saare din do hi khaas charchaaye rahi, pehli ye ki Kohinoor ko chura liya gaya hai aur dusri ye ki Bhartiya jasoos Vikas ne Irvin ki

hatya kar di hai "
" kya Kohinoor ki chori se bhi hamara naam joda jaa raha hai "
" filhaal to report me aisa kuch nahi hai "
" to fir tumne hame Kohinoor haasil karne ki badhaayi kaise de di "
" ishi maksad se aap poori team vaha lekar gaye huve the, ye sunte hi ki Kohinoor chori ho gaya hai mere liye ye samajhna nitaant aasaan hai ki aap safal ho

gaye hai aur fir vaha chori hote hi aapki yaha maujoodgi jaahir karti hai ki aap safal hokar swadesh lout aaye hai "
" is baar tumhaara khayaal bilkul galat hai kaale ladke "
" kya matlab sir "
" hamare haath koyi Kohinoor nahi laga hai balki berang lifafe ki tarah loutkar aaye hai hum "
" kya keh rahe hai aap "
" katha jara lambi hai meri jaan, aamne-saamne baithkar hi shlok padhe jaaye to uchit rahega, tum ishi waqt gupt bhavan pahucho, hum bhi pahuch rahe hai

"
is prakar 30 minute baad ve gupt bhavan me mile.
Vijay ne sanshep me sab kuch ushe bata diya.
sunkar black boy ke chehre par chakit reh jaane vaale bhaav ubhar aaye the, bola," ye to bahut bura hua sir, Kohinoor Singahi ke haath lag jaana khatarnaak

hai, ab vah ushe cash karega aur fir ushi doulat ke aadhaar par bahut sheeghra hi duniya ke liye ek bada khatra bankar ubhrega "
" vah to jab ubhrega tab dekha jaayega pyaare, filhaal hamare saamne chacha se jyada bada khatra bankar apna lumad ubharne vaala hai "
" kyo "
" Irvin ki hatya jo kar di hai bevkoof diljale ne "
" kya vah hatya sachmuch Vikas ne hi ki hai sir "
Vijay ne bahut hi sanshipt sa uttar diya," haan "
" m..magar kyo, isse Vikas ko kya laabh hua "
" darasal is abhiyaan par humne Vikas ko lejaakar hi bhool kar di thi, saare abhiyaan me mushkil se ushe uske atpate dhang se kaam karne se rokte rahe,

parantu antim kshano me hame dhokha dekar vah surang se nikal hi gaya aur us thode se samay me hi jo teer usne maara, vo tumhaare saamne hi hai, jara

socho, jo lumad hamare munh se Irvin ke liye ek apshabd na sun saka, kya vah Irvin ke hatyaare se badla liye bina chain se baithega "
" yadi ye baat sach hai sir to vaakayi Alfaanse aur Vikas ke beech me hamesha ke liye dushmani bandh gayi hai aur sheeghra hi Alfaanse mout bankar Vikas ke sir par mandraayega "
" isliye to hame dum dabakar Britain se bhaagna pada hai pyaare, yadi Vikas ne vah bevkoofi na ki hoti to hum chacha tak pahuchne ki koshish karte, lumad

bhi hamari tarah chacha ka sataya hua hai atah chacha tak pahuchne me uski madad bhi hame mil sakti thi, lekin Irvin ki mout ne to saara maamla hi ulta

kar diya, humne socha ki yadi hum Kohinoor ke chakkar me rahe to kahi aisa na ho ki lumad apne diljale ka hi kriyakaram kar de, so hum vaha se nikal

aaye "
" kya Vikas ne Britain se loutne me koyi adchan nahi daali "
" Britain se baahar laghbhag hum ushe jabardasti hi laaye the, vimaan me, hosh me aane ke baad fir vahi bakre ki teen taang vaala raag alaapne laga, kehne

laga ki Singahi se Kohinoor liye bina vah Bhaarat vaapis nahi loutega, humne, jhaanjharokhe, gogiyapaasha aur vikramaditya ne milkar aedi-choti ka jor

lagaya tab kahi jaakar uske dimagi pinjare me ye baat thoons sake ki apni jaan Kohinoor se jyada keemti hai, Kohinoor ke chakkar me yadi lumad ne ushe

lapak liya to ram naam satya ho jaayega, tab kahi jaakar ushe yaha tak laane me kaamyaab huve hai "
" is waqt vah kaha hai "
" baaki teeno ki tarah apni kothi par chala gaya hai "
" l...lekin sir, kya ab aap ushe surakshit samajhte hai "
" yadi ushe surakshit samajhte pyaare to raat ke is waqt na to hum khud pareshaan hote aur na hi tumhe karte "
" mai kuch samjha nahi sir "
" jo kuch hua hai, haalanki us sabko Vikas abhi gambheerta se nahi le raha hai, magar hum achhi tarah se samajh rahe hai ki ye maamla kitna serious hai.

hamara khayaal hai ki lumad ko bahut jald Rajnagar me dekha jaayega "
" kis maksad se "
" diljale se badla lene ke liye aayega vah yaha, balki kehna chahiye ki diljala jaha bhi hoga, lumad bhi vaha pahuch jaayega. Irvin ki mout ka badla liye bina

chain se nahi baithega vah "
black boy ke chehre par chinta ki lakeerein ubhar aayi, bola," aise haalaat me hame kya karna chahiye sir "
" us bevkoof ladke ki hifajat karna hamara farz hai "
" m..magar ye hifajat hame kis tarah karni hai sir "
" theek ushi tarah, Abhimanyu ke hatyaare ki hifajat jis tarah kouravo ne ki thi. haalaat kuch vaise hi hai kaale ladke, apne lumad ko tum Abhimanyu ki

mout par bhadka hua Arjun hi samjho, Jaydrath ke ird-gird aisa jaal bichaya gaya tha jishe saare din ke yuddh ke baaad bhi Arjun tod nahi paaya tha, kuch

vaisa hi jaal hame apne diljale ke chaaro taraf bichana hoga "
" to fir kyo na hum Vikas ko dhokhe se yaha bulakar death house me kaid kar le "
" hame aisa nahi karna hai "
" kyo sir, isme kya buraayi hai "
" buraayi ye hai pyaare ki agar humne aisa kiya to hamara lumad kabhi bhi Vikas tak nahi pahuch paayega aur na hi apna diljala uski chunauti ka saamne

kar sakega "
" yahi to hum chahte hai sir "
" hum ye nahi chahte "
" fir "
" hum chahte hai ki hum sab Vikas ko lumad se bachaane ki bharpoor koshish kare, magar bacha na sake, lumad ko khatam karne ki purjor koshish kare magar safal na ho sake "
black boy ki buddhi ghoom gayi, bola," aapke in atpate vaakyo ka arth meri samajh me nahi aa raha hai sir, kya aap Alfaanse ke haatho se Vikas ka ant kara

dena chahte hai "
" haan "
" s..sir "
" saara jaal hame ishi uddeshya ko lekar bichana hai, najar aaye ki koyi koshish aisi nahi thi jo humne istemaal na ki ho, magar Vikas bach na sake "
black boy kuch is tarah Vijay ko dekh raha tha jaise uske sir par achanak hi seeng ug aaye ho.

-------------------------------------

agle din.
BBC ne apne subah ke bulletin me dono khabre pramukhta se di, Kohinoor se sambandhit bhi aur Irvin se sambandhit bhi, Kohinoor ke sambandh me BBC ne

keval itna hi kaha ki duniya ka khoonkhartam apraadhi Singahi Kohinoor ko chura le gaya hai, bulletin me ye bhi kaha gaya ki 'Singahi bahut dino se

Kohinoor ko churaane ke liye prayatansheel tha, uske alawa kuch videshi jasooso ka bhi yai prayatan tha, jaanch shuru ho gayi hai aur saboot milne par hi ye duniya ke saamne spasht kiya jaayega ki ve jasoos kis desh ke the'.
Irvin ke sambandh me praasarit kiya gaya 'soochna mili hai ki Britain ke naye aur sarvaadhik charchit naagrik Alfaanse ki patni Irvin ki kisi ne hatya kar di
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


hai, kuch chashmdeed gavaaho ke mutabik ye hatya Bhartiya Vikas ne ki hai, Alfaanse ne Irvin ke khoon ka teeka apne mastak par lagakar Vikas se badla lene ki kasam khaayi hai aur tabhi se Alfaanse Britain se gaayab hai, saath hi Irvin ke tan se vah night gown bhi gaayab hai jo usne us waqt pehan rakha tha jis waqt uski hatya ki gayi, kaafi talaash ke baad bhi abhi tak Alfaanse ko nahi khoja jaa saka hai "
BBC ke dwara in do samachaaro ke prasarit hote hi jaise saare vishv me tahalka mach gaya, har ek ki jubaan par yahi do baate thi, yahi charcha, yatr, tatr,

sarvatra.

--------------------------------------

BBC par prasarit hone vaala bulletin Raina aur Raghunath ne ek saath suna tha aur sunte hi unke chehra fakk pad gaye the, chounk kar unhone

avishvasneeya najro se ek-dusre ki taraf dekha tha, chehro par havaiya ud rahi thi, dil jor-jor se dhadhakne lage.
chahkar bhi ve kaafi der tak apne munh se koyi aawaj na nikaal sake the, Raina se pehle Raghunath ne hi khud ko sambhala, uske munh se fansi-fansi si

aawaj nikli," R...Raina "
" y...ye humne kya suna hai praannath "
" V..Vikas ne Irvin ki hatya... "
" n..nahi " paaglo ko tarah Raina apni smapoorn taakat se cheekh padi," aisa nahi ho sakta, mera Vikas aisa nahi kar sakta, y..ye radio jhooth bolta hai "
" m..magar vah kareeb ek mahine me raat ko aaya hai "
" V..vikas, Vikas " paaglo ki tarah cheekhti huyi Raina Vikas ke kamre ki taraf doudi, Raghunath uske peeche lapka, cheekhti huyi vah Vikas ke kamre me pahuchi.
ushe is avastha me dekhkar Dhanushtankaar chounk pada.
Vikas abhi tak soya pada tha.
Raina ne buri tarah ushe jhinjhoda, fir cheekhi," Vikas, Vikas "
ladka hadbadakar utha.
dono haatho se uska girahbaan pakadkar ushe jhinjhodti huyi Raina cheekhi," kaha gaya tha tu, bol, pichhle ek mahine se tu kaha tha, jaldi bata "
" ajeeb baat kar rahi ho mummy, raat jab aaya tha tab bataya to tha ki mai Kashmeer gaya tha "
" jhooth " Raina beech me hi cheekh padi," tune jhooth bola tha "
" kaisi baat kar rahi ho mummy, tumse bhala jhooth kyo bolunga "
Raina ne gurrakar poocha," kya London nahi gaya tha tu "
Vikas ke mastishk ko jhatka sa laga, kuch bol nahi saka vah, aawak sa apni maa ki taraf dekhta reh gaya, jabki Raina punah cheekhi," bol, jawaab de "
" t..tumse ye kisne kaha "
" radio ne, BBC se prasarit hone vaale bulletin ne "
" b...bulletin "
" haan, sach bol Vikas, bilkul sach bata, kya tune Irvin ki hatya ki hai "
ladke ke dimaag ko ek aur teevra jhatka laga, bola," BBC se prasarit hone vaale bulletin me kya kaha gaya hai "
" ye ki tu London me tha, ye ki tune Irvin ki hatya ki hai aur ye ki Alfaanse bhaiya ne apne mastak par Irvin ke khoon se teeka karke tujhse badla lene ki kasam khaayi hai "
ekdum kuch nahi bol saka Vikas, aankho me soonapan sa liye Raina ko dekhta raha vah, jabki paaglo ki tarah ushe jhinjhodti huyi Raina ne apna sawaal punah dohra diya aur is baar ladke ne gambheer swar me kaha," haan mummy, ye sab sach hai "
" V...Vikas " cheekhne ke baad vah ekdum is tarah sthir ho gayi jaise sangmarmar ki murti ban gayi ho, jabardast shock laga tha uske dil ko.
Raina aawak si khadi reh gayi, aankhe pathra si gayi thi.
palke jhapkaana bhool gayi thi vah.
vaha sannaata chaa gaya tha, mout ka sannaata.
kuch Raina jaisi hi avastha Raghunath aur Dhanushtankaar ki bhi thi, Raina ko yu murti ki si avastha me khade reh jaata dekhkar Vikas dar gaya, bed se uthkar usne Raina ke dono kandhe pakde aur jhinjhodta hua cheekha," m..mummy, mummy "
Raina ki tandra bhang huyi to jaise koyi baandh toot pada ho, buri tarah se ro padi vah, fafak-fafak kar roti huyi boli," ye tune kya kiya Vikas, ye tune kya kiya "
" m..meri baat suno mummy please, meri baat suno "
" bol "
" crimer uncle drama kar rahe hai, ve Irvin se bilkul pyar nahi karte the "
" kya matlab "
" mai sach keh raha hu mummy, unhone ek khaas maksad se Irvin se shaadi ki thi, ek aise maksad, aise shadyantra ke tahat, jisme yadi ve kaamyaab ho jaate to hamare desh ka bahut bada nuksaan ho jaata, unka vah maksad Irvin ke jeevit rehne se hi poora hona tha isliye maine ushe khatam kar diya, yakeen maano mummy, crimer uncle ke man me Irvin ke liye vaisi koyi bhaavna nahi thi jaisi saadharantaya pati ke man me patni ke liye hoti hai "
" yadi aisa tha to tujhse badla lene ki kasam kyo khaayi hai unhone "
" yahi mai nahi samajh paa raha hu "
" t..tu jhooth bolta hai, hatyara hai tu, paapi, ye sab tu apne gunaah par parda daalne ke liye keh raha hai, aisa beta mujhe nahi chahiye, Alfaanse bhaiya se pehle mai hi tujhe maar daalungi " cheekhne ke baad paaglo ki tarah usne apne chaaro taraf dekha, kuch aise andaaj me jaise Vikas ko maar daalne ke liye kisi cheej ki talaash kar rahi ho aur fir ek kone me pade Raghunath ke rule par uski nigaah padi, vah baaj ki tarah us rule par jhapti.
isse pehle ki koyi kuch samajh paata, rule haath me liye Raina Vikas par toot padi, ek maa ki tarah nahi balki jaani dushman ki tarah Vikas ko maarne lagi vah.
" m..meri baat suno mummy please, meri baat to suno " Vikas cheekhta hi raha magar Raina par jaane kaisa junoon sawaar hua tha ki usne Vikas ki ek na suni.
ushe maarti hi chali gayi vah, Raghunath aur Dhanushtankaar kinkartavyavimudh se sabkuch dekhte hi rahe.
Raina tab tak Vikas ko maarti rahi jab tak ki vah behosh na ho gaya, fir jaar-jaar roti huyi Raina ne rule jor se fenk kar kamre ke farsh par maara, fir doudi aur Raghunath ke seene se lipat kar ek maa ki tarah ro padi.
Raghunath ne baaho me bhar liya tha ushe.
Raghunath ke saath hi Dhanushtankaar ki aankhe bhi bhar aayi thi, Raina ke sir par haath ferte huve usne ushe saantavna di, jab Raina saamanya huyi to boli," ab kya hoga praannath, Alfaanse bhaiya mere bachhe ko chhodenge nahi "
" tum itni kyo darti ho pagli, ek mujrim ke liye supritendent ke bete tak pahuch jaana kya itna aasaan hai, mai aisa kabhi nahi hone dunga "
" m..mai Alfaanse bhaiya ko achhi tarah se jaanti hu, saari duniya ki police milkar bhi aaj tak unhe kahi pahuchne se nahi rok saki hai. aisa koyi abhiyaan nahi hai jisme unhone kaamyaab hona chaha ho aur na ho sake ho, apne dushman ko vo paataal se dhoondhkar bhi khatam kar dete hai aur fir Vikas ne to unki patni ka katl kiya hai "
" ghabraao mat Raina, hum jaroor kuch karenge "
" magar mere bachhe ko bacha lo please, mere laal ko bacha lo praannath "
" t..tum itni kyo dar rahi ho Raina, kya tumhe hum par vishvaas nahi, mai hu, thakur sahab hai, Rajnagar ki poori police force hai, Vijay hai "
Vijay ka naam sunte hi Raina ne apna aansuo se tar chehra upar uthaya, aisa mehsoos kiya jaise is ekmaatra naam ne uske antar me kahi aasha ki ek kiran jaga di ho, boli," V..Vijay, haan, aap jaldi se Vijay bhaiya ko phone kijiye, vahi kuch kar sakte hai "
Raina ko aahista se apne se alag karke Raghunath phone ki taraf badh gaya, receiver uthaane ke liye usne abhi haath badhaya ki tha ki phone ki ghanti ghanghana uthi.
Raghunath ne receiver uthakar kaha," hello "
dusri taraf se thakur sahab ki aawaj ubhri," ye hum kya sun rahe hai Raghunath "
" oh, sir aap, good morning "
" morning, kya tumne BBC ke subah ke bulletin sune hai "
" y..yes sir "
" kya kaha hai unme " thakur sahab ne poocha," humne bulletin nahi suna hai, lekin kuch der pehle kisi ne hume phone par bataya ki bulletin ke mutabik Vikas ne Irvin ki hatya kar di hai aur... "
" v..vah sab sach hai sir "
" k..kya "
" y..yes sir, Vikas ne khud sweekar kiya hai ki usne Irvin ki hatya ki hai "
" magar kyo "
" uska kehna hai ki Irvin ki madad se Alfaanse Bhaarat ke khilaaf koyi shadyantra rach raha tha aur us shadyantra ko vifal karne ke liye hi usne Irvin ki hatya kar di "
" is waqt Vikas kaha hai "
" apne kamre me, behosh pada hai sir, Raina ne gusse me ushe bahut maara hai "
" hum pahuch rahe hai Raghunath " in shabdo ke saath hi dusri taraf se sambandhvichhed kar diya gaya, tatkaal Raghunath ne Vijay ka number dial kar diya.

----------------------------------

secret service se sambandhit yaani us phone par jiska number kisi directory me nahi hai, usse black boy se baate karke Vijay ne receiver abhi rakha hi tha ki vaatavaran phone ki ghanti se ghanghana utha, Vijay us taraf badhta hua badbadaya," ye lo pyaare, ho gaya chakkar shuru "
receiver uthaate hi Vijay ne kaha," hello, director of paagalkhaana speaking "
" mai bol raha hu Vijay, Raghunath "
" kahiye, kis number ke paagal se milna hai "
" kya tumne kuch hi der pehle prasarit hone vaala BBC ka bulletin suna hai Vijay "
" ji haan, usme kisi Vikas naam ke paagal ka jikr kiya gaya tha "
" please Vijay, majaak chhodo, us sab ko sunkar Raina bahut ghabra gayi hai, Vikas ko usne itna maara hai ki vo behosh ho gaya hai, tum yaha aa jaao, Raina ko sirf tum par vishvaas hai, vah samajhti hai ki Vikas ko Alfaanse se keval tum hi bacha sakte ho "
" hum pahuch rahe hai pyaare " kehne ke saath hi usne receiver rakh diya aur phone ke paas se seedha jump bathroom me lagayi.
Vijay taiyaar hokar jab Raghunath ki kothi par pahucha to porch me khadi thakur sahab ki gaadi ko dekhte hi uska maatha thanka.
gaadi ke kareeb hi thakur sahab ke shashastra guard khade the.
ab Vijay ke liye ek aawara ladke ki acting shuru karni jaroori thi, so, car se baahar nikalte hi usne darvaaja itni jor se band kiya ki uski aawaj saari kothi me goonj gayi.
Vijay ne chaabi ka challa ungli me daala tatha kisi aawara ladke ki tarah seeti bajata hua aage badha.
thakur sahab ke guard jaante the ki ye I.G. thakur sahab ka putra hai, isliye ve khaamoshi ke saath ushe dekhte maatr rahe.
itna hi nahi balki unke kareeb se gujarte waqt Vijay ne aankh bhi maari.
guard sakpaka gaye, unhe sakpakata hi chhodkar Vijay apne ushi andaaj me gallery paar karke kamre me daakhil ho gaya aur kamre me kadam rakhte hi vah is prakaar sakpaka gaya jaise pehli baar samjha ho ki yaha thakur sahab bhi maujood hai.
seeti bajani ekdum se band kar di usne, fir sofe par baithe thakur sahab se bola," paay laagu baapu jaan "
thakur sahab ne kuch nahi kaha, aagney netro se sirf ushe dekhte rahe, jabki ushe dekhte hi Vijay bhaiya kehti huyi Raina usse aa lipti, Raina ki haalat vaakayi kharaab thi, boli," Alfaanse bhaiya se Vikas ko tum hi bacha sakte ho Vijay bhaiya, Alfaanse bhaiya ko sirf tumhi samjha sakte ho "
Vijay ne murkho ki tarah gardan akdakar kaha," kaha hai vo mardood "
" k..koun "
" lumad "
" vah yaha kaha hai "
" to fir samjhaaye kishe "
" ye badtameej hai aur hamesha badtameej hi rahega " ufankar ek jhatke ke saath khade hote huve thakur sahab cheekh pade," ishe yaha kisne bulaya hai Raghunath "
" m..maine " Raina keh uthi.
gusse ki jyadti ke kaaran keval kaanpkar reh gaye thakur sahab, bole," tum bhi bahut pagli ho Raina beti, ye naalayak bhala kya kar sakega, sab kuch ishi kato kiya-dhara hai "
" hamara, humne kya kiya hai daddy pyaare "
" tumhi ne Vikas ko bigada hai, tumne aur us antarrashtriya mujrim ne is chote se bachhe ko aise-aise khatarnaak kaamo me daksh kar diya hai ki vah apni umra se bahut jyada badhkar jaane kya-kya sochne aur karne laga hai, ab sambhaalo is musibat ko "
" sambhaal lenge " Vijay ne seena taankar kaha.
uske kehne ka andaaj hi itna bhadda tha ki thakur sahab khud ko sambhaal na sake, daant peeste huve ve Vijay ki taraf badhe hi the ki aage badhkar Raina ne unhe rok liya, roti huyi haath jodkar vah boli," p..please daddy, is waqt gussa na kijiye, shaanti se baithkar is musibat se niklane ka raasta khojne ki jaroorat hai jisme Vikas ne khud ko fansa liya hai "
thakur sahab ye maanne ko taiyaar nahi the ki is maamle me Vijay kuch kar sakta hai, magar fir bhi Raina ke anurodh par vo Vijay ki upastithi ko yaha sahan karne ke liye taiyaar ho gaye.
ve sab us kamre me pahuche jaha Vikas abhi tak behosh pada tha.
ushi kamre me, gumsum sa Dhanushtankaar ek kursi ke hatthe par baitha sigaar me gehre-gehre kash laga raha tha, Vijay aur thakur sahab ko dekhte hi usne charan sparsh kiye.
Vijay ne aadesh diya," diljale ko hosh me laao gaandiv pyaare "
Dhanushtankaar bathroom se ek jug paani le aaya.
ishi beech Raghunath ne BBC ka bulletin sunne se lekar Vikas ke behosh ho jaane tak ki saari ghatna Vijay ko sanshep me suna di thi, Vijay chupchaap sab

kuch sunta raha.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

Vikas ho hosh aaya.
halki-halki si karahe nikalne lagi uske munh se, rule ki choto se uska saara badan dukh raha tha, kayi jagah pade huve neel bilkul saaf dikhaayi de rahe the.
unhe dekhkar Raina ki aankhe bhar aayi, apni hi berahami par glaani si huyi ushe, jabki aage badhkar Vijay ne Vikas ko farsh se uthakar bed par lita diya.
kuch der baad usne aankhe kholi.
thakur sahab bed par uske sameep hi baith gaye aur Vikas ke sir par bade pyaar se haath ferte huve unhone poocha," sach batao bete, kya tumhi ne Irvin ki

hatya ki hai "
Vikas ne sweekriti me gardan hilaayi.
" kyo "
" vo ek Bhaarat virodhi shadyantra rach rahe the "
" kya shadyantra tha vah "
Vikas ne ek baar Vijay ki taraf dekha, bola," vah mai nahi bata sakta "
" kyo " chounkte huve thakur sahab ne poocha.
" mai is sawaal ka jawaab bhi nahi de sakta "
" jawaab to tumhaare baap ko bhi dena padega diljale " aage badhkar uske najdeek pahuchkar Vijay gurraya," tum London kyo gaye the "
" soory uncle, is baare me mai kuch nahi bata sakta "
Vikas aur Vijay milkar ye saara drama thakur sahab, Raina, Raghunath aur Dhanushtankaar ke saamne isliye kar rahe the kyonki ve in logo ko haqikat nahi

bata sakte the.
nahi bata sakte the ki ve dono hi Bhartiya secret service se sambandhit hai, ye bhi nahi bata sakte the ki dono hi Britain gaye the, kaise keh dete ki is saare

jhamele ke peeche Kohinoor hai.
Vijay ne kaha," khair pyaare, filhaal un sawalo ko chhodo jinka tum jawaab nahi dena chahte, tumhaari baato se arth ye nikalta hai ki tum ye samajhte the

ki lumad Irvin se bilkul pyar nahi karta hai "
" haan "
" tumhara ye samajhna galat bhi to ho sakta hai "
" unhone badla lene ki kasam khaayi hai, isse to yahi lagta hai magar... "
" magar kya "
" mujhe ascharya jaroor hai, jaanta hu ki jab unhone kasam khaayi hai to vo yaha tak pahuchenge bhi jaroor, unke saamne padte hi mai unse poochunga ki

Irvin se kab pyar karne lage the ve "
" poochoge to tabhi na bete jab vah tumhe itna avsar dega, jitne gusse me vo hai usse to lagta hai ki vo saamne padte hi tum par humla kar dega, khair, ab

tum us shadyantra ke baare me batao jo lumad is desh ke khilaaf rach raha tha "
" keh chuka hu guru ki mai nahi bata sakta "
Vikas ne ye ek hi vaakya rat rakha tha, jabki Vijay tarah-tarah se jor daalkar usse poochta raha, ekaek hi aage badhkar Raina boli," bata do bete, tum daro

nahi, hum sab jo hai, Alfaanse bhaiya ko hum tum tak nahi pahuchne denge "
feeki si muskaan doud gayi Vikas ke hontho par, bola," kya tum ye samajhti ho mummy ki mai crimer uncle se aur unke dwara khaayi gayi kasam se dar raha

hu "
" to fir bata kyo nahi dete "
" jab waqt aayega to mujhe unse nahi mummy, unhe mujhse darna hoga, maine Irvin ki hatya ki hai, seena thok-thok kar mai hajaar baar yahi baat kahunga

aur ye bhi kahunga ki jo bhi maine kiya hai, theek kiya hai, ab yadi crimer uncle ne Bhaarat ki jameen par kadam rakha to unhe giraftaar kar lunga mai, desh

ke dushmano ko tumhaara beta bakshta nahi hai, jaroorat padi to crimer uncle ki laash bichhaane se bhi peecche nahi hatunga "
" V..Vikas " cheekhti huye Raina ne uske gaal par jhanaatedaar thappad maara.
ladke ke hontho par feeki muskaan doud gayi, bola," duniya me sirf ek hi kaam to nahi seekha tere laal ne maa aur vah hai darna, mujhe darna nahi aata

mummy, tum bhi mat daro "
" t..tu bahut paaji ho gaya hai naalaayak, mai tujhe kachha chaba jaaungi " gusse ki adhikta ke kaaran uske munh se jhaag nikal rahe the, bhookhi sherni ki

tarah Vikas par jhapat padna chahti thi vah magar majboor thi.
thakur sahab ne kas kar pakad rakha tha ushe.
Raina uske bandhano se nikalne ke liye machal rahi thi, thakur sahab kheenchte huve ushe kamre se baahar le gaye, Raghunath aur Vijay bhi uske peeche hi

baahar nikal gaye, nikalne se pehle Vijay ne Dhanushtankaar se kaha tha," diljale ka dhyaan rakhna gaandiv pyaare, ye saala crack ho gaya hai, yaha se nau

do gyarah na hone paaye "
Dhanushtankaar ne apne chote se coat ki jeb se revolver nikaal liya aur jab Vikas ne is revolver ko apni taraf hote dekha to uske gulaabi hontho par feeki si

muskaan naach gayi.
dusre kamre me laakar thakur sahab ne Raina ko samjhaya," hosh me aao beti, is waqt vyarth ki bhaauvakta se kaam nahi chalega, filhaal Vikas se jyada

baate karne ka koyi laabh nahi hai kyonki Alfaanse ki tarah hi vah bhi josh me maalum padta hai "'
" marne dijiye ushe, hame parvaah nahi hai "
" relax Raina, please relax "
Raina shaant ho gayi.
Raghunath ne prashan uthaya," magar vah bata kyu nahi raha hai ki aakhir Alfaanse Bhaarat ke khilaaf kya shadyantra rach raha tha "
" filhaal is baat par jor mat daalo Raghunath, sambhav hai ki dimaag shaant hone par Vikas khud hi kuch bata de, abhi vo josh me hai aur ishi se jaahir hai

ki uske aur Alfaanse ke beech koyi bahut badi baat huyi hai "
Raghunath chup rah gaya.
thakur sahab ne kaha," filhaal hum chalte hai, tum fikr mat karna Raina, hum saare Rajnagar me hi nahi balki Rajnagar ke chaaro taraf police aur jasooso ka

jaal bichha denge, aisa jaal jishe todkar Alfaanse Rajnagar me daakhil hi na ho sake aur yadi kisi tarah vah Rajnagar me pahuch bhi gaya to yakeen rakho, is

kothi ke aaspaas nahi fatak sakega "
sabhi chup the.
thakur sahab vaha se chale gaye, tab Raghunath ne Vijay se kaha," Vijay, please tum akele me koshish karke dekho, shayad Vikas tumhe bata de ki uske aur

Alfaanse ke beech kya hua hai "
" mai bhi yahi soch raha tha pyaare " kehne ke baad Vijay us kamre ki taraf chal diya jisme Vikas tha.

-----------------------------------

Dhanushtankaar ko kamre se baahar nikaalne ke baad Vijay ne kamre ka darvaaja andar se band kiya aur apne joote ki aedi par firkani ki tarah ghoom gaya,

usse najre milte hi bed par leta Vikas dheeme se mukuraya.
muskurata hua Vijay bhi uske najdeek pahucha aur ek kursi kheenchkar uske bed ke bahut sameep baith gaya, bola," kaho pyaare diljale "
" acting kaisi rahi guru "
" acting to theek rahi bete lekin ab jara tum asliyat par aa jaao "
chounkte huve Vikas ne poocha," kaisi asliyat "
" Britain jaane ka mool kaaran, Irvin ki hatya ka vaastavik kaaran aur ye haqikat to inse chupani aavashyak thi hi ki Britain hum bhi tumhaare saath gaye

the, bataane ke liye Irvin ki hatya ka koyi thos kaaran tumhaare paas tha nahi, aur kaaran na batane ki jid pakadkar tumne yakeenan hoshiyaari ki hai,

magar.... "
" magar kya guru "
" jab tumne Irvin ki hatya ki, us waqt tum sachmuch ye samajhte the ki apna lumad Irvin se bilkul pyar nahi karta "
" yadi mujhe is baat me jara bhi shak hota guru to kya mai hatya karta "
" ab tumhe kya lagta hai "
thoda hichakte huve Vikas ne kaha," yadi bura na maane guru to haqikat keh du "
" jaroor kaho pyaare "
" ab lagta hai ki us spot par Alfaanse guru ko samajhne me bhool ho gayi thi, mujhse hi nahi balki aapse bhi, aapka khayaal bhi to yahi tha ki crimer uncle

Irvin se bilkul pyar nahi karte hai, magar Irvin ki hatya ke baad unka jo roop saamne aaya hai, usse lagta hai ki hum chook gaye the, Alfaanse guru nischay

hi kisk na kisi star tak Irvin se pyar karte jaroor the "
" ab hame bhi aisa hi lag raha hai pyaare "
" kya matlab "
" lagta hai ki sach vahi hai jo surang me lumad ne humse kaha tha, Irvin se shaadi uska ek drama hi tha magar baad me drama dheere-dheere mohabbat me

badal gaya, ye baat haalanki ushi samay jaahir ho gayi thi jab Irvin ke liye hamare munh se ek apshabd nikalte hi usne hamare jabde ke kayi daant hila diye

the aur uska yahi roop hame vishvaas dila raha hai ki badla lene lumad yaha aayega jaroor "
ladke ne mohak muskaan ke saath kaha," kya aap crimer uncle se aatankit hai guru "
Vijay chup reh gaya, kuch der baad bola," stithi saanp-chachuandar vaali ban gayi hai bete, ab chachundar ko na to ugala hi jaa sakta hai aur na hi nigal

sakte hai, khair, jab waqt aayega, tab dekha jaayega, filhaal hum lumad ko tumse door hi rokne ke liye intjaam karte hai "
" koyi jaroorat nahi hai guru, apne bete ko itna kaayar bhi mat banao "
" bas pyaare, yahi to hum tumhe samjhaana chahte hai ki kisi prakaar ki atirikt bahaduri dikhaane ki jroorat nahi hai, chupchaap yahi lete rehna, yadi tumne

hamare aur baapujaan ke dwara taiyaar kiya gaya ghera todkar baahar nikalne ki murkhta ki to lumad ko tum tak pahuchne ke liye is ghere ko todne ki bhi

jaroorat nahi padegi aur is baat ko achhi tarah se samajh lo ki yadi tum uske saamne pade to vah tumhaare jism ke kisi bhi piece ko itna bada nahi chhodega,

jishe yaar logo ko shamshaan me le jaakar foonkne ki jaroorat pade "
jawaab me Vikas ke hontho par ek mohak si muskaan ubharkar reh gayi thi.
Vijay utha aur fir khaamoshi ke saath kamre se baahar nikal gaya, baahar aate hi Raina, Raghunath aur Dhanushtankaar ne ushe gher liya, Vijay ne

Dhanushtankaar ko aagya di ki vo har pal Vikas par najar rakhe aur kisi bhi keemat par ushe kothi se baahar na nikalne de.
Dhanushtankaar kamre ke andar chala gaya.
Raina aur Raghunath ke savalo ke jawaab me Vijay ne kaha," diljala adiyal tattu ki tarah adaa hua hai, vah anya sabhi prashno ke jawaab deta hai lekin

mukhya prashn par chup ho jaata hai "
Raina aur Raghunath ke chehro par aatank ke saath nirasha ke bhi bhaav failte chale gaye.
Alfaanse se takraane ki taiyaari karne ke liye Vijay ne filhaal unse vidaa maangi.

------------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply