Murderer

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Murderer

Post by Jemsbond »


Murderer


mai aur shaan, dono hi ek chauraahe pe apni duty baja rahe the. hum dono hi Pichhle 3 dino se vehicle checking me laga diye hain.Hum dono pehale crime branch me hi the. lekin MLA ke ladke ko rap ke aarop me giraftaar karne par hume is boring kaam pe MLA ne lagwaa diya tha.humare case se hat te hi MLA ne apne bete ko riha kara liya tha.shaan ka kisi bhi case ki tafteesh karne ka tarika ekdum niraala tha. wo ek chhoti si chij ko dekhkar puri kahani samajh leta tha.me pichhle 5 saal se shaan ke sath tha.haalaaki kisi bhi case ke safal hone par pura sehara shaan ke maathe bandhta tha, lekin me uska sahayak hokar bhi khush tha.shaan gutkhe ke supari wale pauch me tambaku mix karne ke liye pichhle 5 minut se use hila raha tha. tabhi...ek swift dezire Car teji se aayi.ek lady ko chalaate dekh aise hi mene apna papaiya baja kar use rukne ka ishara kiya.

car ruk gayi aur lady ne sheesha utaarkar prashn-vachak najaro se mujhe dekha.
mene uske najdik jaakar puchha-'kitni tej gaadi chala rahi ho, pata hai yaha speed limit sirf 40 kmph hai?'

lady boli-'lekin speed to 40 hi thi'

mene raub dikhaate huye kaha-'bewakuf samajha hai? pata hai humari machine me tumhari gaadi ki speed record ho chuki hai'

tabhi pichhe se shaan ki aawaj aayi-'speed 40 hi thi bhalu' gutkhe ke pauch ko apne muh me udhhelte huye wo mujhse bola-'kyu roki hai be gaadi?'

mene uski taraf gusse se dekhte huye kaha-'gaadi bahut gandi ho rahi hai'
usne gaadi ko dhyaan se dekha aur kaha-'ab tu gandi hone pe kaunsi dhaara lagayega?'

hum dono ko aapas me ulajhte dekh wo lady kheejte huye boli-'excuse me, kya me jaa sakti hu?'

'aaan' me uski taraf dekhta hua bola-'h...haan...w...wo apna DL bataao'

us lady ne apne bag me se DL nikaala aur gate ki khidki se mujhe thamaate huye kaha-'jaldi dekhiye officer, me bahut jaldi me hu'

Lady ke gore chitte hath se me DL liya. isi dauraan shaan bhi waha aa gaya aur kuchh sochkar car ke andar dekhne laga.pichhe ki seat par ek paani ki bottle aur dettol hand wash pada hua tha.fir wo car ka bahar se chaaro taraf ka muaayina karne laga.

mujhe DL dekhna to tha nahi, isliye uchat-ti si nigaah daal kar use wapas dete huye bola-'thhik hai jaao, lekin jaate hi kisi service centre par car ko dhulwa lena. mujhe gandagi se sakht nafrat hai'

'nahi' shaan apna muh upar ki taraf karta hua chillaya (jisse gutkhe ki peek bahar na nikle)-'gaadi dhulte hi saare saboot mit jaayenge'

itna sunna tha ki lady ne ek jhatke se gaadi ko aage badhha diya aur teji se bhaagne lagi.

mene aashcharya se shaan se puchha-'kaise saboot?'

'abe' pichch ki aawaj ke sath wo peek thookte huye bola-'pehale gaadi ka pichha kar. usne bhaagkar mere shak ko pukhta kar diya hai'

'l...lekin bata...' me kehane laga lekin wo meri baat bich me hi kaat kar bola-'khada mat reh bewakuf, wah humse bachkar bhaag rahi hai'

me lapak kar gaadi me ja baithha aur gaadi ka syran start kar diya. hum archana ki gaadi ka pichhe lag gaye (DL par yahi naam tha) shaan ne wireless par ye khawar agle chauraaho par kar di ki hum ek qaatil ka pichha kar rahe hain.
qaatil???

shaan ke is dhamaake se me ekdum bhochakka reh gaya. puchha-'ab kuchh bataayega bhi ki aakhir baat kya hai?'

'wo apne pati ki laash gaad kar aayi hai'

shaan ne us aurat ke liye khule me qaatil shabd istemaal kiya tha, iska matlab uske qaatil hone ka use pakka yakeen tha.haalaaki isse pehale qatl ke kisi case me shaan naakaam nahi hua tha, fir bhi uska itna confidence mujhe hairat me daal raha tha.ek baar to mujhe uski dimagi haalat par bhi shak hone laga tha. kyoki qatl tak to thhik tha, lekin wo keh raha tha- pati ka qatl

humari speed 90 se upar thi. humara aur us car ka faansla lagatar kam hota ja raha tha.mene shaan se puchha-'tumhe ye khayaal kyu aaya ki archana apne pati ka qatl karke uski laash gaad kar aa rahi hai?'

'sab pata chal jaayega. tum uska pichha karo bas'

mujhe shaan ki ye aadat bahut buri lagti thi. wo jo samajh chuka hai, mujhe nahi bataata tha.mene gaadi ek jhatke se rok di.

'abe...kya hua?' usne dusre gutkhe ke pauch nikaalte huye puchha.

'thhik hai, agar tum mujhe haqikat nahi bataaoge to me use nahi pakadne dunga. aakhir me bhi bhaag-daud kar raha hu tumhare sath'

shaan ne muskuraate huye gutkhe ko ek taraf ke gaal me dabaaya aur bola-'thhik hai mere laal...me bataata hu. ab gaadi to aage badhha'mene turant gaadi aage badhhaayi aur use bataane ka ishaara kiya.

'wo apne pati ki laash ko kaale rang ke bade se plastic bag me rakhkar laayi thi. fir diggy me se us bag ko nikaalkar ghaseet ti huyi jungle me le gayi aur dafna diya'
dezire aur humara faansla dowara kam hota ja raha tha. mene puchha-'tum yah sab itne yakeen ke sath kaise keh sakte ho? kya tum chashmadeed gawaah ho?'

'me apni aankhe khuli rakhta hu, isliye' shaan bola-'is swift dezire par lage keechad se saaf jaahir hota hai ki yah jungle me gayi thi. car ke pichhle bumfer se thoda keechad hata hua tha, iska matlab usne diggy me rakhi laash ko jab baahar nikaala hoga to ragad se us jagah ka keechad saaf ho gaya hoga. pichhle hukk me plastic bag ka tukda bhi fansa hua hai, jisse pata chalta hai ki wo bag kaale rang ka tha aur diggy se us bag me rakhi chij samet bahar nikaala gaya hai'

'par isse ye to saabit nahi hota ki usne apne pati ka qatl karke uski laash thhikaane lagaayi hai?' mene puchha.tab tak hum dezire ke kaafi karib pahuch gaye the.


Shaan ne dezire par najare jamaate huye kaha-'tumne dekha hoga ki uski ungali me anguthhi nahi thi, lekin anguthhi ka nishaan tha. iska matlab ki uski apne pati se nahi banti thi aur uski laash ke paas usko fenk kar aayi thi. uski hatheli me taaja chhaale pade the. matlab usne thodi der pehale hi faavde se khudaayi ki hai'
'haan, ye to mene bhi dekha tha' mene swikriti jataayi.

'darasal mujhe shak ye do nishaaniya dekhkar hi hua tha. tabhi mene car ko chaaro taraf se dekhna shuru kiya. pehale andar dekha, jaha pichhli seat par paani ki bottle aur dettol hand wash rakha hua tha, jo ki usne laash gaadne ke baad hath dhone ke kaam liye hoge. car ke bumfer aur tyyaro par keechad ke sath-2 ped ki daaliya aur patte chipke huye the. isse saaf jaahir hota hai ki ye gaadi jungle me gayi hai'

me hairat-zada sa uski baate sun raha tha. mene bhi wahi sab dekha tha, magar usne kitni aqalmandi se har chij ka taartamya bithha kar unka taalluk qatl se jod diya tha aur uski har baat haqikat si lagti thi. nissandeh uska dimag bahut bahut tej tha. isiliye shaan ka crime branch me naam tha. mujhme uski tarah chijo ko baardaat se jodne ki kshamta nahi thi.

mene thodi raftaar badhhaayi aur archana ki gaadi tak pahuch gaya.mene gaadi uski car ke aage le jaakar is tarah adaayi ki use apni car rokni padi. hum dono apne hathiyaro ka rukh uski taraf karte huye baahar aaye. wah apni seat par baithhi rahi.

'apne hath upar uthhakar car se baahar aao' mene sakhti se kaha to wah hairaan si baahar aa gayi. shaan ki pistol uspar tani huyi thi, isliye mene apni pistol holster me daal di aur archana ko hathkadi daalte huye kaha-'tumhe qatl ke ilzaam me giraftaar kiya jaa raha hai'

'me nahi maanti, tum kaise keh sakte ho ki mene kisi ka qatl kiya hai?'

'ahhan...kisi ka nahi, apne pati ka qatl kiya hai tumne' shaan ne kaha.

'kamaal hai...mujhe pata hi nahi ki mere pati ka qatl ho gaya aur tum mujhe unke qatl ke ilzaam me giraftaar kar rahe ho?'

shaan gutkhe ko ek gaal se dusre gaal me transfer karta hua bola-'madam, mujhe to ye bhi pata hai ki tumne apne pati ki laash check post se 5-6 km door jungle me gaadi hai'

archana shaan ko aise dekhne lagi, jaise uske sar par seeng ug aaye ho.boli-'k...kaise keh sakte ho tum aisa?'

jawab me mujhe bataayi gayi baato ke sath shaan bola-'gaadi ke nichle hisse aur tyro par jo keechad laga hai, uspar patte bhi hain, matlab ye car jungle gayi thi. jab humne car roki thi, to uspar laga keechad geela tha. hawa, mausam aur garmi ko dekhte huye ye andaza lagaana mushkil nahi ki kabra waha se 5-6 minut ki drive ke faasle par hogi'

archana ab aur jyada aashcharya se use dekh rahi thi, jabki mene usse puchha-'chalo maan liya ki laash waha se 5 minut ke faasle par hai, par us tak pahucha kaise jaayega? ye to bataayegi nahi'

'mujhe iske bayaan ki koi jarurat nahi ki car kaha se aa rahi hai. hume bas janwar ki laash 5-6 km ki doori par dekhni hai'

'ab iske pati ki laash ke sath janwar ki laash kaha se aa gayi?'

'archana ne kisi janwar par gaadi chadhha di thi, ya fir pehale se mare janwar par. mujhe iske agle pichhle side ke pahiyo par janwar ke maans ke taaja tukde najar aa rahe hain'

'par tum yah kaise keh sakte ho ki janwar laash dafan karke wapas laut-te samay archana ki gaadi se kuchla gaya?'

'janwar ke gosht ke piece keechad ke upar lage hain, niche nahi. iska matlab pehale keechad laga, fir janwar kuchla gaya. agar hum mare huye janwar ko talaash le, to maalum ho jaayega ki hum sahi disha me ja rahe hain'

'lekin isse yah kaise jaan sakenge ki waha se aage kaha jaana hai?' mene puchha.

Shaan ne car ki right light ki taraf ishaara karke kaha-'isse andaza hota hai ki archana gaadi bahut tej chala rahi thi. jab ye ek tang aur kachche raaste par mudi to uski car kisi ped se takraayi thi, jisse ye light toot gayi. is tooti light ke andar bhi keechad laga hai. matlab light keechad me jaane se pehale tooti hai. ab hume bus, yah karna hai ki highway par 5-6 km wapas jaakar ek mare huye janwar, kachcha dhool bhara patla raasta aur kisi aise ped ya khambe ki talaash karni hai, jispar car ka rang laga ho aur light ke tukde pade ho. hume sahi disha mil jaayegi. kyoki waha se car ke tyro ke nishaan hume sidha laash par lejaakar chhodenge'

'fir hum log yaha kya kar rahe hain? laash ki talaash kyo nahi shuru karte? well done'

'tu sp sahab ko haalaat ki jankari de. sath hi forensic me Dr. saalunke ko phone karke bol ki inspector shaan ne urgent bulaaya hai'

ab tak chupchaap sun rahi archana achanak badbadaayi-'s...shaan...aap inspector shaan ho?'

peek thookta hua shaan bola-'koi shak?'

'aaditya paandya ko aapne hi giraftaar kiya tha?'

chaanta sa laga hume.shaan niraasha se bola-'haan, wo me hi tha'

'aur me aaditya pandya ki biwi...archana pandya hu'

'k...kya? to tumne...tumne apne hi pati ka murder kar diya?' hum dono aashcharya se lagbhag ek sath cheekhe.

'nahi...mene ek ayyaas, nashebaaj, apne baap ki power ke nashe me choor janwar ka qatl kiya hai, jise har roj nayi ladki apne bistar par chaahiye thi. agar paise-power ke dum par taiyyar ho jaaye to thhik, warna jabardasti uska balaatkaar kar deta tha wo. aise hawasi janwar ka qatl kiya hai mene. bula lijiye apne saalunke sahab ko, sp sahab ko. kar lijiye giraftaar mujhe aur chadhha dijiye faansi par. mere shwasur ne tumhe us case se hataya tha naa? ab wo hi tumhe mera case saupenge. kariye apni duty puri'

Kehakar archana ghutno ke bal baithh gayi aur dahaade maar-2 kar rone lagi.
mene aur shaan ne ek dusre ki taraf dekha. jo me kehana chaahta tha, wahi mene uski aankho me paaya.wo mudta hua bola-'bhaalu, madam ki hathkadi khol de aur bol ki kisi service centre par gaadi ko achchhi tarah dhulwa kar light nayi lagwa le. bhool jaaye- aaj jo kuchh bhi hua hai'

***************

10 Minut baad hum wahiin, usi check post par khade the. shaan supari ke pauch me tanbaaku ka pauch undhhel kar use mix kar raha tha aur me...yaani bhaalu urf prem sagar...naye murge ki talaash me papaiya muh me lagaaye sadak ki or taak raha tha.
THE END.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply