'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

uske munh se ek siskaari si nikli.
computer ka khayaal aate hi uske dimaag me ye vichaar ekdum bijli ki tarah koundh gaya tha ki Gardner ke office me jaane ke liye ushe gallery me rakhe huve computer ke saamne se gujarna hoga.
computer ekdum se uska naaam Gardner ke office me relay kar dega.
is vichaarmaatra ke hi parinaamswaroop uske kanth se siskaari nikal gayi thi.
" kya hua Johnson " apne ek saathi ki aawaj ushe door se aati huyi mehsoos huyi, magar uske dwara pooche gaye sawaal ka jawaab nahi de paaya vo.
jawaab deta bhi kaise, hosh hi kaha tha ushe.
uske dimaag me ekmaatra vichaar ye hi koundha tha ki bas ab vah pakda gaya hai.
saare sapne ret ki deewaro ki tarah bikhar gaye the.
haath-pair thande padte chale gaye the, dimaag sunn.
ye sach hai ki Hambrig ka apni kisi bhi indri par niyantran nahi raha tha aur uske haath-pair itni buri tarah se kaanpne lage the ki uske chaaaro saathi boukhla gaye.
kursi par baitha judi ke mareej ki tarah kaanp raha tha vah.
ek guard ne ushe jhinjhodte huve kaha," Johnson, kya hua tumhe Johnson "
Hambrig ko ye aawaj kahi bahut door se aati huyi mehsoos ho rahi thi aur aisa lag raha tha jaise ki ushe koyi swapan me jhinjhod raha ho.
uske chaaaro saathiyo me se kisi ko bhi samajh me nahi aaya tha ki achanak hi Johnson ko kya ho gaya hai, ve chaaro hi ushe jhinjhodne lage.
ishi kshan computer se bachne ki ek ajeeb si tarkeeb uske dimaag me aa gayi.
tarkeeb dimaag me aate hi usne dono haatho se apna pet pakda aur itni jor se cheekh pada ki hall me kaam karte clerk bhi chounk pade.
aur ab vah pet pakde jor-jor se cheekh raha tha.
andaaj aisa tha jaise ki pet me asahaneeya dard ho raha ho, uske chaaro tarah karamchaariyo ki bheed ikhatti ho gayi thi, abhinay karta hua Hambrig kursi se neeche farsh par jaa gira.
ret par padi machli ke samaan tadap raha tha vah.
sabhi ekdum se ghabra gaye, ek guard ne jaldi se Gardner ke office me phone kiya aur 10 minute baad hi mr. Gardner bhi vaha pahuch gaye.
Johnson barabar machli ke samaan tadap raha tha.
" ishe yaha se uthakar bistar par lita do " Gardner ne aadesh diya aur aadessh hote hi uske chaar saathi guards ne ushe uthaaya, jab ve Hambrig ko uthakar plywood ke bane ek cabin ki taraf le jaa rahe the tab usne Gardner ki aawaj suni," koyi doctor ko phone karo, jaldi "
cabin me do palang the, dono par hi bistar bicche huve the, Hambrig samajh gaya ki bheetar rehne vaale dono guards inhi bistaro par raat gujarte hai.
15 minute baad hi ek doctor bhi aa gaya, usne Hambrig ko check kiya aur bola," inka blood pressure bahut high hai "
" pe..pet doctor sahab, pet me bahut dard.. aah " Hambrig ne khoobsurat acting ki.
stethescope se doctor ne punah uska pet check kiya, pet me dard ek aisa marj hai jo hai ya nahi hai, ye jaanne ka doctor ke paas koyi jariya nahi hai.
shayad doctor ne anumaan lagaya ki dard gas ki vajah se hai, usne dava di, bloodpressure ko normal karne ke liye ek injection thok diya, tab bhi jab Hambrig ne tadapna nahi chhoda to doctor ne ek neend ki goli ushe de di.
Hambrig tadapta raha, tab tak jab tak vah tadap sakta tha, lekin jab neend ki goli ne apna asar dikhaya to vah chahkar bhi tadap na saka.
vah so gaya.
doctro ke saath hi sabne shaanti ki saans li.
ab mr. Gardner ne aage badhkar poocha," ishe kya hua hai doctor "
" mere khayaal se to ishe achanak hi koyi shock laga hai, aisa jisne iske dil-o-dimaag ko hila daala aur ushi ki vajah se inka bloodpressure itna badh gaya hai aur udhar subah isne koyi aisi cheej khaayi hogi jisse gas banti ho, pet me gas bani, blood pressure badhne ki vajah se pet me gas ka dabaav badha aur pet me dard hone laga "
" itna tej "
doctor dheeme se muskuraya, bola," dard ka koyi paimaana nahi hota mr. Gardner, vah isse tej bhi ho sakta hai aur fir kuch log feel jyada hi karte hai "
" thankyou "
" davao ke saath-saath maine ishe neend ki goli bhi de di hai " doctor apni wristwatch par najar daalta hua bola," iska asar takreeban 6 baje ke aas-paas khatam hoga, hosh me aate hi ishe ye goliya de dijiyega agar fir bhi dard bataye to mujhe bula lena "
is prakar goliya dekar doctor chala gaya.
goliya ek guard ko dete huve Gardner ne poocha," ye haadsa hone se pehle tum logo ke beech me kya baate ho rahi thi "
" k..kuch bhi nahi sahab " guard ekdum boukhla gaya.
" koyi aisi baat jisse Johnson ko shock laga ho "
" no sir, balki hum sab to ekdum chup baithe the, yu hi kursi par baithe-baithe Johnson ne ek hichki li aur tadapne laga, uske baad iski haalat bigadti chali gayi "
" kuch soch raha hoga, khair, sab log apni-apni seats par baith jaaye " kehne ke saath hi mr. Gardner bhi tej kadmo ke saath apne office ki taraf badh gaye.
sabhi karmchaari apni-apni seats par jaane lage.
thake se ve chaaro guards bhi apni-apni kursiyo par baith gaye, vishesh roop se unhe bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha ki Johnson ko achanak ho kya gaya hai.
ek kshan pehle to accha-bhala tha hi.

----------------------------------------

saadhe paanch ke kareeb Hambrig ki neend tooti, uske sir me tej dard ho raha tha, uske jehan me sone se pehle ka ek-ek drishya chakraane laga tha, vah samajh sakta tha ki doctor ne nischay hi ushe koyi neend ki goli di thi jiski vajah se vah so gaya tha.
usne ekdum se aankhe nahi kholi.
jhiri si banakar pehle apne aaspaas dekha aur ye mehsoos karte hi usne fataak se aankhe khol di ki is waqt vo cabin me akela hai.
saamne lage wall clock me dekhkar ushe khushi hi huyi.
fir dimag me vichaar rengne lage.
kya ushe ab bhi pay lene Gardner ke office me jaana hoga.
ya Gardner ne uski pay uske kisi saathi ko de di hogi.
ab sabse bada sawaal uske jehan me yahi tha jiska ki ushe jawaab khojna tha. us waqt to kaafi hoshiyaari se usne khatre ko taal diya tha.
ab yadi uski pay kisi anya ko nahi di gayi hai, to khatra abhi tala nahi hai.
vah jaanta tha ki office 6 baje band hoga, atah usne socha ki jitna samay palang par baithe-baithe gujaar de utna hi behtar hai, Hambrig ne dono haatho se apna pet pakad liya.
dheere-dheere karahne laga vah.
poore 6 baje ek guard andar aaya, usne aate hi poocha," jaag gaye tum, ab dard kaisa hai "
" pehle se to kam hai " usne dard se karahte huve kaha.
" chalo accha hai, lo, goliya khaa lo " kehte huve gurad ne ushe do goliya di aur door rakhi mej par se paani ka gilaas lene mud gaya.
Hambrig ke jehan me ye baat koundhi ki in dono goliyo me se punah ek neend ki goli ho sakti hai aur kam se kam ab vah sona nahi chahta tha.
atah guard ke apni taraf mudne se pehle hi usne goliya apni jeb me daal li aur pehle ki tarah hi karahta raha.
guard ko dikhaane ke liye goliya khaate rehne ki acting karne me ushe khaasi pareshaani nahi huyi, vah punah let gaya, guard ne ghoomkar gilaas mej par rakh diya.
jab vah gilaas ko mej par rakhkar baahar jaane laga to apni karahat kuch tej karte huve Hambrig ne bistar se uthne ka upkram kiya.
" are, ye kya karte ho " vah guard uski taraf lapakta hua bola," lete raho "
" uthna to padega hi, pay to le lu "
" chinta mat karo, tumhaari pay boss ne mujhe de di hai "
is ek hi aur chote se vaakya ne sachmuch Hambrig ki saari chintaao ko har liya tha.
ushe laga ki sir par latki mout ki talvaar hat gayi hai.
guard ke baahar jaane ke baad vah is tarah muskuraaya jaise ki vah khud ko duniya ka sabse chaalak aadmi samajh raha ho, apni samajh me usne badi khoobi se sabko bevkoof banaya tha.
office ki chutti ho chuki thi.
clerk log aupcharikta ke naate usse mil-mil ke jaane lage.
saadhe 6 baje mr. Gardner do guards ke saath cabin me aaye aur unhe dekhte hi Hambrig sammaan darshaane ke liye ek jhatke se khada ho gaya.
uske yu khade hone par mr. Gardner dheeme se muskuraaye," ab to tum bilkul theek jaan padte ho mr. Johnson "
" j..ji haan "
" good, ab chutti kar lo, ghar jaakar aaraam karna "
" j..ji "
iske baad vah gardner aur anya do guards ke saath imarat se baahar nikal gaya. jinki duty andar lagi thi ve andar hi rahe, mukhya dwar band kar diya gaya.
ek guard ne taala baahar se lagakar chaabi Gardner ko de di, mr. Gardner car me baithe aur car vaha se ravana ho gayi, saath ke guards se tankhvaah lekar Hambrig bhi tej kadmo se Johnson ki kholi ki taraf ravana ho gaya.
vah aaj ki apni hoshiyaari se phoola nahi sama raha tha.

--------------------------------

Johnson ki kholi par pahuchte hi ushe adhed malkin ka saamna karna pada, pehle to uski atpati si baato se vah chakra hi gaya tha, fir samajhne ke baad ushe Johnson ki tankhvaah me se hi do mahine ka kiraya dene ke baad badi mushkil se taala.
bas, iske baad vah raat ke ek baje tak darvaaja band karke kholi me hi raha. is beech usne apne aur asli Johnson ke liye khud hi khaana banaya tha.
ek baje vah khaana lekar choro ki tarah apni kholi me pahucha. Johnson hosh me aa chuka tha aur vah ek andhere kone me pada karaah raha tha, Hambrig ne roshni ki, ushe na cheekhne ki chetavni dekar tape hataya, apne haath se usne Johnson ko khaana khilaya.
khaane ke baad Johnson ne kaha," mai samajh sakta hu ki tumne mera ye makeup kyo kiya hai, tum aaj mere sthaan par duty par gaye hoge "
" theek samjhe " Hambrig muskuraaya.
" tum shayad bank sansthaan me rakhi London ke sabhi banko ki rakam ko lootne ki yojna bana rahe ho, magar tum safal nahi ho sakoge, bhale hi tumhaare is makeup ne insaano ko dhokha de diya ho, parantu rakam boss ke office me rakhi hai aur vaha tak pahuchne ke liye tumhe ek computer ke saamne se gujarna hoga aur vah computer is facemask se dhokha nahi khaayega "
" bevkoof " kehne ke saath hi Hambrig ne uske munh par punah tape chipka diya," tum pehredaari karte ho magar theek se ye bhi nahi jaante ki kis cheej ki pehredaari kar rahe ho "
bolne se laachaar Johnson sirf ushe dekhta raha.
Hambrig ne apni jeb se uski tankhvaah me se bachi huyi rakam nikali aur uski jeb me rakhta hua bola," mai tumhaari tankhvaah bhi le aaya hu aur tum jaante hi ho ki tankhvaah lene ke liye computer ke saamne se hi gujarna padta hai "
Johnson ki aankho me hairat ke bhaav ubhar aaye the aur Hambrig ushe ushi avastha me chhodkar chala aaya tha.
agle din hi subah punah saadhe 8 baje apni duty par pahuch gaya tha, uske saathi guards, clerko aur khud Gardner ne bhi aupcharikta ke naate uska haal-chaal poocha tha.
man hi man muskuraate huve Hambrig ne kaha tha ki ab vah theek hai.
rati-ratayi prakriya ke baad office work shuru ho gaya aur ab Hambrig ko ek vishesh ghatna ke ghatne ka intjaar tha, vah reh-reh kar samay dekhta jaa raha tha aur jyo-jyo samay gujarta jaa raha tha, tyo-tyo uski bechaini badhti jaa rahi thi.
ekaek hi guards ke sameep rakhi phone ki ghanti ghanghana uthi, apne dusre saathiyo ki apeksha kahi jyada furti ka pradarshan karte huve receiver Hambrig ne utha liya," hello boss "
" koun, tum Johnson bol rahe ho na " dusri taraf se Gardner ne poocha.
" ji haan "
" tum hamare office me aakar pay notebook par sign kar jaao Johnson " ye chota sa vaakya kehne ke baad dusri taraf se uske jawaab ki prateeksha kiye bina receiver rakh diya.
haath me receiver liye kisi statue ke samaan khada reh gaya Hambrig, kaan me dial tone ki kirr...kirr ki aawaj goonj rahi thi to dimaag me goonj rahi thi seetiya.

-------------------------------------

Johnson ko phone karne ke baad mr. Gardner apne kaamo me vyast ho gaye, ve kisi file me uljhe huve the, dus minute gujar gaye, unhe shayad ye bhi dhyaan nahi raha ki sign karne ke liye unhone Johnson ko yaha bulaya hai.
ekaek hi unki mej par rakhe phone ki ghanti ghanghana uthi.
dimaag file me hi lagaaye unhone receiver uthakar kaha," hello "
" hello...hello daddy "
mr. Gardner chounk pade, isliye nahi ki dusri taraf se bolne vaali Irvin thi balki isliye kyonki phone par unhe Irvin ki hickiya sunaayi de rahi thi.
mr. Gardner ekdum adheer ho uthe, bole," kya baat hai Irvin, tum ro rahi ho kya "
Irvin ke foot-footkar rone ki aawaj unke kaano se takraayi.
" hello...hello, tum ro kyo rahi ho Irvin " bechaini ki avastha me Gardner laghbhag cheekh se pade.
" G..Gargiyan daadi nahi rahi daddy " hichkiyo ke beech Irvin ne kaha.
" k..kya " chounkkar ve ekdum se kursi par se khade ho gaye.
" Heema city se taar aaya hai daddy, daadi ki mrityu ho gayi hai "
" n..nahi " Gardner ne cheeekh padne ke se andaaj se kaha aur fir kisi murti ke samaan sannaate ki avastha me khade ho gaye, apni maa se unhe bahut pyar tha aur yu achanak unki mrityu ki soochna se unhe bahut shock laga tha.
kam se kam do minute tak line par sirf Irvin ki hichkiya goonjti rahi.
ekaek hi mr. Gardner ne poocha," kaise Irvin, ekaek hi maa ko kya ho gaya "
" t..taar me kuch nahi likha hai, sirf mrityu ki soochna hai "
" oh, hum aa rahe hai Irvin, magar suno to, tum mat rovo, khud ko sambhaalo pagli " ye dusri baat hai ki saantavna dete waqt swayam Gardner ki aawaj bharra gayi thi, andar se foot padne vaali rulaayi ko vo bahut koshish ke baavjood bhi nahi rok paa rahe the.

To be continued........
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

Hambrig ne nischay kiya ki aaj to ushe Gardner ke office me jaana hi hoga aur vah chal diya, dimaag me murkhtapoorn vichaar liye ki computer ke saamne se

vah badi teji ke saath bhaagkar gujar jaayega., shayad computer dhokha kha jaaye.
magar computer tak pahuchne me uski haalat kharaab ho gayi thi, ab ushe door se hi gallery ke ek kone me rakha hua computer saaf najar aa raha tha, us par

najar padte hi Hambrig ki taange kaanpne lagi, laakh chahkar bhi vah us kampan ko rok nahi saka.
tabhi gallery ke saamne vaale mod se mudkar mr. Gardner ushe idhar hi aate chamke, Hambrig ke jism ka roya-roya khada ho gaya, mr. Gardner khoob

lambe-lambe aur tej kadmo ke saath hi idhar aa rahe the.
ab vah teji ke saath Gardner ki taraf lapka aur sanyog dekhiye ki ve dono theek computer ke saamne hi galley me mile.
thithak kar Gardner ne poocha," idhar kaha aa rahe the Johnson "
"k...kya matlab sir, v..vo sign "
" oh, sorry Johnson, ye baat to hamare dimaag se hi utar gayi ki humne tumhe bulaya tha, khair, sign fir kar dena, dekho, hum ishi waqt kam se kam 4-5 din

ki chutti par jaa rahe hai, tumhaari aur Mega ki raat ki duty yahi rahegi "
" y..yes sir, magar baat kya hai, aap achanak hi itne din ki chutti par "
" Heema city me hamari maa ka dehant ho gaya hai "
" oh " Hambrig ne aisa abhinay kiya jaise sunte hi ushe shock laga ho, shock to ushe laga tha magar ye ki yojna ek kadam aur aage badh gayi hai, master ne

apna kaam kar diya hai.

-----------------------------------------

bank sansthaan ki imarat ke andar, plywood ke bane us cabin ki deewar par lage wall clock ne do bajne ka elaan kar diya aur ye to Hambrig jaanta hi tha ki

is waqt raat hai.
apne bistar par lete Hambrig ne dheere se gardan uthakar dusre bistar par lete Mega naam ke us guard ko dekha jiski duty uske saath lagi thi, Mega

nischintita ki neend so raha tha.
Hambrig dheere se utha, apni gun aur goliyo ki belt ko vahi chhodkar bina kisi prakar ki aahat utpann kiye cabin se baahar nikal aaya, fir vah seedha

bathroom me pahucha.
uske haath me ek shaktishaali torch thi jo raat ke samay duty par rehne vaale guard ko milti hai, ishi torch ki madad se usne paani ki tanki me se rassi

nikaali.
bathroom me hi usne rassi ko acchi tarah se nichoda.
fir ushe kandhe par daalkar baahar nikal aaya, ab vah us taraf jaa raha tha jis taraf imarat ki pehli manjil par jaane ke liye seedhiya thi.
vah jeene ke kareeb pahucha.
darvaaja band tha aur us par ek mota taala latka hua tha, Hambrig ne jeb se Alfaanse ki di huyi ek master key nikali aur dus minute ki koshish ke baad lock

khol diya.
ishi tarah lock kholta paune teen baje vo is 5 manjila imarat ki chatt par jaa pahucha, chaaro taraf sannata bikhra pada hua tha, andhere me hi goonj rahi thi

Tames ke behne se utpann hone vaali kal-kal ki aawaj.
chaaro taraf ka drishya bhi bada manmohak tha.
parantu Hambrig is manmohak drishya ka anand uthaane ki bayaay rassi ka ek sira chatt par maujood paani ki vishaal tanki se sambandhit rod se baandh

raha tha.
baandhne ke baad usne gaanth ki majbooti dekhi.
fir shesh rassi usne imarat ki peeche ki deewar ke sahare-sahare latka di, ab vah rod me bandhi gaanth ke paas se rassi ko pakadkar khada ho gaya.
kuch der tak rassi dheeli rahi, fir tanaav badh gaya.
Hambrig samajh sakta tha ki ab master ne is rassi par chadhna shuru kar diya hai, vah rassi ko pakde raha taaki gaanth par jyada jor na pade.
20 minute baad ek anya shakhs chatt par najar aaya.
us saaye ki taraf lapakta hua Hambrig bola," good morning master "
" morning, sab theek hai na "
" filhaal to theek hi hai "
uski baat par koyi vishesh dhyaan diye bina Alfaanse ne deewar ke sahare latki rassi dheere-dheere kheenchni shuru kar di, poori rassi kheenchne me 5 minute

se jyada nahi lage, rassi ke antim sirey par ek kudaal, faavda aur chamde ka ek bada bhaari bag bandha hua tha.
ishwar hi jaane ki is bag me kya tha.
dono ne milkar ve teeno cheeje rassi se kholi, chamde ka bag Alfaanse ne peeth par latka liya, ek haath me faavda aur dusre me kudaal aur ishi beech Hambrig

ne rassi ka pehle sira rod se kholkar uski gucchi bana li thi.
Alfaanse ne kaha," ab chalo "
neeche utarne ke liye ve jeene ki taraf badh gaye, magar ye nahi jaante the ki paani ki vishaal tanki ke peeche khada ek bhayanak chehre vaala vyakti apni

daravani aankho se unhe dekh raha hai, na sirf dekh raha hai balki uske peele aur kroor hontho par bhaddi muskuraahat bhi hai.

---------------------------------------

ground floor me pahuchne ke baad ve bade aaraam se gallery me rakhe computer ke saamne se gujarte chale gaye, unke saamne se gujarte waqt dono ne ek-

dusre ko dekha tha aur fir unke hontho par ek arthpoorn muskaan doud gayi thi.
ve Gardner ke office ke darvaaje par pahuch gaye, Alfaanse ne faavda Hambrig ko pakdaaya aur jeb se ek chaabi nikaali.
deewar ko tatolkar usne sheeghra hi ek key hole ko talaash kar liya aur fir chaabi usme daal di, vaise ye key-hole saadharantaya deewar ko dekhne se najar

nahi aata tha.
chaabi ke ghoomte hi deewar me darvaaja prakat ho gaya.
ve dono kuch aise andaaj se office me pravesh kar gaye jaise ki ye unka apna office ho, Alfaanse pehle bhi yaha aa chuka tha lekin Hambrig ka ye pehla hi

mouka tha isliye vah ispaat ki deewaro, chatt aur farsh se bani is vishaal tankinuma office ko chakit bhaav se dekhta raha, bola," bada sundar aur ajeeb sa

office hai master "
" hu " kehte huve Alfaanse ne apni peeth par se bag utarkar table par rakh diya aur ispaat ki un gol deewaro ke baad farsh ko ghoorta hua bola," yaha se us

sthaan ke liye raasta jaata hai jaha duniya ka sabse keemti aur naayab heera rakha hua hai "
" m..magar kitni ajeeb baat hai master " Hambrig ne kaha," ki ye farsh subah 9 se shaam 6 baje tak hi lift ka kaam kar sakta hai "
" in sakht intjaamo ne hi to mere dil me Kohinoor tak pahuchne ki prabal iccha paida ki thi, khair, baitho Hambrig, ushe apni hi seat samjho aur ab sunao,

tumhaare saath kya hua tha " in shabdo ko kehne ke saath hi Alfaanse ghomkar na keval Gardner ki kursi ke sameep pahuch gaya tha, balki dhamm se kursi

par baith bhi gaya tha.
Hambrig bhi is taraf padi kursi par baith gaya.
Alfaanse ne daraaj kholi aur vah button daba diya jishe usne Gardner ko us waqt dabate dekha tha jab vah Irvin ke saath yaha aaya tha, button dabte hi

darvaaja band ho gaya.
Alfaanse ke aadesh par usne Johnson ko behosh karne se lekar ab tak ghati huyi saari ghatnaaye suna di. dhyaan se sunne ke baad Alfaanse ne kaha," tum

bahut jaldi bahut jyada nervous ho jaate ho Hambrig "
" m..mai kya karta master, haalaat hi kuch aise the "
" isliye kaha tha ki koyi kaam aasaan nahi hota, parso Sadabahar ke cabin me tumne kaha tha ki ab hamara aage ka kaam aasaan hai, dekh liya na tumne ki

vah kitna aasan tha. achanak hi aise-aise khatre toot padte hai jinke baare me kabhi socha bhi na ho, is waqt ye baat tumse kehne ka maksad sirf ye hai ki

ab, yaani yaha tak pahuchne ke baad aage ke kaam ko bhi tum aasaan mat samajhna aur anayas hi yadi koyi musibat toot pade to nervous ho jaane ke

sthaan par usse takra jaane ki koshish karna "
" ji " Hambrig ne kisi agyakaari bachhe ki tarah kaha.
" mai Heema city me jaakar Gargiyan ka katl kar aaya hu, hamari yojna ke mutabik uske kisi padosi ne Gardner ko telegram kar diya hai, vah Heema city

chala gaya hai, vaha ushe pata lagegaa ki uski maa ka murder hua hai, atah kuch aur ulajh jaayega, sochne par ushe door-door tak Gargiyan ke katl ki koyi

vajah najar nahi aayegi, atah vah vaha kam se kam hafta bhar uljha rahega aur itna samay hamare liye kaafi hai "
" kya Irivn bhaabhi bhi unke saath Heema city gayi hai "
" nahi " Alfaanse ne bahut hi samshipt uttar diya.
Hambrig chup reh gaya.
" aage ki yojna me tumhe apna role yaad hai ya dohraane ki jaroorat padegi "
" mujhe yaad hai master, ab pratyek raat ko mujhe ye check karne ke alawa aur koyi kaam nahi hai ki aap heera lekar yaha aa chuke hai ya nahi "
" good, tum ye chaabi rakh lo " kehne ke saath hi Alfaanse ne ye chaabi ushe de di jisse is office ka lock khola tha, bola," ab tum yaha se jaao Hambrig,

tumhaare saathi guard ki agar kisi vajah se neend toot gayi to vah tumhe gaayab dekhkar chounk padega "
chaabi jeb me daalne ke baad Hambrig uthkar darvaaje ki taraf badh gaya, Alfaanse ne button dabakar darvaaja khol diya aur Hambrig ke paar hote hi band

kar diya.
ab usne computer se sambandhit screen on kar di aur dono pair us bhavya kursi par failakar aaram se baith gaya.
kuch hi der baad screen par Hambrig ka naam najar aaya.

------------------------------------

ushi office me Gardner ki kursi par baitha Alfaanse badi vyagrata se apni kalaayi par bandhi wristwatch ko dekh raha tha, ye Gardner ki hi wristwatch thi.
subah ke 9 bajte hi usne jeb se ek vishesh chaabi nikali.
mej ki sabse nichli daraaj kholi aur vah button dabaya jis par M likha tha, button dabate hi kamre ka farsh ghoomne laga aur uske ghoomne se sirf utni hi

aawaj aa rahi thi jitni kisi air conditioner ke chalne se hoti hai.
dheeme-dheeme ghoomta hua farsh neeche ki taraf jaane laga.
kursi par adhleti avastha me pade Alfaanse ne aankhe band kar li, 30 minute ke is safar ke douran Alfaanse so gaya prateet hota tha.
farsh ek halka sa jhatka lagne se ruka aur vo jhatka lagte hi Alfaanse ne aankhe khol di, ab vah ek bahut hi gehri tanki ke farsh par baitha mehsoos ho raha

tha, tanki ki chatt usse 115 feet upar thi.
vah kursi se utha.
seedha tanki ki deewar ke sameep pahucha, farsh se saadhe chaar feet upar deewar me do-do soot vyas ke barabar-barabar do chidra the, Alfaanse ne apni do

ungliya chedo me daali aur unhe daayi taraf ko ghuma diya.
tanki ki deewar me ek darvaaja utpann ho gaya.
Alfaanse apna bag, kudaal, faavda sambhaale is darvaaje ko paar kar gaya, ab uske saamne 10 feet choudi, ispaat ki bani door tak seedhi chali gayi sadak

thi, is choudi sadak ki chatt pandrah feet upar thi, Alfaanse ne sameep hi khadi khoobsurat Mercedes ka darvaaja khola, saamaan usme rakha aur fir driving

seat par baithkar usne Mercedes ko ispaati sadak par douda diya, 15 minute baad Alfaanse ne vaha Mercedes rok di jaha ye sadak khatam ho gayi thi, gaadi

se nikakar usne baayi taraf dekha.
udhar ek gali thi, itni sankari ki ushe vyakti keval paidal chalkar hi paar kar sakta tha, gali ki choudaayi keval ek gaj aur lambaayi 60 gaj ke kareeb thi.
gali ke baahar Alfaanse ko ek telephone booth sa khokha najar aaya, vah kuch der tak ushi taraf dekhta raha aur fir Mercedes se faavda aadi nikaalkar

booth ke kareeb pahucha.
saamaan booth ke baahar hi rakhkar vah swayam andar ghus gaya.
vaha ek telephone rakha tha, Alfaanse jaanta tha ki yadi is phone par ek vishesh number dial kiya jaaye to sankari gali ke farsh se sambandhit sabhi guns ka

sambandh vichhed ho jaayega.
magar, Alfaanse ko vah number maalum nahi tha.
atah phone ke saath bina koyi chedkhaani kiye vah booth se baahar nikal aaya aur gali ke kinaare par khada hokar dhyaan se gali ko dekhne laga.

to be continued........
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

vah sirf tees feet door tak dekh sakta tha, kyonki vaha se aage ek mod tha.
kuch der tak Alfaanse chupchaap khada us gali ko dekhta raha, fir usne chamde ka bag khola aur usme se kareeb 10 kilo ke vajan ka ek patthar nikala, gali ke is sirey par khade hokar usne patthar apne aap se kaafi door fenk diya.
" tad..tad...tad "
patthar ke farsh par takraate hi gun garji, takraane ke baad vah ludhka aur ludhak kar vah jitne switches par se gujra utni hi guns chalti chali gayi.
saare patthar par anginat goliyo ke nishaan ban gaye, ant me vah ek surakshit sthaan par aakar ruk gaya aur guns shaant ho gayi.
patthar ke is anjaam ko dekhkar jaane kyo Alfaanse ke hontho par ek muskaan doud gayi, ye muskaan is gali me mout ka jaal bichaane vaale ke dimaag ki prashansha kar rahi thi.
apne bag se usne bullet-proof libaas nikala.
agle pandrah minute me hi uska jism choti se lekar pair ke nakhoon tak ek bulletproof libaas ke andar chipa hua tha, libaas ek hi tha, kameej, patloon aur nakab ek hi piece me, dastaane alag the.
pairo me juraab bullet proof thi, upar se usne ke paardarshi aur bulletproof chashma chadha liya.
bag peeth par latkaaya, ek haath me faavda, dusre me kudaal lekar vah behichak gali me bhaagta chala gaya.
asankhya baar uske pair gali me chipe huve switches par pade, connencted guns garji parantu adhikaansh goliya uske libaas se takrakar chitak gayi.
haan, peeth par latka bechaara bag jaroor jakhmi ho gaya tha.
60 gaj ki is gallery ko vah lambe-lambe laghbhag 60 hi kadmo me paar kar gaya, vaha ruka jaha gallery band ho gayi thi, ye sthaan kisi bhi gun ki range me nahi thi.
hall ki deewar ko chhedne ki koshish usne nahi ki thi, kyonki jaanta tha ki unme current hai, jo ek baar ushe pakad lega vah ushe tabhi chhodega jab jism me rakt ki ek bhi boond nahi bachegi.
ispaati darvaaja band tha.
Alfaanse jaanta tha ki jab tak ye darvaaja band hai, hall ki deewaro me tab tak hi current rahega, darvaaja khulte hi current ka circuit toot jaayega aur current band ho jaayega.
aur is darvaaje ko kholne ke liye Gardner ke galey ke tabeej me maujood vichitra chaabi ki duplicate vah pehle hi banva chuka tha.
sabse pehle usne apne pairo ke sameep hi faavda aur kudaal rakhe, ek chain kholkar chehre par pade nakaab ko galey me giraya. jab usne peeth se bag utaara to bag ki jakhmi avastha dekhkar vah muskura utha.
chain kholkar bag me se usne ek choti si dibiya nikali, is dibiya me hair pin jaisi vichitra chaabi thi, is chaabi ke aage do sirey the, peeche ke ekmaatra sirey par rubber ki choti si gitti lagi thi, rubber ki is gitti par se hi usne chaabi ko pakda.
chaabi ke dono agrim sirey usne ispaat ke darvaaje me maujood do bareek chidro me fansaaye aur poori saavdhaani ke saath ushe baayi taraf ghuma diya, katt ki halki si aawaj huyi.
Alfaanse ne chaabi vaapis ghumakar baahar kheench li.
darvaaja ek halki si gadgadahat ke saath farsh me sama gaya.
ab bilkul saamne hi rakha Kohinoor saaf najar aa raha tha, ispaat ka bana ye ushi nakshe ka gol hall tha jaisa ki museum me hai, balki ye Alfaanse jaanta tha ki vah sthaan us hall ke bilkul neeche hai, jaha Kohinoor ke aks ko log Kohinoor samajhkar dekhte hai.
hall ke theek beech me ek reading table rakhi thi.
table ke upar ek choti chouki, chouki par laal rang ka bahut hi shaandaar shaneel bicha huva najar aa raha tha aur uske upar rakha tha duniya ka va sabse naayab, amulya, khoobsurat heera, Kohinoor. usse nikalne vaali satrangi rashmiya samuche hall me visfutit ho rahi thi, hall ka rang aisa mehsoos ho raha tha jaise yaha dhero indradhanush bane huve ho.
Kohinoor me aisa aakarshan, aisa khinchaav tha ki Alfaanse ka dil teji se lapak kar ushe utha lene ka chaha, magar nahi, kam se kam Alfaanse itni jabardast bevkoofi nahi kar sakta tha, vah jaanta tha ki aankho ke saamne najar aane vaala ye Kohinor ek dhokha hai, fraud hai.
Kohinoor abhi bhi usse door hai, bahut door, jindagi aur maut ke beech ki doori ko kya kabhi koyi naap saka hai, bas, yu samajhiye ki jaha Alfaanse pahuch gaya hai, vaha se Kohinoor itna hi door hai.
jaanch karne ke liye Alfaanse ne jeb se ek sikka nikala aur darvaaje par se hi Kohinoor ki taraf uchhal diya, magar sikke ke Kohinoor tak pahuchne ki baat to door, darvaaje aur Kohinoor ke beech fakk se sikka jal utha, jalta hua farsh par gira aur dekhte hi dekhte raakh me badal gaya.
Alfaanse jaanta tha ki is sikke ko waves ne jalakar raakh kar diya hai, ve adrishya waves hai, Kohinoor ab bhi darvaaje par khade Alfaanse ko apni taraf aakarshit karta najar aa raha tha.
vo jaanta tha ki mej ke chaaro taraf waves ka ek vritt hai, mej ke kisi bhi taraf teen feet khaali sthaan hai, fir waves ka vritt aur fir khaali sthaan.
magar waves ke is vritt ko hataye bina Kohinoor tak nahi pahucha jaa sakta tha aur majey ki baat ye thi ki Chemboor ne ushe in waves ko apne raaste se hatane ki tarkeeb nahi batayi thi, apne dimaag se hi vah is vritt se bachta hua Kohinoor tak pahuchne ki tarkeeb sochkar aaya tha aur ushi par amal karne ke liye usne kudal utha li.
ek najar usne Kohinoor par daali.
fir jagmaate Kohinoor ki taraf peeth karke kudaal ke nukeele sirey ka vaar darvaaje ki choukhat ke baahar gali ke farsh par kiya.
bas, apne is kaam me vyast hone ke baad Alfaanse ne palatkar Kohinoor ki taraf nahi dekha, kudaal aur faavde ki madad se vah gali me ek gaddha taiyaar kar raha tha.

----------------------------------------

surang me kaam jor-shor se chal raha tha aur yahi vajah thi ki surang ab kaafi lambi ho gayi thi, antim sirey par chal rahi drill machine ke sameep pahuchkar Vijay ne dishasoochak yantra farsh par rakh diya aur dhyaan se uski suyi ko dekhne laga.
uske kareeb teen kadam door khada Vikas bahut dhyaan se aur gambheerta ke saath uski kaaryapranaali ko dekh raha tha, jab usse na raha gaya to vah aage badha.
Vikas ne najdeek jaakar poocha," kya raha guru "
" hum bilkul sahi disha me jaa rahe hai "
" yaani ki surang vahi niklegi jaha ki hum nikalna chahte hai "
aankh maarte huve Vijay ne kaha," accurate "
" kitna samay aur lagega "
jawaab dene ke liye Vijay ne abhi apna munh khola hi tha ki nigaah blackmailer par padi, vah apne nakaab aur paramparagat libaas me nadi ki taraf se chala aa raha tha.
ushe dekhte hi Vijay ke munh se nikla," t..tum "
" ji hujoor "
" yu munh uthaaye tum bewaqt kaise chale aa rahe ho "
" aapko ek khaas soochna dene "
" khaas soochna "
" parso se Alfaanse ek naukri ke liye interview dene baahar gaya hua hai, kal achanak hi mr. Gardner ko telegram mila ki unki mataji ka dehant ho gaya hai "
" kya "
" ji haan, aur mr. Gardner Heema city chale gaye hai "
" oh "
" vaha se ve ek hafte se pehle nahi loutenge "
" kyo "
" kyonki vaha Gardner ki mataji ka dehant nahi hua hai balki murder kiya gaya hai, mr. Gardner vaha is paheli me fans jaayenge ki unki buddhi maa ki hatya kisne kis maksad se ki hai, laakh dimaag ghumaane ke baad bhi unko ye baat samajh me nahi aayegi ki kisi ko buddhi Gargiyan ka katl karke kya haasil hua "
" magar isme khaas soochna vaali kya baat hai "
" aapko isme khaas soochna najar hi nahi aayi "
Vijay ne apne hi andaaj me kaha," hame to isme gadhe ki laat bhi najar nahi aayi "
blackmailer ne kaha," mujhe ye bhi pata laga hai ki Heema city gaye huve Gardner ke haath me vo wristwatch bhi nahi hai jo hamesha rehti hai "
" to tumhaare pet me kyo dard ho raha hai "
sunkar blackmailer ne dono kandhe uchkaaye aur bola," yadi tumhe meri itni saari baato me se koyi bhi khaas baat najar nahi aayi hai to chhodo, bhagvaan hi tumhaara maalik hai "
vah muda aur jis tarah aaya tha ushi tarah jaane bhi laga. Vijay ne ushe rokne ki koyi koshish na ki, is baat par na keval Vikas ko, balki Ashraf, Vikram aur Aasha ko bhi hairat huyi.
ek kone me bandhe pade Bond ne bhi ye sab baate suni thi.
Vikas blackmailer ke peeche lapka, jab usne dekh liya ki blackmailer us surang ke sirey par pahuchne ke baad, neeche koodkar paani me sama gaya hai to vo ghooma.
is waqt uske chehre paar gambheerta se saath-saath thode se sakhti ke bhaav bhi the, Vijay mugdar lekar surang ki mitti peetne me vyast tha, uske bilkul najdeek jaakar Vikas ne kaha," guru "
Vikas ke lehje me aisi gurrahat thi ki keval Vijay group ne hi nahi balki rassiyo me jakde Bond ne bhi chounk kar uski taraf dekha, ek pal ki khaamoshi ke baad Vijay ne kaha," ho jaao shuru "
" aap us blackmailer ki baato ka arth vaakayi nahi samajh paaye the ya... "
" ya "
" samajhkar bhi anjaan ban rahe the "
Vijay ne ajeeb se dhang se haath nachaate huve kaha," ab tumne bhi uski baat suni hi thi pyaare diljale, pata nahi saala kya utpatang bak raha tha, hamari samajh me to kuch nahi aaya, kisi ki maa mar gayi hai to isme hum kya kar sakte hai, kisi ke haath me vah ghadi nahi hai jo hamesha rehti thi to hum kya kare, uski koyi baat tumhaare palle padi "
" mai serious hu guru, majaak nahi kar raha "
" kasam se " Vijay ne badi maasumiyat ke saath kaha," majaak hum bhi nahi kar rahe "
" aap ban rahe hai "
" hame banne ki kya jaroorat hai pyaare, hum to pehle se hi bane-banaye hai, 5 feet, 12 inch lambe "
Vikas ke dhairya ka baandh maano toot gaya, vah ekdum cheekh pada," uski baat ko matlab ye tha guru ki crimer uncle apne target ke bilkul najdeek pahuch gaye hai "
Vijay ne shaant bhaav se kaha," agar tum kehte ho to maan lete hai pyaare "
" keval maanne se kaam nahi chalega guru " Vikas uttejit ho utha," aapko jawaab dena hoga ki crimer uncle ki us raftaar ke jawaab me aap kya kar rahe hai "
" hum surang bana rahe hai "
" surang, huh, ye surang bana rahe hai aap " Vikas bifar pada," ye surang kabhi poori nahi hogi, humse bahut pehle crimer uncle Kohinoor le udenge "
" isme hum kar bhi kya sakte hai "
" bhale hi aap na kar sake, aapke dhang se kuch na ho sake, magar mai bahut kuch kar sakta hu, paanse ab bhi palat sakte hai guru, mere dhang se ab bhi bahut kuch ho sakta hai "
" kya karoge tum "
" Irvin ka murder "
" V..Vikas " halak faadkar chilla utha Vijay.
" haan guru haan, crimer uncle ki yojna ko naakaam karne ke liye Gardner ke ghar se unka sambandh tod dena jaroori hai aur jab Irvin hi na rahegi to us ghar se crimer uncle ke sambandh khud ba khud hi khatam ho jaayenge "
" hosh ki dava karo bete "
" hosh ki dava aap kijiye guru, Vikas ko haarne ki aadat nahi hai, aap abhi bahut peeche hai, crimer uncle bahut aage nikal chuke hai, agar ek baar Kohinoor unke haath lag gaya to duniya ki koyi bhi taakat hame un tak nahi pahucha sakti "
" tumhaara dimaag kharaab ho gaya hai "
" nahi guru nahi, ab aapki in dhulmul schemo se kuch nahi hone vaala hai, ab mujhe apne dhang se kaam karna hoga "
" is abhiyaan par aane se pehle hi humne tumhe chetavani di thi pyaare, tumne vaada kiya tha ki London me keval hamare hukum ka paalan karoge, apne maasha-allah dimaag ko kasht nahi doge "
" us vaade ko mai asafal hone ki keemat par nahi nibha sakta guru "
" tumse kisne kaha ki hum asafal ho jaayenge "
" kisi ke kehne ki kya jaroorat hai guru, sab kuch saamne hi to hai, khuli kitaab ki tarah "
" kya hai saamne "
" crimer uncle ki ek-ek activity, blackmailer ki us ek-ek baat se jaahir hai ki crimer uncle theek ushi scheme par kaam kar rahe hai jo hame Chemboor ne batayi thi, blackmailer ki ek-ek baat ko samajhkar bhi aap anjaan ban rahe hai, Gardner ki maa ka murder, Gardner ka vaha jaana, uski kalaayi se signal dene vaali ghadi ka gaayab hona aur usse pehle inteview ke naam par Alfaanse guru ka gaayab hona, kya ye sab is baat ke prateek nahi hai ki Alfaanse guru apni yojna ke antim charan me maujood hai, kya Chemboor ne hame Alfaanse guru ki yahi scheme nahi batayi thi "

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

" bilkul batayi thi pyaare "
" fir bhi aap kehte hai ki ye surang ban rahi hai, surang, huh, Alfaanse guru apni yojna ke jis charan me pahuch chuke hai, usse jaahir hai ki vo is surang ke

poori hone se bahut pehle hi Kohinoor le udenge, fir is surang ko khodte rehne se kya faayda "
" agar tum ye sochkar apni khopdi ko kasht de rahe ho pyaare ki lumad ushi scheme par kaam kar raha hai, jo Chemboor ne hame batayi thi to jara ye socho ki

is waqt Alfaanse kaha hoga "
" jaha Kohinoor rakha hai, us hall ke darvaaje par "
Vijay ne punah prashan kiya," Chemboor ke bataye mutabik vaha se Kohinoor tak pahuchne me ushe kitna samay aur lagega "
" jyada se jyada 4 ya 5 din "
" 4 din me ye surang hamari manjil par pahuch jaayegi "
Vijay ke is vaakya ke jawaab me ekaek hi ladka kuch na keh saka, bhabhakta chehra liye vah jalti si aankho se apne Vijay guru ke chehre ko dekhta raha,

bola," kya aap theek keh rahe hai guru "
" tum jaanteho ki Harishchandra ke baad ek hum hi to satyavaadi paida huve hai "
" f..fir aapne blackmailer ke saamne uski baato ka arth na samajhne ka naatak kyo kiya tha "
" kyonki hum tumhaari tarah akal ghutno me liye nahi ghoomte pyaare, kisi aire-gairey, nathu-khaire ko hum kyu bataye ki hum bhi Kohinoor se utne hi door

hai jitna apna lumad "
" is baat ko usse chhupaane se laabh "
" filhaal yadi chhupaane se koyi faayda nahi hai to nuksaan bhi nahi hoga "
sakht nigaaho se, bahut hi dhyaan se ladke ne Vijay ko dekha, bola," kahi aap mujhse jhooth to nahi bol rahe hai guru "
" lo, bhala tumse hum jhooth kyo bolenge pyaare "
" isliye, kyonki aapne mehsoos kiya ki mai bhadak raha hu, aap jaante hai ki agar mujhe ye aashvaasan nahi mila jo aap de rahe hai to mai sachmuch vahi kar

baithunga jo keh raha hu, aap vaisa nahi chahte, nahi chahte ki mai apne dhang se kaam karu, isliye jhooth bol sakte hai "
" aisa nahi hai bete "
apne shabdo par jor dete huve Vikas ne kaha," 4 din me ye surang poori ho jaayegi "
" jis gati se kaam chal raha hai, yadi ishi gati se chalta raha to 4 din me hum paar nikal jaayenge "
chetavani dene ke se andaaj me ladke ne kaha," aap jaante hai guru aur mai ek baar fir kehta hu ki Vikas ko haarne ki aadat nahi hai, jis kshan mujhe ye ilm

ho gaya ki ye surang crimer uncle se bahut peeche hai, us kshan mai aapse kiye gaye saare vaade bhool jaaunga, anjaam ki chinta kiye bina mai apne dhang se

kaam karunga, apne dhang se "
" apne jeevan me yadi humne koyi sabse badi bhool ki hai bete to vah ye ki is abhiyaan me tumhe apne saath le aaye, us kshan shayad hum ye bhool gaye the

ki kisi dimaagi yojna par krambaddh roop se kaam karna tumhaare bas me nahi hai, tum to sirf uthapatak kar sakte ho "
rVikas ne koyi jawaab na diya, ek faavda uthakar khud ko kaam me vyast darshaane laga.

-----------------------------------

Alfaanse ko tehkhaane me gaye aaj chouthi raat thi.
Hambrig ko poora vishvaas tha ki aaj raat uska master Kohinoor le aayega, yojna ke anusaar to unhe aaj ki raat Kohinoor lekar mr. Gardner ke office me

pahuch jaana chahiye.
Hambrig khush tha, behad khush, hota bhi kyo na.
uski apni dekh-rekh me duniya ke sabse naayaab heere Kohinoor ki chori hone jaa rahi thi, agar ye chori safal hoti hai jo laghbhag safal hoti hi jaan padti thi

to vah nischit hi duniya ka sabse bada chor ban jaayega, chor hi kyu, duniya ka sabse bada ya jyada se jyada apne master se kam dhanvaan to ban hi jaayega.

Kohinoor ko baajar me rakhkar master jo keemat haasil karenge uske cheente hi ushe dhanvaan bana denge.
kuch aise hi sukh-sapne me khoya Hambrig choro ki tarah apne bistar se utha, ek najar gehri nidra me leen Mega par daali aur fir picchli 4 raato ki tarah vah

aaj bhi baahar nikal aaya, jab se Gardner gaya tha tab se imarat ke andar raat ki duty inhi dono ki thi aur niyamanusaar unke loutne tak rehna bhi inhi dono

ko tha.
aakhir Gardner ke hukum se hi to duty change hoti thi.
vishesh chaabi ka istemaal karke usne Gardner ke office ka darvaaja khola, andar kadam nahi rakha usne, kyonki us chamber jaise gol office ka farsh gaayab

tha.
darvaaje par khade hokar hi usne neeche jhaanka, andhera tha, nangi aankho se ushe kuch bhi dikhaayi nahi diya to torch on karke usne uski roshni neeche ki

or ghumaayi.
prakash ka daayra 100 feet neeche maujood is kamre ke farsh par thirakne laga, Gardner ki table, chair aur dusre saamaan par lekin farsh par Alfaanse ushe

kahi najar nahi aaya.
Hambrig ke dil-o-dimaag par nirasha si chaa gayi.
raat ke 2 baj rahe the, yojna ke anusaar Alfaanse ko Kohinoor ko lekar farsh par pahuch jaana chahiye tha, fir kyo nahi pahuche hai vo, kya kahi koyi

gadbad ho gayi hai.
vahi khada vah do ghante yaani ki 4 baje tak Alfaanse ka intjaar karta raha, magar Alfaanse ushe ek baar bhi neeche najar nahi aaya.
Alfaanse ki aagya ke mutabik ab yaha khade rehkar uske intjaar karne ka waqt khatam ho gaya tha, atah ishi chaabi se usne office ka darvaaja band kar

diya.
chaabi jeb me daalta vah vaapis jaane ke liye ghooma.
bas, ishi kshan ushe aisa laga jaise achaknak hi uske pairo tale se jameen khisak gayi ho, Hambrig ke saare shareer me mout ki thandi lehar bijli ke samaan

koundh gayi, kareeb 15 kadam door gallery me khada Mega ushe khunkhar najro se ghoor raha tha.
" t..tum " Hambrig ki aawaj kaanp rahi thi.
Mega ke munh se gurrahat si nikli," yaha kya kar rahe ho Johnson "
" m..mai...mai bas yu hi " Hambrig ke talve aur hatheliyo tak me paseena ubhar aaya.
" office ki chaabi tumhaare paas kaha se aayi "
" vo..vo..boss mujhe de gaye the "
" jhooth mat bolo Johnson " Mega dahaad utha," mai is service me tumse pehle se hu, 10 saal ho gaye hai mujhe aur mai jaanta hu ki apne office ki chaabi boss

kisi ko nahi dete "
Hambrig ki is waqt ki stithi kaabil-e-bayaan se baahar thi, uske chehre ka rang bilkul safed pad gaya tha, jaise jism me ek boond bhi khoon baaki na raha ho,

saara shareer sunn sa pad gaya tha uska aur aisa mehsoos ho raha tha jaise uske por-por par hajaro cheentiya reng rahi ho.
taange buri tarah se kaanp rahi thi, kuch is tarah jaise ki jyada der tak unka bojh nahi sambhaal paayengi, ushe lag raha tha ki bas ab ek pal ke baad hi vah

chakrakar gir padega.
fir bhi Mega ki baat ka jawaab diya usne," y..yakeen karo Mega, boss mujhe chaabi de gaye the "
" mai yakeen kyo karu, yakeen karenge K.S.S ke officer, mai abhi unhe phone karta hu " kehne ke saath hi vah ghooma aur teji ke saath gallery paar karne

laga.
Hambrig ke tirkan kaanp gaye.
" n..nahi " vah apni sampoorn shakti se uski taraf doudta hua cheekha," r..ruk jaao, p..please ruk jaao, meri baat suno "
Mega thithka, ghoomkar daant peesta hua bola," kyo, dar gaye, tumhe to chaabi boss ne di hai na "
" oh, haan, suno Mega, dekho, jo kuch bhi milega, mai usme se aadha hissa tumhe dunga, pehredaari ki is naukri me kya rakha hai, hamare paas beshumaar

doulat hogi "
ghrinaatmak andaaj me uske safed chehre ko ghoorta hua Mega gurraya," to ye hai tumhaari asliyat, daake ki daulat se ek hi din me ameer ban jaana chahte

ho "
" t..tum samajhte kyo nahi Mega, tum.. "
" mai aisi daulat aur tere jaise kutto ke munh par thookta hu kameene, thuu " gusse se kaanpte huve Mega ne sachmuch uske chehre par thook diya," maine

dekh liya to apne is kaale kaarnaame me mujhe bhi shaamil kar lena chahta hai haramjaade, mai tujhe faansi ke takhte tak pahucha kar rahunga " kehne ke

baad vah ghooma aur teji ke saath gallery paar karna laga.
hadbadaya sa Hambrig uske peeche lapka, fir bina kuch soche-samjhe hi peeche se Mega par jump laga di usne.
kadachit Mega ne usse ye aasha nahi ki thi, vaise bhi Hambrig ne hadbadahat ke kaaran ajeeb se andaaj me jump lagayi thi, atah ek-dusre se guthe dono hi

farsh par gire.
ludhakte huve ve theek computer ke saamne gire the.
boukhlahat me hi Hambrig ke haath me Mega ki gardan aa gayi aur fir farsh par pade Mega ke seene par sawaar hokar Hambrig daant bheenche dono haatho

se uski gardan dabata chala gaya.
Mega chatpatane laga, ge..ge.. ki ajeeb se aawaj nikal rahi thi uske munh se.
Mega ne uske bandhan se nikalne ki bharpoor koshish ki, magar naakaam raha, jishe apne praan hi khatre me najar aa rahe ho, uski giraft se nikalna aasaan

nahi hai, vah khoob tadpa, chatpataya magar apni gardan se Hambrig ke faulaadi haatho ko hata na saka.
aur ek seema ke baad vah nischal pad gaya.
bechaare Hambrig ko to is baat ka bhi khayaal nahi tha, uske nischal padne ke baavjood bhi vah kaafi der tak gardan dabaye raha, jab usne mehsoos kiya ki

Mega hil tak nahi raha hai to vah chounka.
kuch hosh sa aaya aur ye mehsoos karte hi uske hosh faakhta ho gaye hi Mega mar chuka hai.
ghabrakar na keval usne apne haath hi Mega ki gardan se hataye balki ucchalkar khada bhi ho gaya aur fati-fati aankho se theek computer ke saamne padi

laash ko dekhne laga, uske haath-pair judi ke mareej ki tarah kaanp rahe the.
kaano ke aaspaas goonj raha tha saany-saany karta sannata.
kisi anjaani madad ke liye usne ghabrakar chaaro taraf dekha to drishti punah Mega ki laash par padi. vishesh roop se un aankho par jo gala dabne ke

kaaran palko ke kinaaro ki seema todkar ubli si pad rahi thi.
Hambrig un aankho se dar gaya aur ladkhadata sa office ki taraf douda, jeb se chaabi nikalkar usne jaldi se darvaja khola, neeche jhaanka, jeb se torch nikali.
prakash daayra neeche farsh par thirakne laga, boukhlahat me vah paaglo ki tarah chilla utha," m...master, master "
aawaj ispaat ke us kuve ki gol deewaro se takrakar pratidhwanit hone lagi, Hambrig ke jawaab me kuve ki har deewar pukarne lagi," master..master..master "
jab vah aawaje kuve ke garbh me vileen ho gayi to Hambrig punah cheekh pada," meri madad karo master, mai khatre me fans gaya hu, jaldi aa jaao "
jawaab me uske yahi shabd tanki ki deewaro se takrakar gudmud ho gaye aur saari tanki me kuch aisi aawaje goonjne lagi jaise dher saari pretatmaaye

milkar cheekh-chilla rahi ho.

--------------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


us tanki se meelo door tha Alfaanse.
jab se usne kudaal ka pehla vaar jameen par kiya tha, tabse ek pal ke liye bhi vah soya nahi tha, 24 ghante kudaal aur faavde se kathor sharirik shram karta

raha tha vah.
ye shram karte huve ushe lagataar 80 ghante ke kareeb ho gaye the.
is sthaan par itna lamba aur kathor shram kaarna uski yojna ka hi ek ang tha yaani ki ye sabkuch vah poorvnirdhaarit yojna ke mutabik hi kar raha tha.
atah chamde ke bag me vah apne liye 5 din ka khaana aur paryaapt paani bhi laaya tha, prateyek 12 ghante baad vah khaana khaata tha, samay par latreen

karta, aur ushe choti si surang se nikli mitti me daba deta tha.
bas jis samay me vah aavashyak kaam kar raha hota tha, yahi uske sustaane ka samay thaa, in kaamo se nibatkar vah punah us surang me ghuss jaata tha,

jishe vah taiyaar kar raha tha.
Alfaanse ko jaanne vaale ye bhi jaante hai ki uske liye kam se kam 10 raato tak jaagna koyi mushkil kaam nahi hai.
mushkil kaam to vah tha jo vo kar raha tha.
80 ghante pehle jaha usne kudaal maari thi, vaha ab ek itna chouda gaddha tha ki jisme poora aadmi sama jaaye, yah gaddha 5 feet gehra tha, uske baad

samkon par mudti huyi surang jameen ke andar hi andar us hall ke neeche chali gayi thi, jisme Kohinoor rakha tha.



theek vaisi hi surang ke roop me jaisi Vaishno devi par Ardhkanya ki surang hai.
10 feet tak seedhi khudi huyi vah surang vaha se upar ki taraf chali gayi thi aur is sthaan par vah surang ko apne khade hone jitna uncha khod chuka tha.
surang ke is bhaag me emergency light ka bharpoor prakash tha.
khada hua Alfaanse apne sir ke upar se, faavde se mitti hata raha tha, jab uske pairo ke aaspaas kaafi mitti jama ho gayi to mitti ko usne ek chaadar me bhara, gathri banayi.
gathri ke munh par rassi bandhi aur fir is rassi ke munh ko lekar surang ke sirey ki or badh gaya, rengte huve usne 10 feet lambi surang paar ki, mod par aakar vah khada ho gaya.
taakat lagakar usne rassi kheenchi, mitti se bhari gathri uske paas aa gayi.
gathri ko uthakar usne surang ke munh ke baahar rakha, swayam bhi surang se nikla aur gathri kholkar mitti ke ek dher par vah mitti bhi daal di. buri tarah haanf raha tha Alfaanse, saara jism paseene se tarbatar tha, kapde aur saare hi jism par sili-si mitti lagi huyi thi, mitti me lipta bhoot sa najar aa raha tha vah.
kuch der tak vahi khada haanfta raha, fir apne mastak se usne paseene se geeli ho gayi mitti chhudaayi tatha chaadar aur raassi ke saath punah apni is choti si surang me daakhil ho gaya.
surang ke antim sirey par pahuchkar usne punah faavda sambhala aur surang ki unchaai badhaane me vyast ho gaya, sheeghra hi aisi aawaj huyi jaise faavda mitti par nahi balki lohe ki kisi chaadar par takraya ho aur is aawaj ke hote hi Alfaanse ki aankhe chamakne lagi.
vah dugne josh ke saath ispaat ki chaadar ke is nichle sirey par jami mitti ko faavde se khurachne laga aur mitti hat jaane ke baad ispaat ki vah chaadar saaf chamakne lagi.
Alfaanse ne faavde se ushe acchi tarah se thok-bajakar dekha.
mitti ki punah ek choti si gathri banayi aur baahar nikal aaya, khule huve darvaaje ke saamne chamak rahe Kohinoor ko dekhkar vah dheeme se mukuraaya, fir palatkar usne apne bag me se ek chota sa cylinder nikala, is cylinder me keval do kilo gas aa sakti thi.
cylinder ke saath usne rubber ke do pipe attach kiye, in pipes ke dusre sirey usne ek welding holder se jode aur gas khol di. fir ek haath me welding holder lekar, dusre haath me ek paini cheeni aur bhaaari hathoda liye vah punah surang me daakhil ho gaya, cylinder aur holder se sambandhit rubber ke pipe surang me is kone se us kone tak fail gaye.
Alfaanse ne welding holder ek taraf rakha aur chaini-hathode se ispaat ki chaadar par nishaan banane laga, vah nishaan jaha se is chaadar ko ushe kaatna tha.
ek do feet vyas ka vritt sa bana liya usne.
fir chaini-hathoda ek taraf rakhkar welding holder uthaya, jeb se vah chashma nikalkar aankho par lagaya jiska istemaal welding karne vaale karte hai.
button on karte hi holder me se neele rang ki aanch badi teji se laplapaane lagi, us aag ke laplapaane se hone vaali aawaj surang me goonj rahi thi.
ab vah nishaan par se ispaat ki chaadar kaatne laga.
uske aaspaas aag ki chingariya bikharne lagi, ushe nahi maalum pada ki vah kitni der tak machine se ushe gaalata raha, beech-beech me chaini-hathode se ushe kaat-ta bhi raha.
us waqt subah ke paanch baje the, jab usne santusht hokar button off kar diya, holder ke munh se laplapaati aag gum ho gayi, saara saamaan vahi chhodkar vah vaapis louta.
surang ke is sirey se chaadar tatha vah chota sa can uthaya jisme abhi thoda sa paani tha, in dono vastuo ko lekar vah punah surang ke antim sirey par pahucha.
paani ka can usne ek taraf rakh diya.
chaadar ki kayi tah banakar usne ispaat ke kate huve bhaag par raakhi aur fir chaadar par apne dono haath tikakar vah kate huve bhaag ko poori taakat se upar ki taraf dhakelne laga.
kata bhaag hil raha tha.
beech me chaadar hone ke baavjood bhi Alfaanse ab ispaat ki garmi apne haatho par mehsoos kar raha thaa, surang me kapda jalne ki durgandh failne lagi.
parantu iski parvaah kiye bina kate huve bhaag ko upar ki taraf dhakelne ki bharpoor koshish kar raha tha vah. is koshish me ushe apni sampoorn sharirik shakti ka istemaal karna pad raha tha.
daant bheenche usne poori taakat laga di, magar apne uddeshya me kaamyaab na ho saka.
ab uske haath jalne se lage the, jor lagana band karke usne chaadar hatayi, chaadar ki upari tah garm ispaat par rakhi hone ke kaaran jal rahi thi.
Alfaanse ne chaadar par jal rahi chingariyo ko bujhaya.
chaini-hathoda lekar usne ek baar fir se katey huve bhaag par chot karni shuru kar di, ab ispaat ka kata hua bhaag sewer ke dhakkan ki tarah hilne laga tha.
is baar chaini-hathoda rakhkar jab usne punah jor lagaya to achanak hi ek jhatke ke saath ispaat ka kata hua bhaag chaadar samet upar ki taraf ucchla.
ek jordar aawaj ke saath vah hall ke farsh par jaaa gira.
ab Alfaanse apni surang ke is hisse ko hall me rakhi mej ke kaafi kareeb nikalne me kaamyaab ho gaya tha, magar hall me jaane ki usne jaldi nahi ki.
surang me hi rengta hua vaapis louta.
ab aap yu samajh sakte hai ki surang ka ek sira hall ke darvaaje ke sameep baahar tha, dusra hall ke beechobeech rakhi mej ke kareeb.
Alfaanse baahar nikla.
darvaaje par khade hokar usne Kohinoor ki taraf dekha, mej ke sameep hi ispaat ke farsh se alag hua gol hissa aur chaadar padi thi, aisa bhatt najar aa raha tha jaise sewer ka dhakkan gaayab ho gaya ho, kuch der tak vahi khada Alfaanse apni kaargujari par muskurata raha aur fir badi teji se usne vahi bulletproof libaas pehna jishe pehankar usne gali paar ki thi.
usne bag se Kohinoor jaisa hi najar aane vaala heera nikala aur ushe mutthi me dabaye surang me reng gaya, antim sirey par jaakar usne can se paani ke cheente ispaat par daale, jisse kata hua hissa alag kiya tha. chann-chann ki aawaj ke saath paani ki boonde vaise hi jalne lagi jaise garm tave par jala karti hai, ispaat ki is deewar ko paar karne se pehle ushe thanda karna aavashyak tha.

------------------------------------------

ye baat sheeghra hi Hambrig ki samajh me aa gayi ki is tarah se cheekhte rehne se koyi samasya hal nahi hone vaali hai aur tab usne neeche utarne ka nischay kiya.
rassi uske paas hi thi, atah utarne ka intjaam karne me ushe der nahi lagi.
upar ek kunde me bandhi rassi par vah bandar ki tarah utarta hi chala gaya, farsh par pahuchte hi usne khule darvaaje se baahar jump lagayi.
ispaat ki khuli sadak saamne thi.
mout ke bhay se bhi itna tej koyi nahi doud sakta tha jitna tej is waqt Hambrig doud raha tha.
jo duri Mercedes se 15 minute me paar hoti thi, vahi doori Hambrig ne sirf 40 minute me paar kar li, ab vah doudta hua Mercedes ke sameep pahucha.
buri tarah haanfte huve usne Mercedes me jhaanka aur yahi vah kshan tha jab uske kanth se bhayanatmak cheekh ubal padi.
sankari gali ke us paar se goliyo ki jordar aawaj ubhri.
Hambrig ki cheekhe goliyo ki us majboot aawaj me dabkar reh gayi thi, vah car me maujood ek bhayanak chehre ko dekhkar cheekha tha.
hatprabh sa vah abhi car ki seat par najar aane vaale bhayankar chehre ko dekh hi raha tha ki ek jhatke se Mercedes ka darvaaja khula.
daravane chehre vaala furti se baahar aa gaya.
ye vahi tha jo us paani ki tanki ke peeche chupa hua tha jab Alfaanse aur Hambrig bank sansthaan ki chatt se neeche utarne ke liye jeene ki taraf badh rahe the, ushe dekhte hi apne sthaan par kisi statue sa khada reh gaya Hambrig.
is tehkhaane me usne apne aur Alfaanse ke alawa kisi teesre vyakti ki to kalpana bhi nahi ki thi, aur fir is aadmi ki to bilkul nahi jo is waqt Hambrig ke saamne khada tha.
Hambrig ke kanth se barbas hi nikla," a...aap "
" hu " jaise koyi jangli tendua gurraya ho.
" a..aap yaha kaha se.. "
aur Hambrig ka vah vaakya poora bhi nahi ho saka tha ki us daravani shakal vaale ne jhapatkar apne dono haath uski gardan par jama diye.
" m..master " Hambrig ne cheekhna chaha, parantu is baar cheekh uske halak me hi kahi ghutkar reh gayi, kuch der tak vah is daravane chehre vaale ki majboot giraft me yu chatpatata raha jaise baaj ki giraft me fansa kabootar fadfadaya karta hai, fir thanda pad gaya.
Hambrig ki laash dhadaam se ispaat ki sadak par giri.

-------------------------------------

jab ispaat ki chaadar poori tarah se thandi pad gayi to Alfaanse ne bache huve paani samet can ko surang me fenk diya tatha dono haath upar karke hall ke farsh ko pakad liya usne.
ek hi jump me vah gaddhe ke upar kamre ke farsh par baitha tha.
sabse pehle usne hall ke khule huve darvaaje ki taraf dekha, darvaaje ke baahar se shuru huyi is surang ka munh aur maut ki gali ka bhi kuch hissa ushe chamak raha tha, usne jeb se ek sikka nikalkar darvaaje ki taraf ucchala.
sikka beech me hi fakk se jalkar neeche gir gaya, iska matlab ye ki jameen ke neeche se hota hua vah ab adrishya waves ke vritt ke is paar aa pahucha hai.
ye sikka usne ye jaanne ke liye fenka tha ki waves ka vritt usse kitni door hai aur sikke ke jalkar gir jaane se yah baat usne jaan li thi.
ab vah mej ke sameep aaraam se khada ho gaya.
Kohinoor usse itni door tha ki haath badhakar vah ushe utha sakta tha, kintu usne kisi prakar ke utaavlepan se kaam nai liya, Kohinoor ko apne itne najdeek dekhkar vah muskuraya, ye muskurahat aisi thi jaise Kohinoor se keh raha ho, dekha, tum Alfaanse se haar gaye.
ek baar fir usne dhyaan se socha ki Kohinoor ke hat-te hi kaha-kaha, kya-kya pratikriya hogi, kul-milakar Kohinoor ke apne sthaan se hat-te hi 5 prakriyaye honi thi, pehli, control room me upgrah signal dene lagega.
" huh, koyi signal nahi dega " Alfaanse badbadaya.
dusri, is hall ki deewaro me lage camera photo kheenchne lagenge.
Alfaanse badbadaya," kheenchte raho, photo me mere is bulletproof libaas ke alawa aur aayega hi kya, ye nakaab aur aankho par chadha bulletproof chashma "
teesri, hall ka vah khula hua darvaaja band ho jaayega.
" hota rahe "
chouthi, chaaro taraf se goliya barasne lagengi.
" barse " Alfaanse ne kaha," mera kya bigaad lengi "
paanchvi, Kohinoor ke yaha se hat-te hi museum ke jar ke andar se Kohinoor ka aks gaayab ho jaayega.
" kitni der ke liye " is paanchvi kriya ko yaad karke Alfaanse muskuraya, swayam se hi bola," mere paas dusra Kohinoor hai, vaha ke guards ki palke bhi nahi jhapkengi aur jar me Kohinoor unhe fir najar aayega "
ab Alfaanse ne nakli Kohinoor baaye haath me liya, daaya haath asli Kohinoor ki taraf badhaya aur fir hairatangej furti ke saath usnne daaye haath se Kohinoor ko uthaya aur baaye haath se rakh diya.
hall ki deewaro me chupi guns garji, goliya uske libaas se takrakar shaheed ho gayi, inhi goliyo ki aawaj me vaha Hambrig ki cheekh dab kar reh gayi thi.
hall ka darvaaja band ho chuka tha.
Alfaanse jaanta tha ki camera uski photo bhi kheench raha hoga, parantu is baat ki bhala kaha chinta thi ushe, hall ke chaaro taraf chupi huyi guns golivarsha karke shaant ho gayi.
Alfaanse jaanta tha ki unme bhari goliya khatam ho gayi hongi, magar jis maksad se guns ko fix kiya gaya tha vo abhi khatam nahi hua tha kyonki Kohinoor ko uthaane vaala farsh par pada tadap nahi raha tha, balki un vyavasthaao par hans raha tha.
firing ke baad saare hall me mout ki si khaamoshi chaa gayi.
Kohinoor haath me liye Alfaanse mej ke sameep hi khada tha, sabse pehle usne vah transmitter Kohinoor se alag karke farsh par daala jiska connection upgrah se tha.
fir band ho gaye hall ke darvaaje ki taraf dekha.
nischay hi nakli Kohinoor me asli ke barabar vajan nahi tha varna us darvaaje ko khul jaana chahiye tha, magar Alfaanse ko us darvaaje ke khule rehne ya band ho jaane se koyi fark nahi padne vaala tha, Kohinoor ko jeb ke havale karke vah surang me utar gaya, do minute baad hi vah is band hall ke baahar tha.

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply