'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

ek baar fir Vijay ushe dekhte hi reh gaya, uska ye vaakya saboot tha ki ushe unki yojna ke baare me poori jaankaari hai, magar chehre par koyi spasht bhaav paida na karke bola," haan "
" mai drill ka intzaam kar dunga "
" very good, to samjho ki tumhaara ek percent pakka "
" thankyou very much " iske saath hi vah apne pet par haath lagakar is tarah jhuka jaise kisi raja se uphaar milne par koyi mulajim jhukta hai.
Vijay ne Chemboor ki laash ki taraf ishaara karke poocha," magar tum ishe saath liye kyo ghoom rahe ho "
" souda na hone tak iska mere paas hona jaroori tha, ab ye aapke havaale hai, ishe aapne maara hai, atah agar iski laash ko bhi aap hi thikaane lagaye to iski aatma prasann ho uthegi "

projector ki charkhi dheere-dheere ghoom rahi thi aur uske saath hi ghoom rahi thi uske upar chadhi huyi film, shesh kamre me andhera tha aur projector ke saamne stand par fix parde par film chal rahi thi, projector ke peeche khada Alfaanse bahut dhyaan se us film ko dekh raha tha.
film bilkul silent thi.
night gown pehanne ke baad mr. Gardner ne abhi-abhi apne pairo me sleepers daale the aur us waqt projector ke peeche khade Alfaanse ki aankhein buri tarah chamak uthi jab usne parde par Gardner ko us choti si safe ki taraf badhte huve dekha.
Alfaanse ne aankhe padre par gada di.
Gardner ne safe ke number adjust karne shuru kiye, Alfaanse parde par najar aane vaale ek-ek number ko dhyaan se dekhta raha, vishesh roop se prateyek chakri ke us number ko jishe mr. Gardner teer ke nishaan ke saamne adjust kar rahe the, unhone nimn kram me numbers teer ke saamne adjust kiye.
pehli chakri ka 5, dusri ka 7, teesri ka 9, chouthi ka 3, paanchvi ka 2 aur chathi ka punah 5 aur fir unhone safe ka majboot handle pakadkar daayi taraf ghuma diya, safe ka chota sa kintu majboot kivaad khulta chala gaya.
Alfaanse ne safe lock number kanthasht kar liya tha - 579325.
ab parde par safe ka bheetari bhaag spasht najar aa raha tha, safe ke andar laal rang ka ekmatra phone rakha tha, Gardner ne receiver credel se uthaaya aur dusre haath ki ungli se phone par ek number ring kiya, ek-ek number ko Alfaanse ne bahut dhyaan se dekha tha.
Gardner ne 2542591 ka number dabaya tha.
bas, iske baad unhone receiver vaapis credel par rakh diya, vo safe ke najdeek se uthe aur kamre ke attached bathroom ki taraf badhe, parde par Gardner bathroom ka darvaaja kholkar uske andar jaane tak spasht chamke, fir bathroom ka darvaaja unhone andar se band kar liya.
ab parde par Gardner nahi the.
haan, bathroom ka band darvaaja, khuli huyi safe aadi ab bhi Alfaanse ko saaf najar aa rahi thi, 5 minute baad safe ek jhatke se apne aap hi band ho gayi.
saare numbers ko avyavasthit hote Alfaanse ne parde par saaf dekha.
vah samajh gaya ki mr. Gardner tehkhaane me jaane vaali antim seedhi par pair rakh chuke hai.
Alfaanse ne jaldi se switch off kiya, parde par andhera chaa gaya, fir vah saare saamaan ko bahut hi tezi se sametne laga, aaj uske chehre par safalta ki jabardast chamak thi.
vah behad khush tha, shaayad isliye kyonki nahi jaanta tha ki vah rahasyamay aankh is waqt bhi ushe nirantar dekh rahi hai, jisse shayad uski koyi bhi harkat kabhi nahi chupi hai.

-----------------------------------

rahasyamay blackmailer ke chale jaane ke baad sabse pehle in chaaro ne Chemboor ki laash se chutkaara paane ka nischay kiya, khandahar ke peeche ki taraf ke jungle me hi unhone ek kabr khodi aur Chemboor ki laash ko usme dafan kar diya.
is kaam me do ghante barbaad ho gaye the.
nipatne ke baad ve punah ushi tooti huyi chhatt vaale hall me baithe the, ek anya nayi mombatti unke beech rakhi jal rahi thi aur lau se nikalne vaala peela prakash unke chehrro par thirak raha tha.
us hall me kaafi der se chaaye huve sannate ko Aasha ne toda," ab hame kya karna hai Vijay "
" ramayan ka akhand paath karna hai " Vijay ne utni hi gambheerta se kaha jitni gambheertapoorvak Aasha ne prashan kiya tha.
parinaamswaroop na keval Aasha balki Vikram aur Ashraf bhi bura sa munh bana kar reh gaye, Vikas ne avashya kaha," kya ramayan ka akhand paath karne se hame is blackmailer se chutkaara mil jaayega guru "
" filhaal hame isse chutkaara paane ki koyi jaroorat nahi hai "
na chahte huve bhi Ashraf bol pada," kya matlab "
" matlab ye hai pyaare jhaan-jharokhe ki filhaal vah hame kisi prakaar ka nuksaan nahi pahucha raha hai, ulte madad hi kar raha hai, apne iraado me kaamyaab hone ke liye hame sabse jyada drill ki jaroorat hai, aisi jaroorat jishe poori karne ke naam par hum sabne chehre latka liye the aur vah bade aaraam se hamari is jarorat ko poora karne ka vaada karke chala gaya "
" kya yah sochne vaali baat nahi hai guru ki vah hamari madad kyo kar raha hai "
" Kohinoor me se hisse ka laalach kiski khopdi ka diwala nahi nikaal sakta "
" mujhe nahi lagta Vijay ki vah sirf ek percent ke chakkar me hai "
" fir kya lagta hai "
" vah kisi bahut hi sulhji huyi aur sudridh scheme par kaam kar raha hai " Vikram ne shanka vyakt ki," aur uski is scheme ka maksad maatr Kohinoor ki keemat ka ek percent haasil karna nahi ho sakta "
" tumhaare khayaal se kya ho sakta hai "
Vikram se pehle hi Ashraf bol pada," sambhav hai ki hamare aadhaar par usne bhi vahi scheme bana rakhi ho yaani ki vah soche baitha ho ki hamare safal hote hi vah Kohinoor ko humse chheen lega "
" hum paanch hatte-katte mustande kya mitti ke maadho hai "
" haan guru " uttejit sa Vikas ekdum bol pada," hum mitti ke maadho hai "
bade aaraam se poocha Vijay ne," vah kyo pyaare "
" chehre par nakaab pehne vah hamare paas yaha aaya, humse baatein ki, balki kahunga ki vah hame dhamkaata raha, vyangaatmak andaaj me ek tarah se hamara apmaan karta raha, hum paanch the aur vah akela, hamare paas hathyaar the, vah shaayad nihatha hi tha, fir bhi vah humse apni shartein manva gaya aur hum uska chehra tak nahi dekh sake "
" kuch bhi sahi Vijay " Aasha boli," mujhe lagta hai ki vah koyi bahut hi kaaiya vyakti hai, uske baat karne ka andaaj aur vo laaparvaah chaal, uff yaad karke bhi mere to saare jism me jhurjhuri si doud jaati hai, yadi sach poocha jaaye to mujhe bahut dar lag raha hai usse "
jhunjhulaaya sa Ashraf badbadaaya," pata nahi ki ye kambakkht hai koun "
" aur hamare peeche kaha se lag gaya " Vikram ne baat poori ki.
" is kism ke sainkado prashan uth sakte hai yaaro jinka filhaal hamare paas koyi jawaab nahi hai aur jab tak jawaab nahi hai hame koyi choo-chataak nahi karni chahiye. uski prateyek iccha ke saamne jhukne aur har sahrt maankar kaam karte chale jaane me hi hamari bhalaayi hai "
" haan " Vikas gurra utha," jaise ki hamara koyi astitv hi na ho "
" uttejit ho jaane se hamari taakat nahi badh jaayegi pyaare, jara socho ki vah ek second me hamari saari yojna ko choupat kar sakta hai. James bond ko keval ek phone karega vo aur hamare saare mansoobe mitti me mil jaayenge, yojna tinke-tinke hokar bikhar jaayegi "
Ashraf keh utha," ye sach hai, yakeenan vah hamare baare me jaroorat se jyada jaanta hai "
" usse nipatne ke liye aakhir kiya kya jaa raha hai "
" filhaal to kuch nahi kiya jaa raha hai aur mere khayaal se kuch kiya jaana bhi nahi chahiye " Vijay ne bade aaraam se kaha.
" kyo " Vikas ne poocha.
" kyonki na to abhi iski jaroorat hai aur na hi abhi iska samay aaya hai "
" mai samjha nahi "
" jaroorat isliye nahi hai kyonki agar hum har kaam uske kahe anusaar karte rahe to kam se kam tab tak to vo hame kisi bhi kism ka nuksaan pahuchaane ki sochega bhi nahi, jab tak ki vah humse vo laabh na utha le jiski ki vah apeksha kar raha hai, ur kuch karne ka samay isliye nahi aaya hai kyonki filhaal ki paristithiyo me uski madad ke bina shayad hamara safal ho paana bhi sambhav nahi hai "
" to fir kab aayega vah waqt "
" ye sochkar hame pareshaan ya chintit nahi hona chahiye, waqt apne waqt par hi aata hai. matlab ye ki usme ulajhkar hum apne main lakshya aur lumad tak pahuchne ki yojna se nahi bhatakna chahiye "
" matlab "
" filhaal blackmailer ke sthaan par lumad se vichaar-vimarsh karna aur uski gatividhiyo par najar rakhna hamare liye jyada mahattvpoorn hai "
Vikas ne kaha," hamare raaste me anek rode hai, crimer uncle, James bond aur guru aap hi sochiye ki hum sab aapke prateyek aadesh par kaam karne ko taiyaar hai. magar sirf tab tak jab tak ki mujhe lagega ki stithi aapke niyantran me hai "
" aur pyaare yadi tumhe laga ki stithi hamare niyantran se baahar hai to "
" tab mai aapki saari yojnaaye uthakar ek taraf rakh dunga aur apne dhang se kaam karunga " ye shabd Vikas ne poori dridhta ke saath kahe the.
is baar Vijay kuch bola nahi, thode sakht se andaaj me Vikas ko ghoorta raha. vaatavaran thoda tanaavpoorn ho gaya aur fir achanak hi Vijay ko jaane kya soojha ki vo fatafat Vikas ko aankh maarne laga.
Vikas boukhla sa gaya.

-----------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


Alfaanse London me buri tarah se prasiddh ho chuka tha. is had tak ki London me nivaas karne vaala ek-ek baccha ushe shakal se pehchaanta tha aur uski vajah thi uski shaadi, vishesh roop se chadhat ka vah dhoom-dhadaka jo duniyabhar ke jasoos aur apraadhiyo ne ekjut hokar London ki sadko par machaaya tha.
darasal ab yahi prasiddhi Alfaanse ki raah ka sabse bada roda thi.
ushe aise bahut se kaam karne the jinke baare me vah ye chahta tha ki kisi ko pata na lage ki ve kaam Alfaanse ne kiye hai aur aise hi ek vishesh kaaam se aaj dopahar ke samay gaadi lekar Gardner ki kothi se baahar nikla tha.
us waqt uske paas keval ek suitcase tha.
shaam tak vah picnic manane aaye kisi vyakti ki tarah Tames me snaan karta raha, us waqt kareeb 5 baje the, jab vah apna suitcase liye ek cabin me ghuss gaya.
kareeb 20 minute baad vah cabin se baahar nikla lekin agar sach likha jaaye to vah Alfaanse nahi lag raha tha, huliya poori tarah badle huve tha vah, makeup itna shaandaar tha ki saadhaaran vyakti ushe pehchaan hi nahi sakta tha.
suitcase haath me liye vah parking me pahucha.
dher sarai gaadiyo me khadi apni gaadi par usne aisi nigaah daali jaise ki us gaadi se uska kabhi koyi sambandh na raha ho, sadak par aakar usne ek taxi li, pichhli seat par baithkar driver ko pata bataya aur gaadi aage badh gayi.
40 minute baad taxi Mark street ke ek ilaake me ruki.
Alfaanse ne payment karke taxi vahi chhod di aur fir suitcase haath me liye ek taraf ko badh gaya, 10 minute baad vah ek sankari si gali me maujood puraane se makaan ke saamne khade hokar callbell baja raha tha.
darvaaja ek budhi mahila ne khola, Alfaanse ne ushe dekhte hi kaha," hello Maria "
" hello mr. Target " na jaane kyo Alfaanse ko dekhte hi us buddhi mahila ki aankho me ek ajeeb si chamak aa gayi. ek aisi chamak jaise ushe yaha dekhkar Maria ko laga ho ki ushe bahut bada khajaana milne vaala hai.
Alfaanse ne poocha," kya mr. Volume ghar par hai "
" kyo nahi, aaiye mr. Target, vo aapka hi kaam kar rahe hai " buddhi mahila ka uski aagvani ka andaaj aisa tha jaise ki koyi apne kisi bahut hi mahattvpoorn vyakti ki aagvani kar raha ho. Alfaanse ko ek sankari si gali me gujaarne ke baad vah ek kamre me le gayi.
is kamre me ek atyant hi buddha vyakti mej ke peeche ek kursi par baitha apne kaam me vyast tha. mej par ek table lamp rakha hua tha aur uske holder me fanse 200 watt ke bulb ka prakash chaaro taraf bikhra pada tha.
mej par ek bahut hi khoobsurat sa lagne vaala rangeen photograph pada hua tha. idhar-udhar bikhre huve the kaanch ko tarashne vaale vibhinn aujaar.
buddhe vyakti ki umra 80 ke aaspaas thi aur uske saare baal safed ho chuke the aur naak par vah mote lenses vaala ek chashma rakhe huve tha. kisi tej dhaar aujaar se vah cricket ki gend jaise sheeshe ke thos padarth ko taraash raha tha.

buddhe Volume ka dhyaan bhang hua.
usne najar uthaakar dekha aur Alfaanse par drishti padte hi bola," oh, mr. Target, aao, dekho, mai aap hi ka kaam kar raha hu "
" thankyou " kehta hua Alfaanse mej ke is taraf padi huyi ek kursi par baith gaya.
Alfaanse ko dekhkar khud Volume ke chehre par bhi vaise hi bhaav ubhar aaye the jaise Maria ke chehre par abhi tak maujood the.
Alfaanse ne sawaal kiya," aakhir kab tak taiyaar ho jaayega ye "
" sirf ek hafta aur lagega, dekho, jara khud hi dekho ki mai kis had tak tumhaari iccha ki cheej bana raha hu " kehne ke saath hi usne ek haath se photograph aur dusre haath se thos sheeshe ki vah gend si uthakar Alfaanse ki taraf badha di.
Alfaanse ne dono vastuve hath me le li, photograph laghbhag us gend jaisi hi kisi vastu ka tha aur yaha hum apne paathko ko yah bata dena jaroori samajhte hai ki vo photograph Kohinoor ka tha aur Volume kaanch ka ek nakli Kohinoor bana raha tha.
kaafi der tak Alfaanse nakli Kohinoor aur photograph ki tulna karta raha, vah bahut hi bareek najar se uski tulna kar raha tha. usne Volume ko ve kuch asamantaaye batayi jo ushe najar aa rahi thi, jawaab me Volume ne kaha," inhi asamantaao ko door karne ke liye to mai tumse ek hafta aur maang raha hu "
" uski mujhe fikr nahi hai, lekin mujhe hu-ba-hu yahi cheej chahiye "
" cheej bilkul yahi milegi mr. Target lekin.. "
" lekin "
" d..darasal jaha tak mera khayaal hai ye photograph kisi bahut hi keemati heere ka hai aur aap mujhse ishe keemati heere ka duplicate taiyaar karva rahe hai "
" dekho mr. Volume " ekaek hi Alfaanse ka lehja bahut hi sakht aur khurdura ho gaya," aapse mai pehle bhi keh chuka hu ki mai koun hu, ye photograph kiska hai ya mai iska duplicate kyo taiyaar karva raha hu aadi aise hi sainkado sawaalo ke baare me sochne ka kaam tumhaara nahi hai, is kaam ki tumhe poori keemat mil rahi hai aur tumhe keval us keemat se matlab hona chahiye, is kism ke sawalo ke jawaab se nahi "
" aap pehle meri baat poori sun le, uske baad hi agar aap kuch kahe to behtar hoga "
kathor si drishti se ushe ghoorte huve Alfaanse ne kaha," bako "
" m..mera khayaal hai ki aap kisi ko photograph vaala heera dene ke badle me duplicate dekar usse rakam ainthne ki yojna banaye huve hai "
" chalo maan liya ki aisa hi hai, fir "
" bas, mai yahi kehna chahta hu ki aap apni is scheme me safal nahi honge "
" kyo "
" kyonki kaanch aur heere me jameen-aasmaan ka antar hota hai, itna bada heera jo bhi khareedega vo poori jaanch-padtaal karega aur mai daave ke saath keh sakta hu ki bhale hi dekhne me yah bilkul us heere jaisa hi lage parantu ishe choote hi koyi bhi vyakti bata sakta hai ki ye heera nahi balki kaanch hai "
" yah sab sochne ka kaam mera hai " Alfaanse ka lehja shushk ho utha.
" aap theek keh rahe hai kintu maine ye baat mahaz isliye spasht ki hai ki kahi kal aap mujhe iske liye dosh dene lage, kehne lage ki mere dwara taiyaar kiya gaya heera kisi ko dhokha dene me saksham nahi hai. haan, dekhne maatr se mera duplicate is heere jaise hi najar aayega, yadi photograph kheenchi jaaye to vo bhi theek aisa hi hoga "
" mujhe keval ishi guarantee ki jaroorat hai "
" us par mere dwara taiyaar kiya gaya duplicate bilkul khara utarega "
" thankyou, aur suno, ab is baare me tum kuch nahi sochoge ki mai is duplicate ka kya karunga "
" theek hai, vah sab baatein to maine apni stithi spasht karne ke liye hi kahi thi "
Alfaanse ne vishay badla," to ek hafte baad ye bilkul taiyaar milega "
" ji haan, kya aap kuch laaye hai "
Alfaanse ne suitcase khola, Maria aur Volume ki buddhi aankho me chamak ubhar aayi, vaisi hi chamak jaise khajaane ko dekhkar Alibaba ki aankho me ubhri hogi.

-------------------------------------------------

uske darvaaje se nikalte hi Maria ne jaldi se mukhya dwar ki chitkhani chadhaayi aur furti se ghoom gayi. bahut hi tezi se choti si gallery paar ki usne, uske buddhe jism me is waqt gajab ki furti thi, vaisi hi jaise kisi 16 saal ki ladki ke jism me ho sakti hai.
bhaagti huyi vah kamre me pahuchi.
buddha Volume paaglo ki tarah dollars ki ek gaddi ko gin raha tha, mej par paanch gaddiya padi huyi thi, unhe dekhte hi Maria naach si uthi.
Volume ki taraf vah lapakti huyi boli," maza aa gaya Volume darling, hum dhanvaan ho gaye hai, ab hamare saare sapne poore ho jaayenge "
" abhi to aur dega ye " Volume khushi ke kaaran kaanp raha tha.
" hum aish karnege darling, khoob aish " kehne ke saath hi vah Volume se jaa lipti, Volume ne bhi gaddi chhodkar ushe apni baaho me bhar liya aur fir unke buddhe honth jud gaye, kuch is tarah jaise ki yah unki suhaagraat ho.
ek lambe chumban ke baad Volume ne kaha," dekho, mai kehta tha na darling ki mai ek kalakaar hu, abhi tak kisi ne meri kala ko pehchaana nahi hai, jis din koyi kadrdaan mil gaya us din hum malamaal ho jaayenge, Target kala ka paarkhi hai "
" oh, Volume darling, tum hajaar saal jiyo " prem deewani si hokar Maria usse lipat gayi. apne lambe daampatya jeevan ka anand aaj unhone pehli baar hi mehsoos kiya tha, mej par padi gaddiyo ne unke jeevan me ras ghol diya tha, pagla se gaye the ve aur is tarah se athkheliya karne lage jaise ki teen-ager lover ho.
ve us waqt bhi apni athkheliyo me hi vyast the jab achanak callbell baj uthi, ve ekdum se chitakkar alag ho gaye.
" koun ho sakta hai " Maria ke munh se nikla.
" hoga koyi aas-pados me rehne vaala chuha, darvaaja kholkar ushe tarkaao "
" ye gaddiya daraaj me rakh lo " kehne ke saath hi Maria kamre ke darvaaje ki taraf badh gayi, kyonki tab tak callbell dusri baar baj chuki thi, Volume jaldi-jaldi gaddiyo ko daraaj me rakhne laga.
udahr jab gallery paar karne ke baad Maria ne makaan ka mukhya dwar khola to saamne chamakdaar neeli aankho vaala angrej yuvak khada tha.
" kahiye " Maria ne poocha," aapko kisse milna hai "
" mr. Volume se "
" kya kaam hai "
" mujhe unse ek khaas kaam hai "
" sorry, is waqt ve bahut vyast hai, aap unse agle hafte miliye " kehne ke baad Maria abhi darvaaja band karne hi vaali thi ki yuvak achanak hi baaj ki tarah jhapat pada. Maria ne cheekhne ke liye munh faada lekin bechaari ki cheekh halak me hi dabi reh gayi.
yuvak ka faulad jaisa haath dhakkan bankar uske munh par chipak gaya tha.
cheekh halak me hi ghutkar reh gayi thi.
uske bandhano me jakdi Maria chatpata kar uske bandhno se nikalne ka praayas kar rahi thi aur ye prayaas bhi vah keval chand minute hi kar saki thi kyonki yuvak ne uski kanpatti ki koyi aisa nas daba di thi jiske parinaamswaroop uske kanth se ek hichki si nikli aur fir vah ekdum nischal hokar yuvak ki baaho me jhool gayi.
yuvak ne uske behosh jism ko furti ke saath dheere se gallery me lita diya.
usne darvaaja andar se band kiya aur fir tezi se gallery paar kar gaya, kamre me ghusne se pehle vah apne coat ki jeb se revolver nikal chuka tha.
yuvak ne kamre me kadam rakha aur ushe dkehte hi Volume ke chehre ka rang fakk se ud gaya, boukhlahat me cheekh sa pada vah," k..koun ho tum "
" jyada jor se cheekhne ki koshish mat karo " yuvak ka lehja atyant hi sard tha," varna agar ye revolver cheekh pada to fir tum kabhi nahi cheekh sakoge "
Volume ke chehre par havaiya udne lagi thi, buddha shareer kaanpne laga, aankho me khauf ke saaye najar aane lage the, badi himmat karke vah bola," aap koun hai aur Maria kaha hai "
" gallery me padi hai "
" kya...tumne ushe "
" abhi sirf behosh kiya hai "
" a..aap kya chahte hai "
Volume ke uprokt sawaal ke jawaab me aagantuk ne ekdum se kuch nahi kaha balki revolver ko uspar taane satark drishti se kamre ka nirikshan karne laga.
aagantuk ki drishti mej par thithak gayi thi aur us taraf dekhte waqt uske aankho me aisi bhaav ubhre the jaise ki vah sabkuch samajh gaya ho.
Volume ne himmat karke punah poocha," aapne apna uddeshya nahi bataya "
" vah aadmi, jo mere aane se kuch hi der pehle yaha aaya tha, koun tha "
is sawaal ko sunkar Volume kaanpkar reh gaya, kuch bol nahi saka vah.
" jawaab nahi diya tumne " aagantuk ki aawaj me bhediye ki si gurrahat thi.
" ji.ji unka naam Target hai "
ushi sakht swar me agla prashan," yaha kyo aaya tha "
" j..ji ye mai aapko nahi bata sakta "
aagantuk ke ghoorne ka andaaj aisa ho gaya jaise ki abhi Volume ko kaccha chaba jaayega, bola," keval is baar mai tumhe maaf kar raha hu, yadi dusri baar tumne mere kisi sawaal ke jawaab me aise atpate shabd kahe to behichak mai tumhe goli maar dunga, samjhe "
Volume ko kaato to khoon nahi, peela pad gaya tha bechaara.
aagantuk ne Volume ko kuch jyada aatankit karne ke liye apne haath me dabe revolver ko kuch is tarah se ghumaaya ki Volume ka dhyaan us taraf jaaye," ye na samajhna ki mai Target ko jaanta nahi hu ya mujhe yah nahi maalum ki vah yaha kyo aaya tha, mai jaanta hu ki vo tumse us photograph me maujood heere ka duplicate banva raha hai "
" y..yadi aap sabkuch jaante hi hai to mujhse kya.. "
uski baat ko beech me hi kaatkar aagantuk ne kaha," kya tum jaante ho ki vah photgraph kis heere ka hai "
" n..nahi "
" target uska duplicate kyo taiyaar karvaana chahta hai "
" usne mujhe kuch bhi nahi bataya hai, is kism ke mere kisi bhi sawaal ke jawaab me vah hamesha yahi kehta raha hai ki mujhe keval apni rakam se matlab hona chahiye "
" is kaam ka vah tumhe kya de raha hai "
" 10 hajaar dollar "
" hu " aagantuk ne ek lamba hukaara bhara, jaise ki vaastustithi ko samajhne ki koshish kar raha ho, bola," to yah 10 hajaar dollar ki cheej vah mujhe dus laakh me bechna chahta hai "
" j..ji " Volume kahe bina nahi reh saka," mai kuch samjha nahi "
" usne muhse dus laakh me is heere ka souda kiya hai jiska photograph tumhaare paas hai, is haramjaade ki neeyat par mujhe pehle se hi shak tha isliye hi mai uspar najar rakhe huve tha, ab baat saaf ho gayi hai ki vah mujhe duplicate heera dene ke chakkar me hai "
" maine to usse pehle hi kaha tha ki koyi bhi khareed-daar mere is duplicate ke chakkar me nahi aayega "
" vah apne aapko bahut jyada smart samajhta hai " aagantuk badbadaya aur fir achanak hi lehja badalkar bola," mera naam mr. Fischer hai aur mai heero ka vyapaari hu, agar tum chaho to mai tumhe Target se jyada rakam de sakta hu "
" k..kya matlab "
" mai tumhe 15 hajaar dollar dunga badle me tum mere yaha aagman ko gupt rakhoge, Target se nahi kahoge ki mai yaha aaya tha aur uski saari yojna samajh chuka hu "
" m..mai kisi chakkar me to nahi fans jaaunga na "
" bilkul nahi, balki haan, agar tumne aisa nahi kiya to na keval nuksaan uthaaoge, balki mumkin hai ki apni jaan se bhi haath dho baithoge "
" m..mai samjha nahi "
" agar tumne ushe mere yaha aagman aur in ho rahi baato ke baare me kuch bhi kaha to samajh sakte ho ki jo duplicate tum taiyaar kar rahe ho vo uske liye bekar ho jaayega aur vah tumhe ek dollar bhi nahi dega, us stithi me mere dwara tumhe kuch diye jaane ki sambhaavna to hai nahi. vah samajh jaayega ki ab mai ye heera usse khareedne vaala nahi hu. is prakar apni yojna ke choupat ho jaane ki avastha me vah aape se baahar ho sakta hai aur yah sochkar ki uski yojna ko tumhi ne choupat kiya hai, tumhe maar bhi sakta hai "
Volume ki taange kaanpne lagi.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


" agar tum ushe kuch nahi bataoge to 15 hajaar dollar mai tumhe dunga aur vah bhi ishi bhram me rahega ki is nakli heere ko asli samajhkar mai usse khareedne vaala hu, atah kaam poora hone par tumhe tumhaari rakam dekar nakli heera lekar khushi-khushi yaha se chala jaayega. ab dono stithiya tumhaare saamne hai, khud hi faisla kar lo ki tumhe kya karna hai "
" a..aapki baat maankar mai kisi jhamele me to nahi fans jaaunga "
" fansoge nahi, balki yu kaho ki jis jhamele me tum fans chuke ho, usme se meri baat maankar hi nikal sakte ho "
" t..theek hai, mai aisa hi karunga "
" good " kehne ke saath hi aagantuk ne jeb me haath daala aur dollars ki ek gaddi nikalkar uski mej par daal di," baaki rakam tumhe tab milegi jab tum duplicatre taiyaar karke Target ko doge "

----------------------------

" kaha chale gaye the bhai " Alfaanse ko dekhte hi sofe se uthkar mr. Gardner bole," Irvin to tumhe dhoondhti-dhoondhti paagal ho gayi "
" aisa kya ho gaya " muskurata hua Alfaanse uske najdeek jaa pahucha.
" baitho " Gardner ne sofe ki taraf ishaara kiya," ye to ushi se poochna ki kya hua tha, hame to sirf itna pata hai ki Irvin shaam se tumhaare liye pareshaan hai "
kuch kehne ke liye Alfaanse ne abhi munh khola hi tha ki,
" aa gaye mahashay " Irvin ki karaari aawaj hall me goonji, Gardner aur Alfaanse ne chounkar udhar dekha, gallery ko paar karne ke baad tamtamyi si Irvin tez kadmo ke saath unki taraf badh rahi thi.
Alfaanse ke hontho par badi hi pyaari si muskaan ubhar aayi.
jabki Irvin dhamkti huyi theek Alfaanse ke sir par aa khadi huyi aur uske munh se nikli adhikaar bhari gurrahat," kaha gaye the aap "
" picnic par gaya tha bhai "
" akele "
" haan "
" kyo "
" kyo ka kya matlab, bada ajeeb sawaal hai "
" mujhme kaante lage hai kya "
" oh " Alfaanse thahaka laga utha," tumhaara matlab ye tha "
" jab aap akele picnic par jaane ki aadat nahi chhod sakte the to mujhse shaadi kyo ki, kya mai bevkoof hu jo paaglo ki tarah aapko dhoondhti firi. jab mai shopping ke bahane baahar chalne ke liye kehti hu to aapke sir me dard ho jaata hai aur fir akele gaayab ho jaate hai. kaha picnic manaayi thi "
" offo bhai, tum to Bhartiya patni ki tarah ladti ho " Alfaanse hans raha tha.
beech me mr. Gardner tapke, bole," kyo nahi ladegi bete, shaadi bhi to Bhartiya riti-rivaajo ke saath huyi hai "
" aap beech me mat boliye daddy, ye mere aur inke beech ka maamla hai " gusse me tamtamaai si Irvin ne chand shole pita ki taraf ucchale aur fir Alfaanse ki taraf palatkar boli," haan to janaab, jawaab nahi diya aapne, jara mai bhi to sunu ki aaj kaha picnic manaayi thi aapne "
Alfaanse ne hanste huve kaha," Tames ke kinaare "
" vaha se kaha gaye the "
" kahi bhi nahi, vahi tha "
" jhooth mat boliye, Tames ke kinaare parking me sirf aapki car thi, aap nahi "
Alfaanse ka dil dhakk se reh gaya, dimaag me ekaek vichaar utha ki kya Irvin ko uske Target vaale roop ka pata chal gaya hai aur kya vah jaan gayi hai ki vo Volume se milne gaya tha, kintu usne sheeghra hi apne dimaag ko niyantrit karke poocha," ye tum kaise keh sakti ho "
" mai khud vaha gayi thi "
" fir "
" fir kya, vaha keval aapki car thi, aap nahi "
" offoh, kya mai car ke andar hi baitha rehta "
" andar nahi janaab, maine aapko car ke baahar dhoondha tha, Tames nadi ke kinaare door-door tak, vaha maujood logo se aapke baare me maalum bhi kiya, sabne yahi kaha ki unhone kaafi der se aapko Tames ke kinaare nahi dekha hai, kareeb ek ghanta car ke paas rehkar maine aapka intzaar kiya "
" pata nahi tumhe kaise nahi mila mai, vahi to tha mai "
" offoh, ab chhodo bhi Irvin beti, gussa thok do " Gardner ne unki nok-jhok ka anand lete huve kaha aur fir jor se aawaj lagayi," Merlin "
" j..ji maalik " ek naukar doudta hua hall me aaya.
" freeze me se nikaalkar hamari beti ko kuch thanda pilaao aur Alfaanse ko bhi "
" ji maalik " naukar freeze ki taraf mud gaya.
is naukar ko Alfaanse ne pehli baar hi dekha tha, isliye drishti ushi par chipak kar reh gayi, mr. Gardner bole," dekh kya rahe ho bete, Merlin hamara naya naukar hai, ishe maine aaj hi rakha hai "
Merlin freeze se teen coca-cola nikalkar le aaya tha, Alfaanse ko laga jaise is naukar ko pehle bhi kahi dekha ho.

---------------------------------

" or guru, yadi Volume ne Alfaanse guru ko sabkuch bata diya to " Vijay ki saari baatein bahut dhyaan se sunne ke baad Vikas bola.
" nahi batayega pyaare "
" aap itne vishvaaspoorvak kaise keh sakte ho "
" humne bhi kacchi goliya nahi kheli hai pyaare diljale, jab hum Target bane huve lumad ka peecha karte huve Mark street par pahuche the aur Volume se milne andar chale gaye the to apne dhang se humne maalum kiya tha ki Volume dampati bahut gareeb hai aur jawaani se lekar ab tak hamesha doulat ke liye taraste rahe hai. lumad ke dus hajaar ke chakkar me hi ve is jhamele me fanse hai aur pandrah dene ka vaada karke humne unke saamne aisa daana daal diya hai jishe chuge bina ve nahi reh sakenge aur fir unke dil me humne ye dar bhi baitha diya hai ki yadi unhone hamare vaha aane ke baare me lumad ko bataya to lumad ushe jaan se maar dega "
" vah to mai samajh gaya "
" khuda pehalvaan tumhaara bhala kare, ab to sochne vaali baat ye hai ki isme koyi shak nahi reh gaya hai ki Kohinoor ko churaane ki scheme par apna lumad bahut tezi se kaam kar raha hai, jabki hamari surang banni abhi shuru bhi nahi huyi hai, kahi aisa na ho ki vah hamare vaha pahuchne se pehle hi daanv maar jaaye "
" hame is khatre ke prati poori tarah satark rehna hai "
" rehna nahi hai bete, kaho ki hai, agar nahi hote to chori-chupe lumad ko watch kyo karte "
" keval watch karne se kaam nahi chalega guru "
" to fir kya kare "
" kuch apni scheme ke baare me bhi sochiye "
" sochna kya hai pyaare, sirf drill machine ki vajah se ruke pade hai, vah mil jaaye to kaam shuru kar de "
drill machine ka jikr aate hi sabke mastishkpatal par vah rahasymayi blackmailer ubhar aaya, khaamoshi chaa gayi. unke beech patthar par rakhi mombatti ka peela prakash unke chehro par kaanpta raha, ve khandahar ke us tooti chatt vaale hall me baithe baatein kar rahe the.
Ashraf ne apni wristwatch me samay dekhte huve kaha," samay ho gaya hai, ab tak ushe aa jaana chahiye tha "
" mai haajir hu hujoor " hall me blackmailer ki aawaj goonji.
chounkkar sabhi ne aawaj ki disha me dekha, darvaaja paar karke unhe ek kaali parchaayi si apne najdeek aati huyi dikhaayi di.
parchaayi ke kandhe par koyi bahut badi machine ladi huyi thi.
vah unke najdeek aakar bola," bas mujhme yahi ek aib hai sarkar ki mai waqt ka bahut paaband hu, theek diye huve samay par pahuch jaata hu "
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

jaane kyo uttejnavash Vikas ka saara shareer kaanpne laga, iccha ho rahi thi ki jhapte aur us rahsymayi blackmailer ke chehre se nakaab nochkar fenk de, parantu apni is iccha ko badi sakhti se daba liya usne.
blackmailer jhuka, machine usne jameen par tika di thi.
jabki Vijay ne apni hi tone me kaha," acche baccho ko waqt ka paaband hona hi chahiye "
" shukriya janaab "
" apne shukriya ko jeb me sambhaalkar rakho pyaare, aade waqt par kaam aayega. hame iski jaroorat nahi hai kyonki hamari jeb pehle se hi shukriya se labalab bhari hai "
" dekh lijiye ki machine me laga drill aapke kaam ka hai na "
" bilkul kaam ka hai pyaare " Vijay ne mombatti ki roshni me hi najro se drill ko parakhte huve kaha," isse nadi ki deewar me to kya tumhaare sir me bhi suraakh ban jaayega "
" sir me suraakh isse jara jyada accha banta hai " blackmailer ne jeb se mouser nikalkar dikhaate huve kaha.
" iska kya matlba pyaare "
" sirf ye janaab ki ye pistol aise kayi logo ke siro me surang bana chuka hai jinhone mujhse souda to kar liya kintu waqt aane par jyada smart banne lage "
" chii, chii " Vijay ne bada bura sa munh banaya," bade badbudaar log the ve "
mouser jeb me rakhte huve blakmailer ne bade aaraam se kaha," ummeed hai sarkar ki aap vaise badbudaar log banne ki koshish nahi karenge kyonki is mouser ke shikaar ki laash ko antim sanskaar ke liye bhi koyi nahi milta hai, atah laash me keede pad jaate hai "
is spasht dhamki ko sunkar Vikas tilmila utha, agar ushe khayaal na hua hota ki is waqt jo kuch bhi uske man me aa raha hai vah karne se Vijay guru ki saari yojna dhari reh jaayegi to vah is blackmailer ko kaccha chaba jaata.
khoon ka ghoont sa peekar reh gaya ladka.
jabki Vijay kuch aise andaaj me drill ka nirikshan kar raha tha jaise ki usne blackmailer ke munh se nikalne vaale shabd sune hi na ho, usne aage kaha," ab mai chal raha hu, aasha hai ki aap log kal se apna kaam shuru kar denge "
" tum kaha jaa rahe ho pyaare, hamare saath nahi rahoge kya "
" ji nahi "
" agar apne kaam me hame fir tumhaari jaroorat padi to "
" haalanki mai aapki koyi bhi madad karne ke liye baadhya nahi hu aur fir aapko bhi dusro se madad lekar kaam karne jaisi koyi gandi aadat nahi daalni chahiye. fir bhi yu samajhiye ki mai har pal aapke ird-gird hi kahi rahunga aur aise prateyek avsar par aapki khidmat me haajair ho jaaunga jab vaastav me aapko meri madad ki jaroorat hogi "
koyi kuch nahi bola, jaise ki bolne ke liye kisi ke paas kuch reh hi nahi gaya tha. keval Vikas aisa tha jo bahut kuch kehna chahta tha lekin vo sab kuch apne seene me dafan kiye huve tha.

------------------------------

agle din ki dopahar baarah baje.
mr. Gardner us paanch manjili imarat me stith apne office me baithe kinhi kaagjo me sir khapa rahe the, jiske mastak par likha hai 'bank sansthaan'.
mai Alfaanse ki shaadi me likh chuka hu aur paathak jaante hai ki is imarat aur vishesh roop se is office me us sthaan ke liye raasta jaata hai, jaha Kohinoor rakha hai.
mr. Gardner ka office bilkul gol hai, chamakdaar ispaat ka bana hua, farsh tak ispaat ka bana hua hai, kaksh ki haalat bilkul kisi office ki tarah hi hai.
furniture farsh ke saath attached hai.
kaksh ke beechobeech ek badi mej hai, mej ke us paar mr. Gardner baithe hai aur ek khaali kursi mej ke is taraf hai.
ekaek hi unki mej par rakhi phone ki ghanti gahnghanaayi.
mr. Gardner ne receiver utha liya, bole," hello "
" mai guard number 2 bol raha hu sir " dusri taraf se aawaj aayi.
" kya baat hai "
" aapki beti aur daamaad aapse milna chahte hai "
chounk pade mr. Gardner, bole," kyo "
" kehte hai ki koyi jaroori kaam hai "
" unse kaho ki mai shaam ko ghar par hi baat karunga "
" maine kaha tha sir, magar ve kehte hai ki ishi samay kaam hai "
mr. Gardner chup se ho gaye, jaise kuch soch rahe ho, kuch der baad bole," khair, unhe bhej do "

receiver credel par rakhne ke baad guard Alfaanse aur Irvin ki taraf ghooma, bola," aap jaa sakte hai, cheif office me aapka intjaar kar rahe hai "
" thankyou " kehkar Alfaanse ne Irvin ka haath pakda aur darvaaja paar kar gaya, shayad likhne ki jaroorat nahi hai ki darvaaje par maujood 5 guards ne unhe abhi tak roka hua tha.
ab ve us hall me se gujar rahe the, jaha bahut se clerk baithe vibhinn bank se sambandhit khaate dekh rahe the.
darvaaja paar karne ke baad Irvin ka haath pakde Alfaanse baayi taraf ghoom gaya tatha us hall ko paar karne laga jisme clerk baithe the. sachmuch, khud ko in clerks ki najaro se bachakar hall me se gujarna naamumkin hi tha, hall paar karne ke baad Alfaanse daayi taraf maujood ek gallery me mud gaya.
gallery me tube-lights ka dudhiya prakash bikhra pada tha.
Irvin ka haath pakde Alfaanse bahut hi dhyaan se saari stithi ka jaayja lete huve gallery paar karne laga, gallery me poori tarah se khaamoshi chaayi huyi thi.Alfaanse jaanta tha ki is gallery me ushe kahi computer milega, vah computer jo apne saamne se gujarne vaale prateyek vyakti ka vaastvik naam Gardner ke office me relay kar deta hai, magar kam se kam filhaal ushe is computer se darne ki koyi jaroorat nahi thi.
sheeghra hi ushe computer najar aaya aur ushe bahut dhyaan se dekhte huve Alfaanse bina vichlit huve ya thithke computer ke saamne se gujar gaya.

-----------------------------------

kursi par baithe mr. Gardner bahut dhyaan se theek apne saamne vaali deewar me parakt huyi ek choti si screen dekh rahe the. ekaek hi screen par do naam ubhre, Alfaanse, Irvin.
padhne ke baad mr. Gardner santusht ho gaye, ve jaante the ki jis kshan ye naam screen par ubhar rahe hai, ushi kshan Alfaanse aur Irvin gallery me rakhe computer ke saamne se gujar rahe hai aur ve sachmuch Alfaanse aur Irvin hi hai aur unke makeup me aur koyi nahi hai.
Gardner ne daraaj kholi.
daraaj ke andar poora ek switchboard tha, prateyek switch par a se z tak ke akshar likhe huve the, yaani un switches ki sankhya 26 thi, unhone a button dabaya.
screen se na keval Alfaanse aur Irvin ke naam gaayab ho gaye, balki ek ispaat ka shutter bhi screen par dhak gaya, ab bilkul nahi lagta tha ki us ispaat ke peeche koyi screen hai.
shutter deewar ka hi ek hissa tha.
Gardner ne b switch on kiya, ek anya shutter hata aur vaha ek choti si screen najar aane lagi, mr. Gardner ki drishti us screen par atak gayi.
do minute baad kaksh ke andar bell bajne ki aawaj goonji.
Gardner ne c switch on kar diya.
ab screen par Alfaanse aur Irvin ke chitra ubhar aaye. kaksh ka darvaaja band tha lekin screen ke maadhyam se mr. Gardner darvaaje par khade un dono ko spasht dekh rahe the.
kuch der tak vo dhyaan se unhe dekhte rahe, fir unke dwara b aur c switch off karte hi screen ispaati shutter ke peeche chup gayi aur d button on karte hi darvaaja sarsarakar jameen me sama gaya.
ab Irvin aur Alfaanse unke saamne the.
" aao " Gardner ne muskuraate huve kaha.
office ko bahut dhyaan se dekhte huve Irvin ka haath pakde Alfaanse us tankinuma kaksh me daakhil ho gaya, chaaro taraf dekhta hua vah mej ke sameep pahuch gaya.
muskuraate huve Gardner ne poocha," kya dekh rahe ho bete "
" ajeeb office hai aapka "
" kyo, aisi kya vichitrata najar aa rahi hai tumhe isme " Gardner muskura raha tha.
" deeware, chatt tatha farsh aadi sabkuch eant aur pattharo ka nahi balki ispaat ka bana hua hai, dekhne me ye office lohe ki ajeeb si tanki najar aata hai "
" suraksha jaroori hai bete "
" itni kadi suraksha kis cheej ke liye ki gayi hai "
" tum is office ko saare London ka strongroom keh sakte ho, un banks ke khaato me jitne dollar darj hai, vah saara cash yaha rakha jaata hai, arbo-kharbo dollar, aur us doulat ke liye hi itni kadi suraksha ki gayi hai "
" oh " Alfaanse santusht sa najar aaya.
" baitho "
" m..magar daddy yaha kursi to ek hi hai "
" tum khadi raho, is ek kursi ka matlab hai ki is office me humse ek samay me keval ek hi aadmi mil sakta hai, tum baitho bete "
baithte huve Alfaanse ne poocha," fir aapne hum dono ko andar kyo bula liya "
mr. Gardner ke hontho par ek chanchal muskuraahat ubhar aayi, bole," yeh sochkar ki tum me se kisi ek ko bulaane se shayad vah samasya hal nahi hogi jiske liye tum yaha aaye ho "
" k..ktya matlab " Alfaanse chounk pada.
" tumhaare yaha aane se hum samajh sakte hai ki tumhaare beech me fir jhagda ho gaya hai, faisla karvaane hamare paas aaye ho aur faisla kisi ek ki gair-maujoodgi me nahi ho sakta "
" offofh daddy, aap bade vo hai " Irvin ne pair patke.
apni beti ki is ada par mr. Gardner thahaka lagakar hans pade jabki Afaanse ne kaha," aapne bilkul vipreet anumaan lagaya hai daddy, hum yaha jhagde ki vajah se nahi balki isliye aaye hai kyonki hamare beech sulah ho gayi hai "
" sulah "
" ji haan "
" to fir yaha aane ki jaroorat kyo pad gayi, jab miya-bivi raaji hai to isme kaaji kya karega, ghumo-firo, enjoy karo "
" ushi ki to aapse ijjajat lene aaye hai "
" hum samjhe nahi, pati-patni ko enjoy karne ke liye bhala kisi ki ijjajat lene ki kya jaroorat hai, tumhaari umra hai, majey karo "
" baat darasal ye hai dad ki humne chaar-paanch din ke liye kisi hill station par jaane ka faisla kiya hai "
" oh, to ab London me aapka enjoyment bhi nahi hoga "
" hamara program aaj hi nikalne ka hai isliye yaha aakar aapko inform karne ki jaroorat aan padi, varna inform kiye bina jaana theek nahi tha na "
" vah to theek hai lekin "
Irvin beech me tapki," lekin kya "
" lagta hai ki sulah kuch jyada hi jordar ho gayi hai " Gardner ne kaha aur fir swayam hi is tarah thahaka lagakar hans pade jaise unhone koyi shaandaar chutkula sunaaya ho.
Irvin pair-patakti hi reh gayi.
hanste huve Gardner ne kaha," jaao bhai, jaao. khoob ghumo-firo, hum to chahte hi ye hai ki tum dono khush rahi, itni si baat ke liye yaha aakar tumne apna samay barbaad kiya hai, hamari ijjajat to tum phone par bhi le sakte the "
Alfaanse sochne laga tha ki kahi uske yaha aagman par Gardner kisi prakar ka shak to nahi kar raha hai. kahi yaha aakar usne galti to nahi kar di, magar kam se kam ek baar yaha aana aur is office ki bhougolik stithi dekhna uske liye nitaant jaroori tha.

--------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


bank sansthaan ke baahar porch me unki gaadi khadi thi, baahar nikalkar ve gaadi me pahuche, Alfaanse driving seat par pahucha aur Irvin uski bagal me, porch se gaadi nikalkar Alfaanse ne abhi sadak par nigaah daali hi thi ki Irvin ne bade hi pyar se pukara," aashu "
jaane kaha khoye Alfaanse ne hukaar si bhari," hu "
" kya tum pehle bhi kabhi daddy ke office me aaye the "
" n..nahi to " Alfaanse ekdum chounk pada," k..kyo "
" to fir tumhe kaise maalum pad gaya ki imarat ke andar daddy ka office kidhar hai, darvaaja paar karne ke baad tumhe kisi guide ki jaroorat nahi padi, seedhe office me pahuch gaye "
Alfaanse ke dimaag me ek visfot sa hua.
haath-pair sunn se pad gaye aur ek hi pal me paseene ki dher saari boonde uske chehre par ubhar aayi. nischay hi vah ek bahut badi galti kar chuka tha, aisi galti jo sirf uski laaparvaahi ki vajah se hi huyi thi magar vah Alfaanse hi kya jo apne aantrik bhaavo ko chehre par ubharne se na rok paaye, usne ek thahaka lagaya, bola," tum bhi kamaal ki baat karti ho Irvi, kya tumne nahi dekha tha ki ek guard ne ishaare se mujhe bata diya tha ki daddy kidhar baithte hai "
" m..maine to nahi dekha "
" bas, isliye to chakkar khaa gayi "
is prakaar ki do-chaar baatein mila kar aur is vishay ko hansi me udaakar usne Irvin ko to santusht kar diya, lekin uske dil-o-dimaag me mukhya samasya Irvin nahi, khud Gardner aur ve paanch guards the jinki duty mukhya darvaaje par rehti hai.
vah ye sochkar pareshaan tha ki jo baat Irvin ke dimaag me aayi hai vahi baat yadi un paancho me se kisi guard ke ya swayam Gardner ke dimaag me aayi hogi to.
Irvin ki tarah vah aur kisi ko sntusht nahi kar sakega..
Alfaanse ko maanna pada ki vah is ek halki si laaparvaahi ki vajah se bahut badi bhool kar chuka hai.
fir bhi, jo ho chuka tha, Alfaanse ushe vaapis nahi laa sakta tha. haan, man hi man usne ye nischay jaroor kiya tha ab vah prateyek pal sajag rahega, ek pal ke liye bhi laaparvaah nahi hoga, aise bhoolein laaparvaahi me hi hoti hai aur jis mission par vah kaam kar raha hai, halki si bhool bhi us mission ko chinn-bhinn kar sakti hai.
baahar jaane ka ye program usne Merlin ke roop me Bond ko pehchaanne ke baad banaya tha.
ishi tarah ke vichaaro me khoya hua vah gaadi ko kothi me le gaya.
agle 5 minute ke baad kothi ke andar un dono ke kisi hill station par jaane ki taiyaari ho rahi thi. is taiyaari me dusre naukaro ke saath Merlin bhi juta hua tha.
Merlin ki najro se drishti bachakar Alfaanse kayi baar ushe dekh chuka tha aur ab to ye kehna chahiye ki Alfaanse kisi se bhi Merlin ke Bond hone ki shart laga sakta tha.
usne Merlin ke chehre par apne baahar jaane ki pratikriya swaroop utpann hone vaale bhaavo ko padhne ki koshish ki thi parantu ushe uske chehre par koyi vishesh bhaav najar nahi aaya tha.
aata bhi kaise, aakhir uska naam bhi James bond tha.
baahar jaane ka program Alfaanse ne Bond ki vajah se hi banaya tha, ye sochkar ki unke 4-5 din baahar jaane ki baat sunkar Bond bor sa hoga, sochega ki agar Alfaanse Kohinoor ke chakkar me hota to 4-5 din yu barbaad na karta, vo program usne Bond ke dimaag me ye baat bithaane ke liye banaya tha ki ab Alfaanse saadharan insaan aur accha pati bankar apni jindagi jee raha hai.
magar kaifiyat ye thi ki ek bathroom me khade Merlin ke munh se Bond ki aawaj nikal rahi thi, ek chote se transmitter par vah baar-baar keh raha tha," hello..hello mr. M "
" yes " dusri taraf se M ki aawaj ubhri.
" 007 reporting sir, over "
" report, over "
" aaj subah Alfaanse ne achanak hi Irvin ko saath lekar kisi hill station par jaane ka program bana liya hai, mujhe lagta hai ki ye program banavati hai. Alfaanse kisi khaas maksad se kahi jaana chahta hai. atah aap uske peeche kuch jasoos laga de jo uski pal-pal ki report mujhe dete rahe "
" vah kab jaa raha hai "
" taiyaariya jaari hai, mere khayaal se ek ghante me vo nikal jaayega "
" kis hill station par jaa raha hai "
" ye mujhe abhi tak pata nahi lag saka hai '
" theek hai, mai do secret agents ko uski nigrani ke liye niyukt kar deta hu aur haan, abhi tak tum kis nateeje par pahuche, kya tumhe lagta hai ki vo Kohinoor ke chakkar me hai "
" abhi mai koyi bhi dhaarna vyakt karne me asamarth hu "
" aisa kyo "
" kal raat aur aaj subah se us par barabar najar rakhe huve hu kintu usne koyi bhi aisi harkat nahi ki hai jisse mujhe lage ki vo Kohinoor ke chakkar me hai, parantu Irvin aur uski nok-jhonk se mujhe pata laga hai ki vah kal shaam apni gaadi Tames ki parking me khadi karke gayab hua tha, yahi rahsymayi ghatna hai "
" oh, ushe tumpar koyi shak to nahi hua na "
" filhaal to aisa nahi lagta "

Tames ke tal par pahuchne ke baad Ashraf ne khud ko ek bade patthar se jakadkar aaraam kiya tha aur fir tal ke kareeb ek gaj upar rehkar tal ke samanantar hi vah bahaav ke vipreet taira, kuch der ki koshish ke baad vah us sthaan par pahuch gaya jaha uske chaaro saathi pehle se hi maujood the.
paancho ke jism par gotakhori ke libaas the, peeth par oxygen clyinder aur aankho par gotakhori chashme. in chashmo ke maadhyam se ve apne aas-paas ki stithi ko bilkul saaf-saaf dekh sakte the.
ve log jaha ekatrit huve the, ye vahi sthaan tha jaha Vijay ne phosphorus se nishaan lagaya tha, nishaan abhi tak ushi tarah chamak raha tha.
nadi ki is deewar ke sahare ek moti aur majboot rassi ke sirey par bandhi vah drill machine latak rahi thi aur uske saath hi latak rahi thi 1524 volt ki ek battery jo chaaro taraf se ek water-proof kaagaj me band thi, machine aur battery bahaav ke saath-saath dheere-dheere hil rahi thi.
machine aur battery picchli raat ko raat ke andhere me hi rassi se baandhkar ek sthaan par latka di thi. is waqt ve ek vishaal patthar ki jad me baithe the.
paani is patthar ke upar se aur daaye-baaye se hokar gujar raha tha aur jaha ve baithe the vaha bahaav itna kam tha ki ve aaraam se bina kisi ka sahara liye baithe the. unke sameep baithkar hi Ashraf apni fooli saanso par niyantran haasil karne ki koshish karne laga.
dus minute baad achanak hi Vijay ne daaye haath ko mutthi ki shakal dekar angootha upar uthaaya aur jawaab me un chaaro ne bhi turant aisa hi kiya.
ye shaayad kaam shuru karne ka sanket tha kyonki agle hi pal Vikas ne rassi ka vah sira pakad liya jisme machine aur battery bandhi thi, fir vah nadi ki deewar ek sahare is rassi par chadhta chala gaya.
15 minute ki lagataar koshish ke baad Vikas us sthaan par pahuch gaya jaha is rassi ka dusra sira tha, ye sira deewar me bandhi teen vishaalkaay keelo me gada hua tha aur jaha ye keelein gadi huyi thi vaha se paani ki satah mushkil se ek foot upar thi.
ab rassi par latka vah in siro ko keelo se kholne me jut gaya.
kaamyab to vah ho gaya magar is kaam me ushe dus minute lag gaye the.
udhar neeche nadi ke tal me ve chaaro pehle se hi taiyaar khade the, rassi ke dheeli hote hi unhone machine aur battery ko sambhaal liya tha aur bahut hi aahista se ushe tal par rakha. upar rassi se keel ka sampark toot-te hi Vikas ke shareer ko ek jhatka sa laga parantu rassi ke is sirey ko usne chhoda nahi balki majbooti se pakde rakha.
Aasha aur Ashraf ne drill machine ko tal par rakha. ushe bahaav se saath behne se rokne ke liye unhe kaafi taakat lagani pad rahi thi.
Vijay aur Vikram ke haath me rassi thi jishe ve bahaav ke vipreet disha me kheench rahe the aur unhe bhi kaafi taakat lagaani pad rahi thi.
10 minute me unhone poori rassi kheench li.
rassi ke antim sirey ke saath hi Vikas bhi unke najdeek aa gaya tha. aur fir in paancho ne milkar drill ko uthakar vishaal patthar ki jad me rakha.
ab patthar ke saaye me machine aur battery aaraam se rakhe the.
Vijay ne apni gotakghori ke libaas ki jeb me se mote-mote taar nikaale aur fir baaki sab un uljhe huve taaro ko suljhaane me madad karne lage. battery ke dono plugo ke kareeb unhone do chote-chote chedd kiye. taaro ke nange siro ka sambandh un plugo se kiya, fir unhi taaro ke dusre siro ka sambandh machine se.
sambandh jodne ke baad unhone jaise hi battery on ki, halki si gadgadahat ke saath machine chaalu ho gayi aur usme laga ek foot vyaas ka drill viduyt gati se ghoomne laga, machine ko chaalu dekhkar sabhi ki aankhen chamakne lagi.
do minute tak machine chalti rahi aur fir Vijay ke ishaare se Asharf ke dwara battery off karte hi machine bhi band ho gayi.
is beech apni jeb se chaaku nikaalkar Vikas us lambi rassi ke 4 barabar tukde kar chuka tha aur ve chaaro tukde machine ki chaaro taango me baandh diye gaye the.
paancho ne milkar machine ko uthaaya ur us sthaan par le gaye jaha ki cross ka nishaan tha, tej bahaav ke kaaran apna kaam karne ke liye unhe na sirf aavashyakta se dugni-tiguni shakti lagaani pad rahi thi balki samay bhi jyada lag raha tha.
machine me lagi drill ki nok ko theek cross par rakha gaya.
machine unhone tal par tika di. 4 vyakti ushe vahi pakde khade rahe, Vijay machine ki ek taang me bandha rassi ka sira daayi taraf le gaya, jeb se ek vishaalkaay keel aur bhaari hathoda nikaala, keel deewar me gaadi aur fir rassi ka ye sira usne us keel me baandh diya.
is prakaar machine ke chaaro pairo se smabandhit rassi ke chaaro sirey 4 bhinn dishaao me baandhe gaye, ab bahaav ke saath machine ke behne ka koyi dar nahi tha.
atah chaaro ne machine chhod di.
bahaav ki vajah se abhi bhi machine thodi hil rahi thi.
Vijay ne tal par pade dher saaere chote-chote patthar uthakar machine ke pair ke chaaro taraf rakhne shuru kar diye. uske saathiyo ne bhi yahi kram jaari kiya to kuch der baad machine ke chaaro pair chote-chote pattharo se ghire huve the.
ab bahaav ke prabhaav se machine me halka sa bhi kampan nahi tha.
machine ko vahi chhodkar ve vishaal patthar ki jad me chale aaye, battery yahi rakhi thi, dono taaro ki madad se battery aur machine ka sambandh sthaapit tha.
Vijay ke ishaare par Aasha ne battery start kar di, paani me ghurr-ghurr ki hulki si aawaj goonjne lagi, machine chaalu ho gayi aur drill ghoomne laga aur ghoomta hua vah drill ab deewar me dhansne laga.
deewar se mitti nikalkar paani ke saath behne lagi, paani matmaila hone laga.
battery ke sameep, patthar ki jad me baithe paancho apne kiye ki kaarastaani dekhne lage, viduyt gati se ghoomta hua drill deewar me dhansta jaa raha tha.
ek ghante tak bina kisi vighn ke machine chalti rahi.
fir achanak hi machine ke chalne se utpann hone vaali aawaj me fark aa gaya. is parivartan ko mehsoos karke sabne prashanvaachak nigaah se Vijay ki taraf dekha.
Vijay ne haath badhakar battery off kar di.
machine band ho gayi.
fir vah tairta hua machine ke sameep pahucha, waterproof kaagaj ke upar se hi usne ek button off kiya. drill ek jhatke me deewar se nikalkar machine me sama gaya.
ab Vijay ko deewar me ek foot vyaas ka bhatt spasht najar aaya, jisme drill ke nikalte hi paani bar gaya tha, Vijay ne us bhatt me haath daala, kohni tak uski kalaayi bhatt me chali gayi.
bhatt ke andar vaale hisse me Vijay ko kisi patthar ka ehsaas hua.
spasht tha ki drill ke raaste me vah patthar aa gaya hai, isliye machine ke chalne se utpann hone vaali aawaj me fark aa gaya hai.
kaafi mehnat ke baad Vijay ne us patthar ko nikal liya.
button on karte hi drill punah ek jhatke ke saath bhatt me ghuss gaya, uske ghuste hi saara paani bhatt se baahar nikal aaya, udhar Vijay ne vahi se ishaara kiya aur idhar Vikram ne battery start kar di. machine punah chalne lagi aur drill apna kaam karne lagi.
ab machine se utpann hone vaali aawaj saamanya thi.

------------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply