Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post Reply
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: 05 Dec 2017 04:33

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by naik »

update pleas brother
User avatar
Kuldeep singh 329
Rookie
Posts: 55
Joined: 20 Apr 2020 11:57

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Kuldeep singh 329 »

😆 😆 😆
😋 😋 😋
waiting next update bro..................
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 307

Kajal—dhyan se uthne ke kuch der baad unhone mujhe aur mamta bhabhi ko bhitar bulaya ..hum jab andar gaye tab bhi vo kuch pareshan lag rahe the jisse hame bahut tension hone lagi thi.

Mamta—gurudev, aap bahut pareshan lag rahe hain...koi tension ki baat to nahi hai... ? mera mann bahut ghabra raha hai.. mujhe bataiye gurudev, mere bete ke upar koi sankat to nahi hai na... ?

Kajal (tension)—haan, gurudev..jaldi bataiye…nahi to hum dono to iss tension me hi mar jayengi..

Gurudev (kuch soch kar)—beti, jo baat main kahne ja raha hu, use dhyan se suno….

Ab Aage……

Gurudev—pahli baat to main iss baat se hairan hu ki iss ladke ki kundli nahi ban pa rahi hai…main sirf uski janam kundli 5 varsh tak ki bhi bana sakta hu, uske aage mujhe kuch dikhayi nahi de raha hai..ye mrityu yog hai ya jeevan yog, ye bhi samajh nahi pa raha…

Mamta (tension)—gurudev, aage ki kundli kyo nahi ban rahi mere bete ki…? Mere bete ke jeevan me koi sankat to nahi hai…?

Kajal—haan gurudev…badi minnato ke baad hamare pariwar me ek chirag aaya hai…use bujhne mat dijiye..kuch upay kijiye..

Gurudev—beti, maine kaha na ki maine uske 5 saal ke baad ka bhavishya nahi dekh pa raha hu…aur mere gurudev ne mujhe aage dekhne ki koshish karne se rok bhi diya hai, main chahu to bhi nahi dekh sakta…

Mamta—gurudev, aap akhir kahna kya chahte hain…? Jaldi bataiye na, chinta ke maare meri dimag ki nase phatne jaisi hoti ja rahi hain…? Bataiye na, mere bete ke jeevan me koi sankat to nahi hai….?

Gurudev—beti, tumhare bete ke jeevan me kya hai, ye to main swayam nahi janta..phir tumhe kya bata sakta hu…? Mujhe to hairani iss baat par bhi ho rahi hai ki balak aur balika ki rekhaye ye bata rahi hain ki vo dono byahta kuwari maa ki santane hain. Kintu koi aurat maa banne ke pashchat kuwari kaise ho sakti hai….? Aur koi kuwari aurat kisi bachche ko janam kaise de sakti hai.... ? ye baat meri samajh me nahi aa raha hai...ye kaise sambhav hai... ? akhir kya rahasya hai ye.... ? iska to kewal ek hi arth nikalta hai ki tum dono inn bachcho ki janamdayini mata nahi ho...

Ye sun kar mamta aur kajal chounk kar ek dusre ki taraf hairani se dekhne lagi...dono ko yakin nahi ho raha tha ki vo dono hi kuwari hain.

Mamta—nahi nahi gurudev...vo mera hi beta hai...maine use apni kokh se janam diya hai..main hi usko janam dene wali uski maa hu..

Kajal—aur maine bhi apni beti ko apni kokh se 9 mahine rakha hai....aur ye kya bhabhi.. ! aap aur kuwari... ?

Mamta (hairan)—aur didi aap bhi kuwari hain... ?

Kajal—lekin didi aap to iske pahle bhi ruchi aur payal ko janam de chuki hain, phir kaise... ?

Mamta—haa didi, gurudev pls..ye raaz kisi ko mat batana..warna sabhi hamare upar kichad uchhalenge...hamare khandan ka naam badnam ho jayega...aur ho sakta hai ki hamare bachche hi hame apni maa samajhne se inkar kar de... ?

Kajal—haan gurudev...ab hamari laaz aapke hath me hai...iss raaz ko raaz rahne dene me hi sab ki bhalayi hai...koi iss baat par vishwash hi nahi karega ki hum dono apne bachcho ki maa hain...sab hamare baare me na jane kya kya sochenge.. ? hamare pati bhi ye jaan kar hame chhod denge, aur hamare bachche anaath ho jayenge..

Gurudev—theek hai putri...main vachan deta hu ki ye raaz ab raaz hi rahega...

Mamta—gurudev, mere bete ke jeevan ke marg me koi badha to nahi hai na... ?

Gurudev—beti, tumhare putra ki kundli 5 varsh se aage nahi ban rahi hai..iska matlab saaf hai ki ye saal uske jeevan me kuch sankat lekar avashya ayega…ho sakta hai ki itni hi uski umra ho…

Mamta (tadap kar)—nahi nahi, gurudev, aisa na kahe…badi ummido ke baad to ek beta mila hai..uske bina main nahi jee paungi…

Kajal—kuch upaay kariye gurudev..

Gurudev—beti, main tumhari vyatha samajh sakta hu…kintu honi ko koi nahi taal sakta…maine to sirf bachche ki kundli na banne ke karan apna anuman bataya hai..ye satya ho bhi sakta hai aur nahi bhi…kintu asli hairani ki vajah to dusri hai..

Dono—ab bhi kuch kahne ko bacha hai gurudev….?

Gurudev—haan, hairani ki baat to ye hai ki jaha ek taraf balak ki aayu 5 saal hi samajh me aa rahi hai, uske aage uski kundli nahi ban rahi..vahi dusri taraf tum dono ka hi uski patni banne ka yog dikh raha hai…

Dono (shocked)—kyaaaaa…..? ye kaise sambhav hai gurudev…? Ye to paap hai..

Gurudev—kintu yahi satya hai putri…agar ye balak 5 saal ke baad jivit raha to sirf tum hi nahi balki tumhare pariwar ki har stri, har aurat uski patni banegi, phir chahe vo uske kisi bhi rishte me aati ho…ek baat aur kajal beti, tumhari putri ka janam iss balak ke sath hi hua hai..ye ladki iss balak se koi gahra rishta rakhti hai shayad pichle janam ka ya usse pahle ka bhi..isliye ho sake to dono ko ek sath hi rakhna..

Mamta (shocked)—gurudev…ye aap kaisi anarth ki baate kar rahe hain…? Main uski maa hu..phir koi maa apne hi bete ki patni kaise ban sakti hai…? Ye to maha paap hai…aur to aur aapne kaha ki pariwar ki har ladki, aurat uski patni banegi…nahi, ye nahi ho sakta..main aisa nahi hone dungi..

Kajal—haan gurudev, ye to sarasar galat hai..

Gurudev—beti, jo tumhare aur uss balak ke bhagya me likha mujhe dikhayi diya, vo maine bata diya…baki prabhu ki ichcha..

Kajal—jarur hamare ghar me koi bahut bada papi aatma wala balak paida ho gaya hai..tabhi ye sab gurudev bol rahe hain..

Mamta—didiii

Gurudev—nahi beti, ye to chamatkarik balak hi hai..koi buri aatma to bilkul bhi nahi hai…mujhe to aisa lagta hai ki tum dono aur tumhare pariwar ke upar koi pichle janam ka shrap hai jiske karan se tum dono maa ho kar bhi kumari ho..ye balak shayad tumhe shrap mukt karne hi aaya hai…bas iss balak ki suraksha ka vishesh dhyan rakhna…aur haan, mamta beti, tumhare ghar abhi ek adwitiya kanya aayegi jiska naam mahak hoga kyon ki uske jism se hamesha sugandhit phoolo ki mahak aayegi.. vilakshan aur adwitiya hone ke karan uska naam divya bhi hoga….uska tumhare putra ke liye prem uske naam ki hi bhanti adwitiya hoga.

Uske baad kuch baate aur samjha kar gurudev chale gaye…uske 5 saal baad hi raj ke sath vo ghatna ho gayi..asal me ye sab baate raj ke papa ne chhup kar sun li thi..bas tabhi se unhe raj se nafrat ho gayi..unhone uday ko bhi ye bata diya….phir jab hum raj ke vapis loutne ke baad rajgarh ke jungle me gaye the to vaha par uss sadhvi pari ne bhi yahi sab hame bataya jo gurudev ne bataya tha.

Mamta aur kajal ki baate sun kar sabhi hairan rah gayi…kuch samay vaha shanti chhayi rahi…shayad kuch kahne ke liye shabd talash kar rahi thi.

Roopaly—kuch bhi ho didi…main ye paap hargij nahi karungi aur na hi apni betiyo ke sath aisa kuch raj ko karne dungi..agar ye shrap ki vajah se ho raha gau tab bhi mujhe apni betiyo ko aur khud ko kuwari rakhna manzur hai lekin ye paap karna swikar nahi hai.. main to apne ghar hi jaungi.

Geeta—main bhi.

Madhu—jab aap dono ne jane ka soch hi liya hai to main yaha rah kar akeli kya karungi..main bhi aapke sath hi chalungi..

Divya—theek hai..jaisi aapki ichcha mami..main saajan ko bol deti hu..vo aap sab ko sakushal ghar bhejne ka prabandh kar de.. aur haan, neha chachi, aap aur aapki betiya ab shrap mukt hain, aap ko unke aur apne bhavishya ke liye jo uchit lage aap karne ke liye poori tarah se swatantra hain.

Thodi der me divya ke awaz dene par main unke paas pahuch gaya..jaha divya ne mujhe unka faisla bata diya…sun kar mujhe thoda kharab to laga lekin main ab kya kar sakta tha.

Raj—theek hai agar aap kogo ka yahi faisla hai to main aap ko subah ghar pahucha dunga…

Paridhi—maa, main raj ko chhod kar nahi jaungi…main raj se pyar karti hu..

Roopaly—paridhi beta, hum sab raj se aaj bhi pyar karte hain...lekin hum vo paap nahi karna chahti jo tum aur tumhari maa ne kiya hai...

Raj—mami, sach to ye hai ki kisi ne mujhe sachcha pyar kiya hi nahi, divya ko chhod kar...warna aaj ye naubat aati hi nahi.. paridhi mujhse pyar karti thi, lekin ek jhatke me hi kaha gaya vo pyar... ? sandhya pyar karti thi aaj kaha gaya vo pyar... ? chanchal didi, payal didi ye sab mujhe pyar karti hain, aaj se nahi balki hazaro saalo se, ye meri biwi banti aayi hain, lekin pyar ko aaj tak nahi samajh payi...priyadarshini kab se apne pyar ki talash me bhatak rahi thi, lekin pyar kya hai, ye isko aaj tak pata nahi...aise hi avini, diksha, ruchi didi, soniya didi, naina, mitaly chachi, mala, shikha, vidhi ye sab bhi mujhse pyar karti hain aur meri biwi banne ke sapne dekhti aa rahi hain..kintu inme se kisi ko bhi pyar kya hota hai ye pata hi nahi..yahi haal baki sab ka bhi hai.

Sirf divya ko chhod kar kisi ne bhi mujhse pyar nahi kiya...pyar kya hota hai, ye sikho divya se...jo mujhse na jane kitni sadiyo se mujhse prem karti chali aa rahi hai...uski ankho ke samne uska pyar kisi dusre ki baaho me jata raha kintu uske mann me iss baat se tanik bhi dukh paida nahi hua..kyon ki use apne pyar par bharosa tha...vastav me pyar ki buniyad hi vishwash ki dor par tiki hoti hai.

Koi aap ko pyar kare ya na kare, isse aapka uske liye pyar kam to nahi ho jata, pyar yadi vastav me hai, sach me yadi pyar hua hai to vah hamesha yathawat rahega…use koi paristhiti ya vyakti badal nahi sakta, vah bhi nahi jisse aap pyar karte ho.

Pyar poori tarah se nishkaam, nihswarth aur poorn samarpan ki bhavna me hota hai...pari ne kaha ki vo mujhse prem karti thi aur maine use dhokha diya..lekin sach to ye hai ki usne kabhi sachcha prem kiya hi nahi...kyon ki prem ka matlab ye nahi hota ki jisse aap pyar karo, badle me vo bhi aapse pyar kare...agar vo badle me aapse pyar na kare to vah bewfa ho gaya... ?

Nahi, ye sachcha pyar hai hi nahi, ye to sirf ek akarsan hai..kyon ki prem me na to apna koi vyaktigat sukh hota hai aur na hi vyaktigat koi dukh...jisse aap pyar karte ho, usko khush dekh kar aap ko khushi milti hai, aur usko dukhi dekh kar hi aap ko dukh hota hai..to phir uske kisi aur ke ho jane par vo bewfa kaise ho gaya... ? sirf sharir hi to dusre ko mila na...iska matlab ki aap sab ko pyar sirf sharir se tha..sharir nahi mila to bewfa...aur sharirik pyar ko hawash kahte hain...tum sab ke mann me sirf hawash thi aur aaj bhi hai, sachcha pyar kabhi nahi tha..kyon ki isme swarth chhupa hua tha, sharir ko paane ka swarth..aur jaha swarth hoga vaha vishwash aa hi nahi sakta.

Lekin aap sab merea pariwar hain...main chahe kitni hi kamyabi ki sidhiya chadh jau lekin meri khushi aap sab ke bina adhuri hai main raja ban ke bhi kya karunga agar mera pariwar hi iss khushi me shamil na ho to... ?

Aap apne jeevan me chahe kitni bhi bhoutik unchaiyo ko chhu le, aap ko vastavik sukh aur santosh ka anubhav tab hota hai jab aap ke paas unn lamho ko apne poore pariwar ke sath bita paane ka waqt aur mouka ho…nahi to evarest ko jeetne ki unchayi bhi aapke andar ke adhurepan ko kabhi poora nahi kar sakti….aapki koi bhi badi se badi jeet tab tak adhuri hai jab tak usme aapke tamaam apno ki hissedari na ho.

Pari (mann me)—aisa mat kaho rajj..mere pyar ka apmaan mat karo..maine hamesha hi sirf tumse hi pyar kiya hai..kisi aur ke baare me kabhi socha tak nahi maine..

Sandhya—aisa mat kaho raj..

Raj—chalo maan liya ki aap sab mujhse pyar karte the...Agar aap sab ko mujhse pyar tha to phir ye pyar badal kaise gaya.. ? pyar me kabhi koi bewfa nahi hota..bewafayi sirf vahi nazar aati hain jaha akarsan hota hai..maine kitne hi logo ko dekha hai ki jo kisi se pyar karne ka dava karte hain aur uski shadi agar dusre se ho jaye to use bewfa samajh kar nafrat karne lagte hain. Kayi de daru pina shuru kar dete hain...vastav me yaha sirf hawash hi thi, kewal akarsan tha..jo sharir ki sundarta ko dekh kar hua tha jise hum pyar ka naam de dete hain..jabki usme sirf hawash bhari hoti hai..vishwash to hota hi nahi hai.

Pyar to kabhi bhi, kisi bhi yug me badal nahi sakta…yahi to eklouti aisi bhavna hai jis par waqt aur kaal ka koi prabhav nahi pada hai….har yug me, duniya ke kisi bhi hisse me pyar karne wale ke dilo dimag ki sthiti ek samaan hi rahi hai….yah kabhi nahi badli, kahi nahi badli…aadam-eev, radha-krishna, heer-ranjha, sohini-mahiwal, laila-majnu, salim-anarkali, romeo-juliet, sab ne apne pyar ke liye ek samaan hi tadap aur tapan mahsoos ki hai…

Radha aur krishna ko dekh lo..dono ek dusre se pyar karte the, ye poori duniya janti hai…lekin dono ki shadi ek dusre se nahi huyi…to kya vo bewfa ho gaye…? Aaj bhi radha ke naam ke sath krishna ka naam aata hai uske pati ka naam to shayad hi koi janta ho aur agar janta bhi hoga to yaad nahi hoga…krishna ke naam ke sath hamesha radha ka naam pahle aata hai unki patni rukmini ka nahi.

Kewal paane ka naam hi pyar nahi hota balki apne premi ki khushiyo ke liye haste haste apna sab kuch uss par qurban kar dene ka naam bhi pyar hai….laila majnu ek dusre ko pyar karte the..laila ki shadi kisi dusre se ho gayi to kya vo bewfa ho gayi..? ya uska pyar khatam ho gaya…? Kewal sharir hi to dusre ko mila…? Kya sharir ka milna hi pyar hota hai aur na milna bewafayi..? kisi dusre se shadi hone ke baad kya laila ke dil se majnu ke liye pyar kam ho gaya…? Dono phir bhi pyar karte rahe..duniya ne iska virodh kiya..unhe patthar maar maar kar maar dala..lekin aaj vahi duniya unn dono ke prem ke aage apna sir jhukati hai.

Prem to hriday ka vishay hai…jitna prem chaho tum kar sakte ho…lekin agar tumne dil se prem kiya hai tabhi…prem koi samjhauta nahi hai…prem koi pratibandh nahi hai..prem to ek bahaav hai jo dil se nikal kar bahta hai…prem ek aisi nadi hai jo kabhi samapt nahi hoti…isme laakho log apne raste ko talash karte hain….moksh, mukti ko prapt karte hain..magar ye kabhi thakti nahi, nirantar bahti rahti hai…tumhara mann thak jata hai, tumhara tann thak jata hai, iske liye tum prem ko dosh nahi de sakte….prem to parmatma ki samipta ka bhas karata hai…prem ki dor pakad kar hum eshwar tak pahuch sakte hain…

Kisi bhi waqt me itni taqat hi nahi ki vah srasti ke sabse anmol tohfe ko koi kshati pahucha de..to jab pyar inn hazar saalo me nahi badla to bhala ab kaise badal jayega..? Par haan, yaha main sirf sachche pyar ki baat kar raha hu, sirf sachche pyar ki…uss jaisi ya uske naam ki aad me chhipe kisi aur rishte ki nahi.

Sachcha prem unmukt hota hai…vo kisi bhi bandhan me bandha nahi hota...na to use samaaj ka koi bhay hota hai..na hi kisi tarah ki badnami ka…sachche prem me kabhi galat fahmiya paida nahi hoti kyon ki vaha vishwash prabal hota hai, atoot hota hai.

Khair aap sab apne apne kamre me ja kar vishram kare, subah hote hi main sabhi ko ghar pahucha dunga…maine jo bhi kiya vo sarasar galat hai, duniya ki nazar me paap hai..kintu mere liye vo mera dharm hai, kartavya hai..aur aisa karna meri vivashta bhi hai…agar aap yahi shrap yukt jeevan jeena chahti hain to mujhe koi aapatti nahi hai main vada karta hu ki jab tak aap khud nahi chahengi main kisi ko hath bhi nahi lagaunga.

Payal (sisakte huye)—raj, tu sab ke sath mujhe kyo jod raha hai…? Main to sab ke samne kahti hu ki mujhe tumse pyar hai.. aur hamesha rahega…main tere alawa kisi aur se shadi nahi karungi…na to mujhe duniya ki badnami ka darr hai aur na hi kisi ke sitam ka…

Mamta—beta, jo bhi hua uske liye sab ko maaf kar de..

Raj—maa, main kisi se naraz nahi hu…vaha kamre me raat me jo sabne kiya usme inki koi galti nahi thi…ab har koi divya to nahi ho sakti na..jise apne pyar par atal vishwash ho…vo manav ki ankhe jo dekhti hain usko hi sach manti hain, yahi sabne bhi kiya.. lekin dubara jo kiya vo galat tha…maine kisi ko nahi chhoda hai, mujhe chhodne ka faisla in logo ne khud hi kiya hai…vaise bhi ab sabhi ke paas paryapt paisa hai..to apni apni life apne hisab se jee sakti hain…unki khushiyo ke beech me aane ka mujhe koi adhikar nahi hai.

Main vaha se nikal kar apne kamre me aa gaya..mere piche piche payal didi, divya aur priyadarshini, mrinal bhi aa gayi…main unn sabse baat karne me lag gaya.

Raat me sab ke sone ke baad jab main janhavi ke room me pahucha to dekh kar dang rah gaya…
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

(^%$^-1rs((7)
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: 05 Dec 2017 04:33

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by naik »

bahot shaandaar update dost
agle update ka intizar h
Post Reply