Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post Reply
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: 05 Dec 2017 04:33

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by naik »

excellent update brother
keep posting
waiting your next update
thank you
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 230
5th Janam Ki Love Story Continues...

Phir chitra ka hath pakad kar maine divya ke paas jane ka dhyan kiya to turant hi adrishya ho kar kanva rishi ke ashram me pahuch gaya..ashram me pahuchte hi ek cheekh mere kano me goonj uthi..

“Saajannnnnnn.”

Ab Aage……

Cheekh sunte hi hum uss disha me turant daud kar pahuch gaye…cheekhne ki awaz divya ki kutiya se hi aayi thi..aur ye cheekhne wali aur koi nahi balki divya hi thi jo mani pe prabhav me aa kar apne pichle janam ki yaado me dhyan magn ho gayi thi aur pichle janam ki sabhi ghatnao ko dekhte huye uske mukh se ye cheekh nikal gayi thi.

Main jaise hi vaha pahucha to samne koi daudte huye achanak mujhse lipat gaya lambi lambi saanse chhodte huye…mujhe samajhte der nahi lagi ki ye divya hi hai..maine usko kas ke apni agosh me samet liya.

Divya (ghabrayi huyi)—tum aa gaye saajan…mujhe chhod kar kaha chale gaye the..

Divya ko seene se lagate hi mujhe bada hi sukun mahssos hua...uski tez chalti saanse, uski ankho se bahte anshu mujhe apne hriday patal par saaf saaf mahsoos ho rahe the..

Chitra—yuvraj, ye divya hai na…?

Jitu—hmmm..ankhe kholo divya..dekho main aa gaya hu na..

Divya—nahi..main nahi chhodungi..

‘’Divyaa beti...kya hua... ? tum aise cheekhi kyo... ?” piche se aati huyi ek aurat ne kaha jisne tapaswini ke vastra pahne huye the...

Vo aurat kuch hi der me hamare paas pahuch gayi..aur uske piche piche priyamvada aur anusuiya bhi aa gayi use khojte khojte.. divya ko mere seene se lipte dekh kar teeno hairan ho kar ruk gayi, magar jyada hairani to uss aurat ko ho rahi thi.

Aurat—beti, ye sab kya hai…?

Divya (masumiyat se)—maar dalungi..

Aurat—yuvraj ... ?

Vo aurat vastav me divya ki dhaay maa thi jisne divya ka lalan palan kiya tha isliye unka sthan kisi mata ke sthan se kinchit bhi kam nahi mana ja sakta...mujhe dekh kar vo vaha se vapis lout gayi...divya ko mere seene se lage dekh kar anusuiya ka dil bhi meri baho me samaane ko karne laga to vah bhi mere paas aa gayi aur meri ankho me dekhne lagi, jabki priyamvada uski halat samajhte huye hum dono ko ghure ja rahi thi..lekin anusuiya mere seene se lagti ki use aisa karte dekh kar chitra ka mood kharab ho gaya aur usne anusuiya ka hath pakad kar apni taraf khich liya.

Chitra—tum log aise kya ankhe phad phad ke dekh rahi ho... ? mere pati ki taraf dekha bhi na to ye kulhadi dekh rahi hai, isse tum dono ki ankhe nikal lungi..

Priyamvada—koun pati... ?

Chitra—yuvraj ..aur koun.. ? yuvraj mere pati hain aur main unki patni, samjhi..ab unki taraf dekhna bhi mat..chal bhag yaha se..

Anusuiya (shocked)—kyaaaa... ?

Priyamvada (shocked)—pati.. ! lekin yuvraj ki to abhi shadi hi nahi huyi hai phir vo tumhare pati kaise huye... ?

Chitra (chilla kar)—nahi to kya main jhuth bol rahi hu... ? sharam nahi aati tum dono ko…? Ek sundar rajkumar dekha nahi ki muh se laar tapkane lagi..arrey tum dono ki umra ke to hamare do darzan bachche hain..samjhi..

Chitra ki baat sun kar maine apna sir pakad liya…jabki anusuiya, priyamvada to gahre shock me pahuch gayi…divya ko to jaise koi fark hi nahi pada tha, chitra ki baato se, vah mujhse vaise hi amarbel ki bhanti lipti rahi.

Jitu (mann me)—kitna bada safed jhuth bolti hai ye chitra bhi…?

Priyamvada (hairan)—tumhari umra to khud hi hamari jitni hai, phir tumhare hamari umra ke bachche kaise ho sakte hain..? vo bhi do darzan…? Dusra yuvraj ne shadi kab ki…? Kal tak to vah avivahit hi the..

Chitra—vo kya hai ki kal raat hi hamne shadi ki thi…aur vo kya hai na ki hum dono tilism me phans agye the..to raat me hamare jitne bhi bachche paida huye , uss tilism ke prabhav se turant hi bade ho gaye..

Priyamvada (shocked)—ek hi raat me do darzan bachche paida kar liye tumne…?

Chitra—to kya hua, main to isse jyada bhi kar sakti thi, lekin yuvraj ke paas thoda samay kam tha, to baad ke liye chhod diya…aur tum hoti koun ho ye mujhse sawal jawab karne wali…? Apni maharani se baat karne ki bhi tamiz nahi hai tunhe…?

Chitra ki jhuthi baato ne dono ko hairan kar diya tha...dono prashnavachak dristi se meti taraf dekh rahi thi jaise ki puch rahi ho ki ye bakbaki koun hai... ?

Jitu (mushkura kar)—ye chitra hai, tum dono iski baato ka bura mat manna..ise har baat par jhuth bolne ki adat hai..

Chitra (ghurte huye)—kya main jhuth bol rahi hu... ?

Jitu—main tumhare hath jodta hu..shant ho jao..

Chitra—phir ye dono koun hain…?

Jitu—ye anusuiya hai, meri hone wali patni aur ye priyamvada hai, inki sakhi..

Chitra (chounk kar)—kyaa ye bhi hone wali patni hai... ? main aur divya kya kam thi aap ke liye jo ek aur patni ki jarurat pad gayi aap ko... ?

Maine badi mushkil se samjah bujha kar shant kiya chitra ko...aur sabse uska parichay karaya...divya se mil kar vo bhi bahut khush huyi..divya to usse aise mil rahi thi jaise ki dono bichdi huyi sagi bahne ho.

Priyamvada—yuvraj, ab to aap vivah ki baat kar hi daliye..kanva rishi bhi apni tapasya poorn kar ke - vapis aa gaye hain

Jitu—kyaa sach... ?

Divya—hmmm

Kanva rishi ke aagman ki baat sun kar mujhe bhi unke darshan karne ki utkantha jagrit hone lagi..mera mann unse milne ko aatur ho gaya to main unke darshanarth yagya sthal par pahuch gaya...jaha sabhi rishi yagya anusthan me leen the...aaj yagya ka sanchalan kanva rishi kar rahe the..unke mastak par unki tapasya ke tez saaf jhalak raha tha.

Maine mann hi mann unhe pranam karne ke uprant yagya sthal ki suraksha ke nihit vaha savdhani se vicharan karne laga..kintu aaj bhi koi apriya ghatna ghatit nahi huyi..aaj ka anusthan samapt hote hi sabhi rishi muhiyo ne kanva rishi ko naman kiya .. to main bhi unhe sastang dandwat karne pahuch gaya.

Jitu—kanva rishi ke shree charno me sevak ka pranam swikar ho..

Kanva (mushkurate huye)—aao saajan, tumhara sarvatra kalyan ho…tumhara swagat hai..iss ashram ki tapobhumi tumhare aagman se atyant pavitra aur dhanya ho gayi..tumhari vajah se ye yagya abhi tak nirvighnata se chal raha hai.

Jitu—ye to aapka badappan hai muni shrestha jo apne sevak ko itna samman de rahe hain warna main to ek nimitt maatra hu..

Kanva—yahi vinamrata hi to tumhari sabse badi vishesta hai saajan jo kisi ke bhi hriday ko barbas hi sammohit kar leti hai..

Vivan—gurudev, saajan ne aapki anupasthiti me hamara yagya sahazata se sampann karane me bahut yogdan kiya hai..ab hame koi chinta nahi hai..

Kanva—nahi vats, yagya abhi sampann nahi hua hai..kal yagya ki poornahuti hai, uske taduprant hi anusthan sanpann hoga isliye itna abhi itna nishchint hone ki avashyakta nahi hai….

Vivan—ji gurudev, main kshama chahta hu..

Jitu—kintu munivar, aapne yagya ki safalta purvak samapan me anishchitta ki baat kyo ki…? Kya kahi se koi avrodh ki ashanka hai munivar..?

Kanva—maine aisa isliye kaha saajan kyon ki kal iss anusthan ka antim din hai, aur abhi tak ye safalta purvak apne antim padaav tak pahuch gaya, kuch choti moti ghatnao ko chhod kar, iska matlab ki unki taraf se kuch badi yojna taiyar ho rahi hogi kal ke liye..

Jitu—kintu rishi var..jaisa ki mujhe gyat hai, aapka ashram kisi adrishya suraksha kawaxh se surakshit kiya hua hai..bahar se bhi ye sirf ek choti si jhopdi ke roop me hi dikhayi deta hai…ashram vasiyo ke atirikt koi bhi yaha pravesh nahi kar sakta ..aisi haalat me koun yaha aa kar yagya ko khandit karne ki kshamta rakhta hai…?

Kanva—suraksha kawach nirmit karte samay kuch dust shaktiya jaise ki kuch asur yaha chhadm roop me chhupe huye the jisse unka sambandh iss tapovan se sthapit ho gaya tha..unke atirikt koi nahi pravesh kar sakta..magar taqatwar shaktiya akash marg se to vyavdhan uttapann kar hi sakti hain..unhe ashram me pravesh karne ki avashyakta hi nahi padegi..

Jitu—aapke tapobal se takrane ka bhala koun aisa dussahas kar sakta hai munivar…?

Kanva—vaise to yaha jitne bhi upadravi tatva the, unhe tumne pahle hi parast kar ke yaha se bhagne par vivash kar diya tha, unke dubara aisa karne ki sambhavna bahut kam hi hai..khatka to sirf ek ka hi hai jo aisa kuch karne ki soch sakta hai..

Vivan—aap kis ki baat kar rahe hain gurudev…?

Kanva—daitya raj raktasur ki..

Vivan—kintu maine to suna hai ki daityo ka raja to namuchi hai jo patal me rahta hai, phir ye raktasur koun hai….?

Jitu—haan rishi var….koun hai ye raktasur…..? aur bhala aapke tapobal ke samne uski kya bisaat hai..?

Kanva—saajan, main yagya anusthan chhod kar beech me nahi uth sakta…vaise bhi hamara kaam to yagya aur bhakti karna hai.. suraksha ka jimma to raja ka hota hai..raja ka prati nidhi hone ke naate iss samay iss yagya ki suraksha ka uttardayitva tumhara hai.

Jitu—aap nishchint rahe guruvar..mere jivit rahte koi buri shakti yagya ke sampann hone me badha uttapann nahi kar sakti.

Kanv—ye main janta hu saajan….kintu raktasur ko parast karna asaan nahi hoga…raktasura ko parajit karna devtao ke liye bhi atyant dushkar karya hai..

Jitu—mujhe uske baare me kuch bataye guruvar….

Kanv—saajan, aaj se lagbhag dus hazar varsh pahle jab dev aur asur sangram ho raha tha..jiska ki praman hamare purano aur grantho me bhi moujud hai….uss devasur sangram me jab asur devtao se haar rahe the tab unke guru shukracharya ne asuro ki jeet ke liye dwapar yug khatam hone tak intazar kiya…aur 100 crore daityo ko devtao ke hatho khud marwaya…devta bhi unhe maarte gaye..lekin uss waqt devta bhi apni jeet ke ahankar me shukracharya ki uss chaal ko samajh nahi paye…devtao samajh rahe the ki vo daityo ko maar rahe hain jabki satya to ye tha ki shukracharya jaan bujh kar unhe devtao ke hatho marwa rahe the….uss yuddh me 100 crore daitya maare gaye..aur iss tarah devta jeet gaye…uss ghatna ke ek pahar baad kaliyug shuru ho gaya.

Kanv—satyug, tretayug, dwapar yug..sirf inn teen yug me devtao ki shaktiya charam par hoti hain..lekin kaliyug, ek yug aisa bhi hota hai jisme asuro ki shaktiya devtao se bhi jyada hoti hain aur vo kaliyug aa chuka tha….devta jeet ke unmad me khushiya mana rahe the, raas rang aur apsarao ke sath bhog vilas me lipt ho gaye the…aur vahi shukracharya ne apni chaal chal di thi.
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 231
5th Janam Ki Love Story Continues...

Kanv—saajan, aaj se lagbhag dus hazar varsh pahle jab dev aur asur sangram ho raha tha..jiska ki praman hamare purano aur grantho me bhi moujud hai….uss devasur sangram me jab asur devtao se haar rahe the tab unke guru shukracharya ne asuro ki jeet ke liye dwapar yug khatam hone tak intazar kiya…aur 100 crore daityo ko devtao ke hatho khud marwaya…devta bhi unhe maarte gaye..lekin uss waqt devta bhi apni jeet ke ahankar me shukracharya ki uss chaal ko samajh nahi paye…devtao samajh rahe the ki vo daityo ko maar rahe hain jabki satya to ye tha ki shukracharya jaan bujh kar unhe devtao ke hatho marwa rahe the….uss yuddh me 100 crore daitya maare gaye..aur iss tarah devta jeet gaye…uss ghatna ke ek pahar baad kaliyug shuru ho gaya.

Kanv—satyug, tretayug, dwapar yug..sirf inn teen yug me devtao ki shaktiya charam par hoti hain..lekin kaliyug, ek yug aisa bhi hota hai jisme asuro ki shaktiya devtao se bhi jyada hoti hain aur vo kaliyug aa chuka tha….devta jeet ke unmad me khushiya mana rahe the, raas rang aur apsarao ke sath bhog vilas me lipt ho gaye the…aur vahi shukracharya ne apni chaal chal di thi.

Ab Aage…..

Shukracharya ne asur lok ke bhavi maharaj aur unki patni se putresthi yagya ka anusthan karwaya…uss yagya me Shukracharya ne yuddh ke dauran marne wale unn 100 crore rakshaso me se har ek rakshas ke sharir se ek ek boond rakt nikal kar unki aahuti de di….jiske phalswaroop uss hawan kund se ek maha daitya ka janam hua…iss tarah 100 crore daityo ke rakt ki aahut dene se uttapann huye uss maha rakshas ka naam raktasur pada.

Apne hi asuro ke rakt ki aahut se uttapann hone ke karan raktasur hawan kund se nikalte samay hi atyant kroadh me tha..uske kroadh se sara asur lok kaamp utha…yagya ki agni me khade uss maha rakshas ko dekh kar sabhi asuro ke rongte khade ho gaye, sab uske aage jhuk gaye.

Uss maha rakshas ko dekh kar swayam asur samrat aur uski patni bhi bhaybheet ho gayi, tab Shukracharya ne unhe samjhate huye kaha ki..”aap dono ka ye putra maha balwan, maha rakshas (shaitan) hai…ye 100 crore rakshaso ke rakt ki ahuti se uttapann hua hai, isliye sansar me ye raktasur ke naam se jana jayega…iske sharir ke andar 100 crore daityo ki taqat hai..”

Raktasur ne bramha ji ki ghor tapasya kar ke unse ye vardan bhi prapt kar liya ki “ samast devta, yaksh, gandharv, kinnar.Ek sath mil kar bhi use na to maar sakte hain aur na hi parajit kar sakte hain.”

Pahle hi uske andar 100 crore daityo ki taqat thi, upar se brahma dev se aisa vardan pa kar raktasur devtao ke liye bhi aparajey ban gaya…usne dev lok har hamla kar diya….kaliyug ke prabhav se devtao ki shaktiya pahle hi ksheen ho chuki thi…phalswaroop raktasur ne devtao ko buri tarah se hara diya…uske darr se devta swarg chhod kar bhag gaye…jo uski pakad me aaye unhe usne bandi bana kar karagar me daal diya.

Uske baad kafi samay tak devta uske darr se idhar udhar chhup chhup kar bhatakte rahe…kuch samay tatpashchat na jane achanak aisi kya ghatna huyi…ki raktasur akasmaat hi kahi rahasyamay dhang se gayab ho gaya…magar uss ghatna ke parinam swaroop devtao ko unka swarg ka singhasan vapis mil gaya.

Jitu—iska matlab ki raktasur behad taqatwar hai..lekin vo kaha chala gaya…? aur jab vo gayab ho chuka hai to yagya me uske dwara kisi prakar ka vighn paida karne ki ashanka kaise, rishivar…?

Kanv—asuro ka adhipati aur raktasur ka bhai danav raj namuchi to vighn uttapann kar hi sakta hai …namuchi ne bhi tapasya kar ke kayi shaktiya prapt ki huyi hain…vah bhi raktasur ki hi bhanti mayavi vidhya me nipun hai.

Jitu—kintu gurudev, ye namuchi itne samay tak jivit kaise hai…? Ab tak to uski mrityu ho jani chahiye thi…?

Kanv—shukracharya ki sanjivani vidhya ki vajah se…

Jitu—koi baat nahi munivar…aap nishchint ho kar apne yagya ka anusthan sampoorn kijiye…kisi bhi prakar ke vighn se yagya ki suraksha ka uttar dayitva mujh par chhod dijiye…main aap ko vishwash dilata hu ki mere jivit rahte koi bhi aap ke iss mangal karya me vighn uttapann nahi kar payega.

Kanv—tum dhanya ho saajan,,tumhari sada vijay ho..

Jitu—munivar…hamare rajya se jo log rahasyamay tarike se achanak gayab ho rahe hain…unke sambandh me aap ka dristikon kya kahta hai…? Maine suna hai ki inn sab ke piche bhairav nath ka hath hai..?

Vivan—ye sabhi ghatnaye gurudev ke tapasya karne ke uprant hi shuru huyi hain.

Kanv—tumhara kathan satya hai saajan, inn sabhi ghatnao ke piche tantrik bhairav nath ka hi hath hai…usne bahut si siddhiya prapt ki huyi hain…vo amar hona chahta hai, apne yahi uddeshya ki poorti ke liye vah nirdosh logo ko gayab kar ke unki bali de deta hai…bhairav nath ka ant kiye bina logo ke gayab hone ki ghatna ko rok pana asambhav hai…

Jitu—aise manavta ke dushman ka ant hona hi avashyak hai…shayad uska kaal nikat aa gaya hai..?

Kanv—nahi saajan, bhairav nath ko maarna itna sahaz karya nahi hai, jitna ki tum samajh rahe ho…uss tak pahuchne se pahle tumhe vo paanch anmol cheeze hasil karni hongi jo ki paanch tilismi darwajo ke bhitar surakshit hain aur jinhe bhairav nath bhi pana chahta hai kintu tilism ke karan vo unn cheezo ko hasil kar sakne me asmarth hai…

Jitu—hmmm, kintu aisi koun si cheeze hain jinhe tilism me surakshit kiya gaya hai aur unki kya vishesta hai…?

Kanv—unn paancho vastuye adbhut shaktiyo se yukt hain...har kisi me alag shaktiya hain...unki vishestao aur vaha tak pahuchne ke baare me jaanne ke liye tumhe sukanya pari ki madad leni hogi..

Jitu—sukanya pari.. ? ye koun hai... ?

Kanv—pari lok ki raj kumari hai ..

Jitu—kintu vo meri madad kyo karegi aur main uss tak pahuchunga kaise... ?

Kanv—tum apne kartavya path par aage chalte raho…samay khud hi tumhe sukanya pari tak pahucha dega…

Jitu—jaisi aap ki aagya muni var..

Kanv—haan, ek baat aur saajan, bhairav nath ki buri nazar divya par hai..vo murkh divya ka bhog kar ke amarta prapt karne ke sapne dekh raha hai..yahi vajah hai ki tapasya karne jane se poorv maine iss ashram ko ek tilismi kavach se surakshit kar diya tha jisse ki ashram ke bahar ka koi bhi vyakti yaha pravesh na kar sake…jab vo yaha divya tak nahi pahuch paya iss kavach ke karan to usne ye logo ki bali dene ka marg chuna..

Divya ke baare me ye sun kar ki bhairav nath ki buri niyat uske upar dol rahi hai...meri ankho me akrosh umad aaya...gusse se meri mutthiya band hoti chali gayi..

Jitu (gusse me)—kyaaa..uski buri nazar divya par hai... ? uss dust ko uski iss dustata ka dand avashya dunga..

Kanv—shant saajan, apne iss avesh ko bhairav nath se takrane ke samay ke liye surakshit karo...kyon ki asamay ka kroadh mann ko vichlit kar deta hai..aur mann ke vichlit hone se vyakti apne lakshya ke marg se bhi vichlit ho jata hai..kroadh ek bahut mahatvapoorn ashtra hai jiska upyog hamesha uchit samay par hi karna chahiye warna ye swyam ke liye bhi vinashkari siddh ho sakta hai.

Jitu—main kshama chahta hu rishi var..

Kanv—aao, aashram vapis chalte hain..

Uske baad hum dharm aur shastra ki baate karte huye kutiya ki taraf chal pade...main kanva rishi se divya ke janam se jude rahasya aur unse hamare vivah ke vishay me bhi baat karna chahta tha kintu ye samay mujhe uchit nahi laga kyon ki iss samay mera pratham uddeshya yagya ki raksha karna tha aur main uski suraksha ka uttardiyitva le chuka tha isliye iss vishay ko yagya anusthan ki samapti tak ke liye sthagit kar diya...udhar chitra, ashram me divya, priyamvada aur anusuiya ke sath vartalap karte huye apni betuki baato se unke dimag ki chatni banane me lagi huyi thi.

Chitra—kya naam banaya tumne apna.. ?

Anusiya—anusuiya..

Chitra—hmmm..suiya

Anusuiya—suiya nahi,,anusuiya...

Chitra—suiya ho ya anusuiya...kya fark padta hai... ? hai to tu suyi hi na..jo sidhe mere yuvyaj ke seene me suyi ki tarah chubh gayi..

Anusuiya—tumhara kahne ka matlab kya hai... ?

Chitra—mere kahne ka sidha matlab ye hai ki teri maang me na to sindoor hai aur na hi gale me mangalsutra..phir tu mere jitu ki biwi kaise ho gayi…? Kahi tune mere yuvraj ke sath kuch gadbad to nahi kar di…?

Priyamvada—yahi sawal hum tujhse bhi puch sakti hain…

Chitra—mujhse puchne wali tu koun hoti hai…? Kahi tu bhi tu yuvraj ke sapne nahi dekh rahi.. ? agar dekh rahi hai to dil se ye khyal nikal de..(kulhadi dikhate huye)...nahi to ye kulhadi dekh rahi hai na...aage tu khud samajh ja ki main kya karungi tere sath... ?

Anusuiya—sahi to kaha hai priyamvada ne..tujhe mirchi kyo lag rahi hai... ?

Chitra—kya sahi kaha hai... ? mere do darzan bachche iss baat ka sabut hain ki main yuvraj ki biwi hu...phir bhi jisko yakin na ho to gaon walo se ja kar puch sakta hai..sab gaon walo ko pata hai mere aur yuvraj ke baare me..

Priyamvada (muh bichkate huye)—huunnhhh...do darzan bachche..jhoothi kahi ki..

Chitra (ankhe dikha kar)—ye..jhuthi kis ko bolti hai..ye kulhadi dekh rahi hai na..kaat dungi..samjhi

Anusuiya—divya, dekh samjha le iss pagal ko...mera dimag ghante bhar se chaate ja rahi hai..

Chitra—kis ko boli pagal... ? ruk abhi batati hu..

Priyamvada—pagal to pagal hi kahenge na...kabhi to bolti hai ki mere do darzan bachche hain vo bhi iski hi umra ke..bina shadi ke hi iske bachche ho gaye..jabki yuvraj to abhi tak avivahit hain..

Chitra kulhadi utha kar anusuiya ki taraf daud padi, ye dekh priyamvada aur anusuiya ghabra gayi aur bhagte huye divya ke piche chhupne lagi.

Priyamvada—divya, samjha isko..iss pagal ka koi bharosa nahi..kahi sach me hi na maar de ye hame..

Chitra—divya, tum ek taraf ho jao..main inn dono ki gardan kaat dungi..

Priyamvada—maarna hai to divya ko maar...yuvraj ki jaan isme hi basti hai..

Divya (naak ke niche ungli ghumate huye)—maar dalungi..

Anusuiya—yuvraj jitu to vaise hi teri ek nazar se ghayal ho jate hain..maarne ki jarurat hi nahi padegi..hihihihi

Divya (ghur kar)—tujhe maar dalungi..

Chitra—divya, ab tumne bilkul sahi kaha..

Divya—chitra didi, maaf kar do na dono ko..

Chitra—theek hai..tum kahti ho to chhod deti hu...lekin ise pahle meri baat ka jawab dena hoga..

Anusuiya—koun si baat ka... ?

Chitra—vahi jo maine tumse pucha tha...

Divya—vo baat aisi hai ki..(divya ne anusuiya aur jitu ke beech jo hua tha, batane lagi.)

Chitra—ab samjhi..ye baat hai..

Priyamvada—kya samjhi…?

Chitra—yahi ki isne jaan bujh kar yuvraj ke sath apna muh kala kar ke yuvraj ko phansa liya..(mann me)..ye to sab gadbad ho gayi…yuvraj ne mere hotho tak ko nahi chuma abhi tak aur isne unke sath sab kuch kar liya…main to bachche chillati hi rah jaungi aur ye to bachcha bhi mujhse pahle hi paida kar legi..mujhe bhi yuvraj ke sath aisa hi kuch karna padega nahi to main yuvraj ke do darzan bachcho ki maa kaise banungi…?

Priyamvada—to tumne kya kiya..? tumne bhi to vahi kiya hoga…?

Chitra—ye..kahi tu bhi to yuvraj ke sath apna muh kala karne ka nahi soch rahi hai…? Abhi se bataye deti hu..yuvraj ke baare me sochna bhi mat..nahi to meri ye kulhadi ..baki samajh gayi na..haan..

Divya—aap sab ladna band karengi ya nahi…? Anusuiya bhi saajan se prem karti hai, jaise ki aap aur main..isliye ab yuvraj ko le kar lado mat..

Chitra—tum kahti ho to main anusuiya ka maan leti hu lekin ye, priyamvada ne bhi kahi yuvraj ke sath apna muh kala kar liya to..?

Divya—main to chahti hu ki priyamvada bhi mere saajan ki patni bane..iss tarah hum teeno sakhi aur aap hamesha ek sath rahengi..vaise tum kya kahti ho priyamvada…? Baat karu saajan se…?

Priyamvada (sharma kar)—dhattt..

Anusuiya (mushkura kar)—ab bata bhi de…? Hamare sath saajan ki dulhan banegi…?

Priyamvada (nazre jhuka kar)—mujhe kya pata…maa aur pita shri jane..

Chitra—dekha, main na kahti thi ki ye bhi yuvraj ke sath apna muh kala karne ke chakkar me hai…haqiqat aa gayi na iske chehre par..main to soch rahi thi tum aur main do hi biwi rahnegi yuvraj ki lekin yaha to tumne do aur jod diya…tumhe dukh nahi hota ye soch kar isse tumhara pyar bant jayega…? Main to aisa kabhi na karu..

Divya—nahi didi, main to chahti hu ki mere saajan se jo bhi dil se prem karti hai use saajan ka pyar avashya mile..mujhe isme hi khushi milti hai..mujhe kabhi lesh maatra bhi dukh nahi hota iss baat se ki mere saajan ki hone wali biwiya kitni hain..balki mujhe iss baat ki khushi hoti hai ki mere saajan ko prem karne wali lagatar badh rahi hain, aur main chahti hu ki unn sab ko unka adhikar aur saajan ka pyar mile..saajan ki hone wali patniya meri soutan nahi balki meri bahne hain.

Priyamvada (bhav vibhor)—tum dhanya ho divya…tumhari jaisi sakhi pa kar main khud ko gauravanvit mahsoos kar rahi hu..

Anusuiya—haan, divya tum sach me mahan ho…tumhari jaisi dusri koi nahi ho sakti jise apne pati ke pyar ko kisi dusri aurat ke sath baantne me tanik bhi dukh na ho..

Chitra—mujhe maaf karna divya…main tumhari jaisi tto nahi hu aur na hi kabhi ban sakti hu …tum shayad eklouti ho jo apni anginat soutan chahti hai..jise iss baat se koi fark nahi padta ki uske pati ka pyar uske liye isse kam ho jayega..vo tumhe vo haq nahi de payega jiski tum haqdar ho..tum mahan ho divya..

Divya—didi, ye baat aapki samajh me nahi ayegi…saajan ki chahe kitni bhi patniya ho jaye, mere dil me saajan ke liye pyar kabhi kam nahi hoga, balki samay ke sath badhta hi jayega…mere saajan ko mujhse koi nahi chheen sakta, na abhi aur na hi kabhi kisi janam me…khud bhagwan bhi chahe to vo bhi mere pyar ko khatam nahi kar sakte..kyon ki saajan to meri aatma me basa hai aur aatma to amar hai…jo ek sharir chhod kar dusra sharir dhaaran karti rahti hai…iss tarah meri aatma jis bhi sharir ko dharan karegi, uss sharir me saajan ka pyar to vaisa hi rahega kyon ki aatma to meri hai jisme sirf saajan ke siwa kuch bhi nahi hai.. chahe jitni bhi patniya ho jaye saajan ki, unhe to sirf saajan ka sharir hi milega na jo ki samay ke sath ek din nast ho jayega..lekin aatma nahi..phir mera pyar kaise khatam ya kam ho sakta hai…? Aisa hi kuch saajan ke sath bhi hai..phir hamara pyar kaha kam ho sakta hai..? koun kam kar sakta hai..? hum dono to ek dusre ki aatma me base hain..aur jab hamara pyar koi kam kar hi nahi sakta to phir saajan ki jindgi me aane wali patniyo se vidwesh kaisa…?

Priyamvada—tumne itna goodh gyan kaha se seekha divya…?

Divya—jab kisi se sachcha, nisswarth prem ho jata hai to vahi prem sab kuch sikha deta hai..

Chitra—tum aloukik ho divya…tumhari baate, tumhare itne uchch sanskar kisi sadharan kanya ke nahi ho sakte..tum nissandeh asadharan ho..

Vo sab abhi baate kar hi rahi thi ki tabhi…
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: 05 Dec 2017 04:33

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by naik »

excellent update brother
keep posting
thanks for lovely update
Post Reply