'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

" arey " Kohinoor ki taraf dekh rahe kayi guards ke munh se ek saath nikla, unhone palke jhapki aur Kohinoor apne sthaan par tha.
jin guards ne kuch nahi dekha tha ve apne saathi guards ki is 'arey' par chounke the aur laghbhag ek saath hi unhone poocha," kya hua "
jawaab dene ke sthaan par ve guard jinhone dekha tha, prashanvaachak nigaaho se ek-dusre ki taraf dekhne lage, ve sab chakit the, kinkartavyvimudh se,

jaise samajhne ki koshish kar rahe ho ki ek kshan pehle jo unhe mehsoos hua tha kya vakayi unki aankho ne vo dekha tha.
in guards ke commander ne poocha," kya baat hai, tum log chounke kyo the "
" s..sir " ek guard kuch kehta-kehta jar me maujood Kohinoor par drishti padte hi chup ho gaya jabki commander ne kaha," haan-haan bolo "
himmat karke ek dusre guard ne kaha," s..sir aisa laga tha jaise kisi ne Kohinoor ko chuaa ho "
" chuaa ho " commander ka chakit swar ubhra.
" j..ji haan " ek aur guard ne himmat ki," ek pal ke liye aisa laga tha jaise ek haath ne Kohinoor ko uthakar punah vahi rakh diya ho "
" vah haath dastaane pehne huve tha sir " teesre ne kaha.
commander aur ve guard jinhone kuch nahi dekha tha, unhe is tarah dekhne lage, jaise ve paagal ho gaye ho, in guards ki taraf commander ki drishti sakht ho

gayi, bola," tumhaara dimaag to theek hai "
kuch dekhne vaale guads ke chehre peele pad gaye.
commander ne aage kaha," Kohinoor us jar ke andar hai, hum sab log jar ke chaaro taraf khade hai, jar toota tak nahi aur kisi haath ne Kohinoor ko chuu bhi

liya, kiska haath tha vah "
" p..pata nahi sir "
" bako mat " commander gurraya.
ek-dusre ki taraf dekhne ke baad ve guards chup hi reh gaye, chehre se hi najar aa raha tha ki ve anicchapoorvak chup huve hai, shayad isliye kyonki jo

unhone dekha tha, ushe ve bhula nahi paa rahe the aur chup isliye the kyonki unki tarkbuddhi swayam ushe sweekar nahi kar paa rahi thi.
fir Kohinoor bhi to apne sthaan par najar aa raha tha.

----------------------------

bulletproof libaas ki jeb me Kohinoor tha aur is libaas ko pehne Alfaanse kaafi teevra gati se bhaagta hua gali paar karne laga, goliyo ki aawaj se saara

tehkhaana gooonj utha.
bulletproof libaas se takrakar goliya bina koyi karishma dikhaaye shaheed ho gayi.
gali paar karne me Alfaanse ko mushkil se do minute lage, magar paar hone ke baad bhi vah thithka nahi balki ushi gati se Mercedes ki taraf badh gaya, ye

dusri baat hai ki vaha pahuchte-pahuchte usne nakaab ki chain khol di thi.
kareeb jaate hi usne ek jhatke se Mercedes ka darvaaja khola aur uske aisa karte hi car ke andar se ek laash ludhak kar uske kadmo me gir gayi.
Alfaanse chounka aur us samay to uski khopdi hi ghoom gayi jab usne dekha ki ye laash Hambrig ki thi, usne boukhlakar apne chaaro taraf dekha.
telephone booth ka darvaaja khula.
daravane chehre vaala baahar nikla.
" t..tum " Alfaanse ucchal pada.
bhayanak aawaj," haan bete, Kohinoor ko yaha tak laane ke liye dhanyavaad "
Alfaanse ka chehra patthar ki tarah sakht ho gaya, jo saamne tha, ushe dekhne ke baavjood vo uski sachhayi par yakeen nahi kar paa raha tha, daravane

chehre vaala vah vyakti Singahi tha.
Alfaanse jaanta tha ki Singahi shabd hi karishme ka paryaay hai, kintu fir bhi ushe is sthaan par dekhkar Alfaanse ko jitna asharya ho raha tha, utna

shayad apne picchle jeevan me bhi kabhi na hua ho.
muskuraata hua Singahi uske saamne aa khada hua.
Alfaanse abhi tak apne ascharya par kaabu paane ki koshish kar raha tha.
Singahi ne bade pyar se kaha," is tarah kya dekh rahe ho bete "
" tum yaha kaise pahuch gaye "
Singahi ka jawaab tha," jis tarah tum pahuche "
" kya Hambrig ko tumne maara hai " pata hote huve bhi Alfaanse ne poocha.
" jaahir hai "
Singahi ne kuch aise sahaz andaaj me sweekriti di thi ki Alfaanse ke saare shareer me krodh ki lehar doudti chali gayi thi, chehra kuch aur sakht ho gaya tha,

aankhe is kadar surkh ho gayi jaise ki agle hi pal unme se khoon ki koyi boond tapak padegi.
gurra utha vah," Hambrig mera vafadaar shaagird tha "
" jaanta hu " Singahi ke patle hontho par vahi khunkhaar si najar aane vaali muskurahat thi," vishesh roop se Kohinoor tak pahuchne me isne tumhaari bahut

madad ki hai "
" mai tumse iski mout ka badla lekar rahunga Singahi "
vahi shaant swar," jab mouka mile to koshish jaroor karna "
Alfaanse ke tan-badan me aag lag gayi thi, magar beech ke samay me vah swayam ko niyantrit kar chuka tha, vah is sthaan par Singahi ki upastithi ke arth

ko samajh sakta tha, Singahi ne haath failakar bade hi aaraam se kaha," laao, Kohinoor mere havaale kar do "
" katora haath me lekar bheekh maangna shuru kar do "
" bheekh me yadi Kohinoor mile to Singahi katora haath me lene se bhi nahi hichkega bete " badi hi pyaari si muskaan ke saath Singahi ne kaha tha," magar

filhaal mai bheekh nahi maang raha hu "
" mehnat maine ki hai, ye bheekh nahi hai to aur kya hai "
" asli hakdaar mehnat karane vaala hota hai "
Alfaanse ki aankhe sikud kar gol ho gayi, bola," kya matlab "
" isme shak nahi ki Kohinoor ko churaane ke liye tumne ek khoobsurat yojna banayi aur us par kaam kiya, Kohinoor ke chaaro taraf ki gayi suraksha

vyavastha ab bhi jyo ki tyo hai, fir bhi unme se kisi ko bhi maalum nahi hai ki Kohinoor chori ho chuka hai, well, bahut khoob bete, hum jaante the ki aisi

safal chori karne vaala duniya me keval ek hi aadmi hai, tum, aur isliye apne is kaam ke liye humne tumhe chuna, hamare chunaav ki daad to tumhe deni hi

hogi "
" kya bak rahe ho tum "
jawaab me Singahi ne jo bataya, ushe sunkar Alfaanse ki stithi paaglo jaisi ho gayi, avishvashneeya aur bhaavuk se swar me vah cheekh pada," n..nahi, ye

sach nahi ho sakta, tum jhooth bol rahe ho "
" tum jaante ho ki apna kaam nikalne ke baad Singahi jhooth nahi bolta "
" kaam nikalne ke baad, huh, kya tum ye samajhte ho ki Kohinoor ko mujhse prapt kar loge "
" beshak "
" bhaavukta ke jis bhanvar me fansakar tum mujhse Kohinoor lutna chahte ho bete, mai usme nahi fansunga " Singahi se takraane ke liye taiyaar hota

Alfaanse guraaya," mai jaanta hu ki kam se kam Irvi ke baare me kaha gaya tumhaara ek-ek shabd galat hai, keval isliye kaha gaya hai taaki mai maansik

roop se trast ho jaau, tumhara mukabla na kar saku aur tum badi aasani se Kohinoor prapt kar lo, magar tum shayad bhool gaye Singahi ki mera naam

Alfaanse hai "
" agar bhool gaya hota to is kaam ke liye tumhe kyo chunta "
" huh " uski upeksha si karte huve Alfaanse ne Mercedes ka darvaaja khola, abhi gaadi me daakhil hone ke liye usne pehla kadam badhaya hi tha ki Singahi

ne jhapatkar gaadi ke bonat par haath rakh diya, uske aisa karte hi Alfaanse ke jism ko current ka ek teevra jhatka laga.
Alfaanse uchhalkar Mercedes se door jaa gira, magar agle hi pal vah bijli ki si gati se punah uchhalkar khada ho gaya, usne Singahi ki taraf dekha.
bonat par kohni tikaaye, bade aaraam se khada Singahi ushe hi dekhkar muskura raha tha.
Alfaanse ko ye samajhte der na lagi ki Singahi ne kapdo ke neeche apni tvacha ke rang vaali jism se chipki rubber ki poshak pehan rakhi hai ur is waqt uska

jism currentyukt hai.
atah is waqt Singahi se kam se kam maall-yudh karna bekaar hai.
Alfaanse ne uske currentyukt jism se bachne ke liye badi teji se apne chaaro taraf najar doudaayi, aas-paas ushe kahi bhi koyi aisi cheej najar nahi aayi jisse

Singahi ka mukabla kiya jaa sake, atah achanak hi ghoomkar vah teji se bhaaga.
uske iraade ko bhaanpkar Singahi peeche lapka aur kaha jaana chahiye ki thodi door ki bhaag-doud ke baad Singahi ne ek jump lagakar jor ka ghoonsa

Alfaanse ke sir par de maara.
pehli baat to Singahi ka ghoonsa, dusra currentyukt.
munh se ek cheekh nikalta hua Alfaanse uchhalkar door jaa gira aur is baar girne ke baad vah uth nahi saka, jaha gira tha vahi pada reh gaya, nischal.
ushe dekhkar Singahi ke hontho par punah muskan doud gayi.
Singahi ka daaya haath apni bagal me pahucha, koyi nanha sa switch off hua, ab uska jism currentyukt nahi tha.
Alfaanse ke najdeek pahuchkar vah badi aaraam se jhuka, jeb me haath daalkar usne Kohinoor ko apni mutthi me kasa hi tha ki Alfaanse ke dono pairo ki

bharpoor thokar uske chehre par padi.
munh se cheekh nikaalta hua Singahi door jaa gira aur ab Alfaanse ushe sambhalne ka mouka nahi dena chahta tha, atah usne kuch is prakar furti se jump

lagayi jaise ki pairo me spring lage huve ho aur Singahi ke uthne se pehle hi uske upar jaa gira.
Kohinoor Singahi ke haath me tha, magar Alfaanse ke dono haath Singahi ki gardan par the.
Singahi ne uski giraft se nikalne ke liye shakti lagayi to Alfaanse daant bheenchkar kuch aur jor se uski gardan dabane laga.
Singahi ne apna haath baayi bagal me le jaana chaha.
ushe rokne ke liye Alfaanse ko bhi ek haath uski gardan se hatana pada, Singahi ke daaye haath ko kabja kar sir ki ek bharpoor takkar usne Singahi ki naak

par maari.
Singahi ke munh se cheekh aur naak se khoon ki dhaara beh nikli. ab usne apni daayi mutthi me daba Kohinoor ek taraf uchhal diya, fir jaane kis andaaj me

usne aisi karvat li ki baayi bagal me maujood button on ho gaya.
Alfaanse ke jism ko current ka jordar jhatka laga.
ek cheekh ke saath uchhalkar vah punah door jaa gira aur is baar bhi vah pehle ke samaan hi nichal pada reh gaya, Singahi ne seedhi jump Kohinoor par

lagayi thi.
Singahi se teen gaj door jaa khada hua vah aur uske haath me is baar revolver thi, apni taraf tane huve revolver ko dekhkar Singahi ne jordar thahaka

lagaya.
itna jordar ki saare tehkhaane me uska thahaka goonj utha.
Alfaanse jaanta tha ki revolver ko dekhkar vah kyo hans raha hai, kam se kam Singahi ke saamne revolver bilkul mahattvheen vastu thi, sangart (goliyo se

bachne ki kala) ka aavishkaarak hi Singahi hai, isliye to is art ka naam sangart hai, goliyo se vah utni aasaani se bach sakta hai jis tarah kisi bhi aadmi

dwara fenke gaye eant ke tukdo se bandar.
Alfaanse jaanta tha ki Singahi par fire karna goliyo ko vyarth karna hai, atah badi teji se usne paintra badalkar Mercedes ke tyre par fire kar diya.
bhadaak ki ek jordaar aawaj ke saath tyre-tube fat gaye.
uske iraade ko bhaanpte hi Singahi ne uspar jump laga di, magar Alfaanse ne khud ko usse door rakhkar ushi par fire kar diya.
sangart ka aavishkaarak goli ko to dhokha de gaya, parantu jis waqt vah goli ko dhokha dene me vyast tha, Alfaanse ne Mercedes ke dusre tyre ko nishaana

banaya.
Singahi ne punah us par jump lagayi.
Alfaanse ne us par dubara fire kiya aur jis kshan vah sangart ka pradarshan kar raha tha, Alfaanse ne teesre aur chouthe tyre ko bhi shaheed kar diya tha.
ek saath do tyres ko dhvast karne me timing ki thodi se gadbad huyi aur ushi ka laabh uthata hua Singahi Alfaanse ke upar jaa gira.
teevra current ke kaaran Alfaanse ka sampoorn jism jhanjhana utha, munh se cheekhe nikalne lagi, magar Singahi ne ushe tabhi chhoda jab uske munh se

cheekhe nikalni bad ho gayi, Singahi ke chhodte hi Alfaanse ka jism dhadaam se farsh par gira.
ab Singahi ko Alfaanse ke behosh hone me koyi shak nahi tha, ek najar usne Alfaanse ko dekha aur fir mutthi me dabe Kohinoor ko, ushe vah kuch aisi

drishti se dekhta raha jaise pehchaanne ki koshish kar raha ho ki Kohinoor asli hai ya nahi.
santusht hone ke baad Kohinoor ko usne jeb me rakha.
behosh pade Alfaanse ke jism se sambodhit hokar vah bola," maan gaye bete, tum un haalaato me bhi bahut kuch kar jaate ho jinme aksar kuch kiya hi nahi

jaa sakta, jaha tak car se jaana tha, ab tumne vivash kar diya hai ki Singahi us raaste ko paidal naape, tumhaari yogyata ke hum ek baar fir se kaayal ho gaye hai "
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


drill machine apni poorn gati ke saath chal rahi thi.
magar surang me is waqt thodi afra-tafri ka sa vaatavaran tha, Vikram keh raha tha," pata nahi Vikas kaha gaya, abhi 10 minute pehle to yahi tha "
" mera khayaal hai ki vo surang se baahar chala gaya hai Vijay " Ashraf ne kaha.
" yahi lagta hai " gusse me daant bheenchkar Vijay ne daaye haath ka ghoonsa baayi hatheli par maara," apna diljala jaroor koyi gadbad karega, uff, humne

ushe yaha laakar hi gadbad ki, bahut hi bevkoof ladka hai, thande dimaag se bilkul kaam nahi leta "
Aasha boli," vo to pehle se hi is surang ke prati aashavaan nahi tha aur fir surang ke paar nikalne me jo der ho rahi hai, ushi ne ushe niraash kar diya hoga "
" lagta hai ab vah is surang se baahar apne dhang se kaam karne chala gaya hai "
isme shak nahi ki jo sambhaavna Ashraf vyakt kar raha tha, kuch vaisa hi khayaal Vijay ka bhi tha aur ye sochkar Vijay vo vaakayi me gussa aa raha tha ki

ab vah jaroor koyi ant-shant harkat karega. ushi gusse me badbadata hua bola," tum jara dekhkar aao jhaanjharokhe, surang ke us kone par bevkoof ki

tairaaki ka libaas hai ya nahi "
" nahi hai " ushi disha se prakat hote blackmailer ne kaha.
ve sabhi ek jhatke se uski taraf ghoom gaye, Vijay ke munh se nikla," t..tum "
" haan hujoor, hu to mai hi "
" kya tumne Vikas ko nadi se baahar nikalte dekha hai "
" agar dekha hota sarkar to kaan pakad kar vaapis na le aata "
" uff " Vijay ne bechaini ke andaaj me punah surang ki deewar par ek ghunsa maara, bola," khair, tum bolo, is waqt kyo aaye ho "
" suna hai bandaparvaar ki ye surang poori hone vaali hai "
" apna hissa lene aaye ho "
" ji nahi "
" fir "
" aapko ye batane ki ab aapka khel khatam ho chuka hai "
ek saath chaaro chounk pade," k...kya matlab "
jawaab me jo harkat usne ki, ushe dekhkar Vijay sahit sabhi ek devta kooch kar gaye, bade aaraam se revolver nikalkar usne unki taraf taan diya tha, bola,"

baraaymeharbaani, sab log yadi ab apne haath upar utha le to achha hoga "
Vijay ek hi second me samay ki gambheerta ko bhaanp gaya, haath upar uthata hua bola," iska matlab tum ye soch rahe ho pyaare ki lumad se akele hi heera

chheen loge "
" Kohinoor to usse chhin chuka hai janaab "
" matlab "
" ji haan, aur jinke kabje me is waqt Kohinoor hai, unke nikalne ke liye ye naayab raasta banane ke liye mai tahedil se aapka shukriya ada karta hu "
" koun hai vah "
" unke baare me jaanne ki aisi kya jaldi hai sarkar, filhaal aapke liye mere hi baare me jaan lena kaafi hai "
" tumhaare baare me "
" aap is nakaab ke peeche chupe huve chehre ko dekhne ke liye behain hai na " kehne ke saath hi usne apne chehre se nakaab noch liya, uska chehra dekhkar

haalanki Ashraf, Vikram aur Aasha par koyi vishesh pratikriya nahi huyi lekin Vijay ekdum se uchhal pada, munh se nikla," B..Bogaan "
" pehchaanne ke liye shukriya janaab "
aur isme shak nahi hai ki is roop me, vaha Bogaan ko dekhkar Vijay jaisa vyakti bhi ascharya ke saagar me gote laga raha tha, uske munh se sirf itna hi nikal

saka," t..tum "
" janaab ko hairat ho rahi hai "
" m..magar tum is roop me yaha kya kar rahe ho "
" agar sach poocha jaaye janaab to baat ye hai ki jo kuch bhi Alfaanse ne kiya, vah bhi mai kar raha tha aur jo kuch aapke group ne kiya vah bhi mai hi kar

raha tha, balki mai bhi nahi, mai to keval field me tha, is sabke peeche dimaag to kisi aur ka hi hai "
" kiska "
" mahamahim ka "
" m..mahamahim "
" aap unhe Singahi chacha kehte hai "
" S..Singahi " ek saath chaaro par jaise bijli gir padi.
" ji haan, is waqt bhi aap unhi ki kripa se yaha hai, sabkuch unhi ki kripa se hua hai "
" algebra ke is sawaal ko hum samajh nahi sake hai Bogaan pyaare, jara khulkar samjhaao "
Bogaan is tarah se muskuraya jaise Vijay aadi ki stithi par taras khaa raha ho, bola," ye kahani us aavishkaar se shuru hoti hai jo professor Berle ne

mahamahim ke liye kiya hai, ek aisa aavishkaar jo mahamhim ko duniya ka samraat bana sakta hai, magar us aavishkaar ko duniya ke saamne laane se pehle

mahamhim ko dhan ki jaroorat thi, jab mujhe ye pata laga ki mahamahim ko dhan ki jaroorat hai to maine unka dhyaan Kohinoor ki taraf aakarshit karaya "
" tumhe Kohinoor ke baare me kaise maalum tha "
" ek baar kaafi pehle hi beevkoof Chemboor mere saamne ushe udaane ka prastaav rakh chuka tha, suraksha vyavasthaaye sunkar mai kaanp gaya tha aur

maine ye kaam karne se mana kar diya tha, jawaab me usne kaha tha ki Gardner ki ladki Irvin isme hamari madad kar sakti hai, yadi uski madad se mai koyi

scheme banane me kaamyaab ho jaau to mai usse baat kar lu, magar suraksha vyavasthaaye sunkar sachmuch mere hounsle past ho gaye the, isliye is kaam me

haath nahi daala "
" Irvin bhala Chemboor ki madad kyo karti "
" jo aapko bataya hai jab yahi maine mahamahim ko bataya tha to unhone bhi yahi sawaal kiya tha jo aapne kiya hai, jawaab me maine kaha tha ki is baare

me mai kuch nahi jaanta hu kyonki maine Chemboor se poocha hi nahi tha. tab, mahamahim ne mujhe is raaz ka pata lagaane ka hukum diya tha, is nirdesh

ke saath ki meri gatividhiyo ki bhanak Chemboor ko na lag sake, unke hukum ka paalan karne par mere saamne ek chounka dene vaala kaaran aaya "
" kya "
" Chemboor aur Irvin ke beech naajaayaz sambandh the "
" kya bak rahe ho "
" photo aur tape ke roop me in naajaayaz sambandho ke saaare saboot maine mahamahim ke charno me lejaakar daal diye, unhe dekhne aur meri baat sunne ke

baad mahamahim samajh gaye ki Chemboor ko aaj kisi aise vyakti ki talaash hai jo Kohinoor ki safal chori ki na keval scheme bana sake balki us par kaam

bhi kar sake. swayam mahamahim ne bhi aise vyakti ki talaash me dimaag doudaya aur aise vyati ke roop me unke dimaag me Alfaanse ka naam aa gaya,

unhone pata lagaya ki Alfaanse kaha hai, ye pata lagte hi ki aajkal vah America me hai, Chemboor ko pakadkar adde par le jaaya gaya. uske aur Irvin ke

sambandho ke aadhaar par ushe apni ungliyo par nachaana bahut aasaan saabit hua aur mahamahim ki aagya se hi vah prastaav liye America aaya tha "
" oh "
" Alfaanse se huyi Chemboor ki baate usne aapko bata hi di thi "
" to fir usne chacha ke baare me kyo nai bata diya "
" vahi bedroom ke photo aur tape "
" yadi ushe itna hi dar tha to hame vahi sab kyo bataya "
" kyonki mahamahim ki taraf se vah sab aapko bata dene ki ushe aagya thi "
" iska kya matlab "
" sunte rahiye " Bogaan ne kaha," America se loutkar Chemboor ne apni aur Alfaanse ki baato ka vivran mahamahim ko diya. yaha gour karne vaali baat ye

hai ki Chemboor ne Alfaanse se Irvin ki madad mil jaane ke baare me koyi baat nahi ki thi "
" fir "
" sunkar mahamahim musuraaye, shayad isliye kyonki ve jaante the ki Alfaanse ne bhale hi Chemboor se kuch bhi kaha ho, magar Kohinoor ke chaaro taraf

faili vyavasthaye Alfaanse ko katochti rahegi, atah mahamahim ke jasoos ushi din se Alfaanse par najar rakhne lage aur ek din vah London aa hi gaya.

soochna milte hi mahamahim ne is baar Chemboor ke saath-saath Irvin ko bhi bula liya, photo aur tape ke aadhaar par Irvin ko apni ungliyo par nachaana

Chemboor se bhi jyada aasaan raha. tab mere gundo dwara Irvin ke apharan ka drama racha gaya, Irvin ko mere gundo se Alfaanse ne bachaya, Irvin ushe

jabardasti apne ghar le gayi, apna aur apne daddy ka introduction diya, ye sab isliye kiya gaya tha ki Alfaanse Irvin ke prati aakarshit ho, aur vahi hua,

Irvin to us par lattu ho jaane ka naatak bhi kar hi rahi thi. mahamahim ne daave ke saath kaha tha ki jab Alfaanse ko ye pata lagega ki Irvin Gardner ki
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


ladki hai to vah nischay ki Irvin me dilchaspi lega "
Vijay hadbadaya," badi unchi suna rahe ho pyaare "
" Irvin ke dwara Alfaanse ke saamne shaadi ka prastaav mahamahim ne hi rakhvaaya tha, parantu unhe ye ummeed nahi thi ki Alfaanse ushe sweekar kar

lega, unka khayaal tha ki Alfaanse shaadi se bacha rehkar hi koyi yojna banayega, yahi kaaran tha ki Alfaanse ki shaadi ka samachaar sunkar mahamahim

chounk pade the. fir, unhone Chemboor ke maadhyam se Alfaanse ki Kohinoor tak pahuchne ki saari yojna maalum kar li, ye yojna jyada shashakt nahi thi,

usme kayi khaamiya thi, atah mahamahim samajh gaye ki Alfaanse ne Chemboor ko yojna bataane me kaafi hoshiyaari barti hai, usne Chemboor ko santusht

bhi kar diya hai aur badi khoobi se kuch chupa bhi gaya hai aur un chupi huyi baato ki vajah se hi yojna me khaamiya najar aati hai yaani mahamahim ka

khayaal tha ki Alfaanse ek shashakt yojna bana chuka hai aur shaadi karna uski yojna ka ek ang hai. mahamahim samajh sakte the ki apna kaam nikalne ke

baad Alfaanse ke liye patni naam ki ghanti se hamesha ke liye peecha chhudaana kathin kaam nahi hoga "
" yahi sochkar chacha ne shaadi ho jaane di ki saari doriya uske haath me hai "
" thi bhi aur ant tak rahi bhi, Alfaanse keval yahi samajhta raha ki keval Chemboor hi uska raazdaar hai, Irvin ki taraf to kabhi uska khayaal gaya hi nahi

tha. aap samajh hi sakte hai ki Chemboor ko ye nirdesh tha ki vo Alfaanse se kabhi bhi kuch bhi Irvin ke baare me na kahe, madad ke liye Alfaanse ne apne

Hambrig naam ke ek Shaagird ko apna raajdaar banaya. shaadi hote hi unhone apni yojna ke mutabik kaam karna shuru kar diya, majey ki baat ye thi ki

apni samajh ke mutabik Alfaanse badi khoobsurti ke saath apni jabardast scheme par kaam karta jaa raha tha, bas, ushe kabhi ye na maalum ho saka ki Irvin

ki ve do aankhe hamesha ushe watch karti thi jinhe vah neend me doobi samajhkar hamesha bed par chhod jaaya karta tha, Irvin na keval pratiraat ki saari

report mahamahim ko deti thi, balki ve saari cheeje bhi pahuchaati rehti thi jo Alfaanse haasil karta tha "
" kaisi cheeje "
" Alfaanse ne badi mehnat se bank sansthan se Kohinoor tak pahuchne ke liye aavashyak chabiyo ke jo aks haasil kiye the un sabki nakal Irvin ke dwara

aasaani se mahamahim tak pahuchti rahi "
" yaani ki chor ke upar mor "
" Alfaanse ke safal hone par Kohinoor usse haasil kar lene tak ki mahamahim ki scheme bilkul clean thi, magar tabhi is jhamele me aap logo ka group kood

pada aur aapke kood padne par mahamahim ko ye dar hua ki kahi aap log Alfaanse ki scheme ko naakaam na kar de "
" vah to hona hi tha " Vijay ne chaati choudi ki.
" fir bhi ye sochkar ki aap logo ko chhedna madhumakkhiyo ke chatte me haath daalne jaisa khatarnaak hai, mahamahim ne aapko nahi chheda, haan, apne

adde par baithe ve na keval screen par aapko hamesha dekhte rahe balki aapki baate bhi sunte rahe, jab unhone ye jaana ki aap logo ki yonjna bhi Alfaanse ke

safal ho jaane ke baad hi usse Kohinoor chhen lena hai to vo aashvasht ho gaye, kyonki ve samajh chuke the ki aap log khud hi aisa koyi kadam nahi

uthayenge jisse Alfaanse ki yojna kamjor pad jaaye, bas, fir unhone aap logo ko aapke hi dhang se kaam karne ke liye aajaad chhod diya. vo chahte to

Chemboor ko aap logo se bacha sakte the, magar unhone aisa nahi kiya kyonki vo chahte the ki Chemboor ke maadhyam se aapko Alfaanse ki yojna maalum

ho jaaye. iske peeche unki mansha ye thi ki yadi aasaani se aapko Alfaanse ki yojna maalum ho jaayegi to uske liye aap jyada bakheda khada nahi karenge

aur chupchaap Alfaanse se Kohinoor ko prapt karne ki yojna par kaam karne me jut jaayenge, aur aisa hi hua, magar jab unhone screen par dekha ki aap logo

ne Chemboor ko maar hi daala hai to unhone aap logo par ankush lagana jaroori samjha aur fir vah ankush blackmailer ke roop me maine lagaya, keval

ankush hi nahi lagaya balki aap logo ki madad bhi ki "
" vah kyo "
" taaki aap log jyada bakheda na khada kare "
" kya matlab "
" mahamahim jaan chuke the ki aap logo ne ye surang banane ka nirnay kiya hai, ve samajh sakte the ki is surang ko banane ke liye aapko drill machine jaisi anek vastuo ki jaroorat padegi aur unhe prapt karne ke liye aap log vaisa hi koyi hangama khada karenge jaisa hathyaar paane ke liye kiya tha aur ye mahamahim nahi chahte the "
" kyo "
" un hangamo se khel bigad sakta tha, isliye vo mere maadhyam se aap logo ki har jaroorat poori karte rahe, kaam unki yojna ke mutabik hi hua yaani ki aap log surang banane me vyast ho gaye "
" yaani lumad ki tarah hi hum bhi anjaane me hi anpne chacha ki scheme par hi kaam kar rahe the "
" beshak "
" kamaal kar diya pyaare ye to saali vahi baat huyi ki Mahabharat ka yuddh jeetne ke baad Bheem aur Arjun aadi ek dusre se deeng maar rahe the ki maine itne maare, itne aasmaan me fenk diye ki tabhi Krishan ne kaha ki kisi ko nahi maalum hai ki kisne kitno ko maara, kyonki sabhi lad rahe the, is baat ka faisla to vahi kar sakta hai, jo lada nahi tha aur jisne Mahabharat ka poora yuddh dekha tha, Arjun ne poocha ki aisa shakhs koun hai to Krishan ushe ped par latki Babruvaahan ki khopdi ke paas le gaye jisne vaastav me saara yuddh dekha tha, jab Babruvaahan se poocha gaya to uski khopdi thahaka lagakar hans padi, boli, maine to na ye dekha ki Bheem ne kisi ko apni gada se maara hai aur na hi ye ki Arjun ke gaandiv se koyi mara, sach baat to ye hai ki na kisi ko Yudhisthir ne maara hai, na Nakul-Sahdev ne, maine to sirf ek sudarshan chakra dekha hai, bas, saare yuddh me vahi sudarshan chakra ghoomta raha tha aur jiski bhi gardan kati us chakra ne hi kaati aur vah chakra is maakhan chor ka tha "
Bogaan is lambe-choude vritaant ka arth bilkul na samajh saka to bola," pata nahi hujoor ki ye kya bakvaas kar daali hai aapne "
" tum nahi samjhoge pyaare, ye bhi nahi samjhoge ki apni baato se tumne saale us nakli chacha ko maakhan chor saabit kar diya hai, saare operation me uska dimaag sudarshan chakra ki tarah ghoomta raha aur hum aur lumad miya to Bheem aur Arjun bankar reh gaye "
" aapki kisi bhi baat ka arth meri samajh me nahi aa raha hai "
" samajhne ke liye dimaag par jor bhi mat daalo, kyonki aisa karne se tum jaldi hi buddhe ho jaaoge " Vijay ne ushe samjhaane vaale andaaj me kaha aur bola," khair, apna vo Mahabharat ka vritaant jaari rakho "
" mahamahim chahte the ki aap aur Alfaanse jin do schemo par kaam kar rahe hai, nirvighn karte rahe, kyonki aisa hone me hi unki safalta chupi huyi thi, ve jaante the ki aap log safal ho ya Alfaanse, antatah Kohinoor unhi ke haaath lagna hai, haan, yadi aap dono me se koyi bhi safal na hota to unhe bhi safalta na milti, isliye jab kabhi aapki ya Alfaanse ki scheme me gatirodh utpann hua, us gatirodh ko adrishya shakti ke roop me mahamahim ne hal kiya hai "
" jaise "
" control room vaale operation me Alfaanse aur Hambrig ki yojna gadbada gayi thi, is gadbad ki vajah se K.S.S aur British secret service vibhaag anavashyak roop se satark ho gaye the aur isme shak nahi ki Alfaanse ka aage ka kaam kaafi kathin ho gaya tha, tab, Bond ki aawaj me mr. M se baat karne ki salaah maine aapko mahamahim ke kehne par di thi, vahi sab karne se Alfaanse ki raah me utpann hua gatirodh door hua tha "
" yu kaho pyaare ki anjaane me hum sab saale nakli chacha ke ishaaare par naachte rahe "
uski baat par koyi dhyaan na dekar Bogaan kehta raha," Alfaanse ke peeche-peeche hi mahamahim bhi bank sansthaan ke neeche se museum ke neeche tak chali gayi surang me pahuch gaye hai, balki vo mujhe report de chuke hai ki Kohinoor is waqt unke kabje me hai, yojna ke mutabik unhe tehkhaane se is surang ke maadhyam se nikalna hai, isliye maine aap sab logo ko cover kiya hai "
" magar pyaare surang abhi tak paar to huyi nahi hai "
" ho jaayegi hujoor, aap log itne utaavle kyo hai, khair, aap log jara idhar ek line me khade ho jaaye taaki mai drill machine ka nirikshan kar saku "
haath upar uthaaye ve chaaro Bogaan ke aadesh ka paalan karne ke liye baadhya the.
ve deewar ke sahare khade ho gaye, haath upar uthaaye dheere-dheere Aasha chori se deewar ko khurach rahi thi, lambe naakhun hone ki vajah se is kaam ko vah bade aaraam se kar sakti thi.
dheere-dheere usne apni mutthi me dher saari mitti jama kar li.
aur fir, avsar milte hi usne bijli ki si furti se mitti Bogaan ke chehre par fenk di. dher saari mitti Bogaan ki aankho me ghus gayi, Bogaan boukhla utha aur is avsar ke milte hi Ashraf ne furti se revolver nikalkar fire jhonk diya, goli Bogaan ke sir me lagi, saari surang me uski antim cheekh goonjti chali gayi.

----------------------------------

Irvin ke doodh se gore, sudoul aur gadraaye jism par is waqt safed rang ka atyant hi jheena night gown tha, itna jheena ki uski bra aur underwear bhi spasht chamak rahe the, uske pusht vaksh pradesh ko bra kaid-sa kiye thi.
ek bharpoor angdaayi ke saath vah bed se uthi.
seedhi dressing table ke saamne jaakar khadi ho gayi, apne youvan ko niharne lagi vah, mukhde par bikhri julfo ko lambi, gori aevam patli ungliyo se hi jab usne sanvaara to doodh se dhula hua mukhda damak utha.
ishi kshan, usne apne kamre ke baahar vaali gallery se ek se jyada vyaktiyo ke bolne ki aawaj suni, Irvin chounki aur abhi vah theek se kuch samajh bhi nahi paayi thi ki kisi ne jor-jor se uske kamre ke band darvaaje par dastak di.
kuch bhi na samajhti huyi Irvin darvaaje ki taraf lapki, haath badhakar usne chitkani khol di, ushi pal saari kothi me ek naukar ki aawaj goonji," darvaaja mat kholna Irvin memsahab "
magar tab tak chitkani khul chuki thi aur chitkani khulte hi baahar ki taraf se darvaaje par kisi ne itna jordaar dhakka maara ki Irvin ke maathe par fataak se kivaad laga.
ek cheekh ke saath vah uchhalkar peeche jaa giri.
jhapatkar ek 7 feet lamba ladka na keval kamre me aa gaya balki vidyut gati se ghoomkar usne chitkani bhi band kar di, aisa hote hi baahar se darvaaja peeta jaane laga, magar uski parvaah kiye bina 7 feet lamba ladka ghooma.
palak jhapakte hi ho gayi is ghatna ne Irvin ko badhavaas kar diya tha, buri tarah aatankit ho gayi thi vah, chehre ka rang ud gaya tha aur us waqt to uske samooche jism me mout ki thandi lehar bankar bijli koundh uthi jab drishti us ladke par padi, us tandurust aur khoobsurat ladke ka chehra is waqt kisi bhatti ke samaan bhabahk raha tha, aankhe maano do dahakte angaare thi.
kisi jangli bhediya sa hinsak najar aa raha tha vah.
" k..koun ho tum " aatank se ghiri Irvin ke kanth se nikla.
jaise koyi saanp fufkaara ho," mujhe nahi pehchaanti "
" t..tum Vikas to nahi ho, Raina didi ke bete "
" mai vahi hu "
" m..magar tum yaha kaise aur itne gusse me kyo ho "
" mai tumse ye kehne aaya hu ki tum ishi kshan se Alfaanse guru se sambandh-vichhed kar lo "
" k..kya matlab "
" agar tumne aisa nahi kiya to... "
" m..magar kyo, vo mere pati hai "
" ye sab bakvaas hai " Vikas daahaad utha," tum bahut bade bhram ka shikar ho Irvin, Alfaanse guru tumse bilkul pyar nahi karte, keval Kohinoor ko haasil karne ke liye hi unhone tumse shaadi ki hai "
" K..Kohinoor, kya matlab "
" Kohinoor K.S.S. naamak ek sanstha ke charge me rakha gaya hai, tumhaare daddy is sanstha ke director hai aur tumhaari ishi kothi se, tumhare daddy ke kamre se us control room tak raasta jaata hai, jaha Kohinoor se sambandhit upgrah signal deta hai "
" ye sab tum kya keh rahe ho, meri samajh me kuch nahi aa raha hai "
" ye bahut labi kahani hai Irvin, sanshep me tum sirf itna samajh lo ki Alfaanse guru ne tumse isliye shaadi nahi ki hai ki vo tumse pyar karte hai ya apna ghar basana chahte hai, unka aisa karna ek chaal hai, ek khoobsurat dhokha hai, haqikat ye hai ki shaadi ke bahane ve is kothi ke neeche maujood control room me gadbad karne aur Kohinoor tak pahuchne ke liye aavashyak chaabiyo aadi ka prabandh karne ke liye ghuse hai, unka antim maksad Kohinoor ko haasil karna hai, yadi us maksad ke baad tumne unke galey ki ghanti bankar latakne ki koshish ki to ve tumhe khatam kar denge "
" ye jhooth hai "
" ye sach hai " Vikas usse kahi jyada jor se cheekh pada," tum crimer uncle ki patni nahi, unki shatranji chaal ka ek mohra maatra ho "
" ye sab jhooth hai, bakvaas hai ," Irvin cheekh padi," m..mai unke bachhe ki maa banne vaali hu "
ladke ne bhabhakte swar me kaha," iska matlab tum nahi maanogi, Alfaanse guru se sambandh vichhed karke kabhi is kothi me na aane ke liye nahi kahogi "
" m..mai aisa kar sakti hu, vo mere pati hai "
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

" to fir ye lo " Vikas ne jeb se chaaku nikalkar khol liya aur gurraya," is saare kisse ko mai hi khatam kiye deta hu, Alfaanse guru ki saari yojna ka aadhaar tum ho, aur jab tum hi na rahogi to unki saari yojna tinke-tinke hokar bikhar jaayegi "
Irvin ke jism se maano saara rakht nichod liya gaya ho.
" n...nahi, mujhe mat maaro " cheekhti huyi vah peeche hati.
magar chaaku taane Vikas Irvin ki taraf badh raha tha.
band kamre ka daarvaaja baahar se barabar peeta jaa raha tha.
aankho ke saamne najar aa rahi saakshat mout se bachne ke liye Irvin dheere-dheere peeche hat rahi thi ki achnak Vikas baaj ki tarah jhapta.
chaaku khacch se Irvin ke pet me sama gaya.
jaha Irvin ke kanth se nikli cheekh ne Gardner ki samuchi kothi ko hilakar rakh diya, vahi Irvin ke pet se nikle garm khoon ka favvara Vikas ke chehre se takraya.
ladke ka saara chehre khoon se rangta chala gaya.
chaaku ko ek vritt ki shakal me pet ke andar ghuma diya usne, Irvin ki aante baahar nikal aayi. safed gown surkh hota chala gaya, jara bhi to raham nahi kiya jaalim ne, Irvin ki laash farsh par padi aankhe faade chatt ko ghoor rahi thi.

-----------------------------------------

ispaat ki bani us choudi sadak par haalanki Singahi bhaag nahi raha tha parantu fir bhi uski chaal bhaagne ki praathmik avastha jaisi thi, jis raaste ko car dwara 10 se 15 minute me tay kiya jaa sakta tha, ushi raaste par chalte-chalte ushe 45 minute ke kareeb gujar gaye the.
kareeb aur 25 minute me vah tanki ke kareeb pahucha.
yaha is vishaal tanki ki baayi deewar me ek teen feet vyaas ka mokhla najar aa raha tha, Singahi samajh sakta tha ki ye mokhla vijay aadi dwara Tames se shuru ki gayi surang ka antim dwar hai, yaani ki surang poori khud chuki hai.
surang ke munh ko dekhkar vah dheere se muskuraya aur uske najdeek pahuchkar thithka, fir usne jordaar aawaj lagayi," Bogaan " jawaab me Bogaan ki aawaj nahi ubhri, haan, surang me uski apni aawaj jaroor goonjti chali gayi.
Singahi ne Bogaan ko ek-do aawaje aur lagayi aur jab is baar bhi jawaab me Bogaan ki aawaj nahi ubhri to achanak hi Singahi kuch satark sa najar aane laga tha, bahut hi dhyaan se usne apne chaaro taraf faile sannaate ko ghura, ajeeb rahasyamay sa sannata laga ushe.
ab vah tej kadmo ke saath ispat ki tanki ke khule darvaaje ki taraf badh gaya aur ek minute baad hi vah tanki ke farsh par tha, chehra uthakar usne upar dekha, 115 feet upar najar aa rahi tanki ki chatt ki taraf, upar ke darvaaje se lekar tanki ke farsh tak vah rassi latak rahi thi jiske maadhyam se Hambrig neeche aaya tha.
Singahi ne apni wristwatch par naajar daali aur fir teji se us rassi ki taraf badha, abhi vah rassi ke najdeek pahucha hi tha ki dhaany....
ek goli ki aawaj se saari tanki goonj uthi.
dahakti bullet Singahi ki baayi jaangh me dhans gayi aur ek cheekh ke saath tyorakar vah ispaat ke farsh par gira, ishi kshan vaha Vijay ki aawaj goonj uthi," good morning chacha "
gajab ki furti ke saath Singahi uchhalkar khada ho gaya.
jaangh me lagi goli ke jakham se ho rahi peeda ke baavjood ushe dekhkar Singahi muskuraata hua bola," morning bete, lagta hai ki Bogaan ka kriyakarm kar diya hai tumne "
Vijay ne kandhe uchkaaye, bola," tum to jaante hi ho chacha ki kriyakarm karne ki aadat si ban gayi hai hamari, ab dekho na, tumhaare kriyakaram ki taiyaari hai "
" chacha ko maaroge "
" jab chacha hi naalayak ho to bhateeja kya kare, ab dekho na, duniya ke us naayaab heere ko tum akele hi hadap jaane ke chakkar me ho, abey sharam karo chacha, is budhaape me kuch to sharam karo, Kohinoor ko akele nahi pacha sakoge, pet me dard ho jaayega "
" aur tum yaha ye sochkar chhupe huve the ki chacha se Kohinoor chheen loge "
" surang khodni isliye shuru ki thi ki Kohinoor lumad se chheenna hai, magar kuch der pehle hi pata laga ki sudarshan chakra to tumhaara ghoom raha hai, khair, apne par kya fark padna tha, lumad se na sahi, tumhaare se hi sahi, baharhaal sahi samay par hum yaha pahuch hi gaye hai, fir bhi ye maanna padega ki tum naseeb me avval darje ke ho, humne soch liya tha ki Bogaan ki aawaj na sunkar tum chounkoge, us avastha me yaha se nikalne ke tumhaare paas do hi raaste honge, pehla surang aur dusri ye tanki, hame jyada ummeed tumhaare surang vaale raaste me hi ghusne ki thi, kyonki 9 bajne se pehle ye farsh hil tak nahi sakega, magar jab yaha aakar vah rassi dekhi to jaana ki baahar nikalne ka farsh ke alawa bhi intjaam hai. so chacha, hum yahi jam gaye, khud agar tumne surang me ghusne ki koshish ki hoti to is waqt tumhaara sir surang ke andar aur dhad surang ke idhar ludhak raha hota, kyonki surang ke andar apne jhaanjharokhe, vikramaditya aur gogiyapaasha ghaat lagaye baithe hai "
" mai rengkar surang me daakhil hota aur ve meri gardan saaf kar dete " kehte waqt Singahi yu muskura raha tha, jaise koyi bada kisi bacche ki bachkaani yojna par muskura raha ho.
" vaha na sahi, yaha hum tumhe saaf kar denge "
Singahi ki muskurahat gehri ho gayi, bola," bachho ko itne bhayanak sapne nahi dekhne chahiye bete "
" jab shakal hi aisi bhayanak ho chacha to sapne bhi daravane hi chamakte hai "
" ye goli tumne peeche se chalayi thi bete, isliye lag gayi, magar tum jaante ho ki ye ek goli ka jakham tumhaare chacha ke liye koyi mahattv nahi rakhta hai, ab jara goli chalakar dekho, sangart ka pradarshan tum bhi karna seekh gaye ho, magar asli pradarshan aaj hum dikhayenge "
" itna bevkoof nahi hu chacha ki tum par saamne se goli chalakar hathyaaro ki dukaan se badi mehnat se churaaye gaye kartuso ka durupayog karu " kehne ke saath hi Vijay ne gun apne kandhe par latka li, uska iraada bhaanpkar Singahi ne bagal me haath daala.
uske aisa karte hi Vijay ne furti se apne kadmo me pada vah mota danda utha liya jishe shayad apne saath lekar hi vo yaha chupa tha, bola," mai tumhaare is fer me nahi padunga chacha "
Singahi ke mastishk ko ek jhatka sa laga.
Vijay ne aankh maari aur bola," apne jism ko currentyukt kar lena tumhara purana daanv hai chacha, samajh sakta hu ki ishi daanv se tumne lumad ko bhi behosh kiya hoga aur ishi se nipatne ke liye maine ye hathyaar taiyaar kiya hai, kuch der pehle tak ye faavda tha, ab ek laathi hai aur is laathi se hokar current mujh tak nahi pahuch paayega "
" kaafi samajhdaar ho gaye ho "
laathi ke mukable jara kam lambe lekin adhik mote dande ko apne dono haatho me pakadkar toulta-sa Vijay bola," ab tumhe bhi samajhdaari ka parichay dena chahiye chacha "
" vah kaise "
" Kohinoor ko mere havaale karke "
" pehle bhi keh chuka hu bete ki aise khaufnaak khwaab mat dekha karo "
jawaab me is baar Vijay ne jhapatkar dande ka vaar uske sir par kiya, Singahi ne furti se jhuk kar na keval khud ko bachaaya balki Vijay par jump bhi lagayi. ek taraf hatkar Vijay ne punah vaar kiya.
swayam ko bachakar Singahi punah jhapta.
is prakaar, ye kram jaari ho gaya, Vijay ke prateyek vaar se khud ko bachakar Singahi uspar jhapat-ta aur Vijay, kyonki jaanta tha ki Singahi ke jism se sparsh hone ka arth khatarnaak hai isliye khud ko bachakar us par vaar karta raha.
do minute tak lagataar chalte rahe ek-dusre ke aakraman se ve khoobsurti se apne aap ko bachaate rahe aur fir achanak hi tanki ke darvaaje par Ashraf, Vikram aur Aasha najar aaye.
Singahi par najar padte hi Ashraf ne fire jhonk diya.
Singahi ne uchhalkar khud ko goli sa bachaya magar is fer me Vijay ke dande se khud ko nahi bacha saka, danda saany se uski pasliyo par pada. ek cheekh ke saath Singahi gira.
" chacha se door rehna, iske shareer me current hai "
haalanki ye vaakya Vijay ne bahut jaldi cheekhkar kaha tha parantu usse pehle hi uchit mouka jaankar Vikram ne Singahi par jump laga di thi. Singahi ke jism se takraate hi ushe teevra jhatka laga, ek cheekh ke saath vah uchhalkar tanki ke ek kone me jaa gira, Singahi sambhalkar khada ho chuka tha.
usne jaise hi Ashraf ko punah revolver taante huve dekha, us par jump laga di, current ka jhatka lagne se Ashraf bhi door jaa gira.
revolver uske haath se chhutkar kahi gir gaya tha, magar is avsar ka laabh uthaate huve Vijay ne ek aur vaar Singahi ki kamar par kar diya.
Singahi munh ke bal farsh par gira.
Vijay ne ushe mouka diye bina saany se dusra vaar uske sir par kar diya, is baar Singahi ke kanth se na keval cheekh ubal padi balki sir se khoon ki dhaara bhi beh nikli.
Vijay ne farsh par pade Singahi par teesra vaar kane ke liye laathi hava me uthaayi hi thi ki Singahi ne neeche se uske pairo par jump laga di.
thartharahat mishrit ek dhakke ke saath Vijay bhi door jaa gira, haalanki vah gazab ki furti ke saath uchhalkar khada ho gaya tha kintu Singahi ne usse kahi jyada furti ka pradarshan kiya, vah na keval uchhalkaar khada ho gaya tha balki ek unchi jump lagayi usne aur rassi pakad li, agle pal Singahi kisi bandar ke samaan rassi par chadhta chala gaya.
" abe maidan chhodkar bhaagte kaha ho chacha " cheekhte huve Vijay ne bhi rassi par jump laga di aur Singahi ke peeche chadhne laga. idhar Aasha ne farsh par ek taraf pade Ashraf ke revolver par jump lagayi thi, revolver haath me aate hi usne rassi par chadh rahe Singahi par fire kiya, goli Singahi ki daayi taang me lagi.
chadhta hua Vijay bola," shaabash gogiyapaasha, maar girao saale ko "
Singahi ne khud ko badi mushkil se na keval rassi se girne se bachaaya balki ab vah kuch aise andaaj me rassi par chadhne laga ki chadhte samay Aasha ke revolver par najre rakhe.
Vijay ke vaakya se protsaahit hokar Aasha ne Singahi par dusra fire kiya.
magar is baar fire hote hi Singahi rassi chhodkar hava me uchhla aur ek kalabaaji khaane ke baad punah rassi pakadkar uspar chadhne laga.
Singahi ke is kaamal ko dekhkar keval Aasha hi nahi, Vijay aur Ashraf bhi chamatkrit reh gaye, Vijay apni poori furti ke saath rassi par chadhta chala jaa raha tha, Aasha ne punah fire kiya.
Singahi ne harkat dohra di.
goli se bachne ke baad loutkar punah rassi ko pakad lene ka Singahi ka kamaal vaakayi dekhne vaala tha, Ashraf ko jaane kya soojha ki usne Aasha ke haath se revolver lekar khud nishaana liya.
Singahi ki aankhe ab Ashraf par chipak gayi thi.
Ashraf ne fire kiya, magar vyarth.
Singahi apne us ajeeb art ka prayog karke punah goli ko dhokha de gaya aur goli tanki ki ispaati deewar se takrakar apna hi munh tudva baithi.
revolver khaali ho gaya.
ab Ashraf aur Aasha ke paas rassi par chadhne ke liye ho rahi partiyogita dekhne ke alawa aur koyi chaara baaki nahi raha tha, vah pratiyogita aise do vyaktiyo me ho rahi thi jo apne-apne kshetra ke baadshah the, jasooso me shresth Vijay.
apraadhi samraat - Singahi.
dekhte hi dekhte Singahi us khule darvaaje par chadh gaya jaha se rassi neeche latkaayi thi, Vijay abhi bhi us sthaan par pahuchne koshish kar raha tha, achanak hi Singahi ne darvaaje me khade hokar neeche jhaanka, rassi par furti se chadh rahe Vijay ko dekhkar muskuraaya, bola," ruk jaao bete "
" rukna to tumhe hai chacha " chadhta hua Vijay chillaya.
" agar nahi rukoge bete to mai upar se rassi khol dunga "
vivashtavash Vijay ko thithak jaana pada, bola," ye to foul hai chacha "
" foul hi sahi bete magar ye baat achhi tarah se dimaag me bitha lo ki ab tumne ek inch bhi upar chadhne ke liye haath pair maare to mai rassi khol dunga aur jara socho ki mere aisa karte hi kya hoga, yahi na ki tum yaha se seedhe ispaati farsh par jaa giroge aur fir farsh par khade tumhaare saathiyo ko ye bhi pehchaanne me mehnat karni hogi ki ye laash kiski hai "
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

itne upar se ispaati farsh par girna vaakayi aatamhatya karna tha, isliye to Singahi ki dhamki ke kaaran Vijay ko rassi par thithak jaana pada tha, bola," ama isse jyada naalayaki tum aur kya dikhaaoge chacha ki maidaan chhodkar bhaag rahe ho "
" isme shak nahi ki tumhaare saamne se mujhe hamesha maidaan chhodkar bhaagna padta hai aur sachaayi ye hai bete ki mai isliye tumhaari kadr karta hu "
" ama jhooth mat bolo chacha, kya khaak kadr karte ho "
" ye kya kam kadr hai ki is waqt mai tumhe maar nahi raha hu, jinda chhodkar jaa raha hu "
" Vijay the great ko maarne vaale mar gaye chacha "
" tumhe maarne ke liye is rassi ko khol dene se jyada mujh kuch nahi karna padega, magar mai aisa karunga nahi. jaante ho kyo, sirf isliye ki tum bahadur ho aur Singahi bahaduro ko cheenti ki mout nahi maar sakta, jis tarah vishv samraat banna mera pehla lakshya hai ushi tarah bhavishya me tumhe ek shaandaar mout uphaar swaroop dena mera dusra lakshya hai "
" tum sathiya gaye ho chacha "
thahaka lagakar hans pada Singahi, tanki ki har deewar jaise uske sur se sur milakar hansne lagi, bola," shayad tum theek keh rahe ho bhateeje isliye tumhe jeevit chhodkar jaa raha hu "
in shabdo ke baad vah khule darvaaje se gaayab ho gaya.
Vijay punah teji se upar chadhne laga, abhi mushkil se vah do ya teen feet hi upar chadh paaya tha ki khatt ki aawaj ke saath darvaaja band ho gaya.
Vijay thithk gaya, vah jaanta tha ki is darvaaje ko kam se kam samay rehte tak to khola nahi jaayega, rassi par latka vah badbadaya," jamaane dhatt tere ki "

------------------------------------------

Vijay ke neeche utarte hi Ashraf ne kaha," ab kya hoga Vijay "
" hona kya hai pyaare, hum vahi gaana gaate apne praanpyare desh lout jaayenge ki loutkar buddhu ghar ko aaye "
" m..matlab Kohinoor Singahi ka ho gaya hai " Aasha ne poocha.
" maal ushi ka hota hai miss gogiyapaasha, jiska sudarshan ghoom jaaye, lumad ka fusfusa gaya, hamara bhi fusfusa gaya, so hum haar gaye aur chacha jeet gaya "
" y..ye to bade sharam ki baat hai ki hamare rehte .... "
uski baat beech me hi kaatkar Vijay ne kaha," to sharmaao pyaare, khoob sharmaao, mana koun karta hai "
" uff, tum samajh nahi rah ho " Aasha jhunjhulakar boli," kya Kohinoor ka Singahi ke haath me padna galat nahi ho gaya, ab vah uski munhmaangi keemat vasool karke apne us kathit aavishkaar ke aadhaar par punah duniya ke saamne ek badi chunauti bankar ubhrega "
" ubharne do gogiyapaasha, tum apne vikramaditya ko sambhaalo "
is prakar Vijay ne un dono ki har baat ka jawaab ulta hi diya, atah ve chup ho gaye aur fir teeno milkar Vikram ko hosh me laane ki cheshta karne lage.
15 minute baad Vikram ko hosh aaya, ye jaanne ke baad usne bhi chinta vyakt ki ki Kohinoor ko Singahi le gaya hai, chinta vyakt karne ke alawa koyi aur kar bhi kya sakta tha.
10 minute baad jab ve tanki se baahar nikle to museum ki taraf se ispaat ki sadak par andhadhund bhaagkar idhar hi aata hua Alfaanse unhe chamka, unhe yaha maujood dekhte hi Alfaanse thithka, Vijay ne swagat karne ke se andaaj me kaha," aao lumad pyaare, aao "
" t..tum log yaha "
" vaha se aaye the " Vijay ne surang ke teen feet vyaas vaale munh ki or ishaara kar diya.
Alfaanse ne udhar dekha aur ye samajhte ushe der na lagi ki vah group surang banakar vaha pahucha hai, apni fooli huyi saans ko niyantrit karke usne sawaal kiya," kya tumne yaha kahi Singahi ko dekha hai "
" haan "
" kaha gaya "
jawaab me Vijay ne bina comma ya viraam ka prayog kiye ek hi saans me ushe saara vritaant suna diya, sunne ke baad usne un chaaro ko thodi kathor drishti

se ghoora aur bola," tum sabke rehte Singahi yaha se bhaag nikalne me kaamyaab ho gaya "
" tumhe shaayad ye shak hai ki Kohinoor humne prapt kar liya hai "
" kyo nahi ho sakta "
" hamare chehre par jara dhyaan se dekho lumad bhai, dono suiya tumhe 12 par atki najar aayengi, jara socho, agar hame Kohinoor mil gaya hota to kya

hamare chehro par 12 baje hote "
Alfaanse chup reh gaya, jaise unke chehro se vaastav me hi is nateeje par pahuch gaya ho ki Kohinoor inke paas nahi hai, Vijay ne kaha," tumhaari bhi

mehnat bekaar gayi lumad bhai aur hamari bhi, hum aapas me hi ladte rahe aur sudarshan chakra chacha ka ghoomta raha, balki tumhara to shaadi karna

bhi bekaar gaya "
Alfaanse khaamosh raha, jaane kya soch raha tha vah.
Vijay ne punah kaha," kya tum ab bhi yahi kahoge pyaare ki tumne Irvin se shaadi ek nayi juindagi shuru karne ke liye, ghar basane ke liye ki thi "
" ab aisa kehne ki jaroorat nahi reh gayi hai " apni chir-parichit muskaan ke saath Alfaanse ne kaha," haalanki inhi shabdo par yakeen dilaane ke liye maine ye

shabd tumse tarah-tarah se kahe, kabhi gidgidakar, kabhi gurrakar aur kabhi samjhaane vaale bhaav me, uddeshya ek hi tha, yahi ki tum yakeen kar lo aur is

taraf se apna dhyaan hata lo, magar ek baar fir tumne saabit kar diya ki tum poore ghaagh ho "
Vijay ne agla sawaal kiya," so to theek hai pyaare, magar is sabke baavjood ek sawaal kaante ki tarah mere man me chubh raha hai aur vah ye hai ki agar tum

sachmuch Irvin ke pyar ka naatak kar rahe the to akele me, kamra band karke Irvin ke photo se baat karne ka kya uddeshya tha "
" tum hotel Elijabeth ke kamre ki baat kar rahe ho na "
" haan "
" mere uprokt sawaal se hi jaahir hai ki mujhe us waqt bhi ye maalum tha ki tum key-hole se muje dekh rahe ho, tum par apni deewanagi saabit karne ke liye

hi maine khud ko tumhaari upasthiti se anbhigya dikhakar vah naatak kiya tha, us naatak me tum uljhe to jaroor magar fanse nahi "
" to fir jab hotel me tumne hame pakda tha tab ye rahasya kyo nahi bataya "
" us waqt ye bata dena meri bevkoofi hi hoti "
" hu, khair pyaare, ab to saara khel khatam ho chuka hai, Kohinoor bhi tumhaare haath nahi laga aur is chakkar me tum apne galey me Irvin naam ki jo

ghanti baandh chuke ho, kya hum pooch sakte hai ki bhavishya me tum uska kya karoge "
jawaab dene ke sthaan par Alfaanse kahi kho sa gaya.
Vijay ne prashan kiya," kya sochne lage pyaare "
achanak hi maano Alfaanse ki tandra bhang huyi ho, bola," ho sakta hai Vijay ki tumhaare is sawaal ke jawaab me mai jo kuch bhi kahu ushe tum fir mera

koyi shadyantra samjho "
" kya matlab "
" ab mai poori gambheerta se apni jeevan shaili ko badalne ki soch raha hu "
Vijay ne chounkte huve poocha," kya bak rahe ho miya "
" mai jaanta hu ki ishe tum meri bakvaas hi samjhoge, magar ye sach hai Vijay, nisandesh ye sach hai ki Irvin ke sundar hone ke baavjood mai uski taraf

aakarshit nahi hua tha, uske pyar me deewana ho jaane ka naatak kiya tha maine aur sirf Kohinoor ko haasil karne ke liye hi maine usse shaadi ki thi, na us

waqt mere man me uske liye pyar ka koyi jajba tha aur na hi ghar basane ki koyi laalsa, magar patni ke roop me usne jo kuch mujhe diya hai, pyar, apnapan,

shaanti aur vishvaas, us sabko mai bhula nahi sakta, balki agar yu kahu to jyada munasib hoga ki mai usko dhokha nahi de sakta, shayad ishi ko pyar kehte

hai Vijay, shayad Irvi se sachmuch mohabbat karne laga hu mai "
" ab ye naya naatak tumne kis maksad se shuru kar diya hai pyaare "
Alfaanse ke hontho par feeki se muskaan ubahr aayi, bola," jyada hoshiyaar banne ke chakkar me is baar tum vaakayi dhokha khaa rahe ho dost, magar

khair, tum kuch bhi sochne ke liye swatantra ho, ab mai sachmuch koshish karunga ki Irvin ke saath me saral si jindagi gujaru "
" aisa kam se kam is janam me to nahi kar paaoge lumad pyaare "
" ho sakta hi ki na kar paau, magar koshish karunga, mai Irvin ko bata dunga ki maine usse shaadi kyo ki thi, saari haqikat batane ka baad kahunga ki agar

vo mujhe ab bhi apna sakti hai to mai sachmuch sabkuch chhod dunga aur agar ye sabkuch sunkar yadi vahi mujhe thukra de to pata nahi ki fir meri jeevan

dhaara kis taraf mud jaaye "
" kya tum ek charitraheen patni ke saath jeevan gujaar sakoge lumad "
" V..Vijay " Alfaanse halak faadkar chilla pada.
" humne suna hai ki Irvin ke Chemboor ke saath naajaayaz .... "
aur kamaal ho gaya.
Ashraf, Vikram aur Aasha bhouchakke reh gaye.
Vijay ka vaakya poora hone se pehle hi Alfaanse ne uchhalkar poori taakat se uske jabde par ghunsa maara tha, itna jabaardast ki Vijay uchhalkar door jaa

gira tha.
ve teeno abhi hakke-bakke se hi the, Vijay sadak se uth bhi nahi paaya tha ki Alfaanse gurraya," Irvin ke liye agar ek bhi galat alfaaz munh se nikala to mai

tumhaari jubaan kaatkar fenk dunga "
Alfaanse ka chehra kanpattiyo tak buri tarah bhabhak raha tha, poora jism kaanp raha tha uska, kuch aise andaaj me ki Vijay jaisa vyakti bhi sihar utha.
ishi kshan yadi Vijay ne haath uthakar ruk jaane ka sanket na kiya hota to Vikram, Aasha aur Ashraf ek saath hi Alfaanse par toot pade the, Alfaanse ne

sakht nigaaho se unhe ghoora.
jabde ko sehlata Vijay khada hote huve bola," tum to naaraaz ho gaye lumad bhai "
" bhavishya me Irvin ke baare me koyi apshabd mat kehna " Alfaanse ne gurrakar chetavani di.
" ye humara nahi, chacha ka kehna hai lumad pyaare "
" bakta hai vo haraamjaada " Alfaanse achanak hi kisi jwalamukhi ke samaan fat pada," meri Irvi aisi hargij nahi ho sakti, mere man me uske prati jehar

bharne ke liye Singahi ne ye kaha hai ki vo Chemboor ki vajah se uske saath thi, kuch bhi ho, Irvi kuch bhi ho sakti hai lekin mai ye nahi maan sakta ki vo

charitraheen hai "
Vijay aur uske saathi Alfaanse ke is naye roop ke dekhte reh gaye balki agar yu kaha jaaye to jyada munasib hoga ki vo is roop ko dekhkar kaanp se gaye,
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply