'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post by Jemsbond »

'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma


Summary of ALFAANSE KI SHAADI

Alfaanse ke shabdo me duniya ek jungle hai. insaani jaanvaro se khachakhach bhara ek jungle aur is jungle ke baadshah yaani sher ka naam hai Alfaanse. jaanne vaale ye bhi acchi taarh se jaante hai ki is antarrashtriya mujrim ke pair me chakkar hai, yaani ki ek mulk se dusre mulk ghoomte rehna iski hobby hai aur apni is hobby me mutaabik Alfaanse is baar London pahuch gaya.
sanyog se us waqt London me Bogaan naamak gunde ka danka baj raha tha, is had tak ki London ki police Bogaan par to door, uske kisi chamche tak par haath daalne se katraati thi.
parantu kisi ne sach hi kaha hai ki jhooth ki haandi roz nahi chadhti, Bogaan ke liye vah din durdin hi kaha jaayega jab uske teen gurge uski khidmat ke liye Irvin naam ki ek yuva aur soundarya ka pratibimb si najar aane vaali ladki ko kidnap karke le jaa rahe the. Bogaan ke bhaagya ko shaayad raahu-ketu ne tedhi aankh se dekha tha, tabhi to ve gurge bechaare Alfaanse se takra gaye.
Alfaanse ne na keval Irvin ko unke changul se mukt kiya, balki Bogaan ke gurgo ki kaaya ka bhugoal bhi badal daala. is ghatna ki Bogaan par kya partikriya huyi, yah to hum baad me likhenge, yaha ek baat bataana param aavashyak hai ki Irvin naam ki ye ladki Alfaanse ki khoobsurti aur bahaduri se aasakt ho gayi. kam se kam Alfaanse ke liye ye koyi vishesh baat nahi thi, Irvin se pehle bhi us par bahut si ladkiya aasakt ho chuki thi, parantu us par kabhi koyi asar nahi hota tha. kyonki sarvikhyaat hai ki Alfaanse ladkiyo me koyi ruchi nahi rakha karta tha. maanavta ke naate hi vo Irvin ko apni car me bithakar uske ghar tak chhodne aaya tha, parantu us waqt Alfaanse ki aankhe heere ki taarh chamakne lagi jab ushe pata laga ki Irvin Gardner ki akeli putri hai. Gardner ka parichay keval itna hi tha ki ve security vibhaag ke koyi bahut bade officer hai. jaane kya baat thi ki ushi kshan aisa mehsoos hone laga ki Alfaanse bhi Irvin se mohabbat karne laga hai, pyar ki peenge badhne lagi, Alfaanse aur Irvin ke beech mulakaato ka silsila lamba hota chala gaya aur in mulakaato me yah mohabbat parvaan chadhne lagi, ishi beech Alfaanse ka takraav Bogaan se bhi hua.
nateeje ka anumaan to aap log laga hi sakte hai yaani ki London se Bogaan ka aatank khatam.
uprokt ghatnaao ke teen mahine baad Singhi, Vatan, Vikas aadi ko card mile. in cards ke mutaabik Alfaanse Irvin se shaadi kar raha tha, shaadi ke cards ke saath Alfaanse ne patra dwara sambandhit vyaktiyo ko soochit kiya tha ki apne apraadhi jeevan se ab vah uab chuka hai aur Irvin ke saath ghar basakar shesh jeevan shaanti ke saath gujaarna chahta hai. yah anurodh bhi kiya tha ki shaadi me karyakram anusaar upasthit hone ka upkram kare.
Rajnagar me Alfaanse ne sabhi ko card bheje the lekin Vijay ke naam ka koyi card nahi tha aur Alfaanse ki yah harkat jaha Vikas, Raina, Raghunaath, Monto, Black boy, Ashraf, Vikram, Naahar aur Parvej aadi ko apmaanjanak lagi, vahi Vijay ye sochne par baadhya ho gaya ki aakhir Alfaanse ne ushi ko card kyo nahi bheja hai.
vaise to yah soochna hi ushe chouka dene ke liye kaafi thi ki Alfaanse shaadi kar raha hai. upar se uske naam ka card na hone ne bhi ushe chounka diya tha aur is shaadi ke parti Vijay sandighd ho utha. Alfaanse ki nas-nas se vaakif Vijay ko laga ki yah shaadi nahi, koyi shadyantra hai aur vah shadyantra kya hai, yahi jaanne ke liye Vijay turant James ellen bankar London pahuch gaya.
ab shuru huyi Alfaanse ki shaadi ke peeche chupe rahasya tak pahuchne ke liye Vijay ki investigation. alfaanse Eligabeth hotel ke room no. 71 me thahra hua tha. James ellen bana Vijay bhi ishi hotel me jaa thahra. sabse pehle usne ek waitor se Alfaanse ki picchle dino ki gatividhiyo ki jaankaari ekatrit ki. Alfaanse ka Bogaan se takraav, Irvin se huyi mohabbat ke baare me jaanne ke alawa usne yah bhi jaan liya ki Alfaanse ne British naagrikta prapt kar li hai.
ab vah ek gunde ke roop me pehle Bogaan ke gurgo aur fir unke maadhyam se Bogaan tak pahucha. parantu apne asli maksad me kaamyaab na ho saka. Basant swaami bankar vah toh lene ke liye James bond se bhi mila kintu parinaam vahi raha yaani dhaak ke teen paat.
atah shaadi hone se vah nahi rok saka.
shaadi nischit taarikh me huyi aur agar sach kaha jaaye to ye shaadi nahi poora ho-hulaad tha. kyonki saari duniya ke mashoor jasoos aur apraadhi isme shaamil huve the, aise-aise log, jinhe maanav nahi, bhoot-pret, chudail aur pisaach kehna jyada uchit hai.
Alfaanse ke mehmaano me pramukh the Singhi, Jackson, Tumbaktu, Jacky, Thakur sahab, Raghunaath, Raina, Mike, Harry, Julia, Baagarof, Nusrat-Tughlak, Rehmaan, Vatan, Appolo, Vikas, Dhanushtankaar, Vijay, Black boy, Ashraf, Vikram, Naahar, Parvej aur Aasha aadi.
in sabne milkar Lonodn me aisa humgaama machaaya jishe London vaasi hamesha yaad rakhenge. Singhi, Jackson aur Tumaktu apne naayab tareeko se shaadi me shaamil huve. Singhi ke aagman se poorv us waqt sabhi lights gul ho gayi thi, jab Vijay ne kinhi do vyaktiyo ki baatcheet suni aur is baatcheet me Kohinoor heere ka naam aaya.
sheeghra hi Vijay ne yah pata laga liya ki vah vaarta Graadway naamak ek vyakti aur Irvin ke pita Gardner ke madhya huyi thi. iske baad sansani raat ke teen baje faili, tab jabki fere khatam huve the. Gardner ki kothi ke ek andhere kone me Graadway ki laash padi mili. sabhi chounk pade, kaafi koshish ke baad bhi koyi yah nahi jaan saka ki Graadway ka katl kisne kiski madad se kiya hai.
shaadi ke baad sabhi mehmaan lout gaye.
Bhaarat me aakar Vijay ne Vikas aur Black boy ko bataya ki Graadway ka katl darasal ushi ne kiya hai,
ek saath dono ne chounkkar poocha," kyo "
tab Vijay ne bataya ki Graadway ko maarne se pehle usne ushe torture kiya tha aur us torture ke kaaran hi usne ushe bataya tha ki Kohinoor kyonki duniya ka sabse mulyavaan, naayaab aur gauravmayi heera hai, isliye Britain sarkaar ne uski suraksha ke kade prabandh kiye hai. ye saare prabandh K.S.S. naamak sanstha ki dekhrekh me hai aur K.S.S. ka director khud Irvin ka pita Gardner hai. Graadway khud bhi K.S.S. ka sadasya tha aur ishi vajah se vah Vijay ko bata saka tha ki prithvi ke chaaro taraf ghoomta ek upgrah Kohinoor par najar rakhta hai. is upgrah ka sambandh ek control room se hai, yaani yadi Kohinoor ko koyi khatra hua to upgrah turant control room ko sandesh bhej dega aur yah control room anya kahi nahi, Gardner ki kothi ke tahkhaane me hai.
itna sabkuch pata lag jaane ke baad Vijay ke liye yah samajh paana saamaya si baat thi ki Irvin se shaadi ka dhong rachakar Alfaanse Kohinoor tak pahuchne ki scheme par kaam kar raha hai. yah sambahvna Vikas aur Black boy ko bhi janchi.
ab ye log Alfaanse ki yojna ko naakaam karne aur Kohinoor ko haasil karne ke baare me sochne lage. plan ye bana ki Alfaanse jaise hi Kohinoor ko prapt karega, ye ushe daboch lenge. magar aisa karne ke liye, Kohinoor tak pahuchne ki Alfaanse ki sampoorn yojna jaanna jaroori tha aur jaanne ke liye London jaana.
apni asli surat aur naam se ve London jaa nahi sakte the. Alfaanse, Bond ya London ki nazro me ve kabhi bhi aa sakte the. atah Vijay, Vikas, Ashraf, Aasha aur Vikram kramash Basheer, Margret, Dsouja, Chakram aur Beauty naamo se london pahuche. Vijay ne khud sabhi ke chehro par aisa makeup kiya tha jo kisi bhi rasayan se chootna na tha.
London me in paancho jasooso ki stithi mujrimo jaisi thi aur sachmuch inhone mujrimo ke ek sangathit giroh ki tarah hi badi teji se kaam shuru kiya.
sabse pehle Beauty bani Aasha Kohinoor dekhne us museum me gayi jaha vah rakha tha aur yaha usse kuch aisi bhoolein ho gayi ki museum ke security ke jasoos uske peeche lag gaye. idhar Vijay, Vikas, Ashraf aur Vikram ki kaargujaariyo ki vajah se London ki police ke saath hi secret service vihbaag bhi chounk pada, mr. M ne office me bulakar Bond ko ye bhed bataya ki mr. Gardner K.S.S. ke cheif hai aur kuch log Kohinoor me dilchaspi lete dikhaayi de rahe hai. is parakaar is case me Bond sakriya ho utha.
udhar Alfaanse Irvin ke saath Gardner ki kothi me hi rehne laga tha.
Vijay, Vikas, Ashraf aur Vikram ne jab yah mehsoos kiya ki Aasha ko British jasoos watch kar rahe hai to unhone Aasha se saare sampark tod diye.
apni aapraadhik gatividhiya bina kisi rukavat ke chalaaye rakhne ke liye unhe kisi sthaan ki talaash thi.
Vijay aadi ne Peter house ko chuna. imarat ki back side me dusre maale par ek khidki thi, jishe unhone mukhya dwar banaya tha. ve raat ke andhere me aakar Peter house ka istemaal karte aur suraj nikalne se pehle hi nikal jaate.
investigation karte huve Vijay aadi ne Chemboor naamak ek aise aadmi ka pata laga liya jo K.S.S. ka sadasya hi nahi balki Gardner ka daaya haath tha. Chemboor ka vyaktitv rahasmaye tha kyonki Vikas ne ushe akele me Alfaanse se milte dekha tha. Vijay ne anumaan lagaya ki Chemboor Alfaanse se mila hua ho sakta hai.
Kohinoor ke chaaro taraf ki gayi kadi suraksha vyavastha aur Alfaanse ki poori yojna jaanne ke liye Chemboor par haath daalne ka nischay hua.
udhar, James bond ye to nahi jaan paaya tha ki jo log Kohinoor me dilchaspi le rahe hai ve Bhartiya jasoos hai. magar ye bhaanp gaya tha ki ve jo bhi hai, Chemboor par jaroor haath daalenge, atah Bond swayam Chemboor ki nigrani kar raha tha.
jab Vijay aadi ne Chemboor par haath daala to unka takraav Bond se ho gaya. Chemboor ko kidnap kar laane me ve safal to ho gaye, parantu is takraav ke baad vah ye jaan gaya ki ve Vijay aadi hai. atah usne ushi raat hotel ke ek kamre se Aasha ko giraftaar kar liya.
idhar Chemboor ko lekar ve Peter house pahuche, rahasya ugalvaane ke liye ushe torture kiya, Chemboor toot gaya. usne Kohinoor ke chaaro taraf ki gayi kadi suraksha vyavastha unhe bata di. Chemboor ke bataane par hi unhe pata laga ki museum me jo Kohinoor rakha najar aata hai, vah Kohinoor nahi, Kohinoor ka pritibimb maatra hai, asal Kohinoor kaha aur kin surakshaao ke beech rakha hua hai, yah sunkar to Vijay jaise vyakti ko bhi maanna pada ki Kohinoor ko churana to asambhav ki seema tak kathin hai.
unhone Chemboor se Alfaanse ki Kohinoor tak pahuchne ki yojna poochi, yojna Chemboor ne bataayi bhi kintu Vijay ke khayaal se ye yojna shashakt nahi thi, suraksha vyavastha ko dekhte huve usme kayi khaamiya thi.
sabkuch ugalvaane ke baad unhone Chemboor ko maar daala.
udhar, Bond Aasha se yah ugalvaane ke liye ki vah Aasha hai, ushe buri tarah torture kar raha tha. vah sabkuch sehti rahi magar ek baar bhi usne Aasha hona sweekaar nahi kiya. atah Bond ne apni ek jasoos ko Beauty banakar hotel ke us kamre me rakh chhoda jaha se vah Beauty ke roop me reh rahi Aasha ko giraftaar karke laaya tha.
Peter house me maujood Vijay aadi se achanak hi kisi rahasymayi aadmi ne phone par sambandh sthaapit kiya aur kaha ki vah unke ek-ek rahasya se vaakif hai. apni baato se usne saabit kar diya ki vah sach bol raha hai, vah unke asli naam bhi jaanta tha aur yah bhi ki unhone Chemboor ko maar daala hai. apna parichay gupt rakhte huve usne Kohinoor ki loot me se hisse ki maang ki.
sochne ke liye samay dekar usne sambandh-vichhed kar diya.
Vijay aadi ki haalat ajeeb ho gayi, unhe samajh nahi aa raha tha ki vah aadmi aakhir koun ho sakta hai. Chemboor ki laash ko aane vaali raat ke andhere me thikaane lagaane ka nischay karke ve saavdhaani ke saath khidki roopi apne mukhya dwar se nikal gaye.
raat ke is waqt Irvin ke paas bed par soya Alfaanse utha, choro ki tarah kamre se baahar nikla , uska khayaal tha ki aisa karte waqt ushe Irvin ne nahi dekha hai. kintu uska aisa sochna bilkul galat tha, darasal Irvin ne uski prateyek harkat note ki thi. prateyek raat ki tarah is raat bhi Vijay aadi Peter house me ikhatte huve. yojna ke mutaabik ab ve Aasha ko bhi yaha le aaye the magar bechaare ye nahi jaante the ki ab Beauty ke makeup me vah Aasha nahi balki Bond ki jasoos hai.
us waqt ve hakke-bakke reh gaye jab unhone Chemboor ki laash ko us kamre se gaayab paaya, jaha unhone ushe rakha tha. tabhi phone par rahasmayi vyakti ne kaha ki laash usne kisi aise sthaan par chupa rakhi hai, jaha se ushe laakh talaash karne ke baad bhi vah nahi milegi. laash ka pata vo unhe tabhi batayenga jab ve ushe hissa dena kabool karenge, Vijay ne kaha ki vah saamne aakar souda kare.
usne agli raat ko Peter house aane ka vaada kar diya.
abhi yah log rahasmayi vyakti ki baat kar rahe the ki Alfaanse vaha pahuch gaya, Alfaanse ko yaha dekhkar un sabka chounk padna swabhaavik hi tha, usne Vijay se kaha ki vah Kohinoor ke chakkar me nahi hai, balki sach me Irvin ke saath apna ghar basakar apna shesh jeevan shaanti se gujaarna chahta hai. yahi usne ye bhi kaha ki Irvin uske bacche ki maa banne vaali hai. Alfaanse ne unse prarthana ki ki ve log London se chale jaaye varna Irvin bhi uske baare me vahi sochne lagegi, jo ve soch rahe hai. Vijay aadi ke na maanne par vah ye dhamki dekar chala gaya ki yadi unki vajah se uski family life bigdi to vah ek-ek se gin-ginkar badle lega.
raat ke us waqt bhi Bond Aasha ko torture kar raha tha jab Beauty bani uski jasoos ne tramsmitter par soochna di ki Vijay, Vikas, Ashraf aur Vikram is waqt Peter house me maujood hai. Peter house ko ishi waqt gherkar inhe giraftaar kar lena uchit hai. Bond ne o.k. kehkar transmitter off kiya aur tej kadmo ke saath torture room se baahar nikal gaya.
bas, Alfaanse ki shaadi me aapne ishi drishya tak ka kathanak padha tha, isse aage ka kathanak lekar aaya hai," Kafan Tere Bete Ka "

To be continued........

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

British secret service ke gupt office me baitha James bond secret service ke cheif mr. M se atyadhik utsaahit swar me keh raha tha," maine Kohinoor me

dilchaspi lene vaalo ka pata laga liya hai sir "
" very good " M ka chehra chamak utha," koun hai ve log "
" ve ushi desh ke jasoos hai sir, jis desh se hamare bujurg Kohinoor yaha laaye the "
" y..yaani Bhartiya " mr. M ucchal pade.
" ji haan " Bond ne garveeli muskaan ke saath kaha," ve Bhartiya jasoos hi hai, Vijay, Vikas, Ashraf, Vikram aur Aasha, ye sab makeup me naam badalkar London me sakriya hai, Beauty naamak jis ladki ka havaala aapne mujhe diya tha, darasal vo Beauty nahi balki Bhartiya secret service ki jasoos Aasha hai "
" oh god "
" is waqt Aasha meri kaid me hai aur baaki chaaro ko bhi aap meri giraft me hi samjhe "
" kya matlab "
" mai aapke paas ye gujaarish lekar aaya hu ki ishi waqt aadesh jaari karke Smith Street par stith Peter house naamak imarat ko shashastra sainiko se

ghirvakar unhe giraftaar karva lijiye "
" kya ve charo ishi imarat me hai "
" yes sir, unke saath Beauty bani hamari ek jasoos hai "
" hum samajh nahi paa rahe hai Bond ki aakhir tum keh kya rahe ho, sabse pehle sanshep me tum hame apni poori report do, hamari koun si jasoos Beauty

bankar kaise pahuch gayi "
James bond ne ek kshan bhi ganvaana uchit nahi samjha aur shuru ho gaya. mr. M uske munh se nikalne vaale ek-ek shabd ko bahut dhyaan se sunte rahe.

--------------------------------------

" ab tumhaara kya iraada hai " saari report lene ke baad mr. M ne poocha.
" ek kshan bhi ganvaaye bina hame unhe gher lena chahiye "
kuch sochte huve mr. M ne kaha," hamare khayaal se aisa karne se koyi laabh nahi hoga "
" kya matlab "
" bahut mushkil se hamare haath aisa mouka laga hai, jab Sanyukt Rashtra Sangh me hum Bhaarat ko neecha dikha sakte hai, ye saabit karke ki ve Bhartiya

jasoos hai aur London me Kohinoor ko churaane ke liye hi sakriya the, kintu filhaal na to hamare paas unke Bhartiya jasoos hone ka koyi saboot hai aur na hi ye saabit karne ka koyi saboot hai ki ve Kohinoor ke chakkar me the. aise haalaat me unhe giraftaar karna nirarthak hoga "
" keh to aap theek rahe hai, lekin... "
" lekin kya "
" iske liye hum kar kya sakte hai "
" is waqt ve tumhaari najro me to hai hi, agent 003 bhi unke saath hai aur ve ushe Aasha hi samajh rahe hai, yaani jaahir hai ki uske jariye tumhe unki har

yojna, har activity ki poorn jaankaari rahegi, gherkar unhe kisi bhi kshan, kahi bhi giraftaar kiya jaa sakta hai. to kyo na un par us waqt haath daala jaaye,

jab na keval unhe Bhartiya jasoos saabit kiya jaa sake, balki ye bhi saabit kiya jaa sake ki ve Kohinoor ke chakkar me the "
" raay to aapki theek hai magar isme khatra bahut hai "
" kis kism ka khatra "
" ve charo ek se badhkar ek kaaiya hai, ve filhaal to nahi jaante ki Beauty Aasha nahi hai, lekin 003 ki halki si chook par jaan sakte hai aur yadi aisa ho gaya

to na keval 003 ki buri gat banayenge, balki satark bhi ho jaayenge, us avastha me na keval unki yojnaaye aur activities hi jaanna asambhav hoga, balki

unhe pakadna bhi "
M ne bade ajeeb se swar me kaha," is kism ke khatre uthaane se hamara Bond kab se katraane laga "
" mai katra nahi raha hu sir, keval haalaat par gour kar raha hu, soch raha hu ki is waqt haalaat hamari giraft me hai, kal stithi badal bhi sakti hai "
" tumhaare khayaal se stithi badalne par kya ho sakta hai "
" ye bhi mumkin hai ki ve Kohinoor ko churaane me kaamyaab ho jaaye "
mr. M ke chehre par aisi muskaan ubhar aayi jaise Bond ne koyi bachkaani baat keh di ho, bole," is taraf se tum bilkul nischint raho Bond, hum shart lagakar

keh sakte hai ki ve to ve, swayam god bhi Kohinoor ko churaane me kaamyaab nahi ho sakta "
" aisa daava aap kis aadhaar par kar rahe hai "
" Kohinoor ke chaaro taraf faili suraksha vyavasthaao ke aadhaar par "
" ve bahut shaitaan hai sir, dimaagi star par Vijay se bada shaitaan is saari duniya me nahi hai aur physically duniya ka sabse bada shaitaan Vikas hai. jab ve kaam karne par aamada honge to Kohinoor ke chaaro taraf ki gayi vyavasthaaye toot-tootkar bikhar jaayengi "
" aisa tum keval isliye keh rahe ho, kyonki tum un vyavsathaao ke baare me kuch nahi jaante ho "
" kya aap mujhe bata sakte hai "
" tumhaari tassalli ke liye batani hi hongi " kehne ke baad mr. M tape-recorder ke tarah shuru ho gaye. Bond dhyaan se sunta raha, beech-beech me usne

prashan bhi kiye, jinka uttar dete huve M ne ushe poorn suraksha vyavastha ke baare me bata diya.
sunkar Bond ko ascharya hua aur yah vishvaas bhi ki Kohinoor tak pahuchna Vijay-Vikas ke liye laghbhag asambhav sa hi hai, Bond kaafi aashvasht najar aane laga.
M ne poocha," ab kaho Bond kya khayaal hai "
" vaakayi, suraksha ke bahut kade prabandh kiye gaye hai "
" ab tum apni aage ki scheme batao "
" aap theek keh rahe hai, is waqt unhe giraftaar kar lena aasaan jaroor hai lekin laabhprad nahi. unhe tabhi giraftaar kiya jaana uchit hoga jab hum unhe Bhartiya jasoos hone ke saath-saath yah bhi saabit kar sake ki ve Kohinoor ke chakkar me hai, parantu.... "
" parantu kya "
" mai transmitter par 003 se keh chuka hu ki unhe giraftaar karne ke liye tatkaal Peter house ko ghera jaa raha hai aur ab yadi aisa nahi kiya gaya to vah uljhan me pad jaayegi "
" transmitter par ushe nayi yojna se avgat karaya jaa sakta hai "
" vahi karna hoga aur unhe Bhartiya jasoos saabit karne ke liye bhi kayi prabandh karne honge, shatranj ke is khel me hame maat bhi mil sakti hai sir, isliye hame apne baadshah ke chaaro taraf ek sudridh kila bana lena chahiye "
" kya matlab "
" waqt aane par Aasha hamare liye vajeer saabit ho sakti hai, isliye ushe kisi aise sthaan par rakhna chahiye, jaha ve kabhi na pahuch sake "
" is waqt Aasha kaha hai "
" meri kothi ke torture room me "
" ushe fouran yaha yaani secret service ke kaidkhaane me daal do. saat janam tak koshish karne ke baad bhi unme se koyi yaha nahi pahuch sakega "
" yahi theek rahega, mai abhi 003 ko nayi yojna se avgat karata hu " kehne ke turant baad Bond angoothi roopi transmitter par 003 se sambandh sthaapit karne ki chesta karne laga.

--------------------------------

Irvin itni teji se uthi, jaise ki vah haad-maans ki nahi, bijli se harkat me aane vaali plastic ki gudiya ho, uski jheel si gehri, chamakdaar aur khoobsurat neeli aankho me ajeeb chamak thi.
handle pakadkar usne darvaaje ko apni taraf kheenchna chaha.
darvaaja baahar se bolt tha, atah nahi khula.
ab vah pinjre me fansi khoobsurat hirni ki tarah saare kamre ko dekhne lagi, bedroom me ab bhi night bulb ka prakash bikhra hua tha, Irvin ke sudoul aur gadraaye jism par is waqt jheena gown tha. pusht vaksho ko kaid kiye brazzer spasht chamak rahi thi, kintu uska dhyaan apni shaaririk avastha ki taraf bilkul nahi tha, is waqt vah sirf aur sirf is kamre se baahar nikalne ke liye bechain najar aa rahi thi.
is kamre se, jisme kuch hi der pehle Alfaanse ek tarah se ushe kaid kar gaya tha. kadachit vah ye jaanna chahti thi ki raat ke is waqt ushe soti samajhkar choro ki tarah aakhir Alfaanse kaha gaya hai aur jaate waqt kamre ka darvaaja baahar se kyo band kar gaya hai.
achanak us hirni ki badi-badi aankhe ek khidki par atak gayi, bandook se nikli goli ki tarah vah uski taraf lapki. agle hi pal usne na sirf chitkhani khol di balki dabe paanv bina koyi aahat utpann kiye choro ki tarah khidki paar karke kamre ke baahar se gujarne vaali gallery me pahuch gayi.
gallery me madhim prakash tha.
Irvin poori saavdhaani ke saath gallery paar karne lagi, mod ghoomne ke baad vah ek kamre ke band darvaaje ke sameep thithak gayi.
yah kamra Irvin ke pita Gardner ka tha.
yaani vahi kamra jaha se is kothi ke tahkhaane me chupe control room tak jaane ka gupt raasta shuru hota hai, Irvin ne kisi chaalaak billi ki tarah daaye-baaye dekha.
dono taraf ki gallery sannate me doobi padi thi.
dabe paanv vah band darvaaje ke atyant sameep pahuchi aur fir usne apni saans tak rok li aur aankh key-hole se sata di.
kamre me laal rang ke night bulb ka prakash bikhra pada tha.
saamne hi double bed tha aur us par gehri neend me leen mr. Gardner spasht najar aa rahe the. unke sirhaane steel ki ek majboot safe kamre ke farsh me gadi thi.
bas, kamre ka itna hi drishya Irvin ko chamka.
kuch der tak vah saans roke key-hole se aankh sataye rahi, parantu Alfaanse najar nahi aaya aur na hi aisa koyi aabhaas mila jo kamre me Alfaanse ki maujoodgi ka prateek ho.
ab saans roke rehna Irvin ke liye kathin ho gaya tha.
atah vah sheeghrata se darvaaje ke sameep se hati, dabe paanv do-teen kadam door hatkar usne ruki huyi saans chhodi.
is waqt uske chehre par ajeeb se bhaav the.
baaye haath ko usne ghoonse ki shakal di aur bahut jor se apni daayi hatheli par maarkar badbadaayi," aakhir kaha chala gaya "
parantu kaafi der tak bhi ushe apne is sawaal ka jawaab nahi mila.
aakhir niraash Irvin apne kamre ki taraf lout gayi, khidki ke jariye kamre ke andar pahuchi aur khidki ko poorv ki tarah andar se bolt kar liya.
thaki aur chakit si vah bed par let gayi.
takiye par sir rakhkar kamre ki chatt ko ghoorti huyi na jaane kayi der tak vo kya sochti rahi, aankho me door-door tak neend ka koyi naam-o-nishaan nahi tha.
us waqt achanak hi Irvin ki tandra bhang huyi jab usne gallery me se ubharne vaali halki si padchap suni, koyi dabe paanv gallery me chal raha tha.
fir, padchap uske kamre ke darvaaje ke kareeb ruk gayi.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

kisi ne bahut hi dheeme se darvaaje ke dusri taraf laga bolt sarkaaya aur ishi kshan na jaane Irvin ko kya soojha ki usne ekdum se aankhe band kar li. aisa pose bana liya jaise sadiyo se so rahi ho.
uska dil asamanya gati se dhadak raha tha aur palko ki jhiri se vah nirantar darvaaje ki taraf dekh rahi thi. darvaaja bahut hi aahista se khula.
Irvin ne dekha ki darvaaja kholne vaala Alfaanse tha.
choukhat par khada vah saans roke bed par soyi huyi si najar aane vaali Irvin ko ek minute tak dekhta raha.
leshmaatra bhi aahat utpann kiye bina alfaanse ne darvaaja andar se band kiya aur jaate waqt jis saavdhaani se kapde pehne the, ushi saavdhaani se utaare, taange aur dabe paanv aakar aahista se bed par let gaya.
uske mastak par paseene ki nanhi-nanhi boonde ubhar aayi thi.
sachmuch sone ke liye usne aankhe band kar li thi, parantu vah ye nahi jaanta tha ki palko ki jhiri se ushe ab tak dekh rahi Irvin ki aankho me door-door tak neend nahi hai.
Irvin ne yah jaahir nahi kiya ki usne Alfaanse ki ek-ek harkat dekhi hai.


bahut hi kam shabdo me apni poori yojna samjhaane ke baad James bond ne poocha," kya tum itne lambe samay tak safaltapoorvak Aasha ka abhinay kar sakti ho "
" mai poori koshish karungi "
" very good " Bond ne kaha," ab hame apne maksad me kaamyaab hone ke liye chand prabandh karne hai "
" jaise "
" sabse pehle hame ye saabit karne ke liye pramaan jutaane hai ki Basheer, Margret, Dsouja aur Chakram koyi nahi balki bhartiya secret agent Vijay, Vikas, Ashraf aur Vikram hai "
" iske liye pramaan bahut aasaani se jutaaye jaa sakte hai "
" kaise "
" ye log jab aapas me baat karte hai to na sirf ek-dusre ka naam lete hai, balki bolte bhi asli aawaj me hi hai. atah agar inke beech hone vaali vaarta tape kar li jaaye to... "
" good, magar aawaj kaise tape hogi "
" vah bhi aasaan hai, ve keval raat ke samay me hi Peter house rehte hai, suraj nikalne se pehle hi yaha se nikal jaate hai, din ke kisi bhi samay aap yaha taperecorder fit kar sakte hai, agli raat ko yaha par aane par ye jo bhi baatein karenge vo sab tape ho jaayengi "
" very good " James bond ki aankhe chamak uthi," is tareeke se hamara dusra uddeshya bhi poora ho jaayega, yaani ki inke beech hone vaali baato ka vishay nischay ki Kohinoor hi hoga "
" ji haan "
" iska matlab hai, hame jyada din intjaar nahi karna padega. jo hum aaj karne jaa rahe the vo kal karenge, in sabki aawaj tape hone ke baad lekin iske liye tumhe ek kaam karna padega "
" hukum kijiye " dusri taraf se kaha gaya.
" kal din me tum transmitter par mujhse sambandh sthaapit karke us samay ki jaankaari dogi jab unme se koyi bhi Peter house me maujood na ho, taaki mai poori nischintita ke saath vaha tape fit kar aau "
" mai inform kar dungi "
safalta ki poorn aasha se James bond ka chehra damakne laga tha, bola," unki aage ki ranneeti kya hai, yaani is waqt baithe ve aapas me kya baatein kar rahe hai "
" is waqt unki baato ka vishay Alfaanse hai "
Bond chounk pada," Alfaanse "
" ji haan, jab maine transmitter par aapko inke yaha hone ki soochna di thi, usse kuch hi der pehle Alfaanse Peter house me inse milkar gaya tha "
Bond ke ascharya ka thikaana na raha, vah chakit swar me bola," Alfaanse unse milne peter house pahucha tha "
" ji haan "
" magar kaise, kyo m..mera matlab hai ki kya tum bata sakti ho ki ushe kaise pata laga ki ye sab Peter house me hai aur usne inse kya baatein ki "
" maine inke aur Alfaanse ke beech hone vaali poori baatein suni thi "
" mai vistaarpoorvak jaanna chahta hu "
aur dusri taraf transmitter par hi Beauty bani Bond ki jasoos ne Vijay group aur Alfaanse ke beech me hone vaali baatein bata di, yeh bhi ki Vijay group ne saari jaankaari lene ke baad Chemboor ko maar daala hai aur yeh bhi ek rahasyamay blackmailer Chemboor ki laash ko gaayab karne ke baad is group se Kohinoor me chori ka hissa chahta hai.
sambandh vicched karte samay Bond ka chehra poori tarah gambheer tha.

-----------------------------------

mr. M kaafi der tak apne saamne baithe vichaarmagan se Bond ko dekhte rahe. unhe Bond ke bolne ki prateeksha thi jabki transmitter par baat karne ke baad maano Bond kisi dusri hi duniya me gum ho gaya tha, jab mr. M ne uske chehre par hulki-hulki si chinta ki lakeerein dekhi to unse raha nahi gaya aur bole," kya sochne lage Bond "
" aa..haan, s..sorry sir " chounkte huve Bond na jaane kis duniya se nikalkar secret service ke office me aaya, bola," mujhe maamla utna seedha nahi lag raha hai, jitna hum samajh rahe the "
" kya matlab "
" transmitter par jo kuch bhi 003 ne bataya hai, vah aapne bhi suna hai aur vah saari report mujhe is saare maamle me punarvichaar karne ke liye baadhya kar rahi hai "
" hum samjhe nahi "
" Kohinoor ke chakkar me akele Vijay ka group hi nahi, dusre log bhi hai, jaise Chemboor ki laash ke aadhaar par Vijay aadi se hissa maangne vaala blackmailer "
" aur "
" shaayad Alfaanse "
" A..Alfaanse " mr. M ucchal se pade.
" haan " bahut hi shaant aur gambheer swar me Bond ne kaha," is baare me mai itna hi keh sakta hu ki Alfaanse ke baare me Vijay jo kuch bhi soch raha hai vo sach ho sakta hai "
" chalo maan liya ki Irvin se shaadi usne ishi maksad se ki hai, fir... "
" haan, ab to yahi maankar mujhe apni aage ki ranneeti nirdhaarit karni hogi, abhi tak mera dhyaan sirf Vijay ki team tak hi tha, ab Alfaanse aur us rahasmay blackmailer ko bhi dimaag me rakhna hoga, maamla kaafi chakkardaar sa najar aa raha hai "
" tum koyi bhi ranneeti taiyaar karne ke liye swatantra ho "
" vah blackmailer kal raat ko Vijay aadi se milne Peter house pahcuh raha hai, 003 ki taraf se line clear hone ki soochna milte hi mai kal din me Peter house me tape fix kar aaunga, inke aur blackmailer ke beech hone vaali saari vaarta tape ho jaayegi. vah tape inhe Bhartiya jasoos aur Kohinoor ke chakkar me saabit karne ke liye kaafi hoga. bas, inke beech ki vaarta khatam hote hi hum kal raat ko hi inhe Peter house se giraftaar kar lenge "
" yahi theek rahegaa "
" kal aap Peter house ko gherne ke liye poori police force taiyaar rakhiye "
" vah to rahegi hi, lekin.. "
" lekin kya "
" Alfaanse ke baare me tumne kya socha hai "
" ushe watch karne ke liye mai Gardner ki kothi me ek naukar ke roop me pravisht hona chahta hu, saara intjaam aapko karna hai, Irvin aur swayam Gardner ko bhi maalum nahi hona chahiye ki unka naya naukar, naukar nahi balki James bond hai "

--------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


003 ne nanha sa transmitter off kiya, angoothi apne baaye haath ki tarjani me daali aur bathroom ka darvaaja khol diya, bathroom se baahar abhi usne pehla kadam rakha hi tha ki anayaas hi ek jabardast cheek uske kanth se ubal padi.
saara shareer sookhe patte ki tarah kaanp utha tha uska, chehra safed pad gaya tha, hontho ka rang neela aur aankho me khauf ubhar aaya tha.
apne sthaan par jadvat si khadi vah Vikas ko dekhti reh gayi thi.
bathroom ke kivaad ke is taraf khada Vikas ushe khoonkhaar najro se dekh raha tha. is waqt Margret ka chahra patthar ki tarah sakht najar aa raha tha aur aankho me naach rahi thi shaitaaniyat.
ek kshan ke liye 003 bhi hakki-bakki se khadi reh gayi thi, magar agle hi kshan usne bathroom me andar jump lagakar darvaaja band kar lena chaha, lekin ladke ne usse kahi jyada furti ka pradarshan karte huve ek jordaar ghoonsa uske jabde par raseed kar diya.
003 ke kanth se dusri hridyavidarak cheekh nikli.
hava me ucchalkar vah door jaa giri thi.
tabhi gallery me bhaagte kadmo ki aawaj ubhri, aur agle hi pal Vijay, Ashraf aur Vikram hadbadaaye se vaha pahuche, Vijay ne poocha," kya hua pyaare, apni gogiyapaasha ke saath fighting ki reharsal kyo kar rahe ho "
magar ladke ne suna hi nahi.
vah jhapatne ke se andaaj me aage badha, farsh par padi karaah rahi 003 ke kanth se khoon beh raha tha, haath badhakar Vikas ne poori berahmi ke saath uske baal pakde aur ushe uthaata hua kisi khatarnaak bhediye ki tarah gurraya," bol Aasha aunty kaha hai "
Vikram bol utha," p..paagal ho gaye ho kya Vikas, ye Aasha hi to ... "
uska vaakya poora nahi ho saka tha kyonki Vijay ne beech me hi uske munh par haath rakh diya tha, idhar Vikram Vijay ko prashanvaachak najro se dekh raha tha aur udhar Vikas ne apne chehre ki bharpoor takkar 003 ke chehre par de maari.
ek cheekh ke saath 003 ka saara chehra lahuluhaan ho gaya.
palak jhapakte hi Vikas ke haath me ek taaja blade najar aane laga tha. blade ka dhaardaar sira usne 003 ki naak ki jad me rakha aur nirnayak swar me gurraya," yadi tune mujhe fouran Aasha aunty ka pata nahi bata diya to mai ek jhatke se teri naak kaat daalunga aur fir shayad apne se jyada badsurat ladki dhoondhne se bhi tujhe poore London me nahi milegi "

-----------------------------

mr. M se vidaayi ke liye James bond abhi kursi se uthkar khada hi hua tha ki angoothi roopi transmitter punah spark karne laga, Bond ne chounk kar pehle angoothi ki taraf dekha, fir M ki taraf, jabki M swayam chakit mudra me ushe hi dekh rahe the.
ek kshan unhone prashanvaachak mudra me ek-dusre ko dekhte ganvaaya, fir Bond ne bahut tezi se transmitter on kiya, dusri taraf se buri tarah ghabraayi, dard me doobi aur boukhlaayi si aawaaj sunaayi di," hello, hello, 003 reporting, hello "
" mai Bond bol raha hu, kya baat hai, tum itni ghabraayi huyi kyo... "
" s...sab gadbad ho gaya sir, aah.. "
Bond cheekh sa pada," kya hua 003, bolo, kya baat hai "
" y..ye log mera rahasya jaan gaye hai, bathroom se nikalte hi Vikas ne mujhe pakad liya, aah, usne meri naak kaat daali hai sir, kisi tarah inke changul se nikalkar mai punah bathroom me ghus gayi hu, darvaaja andar se band kar liya hai, dusri taraf se ye log darvaaja todne ki koshish kar rahe hai, m..meri madad kijiye sir, ye log mujhe maar daalenge "
Bond ne dhyaan se suna, transmitter par aisi aawajein ubhar rahi thi jaise kuch log kisi darvaaje ko todne ki koshish kar rahe ho.
usne jaldi se poocha," ve tumse kya jaanna chahte hai "
" Aasha ko vaha se hata lijiye sir, ye log mujhse uska paata pooch rahe hai aur jaldi hi ye darvaaja toot jaayega, fir shayad mai us raakshas ki yaatnaao ke saamne sthir na reh saku "
" chinta mat karo 003, tum unhe apne flat ka pata batakar keh do ki Aasha vaha hai, kuch der ke liye to ve santusht ho jaayenge, jyada se jyada tumhaare flat par pahuchenge, tab tak mai Aasha ko na sirf apni kothi se secret service ke kaidkhaane me pahucha dunga balki tumhaare flat par inke swagat ka bhi intjaam kar lunga. ab kisi kism ki yojna banane ka samay nahi raha hai, tum aisa abhinay karo jaise toot gayi ho "
" y..yes sir, darvaaja tootne vaala hai, over and all "
dusri taraf se sambandhvichhed kar diya gaya, jabki Bond transmitter off karta hua M se bola," saare mansoobo par paani fir gaya hai, jaldi kijiye, kuch hi der me ve chaaro 003 ke flat par pahuchne vaale hai, poora intjaam kar dijiye, kisi bhi stithi me ve vaha se bachkar nahi nikalne chahiye, Peter house ko bhi ghirva lijiye, vaha shaayad 003 mile, lagta hai ki bechaari apni naak ganva baithi hai "
" aur tum "
" mai apni kothi par jaa raha hu, Aasha ko yaha mehfooz pahuchana pehla aur sabse mahattvpoorn kaam hai, jaldi kijiye sir "
mr. M ne jhapatkar receiver utha liya aur Bond ne bina kisi kism ki aupcharikta ka pradarshan kiye office se baahar jump laga di.

lohe ke band dwar ke baahar khadi car ka horn do baar baja.
choukidaar ne apni shaktishaali torch on ki aur uske teevra jhaag car ki windscreen par fenke, jab usne dekha ki torch ki roshni se aankhe michmichaane vaale uske maalik James bond hi hai tab usne torch off kar li aur gate kholne ke liye aage badha.
darvaaja khula aur car teevra gati se andar daakhil ho gayi, udhar choukidaar ne darvaaja vaapis band kar diya, udhar car porch ke antim sire par jaakar ruki. darvaaja khula aur Bond teji se baahar nikla.
is waqt vah aavashyakta se adhik furti me najar aa raha tha, laghbhag bhaagta hua vah imarat ka mukhya dwar paar karke hall me pahuch gaya.
hall me maujood kad-kaathi se majboot ek naukar ne kaha," good evening sir "
" evening " kehne ke baad Bond ne poocha," yaha koyi aaya to nahi tha "
" no sir "
" kaidi ke paas koun hai "
" Loving torture room me hi hai sir "
" ushe mere paas bhejo " aadesh dene ke saath hi Bond hall ke saath hi attached bathroom ki taraf badh gaya, majboot kad-kathi ka aadmi uske aadesh ka paalan karne hetu daayi taraf ki gallery me badh gaya, bathroom ke dwar tak pahuchte-pahuchte ekaek hi Bond ko jaane kya soojha ki vah thithka, unchi aawaj me bola," ya thahro, mai swayam hi vaha chalta hu "
fir ve dono gallery me aage badh gaye.

----------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


darvaaje ke baahar khadi car ka horn is baar bhi do baar baja. choukidaar ne jab torch on karke uske jhaag wind screen par fenke to uski khopdi ghoom gayi, kaaran vah drishya tha jishe vah aankhe faade hakka-bakka sa dekhta reh gaya.
vo bhi uske maalik James bond hi the, jo wind screen ke paar driving seat par baithe uski torch se nikalne vaale teevra jhaago se aankhe michmichakar bachne ka prayaas kar rahe the.
choukidaar ki buddhi ulat gayi.
badi teji se ghoomkar usne porch ke antim sirey par khadi car ko dekha, vah abhi tak vahi khadi thi aur yah dekhkar uske hosh ud gaye the ki vah car uske maalik ki nahi thi.
ab usne boukhlakar apni torch ka prakash darvaaje ke baahar khadi car ke bonat par daala aur is car ko pehchaante hi uske hosh ud gaye, kyonki darasal yahi car uske maalik ki car thi. udhar, driving seat par baitha Bond car ki headlight me chamakte na sirf apne choukidaar ko dekh raha tha balki kothi ki seema me porch ke antim sirey par khadi car par bhi uski najar pad chuki thi.
Bond ki chatthi indri ne ushe khatre ka ehsaas karvaaya.
ek jhatke se Bond ne car ka darvaaja khola aur dir hava me lagaayi ek hi jump me vah lohe ke band dwar se gujarta hua dhamm se choukidaar ke saamne jaa khada hua.
boukhlakar choukidaar ne furti se apne kandhe se bandook utaarkar us par taan di aur apne swar ko sakht banane ki bharpoor cheshta karta hua bola," hands up, koun ho tum "
" kya bakte ho Hedrick, mai tumhaara maalik hu, James bond "
" m...maalik, fir vah koun tha "
" koun " Bond ne jhapatkar dono haatho se uska girebaan pakad liya," kiski baat kar rahe ho "
" k..kuch der pehle us car me jo aaya tha "
" kya bakte ho, koun tha vah, kitni der pehle aaya tha aur ab kaha hai "
" v..vah bhi to aap hi the sir, paanch minute pehle hi to aaye the "
" uff, vah mai nahi tha bevkoof, teri baato se lagta hai ki mere makeup me yaha koyi aaya tha, tu dhokha kha gaya, jabki vah car bhi meri nahi hai "
" jaroori to nahi sir ki aap hamesha apni hi car me aaye "
" ab vah kaha hai, kitni der pehle aaya tha "
" p..paanch minute pehle, abhi vah andar hi to hai, magar sahab.. "
uska vaakya poora hone se pehle Bond ne na keval uska girebaan chhod diya balki aandhi-toofaan ki tarah imarat ke andar ki taraf bhaaga, raaste me hi usne apni jeb se revolver bhi nikaal liya tha. is samay Bond har taraf se poori tarah choukas tha.

-----------------------------------

" tum ishe kandhe par laad lo Loving " torture room me maujood Bond ne jallad sareekhe vyakti ko aadesh diya aur Loving naamak us jallad sareekhe vyakti ne bina kuch bhi bole ek button dabaya.
torture chair par behosh padi Aasha ke bandhan khul gaye.
Loving ne ushe plastic ki bani hulki si gudiya ki tarah uthakar kandhe par laad liya, tabhi majboot kad-kaathi ke vyakti ne Bond se poocha," kya aap ishe yaha se le jaa rahe hai sir "
" haan " Bond ka uttar bada hi sanshipt tha.
" kya mai pooch sakta hu sir ki kyo "
" yaha khatra hai, iske saathi yaha pahuch sakte hai "
" oh "
" chalo " Bond ne aadesh diya aur ve teeno torture room se baahar nikal aaye.
sabse aage Aasha ko kandhe par daale Loving tha, uske ek kadam peeche majboot kad-kaathi vaala vyakti aur uske peeche-peeche Bond ek gallery se gujar rahe the, gallery ke antim sirey par cement ki bani seedhiya thi, ye seedhiya gallery ki chhat tak chali gayi thi.
unhe tay karne ke baad ve ek kamre me pahuche.
abhi ve kamre ke khule huve darvaaje ki taraf badh hi rahe the ki darvaaje par kisi jinn ke samaan Bond prakat hua, uske haath me revolver tha.
ek saath teeno maano farsh se chipakkar reh gaye.
darvaaje par khada Bond haath me revolver liye sachmuch kisi jinn ke samaan hi muskura raha tha, uski chamakdaar aankhe is waqt Bond par hi sthir thi.
Loving aur uske saathi ke to maano hosh hi ud gaye the.
khopdi naach uthi, samajh me nahi aaya ki ye chakkar kya hai, ek Bond unke saath hai aur dusra revolver liye saamne khada hai, boukhlakar usne apne saath vaale Bond ki taraf dekha jabki usne gurrakar darvaaje par khade Bond se poocha," koun ho tum "
" Bond ki aankho ko dhokha dena itna aasaan nahi Vijay " kutil muskuraahat ke saath darvaaje par khade Bond ne ek-ek shabd ko chabaate huve kaha.
" kya bakte ho "
" ab koyi naatak kaam nahi aayega Vijay, tum fans chuke ho, vaise mujhe hairat hai ki itni jaldi tum yaha pahuch kaise gaye aur vah bhi mere makeup me "
" oh, tum shaayad in logo ko dhokha dena chahte ho " kathit Vijay ne Bond se kaha, fir bola," magar ye log itne murkh bhi nahi hai ki apne maalik ko bhi na pehchaan sake, Loving, pakad lo ishe, yah Aasha ka koyi saathi lagta hai jo ki mere makeup me tumhe dhokha dena chahta hai "
" bevkoofi mat karna Loving " darvaaje par khade Bond ne chetaavni si di," yaad karo, kuch hi der pehle 003 se transmitter par baat karne ke baad yaha se jo Bond gaya tha usne koun se kapde pehan rakhe the, ve jo maine pehan rakhe hai ya ve jo isne pehan rakhe hai "
" kapdo se kya hota... "
magar is baar uska vaakya poora nahi ho saka, kyonki majboot kad-kaathi vaale vyakti ne ushe pakad liya tha aur ushi ka anusaran Loving ne bhi kiya tha, behosh Aasha ko usne farsh par daal diya tha.
Vijay samajh gaya ki ab kam se kam Bond hone ka daava karna to bekaar hai.
darvaaje par khade Bond ke hontho par vijayi muskaan thi, usne vahi khade-khade kaha," tum shaayad bhool gaye Vijay, maine kaha tha ki yadi chupkar, man me durbhaavna liye tumne London me kadam rakha to Bond tumhe bakhshega nahi "
" koun Vijay, kiski baat kar rahe ho mr. Bond "
Bond ke hontho par naachne vaali muskaan aur gehri ho gayi, bola," mai jaanta hu ki ab tumhaare paas yahi ekmatra hathkanda reh gaya hai. ant tak tumhaari koshish rahegi ki mai tumhe Vijay saabit na kar saku, magar tum ek baar fir bhool rahe ho Vijay ki mera naam Bond hai, jo Bond tumhe itni jaldi giraft me le sakta hai, vah ye bhi saabit karke dikha dega ki tum Vijay ho aur Kohinoor ko churaane ki neeyat se London aaye ho "
" pata nahi ki aap kya keh rahe hai mr. Bond, mai Beauty ka saathi jaroor hu lekin mera naam... "
" mujhe jaanne ki jaroorat nahi hai " Bond ne uski baat beech me hi kaat di," apne haath upar utha lo, mai dushman ko baato me uljhakar dhokha dene ki tumhaari neeti se acchi tarah vaakif hu "
idhar Vijay ne haath upar kiye, udhar ushi samay Bond ki peeth par ek jordaar thokar lagi, itni jordaar ki munh se ek cheekh nikalta hua Bond hava me uchhalkar munh ke bal kamre ke farsh par gira aur door tak fisalta chala gaya.
ishi beech revolver bhi uske haath se nikal chuka tha.
yah saara kaam palak jhapakte hi ho gaya tha, Loving aur uska saathi abhi kuch samajh hi nahi paaye the ki Vijay ne bijli ki si furti se ek-ek ghoonsa unke sir par maara.
cheekho ke saath ve kate vriksho se lehraaye.
haalanki Bond bahut teji se uchhalkar khada hua tha, kintu Vijay usse pehle hi farsh par pade uske revolver par jump laga chuka tha, Bond ne abhi Vijay par jump lagaane ka upkram kiya hi tha ki darvaaje se gurrahat ubhri," stop mr. Bond "
Bond ne thithakkar darvaaje ki taraf dekha.
Margret bana darvaaje par Vikas khada tha, haath me hathiyaar ki dukaan se churaayi gayi gun lekar, likhne ki aavashyakata nahi hai ki gun ka rukh Bond ki taraf hi tha, usne kathor aevam sthir swar me kaha," agar tumhaare jism me hulki si bhi harkat huyi mr. Bond to meri ungli ke ek ishaare se tumhaara jism chalni me badal jaayega "
" t...tum " beabs sa Bond daant pees utha.
" yes bete, mai us car ki dikki me tha jo abhi bhi porch ke antim sirey par khadi hai, mera kaam kisi khatre me fanse apne saathi ki madad karna tha, vahi mai kar raha hu "
" guru ko saathi kab se kehne lage ho "
isse pehle ki Vikas kuch kehta, Vijay bol pada," Britain ka mahajasoos thoda crack ho gaya lagta hai Margret, ye mujhe Vijay aur tumhe na jaane kya samajh raha hai "
" mai ek hi goli me iski akal durust kar sakta hu Basheer "
" filhaal iski jaroorat nahi hai " Vijay ne Bond ka revolver apni jeb me daala aur farsh par behosh padi Aasha ki taraf badhta hua bola," hum sirf Beauty ko iski giraft se nikaalne yaha aaye the aur vah kaam laghbhag poora ho gaya hai "
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply