आधा तीतर आधा बटेर complete

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Aadha teetar Aadha bater

Post by Jemsbond »

baat badh gayi thi….doctor malaiqa ki wapsi 8 baje tak nahi hui thi….us dauraan mein imran ne mercedes gaadi ke registration number ke hawaale se khaas maalumat haasil kar li thi….
Aur
apne matahaton ko uske mataalluk hidhayath dene ke liye x-2 wale phone ka reciever uthaya hi tha ke sitting-room wale phone ki ghanti baji….wo reciever rak kar sitting-room mein aaya….call receive ki….dusri taraf se rahman sahab ki awaaz ayi ….!
Kya tum aaj malaiqa ki clinic gaye the….?

Jee haa….aur 2:30 baje tak unki wapsi ka intezar karta raha tha….

Compounder ne apni report mein tumhara zikr ek mushtabah (sandigdh) aadmi ki haisiyath se kiya hai….

Compounder ki marzi….

Apni aur tumhari guftgu ka pura hawala bhi diya hai….

Diya hoga janab….ab ye to ho nahi sakta ke main apna taroof doctor shahid ke hone wale saale ki haisiyath se kara deta….

Bakwaas mat karo….

Jee bahut behtar….

Fauran ghar pahuncho….

Bahut behtar….

Reciever rakh kar wo fir dusre kamre mein pahuncha….
Aur
x-2 wale phone par safdar ke number dail kiye….

Hello….dusri taraf se safdar ki awaaz ayi….

X-2….

Yes sir….

Julia ki report ke mutabikh wo gaadi kisi ghair mulki david hamilton ke naam par register hui thi….jo 11-vi shahera ki imaarat shaam building ke 7ve flat mein rehta hai….uske baare mein aur maalumat haasil karo….

Bahut behtar janab….

Dusri baat….aaj 12 baj kar 45 minute par us gaadi ko ek safed faam ladki drive kar rahi thi….jiss ke baal akhrot ki rangat ke hai umr 20,25 saal ke darmiyaan….upri honth par bayein jaanib ubhra hua surkh teel hai….12:45 minute par wo ek lady doctor malaiqa ko apne saath le gayi thi kisi mareez ko dekhne ke liye….doctor malaiqa ki wapsi abhi tak nahi hui….mera matlab hai 8 baje tak….agawaa ka case bhi ho sakta hai….tumhe dekhna hai ke wo ladki bhi usi flat mein rahti hai ya nahi….

Bahut behtar janab….

That’all….ye kahe kar imran ne reciever rakh diya

kamre se nikal hi raha tha ke suleman se muthbedh ho gayi….

Kabhi fursath bhi milegi aap ko….? Usne kaha

fursath hi fursath hai….kya takleef hai tumhe….

Meri moonchon ke do baal safed ho gaye hai….

Alhamdulillah….baki kab tak safed ho jayenge….?

Aap sanjeedgi se meri baat sun li jiye….

Isi waqt….?

Isliye pahle hi puch liya tha ke fursath hai ya nahi….

Moonch ke do adad baalon ke liye khattai fursath nahi….

Wo kaalia kahe raha tha ke teesra baal bhi safed ho jaye to fir shaadi nahi hoti….

Joseph kahe raha tha to fir thik hi hoga….na mujhe safed baalon ka tajoorba hai aur na shaadi ka….!
Aap mujhe 15 din chutti denge….

Jab teesra baal safed ho jayega….ab chal hat saamne se ghar se bulawa aya hai….

Ghar se bulawa….? Suleman ne hairat se kaha

abey haa….wo amma ki laundiya (naukrani) gulrookh hai na uski shaadi ka chakkar chal raha hai….

Kiss se….?

Khader se….
Lekin
khader use pasand nahi hai….!

Arey….meri shakl use yaad hai ya nahi….?

Koi tazaa tasveer laa de….surat bhi yaad aa jayegi….

To goya abhi gunjaish hai….?

Bilkul….bilkul gulrookh ki pasand ka maamla hai….

Suleman kareeb-kareeb daudta hua wahan se rukhsat hua tha….
Aur
wapsi mein bhi der nahi lagayi thi….post card size ki tasveer imran ki taraf badhata hua bola….tazaa tareen tasveer hai….!

Imran hi ka koi suit pahne….two-seater se tek lagaye khada tha….

Achha….to ye ayyaashiyan hui hai meri ghair maujoodgi mein….imran ne tasveer ko gour se dekhte hue kaha

aap hi ke naam par maarta hu….log dekhte hai ek-dusre se puchte hai kaun sahab hai….arey jaante nahi….imran sahab ke khansamaah (cook) chaudry suleman sahab hai….!

Chaudry bhi hai….

Two-seater drive karne wala lohaar to kahe layega nahi….

Thik kehta hai….ek kothi bhi tere naam kara dunga….

Kaun si kothi….?

Shaher ki jiss kothi ki taraf bhi ishara kar dega….
Akhar
khansamaah chaudry suleman sahab hi ka to imran sahab hu….!

Dekhiye baat pakki hi kar ke aaiyega….

Aur tera ye haq bhi mehfooz rakhunga ke mujhe kachchi rotiyan khilata rahe….

Raat ka khana bhi wahin kha li jiyega….suleman ne khush ho kar kaha

zaahir hai ke murgh to sirf apne liye hi laya hoga….

Bada wala mila hi nahi….

Achha….achha..ab hat jaa saamne se

tasveer to lete jaiye….suleman saamne se hat-ta hua bola

zubaani bata dunga ke apna suit pahne apni two-seater se tek lagaye khada hai chaudry….tasveer mein wo dono safed baal nazar aa rahe hai….

Suleman khada bisoorta rahe gaya….
Aur
imran flat se bahar nikal aaya….!

Ghar pahuncha to rahman sahab lawn hi par thahelte mil gaye….

Pahle kingston street ke thane jao….
Fir
yahan aana….unhone kaha….!
Tha….tha….thane….imran haklaya

ek mercedes mili hai….jise ek ghair mulki ladki drive kar rahi thi….use rok liya gaya hai….tum shanakht kar sakoge….!

Jee haa….kya compounder aur nurse bhi….?

Main nahi jaanta….tumse kahe raha hu ke tum jao….

Bahut behtar….imran ne kaha
aur
wapsi ke liye mudha….kingston street ka thana wahan se kareeb 3 mile ke faasle par tha….two-seater raftaar se raasta tai karti gayi….
Aur
fir….wo thane ke saamne hi ruki….

Kareeb ek mercedes khadi nazar ayi….
Lekin
wo gaadi nahi thi….jiss par malaiqa le jayi gayi thi….uska registration number aur serial bhi wo nahi tha….!

Wo thane mein daakhil hua ladki incharge ke kamre mein maujood thi….
Aur
sau feesad wahi ladki thi….jo malaiqa ko le gayi thi….!

Dr malaiqa ka compounder bhi maujood tha….imran ko dekhte hi bol pada….yahi sahab the jo bakre bechne aye the….!

Imran ne apna card inspector ki taraf badha diya….usne hairat se uski taraf dekha aur khada ho gaya….mujhe afsos hai janab….usne haath aage badhate hue kaha….mujhe ilm nahi tha ke aap ka maamla hai….

Thik hai….thik hai….main hi tha apne dost ki biwi ke liye waqt lene gaya tha….imran ne kaha aur saamne wali kursi par baith gaya….

Ladki maahol se laa-taalluk (udaaseen) nazar aa rahi thi….

Kya aapne ise bata diya hai ke ise kyun roka gaya hai….? Imran ne inspector se pucha

nahi janab….wo kahin phone karna chahti thi….
Lekin
maine ijazath nahi di….
Darasal
c.i.b ke captain fayaz ki call ayi thi….unhone kaha tha ke wo ladki ki shanaakht ke liye kisi ko bhej rahe hai….

Thik hai….yahi ladki thi….imran bola

compounder ne bhi shanaakht kar liya hai….

Ladki ne fauran kabool kar liya ke wo dr malaiqa ko le gayi thi….clinic se sirf 2 forlang ke faasle par rahti hu….usne kaha….kareebi clinic wahi tha main seedha wahin gayi thi….

Aur
dr malaiqa ko apni hi gaadi par clinic bhi

wapis pahuncha diya tha….? Inspector ne pucha

nahi….maine kaha tha ke pahuncha dungi….
Lekin
usne kaha ke faasla zyada nahi hai….
Aur
use raaste mein kisi jagaah ruk kar kuch khareedna bhi hai….paidal hi wapis hui thi….!
Inspector ne imran ki taraf dekha….
Aur
imran sar hila kar bola….ho sakta hai aisa hi hua ho….ise bata di jiye ke dr malaiqa abhi tak ghar nahi pahunchi….

Inspector ne ladki ko bata diya….

Khuda ki panaah….to isliye mujhe roka gaya hai….ab to mujhe ghar phone karne di jiye….ladki ne kaha

inspector ne imran ki taraf dekha….ab ladki bhi uski taraf mutawajjah (attract) ho gayi….

Imran ke chehre par himakhaton ke dongre baras rahe the….

Usne imran se kaha….shayad tum hi to the jiss ne chalte waqt doctor se kuch kaha tha

usi kasoor par main pakda aur bulwa gaya hu….imran karaaha….

Sawaal ye hai ke agar wo gaayab ho gayi hai to mera kya kasoor….?

Yahi to main bhi kahe raha hu…..mr.inspector baraahe maherbaani hum dono ko jane ki ijazath di jiye….hum bilkul bekasoor hai….

Zaahir hai….zaahir hai….inspector sar hila kar bola….aap dono apne likhit bayaan de kar jaa sakte hai

shukriya….laaye kaagaz….imran jeb se pen nikaalta hua bola….
Aur
ladki se kaha….tum bhi wahi likh do jo abhi kaha tha….!

Bilkul likh dungi….

Dono ne apna-apna likhit bayaan inspector ke hawaale kar diya

to fir jaye hum dono….imran ne ahmaqaana andaaz mein inspector se pucha

zaroor….zaroor….inspector uthta hua bola….mujhe afsos hai ke aap dono ko zehmath hui….

Imran aur ladki saath hi nikle….!
Kaisi dushwari mein padh gayi hu….ladki ne kaha….papa ko ilm ho gaya to unke marz mein izaafa ho jayega….!

Tabkhir maadha (vashpikaran) ka shaafi ilaaj sirf yoonaanee mein ho sakta hai….jadeed medical science to isme nakaam ho chuki hai….

Tum thik kahte ho….5 saal se musalsil ilaaj ho raha hai….waqtiya taur par bahaal hote hai….
Aur
fir wahi musibath….!

Mujhe yoonaanee mein khaasa dakhal hai….
Agar
kaho to main dekhlu tumhare papa ko….?

Ladki ne use gour se dekha….kuch sonchti rahi fir boli….chalo achha hai, tum agar unhe us lady doctor ke silsile mein mutmayeen (santusht) kar sako to mere liye behtar hoga….zaahir hai ke jab main apna likhit bayaan de chuki hu to aainda karwayon mein mujhse fir puch-gaach ho sakti hai….!

Haa ye baat to hai….

Main tum se guzarish karti hu ke zaroor chalo mere saath….main sakht nervous ho gayi thi….ye sunkar ke wo abhi tak ghar nahi pahuchi….tumne bada sahara diya….
Agar
tum dakhal andaazi na karte to ye officer asaani se picha chhodne wala nahi tha….!

Haa….kam-az-kam raat bhar zaroor bandh rakhta….

Chalo mere saath….uske baad jahan kahoge khud pahuncha dungi….

Zaroor….zaroor….

Imran uski gaadi mein baith gaya….ladki drive kar rahi thi….
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
User avatar
rajsharma
Super member
Posts: 15829
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: Aadha teetar Aadha bater

Post by rajsharma »

धन्यवाद दोस्त नया नॉवल स्टार्ट करने के लिए

दोस्त आपके बिना बहुत कुछ अधूरा अधूरा सा था
Read my all running stories

(वापसी : गुलशन नंदा) ......(विधवा माँ के अनौखे लाल) ......(हसीनों का मेला वासना का रेला ) ......(ये प्यास है कि बुझती ही नही ) ...... (Thriller एक ही अंजाम ) ......(फरेब ) ......(लव स्टोरी / राजवंश running) ...... (दस जनवरी की रात ) ...... ( गदरायी लड़कियाँ Running)...... (ओह माय फ़किंग गॉड running) ...... (कुमकुम complete)......


साधू सा आलाप कर लेता हूँ ,
मंदिर जाकर जाप भी कर लेता हूँ ..
मानव से देव ना बन जाऊं कहीं,,,,
बस यही सोचकर थोडा सा पाप भी कर लेता हूँ
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- raj sharma
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Aadha teetar Aadha bater

Post by Jemsbond »

rajsharma wrote: 02 Dec 2017 12:54 धन्यवाद दोस्त नया नॉवल स्टार्ट करने के लिए

दोस्त आपके बिना बहुत कुछ अधूरा अधूरा सा था
Thanks Raj

pichli bar meri do kahani jo maine complete kar di thi site ki problem ki vajah se mere kafi post gayab ho gaye the our mere pas backup bhi nahi tha isliye thoda upset ho gaya tha par dont worry ab main vapas aa chuka hun
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Aadha teetar Aadha bater

Post by Jemsbond »


तुम मुझे बहुत शरीफ आदमी मालूम होते हो….उसने कहा

पता नही….मैं तो नही जानता….इमरान ने अहमाक़ाना अंदाज़ में कहा

मेरे पापा जियालजिस्ट है….तुम्हारी हुकूमत ने उनकी खिदमत हासिल की है….

अच्छा….अच्छा….मैं उनका इलाज कर दूँगा….

लेकिन….हम लोगों के लिए ये तरीका इलाज नया होगा….

बड़ी लज़ीज़ दवाए होती है….तुम तो ये चाहोगी कि उन्हे टोस्ट पर लगा कर खा जाओ….

तब तो बड़ी अच्छी बात है….मेरी छिंकों का इलाज भी कर देना….आती है तो आती ही चली जाती है….

छींकने से पहले नाक में सरसराहट होती है या कान में….?

उस पर तो गौर नही किया….

अब गौर करना….

तो तुम भी डॉक्टर हो….?

हकीम….यूनानी इलाज करने वाले हकीम कह लाते है….!
क्या उस लेडी डॉक्टर से तुम्हारी दोस्ती है….?

नही….पहली बार गया था….एक दोस्त की बीवी के लिए वक़्त लेने….जो यूनानी तरीका इलाज पर यक़ीन नही रखती….

लज़ीज़ दवाए उसे पसंद नही….?

खुदा जाने….ओफफफ्फ़….माफ़ करना….मैने तुम्हारा नाम नही पूछा….!

मेरा नाम कॉर्निला है….तुम नीली कह सकते हो….

शुक्रिया….मेरा नाम इमरान है तुम रन कह सकती हो….

हेलो रन….वो हंस कर बोली

हेलो नीली….

इतनी ज़रा सी देर में हम दोस्त बन गये….लड़की फिर हंस पड़ी….
और इमरान भी अहमाक़ाना अंदाज़ में हंस पड़ा

मैने महसूस किया है कि तुम्हारे यहाँ लड़के और लड़कियाँ अलग-अलग रहते है….

और मुझे ये बात सख़्त ना-पसंद है….

तुम्हारी कोई गर्लफ्रेंड है….?

इसलिए तो ये बात सख़्त ना-पसंद है कि मेरी कोई गर्लफ्रेंड नही है….

मैं कैसी रहूंगी….

त….तू….तुम तो बहुत अच्छी हो….इमरान हकलाया

शुक्रिया….

गाड़ी एक इमारत के कॉंपाउंड में दाखिल हो गयी….ख़ासा बड़ा लॉन था….और….रोशनी का भी माखूल इंतज़ाम था….गाड़ी पोर्च में रुकी….

तुम इंग्लीश के अलावा और कौन-कौन सी यूरोपी ज़ुबान बोल सकते हो….?

कोई भी नही….हमारे यहाँ सिर्फ़ इंग्लीश ही आम तौर पर पढ़ाई जाती है….हम पर अँग्रेज़ों ही की हुकूमत रही है ना….

तुम्हारी इंग्लीश बहुत अच्छी है….

शुक्रिया नीली….

मेरी माद्री ज़ुबान जर्मन है….मेरा बाप पिछली जंग अज़ीम में हिजरत कर के अमेरिका गये थे….

तुम मुझे जर्मन सिखा दो….इमरान ने कहा

बड़ी खुशी से….

वो उसे अंदर लाई और सीधे लाइब्ररी में लेती चली गयी….जहाँ एक अड़ेढ़ उम्र का दुबला-पतला आदमी आराम कुर्सी पर बैठा था….उन्हे देख कर सीधा हो कर बैठ गया….!

ये मिस्टर.इमरान है पापा….वो जल्दी से बोली….मुझे पोलीस ने रोक लिया था….

क….क….क्यूँ….?

परेशान होने की ज़रूरत नही….सब ठीक है….मिस्टर.इमरान की वजह से जल्दी वापसी हो गयी….वो लेडी डॉक्टर आई थी गायब हो गयी है….

गायब हो गयी है….मैं नही समझा….

ये मिस्टर.इमरान उस वक़्त क्लिनिक में मौजूद थे….जब मैं उसे यहाँ लाई थी….तुम तो बेहोश थे उसने इंजेक्षन दिया था….
और फिर जब मैने उसे कहा कि चलो तुम्हे क्लिनिक छोड़ आती हू तो उसने कहा के पैदल ही चली जाएगी….उसे रास्ते में कुछ खरीदना है….

अच्छा….तो फिर….

वो अब तक ना तो क्लिनिक पहुचि है और ना घर….

ये तो बहुत बुरी खबर है….बेबी….
लेकिन तुम्हे पोलीस ने कैसे पकड़ा….?

किंग्सटन स्ट्रीट से गुज़र रही थी कि गाड़ी रोक ली गयी….
फिर ये मिस्टर.इमरान शायद मेरी शनाख्त के लिए बुलवाए गये थे

अच्छा….अच्छा

और मैने पोलीस ऑफीसर का दिमाग़ दुरुस्त कर दिया….इमरान बोला

तुम्हारा बहुत बहुत शुक्रिया….हम यहाँ अजनबी है….बैठ जाओ खड़े क्यूँ हो….बेबी….इनके लिए कुछ लाओ….

क्या पियोगे….? नीली ने पूछा

चाइ और सादा पानी के अलावा कुछ नही पीता….

अच्छा….अच्छा….बूढ़ा सर हिला कर बोला….चाइ ही सही

नीली चली गयी….
और इमरान ने बूढ़े से कहा….आप के मर्ज़ के बारे में मालूम कर के सख़्त अफ़सोस हुआ….


Tum mujhe bahut shareef aadmi maalum hote ho….usne kaha

pata nahi….main to nahi jaanta….imran ne ahmaqaana andaaz mein kaha

mere papa geologist hai….tumhari hukumat ne unki khidmat haasil ki hai….

Achha….achha….main unka ilaaj kar dunga….

Lekin….hum logon ke liye ye tareeka ilaaj naya hoga….

Badi lazeez dawaaye hoti hai….tum to ye chahogi ke unhe toast par laga kar khaa jao….

Tab to badi achhi baat hai….meri chinkon ka ilaaj bhi kar dena….aati hai to aati hi chali jati hai….

Chinkne se pahle naak mein sarsarahat hoti hai ya kaan mein….?

Us par to gour nahi kiya….

Ab gour karna….

To tum bhi doctor ho….?

Hakim….yoonaanee ilaaj karne wale hakim kahe laate hai….!
Kya us lady doctor se tumhari dosti hai….?

Nahi….pahli baar gaya tha….ek dost ki biwi ke liye waqt lene….jo yoonaanee tareeka ilaaj par yaqeen nahi rakhti….

Lazeez dawaaye use pasand nahi….?

Khuda jane….offff….maaf karna….maine tumhara naam nahi pucha….!

Mera naam kornila hai….tum nili kahe sakte ho….

Shukriya….mera naam imran hai tum ran kahe sakti ho….

Hello ran….wo has kar boli

hello nili….

Itni zara si der mein hum dost ban gaye….ladki fir hans padee….
Aur
imran bhi ahmaqaana andaaz mein has pada

maine mehsoos kiya hai ke tumhare yahan ladke aur ladkiyan alag-alag rahte hai….

Aur mujhe ye baat sakht na-pasand hai….

Tumhari koi girlfriend hai….?

Isliye to ye baat sakht na-pasand hai ke meri koi girlfriend nahi hai….

Main kaisi rahungi….

T….tu….tum to bahut achhi ho….imran haklaya

shukriya….

Gaadi ek imaarat ke compound mein daakhil ho gayi….khaasa bada lawn tha….aur….roshni ka bhi maakhul intezaam tha….gaadi porch mein ruki….

Tum english ke alawa aur kaun-kaun si europi zubaan bol sakte ho….?

Koi bhi nahi….humare yahan sirf english hi aam taur par padhaai jaati hai….hum par angrezon hi ki hukumat rahi hai na….

Tumhari english bahut achhi hai….

Shukriya nili….

Meri maadri zubaan german hai….mera baap pichli jung azeem mein hijrat kar ke america gaye the….

Tum mujhe german sikha do….imran ne kaha

badi khushi se….

Wo use andar laayi aur seedhe library mein leti chali gayi….jahan ek adedh umr ka dubla-patla aadmi aaram kursi par baitha tha….unhe dekh kar seedha ho kar baith gaya….!
Ye mr.imran hai papa….wo jaldi se boli….mujhe police ne rok liya tha….

K….k….kyun….?

Pareshan hone ki zaroorat nahi….sab thik hai….mr.imran ki wajah se jaldi wapsi ho gayi….wo lady doctor ayi thi gaayab ho gayi hai….

Gaayab ho gayi hai….main nahi samjha….

Ye mr.imran us waqt clinic mein maujood the….jab main use yahan layi thi….tum to behosh the usne injection diya tha….
Aur
fir jab maine use kaha ke chalo tumhe clinic chhod aati hu to usne kaha ke paidal hi chali jayegi….use raaste mein kuch khareedna hai….

Achha….to fir….

Wo ab tak na to clinic pahuchi hai aur na ghar….

Ye to bahut buri khabar hai….baby….
Lekin
tumhe police ne kaise pakda….?

Kingston street se guzar rahi thi ke gaadi rok li gayi….
Fir
ye mr.imran shayad meri shanakht ke liye bulwaye gaye the

achha….achha

aur maine police officer ka dimaagh durust kar diya….imran bola

tumhara bahut bahut shukriya….hum yahan ajnabee hai….baith jao khade kyun ho….baby….inke liye kuch lao….

Kya piyoge….? Nili ne pucha

chai aur sada paani ke alawa kuch nahi pita….

Achha….achha….budha sar hila kar bola….chai hi sahi

nili chali gayi….
Aur
imran ne budhe se kaha….aap ke marz ke baare mein maalum kar ke sakht afsos hua….
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: Aadha teetar Aadha bater

Post by Jemsbond »



क्या बताऊ….सारा कसूर खरगोश के गोश्त का है….5 साल पहले एक ऐसे क्षेत्र का सर्वे करना पड़ा था….जहाँ खरगोश के अलावा और कोई जानवर पाया नही जाता….6 माह उसी के गोश्त पर गुज़ारा करना पड़ा था….
और ये मर्ज़ मोल ले बैठा….!

अरे खरगोश क्या….यूनानी इलाज तो हाथी तक को मटन बना कर रख देती है….

यूनानी इलाज….?

हाँ….खरगोश के गोश्त के ख़तरनाक असरात दूर हो सकते है….ईमली की पत्तियाँ उसके पेट में भर के उबाल दो….ख़तरनाक असरात बे असर हो कर रह जाता है….!
ईमली की पत्तियाँ अगर उस इलाक़े में ना मिलती हो तो….

गीली मिट्टी कहाँ नही होती….खाल उतार कर गंदगी सॉफ कर के गीली मिट्टी में दबा दो….3 घंटे तक दबा रहने दो….फिर निकाल कर धो लो….बस समझ लो कि ईमली की पत्तियॉं वाली करवाई हो गयी….

इमरान कुछ और भी कहना चाहता था कि नीली वापिस आ गयी….

अब कोई पोलीस ऑफीसर यहाँ भी आ पहुँचा है….उसने कहा

आने दो….उसका भी दिमाग़ दुरुस्त कर दूँगा….हाँ….तो मैं ये कहे रहा था के यूनानी….

बूढ़े ने हाथ उठा कर इमरान को खामोश रहने का इशारा किया….
और नीली से बोला….बहुत बुरा हुआ….बहुत बुरा….हम लोग बड़ी मुसीबत में पड़ गये है….बुलाओ उसे….

फिर कॅप्टन फायज़ इमरान की शक्ल ही देखता रह गया….
क्यूँ कि यूनानी इलाज के गुण बड़ी महत्पूर्णी से बयान किए जा रहे थे….
और वो ऐसा बन गया था जैसे फायज़ से जान-पहचान तक ना हो….

फायज़ ने भी छेड़ना मुनासिब नही समझा….लड़की से सीधे सवालात करने लगा था….इमरान खामोश सुनता रहा….बूढ़ा भी खामोश था

क्या कोई ऐसा गवाह है जिस ने मलइक़ा को यहाँ से पैदल जाते देखा हो….फायज़ ने आख़िरकार अपनी समझ में सब से ज़्यादा ख़तरनाक सवाल किया….

लड़की हिचकिचाई थी….
लेकिन इमरान ताड़ से बोला….है क्यूँ नही….बराबर वाले बंगल में इंटरनॅशनल बॅंक के असिसटेंट मॅनेजर सिद्दीक़ रहता है उसने देखा था….!

वो तीनो ही उसे हैरत से देखने लगे….

मैं अभी उसे बुलाए ला ता हूँ….इमरान उठता हुआ बोला

जी नही….आप तशरीफ़ रखिए….फायज़ ने भन्ना कर कहा

हाँ….शायद रन ठीक कहता है….नीली बोली

रन….फायज़ की आँखें फैल गयी….

मेरा नाम इमरान है….ये बे-तकल्लूफ में रन कहती है….हम पुराने दोस्त है

फायज़ ने लंबी साँस ली….
और शायद खुद को काबू में रखने की कोशिश करने लगा….!
आप उस वक़्त क्लिनिक में मौजूद थे….? फायज़ ने खकार कर कहा

जी हाँ….मैं वहाँ मौजूद था….!

ताज्जुब है कि आप गाड़ी में नही बैठ गये….जब कि पुराने दोस्त थे

ये मैं ही जानता हूँ कि मुझे कब क्या करना है….

फिर….आप तस्दीक़ (पुष्टि) के लिए क्यूँ बुलवाए गये थे जनाब जब कि पुराने दोस्त है….

लो भाई कमाल है वो पोलीस ऑफीसर कैसे जान सकता है कि हम पुराने दोस्त है….क्या आप को मालूम था….? मैने अभी बताया है….

उसके बाद फायज़ चन्द उल्टे-सीधे सवालात करने के बाद रुखसत हो गया….

देखा उसका भी दिमाग़ दुरुस्त कर दिया ना….इमरान खुश हो कर बोला

वो तो ठीक है….बूढ़े ने ताश्विश (चिंता) लहजे में कहा….
लेकिन
मेरे पड़ोसी बॅंक मॅनेजर वाली शहादत वाली बात….?

वो येई कहेगा कि उसने लेडी डॉक्टर को पैदल जाते हुए देखा था….मेरा दोस्त है

वाह रन वाह….तुमने तो थोड़ी देर पहली की दोस्ती का हक़ अदा कर दिया….नीली ने कहा

लफ्ज़ दोस्ती का तखदुस और एहतेराम (पवित्रिता और सम्मान) कोई हम मसहरीक़ियों (ईस्टर्न) से पूछे

मैं तस्लीम करता हूँ….बूढ़ा बोला

फिर….चाइ आई और उसके बाद नीली ने इमरान से कहा कि वो जहाँ कहे उसे पहुँचा देगी

नही….मुझे पैदल जाने दो….इमरान ने कहा….तुम्हारे पड़ोसी बॅंक मॅनेजर से भी तो बात पक्की करनी है….कल खुद ही इधर आ जाउन्गा

बाहर निकल कर वो बराबर वाले बंगले के कॉंपाउंड में दाखिल हुआ….
और बरामदे की तरफ चल पड़ा….

आधे घंटे के बाद सिद्दीक़ी के बंगल से निकल कर फूटपाथ पर खड़ा हो गया….किसी टॅक्सी के इंतेज़ार था

अपनी टू-सीटर तो किंग्सटन के थाने के बाहर छोड़ा था

टॅक्सी जल्दी ही मिल गयी….ड्राइवर को किंग्सटन स्ट्रीट चलने की हिदायत दे कर सीट पर बैठ गया….
फिर जल्द ही अंदाज़ा हो गया था कि एक गाड़ी टॅक्सी का पीछा कर रही है….

नही….किंग्सटन नही….पहले मुझे सिविललाइन जाना है….इमरान ने ड्राइवर से कहा

बहुत अच्छा जनाब….

गाड़ी अब भी पीछा कर रही थी….इमरान ने जेब से चूयिंग-गम का पॅकेट निकाला और मूह में एक पीस डाल कर उसे आहिस्ता से खींचने लगा….


Kya batau….saara kasoor khargosh ke gosht ka hai….5 saal pahle ek aise shetr ka servey karna pada tha….jahan khargosh ke alawa aur koi jaanwar paya nahi jata….6 maah usi ke gosht par guzara karna pada tha….
Aur
ye marz mol le baitha….!

Arey khargosh kya….yoonaanee ilaaj to haathi tak ko mutton bana kar rakh deti hai….

Yoonaanee ilaaj….?

Haa….khargosh ke gosht ke khatarnaak asraath dur ho sakte hai….imli ki pattiyan uske peth mein bhar ke ubaal do….khatarnaak asraath be asar ho kar rahe jata hai….!
Imli ki pattiyan agar us ilaakhe mein na milti ho to….

Geeli mitti kahan nahi hoti….khaal utaar kar gandgi saaf kar ke geeli mitti mein daba do….3 ghante tak daba rahne do….fir nikaal kar dho lo….bas samajh lo ke imli ki pattiyon wali karwaayi ho gayi….

Imran kuch aur bhi kahna chahta tha ke nili wapis aa gayi….

Ab koi police officer yahan bhi aa pahuncha hai….usne kaha

aane do….uska bhi dimaagh durust kar dunga….haa….to main ye kahe raha tha ke yoonaanee….

Budhe ne haath utha kar imran ko khamosh rahne ka ishara kiya….
Aur
nili se bola….bahut bura hua….bahut bura….hum log badi musibath mein padh gaye hai….bulao use….

Fir captain fayaz imran ki shakl hi dekhta rahe gaya….
Kyun ke
yoonaanee ilaaj ke goon badi mahatpurni se bayaan kiye jaa rahe the….
Aur
wo aisa ban gaya tha jaise fayaz se jaan-pehchan tak na ho….

Fayaz ne bhi chedhna munasib nahi samjha….ladki se seedhe sawaalat karne laga tha….imran khamosh sunta raha….budha bhi khamosh tha

kya koi aisa gawaah hai jiss ne malaiqa ko yahan se paidal jate dekha ho….fayaz ne aakhirkar apni samajh mein sab se zyada khatarnaak sawaal kiya….

Ladki hichkichayi thi….
Lekin
imran tadh se bola….hai kyun nahi….barabar wale bungle mein international bank ke asisstant manager siddiq rehta hai usne dekha tha….!

Wo teeno hi use hairat se dekhne lage….

Main abhi use bulaye laa ta hu….imran uthta hua bola

jee nahi….aap tashreef rakhiye….fayaz ne bhanna kar kaha

haa….shayad ran thik kehta hai….nili boli

ran….fayaz ki aankhein fael gayi….

Mera naam imran hai….ye be-takkhaluf mein ran kahti hai….hum purane dost hai

fayaz ne lambi saans li….
Aur
shayad khud ko khaabu mein rakhne ki koshish karne laga….!
Aap us waqt clinic mein maujood the….? Fayaz ne khakaar kar kaha

jee haa….main wahan maujood tha….!

Tajjoob hai ke aap gaadi mein nahi baith gaye….jab ke purane dost the

ye main hi jaanta hu ke mujhe kab kya karna hai….

Fir….aap tasdeekh (pushti) ke liye kyun bulawaye gaye the janab jab ke purane dost hai….

Lo bhai kamaal hai wo police officer kaise jaan sakta hai ke hum purane dost hai….kya aap ko maalum tha….? Maine abhi bataya hai….

Uske baad fayaz chandh ulthe-seedhe sawaalat karne ke baad rukhsat ho gaya….

Dekha uska bhi dimaagh durust kar diya na….imran khush ho kar bola

wo to thik hai….budhe ne tashvish (chinta) lahje mein kaha….
Lekin
mere padosi bank manager wali shahadat wali baat….?

Wo yei kahega ke usne lady doctor ko paidal jate hue dekha tha….mera dost hai

waah ran waah….tumne to thodi der pahli ki dosti ka haq aada kar diya….nili ne kaha

lafz dosti ka takhadus aur ehteraam (pavitrita aur sammaan) koi hum mashreeqiyon (eastern) se puche

main tasleem karta hu….budha bola

fir….chai ayi aur uske baad nili ne imran se kaha ke wo jahan kahe use pahuncha degi

nahi….mujhe paidal jane do….imran ne kaha….tumhare padosi bank manager se bhi to baat pakki karni hai….kal khud hi idhar aa jaunga

bahar nikal kar wo barabar wale bungle ke compound mein daakhil hua….
Aur
baramde ki taraf chal pada….

Aadhe ghante ke baad siddiq ke bungle se nikal kar footpath par khada ho gaya….kisi taxi ke intezar tha

apni two-seater to kingston ke thane ke bahar chhoda tha

taxi jaldi hi mil gayi….driver ko kingston street chalne ki hidayath de kar seat par baith gaya….
Fir
jald hi andaaza ho gaya tha ke ek gaadi taxi ka picha kar rahi hai….

Nahi….kingston nahi….pahle mujhe civilize jana hai….imran ne driver se kaha

bahut achha janab….

Gaadi ab bhi picha kar rahi thi….imran ne jeb se chewing-gum ka packet nikaala aur muh mein ek piece daal kar use ahista se khinchne laga….


प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply