Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post Reply
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 305

Phir maine apne har janam me musibat me phanse huye logo ki madad karne ke punya ka smaran kiya..lekin jab hath hataya to dimag ghum gaya..kyon ki vo palda tas se mas nahi ho raha tha apni jagah se...

Raj—baba, ye kya... ? kya logo ki madad karna bhi punya nahi kahlata…?

Praja—ye jhutha hai..tarazu jhutha hai..

Mahatma—tarazu jhutha nahi hai...saajan, tumhe shaktiya mili hi logo ki madad karne ke liye hain...isliye musibat me phanse logo ki madad karna tumhara dharm bhi hai aur kartavya bhi...ye punya karm me nahi gina ja sakta..apne kisi aur punya karm ka smaran karo saajan...

Ab aage......

Mahatma—kya baat hai bahut soch vichar me dikh rahe ho saajan... ? tumhare paas to punya karmo ka bhandar hai putra.. apne punya karmo ke karan tum devtao ke liye bhi ajey ho…apne kisi bhi punya karm ka smaran karo saajan..

Raj—theek hai sadhu maharaj..

Phir maine tarazu ke uss palde par hath rakh kar kayi anath kanyayo ke kanya dan karne ke punya ka smaran kiya…aur phir ankhe khol kar hath hata liya…agle hi ye dekh kar sab chounk gaye ki ab unn aatmao wala palda bilkul halka ho kar upar uth gaya tha aur punya karma wala palda bhari ho kar jamin se ja laga tha.

Main abhi kuch samajh pata ki kayi roshniya ek sath charo dishao se nikal kar mere andar samahit hone lagi aur phir kuch der pashchat sab kuch pahle jaisa ho gaya….sirf aakriti meri mann me ubhar kar aayi jo ki rajlaxmi ki thi.

Rajlaxmi—mujhe mukti dene ke liye dhanyawad saajan…main jane se pahle apne kiye apradho ki aapse kshama mangti hu..?

Raj—maine to tumhe uss din hi kshama kar diya tha rajlaxmi jis din tumne ye apradh kiya tha…kintu kisi ko kshama kar dene ka ye arth kadapi nahi hota hai ki vo apne kiye gaye apradh ke karm phal se bach gaya…? Use apne apradho ka karm phal to bhogna hi padta hai, phir chahe vo koi bhi ho…kisi ko kshama karne ka matlab sirf yahi hota hai ki unn apradho ka karm phal bhogne ke baad uska bhavishya ujjwal ho jata hai, andhakar me dooba nahi rahta…uski bhavna shuddh ho jati hai…ye karm lok hai, yaha karm hi pradhan hai..apna karm karne ke liye sabhi swatantra hain..unke karm me koi hastakshep nahi kar sakta..na to koi devta aur na hi koi shakti..yahi srasti ka niyam hai….isliye hi karm yoni ko dev yoni se bhi uttam mana jata hai..

Rajlaxmi—meri ek antim ichcha poori kar do saajan…

Raj—bolo..agar mere vash me hua to avashya karne ki koshish karunga….?

Rajlaxmi—main aap ki patni ke roop me iss yoni se mukt hona chahti hu..meri yahi antim ichcha hai ki main pratyek janam me sirf aap ki hi patni banu…meri ye antim ichcha poorn kar do saajan…

Raj—bhavishya mere hath me nahi hai rajlaxmi isliye bhavishya me kya hoga, ye main kaise bata sakta hu…? Iske liye to sirf vidhata se prarthna hi kar sakta hu ki vo tumhari manokamna poori kare…Haan, main tumhe vachan deta hu ki tum meri patni roop me mukt hogi…

Rajlaxmi—aap ka dhanyawad saajan..

Raj—vivah aur rajyabhishek ke baad main tumhari ashthiyo ka vidhiwat daah sanskar karunga aur apne pati dharm ka uttar dayitva nibhaunga..

Uske baad rajlaxmi vaha se gayab ho gayi aur main phir se unn mahatma ji ki taraf dekhne laga..mujhe na jane kyo aisa pratit ho raha tha ki main unhe pahle bhi kahi dekh chuka hu ya phir sakshat mil chuka hu, kintu kaha..? ye smaran nahi ho raha tha.

Mahatma—dekha saajan, maine kaha tha na ki tumhare paas punya karm ka bhandar hai…vastav me putra kartavya karm, punya karm ki shreni me nahi aata hai…kintu apna kartavya palan na karna paap hota hai..tumne pahle apne rajya me praja ke liye nadi, nahar, guru kul banwane ke karm ka smaran kiya..lekin kya uss sab ke liye banwane me jo dhan upyog hua, vo tumhari apni mehant ka tha..? jawab hai..nahi..vastav me vo dhan to praja ka hi tha, jo tumne ek raja hone ke naate kar (tax) ke roop me unse vasool kiya tha..iss tarah unka dhan tumne unke hi kaam me laga diya, ye karm nihswarth to nahi tha balki ye sab ek raja apna naam, apna yash, aur apni keerti badhane ke liye karte hain, phir isme punya kaisa…?

Mahatma—phir tumne hazaro brahmano ko daan dakshina dene ka karm ka smaran kiya..lekin vo tumne daan kiya vo bhi tumhari khud ki mehant se arjit kiya hua nahi tha..uss daan me bhi apna naam banaye rakhne ka swarth nihit tha..

Mahatma—phir tumne mata pita aur bado ki sewa karne ke karm ka smaran kiya…lekin vats, ye sharir bhi to tumhara khud ki mehnat se arjit kiya hua nahi hai..ye to tumhare mata pita ki hi den hai..unki sewa karna to putra ka param kartavya hai..mata pita ki sewa karne se jo phal milta hai vo ati uttam hota hai..

Mahatma—ant me tumne garib aur anath kanyayo ke kanya daan karne ke karm ka smaran kiya..jisme tumhara koi swarth nahi tha..ye karm tumhari apni achchi soch ka natiza tha..iska faisla tumhara apna tha..unn anath kanyayo ko vivah ke samay tumne unhe pita ki kami mahsoos nahi hone di..isliye ye tumhara punya hai..

Mahatma—iske alawa bhi tumne bahut se punya kiye hain..jaise ki tumne uss andhi ladki shikha ki jaan bachayi aur use netra heenta ke dukh se ubar liya..ye bhi punya hai…tumne ek anjan aurat ko apni kidney daan karne ka bhi punya kamaya hai.. laakho matao ko unki santan se milwaya hai, ye bhi punya hai….anaath bachcho ke rahne, khane pine aur padhne ki vyavastha ki, ye bhi punya hai.....khud bhukhe rah kar uss aurat ko bhojan karaya, ye bhi punya hai....jab tumhara dost bimar tha, tab tumne usko bachane ke liye jo dawaiya laye the, unse apne dost ki jagah vo dawaiya tumne ek aurat ke bachche ki jaan bachane ke liye usko de di..ye bhi punya hai, kyon ki uske pariwar me uss aurat aur uski betito ka vahi eklouta sahara tha, iss tarah tumne apne dost ki ek jindagi bachane ke sthan par uss aurat ke pariwar me rahne wale kayi logo ki jindagi bacha li….apne poorv janam me ek sherni ke nanhe shawak jo ki bhookh se mar rahe the aur jinki maa ko shikari pakad le gaye the, inko tumne apne hi sharir ka maans kaat kar khilaya jisse unn do shawako ki jaan bach gayi…ye bhi tumhara maha punya hai…tumne itni galtiyo ke baad bhi apni nani aur mousi ko apne sath kiye gaye duskarm ke liye kshama kar diya, ye bhi punya hai..tumne tapasya se punya arjit kiya…yagya, hawan aadi se punya kamaya…tumne dus chudailo ko unki chudail yoni se shrapt mukti di, vo bhi punya hai…ab ranhavi ko bhi mukti doge, ye bhi punya hi hai..kyon ki ye sabhi tumhari jimmedariya nahi thi…tumhare punya karmo ki gatha bahut lambi hai..tumhare jaisa punyatma sansar me bar bar janam nahi leta, agar leta bhi hai to kisi na kisi shrap ke phalswaroop, saajan…

Mahatma—kintu tumse ek maha paap bhi hua hai..jo tumne pari ke sath kiya..vo sarasar galat tha…uss galti ki saza tum aaj tak bhog rahe ho…pari ke shrap ne tumhare punya karmo ke phal ko phalit hone se rok diya..iss tarah tum har janam me punya karm karte gaye aur vo punya karm tumhare andar sanchit hote rahe..tumne jitne bhi logo ko apni shaktiyo ka prayog kiye bina bachaya, vo sabhi tumhare punya karm me sanchit ho gaye …itne saare punya karm tumhare andar ekattha hone ke karan hi tum bina shaktiyo ke bhi kisi ke liye bhi ajey ho….tumhare andar sanchit punya karmo ka hi pratap hai ki koi bhi shakti tumhe nuksan nahi pahucha sakti, jab tak ki tum khud na chaho…tumhare upar jo bhi shakti prahar karega, vo shakti tumhare sharir se takra kar prahar karne wale ka hi vinash kar degi…tumhare ajey hone ka ek pramukh karan aur bhi hai, aur vo hai, divya ka tumhare prati nishchhal niskam nisswarth prem jo ki tumhare liye abhedya kawach ka kaam karta hai…shrap ki awadhi samapt hone ke pashchat hi tumhare dwara sanchit inn punya karmo ke phal ka uday hoga…

Mahatma—vastav me niskam bhav se swayam kasht sah kar dusre ke bhale ke liye kiya gaya karm hi punya hota hai…kartavya karm, punya karm ki shreni me nahi aata lekin kartavya karm ka palan na karna paap hai…ahanhar poorvak aur swarth bhav se kiya gaya daan ya punya karm bhi karta ko ichchhit phal nahi deta.

Mamta—lekin maharaj ye roshni kaisi thi…?

Mahatma—vo sabhi aatmaye mukt ho gayi hain..unn aatmao ne saajan ko apni mukti ke liye ashirwad diya hai..ye uski hi roshni thi..ye bhi ek punya hi hai..kyon ki isme tumhara koi niji swarth nahi tha..unki mukti ke liye tumne apne ek punya karm ka daan kar diya..

Sadhu maharaj ki baate sun kar main gadgad ho gaya…aur unke charno me jhuk gaya…sabhi ne unhe pranam kiya…unke chehre ka tez hi kuch aisa tha ki jo bhi dekhe to bas dekhta hi rah jaye….main unn ati vishist mahatma ji ko andar ek kaksh me le aaya aur unke charan dho kar unka charnodak liya…sath me sabhi ko diya..uss kamre me mere pariwar walo ke siwa anya koi nahi tha….unka charnamrit lene ke baad maine vidhiwat unki pooja ki aur arti utari…sabhi mere iss tarah karne se hairan the..

Raj (mann me)—mujhe kshama kare …main mand buddhi aap ko pahchan nahi paya…mere iss apradh ke liye mujhe kshama kare…

Mahatma (mann me)—utho putra…isme tumhara tanik maatra bhi apradh nahi hai…

Mamta—sadhu maharaj, aap mere bete ke baare me itna sab kaise jante hain….?

Mahatma—main kya aur kaise janta hu, ye mayne nahi rakhta…main ye kyo bata raha hu, ye adhik mayne rakhta hai…maine jo bhi tumhare putra ke vishay me bataya vo ekdam satya hai…kyon ki yaha bahut se log aise hain jo use galat samajhte hain ab bhi…to jara socho, jo itne punya karmo wala ho, nek dil aur paropkari ho, vo koi galat kaam kaise kar sakta hai, bina kisi thos vajah ke…?

Unn aatmao ki mukti ke tatpashchat vivah ka karya kram aayojit kiya gaya…janhavi ke mann me abhi bhi sandeh ke badal the.. kintu divya ke prashno ne use niruttar kar diya tha….aisa hi sawal sabhi ke mann me tha kintu unke paas kuch kahne ki himmat nahi rah gayi thi ab.

Uske baad kuch der aur baate kar ke hum sab vivah mandap me aa gaye..jaha sabhi hamari pratiksha kar rahe the…janhavi ne bina kisi pratirodh ke mujhse vivah karna swikar kar liya tha aur thodi hi der baad vo apni saheliyo ke sath vivah mandap par aa gayi.

Tatpashchat sumadhurit mantrochcharo ke sath vivah ka vidhiwat shubharambh ho gaya….kanyadan uske mata pita ne hi kiya… varmala pahnane aur paanigrahan ke sath hi vivah sampann ho gaya…hum dono ne sabhi bade jan aur guru jano ka ashirwad liya..sirf paridhi aur neha chachi ko chhod kar kyon ki vo meri patni thi…sath hi unn maha tejaswi mahatma ji ka bhi ashirwad liya..unka ashirwad mere liye mrit sanjivani ke hi samaan tha,

Halanki iss dauran payal didi behosh hi rahi..unhe maine maa ki god me lita diya tha…ye ek tarah se achcha bhi tha lekin unki kami mujhe barabar khalti rahi..sab log the vaha lekin phir bhi sab kuch ho kar bhi mere liye jaise kuch nahi tha…agar vo hosh me hoti to vivah mandap me hungama khada kar deti janhavi ko dekh kar..

Lekin main chahta tha ki vo mere rajyabhishek me mere paas upasthit rahe…khair rajyabhishek bhi sampann ho hi gaya..mere sath janhavi ki bhi taajposhi ho gayi…hum dono ne apni kul devi mata maha kali ka ashirwad liya…poori sabha me saajan aur divya ke naam ka jaykar goonj utha…jo ki sandhya se bardast nahi ho raha tha…phir bhi vaha par chup rahna hi usne behtar samjha…janhavi ko praja ne maharani ke roop me swikar liya lekin mere bagal wale singhasan me baithne ka adhikar nahi diya, unke anusar vo singhasan sirf divya ka hai jis par sirf divya ka hi adhikar hai..lekin maine janhavi ko uss singhasan par baithaya.

Raj—main aap sabhi ki bhavnao ka samman karta hu..kintu ek baat aap sab bhi samajh le ki saajan aur divya do nahi hainm balki ek hi hain…saajan hi divya hai aur divya hi saajan hai..saajan me divya hai aur divya me saajan hai…sirf jism do hain lekin vastutah dono jismo me jaan ek hi hai..dono jismo me ruh ek hi hai..dono jismo me aatma ek hi hai..phir divya aur saajan ke liye singhasan, do kaise ho sakte hain…? Main samajhta hu ki iss aupacharikta ki koi avashyakta nahi hai…rajkumari janhavi, jo ki ab meri patni bhi hain, unko unka adhikar milna chahiye..

Mahatma—ati uttam vichar hai..main saajan ki baat ka samarthan karta hu..

Rajguru—sarvatha upyukt baat kahi hai maharaj aapne..

Ek bar phir se charo taraf hamare naam ka jayghosh goonjne laga…Vo tejaswi mahatma hame apna ashirwad pradan kar ke chale gaye…maine rajlaxmi ki ashthiyo ko dulhan ke roop me shringar kar ke uska antim sanskar kar diya…phir sab ke paas vapis lout aaya.

Mahal me sabhi ke liye bhojan ka prabandh kiya gaya tha..sab ko bhojan mil sake, iski jimmedari maine mrinal aur veer ko sounp rakhi thi..jise dono ne poori tanmayta ke sath nibhaya..

Raj—kya baat hai, sab ke sab chup kyo hain….?

Mrinal (dhire se)—sakhi, saajan se sab ke samne apni galti ki mafi maang lo..maine to pahle hi kaha tha ki yaha ek bimar hai aur uske piche sau anaar hain…dekh liya na…?

Priyadarshini (mann me)—shayad tum theek kahti ho..mujhe saajan se mafi mang leni chahiye..lekin agar usne mujhe maaf nahi kiya to..?

Mrinal (dhire se)—vo sab saajan par chhod do…

Roopaly—raj, maine jo kuch tumhe galat kaha uske liye mafi chahti hu.. lekin mujhe ek baat samajh me nahi aayi ki ye jante bhi ki neha didi tumhari chachi hain, aur paridhi tumhari bahan, bhale hi tumne dubara use naya jeevan diya ho, par hai to vo neha didi ki beti hi na..to tumne unke sath rishta kaise bana liya..? aur diksha to choti bahan hai tumhari…kya tumne teeno se shadi ki hai…? Kya ye paap nahi hai…?

Sandhya (mann me)—ye sahi mouka lag raha hai..ek bar phir koshish karti hu..sab ko bhadkane ki…

Sandhya (gussa)—aap sahi kahti ho mami…raj ne to meri maa ko bhi nahi chhoda, meera mousi ko bhi nahi…unki to chhodo apni sagi bahan ruchi didi ko bhi apne pyar ke jaal me phansa liya…isme inn logo ki kya galti hai..? raj ke paas shaktiya jo hain, apni shaktiyo se usne vash me kar liya sab ko, bechari kya kar sakti thi…raj ne apni hawash bujhane ke liye ye sab kiya hai..

Maine dekha ki kisi ne sandhya ki baat ka virodh nahi kiya…divya kuch bolne wali thi lekin maine ishare se use rok diya..baki sab apna sir jhukaye baithi rahi..na to virodh kiya aur na hi kuch bola kisi ne..

Raj—main sab ke sawalo ke jawab dunga lekin payal didi ke hosh me aane ke baad….uske baad jo faisla aap sabhi ka hoga, vo mujhe manzur hoga….

Main vaha se uth kar bahar nikal kar payal didi ke paas gaya jaha maa aur saloni baithi huyi thi..payal didi abhi bhi behosh hi padi thi..kuch der tak unke chehre ko dekhte rahne ke baad main bahar aa gaya..mera mann kuch vyathit sa ho raha tha to main mahal ke bahar bane upvan me ek ekant jagah par aa kar baith gaya.

Na jane kitni der tak main vaha jad chetan bana akela baitha raha…jab kisi ne piche se mere kandhe par hath rakh kar awaz di tab meri chetna bhang huyi aur main punah iss chetna may sansar me vapis lout aaya…ye priyadarshini thi jo mujhe dhoondte huye yaha tak aa pahuchi thi.

Priyadarshini—saajan, yaha baith kar ekant me kya kar rahe ho…? Maine kaha kaha nahi dhoonda aapko mahal me…?

Raj—kyo... ? tumhe bhi kuch kahna hai kya ab... ? bol do, tum kyo piche raho..

Priyadarshini (tadap kar)—mujhe kshama kar do saajan..mujhse bhul ho gayi thi..main aap ko samajh hi nahi payi thi.. kintu mera vishwash karo, mere prem me koi khot nahi hai..bas kuch der ke liye sahi raste se bhatak gayi thi..

Raj—tum ek dev kanya ho priya darshini…tum chahti to sach janna tumhare liye choti si baat thi aur bakiyo ko bhi gumrah hone se bacha sakti thi..

Priyadarshini (nam ankhe)—main to khud hi gumrah ho gayi thi..mujhe kshama kar do saajan..maa gouri ne meri ankhe khol di hain…ab bhavishya me main aisi galti nahi karungi saajan..

Raj—ohhh..to iska matlab ki tumhari ankhe maa gouri ne kholi hain, tumhare prem ne nahi..yahi na..? phir tum ye kaise kah sakti ho ki bhavishya me aisi galti nahi hogi…?

Priyadarshini (nam ankhe)—mujhe kshama kar do saajan…main tumhare bina nahi jee sakti…tum mere rom rom me sama chuke ho…mere prem par sandeh mat karo saajan…mat karo..

Raj—mera khyal hai priyadarshini ki tumhe swarg lok lout jana chahiye…warna vaha sabhi ko pata chal jayega ki tum yaha ho..? aur ye na to tumhare hit me hoga aur na hi kisi ke…

Priyadarshini (bhigi palke)—to kya ab tum mujhe swikar nahi karoge…?

Raj—meri juban patthar ki lakir hai priyadarshini…ek bar vachan dene ke baad main apni laabh aur haani ke bare me nahi sochta…sirf apne vachan palan par dhyan deta hu..phir chahe anzam kuch bhi ho…tumhara prem to main pahle hi swikar kar chuka hu isliye ab aswikar karne ka sawal hi paida nahi hota…

Priyadarshini (sisakte huye)—vaha pita shree mera swayamvar karne wale hain…bahut hi jaldi..

Raj—agar tumhe apne prem par aur mujh par vishwash hai to chinta kyo karti ho…? Saajan swayamvar me jarur ayega.. lekin tab tak tumhe apne prem ki pariksha se gujarna hoga..vahi swarg lok me rah kar…

Priyadarshini (nam ankhe)—theek hai, main tumhe paane ke liye har pariksha se gujarne ko taiyar hu…agar tum chahte ho ki main swarg lok lout jaau to main aaj hi lout jaungi…lekin ab tum Mahal lout chalo..shayad aap bhul rahe hain ki aaj aap ki suhag raat hai..janhavi aap ka suhag sez par intazar kar rahi hai…

Raj—abhi se intazar kyo kar rahi hai..? abhi to bahut samay hai..

"Abhi Suraj Nahi Dooba, Jara Si Shaam To Hone Do,
Main Khud Lout Jaunga, Mujhe Nakaam To Hone Do,
Mujhe Badnam Karne Ka Bahana Dhoondte Ho Kyo..?
Main Khud Ho Jaunga Badnam, Pahle Naam To Hone Do."
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 306

Raj—abhi se intazar kyo kar rahi hai..? abhi to bahut samay hai..

"Abhi Suraj Nahi Dooba, Jara Si Shaam To Hone Do,
Main Khud Lout Jaunga, Mujhe Nakaam To Hone Do,
Mujhe Badnam Karne Ka Bahana Dhoondte Ho Kyo..?
Main Khud Ho Jaunga Badnam, Pahle Naam To Hone Do."

Ab aage……

Priyadarshini—payal kabhi bhi hosh me aa sakti hai…agar tum uske paas na huye to vah phir koi nayi musibat khadi kar sakti hai.

Raj—payal didi ki chinta mat karo…unko sambhalna mujhe aata hai…

Priyadarshini (dhire se)—to payal ki tarah mujhe bhi sambhal lo saajan..

Raj—tum dev kanya jo…tumhe to dusro ke liye misaal banni chahiye…khair, chalo chalte hain..

Main priyadarshini ke sath mahal vapis lout aaya…aur sidha payal didi ke room me chala gaya jaha divya bhi baithi huyi thi.. didi ko hosh aa chuka tha..vo mujhe dekhne ke liye uthne hi wali thi ki tabhi unke paas divya aa gayi aur usne didi ko vahi rok liya… mujhe dekhte hi vo bistar se uthne lagi to maine pakad kar unko bitha diya.

Raj—waow..to aap ko hosh aa gaya…kaisi hai tabiyat ab aap ki…?

Payal—maine kaha tha na ki mujhe chhod kar kahi mat jana…phir kyo gaye tum…?

Raj—didi, main ab ek raja bhi hu..

Payal (chounk kar)—kyaaa…tera rajyabhishek ho gaya…? Aur tune mujhe uthaya tak nahi….?

Divya—didi, rajyabhishek hi nahi sath me shadi bhi ho gayi....

Payal (shocked)—tune shadi bhi kar li, par kisse….? Kahi uss kutiya se to nahi…?

Raj—didi, aisa nahi bolte…janhavi ab meri patni hai..

Payal (gusse me)—itna sab kuch ho gaya aur kisi ne mujhe bataya nahi...tune bhi nahi uthaya mujhe... ?

Raj—didi, aap behosh thi..

Payal (gusse se)—behosh thi to tum to mujhe phir bhi hosh me la sakte the…?

Raj—didi, shaktiyo ka duruprayog main nahi kar sakta..

Payal—agar main marr jati tab bhi nahi karta…?

Raj (ankhe band kar ke)—haan, tab bhi nahi karta..lekin aap aisa sochti hi kyo ho….?

Payal—tune uss ladki se shadi karne se pahle ye bhi nahi socha ki usne teri bhalayi ke badle me tujhe thappad mara tha…? Bhul gaya..lekin main nahi bhuli…kuch bhi…main use nahi chhodungi…

Raj—didi, janhavi to mere liye ek tarah se anjan hi thi…lekin aap to mujhe bachpan se janti hain..mere sabse jyada karib rahi hain…aur phir aapne bhi to thappad mara tha na….agar aapke itne karib rahne ke baad aap ko mujh par vishwash nahi aaya to phir to janhavi mere baare me kuch janti hi nahi..usne agar thappad maar diya to uski kitni galti hai isme…?

Payal (sisakte huye)—samajh gayi..tune mujhe maaf nahi kiya na abhi tak…? Isliye hi tune mujhe nahi uthaya…

Raj (baho me le kar)—didi, aap ko mujhe daantne aur maarne ka poora haq hai…yaha baat thappad maarne ki nahi balki vishwash ki ho rahi hai…aap khud hi socho aur dekho ki jyada galti kis ki hai…?

Payal (rote huye)—to mujhe jo chahe saza de de rajj..lekin pls mujhse aise naraz mat ho…agar tum hi mujhse ruth jaoge to main jee kar kya karungi….? Meri saanse to chalti hi tujhe dekh kar hain..aur maine to saza bhi de di hai apne hath ko jisne tujhe maarne ki himakat ki thi..

Raj—ye aap ki dusri galti hai didi…aap ko lagta hoga ki apna hath jakhmi kar ke aapne khud ko saza di hai lekin asal me aapne ye kar ke jakhmi to mujhe kar diya hai…jakhm aap ke hath par laga gai lekin aapke iss jakhm ka dard yaha mere seene me ho raha hai….antar sirf itna hai ki aap ki chot dikhayi de rahi hai lekin mera dard nahi dikhayi de raha….aapne ye kaise soch liya ki aap khud ko chot pahuchaogi to ,ujhe khushi milegi…? Nahi didi, nahi..aap ki iss harkat se mujhe bahut taklif huyi hai..

Payal (seene se lag kar)—mujhe maaf kar de rajj....mujhse sach me bahut badi galti ho gayi.…lekin main karti bhi to kya karti.. mere samne tujhe har kisi ne thappad maara aur main dekhti rah gayi….ye baat mujhse bardast nahi ho rahi thi ki mere hote huye kisi ne tujh par hath kaise utha diya aur maine uthane kaise diya…? Unke hath kaat kyo nahi diye maine ussi samay…?

Raj—didi, jaise aap ko mujh par vishwash nahi aaya theek vaise hi unke sath bhi tha..chalo chhodo ab iss baat ko..

Payal—tune maaf nahi kiya mujhe to ,mera kya hoga…?

Raj—main bhala aapse kaise naraz ho sakta hu didi…lekin ab dubara aisi harkat mat karna warna kabhi aapse baat nahi karunga.

Payal (mushkura kar)—tera muh tod dungi baat nahi karega mujhse to..

Raj—muh baad me todna…par pahle mere raja banne par mera muh to mitha kara do…

Ye sunte hi payal didi mushkurate huye mere hotho ko chumne lagi…jab unka mann bhar gaya tab ja kar vo shant huyi..maine divya ko pakad kar apni taarf khichna chaha lekin vo chhitak kar door khadi ho gayi.

Divta (angutha dikhate huye)—na ji na..ye chalaki mere sath nahi chalegi..samjhe mere bhole saajan ji…jaiye apni nayi naveli dulhan ke paas jo aap ka intazar kar rahi hogi..

Raj—mere pyar ka yahi sila hai…?

Divya—ye to shararat hai..

"Tere Pyar Ka Sila Har Haal Me Denge,
Khuda Bhi Maange Ye Dil, To Taal Denge,
Agar Dil Ne Kaha Ki Tum Bewafa Ho,
To Iss Dil Ko Bhi Seene Se Nikaal Denge."

Raj—uuuummmmm

Divya—bas,,,bas..pahle shadi..baad me ye sab…aaj ye sab apni janhavi ke sath karna..jee bhar ke…hihihihi

Payal (udas)—to kya tu aaj bhi mere paas nahi soyega…?

Raj—main aa jaunga..don’t worry..

Payal—rajj, ek baat puchu…?

Raj—didi, aapko mujhse kuch puchne ke liye meri izajat ki jarurat kab se padne lagi…?

Payal—darti hu ki kahi kuch galat na puch baithu aur tu naraz ho jaye…?

Raj—aisa kuch nahi hai…pucho..kya puchna hai…?

Payal—vo jo bhi kal raat maine dekha, vo sab kya tha…? Mujhe to abhi tak yakin nahi aa raha hai..ki mera raj kuch aisa bhi kar sakta hai…? Ankhe kuch aur kahti hain aur mera dil kuch aur kahta hai…

Raj—kyaa kahte hain dono…?

Payal (dhire se)—ankho ne jo dekha, vo unhe sach lag raha hai lekin mera dil iss baat ko maanne ko taiyar hi nahi hai..kuch samajh me hi nahi aa raha hai…main uss samay apne dil ki awaz aur ankho dekhi baat ke beech me hi uljhi huyi thi ki tabhi sabne tere upar hath saaf kar liya…mujhe maaf kar dena rajj..I’m very very sorry….

Raj—kitni bar maafi magogi didi aap…aap mujhse badi ho, aapne ek maa ki tarah meri dekh bhal ki hai…mujhe har khatre se bachaya hai…aap mere aage hath jodo, ye mujhe achcha nahi lagta..jo hua, use bhul jao didi..

Payal—maa ki tarah dekh bhaal jarur ki lekin ek achchi maa to nahi ban payi na main raj…sab ka tujhe thappad maarna main nahi bhul sakti rajj…nahi bhul sakti..

Raj—theek hai..thodi der me bataunga…abhi chalo khana khate hain..

Main payal didi ko utha kar bhojan kaksh me aa gaya jaha pahle se hi sabhi log baithe huye the…aur shayad mera hi intazar kar rahe the bhojan ke liye.

Raj—veer, mahal me jo bhi mehman ruke huye hain, unhone khana kha liya…?

Veer—haan, vo sab free ho chuke hain..

Mrinal—ye farri (free) kya hota hai…?

Veer—tera sir..

Mrinal—main abhi tera sir phod dungi....to tu bhi farri ho jayega..

Veer—tujhe pata hai raj, ye chudail sab ko khana paroste huye aadha beech raste me hi khud hi kha jati thi.... aur ek bechare ka to gala hi daba diya tha isne..aur gala dabane ke baad upar se bolti hai ki khao na, kha kyo nahi rahe ho kuch bhi...ab tum hi batao, jab isne uss bechare ka gala itni jor se daba rakha hai to vah kaise khayega... ?

Mrinal—haan to..saajan ne hi to kaha tha ki daba daba ke khana chahiye...vo daba ke nahi kha raha tha isliye mujhe dabana pada..

Veer aur mrinal ki nok jhok chalti rahi..aur sabhi haste huye khana khane me lag gaye…payal didi ko maine khud apne hath se khilaya…khana khane ke baad sabhi mere hi room (payal didi ka kamra) me aa gayi jinhe maine hi bulaya tha.

Mamta—raj, yaha kyo bulaya hum sab ko... ?

Raj—maa, inn sab ko mujhse kuch kahna tha isliye…haan, to jise jo kahna hai, vo bari bari se bol sakti hain apni baate..mami aap kuch bol rahi thi uss samay..

Roopaly—raj, maine jo kuch tumhe galat kaha uske liye mafi chahti hu.. lekin mujhe ek baat samajh me nahi aayi ki ye jante bhi ki neha didi tumhari chachi hain, aur paridhi tumhari bahan, bhale hi tumne dubara use naya jeevan diya ho, par hai to vo neha didi ki beti hi na..to tumne unke sath rishta kaise bana liya..? aur diksha to choti bahan hai tumhari…kya tumne teeno se shadi ki hai…? Kya ye paap nahi hai…? Kajal aur meera tumhari bua hain..ab tumhi batao..kya jo bhi hua, ye sahi hai…?

Sandhya (mann me)—ye sahi mouka lag raha hai..ek bar phir koshish karti hu..sab ko bhadkane ki…

Sandhya (gussa)—aap sahi kahti ho mami…raj ne to meri maa ko bhi nahi chhoda, meera mousi ko bhi nahi…unki to chhodo apni sagi bahan ruchi didi ko bhi apne pyar ke jaal me phansa liya…isme inn logo ki kya galti hai..? raj ke paas shaktiya jo hain, apni shaktiyo se usne vash me kar liya sab ko, bechari kya kar sakti thi…raj ne apni hawash bujhane ke liye ye sab kiya hai..

“Chataaakkkkk….chatttaaakkk.” sandhya apni baat poori kar bhi nahi payi thi ki uske gaalo par jhannatedar thappad pad gaya.. tamacha itni jor se pada ki sandhya ekdam se gir gayi.

Ye thappad kisi aur ne nahi balki mere bagal me baithi payal didi ne lagaya tha…jo ki sandhya ki baat sunte hi ghayal nagin ki bhanti gusse se tilmila uthi thi..unhone apne chotil hath se hi ye thappad lagaya tha jisse unka jakhm phir se taza ho gaya aur usme se khoon bahne laga…ye dekh kar maine jaldi se uth kar payal didi ko pakad liya....jawab divya bhi dene wali thi lekin maine use ishare se mana kar diya...kyon ki main ye janta tha ki agar divya ne sandhya ke upar hath utha diya to mamla behad khatarnak ho jayega, sandhya (pari) to vaise bhi divya ko apna sabse bada dushman samajhti hai.

Payal (gusse me)—rajjj, chhod mujhe...main isko jaan se maar dungi...ruk abhi batati hu tujhe...(charo taraf dekhte huye)..meri kulhadi kaha gayi... ? kaat ke rakh dungi..rajj chhod...bar bar ka majaak bana liya hai...ek bar meri laparwahi me maar liya to .. aur mami kya kaha tumne.. ? (jor se)..bolti kyo nahii..kya kaha abhiiii tumne.... ? sab log kaan khol kar sun lo...main rajj se pyar karti hu...aur shadi bhi usse hi karungi...phir chahe ye paap ho ya punya..mujhe koi fark nahi padta..samajh gayii tum...main ye baat sab ke samne seena thok kar bol rahi hu...jisse jo karte bane kar le...aur haan, agar kisi ne bhi raj ke upar hath uthaya to kaat ke phenk dungi..chahe vo jo bhi ho...

Mamta—payal..ye kya badatmizi hai... ?

Payal—maaa..aap beech me mat bolo….kyaa aap nahi janti ki kal kya hua tha…?

Mamta—koi kuch nahi bolega….kal ka jawab main dungi..jo sabne kal dekha vo ho hi nahi sakta..vo sab jhuth hai..

Mitaly—didi, aap aise kaise bol rahi ho..? mana ki hamne raj par hath utha kar galat kiya lekin isse sach to nahi badal jayega na..

Mamta—kis sach ki baat kar rahi ho mitaly tum…? Jabki kal raat me main aur raj mahal me the hi nahi..hum unn mahatma ji ke paas gaye the, mahal me aa kar rajyabhishek me shamil hone ki vinti le kar…yakin nahi ho to veer se puch lo..veer bhi hamare sath tha…phir vo sach kaise ho sakta hai jo tum sab bata rahi ho…?

Mamta ki baat se sabhi sakte me aa gaye…sab hairani se ek dusre ka muh dekhne lagi…tabhi veer ne bhi mamta ki baat ka samarthan kiya…

Veer—maa sahi bol rahi hai..jo bhi tumne dekha vo sab ankho ka ek dhokha tha…iss mahal me bhatak rahi aatmao ka mayajaal. Jise dekh kar aap sab sach samajh baithe..aur raj ke upar aarop lagane lage..itna jaldi bharosa uth gaya..sab ka…?

Sab (shocked)—kyaaaaaa…mayajaalll…!

Veer aur mamta ki baat sun kar sabhi apne kiye par sharminda ho gayi…aur mann hi mann pachtane lagi..sabhi ki ankho se pashchatap ke anshu bahne lage the…sabse jyada pachtava paridhi ko ho raha tha…

Paridhi (mann me)—ye maine kaisi galti kar di…? Ab kaise mafi maangu raj se…?

Geeta—bhabhi, hum apne kiye par sharminda hain..lekin rupaly didi ka sawal to ab bhi apni jagah hi hai...uska kya jawab dengi aap.. ? kya vo bhi aap ki nazar me sahi hai... ? ruchi, payal, divya to raj ki sagi bahne ahin..kya sagi bahan ke sath shadi karna gunah nahi hai... ? sandhya ne koun sa galat kah diya..theek hi to kaha usne...

Mamta—nahi, jo galat hai use main sahi kaise kah sakti hu lekin shayad bhagya me yahi likha ho to koun mita sakta hai..

Paridhi (rote huye)—rajj, mujhe maaf kar do..mujhse bahut badi galti ho gayi...

Raj—aur kisi ko kuch kahna hai... ? jisko bhi jo kahna hai, aaj kah do...

Rupaly—jo maine pucha vahi sab ka bhi sawal hai... ? hamari bhi jawan betiya hain..hum nahi chahte ki jo ruchi, payal, divya, diksha, paridhi, neha, meera, avni, aur kajal ke sath hua..vo hamari betiyo aur hamare sath bhi ho...isliye hame hamare ghar jane ka intazam karwa do bas..hame kuch nahi chahiye..

Divya—agar aap ka aur sandhya didi ka sawal aap sabhi ka bhi hai to uska jawab main deti hu...lekin main koi jawab du aap ki baat ka, usse pahle mujhe aap sabse apne ek sawal ka jawab chahiye..

Madhu—kaisa sawal... ?

Rupaly—pucho...

Divya—aapne meri baat ki to mami aap ko achchi tarah se pata hoga ki mujhe bachpan se hi saajan ke sapne aate the..aapne yaha aa kar bhi dekh liya ki mera aur saajan ka sath na jane kitne janmo se hai..main kitne janmo se usse pyar karti aa rahi hu, main khud bhi nahi janti...aur aap sab ko ye bhi pata hai ki payal didi, sandhya didi, chanchal didi aur paridhi bhi pichle kayi janam se saajan ki hi patniya thi...phir aap ko isme saajan ki galti kyo nazar aayi... ? sabut yaha ki janta hai..ja kar puch leti kisi se bhi..mere baare me pata chal jata...

Divya—aap ne abhi kaha na mami ki aap ki jawan betiya hain...to mujhe aur apni betiyo ko kripya ye batane ka kasht karengi ki aap sabne ye betiya paida kaise ki... ? aur sath me ye bataye ki maa banne ke bavjud aaj bhi aap sabhi kuwari ho ya nahi... ? kya aaj tak aap me se kisi ke husbands ne kabhi kuch kiya hai aap ke sath... ? mujhe aap sab ka jawab chahiye...turant..phir main aap ke sawal ka jawab dungi...aur ye vada karti hu ki mere jawab ke turant baad hi aap sab ko sakushal aap ke ghar pahucha diya jayega..

Payal (gusse me)—itna hi nahi gudiya, inn sabhi ka aaj ke baad raj se koi lena dena nahi rahega...aur na hi ye raj se koi matlab rakhengi...

Divya—jawab do...mami..aur baki sab bhi..

Divya ki baat sunne ke baad sabhi hadbada kar rah gayi...yaha tak ki khud maa bhi...jabki unn sab ko aise chup dekh kar unki betiyo ke mann me kayi tarah ke sawal paida ho gaye...

Roopaly (shocked, mann me)—ye baat mahak ko kaise malum huyi ki main kuwari hu do do beti ki maa banne ke baad bhi... ? mahak ko kaise pata chala ki main kuwari hu…? Jarur isne mujhe sab ki nazro me girane ke liye hi ye pucha hai sabke samne..

Geeta (shocked, mann me)—kya jawab du iski baat ka…? Kaise kahu ki pati ka sukh kya hota hai, ye to maine aaj tak jana hi nahi… vo to mujhe suhag raat ke din hath lagate hi namard abn gaye the turant…agar ye bataya to hamari bahut badnami hogi.. lekin ye sab mere baare me gudiya ko kaise pata chala…?

Theek sab sawal mamta, kajal, meera, madhu, sunita, nani, vidhya..ya phir jitni bhi vaha thi, sabke mann me koundh rahe the.. parantu sabhi divya ki baat ka jawab dene se hichkicha rahi thi…batati bhi to akhir kaise…?

Kiran—mummy aap chup kyo ho... ? jawab kyo nahi de rahi…?

Pooja—haan mummy bolo...mahak ki baat ka jawab do...kya hum dono aap ki betiya nahi hain... ?

Roopaly (turant)—nahi..nahi beti aisa mat bol..tum dono meri hi beti ho...maine hi tumhe paida kiya hai..main hi tum dono ki maa hu..

Kavita—aap bhi to kuch bolo mummy..mahak ne itni badi baat kah di, phir bhi aap chup ho... ?

Geeta—tum meri hi beti ho..mere khyal se itna kafi jawab hai..

Divya—maine to ye pucha hi nahi mami ki ye aap ki beti hain ya nahi..to phir ye mere sawal ka jawab kaise hua…? Ya phir shayad aap mera sawal theek se sun nahi payi..? koi baat nahi, main phir se apna sawal dohra deti hu..mera sawal tha ki..’aap me se kisi ke bhi husbands ne aap ke sath kabhi sex kiya hai…? Kya aaj aur abhi iss waqt kuwari hain…? Aur yadi kuwari hain to aapne apni betiyo ko paida kaise kiya…? Mera ye sawal sabhi se hai..maa aap se bhi…aap ka bhi mujhe jawab chahiye..

Roopaly—didi, dekh rahi ho ki aap ki ladli beti mahak hamse kaisa behuda sawal puch rahi hai…? Aap ise kuch bolti kyo nahi..?

Raj—aap sab ko mere samne jawab dene me dikkat ho rahi hogi…maa, main payal didi ko le kar room me ja raha hu,,vaise bhi unke hath se khoon bah raha hai to mujhe patti karni hai…saloni chalo..jab aap sab ke sawal jawab ho jaye to bata dena, main aa jaunga…

Main payal didi ko le kar room me aa gaya…mere piche piche veer aur saloni bhi aa gayi…maine payal didi ko apne seene se chipka liya, aur saloni unke hath ki dressing karne lagi..veer abhi shocked ho ke khada tha.,..jab koi divya ki baat ka jawab dene ko taiyar nahi huyi to akhir mamta ne hi bolne ki shuruwat ki.

Mamta (sir jhukaye)—kya bolu bhabhi…? Akhir mahak ki sab baate hain to sahi hi…maine to shadi ke baad bhi pati ka sukh jana hi nahi..maa jarur ban gayi lekin aaj bhi kuwari hi hu..aur ye baat to kajal didi bhi janti hain kyon ki vo bhi sandhya ke janam ke baad kuwari hi thi.

Sab (shocked)—kyaaaa….?

Ruchi (hairan)—ye kya bol rahi ho maa…?

Meera—bhabhi, ye kaise paglo jaisi baate kar rahi ho…? Ye kaise ho sakta hai…? Aur agar ye sach hai to aap char char bachcho ki maa kaise ban gayi…?

Ruchi (shocked)—iska matlab ki aap hamari asli maa nahi ho…?

Kajal—nahi ruchi, mamta bhabhi hi tumhari maa hain..

Mitaly (shocked)—lekin didi, ye kaise ho sakta hai…ye ladki jo aaj tak aurat hi na bani ho, vo kisi ki maa kaise ho sakti hai…?

Divya—aap apna batao chachi..aap ki bhi to shadi ho chuki hai…aap kitni bar chacha ke sath hum bistar huyi hain aaj tak…? Kya aap shadi ke baad aurat bani…?

Mitaly (mann me)—kyo mere dard ko aur badha rahi hai gudiya…tere namard chacha se shadi kar ke meri to taqdir bhi phoot gayi hai..mujhe aurat banana to door tera chacha mujhe hath tak nahi laga paya kabhi..

Mamta—mitaly, main kuwari jarur hu..lekin ek maa bhi hu…ruchi ke papa to mujhe hath lagate hi pahli raat ko hi napunsak ban gaye the..janna chahti hai to sun..(phir mamta ne uske bachche kaise paida huye, ye bata diya)..

Mamta ki baat sun kar neha, roopaly, kajal, geeta, rajeshwari, sabhi chounk gayi…kyon ki vo bhi to aise hi tarike se maa bani thi.. mamta ke jawab ne sabhi ko shabd vimukh kar diya tha.

Geeta (shocked)—kyaaa…? aisa hi to mere sath hua sab…jo aap ke sath hua hai..maine bhi kavita ko aise hi janam diya hai..

Roopaly—maine bhi..

Neha—maine bhi..

Mitaly (dhire se)—main bhi kuwari hu aaj tak…

Meera—main bhi virgin hu..

Mamta (shocked)—kyaaa..tum sab bhi….kuwari ho….?

Mahaeani (janhavi ki maa)—main to khud hi kuwari hu…

Roopaly—lekin ye kaise ho sakta hai…? Ki hamare khandan ki sabhi ladies kuwari hain…aur unhone aaj tak sex nahi kiya apne pati ke sath…lagta hai jarur kisi ne hamare khandan par koi jadu vadu kiya hua hai..

Divya—isme itna pareshan hone ki baat nahi hai kisi ko…iska bhi hal hai..

Madhu—kya hal hai iss pareshani ka…?

Divya—iska hal hai saajan..

Sabhi (chounk kar)—saajan..‼ kya matlab….?

Divya—matlab ye ki kewal aap sab hi kuwari nahi ho balki aap ki jaisi laakho hain jo sadiyo se aaj tak kuwari hi hain aur iska hal sirf ek hi hai..aur vo hai saajan..

Meera (shocked)—kyaa aur bhi hamari hi jaisi dukhiyari hain..?

Madhu—ye kaisa rahasya hai..? aur saajan iska hal kaise hua... ?

Divya—mera sidha matlab ye hai ki saajan ke alawa aap sab ko na to koi hath laga sakta hai aur na hi aap ke sath koi sex kar sakta hai…aur iska sabut hain kajal bua, neha chachi, paridhi didi, diksha, avni didi..jinke sath saajan hum bistar ho chuka hai..

Roopaly (shocked)—tum kahna kya chahti ho…?

Divya—yahi ki jis naat ke liye aap mere saajan ko galat aur hawashi bol rahi thi, haqiqat me vo paap hote huye bhi saajan ka dharm tha….ya phir ye samajh lo ki niyati ka lekh tha..

Sunita—tumhari maa bhi to kuwari hai…

Divya—maine sabhi ke liye kaha hai…yahi baat meri maa par bhi lagu hoti hai…unke sath bhi saajan ke alawa dusra koi sex nahi kar sakta aur na hi kisi ang ko dekh sakta hai…ye abhi se nahi balki kayi janmo se chala aa raha shrap hai..

Meera (shocked)—kyaaaa…shrapp..kaisa shrappp…?

Mamta (tension)—lagta hai ki gurudev aur sadhvi pari ne theek hi kaha tha…?

Neha—didi, aapne aaj tak hame bataya nahi ki gurudev ne kya kaha tha aap ko aur kajal didi ko alag room me le ja kar.. ?

Kajal—baat tab ki hai jab raj aur sandhya ke janam ke baad dono ka naam karan ho raha tha..dono ka naam karan karte samay gurudev bahut pareshan the…unke chehre par chinta ki lakire dekh kar hamari bhi tension badhne lagi thi…hamne pucha bhi to gurudev ne hame kuch nahi bataya..sidhe ek kamre me ja kar dhyan me baith gaye…

Kajal—dhyan se uthne ke kuch der baad unhone mujhe aur mamta bhabhi ko bhitar bulaya ..hum jab andar gaye tab bhi vo kuch pareshan lag rahe the jisse hame bahut tension hone lagi thi.

Mamta—gurudev, aap bahut pareshan lag rahe hain...koi tension ki baat to nahi hai... ? mera mann bahut ghabra raha hai.. mujhe bataiye gurudev, mere bete ke upar koi sankat to nahi hai na... ?

Kajal (tension)—haan, gurudev..jaldi bataiye…nahi to hum dono to iss tension me hi mar jayengi..

Gurudev (kuch soch kar)—beti, jo baat main kahne ja raha hu, use dhyan se suno….
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 226
5th Janam Ki Love Story Continues...

Tabhi ek bar phir se vahi madhur awaz kamre me goonj uthi..

"Mera Dard Bhi Tum, Meri Dawa Bhi Tum,

Meri Ibadat Bhi Tum, Mera Khuda Bhi Tum,

Maine Chaha Bhi Tumko Aur Paya Bhi Nahi,

Mere Sath Bhi Tum Aur Mujhse Juda Bhi Tum."

Vahi dusri taraf ashram me divya ka mann aaj bahut vyakul ho raha tha…kshan kshan badhti uski ye vyakulta uske dil me tarah tarah ki ashankaye vyapt kar rahi thi…hriday me bechaini nirantar badhti hi ja rahi thi..

Ab aage......

Divya bechaini se karwat badal rahi thi..neend thi ki aane ka naam hi nahi le rahi thi...hriday me barambar saajan ki chhavi ubhar rahi thi..uska mann abhi issi waqt saajan ki ek jhalak paane ke liye vyakul ho raha tha.

Divya (mann me)—aaj hi to mili saajan se phir bhi mera mann usko dekhne ke liye itna vyakul kyo ho raha hai... ? kyo mere hriday me ek anjana sa darr gahrata ja raha hai..kahi saajan kisi musibat me to nahi hai... ? kahi vo uss manhoos jungle me to nahi chale gaye... ? hey eshwar.. ! mere saajan ki raksha karna..

Divya raat bhar baithe baithe upar wale se saajan ki salamati ke liye prarthana karti rahi....vahi dusri taraf uss mahal me dubara kisi ki awaz sun kar main hairan tha.

Jitu—dekho, tum jo koi bhi ho..samne aao...akhir mujhe yaha laane ke piche tumhara maqsad kya hai....koun ho tum... ?

"Kya ab bhi tumne apni pari ko nahi pahchana... ? Itna jaldi bhul gaye saajan mujhe... main tumhe kab se bula rahi thi.. akhir aaj tumhe mere paas aana hi pada saajan....?" dubara awaz aayi.

Ji haan, ye awaz kisi aur ki nahi balki pari ki thi, vahi pari jisne iss kahani ki neev daali..vahi pari jo saajan se be-intaha mohabaat karti hai to utni shiddat se nafrat bhi .

Jitu (hairan)—Pari.. ! koun pari.. ? dekho main jab kisi pari ko janta hi nahi to use bhulne ka sawal hi paida nahi hota.. aur mera naam saajan nahi hai..mera naam jitendra singh hai..log pyar se mujhe jitu kahte hain..

“Naam badal gaye…janam badal gaye..jagah badal gayi yaha tak ki tum bhi badal gaye lekin agar kuch nahi badla to vo thi sirf pari jo aaj bhi tumhara intazar unti hi shiddat se aaj bhi karti hai jitni shiddat se pahle karti thi..sadiya gujar gayi lekin na to pari ka pyar badla aur na hi nafrat kam huyi..” pari ne adrishya avastha me hi kaha.

Jitu uski baate sun kar hairan tha..kyon ki vo apne liye ye saajan naam ka sambodhan pichle kayi din se sunta aa raha tha..lekin use kuch bhi dhyan nahi tha..vo to ye bhi nahi samajh pa raha tha ki log usko saajan kyo kah rahe hain…?

Jitu (shocked)—nafrat..! kaisi nafrat..? main to tumhe janta tak nahi, phir nafrat kis baat ki…? Tumhari baate meri to samajh me hi nahi aa rahi hain…aur tum samne kyo nahi aa rahi….?

“Apne saajan ka hukum kaise taal sakti hu.” Pari ne kaha.

Aur phir uske baad vaha kamre me dhire dhire ek akriti ubharne lagi jaise hi uss akriti ka chehra saaf hua to use dekhte hi jitu chounk gaya….kyon ki uske samne youvan se bharpoor ek asim roop sundari khadi thi…jitu ki nazar jaise vahi uske chehre par hi thahar kar rah gayi.

Jitu (shocked)—tumm..to…vahi..ho…jo mujhe mere sapno me dikhayi deti thi…aur..aur..bahut dard bhari baate kiya karti thi…‼ lekin ye kaise ho sakta hai….? Ek sapna haqiqat ka roop kaise le sakta hai…?

Pari—chalo shukra hai..tumhe kuch to yaad aaya..mere mehboob…haan, vo main hi thi..jo tumhare sapno me aa kar tumhe bulati thi..timhare samne gidgidati thi..aur aaj mera dard tumhe mere paas khich hi laya saajan..

Jitu (hairan)—tum mujhse kya chahti ho…? Kya dard hai tumhe…? Main to yaha apne rajya se gayab huye logo ki talash me aaya tha ki iss tilism me phans gaya…kya unn sab ko kya tumne hi gayab kiya tha…? Main yaha kaise pahucha…? Aur mere sath jo ladki thi, vo kaha hai…? Dekho, use kuch mat karna…

Pari (mushkurate huye)—kyo mohabbat ho gayi hai usse…?

Jitu—nahi..lekin vo ladki mujh par vishwash kar ke mere sath aayi thi…isliye uski hifazat karna mera farz hai…

Pari (dard)—ohhh..to usse pyar nahi karte tum…sirf usse khel rahe ho…dhokha dena ye to tumhari purani adat hai…khubsurat aur bholi bhali ladkiyo ki bhavnao se, unke jism se aur unke dil se khelna aur phir jab mann bhar jaye to kachra samajh ke utha ke bahar phenk dena..hai na saajan…?

Jitu—ye kya kuch bhi bakwas kiye ja rahi ho tum…? Maine kisi ko dhokha nahi diya...aur na hi kabhi kisi ki bhavnao se khela hai…samjhi tum…jarur tumhe galat fahmi huyi hai…mere sawalo ka jawab dene ki bajaye mujh par hi mithya aarop lagane lag gayi…

Pari (tezi se)—door jane ki jarurat nahi saajan, tumhare dkokhebaziki shikar huyi ladki ka sabse bada udaharan to tumhare samne hi hai saajan…haan, saajan..main khud, pari tumhare dhokhbazi ka shikar ho chuki hu… ( itna bolte bolte achanak pari ki awaz me itna dard, utar aaya ki uske dard ki dastan sun kar patthar ka seena bhi chhalni ho jaye, uska gala bhari ho gaya aur ankhe anshuo ki mala pirone lagi.?..jis pari ne tumhe apna sab kuch mana, apna eshwar, apna bhagwan, apna khuda..sab kuch mana, tumhari pooja karti rahi..vo bholi bhali bina maa ki ladki pari tumhe aur tumhare pyar ko hi apni duniya samajhne lagi…tum jo kah dete use vo apne bhagwan ki aagya samajh kar poora karti rahi, tumhare liye usne duniya aur samaaj ke banaye niymo ki bhi kabhi parwah nahi ki…tumhari bar baat par ankh band kar ke vishwash karti chali gayi..tumhara har adesh jaise uske liye bhagwan ke adesh se kam nahi tha…tum jaha bulate, jab bhi bulate..vo bechari tumhare prem me pagal bina kuch soche vaha tumhare kahe samay par pahuch jati…tum din ko kah dete ki ye raat hai to raat maan leti, agar tum kah dete ki ye suraj nahi chaand hai to vah use chaand maan leti….lekin tumhe to usse kabhi pyar tha hi nahi, tumhe to bas uska jism chahiye tha..uss bechari ne tumhe apna jism bhi bina kisi virodh ke sounp diya…phir jab tumhara mann usse bhar gaya to tumne usse apna muh mod liya..kyon ki tumhe dusri khubsurat ladki jo mil gayi thi divya…

Pari (rote huye jor se)—bolo saajan, kya kasoor tha mera…? Kya ye ki maine tumhe apne dil ki gahraiyo se bhi badh kar chaha..? ya phir ye ki main garib thi... ? ya phir ye ki maine tum par vishwash kar ke, tumhe apna bhagwan maan kar tumko apna koumarya, apna sab kuch sounp diya... ? akhir kya kami thi mere pyar me saajan jo tumne mujhe ped se toote patte ki tarah apne aap se alag kar diya... ? lekin yahi sila tha mere prem, mere vishwash ka... ? tum apne prem me mujhe chhalte rahe aur main chhali jati rahi..uss divya ke liye tumne mujhe chhod diya...maine phir bhi tumse koi shikayat nahi ki...na to mujhe tumhara raajpaat chahiye tha aur na hi mujhe maharani banne ka koi shouq tha...bas tumhare dil me thodi si jagah hi to chahti thi main...maine to divya ko bhi swikar kar liya tha tumhari khushi ki khatir...yaha tak ki main to tumhare paas mahal ki daasi ban kar rahne ko bhi taiyar thi...lekin tumne vo bhi gawara nahi tha...kitna royi, kitna gidgidayi main tumhare samne, tumhari poori praja ke samne.. lekin kisi ko mujh par taras nahi aaya...maine to ye bhi tumhe bataya ki main tumhare bachche ki maa banne wali hu....ulta tumne mujhe bhari darbar me be-izzat kar ke laat maar ke bahar nikal diya...mere pita jo ki tumhare guru bhi the, tumne unko bhi maar diya...itne me bhi tumhara dil nahi bhara to tumne mere pet me pal rahe apne bachche ko bhi maar diya....bolo saajan, kyo..akhir kyo... ? kya kasoor tha mera... ? tum ek bar to kah dete ki pari tumhari ye galti hai, tumhari kasam main apni vo galti sudhar leti aur agar nahi sudhar pati to kam se kam ye dard to mujhe nahi jhelna padta, mann me mere ye santosh to hota ki meri iss galti ki vajah se tumne mujhe swikar nahi kiya..lekin tumne to meri galti tak nahi batayi..

Pari (roti huyi)—aur tum kahte ho ki tumne kisi ko dhokha nahi diya... ? aur puchte ho ki main tumse nafrat kyo karti hu... ? haan, main tumse karti hu nafrat..bahut nafrat karti hu tumse main....iss baat ko sadiyo ho gaye..lekin mera dil aaj bhi uss dard me tadap raha hai...aaj taki main uss dard ko jhel rahi hu...sadiya par sadiya gujarti rahi..tum janam par janam lete rahe..aur main aise hi tumhare diye dard me tadapti rahi...tumhare pyar ki ek boond paane ki lalach me bhatakti rahi...ye soch kar ki shayad kabhi to tumhe mere pyar par taras ayega..kabhi to mere dard ko samjhoge...kabhi to mere sath insaaf karoge...kabhi to mujhe tumhara pyar milega...lekin nahi, har bar tumne mujhe dhokha diya...har bar tumne uss divya ke liye mere pyar ko thukra diya.....main nafrat karti hu tumse aur sabse jyada uss divyaaa se...maine to apni nafrat me tumhe maarne ki bhi koshish ki kayi bar..lekin maar nahi payi...tumhare paas jate hi mere hath kaampne lagte the...maarti bhi to kaise maarti..kaise maarti uss shakhs ko jisko maine apne dil me basa rakha tha, jo meri har saans me samaya hua tha...mere dil , meri aatma, meri rag rag me basa hua tha..jiske alawa maine kabhi kisi aur ke baare me kuch socha hi nahi...aur jisse main toot kar mohabbat karti thi.. to bhaa kaise maarti uss shakhs ko... ? tumne bhale hi mere sath pyar ka khel khela tha, lekin maine to sach me hi tumse mohabbat ki thi...phir bhala kaise maar deti apni mohabbat ko... ? lekin main aaj tak nahi samajh pa rahi hu ki akhir mujhme ya mere pyar me koun si kami rah gayi thi, jo saajan ne bina bataye hi mujhe chhod diya... ? kyo..akhir kyo..saajan..kyo... ?

Pari rote rote mere samne ghutno par baith gayi aur dono hatho se chehra chhupa kar fafak fafak kar rone lagi...uski aap beeti sun kar meri ankhe bhi ro padi...halanki mujhe aisa kuch yaad nahi tha jaisa ki pari mere baare me bata rahi thi..lekin phir bhi na jane kyo uske iss dard ne mere dil me pari ke liye ek lagaav sa paida kar diya tha.

Pari (anshu bahate)—bas tab se aaj tak main ussi dard me tadapte huye bhatak rahi hu...na to tumhe hasil hi kar pa rahi hu aur na hi tumhe bhul pa rahi hu...tumhari mohabbat aur nafrat ke beech phans kar rah gayi hu...na to mujhe tumhari mohabbat hi nasib huyi aur na hi main tumhe maarne ki himmat kar pa rahi hu...tum mujhe bhale hi bhul gaye hoge saajan lekin ye pari aaj bhi tumhe nahi bhuli..main aaj bhi kuch nahi bhuli hu..

“Kabhi Ro Ke Mushkuraye, Kabhi Mushkura Ke Roye,

Jab Bhi Teri Yaad Aayi, Tujhe Bhula Kar Roye,

Ek Tera Hi To Naam Tha, Jise Hazar Bar Likha,

Jitna Likh Ke Khush Huye, Usse Jyada Mita Ke Roye.”
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

(^%$^-1rs((7)
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 227
5th Janam Ki Love Story Continues....​

Pari (anshu bahate)—bas tab se aaj tak main ussi dard me tadapte huye bhatak rahi hu...na to tumhe hasil hi kar pa rahi hu aur na hi tumhe bhul pa rahi hu...tumhari mohabbat aur nafrat ke beech phans kar rah gayi hu...na to mujhe tumhari mohabbat hi nasib huyi aur na hi main tumhe maarne ki himmat kar pa rahi hu...tum mujhe bhale hi bhul gaye hoge saajan lekin ye pari aaj bhi tumhe nahi bhuli..main aaj bhi kuch nahi bhuli hu..

“Kabhi Ro Ke Mushkuraye, Kabhi Mushkura Ke Roye,

Jab Bhi Teri Yaad Aayi, Tujhe Bhula Kar Roye,

Ek Tera Hi To Naam Tha, Jise Hazar Bar Likha,

Jitna Likh Ke Khush Huye, Usse Jyada Mita Ke Roye.”​

Ab Aage…….

Mujhse uska dard dekha nahi gaya to main aage badh kar uske samne baith gaya..na jane kyo uska dard mujhe apna sa lag raha tha…? Jane kaisi kashish thi uski baato me, ki main barbas hi uski taraf akarshit hota ja raha tha.

Jitu (nam ankhe)—dekho pari, jaisa tum kah rahi ho vaisa mujhe to kuch yaad nahi hai..lekin phir bhi agar ye sach hai to main nishchit hi tumhara gunahgar hu…tum jo chaho mujhe saza de sakti ho..main tumhare samne apna ye sir saza ke liye prastut karta hu..

Pari—iss janam me mera saajan pahli bar mere paas aaya hai..bhala main iss khushi ke mouke par kaise saza de sakti hu…? Iss waqt to tumhare seene se lagne ki tamanna hai…mujhe apni baho me samet lo saajan..

Main uska aagrah thukra nahi saka aur usko kandhe se pakad kar khada kiya..khade hote hi vo mujhse amarnel ki tarah lipat gayi…pari ko seene se lagate hi ek chir parichit jana pahchana ehsaas mahsoos hone laga, jaisa ki main sach me hi usko janta hu. Na jane kitni der tak vo mujhse aise hi lipti rahi..phir anayas hi hamare hosh aapas me ek dusre ko akarshit karte huye aalingan baddh ho kar ek dusre ke adhro me khote chale gaye.

Pari ne iss adhar chumban me mera poora sath diya…jab tak uska dil nahi bhar gaya vo aise hi mujhse lipti chumti rahi, maine bhi usko nahi roka…kafi der baad usne apne hoth alag kiye.

Jitu—main to tumse saza ki guzarish kar raha tha..ye kaisi saza hai….?

Pari—maine kaha na ki abhi tum mujhe mile ho, abhi to mujhe jee bhar ke dekh lene do, Lekin waqt aane par saza bhi jarur dungi…philhal to tum bhojan karo, tum kafi thake huye aur bhukhe ho..

Jitu—mere sath ek ladki thi, vo kaha gayi…? Kahi vo kisi musibat me to nahi phans gayi ya phir Kahi use kisi ne maar to nahi diya…? Mujhe use dhoondna hoga…

Pari—uski chinta mat karo…vo yahi hain, dusre kamre me..(dhire me)..bhala main apne aap ko kaise maar sakti hu..chitra bhi to main hi hu..

Jitu—nahi, pahle mujhe batao vo kaha hai…? Vo mujh par vishwash kar ke mere sath jid kar ke aayi thi…uski suraksha meri jimmedari hai..

Pari (mushkura kar)—use kuch nahi hoga..aao khud hi dekh lo..

Pari mujhe apne sath dusre kamre me le gayi to main dekh kar dang rah gaya…kyon ki vaha ek aalishan bistar par baith kar chitra sundar kapde pahne huye ghapaghap khana thoonsne me lagi huyi thi aur vo bhi dono hath se…use sahi salamat dekh kar maine rahat ki saans li…tab tak uski nazar bhi hum par pad chuki thi.

Chitra—yuvraj..aao..aao..main aap ko hi dhoond rahi thi…phir socha ki thoda sa kha leti hu, phir dhoondna chalu karu to theek rahega…achcha hua aap khud hi aa gaye…aur ye aap ke sath me ladki koun hai….? Ye to bilkul meri jaisi dikhti hai..

Jitu—kuch nahi tum khao…main yahi hu..

Uske baad pari ne mere liye bhi bhojan vahi manga diya to maine bhi khaya..chitra to aise kha rahi thi jaise ki janam janam ki bhukhi ho..lekin samay kafi ho chuka tha to mujhe vapis loutne ki bhi chinta hone lagi thi.

Jitu—pari, kya tum mujhe bata sakti ho ki ye tilism kaisa hai aur yaha se bahar kaise nikla ja sakta hai….?

Pari—tum to jante ho saajan ki ek bar tilism me pravesh karne ke baad bina uss tilism ko tode usse bahar nikalna sambhav nahi hai…yaha ek nahi balki paanch tilism ki shrinkhla hai ek ke baad ek…

Jitu—mujhe to bas ye pata lagana hai ki jo bhi log mere rajya se achanak gayab ho jate hain, unn sab ke piche kis ka hath hai..?

Pari—Bhairav Nath ka..

Jitu—bhairav nath..! ye koun hai…?

Pari—bahut bada tantrik….jo amar hone ke liye ye sab kar raha hai…logo ko pakad kar unki bali de deta hai vo..

Jitu—kaha milega vo bhairav nath mujhe…? Main use uske kiye ki saza avashya dunga..

Pari—bhairav nath koi bakri ka memna nahi hai jise jab chaha kisi ne bhi pakad kar halaal kar diya….bhairav nath ke paas hazaro ek se badi ek siddhiya hain…iske sath hi sath vo mayavi bhi hai…apni maya se vo koi bhi roop bana sakta hai ya phir kisi ko bhi koi bhi roop de sakta hai…sath me shaitani kali shaktiyo ka bhi malik hai vo….uss tak pahuchna to door uske kshetra me kadam rakhna matlab apni mout ko nimantran dena hai..

Jitu—mujhe tum sirf uska pata batao…mout se main nahi darta…iss rajya ka yuvraj hone ke naate apne praja ki raksha karna mera farz hai..aur main apne farz se piche nahi hat sakta..

Pari—uss kali pahadi ke piche uska basera hai…lekin inn 5 tilism ko tode bina tum uss tak nahi pahuch sakte…kali pahadi par kadam rakhne ke liye tumhe ye tilism todna hi hoga..

Jitu—ye 5 tilism ka kya raaz hai..aur inko kaise toda ja sakta hai…?

Pari—ye main nahi janti..lekin itna jarur bata sakti hu ki bhairav nath bhi inhe todna chahta hai..shaayd koi na koi shakt yaha tilism me qaid hain jinhe vah bhi hasil karna chahta hai…lekin vo tilism tode bina hasil ho nahi sakti..

Jitu—bhairav nath jab itna taqatwar hai to phir use ye tilism todne me kya pareshani hai…?

Pari—kyon ki tilism ko taqat se nahi balki yukti se hi toda ja sakta hai…shaktiyo se kisi ko mara to ja sakta hai lekin usse tilism nahi toda ja sakta…ek bar jo tilism me phans gaya vo usme hi phans kar tilism ki bhul bhulaiya me kho jata hai…bina tilism ko tode bahar nahi nikal sakta.

Jitu—tab to main bhi iss tilism me phans gaya hu…ab yaha se kaise bahar nikal sakta hu…? Magar ek baat samajh me nahi aayi ki vo bhediya manav yaha se kaise bar bar bahar nikal jata hai…?

Pari—yaha aate samay tumhe chaar raste mile honge..unme se ek rasta bahar jane ka tha..baki teen tilismi the...vo bhediya manav uss raste se hi bahar nikal jata hai.

Chitra—iska matlab ki hum faltu me itna pareshan huye..hame bhi uss raste se bahar nikal jana chahiye tha..vo bhediya manav aaya bhi ussi raste se hi hoga…?

Pari—vo rasta sirf bahar jane ke liye hi hai, andar aane ke liye nahi hai vah….kintu ab to tum iss tilism me aage ghus chuke ho, isliye tumhe isko todna hi padega…

Jitu—kaise tutega ye tilism…?

Pari—vastav me ye tilism tumhare liye hi hai saajan…yaha tumhari ek keemti cheez hai..usko hasil karte hi ye tilism bhi toot jayega.

Jitu (chounk kar)—meri cheez..‼ lekin main to yaha pahli bar aaya hu..aur koun si meri cheez yaha hai tilism ke andar…?

Pari—tumhari neel mani..jise hasil karte hi tumhe apna pichla janam yaad aa jayega…aur phir tum mujhe bhi pahchan jaoge.. ye mani tumhari hi hai..jo sirf tumhe hi mil sakti hai…bhairav nath ke sath sath bahut se logo ko bhi iss mani ki talash hai…vo bhairav nath to ye bhi janta hai ki ye tilism sirf tum hi tod sakte ho…

Jitu—theek hai..agar aisa hai to main jarur aage badhunga…chitra tum yahi ruko, ..main aage jata hu..

Chitra—nahi..nahi..main tumhare sath jaungi…kahi tum par koi khatra aa gaya to…? Tumhe bachane wala bhi to koi chahiye na.. tumhe khatro se bachane ka kaam main karungi…meri kulhadi ke samne koi nahi tik sakta..

Jitu—chal mar mere sath..

Chitra—kyu maru main…? Yuvraj, ye sapne dekhna chhod do ki main mar jaungi aur aapka mujhse picha chhut jayega…Main nahi marne wali..abhi to mujhe tumhare sath shadi karni hai..phir shadi ke ek saal baad hamare itne chhote chote chote chote nanhe munhe bachche poore mahal me khelenge..

Jitu—ye chup kar apni nanhe munhe bachcho ki puran..jab dekho shuru ho jati hai..ab chalna hai to chal..

Hum bhojan se nivratt ho kar apne shayan kaksh se bahar nikal kar ek khubsurat bagiche me tahalne lage..piche palat kar dekah to chounk gaye..kyon ki ab na to vaha koi shahi mahal tha aur na hi pari ka kuch pata thikana.

Chitra—achcha hua main vaha nahi ruki, warna ab tak main bhi pata nahi kaha gayab ho jati uss mahal ke sath hi..

Hum ek jungle me khade the..vaha se kuch door chalne par ek jhopdi dikhayi di…jhopdi ke karib pahuche to ye dekh kar chounk gaye ki vaha ek buddhi aurat chakki pees rahi thi…hame dekhte hi vo khush ho gayi.

Buddhi aurat (gidgidate huye)—aao bahan..aao bhai…meri kuch madad karo…raja ke yaha kuch mehman aane wale hain, aur mujhe 5 mann anaaj peesne ka hukum mila hai…aur abhi tak maine aadha mann anaaj bhi nahi peesa hai…5 mann anaaj ka kab tak aata taiyar hoga…? Agar samay par aata taiyar nahi hua to senapati meri gardan kaat dega…aao bahan, tum dono meri anaaj peesne me kuch madad karo….bhagwan tumhara bhala karega.

Chitra (shocked)—hey bhagwan..! ye kya musibat hai…? Ye budhiya, main iss rajya ki maharani hu..main tujhe aata peesne wali nazar aati hu…? Ab mere bhagya me hath chakki se aata peesna hi baki rah gaya tha..main kabhi jindagi me chakki ko hath tak nahi lagaya..samjhi khusat budhiya..ab agar dubara mujhe aata peesne ko boli to apni kulhadi se teri gardan kaat dungi..

Jitu—achcha to hai tum iss bahane kam se kam chakki me aata peesne ka anand to utha logi….dekho bechari buddhi aurat kitni mehnat kar rahi hai..hame uski madad karni chahiye..

Chitra (gussa hote huye)—jitne bachche paida karna hai, main kar dungi lekin ye kaam mujhse nahi hoga..main saaf saaf bata deti hu haan yuvraj..

Jitu—teri gadi bar bar bachcho par hi aa kar rukti hai..chal aa ja..bechari buddhi aurat hai..

Mujhe uss budhiya par daya aane lagi thi bechari asha bhari nazro se hamari taraf dekh rahi thi…main chitra ka hath pakad kar jabardasti uske paas madad ke liye jane laga tabhi kisi ki awaz sun kar hamare kadam vahi thahar gaye.

Hamne palat kar dekha to piche se ek buddha admi khanste huye hamari taraf awaz lagate huye chala aa raha tha..hamse kuch doori par aa kar vo ruk gaya.

Buddha admi (khanste huye)—aap log iss budhiya ke paas mat jana…nahi to jaise hi aap chakki ko hath lagayenge to aap ka hath chakki se chipak jayega..aur phir ye chakki aap dono ke gale ka phanda ban jayegi…phir aap ko saalo saal tab tak aata peesna padega jab tak ki aap dono kisi dusre ko bahla fusla kar ye chakki nahi pakda dete..aap ke chakki ko hath lagate hi ye budhiya azad ho kar yaha se bhag jayegi aur phir khud hi aap dono ko ye chakki chalani padegi..ye tilismi chakki hai.

Dono (chounk kar)—kyaaaaa….?

Chitra (hath pakad kar)—bhago yuvraj yaha se…Sali budhiya…tujhe nark me bhi jagah nahi milegi..khusat chakki pakda kar hame phansana chahti thi..achcha hua ki vo buddha aa gaya..warna main to bina bachche paida kiye hi chakki peeste peeste hi mar jati..chalo jaldi yuvraj yaha se..

Mujhe bhi chitra ke sath vaha se bhagna pada…pata nahi uss budhiya ki vyatha katha satya thi ya phir uss buddhe ki baate satya thi…? Mere liye kuch bhi tay kar pana sambhav nahi tha ki kya satya hai aur kya jhuth…? Lekin chitra iss chakkar me nahi padna chahti thi, uska dimag to budhiya ki baat sunte hi apni jagah se hil chuka tha.

Ab kisi bhi tarah ka nirnay karne ke liye meri samarthya shakti bhi jawab de chuki thi…chitra ne to kabhi socha bhi nahi tha ki kabhi ye din bhi dekhne padenge..vivash ho kar mujhe bhi uske sath bhagna pada.

Vaha se bhag kar abhi kuch door hi pahuche the ki samne ki pahadi se doodh ke jharne bahte huye nazar aane lage…gulab jamun se lade huye vriksho se bhara hua ek bagicha nazar aaya.

Chitra—arrey wah..! yuvraj dekho gulab jamun..chalo khate hain..

Jitu—chup..vo bhi mujhe to dristi bhram hi lag raha hai..iss chakkar me mat pado..aao aage chalte hain..

Main chitra ka hath pakad kar aage nikal gaya..kuch aage aur chalne par kal kal kar ke bahti huyi ek nadi dikhayi padi…chitra ko pyas lagi thi to maine socha ki chalo do ghoont pani hi pi liya jaye.

Jaise hi chitra ne hatheli me jal bhar kar pine ka prayas kiya vaise hi….
Post Reply