एक अनोखा बंधन compleet

Post Reply
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन

Post by rajaarkey »

Ek Anokha Bandhan--31

gataank se aage.....................

Zarina ne pyar se thokar maari ush lote ko aur ander aa gayi. Aditya ne foran darvaaja band kiya aur zarina ko baahon mein bhar liya.

“arey chhodo ye kya kar rahe ho.”

“kab se tadap raha hun main ab aur nahi ruka jaata.”

“lambe safar se aaye hain hum. thoda araam to kar lein.” Zarina ne kaha.

“mujhe apni jaan se pyar karna hai. dher saara pyar. Araam karne ka man nahi hai abhi.”

“dekho vaha vo kya hai deewar par” Zarina ne kaha.

Jaise hi aditya ne deewar par dekha zarina aditya ko dhakka de kar ek kamre mein ghuss gayi.

Aditya bhaaga ushki taraf magar ander se kundi lag chuki thi.

“jaan please…baahar aao turant. Aise mat tadpaao mujhe." aditya ne darvaaja peet-te huve kaha.

Zarina ne ander ghuste hi apne dil par haath rakha. Dil bahut jor se dhadak raha tha. “tumhe kya ho gaya achaanak ye. Mujhe dar lag raha hai tumse.” Zarina ne kaha.

“jaan ye sab kya hai. shaadi se pahle bhi dur bhaagti thi aur shaadi ke baad bhi dur bhaag rahi ho. Kyon tadpa rahi ho mujhe. main tadap tadap kar mar jaaunga. Please darvaaja kholo.” Aditya ne kaha.

Zarina ne ander se awaaj di, “pahli baar bahut dar lag raha hai tumse.”

“arey darne ki kya baat hai. acha darvaaja to kholo main kuch nahi karunga.”

“pakka.” Zarina ne kaha.

“haan pakka.”

Zarina ne darvaaja khola darte-darte.

“ye huyi na baat. Ab tumhaari khair nahi” aditya ne zarina ka haath pakad liya.

“nahi aditya please…tumne wada kiya tha ki kuch nahi karoge.” Zarina gidgidaayi aur chatpataane lagi.

Zarina puri koshis kar rahi thi apna haath chudaane ki magar aditya ne bahut kash kar pakad rakha tha ushka haath. Chatpataahat mein zarina ki saree ka pallu sarak gaya neeche. Aditya ki nazar zarina ke blouse par padi to ushne foran haath chhod diya zarina ka, “sorry pata nahi mujhe kya ho gaya hai.”

Aditya zarina ko vahi chhod kar drawing room mein aakar sofe par baith gaya. ushe ye feel huva ki vo zarina ke saath jabardasti kar raha hai.

Zarina ek pal ko vahi khadi rahi phir apna pallu sahi karke aditya ke paas aakar ushke kadmo mein baith gayi. Apna sar ushne aditya ke ghutno par rakh diya.

“naraaj ho gaye mujhse?" zarina ne pyar se pucha

“main bahut tadap raha hun tumhaare liye jaan. Tum mujhse dur raho abhi... nahi to kuch kar baithunga main.”

“thande paani se naha lo sab theek ho jaayega hehehehe.” Zarina ne hanste huve kaha.

“acha matlab ki tum mere liye kuch nahi karne wali.”

“mujhe kuch samajh mein nahi aa raha ki kya karun.”

“mujhe bhi kaha kuch samajh aa raha hai. bas paagal pan sa sawaar hai. shaayad sex aisa hi jadu karta hai.”

“tabhi to dar lag raha hai mujhe tumse.”

“chalo chhodo ye sab. Hum araam karte hain. Tum naha lo thak gayi hogi.”

“haan thak to bahut gayi hun. par pahle tum naha lo. Tab tak main khaane ko kuch bana deti hun. kitchan ka kaam karke hi nahaana theek rahega.” Zarina ne kaha.

“arey meri nayi naveli dulhan kaam karegi. Main baahar se le aata hun kuch.”

“nahi tum kahi nahi jaaoge. Main apne aditya ke liye kuch khaas banaaungi aaj.”

“chicken kadhaayi bana rahi ho kya.”

“dubara mat bolna aisi baat. Non-veg ke naam se bhi nafrat hai mujhe.”

“uff gusse mein kitni pyari lag rahi ho tum. Yaar ab ek kiss to de do kam se kam. Shaadi ke din kitna tadpa rahi ho tum mujhe.”

“main to tumhaare bhale ki soch rahi thi ki kahi jal kar raakh ho jaao. hehehehe.”

“raakh hi kar do. Kuch to karo meri bechaini ko dur karne ke liye.”

“naha lo chupchaap ja kar. mujhe kitchen mein bahut kaam hai.” zarina uth kar chal di.

“uff lagta hai aaj meri jaan le logi tum.”

Zarina kitchen mein aa gayi aur apne kaam mein lag gayi. Aditya kuch der chupchaap sofe par baitha raha. phir achaanak utha aur kitchen mein aakar zarina ko peeche se jakad liya.

“main yaha tadap raha hun aapke liye aur aap khaana bana rahi hain.”

“aap naha lijiye na jaakar. Aapki tadap thodi shaant ho jaayegi.”

“ish tadap ka ilaaj sirf aapke paas hai. chaliye chhodiye ye sab.” Aditya ne zarina ko godi mein utha liya.

“aaj achaanak itni deewangi kaha se aa gayi.”

“ye deewangi to hamesa se thi. bas thaame huve tha khud ko. Shaadi se pahle main bahakna nahi chaahta tha.”

“kiss me aditya.”

“kya kaha tumne?”

“kiss me.”

“omg ye kaise ho gaya.”

“apne deewane ke liye kuch bhi kar sakti hun main.”

“vaise mujhe pata hai tum mujhe kiss de kar tarkaane ke chakkar mein ho. Par aisa nahi hoga.”

“oh god tum to peeche pad gaye mere.”

“ji haan shaadi ki hai aapse koyi majaak nahi. Peeche nahi padunga aapke to kuch milne wala nahi hai mujhe... ye main jaan gaya hun.” aditya zarina ko bedroom mein le gaya aur darvaaja ander se band kar liya.

Hum sab ki shima yahi samaapt hoti hai. bedroom mein jhaank kar vaha ke scene ka varnan karne se dono disturb ho jaayenge. Hamein dono ko akela chhod dena chaahiye ab. Par ye kya kuch awaaje aa rahi hain ander se. shaayad prem-ras mein dub gaye hain dono. Bhagvaan se yahi duva hai ki ye dono duniya ki buri nazar se bache rahein aur ye khusnuma pyar dono ke beech hamesa bana rahe.

Pyar ek aisi taakat hai jo ki insaan ko bhagvaan bana deta hai. ye hamaare charitra ko nikhaarta hai. jeevan ki bahut saari buraeeyan pyar ki aag mein jal kar khaak ho jaati hain. Yahi dekha hamne ish anokhe bandhan mein. nafrat karte the aditya aur zarina ek dusre se. dharam ek bahut bada kaaran tha ish nafrat ke peeche. Pyar ne dharam ki deewar bhi gira di aur dono ke dilon mein maujud nafrat ko bhi khatam kar diya. Ye koyi chamatkaar nahi hai. aisa roj ho raha hai ish desh mein. haan par har koyi zarina aur aditya ki tarah pyar ki manjil tak nahi pahunch paata. Tabhi ishe ek anokha bandhan naam diya maine. ye bandhan kuch aisa hai ki agar aditya aur zarina chaahein to bhi nahi taud sakte ishe. pyar hi kuch aisa ho gaya hai dono ko ek dusre se. duva yahi hai ki aisa pyar bhagvaan har kishi ko de. Allaah se bhi yahi fariyaad hai. jesus se bhi yahi request hai.

THE END
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: एक अनोखा बंधन compleet

Post by Jemsbond »

...आपकी सोच ...आपका दृश्य को शब्दों में उतारना लाजवाब होता है .........
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन compleet

Post by rajaarkey »

dhanyawad dost
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
amitraj39621

Re: एक अनोखा बंधन compleet

Post by amitraj39621 »

Wah..
Bahut hi aachi hai...
User avatar
rajaarkey
Super member
Posts: 10097
Joined: 10 Oct 2014 10:09
Contact:

Re: एक अनोखा बंधन compleet

Post by rajaarkey »

amitraj39621 wrote:Wah..
Bahut hi aachi hai...
shukriya dost
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &;
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- Raj sharma
Post Reply