Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post Reply
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 225
5th Janam Ki Love Story Continues....

Hum ek magar machchh ko insaani bhasa bolte dekh kar hairan rah gaye…chitra to ye dekh kar behosh hote hote bachi..hamari samajh me ye hi nahi aa raha tha ki ek magar machchh hamari juban me kaise bol sakta hai..? magar agle hi kshan usne dubara kaha to vishwash karna hi pada.

“Aaiye aap dono ka hardik swagat hai.” Magar machchh ne apna bada sa muh phailate huye kaha.

Magar tabhi ek aur awaz ne hame chounka diya..

Ab Aage.....

"Aap dono iske paas mat jana, warna ye ek minute me dono ko kha pi kar hazam kar jayega." Vahi paas se awaz aayi.

Awaz sunte hi hum chounk kar charo taraf dekhne lage magar koi dikhayi nahi diya siaye kinare par baithe huye ek medhak ke.. usko bhi insani bhasa bolte dekh chitra ki halat aur bhi patli ho gayi..ek taraf magarmachch hame apni taraf bula raha tha to vahi dusri taraf medhak hame uske paas jane se rok raha tha.

Hame aisi dayniya halat me dekh kar vaha pedo par baithi huyi chidiya jor jor se khila khila kar hasne lagi…unko haste dekh kar chitra ghabra kar kood ke meri god me chadh gayi.

Jitu—chal utar niche..ye kya kar rahi hai…?

Chitra—nahi, main niche nahi utarungi..mujhe darr lag raha hai…aur bhukh bhi bahut lagi hai..mujhse ab chala nahi jayega..

Jitu—ufff..kya musibat hai…

Maine vaha rukna theek nahi samjha aur vaha se aage badh gaya...thodi door jate hi samne se chaar mahilaye aati huyi dikhayi di...unke hatho me choti choti potaliya thi...hairani ki baat ye bhi thi ki vaha par kafi matra me roshni thi.

Chitra—mere patidev, unn mahilao ke paas jo potaliya hain, jarur unme khane ka kuch bandha hoga..chalo na unse puch kar dekhte hain..

Jitu—pahle to mujhe patidev mat bolna samajhi..aur dusra unke paas khana hoga bhi to tujhe kyo dengi... ?

Chitra—pahli baat to main bilkul nahi manungi..aur rahi dusri baat to main unse khud baat kar lungi..aap chalo to udhar.. agar main bhukh se mar gayi to patni hatya ka paap aap ko lagega..jo main nahi chahti..

Jitu—tere bolne se tu meri patni ho gayi kya…? Jabardasti ki patni...

Chitra—ab chahe jabardasti ki mano ya jaise bhi mano...ab main hu aapki patni to hu...

Main usko le kar unn striyo ke paas pahuch gaya...hame dekh kar vo bhi ruk gayi...ya shayad vo hamari bhasa samajh sakti thi isliye hamari awaz sun li ho jo chitra ne unhe lagayi thi.

Chitra—dekhiye, ye mere pati hain aur main inki patni hu...mere pati ne pichle ek saal se anaj ka ek dana bhi nahi khaya hai.. dekhiye kitne duble ho gaye hain...yaha tak ki inse chala bhi nahi ja raha hai...agar aap ke paas kuch bhojan ho to hame de dijiye jisse main inhe khila saku..aap ki badi meharbani hogi..

Chitra ki baat sunte hi vo charo badi hairani se ek dusre ka muh dekhne lagi..jabki main mann hi mann chitra ko kosne laga uski iss bewaqoofi par..

Jitu (mann me)—kitna bada safed jhuth bolti hai ye jhuthi..mere upar chadhi hai phir bhi bolti hai ki maine saal bhar se kuch nahi khaya…?

Aurat 1—badi ajib baat hai...god me tum apne mard ke upar chadhi ho..aur vo bechara tumhe apne upar taange ghum raha hai. Aur kahti ho ki isne saal bhar se kuch nahi khaya.. ? jabki tum kahti ho ki ye bahut dubla aur kamjor ho gaya hai...phir uski god me tum kyo chadhi ho... ?

Chitra—nahi, abhi tum samjhi nahi...pahle aap khana do..phir main samjhati hu..thoda inko khana khila du..

Aurat 2 (potli kholte huye)—theek hai..ye lo..khila do..inko..

Aurat 3—lo ye bhi le lo..hamara ghar paas me hi hai..kam padega to aur le ayengi hum..

Unn charo mahilao ne apni apni potli me bandha hua khana de diya...khana dekhte hi chitra meri god se utar kar khane par toot padi aur jaldi jaldi khane lagi..charo aurate ek bar phir se ankhe phade hairani se chitra ko dekhne lagi..kuch hi minutes me chitra ne poora khana chatt kar liya.

Aurat 1 (shocked)—tum to bol rahi thi ki tumhare pati bahut bhukhe hain aur unhone saal bhar se kuch nahi khaya...aur to aur tumne khana to apne pati ko khilane ke liye maanga tha..lekin tumne unhe to kuch khilaya hi nahi...

Chitra—main abhi khilaungi na apne pati ko khana..main kha thodi rahi thi..bas khana check kar rahi thi....(meri taraf dekh kar)..aapne nahi khaya kuch bhi... ? chaliye khana kha lijiye..

Jitu (mann me)—tera sir kha lu...jab kuch bachaya hi nahi hai tune to... ? sab to kha gayi...ab kahti hai lo khana kha lo..bhukhkhad kahi ki..

Aurat 4 (haste huye)—vo bechara kya khayega ab , jab tumne uske liye kuch bachaya hi nahi hai to... ? ab main samjhi ki bechare ne saal bhar se khana kyo nahi khaya... ? jab usko khane ke liye tumse kuch bachta raha hoga, tab na khata bechara...hihihihi

Aurat 1 (haste huye)—koi baat nahi, mere paas bas ek phal bacha hai, ye apne pati ko khila do...khud mat kha lena..

Chitra—ek aur nahi hai...vo kya hai na ki bechare bahut bhukhe hain na.. to isliye...

Aurat 1—nahi, ab to nahi hain kuch bhi hamare paas...

Chitra (mayus)—theek hai..yahi khila deti hu…(mujhe dete huye)..lijiye khaiye..

Jitu (khate huye)—phal kafi mitha hai..

Chitra—(hotho par jeebh pherte huye)…aap ke paas pani hoga na..dijiye thoda pani…

Aurat 2—hmm..ye lo pani..

Chitra—chaliye ab thoda pani pi lijiye..ek phal se pet nahi bharega aap ka…

Chitra ne mujhe pani pakdaya to main pani pine me lag gaya..itne me chitra, mere hath ka phal lapak kar jaldi se kha gayi..sab use ghur kar dekhti rah gayi…yaha tak ki unke paas ka bacha hua sara pani bhi gatak gayi.

Uske baad vo striya vahi hamare paas baith kar baate karne lagi…baat karte karte achanak hi hum dono ka sir chakrane laga aur phir kuch hi pal me main aur chitra behosh hote chale gaye…uske baad kya hua, hame kuch pata nahi chala..?

Kintu jab mujhe hosh aaya to khud ko ek saje sajaye vishal aalishan shahi mahal ke behad khubsurat kaksh me sungandhit phoolo se saje huye palang par paya…kaksh me vibhinn prakar ke abhusan, vastra aur khadya samagri rakhi huyi thi..poora kamra khubsurat phoolo se saja hua tha..

Khud ko itne vishal aur khubsurat mahal me dekh kar main chounk gaya..maine apne dimag par jod dala to kuch samay pahle ki ghatna yaad aane lagi…

Jitu (shocked,mann me)—main yaha kaise aa gaya…? Koun si jagah hai ye…? Jaha tak mujhe dhyan hai main to chitra ke sath uss veeran jagah par tha..aur unn mahilao se baate kar rahe the hum dono...phir uske baad kya hua, yaad kyo nahi aa raha.. ? chitra..chitra kaha hai... ?

Chitra ka khyal aate hi main chintit ho kar idhar udhar dekhne laga...tabhi kisi ki awaz ne mujhe chounka diya..

"Swagat hai mere mehboob...mere saajan...swagat hai…..Baharo phool barsao, mera mahboob aaya hai…..Badi der se dar pe ankhe lagi thi, Badi der kar di huzoor aate aate..”

Maine chounka kar charo taraf dekhne laga kintu koi nazar nahi aaya..aur na hi chitra mujhe kahi dikhayi padi...jisse mere mann me chitra ki suraksha ko le kar chinta hone lagi..

Jitu (pareshan)—kkk...koun hai yaha... ? aur ye koun si jagah hai... ?

Tabhi ek bar phir se vahi madhur awaz kamre me goonj uthi..

"Mera Dard Bhi Tum, Meri Dawa Bhi Tum,
Meri Ibadat Bhi Tum, Mera Khuda Bhi Tum,
Maine Chaha Bhi Tumko Aur Paya Bhi Nahi,
Mere Sath Bhi Tum Aur Mujhse Juda Bhi Tum."

Vahi dusri taraf ashram me divya ka mann aaj bahut vyakul ho raha tha…kshan kshan badhti uski ye vyakulta uske dil me tarah tarah ki ashankaye vyapt kar rahi thi…hriday me bechaini nirantar badhti hi ja rahi thi..
User avatar
naik
Gold Member
Posts: 5023
Joined: 05 Dec 2017 04:33

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by naik »

(^^^-1$i7) (#%j&((7) 😘
fantastic update brother keep posting
waiting for the next update 😪
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 303

Uske baad priyadarshini khushi khushi divya ke paas lout aayi lekin uske mann me saajan ka samna karne me hichak ho rahi thi. Vo bar bar yahi soch rahi thi ki saajan use maaf karega ya nahi…?

Jaha aaj sabhi raj ki iss ghatiya harkat se behad dukhi the, lekin divya ko chhod kar..vahi koi aisa bhi tha jo behad khush tha aaj ki iss ghatna se….

Ab aage……

Ye khushi manane wali aur koi nahi balki sandhya thi jo aaj ki ghatna se behad khush thi aur apne kamre me raj ki tasveer se baate karte huye apni khushi ka izhar kar rahi thi.

Sandhya—hihihihi…mere saajan se shadi karegi….dulhan banegi uski..hihihihi….ab koi dulhan nahi banegi uski ulta sab nafrat karegi…mere raste ke sabhi kaante ek hi jhatke me hat gaye…vo priyadarshini, apne aap ko dev kanya dev kanya bol kar saajan ko mujhse chheenna chahti thi…dekh li, iss pari ki taqat…..pari ke ek hi vaar ne tujhe dev lok vapis bhagne par vivash kar diya.. aur vo janhavi, shadi karne chali thi, saajan ke sath suhag raat manane ka sapna dekh rahi thi…uss din to na jane kaise bach gayi, lekin ab…lekin ab sapne me bhi saajan ki biwi banne ka khwab nahi dekhegi…iske sath hi jitni bhi ye khwab dekh rahi thi, ab sirf nafrat karengi saajan se….(kuch yaad aate hi)..magar, abhi bhi mere raste ka sabse bada kaanta, vo divya…door nahi hua hai…use pata nahi kyo iss ghatna se koi dukh kyo nahi hua…? Aur to aur usne saajan ko thappad bhi nahi mara, ulta jor jor se has rahi thi….kahi vo meri chaal samajh to nahi gayi…? Nahi, aisa nahi ho sakta…mujhe to lagta hai ki vo iss sadme ko bardast nahi kar payi aur pagal ho gayi hai…haan, jarur yahi baat hai…tabhi to paglo ki tarah has rahi thi…achcha hai, divya ke iss pagalpan ka fayda utha kar main use asani se maar sakti hu….phir mere aur saajan ke beech me koi nahi bachega…ab saajan sirf mera hai..sirf pari ka …hahahaha…saajan agar pari ka nahi ho saka to ye pari use kisi ka nahi hone degi…Tum humko na chaho to koi baat nahi, tum kisi aur ko chahoge to badi mushkil hogi…

Vahi sabhi apne apne room me ja kar ro rahi thi..unke sapne jo toot gaye the jo vah raj ko le kar dekh rahi thi..kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki achanak ye kya ho gaya…? Phir chahe vo mitaly ho ya neha, chandni ho ya janhavi, paridhi ho ya diksha, soniya ho ya phir naina, ruchi ho ya chanchal…kajal ho ya meera..

Magar inn sabme sabse jyada dukhi agar koi thi to vah thi payal...apne room me pahuchte hi usne darwaja band kar bistar me gir gayi aur rone lagi...

Payal (rote huye)—tumhe ye sab karne ki kya jarurat thi raj…? Agar tumhara sex karne ka mann tha to mere sath kar lete…maa ke sath aise balatkar karne ki kya jarurat thi…? Main tumhe apna sab kuch sounpne ko taiyar hu to iska ye matlab to nahi ki maa bhi tumhe apna jism soump degi…? Mujhe tumse ye ummid nahi thi raj…main ab tumse kabhi baat nahi karungi..

Aise hi rote huye vo mann hi mann badbadati rahi…phir uske mann me bachpan se le kar ab tak ki raj ke sath bitaye huye sabhi pal ek ek kar ke kisi film ki bhanti chalne lage…jaise jaise yaade uske dimag me aage badh rahi thi, vaise vaise uske chehre ke bhav har prati kshan badal rahe the…kahi gussa, to kahi pyar to kahi dard…phir aayi aaj ki ghatna ki bari..pahle to uske chehra gusse se kathor ho gaya lekin agle hi pal jaise hi use raj ko thappad maarne wali baat yaad aayi..to ye yaad aate hi payal ke chehre ke bhav anayas hi badal gaye…dil me asim dard umad pada.

Payal (dard)—(roti huyi).ye kya..? maine raj ko thappad mara..! ye kaise ho gaya…? Maine apne raj ko mara…jis hath ne raj ko maarne ki ye gustakhi ki hai, aaj main vo hath hi tod dungi…jis raj se mere aage koi oonchi awaz me baat tak nahi kar sakta tha, aaj ussi raj ko mere samne hi sabne mara..aur main khadi dekhti rahi…‼ bardast kaise kar gayi main,..? aur to aur maine ye kya kah diya raj ko ki vo mere liye mar gaya..1 nahi..nahi, agar use kuch ho gaya to main to vaise hi mar jaungi…uske bina to jeena mujhe aata hi nahi hai…kahi vo kuch kar na le…mujhe dekhna hoga.. kahi gusse me aa kar vo kuch aur galat na kar baithe…

Itna khyal mann me aate hi payal andar tak kaamp gayi aur ghabrate huye turant darwaja khol kar har jagah raj ko dhoondne lagi…jab kahi nahi dikha to pareshan ho kar apne room me aa gayi aur rote huye apne us hath ko hi nuksan pahuchana shuru kar diya jis hath se usne raj ko mara tha….uske hath se khoon ki dhara bah chali thi lekin vo thi ki jaise uss par apne uss hath ko tod dene ka bhoot sawar ho chuka tha….pata nahi vo kab tak aise hi khud ko damage karne me lagi rahi…aur phir khoon jyada bah jane ke karan vo behosh ho kar vahi ludhak gayi.

Agle din subah hone ke baad bhi kisi ka uthne ka mann nahi tha..to vah sab bistar me hi leti rahi…vaise bhi raat me huyi ghatna ne kisi ko sone to diya hi nahi tha…udhar mamta subah jaldi uth gayi aur apne sath so rahe raj ko dekh kar uske chehre par mushkurahat aa gayi..

Mamta—raj, uth beta..dekh subah ho gayi hai…aaj tera raj tilak hai na…aur vivah bhi..chal uth ja…

Raj—ohh..maa..sone do na…vaise bhi kitni late to soya hu…

Mamta—to kisne kaha tha tujhe raat me mujhko ghumane le jane ke liye…? Chal uth..

Raj (maa ko khich kar)—ohhh..maa…aao na tum bhi mere sath so jao…kitne dino baad to mujhe itni achchi neend aayi thi, tumhari baho me…log jhuth kahte hain ki swarg upar hai..asli swarg to maa ki god me hi hai…jo anand, jo sukh maa ki god me milta hai..vo sukh swarg lok me nahi mil sakta maa…nahi mil sakta..

Mamta—to so jaya kar roj mere sath…maa ki god to hoti hi apne bachcho ke liye hai..pagle..lekin pahle payal se to puch le, vo tujhe sone degi daily mere sath…? Mujhe to iss baat ki bhi chinta hai ki bechari janhavi ka kya hoga…? Janhavi ko ekant me tere sath waqt bitane ka mouka degi bhi ye payal ki nahi..? mujhe to usme bhi sandeh hai..

Raj—maa, aap sab bina vajah meri payal didi ko badnam karti rahti ho…vo bahar se jitni garam dikhti hain, andar se ekdam makhmal ki tarah komal hain…

Mamta—haan, haan..mujhe pata hai..komal hogi sirf tere liye..baki sab ke liye to vo maha kali ka roop hai…baat baat par kulhadi utha leti hai kisi ko bhi maarne ke liye…

Raj—nahi maa..meri payal didi bahut achchi hain…vo meri best didi hain…

Uske baad maa mere paas se uth kar bahar chali gayi..main bhi uth kar bahar aa gaya…jaisi ki meri adat thi daily apni bahno ke room me ja kar unhe uthane ki…to main apne routine ke anusar sabse pahle ruchi didi ke room me gaya…lekin unhone darwaja nahi khola…yahi haal bakiyo ka bhi raha…aur jinhone khola bhi to unhone sidhe muh baat hi nahi ki…balki ulta sidha suna diya.

Unka aisa behaviour dekh kar main hiran rah gaya…kewal sandhya bhar khushi se mujhse mili…vo aaj pahle ki tulna me kuch jyada hi chahak rahi thi khushi se…ye bhi mere liye hairani ki baat thi…sab ka vyavhar meri samajh se pare tha…sandhya se milne ke baad main divya ke room me gaya to jise meri sari tension hi door ho gayi..kyon ki kewal vahi thi jo bina kisi badlav ke mujhse mili..vaise hi mushkurata hua chehra liye..

Dekhte hi vo meri baho me aa kar simat gayi…to aise laga jaise ki mera dil aur dimag phir se nirmal aur tension free ho gaya ho uske mushkurate hi aisa lagta tha jaise ki phoolo ki barish ho rahi ho…uske pratyek ang ang se nikal rahi bhini bhini madak sugandh vatavaran ko mahka rahi thi..shayad isliye hi divya ka iss janam me naam mahak rakha gaya hai…khubsurat itni ki jo bhi ek nazar use dekh le vo apni sudh budh kho baithe…uski chaal aisi ki jise dekh kar nagin bhi sharma jaye..

Divya (masumiyat se)—kaha gayab the raat bhar apni sasu maa ke sath….?

Raj (ankho me dekhte huye)—main to iss hushn ka gulam hu..bhala iss dil ko chhod kar kaha door ja sakta hu…mujhme itni himmat nahi ki main ki tum se door ja saku…

Divya—ye to mere sawal ka koi jawab nahi hua…

Raj—kuch nahi yaar..vo ek rishi ne aa kar bataya tha ki ek bahut bade tapaswi mahatma hamare rajya me ek talab ke kinare raat gujarne ke liye ruke huye hain….agar unka ashirwad hame prapt ho jaye to jyada uchit rahega…isliye main maa aur veer ko sath le kar unke paas unse ye prathna karne gaya tha ki vo raj mahal me padhar kar rajyabhishek aur vivah ke shubh avsar par hame apna ashirwad pradan karne ki kripa kare.

Divya (ruth kar)—maa ko hi kyo, mujhe kyo nahi le gaye…? Jao main tumse baat nahi karti…

Raj—vo isliye meri jane tamanna kyon ki kisi ko shubh karyo me nivedan kar ke aamantrit karne ka karya bado ko ya phir mata pita ko hi shobha deta hai…yaha sabse badi meri liye to maa hi hai..isliye unko sath le kar gaya tha..

Divya (mushkura kar)—theek hai, chalo iss bar maaf kiya…lekin agli bar mujhe chhod kar kahi gaye to mafi bilkul nahi milegi.. samjh gaye, mere bhole saajan ji..

Raj—samajh gaya, meri sajni ji….vaise ab to tumhare sawal ka jawab mil gaya hai to..

Divya—to kya…?

Raj—to main ye soch raha tha ki kyo na thoda sa muh mitha kar liya jaye…

Divya (ankhe dikhate huye)—ji nahi, kuch nahi milne wala muh mitha karne ke liye…sidhi tarah se jao yaha se…gande kahi ke..

Raj—aise kaise chala jau, muh mitha kiye bina…

Divya (mushkurate huye)—dekho aage nahi badhna..nahi to main shor macha dungi….nahi..saajan.nahi…aaaahhhhh

Divya mujhe aage badhte dekh kar kamre me hi idhar udhar bhagne lagi to maine ulta daud laga kar use pakad liya aur phir sidha apne hoth divya ke gulabi hotho par chipka diye….hoth milte hi divya ekdam shant ho gayi aur mere baalo par hath ghumate huye chumban me sath dene lagi.

Hamare iss chumban me hawash ke liye koi jagah nahi thi..agar tha to sirf pyar…jaise hi hamara chumban khatam hua to maine divya ko chhedne ke irade apne hatho ko uski kamar se thoda upar sarkate huye uske ubharo tak le gaya..vaise hi usne turant mere hath hata diye.

Divya (ghur kar)—ye sab kya tha…?

Raj—kuch nahi, main to bas check kar raha tha…(ubharo ko dekhte huye)..oonch nich kuch jyada hi ho gayi hai…

Divya (hath se hoth pochte huye)—ye oonch nich dekhna hai to pahle mujhse shadi karo…uske baad hi ye oonch nich dekhne ko milegi..gande kahi ke…subah subah iske alawa aur kuch nahi sujhta..

Raj—isme mera kasoor nahi hai..

“Tauba Ki Thi Ki, Main Na Piyunga Kabhi Sharab,
Tere Hotho Ka Rang Dekh Ke Neeyat Badal Gayi.”

Divya—bas..bas..jyada romantic hone ki jarurat nahi hai…ab jao yaha se..

Raj—aaj baat kya hai, mere itna awaz dene par bhi kisi ne darwaja nahi khola…? Jabki aaj to rajyabhishek ke sath sath shadi bhi hai to sabko jaldi uthna chahiye…

Divya—vo sabhi bahut gusse me hain aap ke upar…

Raj (hairan)—gusse me.. ! vo bhi mere upar.. ! kyo... ?

Divya—vo baat ye hai ki...(poori baat batate huye)

Raj (shocked)—kyaaaaa…? (mann me)..lekin jab raat me main aur maa vapis aaye tab darwaja toota hua to nahi mila hame..aur veer to mere hi sath me tha...jarur ye sandhya ka hi kaam hoga ya phir.....

Divya—haan,

Raj (dard)—to tumne iss ghatna ko sach kyo nahi mana…?

Divya—mera pyar aur apne saajan par vishwash itna kamjor nahi hai jo aise hawa ke jhoko se toot kar bikhar jaye..

"Teri Dhadkan Hi Zindagi Ka Kissa Hai Mera,
Tu Zindagi Ka Aham Hissa Hai Mera,
Meri Mohabbat Tujhse Sirf Lafzo Ki Nahi hai.
Teri Ruh Se Ruh Tak Ka Rishta Hai Mera....."

Poori baat sun kar mujhe bahut jhatka laga…baki sab ko galat fahmi hone ka utna dukh nahi hua..sabse jyada dukh to mujhe iss baat ka hua ki payal didi ne bhi mujhe galat samajh liya…na chahte huye bhi meri ankhe dard se chhalak aayi…ye dekh kar divya tadap uthi..usne turant mujhe apni baho me kas liya aur mere anshu pine lagi.

Raj (nam ankhe)—tumne unhe sach kyo nahi bataya…?

Divya (tadapte huye)—pyar aur vishwash kisi ke dil me kisi ke bolne se paida nahi hota…aaj main sab ko sach bata bhi deti to kya unke andar vishwash paida ho jata..? nahi, kal koi dusri ghatna hogi to unka yahi ravaiya phir se hoga..isliye maine kuch nahi kaha..

Raj—theek kiya…chalo main ek bar manane ki koshish karta hu…

Divya—lekin…

Raj (udas)—divya, vo sab mere apne hain…jara si galat fahmi se pariwar toot jaye, ye achchi baat nahi hai…vaise bhi ye galat fahmi mujhe le kar paida huyi hai isliye unki galat fahmi door karna mera farz hai…jab main sabse door tha, tab vo sab mere liye kitna tadpe hain, ye baat main nahi bhul sakta..

Main divya ke room se nikal kar pahle ruchi didi ke room me gaya jo uth gayi thi..lekin mujhe dekhte hi unhone darwaja band kar diya..maine kayi bar awaz di lekin unhone nahi khola..

Raj—didi, meri baat to suno pahle…darwaja kholo, mujhe aapse baat karna hai…

Ruchi (andar se)—tu ja yaha se, mujhe tujhse koi baat nahi karni hai…

Raj—soch lo didi, kahi aisa na ho ki baad me aap ko pachtana pade...

Ruchi—pachta to main ab bhi rahi hu ki maine ek ghatiya admi se pyar kiya…tu ja yaha se…

Jab ruchi didi ne darwaja nahi khola mere bar bar kahne par bhi to main kajal bua ke room me chala gaya ..mujhe dekhte hi dono ne muh pher liya..

Raj—bua, mujhe kuch baat karna hai..

Kajal—lekin mujhe tere se koi baat nahi karni..ja yaha se..

Raj (hath pakad ke)—kyo baat nahi karni meri darling ko…akhir mera kasoor kya hai…?

Kajal (gusse me)—chatttaaakkk...tere jaisa ghatiya admi maine nahi dekha aaj tak...tune mujhe bahka kar meri izzat loot li.. khair jo apni janam dene wali maa ki izzat loot sakta hai, uske liye kisi dusre ki izzat lootna koun si badi baat hai...main saare samaaj ke khilaf ja kar apni beti sandhya ki shadi tujhse karna chahti thi kyon ki tum dono ek dusre ko chahte the...achcha hua meri beti ki zindagi barbad hone se bach gayi..teri sachchayi sabke samne aa gayi...nikal ja yaha se...aur haan hamare yaha se jane ka intazam kar dena...hum ab yaha nahi rahenge...

Raj—aap ko galat fahmi huyi hai bua...

Kajal—ja nikal yaha se...

Meera bua ka room....

Meera—chatttaakkk...apni shakal mat dikhana mujhe ab kabhi....tune to mujhe bhi bahka diya tha...achcha hua bach gayi.. nahi to main vidhwa kisi ko muh dikhane ke kabil nahi rahti....hawash ka bhukha bhediya hai tu...jo kisi ko bhi apni hawash ka shikar bana sakta hai..

Phir neha bua ke room me gaya jaha paridhi bhi baithi huyi thi ..mujhe dekhte hi neha ka gussa satve aas maan par pahuch gaya...

Neha (gusse me)—chatttaaakkk...chatttaaakkkk...nich..papi....tu itna niche gir jayega, maine kabhi socha bhi nahi tha...kya lene aaya hai ab yaha...kya ab bhi koi kasar baki hai... ? arrey daayan bhi saat ghar chhod deti hai..lekin tune to, mere sath sath meri beti ki bhi zindagi barbad kar di apni hawash mitane ke liye...paridhi ne tera kya bigada tha... ? usne to teri zindagi bachane ke liye khud apni zindagi ki bali chadha di thi..lekin badle me tune achcha sila diya uski qurbani ka...ab meri samajh me aaya ki tune apne chacha ke upar jhutha aarop laga kar maar kyo diya... ? kyon ki teri nazar to hum dono maa beti par thi..nikal ja yaha se..aaj ke baad apni manhoos shakal mat dikhana...aur haan, hum ab yaha nahi rahenge....

Raj—pahle meri baat to sun lo...

Neha—ab sunne ko kuch nahi rah gaya..

Raj—paridhi, kya tum bhi mujhe galat samajhti ho…? Sirf haan ya na me jawab do…

Paridhi—(no response)

Iske baad main jiske bhi room me gaya, sabne khari khoti hi sunayi..koi meri baat sunne ko hi taiyar nahi tha…sirf veer se meri mulaqat nahi ho saki…shayad vo unn sadhu baba ko lene ke liye subah subah hi chala gaya tha...uske baad main priyadarshini ke room me jane wala tha lekin phir kuch soch kar sidhe payal didi ki taraf chala gaya.

Sabhi ke behaviour se mujhe bahut thes pahuchi thi..lekin phir bhi main apni taraf se unki galat fahmi door karne ki koshish kar raha tha..payal didi ke room ke paas pahuch kar maine kayi bar awaz lagayi lekin andar se koi prati kriya nahi huyi to ye dekh kar mera dil ghabrane laga..

Maine dhakka de kar darwaja khola to samne dekhte hi meri ruh kaamp gayi..kyon ki samne jamin par meri payal didi behosh padi huyi thi..kamre me khoon hi khoon phaila hua tha..main jor se chillate huye unke paas pahuch gaya.

Raj (chilla kar)—(ankho me pani)…didiiii…utho didi..kya hua aap ko….?

Mere aise chillane se maa jo ki bahar rajguru ke paas baithi huyi thi…turant uth kar bhagte huye aa gayi..sath me divya aur priyadarshini bhi…payal didi ki halat dekh kar maa bhi cheekh padi aur divya bhi…meri ankho se to anshu jhar jhar kar ke bahne lage..thodi hi der me vaha sabhi aa gaye..

Payal didi ka poora hath jakhmi hua pada tha..unki halat dekhte hi meri samajh me aa gaya ki unka hath jakhmi kaise hua…? Ab tak sabhi ki kadwi baato ka jo dard maine apne andar sambhal ke rakha tha, payal didi ki aisi halat dekh kar vo bahar aa gaya.. aur main jor jor se rone laga..

Mamta (rote huye)—payalll…kya hua isko rajjj…?

Raj (rote huye)—pata nahi maa..main abhi jab aaya to didi ko iss halat me paya….payal didi, utho..utho didi..

Neha—chattaakkk…ye sab teri hi kartoot ka natiza hai….raat me iska bhi balatkar kar diya hoga kamine tune…?

Mamta (jor se)—nehaaaaaa..!

Kajal—aap theek kahti ho bhabhi….jisne apni maa ko nahi chhoda uske liye bahan ki izzat se khelna koun si badi baat hai…

Divya (gusse me)—buaaaaaa…..chachiiii…(gusse me ungli dikhate huye)…ab aage ek shabd bhi mat bolna…warna theek nahi hogaa…
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: Fantasy SAAJAN (Family Love FANTASY)

Post by Fan of RSS »

UPDATE- 304

Payal didi ka poora hath jakhmi hua pada tha..unki halat dekhte hi meri samajh me aa gaya ki unka hath jakhmi kaise hua…? Ab tak sabhi ki kadwi baato ka jo dard maine apne andar sambhal ke rakha tha, payal didi ki aisi halat dekh kar vo bahar aa gaya.. aur main jor jor se rone laga..

Mamta (rote huye)—payalll…kya hau isko rajjj…?

Raj (rote huye)—pata nahi maa..main abhi jab aaya to didi ko iss halat me paya….payal didi, utho..utho didi..

Neha—chattaakkk…ye sab teri hi kartoot ka natiza hai….raat me iska bhi balatkar kar diya hoga kamine tune…?

Mamta (jor se)—nehaaaaaa..!

Kajal—aap theek kahti ho bhabhi….jisne apni maa ko nahi chhoda uske liye bahan ki izzat se khelna koun si badi baat hai…

Divya (gusse me)—buaaaaaa…..chachiiii…(gusse me ungli dikhate huye)…ab aage ek shabd bhi mat bolna…warna theek nahi hogaa…

Ab aage…..

Koun kya kah raha hai..? mujhe sunayi nahi de raha tha kyon ki mera dhyan to poori tarah se payal didi par kendrit tha...unki pal pal kam hoti saanso ki gati meri bechaini ko badhati ja rahi thi....jabki sab ke aise behaviour se maa ekdam shocked ho gayi thi.. unhe raat ki ghatna ke baare me kuch pata hi nahi tha ab tak..

Raj (rote huye)—saloniii…dekho meri didi ko kya ho gaya hai…?

Neha—ye sab tere hi paapo ka phal hai harami…

Mamta (gusse me)—chatttaaaakkkkk…itni der se teri bakwas sun rahi hu...kya main jaan sakti hu ki achanak se tum sab ke mann me mere bete ke liye itni kadwahat kaha se aa gayi…?

Neha—ye aap kah rahi ho didi…? Aaj raat ki baat itna jaldi bhul gayi didi…? Raat ki ghatna ko aap aise kaise bhul sakti ho didi…?

Mamta (hairan)—raat ki ghatna..! koun si raat ki ghatna…? Akhir aisa kyo gaya raat me jiske karan tum sab ke mann me kadwahat aa gayi…? Batao mujhe…?

Raj (chilla kar)—saloniii

Saloni—chalo mujhe dekhne do….aap sab bahar jaye…yaha mariz ke paas shor na kare..

Priyadarshini—main payal ko theek kar sakti hu…

Raj (bhigi ankhe)—uski jarurat nahi hai…

Saloni—pls..aap sab bahar jaiye…

Maa hairan thi sabki baate sun kar...sabhi payal ke room se bahar aa gaye...unke bahar jate hi divya ne darwaja band kar diya.. ab andar payal didi ke paas doctor saloni ke alawa sirf main, aur divya hi rah gaye the.

Mamta (bahar aate hi)—ab batao mujhe…?

Geeta—aap sahi kahti ho neha didi…mujhe to lagta hai ki vidya didi aur maa ji (nani) ne sahi hi kaha tha iss kamine ke baare me.. ki isne unki izzat lootne ki koshish ki thi…baad me apna paap chhupane ke liye iss kamine ne dono ke hath pair aur jeebh kaat di, jisse vo iski sachchayi kisi ko bata na sake…

Mamta (hairan)—bhabhi aap bhi..! mujhe aapsee aisi ummid nahi thi…akhir aisa kya kar diya raj ne tum sab ke sath jisse tum sab ke sath ki sab ke sab usse itni nafrat karne lage…?

Ruchi—maa, ye tum puch rahi ho…? Kya tum itna jaldi ye bhul gayi ki raj ne raat me tumhara hi balatkar karne ki koshish ki thi..? aur tum khud chilla chilla kar usse bachane ke liye sabse gidgida rahi thi…

Mamta (shocked, gusse me)—ruchi tumm..! chatttaaakkkk….tumhe pata bhi hai ki tum kya kah rahi ho…? Ye sab kisne bhada diya tum sab ko…?

Mitaly—ruchi ko maarne se sach nahi badal jayega didi….aur na hi kisi ko bhadkane ki jarurat hai hame…sabne apni ankho se dekha hai..jo kuch bhi hua aap ke sath raat me…

Meera—haan, vo to achcha hua ki veer ne darwaja tod diya..warna uss kamine ne to aap ko barbad karne me koi kasar chhodi hi nahi thi….

Mamta (shocked)—ye kya bakti ho didi….raat me to main mahal me thi hi nahi to phir mere sath aisi giri huyi ghatna ho kaise sakti hai…?

Janhavi—vo to achcha hua ki mera vivah hone se pahle hi sari sachchayi samne aa gayi…warna kya pata, aaj usne apni maa ke sath ye kiya, kal ko meri maa ke sath bhi kar sakta tha…?

Chanchal—kyo jhuth bolti ho maa…sabne apni ankho se dekha hai…ki (poori baat batate huye)..

Mamta (shocked)—kyaaaa…? Main jhuth bol rahi hu…? Arry, jhuth to tum sab bol rahe ho…sach kya hai, suno…main to raj ke sath raat me..(sach batate huye).

Neha—apne bete ko bachane ke liye bhale hi aap ab kitni bhi koshish kar lo didi lekin sach to nahi badal jayega..

Tabhi payal ke room darwaje ka gate khula aur divya gusse me tamtamate huye bahar aayi…uski ankhe gusse ek ekdam lal ho rahi thi….bahar nikalte hi vo gusse me ek ek kar ke sab ko ghurne lagi…

Divya (gusse me)—sharam naam ki cheez to tum logo me hai nahi…raat se tum sab ki bakwas bardast kar rahi hu..koun hai yaha badi izzat wali, aa kar mujh divya se baat kare, main jawab deti hu uski baato ka…

Mamta (nam ankhe)—beti, meri payal kaisi hai ab…?

Divya (gusse me hath ke ishare se rokte huye)—aaj mujhe bolne do maa, bahut bardast kar chuki main, lekin ab nahi…aaj main inn sab ko aaina dikha kar hi rahungi…haan, to neha chachi.. aap mere room me aaiye, paridhi didi aur diksha bhi…

Kajal—jo kahna hai, yahi kaho na…

Divya (gusse me)—theek hai…neha chachi pahle aap se hi shuru karti hu…kya kaha tha aapne..? mera saajan ghatiya hai, kamina hai, harami hai…usne tum maa beti ki zindagi barbad kar di…? Tumhare pati ko maar diya…? Arrey, agar tumhari beti ne apni jaan ki qurbani di hai to saajan ne bhi use zindagi di hai, itni jaldi bhul gayi vo din jab paridhi didi mout ki kagaar par pahuch gayi thi…aur paridhi didi, aap to janti hain na ki raj ko maarne ke saazish me nani shamil thi, phir bhi aap chup rahi…? aap dono ne aaj vo gunah kiya hai jo mafi ke kabil nahi hai…aap dono ka saajan se kya rishta hai, bhul gayi…? Bhul gayi, ki vo saajan hi tha jisne aapki izzat bachayi thi…aur diksha, tum bhi bhul gayi ki tumhare aur saajan ke beech kya rishta hai…? Kya vo rishta, saajan ne apni marzi se banaya tha, ya phir tumne pahal ki thi….? Tum teeno ye bhul gayi ki saajan aap teeno ka pati bhi hai...tab aap ko galat nahi laga... ? tab aap ko paap aur punya dhyan nahi aaya... ? aap teeno karo to sahi, koi aur kare to galat, kyo... ? aapne apman apne pati ka kiya hai...paridhi didi, aapne pyar to kar liya, saajan se shadi bhi kar li lekin sach to ye hai ki aap teeno ne unhe apna pati kabhi mana hi nahi...to kya sirf apni pyas bujhane ke liye hi saajan se shadi ki thi aap teeno ne... ? aur diksha tum to saajan ke bachche ki maa bhi banne wali ho na... ye bataya nahi kisi ko...? mere saajan ko kuch bhi bolne se pahle sab apni apni kartoote to batao sab ko... ? phir mere saajan ko dosh dena..batati kyo nahi sab ko..kya saajan ne aap teeno ke sath koi jabardasti ki thi, ya aap teeno khud hi saajan ki biwi banne ke sapne dekh rahi thi... ? jise saajan ne poora kiya..

Divya ke iss khulase ne to jaise vaha dhamaka hi kar diya tha…har koi chounk kar rah gaya uski baat se..jabki neha chachi, paridhi aur diksha ka chehra maare sharam se jhuk gaya..koi shabd dhoondte nahi mil raha tha unhe apni safayi me bolne ka.. magar dhamaka abhi aur hona baki tha..

Divya (gusse me)—haan to kajal bua, aap bahut badi badi baate kar rahi thi na…mere saajan ko jane kya kya bol rahi thi..lekin shayad aap ye bhul gayi ki aap khud bhi ussi saajan ki baaho me apni raat rangeen kar chuki ho, mumbai me...tab saajan galat nahi laga aap ko... ? aap ko saajan ko kuch bolne se pahle ye yaad nahi aaya ki gurudev aur pari ne kya raaz bataya tha aap ko... ? meera bua, aapki bhi haqiqat bata du kya... ?

Ye sunte hi kajal aur meera ne apna sir jhuka liya...magar divya ab kaha rukne wali thi...uska gussa to uss samundar ki tarah hai jo hamesha shant dikhayi deta hai, jiska pani sthir dikhta hai..lekin jab uss samundar me toofan uthta hai to vo toofan bahut tabahi le kar aata hai apne sath....phir se shant hote hote vo sab kuch tabaah kar jata hai..divya ko itna tez gussa tab aaya tha jab rajgarh me shakti (saajan) ko qaid kiya gaya tha...uss samay divya ke gusse ne jaise kahar hi dha diya tha..usne poore rajgarh ko shmashan bana kar rakh diya tha...divya ke andar utha ye toofan roopi gussa na jane aaj kaisi tabahi layega.... ?

Divya (gusse me)—mitaly chachi, aap bhi to saajan se apne prem ka izhar kar chuki hain, aur unki biwi banne ki khwahish vyakt kar chuki hain...tab aapne nahi socha ki ye galat hai...(phir chanchal ki taraf), chanchal didi, aapne to mere saajan ko maarne me koi kasar nahi rakhi thi..phir bhi saajan ne aapko maaf kar diya..aap ko aapke pariwar se mila diya, aur aap bhi to ussi saajan ki biwi banna chahti hain..kya saajan ne aapke sath koi jabardasti ki thi... ?

Divya (gusse me)—chandni, tum ye bhul gayi ki saajan ne apni jaan par khel kar tumhari izzat uday chacha se bachayi thi.. kya saajan ne kabhi tumhari izzat lootne ki koshish ki... ? tum bhi to kab se mouke ki talash me ho saajan se apne pyar ka izhar karne ke..ehsaan faramosh kahi ki..

Divya (gusse me)—meri pyari mamiyo, kya aap ke sath kabhi saajan ne koi galat harkat ki jo aapne use ek jhatke me hi galat thahra diya.... ? aur janhavi, tum to mere saajan ki biwi banne wali ho na.. ? jis saajan ko tumne abhi abhi galat bola, uss saajanki vajah se hi aaj apne mata pita ke paas ho…warna iss tilism me bhanwar jaal me hi hamesha ke liye phansi rahti… kya usne tumhari izzat par daka dala tha…? uska ehsaan maanne ki jagah tum usko bura bata rahi ho…?

Divya—mala, shikha tum dono ye bhul gayi ki aaj tum dono sahi salamat ho to sirf saajan ki vajah se hi..usne apni jaan par khel kar tumhe bachaya..yaha tak ki tumhari ankho ko roshni di…uske ehsaan ka aisa sila diya tumne…? Aur avni didi, aap bhi to saajan ke sath apna bistar garam kar chuki ho…phir aaj itna galat kyo lag raha hai aapko…?

Divya (gusse me)—ruchi didi, aap to uski sagi badi bahan ho…aap bhi use galat samajh baithi…? Akhir aap bhi to apne betu se pyar karti ho, uski biwi banne ke sapne dekhti ho…tab aap ko khyal nahi aaya ki vo aap ka chota bhai hai…aur apne hi bhai ki biwi banne ke sapne dekhna paap hai…? Aap karo to sahi, aur agar vahi dusra kare to paap…?

Divya (nam ankho se hath jod kar)—soniya aur naina di, aapne aur aap ki maa ne jo qurbaniya di..main uska karz to kabhi nahi utar sakti.. main bas itna hi kahungi aapse ki aap dono bhi to saajan se pyar karti ho, to phir vishwash karna bhi sikho apne pyar par..

Divya—aap sab soch rahi hongi ki main itna sab kaise janti hu.. ? kyon ki saajan mujhse kabhi koi baat nahi chhupata..phir chahe vo achchi ho ya buri...aap logo ki baato se saajan aur maa ko kitna dukh hua hoga.. ? kabhi socha ahi... ? ek aurat jab apne pati ke ghar aati hai aur vaha uski santan ka janam hota hai..jaha uss bachche ka janam hota hai vo ghar pita ka hota hai..lekin uss jagah ko MAATRABHOOMI hi kyo kahte hain... ? Pitrabhoomi kyo nahi kahte... ? batao mujhe...uske pita ke ghar me jo bhasa boli jati hai use MAATRABHASA hi kyo kahte ahin, Pitrabhasa kyo nahi kahte... ? jabki vo ghar to uske pita ka hai aur vo jagah jaha vo paida hua, vo bhi pita ka ghar hai...hai koi jawab.... ?

Divya ki baate sun kar vaha sab ke juban par tala lag gaya..kisi ke paas kuch bolne ke liye shabd hi nahi rah gaye the..sabhi ki nazre niche jhuk chuki thi aur ek dusre se nazre milane ki bhi unme himmat nahi rah gayi thi...lekin inn sab ke beech do aise log bhi the jinhe behad tez gussa aa raha tha, ye sab sunne ke baad.

Ek to khud mamta hi thi...ye sach sun kar use bahut dukh laga ki uske apno ne hi yse dhokha diya..apni galti chhupane ke liye uske bete ko hi jabran galat thahrane par lage huye the...jaise jaise divya aage sab ki pol kholti gayi, vaise vaise mamta ke andar umad raha dukh dhire dhire gusse me parivartit hota gaya.

Aur dusri thi sandhya, ye sach jankar uska to dimag hi ghum gaya..vo apne aap ko ek bar phir se vahi raj mahal ke darbar me apmanit khadi mahsoos karne lagi.

Sandhya (gusse se, mann me)—dhokha..ek bar phir mere sath dhokha hua hai...sabne mere sath dhokha kiya hai...mera haq saajan aise kaise dusro ko de sakta hai... ? yaha tak ki meri maa ne bhi mere sath chhal kiya..ye jante huye bhi ki main saajan se pyar karti hu... ? sab ko saza milegi...jo bhi mere aur saajan ke beech ayega, use marna hoga...ab to tumhe bhi marna hoga maa, haan tujhe bhi marna hoga...ab main kisi ko nahi chhodungi...iss divya ko to bilkul bhi nahi..meri sari mehnat par pani pher diya isne...

Mamta (gusse aur dard me)—wah.. ! wah.. ! kya baat hai... ? apna chehra aaine me dekhne ki bajaye sab mere bete ko hi ulta sidha bole ja rahi hain…badhiya rishta nibhaya hai tum sabne…apne khud ke gireban me jhankne ki jagah hum maa bete ke pavitra bandhan ko hi daagdar batane me sharam nahi aayi…jabki main to yaha thi bhi nahi raat me…

Kajal (sir jhukaye)—soory bhabhi, lekin jo kuch sabne dekha, phir vo kya tha... ?

Priyadarshini—maa ji…sach bol rahi hain….

Ruchi—ye tum bol rahi ho...? jabki tum bhi to sakshi thi iss ghatna ki…?

Priyadarshini—haan, main bhi vahi thi….lekin jo galti maine ki thi uss ghatna ko sach samajhne ki, vahi galti aap sab bhi kar rahi ho….

Meera—tumhara matlab kya hai…?

Priyadarshini—yahi ki jise sab ki ankho ne dekha vo mahaj ek mayajaal tha, jisme sachchayi naam maatra ki bhi nahi thi…sach vo hai jo maa ji ne bataya…ab ye mat puchna ki main ye kaise kah sakti hu..? kyon ki main ek dev kanya hu..mere andar inti shaktiya hain ki main sach dekh sakti hu…

Sab (shocked)—kyaaaaaaaa…..?

Priyadarshini ki baat sunte hi sab stabdh khade rah gaye…..ab kisi ke muh se ek shabd bhi nahi phoot rahe the…jab hosh aaya aur jo kuch unhone raj ke sath bartav kiya, yaad aate hi sab ki ankho se pashchatap ke anshu bahne lage…unhe apne aap se hi nafrat hone lagi..

Ruchi (rote huye)—ye kya anarth ho gaya mujhse…?

Divya abhi gusse me phir se kuch bolne hi wali thi ki tabhi uske gusse ka ehsaas mujhe hua aur main turant bahar aa kar usko apni baho me kas liya..meri baho me aate hi uska gussa dhire dhire kam hone laga..

Ruchi (roti huyi)—betu, mujhe maaf kar de..mujhse bahut badi galti ho gayi…

Ek ek kar ke sabhi mere aage hath jodne lage lekin maine unki baato ka koi jawab diye bina hi divya ko le kar andar room me chala gaya payal didi ke paas..kyon ki abhi mera mann meri payal didi par hi atka hua tha, bakiyo ki baate mujhe sunayi hi nahi de rahi thi…divya to meri ruh me basi huyi hai, isliye uske mann ke bhav mujhe swatah hi mahsoos ho jate hain…piche piche maa bhi aa gayi…saloni abhi bhi payal didi ka ilaz karne me lagi huyi thi..

Raj (nam ankhe)—saloni, ab kaisi tabiyat hai didi ki…?

Saloni—maine taanka to laga diya hai khoon saaf kar ke aur patti bhi baandh di hai…lekin khoon kafi nikal chuka hai..payal ko khoon dena padega..uske baad hi kuch kah sakti hu main..

Raj (bhigi palke)—to mera khoon de do doctor..

Saloni—aao check kar leti hu..

Mamta (sisakte huye)—beta, tere paas to shaktiya hain..tu theek kar de na payal ko..

Raj—nahi maa, main aisa hargiz nahi karunga…duniya me aisi kitni hi maaye hain jinki god bina ilaz ke hi ujad jati hai..aapki beti ka to phir bhi ilaz chal raha hai...aage upar wale ki ichcha...mere paas shaktiya isliye nahi hain ki main inse apne pariwar ki hifazat karu, balki isliye hain ki dharm ki raksha kar saku…(kshama karna maa, payal didi ne jo kiya, vo unka karm phal hai.. unhe apni saza bhugatne do..mere liye dharm aur insaniyat sabse pahle hai, uske baad koi bhi rishta…dharm aur insaniyat se badhkar mere liye pariwar nahi hai….ya phir ye samajh lo ki sara sansar hi mera pariwar hai.)

Phir saloni ne mera blood ka sample le kar check karne lagi..jab vo match ho gaya to usne mera blood payal didi ko chadha diya. Lekin payal didi ko abhi tak hosh nahi aaya tha.

Saloni—maine blood to chadha diya hai…..phir bhi hosh aane me 5 se 6 ghante lag sakte hain..kyon ki weekness jyada aa chuki hai body me..to recover hone me samay lagega…jab tak hosh nahi aa jata tab tak kuch kahna mushkil hai..

Raj (anshu bahate huye)—nahi doctor, meri payal didi ko kuch nahi ho sakta…

Thodi der me vidhya mousi aur nani bhi vaha pahuch gayi jinhe lane ke liye maine kal hi janhavi ke pita ji se kah diya tha..kuch bhi kiya ho unhone mere sath lekin thi to mere pariwar ka ek hissa hi…to raj tilak aur vivah ke aise mouke par unko andekha karna mujhe theek nahi laga.

Udhar sabhi log apne apne kamro me ghus kar ro rahe the…koi kisi ko kuch kahne ki halat me nahi rah gayi thi…thodi der me veer bhi aa gaya unn sadhu baba ko le kar…unke chehre par gajab ka tez tha..ankhe tikti hi nahi thi unke chehre par..

Maine payal didi ko saloni aur veer ki nigrani me chhod kar divya ke sath ja kar unhe pranam kiya…hamare pranam ke pratyuttar me unhone kaha to kuch nahi bas hame dekh kar mushkura kar rah gaye..jiska rahasya hamari samajh se bahar tha..

Mamta—pranam maharaj

Mahatma—kalyan ho..

Thodi hi der me mere sandesh bhijwane par sabhi ek ek kar ke vahi aate gaye…sabne unn mahatma ko pranam kiya…poora mahal dophar tak khacha khach bhar gaya tha…sabhi mere rajyabhishek aur vivah ki khabar se ati utsahit the aur iss avsar par apni prasannata jahir karne ke liye iss samaroh me shamil hone aaye the.

Maine sadhu maharaj aur baki sabhi ko aadar sahit uchit aasan par bithaya…phir snan aadi se nivritt ho kar mata mahakali ki aradhana me baith gaya…unki aradhna ke pashchat maine apni guru maa ka dhyan laga kar unka avahan kiya…mere dhyan lagate hi vo unki awaz hriday me prakat ho gayi.

Guru maa—ankhe kholo vats..

Raj—(dhyan me)..pranam gur maa..

Guru maa—tumhara kalyan ho putra....aur sath me rajyabhishek aur vivah ki shubh kamnaye bhi..

Raj—guru maa, agar aap iss avsar par padhar kar hame anugrahit kar de to aapki badi anukampa hogi..

Guru maa—mera ashirwad to sada hi tumhare sath hai putra..kintu tum itne vyathit kyo lag rahe ho vats... ?

Raj—guru maa, aaj mera mann bahut vyathit hai... meri payal didi jeevan aur mrityu ke beech latki huyi hain jiska jimmedar main khud hu....

Guru maa—sab niyati ka khel hai putra...tum sirf apne karm par dhyan kendrit rakho aur niyati ko apna kaam karne do..

Raj—guru maa, divya ne aaj sabhi ki sachchayi samne la di...mujhe samajh me nahi aata ki main kya karu... ? kripya mera marg darshan kare..main iss paap ke daldal me dhansta chala ja raha hu..

Guru maa—vats, ek baat hamesha dhyan rakhna...ye sab jo kuch bhi ho raha hai, unke jimmedar tum khud ho…na tum pari ke sath anyay karte aur na hi vo avesh me aa kar aisa shrap deti…tumhari aur pari ki galti ka khamiyaza sabhi ko bhogna pad raha hai…to usko dand bhi to tum dono ko hi bhogna hoga…jo galat hai vo hamesha galat hi rahega…iss srasti me maa-beta, bhai-bahan ka rishta sabse pavitra mana jata hai...inn rishto me sambandho ka banna paap hai...aur iss paap karm me na to koi shakti tumhari madad karegi aur na hi koi devta...aur na hi main tumhari koi sahayata karungi...tumhe ye rasta khud hi tay karna hoga..apne dum par..bina kisi prakar ki madad ke..

Raj—to aap hi bataye guru maa ki main kya karu... ?

Guru maa—tum sirf apna kartavya palan aur dharm palan ka karm karte raho...yahi to tumhari asli pariksha hai...ki bina shaktiyo ke, bina meri aur kisi daiviya madad ke tum kaise inn rishto ko nibha pate ho... ? ravan bhi bhagwan shiv ka bahut bada bhakt tha...bhagwan shiv ki kripa hamesha uske upar rahti thi...kintu jab usne bhagwan shiv ki di huyi shaktiyo ka prayog paap ke liye karna chaha to unn shaktiyo ne uska sath chhod diya...yahi haal unn sab ka hua jinhone shaktiyo ka prayog paap aur adharm ke liye karna chaha....koi bhi devi devta bhai bahan aur maa bete ke rishte me sharirik sambandh banane ke liye apna ashirwad nahi de sakte..jo galat hai vo hamesha galat hi rahega..

Raj—to phir paridhi ko ashirwad kyo diya bholenath ne... ?

Guru maa—tum shayad bhul rahe ho putra..ki paridhi ki mrityu to mangal grah me hi ho gayi thi…uske marne ke sath hi bhai bahan ka rishta bhi khatam ho gaya tha…tumne mrit sanjivani ke prayog se use punarjeevan diya tha…uss nayi punar jeevit paridhi ko bholenath ne ashirwad diya tha na ki pahle wali paridhi ko…agni ke saat phero ke sath hi tum dono ke beech sirf ek hi rishta bacha tha..pati patni ka..lekin tumne paridhi ko bahan sambodhit kar ke iss rishte ko kalankit kar diya…uska phal to tumhe bhogna hi padega putra….tumhe apne pariwar ki hifazat apne dum par karni hai…tumhara sambandh pariwar me jinke sath ban chuka hai unki hifazat ke liye koi shaktiya kaam nahi karengi..ye baat yaad rakhna..ki meri baat ka sambandh kewal ruchi, payal, diksha, mamta, neha aur mitaly, tumhari mami, bua, nani aur mousi se hai…

Raj—divya bhi to meri bahan hai phir…?

Guru maa—divya ne kabhi kisi bhi janam me tumhe bhai kah kar sambodhit nahi kiya…aur na hi usne tumhe apna bhai kabhi mana hi hai…usne akele me ho ya phir sab ke samne, poore garv ke sath tumhe apna saajan kah kar hi sambodhit kiya hai hamesha….vaise bhi tum dono ke beech ye rishta sirf do hi bar bana hai..pichle janam me to tum dono ko hi ye pata nahi tha ki bhai bahan ho..jab ki iss janam me divya tumhari bahan nahi hai…use god liya gaya hai..tumhari maa ko vah mandir ki sidhiyo par mili thi…ye raaz tumhari maa ke alawa aur koi nahi janta….teesri baat tum dono ke beech ka prem nirmal aur behad pavitra hai.

Raj—main samajh gaya guru maa..

Guru maa—log kahte hain ki shakti bhar bhakti hoti hai..kintu ye galat hai....kyon ki jaha se sharir ki shakti khatam hoti hai, vahi se bhakt ke bhakti ki pariksha aarambh hoti hai....tumhara kalyan ho…

Guru maa ke adrishya hote hi rajlaxmi mere paas hath jode aa gayi apni ashru purit ankhe liye…maine use ashwashan de kar vaha se vida kiya aur sab ke paas aa gaya….tabhi mujhe andar bhagdad jaisi halat samajh me aayi to main turant bhag kar vaha pahucha to dekh kar hairan ho gaya.

Raj—veer, ye kya ho raha hai…? Sab log bhag kyo rahe hain idhar udhar….?

Veer—vo..vo..payal didi ko hosh aa gaya hai…hosh me aate hi tujhe tujhe dhoondne lagi..lekin jab tu nahi dikha to baki ghar walo ko dekhte hi unka mood kharab ho gaya…aur ab vo gusse me kulhadi le kar sab ko maarne ke liye unke piche piche daud rahi hain…abe..jaldi rok didi ko nahi to vo kisi ko nipta dengi aaj…

Raj (khush)—kyaaa..payal didi ko hosh aa gaya…? Kaha hain vo…jaldi bata…

Mamta (ghabrayi huyi)—betaa..rok payal ko...jaldi rok..nahi to vo kisi ko maar dalegiii..

Tabhi mujhe payal didi neha chachi, diksha aur kajal bua ke piche piche kulhadi liye daudti dikh gayi...sab ghabrahat me yaha vaha apni jaan bachane ke liye bhag rahi thi.

Payal (gusse me chillate huye)—bhagti kaha ho.. ? kisi ko nahi chhodungi…kaat dungi sab ko…tum logo ki himmat kaise huyi mere raj par hath uthane ki…?

Teeno bhagte huye mere piche aa kar chhup gayi…unke hath pair darr se kaamp rahe the….tabhi payal didi ki nazar ek jagah baithi nani aur vidhya mousi par chali gayi.

Payal (gusse se)—ohhh…to tum bhi aa gayi yaha phir se aur budhiya tu bhi…? chalo pahle tum dono ka hi kaam tamam kar deti hu…

Unhone jaise hi nani ko maarne ke liye jaise hi kulhadi upar uthayi vaise hi maine daud kar unka hath pakad liya aur khich kar apne seene se chipka liya…pahle to vah chhat patayi lekin jaise hi mahsoos hua ki ye main hu to vah rone lagi aur kas ke mujhse lipat gayi..

Payal (roti huyi)—rajjj, tu kaha chala gaya tha mujhe akeli chhod kar…meri galti ki mujhe itni badi saza mat de rajj…main tere bina nahi rah sakti…dekh maine to apne uss hath ko saza bhi de di hai jisne tujhe thappad maarne ki gustakhi ki thi…

Raj (nam ankhe)—main kahi nahi gaya didi, main to aap ke paas hi hu…

Payal didi aise hi rote rote phir behosh ho gayi…veer unhe andar le jane ke liye aage badha to maine rok diya…saloni ne usko ek injection de diya…main unhe apni god me uthaye huye hi sabha grah me aa gaya…sab mujhe aise dekh kar chounk gaye.

Raj—kisi ko hairan hone ki jarurat nahi hai…ye meri bahan hai, jiski tabiyat thoda kharab hai…vo mere bina bechain ho jati hai. Isliye main apne sath hi le aaya..aap log karya kram shuru kare..

Mahatma—saajan, sab se pahle to tumhe ye jaan lena avashyak hai ki vrihadpur me bahut samay tilism me phans kar marne walo ki achchi aur buri aatmaye bhi qaid ho kar rah gayi thi jo ki tumhare dwara tilism ko todne ke baad azad ho gayi hai aur bhatak rahi hain.. jinme tumhare poorvajo ki aatmaye bhi sammilit hain…tumhara pratham kartavya yahi hai ki pahle unn aatmao ki mukti ka upay karo…jisse vo apna agla janam grahan kar sake…warna vo aatmaye logo ko pareshan karti rahengi..

Raj—main upay karne ko tatpar hu mahatman…aap hi koyi marg bataye ki jisse inn aatmao ko mukti mil sake..

Mahatma—saajan, inme se kayi aatmaye bahut hi paap karmo wale logo ki hain..iska upay main tumhe batata hu..

Phir unn tejaswi mahatma ne ankhe band kar ke apna ek hath aage kiya..agle hi pal unhe hath se ek roshni nikal kar sabha ke beecho beech ekatrit hone lagi…jaise hi unke hath se roshni nikalni band huyi to vaha hame ek bada sa tarazu jamin se laga hua nazar aane laga jiske dono palde ek barabar the..

Tab tak vaha baki ghar wale bhi aa kar mere paas hi baith gaye the…payal didi ko maine apni god me lita liya tha vahi uss mahatma ke paas niche baith kar..sabhi ankhe phade hairani se ye chamatkar dekh rahe the.

Raj—ye kya hai mahatma ji…?

Mahatma—saajan, ye koi mamuli tarazu nahi hai….ye paap aur punya ko taulne wala tarazu hai…iske ek palde par main sabhi aatmao ko ekattha kar deta hu…inn aatmao ko iss paap yoni mukt karne ke liye tumhe apna punya daan karna hoga..

Raj—jaisa aapka adesh…

Phir unn mahatma ne apni ankhe abnd kar ke apna ek hath tarazu ke ek pade par rakh diya aur kuch mantra padhne lage…jaise hi mantra poora hote hi apna hath tarazu ke uss palde se hataya to vaise hi vo palda bhari ho kar niche jhukte huye jamin se ja laga jabki dusra palda bilkul halka ho kar upar uth gaya.

Mahatma—saajan, iske ek palde par maine unn sabhi aaymao ko ekatrit kar diya hai jitni yaha vrihadpur me bhatak rahi thi.. jinke vajan se palda jhuk gaya hai…ab tum dusre palde par hath rakh ke apne jis kisi bhi punya karm ka smaran karoge, uss punya karm ke prabhav se dusra palda jaise hi unn aatmao ke palde se vajandar hoga vaise hi ye aatmaye mukt ho jayengi kyon ki tumhara punya karm unhe mil jayega.

Raj—jaisi aap ki aagya…

Maine dusre palde par apna hath rakh kar rajya me dusro ki bhalayi ke liye nadi, nahro, aur guru kul aadi banwane ke karmo ka smaran kiya..aur jab hath hata kar dekha to chounk gaya...kyon ki palda jyo ka tyo tha..apni jagah se tas se mas nahi hua tha.. main hairani se sadhu baba ki taraf dekhne laga.

Kajal (dhire se)—mujhe to ye palda jhutha lagta hai..

Mahatma—saajan, apne rajya me nadi, nahar, guru kul banwana ek raja ka kartavya hai..uska punya nahi..isliye tumhare dwara apne inn karmo ka smaran karne par palda apni jagah se hila tak nahi..kisi aur karm ka smaran karo..

Raj—thek hai..

Phir maine apne poorva janam me kiye gaye hazaro brahmano ko bhojan, daan, dakshina aadi dene ka smaran kiya..lekin palda phir bhi apni jagah se nahi hila...ab to logo ke swar tez ho gaye ki ye sab jhuth hai.

Mahatma—saajan, ek raj, brahmano ko bhojan, daan aur dakshina apna ahankar dikhane ke liye karate the..jisse ki unka naam, yash aur keerti charo dishao me phailti rahe...ahankar aur swarth poorti ke liye kiye gaye daan ko punya karm me nahi gina ja sakta...apne kisi aur punya karm ka smaran karo saajan..

Raj—theek hai..

Iss bar maine tarazu ke palde par hath rakh kar apni maa ke seva aur bado ka samman karne ke karm ka smaran kiya..lekin ye kya... ? palda ab bhi vaisa hi apni jagah par bana hua tha...

Mahatma—saajan, apne mata pita, guru aur apne se bado ki seva karna putra ka kartavya hai... apne mata pita ki seva kar ke vo unn par koi upkar nahi kar raha hai...isliye isko bhi punya karm me nahi gina ja sakta...kintu apne kartavya ka palan na karne wala paap ka bhagidar avashya ban jata hai..kisi aur punya ka dhyan karo saajan...

Phir maine apne har janam me musibat me phanse huye logo ki madad karne ke punya ka smaran kiya..lekin jab hath hataya to dimag ghum gaya..kyon ki vo palda tas se mas nahi ho raha tha apni jagah se...

Raj—baba, ye kya... ? kya logo ki madad karna bhi punya nahi kahlata…?

Praja—ye jhutha hai..tarazu jhutha hai..

Mahatma—tarazu jhutha nahi hai...saajan, tumhe shaktiya mili hi logo ki madad karne ke liye hain...isliye musibat me phanse logo ki madad karna tumhara dharm bhi hai aur kartavya bhi...ye punya karm me nahi gina ja sakta..apne kisi aur punya karm ka smaran karo saajan...
Post Reply