'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


hai, kuch chashmdeed gavaaho ke mutabik ye hatya Bhartiya Vikas ne ki hai, Alfaanse ne Irvin ke khoon ka teeka apne mastak par lagakar Vikas se badla lene ki kasam khaayi hai aur tabhi se Alfaanse Britain se gaayab hai, saath hi Irvin ke tan se vah night gown bhi gaayab hai jo usne us waqt pehan rakha tha jis waqt uski hatya ki gayi, kaafi talaash ke baad bhi abhi tak Alfaanse ko nahi khoja jaa saka hai "
BBC ke dwara in do samachaaro ke prasarit hote hi jaise saare vishv me tahalka mach gaya, har ek ki jubaan par yahi do baate thi, yahi charcha, yatr, tatr,

sarvatra.

--------------------------------------

BBC par prasarit hone vaala bulletin Raina aur Raghunath ne ek saath suna tha aur sunte hi unke chehra fakk pad gaye the, chounk kar unhone

avishvasneeya najro se ek-dusre ki taraf dekha tha, chehro par havaiya ud rahi thi, dil jor-jor se dhadhakne lage.
chahkar bhi ve kaafi der tak apne munh se koyi aawaj na nikaal sake the, Raina se pehle Raghunath ne hi khud ko sambhala, uske munh se fansi-fansi si

aawaj nikli," R...Raina "
" y...ye humne kya suna hai praannath "
" V..Vikas ne Irvin ki hatya... "
" n..nahi " paaglo ko tarah Raina apni smapoorn taakat se cheekh padi," aisa nahi ho sakta, mera Vikas aisa nahi kar sakta, y..ye radio jhooth bolta hai "
" m..magar vah kareeb ek mahine me raat ko aaya hai "
" V..vikas, Vikas " paaglo ki tarah cheekhti huyi Raina Vikas ke kamre ki taraf doudi, Raghunath uske peeche lapka, cheekhti huyi vah Vikas ke kamre me pahuchi.
ushe is avastha me dekhkar Dhanushtankaar chounk pada.
Vikas abhi tak soya pada tha.
Raina ne buri tarah ushe jhinjhoda, fir cheekhi," Vikas, Vikas "
ladka hadbadakar utha.
dono haatho se uska girahbaan pakadkar ushe jhinjhodti huyi Raina cheekhi," kaha gaya tha tu, bol, pichhle ek mahine se tu kaha tha, jaldi bata "
" ajeeb baat kar rahi ho mummy, raat jab aaya tha tab bataya to tha ki mai Kashmeer gaya tha "
" jhooth " Raina beech me hi cheekh padi," tune jhooth bola tha "
" kaisi baat kar rahi ho mummy, tumse bhala jhooth kyo bolunga "
Raina ne gurrakar poocha," kya London nahi gaya tha tu "
Vikas ke mastishk ko jhatka sa laga, kuch bol nahi saka vah, aawak sa apni maa ki taraf dekhta reh gaya, jabki Raina punah cheekhi," bol, jawaab de "
" t..tumse ye kisne kaha "
" radio ne, BBC se prasarit hone vaale bulletin ne "
" b...bulletin "
" haan, sach bol Vikas, bilkul sach bata, kya tune Irvin ki hatya ki hai "
ladke ke dimaag ko ek aur teevra jhatka laga, bola," BBC se prasarit hone vaale bulletin me kya kaha gaya hai "
" ye ki tu London me tha, ye ki tune Irvin ki hatya ki hai aur ye ki Alfaanse bhaiya ne apne mastak par Irvin ke khoon se teeka karke tujhse badla lene ki kasam khaayi hai "
ekdum kuch nahi bol saka Vikas, aankho me soonapan sa liye Raina ko dekhta raha vah, jabki paaglo ki tarah ushe jhinjhodti huyi Raina ne apna sawaal punah dohra diya aur is baar ladke ne gambheer swar me kaha," haan mummy, ye sab sach hai "
" V...Vikas " cheekhne ke baad vah ekdum is tarah sthir ho gayi jaise sangmarmar ki murti ban gayi ho, jabardast shock laga tha uske dil ko.
Raina aawak si khadi reh gayi, aankhe pathra si gayi thi.
palke jhapkaana bhool gayi thi vah.
vaha sannaata chaa gaya tha, mout ka sannaata.
kuch Raina jaisi hi avastha Raghunath aur Dhanushtankaar ki bhi thi, Raina ko yu murti ki si avastha me khade reh jaata dekhkar Vikas dar gaya, bed se uthkar usne Raina ke dono kandhe pakde aur jhinjhodta hua cheekha," m..mummy, mummy "
Raina ki tandra bhang huyi to jaise koyi baandh toot pada ho, buri tarah se ro padi vah, fafak-fafak kar roti huyi boli," ye tune kya kiya Vikas, ye tune kya kiya "
" m..meri baat suno mummy please, meri baat suno "
" bol "
" crimer uncle drama kar rahe hai, ve Irvin se bilkul pyar nahi karte the "
" kya matlab "
" mai sach keh raha hu mummy, unhone ek khaas maksad se Irvin se shaadi ki thi, ek aise maksad, aise shadyantra ke tahat, jisme yadi ve kaamyaab ho jaate to hamare desh ka bahut bada nuksaan ho jaata, unka vah maksad Irvin ke jeevit rehne se hi poora hona tha isliye maine ushe khatam kar diya, yakeen maano mummy, crimer uncle ke man me Irvin ke liye vaisi koyi bhaavna nahi thi jaisi saadharantaya pati ke man me patni ke liye hoti hai "
" yadi aisa tha to tujhse badla lene ki kasam kyo khaayi hai unhone "
" yahi mai nahi samajh paa raha hu "
" t..tu jhooth bolta hai, hatyara hai tu, paapi, ye sab tu apne gunaah par parda daalne ke liye keh raha hai, aisa beta mujhe nahi chahiye, Alfaanse bhaiya se pehle mai hi tujhe maar daalungi " cheekhne ke baad paaglo ki tarah usne apne chaaro taraf dekha, kuch aise andaaj me jaise Vikas ko maar daalne ke liye kisi cheej ki talaash kar rahi ho aur fir ek kone me pade Raghunath ke rule par uski nigaah padi, vah baaj ki tarah us rule par jhapti.
isse pehle ki koyi kuch samajh paata, rule haath me liye Raina Vikas par toot padi, ek maa ki tarah nahi balki jaani dushman ki tarah Vikas ko maarne lagi vah.
" m..meri baat suno mummy please, meri baat to suno " Vikas cheekhta hi raha magar Raina par jaane kaisa junoon sawaar hua tha ki usne Vikas ki ek na suni.
ushe maarti hi chali gayi vah, Raghunath aur Dhanushtankaar kinkartavyavimudh se sabkuch dekhte hi rahe.
Raina tab tak Vikas ko maarti rahi jab tak ki vah behosh na ho gaya, fir jaar-jaar roti huyi Raina ne rule jor se fenk kar kamre ke farsh par maara, fir doudi aur Raghunath ke seene se lipat kar ek maa ki tarah ro padi.
Raghunath ne baaho me bhar liya tha ushe.
Raghunath ke saath hi Dhanushtankaar ki aankhe bhi bhar aayi thi, Raina ke sir par haath ferte huve usne ushe saantavna di, jab Raina saamanya huyi to boli," ab kya hoga praannath, Alfaanse bhaiya mere bachhe ko chhodenge nahi "
" tum itni kyo darti ho pagli, ek mujrim ke liye supritendent ke bete tak pahuch jaana kya itna aasaan hai, mai aisa kabhi nahi hone dunga "
" m..mai Alfaanse bhaiya ko achhi tarah se jaanti hu, saari duniya ki police milkar bhi aaj tak unhe kahi pahuchne se nahi rok saki hai. aisa koyi abhiyaan nahi hai jisme unhone kaamyaab hona chaha ho aur na ho sake ho, apne dushman ko vo paataal se dhoondhkar bhi khatam kar dete hai aur fir Vikas ne to unki patni ka katl kiya hai "
" ghabraao mat Raina, hum jaroor kuch karenge "
" magar mere bachhe ko bacha lo please, mere laal ko bacha lo praannath "
" t..tum itni kyo dar rahi ho Raina, kya tumhe hum par vishvaas nahi, mai hu, thakur sahab hai, Rajnagar ki poori police force hai, Vijay hai "
Vijay ka naam sunte hi Raina ne apna aansuo se tar chehra upar uthaya, aisa mehsoos kiya jaise is ekmaatra naam ne uske antar me kahi aasha ki ek kiran jaga di ho, boli," V..Vijay, haan, aap jaldi se Vijay bhaiya ko phone kijiye, vahi kuch kar sakte hai "
Raina ko aahista se apne se alag karke Raghunath phone ki taraf badh gaya, receiver uthaane ke liye usne abhi haath badhaya ki tha ki phone ki ghanti ghanghana uthi.
Raghunath ne receiver uthakar kaha," hello "
dusri taraf se thakur sahab ki aawaj ubhri," ye hum kya sun rahe hai Raghunath "
" oh, sir aap, good morning "
" morning, kya tumne BBC ke subah ke bulletin sune hai "
" y..yes sir "
" kya kaha hai unme " thakur sahab ne poocha," humne bulletin nahi suna hai, lekin kuch der pehle kisi ne hume phone par bataya ki bulletin ke mutabik Vikas ne Irvin ki hatya kar di hai aur... "
" v..vah sab sach hai sir "
" k..kya "
" y..yes sir, Vikas ne khud sweekar kiya hai ki usne Irvin ki hatya ki hai "
" magar kyo "
" uska kehna hai ki Irvin ki madad se Alfaanse Bhaarat ke khilaaf koyi shadyantra rach raha tha aur us shadyantra ko vifal karne ke liye hi usne Irvin ki hatya kar di "
" is waqt Vikas kaha hai "
" apne kamre me, behosh pada hai sir, Raina ne gusse me ushe bahut maara hai "
" hum pahuch rahe hai Raghunath " in shabdo ke saath hi dusri taraf se sambandhvichhed kar diya gaya, tatkaal Raghunath ne Vijay ka number dial kar diya.

----------------------------------

secret service se sambandhit yaani us phone par jiska number kisi directory me nahi hai, usse black boy se baate karke Vijay ne receiver abhi rakha hi tha ki vaatavaran phone ki ghanti se ghanghana utha, Vijay us taraf badhta hua badbadaya," ye lo pyaare, ho gaya chakkar shuru "
receiver uthaate hi Vijay ne kaha," hello, director of paagalkhaana speaking "
" mai bol raha hu Vijay, Raghunath "
" kahiye, kis number ke paagal se milna hai "
" kya tumne kuch hi der pehle prasarit hone vaala BBC ka bulletin suna hai Vijay "
" ji haan, usme kisi Vikas naam ke paagal ka jikr kiya gaya tha "
" please Vijay, majaak chhodo, us sab ko sunkar Raina bahut ghabra gayi hai, Vikas ko usne itna maara hai ki vo behosh ho gaya hai, tum yaha aa jaao, Raina ko sirf tum par vishvaas hai, vah samajhti hai ki Vikas ko Alfaanse se keval tum hi bacha sakte ho "
" hum pahuch rahe hai pyaare " kehne ke saath hi usne receiver rakh diya aur phone ke paas se seedha jump bathroom me lagayi.
Vijay taiyaar hokar jab Raghunath ki kothi par pahucha to porch me khadi thakur sahab ki gaadi ko dekhte hi uska maatha thanka.
gaadi ke kareeb hi thakur sahab ke shashastra guard khade the.
ab Vijay ke liye ek aawara ladke ki acting shuru karni jaroori thi, so, car se baahar nikalte hi usne darvaaja itni jor se band kiya ki uski aawaj saari kothi me goonj gayi.
Vijay ne chaabi ka challa ungli me daala tatha kisi aawara ladke ki tarah seeti bajata hua aage badha.
thakur sahab ke guard jaante the ki ye I.G. thakur sahab ka putra hai, isliye ve khaamoshi ke saath ushe dekhte maatr rahe.
itna hi nahi balki unke kareeb se gujarte waqt Vijay ne aankh bhi maari.
guard sakpaka gaye, unhe sakpakata hi chhodkar Vijay apne ushi andaaj me gallery paar karke kamre me daakhil ho gaya aur kamre me kadam rakhte hi vah is prakaar sakpaka gaya jaise pehli baar samjha ho ki yaha thakur sahab bhi maujood hai.
seeti bajani ekdum se band kar di usne, fir sofe par baithe thakur sahab se bola," paay laagu baapu jaan "
thakur sahab ne kuch nahi kaha, aagney netro se sirf ushe dekhte rahe, jabki ushe dekhte hi Vijay bhaiya kehti huyi Raina usse aa lipti, Raina ki haalat vaakayi kharaab thi, boli," Alfaanse bhaiya se Vikas ko tum hi bacha sakte ho Vijay bhaiya, Alfaanse bhaiya ko sirf tumhi samjha sakte ho "
Vijay ne murkho ki tarah gardan akdakar kaha," kaha hai vo mardood "
" k..koun "
" lumad "
" vah yaha kaha hai "
" to fir samjhaaye kishe "
" ye badtameej hai aur hamesha badtameej hi rahega " ufankar ek jhatke ke saath khade hote huve thakur sahab cheekh pade," ishe yaha kisne bulaya hai Raghunath "
" m..maine " Raina keh uthi.
gusse ki jyadti ke kaaran keval kaanpkar reh gaye thakur sahab, bole," tum bhi bahut pagli ho Raina beti, ye naalayak bhala kya kar sakega, sab kuch ishi kato kiya-dhara hai "
" hamara, humne kya kiya hai daddy pyaare "
" tumhi ne Vikas ko bigada hai, tumne aur us antarrashtriya mujrim ne is chote se bachhe ko aise-aise khatarnaak kaamo me daksh kar diya hai ki vah apni umra se bahut jyada badhkar jaane kya-kya sochne aur karne laga hai, ab sambhaalo is musibat ko "
" sambhaal lenge " Vijay ne seena taankar kaha.
uske kehne ka andaaj hi itna bhadda tha ki thakur sahab khud ko sambhaal na sake, daant peeste huve ve Vijay ki taraf badhe hi the ki aage badhkar Raina ne unhe rok liya, roti huyi haath jodkar vah boli," p..please daddy, is waqt gussa na kijiye, shaanti se baithkar is musibat se niklane ka raasta khojne ki jaroorat hai jisme Vikas ne khud ko fansa liya hai "
thakur sahab ye maanne ko taiyaar nahi the ki is maamle me Vijay kuch kar sakta hai, magar fir bhi Raina ke anurodh par vo Vijay ki upastithi ko yaha sahan karne ke liye taiyaar ho gaye.
ve sab us kamre me pahuche jaha Vikas abhi tak behosh pada tha.
ushi kamre me, gumsum sa Dhanushtankaar ek kursi ke hatthe par baitha sigaar me gehre-gehre kash laga raha tha, Vijay aur thakur sahab ko dekhte hi usne charan sparsh kiye.
Vijay ne aadesh diya," diljale ko hosh me laao gaandiv pyaare "
Dhanushtankaar bathroom se ek jug paani le aaya.
ishi beech Raghunath ne BBC ka bulletin sunne se lekar Vikas ke behosh ho jaane tak ki saari ghatna Vijay ko sanshep me suna di thi, Vijay chupchaap sab

kuch sunta raha.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

Vikas ho hosh aaya.
halki-halki si karahe nikalne lagi uske munh se, rule ki choto se uska saara badan dukh raha tha, kayi jagah pade huve neel bilkul saaf dikhaayi de rahe the.
unhe dekhkar Raina ki aankhe bhar aayi, apni hi berahami par glaani si huyi ushe, jabki aage badhkar Vijay ne Vikas ko farsh se uthakar bed par lita diya.
kuch der baad usne aankhe kholi.
thakur sahab bed par uske sameep hi baith gaye aur Vikas ke sir par bade pyaar se haath ferte huve unhone poocha," sach batao bete, kya tumhi ne Irvin ki

hatya ki hai "
Vikas ne sweekriti me gardan hilaayi.
" kyo "
" vo ek Bhaarat virodhi shadyantra rach rahe the "
" kya shadyantra tha vah "
Vikas ne ek baar Vijay ki taraf dekha, bola," vah mai nahi bata sakta "
" kyo " chounkte huve thakur sahab ne poocha.
" mai is sawaal ka jawaab bhi nahi de sakta "
" jawaab to tumhaare baap ko bhi dena padega diljale " aage badhkar uske najdeek pahuchkar Vijay gurraya," tum London kyo gaye the "
" soory uncle, is baare me mai kuch nahi bata sakta "
Vikas aur Vijay milkar ye saara drama thakur sahab, Raina, Raghunath aur Dhanushtankaar ke saamne isliye kar rahe the kyonki ve in logo ko haqikat nahi

bata sakte the.
nahi bata sakte the ki ve dono hi Bhartiya secret service se sambandhit hai, ye bhi nahi bata sakte the ki dono hi Britain gaye the, kaise keh dete ki is saare

jhamele ke peeche Kohinoor hai.
Vijay ne kaha," khair pyaare, filhaal un sawalo ko chhodo jinka tum jawaab nahi dena chahte, tumhaari baato se arth ye nikalta hai ki tum ye samajhte the

ki lumad Irvin se bilkul pyar nahi karta hai "
" haan "
" tumhara ye samajhna galat bhi to ho sakta hai "
" unhone badla lene ki kasam khaayi hai, isse to yahi lagta hai magar... "
" magar kya "
" mujhe ascharya jaroor hai, jaanta hu ki jab unhone kasam khaayi hai to vo yaha tak pahuchenge bhi jaroor, unke saamne padte hi mai unse poochunga ki

Irvin se kab pyar karne lage the ve "
" poochoge to tabhi na bete jab vah tumhe itna avsar dega, jitne gusse me vo hai usse to lagta hai ki vo saamne padte hi tum par humla kar dega, khair, ab

tum us shadyantra ke baare me batao jo lumad is desh ke khilaaf rach raha tha "
" keh chuka hu guru ki mai nahi bata sakta "
Vikas ne ye ek hi vaakya rat rakha tha, jabki Vijay tarah-tarah se jor daalkar usse poochta raha, ekaek hi aage badhkar Raina boli," bata do bete, tum daro

nahi, hum sab jo hai, Alfaanse bhaiya ko hum tum tak nahi pahuchne denge "
feeki si muskaan doud gayi Vikas ke hontho par, bola," kya tum ye samajhti ho mummy ki mai crimer uncle se aur unke dwara khaayi gayi kasam se dar raha

hu "
" to fir bata kyo nahi dete "
" jab waqt aayega to mujhe unse nahi mummy, unhe mujhse darna hoga, maine Irvin ki hatya ki hai, seena thok-thok kar mai hajaar baar yahi baat kahunga

aur ye bhi kahunga ki jo bhi maine kiya hai, theek kiya hai, ab yadi crimer uncle ne Bhaarat ki jameen par kadam rakha to unhe giraftaar kar lunga mai, desh

ke dushmano ko tumhaara beta bakshta nahi hai, jaroorat padi to crimer uncle ki laash bichhaane se bhi peecche nahi hatunga "
" V..Vikas " cheekhti huye Raina ne uske gaal par jhanaatedaar thappad maara.
ladke ke hontho par feeki muskaan doud gayi, bola," duniya me sirf ek hi kaam to nahi seekha tere laal ne maa aur vah hai darna, mujhe darna nahi aata

mummy, tum bhi mat daro "
" t..tu bahut paaji ho gaya hai naalaayak, mai tujhe kachha chaba jaaungi " gusse ki adhikta ke kaaran uske munh se jhaag nikal rahe the, bhookhi sherni ki

tarah Vikas par jhapat padna chahti thi vah magar majboor thi.
thakur sahab ne kas kar pakad rakha tha ushe.
Raina uske bandhano se nikalne ke liye machal rahi thi, thakur sahab kheenchte huve ushe kamre se baahar le gaye, Raghunath aur Vijay bhi uske peeche hi

baahar nikal gaye, nikalne se pehle Vijay ne Dhanushtankaar se kaha tha," diljale ka dhyaan rakhna gaandiv pyaare, ye saala crack ho gaya hai, yaha se nau

do gyarah na hone paaye "
Dhanushtankaar ne apne chote se coat ki jeb se revolver nikaal liya aur jab Vikas ne is revolver ko apni taraf hote dekha to uske gulaabi hontho par feeki si

muskaan naach gayi.
dusre kamre me laakar thakur sahab ne Raina ko samjhaya," hosh me aao beti, is waqt vyarth ki bhaauvakta se kaam nahi chalega, filhaal Vikas se jyada

baate karne ka koyi laabh nahi hai kyonki Alfaanse ki tarah hi vah bhi josh me maalum padta hai "'
" marne dijiye ushe, hame parvaah nahi hai "
" relax Raina, please relax "
Raina shaant ho gayi.
Raghunath ne prashan uthaya," magar vah bata kyu nahi raha hai ki aakhir Alfaanse Bhaarat ke khilaaf kya shadyantra rach raha tha "
" filhaal is baat par jor mat daalo Raghunath, sambhav hai ki dimaag shaant hone par Vikas khud hi kuch bata de, abhi vo josh me hai aur ishi se jaahir hai

ki uske aur Alfaanse ke beech koyi bahut badi baat huyi hai "
Raghunath chup rah gaya.
thakur sahab ne kaha," filhaal hum chalte hai, tum fikr mat karna Raina, hum saare Rajnagar me hi nahi balki Rajnagar ke chaaro taraf police aur jasooso ka

jaal bichha denge, aisa jaal jishe todkar Alfaanse Rajnagar me daakhil hi na ho sake aur yadi kisi tarah vah Rajnagar me pahuch bhi gaya to yakeen rakho, is

kothi ke aaspaas nahi fatak sakega "
sabhi chup the.
thakur sahab vaha se chale gaye, tab Raghunath ne Vijay se kaha," Vijay, please tum akele me koshish karke dekho, shayad Vikas tumhe bata de ki uske aur

Alfaanse ke beech kya hua hai "
" mai bhi yahi soch raha tha pyaare " kehne ke baad Vijay us kamre ki taraf chal diya jisme Vikas tha.

-----------------------------------

Dhanushtankaar ko kamre se baahar nikaalne ke baad Vijay ne kamre ka darvaaja andar se band kiya aur apne joote ki aedi par firkani ki tarah ghoom gaya,

usse najre milte hi bed par leta Vikas dheeme se mukuraya.
muskurata hua Vijay bhi uske najdeek pahucha aur ek kursi kheenchkar uske bed ke bahut sameep baith gaya, bola," kaho pyaare diljale "
" acting kaisi rahi guru "
" acting to theek rahi bete lekin ab jara tum asliyat par aa jaao "
chounkte huve Vikas ne poocha," kaisi asliyat "
" Britain jaane ka mool kaaran, Irvin ki hatya ka vaastavik kaaran aur ye haqikat to inse chupani aavashyak thi hi ki Britain hum bhi tumhaare saath gaye

the, bataane ke liye Irvin ki hatya ka koyi thos kaaran tumhaare paas tha nahi, aur kaaran na batane ki jid pakadkar tumne yakeenan hoshiyaari ki hai,

magar.... "
" magar kya guru "
" jab tumne Irvin ki hatya ki, us waqt tum sachmuch ye samajhte the ki apna lumad Irvin se bilkul pyar nahi karta "
" yadi mujhe is baat me jara bhi shak hota guru to kya mai hatya karta "
" ab tumhe kya lagta hai "
thoda hichakte huve Vikas ne kaha," yadi bura na maane guru to haqikat keh du "
" jaroor kaho pyaare "
" ab lagta hai ki us spot par Alfaanse guru ko samajhne me bhool ho gayi thi, mujhse hi nahi balki aapse bhi, aapka khayaal bhi to yahi tha ki crimer uncle

Irvin se bilkul pyar nahi karte hai, magar Irvin ki hatya ke baad unka jo roop saamne aaya hai, usse lagta hai ki hum chook gaye the, Alfaanse guru nischay

hi kisk na kisi star tak Irvin se pyar karte jaroor the "
" ab hame bhi aisa hi lag raha hai pyaare "
" kya matlab "
" lagta hai ki sach vahi hai jo surang me lumad ne humse kaha tha, Irvin se shaadi uska ek drama hi tha magar baad me drama dheere-dheere mohabbat me

badal gaya, ye baat haalanki ushi samay jaahir ho gayi thi jab Irvin ke liye hamare munh se ek apshabd nikalte hi usne hamare jabde ke kayi daant hila diye

the aur uska yahi roop hame vishvaas dila raha hai ki badla lene lumad yaha aayega jaroor "
ladke ne mohak muskaan ke saath kaha," kya aap crimer uncle se aatankit hai guru "
Vijay chup reh gaya, kuch der baad bola," stithi saanp-chachuandar vaali ban gayi hai bete, ab chachundar ko na to ugala hi jaa sakta hai aur na hi nigal

sakte hai, khair, jab waqt aayega, tab dekha jaayega, filhaal hum lumad ko tumse door hi rokne ke liye intjaam karte hai "
" koyi jaroorat nahi hai guru, apne bete ko itna kaayar bhi mat banao "
" bas pyaare, yahi to hum tumhe samjhaana chahte hai ki kisi prakaar ki atirikt bahaduri dikhaane ki jroorat nahi hai, chupchaap yahi lete rehna, yadi tumne

hamare aur baapujaan ke dwara taiyaar kiya gaya ghera todkar baahar nikalne ki murkhta ki to lumad ko tum tak pahuchne ke liye is ghere ko todne ki bhi

jaroorat nahi padegi aur is baat ko achhi tarah se samajh lo ki yadi tum uske saamne pade to vah tumhaare jism ke kisi bhi piece ko itna bada nahi chhodega,

jishe yaar logo ko shamshaan me le jaakar foonkne ki jaroorat pade "
jawaab me Vikas ke hontho par ek mohak si muskaan ubharkar reh gayi thi.
Vijay utha aur fir khaamoshi ke saath kamre se baahar nikal gaya, baahar aate hi Raina, Raghunath aur Dhanushtankaar ne ushe gher liya, Vijay ne

Dhanushtankaar ko aagya di ki vo har pal Vikas par najar rakhe aur kisi bhi keemat par ushe kothi se baahar na nikalne de.
Dhanushtankaar kamre ke andar chala gaya.
Raina aur Raghunath ke savalo ke jawaab me Vijay ne kaha," diljala adiyal tattu ki tarah adaa hua hai, vah anya sabhi prashno ke jawaab deta hai lekin

mukhya prashn par chup ho jaata hai "
Raina aur Raghunath ke chehro par aatank ke saath nirasha ke bhi bhaav failte chale gaye.
Alfaanse se takraane ki taiyaari karne ke liye Vijay ne filhaal unse vidaa maangi.

------------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


secret phone par Vijay black boy se pooch raha tha," tumne Ashraf, Vikram, Naahar, Aasha aur Parvej aadi ko unke morcho par tainaat kar diya hai na

pyaare kaale ladke "
" yes sir " dusri taraf se black boy ne kaha.
" aur koyi vishesh soochna "
" ji haan, vibhinn desho se Bhartiya jasooso ki report mili hai, in reports se maalum padta hai ki laghbhag saare vishv me Kohinoor, Irvin ke katl aur

Alfaanse dwara khaayi gayi kasam ki charcha hai, pratyek mulk ka top jasoos Alfaanse ke khilaaf Vikas ki madad karne ke liye Bhaarat aana chahta hai,

Russia se report mili hai ki Bagarof Vikas ki madad karne ke liye Bhaarat aane ke sawaal par apne cheif tak se takra baitha hai, yahi stithi China ke

huchang aur Pakistaan ke Nusrat-Tughlak ki hai, Bangladesh se report mili hai ki Bhaarat aane ke liye Rehmaan apne desh ke rashtrapati se mila hai "
" pata nahi kaale ladke, aaj tak hum khud nahi samajh sake ki is jallaad ladke me aisi kya khaas baat hai jiski vajah se iske dushman bhi isse beintehaa

mohabbat karte hai, iska kattar se kattar dushman bhi kambakkht ki mout nahi chahta "
" Britain ke alawa laghbhag sabhi desho se aisi hi reports mili hai, balki Newyork me stith hamare jasoos ne to ye soochna bheji hai ki Harry armstrong

Bhaarat ke liye ravana ho bhi chuka hai "
" lagta hai pyaare ki lafda lamba hi failega "
" kya itni madad ke baad bhi Alfaanse Vikas se badla lene ke apne faisle par punarvichaar nahi karega sir "
" lumad par kisi baat ka koyi fark nahi padta hai pyaare, khair, Britain ki aur vishesh roop se Bond ke sambandh me kya report mili hai "
" vaha se abhi tak koyi report nahi mili hai sir "
kuch der tak Vijay chup raha, jaise kuh soch raha ho, fir bola," filhaal gupt-bhavan me tumhaari seat hum sambhaalte hai pyaare, tum Raina behan ke paas

jaao, ushe saantavna do, vah bahut jyada aatankit hai, saanketik dhang ne tum ushe ye bhi bata dena ki saari duniya ke jasoos Vikas ki madad ke liye

Bhaarat pahuchne hi vaale hai, shayad ye jaankar Raina ko kuch dhaandhas bandhe "
" ok sir "
Vijay is waqt gupt bhavan me black boy ki kursi par baitha poore Rajnagar me tainaat jasooso se report le raha tha, abhi tak unme se kisi ki bhi report me

koyi khaas baat najar nahi aayi thi.
ekaek hi vah us waqt chounka jab vah transmitter spark karne laga jis par duniya ke kisi bhi kone se sampark kiya jaa sakta tha, is tranmitter par duniya ke

vibhinn desho me faile Bhartiya jasoos sampark sthaapit kiya karte the.
Vijay ne yahi sochkar transmitter on kiya ki shayad aisa hi koyi jasoos duniya ke kisi kone se report dena chahta hai, lekin traasmitter on hote hi jo aawaj

ubhri ushe sunte hi Vijay yu uchhal pada jaise bichhu ne dunk maara ho.
aawaj Singahi ki hi thi," hello mr. cheif of Indian secret service "
" koun hai aap aur kya bak rahe hai " aawaj badalkar Vijay gurra utha.
dusri taraf se vynagya me doobi Singahi ki aawaj goonji," banne ki koshish na kare, kyonki mai jaanta hu ki aap vahi hai jo mai keh raha hu, aapse pehle bhi

mai kayi desho ke secret service ke cheifo se baat kar sakta hu "
" aap koun hai "
" Singahi "
" koun Singahi "
" duniya me aaj shayad aisa koyi vyakti nahi hai jo Singahi ke naam se aparichit ho, haan, aapki tarah log mujhe na jaanne ka bahana jaroor karte hai, khair,

aaj subah prasarit hone vaale BBC bulletin me aapne ye to sun hi liya hoga ki Kohinoor mere paas hai "
" fir "
" mai ushe bechna chahta hu "
" hame usse kya matlab "
" kya Bhaarat Kohinoor khareedne ka ichhuk nahi hai "
ek kshan sochta raha Vijay, fir bola," tum Kohinoor ki kya keemat chahte ho "
dusri taraf se vyangya me doobi Singahi ki hansi goonj uthi, bola," musibat to yahi hai janaab ki Kohinoor ek hi hai aur ushe khareedne ke liye vahi rashtra

taiyaar ho jaata hai jisse bhi mai sampark karta hu, atah uljhan me pad gaya hu ki Kohinoor kishe du, khair, is uljhan se bachne ka raasta maine nikaal liya

hai, tender system "
" kya matlab "
" seedhi si baat hai ki mai Kohinoor ushi desh ko bcchunga jo mujhe iski sabse jyada keemat dega, atah mere agli baar sampark sthaapit karne tak aap achhi

tarah se sochkar rakhe ki aap Kohinoor ki kya keemat de sakte hai "
Vijay ne kuch kehne ke liye abhi munh khola hi tha ki udhar se sambandh vichhed ho gaya aur Vijay ko apna dimaag kisi bajarbhattu ki tarah hawa me

naachta hua mehsoos hua.
transmitter off karke vo black boy ke aane tak Singahi aur uski kahi baato me hi dooba raha, black boy ne aane par bataya ki ye jaanne ke baad Raina kaafi

had tak samanya ho gayi hai ki Vikas ki madad karne ke liye duniya bhar ke jasoos betaab hai aur Harry aa raha hai.
tab Vijay ne ushe transmitter par huyi Singahi ki baato ka vivran suna diya, sunkar black boy bola," is maamle me aapki kya raay hai sir "
" hamari raay to pyaar filhaal tel lene chali gayi "
" kya matlab "
" hamara desh bahut gareeb desh hai, jab tak duniya me America, China, Russia aur Britain jaise desh hai, tab tak ye baat to khwaab me bhi nahi sochi jaa

sakti ki unke mukable Kohinoor ko hum khareed sakte hai, fir bhi tum sarkar se baat kar lo "
" ok sir "

-----------------------------------

aatankit Raina ne badi mushkil se raat gujaari.
saari raat jaagti rahi thi vah, uske saath hi Raghunath bhi jaaga tha aur abhi mushkil se ek ghante pehle yaani 5 baje vah Raina ke kaafi anurodh ke baad

soya tha.
saari raat halki si aahat se bhi unhe aisa lagta tha ki jaise Alfaanse aa gaya hai.
us waqt subah ke sava 6 baje the jab Raina ne kitchen me jaakar chaay banayi aur pandrah minute baad hi vah haath me chaay ki pyaali liye Vikas ke kamre

ke band darvaaje par dastak de rahi thi.
andar se kisi ne bhi darvaaja nahi khola, koyi halki si bhi pratikriya na huyi.
pehle to Raina ne yahi socha ki Vikas aur Dhanushtankaar gehri neend me hai lekin jab kaafi det tak bhi darvaaja na khula to uska maatha thanka.
darvaaje ko peetne lagi vah.
samay beetne ke saath hi pyaali uske haath se chhut gayi aur vah paaglo ki tarah Vikas-Vikas chillane lagi.
yaha tak ki uski aawaj sunkar Raghunath bhi vaha aa gaya.
Raina ki baat sunkar vah bhi davaaja peetne laga aur Vikas-Vikas chillane laga, hajaar tarah ki shankaao se ghiri Raina ab foot-foot kar rone lagi thi.
Raghunath ne darvaaja tod diya, andar ka drishya dekhkar ve dono bhouchakke reh gaye.
bed bilkul khaali tha, farsh par Dhanushtankaar ka jism behosh avastha me pada tha, kamre me Vikas ka koyi naam-o-nishaan nahi tha.
ek khidki ke teen sariye farsh ki taraf mude pade the.
Raghunath udhar hi lapka, saaf jaahir tha ki darvaaje ke sthaan par yahi raasta apnaaya gaya hai, boukhlaayi si Raina saare kamre me apne laal ko

dhoondhti fir rahi thi, uski drishti bed par pade ek kaagaj par padi.
Raina ne jhapartkar ushe utha liya, padha, likha tha,
adarneeya Vijay guru ji,
charan sparsh,
bade dukh ki baat hai ki aapne mujhe Jaydrath bana diya hai, mere chaaro taraf aapne aur nanaji ne kuch aisi hi vyuh rachna kar di hai jaisi Arjun se

bachaane ke liye kauravo ne Jaydrath ke chaaro taraf ki thi.ye sab vyuh rachna isliye ki gayi hai taaki crimer uncle mujh tak na pahuch sake, ye vyuh rachna

mere liye aapke dilo me bhare pyar ki parichaayak hai aur mai aapke pyar ki kadr karta hu. magar please guru, apne bachhe ko Jaydrath mat banao,

Abhimanyu hi rehne do, Jaydrath kaayar tha, bujdil tha, darpok tha jo Arjun ke dar se us vyuh ke beech me chupa raha, Vikas sabkuch ho sakta hai guru

lekin darpok nahi ho sakta, crimer uncle se takraane ke liye mai khud is vyuh se baahar jaa raha hu, log agar kahe ki Alfaanse ke dar se Vikas sehme huve

chuhe ki tarah apne bil me chup gaya hai to vo meri nahi aapki aur crimer uncle ki touheen hogi, aur ye bachha abhi itna naalaayak nahi hua hai ki apne guru

ki touheen hone de.
aap hi ka beta
Vikas.

------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


jis prakaar Raghunath ki kothi ke baahar tainaat Naahar ne Vijay ko ye soochna de di thi ki kothi ke bheetar se kisi darvaaje ko todey jaane ki aur Raina-

Raghunath ke cheekhne-chillane ki aawaje aa rahi hai, ushi tarah kothi ke baahar stith force ne thakur sahab ko bhi bheetar ki asamaanya stithi ki soochna

de di thi.
laghbhag ek saath hi ve dono kothi par pahuche.
police ke dher saare officer kothi ke andar aa gaye the, thakur sahab un par garam ho rahe the, ek kone me munh chupaaye Raina foot-foot kar ro rahi thi.
Vijay ne ek sipaahi ko Dhanushtankaar ko hosh me laane ka aadesh diya hi tha ki uske galey me latka locket roopi transmitter spark karne laga, vah teji ke

saath bathroom ke andar ghuss gaya.
darvaaja band karke jab usne transmitter on kiya to Ashraf ki aawaj ubhri," hello, Ashraf reporting sir "
" hum bol rahe hai " Vijay ne bharraye se swar me kaha.
" America se abhi-abhi aaye vimaan se Harry utara hai sir, mai ushe spasht dekh sakta hu, custom par uska saamaan check kiya jaa raha hai "
" ushe aane do aur suno, ab tumhe apni duty ka nirvaah kuch aur mustaidi ke saath karna hai kyonki kal raat ke kisi waqt me Vikas apni kothi se nikal gaya

hai, sambhav hai ki vah Rajnagar ya Bhaarat se hi baahar jaane ki koshish kare "
" y..ye aap kya keh rahe hai sir, Vikas..... "
magar Ashraf ki poori baat sune bina hi Vijay ne sambandh vichhed kar diya, locket ko galey me daalkar vah bathroom se baahar nikla, kisi se phone par

baat karke thakur sahab ne receiver credel par abhi-abhi rakha hi tha, Raghunath ki taraf ghoomkar ve bole," hame abhi-abhi soochna mili hai ki Harry aa

chuka hai, humne ushe yaha laane ke aadesh diye hai "
udhar hosh me aane par Dhanushtankaar apni diary me likhkar keval itna hi bata saka ki raat ko 3 baje farsh par baithe-baithe hi ushe neend aa gayi thi aur

uske baad vah abhi jaaga hai, yaani ki uski report poori tarah se nirashapoorn thi.
kaafi der tak kothi me kohraam machta raha, magar ab is kohraam se hona kya tha.
ek kone me baithi Raina is tarah se aansu baha rahi thi jaise ushe ab Vikas ke bachne ki koyi ummeed hi na rahi ho aur laghbhag yahi samay tha jab Harry ne

vaha kadam rakha, sabse pehle thakur sahab, fir Raghunath aur fir Vijay ke charan sparsh kiye usne, tab vah kone me baithi ro rahi Raina ke paas

pahuchkar bola," m..mai aa gaya hu mousi "
aansuo se bhara chehra ekdum se upar uthaya usne, rote-rote aankhe sooj gayi thi uski, Harry ko vaha khada dekhakar uski rulaayi aur bhi jor se foot padi.
ladka jhuka, poorn shraddhapoorvak uske charan sparsh kiye usne, fir uske kandhe pakadkar bola," chii, mousi tum roti ho, Vikas ki maa hokar roti ho, vo

koyi rasgulla nahi jo ushe koyi bhi hajam kar jaaye "
Raina ki hichkiya nahi ruki.
kandhe majbooti se pakadkar ushe apne saamne khadi karte huve vo bola," mai aa gaya hu Raina maa, tera dusra beta, mere jeete ji agar Vikas ko kharoch bhi

aa jaaye to mera naam Harry nahi " bhaavavesh me Raina ne Harry ko apne seene se laga liya aur uski rulaayi kuch jyada hi jor se foot padi, Vijay vichitra

nigaaho se Harry ko dekh raha tha.

------------------------------------

ab akeli Raina hi kothi me reh gayi thi, thakur sahab, Vijay, Raghunath aur yaha tak ki Dhanushtankaar bhi Vikas ki khoj me nikal gaye the.
Harry bathroom me naha raha tha.
nahaane ke baad ushe bhi Vikas ki talaash me nikal jaana tha, kisi ko nahi maalum tha ki Vikas ko kaha dhoondhna hai magar fir bhi deewano ki tarah ve

sab Rajnagar ki sadko par nikal gaye the.
Raina ek kone me udaas aur gumsum si baithi thi, ekaek hi jor se bathroom ka darvaaja khulne ki aawaj ne uski tandra bhang ki, barbas hi chehra uthakar us

taraf dekha usne.
dekhte hi Raina uchhal pade, aise jaise ushe bichhu ne dunk maar diya ho.
uske munh se nikla," t...tum "
" haan mai, thakur sahab aur Vijay ke banaye huve jaal ke beech se gujarta hua yaha pahucha hu "
" m..magar Alfaanse bhaiya, tumne achha hi kiya jo seedhe yahi aa gaye, mere paas, mujhe tumse bahut saari baate karni hai "
vah antarrashtriya mujrim hi tha, sachmuch Alfaanse.
yaha Harry bankar aaya tha vah, parantu is waqt uske chehre par koyi makeup nahi tha, sakht aur kathor chehre vaala Alfaanse.
uski aankhe yu bhabhak rahi thi jaise ki angaare dekak rahe ho.
ushe dhyaan se dekhne ke baad ek baar to Raina ke samooche jism me sihran si doud gayi aur fir usne Alfaanse ko kisi bhediye ki tarah gurrate suna," vah

kutta to mere saamne aane se pehle hi bhaag gaya hai, mai chahta to uske saamne aane tak Harry hi bana reh sakta tha, magar nahi, maine aisa nahi kiya,

jaanti ho kyu "
" k..kyu "
" mujhe tujhse kuch baate karni hai "
" kis tarah bol rahe ho Alfaanse bhaiya, mujh tu kehkar to shayad tum kabhi nahi bole "
" shukar kar Raina ki tujhe, teri kokh ko gaali nahi de raha hu "
" itna gussa theek nahi hai Alfaanse bhaiya "
" mai jaanta hu ki kya theek hai aur kya nahi " kehkar dekhakta chehra liye Alfaanse ne khoon se sana hua night gown Raina ki taraf badha diya, bola," ye lo "

" ye kya hai Alfaanse bhaiya " Raina ne kampit swar me poocha.
" Kafan Tere Bete Ka "
" b..bhaiya " Raina cheekhte huve peeche hati, night gown farsh par gir gaya.
Alfaanse ne gown par apna joota rakha, ushe kuchalte huve vo bola," ye meri Irvi ka night gown hai, dekh, ispar meri Irvi ke khoon ke dhabbe hai, jis waqt tere laadle ne ushe maara tha tab vo yahi pehne thi, mai bakhsunga nahi Raina, khoon ka badla khoon hai, tere laal ke parkhachhe na udaa diye to mera naam bhi Alfaanse nahi "
" y..ye tum kya keh rahe ho bhaiya, tum Vikas ko maaroge "
" us kutte ko sirf maar daalne se mera kaleJa thanda nahi hoga, boti-boti kaatkar fenk dunga Raina, katre-katre karke cheel-kouvo ko khila dunga us haraamjaade ko "
" aisa mat kaho bhaiya, please aisa mat kaho, kya galti ho gayi hai mere Vikas se "
" huh, galti poochti hai, tujhe nahi maalum "
" sach maano bhaiya, Vikas nahi jaanta tha ki tum Irvin se itna pyar karte ho, vo to ye maane baitha tha ki apne kisi maksad ko poora karne ke liye tumne Irvin se shaadi ki hai, agar ushe pata hota ki tum Irvin se itna pyar karte ho aur uski mout par itna gussa karoge to vo Irvin ko kabhi na maarta, vo to bas, choti si galatfahmi ki vajah se.... "
" to unhe tera beta maarta firega jinhe koyi pyar nahi karta "
niruttar si ho gayi Raina, shayad isliye vishay badalkar boli," p... pata to lage bhaiya ki tumhaare aur Vikas ke beech me hua kya hai "
" ushi se nahi poocha "
" hajaar baar poochne par bhi usne kuch nahi bataya "
halki si muskaan ubhr aayi Alfaanse ke hontho par, bahut hi jehreeli muskaan, vaisi hi jaisi apne shikaar ko dasne se pehle vishkanya ke hontho par ubharti hai, kisi sarp ke samaan hi fufkaara vah," batata to tab jab aisa koyi shadyantra mai rach raha hota "
" t..to kya Vikas ne jhooth bola tha "
" nahi, vah bhala jhooth kyo bolega, tera beta jo hai vo, tera laadla, tere kaleje ka tukda, jhooth to mai bol raha hu, mai, kyonki mai gair hu "
" aisa kyo kehte ho bhaiya, kya mai tumhaari behan nahi, kya is ghar se tumhe kabhi koyi pyar nahi mila aur fir kya Vikas khud tumhaare kaleje ka tukda nahi hai "
" n..nahi " Alfaanse cheekh pada," is kaleje me ab dhadhakte jwalamukhi ke alawa kuch nahi hai aur ab ye jwalamukhi us haramjaade ki mout se hi thanda hoga "
" agar ye jwalamukhi khoon se hi thanda hoga to lo Alfaanse bhaiya, khadi hu mai tumhaare saamne, nikaalo chaaku aur baha do mera khoon, m..magar mere bete ko bakhs do "
" mai tere bete ki tarah kaayar nahi hu jo aurato ke khoon se apna chaaku rangta firu, mera chaaku ushi par jhapat-ta hai jisne jurm kiya ho "
" nahi bhaiya, aisa mat kaho, dekho, mai apna aanchal faila rahi hu, bheekh maang rahi hu tumse, mere bete ko bakhs do, tumhe meri raakhi ki kasam "
" thuu " Alfaanse ne Raina ke aanchal me thook diya.
" b..bhaiya " Raina dahaade maar-maarkar ro padi.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

" us waqt kaha tha tera ye aanchal jab vo kameena meri Irvi par vaar kar raha tha, tab kaha thi teri raakhi ki saugandh jab us haramjaade ne mera ghar ujaad diya, Alfaanse ko pyar karna nahi aata tha Raina, us abhaagi Irvin ne pyar karna sikha diya tha mujhe, jishe Alfaanse ne apni jaan se jyada chaha, ushe hi khatam kar diya tere bete ne, yu, jaise ki vah koyi gaajar-mooli ho, dhikkaar hai Alfaanse par agar vah Irvi ki mout ka badla na le to, farsh par pade is gown ko utha lena Raina, ye kafan hai tere bete ka, vaada raha, tere bete ki boti-boti karke tere paas bhijva dunga, is gown me baandhkar un botiyo ko kisi chita ke havaale kar dena "
ekaek hi Raina ka chehra sakht ho gaya, jaise samajh gayi ho ki Alfaanse par uske gidgidaane ka koyi asar nahi hone vaala, thode sakht swar me vo boli," hinsa se sirf hinsa ka janam hota hai bhaiya, kya Vikas ko maarkar tum khud bach sakoge "
thode vyangyapoorn swar me bola Alfaanse," kyo, mujhe koun koun maarega "
" Vijay bhaiya, thakur sahab, black boy bhaiya, aur duniya ke ve saaare jasoos jo Vikas ki madad ke liye nikal chuke hai ya nikalne vaale hai, kya ve sab tumhe chhod denge, tum akele ho aur idhar ve sab hai, kal ho sakta hai ki Singahi aur Jackson bhi Vikas ki madad ke liye aa jaaye "
" tu bhool gayi Raina, Alfaanse ek sher ka naam hai aur ek jungle me keval ek hi sher hota hai, jungle me aur bhi sainkado jaanvar hote hai magar ve sabhi jungle ke baadshah ke ishaaro par naachte hai, sher kisi ke ishaaro par nahi naachta "
" sher bhi naachta hai lumad miya, sher bhi naachta hai " Vijay ki aawaj ne un dono ko hi chounka diya tha.
Alfaanse firkani ki tarah ghooma.
roti huyi Raina bhaagkar Vijay se lipat gayi.
" tum " Alfaanse ka chehra kanpattiyo tak surkh ho gaya.
" hame ring master kehte hai pyaare " Vijay ne apne haath me pakde huve hunter ko fatkaara," jara sochkar batao ki ringmaster ke hunter ke aage aadamkhor sher ko bhi naachna padta hai ya nahi "
bade hi khaufnaak dhang se muskura utha Alfaanse, bola," ringmaster sirf ushi sher ko nacha sakta hai jo paaltu ho, pinjare me kaid kiya gaya ho, jungle me ghuskar koyi ringmaster apne hunter ko fatkaar kar to dekhe "
" lo miya, tumhe bhi hum abhi pinjare me band kiye dete hai " kehne ke saath hi Vijay ne kamre ka vo ekmaatra darvaaja band kar diya jisse vo andar aaya tha.
chitkhani chahakar vah ghooma.
" pinjare me sher ke saath kaid hone vaale ringmaster bevkoof hote hai, agar tum sher ki aadato se parichit hote to jaroor jaante ki aise ringmaster ko sher faadkar khaa jaata hai "
" dekhna to ab yahi hai meri jaan ki tum hame faadkar khaate ho ya hum tumhe apne is hunter par nachaate hai " kehkar Vijay ne Raina ko ek taraf hata diya.
jaane kyo un dono ko aamne-saamne dekhkar Raina ki taange kaanp rahi thi, Vijay ke haath me kaantedaar hunter tha, aisa jo har vaar ke saath shikaar ki khaal hi nahi, uska gosht tak noch laaye, Alfaanse nihattha hi tha, magar takraane ke liye bilkul taiyaar, uski aankhe angaare barsa rahi thi.
" hum tumhe ushi kshan pehchaan gaye the lumad miya, jis kshan tumne Harry ke roop me is kothi me kadam rakha tha, Raina behan ko kya daraate-dhamkaate ho, is hunter ke saamne gurrao "
" apni baat karo bete, tum kitni der tak mere saamne thahar paaoge "
" vahi samjhaane aaya hu lumad pyaare " kehne ke saath hi Vijay ne saany se uspar hunter ka vaar kiya, magar vah Alfaanse tha, furti se na sirf usne jhuk kar khud ko bacha liya balki sher ki tarah hi Vijay par jhapta.
bijli si koundhi.
Vijay ke nukeele boot ki jordaar thokar uske munh par padi.
ek cheekh ke saath Alfaanse peeche palat gaya, bina ushe avsar diye Vijay ne hunter se uspar vaar kiya, saany ki jordaar aawaj ke saath hunter Alfaanse ke jism se takraaya.
shirt ke katro ek saath-saath kaante uski khaal aur gosht bhi noch laaye.
Alfaanse ke chehre par peeda ke aseemit bhaav ubhre, magar Vijay ne ushe sambhalne ka mouka nahi diya, kyonki vo jaanta tha ki Alfaanse ko aisa koyi bhi mouka dena shikast ko aamantrit karna hai, kamre me saany-saany ki aawaje goonjti rahi.
saath hi goonjne lagi thi Alfaanse ke munh se nikli cheekhe.
ek kone me khadi Raina sehmi si un do takkar ke jaanbaajo ka khooni yuddh dekh rahi thi, tabhi kuch logo ne baahar se band darvaaja khatkhataya, Raina ka dhyaan udhar gaya.
darvaaja kholne ki mansha se usne udhar abhi pehla kadam uthaya hi tha ki Vijay cheekh pada," darvaaja mat kholna Raina, tumhe meri kasam hai "
Raina yu thithak gayi jaise sangemarmar ki murti me badal gayi ho.
ab baahar ki taraf se darvaaje ko todne ki koshish ki jaane lagi thi aur yaha, yaani ki kamre ke andar nirvivaad roop se is waqt Vijay haavi tha, uske hunter ke kaante Alfaanse ki kameej ke katro, uske khoon aur ghosht ke jarro se lisde pade the.
Alfaanse farsh par gir pada tha aur Vijay paaglo ki tarah us par hunter maarta jaa raha tha aur ek kshan aisa aaya jab Alfaanse ne jhapat kar hunter ka agrim kaante vaala sira pakad liya.
Vijay ne ek jordaar jhatka diya.
Alfaanse ke haath se khoon ki boonde tapak padi.
magar hunter chhoda nahi jaalim ne, balki is hunter ko pakad kar khada bhi ho gaya aur fir usne ek itna tej jhatka diya ki Vijay ke haath se na keval hunter chhut gaya, balki veg ke saath Vijay deewar se jaa takraaya.
deewar se uska sir takraya tha, atah aankho ke saamne rang-birange taare naach gaye the, sambhalne me ushe ek pal laga aur is ek pal me hi paase palat chuke the.
ab hunter Alfaanse ke haath me tha aur jism tha Vijay ka.
Vijay ke kanth se cheekhe nikalne lagi magar Alfaanse par to maano junoon sawaar tha, Vijay se halki si, maatra ek chook huyi thi aur fir ushe sambhalne ka ek bhi avsar nahi diya Alfaanse ne.
paaso ko is tarah se palat-ta dekh kar Raina boukhla gayi.
darvaaja tootne hi vaala tha.
Alfaanse ne Vijay ko buri tarah se jakhmi kar diya tha, is kadar ki Vijay behosh ho gaya.
jab Raina ne mehsoos kiya ki Vijay hil-dul nahi raha hai, ab uske kanth se koyi cheekh bhi nahi nikal rahi hai to Raina ghabra gayi.
udhar, haath me hunter liye hinsak pashu sa lag raha Alfaanse Raina ki taraf ghooma aur idhar Raina hadbadakar band darvaaje ki taraf lapki, ek jump lagakar Alfaanse ne ushe beech me hi pakad liya.
yahi kshan tha jabki bhadaak ki jordaar aawaj ke saath darvaaja toot gaya.
magar tab tak Alfaanse na keval Raina ko pakad chuka tha balki jeb se revolver nikalkar uski kanpatti par rakh bhi chuka tha.
darvaaje par bahut saare police vaalo ke saath swayam thakur sahab maujood the, bheetar ka drishya dekhkar ve sab na keval thithak gaye balki chehre safed pad gaye the unke.
Alfaanse ke munh se sachmuch kisi jakhmi aur hinsak sher ki si gurrahat nikli," agar kisi ne ek bhi kadam aage badhaaya to mai Raina ko goli maar dunga "
revolver haath me liye thakur sahab daant pees rahe the.
" raasta chhodo, mujhe jaana hai " Alfaanse gurraya.
ek-ek shadb ko chabakar thakur sahab bole," tum Rajnagar se bachkar nahi nikal sakoge Alfaanse, bhalaayi ishi me hai ki surrender kar do "
" mai jaanta hu thakur ki meri bhalaayi kisme hai, saamne se hat jaao varna... "
uska vaakya poora hone se pehle hi Raina cheekh padi," tumhe meri kasam hai daddy, ishe raasta mat dena, agar ye yaha se nikal gaya to mere Vikas ko nahi chhodega, agar ye mujhe goli maarta hai to maarne dijiye lekin ishe pakad lijiye "
shesh afsaro ne aadesh ke liye thakur sahab ki taraf dekha.
duvidha me fanse thakur sahab gusse ki adhikta ke kaaran khade-khade kaanp rahe the, unke chehre aur aankho me aise bhaav the jinse mehsoos hota tha ki yadi unka mouka lage to ve abhi, ishi waqt Alfaanse ko kachha chaba jaaye.
unki is avastha par Alfaanse thahaka lagakar hans pada, bola," kanoon aur police ke ye numaainde patthardil hote hai Raina, ek maa, ek patni ke jajbaato ki kadr karna ye kya jaane "
" ye sab kuch tum theek nahi kar rahe ho Alfaanse "
" theek to usne kiya tha jishe bachaane ke liye saari duniya ikhatti ho gayi hai " Alfaanse ka ek-ek alfaaz jehar me bujha hua tha, bola," raasta do thakur, yadi meri is chetaavani ke baad bhi raasta nahi diya gaya to kasam se, Raina ki laash padi hogi yaha "
police kaayi ki tarah fat gayi.
muskura utha Alfaanse aur Raina ko cover kiye us raaste par badhta hua bola," agar chidiya ke ek bachhe ne bhi mera peecha karne ki koshish ki to mere saath ushe Raina ki bhi laash milegi "
Raina cheekh-cheekh kar kehti reh gayi ki ve log uske marne ki chinta na kare.

ye ek bahut bada hall tha, cement ke 5 khambo par is hall ki vishaal chatt tiki huyi thi aur in 5 me se ek ke saath is waqt bandhi huyi thi Raina.
uske atirikt hall me keval do shakhs the.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply