Arhann- mohabbat ya nafrat

Post Reply
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Arhann- mohabbat ya nafrat

Post by Fan of RSS »

Mai: jyada bakwas na kar aur yeh bata tu aisa lagta toh nahi toh in logon ke saath kiyun hai

Ladka : bhai main apne maa baap ka iklota beta tha unki mout ke baad paison ki kami ho gayi mujhe padhai chodni padi kam padhai ki wajah se koi nokri bhi nahi mili phir saalim bhai mile in ke saath kam karke main apna zameer bhool gaya kiyun ke mere liye yehi buhat tha ke do waqt ka khana mil jata hai

Mai: naaam kiya hai tera

Ladka: Basil

Mai: yeh card rakh aur yahan chale jana job mil jaye gi chal ab in dono ko bhi leke ja aur marham patti kara

Phir usko card dene ke baad main alia ko leke ghar ki taraf nikal jata hoon itne main alia bolti hai

Alia: roko gadi

Mai: kiyun

Alia: kaha na roko

Mujhe gussa toh buhat ata hai magar gadi rok deta hoon gadi rokte hi alia utar ke ati hai aur mera door khol ke bolti hai

Alia: ab utro yahan se chup chap

Mai:problem kiya hai tera

Alia: bola na chup chap utar aur dusri side beth

Mujhe bhi khoon bahene ki wajah se kamzori lag rahi thi is liye mai bhi chup chap dusri side beth jata hoo

Wo car mai beth jaati hai aur


Mai- ahhh kaya kr rahi hoo chodo

Alia - kaya kaha

Mai - uuh main kah raha hoon apni taraf beth aur gaadi chala jada james bond giri mat kar samajhi naa

Alia - dekhne doo kitana khoon bheh raha hai

Mai- kaha naa dur hat jada payaar mat dhikha

Alia- jab payaar nhi tha bachaya kyu lut jaane .....aahhh

Maine ek tappad usse jad diya

Mai- aaage sabdh bola toh ....... chala abb chala gaadi

Alia[man mai]- akkhir kyu dhika rha hai nafarat mujhe akkhir maine kya kiya hai jab tum mere baare mai galat nahi sun sakate mere muh sai toh aakhir ye dhikhawa kyu

Mai- kaya soch rahai hai

Alia - kkkk..uch nahi

Mai- yeh soch rah rahi ki mai nfarat ka dikawa kar raha hu

Alia ekdum shock hoo jati hai saayad mera adaja sahi tha

Mai- mai bus ess ghar ke logo sai ek chiz kar sakata hua

Alia asshu bhare aakhho sai - kaya

Mai - nafarat ab chal


Alia car ko hospital le jati hai

Mai: yah kiyun ayi hai

Alia abb sambhal chuki thi ( ghoorte hue): chal andar

Phir wo mujhe andar le jati hai aur phir marham patti kar wati hai main is saare samay sirf uske chehre ki masoomiyat dekh raha tha

Mai (man me): haye kitni care kar rahi hai meri bahar se kitni sakhat hai magar andar se ek dum komal bilkul gulab ke phool ki tarah

Magar phir meri muhabbat pe doobara nafrat hawi ho jati hai aur main apni nazrain uske face se hata leta hoon

Phir patti karwake medicine lene ke baad hum ghar ke liye nikal jate hain

Mai rasste main alia ko bolta hoon

Mai: ghar main kisi ko nahi pata chalna chahiye yeh sab faaltu main jhooti mohabbatain dikhane a jain ge

Alia : jyada mujhe nahi bata samjha mujhe ache se pata hai kiya karna hai

Mai: wahan un gundo ke saamne toh bolti band thi wahan banti na phool jhadi khud handle kar leti unhe

Alia: haan toh kar leti faaltu main hero banne beech main a gaya

Mai (chidate hue): nahi ata na toh pata nahi kiya karte wo tere saath

Alia: jyada khush fehmi main na rahe ke teri wajah se bachi hoon aise logon ko handle karna Alia Chaudhary ache se jaanti hai

Mai: chal ja yahan se bari ayi Alia chaudhary

Itne main ghar a jata hai aur jaise hi gadi park karke dono gadi se utarte hain saamne lawn main sab ke saath chai peete bhaiya ke munh se chai nikal jati hai

Aleeza: kiya hua bhai

Bhaiya: saamne dekh

Aleeza jaise hi saamne dekhti hai wo bhi heraan rahe jati hai dono ko saath dekh kar aur yahi haal mom dad aur chacha chachi ka bhi tha

Mai toh sab ko ignore karta hua apne room main chala jata hoon aur alia jaise hi sab ke pass jati hai toh bhaiya poochte hai

Bhaiya : yeh aaj dariya ke do rukh mil kaise gaye

Alia: jyada khush hone ki zaroorat nahi hai wo toh main shopping kar ke cab ka wait kar rahi thi toh raaste main arhaan dikh gaya aur us ne lift dedi

Aleeza (herani se): kiya arhaan ne lift offer ki

Alia : haan toh us se lift maangti meri juti wo toh usne offer ki toh main car main beth gayi

Mom : pata nahi us ki nafrat kab khatam hogi main tut gayi hoon uski nafrat se

Dad: arhaan waqt ke saath saath sambhal raha hai uski nafrat bhi khatam ho jaye gi chalo chodo chai piyo sab

Isi ke saath sab sham ki hawa ka maza lene lagte hain

Kal party hai Arhaan aur tumhe bhi ana hai

Shaam main dad khushi khushi arhaan ko bolte hain

Mai: kaisi party

Dad: yeh deal milne ki khushi main hum ne business party rakhi hai shehar ke saare bade bade businessmen invited hain is bahane sab se tumhara introduction bhi ho jaye ga

Mai (chonkte hue): kaisa introduction

Dad: yehi ke tum humari family ke sab se chote bete ho

Mai: kis ne kaha ke mai aap ka beta hoon

Dad: kiya matlab

Mai: jab mai aap logon se koyi rishta hi nahi rakhna chahta toh kaisa beta haan aur haan mai nahi a sakta party mai sorry

Yeh sab door khadi sarenna bhi sun rahi thi

Bhaiya: akhir kiyun nahi a sakta

Mai: yeh aap logon ka business hai aap hi sambhalo is se mera koyi talluq nahi hai

Dad: yeh business ham sab ka hi toh hai phir kiyun aisi baatain kar raha hai

Mai: magar hum sab main Arhaan shamil nahi hai

Bhaiya: arhaan tujhe kal ana hi hoga

Mai: zabardasti hai kiya jab bol diya nahi aaon ga toh nahi aaon ga peeche padh jaate hain sab

Aur isi ke saath main apne room ki taraf chala jata hoon magar raaste main aleeza mil jaaati hai

Mai: ab tum beech mai kiyun khadi ho haan

Aleeza: Aroo kal tumhe party main ana

Mai: pehli baat mujhe aroo na bola kar aur doosra kis liye aaon party mai

Aleeza (meri ankhon main dekhte hue): mere liye
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Arhann- mohabbat ya nafrat

Post by Fan of RSS »

Ek lamhe ko toh mai bhi chonk jata hoon jis ada se us me yeh bola tha magar phir khud ko sambhalte hue bolta hoon

Mai: tu meri konsi kuch lagti hai jo main aaon ga chal hat sona hai mujhe

Aleeza: bhai meri sab se badi kamyabi hai yeh deal aur yeh khushi main tere saath celebrate karna chahti hoon

Mai: abey ja jyada bhai bhai na kar aur haan apne sagon ke saath celebrate kar apni khusi


Aur yeh kahe ke main agey badhne lagta hoon ke Aleeza ake mera collor pakad leti hai aur gusse se bolti hai ke

Aleeza: tujhe ana hi hoga kal samjha nahi toh mujh se bara koyi na hoga

Mai ek baar uske face ko dekhta hoon aur kuch na kehte hue agey badh jaata hoon

__________________________

Mai room main jaise hi enter hota hoon saamne bed pe sarenna didi pehle se bethi hoti hain

Mai: didi aap is time

Didi: kiyun nahi a sakti kiya tere room main

Mai: nahi didi jab chaho a sakti ho waise koyi kaam tha kiya

Didi: haan aroo kuch baat karni thi

Mai: haan didi bolain

Didi: aroo tuje apne dad aur bhaiya se itni batameezi nahi karni chahiye thi

Mai: jitni nafrat inlogon ne mujhe di hai us ke baat kiya in ke saaath bhangra daloon

Didi: nahi phir bhi araam se toh baat kar sakta hai na

Mai: acha didi kaam ki baat batao kiya kehna hai

Didi: aroo wo....wo jab tere dad itna insist kar hi rahe hain toh chala ja na party main

Mai: didi yeh aap bol rahi ho kiya aap ne nahi dekhi mere liye inki nafrat

Didi: magar aroo ab wo badal gaye hain

Mai: ab badalne ka kiya fayada didi jab kuch bacha hi nahi hai toh

Didi: abhi bhi dair nahi hui aroo maaf karde inhe main ne unki ankhon main tere liye pyaar dekha hai

Mai: ab is pyaar ka kiya fayada didi jab mujhe iski zaroorat hi nahi hai chalo is topic ko chodo didi kuch baatain karte hain

Phir thodi dair baad didi good night bol kar sone chali jaati hain main bhi bed pe sone let ta hi hoon ke door pe knock karke koyi andar ata hai aur usko dekh kar mera munh aisa ho jaata hai jaise koyi kadwa badaam kha liya ho

Ab kiya karne ayi hai is time

Saamne night suit pehne alia khadi thi
Phir wo mere pass ate hue kehti hai

Alia (madhoshi bhari awaz main): ek jawan ladki raat ke is waqt ek jawaan ladke ke room main kiyun ati hai

Mai (man me): abey bc yeh toh humara game humare saath hi khel rahi hai

Mai: abey satya gayi hai kiya

Alia ( aur kareeb ate hue): chal apni shirt utar

Mai: na....na....nahi main nahi utaroo ga hum dono bhai beh.......

Alia: kiya bola bhai behan

Mai (hadbadate hue): na...nahi main ne toh kuch bhi nahi bola

Alia: acha jyada baat nahi chup chap shirt utar

Mai (man me): is ke iraade ache nahi lag rahe akhir yeh karna kiya chah rahi hai kahin.........

Alia (ghoorte hue): jyada nahi soch rape nahi karne wali tera dressing karni hai

Mai: mai khud karloon ga ja ab yahan se

Alia (gusse mai): samajh nahi ata ek baar

Mai: nahi

Alia gusse main mere pass ati hai aur meri t-shirt ek hi jhatke mai phad ke alag kar deti hai

Mai (apna chest chupate hue): pagal toh nahi ho gayi hai yeh shirt kiyun phadi

Alia: jab baat nahi mane ga toh yehi ho ga chal ab chup chaap ache bachon ki tarah let ja

Mai bhi araam se let jata hoon phir alia first aid box uthati hai aur purani dressing kholti hai toh shock ho jati hai

Alia (herani se): ye....yeh tere zakham itni jaldi kaise bhar rahe hain

Mai: lagta hai shaam ke haadse se abhi tak shock mai hai so ja jake

Alia: nahi yeh dekh yeh itni jaldi sukh rahe hain tere zakham

Mai jaise hi dekhta hoon mujhe jyada herani nahi hoti

Mai (baat ghumate hue): chal dressing karni hai toh kar warna room se ja raat buhat ho gayi hai

Phir alia chup chap meri dressing karne ke baad mere qareeb ati aur chest pe haath pherte hue bolti hai

Alia: waise tuh toh mujhe behan nahi maanta toh kiyun na is raat ko haseen banadain

Aur isi ke saath alia mere pass akey beth jaati hai

Mai (ghabrate hue): ki......ki.....kiya matlab

Alia (mere face pe haath pherti hui): yehi ke mosam bhi haseen hai aur do jawan jism room main akele hain toh

Mai (bed se uchalte hue): na.....nahi ma..mai nahi kar sakta aisa kuch

Alia: kiyun nahi kar sakta

Mai: bas nahi kar sakta

Alia: kiyun

Mai: kiyun ke

Alia: haaan bata

Mai: kiyun ke aap me....me...meri be.....

Alia: haan jaldi bol teri kiya hoon nahi toh

Mai: meri be....be.......han ho

Alia (khushi chupate hue): toh phir didi bol mujhe

Mai: nahi boloon ga
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Arhann- mohabbat ya nafrat

Post by Fan of RSS »

Alia mere aur kareeb a jati hai aur mera face pakad leti hai mere aur uske hothon ke beech kuch inch ka gap rahe jata hai

Alia (sargoshi main): nahi bole ga

Mai (hadbadate hue ): ha...ha.....haan b...bo...loon....ga

Alia (mere face pe phook marte hue): toh bol

Mai: d......d......di......di na...nahi karo na

Alia yeh sun ke khush ho jati hai aur mere gaal pe kiss karke peeche ho jaati hai aur main sukoon ki saas leta hoon

Alia: chal tumhe mujhe apni behan toh mana

Mai (badbadate hue): ghanta behan mana

Alia: kuch bola kiya

Mai: na.....na....nahi kuch nahi

Alia: acha chal good night bhai

Mai usey ghoorta hoon

Alia (kaatil muskaan ke saath): ab apni didi ko good night bhi nahi bole ga

Mai (chidate hue): good night meri maa ja ab

Alia arhaan ko aur pareshan karna munasib nahi samajhti aur muskurati hui room se bahar chali jati hai

Mai: is ko didi bole meri joota nahi Arhaan ab is se darna nahi hai dat ke muqabla karna hai iska wo toh aaj chot lagi hui thi is wajah se kuch bol nahi paya nahi toh bata deta Arhaan kiya cheez hai haan haan yehi wajah hogi

Aur yehi sab sochte sochte mai so jata hoon

__________________________

Buhat dino se Saalik aur Mahraja ki taraf se khamooshi thi kaheen yeh khamooshi toofan se pehle ki khamooshi toh nahi magar abhi toh sab theek lagta hai chale dekhte hain apna hero kiya kar raha hai

__________________________

Didi jaldi karo shoping pe jana hai shadi mai nahi dair ho rahi hai

Arhaan sarenna ko awaz lagata hai

Didi: a rahi hoon baba bas 5 mint

Mai (badbadate hue): sala in ladkiyon ke 5 mint kabhi poore hi nahi hote

Mai didi ka wait kar hi raha hota hoon ke itne main Aleeza a jati hai

Aleeza: aroo kahan ja rahe ho

Mai: disco ja raha hoon chalogi

Aleeza : tere saath toh nark main bhi chal loon gi phir disco kiya cheez hai

Aleeza: acha bata na bhai kahan ha raha hai

Mai kuch bolne hi wala hota hoon ke itne main sarenna didi a jati hai

Sarenna: didi shoping pe ja rahe hain main aur aroo

Aleeza (khush hote hue): mai bhi chaloon

Mai: mai kisi ajnabi ko nahi leke jata apne saath

Aleeza udas hoke jaane hi wali hoti hai ke itne mai sarenna didi unhe bhag ke rok leti hai

Sarenna: didi yeh aroo toh pagal hai mazak kar raha hoga aap chalo jaldi se humare saath

Aleeza: mai toh aise hi kahe rahi thi tum log jao enjoy karo

Sarenna: didi mujhe pata hai aap ko party ke liye dress leni hai ab koyi bahana nahi chalo humare saath

Mai kuch bolne hi wala hota hoon ke sarenna didi bolti hai

Sarenna didi (ghoorte hue): chal aroo gadi nikal mai aur didi a rahe hain

Mai gadi nikal je wait kar hi raha hota dono a jati hai aur sarenna didi aleeza ko agey bitha deti hain aur khud back seat pe beth jati hai

Mai (gusse mai): didi agey aao yeh kiya harkat hai mai nahi chalon ga jab tak agey nahi aaogi

Sarenna didi: aroo mera pyara bhai hai na toh meri baat nahi mane ga

Phir mai chup chap gadi chalata hoon jald hi mall ajata hai phir dono ladkiyan shopping mai lag jati hai itni dair mai bhi kuch KHAAS shoping kar leta hoon 2-3 ghante baad jab dono ki shoping khatam hoti hai toh didi bolti hai

Sarenna: aroo aaj toh buhat thak gayi chal ab kuch khila

Mai (gusse mai): ab mujhe hi khalo kab se wait kar raha hoon aur aap ki shopping hi nahi khatam ho rahi

Sarenna: acha naraaz na ho aroo chak ab kuch khate hai

Phir hum sab lunch karte hai aur ghar ki taraf chal dete hain

Ohhhh sorry miss

Aleeza ki nazrain baar baar party main arhaan ko dhoondh rahi hoti hain ke achanak koyi ake us se takra jata hai

Aleeza: no problem

Yeh bol ke jaise hi Aleeza saamne wale ko dekhti hai chonk jati hai kiyun ke saamne mask lagaye ek shaks khada tha

Aleeza: aap A&A industries ke owner hain na

Ladka: ji sahi pechana aap ne miss Aleeza

Aleeza us ladke ki awaaz sun ke chonk jati hai

Aleeza (man me): kaheen yehi toh ...... Nahi nahi wo toh yahan nahi hai yeh koyi aur hai

Aleez (heraani se) : aap ko mera naam kaise pata

Ladka (Aleeza ki ankhon main dekhte hue) : aap ko kon nahi jaanta waise aap buhat khoobsoorat hain

(Navy blue party dress main matching jewellery pehne aleeza lag bhi pari rahi thi party mai har ek ki nazar usi par ja rahi thi)

Aleeza: thanks waise aap yeh mask kiyun pehante hain

Ladka: hai ek wajah waise ab toh milna hota hi rahe ga

Aleeza: ji wo kiyon

Ladka: aise hi waise mujhe lagta hai wo wajah sab se pehle aap ko hi pata chale gi chalain phir milain ge aap se mil je acha laga bye

Aleeza: mujhe bhi bye

Phir wo ladka apni secretary ke saath chala jata hai


Aleeza (man mai): bara ajeeb banda hai magar mujhe yeh apna apna sa kiyun lag raha hai aur mask se jhakteen uski ankhain bhi buhat kuch kahe rahi theen

Itne main dad akey kehte hain

Dad: aleeza beti arhaan aya kiya

Aleeza (udas hoke): nahi dad nahi aya wo

Dad: acha chodo chalo mai tumhe apne business friends se milwata hoon

Phir aleeza dad ke saath chali jati hai aur isi tarah party chalti rehti hai arhaan ne na ana tha na wo aya ya shayad.............

__________________________
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Arhann- mohabbat ya nafrat

Post by Fan of RSS »

Kiyun nahi aya party main ha

Aleeza ghar ate hi arhaan ke pass puhanchti hai magar mai toh usey dekhne mai hi kho jaata hoon wo lag hi itni khoobsoorat rahi thi kiya bataoon

Aleeza : tu kuch bolta kiyun nahi hai

Mai (hadbadate hue): ha....haan kiya boloon

Aleeza (gusse mai): maine kitne pyaar se tujhe party mai bulaya tha kitni khush thi mai magar tu nahi aya

Mai toh ab bhi usey dekhne mai khoya hua tha khule baalon mai wo kisi pari se kam nahi lag rahi thi

Pata nahi achanak usey kiya hota hai wo bhag ke ati hai aur rote hue meri chati main mukke maarti rehti hai

Aleeza (rote hue): ki.....kiyun karta hai tu mere saath aisa uhhhhhh uhhhhh bata mujhe haan

Mai toh kuch kehne ki haalat mai hi nahi tha mai toh uske baalon ki madhosh karne wali khusboo main khoya tha

Wo jab maarte maarte thak jaati hai toh mere gale lag jati hai aur robe lagti hai mai bhi usey kas ke gale laga leta hoon

Pata nahi kitna time guzar hata hai na wo kuch kehti hai na main phir ahista se wo mujh se alag hoti hai mera pata naji alag hone ka man kiyun nahi tha

Aleeza: bhai maanti hoon hum ne bhi tere saath ghalat kiya magar itni badi saza toh na de

Mai (apne aap ko sambhalte hue): tum logon ka gunnah itna chota nahi hai jo itni asaani se maaf kardoon

Aleeza : acha mujhe behan nahi maan sakta magar baat toh ache se kar sakta hai na tujhe nahi pata jab tu aise baat karta hai toh mujhe kitna dard hota hai

Mai (man me): bol toh sahi rahi hai yeh bhi iska itna toh kusoor nahi hai jitni mai saza de raha hoon asal kusoor waar toh iske maa baap hain chalo behan toh mai nahi maanta kiyun ke yeh toh meri........... Magar haan ab isko aise nafrat nahi dikhaoon ga

Mai: acha ab jao subah baat karain ge

Aleeza (masoomiyat se): aroo kiya aaj mai tere pass so jaoon

Mai kuch nahi bolta aur haan mai sir hila kar bed ki ek side ket jata hoon wo bhi khushi khushi ake let jaati hai
Thodi dair main hi neend mujh per hawi ho jati hai

Subah jab meri aankh khulti hai toh apne aap ko kisi cheez se lipta hua pata hoon

Mai (badbadate hue): abey yeh kiya hai

Mai jab dekhta hoon toh heraan rah jata hoon kiyun ke koyi cheez mujh se lipti hui nahi balke aleeza mujhe hug kar ke so rahi thi

Sote hue wo kiya nasoom lag rahi thi
Khule baal aur sab se jyada uske gulabi hoth itne sundar lag rahe the ke bari mushkil se maine khud ko control kiya

Mai (man ne): yeh toh qatal karne ke irade se yahan ayi thi yaar kitni haseen hai yeh aur sote hue toh aur bhi jyada abey yeh kiya soch raha hoon mai

Phir mai usko alag karke uske sir pe kiss karke uthta hoon aur fresh hone bathroom chala jata hoon

Good morning aroo

(Mai jaise hi fresh hoke bath room se nikalta hoon aleeza saamne coffee liye bethi thi aur bed pe mere kapde nikle rakhe the)

Mai: good morning ab yeh sab kiya hai

Aleeza: aaj tu meri marzi ke kapde pehne ga

Mai (munh banate hue): zabardasti hai kiya

Aleeza (haste hue): yehi samajh le chal yeh le coffee pi thandi ho jaye gi

Phir hum dono chup chap coffee peete hain aur uske baad aleeza cup leke chali jaati hai

Mai ready hota hi hoon ke mera mobile ring hota hai

Mai: Hello sahil bol kiya hua

Sahil: bsdk 10 mint ke andar mere ghar aa kaam hai

Mai: kiyun kiya hua bhai

Sahil (gusse mai): marwane ka mood ho raha tha aaja

Mai: abey mai aise kaam nahi karta wo bhi kisi ke ghar aake

Sahil: abey bc aaj result hai baad mai bachudi kar liyo

Mai: abey yeh mai kaise bhool gaya chal mai ata hoon

Phir mai ready hoke nikalta hoon aur sahil ko pick karte hue college puhanchta hoon

Mai: abey bc late ho gaye lagta hai

Magar sahil koyi jawab nahi deta jab mai usey dekhta hoon toh wo sochon mai khoya hua tha mai bhi samajh jata hoon ke yahan ake sahil purani yaadon mai kho gaya hai wo yaadain jo humare liye haseen bhi theen madar DARDNAAK jyada theen specially sahil ke liye

Mai (uske kandhe pe haath rakhte hue): chal yaar ab un baaton ko yaad karne ka kiya fayada result collect karte hain

Sahil kuch nahi kehta bas gardan haan mai hila ke agey chalne lagta hai
Hum jald hi auditorium mai puhanch jaate hai abhi result announce hone mai time tha magar purane doston se milne mai time ka pata hi nahi chalta aur itne mai announcement shuru ho jaati hai

Mai: kiya lagta hai sahil babu ab ke result ka

Sahil ab tak apne aap ko sambhal chuka tha

Sahil: abey bsdk tu toh tension free rehta hai yahan apni phat ke chaar hui wi hai zara sa bhi result kharab aya dad ne bina tel lagaye danda de dena hai

Mai (haste hue): abey tension na le sab acha hi hoga

Sahil: ab chup chap beth ja

Phir mai bhi chup ho jata hoon itne main positions ki announcement hone lagti hai

Announcer: the 1st position is obtained by one and only none other than ARHAAN CHAUDHARY with 96.8% marks

Phir taliyo ki gadgadahat main mai stage pe jaa kar prize collect karta hoon phir result collect karke hum apne city ki taraf chal padte hai

Mai (haste hue): haan bc shukar kar bina tel wale dande se bach gaya tu

Sahil: abey haan yaar sahi kaha mera toh soch kar hi bura haal tha

Phir aise hi baatain karte hue city mai ajaate hai

Mai: chal mere ghar chalte hai sarenna didi yaad kar rahi theen tujhe

Sahil: haan chal chal tere mom dad se bhi mil loon ga

Mai gusse se usey dekhta hoon magar uspe kuch khas farq nahi pada
Itne main hum ghar a jate hain jaise hi hum lawn mai enter karte hai saamne hi bethi sarenna didi humare pass ati hai

Sarenna didi: bhai kahan gaya tha subah se sab pareshan the itni dair lagadi

Itne mai unki nazar sahil pe padti hai

Didi: arey sahil tu bhi aya hai didi ki yaad nahi ayi itne din

Air agey badh ke sahil ko gale laga leti hai

Sahil: hello didi yaad toh buhat ayi magar yeh aroo ne bataya hi nahi aap yahan ho

Mai ghoor ke dekhta hoon use itne mai

Didi: kiyun aroo mere bhai ko kiyun nahi bataya

Mai: bhool gaya tha didi

Didi: acha chodo yeh batao kahan gaye the tum dono saath
Mai: arey didi wo aaj result tha toh sahil ke saath college gaya tha

Didi: arey ab bata raha hai bata kaisa aya result

Mai: jaisa har baar ata hai

Didi: phir top kiya mere bhai ne congrats bhai aur sahil tera kiya aya

Sahil: didi aap ke bhai ne 75% marks liye hain

Mai: bata aise raha hai jaise 95% leke aya hai

Didi: ache ab tum dono ladne nahi lag jana chalo sahil andar chalo
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Arhann- mohabbat ya nafrat

Post by Fan of RSS »

Jaise hi sab andar ate hain saamne maa aur aleeza didi bethe hote hain
Aleeza foran bhag ke ati hai aur poochti hai

Aleeza: kahan gaya tha

Mai: wo result lene gaye tha yeh dekho

Phir main usko apna prize dikhata hoon

Aleeza: congrats bhai

Mai: thanks

Phir hum sab hall mai a jate hai

Didi: aunty yeh sahil hai aroo ka dost aur sahil yeh..........

Sahil: didi mujhe pata hai hello aunty aap aroo ki mom hain na

Phir (aleeza se): and if i am not wrong aap aleeza didi hain na

Mom aur aleeza dono sahil ko heraani se dekhte hain

Mom: par beta aap ko kaise pata yeh sab

Sahil: wo aunty aroo ki dia......na na bas aise hi guess kiya

Sahil bolne hi wala hota hai ke mai usey ghoor ke dekhta hoon aur wo baad badal deta hai

Mom: acha beta bheto pehli baar aye ho khana khake hi jaana

Mai: nahi hum bahar kha lain ge

Sahil: nahi nahi aunty yeh toh pagal hai hum yaheen khain ge bahar ke khaane mai wo maza thodi hota hai jo maa ke haath ke khaane mai hota hai

Maa aur aleeza khane garam karne kitchen mai chali jaati hain aur mai gusse mai sofe pe beth jaata hoon kiyun ke saamne hi sarenna didi bethi sahil se baat kar rahi theen

Mom: chalo bacho aajao khana lag gaya hai

Phir sab khane beth jaate hain khaane ke beech mai bhi sahil ki bakwas jari rehti hai

Sahil : aunty khana buhat tasty hai maza a gaya aapke haaton mai toh jaadoo hai

Mom: acha beta ghar pe sab theek hain

Sahil : ji aunty waise aap ko pata hai wahan hostel mai aroo... Aap logon ko ya....... Ahhhhhhhhhhhhh

Itne main hi main table ke neeche se sahil ke pair pe marta hon aur gusse de dekhta hoon

Mom: kiya hua sahil beta sab sahi toh hai

Sahil: haan haan aunty bas wo mirchain lag gayeen thi

Phir khana khatam hota hai aur sahil bhi nikalne wala hota hai aur sahil bhi chala jata hai uske baad mai apne room mai a jata hoon aur saath ho sarenna didi a jati hai

Didi: waise aroo aisa kiya hua jo aaj kal aleeza se sahi se baat kar raha hai

Mai: toh na karoon kiya nafrat dikhata rahoon usey

Didi: mera wo matlab nahi hai magar tu toh sab ki shakal bhi nahi dekhna chahta tha aur ab sab ko maaf kar raha hai

Mai: kisne kaha sab ko maaf kar raha hoon jo log mere kusoor waar hain un se aaj bhi mai nafrat karta hoon aur marte dam tak maaf nahi karoon ga aur jahan tak aleeza ki baat hai behan usey maine abhi bhi nahi mana hai

Didi (herani se): toh phir

Mai: bas ab uske saath nafrat se nahi pesh aaon ga buhat dil dukha diya uska maine ab aur nahi

Didi: nahi aroo iske peeche koyi aur wahah bhi hai

Mai: haan hai waqt ane pe pata bhi lag jaye gi

Itne mai aleeza didi bhi a jati hain aur humare sath beth jati hai

Aleeza: waise aroo tune top kiya hai party toh banti hai kiyun sarenna

Sarenna didi: haan didi bilkul sahi kaha

Mai: theek hai kal chalain ge pehle movie phir lunch

Phir kuch dair aur baat karke dono good night bolke chali jati hain

Uth ja na bhai kab tak soye ga
Post Reply