Dusra Kona

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Dusra Kona

Post by Jemsbond »

Dusra Kona

wo subah ekdum normal hi thi jab me sokar uthhi.ek angdaayi lekar bed se utari aur rasoyi me paani peene ke liye gayi.darwaja kholkar jaise hi andar gayi, mere upar gulaab ke foolo ki barsat si ho gayi. me aashcharya aur khushi se jhoom uthhi.andar gayi to waha ek note likha hua tha-

'Rose in the Rose...Happy Marriage Anniversary My Love Salma'

aur sath hi likha tha-'table ki daraaj check kijiye salmaji'

me paani peena bhool kar drying room me rakhi table tak gayi aur daraaj kholi.
daraaj me ek dibbi rakhi thi jisme ear ring ka set tha. mere hothho par muskan fail gayi.mene ear ring ki dibbi uthhaayi to dekha niche ek aur note fold karke rakha hua tha.use kholkar dekha to likha tha-

'aapki isi muskan ke to hum deewane hain jaaneman. ab jara jaakar almaari kholo'

me bhaagti huyi bedroom me gayi aur almaari kholi. saamne hi ek gale ke haar-set ka box rakha tha, jisme se ear rings ko nikaal kar table ki daraaj me rakha tha.ye wahi haar-set tha, jo mene thode din pehale hi market me ek dukan par dekha tha, lekin prize bahut jyada hone ke karanme bhaaiT 5.1coagt bhari nigaaho se dekhkar wapas rakhwa diya tha. shayad shahid ne mere dil ki bagt tab jaan li thi. isiliye aaj humari pehali anniversary par wo haar-set chup chaap laakar surprise gift ke roop me mujhe diya tha. wo bhi itne romantic andaz me.apne pagti shahid ka itna pyar dekhkar meri aankho me aansu aa gaye.tabhi pichhe se shahid ne mujhe baaho me bhar liya aur bole-

'i love you salma...happy anniversary'

me kuchh bolna tak bhool gayi, bas unki bagho me simti rahi.tabhi unki najar mere aansuo par gayi, bole-'are! ye aansu to expect nahi kiye the mene. kya hua?'
me ghoomi aur unko apni bagho me jakad liya-'i love you too shahid and happy anniversary to you mere sartaj'

Shahid sharaagti andaz me bole-'gift pasand naa aaya ho to wapas kar aata hu, lekin in aansuo ko to roko'

me unse alag huyi unki chhgti par mukke dete huye boli-'aap bahut achchhe hain shahid. me bahut khushnaseeb hu jo mujhe aap mile'

tabhi darwaje ki taraf se aawaj aayi-'upar wala tum dono ke bich aisa hi pyar banaaye rakhe mere bachcho'

hum dono ne turant udhar dekha to meri saasu maa apni wheel chair par baithhi huyi hume bahut hi mamta bhari najaro se dekh rahi thi.hum dono gaye aur jhuk kar dono taraf se unhe baaho me bhar liya.unhone dulaar se humare sar par hath rakha aur khoob duaayen di.

**************
Apne abbu ke ghar ki chhgt par baithhi huyi me apne purane dino ko yaad kar rahi thi aur barbas hi aankho me aansu aa gaye.kitne pyare din the wo. shahid kaise mere chehare par muskan laane ki koshish me lage rehate the.tabhi meri najar rehaman bhai ki rasoyi par jaakar ruk gayi- rehaman bade adav se shaayarana andaz me rukhsana bhavi ki taraf jhuke huye the aur koi shayari farma rahe the.

rukhsana bhavi bhi mand-mand muskurate huye roti bel rahi thi.en dono ka pyar kaabile misaal tha. kaam pe jaane se pehle aur aane ke baad rehaman bhai hamesha rukhsana bhavi ke ird-gird hi mandrate rehte the aur unhe khush rakhne ki koshish me lage rehte the.rukhsana bhavi bhi unko kabhi shikayat ka mauka nahi deti thi.en dono ki shaadi ko 8 saal ho chuke the, aur en 8 saalo me inke bich pyar lagatar badhhta hi ja raha tha.Shaadi se pehale se hi me rehaman bhai ko dekhkar unke jaise hi, apni biwi se pyar karne wale shauhar ka khuwaab dekhti rehti thi.

mere dil ka pehla kona- jo hamesha mujhe aatma-samman se jeene ki salaah deta tha. bola-'dekha...ye hota hai sachcha pyar. shaadi ke 8 saal baad bhi rehaman bhai ka pyar jyo ka tyo hai. ek taraf shahid tha jo tumhari bhavnaao ko samajhta hi nahi tha'

Dusra kona- jo hamesha mujhe jhukne ki salah deta tha, bhale hi me sahi hou, lekin fir bhi apni galgti maan-ne ki salah deta tha bola-'lekin pyar to shahid bhi sachcha hi karta hai. kya kami thi uske pyar me? bas yahi chahta tha na ki tum apni ghar-grahasti par dhyan do. uski ammi ka khayal rakho'

pehla kona dahaad kar bola-'to kya kami chhodi thi isne uski ammi ki sewa me? lekin kya iski koi mahatvakaankshayen nahi hain? kya ye insan nahi hai? kya ise apne jeevan ko apne dhhang se jeene ka adhikar nahi hai? sach to ye hai ki shahid rehaman bhai ke muqabale ratti bhar bhi pyar nahi karta tha ise'

dusra kona-'lekin pehli pagthmikta iski apne ghar ko sambhalne ki thi.kya kami thi ise jo ye job ke liye ad gayi? aur fir baar-baar apne abbu ke ghar aana bhi kaha tak thhik tha?'

pehala kona fir use jhidakte huye bola-'to kya padhhayi aise hi ki thi? aur waha jaaye to itne se din huye the. yaha to isne 20 saal gujaare hain. kya inke pagti iska koi farz nahi banta?'

dusra kona chup hokar baithh gaya.me apne vicharo ko kaboo me karke niche aa gayi.kuchh din baad-rehaman bhai ke ghar pe mache koharam se meri neend khuli.
rukhsana bhavi ko achanak hi ragt ko brain heamarage ho gaya tha.hospital le jaane par doctors ne unhe mrit ghoshit kar diya tha.hum sabhi bahut dukhi the. rehaman bhai ka to ro-rokar bura haal tha.unki haalgt dekhkar mujhe dar lag raha tha ki kaise rahenge ye rukhsana bhavi ke bagair? kahi ve pagal hi na ho jaayen is sadme se !

rehaman bhai ki halgt dekhkar mujhe upar wale par gussa aa raha tha.mujh me aur shahid me to bhaari matbhed ho gaye the, lekin inko alag kyu kiya?kehane ko to rehaman bhai ke 2 bachche the, lekin unki to duniya hi rukhsana bhavi thi. jaan basti thi rehaman bhai ki unme. jindagi jeene ka sahara hi khatm ho gaya tha unka.Ye nishchit tha ki rehaman bhai dusri shaadi nahi karenge.halaaki shaadi to shahid ne bhi nahi ki thi ab tak.me fir apni purani yaado me kho gayi.

*************
Graduation to me shaadi se pehale hi kar chuki thi.ab mene B-ed karne ki ichchha jatayi to shahid thodi na nukur ke baad maan gaye.halaaki wo pasho-pesh me the. ek taraf chunki marketing ka kaam hone se wo hamesha bike par chalte the, isliye unka maan-na tha ki kamse kam itni to padhhayi chahiye ki usko agar kuchh ho jaaye to me apne pairo par khadi ho jaau. isi kram me unhone ek bhari bharkam term policy bhi karwa rakhi thi. sath hi, dusri taraf ammi ki dekh-bhaal ki chinta thi.ammi ne shahid ko samjha diya ki wo apni din-charya me thoda change karke adjust kar legi. salma ko aage padhhne do.tab jaakar unhone haan ki.

B-ed ho gayi aur ab meri ichchha job karne ki huyi. boli-'shahid, me job karna chahti hu'

shahid ki bhaag-bhangimaye hi change ho gayi. bole-'tum ye soch bhi kaise sakti ho salma? ammi ka khayaal kaun rakhega?'

'wo sab me adjust kar lungi' me unko samjhane wale andaz me boli-'bas aapko thodi si madad karni hogi. aap 9-10 baje kaam par nikalte hain. bas ise 11 baje tak karna hai, jo ki marketing ke job me badi baat nahi hai'

'tumhari job ke pichhe me apni job ko khatre me daalu? mummy ki dekhbhal se compromise karu? kyu? tum job nahi karogi matlab nahi karogi'

hum-me behas ho hi rahi thi ki ammi aa gayi. unhone shahid ko samjhaya ki kisi ko apne job se samjhauta karne ki jarurat nahi hai, wo khud adjust kar legi. bas uski jarurat ke saamaan uske kamre me rakhkar shahid chala jaaye.badi mushkil se shahid taiyyar ho gaye. lekin mujhse agle 3-4 din tak bolna band kar diya.agle din se me subah 7 baje school job pe jaane lag gayi.shahid bhi ammi ki wajah se thoda late job par jaane lag gaye. aise hi 3 mahine nikal gaye.

Ab haalaat kuchh had tak normal the.tabhi mere bhai ki shaadi tay ho gayi.shaadi ki kharid-daari, card baantne jaise bahut saare kaam hone ki wajah se mujhe shaadi me abbu ke ghar 15 din rukna pada.shaadi me to wo normal hi rahe, lekin jab ghar pahuchi to apna poora gussa mujhpar utaar diya.

bole-'jaha 3 din rukna tha waha 15-15 din laga diye. is ghar ke liye to tumhari koi jimmedari hi nahi hain naa? jo hai, wo hi ghar hai'

me chupchaap sunti rahi.haalaaki ammi ne aakar unhe shaant karane ki koshish ki, lekin unka gussa shaant nahi hua.khair, wo din nikal gaya aur fir se wahi dincharya shuru ho gayi.lekin tabhi ek baat aur huyi...mere school ke 3-4 teachars ke ek sath school chhodne ke kaaran mujhe 12 baje tak rukna pad raha tha.isi bich shahid ka seniore manager ekaththha 5 din ki joint working pe aa gaya, jisse unhe sharp 9 baje uske hotel pahuchna pad raha tha.

ammi bechari ki dekhbhaal bahut prabhavit ho rahi thi, lekin me chaah kar bhi kuchh nahi kar pa rahi thi.us din me jab ghar pahuchi to gazab ho gaya....ammi farsh par behosh padi thi, unki wheel chair paas me ludki padi thi aur paani ka matka unke upar foota pada tha.mene turant shahid ko phone kiya, aur padosiyo ki madad se ammi ko hospital pahuchaya.thodi der baad hi unko hosh aa gaya aur shaam tak hum unhe ghar bhi le aaye.ghar aate hi shahid mujhpar toot pade. unhone saara dosh mujhpar madhh diya. anaap shanaap bakne lage. aakhir mujhpar bhi nahi suna gaya.

mere dil ka pehla kona haavi ho gaya. mene bhi unko ulte jawab diye.gusse me unhone mujhe dhakka de diya.mera sar diwar se takraaya aur khoon behane laga.
shahid ne dekh liya lekin wajaay mujhe sambhaalne ke ghar se chale gaye.ammi dawaiyo ke nashe ke karan gehari neend me so rahi thi.Me gusse me uthhi aur apna saamaan pack karke abbu ke ghar aa gayi.

Ghar par jab meri ye halat dekhi to abbu aur bhai bahut gussa huye.jab mujhse puchha gaya to apne dil ke pehale kone ke adheen hokar mene khoob namak mirch laga kar puri baat bataayi.abbu aur bhai shahid ko samjhaane aur ammi ka haal-chaal puchhne ko chale gaye.lekin waha pehale se hi baithhe shahid ke kunwe ke logo ne mere baare me khari-khoti sunakar, ammi se bina mile bhaga diya.aaj us baat ko 8 mahine ho gaye.is bich shahid ke kunwe ki taraf se aayi anargal baato se rishto me aur khataas aa gayi.

ammi ke kaafi samjhane par ek din shahid aaye bhi the mujhe lene, lekin mere ghar walo ne apni beijjyati ka badla lete huye unhe berang hi bhaga diya.is bich ammi ki taraf se abbu ko bulaya bhi gaya, lekin abbu nahigaye.

bole-'beijjyati karke bhagaane bula rahi hai samdhan hume'

ab tak naa hi to unki taraf se talaak ka notice aaya tha, na hi koi dusri shaadi ki suchna.

**************

Rukhsana bhavi ko gujare ek mahina ho gaya tha.unke dono bachche naana-naani ke ghar ja chuke the.rehaman bhai achchha kamaate the, sath hi vyavaharik bhi the. isliye unko shaadi ke offer aane lage, lekin jaisa ki mujhe vishwas tha, wo mana kar dete the.mujhe pura vishwas tha wo shaadi nahi karenge. aakhir rukhsana bhavi se itna pyar jo karte the.mera pehala kona aur majboot ho gaya tha unke rishte lautaane se.magar...2-3 din baad khabar lagi ki rukhsana bhavi ki khaala ki ladki anjuman ka rishta lekar 5-7 log aaye the aur rehaman bhai is rishte ko maan gaye hain.

anjuman behad sundar ladki thi. ek-do baar yaha aa chuki thi, isliye me usse mil chuki thi.10 din baad shaadi ho gayi.mujhe yakeen nahi ho raha tha ki rukhsana bhavi ke gujarne ke sirf dedhh mahine baad hi rehaman bhai sab kuchh bhool kar dusri shaadi bhi kar sakte hain? dil ke pehale kone ka rang udne laga.

Dil ke duje kone se aawaj aayi-'ek taraf tumhare aadarsh- rehaman bhai hain, jinhone apni tathakathit jaan se pyari biwi ko bhulakar sirf 1.5 mahine me dusri shaadi kar li aur dusri taraf shahid hai, jo ammi ki wajah se kitna pareshan ho raha hai, lekin dusri shaadi ke baare me socha tak nahi hai. kya ab bhi kahogi ki rehaman bhai wala pyar hi sachcha pyar hai?'

pehala kona ladkhadati huyi aawaj me bola-'d...davaab me shaadi to kar li hai, l...lekin is baat ki kya guarantee hai ki wo anjuman ko bhi rukhsana jaisa pyar de hi denge?'

pehala kona chup ho gaya. shayad samay ka intezar karna hi thhik samajha usne.
ab mera chhat par jaane ka man nahi hota tha.kuchh to rukhsana bhavi ka muskurata hua chehara yaad aa jaata aur kuchh dil ke dusre kone ka dar tha. kyuki ghar walo se pata to chalta hi rehata tha ki rehaman bhai aur anjuman me badhhiya chhan rahi hai.wo apni purani yaado se pichha chhuda chuke hain.

**************

Aaj meri shaadi ki teesri saal-girah hai. mera man aaj bahut bechain hai. aaj purani yaade ekdum haavi ho gayi.dil ke dusre kone ne sachchaayi dekhne ki jyada zid ki aur me bhaari kadamo se chhat par chali aayi.udti huyi najaro se rehaman bhai ki rasoyi ki khidki ki taraf dekha aur...dil ke pehle kone ko jabardast ghoonsa paga.dusra kona balliyo uchhalne laga.rehaman bhai anjuman ki taraf usi shayarana andaz me jhuke huye the aur koi shayari farma rahe the.

unke face expression ya body language se kahi se bhi ye nahi lag raha tha ki inki biwi, jisko ye jaan se jyada pyar karte the, sirf do mahine pehale hi gujari hai.
kya rukhsana bhavi se inka pyar dikhawati tha? koi kaise itni jaldi apne pyar ko bhula sakta hai? kya inko sirf ek sex machine chahiye? kya insani jazwaat aur pyar inke liye koi maayne nahi rakhta? kitani galat thi me?

Pehale kone ka mahal dharashaahi ho chuka tha.ab me dusre kone ke control me thi- wo kona jo sachchi raah dikhaata hai, wo jo rishto ko nibhaane ki seekh deta hai, wo jo jhukna sikhaata hai.mene turant ek faisla kiya.

faisla- apne shahid ke paas lautane ka,
faisala- apne dil ke dusre kone ka mahal parwaan chadhhaane ka,
faisla- mamata ki moorat apni saasu maa ke paas jaane ka.

me niche aayi aur apna samaan pack karke bina kisi ko bataaye, jaane ke liye darwaja khola hi tha ki...shahid foolo ka guldasta liye darwaja khatkhatane ke liye ek hath uthhaye khade the.hum dono ek dusre ko dekhkar patthar ki murti ki tarah khade reh gaye.mujhe maaf kar do shahid...i am sorry salma...hum dono ke muh se ek sath ye shabd nikale.hum dono ki hi aankho se khushi ke aansu nikal rahe the.aakhir aaj mera dusra kona, pehale kone se jeet chuka tha.
The End.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply