Phela pyar-koi jeeta koi hara

Post Reply
User avatar
shaziya
Novice User
Posts: 2348
Joined: 19 Feb 2015 03:27

Re: Phela pyar-koi jeeta koi hara

Post by shaziya »

Pehla Pyar - Koi Jeeta Koi Hara


Part-35

Lunch suraj ne prem ki family ke saath hi kiya.
Sabhi ek family ki tarah ek hi table pe bethe the.
Suraj ke left mein prem aur prem ke saath jyoti.
Suraj ke right mein jasmeet apni beti ko goddi mein liye uss ke saath jasmeet ka pati.
Aur suraj ke saamne prem ke mummy papa.
Baaton baaton mein suraj, prem aur jyoti ke chennai jaane ki baat chali to jasmeet bol padi.
Jasmeet: tu Chennai ja rea. Tu ohde viah to pehla hi ja ke aap kyu viah ni karva lenda oss naal. (tu Chennai ja raha he. Tu uss ki shadi se pehle hi ja ke khud shadi kyu karva leta uss se.)
Suraj: hun kujh ni hona didi. Chhado bhul jo hun oss nu. (ab kuch ni hona didi. Chhodo bhool jao ab uss ko.)
Prem jis ne beer pee rakhi thi thode josh mein: yaar tu ik vaar haan kar. aapa oss nu bhaja ke le aane ethe. (yaar tu ek baar haan to kar. Hum uss ko bhaga laate he yaha.)
Suraj: kanjra pata ohde peo di pahuch kini uchi aa. Politicians nal uthna bethna oss da. (kanjara pata uss ke baap ki pahuch kitni onnchi he. Politicians ke saath uthna bethna uss ka.)
Prem ke papa jo ache khaase tunn the badhak maar ke: oye ohna politician di maa nu. Chak leayo ik vaar saambh la ge fer bhain deni diya nu. (arey unn politicians ki to maa ko. Utha lao ek baar. Sambhal le ge fir bhain deni walo ko.)
Yeh sunn sabhi hass pade.
Suraj bhi hassta hua: auntie saambho uncle nu. (auntie sambhalo uncle ko.)
Prem ki mummy: sardar ji tussi ta chup hi karo hun. (sardar ji aap to chup hi karo ab.)
Prem ke papa: oh sohniye tu kehni ta main ni bolda par yaar saade puttar di khushi da sawaal aa. (oh sohniye tu kehti he to main nahi bolta par yaar hamare bête ki khushi ka sawal he.)
Prem: papa main te jyoti ja re aa na naal. Dekha ge je koi jugaadh lag gea ta. (papa main aur jyoti ja rahe he na saath. Dekhe ge agar koi jugadh ban gaya to.)
Suraj ne prem ko heran ho dekha: o nahi yaar tu rab da vaasta othe koi panga na pa di. (O nahi yaar tujhe rabb ka vaasta he koi panga na pa dena.)
Jyoti: haaye suraj mera ta dil kehnda aapa Chennai to khali ni mudhna. Dekh li utte wale ne koi na koi ta mehar kar hi deni. (haaye suraj mera to dil kehta hum ne Chennai se khaali ni lautna. Dekh lena ooper wale ne koi na koi mehar kar hi deni he.)
Prem ki mummy jyoti ko seene se laga ke: le kudiye mera vi vaada fer je tussi surje de wohti naal le ke aaye ta tera diamond nicklace pakka. (le beti mera bhi vaada he fir agar tum suraj ki dulhan le ke aaye to tujhe diamond ka necklace pakka dugi.)a
Jyoti saas ke seene se lagi hui: mummy pehle kya kam jevar he mere paas. Jo aap aur vaada kar rahi ho. Suraj ko uss ki khushi mil jaaye iss se kimti koi tohfa nahi hum sab ke liye.
Suraj hass ke: dekhi jo dekhi jo saare sapne. Kujh ni hona. Eh koi movie ni. Real life he. (dekh lo dekh lo sabhi sapne. Kuch nahi hoga. Yeh koi movie nahi. Real life he.
Wo sab hass khel rahe the khana khaate.
Unn ka main topic suraj aur parul hi the.
Unn ko yeh nahi pata tha ke suraj aur prem ki back side pe hi ek doosre table pe kitty, kanta, kitty ka pati aur kitty ke bache bethe lunch kar rahe the. Wo sab inn ki baatein sun rahe the.

Doli ke saath hi jab prem ki family gayi.
Ussi time suraj bhi nikla waha se.
Jaane se pehle suraj ne kaha ke wo teen baje tak parso means 24th ko prem aur jyoti ko lene aaye ga.
Aaj 22nd November thi.
24th ko unn ko delhi pahuchna tha.
kyu ke 25th ko subah unn ki flight thi delhi se.
Wese shaadi to 29th ki thi.
par iyer ne bataya tha ke rasme kai thi.
jese teeka, mehndi shagun etc.
fir suraj chahta tha ke prem aur jyoti ki jodi aur radhika aur arun ki jodi thoda Chennai ghoom le.
Suraj ko ek do din thoda apna kaam bhi karna tha.
Prem ko bhi suraj ne kaha tha ke wo south mein expand kare apna kaam.
Issi karan wo itne din pehle ja rahe the.

24th ko dopehar ke baad teen baje nikle suraj, prem aur jyoti.
Sabhi suraj ki hi car mein the.
Car rani ka pati drive kar raha tha.
Raat nau baje sab radhika ki mom ke yaha pahuche.
Rani ka pati khana kha ke wapas chala gaya Chandigarh.
Radhika bhi arun aur baby ke saath wahi aa gayi thi.
agli subah aath baje sabhi nikle.
Taxis mangva li thi do.
Mitali unn ke jaate time uchhal uchhal ke keh rahi thi.
Mitali: suraj veere meri pari bhabi ko le ke lautna. Bhagaa lana uss ko.
Uss ke pagalpan pe sab hass rahe the.
Dopehar ko do bajne wale the jab sab Chennai airport pe the.
Rachit khud aya tha badi gaadhi le ke unn sab ko receive karne.
Suraj aur rachit first time mile the.
Par rachit ese mila jese sab ko ache se jaanta ho.
Suraj rachit ko sab se introduce karvane laga.
Prem ko wo khaas taur pe Punjabi style mein mila yeh bol ke: sa sri kaal (Sat Siri Akal) bhaa ji.
Aur jyoti se bola: sa sri kaal bhabi ji.
Radhika ko rachit ne jese parul didi kehti thi wese hi didi se sambhodan kar mila.
Wo sab ko le ke seedhe ghar hi aya.
Suraj raaste mein to ache mood mein tha par ghar pahuchte hi thoda udas sa ho gaya.
Uss ne yeh udasi baaki sab se to chhupa li par prem, radhika aur jyoti se nahi chhupa paya.
Iyer uss time ghar pe nahi tha.
parul ki mummy ne sab ka sawagat kiya.
Uss ne sab ko galle laga ke pyar diya.
Par suraj ko seene se laga uss ka maatha choom liya.
Uss ne suraj ko le ke jo ek sapna sanjoeya tha wo to ab lagpag toot hi chukka tha.
sabhi ander aa sofo pe beth gaye.
Kuch hi pal baad ek maid sab ke liye sharbat le aai.
Rachit ke paas aati shivani ko dekhte hi suraj pehchan gaya.
Uss ne uth haath jodh ke uss ko wish ki.
Aur fir sab se uss ka introduction karvaya.
Suraj baar baar idhar udhar dekh raha tha.
uss ki najre parul ko dhoond rahi thi.
par wo kahi najar na aa rahi thi.
Suraj samajh na pa raha tha ke wo kese react kare jab parul mile uss se.
aur parul kese react kare gi wo yeh bhi soch raha tha.
ek baar uss ke dil mein aya ke wo poochhe mrs. iyer ya rachit se ke parul kaha he par wo himmat na juta paya.
Wo innhi socho mein dooba hua tha ke radhika ne poochh liya.

Radhika: auntie parul kaha he?
Mrs. Iyer: wo ooper he apne room mein.
Shivani boli: main abhi bula lati hu.
Suraj ne shivani ko roka.
Suraj: rukiye bhabi.
Fir suraj radhika se: yaar tum hi ja ke mil aao na.
Asal mein suraj nahi chahta tha ke ek dum se parul uss ke saamne aaye.
Tab rachit bola: arey nahi nahi radhika didi. Aap sab itni dur se aaye he to wo kya neeche nahi aa sakti.
Par jyoti shayad samajh gayi jo suraj chahta tha.
wo jhat se uthi.
Jyoti: hum hi ooper ja ke mil lete he na ek baar. Wo shayad sharma rahi hogi. Chaliye radhika didi.
Shivani radhika aur jyoti ko le ke ooper chali gayi.

Unn ke jaate hi rachit ne suraj se kaha: chaliye aap bhi fir ooper hi chaliye. Aap ke rukne ka arrangement bhi ooper hi he.
Yeh sunte hi suraj bol pada: nahi rachit bhai hum yaha nahi ruke ge. Aap ke aur guests bhi aane hoge. Hum log hotel mein ruke ge.
Rachit yeh sunn ke: nahi nahi suraj aap isski chinta na kare. Saath hi ek guest house he. Sabhi guests wahi ruke ge.
Suraj uth ke khada hota hua: to chaliye fir hum bhi wahi ruk jaaye ge. I wanna some rest.
Prem: uss ka haath pakad: yaar tujhe itni jaldi kya he? Didi aur jyoti ko aane de. Sab ek saath chalte he.
Suraj haath chhudate hue: tu samjha kar na yaar. I m feeling headache. Tum log aa jana baad mein. Main chal ke thoda rest kar lu.

Suraj ne aage ho rachit ka haath pakad kheencha aur uss ko le jaane laga.
Rachit kuch samjha to na ke suraj ko hua kya he.
Par fir bhi wo uss ke saath chal diya.
Wo suraj ko akele hi guest house le gaya.
Rachit ne bataya ke yeh guest house unn ka hi he.
yeh marriages ke liye log lete rehte he.
Waha abhi koi na tha.
shayad baki guests ko ek do roj mein aana tha.
Rachit ne ground floor ke teen rooms waha duty pe lage bande ko kholne ko kaha.
Rooms ache bane hue the.
Beds, table, chair, cupboard with attached bathroom.
Sab ka luggage abhi rachit ki gaadi mein hi pada tha.
Wo niklva ke ek room mein rakhva diya.
Aur teeno rooms ki keys bhi suraj ko de di.
Rachit ne jaate jaate kaha abhi wo thoda rest kar le.
Jab sabhi lunch Karen ge to wo aa jaaye ga lene.
Udhar shivani ke saath jab radhika aur jyoti parul ke room mein pahuchi to parul babita ke saath apne bed pe bethi hui thi.
Parul ki peeth thi door ki aur.
Babita ne hi dekha pehle radhika ko.
Babita bed se uthte hue boli: parul dekh radhika didi.
Parul jab tak radhika ko dekhti.
Babita bhaag ke radhika se lipat gayi.
Babita se mil ke radhika ne parul ko dekha.
Wo ab tak bed se utar khadi ho chukki thi.
Radhika ne note kiya ke parul kafi weak lag rahi thi.
Radhika ne smile ke saath baahein fela di.
Parul jhat se uss se lipti.
Parul ki aankhein chham chham barsne lagi.
Radhika ne uss ki peeth sehlate hue uss ko chup hone ko kaha.
Jab wo chup na hui to radhika ne kaha: thik he agar tujhe mere aane ka itna hi dukh he to main chali jaati hu.
Rote rote parul ke labo pe smile aa gayi.
Fir radhika ne jyoti ki aur ishara kar kaha: yeh dekh kaun aya he. Suraj ke dost prem ki wife jyoti.
Parul aage ho jyoti se mili yeh kehte hue: I know jyoti bhabi. Maine sab ki pics dekhi hui he.
Babita pehle hi mil li thi jyoti se.
Jyoti se mil ke parul fir boli: prem bhaiya aur arun jija ji kaha he.
Asal mein parul poochhna to suraj ka chahti thi.
Jyoti: wo sab neeche bethe he.
Parul unn sab ko milne neeche chal di radhika ke saath.
Saath hi shivani, jyoti aur babita bhi thi.
wo neeche aa prem aur arun se mili.
Baby ko apne se laga pyar bhi kiya.
Par jis ke liye wo vichlit thi wo to waha tha hi nahi.
Wo chah kar bhi kisi se poochh na pai.
Itne mein rachit cell pe baat karta hua ander chala aa raha tha.
Mrs. iyer kitchen se niklti hui boli: aap log chai pehle lege ya lunch ke baad chai leni he.
Chai ke liye sab ne inkar kar diya aur lunch thoda ruk ke karne ko kaha.
Issi beech rachit phone se free ho ke bola: chaliye aap sab ko bhi guest house chhod du. Fir mujhe station jana he kochi se maasi ji ki train pahuchne wali he.
Mrs. iyer: guest house kyu? Tere papa ne kaha tha na inn ko ooper rukwana he.
Rachit: mamma suraj nahi maana. Wo to hotel mein rukne ka keh raha tha. maine uss ko bataya ke guest house he to fir why hotel.
Mrs. iyer: kaha he suraj. Main baat karti hu uss se.
Rachit: uss ko to main chhod aya guest house.
Shivani: aap ko jana he rachit to jao. Main inn ko guest house le jaati hu. Yahi paas hi to he.
Rachit : okk sweetie thanx. Left side ke teeno rooms inn ke he.
Fir radhika se: please don’t mind didi. Aap shivani……..
Radhika ne beech mein toka: its okk rachit. No problem.
Rachit: thank u didi. U r really sweet.
Yeh bol wo teji se nikla.
Mrs. iyer shivani se paas aa ke boli: shivani beta tumare papa ka clear order he ke yeh sab ghar mein ruke ge. Ooper ke teen room inn hi ko dene he. Main rachit ko phone pe bol deti hu.
Shivani: thik he mamma jo aap kahe. Main abhi ja ke suraj bhaiya ko le aati hu.
Radhika: chal hum bhi saath chalte he shivani. Wahi thoda fresh ho le. Fir sham ko jese uncle kahe ge hum kar lege.
Idhar Mrs. iyer ne rachit ko call laga li.
Shivani sab ko le ke guest house ko chal di.
Radhika ne dekha parul waha nahi he.
Radhika: yeh parul kaha gayi?
Arun: wo to apni saheli ke saath bahar nikal gayi.
Shivani hole se: wo shayad guest house gayi hogi.
Sab chal pade.

Idhar rachit ke jaate hi suraj preshan sa room ke bed pe aa betha.
Wo soch raha tha ke kahi uss ne yaha aa ke koi galti to nahi kar di.
Wo parul ke saamne kese jaaye ga.
Apne jazbaaton ko kese rok paaye ga.
Yahi sochte hue uss ne joote utare aur bed pe aa ke late gaya.
Fir kuch pal baad uss ne khud ko samjhaya.
Ke wo khud pe kaboo rakhe.
Abhi to uss ko parul se milna he.
Wo pata nahi kis haal mein hogi.
Uss ko samjhana bhi he aur sambhalna bhi he.
Wahi dil chhode ga to kese parul ko samjha paaye ga.
Sochte sochte uss ne aankhein band kar li.
Uss ki socho ki ladhi tooti jab kaano mein ek awaaz padi, “surya”
Jahir tha uss ko iss naam se pukarne wali koi aur nahi parul hi thi.
Uss ne aankhein kholi.
Room ke door pe parul khadi thi.
“parul” suraj ke hoont to kaampe par awaaz na nikli.
Wo to dekh heran hi reh gaya parul ko.
Pehle jab wo milli thi to khille hue gulab ke jesi thi.
Par ab yeh gulab lagta tha jese murjha gaya ho.
Palak jhapkte hi parul uss se aa lipti.
Uss ke peechhe khadi babita ko dekh suraj ne parul ko kandho se pakad alag karne ki koshish ki.
Jese hi uss ne esa karna chaha.
Parul uss se aur bhi jor se chipak gayi.
Bacho ki tarah fafak fafak ke rone lagi.
Suraj se uss ka esa rona sehan na hua: please parul ese bhi koi rota he.
Parul rote rote hichkiya leti hui badi mushkil se bol rahi the: to ….. ese…….bhi…….. koi ………karta……. he…….mile ……tak …..nahi …….yaha …..aa ……gaye.

Suraj ki aankhein bhi nam ho chukki thi par fir bhi kese bhi kar ke uss ne khud ko sambhal liya.
Wo bola: tere issi pagalpan se darr ke main yaha aa gaya. Koi dekhe ga to kya soche ga.
Agle hi pal parul ka rona band ho gaya.
Suraj ko laga shayad uss ne control kar liya apna rona.
Uss ne parul ko thoda alag karna chaha fir se to.
Ek tej jhatka laga uss ko.
Parul ki gardan latak chukki thi ek aur.
Wo uss ki baahon mein jhool rahi thi.
User avatar
shaziya
Novice User
Posts: 2348
Joined: 19 Feb 2015 03:27

Re: Phela pyar-koi jeeta koi hara

Post by shaziya »

Pehla Pyar - Koi Jeeta Koi Hara


Part-36

Agle hi pal parul ka rona band ho gaya.
Suraj ko laga shayad uss ne control kar liya apna rona.
Uss ne parul ko thoda alag karna chaha fir se to.
Ek tej jhatka laga uss ko.
Parul ki gardan latak chukki thi ek aur.
Wo uss ki baahon mein jhool rahi thi.
Suraj ghabra gaya aur ghabrate hue cheekha: parul parul……kya hua parul.
Yeh sunn babita bhi teji se unn dono ki aur aai.
Babita ne bhi uss ko jor se hilaya: parul…….parul.
Suraj ke to haath paon hi thande padhne lage the.
Suraj ne jaldi se uss ko bed pe lita ke paas padhe glass se pani le hatheli pe parul ke muh pe kuch chheente de maare.
Behosh ho gayi parul pe pani ke chheento ne apna asar dikhaya.
Bed pe leti ne huuuuuu huuuuuuu kar sar hilaya thoda.
Suraj ki atki hui saans lauti uss ko hilta dekh.
Uss ne jaldi se parul ke sar ke neeche apni left baajoo daal thoda ooper uthaya aur pani ka glass utha uss ko do ghoont pani pilaya.
Suraj uss ko apne seene se beench: tujhe kya ho gaya tha parul. Tu behosh kyu ho gayi?
Babita: suraj ji iss ne subah se kuch nahi khaya. Khali pet he. shayad issi karan yeh behosh ho gayi.
Babita ki yeh baat room mein aati hui shivani, jyoti, radhika, prem aur arun ne bhi sun li.
Suraj: wat kuch nahi khaya? but why?
Fir jese hi suraj ki najar shivani pe padi to wo uss ko gusse se bola: bhabi yeh sab kya he? aap itne log he ghar mein aur iss ne kuch nahi khaya. Kya iss ki khabar tak nahi aap ko. Parul ka yahi khyal rakhte he aap sab?
Radhika ne jhat se suraj ko aage bolne se roka: suraj kya ho gaya he tum ko. Wat is this nonsense. Kese baat kar rahe ho tum shivani se.
Itne mein shivani jo parul ko dekhte hi ek pal darr gayi thi.
Suraj ke gusse se uss ki aankhein nam hoti chali gayi.
Wo teji se room se bahar nikli.
Radhika uss ko bahar jaate dekh uss ke peechhe lapki.
Shivani ko pukara: shivani kaha chal di. Suraj to pagal he. uss ki baat ka bura na maan lena.
Shivani jaate jaate aankhein saaf karti ek pal ruki: didi yaha shayad kitchen mein fruit hoga main le ke aati hu.
Radhika bhi uss ke saath hi chali aai.
Idhar jese hi shivani room se nikli to prem suraj se: oye ullu tenu akal he ke nahi. (oye ullu tujhe akal he ke nahi.)
Suraj: sorry yaar oh ess di eh haalat dekh main control kho betha. Tu dekh yaar je kuch khaan nu he ta. (sorry yaar wo iss ki yeh haalat dekh main control kho betha. Tu dekh yaar agar kuch khaane ko he to.
Itne mein hi shivani aur radhika ek plate mein kuch apples aur oranges le aai.
Radhika apple kaatne lagi aur shivani ne orange chheel suraj ko diya parul ko khilane ko.
Suraj orange le parul ko khilane laga.
Shivani wahi bed pe dono ke paas beth gayi.
Suraj parul ko orange khilata hua: sorry bhabi main kuch jayada hi bol gaya.
Shivani smile de halki si: sorry to mujhe kehna chahiye suraj bhaiya. Main subah se kaam mein itni busy rahi ke iss ko naashta karvana hi bhool gayi. Maine socha ke iss ne kar liya hoga. I am really sorry bhaiya.
Yeh bol ke shivani ne suraj ka haath pakad dabba diya halke se.
Suraj: fir bhi bhabi mujhe kuch to sochna chahiye tha. pehli baar aap se mila hu……
Shivani uss ki baat kaat ke: bhaiya gussa wahi karta he jo apna samjhta he. mujhe aap ke gusse ka jara bhi bura nahi laga. Aap bhut ache ho bhaiya.
Itne mein radhika ne apple ka ek piece kaat ke praul ko diya.
Parul ab uth ke beth chukki thi.
Suraj ne ab fir uss ko dhayan se dekha.
Pehle ki parul aur aaj ki parul mein kitna farak aa gaya tha.
kaha khili khili ek gulab ke phool ke jesi parul ab koi murjhaya hua phool lag rahi thi.
pehle se aadhi lag rahi thi.
wo chahta tha kuch kehna par baaki sab ke waha rehte keh na paya.
Suraj utha waha se to radhika uss ki jagah aa bethi.
Suraj babita ke kareeb aa uss ko hug kar bola: sorry yaar iss ke chakkar mein tujhe milna to bhool hi gaya.
Babita bhi uss ko hug karte hue smile de boli: its okk suraj. Hum ab mil lete he.
Parul ne ghoor ke dono ko dekha.
Jyoti yeh sab note kar rahi thi.
Shivani ke kehne pe radhika ne baaki sab ko bhi apple diya.
Saath hi babita ko kitchen se aur fruit laane ko kaha.
Suraj ne keys ek table se utha arun aur prem dono ko ek ek dete kaha: yeh lijiye chabiya. Saath wale dono rooms bhi apne hi he.
Jyoti ne jaate jaate suraj ko aane ka ishara kiya.
Fir suraj shivani se: bhabi aap abhi iss ko ghar le jana. Hum jaldi hi aate he lunch karne.
Fir wo parul se: parul ji aap please ja ke khana khaiye.
Yeh bol suraj bahar ko jaane laga to parul bol padi: aap kaha chale.
Suraj: yahi hu saath wale room mein jyoti bhabi ne bulaya he jara.
Suraj saath wale room mein prem aur jyoti ke paas aa gaya.
Suraj: ji kahiye bhabi jaan kya hukam he.
Jyoti: suraj tu bahut galat kar raha he. abhi bhi time he. tu uncle auntie se baat kar. nahi to dekh yeh kudi marr jaye gi. Doosri neela he yeh.
Prem: jyoti sach keh rahi aa suraj. Poori neela vargi aa. Yaar tenu koi na koi kadam chakkna pau. (jyoti sach bol rahi he suraj. Poori neela ke jesi he. Yaar tujhe koi kadam uthana hi padhe ga.)
Suraj: aap dono pagal ho kya? Na neelu ko kuch hua aur na hi iss ko kuch hoga. Yeh Hindustani kudiya na shadi hote hi poori ki poori apne pati ki ho jaati he. unn ki har khushi pati se judh ke reh jaati he.
Jyoti thodi kheej ke: aur tu…… tere liye teri khushi ka koi mol nahi. pehle neelu aur ab yeh parul. Tujhe kya lagta he iss ke jaate hi koi aur chali aaye gi? Suraj pyar ek baar aata he jindgi mein……. Tu lucky he ke tujhe doosri baar mil gaya parul ke roop mein………..par yeh ab baar baar nahi aaye ga. Neela aur parul ci roj roj na mile gi tujhe. Kyu suraj kyu? Kyu tu apni khushiyo ka dushman ban betha he.
Bolte bolte jyoti ki awaaz bhari hoti chali gayi.
Suraj: bhabi I know aap ko meri fikar he. I appericiate ur concerns. But bhabi auntie uncle, wo mujhe beta samjhte he. auntie ko dekha na aap ne kitna pyar karti he mujhe. Main unn ko koi aisi baat nahi keh sakta jis se unn ki izzat pe aanch aane ka khatra ho. Sorry bhabi.
Suraj yeh sab bol ke room se bahar nikal gaya.
Suraj ke jaate hi jyoti prem ke kandhe pe sar rakh ke sisak padi.
Prem uss ki peeth sehlane laga.
Dono hi suraj ke liye kuch karna chahte the.
Par shayad wo kuch bhi kar pane mein asmarth the.
Suraj wapas apne room mein aa gaya.
Parul babita, radhika aur shivani ke paas bethi thi.
suraj ko aate dekh radhika uthi.
Wo thoda fresh hone ko arun ke paas chali gayi.
Suraj ne shivani se kaha ke wo parul ko le jaaye aur khana khila de.
Wo log kuch hi der mein aa jaate he.
Parul jana nahi chahti thi par suraj ke kehne pe wo chal di.
Suraj unn teeno ke jaate hi bed pe aa betha.
Parul ki sehat dekh wo chintit tha.

Udhar radhika jab room mein aai to arun aur baby bed pe aram se bethe the.
Radhika baby ko baahon mein le pyar karne lagi.
Saath hi saath uss ke kapde bhi utarne lag gayi.
Baby ko laga shayad ab radhika uss ko nehlaye gi.
Baby ruansi si awaaz mein: mamma main ab ni nau gi.
Radhika hassti hui: mamma apni gudiya ko nehlaye gi nhi beta. Sirf hum haath muh dhoye ge aur kapde changi changi kare ge.
Yeh bol radhika baby ko room se attached chotte se bathroom mein le gayi.
Uss ka haath muh dho kapde change kar diye.
Idhar arun kuch socho mein dooba hua bed pe betha tha.
Radhika uss ko ese dekh boli: janab kinn socho mein doobe bethe ho aap.
Arun ne uss ko dekh smile di: nahi nahi bas aive hi.
Radhika: aive hi nahi hazoor kuch to he.
Arun thodi aankhein sikodta hua: radhika meri kuch samajh nahi aa raha yaha chal kya raha he. mujhe thoda darr sa lag raha he.
Radhika heran ho: darr? Kis baat ka?
Radhika uss ke kareeb aa bethi.
Arun: jab hum saath ke room mein the sab to jyoti prem se keh rahi thi ke kuch bhi kar ke hum suraj ko manaye ke wo parul ko bhagaa uss se shadi kar le.
Radhika smile de ke: to
Arun heran ho: kamaal he main itni serious baat kar raha hu aur tum smile de rahi ho.
Radhika: arun aap kya sochte he suraj esa kuch kare ga.
Arun: kar bhi sakta he. lagta he wo bhi parul se pyar karta he. agar esa hua to socho kya izzat reh jaaye gi inn logo ki. Bahut pese wale lagte he. reach bhi achi khaasi hogi inn ki. Agar esa hua radhika to bahut bura hoga yeh.
Radhika: arun lagta he aap abhi tak suraj ko samajh hi nahi paaye. Lagta nahi suraj sach mein pyar karta he parul se. maine aap ko bataya tha na suraj kis haalat mein mila tha mujhe. Aur kya kya gujar chukki he uss pe. kya aap ko lagta he ke suraj esa kuch kar sakta he. wo apni khushi ke liye kisi ki izzat se khelne wala lagta he kya aap ko.
Radhika ko sach mein dukh ho raha tha arun ki soch pe.
Kuch pal ruk fir wo boli: arun suraj parul ki maa ko maa ki tarah pyar karta he. parul ke papa ki apne papa ki tarah izzat deta he wo. Wo na to uss maa ki mamta ko dhokha de sakta he aur na hi apni khushi ke liye kisi ki izzat se khilwad kar sakta he.
Radhika jis ki aankhein nam ho gayi thi saaf kar fir se boli: suraj ek pagal he arun. Emotional he. ya yu kahiye emotional fool he. main uss ki rag rag se wakif ho chukki hu arun. Wo kisi ka dil dukhana to jaanta hi nahi. Chahe uss ke liye uss ko kuch bhi karna pade. Wo apne liye nahi auro ke jeeta he.
Fir ek pal saans le ke boli radhika: suraj rishte banana hi nahi nibhana bhi jaanta he. aap dur kyu jaate ho arun. Meri family ke saath hi dekh lo. Kitne bade ghar ka beta he. kya uss ne kabhi delhi aa ke yeh ehsaas hone diya kisi ko. Koi nakhra kiya kabhi?
Abhi yeh bol hi rahi thi radhika ke suraj aa gea.
Ate hi bola: kaun karta he nakhre?
Baby suraj ke sath hi thi.
dono ko baaton mein pata hi na chala kab baby suraj ke room mein chali gayi.
Suraj fir bola: yaar tum logo ne abhi tak kapde bhi change na kiye? Lunch nhi karna kya?
Radhika: tujhe kyu itni jaldi padi he?
Suraj: mujhe koi jaldi nahi madam ji. Par wo jo miss parul he na wo bookhi bethi hogi abhi bhi. Tum log kapde kar lo change main udhar prem ko nikalu.
Arun heran sa suraj ko dekhne laga.
Radhika smile de rahi thi.
Suraj saath wale room ke door pe ja khada ho bola: oye ki chal rea. Saaleyo kite dinne dinne ta ni ho ge chalu. (oye kya chal raha he. Saalo kahi dinne dinne to nahi ho gaye chaalu.)
Prem ander se: kanjra janani meri dine kara raati kara tenu ki. (kanjra biwi meri he din ko karu ya raat ko karu tujhe kya?)
Jyoti hassti hui: devar jaani tera dil ta tu vi aa ja.
Baal bnati hui jyoti ne room ka door open kiya jo band tha.
Prem jo pagri baandh raha tha sheeshe ke saamne khada jyoti ko ghoor bola: oye aah ki kahi jani aa tu. (oye yeh kya bole ja rahi tu.)
Jyoti fir se hass ke: ohi jo tussi suneya prem ji. (wahi jo aap ne sunna he prem ji.)
Prem jor jor se cheekha: haaye oye lutea gea main…….(haaye oye lutt gaya main.)
Yeh sunte hi radhika daudti hui aai.
Peechhe arun bhi baby ko goddi mein liye chala aya.
Radhika: prem kya hua?
Prem ussi lehje mein fir bola: ki dasa didi haje ta do mahine vi ni hoye viah nu. Aah meri chhati te moong dalan nu sokan lea ke bahaan nu tayar hoi payi. (kya batau didi abhi to do mahine nahi hue shadi ko. Yeh meri chhati pe moong dalne ko souten la ke bithane ko tayar hui padhi.)
Radhika heran ci ho hassti hui: kya keh raha he prem? Sokan teri? ek mard ki?
Prem: hor ki didi. (aur kya didi?)
Radhika fir se hassi: wo kese?
Prem: ehdi ah jehdi kameeni akh he na mere bhole veer suraj te aa hun. (iss ki yeh jo kameeni aankh he na mere bholle bhai suraj pe he ab.)
Prem ke kehne ka lehja esa tha ke radhika to hass hass duhri ho gayi.
Baki sab bhi hass rahe the.
Radhika thoda hassi ko rok ke: jyoti yeh kya chakkar he bhai?
Jyoti dil pe haath rakh ke: aap ko kya batau didi? Yeh sab iss dil ka kasoor he jo kab se aankh tikaye betha he suraj darling pe.
Radhika maathe pe haath maar ke: beda garak. Dil suraj pe tha to fir shadi prem se kyu?
Jyoti: ab aap se kya kahu didi? Mera dil to dono pe hi tha na. maine to kab se soch rakha tha dono se shadi karu gi. Par yeh jo mera devar he na…….
Radhika hassti hui: yeh to suna tha saali aadhi ghar wali pe najar rakh leta he jija……par devar……….
Jyoti beech mein tok ke: devar bhabi ka laadla jevar. Khaas kar jab bhabi jyoti ho aur devar suraj ho.
Yeh bolte hi jyoti jhapti suraj pe aur dekhte hi dekhte sab ke saamne uss ka gaal choom liya.
Suraj uss ka dhakka de peechhe hata: tu sudhar ja jyoti.
Fir suraj prem se bola: yaar tu apni janani nu samjha ni sakda jithe dekho shuru. Chummiya ta inj lendi jive ehde peo da maal hove. (yaar tu apni biwi ko samjha nahi sakta jaha dekho shuru. Pappiya to ese leti he jese iss ke baap ka maal ho.)
Suraj jump kar room se bahar aa gaya.
Jyoti fir se uss ke peechhe lapki to suraj fir se jump kar ab prem ke peechhe aa gaya.
Prem uss ko room se bahar dhakel: oye kujh ni hunda do chaar pappiya len nal tere bacha ni thehran laga. (oye kuch nahi hota. Do chaar pappiya lene se tere bacha nahi thehrne laga.)
Radhika jo chal padi thi arun ke saath.
Fir se hass di jor se.
Arun ki bajoo pakad: inn ka kuch nahi ho sakta. Saale sab ke sab pagal he.
Hassi to arun ko bhi aa rhi thi. Teeno ki baaton se.
Suraj gate ki aur bhaga to jyoti bhi uss ke peechhe bhagi.
Radhika aur arun ko cross kar gaye dono.
Gate ke paas pahuch ek dum se jyoti ruki aur cheekhi thoda jhuk ke: suraj mera paon.
Suraj yeh sunte hi wapas palta jyoti ke paas uss ke paon ko dekh bola: kya hua bhabi jaan.
Uss ke paas aate jyoti ne uss ki baajoo kas ke pakad li aur hass ke boli: ab bach le bachoo. Dekhu kese bachta he tu?
Suraj bhi hass diya: shaitan tu na sudhre gi.
Jyoti hassti hui: Chennai mein devar bhabi ki chooma chaati dekhne de na yaar sab ko.
Dono hasste hue baah mein baah daale aage aage chal padhe.
Prem bhi lock laga radhika aur arun se aa mila.
Radhika prem ko dekh: yeh aaj jyoti ko kya hua prem.
Prem thoda sanjeeda ho: didi yeh sab hum suraj ka mood thik karne ke liye karte he. wo jab bhi dukhi ya udas ho to main aur jyoti ese hi kar ke uss ke dukho se kuch pal uss ko dur le jaane ki koshish karte he.
Radhika ne bade hi pyar se prem ko dekha.
Fir bhavuk ho ke boli: suraj sach hi kehta he tere liye tu yaaro ka yaar he. aur aaj teri yaari ka roop dekh bhi liya.
Prem: suraj he hi esa didi. Iss ke liye to jaan bhi de du.
Arun pehli baar bola: fir bhi prem bhai koi mard apni patni ko……
Prem smile de ke: vishvas arun bhaa ji. Trust bahut vadi cheez he. jyoti hove ya suraj menu dona te trust hi nahi maan he. ehna de rishte te, ehna di dosti te. fir suraj, neela bhain, jyoti aur geeta to sab bachpan ke dost ne. main hi ennha nu baad ch aa ke join kita college ch. Ehi jyoti nu kade suraj te jara trust ni ci. Oh ehnu ik vigdheya ameerzada manndi ci. Hamesha neela nu kehndi ci ke suraj sirf tere naal khel rea. Jad ess da matlab nikal gaya ehne kinara kar jana. Te eho jyoti jab neela da viah hoeya ta sab to jayada oss nal eho naraj hoyi. (vishwas arun bhai. Trust bahut badi cheez he. Jyoti ho ya suraj mujhe dono pe trust hi nahi maan he. Inn ke rishte pe. Inn ki dosti pe. Fir suraj, neela behan aur geeta to bachpan ke dost he. Main hi inn ko baad mein join kiya college mein. Issi jyoti ko kabhi suraj pe jara trust nahi tha. Wo iss ko ek bighda ameerzada maanti thi. Hamesha neela ko kehti thi ke suraj sirf tere se khel raha he. Jab iss ka matlab nikal gaya to tere se iss ne kinara kar jana. Aur yahi jyoti jab neela ki shadi hui to sab se jayada uss se yahi naraj hui.)
Fir ek pal ruk ke prem bola: didi oh insaan jo ik poori raat apni jaan to vadh pyari premika naal ik room ch gujaare. Iko bed te sove te fer vi kuj na kare oss te vishwas na hou ta kis te hou. (didi wo insaan jo ek poori raat apni jaan se badh ke pyari premika ke saath ek room mein gujare. Ek bed par soye aur fir bhi kuch na kare to uss pe vishwas na hoga to kis pe hoga.)
Radhika: kya matlab prem?
Prem: didi B.Sc. final year mein new year de time assi sab manali ci. Suraj te neela 31st di saari raat iko room ch iko bed te rahe. Par majaal he ess bande ne koshish vi kiti hove kujh karan di. (didi B.Sc. final year mein new year ke time hum sab manali the. Suraj aur neela 31st ki saari raat ek room mein ek bed pe rahe. Magar majaal he iss bande ne koshish bhi ki ho kuch karne ki.)
Radhika aur arun heran the.
Arun ko jese vishwas hi na hua tha. par radhika jaanti thi ke prem sach bol raha he.
Suraj ki baatein batata prem chal raha tha.
uss ne neelima ka khana chhodhne se le ke pinjore mein suraj ne jo kiya wo sab batata raha.
Saamne iyer niwas dekh wo ruk ke bola: pyar ta meri neela bhain ne vi tut ke kita ehnu. Par oh vichari majboor ci. Ik gareeb vidhwa maa di dhi. darr gayi. Kaash menu ya suraj nu jara vi pta chalda ta eh sab kade na hunda. Par ki kita ja sakda he didi. Utte wale agge kis di chali aj tak. (pyar to meri neela behan ne bhi toot ke kiya iss ko. Par wo bechari majboor thi. Ek gareeb widhwa maa ki beti. Darr gayi. Kaash mujhe ya suraj ko jara bhi pata chalta to yeh sab kabhi na hota. Par kya kiya ja sakta he didi. Ooper wale ke aage kis ki chali he aaj tak.)
Teeno fir chal padhe.
Prem gate ke ander aate aate dheere se fir bola: didi main thonu ik cd he jyoti kol ohdi copy bheju. Ohnu dekh ke pathar vi ro pen. Ik hor gal dassa didi. Parul vi neela di duji copy lagdi. Osse tarah lagda suraj nu pyar kardi. (didi main aap ko ek cd duga. Jyoti ke paas padhi uss ki copy bheju. Uss ko dekh ke pathar bhi ro padhe. Ek aur baat batau didi. Parul bhi neela ki dusri copy lagti he. Ussi tarah lagta he suraj ko pyar karti he.)
Radhika ander aate soch rahi thi. inn sab dosto ki soch kitni milti he.
Parul sab ko neelima ka ehsaas dilati he.
wo kya kare ke koi chamatkar ho jaye.
Teeno ander aa ke sofo pe beth gaye.
Shivani kitchen mein thi.
maids dinning table pe lunch lagane lagi thi.
issi beech iyer aa gaya.
Wo sab se mila aa ke.
Mrs. & mr. iyer ne unn ke saath hi lunch kiya.
Suraj ne shivani ko bhi kaha lunch ke liye to jyoti ne hass ke kaha ke shivani bhabi to rachit bhaiya ke saath hi kare gi lunch.
Inn sab ke liye shivani khud rotiya bana rahi thi.
wo poori expert lag rahi thi Punjabi dishes banane mein.
Unn ke lunch ke during hi iyer ne patni se poochha ke inn sab ko rehne ke liye ooper ke rooms diye he na.
to suraj bol pada ke wo log guest house mein hi ruke ge.
Mr. iyer: try to understand beta. Aap sab yahi rahe. There is some reason. I will talk to u later.
Suraj: but uncle.
Iyer: I m like ur papa suraj. This is my order.
Suraj majboori mein smile de ke: thik he uncle.
Iyer ne pyar se suraj ki peeth sehla di.
Wo abhi lunch khatam kar ke uthe hi the ke rachit aa gaya apni maasi ki family ko le ke.
Mrs. iyer aur iyer aur parul unn sab se mile.
Mrs. iyer ne apni behan aur unn ki family se suraj aur radhika aur baaki sab ko bhi milvaya.
Parul, rachit aur shivani pehli baar mil rahe the maasi ki family se.
Parul ke rishte ke kaaran parul ke mamma-papa ki shadi ke baad pehli baar Mrs.Iyer ka maaiyka parivar unn ke yaha aa raha tha.
Maids ne jhat se dinning table clear kar diya.
Rachit aur shivani ke saath wo sab lunch ke liye beth gaye.
Mrs. iyer, parul aur babita unn ko serve karne lagi.

Iyer suraj aur radhika ke saath sab ko le ooper ek room mein aa gaya.
Bed ke saamne rakhe ek sofe pe beth uss ne sab ko bethne ko kaha.
Iyer kuch pal sochta raha.
Fir bola: suraj beta mujhe esa kehne mein koi sharam nahi jo feelings tum aur meri beti dono ke dil mein he. main aur chopra sahib to yahi chahte the ke yeh dosti rishtedari mein badal jaaye. Par yeh nahi ho paya. Reason kuch bhi raha ho. Par ab yeh sab sochne ka time nahi he.
Fir ek pal ruk ke bole: shayad tum ko pata nhi he ke meri bhi love marriage hui thi teri auntie se. tum ko yeh bhi pata na hoga ke hum ne ghar se bhaag ke shadi ki thi. issi reason se mere sasural walo ne hum se saare rishte todh liye.
Fir iyer ruk bola: par ab yeh rishta fir se judhne ja raha he kyu ke parul ka rishta mere saale ke ek saale ke chhote bête se ho raha he.
Issi beech ek maid sab ke liye coffee le aai. Uss ke coffee de ke jate hi iyer fir se bolne laga.
Iyer: mujhe ghar se bhaag ke shadi karne ko parul ki maa ne jyada jor diya tha. sach kahu to parul ki feelings bhi tere liye utni hi strong he jitni uss ki maa ki mere liye thi. par yeh tu hi he jiss ko parul ke saath saath uss ke maa baap ki izzat pyari he. Tum ne jo kiya he beta. Wesa kam log hi karte he.
Yeh bol iyer ne suraj ke sar pe haath fera.
Sab heran ho rahe the ke iyer kese friends ki tarah open ho ke unn se baat kar raha he.
Verna iss age mein wo bhi ek acha khaasa ameer aadmi ese khuli soch wala kam hi dekhne ko milta he.
Wo fir kehne laga: aap sab ko yaha rokne ka ek khaas karan yeh he ke may be agar tum log guest house me ruke to parul der saver tum ko milne ke liye akeli waha aa sakti he. agar yeh kisi ko pata chal gaya to problem ho sakti he. ku ke mere sasural se meri saali ke ilava kuch log aur bhi aa rahe he.
Fir wo coffee ke kuch ghoont bhar ke bole: mujhe iss baat ki bhi itni chinta nahi. Jayada chinta he to parul ki. Wo yeh rishta final hone ke baad do baar suicide attempt kar chukki he.
Suraj: wat??
Yeh sun suraj ke saath saath baki bhi chonke the.
Iyer: yes beta. Tum sab uss ke paas raho ge to I know aap sab uss pe poori najar rakho ge. Suraj beta parul mujhe apni jaan se bhi pyari he. agar uss ko kuch hua to main jee nahi pau ga. Kehte kehte iyer ki aankhein bhar gayi.
Suraj: uncle aap fikar na kare. Hum sab he na yaha. Sabhi uss ka poora khyal rakhe ge.
Prem jo saamne bed pe betha tha.
uth ke iyer ke paas aa khada ho gaya.
Bola: uncle ji tussi fikar mat karo. Parul meri chhotti bhain he. oss di jimmevaari meri rahi. Raat ko daily jyoti sove gi uss ke naal.
Jyoti bhi prem ke paas aati hui: haan uncle main har dum uss ke saath rahu gi. Jab tak uss ki shadi ho doli ni uth jaati.
Iyer ne khade ho prem aur jyoti ko galle laga liya.
Iyer: aap sab kitne achhe he. meri to saari chinta hi khatam kar di.
Kehte hue iyer jesa mard bhi aankhein saaf karne ko majboor ho gaya.
Jyoti: main to chali abhi se apni duty pe.
Yeh bol wo teji se room ke bahar ja ke neeche parul ke paas chali gayi.
Arun sochne laga kese log he yeh prem aur jyoti bhi suraj ke saath saath.
Suraj jis ladki se pyar karta he uss ki family ki izzat ki soch raha he wo.
Na ke apni khushi ki.
Aur prem aur jyoti……yeh to parul ko bhagaane ki soch rahe the.
Par ab yeh uss ki nigrani ki jimmevari le rahe he.
Uss ka dil chaha ke inn sab dosto ko khada ho salaam kare.
Fir uss ko herani ho rahi thi iyer pe.
Wo ussi insaan pe vishwas kar raha he jo uss ki beti ko chahta he aur uss ki beti bhi chahti he ussi ko.
Kaash sab ese log ho duniya mein to yeh duniya kisi sawarg se kam na ho.

Lunch kar rachit ooper aa gaya.
Suraj aur prem ko le wo guest house se samaan lene chala gya unn ka.
Wapas aa ke rachit ne ek keys suraj ko di.
Suraj: yeh kya he?
Rachit smile de ke: neeche jo Hyundai khadi he uss ki keys he. aap logo ko kahi jana ho to.
Suraj: arey bhai main wo teri bike le jaau ga ya fir taxi ……
Rachit: ghar mein gaadi ho to taxi kyu?
Suraj : thanx bhai sahib.
Rachit: yaar yeh sahib sahib kyu? We are friends. Call me rachit only.
Suraj hass ke: okk.
Sab ko apna apna room mil gaya.
Radhika aur arun thoda araam karna chahte the.
Suraj prem se: tu araam karna ya mere naal chale ga. (tujhe araam karna he ya mere saath chale ga.)
Prem: tu kidar jana? (tujhe kaha jana he?)
Suraj: yaar ik do parties visit kar ava. (yaar ek do parties visit kar aau.)
Prem: chal main vi chalda. Shayad mera vi koi kam bann je. (chal main bhi chalta hu. Shayad mera bhi koi kaam ban jaaye.)
Dono neeche aa gaye.
Dono ko neeche aate dekh jyoti: kidar nu chal paye sardar ji? (kidhar ko chal diye sardar ji.)
Prem ne uss ko bataya to jyoti parul se: chal parul hum bhi chale inn ke saath.
Parul jhat se ready ho gayi jaane ko.
Suraj ke saath jaane ko wo kyu ready na hoti.
Uss ne babita se poochha to babita ne kaha wo ab ghar jaaye gi.
Sham ko aa jaye gi fir se.
Prem ne rachit se apna kaam bataa ke kuch parties ka idea liya.
Sab chal diye.
Suraj ne babita ko ghar chhoda to babita sab ko ghar aane ko kehne lagi.
Suraj ne kal aane ka kaha to babita ne kal ko lunch uss ke ghar lene ka vaada le liya.
Chaaro shaam ko andhera hone tak ghoomte rahe.
Suraj apni kuch purani parties ke paas gaya.
Ek party uss ko nayi bhi mil gayi.
Prem ne bhi teen parties visit ki jo rachit ne batai thi.
uss ko ek ne to ussi time order de diya with advance.
Do ne next month order dene ka vaada kiya.
Prem ne ussi pal apne papa ko yeh good news di.
Beech mein rachit, mrs. iyer aur iyer teeno ne calls ki suraj aur parul dono ko.
Radhika ne bhi call kar bataya ke wo log bhi mount road ghoomne ja rahe he rachit ki bike pe.
Andhera ho chukka tha jab wo wapas laute.
Radhika aur arun pehle hi aa chukke the.
Parul bahut khush najar aa rahi thi.
Uss ko ese kush dekh ke mrs. iyer aur shivani bhi bahut khush ho rahi thi.
par unn ke dil mein ek darr bhi tha ke pata nahi ab kab tak parul ese khush reh paaye gi.
Raat ko ek baar jab moka mila to rachit ne radhika aur prem ko yeh kaha ke wo khud, shivani ya unn ki mamma iss rishte se jara bhi khush nahi he.
par papa ki zid ke kaaran wo chup he.
Rachit ne bataya ke yeh rishta uss ke maame ne karvaya he.
wo iss se pehle inn ka dushman tha.
Rachit ko lag raha tha ke iyer iss dushmani ko mitane ke liye parul ki khushiyo ki ek tarah se bali de raha he.
Rachit ne yeh bhi bataya ke wo ladka acha he.
iss liye uss ke paas koi reason nahi ke wo virodh kare iss rishte ka.
Fir last mein rachit ne prem aur radhika se kaha ke wo baat kar ke dekhe suraj se agar wo haan kare to wo abhi bhi kuch na kuch kar gujre ga apni behan ki khushiyo ke liye.
Prem: nahi yaar I don’t think ke suraj maannu. Wo auntie uncle ka bahut regard karda he.
Radhika: prem thik keh raha he rachit.
Rachit nirash sa ho: aaj ke zamaane mein kaha se peda ho gaya yeh selfless ladka. Chalo ab kiya hi kya ja sakta he.
Rachit ke lehje mein be-hadd nirasha thi.
Hoti bhi kyu na. kyu ke yeh uss ki masoom ci gudiya jesi behan ki khushiyo ka sawal tha.
Ek tarah se yeh aakhri koshish thi rachit ki ke agar wo behan ki khushiyo ko bacha paaye.

Raat ko der tak sabhi parul ke paas hi bethe rahe dinner ke baad.
Ghar mein kuch aur mehmaan bhi aaye the.
But sab ko guest house mein hi thehraya gaya.
Aaj raat ko radhika soyi thi parul ke saath.
Kyu ke wo thoda din mein rest kar chukki thi.
babita to pehle hi pichhle kai din se parul ke saath hi so rahi thi.
Baby jab soyi to arun uss ko goddi mein le ke sone chala gaya.
Suraj ne sab ke saamne hi parul ko apne sar pe haath rakh ke kasam khaane ko kaha ke wo ab kabhi bhi apni jaan se khelne ki koshish nahi kare gi.
Prem aur jyoti bhi thodi der baad chale gaye sone.
Parul ko jab neend aane lagi to suraj utha.
Ab waha sirf babita aur radhika hi reh gayi thi.
Suraj ko uthte dekh parul ne uss ka haath pakad liya: surya main aap ke saath sona chahti hu.
Suraj chonk ke: kya? Pagal ho gayi ho kya parul?
Parul: please surya.
Suraj: parul tum esa karo gi to dekho main subah hi yaha se chala jau ga. Aur fir kabhi laut ke nahi aau ga.
Parul: thik he nahi kehti ab. Par ek hug.
Suraj ne hug allow kar di.
Parul ne uth ke jor se hug ki suraj ko.
Uss ne hont bhi choomne chahe par suraj ne sirf gaal pe kiss di.
Aur li bhi.
Radhika ko jab yeh confirm ho gaya ke parul so gayi he tab hi wo bhi soyi.
Parul radhika se ese chipak ke so rahi thi jese ek bacha apni maa ke saath chipak ke sota he.

Agle roj subah koi giarah baje tak prem aur suraj nikal gaye.
Do baje jab dono laute to ek ek naya order le chukke the.
Suraj ne saath hi saath pinki ko order note karva diye dono kal ka bhi aur aaj ka bhi.
Advance payment dono ki hi online mil gayi thi.
prem ne bhi papa ko naye order ka bataa diya.
Prem jab papa se order ki baat kar raha tha to prem ke papa bol padhe: oye preme aah order ta saari umar mili jaane. Asli order da kuj karo na bandobast. (oye preme yeh order to saari umar milte rehne. Asli order ka kuch karo bandobast.)
Prem samajh gaya ke papa parul ki baat kar rahe he.
Yeh sunte hi wo mayus sa ho khamosh reh gaya.
Kyu ke wo janta tha ke uss ka kuch nahi ho sakta.
Lunch ke time sab ne beach pe jaane ka mood bana liya.
Rachit ne unn ko ek aur gaadi ki keys de di.
Doosri ab prem ke hawale thi.
Prem ke saath jyoti, arun, radhika, baby aur babita aa bethi.
Suraj ke saath parul khud, uss ki maasi ki ladki, bhua ki ladki aur ladka aa gaye.
Sab ne khoob masti ki beach pe aa.
Babita ne radhika ko last time ke visit yaad dilai.
Yeh bhi yaad dilaya ke kese parul ke girne pe suraj ne uss ko goddi mein uthaya tha.
Fir babita ne ek nayi baat batai ke unn ke jaane baad parul ek baar to uss se khoob ladi thi ke wo suraj ke kareeb jaane ki kyu koshish karti thi.
kyu uss ko touch bhi karti thi.
Babita boli: pehle to mujhe herani thi ke meri best friend parul ko ho kya geya he. par baad mein samjh aya ke parul jealous iss liye he kyu ke wo suraj ko pyar karne lagi he.
Baat karte karte achanak babita udas ho boli: didi kuch esa nahi ho sakta parul ko uss ka pyar mil jaaye. Maine uss ko bahut tadpte dekha he. bahut royi he wo apne surya ke liye.
Babita ki aankhein bhar aai to radhika ne uss ko galle se laga liya.
Par uss ke paas babita ki kisi baat ka koi jawab nahi tha.
Beach pe parul suraj ke sath hi rahi.
Andhera ho chukka tha jab ghar ke liye nikle.
Inn do dino mein parul ke chehre ki chamak lautne lagi thi.
Agle din teeka cum shagun ki rasam honi thi.
Rachit aur iyer kal ki rasam ki poori tyari kar rahe the.
Raat tak sab tyari mukamil ho gayi.
Iyer ne jab dekha ke raat ke nau baj chukke he to uss ne rachit ko pukar ke kuch kaha.
Rachit ne iyer se kaha ke yaha pe to sirf abhi mausa ji he.
baaki dono chacha, foofa ji aur jo bhi he sabhi guest house mein he.
iyer ne kaha thik he unn ko wahi sab samaan de aao.
Hum yahi bethe ge.
Asal mein iyer drinks ka programme bana raha tha.
Rachit ne do nokro ko saath liya.
Saath mein black label ki ek petti li aur guest house chala gaya.
Saath kuch khaane ka samaan bhi le gaya.
Ek nokar ko wahi chhod aya.
Wapis aya to black label ki botal table pe rakh maids ko khaane ka samaan aur glass rakhne ko kaha.
Fir ooper ja ke prem, suraj aur arun ko bula laya.
Botal dekh arun ne radhika ko baby ko le jaane ko keh diya.
Rachit ke mausa bhi wahi aa bethe iyer ke paas.
Prem ne shraab se saaf inkar kar diya.
Rachit heran ho: kya baat bhaape sharam kis baat ki.
Prem hass ke: nahi yaar sharam varam ni. Bas samaj lo kasam hi kha rakhi he.
Rachit: lagta he bhabi ne rok rakha he main abhi bhabi ko mannaata hu.
Yeh bol rachit uthne laga to prem ne uss ka haath pakad kaha: nahi rachit eda di koi gal ni yaar. Main daaru oss din peeni shuru karu jis din mere veere suraj da viah hou. (nahi rachit esi koi baat nahi yaar. Main daaru uss din peeni shuru karu ga jis din mere bhai suraj ki shaadi ho gi.
Yeh sunte hi sab ne chonk ke pehle prem aur fir suraj ko dekha.
Suraj ke kehne pe ke yeh abhi sirf beer leta he.
ussi pal rachit uth ke beer ki do botlein nikal laya fridge se.
Sab peene lage.
Saadhe dus baje sab dinner ke liye aa bethe.
Saadhe Giarah baje dinner kar sab ooper aa gaye.
Savaa Barah baje tak suraj parul ke paas betha raha.
Aaj jyoti ne kaha ke wo so jaaye gi parul ke paas.
Suraj ke jaate hi parul ne nighty pehan li.
Nighty paa wo jyoti ke kaan mein dheere se boli ke wo thodi der suraj ko mil aaye.
Jyoti: uss ne drink kar rakhi he parul. Wo so gaya hoga.
Parul: agar wo so gaye hue to wapas aa jau gi.
Jyoti uss ke saath hi chal di.
Ooper lobby mein sab lights off thi.
Parul ne suraj ke room pe aa door ko dheere se dhakela.
Door khul gaya kyu ke ander se lock nahi tha.
Suraj uss time pe bathroom se nikla tha.
Parul ko door se enter hote dekh chonka.
Parul ko nighty mein dekh uss ki aankhein sikudti chali gayi.
Iss se pehle wo kuch bolta parul uss se aa ke lipat gayi.
Suraj ne uss ko alag karna chaha to parul ne kaampti awaaz mein kaha: mere surya.
Suraj: tum ab yaha kyu aayi ho parul.
Suraj ki awaaz kaan mein padte hi jyoti jo abhi tak door ke bahar hi khadi thi wapas parul ke room ki aur chal di.
Parul suraj se chipki hui boli: parul nahi pari kahiye surya.
Suraj: parul do din baad teri shaadi he. aaj yaha kisi ne tum ko dekh liya to.
Parul: acha he na sab ko pata chal jaane do. Pari sirf aur sirf apne surya ki he. aaj mujhe apna bana lo surya. Apni pari ko mukamil kar do.
Yeh keh ke parul ne apne hont suraj ke honto ki aur bada diye.
Ek hi pal ki doori pe the dono ke hont.
Ussi pal suraj ne parul ko kandho se pakad apne se dur kiya aur tadaak se ek thappad de maara uss ke muh pe.
Parul to sunn ho gayi.
Suraj ne uss ki kalai pakdi aur kheechta hua uss ke room mein le gaya.
Jyoti jo door pe hi khadi thi dono ko dekh awaak reh gayi.
Room ke ander aa suraj ne parul ko bistar pe bithate uss ke paas neeche ghutno ke bal beth gaya.
Uss ke haathon ko thaam bola: parul jo tum ne kaha wo paap he. mujh se meri pari yeh paap karne ko kahe gi esa kabhi soch bhi nahi sakta main. Jaanti ho parul aaj tum ne mere pyar ko gali di he.
Bolte bolte suraj ki aankhein nam hoti chali gayi.
Uss ki awaaz sun ke so rahi babita bhi uth bethi heran ci.
Fir wo jyoti ko dekh bola: bhabi aap ne iss ko mere room mein aane hi kyu diya. Room se iss ko kyu niklne diya akele.
Jyoti: suraj main iss ko tere room tak chhod ke gayi thi. jab tak teri awaaz na suni tab main wahi khadi rahi. Aur aa ke bhi main yahi door pe khadi rahi.
Suraj ro pada: bhabi aaj maine apni pari pe haath utha diya.
Yeh kehte hi wo parul ki goddi mein sar rakh ke ro diya.
Parul bhi uss ke sar ke ooper chehra rakh rone lagi.
Rote rote boli: mujhe maaf kar dijiye surya. Galti ho gayi mujh se.
Jyoti ne parul ke paas aa dono ko baahon mein le liya aur chup karane lagi.
Rone to wo bhi lagi thi.
Babita bhi nam aankho se parul ke doosri aur beth uss ko chup karane lagi.
Kuch der baad suraj utha aur parul ko sone ka bol room se aa gaya.
Babita ne door band kar diya.
Jyoti ne parul ko apne seene se chipka blanket audh liya.
Babita bhi parul ke peeche aa chipak ke late gayi.
Jyoti se chipki parul siskne lagi.
Jyoti dil hi dil mein ooper wale se keh rahi thi: hey bhagwan tum kyu dukh dete ho pyar karne walo ko. Kya kasoor he inn ka. Sirf yahi ke pyar karte he yeh.
Fir wo suraj ko dil mein kehne lagi: tu kis janam ka badla le raha iss masoom se.
Esa hi wo sochti rahi parul ko chup karaati. Uss ko pyar karti.
Idhar suraj parul ke room se aa ke pehle apne room mein gaya.
Fir kuch soch wo neeche aa gaya.
Drawing room ki sab lights abhi on thi par waha koi na tha.
Ek room jo parul ke mamma papa ka tha uss ko chhod sab room ki lights off thi.
Suraj ne ek corner mein bani bar se ek black label ki botal nikali.
Dinning table se glass aur pani le ke sofe pe aa betha.
Large peg banaa ke peene laga.
Itne mein parul ke mamma papa ka room khula.
Shivani bahar nikli.
Dono saas bahu room mein shayad koi baat kar rahi thi.
Suraj ko sofe pe beth peete dekh chonki shivani.
Jhat se room mein wapas ja parul ki mummy ko bula layi.
Dono saas bahu suraj ke paas aa gayi.
Mrs. iyer suraj ke paas beth: kya hua beta tum iss time yaha?
Suraj jo aankhein band kar sofe ki back se sar lagaye betha tha.
Mrs. iyer ki awaaz sun aankhein khol di.
Uss ki aankhon mein bharre aansoo gaalo pe aa gaye.
Shivani ghabra ke: mamma yeh to ro raha he.
Mrs. iyer ne yeh dekh uss ko seene se laga liya kheech ke.
Aur boli: kya hua bache tu ro kyu raha he?
Suraj aankhein saaf kar halki smile de: kuch nahi auntie bas ese hi.
Suraj ne alag ho glass uthaya aur ek hi saans mein bachi hui pi gaya.
Shivani bhaag ke kitchen mein gayi.
Fruit la saamne rakh suraj se boli: yeh lo bhaiya saath kuch kha lo. Ese nahi peete.
Suraj grapes utha ke khaane laga.
Shivani ne apple kaat diya.
Suraj: bhabi aap ja ke so jao.
Mrs. iyer: shivani beta tum jara ruko yaha main toilet ho ke aai.
Yeh bol wo chal di.
Suraj ek aur peg banane laga to shivani thoda darr gayi.
Shivani: bhaiya esa kya hua jo aap ese pee rahe ho. Kuch to batao please.
Suraj: kuch nahi bhabi bas ese hi papa ki yaad aa gayi.
Shivani ko yakeen to na hua par wo suraj ko ese dukhi dekh khud bhi dukhi ho uthi thi.
Mrs. iyer jab tak aati suraj ek aur peg aadha khali kar chukka tha.
Uss ne aate hi shivani ko jaane ka kaha to suraj bola.
Suraj: bhabi mujhe ek blanket de do please main yahi diwan pe sou ga.
Yeh sunte hi shivani ek room se blanket le aai aur diwan pe rakh ke chali gayi.
Jaate jaate shivani soch rahi thi ke esi kya baat hui hogi jo suraj yaha sone chala aya.
Suraj mrs. Iyer se: auntie please aap fikar na kare bas wo ese hi papa ki yaad aa gayi to main preshan ho gya.
Suraj ne baaki bachi hui bhi pee aur apple aur grapes kha ke uthne laga.
Ek dum se do large pee wo thoda ladhkhadaya.
Mrs. iyer ne pehle hi uss ko tham rakha tha.
iss liye girne na diya.
Itni mat pee beta.
Teri iss maa ko dukh hota he.
Suraj: sorry auntie. Ab nahi peeu ga.
Mrs. iyer ka sahara le wo diwan pe aa leta.
Mrs. iyer ne uss ko blanket de diya.
Jab wo jaane lagi to suraj uss ka haath pakad ke bola: auntie apne iss bête ko goddi mein le sula do na.
Mrs. iyer ka dil tadap utha yeh sunnte hi. Uss ne paas beth suraj ka sar goddi mein le maatha aur sar sehlane lagi.
Maa ki godd ki garmi aur sharab ka nasha suraj kuch palon mein hi so gaya.
Mrs. iyer fir bhi kuch der bethi rahi.
Maa ki mamta hi to hoti hi esi he ke gehri neend mein so rahe bache ko har aahat se bachaa ke sone dena chahti he.
Jab uss pe neend bhari hone lagi tab wo hole se uthi aur lights off kar room mein chali gayi.
User avatar
shaziya
Novice User
Posts: 2348
Joined: 19 Feb 2015 03:27

Re: Phela pyar-koi jeeta koi hara

Post by shaziya »

Pehla Pyar - Koi Jeeta Koi Hara


Part-37

Agli subah kareeb saadhe saat baje prem uth ke jab room ke bahar aya to neeche haal mein najar dali.
Uss ki najar jese hi diwan pe so rahe suraj pe padi to wo heran ho utha.
Khud se bola: eh suraj ethe? (yeh suraj yaha?)
Confirm karne ke liye uss ne suraj ka room check kiya.
Wo khaali tha.
Wo teji se neeche utra.
Diwan ke paas aa suraj ko hila ke bola: oye tu ethe kive? (oye tu yaha kese?)
Suraj ne dheere se aankhein kholi.
Prem ko dekh bola: saun de na yaar. (sone de na yaar)
Suraj ne side badli aur fir se so gaya.
Ek maid ne prem ko dekh liya aur jhat se chai with biscuit le aai.
prem wahi paas hi ek chair pe beth chai peene laga.
Issi beech mrs. iyer bhi room se nikal aai.
Prem ne uss ko dekh uth ke aage jhuk ke pyar liya.
Mrs. iyer ne maid ko chai dene ko kaha.
Ek baar wo suraj ke paas gayi.
Pyar se uss ke sar pe haath fera fir prem ke paas hi chair pe aa bethi.
Maid chai de gayi aur wo peene lagi.
Chai peete peete wo boli: prem beta ek baat poochhu. Bura to nahi maano ge.
Prem heran ho: poochhiye auntie.
Mrs. iyer: suraj ke apni maa ke saath relations itne ache kyu nahi?
Prem sunn ke chonk pada tha.
kya kahe uss ko samajh nahi aa raha tha.
Mrs. iyer uss ke reply ka wait kiye bina fir se boli: yeh raat ko bahut preshan tha. preshani mein aksar bacha apni maa ko miss karta he. yeh apne papa ko miss kar raha tha. par maa ka naam ek baar bhi nahi liya. Aap log jab se aaye ho sab ki mothers ki call aai he par iss ki maa ki ek baar bhi call nahi aai.
Prem preshan sa ho utha: auntie main kya batau aap ko.
Mrs. Iyer bade hi dukhi swar mein: itna pyara bacha ho aur maa pyar na kare. Bahut dukh hota he beta. Maine parul ki shadi ke liye iss ki maa ko phone kar aane ko kaha tha iss ke sath. Par uss ne saaf inkar karte keh diya ke jab uss ka apne bête se koi rishta nahi he to uss ki pehchan walo se kya rishta.
Prem ko ek jhatka laga tha yeh sunte hi.
Mrs. iyer: sach kahu prem beta mera to dil karta he main iss ko yahi rakh lu apne paas.
Mrs. iyer shayad aur bhi baatein karti agar mr. iyer uth ke na chale aate waha.
Mrs. iyer uth ke kitchen mein chali gayi.
Maid chai le aai mr. iyer ke liye.
Prem uth ke ooper chal diya.
Ooper pahucha hi tha ke jyoti nikli parul ke room se.
Uss ko dekhte hi prem bola: yaar eh suraj thalle ja ke kyu so gaya ci. (yaar yeh suraj neeche ja ke kyu so gaya tha?)
Jyoti herani se: ki matlab?
Prem diwan ki aur ishara kar: oh dekh thalle suta pea. (wo dekh neeche soya padha.)
Jyoti ne udhar dekha fir prem ko room mein la jo suraj aur parul ke beech hua wo bataa ke boli: shayad ese layi thalle ja ke suta. (shayad issi liye neeche ja ke soya.)
Prem ab sab samajh gaya.
Saadhe aath tak sab uth chukke the.
Par suraj abhi bhi soya pada tha.
radhika bhi ek chakkar laga ke arun ke liye chai aur baby ke liye dhood le gayi thi.
Parul aur babita bhi uthi hui thi.
Savaa nau bajne ko the jab radhika naha dho ke neeche aa gayi.
Suraj ko abhi tak sote dekh wo bahut heran thi.
uss ko hila ke boli: oye aaj kya saara din sona he.
chal uth main chai laati hu.
Suraj ne aankhein kholi aur radhika ko bola apna sar dabata hua: yaar chai nahi lemon sodha he to la de please.
Radhika: tu thik to he na?
Suraj: haan yaar thik hu bas sar thoda bhaari he.
Radhika kitchen mein gayi.
Uss time waha kewal shivani hi thi.
Shivani ko sodhe ka poochha.
Shivani ne ussi pal ek corner mein padi crate se ek soda utha lai.
Shivani boli: lemon daalna he.
Radhika: haan. Suraj ko dena he. uss ko aaj pata nahi kya hua he. teen chaar peg lene ke baad subah fresh uth jata he. par aaj sar pakad rakha he uss ne.
Shivani ne uss ko bata diya ke aadhi raat ko suraj ne do large peg aur peeye the.
Saath hi kaha ke yeh to shukar he uss ne dekh liya.
Verna pata nahi kab tak betha peeta.
Shivani: bahut preshan lag raha tha didi. Ro bhi raha tha akela betha.
Radhika yeh sun preshan ho uthi.
Shivani ne nimboo soda diya radhika ko bana ke jo radhika ne aa ke suraj ko diya.
Suraj pee ke utha.
Fir dheere dheere ooper room mein chal diya.
Radhika ne ooper aa jyoti aur prem ko bataya ke suraj ne raat ko aur pee thi.
tab prem ne radhika ko mrs. iyer jo keh rahi thi wo sab bata diya.
Jyoti ne parul ke saath jo hua wo bata diya.
Ab radhika sab samajh gayi suraj ki preshani ka kaaran.
Shivani ko jab parul mili akele mein to uss ne poochha ke suraj ke saath uss ki koi baat hui thi raat ko kya?
Asal mein shivani ko doubt tha ke ho na ho suraj parul ki kisi baat ko le ke preshan he.
Parul: kyu bhabi aap esa kyu poochh rahi ho?
Wo thoda ghabra gayi yeh sunte hi.
Shivani: raat ko suraj bahut preshan tha.
Fir uss ne bataya ke kese suraj ne preshani mein aur drink ki.
Parul: to unn ho ne koi baat batai.
Shivani: nahi parul uss ne to bas itna kaha ke papa ki yaad aa rahi he. but mujhe lagta he tum dono mein koi baat hui he.
Parul jo shivani se kuch na chhupati thi.
wo shivani se lipat ke ro di.
Fir raat jo hua sab bata diya.
Shivani ne pyar karte kaha parul se: parul my sweetheart. Suraj aam ladko ke jesa nahi he. wo hat ke he sab se. koi aur hota to shayad tujhe ab tak barbad kar chukka hota. Par suraj esa nahi he. maana wo tum se pyar karta he. par wo mamma papa ko bhi bahut manta he. wo ek bahut hi emotional he. Tu fir se jab tak yaha he koi esa kaam mat karna jiss se uss ka dil dukhe.
Parul: nahi bhabi ab esi galti nahi hogi.
Suraj ooper ja ke fresh ho ke fir so gaya.
Jab uss ki aankh khuli to giarah bajne wale the.
Wo uth ke bathroom mein ghussa.
Naha ke aya.
Kapde paa ke baal sawar hi raha tha ke parul ke saath radhika aur jyoti bhi aa gayi room mein.
Jyoti hass ke: arey wah devar darling to ready he.
Suraj bhi hassta hua: yes bhabi jaan.
Wo mirror se hat ke teeno ki aur mudha.
Jyoti: haye mera sweetu devar to bada chehak mehak raha he. ek pappi hi de de yaar.
Suraj ghoor ke bola jyoti ko: pappi kyu pappa deta hu tujhe. Wo bhi lamba sa bees pachees minute ka.
Issi beech radhika aur jyoti beth chukki thi bed pe hassne lagi.
Suraj: tum dono ke pati dev kidhar he?
Radhika: dono ko rachit le ke gaya he kahi.
Suraj parul ko dekh jo abhi tak khadi thi: ap bhi beth jao miss parul. Khadi khadi thak jao gi yaar.
Parul serious mood mein: surya I wanna say sorry to you. Mujhe maaf kar dijiye na. Kal raat mere kaaran preshan ho aap ne aur drink ki. Iss se to acha tha do char thappad aur maar lete mujhe.
Suraj ne bade hi pyar se uss ko dekha fir uss ke dono kandho pe haath rakh bola: main preshan tumari harkat se nahi hua tha meri jaan. Apni pari ke phool se gaal pe jo thappad maara tha uss se preshan ho gaya tha.
Yeh kehte hue suraj ne parul ka wo gaal sehla diya jaha uss ne thappad mara tha.
Parul tadap ke dono ke saamne hi lipat gayi suraj se.
Suraj ne bhi uss ko bahon mein bhar liya.
Jyoti: haaye kitni pyari jodi he inn ki. Hey rabba do din abhi bhi he tere paas. Kuch to kar yaar. Iss ko bana de meri devrani.
Suraj hass ke: bhabi jaan ab kuch nahi hone wala.
Fir sab ko poochhne laga ke nashta ho gaya unn ka.
Tab radhika ne bataya ke baaki sab ne to kar liya.
Bas surya ki laadli pari ko chhod.
Suraj aur parul dono ne ek saath nashta kiya.
Unn ke nashta karte karte rachit prem aur arun ke saath aa gea.
Rishtedaaron ka ana badne laga tha.
Kareeb do baje yaha se sab ko niklna tha tha kanchipuram ke liye jaha parul ke bhaavi sasural the.
Waha sirf ghar ke logo ko hi jana tha.
Iyer ne to suraj ko kaha ke wo bhi chale par suraj ne kaha ke better he ke wo ghar ke log hi jaaye.

Kanchipuram waha se 70-80 kms. dur tha.
8-9 gaadiyon ka kaafila nikla tha.
teen gaadiya to ghar ki hi thi. baaki sab rachit ke dosto ki thi.
ek nayi gaadi thi jo parul ke sasural mein deni thi.
Inn sab ke jaate hi suraj prem ko le ke nikal gaya.
Rachit ki di hui car suraj ke paas hi thi.
inn ko kuch parties ko milna tha.
issi liye arun ghar hi ruk gaya.
Dono ko nikle abhi dus mint hi hue the ke jyoti ki call aa gayi suraj ko.
Jyoti ne poochha ke wo kaha he to suraj ne kaha ke wo prem ke saath kisi party ko milne ko ja raha he.
Tab jyoti ne kaha dheeme se phone pe: suraj yeh golden chance he. hum sabhi chupkke se parul ko le ke nikal jaate he.
Yeh sunte hi suraj ne gusse mein aa jyoti ko thoda daanta pehle fir phone hi switch off kar diya.
Uss ne jyoti ki yeh baat bhi na sunni ke wo to bas majaak kar rahi thi.
Jab jyoti ne fir se call ki to suraj ka phone off aane laga.
Uss ne ab ke prem ko call laga di.
Jyoti uss time ussi room mein thi jaha wo ruke hue the.
Jab call ki to ek kone se prem ke cell ki ringtone suni. Tab jyoti ko pata chala ke prem to cell hi wahi bhool gaya.
Jo ke charging pe laga tha.
Dono ne kuch parties visit ki.
Paanch baj chukke the.
Prem ne poochha: hun ki programme chaliye ghar. (ab kya programme. Chale ghar.)
Suraj: yaar mera ni dil ghar jaan da. Main hotel ch ruku hun. (yaar mera nahi dil ghar jaane ko. Main hotel mein ruku ab.)
Prem: tu pagal ho gea yaar? Auntie uncle nu pata laga ta oh ki kehan ge. (tu pagal ho gya kya yaar? Auntie uncle ko pata chala to wo kya kahe ge.)
Suraj: yaar tu samjhda ni. Parul nu dekh ke menu kujh hunda. Main yaar bada pachhta reha. Main ethe aya hi kyu? I cant face her yaar. (yaar tu samjhta nahi. Parul ko dekh ke mujhe kuch hota he. Main yaar bada pachta raha hu. Main yaha aya hi kyu?)
Prem uss ke dil ki haalat samajh gaya.
Prem: kehde hotel ch rukna? (kis hotel mein rukna he.)
Suraj: ethe hi mount road te dekh lene aa. (yahi mount road pe hi dekh lete he.)
Waha se chal ke wo log mount road pe ek hotel mein aaye.
Waha suraj ne ek room liya.
Prem: yaar menu lagda tu thik ni kar reha. (yaar mujhe lagta tu thik nahi kar raha.)
Suraj: yaar main thik kar reha. Kal raat jo hoeya oh tenu ni pata. (yaar main thik kar raha hu. Kal raat jo hua tujhe wo nahi pata?
Prem: oh ta menu pata chal gaya yaar. (wo to mujhe pata chal gaya yaar.)
Suraj: tu eda kar ja ke radhika nu samjha di saari gal. te please yaar mera chotta bag leya de. Oss ch mere undergarments te night suit wagehra he. (tu esa kar ja ke radhika ko samjha de saari baat. Aur yaar please mera chhotta bag la de. Uss mein mere under garments aur night suit etc. he.)
Yeh bol suraj ne car ki chabi di prem ko.
Prem jaane laga to suraj bola: je main room ch na hoeya ta thalle bar ch mil ju. (agar main room mein na hua to neeche baar mein millu ga.)
Prem ruka ek gaali di: maa I yahva. Ghatt pivi.
Suraj hass ke: only two pegs baby.
Prem: naam badal ke devdaas rakh la.
Prem chala gaya bol ke.
Suraj ne pehle bar mein jaane ka socha.
Fir kuch soch hotel ka phone utha ek cold aur kuch snacks mangwa liye.
Itni jaldi peene ka vichar uss ne chhod diya.
Cold aur snacks aate wo unn ko kha pee ke bed pe aa leta.

Idhar jab se ghar se sabhi kanchipuram ke liye nikle the.
Parul pehle to chup chap apne room mein aa leti.
Radhika, jyoti, babita teeno uss ke paas thi.
Fir wo dheere dheere siskne lagi jyoti ke kandhe pe sar rakh.
Roti roti hi wo so gayi kuch der baad.
Radhika, jyoti, babita sab ka mann dukhi tha parul ko ese rote dekh.
Parul ki kuch cousins ne jyoti aur babita se poochha parul ke rone ka kaaran to wo kuch na keh payi.
Sab ko yahi laga shayad wo apni family se dur ho rahi he to issi kaaran se dukhi he.
Sab ko ek baat ki herani thi ke na to parul ke hone wale pati ki ek bhi call aai thi.
Aur na hi parul ne uss ka naam liya ya uss se baat karne ki koshish ki phone pe.

Udhar Kanchipuram ke outer skirts pe ek chhotte se hotel mein sab ko ek baar rukna tha.
sabhi waha aa rukke.
Sab ko waha pe cold drinks with light snacks serve hue.
Tab saadhe teen baj rahe the.
Waha unn ke welcome ko parul ke dono maame aur ladke ka father aur ladke ka bada bhai aur ek cousin bhi tha jo ke dubai se aya tha.
Mrs. & mr. iyer, rachit aur shivani ko parul ke dono maame kuch baat karne ko ek room mein le gaye.
Saath hi ladke ka baap, bhai aur cousin bhi tha.

Rachit ko pata nhi kyu kuch gadhbadh ka ehsaas hua tha.
Wo chalte chalte shivani ke kaan mein bola: yaar mujhe lagta he yeh log koi nayi demand rakhne wale he. agar esa hua to main saaf saaf inkar kar duga. Tum bas mamma ko samjha do ke mera saath de. Agar esa kuch ho gaya to meri gudiya ko uss ki khushiya mil sakti he.
Yeh sunnte hi shivani ke dil mein ek khushi ki lehar ci daudhi.
Shivani ne apni saas ko rachit ke mann ki shanka batate kaha: mamma rachit chahte he ke aap unn ka saath de.
Mrs. Iyer heran ci ho shivani ko dekhne lagi.
Room mein aate hi ladke ke baap ne ek letter iyer ko thamma diya.
Yeh letter tamil mein tha aur ladke ne likha tha.
Uss ladke ne likha tha: dear papa I am sorry main parul se shaadi nahi kar sakta. Maine kal hi court mein ja ke uss ladki se shadi kar li he jiss ko main love karta hu. Main parul, parul ki family se haath jodh ke maafi mangta hu. Aap bhi mujhe maaf kar dena. Aap ka beta.
Mr. iyer gusse se ubal gaye letter padh.
Rachit ne papa ke haath se letter liya aur padh liya.
Fir rachit ne shivani aur mrs. iyer ko de di wo letter padhne ko.
Rachit jhat se: papa chaliye ab yaha se aage jaane ka swal hi nahi uthta.
Ladke ka baap: I m really sorry mr. iyer. Hamare bache ke kaaran jo hua uss ki bharpai to hum nahi kar sakte. Agar aap chahe to meri badi behan ka beta jo dubai mein engineer he. iss shadi ke liye ready he.
Yeh bol uss ne ladke ke cousin ka haath pakad aage kar diya.
Wo ladka dikhne mein hi bahut bada lag raha tha.
Iyer kuch sochne laga.
Iss se pehle iyer kuch kehta.
Rachit ne papa ko uthaya aur bahar le aya jabran.
Bahar aate hi rachit bola: papa jo hua acha hua ya bura I don’t know but aap ghar chaliye. Ab jo bhi fesla hona he ghar ja ke hoga.
Iyer kuch soch mein padh gaya.
Rachit: aap sochiye mat papa bas ghar chaliye. Aap samjhiye meri baat ko. Aap gaadhi mein ja ke betho main mamma aur shivani ko le ke aata hu.
Iyer bhi shayad rachit ke ishare ko samajh gaya.
Rachit ander gaya.
Mrs. iyer ro rahi thi.
parul ka chhotta maama uss ko kuch samjha raha tha.
Rachit jo pehle hi gusse mein aa gaya tha.
maa aur patni ko utha bahar aa gaya.
Parul ke dono maame uthe aur bahar aa ke behan ko rokna chaha.
Par wo sab waha ek pal bhi rukna nahi chahte the.
Kuch pal waha thodi behas hui.
Parul ki mossi ko jab baat pata chali to wo apne pati ko sab baat batane lagi.
Bada maama parul ki mosi se bola: didi aap hi samjhao na inn ko.
Yeh keh ke uss ne bataya ke dubai wale ladke ke baare mein wo raaji he parul se shadi ke liye.
Parul ki mossi: lo fir to baat ban gayi. Iss mein sochne wali baat kya he.
Mrs. iyer: nahi didi ab jo kare ge hum sab soch samajh ke kare ge. Ya yu kahiye hum ne soch liya he kya karna he. aap chalo ghar. Wahi ja ke baat hogi ab.
Parul ke mossa ji: haan yeh thik he. bachi ki jindgi ka maamla he jo karna he soch samjh ke kare aap log.
Sab chal padhe.
Peeche se rachit ka chhotta maama bola: rachit maana ke jo hua bahut galat hua. Par tum to thoda socho. Ese shaadi talne se aap sab ki izzat mitti mein mil jaaye. Kis kis ko kya kya jawab dete firro ge aap log.
Rachit chalte chalte ruk ke bola: maama ji hum ko kya karna he iss ki fikar aap nhi kare.
Fir wo apne bade maama se bola: maama ji aap kal choora le ke aa jana shaam ko parul ki shadi ussi mahurat pe hogi. Yeh mera vaada he aap se.
Rachit ke maame ne heran ho ghoora rachit ko.
Shivani rachit ko baajoo se pakad kheechte hue: aap pagal ho gaye ho rachit. Pehle ghar chal uss se baat to kar lo.
Sabhi chal diye.
Parul ke dono maamo ne aakhri baar parul ke mossa se baat kar bigdhi baat banane ki koshish ki.
Par parul ke mossa ne thoda gusse se kaha: yeh unn ki beti ki jindgi ka maamla he. jo bhi fesla lena he unn ko lena he. hum mein se koi unn pe dabaav nahi daale ga ab. Aur wo jo bhi kare ge main unn ke saath hu. Aap dono bhaiyo ne jo karna tha kar liya.
Parul ki massi jo behan bhaiyo mein sab se badi thi aur uss ke pati ki sab izzat karte the.
Parul ke mosa ke saamne iss liye parul ke maamo ki kuch kehne ki himmat na hui.
Rachit khud iyer ki car mein aa betha.
Papa ke Driver ko uss ne nayi gaadi le ke aane ko kaha.
Jis ko wo khud drive kar ke aya tha.
Papa ki gaadi wo khud drive karne laga.
Iyer aage uss ke saath tha.
Mrs. iyer aur shivani peechhe bethi thi.
Sab se aage inn ki hi car thi.
Rachit ne sab ko oonche sawar mein kaha: chalo wapas.
Gaadiyo ka kaafila jese hi aya tha wese hi wapas chal diya.
Sabhi heran the ke yeh ho kya raha he.
Kyu ke bahut se log abhi sachai se anjaan the.
Jese hi wo log main road pe aaye.
Iyer bola: rachit suraj se baat kaun kare ga?
Rachit: uss ki aap chinta na kare papa. Main hoon na.
Iyer: but yaar uss ki family mein se koi nahi he.
Rachit: kyu nahi he papa? Prem aur jyoti bhabi he. radhika didi he. fir aap dono ko bhi to wo mamma papa ki tarah maannta he.
Mrs. iyer: ab main kuch bhi kar ke manau gi uss ko.
Rachit ne cell nikal prem ko call lagai.
Prem ka phone jyoti ke paas tha.
Jyoti: haan rachit bhaiya.
Rachit: bhabi prem kaha he?
Jyoti: bhaiya wo aur suraj to kahi gaye he. par jaate jaate prem apna cell bhool gaye ghar charging pe laga hua tha.
Rachit: oh
Jyoti: koi kaam tha bhaiya.
Rachit: bhabi meri baat dhyan se sunne. Suraj ko call kar prem se baat kariye. Aur prem ko kahiye ke wo suraj ko ghar le ke aaye jhat se.
Jyoti heran ho: kya baat he bhaiya sab kheriyat to he na.
Rachit khushi se aankhein bhar: bhabi ab to hui he asli kheriyat. Lagta he ooper wale ke kaano mein hum sab ki pukar pahuch gayi.
Jyoti ka dil teji se dhadka: rachit bhaiye saaf saaf kahiye na.
Rachit hass ke: bhabi meri khushi se ab to samajh jao.
Jyoti uchhal ke: kya sachi bhaiya……chamatkar ho gaya.
Rachit hass ke: haan bhabi ho gaya chamatkar.
Jyoti: kya ab parul meri devrani……..surya ki pari………
Rachit khushi se kaampti awaaz se kehne laga: haan bhabi haan……hum sab wapas aa rahe he…….aa ke batate he…….aap please meri gudiya ka khayal rakhe. Uss ko bata de ke uss ke aansoo waste nahi gaye…… ab wo roye nahi…. Uss ki khushi uss ko dene aa rahe he hum sab.
Yeh bol rachit ne call end kar di.
Aur udhar jyoti cheekhti hui bhaagi parul ke room ki aur kyu ke baat karti karti wo lobby ke doosre corner tak pahuch gayi thi.
Room mein jaate hi wo parul se lipat gayi jo ke bed pe bethi thi udas si.
Uss ka chehra choomne lagi.
Radhika uss ko ese dekh: jyoti kya hua tujhe.
Jyoti: didi chamatkar ho gaya.
Fir wo parul ko aur choom ke: parul ab meri devrani bane gi……..apne surya ki pari.
Parul ko to yakeen hi na ho raha tha.
Wo ro padhi: bhabi meri kasam he batao na kya hua.
Itne mein parul ka cell baja.
Mamma ki call dekh uss ne jhat se cell on kiya.
Parul roti roti: mamma yeh jyoti bhabi.
Wo bas itna hi bol payi.
Mrs. iyer bhi ro rahi thi udhar par khushi se: haan mera bacha jyoti bitiya thik keh rahi he.
Maa se sunte hi parul pehle jyoti se lipti fir radhika se aur fir babita se.
Sava paanch bhi na baje the iyer ke saath sab ghar aa gaye.
Jo relatives nahi gaye the wo heran reh gaye ke yeh log itni jaldi laut kese aaye.
Sabhi bahar se aa ke drawing room aur haal room mein sofo pe beth gaye.
Sab aapas mein tarah tarah ki baat banane lage.
Mrs. & mr. iyer, rachit aur shivani iyer ke room mein aa gaye.
Rachit ne parul ke saath hi radhika aur jyoti ko bhi wahi bula liya.
Babita bhi unn ke saath hi thi.
Babita pichle kuch time se unn ki family ke hisse jesi bani hui thi.
Yeh babita hi thi jo parul ko sambhal rahi thi.
Iyer ne radhika aur jyoti ko in short sab baat bata di.
Baaki sab to thik tha par iss time suraj aur prem kaha he na to unn ka pata tha aur na hi unn se koi contact ho raha tha.
sab se jayada parul bechain thi.
Jese hi uss ne maa ko dekha to uss se lipat ke ro di.
Mr. iyer uss ko apne se lagate poochhne lage ab kyu ro rahi he jab ke sab thik ho gaya he.
Parul ne rote rote kaha ke suraj ka kuch pata nahi kaha he papa?
Jyoti hass di: betha ho ga kahi devdas bann daaru ki botal le apni paaro ki yaad mein.
Baki sab to hassne lage.
Par parul ne ghoor ke dekha jyoti ko.
Fir achanak hi parul ke chehre pe smile dekh ke jyoti ne dil pe haath rakh kaha: haye oye surya ki pari ki adaa.
Fir se ek baar sab hasse.
Radhika ne ghoora jyoti ko: yaar kuch to sharam kar uss bechari ki jaan ja rahi he tujhe majaak soojh raha he.
Rachit radhika se: didi yahi to khasiyat he inn dono miya biwi ki ke roto ko hassa dete he dono.
Radhika bhi jaanti thi yeh.
Issi liye boli: yeh baat to sach he rachit.
Jyoti ne parul ko utha ke apne paas sofe pe bitha liya.
Uss ke kaan mein boli: kahi nahi jaane wala tera surya. Tere prem bhaiya he na uss ke paas.
Itne mein shivani jo sab ke liye pani lene gayi thi.
jab aai to pani to nahi tha magar prem tha uss ke saath.
Rachit prem ko dekh uss ki aur baahein fela: oye kaha reh gaye tusi munde ke veer. Wait raha tum ko kudi ka veer.
Prem kuch na samjha.
Wo heran sa ho waha sab ko dekh raha tha.
Prem: aap sab itni jaldi. Aap ko to saat aath bajne the.
Jyoti jaldi se sofe se uth ke paas aati boli: prem chamatkar.
Yeh kehte hi jyoti prem se lipat ke ro di.
Sab heran the ke abhi to wo sab ko hassa rahi thi.
ab iss ko kya hua.
Prem uss ko baahon mein bhar: jyoti hua kya? Tu ro kyu rahi he.
Jyoti aankhein saaf kar: prem chamatkar ho gaya. Jis ki hum sab kaamna kar ke yaha aaye the. Parul ab meri devrani bane gi.
Sab samajh gaye ke jyoti khushi se bhavuk ho ke ro di.
Prem uchhal ke rachit ko dekhta hua: sachi
Rachit aage ho: ya muchi bhappa ji.
Prem rachit se lipat gaya.
Fir iss baat ko pakka karne ke liye wo mrs. & mr. iyer ke paas aa gaya.
Jab prem ko poora yakeen ho gaya to wo suraj ko lene hotel ko chal diya rachit ke saath.
Unn dono ke hotel pahuchne tak suraj kha pee ke mazze se bed pe leta susta raha tha.
Rachit ke itni jaldi laut aane pe suraj bhi heran tha.
Prem: oye devdas chal teri paaro raah dekh ri aa tera.
Suraj kuch na samjha.
Prem ne rachit ko kaha tha ke suraj ne drink kar rakhi he.
Par dono hi yeh dekh heran aur khush bhi the ke suraj ne nahi pee thi.
Rachit: mujhe to laga ke tum laga rahe hoge. Maine socha tha khushi mein main bhi maar lu ga ek. Par yaha to esa kuch bhi nahi.
Keh ke rachit hassa.
Suraj: agar dil he to mangvau?
Prem: oye tu daaru di maa chodi ja. Daaru di maar bund te uth ke ghar chal. Saala devdas kise thaan da. (oye tu daaru ki maa chode ja. Daaru ki maar gaand aur uth ke ghar chal. Saala devdas kahi ka.)
Dono suraj ko kheench ke le chal diye.
Rachit ne reception pe aa ke kaha ke suraj ke room ke saare bills uss ke name pe daalne he.
saath hi uss ke saath ke do rooms aur book karva diye.
Asal mein hotel ka malik rachit ke dost ka father tha.
Issi liye hotel mein sab rachit ko jaante the.
Wapsi pe car prem drive kar raha tha.
Rachit suraj ko le peechhe aa betha.
Raaste mein rachit ne poori baat suraj ko batate kaha: suraj tere sab dosto aur pyar karne walo ki dua kabool ho gayi. Tumara aur meri gudiya parul ka pyar…. Tum dono ke pyar ki sachai jeet gayi.
Suraj ne sunna to sab par uss ko yakeen nahi ho raha tha.
Suraj ko rachit aur prem seedha iyer ke room mein le aaye.
Wo kath-putli bana rachit ke saath chala aa raha tha.
Drawing room aur haal room mein bethe sab rishtedar abhi bhi khusar-phusar kar rahe the ke iyer ne aakhir socha kya he?
kaun he wo ladka jis se ab parul ki shadi hogi.
Iyer ke room mein radhika, arun, jyoti aur shivani pehle se hi thi.
Parul babita ke saath ooper apne room mein chali gayi thi.
Jyoti aur radhika suraj ko dekhte hi uss se aa lipti.
Jyoti suraj ke kaan mein: suraj chamatkar ho gaya.
Suraj ne radhika ko dekha to uss ne bhi smile de haan mein sar hila diya.
Dono se alag ho wo mrs. & mr. iyer ki aur badha.
Suraj ne mrs. & mr. iyer ke paas pahuchte hi unn ke paon chhoone ko jhuka.
Dono ne baari baari uss ko galle laga ke pyar kiya.
Suraj ko kuch sochta hua dekh mrs. Iyer ne apne paas bitha liya.
Mrs. Ne poocha: kya soch rahe ho beta.
Suraj bola: uncle auntie iss se pehle ke aap koi fesla kare main aap se kuch kehna chahta hu.
Yeh sunte hi room mein sab heran aur preshan ho suraj ko dekhne lage.
Jyoti to kaamp hi uthi thi.
Suraj ne bataya ke kis haalat mein wo apni maa aur behno se alag ho gaya.
Uss ne hari ki maut ke baad jo jo hua sab bataa diya.
Last mein suraj bola: agar aap yeh sach jaan kar bhi parul ka haath mere haath mein dena chahte he tab main bhi khushi se iss ke liye tayar hu. Meri shadi mein ya shadi ke baad hina di to jarur rakhe gi mere se rishta. Mom ya kitty di iss rishte ko kabhi sawikar nahi kare gi. Iss time meri family mere yeh dost hi he.
Mrs. iyer ne uss suraj ko seene se laga liya.
Boli: mujhe poora yakeen he beta ek din teri maa aur behan bhi iss rishte ko sweekar kar legi. Tu akela mat samajh khud ko. Kya hum tere maa baap nahi.
Suraj mom kehta hua mrs. iyer se lipat gaya.
Ab waha shaadi ka programme banane lage sab.
Suraj ne kaha ke uss ko apni family traditions kayam rakhte hue sikh reeti se shadi karni he.
Iyers ko iss se koi aitraz na hua.
Iyer ko apne marhoom dost hari chopra ka har sapna poora karna tha ab.
Ooper wale ki mehar se yeh moka uss ko mil hi gaya.
Fir wo sabhi bhi to yahi chahte the.
Final yeh hua shadi fix date ko hi subah pehle sikh reet se hogi fir sham ko ladki walo ki means tamil reeti se.
Iyer ka ishara paate hi rachit prem ko le nikal gaya.
Jaha yeh sab bethe programme bana rahe the.
Waha shivani khud chai le ke aai sab ke liye.
Sab chai peete peete final karne lage.
Final hote hi sab se pehle suraj bahar nikla.
Uss ne apna cell on kiya jo kab se band padha tha.
Bahar lawn mein aate hi uss ne mom ko call lagai.
Suraj ki call dekh kanta ne kuch time laga ke call pick ki.
Suraj ne kanta ko brief mein bata shaadi ke liye aane ki request ki.
Par kaanta ne saaf inkar kar diya aane se.
Suraj jaanta tha esa hi kuch hoga.
Fir suraj ne hina ke pati ko call ki.
Aur kitty ke pati ko bhi call ki.
Kitty uss time pati ke saath hi thi.
to uss ne phone kitty ko thamma diya.
Kitty ne to saaf no keh di.
Hina ka pati khush to bahut hua.
Par itne short notice pe aana namumkin tha uss ke liye .
Uss ne yahi kaha ke tu shadi kar ke parul ko le aa.
Saath hi yeh bhi kaha ke Ab kisi ke kehne pe rukna nahi.
Idhar jyoti ne prem ke mummy papa aur apni maa ko call kar bataa diya.
Radhika ne bhi apne ghar call kar di.
Jyoti ne neelima aur geeta ko bhi call ki.
Suraj ne khud bhi sab ko call ki.
Office mein pinki aur divya ko bhi bata diya.
Fir ghar mein rani ko bhi bataya.
Par itni jaldi itni dur kisi ke liye bhi pahuch pana mushkil hi nahi namumkin sa tha.
Idhar iyer ne parul ke mosa ko sab bataya sab se pehle kyu ke wo ghar mein uss time sab se bade the.
Unn ho ne jhat se iyer ke galle lag ke badhai de di.
Iyer ne suraj ko bula unn se milva diya.
Mrs. & mr. iyer ke kuch relatives iss nayi development se na-khush the.
Khaas kar ke parul ki massi aur do char aur badi umar ke log.
Par jayadatar log khush the kyu ke unn ko suraj aur saathiyo ki nature kaafi pasand aai thi.
khaas kar suraj aur parul ki age ke parul ke cousin brothers & sisters.
Parul ki massi ko uss ke pati means parul ke mosa ne chup karva diya tha yeh kehte hue ke suraj mein kami kya he?
mrs. iyer ne bataya tha ke uss ka apna achha khasa kaarobar.
Fir mrs. iyer ne yeh bhi kaha ke suraj ke kaaran unn ki izzat reh gayi.
Massi ne jab dubai wale ladke ke liye kaha ke iss se to wo acha rehta kam se kam apni biradari ka to tha.
to iss pe mrs. iyer bhadak uthi boli ke uss budhe ke palle baandhne se to achha he parul ko saari umar ghar bitha ke rakhu.
Mrs. iyer ka saath diya uss ke jeeja ne yeh keh ke yeh jo kar rahe he bilkul thik he.
jeeja saali ko ek hota dekh parul ki massi aur kuch na keh pai thi.
bas jal bhunn ke waha se uth gayi.
Iss ke baad uss ne koi baat na ki kyu ke uss ke apne bache suraj ko bahut like kar rahe the.
Mrs. iyer ne apne dono bhaiyo ko call kar bol diya ke shadi ussi din ussi time pe hogi.
Bas dulha wo nahi hoga.
Jab parul ke maamo ne poochha ke dulha kaun he to mrs. iyer ne kaha ke aap aao ge to pata chal jaaye ga.
Suraj, radhika, arun, prem aur jyoti ko aaj raat ko hi uss hotel mein shift hona tha jaha suraj ne kuch der pehle room liya tha aur rachit sab ke liye room book karva aya tha.
Wahi pe agle din mehndi ki rasam aur fir sangeet ka programme tha.
kyu wo ab ladki wale na ho ke barati ho gaye the.
Saadhe saat bajne wale the.
Par abhi tak prem aur rachit nahi aaye the kyu ke unn ko gaye kaafi time beet gaya tha.
Jyoti ne kai baar prem ko call lagai par prem har baar yahi keh raha tha ke aa raha hu kuch hi der mein.
jyoti thodi tension mein dikhne lagi.
Suraj ke paas aa boli: yaar yeh prem kaha reh gaya.
Suraj ne paas se gujar rahi shivani ko pukar ke poochha: bhabi rachit bhai kidar reh gaye.
Shivani sharat se: oye hoye dulhe raja ko apne saale sahib ki badi fikar he.
Suraj thoda sa sharma ke: wo to hogi hi bhabi. Yeh sab ussi ke karan to ho paya he.
Abhi wo yeh bol hi rahe the ke prem ki awaaz padi sab ke kaano mein: ba-adab ba-mulahiza hoshiyar. Aa gaye yaaro ke yaar.
Fir rachit jor se: yeh lo ji aa gaya kudi ka veer.
Prem bhi ussi lehje mein: aah lo ji aa geya munde da vi veer.
Dono hasste hue main haal mein ek dusre ki kamar mein baah daale aur doosre haath mein ek ek beer ki botal pakde hawa mein lehraate hue naachte hue aaye.
Aaha aaha……shava shava……balle balle……
Dono aate hi naachte hue suraj se lipat gaye ek saath.
Issi beech iyer jo apne room mein patni se kuch baat kar rha tha.
rachit ki awaaz sun bahar aa gaya.
Dono ke haath mein beer ki botale dekh halke gusse se iyer rachit se bola.
Iyer: rachit wat is this. Maine jo kaam bola tha wo hua ke nahi. Ke beer pee ke laut aaye.
Rachit: papa khali botal he.
Prem: yes uncle ji khali.
Dono ne bottle ulti kar di.
Yeh sab jaante the ke yeh bottles inn ke pet mein khali hui he.
Rachit iyer se: papa aap koi kaam kahe aur main karu na. yeh to ho hi nahi sakta na. aur ab to bilkul hi nahi. hotel mein rooms final ho gaye aaj hi raat se. aur prem ne paas ke hi ek Gurdwara Sahib mein bhi ja ke baat kar li he jaha parso subah pehle sikh reet se shadi ho gi.
Iyer ne fir suraj, prem aur baki sab ko bitha ke kaha.
Mrs. iyer, rachit aur shivani bhi wahi the.
Iyer: suraj beta aaj raat ko dinner ke baad aap sab log hotel mein chale jaaye ge. Kal afternoon mein pehle teeke ki rasam hogi. Aur fir wahi sangeet ka programme hoga. Parso subah pehle sikh reet se shadi. raat ko tamil reet se.
Iyer ne fir bataya ke sikh reeti se shadi ke baad wo log parul ko le ke hotel mein jaye ge.
Lunch ke baad rachit aur shivani parul ko ghar le aaye ge.
Iyer ne yeh bhi bataya ke raat ko baraat yahi paas ek resort jo pehle hi booked he waha aye gi.
Aur shadi ki saari rasme ghar mein hogi.
Aur ghar se hi doli jaaye gi.
Fir iyer ne poochha ke uss ki family se kisi ke aane ka scope he ke nahi.
Suraj ne kaha mushkil he.
Fir iyer ne kaha ke abhi ek chotti si rasam ring ceremony ki hogi.
Uss ke baad bahar lawn mein chotta sa music and dance.
Suraj: uncle ring ceremony kese hogi. Mere paas to ring hi nahi he parul ke liye.
Shivani hass ke: suraj bhaiya abhi bhi uncle. Ab to papa bolo.
Suraj jhemp gaya: sorry………… papa.
Iyer hass ke: abhi jeweler aa raha he tum dono bacho ke liye rings le ke.
Suraj: papa ek baat kahu. Parul ki ring ki, hotel jaha hum ruk rahe he. aur jo jo payments hum ko karni chahiye. Wo hum hi kare ge.
Mrs. iyer suraj ko seene se laga: beta hamara jo kuch he tera hi to he.
Suraj: mamma main aap ki bhavna samjhta hu. Par aap ke paas jo bhi he wo sab rachit bhai aur shivani bhabi ka he. mujhe parul chahiye bas teen kapdo mein.
Mrs. iyer ne uss ko seene se bheench liya.
Shivani aage ho: par suraj bhaiya hamare bhi kuch armaan he apni gudiya ke liye. Unn se aap please inkar mat karna. Main abhi maa to nahi bani par mujhe wo beti jitni hi pyari he.
Yeh sunte hi mrs. iyer ne shivani ko seene se laga ke uss ke gaal choom liye.
Suraj fir thoda sa sharmaate hue: mamma papa kya main kuch der parul se akele mein………..
Shivani jhat se: arey haan papa hum ne inn dono ko ek pal bhi nahi diya akele mein. Ab to inka hak banta he.
Mrs. & mr. iyer, prem, jyoti, radhika, arun sab ki ek formal izaajat le suraj shivani aur rachit ke saath ooper chal diya.
Kyu ke ek tarah se yahi iss time pe iss ki ek family the.
Jyoti jhat se suraj ke paas aa uss ke kaan mein: oye sirf jappi aur pappi. Iss se aage nahi abhi.
Suraj ne jyoti ko ek pal ruk ghoora.
Fir smile de sharmata hua chal diya.
Jyoti hass di jor se.
Parul aur babita dono bed pe bethi khusar fusar baatein kar rahi thi.
unn ke saath parul ki teen chaar cousins bhi thi.
parul rachit ko dekh bhaag ke uss se lipat gayi.
Rachit ne behan ke gaal choom pyar kiya.
Rachit: meri gudiya ab khush he na.
Parul sharma ke bhai se fir lipat gayi.
Wo chori chori suraj ko nihar rahi thi jo uss ke saath hi aya tha.
Rachit aur shivani ne waha pe sab ko jaane ka kaha: dulha dulhan ko kuch pal akela chhod do aap.
Sab ek ek kar nikal gayi.
Jaate jaate sabhi ek pal suraj ke paas aa boli: hum aap dono ke liye bahut khush he jija ji.
Babita: bhaiya please ek mint aap chalo. Main inn se jara……
Shivani hass ke: haan bhai jarur tu hi to he inn dono ke pyar ki pehli gawah……
Fir wo dono bhi chale gaye.
Unn ke jaate hi babita ne door close kar suraj aur parul ki kuch pyar bhari pics click ki apne cell mein.
Jaane se pehle uss ne parul ko jappi daal uss ke gaal ko chooma.
Fir uss ne suraj ko jappi daali to suraj ek pal ke liye jhijka.
Parul yeh dekh: yeh aap ki sab se laadli saali he surya iss ka itna to hak banta he.
Jese hi babita ne suraj ke gaal ko chooma to parul ne babita ke cell se pic kheench li.
Babita sharmati hui bhaag gayi.
Jaate jaate door ke paas ek pal ruk ke: pari ka surya bahut meetha he.
Yeh bol ek flying kiss dono ki aur udhati aur door band kar gayi.
Uss ke jaate hi suraj ne baahein fela di.
User avatar
shaziya
Novice User
Posts: 2348
Joined: 19 Feb 2015 03:27

Re: Phela pyar-koi jeeta koi hara

Post by shaziya »

Pehla Pyar - Koi Jeeta Koi Hara


Part-38

Jaate jaate door ke paas ek pal ruk ke babita: pari ka surya bahut meetha he.
Yeh bol ek flying kiss dono ki aur udhati aur door band kar gayi.
Uss ke jaate hi suraj ne baahein fela di.
Parul chahe chand kadam dur thi par palak jhapkte hi suraj ki bahon mein samaati chali gayi.
Dono ek doosre ko baahon mein bhar ke ese khoye ke kuch pata hi na chala.
Dono ese hi aankhein band kiye lipat gaye ek doosre se.
Parul ka sar agar suraj ki chhati se laga hua tha to suraj gaal parul ke baalo ko sehla rahe the.
Aankhein band juban band bas koi awaaz thi to do pyar mein doobe dilo ki dhadkano ki.
Dono tab bhi ese hi khade rahe jab shivani aur babita coffee aur kuch khaane ka samaan le lai.
Dono ko kuch pata na chala ke kab door khula aur kab shivani aur babita room mein aai.
Dono ne chupke se sab samaan table pe rakh diya.
fir bhi dono khoye rahe apni hi duniya mein.
Apne pyar ki duniya mein apne sapno ki duniya mein.
Iss se pehle ke shivani parul ko hila ke unn ko unn ke sapno se bahar nikalti.
Babita ne kai angles se dono ki pics le li apne cell se.
Shivani aur babita ko dekhte hi dono alag hue sharmaate hue.
Shivani: haaye kahi najar na lag jaaye iss pyar ko.
Yeh bol shivani ne parul ke dressing table se kajal stick utha dono ke kaan ke paas gaal pe ek halka kaala teeka laga diya.
Jaate jaate babita boli: fir se sapno mein khone se pehle coffee pee lena. Thandi na ho jaaye.
Dono hi chal ke sofe pe aa bethe.
Ek doosre ki aur chehra kar ke.
Suraj ne plate mein rakhi barfi ka ek piece utha ke parul ke honto ke kareeb kiya to parul ne uss ki aankhon mein dekhte hue hont khol diye.
Parul ne apne motiyo se chamkte daanto se thodi si barfi apne muh mein le li.
Fir wahi barfi ka piece suraj ke haathon se parul ne liya.
Jis chhor se uss ne barfi khai thi ussi chhor ko suraj ke honto ke kareeb kar diya.
Suraj ne bhi wese hi uss ke haathon se thodi si barfi daanto se kaat apne muh mein daal li.
Parul ne bacha hua piece wapas plate mein rakh diya.
Parul suraj ke right side pe uss ke bahut kareeb bethi thi.
Suraj ne apna right hand aage kar parul ke gaal pe rakh ke kaha: meri pari khush he na ab.
Parul suraj ke haath ki chhoh se madhosh ci hone lagi.
Uss ne apne left hand suraj ke right hand jo ke uss ke gaal pe tha uss ke ooper rakh diya aur sehlane lagi.
Aur apna right hand suraj ke left gaal pe rakh diya.
Suraj pe bhi uss komal haath ki chhoh se madhoshi chhane lagi.
Suraj ne bhi apna left hand parul ke apni gaal pe rakhe haath pe rakh diye.
Ek doosre ke haathon ki iss chhoh se wo ese madhosh hue ke jese unn ke liye duniya yahi ruk gayi ho.
Deen duniya se bekhabar wo kab tak ese bethe rahe unn ko pata hi na chala.
Kuch der baad door ahista se khula.
Dabbe paon room mein babita, shivani ke saath iss baar radhika aur jyoti bhi aai thi.
par inn dono ko kuch khabar na thi.
Radhika aur babita iss prem mein leen jodhe ki pics lene lagi.
Yeh dono hosh mein tab aaye jab room mein prem aate bola: yaar suraj ko le aao na neeche uncle bula rahe he.
Suraj aur parul ese uthe the jese kisi sapne se jaage ho.
Sab ko dekh dono sharam se laal ho uthe.
Jyoti ne aage ho parul ko baahon mein le choom liya.
Fir ek baah suraj ki aur badha uss ko bhi apne se laga liya.
Uss ki aankhein nam hone lagi.
Shivani maathe pe haath maar: wahi hua jis ka darr tha. coffee thandi. Khaya kuch bhi nahi.
Babita hass ke: nahi bhabi muh meetha kiya inn ho ne ek doosre ka.
Yeh bol uss ne wo piece dikhaya sab ko jo thoda kam tha wo bhi ek hi kone se.
babita ne wahi piece utha ke adha adha kar dono ke muh mein daal diya.
Shivani aur babita dono ko le ke chali gayi.
Kyu ke neeche jeweler aya betha tha rings le ke.
Radhika jyoti ka haath pakad boli: tujhe kya hua? Teri aankhein kyu bhar aai thi.
Jyoti: didi aap nahi jaanti. Main aur prem gwah he iss baat ke. Theek ese hi suraj aur neela bhi kho jaate the ek dusre mein sab se bekhabar. Main jab bhi parul ko, uss ke pyar ko dekhti hu to mujhe neela yaad aa jaati he. jis suraj ko neela ne jaha adhoora chhoda tha. thik wahi se parul ne suraj ko poora kar diya. Raju ki neelu ki poorak ban ke aai he yeh surya ki pari.
Prem: haan didi eh ta menu vi mehsoos hunda he ke parul neela bhain da duja roop he. (haan didi yeh to mujhe bhi mehsoos hota he ke parul neela behan ka doosra roop he.)
Radhika: kitni ajeeb baat he. tum teeno dosto ki soch ek si he. suraj ko bhi pehli baar jab parul mili to uss ko iss mein neelu hi najar aai. Neelu ke iss ki jindgi se jaate hi lagta he parul ka pyar iss ko yaha Chennai kheench laya.
Jyoti radhika ka haath thaam ke: aur inn dono ke milne ka raasta baani tum didi.
Prem ooper ki aur haath utha ke: oss de rang nirale ji. Oss diya ohi jaane. (uss ke rang ajeeb ji. Uss ki wahi jaane.)
Teeno baatein karte karte neeche aa rahe the to jyoti boli: o sach prem ji neela nu ta kise daseya hi nahi. (oh sach prem ji neela ko to kisi ne bataya hi nahi.)
Yeh bol jyoti ne neelima ko call lagai.
Uss din updesh Amritsar mein tha kaam ke silsile mein.
Neelima maa aur sunil ke saath thi ghar.
Neelima to sunte hi ro di khushi se.
jyoti se baat kar uss ne maa ko bataya fir updesh ko news di.
Updesh ne kaha ke uss ko prem ne abhi abhi bataya he.
Wo abhi uss ko call karne hi wala tha.
Saath hi updesh bola: ab to teri fikar khatam ho gayi na.
Neelima khushi se: ji haan
Jis time jyoti ne neelima ko call ki.
Ussi time prem ne updesh ko call kar di thi.
Neeche iyer ke room mein jeweler betha suraj aur parul ko rings dikha raha tha.
parul ne to bhabi aur maa ki help se ring final kar li suraj ke liye.
Par suraj ko abhi pasand na aa rahi thi.
Suraj: bhai sahib koi badiya ci dikhao na yaar jo dil ko chhoo jaye.
Jeweler: dil ko chhoone wali to se bhaya. Par jara maal chokho laage se.
Suraj: maal ki fikar na karo se bhaya. Dil ko chokho laagni chahe se.
Suraj ko ese bolta dekh parul aur shivani ki hassi chhoot gayi.
Fir uss ne ek khaas dabba khola jo abhi tak band tha: ibb ke dekho bhaya. Diamond aone gold bhi chokha pure.
Naya dabba dekhte hi suraj ne jyoti aur radhika ko bula liya.
Unn dono ki help se Suraj ne uss mein se ek ring final kar di.
Price poochha.
Jeweler iyer ka khaas tha.
daam bhi wajib bataya.
Suraj ne cell nikal: bhaya account number bolo.
Iyer: suraj main payment kar duga beta. Don’t worry.
Suraj ne iyer ko dekha: papa iss ka nahi. Baaki sab baad mein ho jaye ga. Par iss ka nahi.
Iyer uss ki bhavna samaj gaya.
Dil ka maamla tha.
iyer khud bhi inn lamho se gujar chukka tha.
uss ne khud hi jeweler ko account number batane ko kaha.
Jeweler smile de ke: iyer bhaya damad bhi chokho dhundeyo se. dil ko chhoo gayo bhaya.
Bhavuk ho uss ne special discout kar naya daam bataya aur account number bhi.
Suraj ne ussi pal online payment kar di.
Jeweler uth ke chal diya.
Tabhi jyoti ne suraj ke kaan mein kuch kaha.
Suraj teji se uth ke bahar ko lapka.
Suraj ne bahar aa shivani ko jeweler ko rokne ko kaha.
Kyu ke jeweler uss time shivani se kuch baat kar raha tha.
Fir jewler ko kuch kaha.
Jeweler hass ke thik he bol ke chal diya.
Suraj ne shivani se request ki ke wo kisi ko kuch kahe nahi.
Shivani smile de ke chali gayi.
Suraj ko fir achanak neelima ka yaad aya.
Wo bahar lawn mein aa gaya.
Waha pandal sajaya ja raha tha.
suraj samajh gaya ke yaha ring ceremony ki tayari chal rahi he.
uss ne cell nikal ke video call laga di neelima ko.

Neelima call on karte hi: raju main bhi aap hi ko call hi karne lagi thi. Jyoti just told me.
Neelima cell ki screen pe suraj ko ear phone lagaye dikhai di.
Suraj: neelu tu updesh ko le ke aa ja na.
Neelima: aap shadi kar ke aa jao raju yaha apni parul ke saath.
Suraj: aa jao please.
Neelima: please raju samjha karo. Updesh nahi he aaj. Wo shayad kal sham ko ya parso subah aaye ge. Maine unn ko khabar de di he. wo bhi thodi der mein free ho ke aap ko call kare ge.
Suraj: neelu tu khush to he na.
Neelima: raju aap nahi jaante main kitni khush hu. Meri parul se baat karvaye ge aap.
Suraj: haan haan kyu nahi tu hold kar. main uss ko dekhta hu kaha he.
Neelima: lo tab tak aap mamma se baat karo.
Beena call pe aate hue: suraj beta Mubarak ho.
Suraj: auntie aap ke ashirwad se sab ho gaya. Verna maine to har umeed kho di thi fir se.
Beena: beta uss ke ghar der he andher nahi. Yu samjho parul bhi meri hi beti he jese neelima.

Beena se baat karte karte suraj parul ke room mein aa gaya.
Wo wahi thi babita ke saath.

Suraj parul se: lo pehle neelu ki mummy se baat kar lo. Fir neelu se kar lena.

Bol ke suraj ne cell aur headphone parul ko de diye.

Parul head phone kaan pe laga ke: namaskar auntie ji.
Beena: jeete raho beta. Aap ko bahut bahut Mubarak ho.
Parul: shukriya auntie. Main jaldi hi aap ke paas aa rahi hu.
Beena: haan beta. Hum sab besabri se aap dono ka intezar kar rahe he. lo neela se baat karo.
Neelima headphone laga ke: parul meri jaan. Tu to sachi pari he pari. I m really happy.
Parul: neelu didi aap bhi kaun sa kisi pari se kam ho. Mera kab se dil tha aap se baat karne ko. Par number hi nahi tha mere paas.
Neelima: mera number raju ke cell mein he. jyoti ke paas he. prem bhaiya ke paas he. jis se marji le le. Par ab to hum dono behne mil ke baatein kiya kare gi.
Parul: ya didi. Didi aap ko bura to nahi lag raha na. jo jagah aap ko milni thi wo ab main lene ja rahi hu.
Neelima: nahi ri. Main to bahut khush hu. Raju to tera tha aur ab to sadaa ke liye tera hone ja raha he.
Parul: nahi didi raju to sirf neelu ka he. pari ka to surya he.
Neelima: nahi meri sweetie raju, surya ya suraj yeh sab ab tere he. maine sab hak ussi din kho diye the jab meri shadi ho gayi thi.
Yeh kehte hue neelima ki aankhein nam hone lagi.
Parul: please didi aap rovo nahi.
Neelima: pagli yeh to khushi ke aansoo he. Tu nahi jaanti aaj main kitni khush hu.
Parul: didi aap aa jao na yaha shadi pe.
Neelima: kaash main aa pati. Par sunil ke papa yaha nahi he. nahi to main jarur aati. Chal koi baat nahi main tum dono ki shadi ki video dekh lu gi na.
Parul: didi sunil kaha he.
Neelima: wo so gaya he.
Parul: acha didi mujhe ready hona he. abhi ring ceremony he na.
Neelima: haan haan tu ho ready. Main besabri se tere aane ki wait karu gi ab.
Neelima ne phone pe hi uss ko dher sara pyar diya.
Call end ho gayi.
Parlor wali aa chukki thi parul ko tayar karne ko.
Suraj waha tha nahi so shivani ke kehne pe parul ne uss ka cell wahi rakh liya apne dressing table pe.
Parlor wali jaanti thi parul ko.
Uss ne poochha ke ring ceremony fir se kyu.
Kyu ke last time jab ring ceremony hui thi to issi ne parul ko tayar kiya tha.
Fir shivani ne jab suraj aur parul ke baare mein brief mein bataya ke dono pehle hi ek doosre ko like karte the to wo bhi khush ho uthi.
Issi beech suraj ka cell baj utha.
Cell pe flash ho rahe name ko dekh thoda chonki parul.
Call kitty ki thi.

Parul ne bhabi ko bataya to shivani hass ke boli: kar le baat teri nanad hi he ab yeh.
Praul cell on kar: hello kitty di parul here.

Kitty ke liye yeh ek sadme jesa tha.

Bade hi rookhe sawar mein: oh to baat yaha tak aa pahuchi. Uss ne apna phone hi tujhe de diya.
Parul: di wo unn ho ne kisi se baat karvai thi. wo ready hone gaye he to cell mere paas hi reh gaya.
Kitty: to tum ne apna chakkar chala hi liya. Mere bhai ko phaans liya na kameeni.
Parul ki awaaz kaampi: di.
Kitty gusse se: I m not ur di. Do u understand. Aur uss ko bhi keh dena. Mera aur mom ka iss shadi ke baad uss se koi rishta nahi he. agar uss ne yeh shaadi ki to hum maa beti uss ke liye marr gayi aur wo hamare liye.

Iss se pehle parul kuch keh paati kitty ne call kaat di.
Parul ko ek tej jhatka laga tha.
Uss ki aankhein barsne lagi.
Itne mein suraj apna cell lene aa gaya.
Uss ko kisi ko call karni thi.
Parul ki aankhon mein aansoo dekh bola: arey tu ro kyu rahi he pari.
Shivani jo wahi thi uss ne bataya ke uss ki behan kitty ka phone tha.
Suraj ne parul se poochha ke kitty ne kya kaha.
Parul ek baar to chup reh gyi.
Par Suraj ke jor dene pe parul ne sab bata diya.
Jab suraj ko parul ne yeh bataya ke kitty ne uss ko kameeni kaha to suraj ne ussi pal kitty ko call laga di.

Wo ek dum se gusse mein bola: di aap ka koi hak nahi banta parul ko kuch kehne ka. Aap ko rishta rakhna he rakho nahi rakhna mat rakho. Magar ab fir kabhi parul ke liye koi bhi bura word use kiya to uss ka result acha nahi hoga. Aa raha hu main apni patni ke saath he kisi mein himmat to koi ungli utha ke dikha de uss ko….. Baki rahi meri aur mom ki baat to wo main jaanu ya mom. Aap ko beech mein aane ka koi hak nahi he.
Parul rokti rahi par suraj ne gusse mein sab keh diya.
Uss ne bina koi reply sune kitty ki call kaat di.

Fir parul ko galle laga ke: I m sorry baby meri sister ne jo kaha. Par ab tum ko koi kuch nahi kahe ga. Aur tum bhi please jab tak main na kahu meri behno se ya mom se koi baat na karna.
Parul: surya wo sab mere se badi he. thoda gussa kar liya to kya hua. I m sorry maine aap ko bata diya.
Suraj uss ka maatha choom: u r my responsibility darling. Koi tujhe kuch kahe yeh mere se kabhi sehan na hoga. I love u from bottom of my heart.
Fir wo parul se alag ho ke shivani se: bhabi yeh jo sab hua please aap kisi se mat kehna. I promise in future nothing will happen.
Shivani suraj ka haath thaam: I know suraj bhaiya. U love parul a lot. More than your life.
Suraj: thank you bhabi for your trust.

Suraj chala gaya.
Asal mein uss ko yaad aa gaya tha ke Kolkata radhika bhabi ko call kar batana tha issi liye wo cell lene aya tha.
jab uss ne bataya to wo bhi bahut khush hui.
Par uss ke liye aa pana mushkil tha.
Kareeb pone dus baje ring ceremony ki rasam shuru hui.
Ghar mein aaye hue sabhi mehmaan lawn mein lage pandal mein aa gaye the.
Iyer ne sab se kaha ke jis ladke se parul ki shadi honi thi uss ko kisi aur se affair tha iss liye uss ne uss ladki se shaadi kar li.
Iyer ne yeh bhi kaha ke uss ko uss ladke se koi shikwa nahi.
Kyu ke uss ladke ne yeh acha kiya nahi to teen jindgiya daav pe lag jaati.
Iss ke saath hi iyer ne kaha ke parul ki shadi ab bhi same fix date ko hogi.
Bas ladka ab koi aur he.
Fir uss ne suraj ko sab se introduce karva ke bataya ke yeh uss ke bahut pyare dost marhoom hari chopra ka iklota beta suraj chopra he.
kyu ke iss ke pita hari chopra ek sikh family se he to pehle 29th ko subah sikh rasamo se shadi hogi.
Sham ko fir hum apni rasmo se shadi kare ge.
Sabhi mehmano ne khushi mein taali baja di.
Khaas kar young generation ne jo waha the.
Last mein Iyer bola: abhi dono ki ring ceremony hogi. Par kyu ke uss ke damad suraj chopra ne khaas taur pe yeh request ki he ke aap iss ceremony mein sirf suraj aur parul ko ashirwad de. Means no shagan no khechal no gifts please.
Waha pe sabhi iss announcement se heran the.
Aur suraj ki aur tareef bhari najro se dekh rahe the.
Suraj aur parul ne pehle ek doosre ko ring pehnai.
Fir cake kaata.
Sabhi iss nayi jodi ko Mubarak dete photos khichwane lage.
Saath hi khaane peene ka programme shuru ho gaya.
Music on hote hi rachit, shivani, prem jyoti, radhika, babita sab ne suraj aur parul ko uthaya dance karne ke liye.
Parul jamni sari mein kisi princess se kam na lag rahi thi.
suraj ne pent coat pehan rakha tha neele rang ka.
Dono hi sharmate hue aa gaye dance karne.
Suraj ne jese hi parul ka haath pakda dance karne ko to wo buri tarah se sharma gyi ek baar to.
Fir dono hi hole hole ek romantic song pe thirkne lage.
Yeh dekhte hi sab ne waha taaliya maarni shuru kar di.
Video recording aur photography to chal hi rahi thi.
babita, jyoti, radhika shivani, rachit sab apne apne cell se bhi pics lene lage.
Jyoti to saath hi saath neelima ko pics watsapp kar rahi thi.
Neelima har pic ko khushi se aansoo bahati choom rahi thi.
Kuch der baad rachit-shivani, prem-jyoti, radhika-arun aur saath hi kuch aur couples bhi waha thirkne lage.
Sab jawano ko dekh mrs. & mr. Iyer bhi kaha fir peechhe rehne wale the.
Wo bhi dance karne lage.
Kuch der baad rachit ne Iyer ko ek side pe kar ke kuch baat ki.
Asal mein uss ne poochha tha ke kya aaj suraj drinks kar sakta he.
Iyer hass ke bola ke sirf aaj ka din. Kal ya parso nahi.
Rachit ne wahi ek waiter ko kuch drinks aur saath hi females ke liye soft drinks laane ka kaha.
Ek waiter jhat se drinks, doosra soft drinks aur do waiter khaane ka samaan le aaye.
Rachit ne jab suraj ko peg badaya to suraj ne ek najar iyer pe daali.
Iyer ne haan mein sar hilaya jab smile dete hue tab ja ke suraj ne peg thaama.
Iyer, Prem, rachit, arun vagehra sab ke haath mein whisky ke pegs the aur saath mein sab females ke haath mein soft drinks the.
Prem cheekh ke: veere tere viah di khushi ch aj to chalu main vi. (bhai teri shadi ki khushi mein aaj se shuru main bhi.)
Prem ke haath mein bhi whisky ka peg tha.
Suraj hass ke: haje hoi ni. (abhi hui nahi.)
Prem: hun ta koi maa da laal ni rok sakda oye. (ab to koi maa ka laal nahi rokta oye.)
Sab ne pehle suraj aur parul ko shuru karne ko kaha.
Suraj aur parul ne ek doosre ko dekha.
Suraj ne apna peg parul ke honto ke kareeb kiya to parul ne glass ko sharmate hue halke se choom liya.
Glass pe uss ke honto pe lagi laali ka nishan lag gaya.
Suraj ne wahi se ghoont bhara to sab ne hasste hue taaliya maar di.
Fir baaki sab bhi peene lage.
Prem ne rachit se kaha ke wo uss ko jayada peene ko na kahe kyu ke wo pehli baar pee raha tha.
Prem ne sirf apni marji se do hi peg peeye.
Prem ne rachit se keh ke music wale se Punjabi beats ke filmi songs lagva liye.
Aur fir shuru hua naach ka dhmaal.
Sab dekh ke heran the parul jyoti ke barabar Punjabi bhangra aur dance kar rahi thi.
Sabhi tab tak naachte rahe jab tak thak na gaye.
Sab se jayada agar koi naacha tha to prem aur jyoti.
Wo to khushi ke maare rukne ka naam hi na le rahe the.
Raat ek baje do cars nikli suraj aur baki sab ko le ke uss hotel ke liye jaha unn ko ab rukna tha.
Pichhli raat parul so na payi thi thik tarah se kyu uss ko suraj se hamesha ke liye bichhdne ka gham tha.
par neend to uss ko aaj bhi na aa rahi thi kyu aaj uss ko khushi thi ke uss ka surya uss ka hone ja raha tha.
Ring ceremony pe babita ke parents ko bhi bhualaya tha Mrs. Iyer ne.
Babita ki mom ne suraj aur parul ko badhai dete kaha tha ke babita pehle jo apni fast friend ke liye jitni dukhi thi aaj wo uss ke liye uss se kahi adhik khush he.
Yehi to dosti hoti he yaar………….
User avatar
shaziya
Novice User
Posts: 2348
Joined: 19 Feb 2015 03:27

Re: Phela pyar-koi jeeta koi hara

Post by shaziya »

Pehla Pyar - Koi Jeeta Koi Hara


Part-39

Agli subah suraj prem, jyoti aur radhika ke saath nikla.
Mr. Iyer ne unn ko ussi shop pe bheja tha jaha se parul ne suraj ko sariya le ke di thi.
Suraj ne waha se parul ke liye ek surakh rang ka silk ka Punjabi suit aur ek shaandar dupatta khareeda jis mein parul ko sikh reeti se fere lene the.
Suraj ne prem se kaha ke turban ka kya karna he.
Prem ne kaha ke wo iss ki fikar na kare.
Turban arrange karna uss ki jimmevari he.
Prem ne jab jewelary ka poochha to suraj ne kaha ke ek diamond necklace he jo wo parul ko shadi pe gift karne ko laya tha wo mehndi ke time pe de dega.
Baaki waha ja ke lega.
Jyoti ne kaha ek set uss ke paas untouched he jo wo lai he.
Wo shadi ke time pehna de ge uss ko.
Suraj ne inkar kiya to jyoti bhavuk ho uthi ke kya uss ka itna bhi hak nahi.
Aur boli ke uss ko kahi na kahi iss chamatkar ki umeed thi.
Issi liye wo yeh set le ke aai thi ghar pe sab ko bata ke agar esa hota he to wo yeh set parul ko degi.
Shayad yeh jyoti ka vishwas hi tha jo sab kuch thik ho raha tha.
Suraj fir inkar na kar paya.
Sabhi do baje wapas hotel pahuche to aage kavita mitali aur suhan ko dekh sabhi khushi se naach uthe.
Kavita aur mitali se milne ka baad suraj ne suhan ko goddi mein le liya.
Asal mein kavita ne parul ko subah phone pe kaha tha ke wo dono aa rahi he by air.
Suraj, radhika ya baaki sab ko wo surprise dena chahti thi….
Parul ne rachit aur shivani ko bheja tha dono ko laane.
Wo pehle ghar ja ke parul aur iyer dampati se mili fir rachit unn ko hotel le ke aya.
Sham ko teeke ki rasam hui.
Ab mehndi ki rasam ki tayari hone lagi.
Teeke ke ek dum baad se prem gayab ho gaya.
Suraj ke poochhne pe jyoti ne kaha ke wo kahi gaya he thodi der mein aa raha he.
Aur fir jab prem aya to ek surprise wo le ke aya.
Jab prem ke saath suraj ke room mein prem ke mummy papa enter hue.
Suraj ki khushi ka to thikana hi na raha.

Suraj jump maar dono se ja lipta.
Chah kar wo apne aansoo rok na paya.
Aankhein saaf karta bola: aap dono aa gaye auntie. Bahut acha kiya. Nahi to main soch raha tha. Kesi he meri shadi. Koi bada nahi mujhe ashirwad dene ko.
Prem ki mummy uss ka maatha choom boli: mere puttar da viah hove te assi aaiye na eh kive ho sakda? (mere bête ki shadi ho aur hum aaye na yeh kese ho sakta he.)
Prem ke papa: tere viah li pagg di jimmevari ju prem ne saadi la ti. (teri shadi ke liye pagri ki jimmevari jo prem ne humari laga di.)
Ab suraj samjha ke prem ne turban ki jimmevari kyu li thi.
Prem ke mummy papa ek set aur saath mein mangalsutar bhi laaye the.
Jo kaam uss ki mom ya behno ko karna chahiye tha. Wo sab uss ke yaar prem ki family kar rahi thi.
Suraj ne apna laya necklace parul ki muh dikhai ke liye rakh liya.
Suraj se milne ke baad jyoti apne saas sasur ko parul aur baaki sab se milaane le gayi.
Sab se pehle iyer se hi mulakaat hui.
Prem ke papa jappi daal mile iyer se.
Mr. iyer saath ho dono ko mrs. iyer ke paas le gaye.
Prem ki mummy ghutt ke galle mili.
Mrs. Iyer khud unn ko parul ke room mein le gayi.
Shivani bhi wahi thi.
Parul ko seene se laga liya prem ki mummy ne.
Maatha choom ke boli: haye jyoti kinni sohni e eh ta. Hoor pari aa poori. Saade surje di ta kismat khul gi. (haaye jyoti kitni sohni he yeh to. Hoor pari he poori. Hamare suraj ki to kismat khul gayi.)
Yeh kehte hue uss ne purse khol ke kai note nikal parul pe vaar ke jyoti ko dete kaha: le puttar yeh sab nokro ko de de. Kahi meri laado ko meri najar na lag jaaye.
Jyoti ne saare note shivani ko de diye maids ko dene ko.
Sabhi waha dekh rahe the herani se prem ki mummy ko.
Ke bête ke dost ki hone wali patni ka kitna chaav kar rahi he yeh.

Mehndi ki rasam ke time pe prem ki mummy ne khud suraj ke kehne pe apna laya set parul ki jholli mein daala.
Itna keemti set dekh mrs. iyer bol padhi: behan ji iss ki kya jarurat thi. aap aa gaye ashirwad dene yeh kya kam he.
Prem ki mummy: bhain ji eh ta assi apni dhi nu de rahe haan. Tussi ta kuj bolo hi na. sada vi koi hak he ke ni. (behan ji yeh to hum apni beti ko de rahe he. Aap to kuch bolo hi na. hamara bhi koi hak he ke nahi.)
Mrs. iyer: aap ka poora hak he ji.
Prem ki mummy: mann ge na ta fer aao pao jappi.
Mrs. iyer aur prem ki mummy dono hassti hui galle lag gayi ek doosre ke.
Mehndi ki rasam poori hone ke baad.
Raat ko ek baar fir se geet sangeet chala.
Dono families khoob naachi mil ke.
Raat baara baje sab naachte rahe waha.
Prem ke papa ne to pee ke khoob dhamaal machaya.
Wo to prem ki shadi pe itna khush na hue the jitna suraj ke liye khush ho rahe the.

Agle din 29th November ki Subah giarah baje tak sabhi ready ho nashta kar nikle Gurdwara Sahib ke liye hotel se.
Sehra bandi wahi hotel ke room mein hui.
Behan ki sab rasme mitali ne nibhai.
Kavita aur jyoti ne surma daala devar ki aankhon mein.
Dono hi gaati hui naachne lagi.
“lo chali main apne devar ki baraat le ke.”
Suraj ke dil mein ek tees jarur thi ke uss ki mom, behne koi nahi he yaha.
Jis ko sabhi ne mehsoos kar liya waha.

Jyoti yeh dekh suraj ke galle mein baahein daal boli: hum kya tere apne nahi suraj. Khoon ke rishto se badh ke hote he yeh dil ke rishte. Dekh sab kitne khush he tujhe dulha bana dekh.
Radhika bhi uss se lipat boli: suraj aaj tu uncle ka sapna poora karne ja raha he. wo jaha bhi hoge yeh dekh kitne khush ho rahe hoge ke parul unn ki bahu banane ja rahi he.

Mitali to khushi se pagal hue ja rahi thi apne veere ko dulha bana dekh ke.
Barat ke sawagat ke time pe iyer ne apne do teen sikh dosto ko bula liya.
Father ki milni prem ke papa ne ki iyer se.
Bhai ki milni rachit se prem ne ki.
Jab prem aur uss ke papa dono ne milni pe kuch lene se inkar kiya.
To Iyer ke ek sikh dost ne kaha prem ke papa se ke milni pe bhent dena to ek reet he.
Prem ke papa: veer ji eh reet rasam sab appa hi ta banaiya ne. asli milni ta dila da Milan he. lena dena ni. Jis ne dhi de ti. Apne kaleje da tukda de ta. Hor ki chahida. Hor ki reh geya den nu. (bhai sahib yeh reet rasam sab hamari hi to banai hui he. Asli milni to dillo ka Milan he. Lena dena nahi. Jis ne beti de di. Apne kaleje ka tukda de diya. Aur kya chahiye. Aur kya reh gaya dene ko.)
Iyer ne aage ho fir se prem ke papa ko galle laga liya.
Din ke baara baje se pehle sikh reet se shadi ho gayi.
Parul ka roop Punjabi surakh jode mein aur bhi khill utha tha.
Suraj bhi pagri baandhe khoob jach raha tha.
Jyoti aur iyer ke sikh dost ki patni parul ko samjhati rahi fere kese lene he.
Jyoti shadi ki rasmo ki pics aur video ke chhotte chhotte clips bana ke neelima ko bhejti rahi.
Neelima bhi sara kaam chhod ke wo dekhti hui khush ho rahi thi.
Iyer ne apne relatives se kaha tha ke jo aana chahe aa sakta he.
Par waha sabhi gaye.
Kyu ke sikh reet se shadi dekhne ki sab mein utsukta thi.
Itne saada dhang se shadi dekh jaha bade logo ke muh ban gaye.
Wahi young generation bahut khush thi.
ke sab itna simple way mein ho raha he.
in fact ab time aa gaya he ke younger generation aisi rasmo ko simplicity mein like karti he.
jaha time aur pese dono ki saving ho.
Shaadi ke baad iyer family apne rishtedaaro ke saath ghar wapas aa gayi wahi se parul ko vida kar ke.
Suraj aur parul ki jodi ke saath sabhi hotel aa gaye.
Wahi sab ne mil ke lunch kiya.
Kavita ne suhan ko parul ki goddi mein bithate kaha: yeh dekh suhan teri pari chachi.
Pari chachi sunte hi parul kuch sochne lagi.
Suraj ne parul ko sochte dekha to smile dene laga.
Suraj: yaad aya kuch pari chachi se. wo video. Wo awaaz. Kavita bhabi ki thi.
Parul halke se muskrati hui dheeme se: to mere surya ne jhooth bola tha ke pata nahi kaun he pari chachi. Aap bade kharab ho surya. Sab ko pata tha. bas mujhe chhod ke.
Suraj jor se hass diya.
Sab ne poochha kya hua to suraj hasste hue bola: yeh suhan ke chachu aur uss ki pari chachi ki aapas ki baat he.
Yeh kehte hue uss ne suhan ko choom liya.
Suhan kuch samjha to nahi bas khil khilla ke hass diya.
Sabhi hassste hue haath lehra ke: aaye haaye aapas ki baat.
Punjabi suit mein parul behad khoobsoorat aur khilli khilli najar aa rahi thi.
uss ke chehre ki khoi hui chamak bhi poori tarah se laut aai thi.
sabhi behad khush ho rahe the uss ko khush dekh ke.
Kareeb chaar baje rachit aur shivani aaye the parul ko lene.
Chai ke baad wo parul ko le ke chale gaye.
Raat ko ek baar fir se baraat nikli.
Parul ab sitaro se bharre lehnga choli mein itni khoobsurat lag rahi thi ke chaand bhi sharma jaaye.
Suraj ne iss time shervani suit pehna hua tha.
dinner ke baad shaadi ki rasme ghar mein hi hui.
Saaliyo dwara joote chhupane ki rasam hui.
Suraj ne nek diya tab ja ke uss ko joote mile.
Fir suraj ne sab saaliyo ko ek ek sone ki kaleechdi di.
babita ek side pe khadi apni baari ka intzar kar rahi thi.
par ek ek kar jab sab ko kaleechdi mil gayi to babita ka muh uttar gaya kyu ke wo abhi baaki thi.
Baki ladkiya ja chukki thi khush ho.
Suraj babita ki aur dekh: arey yaar tujhe to main bhool hi gaya. Ab to sab khatam.
Babita ruansi ho: koi baat nahi jija ji. Wo sab to aap ki sagi saaliya thi. main thehri begani.
Suraj ne uth ke uss ka haath pakda aur apne aur parul ke beech bitha ke bola: pagli tu to sab se khaas Saali he meri. Tujhe bhoolne ka swal hi peda nahi hota.
Yeh bol suraj ne apni ek pocket se ek sone aur diamond ki ring nikali pyari ci.
Aur uss ki finger mein daalte hue bola: yeh tere liye my sweetest saali sahiba.
Ring dekhte hi babita ghabra uthi: nahi nahi yeh to bahut costly he. yeh nahi main le sakti.
Parul: rakh le yaar esa jeeja jindgi mein ek hi baar milta he.
Babita: par yeh mera size aap ko kis ne diya?
Suraj saamne khadi shivani ko dekh smile de bola: yeh meri shivani bhabi ka kamaal he.
Shivani smile de rahi thi babita ko dekh.
Shivani boli: parul ne tujhe bahut rulaya na apne saath. Yeh uss ka inam he babita.
Babita: haye bhabi yeh jo tadpi he uss pe to esi hazaar rings kurban.
Yeh bol uss ne parul ko choom liya.
Fir wo suraj se boli: jeeja ji ab kabhi aansoo na dena meri iss pyari saheli ko.
Shivani parul ko seene se laga: jitna rona tha ro liya ab to iss ke hassne ke din shuru hote he. tadap ke baad pyar milne ka mazza hi kuch aur hota he.
Parul ne sharmate hue chehra chhupa liya shivani ke aanchal mein.
Aur fir wo samay aa gaya jis pal ke intezar mein har ladki jawan hote hi sapne dekhne lagti he.
par jab yeh pal aata he to ladki ko ehsaas hota he ke iss pal ko paane ke liye uss ko kya kya khona padh raha he.
Ek taraf piya Milan ki khushi to doosri taraf babul ka angna, bhai behno ka pyar, sakhi saheliyo ka saath.
Inn sab ko chhodh ke jaane ka gham.
Sirf ek khushi paane ke liye ek ladki itna sab khoti he.
uff kya manjar hota he yeh.
Iss pal ko shabdo mein bayan karna chahe koi to bhi na kar paaye.

Taro ki chhaon mein parul ki doli vida ho rhi thi iyer se.
Parul ro rahi thi.
mamma, papa, bhai, bhabi, babita aur sab se mil ke galle lag lag ke ro rahi thi.
uss ko rote dekh radhika, jyoti, kavita aur mitali ki bhi aankhein nam ho uthi.
Bhavuk to suraj bhi ho utha tha.
par kisi tarah wo apni bhavnao pe kaaboo pa gaya.
Ghar ke dwar pe aa rachit ne rasam ke mutabik behan ko goddi mein uthaya.
Behan ka gaal choom dheere se kaan mein bola: meri gudiya khush he na?
Parul ne rote rote bhai se lipat gayi aur haan mein sar hila diya.
Rachit ne uss ke kaan mein kaha: khush he to roti kyu he? kahe to wapas le chalu.
Parul bhai ko ghoor hole se: bhabi bhi to roi thi doli ke time. Aap kya bhabi ko chhod aaye the.
Yeh kehte behte aansoo bahati sharamati muskrati parul bhai se lipti rahi.
Rachit ne uss ko phoolon se saji car mein bithaya.
Sab se vidaa le car hotel ki aur chal padi.
Hotel aa ke suraj aur parul ko ek room mein le jaya gaya.
Poori raat jaagne se sabhi thakke hue the.
Sabhi kuch der araam karne ko ghuss gaye apne apne rooms mein.
Suraj aur parul hotel ke uss room mein the jaha suraj ruka hua tha.
Room mein ab dono the.
Dono hi itne thakke hue the ke kapde change karne ki himmat dono hi mein na thi.
Suraj ne parul ka haath pakda aur bed tak le aya.
Parul ka dil teji se dhadak raha tha.
Suraj: meri pari bahut thakki hui he na.
Parul kuch bol to na payi bus smile de sharam se laal ho rahe chehre ko jhukka liya.
Suraj ne uss ki thuddi ko right hand ki ungliyo se pakad ahiste se parul ka chehra ooper uthaya.
Aur fir uss ke chehre ko dono haathon se thaam kaha: surya ki pari ko nayi jindgi Mubarak ho.
Yeh bol suraj ne halke se pehle parul ka matha, fir aankhein, fir dono gaal aur aakhir mein parul ke honto ko choom liya.
Fir uss ne parul ko dono baahon mein utha ke ahiste se bade hi pyar se bed pe litaya.
Wo khud bhi bed pe aa ke uss ke paas late gaya.
Suraj uss ko baahon mein bharte hue bola: aa meri pari apne surya ki baahon mein so ja.
Parul ne sar utha ke ek baar suraj ki taraj pe hi uss ke maathe, aankhon, gaalon aur honto ko chooma aur fir khud hi sharma ke apna chehra uss ki chhaati mein chhupa liya.
Dono ek doosre se lipte pata hi na chala kab ek sukhad neend mein samaate chale gaye.
Din mein kareeb saadhe giarah pone barah baje parul ki aankh khulli door pe ho rahi knock ke karan.
Parul ne suraj ko hilaya : surya uthiye. Bahar radhika di pukar rahi he.
Suraj jhunjla ke utha: saali sone bhi nahi deti.
Uss ne hi bed se utar door khola.
Saamne radhika aur jyoti khadi thi.
room ke ander aa suraj ka chehra dekhte hi dono jor se hassi.
Suraj neend na poori hone se pehle hi jhunjalaya hua tha.
dono ko ese hasste dekh thode gusse se: oye kya hua.
Jyoti ne doosre hi pal apna cell nikala aur thodi peechhe ho suraj ke face ki teen char pics le li kai angles se.
Suraj kuch samajh hi na pa raha tha yeh ho kya raha he.
Jyoti aur radhika bas hasse ja rahi thi.
parul bhi abhi tak kuch na samajh pai thi.
Parul dheemi awaaz mein rahdika se: didi kya hua?
Radhika ne hasste hue suraj ka chehra pakad parul ki aur ghumma dia: yeh dekh tunne kya haal kiya iss ka?
Suraj ka chehra dekhte hi parul to lajja se duhri ho gayi.
Uss ne sharam ke maare apne chehra ghutno mein chhupa liya.
Idhar jyoti ne suraj ko pakad room mein lage mirror ke saamne khada kar diya.
Suraj apna chehra dekhte hi uchhla: oye terri.
Uss ke chehre pe, maathe pe, gaalo pe, yaha tak honto ke aas paas parul ki surkh lipstick ke nishan the.
Wo bhaag ke bathroom mein ghuss gaya.
Idhar jyoti ne parul ke saamne beth uss ka chehra ooper kiya.
Parul ke honto ki lipstick uss ke honto ke aas paas bhi feli hui thi.
Jyoti ne uss ki bhi ek pic le li hasste hue.
Yeh dekh parul ne jyoti se cell jhaptne ki koshish ki.
Jyoti uchhal ke peechhe hat gayi hassti hui.
Parul ruansi si ho: bhabi please delete kar do na.
Jyoti: never meri devrani darling. Yeh sunehre pal to sambhal ke rakhne ki cheez he. jab tum dono ke bache hoge to unn ko dikhau gi.
Parul ka yeh sunte hi sharam se bura haal ho gaya.
Radhika parul ko bed se uthati hui boli: bas abhi tak chooma chaati ki ya aur kuch bhi.
Yeh bol ke radhika bed pe idhar udhar dekhne lagi.
Jyoti radhika ki baat ka matlab samjhte hi jor se hassi fir se.
Aur parul wo to sharam se mari hi ja rahi thi.
jhat se radhika ke seene mein muh chhupa ke ruansi si ho boli: didi aap bahut gandi ho.
Radhika aur jyoti fir se hassne lagi.
Par unn ko wo kuch na mila jo wo dhoond rahi thi.
Suraj bathroom se bahar aya to parul bathroom mein ghuss gayi.
Kareeb do baje tak sabhi lunch kar ke ready the.
Rachit aur shivani bhi aa chukke the.
Suraj aur parul ko chhod baki sab laut rahe the.
Pehle seat to suraj ki bhi book thi.
Par ab wo kese ja sakta tha.
Chaar baje prem, jyoti aur unn ke mummy papa ne seedhe Chandigarh ki flight li.
Paanch baje radhika, arun, mitali aur kavita baby aur suhan ke saath delhi ki flight se ravana hue.
Rachit shivani ke saath parul aur suraj ko wapas le aya hotel.
Waha se wo dono ko wo marine beach ke paas bane ek paanch sitara hotel le ke gaya.
Raat ke aath baj rahe the.
Jab suraj aur parul iss shandar hotel ke fifth floor pe bane ek honeymoon suite mein enter hue.
Poora room shandar phoolon aur rang birangi lights se saja hua tha.
har aur phoolon ki mehak poore room ko mehka rahi thi.
window ke bahar se thodi hi dur pe samundar se uth rahi lehre mahaul ko aur bhi romantic bana rahi thi.
Dono room mein baj rahe halke halke romantic music pe ek doosre ko bahon mein bhar ke dheere dheere thirkane lage.
Kareeb pone nau baje suraj ka cell baja.
Rachit ka phone tha.
Rachit: aap dono dinner room mein loge ya fir hamare saath neeche dinning haal mein.
Suraj: bhaiya hum neeche aa rahe he.
Kuch hi pal baad dono room se nikle bahon mein bahein daale to saamne do service girls ko dekh chonke.
Sari mein lipti do haseen yuvtiya dono ka maarag darshan kar rahi thi.
Dono ko wo dinning haal mein le aai ek table ke paas jaha rachit aur shivani pehle hi unn ka intezar kar rahe the.
Rachit aur shivani ne suraj aur parul ka welcome kiya.
Dinner unn hi do sevice girls ne hi serve kiya.
Dinner ke baad shivani ke saath wo dono girls parul ko le ke chali gayi.
Kuch hi der baad unn mein se ek girl aai.
Rachit aur suraj ko le wo chal di.
Jese hi wo dono ko le ke room ke door pe pahuchi to shivani smile deti room se bahar nikli.
Doosri girl door ke bahar hi khadi thi.
Shivani smile de: jaiye suraj bhaiya aap ki dulhan aap ka wait kar rahi he.
Suraj smile deta sharma gaya.
Rachit aur shivani ke rokne pe bhi suraj unn ko lift tak chhodne gaya.
Dono suraj ko best wishes dete chale gaye.
Suraj jab room ke door pe aya to dono girls jo wahi khadi thi.
Unnho ne door khol diya
Jese hi wo room mein jaane laga to ek girl boli: any thing else sir.
Suraj smile de: please thank you.
Fir doosri: sir if u need anything just dial ur room number from hotel phone i.e. 505. We both will be there.
Suraj: oh that’s so lovely.
Fir wo dono ek saath: wishing both of u very sweet, loving and romantic first night of your married life. Wishing you great and always love filled married life the most charming couple.
Suraj ne unn ko thanks kaha aur fir pocket se hazaar hazaar ke do notes nikal dono ko ek ek diya.
Dono hi note le khushi se jhuk ke: Thank u sir.
Yeh bolti hui dono ne suraj ke room mein jaate hi door band kiya aur chali gayi.
Jaane se pehle room ke bahar do not disturb ka board taang gayi.
Suraj ne room ke band hote hi room ko ander se lock kar diya.
Saamne phoolon ki ladiyon se cover bed ke beecho beech parul chhui mui si bani ghoongat nikal ke bethi thi.
Post Reply