Tasabbur

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Tasabbur

Post by Jemsbond »

Tasabbur

Samandar ke kinaare khada hua me apni beeti huyi jindagi ko yaad kar raha tha. Aaj se 13 din pehale tak meri jindagi ekdum toofaan mail thi. Samajh hi nahi aata tha ki jeene ke liye kaam kar raha hu, yaa kaam karne ke liye jee raha hu.
Me thoda aur aage badhha. Laharen ab pairo se takrakar wapas laut rahi thiin.
Akasmaak hi wo daur yaad aa gaya, jab me hostel me rehata tha aur hum 5-6 dosto ki chaandaal chaukadi hua karti thi. Hamesha ek dusre ki naak me ungli karne ke alaawa koi kaam nahi tha.
Ek baar to mujhe raat ko kareeb 12 baje argent potty aayi. Light thi nahiin, isliye mene mombatti jalaayi aur kamre se nikalkar gallery paar karte huye latrine ki or jaa raha tha ki, ek kameena dost harshit aaya aur mombatti bujhaakar gaane laga-- Happy Birthday to you.
Ab bataao, aisi emergency me bhi mazaak.
Khair....wo waqt yaadkarke chehare pe muskurahat aa gayi. Kyuki dosto se bichhadkar ye haqikat maalum padi-- beshak kameene the, lekin raunak unhi se thi.
me aur aage badhha. Ab ichchha huyi ki tedhha sa hokar daudhhu aur ek hath se paani uchhaalu. Aisa me bachpan me bahut karta tha.
Yaad aaya bachpan me sabse jyada puchha jaane wala sawal- ''bade hokar kya banna hai?''
jawaab aaj mila hai ki-- fir se bachchha ban'na hai.
Aaj 13 February hai. 31St January ko mera retirement ho chuka hai. Me police inspector ki post par mumbai me posted tha.
Kal 14 February hai. Yaani Valentine's day. Pyar ka din.
ek case meri naukari ke darmiyaan aisa aaya, jo mujhe andar tak jhankjhor gaya.
********************
Me apne office me baithha tha ki phone ki ghanti baji. Phone pe baat huyi to ye hospital se tha. Waha koi lady admit huyi thi, jisko chaaku laga tha.
Me turant waha pahucha. Operation theater ke saamne ek 50-55 saal ka shakhs bahut hi bechaini aur chinta me khada tha. Puchhtachh me pata laga ki uska naam ikhtiyaar ali hai, aur wo us aurat ka shauhar hai, jiska naam salma hai.
Usne bataaya-'Aaj me aane wala tha, isliye mere swagat me bachcho ne ghar ko sajaane ka program banaya tha. Subah jab maa ko bulaane chhat par gaye to maa khoon me lathpath padi thi. Dono jor jor se rone chillaane lage. Shor sunkar padosi aa gaye aur aanan faanan me ambulance se salma ko hospital pahuchaaya gaya. Me jab ghar pahucha to is dardnaak haadse ka pata laga'
Tabhi doctor bahar nikla aur bola ki lady ko hosh aa chuka hai. haalat serious hai aur kuchh puchhna ho to jaldi se puchh sakte ho.
Me aur ali andar pahuche. Salma ka chehara peela pad gaya tha. Ali ne bekaraari se puchha-'salma yah sab kaise hua, kisne maara tumhe?'
Salma kamjor aawaj me toote Foote shabdo me boli-'w...wo shahjada....wo shaan ne....'
'Ye shaan kaun hai salma?' Ali ne jaldi se puchha.
Lekin baat puri kiye bagair hi saanso ne salma ka sath chhod diya.
Ali ne beti se puchha-'aayesha, aashif kaha hai?'
'Wo to 3-4 din pehale hi ghar chale gaye the'
Laash postmortem ke liye bhej di gayi.
Me is shaan naam ke shakhs ka pata lagaane me jut gaya.
Agle din ali ki behan bhi sapariwar salma ki maut ki khawar sunkar aa gayi.
Mene ali se puchha-'aap ke ghar me kaun kaun rehata tha?'
'Meri biwi salma, beti beta aur meri behan ka beta aashif, jo saadhhe 3 maheene pehale hi naukari ki talaash me aaya tha'
'Aapne usse puchha kya shaan ke baare me?'
'Wah to salma ki hatya se 3 din pehale hi gaon chala gaya tha, lekin abhi yahiin hai'
Iske baad mene sajid (ali ka beta) aur aayesha se puchha-''tumhaare aashif bhai ghar chhodkar kyu chale gaye the?'
'Kaafi pareshan hone ke baad bhi unhe Naukari nahi mili to wo gaon laut gaye'
'Tumhari ammi se koi kahasuni yaa jhagda to nahi hua tha?'
'Nahiin...ammi to unhe bahut pyar karti thiin. Unka khayal bhi hum dono se jyada rakhti thi' sajid ne kaha.
Iske baad aayesha boli-'aashif ammi ka bada adav karte the. Ammi bhi unse bahut pyar se pesh aati thiin'
Tab mene aashif se milne ki ichchha jataayi. Ali ne aashif ko bulakar mujhse milwaya.
Mene usse badi narami se puchha-'tumhare paas koi kaamdhaam to tha nahi, fir dinbhar tum ghar me kya karte the?'
'Sahab, me ghar me kaha rehata tha? Dinbhar naukari ki talaash me bhatakta tha, uske baad jo samay bachta, raheem chacha ki dukaan par unka hisaab kitaab thheek karta tha'
'Tumhare prati maami ka ravaiya kaisa tha?'
'Sahab, maami bahut achchhi thi. Mera bahut khayaal rakhti thiin'
Ye baat to bachche bhi bata chuke the. Raheem se bhi aashif ke baare me puchha to unhone bhi aashif ko bahut hi nek aur mehanati ladka bataaya.
Mujhe shaan naam bahut kachot raha tha. Aakhir marte waqt salma ne uska naam liya tha.
3-4din baad Aakhir mene ali se salma ke ghar ka address liya aur aur salma ke shahar pahuchkar uske ghar gaya.
Waha jaisa ki ali bata hi chuka tha, koi nahi tha. Ghar ujaad pada tha. Salma maa-baap ki eklauti santaan thi. Unke marne ke baad wo ghar salma ka hi tha. Kayi baar ali ne use bechne ke liye bola, lekin wo apne maa baap ki aakhri yaad ko kisi haalat me nahi bech rahi thi.
Mene padosiyo se shaan naam ke shakhs ke baare me pata kiya, lekin koi nahi jaan paaya.
Aakhir ek ghar me jab me puchhne gaya to 40 saal ke lagbhag umra ki ek aurat mili.
Wo is waqt apne peehar aayi huyi thi aur salma ki saheli thi.
Salma ke baare me sunkar use bahut dukh hua. Usne bataaya-'shaan to meri knowledge me sirf ek hai, wo hai- humari dost saniya ka bhai'
Doobte ko tinke ka sahaara hi bahut hota hai. Mujhe ummeed bani. Puchha-'kya karte hain ye shaan sahab?'
'Pata nahi ab wo kya karta hai'
'Matlab?'
'Matlab ye ki lagbhag 20 saal pehale wo bina kisi ko kuchh bataaye pata nahiin kaha chala gaya. Pata nahi jinda bhi hai ya.....'
'Ohhh...' jo thodi ummeed bandhi thi, wo bhi mit gayi.
'Uske jaane ke baad saniya akeli waaris reh gayi thi' wo bataati gayi-'maa baap ne shaadi kar di. Unke gujarne ke baad wo ghar saniya ka ho gaya. Ab wo apni grahasthi samet wahiin rehati hai'
Mene saniya ke ghar ka address liya aur nikal gaya.
Abtak dhoop tej ho chuki thi. Saniya ka ghar abhi ek km aur tha. Ek ped dikha to uski or chala gaya.
Pass se dekha to ped kaante daar tha. Khair....chhaaya kaantedaar nahi hoti.
Kuchh der aaram karke me dowara chalne laga aur pahuch gaya saniya ke ghar.
Ghanti bajaayi to ek 40-45 saal ki aurat ne darwaja khola.
'Kya me saniyaji se mil sakta hu?' mene puchha.
'ji kahiye....me hi saniya hu. Aap ki taareef?' saniya ne puchha.
Mene apna naam bataaya aur bola-'ji....mujhe shaan ke baare me kuchh baate karni hain'
'andar aaiye' wo hadwadaati huyi boli aur side me ho gayi.
Me andar jaakar sofa chair pe baithh gaya.
'ab bataaiye, kahaan hai shaan bhai?' Saniya ne vyakulta se puchha.
'dekhiye saniyaji, me bombay se aaya hu. Dar-asal...aapki saheli salma ki hatya ho gayi hai. Aur me usi ke case ki tafteesh ke silsile me yaha aaya tha'
'Ohhh' saniya ko doguni hatasha aur dukh hua-'kaise hua ye sab...aur aap mujhse kya jaan'na chaahte hain?'
'saniyaji, kya aap mujhe bata sakti hain ki salma aur shaan ek dusre ko jaante the kya aur jaante the to kis had tak?'
Wo kuchh der tak to kahiin khoyi si rahi, fir bataana shuru kiya...
***************
Saanwale rang ki, teekhe nayan nakhs ki salma apne maa baap ke sath rehati thi. Uska baap kapdo ki silaayi karta tha. Aamdani thheek thhaak thi.
Salma eklauti ladki thi, isliye uske naaj-nakhre bhi khoob the.
Waise to usme koi khaas baat nahi thi, lekin ek gun usme jaroor extraordinary tha ki uski aawaj itni meethhi aur sureeli thi ki dil ko chhoo leti thi.
Uske baap ke paas ek radio tha, jise din bhar dukaan pe rakhta tha aur shaam ko ghar aate waqt sath le aata tha.
Mauka milte hi salma uspar gaane lagaakar sath sath gaati. Isse dheere dheere use gaano ke utaar chadhhaav aur sur taal samajh me aane lage. Use dhhero gaane yaad bhi ho gaye.
Salma ki sabse achchhi saheli thi me yaani saniya. Mere bhai shaan ki sagaayi thi, jisme mene use bulaaya tha.
Salma khoob saj-dhajkar aayi thi.
Waha gaane ke program me jab salma ne gaana gaya- ''Ankhiyo ko rehane do, Ankhiyo ke aas paas'', to uski aawaj ka jaadoo aisa chala ki log kaam dhaam chhodkar uska gana sunne aa gaye.
Mera bhai shaan, jiski sagaayi thi, wah to uski sureeli aawaj par buri tarah mar mitaa.
Gaana khatm hua to usne kaha-'aisi aawaj mene pehale kabhi nahi suni, kya ghazab gaati hai'
Salma ne jaise uska dil apne bas me kar liya tha.
Shameem, jisse uski sagaayi ho rahi thi, wo usi ki pasand thi. Lekin gori, khoobsoorat, sunahare baalo wali shameem se achanak shaan ka dil uchat gaya. Uske kaano me salma ne jo ras ghola tha, usme uska saanwala rang bhi chhip gaya tha. Usne kayi baar salma ko dekha tha, par uski saanwali rangat ne use kabhi aakarshit nahi kiya tha.
Shaan khud bhi lamba chauda, gora, khoobsoorat jawan tha. Uska achchha khasaa chalne wala general store tha.
Shameem ka baap bhi achchhe paise walo me se tha. Shameem ke bhai ki sagaayi mujhse pehale hi ho chuki thi.
Lekin ain sagaayi ke din salma ki jaadu bhari aawaj ne shameem ko shaan ke dilo dimag se nikaal diya tha.
Shaan ki samajh me nahi aa raha tha ki ye use kya ho raha hai. Uska dil kyu salma ki taraf khincha chala ja raha hai? Aakhir ye kaisi bechaini aur bebasi hai? Jabki dimag se wo aisa nahi chaahta tha.
Dheere dheere ek maheena gujar gaya, lekin shaan ki bechaini kam hone ke wajaay badhhti chali gayi.
Jab shaan se nahi raha gaya to ek din usne dil ki baat mujhse kahi. Me sunkar avaak reh gayi. Mene use bahut samjhaya, lekin shaan bebasi se bola-'me kya karu saniya, mujhe ek pal bhi chain nahi hai. Agar mujhe salma nahi mili to me mar jaaunga. Tum meri madad karo'
Me pareshan ho gayi aur bhai ke dil ka haal maa ko bataaya. Maa ne shaan se puchha to usne kaha-'maa, me shaadi karunga to sirf salma se. Ab me uske bina nahi jee sakta'
Maa ne use khoob samjhaya. Meri jindagi barbaad hone ke baare me bhi bataaya. Lekin usne bas ek zid pakad li-'maa, me kuchh nahi jaanta. Aap salma ke vaalidaan se mere rishte ki baat kijiye. Ye mera antim faisla hai'
Salma ko kya pata tha ki uski aawaj ne saheli ke ghar me kaisa toofaan khada kar diya hai?
Uski wajah se saheli ki khushiya daav par lag gayi hain.
Kayi dino baad jab wo yaha aayi to uski najare shaan se takraayiin. Shaan ki najaro ko dekhkar salma ka dil dhadak uthha.
Ghabrakar salma ne najare jhuka li, lekin shaan uske chehare par najare jamaakar bola-'salma, tumhari aawaj bahut sureeli hai. Usme aisa jaadu hai ki me uska deewana ho gaya hu. Mera chain-o-karaar, sab kho gaya hai. Me tumse shaadi karna chaahata hu, kyoki ab me tumhaare bagair nahiin reh sakta'
Salma hairaani se shaan ko dekhti reh gayi. Usne khwaab me bhi aise khoobsoorat naujawan ke baare me nahi socha tha. Usne ghabrakar kaha-'lekin aapki sagaayii to shameem se ho chuki hai?'
'Lekin ab shaadi me tumse karunga, kyoki mujhe tumse pyar ho gaya hai. Me tumhare liye ye sagaayi tod doonga'
Khushi aur ghabrahat me salma teji se bahar ki or bhaagi. Ab wo hawaao se baat kar rahi thi. Uske kaano me shaan ke shabd goonj rahe the.
Itna smart ladka usse pyar karta hai....uska deewana hai. Uske to bhaagya hi khul gaye.
Shaam ko me salma ke ghar gayi to uske kandhe par sar rakhkar ro padi. Uske poochhne par mene ghar me mache toofan ke baare me use sab bata diya aur boli-'agar shaan bhai ne shameem se sagaayi tod di to meri bhi jindagi barbaad ho jaayegi. Wo kisi ki baat nahi maan rahe hain'
Meri haalat par use daya to aayi, lekin swarthwash mere baare me na soch saki. Usne sapaat lehaje me kaha-'isme mera kya dosh hai saniya?'
Me uske vyavahaar se dukhi hokar wapas aa gayi.
Salma ab khwaabo me khoyi rehane lagi ki use shahjaado jaisa shaan mohabbat karta hai.
Lekin durbhaagya se salma ke sapne, sapne hi reh gaye. Kyoki uske baap ne uska rishta apne ek puraane dost ke bhateeje se tay kar diya. Ladka jahaaz par naukari karta tha, umra zara jyada thi, lekin naukari badhhiya thi.
Salma ki mohabbat ka phool khilta, usse pehale hi use ali ke naam ki angoothhi pehana di gayi. Mujhe jab is sagaayi ka pata chala to me bahut khush huyi.
Lekin meri ye khushi bhi jyada din kaayam naa reh paayi.
Salma ki shaadi ke baad to shaan bhai ki haalat aur jyada kharaab ho gayi. Wo pagalo ki si harqat karne lage.
Aur aakhir ek din jab hum subah sokar uthhe to pata laga ki shaan bhai ghar me nahi hain. Bahut dhhunda, lekin aaj tak unka koi pata nahi chala.
Kismat ye rahi ki meri shaadi me koi rukawat nahi aayi''
**********************
To ye thi salma aur shaan ki adhoori mohabbat ki kahani.
Mene shaan ki photo dekhne ki ichchha jataayi to wo ek puraani si album lekar aayi. Usme shaan ki photo dekhkar mujhe jhatka saa laga.
Me saniya se bidaa lekar wapas bombay pahucha aur aashif se akele me thodi sakhti se puchhtaachh ki-'salma ka qatl kisne kiya hai, bataao kiske satth milkar tumne use maara hai?'
Aashif ghabrakar bola-'nahi sahab...mene unhe nahi maara. Mera koi dost bhi nahi hai'
Mere dimag me sajid ki kahi baat ghoom rahi thi ki-- 'ammi aashif bhai ka khayaal humse bhi jyada rakhti thi'
Aakhir salma aashif pe itni meharbaan kyo thi? Jo apne bete se bhi jyada pyar aashif se karti thi?
Mene inhi baato ko dhyan me rakhkar usse puchha-'kyu rakhti thi salma tumhara itna khayaal? Tum koi bachche to ho nahi, jawan ho. Fir tumpar itna pyar lutaane ka matlab kya tha? Kahiin tumne maami par apni jawani aur khoobsoorati ki badaulat dore to nahiin daale? Paiso ke liye use bargala to nahi diya? Kahiin tumhare usse najaayaz sambandh to nahiin the?'
'Nahiin sahab....nahiin' Aashif ke sabra ka baandh ekdum se toot gaya. Wo fafak fafak kar ro pada-'sahab, mene kabhi use najar uthhakar nahiin dekha. Wo khud hi bahut kharaab aurat thi. Wah mujhe fansaana chaahti thi. Kehati thi ki wah mujhse pyar karti hai. Sahab, me use maa ki tarah izzat deta tha. Uski bezaan chaahat se bachne ke liye jyadatar ghar se bahar hi rehata tha'
'Fir tumne kya kiya? Saari baate sach sach bata do, me tumhari puri madad karunga'
Fir aashif ne jo kahani bataayi, aur mujhe meri jaanch me pata lagi, wo kuchh es tarah thi--
***********************
shaadi ke baad suhaagraat par jaise hi ali ne salma ko dekha, use bahut niraasha huyi. Ali gori-chitti aur khoobsoorat dulhan chaahta tha. isi talaash me itni umra ho gayi thi.
Ali jaisa hi haal salma ka tha. Uski zehan me to shaan bas chuka tha. Shaan ke aage saanwala, thhigna, chhoti chhoti aankho wala ali kuchh bhi nahi tha.
Salma jahaan shaan ke khayaalo me khoyi rehati thi, wahiin ali bhi use pyar nahi kar saka.
Bass, dono apna apna farz adaa karte rahe.
Isi tarah 20-22 saal gujar gaye. Salma 2 bachcho ki maa ban gayi. Beti aaisha, umra 19 saal aur beta sajid- umra 18 saal.
Ali ke jahaaz par jaane ke baad salma ki tanhaayi ki sathi shaan ki yaaden hi thiin.
Achanak uski jindagi me us samay ek naya mod aa gaya, jab ali apne ek bhanje- aashif ko ghar le aaya.
Kudarat ka karishma dekhiye ki aashif ki shaql shaan se kaafi milti thi.
Use dekhte hi salma ke dil me kahiin dubi chhipi shaan ki yaaden ufaan par aa gayiin.
Ali apne kuchh parichito se milwakar apni naukari par chala gaya.
Hamesha udaas rehane wali salma aashif ke aane ke baad khush rehane lagi, sath hi uska ''shaanofobia'' badhhta gaya.
Wo aashif me shaan ko hi dekhne lagi.
BA pass aashif bachcho ke sath tv dekhta, unhe padhhaata aur hansi mazaak karta to salma bhi unhi ke sath aakar baithh jaati.
Aashif ko naukari ki sakht jarurat thi. Wo apni maami ka bahut adav karta tha.
Lekin dusri or to maamla hi kuchh aur tha. Salma ki deewangi aashif ke prati badhhti jaa rahi thi, isliye chaahti thi ki aashif hamesha uske paas rahe.
Dusri or aashif ko aaisha bahut achchhi lagti thi. Aaisha ko bhi aashif achchha lagne laga.
Garmi ke dino me aashif jab chhat par paseene se lathpath ho raha hota to salma use pankha jhaalne lagti.
Us samay use yahi lagta ki uske saamne shaan leta hai.
Salma ki meharbaaniyaan aashif par badhhti jaa rahi thi. Use rotiyo me ghee bhar bhar ke deti, use kuchh paise bhi de deti thi.
Aashif kuchh kuchh salma ki mansha samajh gaya tha. Isiliye wo din bhar naukari ki talaash me ghoomta rehata aur shaam ko bhi ghar aane ke wajaay raheem chacha ki dukaan par unka hisaab kitaab dekh deta tha.
Jab tak aashif ghar se baahar rehata, salma pagalo ki tarah darwaja taakti rehati. Aane par aisi betaabi se uska swagat karti ki khud aashif sharminda ho jaata.
Raat me wo aashif ki charpaayi par jaakar baithh jaati to aashif hadbadakar khada ho jaata. Salma junooni halat me uska hath pakadkar use bithhaane ki koshish karti. Aashif jab uske kareeb naa aata to majbooran salma ko apne kamre me jaana padta. Lekin use aisa lagta jaise apna sabkuchh wahiin chhod aayi ho.
Maami ke vyavahaar se aashif bahut pareshan rehane laga, wo wapas gaon jaane ki bhi sochne laga. lekin apne maa baap aur majbooriyo ko sochkar reh jaata.
Ek raat salma aashif ke paas gayi aur jabran apne paas bithhakar usse apne pyar ka izhaar kar hi diya.
Aashif ne haklaakar kaha-'maami, ye aap kaisi baat kar rahi hain? Aap meri maa jaisi hain. Ab me yahaa nahi reh sakta, bass ali mama aa jaayen'
Ali ka naam sunte hi salma hosh me aa gayi. Usne bebasi se puchha-'tumhe koi to achchha lagta hoga?'
'Haan, mujhe aaisha bahut achchhi lagti hai'
Salma ke dil me teer sa laga. Usne aashif ko ghoorte huye kaha-'aaj to aaisha ka naam le liya hai, lekin fir kabhi liya to me tumhari shikayat mama se kar dungi'
Aashif ekdum se dar gaya. Uske pairo me gir gaya aur ali ko kuchh naa bataane ki guhaar karne laga.
Salma wahaan se pair patakti chali gayi, lekin ab use ali ki dhamki ka ek hathiyaar hath lag chuka tha.
Ab wo usse jabardasti karne ki koshish karti aur wo agar na-nukur karta to use dhamki deti.
Bechaara ek din bebasi se bola-'me aapka adav karta hu maami. Ab me yahaan nahi rahunga. Me kal hi chala jaaunga'
salma naagin ki tarah fufkaar kar boli-'adav karna apni maa ka. Aur yahaan se jaane ki sochna bhi mat, warna me tumpar meri aabroo lootne ka ilzaam laga doongi'
Bechara aashif......chup hokar reh gaya. Salma usse-- ''mere shaan...mere shahjade'' keh-kehkar lipat'ti chipat'ti rahi.
Kisi tarah se raat kati aur subah hote hi aashif apna samaan baandhkar ghar se chala gaya. Salma tadap uthhi, khoob roka aur jaate jaate bhi use dhamki de di. Lekin wo nahi ruka.
Aashif ghar se bahar aakar jahaan aazaadi mehsoos kar raha tha, wahiin use dar bhi lag raha tha. Salma ne agar mama se shikayat kar di to uski aur uske buddhhe aur apaahij maa baap ki jindagi barbaad ho jaayegi.
Wo 3 din isi udhedbun me ek dharmshaala me pada raha.
Udhar Aashif ki judaayi me salma ki bekaraari had paar kar gayi. Wo aashif ki chaarpaayi pe letkar tadapti rehati.
Ali ke aane me ek din reh gaya. Salma aashif ki chaarpaayi par leti tadap rahi thi, ki haatho ko pichhe kiye aashif kamre me aaya.
Aashif ko dekhte hi wo uthh khadi huyi aur usse lipat'ti huyi boli-'ohh mere shaan.....mere shahjade, mujhe pata tha tum jarur wapas aaoge'
Aashif ne waqt naa ganwaate huye uski peethh me khanzar ghonp diya aur bhaag gaya. Salma ke shareer se khoon behane se wo behosh ho gayi.
************************
Ye thi puri kahani. Me bade pashopesh me pad gaya. Kanoon ki najar me aashif khooni tha. Mene hatyara pakad bhi liya tha, lekin mujhe use pakadkar khushi nahi huyi thi. Kyoki sahi maayne me ladka hatyara hote huye bhi bekasoor tha.
Mene saari baat aashif ki upastithi me ali ko bataayi. Sunte samay uske chehare par kayi bhaav badle.
Aakhir me ali ne aashif ko gale se laga liya aur bola-'bete, me is baat ke liye tera ahasaanmand hu ki toone meri izzat ke liye itna manasik tanaav jhela'
Fir mujhse bola-'inspector sahab, me apna case wapas lena chaahta hu. Aap sachchaayi jaan gaye hain. ise kisi tarah bacha lijiye'
'Aapki baat sahi hai, lekin kanoon ki najar me ye hatyara hai. Kanoon paristithi nahi dekhta. Mujhe bhi isse humdardi hai, isiliye mene ise giraftaar karne se pehale tumhari raay jaan'na jaruri samjha. isne jo bayaan diya hai, wo puri tarah iske khilaaf hai. Lekin salma ne apne bayaan me iska nahiin, shaan ka naam liya tha. Koi chashmadeed gawaah bhi nahi hai, isliye waise bhi ye case bahut kamjor hai. Apni or se me ise bachaane ki puri koshish karunga' mene kaha.
'Lekin sahab ek binti aur hai' ali hath jodte huye bola-'me chaahata hu ki meri biwi ki charitraheenta ujagar naa ho, warna mere bachche sar uthhakar naa jee sakenge'
Mene use aashwasan dilaaya.
Fir wo aashif ko gale lagaakar bola-'mere bachche, me waise bhi ab naukari nahi kar sakunga. Kyoki naukari par jaane ke baad maheeno tak mere bachcho ka khayaal kaun rakhega? Me naukari chhodkar koi karowaar kar loonga aur tumhe usme shaamil kar loonga. Tumhaare maa baap ko bhi me yahiin le aaunga, jisse unki dekhbhaal thheek se ho sake. Uske baad tumhari shaadi aaisha se kara dunga. Is tarah tumhaari chahat tumhe mil jaayegi'
Mene apna wadaa pura kiya. Aashif ko saaf bacha gaya.
Kayi log mere faisle se sehamat nahi honge, lekin mene apni puri naukari me wahi kiya, jo meri najaro me sahii tha, naa ki wo, jo kanoon ki najar me sahi tha.
Salma ki aawaj ne kaisi achchhi bhali chalti jindagiyo me toofaan la diya tha.
Ab me wapas jaa raha tha, ret par apne kadamo ke nishaan banaata, jinhe sagar ki laharen mitaa jaati thiin.
Ohhhhh.....mene apna naam nahi bataaya.
Mera naam prem sagar hai, pyar se log mujhe inspector bhaalu kehate hain

the end
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply