Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post Reply
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: 05 Dec 2017 04:33

Re: SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by naik »

(^^^-1$i7) (#%j&((7) (^@@^-1rs7)
fantastic update brother keep posting
waiting for next update 😭
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 285

Devraj—swayamvar hoga aur jarur hoga.. vo bhi apne nishchit samay par hi…

Ye kah kar devraj phir se raas rang me mast ho gaye…shayad unhe apni taraf badh rahe khatre ka tanik bhi abhaas nahi tha ya phir unhone devraj hone ke mad me usko jaan bujh kar andekha kar diya tha..

Ki tabhi unhe kisi anya lok me kisi dev shakti ka abhaas hua....

Ab aage......

Kisi anya lok me iss shakti ka abhaas hote hi devraj sahit vaha upasthit anya devta bhi chounk gaye...kyon ki uss shakti ka tez dev lok tak prakirnit ho raha tha.

Pawan dev (PD)—devraj...ye kaisa aloukik prakash hai...jo dusre lok se yaha tak apni roshni bikher raha hai... ? devtao ke alawa itna tez kisi dusre lok ke prani me kaise ho sakta hai... ?

Devraj (hairan)—main bhi yahi soch raha hu..pawan dev....(mann me)..ho na ho...ye shakti avashya hi rajkumari priyadarshini ki hi ho sakti hai..mujhe abhi aur issi samay uske paas jana hoga..

Mann hi mann itna soch kar vo turant hi sabha barkhast kar ke vaha se antardhyan ho gaye...uss disha me jaha se iss urja ke prakashit hone ka abhaas hua tha.

Vo sidhe vrihadpur ki seema me ja kar prakat huye…kintu ab unhe uss urja ka koi sanket milna band ho chuka tha..kyon ki ab tak priyadarshini apne purane roop me aa chuki thi...unhone ankhe band kar ke priyadarshini ko dekhna chaha kintu safal nahi huye..unhe apni ankho ke samne ek ghor andhakar ke siwa kuch nazar nahi aaya.

Devraj (mann me)—roshni to yahi sthan se aa rahi thi... lekin itna jaldi mere pahuchne se pahle hi kaha gayab ho gayi.. ? aur meri divyadristi rajkumari tak kyo nahi pahuch pa rahi hai... ? mujhe thoda aage ja kar dekhna chahiye..

Devraj ne jaise hi vrihadpur ki seema me aage badhne ke liye apne kadam badhaye hi the ki ....

Udhar uss tilismi gufa ke bahar abhi sab uss aloukik roshni ko dekh kar sadme se ubre bhi nahi the ki tabhi vaha jamin me tezi daraar padna shuru ho gayi....vo log kuch samajh pate ki tabhi khaulte huye garam laave ke sath uss jamin ko phadte huye ek vishal chattani kaya bahar nikal aayi...jise dekhte hi sab ghabra gaye.

Chattani badan wali uss kaya ki banawat ek bade rakshasi kide jaisi thi…uska poora sharir patthar ka bana hua tha..usko dekh kar kisi ki bhi ankho me ek darr utar jana bilkul bhi bevajah nahi tha…uski badi badi lal ankhe jalte huye angaare ki bhanti dikh rahi thi...aisi khaufnak darawani cheez ke achanak iss tarah samne aa jane se sab ke dilo me dahshat bhar gayi...

Pushpak bhi use dekh kar vaha se bhagne laga kintu vo vaha se bhag pata usse pahle hi uss vishal kaya ne vahi khade khade apna muh khola aur phir sab ke dekhte hi dekhte ek taez hawa ka jhonka vaha uttapann hua aur pushpak ko apne sath udate huye uss vishal kaya ke muh me sama gaya...kuch aur bhi pret jo bhag rahe the unka bhi yahi haal hua.

Pushpak aur uske sathiyo ka khatma karne ke baad vo dusri taraf mud gaya jidhar ye sab khade the....uska aisa bhayanak roop dekh sab darr se cheekhne chillane lage...kyon ki uske sath bahar nikla garam lava vaha charo taraf phailne laga tha...jo ki tezab se bhi khatarnak lag raha tha.

Ruchi (cheekh kar)—betuuuu...bachaooooo

Neha (chillate huye)--rajjjjjj

Ye dekh sab ghabra kar veer ke piche chhupne lage...veer ke bagal me mrinal, priyadarshini, divya aur dusri side sandhya aur saloni kahi thi..baki sab unke piche chhup gaye.sab ko aise chhupte dekh kar vah jor jor se bhayanak attahas karne laga..aur dhire dhire sab ki taraf badhne laga...sath me vo garam lava bhi tezi se bah raha tha.

"Chamu chajh chase chaba chach chak chaar chaka chaha chaja chao chage....(mujhse bach kar kaha jaoge)...hahahahaha" jor jor se haste huye usne apni bhayanak awaz me kaha.

Usko apni taraf badhte dekh sab dahshat me aa gaye...khatre ko bhanp kar ek bar phir se veer ke andar ja jwalamukhi ubalne laga aur uske andar inject kiya hua formula active ho gaya...active hote hi ye formula behad taqatwar bana deta tha veer ko..kisi aam admi se lagbhag dus guna jyada powerful...sath hi sath ye veer ko kisi bhi chot se jaldi ubarne me madad karta tha...gusse me aate hi uski ankho ka rang ekdam hara ho jata tha...jabki baki sharir ka rang lal padne lagta tha...jis anupat me uska gussa badhega, ussi anupat me uski ankho aur sharir ka rang bhi badhta jata tha...poora sharir lal hote hi aag ki tarah garam ho jata tha...aur ankho se visfotak tarange nikalne lagti thi...

Vo chattani kaya jaise jaise sab ke karib aata ja raha tha vaise vaise sabhi piche khisakte ja rahe the...magar tabhi unhe apne piche dahakti huyi aag ki lapto ka ehsaas hua...sabne jaldi se piche ki taraf dekha to hairan rah gaye..kyon ki ab vo charo taraf se uss garam khaulte lava se ghir chuke the...yaha se nikalne ke sabhi marg band ho chuke the.

Ghabrahat ke karan sab ek bar phir se veer ke piche ja chhupe...magar agle hi pal unhe piche hatna pada kyon ki veer ka sharir aag ki tarah tap raha tha....vo chattani kaya unke samne aa kar khadi ho gayi....veer ki body ya phir uski ankho ki taraf kisi ka dhyan iss samay tha hi nahi..sab ka dhyan sirf uss rakshas par kendrit tha jisse sab bhaybheet the.

Veer (gusse me)—koun ho tum….?

Mrinal—ye dharti ki bhasa nahi samjhega…main puchti hu isse….chapa chaha chad chabha chai..chatu cham chako chaun chaho…? Chatu cham chasi char chase chale chak char chapa chair chat chaak chata chak chala chaka chai chan chase chahu chaye…? (pahad bhai, tum koun ho….? Tum sir se le kar pair tak takla kaise huye…?).

"chame chara chama chaja chak chau chada chati chaha chai....(mera majak udati hai) Hahaha…chatu cham chashi chaka char cham chai chashi chaka chari..(tum shikar, main shikari).hahahaha" usne gusse se mrinal ki taraf badhte huye kaha.

Uske mrinal ki taraf badhte hi turant veer uske samne khada ho gaya...veer ko apne lakshya ke aage aate dekh vo aur bhi kroadhit ho gaya..aur gusse se apna vikral mukh khol kar ek bar phir se hawa ka bawandar banane laga...khatre ka abhaas hote hi veer ki ankho se invisible vosfotak tarange nikal kar uss chattani kaya se takrane lagi.

Agle hi pal vaha ek bhayanak visfot hua aur uss chattani kaya ke sharir ke chithde ud gaye....uska patthar se bana jism chote chote barik tukdo me bikhar gaya....lekin ye kya... ? agle hi pal uske jism ke bikhre huye patthar ke vo tukde phir se aapas me jud gaye...aur pahle se bhi maha bhayanak chattani kaya unke samne khadi ho gayi..

Idhar gufa ke andar Maine ek baar phir se uss chamkile patthar ki shakti ka prayog gufa ki samne ki deewar par kiya...aur phir chattano ke ek taraf khisakte hi unn khuli chattano ke beech se jaise hi bahar jane ki koshish ki to mere pair jaise gufa ki jamin se chipak kar rah gaye.

Kyon ki theek ussi pal gufa ki deewar par dikhne wale nazare jis tarah se badle ki jisko main badi asani se mahsso kar sakta tha ki mere aage kadam uthane ki chahat ko samajhte huye poori chattani gufa hi mere irado ki disha me aage ko chal padi thi.

Main jaise jaise aage badhta ja raha tha vaise vaise samne ki chattane apne aap khisak kar mere liye rasta banati ja rahi thi.. kintu main jab bhi piche palat kar dekhta to apne aap ko vahi khada hua pata jaha se maine chalna shuru kiya tha...kintu iss patthar ki shakti ke prayog se ek baat main samajh chuka tha ki ab main deewar ya kisi bhi chattan ke aar paar hone wali ghatnao ko dekh sakta tha.

Main chalta raha aur vaha ki chattane ek taraf hat kar mere aage jane ke liye rasta banati rahi...aise hi na jane main kab tak chalta raha..lekin vo rasta tha ki khatam hone ka naam hi nahi le raha tha...akhir maine phir se ek bar rk kar palat ke dekha to hairan rah gaya.

Raj (mann me)—mujhe chalte huye do teen ghante se jyada ho gaya hoga lekin phir bhi main vahi ka vahi hu..aise me to main chalte chalte hi thak jaunga...iss tilism ne to mood hi kharab kar diya hai..pata nahi kaisa tilism hai ye.... ? thoda aur chal ke dekhta hu, akhir kya hota hai... ?

Ye soch kar main phir se aage badh gaya..iss bar maine piche mud kar nahi dekha bas chalta hi raha…chalte chalte mujhe kuch aisa nazar aaya jise dekh kar main chounk gaya.

Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 220
5th Janam ki love story continues...

Chitra—phir to lagta hai ki mujhe rajmahal ja kar maharani ji se hi baat karne jana hoga...

Jitu—kya baat karogi maa se... ?

Chitra—ek prem ki mari dukhiyari apna dukhda rone ke siwa aur kar bhi kya sakti hai...bas unhe itna bataungi ki main yuvraj ke bachche ki maa banne wali hu...mujh par na sahi to kam se kam apne hone wale pote par to daya kare..

Jitu (chounk kar)—kkkk....kyaaaaa..... ?

Ab aage…….

Chitra—agar aap mujhse shadi karne ko taiyar nahi honge to mere paas dusra koi rasta bhi to nahi hai na…

Jitu—main to tumhe kitni achchi ladki samajhta tha…magar tum to…

Chitra—main to ab bhi bahut achchi hu yuvraj….agar aap ko yakin na ho to kamre ke andar chal ke sir se pair tak mera ang ang dekh lijiye..aapko kahi koi kami nazar nahi ayegi..aaiye andar main apki khushi ke liye ye karne ko bhi taiyar hu…

Jitu—chhee…chheee….mujhe to tumhare dimag me hi kharabi lagti hai…

Chitra—haan, ye to aapne sach kaha….vo kya hai na ki..jab se maine aapko dekha hai…bas tabhi se mera dimag kharab ho gaya hai…aur mera dil mere paas nahi raha….aap chahe to hath laga ke khud hi dekh lijiye, apko pata chal jayega ki mera dil sach me mere paas nahi hai….main jhuth to bilkul bhi nahi bolti..

Jitu (mann me)—meri biwi aur mere bachche ki maa banne ka itna bada jhuth poori duniya me bolti ghum rahi hai..phir bhi kahti hai ki main jhuth kabhi nahi bolti….jhuthi kahi ki..

Main abhi ye soch hi raha tha ki chitra mera hath pakad ke andar kab le aayi mujhe pata hi nahi chala…vo to jab andar se darwaja band karne ki awaz suni to mera dhyan bhang hua…aur apne aap ko uske sath kamre ke bhitar dekh kar main chounk gaya.

Jitu (chounk kar)—ye..ye…kyaaa..hai….?

Chitra (darwaje ki kundi lagate huye)—aap hi to dekhna chahte hain na ki main achchi hu ya nahi…ab dekh lijiye jee bhar ke.. shayad tabhi aap ko vishwash hoga ki main sach bol rahi hu..

Jitu (ghabra kar)—ye..ye..kundi kyo laga di…?

Chitra—to kya poore gaon ko dekhne du ki main kitni achchi hu…? Mujhe dekhne ka adhikar sirf aap ko hai..

Jitu—jab se jhuth par jhuth bole ja rahi hai…phir bhi kahti hai ki main sach bol rahi hu…jhuthi kahi ki..

Chitra—main kabhi jhuth nahi bolti…

Jitu—ye sab jhuth nahi to aur kya hai…?

Chitra—maine kaha na ki main jhuth nahi bolti…main ye sabit kar sakti hu..

Jitu—achcha...tum sabit kar sakti ho.. ? kaise... ?

Chitra meri taraf badhne lagi to Main jaldi se darwaja kholne ke liye udhar jane laga…magar usse pahle hi vo mere samne aa kar khadi ho gayi…main abhi kuch samajh pata ki usse pahle hi vo mere gale me apni baahe daal ke uchak kar mere upar jhul gayi aur phir meri kamar ke charo taraf apne pair lapet liye…jisse main sakpaka gaya.

Chitra—aise...

Jitu—ye kya badatmizi hai..chitra... ? janti ho, mere sath aisi harkat karne ke liye tumhe karagar me bhi daal sakta hu main... ?

Chitra—ye badatmizi thodi na hai…ye to aap ka apni biwi ke liye pyar hai…aap bas mujhe aise hi pyar karte rahna aur main aap ke liye bachche paida karti rahungi…aur ek din hamare itne bachche ho jayenge ki ek naye rajya ki praja taiyar ho jayegi..

Jitu (shocked)—kyaaaaa…?

Chitra—aur nahi to kya…? Main jhuth thodi hi kabhi bolti hu…chahe to abhi aajma kar dekh lijiye…

Jitu—chalo utro mere upar se…aur mujhe bahar jane do..

Chitra—pahle aap bataiye ki hamari shadi kab hogi…?

Jitu—kabhi nahi…main kisi aur se prem karta hu…samjhi..aur main use dhokha nahi de sakta…

Chitra (shocked)—kyaaaa...aap kisi aur se prem karte ho.... ? koi baat nahi..main aap ke pyar ki khatir ek soutan bhi bardast kar lungi...mujhe aur usko mila kar ab aap ki do biwiya ho jayengi...uske sath din me rasleela rachana aur raat me mere sath sona.

Jitu—aisa kuch bhi nahi hoga..mujhse shadi ke sapne dekhna chhod do..

Chitra—to iska matlab...aap mujhse shadi nahi karoge.... ?

Jitu—hargij nahi..

Chitra (chillate huye)--haaye, ! main lut gayi, barbad ho gayi…..gaon walo…dekho…yuvraj ne mere sath prem ka natak kiya… aur jab main unke bachche ki maa banne wali hu to ye mujhse shadi nahi karna chahte…

Jitu (muh band kar ke)—ye..chup….ye gala phad phad ke chilla kyo rahi hai…?

Chitra—ab kya apni fariyad gaon walo ko bhi sunana gunah hai..? ek abla nari chillaye nahi to kya kare…? Main sab gaon walo ko apni dukh bhari kahani bataungi…

Jitu—hihihihi….aur tujhe lagta hai ki gaon wale teri jhuthi baato par vishwash kar lenge..?

Chitra— jab ek akeli ladki ko ek band kamre ke bhitar payenge aur aap ko use apni god me aise taange huye dekhnege..kya tab bhi vishwash nahi karenge..? sab ko malum hai ki main jhuth nahi bolti..

Jitu (shocked)—aaaa…..ye to maine socha hi nahi…chal chal utar jaldi…(mann me)..meri mati mari gayi thi jo jungle me uss gufa ka rahasya pata karne jane ki jagah iss chorni ko pakadne chala aaya…ek udhar vo anusuiya bin bulaye mehman ki tarah jabran meri jholi me tapak gayi..aur idhar ye chotti jabardasti mere gale pad rahi hai…main bechari divya se kya kahunga..? agar gaon walo ne mujhe iske sath aisi halat me dekh liya to sab iski baat ko hi sach maan lenge.. kyon ki main iss samay apne asli yuvraj ke roop me hu….aur agar galti se bhi ye baat rajmahal tak pahuchi to maa meri shadi iss chotti se karne ka farman jari kar dengi..

Udhar aryan jab rajmahal pahucha maa ne uske sath mujhe na dekh kar usse mere baare puchna shuru kar diya ki main kyo nahi aaya..aryan ne maa ko vahi bataya jo maine usko samjhaya tha…ye sab sun kar maa bahut udas ho gayi…uss samay maa ke kaksh me badi chachi gomti aur unki putri vinita bhi vahi baithi huyi thi.

Deep mala—tum jitu ko apne sath le kar kyo nahi aaye…? Uske bina mujhe ye mahal veerana sa lagta hai…kya use apni maa ki yaad kabhi nahi aati…? Uske mann me tanik bhi ye khyal nahi aaya ki uske bina uski maa kis tarah rahti hogi…? Use apni maa se adhik vo khatarnak jungle pyara hai..?

Aryan—aap vyarth me hi chinta kar rahi hain rani maa…yuvraj ko jungle ki jagah ek ashram me jyada dilchaspi ho gayi hai iss samay..jab dekho tab ashram ke hi sapne dekhte rahte hain..

Deep mala (hairan)—ashram…? Kyo, aisa kya hai uss ashram me..aur koun sa ashram…?

Aryan—uss ashram se hi to dil laga baithe hain yuvraj..maharani maa..

Gomti—kis ka ashram hai vo..? koun rahta hai vaha…?

Aryan—rahta nahi badi rani maa balki rahti hai...

Deep mala (hairan)—rahti hai.. ! kya matlab…koun rahti hai…?

Aryan—divya…ji haan, rani maa…mera mitra yuvraj jitu uss rishi kanya divya ko dekhte hi apna dil haar baithe hain…jab se uss rishi kanya divya ko yuvraj ne dekha hai tab se na to unhe bhookh lagi hai aur na hi pyas….yaha tak ki raat ko sote bhi nahi hain.. bas jab dekho tab ashram jane ki jaldi machi rahti hai unko…isliye to mujhe yaha bhej diya apni jagah..

Deep mala (shocked)—kyaaaaa….?

Gomti (khush ho kar)—mubarak ho deep mala..mere bete ne hamare liye bahu dhoond li hai…

Jaha bahu ki baat sun kar maharani deep mala aur gomti ke dil me ek khushi ki sihran daud gayi to vahi vinita ko ye sun kar ek jhatka sa laga…uski ankhe akasmat hi bhar aayi aur vo turant hi vaha se uth kar apne kaksh me aa kar deewar par lagi yuvraj ki tasveer ko utar kar apne seene se laga liya…uski ankhe motiyo ki mala pirone lag gayi thi.
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: 05 Dec 2017 04:33

Re: SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by naik »

(^^^-1$i7) (#%j&((7) (^@@^-1rs7)
fantastic update brother keep postig
waiting for the next update 😪
Post Reply