Shikari Ki Bimari
Update 1
Ankho ke samne ghana andhera chhaya hua tha ,kuch aawaje abhi bhi mere kano me aa rhi thi ,kuch rone ki awaje ,kuch chillane ki awaje, main apni ankhe kholkar in sabko dekh paane me asamarth tha ,mere sare sharir me itane ghaaw pad chuke the ki mujhe inke dard ka aahsas bhi hona band ho chuka tha ,dheere dheere main besudh ho gaya ………
Main sapno ki ek nayi duniya me kho chuka tha ,janha mere pita hatho me lambi si chamkdaar talwar liye khade hue dikhai diye ,unka pura sharir chamk raha tha ,maa unke banho me Raksha ka dhaga bandh rahi thi ,unki munchhe pure sabaab me uthi hui thi ,mardangi unke jism se hi nahi balki unke rom rom se fut rahi thi ,wo garv se bhare hue najar aa rahe the ,itani bheed aur shor sharabe me bhi unke chahre me ek shikan tak nahi thi ,marne ka koi dar kahi bhi dikhai nahi de raha tha ,ankho me chamk thi aur unki najre mere upper gai unke chahare ki muskan aur bhi gaadi ho gai jaise wo mujhse kah rahe ho ki aane wale din me unki ye jagah mujhe leni hai …….
“nurse turant injection banao iski dhadkan dheemi ho rahi hai “
Mere kano me ye aawaj aayi ,mujhe abhi ye khaber hi nahi thi ki main abhi kaha tha ,kuch der pahle mere jism me naa jane kitane war kiye gaye the ,talwaro se mere pita ji mere dono chacha aur mujhe chir diya gaya tha,pta nahi shayd main bhi kuch hi der ka mehmaan tha ……..
Ye sab kisne kiya tha ???
Mujhe uska naam kuch kuch sunai de raha tha jab pita ji ne use lalkaara tha …sulabh singh ..
sahanpur ke mukhiya ka bhai …
ghughar ka maidan ,aur hamare pariwar ka ek bahut hi mahatwpurn din ,ghughar ka maidan do ganwo ke bich me tha, ek tha sahanpur to dusara tha lakhanpur ,dono ganwo me naa jane kitane jamane se dushamni ka mahol tha ,aur dono hi ganwo ke bich tha ghughar ganw ,ghughar ganw pahle shikariyo ka ganw hota tha ,shikari jo apni kala ko lekar prasidhdh to the hi sath hi sath aur bhi kai ajibo garib prathao ke lliye prasidhha the ,yahi ganw tha sahanpur aur lakhanpur ke bich ki dushamni ka karn ,ghughar ke maidan me bani shikariyo ke devata ka mandir, har 10 salo me yanha mela hota tha ,mela bhi koi aisa waisa nahi balki ise khuni mela kaha jata tha, khuni mela isliye kyoki yanha khun ki holi kheli jaati thi ,wo bhi bas 2 pariwaro ke bich lakhanpur aur sahanpur ke mukhiya ke pariwaro ke bich ye dono pariwar salo se ek dusare ke kattaer dushaman the ,aur dushani ki wajah thi ghughar ke maidan me bane shaikari ke mandir par adhikaar ,iske liye ek mele ka ayojan kiya jaata tha jisme dono pariwaro ke logo ke bich ek jang hoti thi khuni jang, jo jit jaata use milta tha 10 salo ke liye puja ka adhikar ..
main bhi usi pariwar me se ek ka sadasy tha, mai lakhanpur ke chodhaari pariwar ke is pidahi ka iklouta mard tha ,mere pita ji lakhanpur ke mukhiya the aur unke 2 aur bhai the ,mera naam hai ajay ,mere pita vinay choudhari ki ladai aaj sahanpur ke mukhiya tarasingh se hone wali thi ,dono hi pariwar danto me ungali dabakar baithe hue tamasha dekh rahe the ,sabko pata tha ki dono me se ek hi jitega aur dusara yaa to 10 salo tak prajay ki aag me jalega ya fir wahi apni jiwan leela ko samapt kar dega ..
itane bair hone ke bad bhi dono ganw ke logo me ek niyam tha ki mahilaao aur baccho par koi hath nahi uthata tha, ek dusare se ladne wale ki aur uske mout ki bhi ijjat ki jaati thi ,is mandir me aisa kya khas tha ye to abhi mere nawjawan dimag ke bahar tha ,lekin main apni maa aur chacha- chahiyo aur bahno ke sath baitha hua utsukta se pita ji ko jittate hue dekhna chahta tha ..
samne tara singh ka pariwar baitha hua tha ,uska bhai sulabh singh bahut hi uttejit dikhai pad raha tha ,sath hi ek mere hi umra ki kanya par mera dhayn jam gaya ,ye thi tara singh ki beti Ridhima ..ham dono ek dusare ko dekhkar muskura uthe kyoki ham ek hi class me padte the ,kabhi bat nahi ki thi lekin ek dusare ko dekhaa karte the ,ji ha teeno ganw ke bachche ek hi school ,ek hi college me padhte the ,ek hi mandir me puja kiya karte the ,ek hi baajar se saman liya karte the ,aur teeno chije ek hi jagh par thi wo tha ghughar ganw ..bas college 3no ganwo se thode dur badalkheda shahar me tha janha main meri bahan (chahca ki ladki) shirin aur Ridhima padhte the, lekin badalkheda jane ka rasta bhi ghughar se hokar hi gujarta tha …
ajib bat thi ki ladai to 10 salo me ek bar hi hoti thi lekin dushamani hamesha hi barkrar rahti thi …
ladai shuru ho chuki thi meri maa ne pita ji ki puja ki ,banho me ek dhaga bandha aur ek chamchmaati hui talwar unhe di ,pita ji ka vishal majbut deh tel lagne se chamk raha tha ,wo sirf ek dhoti pahne hue the ,sine me uge hue gunghrale bal , choudi chhati aur vishal bhujaye unke mardangi ki gawahi chikh chikhkar de rahe the..
mandir ki ghanti bajne lagi aur sath hi nangado ki awaj bhi aane lagi thi matlab yuddh ka samay aa chuka tha aur main aur sabhi ki sanse jaise ruk si gayi thi , ek bar meri najar fir se Ridhima par gayi , ham jawan the ek dusare ke class me padhte the , kabhi kabhi najan bhi mil jaya karti thi, hamare bich wo dushamni ki diwar nahi thi jo hamare pariwaro ke bich thi lekin fir bhi hamare ghar walo ne hame bat karne se mana kar rakha tha , lekin youwan ki bhookh kya chahta hai , ek chhoti si khwahis ham dono ke dilo me thi nawjawan jismo aur man ki ek pyari si bhookh … shayd dosti ki bhookh ya shayad prem ki bhookh ???
Ridhima ne mujhe all tha best wala ishara kiya , usne apna angutha uthakar ye ishara kiya tha, jawab maine bhi use wahi diya .. hame nahi pata tha ki ye koi khel nahi tha ye abhimaan ki ladai thi , aur ek chhote se insan jiski is duniya me koi bhi value nahi hai uske abhimaan ki kimat uske liye sabse jyada hoti hai …
Mere pita aur tarasing apni chamchamati hui talwar liye maidan me the , sara ganw chilla raha tha udhar sahanpur wale bhi chilla rahe the bich me baithe hue shaikari wale ganw ghughar ke log bhi chilla uthe the , wanha bhi mere kai dost the jo mujhe dekh rahe the kuchh jane pahchane chahre jinke sath main roj padhne jaya karta tha ..
Lekin maidan ka najara kuchh alag hi tha mere pita aur tara singh bhi ek dusare ko dekh kar muskura rahe the , dono hi dikhane me balsali the, bhuwajo ki takat saaf saaf pata chal rahi thi , ek shankh joro se bajaya gaya , nangade baj uthe aur dono hi ek dusare par tut pade , jo dhyan idhar udhar bhatka tha wo sab ab maidaan par aa gaya tha , charo taraf bas shanti chha gayi thi , talwaro ki tankkar se pura mahol hi gunj utha tha …
“iski dhadkan wapas aa rahi hai ..”Dr. ki awaj fir se mere kaano me padi ,
“maa ..” mere muh se pahla shabd nikla tha ek injection mere sine me lagaya gaya tha aur meri sanse fir se chalne lagi thi ,
“main yahi hu beta tujhe kuchh nahi hoga “ meri roti hui maa ki aawaj mere kaano me padi ..
Main fir sapno ke shahar me shair kar raha tha …
Talwaro ki chhot se logo ke muh se nikali hui aah ..
Dono hi ek dusare ko kaat dalne ko taiyar thi aur puri takat laga rahe the , mere pita ke baju ko tara singh ki talwaar ne kaat diya tha ..
“nahi ….” Meri maa bol uthi thi lekin mere pita ke chahre par abhi bhi ko shikan tak nahi tha ..
“bhabhi daro nahi bhaiya jit jayenge “ mere chacha ne kaha kaha , mere dono chacha aur chachiya bhi wahi apne muh me ungali dabaye hue baithe the , meri teeno bahne mere pita ki chot se bas subakne lagi thi ..
“papa maro use ..” aanya bol uthi , aanya meri didi thi mujhse 2 sal badi thi
“bade papa jit jayenge ..” ye bolne wali Shirin aur Ritu thi ye dono mere chacha ki betiya thi , dono hi mujhse chhoti thi
Ritu mere kandhe par apna hath rakhe uchhal rahi thi , idhar mere pita ji bhi puri mehnat kar rahe the , yudhha pure shabab par pahuch chuka tha ..
Achanak tara singh ki talwar chali aur mere pita ke kandhe me ja lagi , wo jankhmi ho chuke the , sara lakhanpur shant ho chuka tha wahi sahanpur wale josh me chila uthe the , main bhi ankhe fade ye sab dekh raha tha ..
“pita ji ghuma kar mariye “ main khada hokar chilla utha , mere pita ne ek bar pyar bhari nigaho se mujhe dekha aur ek bar pura ghumkar talwar chala di …
Talwar sidhe tara singh ke gale me ja lagi , khoon ka ek fuhaara fut pada tha jo sahanpur wale abhi josh me bharkar chilla rahe the wo sabhi achank se shant ho chuke the ,, sabhi shant ho chuke the ye waar hi aisa tha ki sabko chup karwa de ..
Tara singh ladkhadata hue niche baith gaya tha , uske gale se khoon ki dhaar bah gayi thi , mere pita ko bhi jaise galti ka ahsaas hua wo tara singh ke pas jakar baith gaye , wo usse puchh rahe the ki kya wo thik hai ..
Tara sing ka Jism kamjor ho chuka tha lekin irade nahi, usne ek bar mere pita ko dekha aur muskura utha ..
“choudhari aaj ya to tu jinda jayega ya fir main “tara sing joro se lekin muskurate hue bol utha , mere pita ne bhi uske himmat ki kadar ki aur use hath badhakar utha liya , kya pyari si dushamani thi jo ek dusare ke himmat ki bhi ijjat karte the ..
“tara aaj teri bhi ikchha puri kar deta hu , dekhte hai ki sikari baba ke mandir me aaj diya koun jalata hai “ mere pita ne use uthate hue kaha ..
Waar gale me kiya gaya tha khoon bah raha tha lekin tara ne ek hatho se apne gale ko daba kar khoon ka bahkna kam kar rakha tha aur dusare hatho se fir se talwar samhal li thi
“haar maan ja tara tu ladane ki halat me nahi hai ..”
Mere pita ne uski halat dekh kar kaha
“ager haar kar chala gaya to pura ganw thu thu karega “tara ne apni bat rakhi
“ham dono bachpan ke dost hai main kaise tujhe maar du “
Mere pita ki dheemi aawaj mere kano me aa gayi , mere pita shant ho chuke the lekin tara muskuraya tha
“ager dost manta hai to chala de talwar , mujhe ijjat ki mout de de , “ tara sing ne mere pita ko ek ajib hi najaro se dekha tha , maine apne pita ko itna kamjor kabhi nahi paya , aaj unke hath kaanp rahe the
“bahut hui dushamani tara main tujhe nahi maar sakta , ise yahi khatm karte hai ,maan le apni haar chhod de jid 10 saal bad ham fir yanhi honge , ager tujhe abhi ilaaj nahi mila to tu nahi bach payega , ye mujhse kya galti ho gayi maine tujhe kaha maar diya “
Pahli bar mere pita ke ankho me ek afsos sa dikhai diya , ganw wale chilla rahe the lekin main ab bhi un dono ki ankho me chipe us prem aur samman ko dekh pa raha tha jo shayad sirf mujhe dikhai de raha tha ..
“nahi vijay ye koi khel nahi hai , ye parampara hai hamare aur tumhare pariwaro ke bich shadiyo se chali aa rahi parampara , hamme itani himmat nahi ki ham ise tod paaye .. shayd hamare bachche ise tod paaye ..”
Tara ne ek bar mujhe dekha aur ek bar Ridhima ko ..
“ager ham ise dost hokar nahi tod paaye to ye kaise todenge “
Mere pita ki ankho me ek gilapan ubahr aaya tha
Tara sing ka khoon bahut hi bah chuka tha wo aur bhi kamjor ho raha tha
“main haar nahi manunga “
Tara sing ne apne ko muskil se khada rakhte hue kaha
“aisa mat kar maan le haar , dekh tu ladne ke kabil bhi nahi raha “
Mere pita ne use dekhte hue kaha tha
“chala de talwar maar de mujhe , mera bhai mujhe namard samjhe isse to achcha hai ki tere hatho maara jau “
Tara ke ankho me ek chamak aa gayi thi , usne ek bar apne chhote bhai sulabh ki or dekha .. jo ki gusse se bhara hua mere pita ko dekh raha tha ..
“aise mat kar tara “mere pita ne fir se kaha lekin tara ne apni talwar guma di , mere pita bach gaye lekin tara ne fir ek janlewa hamla kar diya
“ya to tu ya main .. aaj to koi ek hi jinda jayega , faisala tu kar le “ tara ye bolte hue fir se mere pita par waar kar gaya , uske waar kamjor the lekin fir bhi mere pita ko bachaw karna pada
“itane dino ki dosti me bas ek chij mangunga , ek waar kar de aur mujhe khatm kar “tara bola aur fir se usne talwar chala di , is bar mere pita ki talwar chal gayi jo sidhe tara ke gale se ja lagi , aur tara sing ka gala hawa me ud gaya …
“nahi …” shaikado log ek sath chilla uthe the jisme ek Ridhima bhi thi …
Mere pita apne ghutano ke bal baith chuke the unki ankho me ansu tha lekin unke sare ganw wale unki jit par chilla uthe the ………