'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


" tumne mujhe bahut acche samay par Bond ke kothi se chale jaane ki soochna di Hambrig " ek five star hotel ke ek cabin me baitha Alfaanse apne saamne

baithe Hambrig se keh raha tha," phone par tumhaari soochna milne ke baad hi maine London vaapis lout aane ki yojna bana li thi aur ushi raat 10 baje yaha

pahuch bhi gaya tha "
Hambrig ne poocha," us raat ko pahuchne ka koyi faayda bhi nikla master ya nahi "
" saara kaaam hi mai us raat ko kar saaka hu " Alfaanse ne dabe swar me bataya," ushi raat maine Gardner ki ghadi badal di aur us aakhiri kaksh ki chaabi ka

aks bhi le liya "
" v..very good master " Hambrig ki aankhe chamakne lagi.
" ab to saari chaabiyo ke aks ke aadhar par chaabiya ban rahi hai "
" tab to koyi baat hi nahi reh gayi master, aapki yojna kaamyaab hai "
Alfaanse dheeme se muskuraaya, bola," abhi sampoorn yojna ko safal nahi kaha jaa sakta Hambrig, haan, mai itna jaroor kahunga ki Kohinoor tak pahuchne

ke liye laghbhag aadha raasta to mai tay kar chuka hu aur isme koyi shak nahi hai ki ye safalta mujhe tumhaari madad ki vajah se mili hai "
" aisa mat kahiye master, mujhe to fakhr hai ki mai aapke kuch kaam aa raha hu "
" agar tum aage bhi aisi hi hoshiyaari aur khaamoshi se kaam karte rahe to hame kaamyaabi jaroor milegi "
" mai aapke hukum par sir tak kalam karane ko taiyaar hu master "
" Kohinoor ke prashth bhaag me aisa transmitter laga hai jo kisi ke haath ki ushma mehsoos karke hi on ho jaayega, uska sambandh prithvi ki parikrima kar

rahe us upgrah se hai jo 24 ghante control room me Kohinoor se sambandhit soochnaaye relay karta hai. hame aisa prabandh karna hai ki jab hum Kohinoor

ko uthaaye to upgrah computer ko koyi soochna relay na kare "
" mai samajhta hu master "
" good, mai aaj raat imarat ka picchla darvaaja khula rakhunga, tumhe theek ek baje andar aana hai aur seedhe Gardner ke kamre ke najdeek jaana hai, gallery

me khade hokar tumhe key-hole se Gardner ke kamre ka drishya dekhte rehna hai, us waqt mai poori taiyaariyo ke saath bed ke neeche hi chupa hounga "
Hambrig dhyaan se sun raha tha.
" ye tay nahi hai ki Gardner kis din control room me jaayega magar ye tay hai ki vah jis bhi din jaayega, raat ke do baje hi jaayega, atah tum teen baje tak

barabar kamre ki stithi dekhte rahoge, yadi Gardner control room me nahi jaata hai to mai teen baje bed ke neeche se nikal jaaunga, bas, tumhaari duty

khatam yaani ki tum imarat se baahar jaa sakte ho "
" aur jis raat Gardner control room me jaaye "
" key hole se tum dekh hi rahe hoge, ye bhi dekh loge ki uske saath mai bhi control room me gaya hu ya nahi, jis din mai uske peeche jaau, ushi din tumhe kaam

karna hai "
" kya "
" tum khaamoshi se sabkuch dekhte rahoge, Gardner laghbhag tees minute me control room ka chakkar kaatkar vaapis aa jaayega aur raatse band karke so

jaayega, us waqt mai control room me hi hounga aur tumhaara mukhya kaam mujhe control room se baahar nikalna yaani ki saare darvaaje kholna hai "
" ye kaam mujhe kitne baje karna hai "
" subah ke paanch baje, T.V. ko gadbad karne me mujhe do-dhaai ghante to lag hi jaayenge "
" theek hai master "
" darvaaje kholne se pehle tumhe Gardner ko behosh karna hoga, theek ushi dhang se jaise ki maine wristwatch badalane aur tabeej me chupi chaabi ka aks

lene ke waqt kiya tha, taaki subah jab vah uthe to yahi samjhe ki vah neend se jaaga hai "
" aap fikr na kare master "
" darvaaja kholne ke liye aavashyak phone number aur safe ke number to tumhe maalum hi hai "
" ji haan "
" o.k. Hambrig, mai chalta hu " Alfaanse uthta hua bola," aaj raat theek ek baje mulakaat hogi "

---------------------------------------

raat ke theek ek baje.
Gardner ki kothi ka picchla darvaaja aahista se khula, ek maanavaakriti ne andar kadam rakha, chust aur kaale libaas vaale ek anya vyakti ne uska swagat

kiya.
aane vaali aakriti ushe is libaas me dekhkar fusfusaayi," aap to bilkul taiyaar hai master "
" haan, darvaaja andar se band kar do "
Hambrig ne Alfaanse ke is aadesh ka paalan kiya, fir ve dono kadam se kadam milakar imarat ke androoni bhaag ki taraf badh gaye. jab ve gallery me

maujood maddhim prakash me se gujar rahe the tab Hambrig ne dekha ki Alfaanse ke jism par jo libaas tha vo bada hi vichitra sa tha, aisa ki jaisa usne pehle

kabhi nahi dekha tha.
aedi se choti tak ek hi libaas.
libaas kapde ka nahi balki lachakdaar rubber ka bana hua tha. is libaas ke ek sirey ne sir par cap ka roop liya hua tha to dusre ne pairo me joote ka.
yahi libaas haatho ke dastaane bhi bana hua tha.
taatparya ye hai ki is libaas ne Alfaanse ke chehre ke alawa shesh jism ke nakhoon tak ko bhi dhak rakha tha, is libaas ko Hambrig hairat se dekh raha tha.
gallery me se gujarte huve Alfaanse ne poocha," kya dekh rahe ho Hambrig "
" kya yahi vah libaas hai master, jiska ki aapne jikr kiya tha "
" haan, magar kyo "
" samajh me nahi aata ki isme aisi kya khaas baat hai, aapne kaha tha ki ishe pehankar koyi bhi vyakti sapaat deewar par chadh sakta hai, kisi kamre ki

chatt ke prashth bhaag par aaraam se kisi chipkali ki bhaanti ghoom sakta hai "
" haan "
" m..magar kaise, aisi kya visheshta hai isme "
Alfaanse ne apne dono haath uske saamne faila diye, haath ushi libaas se jude huve dastaano ke andar the, bola," dekho, chukar dekho Hambrig "
Hambrig ne uski hatheliyo par maujood rubber ko chukar dekha aur fir bola," are master, yaha to rubber naram nahi balki lohe ki tarah sakht hai "
" ye libaas rubber ki do patli-patli jhilliyo se banaya gaya hai, in dono jhilliyo ke beech me magnet ki shaktishaali patti hai "
" c..chumbak ki patti "
" haan, is paati me itni shakti hai ki apne se ek foot door maujood lohe ko aakarshit karti hai "
" m..magar lohe ko aakarshit karne se kya hota hai "
" aadhunik imarato me aajkal imarat ko majboot banane ke liye lohe ka prayog khoob hota hai, eant aur sement ke beech log loha lagvaate hai, is haath ko

agar mai aisi kisi bhi deewar par rakh du to ye vahi chipak jaayega. hatega tabhi jab mai kaafi taakat lagakar ishe hataunga, aur ye to tum jaante hi ho ki

lanter to tika hi lohe par rehta hai "
" yaani ye chumbak eant aur cement ke beech maujood lohe ko bhi aakarshit karta hai "
" beshak "
" k..kamaal hai master, aap bhi kya idea nikaal kar laaye ho "
" ab tum chup raho, vo saamne vaala kamra Gardner ka hi hai "
Hambrig ke man me kuch aur bhi kehne ya poochne ki lalak thi magar usne ushe apne master ke aadesh ki bhent chadha diya. ve Gardner ke kamre ke najdeek

pahuche.
Alfaanse ne key-hole se andar ka drishya dekha. fir seedha khada hota hua phusphusaaya," vah so raha hai, mai andar jaata hu "
" o.k. master "
Alfaanse ne jeb se chaabi nikalkar dheere se lock khola aur fir andar daakhil ho gaya, chaabi usne Hambrig ko hi de di thi jisse usne darvaaja punah band

karke lock laga diya tha. jab usne key hole se kamre ke andar jhaanka to Alfaanse dheere se Gardner ke bed ke neeche sama raha tha.
uske baad teen baje tak yahi stithi rahi.
teen paanch par Alfaanse bed ke neeche se nikalkar darvaaje ki taraf badha. idhar gallery me khade Hambrig ne key hole se ushe dekh liya tha, atah chaabi se

darvaaje ka lock khol diya.
bina kisi prakar ki aahat utpann kiye Alfaanse galeery me aa gaya.
picchle darvaaje se Hambrig ko vida karte waqt Alfaanse ne kaha," aaj ki raat to bekaar gayi Hambrig, kal try karenge "
" good night master " itna bolkar Hambrig vida ho gaya.
aur na keval ishi raat balki agli teen raat tak bhi yahi prakriya dohraayi jaati rahi, ek baje Hambrig aata, Alfaanse Gardner ke bed ke neeche samata parantu

Gardner meethi neend sota rehta, teen baje Alfaanse uske kamre se baahar nikal aata.
sava teen baje ke kareeb Hambrig Alfaanse ko good night kehkar chala jaata, is prati raat ki alaabhpoorn kriya se ve bor se hone lage the jabki uske hontho

par muskaan hoti thi jiski aankhe unki harkat ko pratiraat dekhti thi.
in aankho ko na to kabhi Alfaanse dekh saka aur na hi kabhi Hambrig.

----------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


paanchvi raat do baje ke laghbhag, prati raat ki tarah aaj bhi Alfaanse Gardner ke bed ke neeche chupa hua tha aur gallery me khada Hambrig anmanaya sa

khada kamre ke andar ka drishya dekh raha tha.
achanak hi bed par lete Gardner ne ek jamhaayi li, fir bed par pade-pade hi ek angdaayi li, Hambrig ki aankho me chamak si utpann ho gayi.
aur us waqt uski khushi ka thikaana hi na raha jab mr. Gardner bed par uthkar baith gaye, wristwatch me unhone samay dekha aur fir bistar se neeche utar

gaye.
pairo me sleeper daale, jisme par gown.
ab ve kamre me maujood safe ki taraf badhe.
kuch hi der baad Gardner ne safe khol li.
ab ve safe me rakhe ekmatra laal rang ke telephone se koyi number dial kar rahe the.
7 number dial karne ke baad unhone receiver vaapis credel par rakh diya.
haalanki is kriya ke karne se turant hi pratyaksh me hi koyi prtikriya nahi huyi thi, parantu Hambrig jaanta tha ki number dial karne ke baad receiver credel

par rakhte hi is kamre se attached bathroom ka toiletdaar farsh pani jagah se hil gaya hoga.
Gardner safe ko yathastithi me chhodkar bathroom ki taraf badh gaya aur fir vah Hambrig ki drishtiseema me na raha. haan, usne tabhi Alfaanse ko jaroor

furti ke saath Gardner ke bed ke neeche se nikalte huve dekha.
gajab ki furti ke saath Alfaanse palang par khada ho gaya.
ek baar usne key hole ki taraf dekhakar angootha done ke andaaj me dikhaaya aur bathroom ki taraf lapka, Hambrig ki aankhe khushi ke kaaran buri tarah

chamak rahi thi.

---------------------------------------

Alfaanse ne bathroom ke darvaaje ki daraar se kaan laga diya. bahut hi dhyaan se vah bathroom ke andar se ubharne vaali aahat ko sunne ka prayaas kar

raha tha.
is waqt ek-ek kshan bahut keemti tha.
yadi ek kshan pehle vah bathroom me pahuch jaaye to mr. Gardner ushe dekh sakte hai aur yadi ek kshan ka vilamb ho jaaye to raasta band ho sakta hai.
ushe theek us kshan bathroom ke andar pahuchna tha jis kshan mr. Gardner lohe ki seedhi ke beech vaale dande par ho, aur aahat sunne ke baad usne aisa hi

kiya.
bathroom me andhera tha.
raasta abhi khula hua tha, Alfaanse ne kaafi furti ke saath hatey huve raaste me pair latkaaye.
lohe ki seedhi ne uske pairo ko khud hi kheench liya.
Alfaanse ka saara jism andar sama gaya.
yaha ghupp andhera tha, Gardner ke tatol-tatolkar seedhiya tay karne se aawaj utpann ho rahi thi.
Alfaanse ne poori satarkta ke saath is andheri kothri ki chatt yaani ki bathroom ke farsh ke prashth bhaag par apne haath tikaaye, dheere se renga aur fir

uska saara shareer hi chatt se chipak gaya, theek kisi chipkali ke samaan kothri ki chatt par chipka hua tha vah.
fir ek jhatke se andheri kothri me prakash bhar gaya.
aisa tab hua tha jab seedhiya tay karte huve mr. Gardner ne antim seedhi ke dande par pair rakha. bulb roshan hone ke saath hi bathroom ka toiletdaar farsh

apni jagah sarak aaya.
raasta band ho chuka tha.
vah ek choti si kothri thi, kothri ke chatt aur farsh ke beech ki doori kaafi jyada yaani ki 20 foot thi. chatt par chipke Alfaanse ne dekha ki Gardner ko

dekhte hi kothri me maujood shashastra jawaan ne thokkar salute maara hai.
Gardner ne hukm diya," raasta kholo "
guard ne jeb se ek teen taango vaala plug nikalkar switch me fix kar diya, uske aisa karte ki kothri ki baayi deewar kisi shutter ki tarah jameen me dhans

gayi.
ab saamne thi, door tak chali gayi paanch feet choudi gallery, dono taraf deewaro se sate guards bilkul saavdhaan ki mudra me khade the. poori tarah

mustaid, gardan tak nahi hil rahi thi unki, chatt par lage bulbs ke kaaran vaha bharpoor prakash tha.
Gardner in guards ke beech se gujarta hua aage badhne laga.
udhar upar, yaani gallery ki chatt se chipka Alfaanse bhi theek kisi chipkali ke samaan hi apni yaatra tay karne laga, is waqt vah jabardast khatre se bhara,

bada hi romanchkaari khel khel raha tha, itne saare guards me se yadi kisi ki bhi drishti us par pad jaaye to.
mout nischit thi.
parantu guards me se kisi ki bhi drishti padne ki sambhaavna bahut kam thi kyonki ve kisi laathi ki tarah bilkul seedhe khade the, jab unki gardan tak nahi

hil rahi thi to bhala upar gallery ki chatt ki taraf kya dekhte aur fir un becharo ne to kabhi swapan me bhi nahi socha hoga ki koyi insaan chatt par chipkali

ke samaan bhi chal sakta hai.
neeche Gardner raasta tay karta raha aur upar Alfaanse.
haalanki Alfaanse kaafi teji se rengne ki cheshta kar raha tha parantu Gardner ke barabar tej chaal to uski ho hi nahi sakti thi. ek to farsh par chalne aur

chatt par rengne me vaise hi jameen-aasmaan ka fark hota hai, dusre, Alfaanse ko bahut si baato ka khayal rakhna tha.
jaise, aahat na ho, parchaayi na pade.
koyi sainik upar na dekh le.
vaise bhi, ek sthaan par chipke huve haath ko vaha se hatakar aage, dusre sthaan par chipkaane me ushe kaafi taakat lagaani pad rahi thi, kyonki ye kaam

lohe aur chumbak ke aakarshan ke viruddh tha.
khair, vah surakshit gallery ke baaye mod par mud gaya.
is mod par ek computer rakha tha, Alfaanse jaanta tha ki is computer ke saamne se gujarne ka matlab tha ki control room ki ek screen par apna naam relay

kar dena.
magar Alfaanse ko computer ki parvaah nahi thi.
ye sochkar Alfaanse ke hontho par muskaan tair gayi ki in logo ne ye baat swapan me bhi nahi sochi hogi ki koyi vyakti is computer ke aage se gujre bina bhi

control room tak pahuch sakta hai.
mr. Gardner computer ke saamne se kaafi pehle hi gujar chuke the.
vah maanav chipkali bade aaraam se computer ke upar se gujar gayi.
bechaare shashastra guards aise khade the jaise ki apne beech me se kisi vaanchit vyakti ko gujarne hi nahi denge aur isme koyi shak bhi nahi tha, apne beech

me se ve kisi ko bhi gujarne dene vaale nahi the.
haan, upar ka theka to unhone nahi liya tha na.
Alfaanse teji se parantu poori satarkta ke saath rengta chala gaya, sheegra hi usne ek falaang ki doori tay kar li aur ab vah ispaat ki us deewar ke sameep

pahuch gaya, jisse ye gufa yaha band ho gayi prateet hoti thi.
vah jaanta tha ki is deewar ke paar control room hai.
vah ye bhi jaanta tha ki mr. Gardner is waqt ishi deewar ke paar honge, control room me pravisht hone ke liye Alfaanse ke saamne deewar hatne tak ka

intjaar karne ke alawa koyi aur chaara nahi tha aur vah jaanta tha ki ye deewar ab tabhi hategi jab Gardner control room se baahar aayega.
Alfaanse ko bahut jyada der prateeksha nahi karni padi.
paanch minute baad hi hulki si gadgadahat ke saath vah ispaat ki deewar kothri ki deewar ki tarah hi jameen me sama gayi.
mr. Gardner control room se baahar nikle.
Alfaanse teji se rengkar us sthaan ko paar kar gaya jaha thodi hi der baad ispaat ki us deewar ne aakar vaapis fix ho jaana tha. atah kehna chahiye ki ab vah

control room ki chatt par chipka hua tha.
control room me maujood paanch vyaktiyo me se usne ek ko button off karte dekha, ye button off hote hi hulki si gadgadahat ke saath ispaat ki deewar

punah apne sthaan par fix ho gayi.
ab Alfaanse ko un paancho me se kisi ek ke dwara khud ko dekh liye jaane ka poora khatra tha, kyonki ve gallery me khade guards ki tarah saavdhaan

mudra me nahi the.
vah jis sthan par tha, sehmi huyi chipkali ki tarah vahi chipka raha.
haalanki is baat ke liye vah taiyaar hokar aaya tha ki kisi ke dwara dekh liye jaane par kya karna hai parantu vah stithi bahut hi bhayavah thi, uska asli

maksad to bas upgrah se sambandhit T.V. me choti si takneeki kharaabi karke khaamoshi ke saath vaha se nikal jaana tha.
control room kaafi bada tha, haal jaisa.
vaha maujood paanch me se chaar vyakti kursiyo par baithe the aur ek un chaaro ke saamne rakhi chaaro screens ko baari-baari se dekh raha tha, Alfaanse

samajh gaya ki ye paanchva vyakti hi in screens ki jaankaari rakhne vaala engineer hai.
hall ke ek kone me single bed pada tha, jaise kisi ke letne ke liye ho aur bed Alfaanse ke praan sukhaaye de raha tha. vah jaanta tha ki yadi is bed par koyi let

gaya to uski seedhi najar chatt par padegi aur.. bantadhaar.
ishi vajah se Alfaanse jaldi se jaldi chatt chhodkar control room ke kisi kone me chup jaana chahta tha. ek safe ke peeche chupne ke liye ushe uchit jagah najar

bhi aayi parantu vaha tak pahuchna aasaan nahi tha.
atah vah dhyaan se screen ko dekhne laga.
ek screen par prithvi ki parikrima karta huva ek upgrah bilkul saaf najar aa raha tha, macchli ke aakaar ka upgrah tha vah, kayi antriksh pind bhi najar aa

rahe the.
computer se sambandhit screen bilkul khaali thi.
alarm khaamosh pada tha aur signal dene vaali screen par lagataar ting-ting ki aawaj ke saath hare rang ki bijli si koundh rahi thi. bas ushe ishi set me

gadbad karni thi. sirf itni ki ye hari bijli laal me na badle aur ting-ting ki jagah ping-ping ki aawaj na nikalne lage.
khatre se nibatne ke liye usne chust libaas ki jeb me haath daala aur jab baahar nikala to usme ek silenceryukt revolver tha. chumbkeeya shakti ke kaaran

revolver nikalne ke liye bhi ushe kaafi shram karna pada tha.
ab usne dheere-dheere rengna shuru kar diya.
lakshya vah kona tha jidhar vah safe rakhi thi.
alarm ke saamne baithe vyakti ne kaha," tum leto yaar Richard "
" soch raha hu ki ek baar sabhi seto ko check kar lu "
" tumhe bhi yaar, beemari hai kaam karne ki " upgrah se sambandhit screen ke saamne baithe vyakti ne kaha," seto ko bhala kya hua hai, theek-thaak to chal

rahe hai "
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

" bhai richard ke to majey hai " computer vaali screen ke saamne baithe vykati ne pehle vyakti ka samarthan kiya," saala duty time me bhi bistar par aaraam se

sota hai, ek hum hai ki is kursi se hil tak nahi sakte "
Richard hansa, bola," tum bhi engineering paas kar lete, majey me rehte "
sabhi hans pade.
computer se sambandhit screen par Gardner ka naam ubhra.
" lo " saamne baithe vyakti ne kaha," boss computer ke saamne se gujar gaye hai "
" yaar ye boss bhi ajeeb aadmi hai, chahe jis raat uthkar yaha chala aata hai, bekaar me hi apni neend kharaab karta hai, control room me itni suraksha hai,

yaha kya gadbad ho sakti hai "
" kuch log paida hi hamesha pareshaan hone ke liye hote hai " Richard bola," mai to sota hu, koyi pareshaani ko to jaga dena "
kehne ke baad jab vah bed ki taraf badha to Alfaanse ke praan khushk ho gaye.
unme se ek ne majaak me kaha," kuch log paida hi sone ke liye hote hai "
" aur kuch log chidhne je liye " Richard ne turant kaha.
baaki chaaro thahaka lagakar hans pade aur Richard bed ke sameep pahuch gaya, Alfaanse ki saanse tak ruk gayi.
apna sampoorn jism sunn sa padta hua meehsoos huva ushe.
Richard dhamm se bed par pasar gaya.
Alfaanse ko laga ki bas agle hi pal gadbad ho jaayegi, daant swayam hi bhinch gaye uske, revolver par pakad swayamev hi kasti chali gayi.
parantu Richard ne let-te hi aankhe band kar li thi.
Alfaanse ne bhagvaan ka shukriya ada kiya hi tha ki..
" Richard " unme se ek ne pukara.
aankhe band kiye hi Richard ne poocha," kya hai "
" jara dekhna, lagta hai ki meri screen par light kuch kam aa rahi hai "
Richard ne aankhe khol di.
aur kayamat ka kshan aa gaya, vahi ho gaya jiska dar kaafi pehle se tha.
aankhe khulte hi Richard ki najar Alfaanse par padi, ek insaan ko chatt par chipka dekhkar uski aankho me hairat ke bhaav najar aaye aur vah paaglo ki

tarah cheekha," are, tum koun ho "
baaki chaaro ne bhi ek jhatke ke saath chatt ki taraf dekha.
ek saath chaaro ek kanth se cheekhe nikal gayi.
hadbada se gaye ve, Richard bed se ucchalkar khada ho gaya.
Alfaanse samajh gaya tha ki ab stithi uske kaabu se baahar ho gayi hai, alarm vaali kursi ke saamne baitha vyakti teji se uthkar alarm ki taraf lapka,

magar....
pitt, Alfaanse ke haath me dabe revolver se shola nikla, goli shikaar ke sir me dhans gayi, vah lehrakar gira, Richard sahit baaki chaaro cheekhe, parantu ab

Alfaanse ke revolver ne lagtaar teen shole uagle.
Richard ke teeno saathi lehrakar farsh par gire.
bacha hua Richard buri tarah aatankit ho gaya, vah us switch ki taraf douda jisse control room aur gallery ke beech ki ispaati deewar hatni thi.
" thahro Richard, varna mai tumhe bhi goli maar dunga " Alfaanse gurraya.
Richard jaha ka taha thithak gaya.
" koshish karne ke baavjood bhi tum us switch tak nahi pahuch paaoge kyonki switch abhi door hai aur mujhe trigger dabane me ek pal bhi nahi lagega "
Richard ki aankho me mout ka khauf ubhar aaya, chehra aisa ho gaya jaise varsho se beemaar ho, hatprabh, aatankit aur ghabraaya sa vah chatt ke saath

chipke us mout ke doot ko dekh raha tha, jisne ek minute se kuch pehle hi uske chaar saathiyo ko khatam kar diya tha.
ab ushi revolver ka rukh uske seene ki taraf tha.
" haath upar utha lo " Alfaanse ne agla aadesh diya.
paalan karne ke alawa Richard ke paas koyi chaara nahi tha so haath upar utha liye usne. taange kaanp rahi thi uski, kuch aise andaaj me ki jaise jyada der

tak uska bojh nahi sambhaal paayengi.
chatt par chipke Alfaanse ne apne pair sikode, dono pair chatt par maare aur agle hi pal vah revolver taane apne pairo par Richard ke saamne khada tha.
" a..aap to boss ke daamaad Alfaanse hai na " chakit Richard ke munh se nikla.
" theek pehchaana tumne, mai Alfaanse hi hu, antarrashtriya mujrim "
Richard ki jeebh taalu se chipakkar reh gayi, Alfaanse ke uprokt vaakya se hi vah samajh gaya tha ki vah vaha kis maksad se aaya hai.
Alfaanse ne ushe ek kursi par baithne ke liye kaha.
vah baith gaya.
" yadi tumne mere sawalo ka sahi-sahi jawaab diya aur vah karte chale gaye jo mai chahta hu to vaada karta hu ki tumhe jinda chhod dunga aur agar tumne

jhooth bola ya aanakaani ki to tumhaare baaki saathiyo ki tarah tumhaari laash bhi ishi control room ke farsh par padi hogi "
Richard ki drishti barbas hi apne un saathiyo ki taraf uth gayi jo kuch der pehle hi uske saath hans-bol rahe the, thahake laga rahe the, Richard ka halak

sookhta sa chala gaya.
Alfaanse ne kaha," museum ke theek neeche Kohinoor rakha hua hai, museum ke hall me is Kohinoor ka matra pratibimb najar aata hai jishe dekhne vaale

Kohinoor samajhte hai. jaha asli Kohinoor rakha hua hai vaha ke liye Tames ke kinaare bane bank sansthaan naamak imarat se raasta jaata hai, balki kehna

chahiye ki is imarat ke us ispaati hall se jisme Gardner ka office hai, hai na "
" j..ji haan " Richard aise bola jaise ki uske gale me kuch fans gaya ho.
" ye sab maine tumhe isliye bataya hai taaki tum samajh jaao ki mujhe sabkuch pata hai aurr mujhse jhooth bolne ki himmat na karo " us waqt Alfaanse ka

lehja bahut hi sakht tha," Kohinoor ke prashth bhaag me ek aisa transmitter laga hai jo kisi insaan ki haath ki ushma se hi on ho jaayega, us transmitter ka

sambandh is kamre me upgrah par najar rakhne vaali is screen se hai, udhaar koyi Kohinoor ko haath lagayega aaur idhar transmitter control room me

soochna relay kar dega "
" j..ji haan "
" kaise, yaani ki upgrah ke soochna dene ka andaaj kya hai "
" u.. us screen par jisme aapko reh-rehkar hari bijli chamakti najar aa rahi hai aur jisse nikalne vaali ting-ting ki aawaaj aap sun rahe hai usse nikalne vaali

roshni ka rang laal ho jaayega aur ping-ping ki aawaj aane lagegi "
" very good " Alfaanse ne kaha.
ye sawaal usne Richard se ye bhaanpne ke liye kiya tha ki uske aatank se ghira vah sach bolta bhi hai ya nahi. vaise ushe upgrah ke soochna dene ka andaaj

pehle se hi maalum tha, ab ushe ghoorte huve Alfaanse ne aage kaha," mai sirf ye chahta hu ki jab koyi Kohinoor ko haath lagaye to uski soochna is control

room me relay na ho "
" y..ye bhala kaise hoga "
" haath lagate hi transmitter on hoga, soochna upgrah par pahuchegi, aur upgrah bhi us soochna ko control room ke liye relay karega parantu screen par na hi

to laal bijli chamkegi aur na hi aawaj badlegi, screen par poorv ki bhaanti hari bijli hi chamakti rahegi "
" jab upgrah soochna dega to screen par laal bijli to chamkegi hi "
" kyo chamkegi "
" T.V. system hi aisa banaya gaya hai "
" us system ko hi khatam kar dena hai "
Richard dekhta reh gaya ushe, Alfaanse ka matlab samajhne ke baad vah bolne tak ki himmat bhi nahi kar paaya.
" bolte kyo nahi " Alfaanse gurraya.
" m..mai kya bolu "
" ye mat samajhna ki engineering se sambandhit jaankaari mujhe nahi hai, yadi tum mujhe na dekhte to jis tarah khaamoshi se mai yaha pahcha hu ushi tarah

khaamoshi se set me takneeki gadbad karke yaha se nikal jaane ke liye aaya tha, lekin tumhaare dekh lene se meri saari yojna choupat ho gayi aur isliye mujhe

in sabko maarna pada "
ek baar fir Richard ki drishti un laasho ki taraf uth gayi.
" ab system me ye takneeki gadbad tum apne hatho se karoge "
" m..magar isse aapko kya laabh hoga, ve mujhse ya kisi anya engineer se ye gadbad fir se durust karva lenge "
" bhale hi kara le, magar is beech me mera kaam ho chuka hoga "
" magar iski kya guarantee hai ki tum mujhe jinda chhod doge "
" uthkar set ke paas chalo " Alfaanse ne uski baat par dhyaan diye bina kaha.
bechaara Richard.
kya karta.
jindagi sabko pyaari hoti hai aur ushe to kuch jyada hi jisne kuch der pehle hi apne hanste-khelte dosto ko tadapkar marte dekha ho.
ve T.V. set ke peeche pahuch gaye, Richard ne dhakkan khola, machine saamne thi, Alfaanse un hajaaro purjo me se ek-ek ko dhyaan se dekhne laga, Richard

ne ek valve ki taraf sanket karke kaha," is valve ki vajah se laal bijli chamkegi "
valve ke nichle sirey par ek taanke dwaara ek wire juda hua tha, Alfaanse ki najre is taar par jud gayi. anya purjo aur taaro ke beech me se hota hua vah ek

anya valve se taanke dwara juda hua tha.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

Alfaanse ne ushi valve ki taraf sanket karke poocha," ye valve kya karta hai "
" ping-ping ki aawaj ishi valve se niklegi "
" good, yaani ki agar ye dono valve fuse kar diye jaaye to screen par na to laal bijli chamkegi aur na hi ping-ping ki aawaj niklegi "
" ji "
" very good " kehne ke saath hi Alfaanse ne apne libaas ki jeb se ek chota sa thaila nikala, is thaile me T.V. set ke funke huve valve, bekar doriya aur kuch

kharaab ho chuke purje the, us saamaan ko Richard k saamne failakar vah bola," ve dono valve nikal lo aur unki jagah inme se vaise hi dikhne vaale valve

laga do "
Richard apne kaam me jut gaya, revolver jo sir par thi.
valve baadalne me ushe 45 minute lage.
jab vah fuse valve lagaane ke baad un dono ko jodne vaala wire vaapis lagaane ki taiyaari kar raha tha, tab Alfaanse ne kaha," thahro, vah nahi ye wire

lagao "
Richard ne vo wire apne haath me le liya jo Alfaanse ne uski taraf badha rakha tha, dekhne me ye bhi ushi wire jaisa tha jaisa ki set me laga hua tha, Richard

ne kaha," is wire me aisi kya khaas baat hai "
" is bekaar ki baat me tum mat pado, bas vahi karo jo tumhe kaha jaa raha hai "
Richard ne taanke dwara vahi wire un dono valve ke beech me laga diya. Alfaanse ne apne anya saamaan ke saath set se nikaale gaye valve aur wire bhi

vaapis apne thaile me daal liye aur thaila vaapis apne libaas me.
Richard ne T.V. ka dhakkan laga diya.
Alfaanse ghoomkar screen ke saamne pahucha, screen par reh-rehkar hari bijli chamak rahi thi aur vaha ting-ting ki aawaj goonj rahi thi.
Alfaanse ke hontho par muskaan tair gayi.
usne apni wristwatch me nigaah daali, saadhe teen baj rahe the, scheme ke mutabik Hambrig ne do ghante baad raasta kholna tha. atah kothri vaali deewar

tak jaane ke liye uske paas dedh ghanta tha, usne Richard se kaha," kya tumhaari samajh me ab bhi nahi aaya ki maine vah wire kyo change karvaaya "
" nahi "
" vah wire funka hua hai yaani ki usme se current paas nahi hoga "
Richard ke chehre par anayaas hi muskaan ubhar aayi jaise ki Alfaanse ne koyi bachkaani baat keh di ho, bola," jab valve hi fuse hai to current banega hi nahi

aur jab current banega hi nahi to uske paas hone ka sawaal hi kaha se paida hota hai, funke huve ki jagah agar theek wire bhi hota to bhi kya fark padna

tha "
" bahut fark padna tha Richard "
" mai kuch samjha nahi "
" ye jo laashe yaha padi hai, inhe dekhkar koyi bhi ye samajh sakta hai ki koyi yaha aaya tha " Alfaanse ne badi hi gehri muskaan ke saath kaha," aur dekhne

vaale ye bhi anumaan laga lenge ki aane vaala kis maksad se aaya hoga, atah is set ki jaanch-padtaal ki jaayegi, dono fuse valve thodi se jaanch ke baad hi

saamne aa jaayenge, kyonki fuse valve baahar se hi chamakta hai. jaanch karne vaala samajh jaayega ki ye fuse valve lagaane ke peeche lagaane vaale ka kya

maksad hai aur unki jagah punah theek valve laga diye jaayenge. bas, kaam khatam, wire ki taraf kisi ka dhyaan nahi jaayega kyonki baahar se dekhne se

pata nahi lagta ki wire fuka hua hai ya nahi. us stithi me jab koyi Kohinoor ko haath lagayega to dono valve to apna kaam karenge lekin current paas nahi

hoga aur nateeja, than-than gopal "
" l..lekin kisi engineer ko wire par bhi to shak ho sakta hai "
" nahi hoga, kyonki ushe sirf valve hi fuse dikhenge, tumhaari tarah hi vah bhi sochega ki fuse valve lagane ke baad bhala kisi ko set me gadbad karne ke liye

wire se chhedkhaani karne ki kya jaroorat hai "
Richard ko maanna pada ki vah aadmi bahut door tak ki soch raha hai.
" haqikat sirf tum jaante ho aur kisi ko batane ke liye tum bhi jinda nahi bachoge "
" k..kya matlab " Richard ekdum is tarah se ucchal pada jaise kisi bicchu ne dank maar diya ho.
badi hi kroor muskaan ke saath kaha Alfaanse ne," maine vahi kaha hai, jo tumne suna "
Richard ke chehre par mout ka saaya naachta hua spasht najar aa raha tha, haath uthakar usne cheekhna chaha par beraham Alfaanse ki revolver se goli

nikalkar uske khule huve munh se hoti huyi halak ke raaste se rooh ko saath liye sir ke peeche se baahar nikal gayi.
nashvar shreer kate vriksh sa gir gaya.

---------------------------------------

kaafi lambi prateeksha ke baad Hambrig ki wristwatch me saadhe 4 baje. picchle teen ghante se ushe ishi pal ki parteeksha thi, isliye usne jaldi se keyhole se

aankh satakar dekha, mr. Gardner poorv ki bhaanti gehri nidra me leen the.
Hambrig ne jeb se chaabi nikalkar darvaaja khola.
kamre ke andar aakar usne bina koyi aahat utpann kiye hi lock andar ki taraf se laga diya aur chaabi jeb me daalta hua dabe paanv bed ki taraf badha.
ushe acchi tarah se maaulm tha ki ushe kya karna hai, vahi sabkuch karne ke liye hi to vah picchle paanch raato se yaha aa raha tha aur usne samjha tha ki jo

kaam Alfaanse master ne ushe sounpa hai vah bahut saral hai, kintu jab is kshan vah bed ki taraf badh raha tha, ushe mehsoos hua ki ye kaam bahut kathin

hai.
dimaag me na jaane aakar kaha-kaha se ajeeb si shankaaye rengne lagi.
aur kuch bhi nahi to dimaag me ye vichaar hi badi teji se koundha ki is waqt Gardner jaag gaya to kya hoga, is vichar ne ushe nervous sa kar diya.
maathe par paseene ki boonde ubhar aayi aur dil swayam hi bekaabu hokar jor-jor se dhadakne laaga. bed ke sameep pahuchne tak vah dar uske dil me kuch is

kadar baith gaya tha ki apni saanse tak rok li thi usne.
usne jeb se rumaal aur sheeshi nikaali.
jis waqt usne sheeshi se do boond taral padarth rumaal par daala us waqt na keval uske dono haath balki taange bhi buri tarah kaanp rahi thi aur ishi

ghabrahat ka nateeja tha ki uske haath se sheeshi chhut gayi.
patt ki aawaj ke saath sheeshi farsh par giri.
Hambrig boukhla gaya jabki is aawaaj ne Gardner ki neend bhi tod daali, ve ekdum hadbadaaye se uthkar khade hote huve bole," koun ho tum "
Hambrig ko kaato to khoon nahi.
murkho ki tarah bhaad sa munh faade vah Gardner ki taraf dekhta hi reh gaya.
" bolo " is baar Gardner cheekh pade," koun ho tum "
Hambrig statue sa khada tha, dimaag kund ho gaya tha uska, paseene se lathpath vah theek se soch bhi nahi paa raha tha ki vah kya kare.
ekaek hi Gardner apne takiye ki taraf lapka aur yahi vah kshan tha jab Hambrig ke dimaag me badi teji se ye vichaar koundh gaya ki takiye ke neeche

Gardner ka revolver hoga aur ab agle hi pal vah ushe shoot karne vaala hai.

is vichaar ne Hambrig ke jism me na jaane kaha se itni furti bhar di ki vah kisi cheete ki tarah Gardner par jhapat pada.
Gardner sambhal bhi nahi paaya tha ki usne apna rumaal vaala haath uske munh aur naak par rakh diya. sach ye hai ki jo bhi hua vah Hambrig ne karna

nahi chaha tha, hadbadahat ki vajah se khud ba khud ho gaya tha aur hone ke baad uske dimaag me ye baat koundhi ki jo hua hai theek hi hua hai aur ye

baat dimaag me aate hi usne apni pakad sakht kar di, munh par rakhe haath ka kasaav badhaata hi chala gaya vah.
Gardner uski sakht pakad se nikalne ka bharpoor prayatn kar raha tha lekin sach baat to ye hai ki vah kisi bhi prakaar se sharirik shakti me Hambrig ki

takkar ka nahi tha.
atah ye kehna chahiye ki bandhano se nikalne ke prayaas me vah chatpata maatra raha tha.
idhar, sharirik shakti me Gardner se kayi guna jyada hone ke baavjood Hambrig chor hone ki vajah se maansik roop se kamjor tha aur ushe ye dar bhi tha ki

yadi Gardner uski pakad se nikal gaya to na keval master ki saari yojna yahi bikharkar chinn-bhinn ho jaayegi, balki mouka milte hi Gardner ushe maar

daalega.
ishi dar ki vajah se vah apni pakad ko sakht aur sakht karta chala gaya aur antim parinaam ye nikla ki mr. Gardner rumaal me lagi dava ki vajah se behosh

ho gaye.
haan, behosh hone se poorv vo bed se neeche gir gaye the.
unke behosh hone ke baad bhi ghabraaye huve Hambrig ne ye dekhne ke liye unke jism me do-teen thokare jamaayi ki vo behosh huve bhi hai ya nahi.
tab kahi jaakar ushe laga ki is musibat se usne chutkaara paa liya hai.
Hambrig buri tarah haanf raha tha, Gardner ko usne behosh jaroor kar diya tha parantu kaanp vah ab bhi raha tha.
Hambrig ko laga ki bahut badi gadbad ho gayi thi, Alfaanse master ne to kaha tha ki Gardner ko apne behosh hone tak ka pata na lage aur yaha ye sab ho

gaya. ushe ye khayaal aaya ki is galti par master bahut bigdenge aur ye khayaal aate hi uski najar wristwatch par padi, paune paanch baja rahi wristwatch

ko dekhte hi uske hosh ud gaye.
paune paanch, uff, paanch baje to master ko aana hai.
sirf 15 minute reh gaye hai.
" ye ghadi kyo achanak kambakkht itni tej chalne lagi hai " ye sochta hua vah theek ushi tarah safe par jhapta jaise vo Gardner par jhapta tha. handle

pakadkar jhatka diya usne, safe nahi khuli.
Hambrig boukhla gaya aur ekaek hi ushe khayaal aaya ki abhi safe ke numbers to usne milaaye hi nahi hai, atah vo bijli ki si teji se number milaane laga.
boukhlahat ki charam seema dekho ki safe ka number accha-khaasa rata hua tha ushe lekin us waqt theek se yaad nahi aaya, badi mushkil se kayi baar

galtiya karne ke baad vah theek number mila saka aur is baar uske handle ghumaate hi safe khul gayi.
ab ushe phone par number milaana tha.
uski kuch aisi hi haalat phone ka number milaate waqt bhi huyi, kintu antatah number milaane me vah kaamyaab ho hi gaya, kintu tab tak paanch bajne me

keval paanch minute reh gaye the.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


Hambrig aandhi-toofaan sa bathroom ki taraf lapka.
rumaal ab bhi uske haath me hi tha, tehkhaane me ushe sirf andhera hi andhera najar aaya, iske baavjood bhi vah lohe ki seedhiya utarne laga, tatol-tatolkar

vah bhi teji se seedhiya tay karne me ushe bahut dikkat mehsoos ho rahi thi.
kayi baar to andhere me vah girte-girte bacha.
fir bhi man hi man vah ginta jaa raha tha ki vah kitni seedhiya utar chuka hai, ushe maaum tha ki yaha 20 seedhiya hai aur 20vi seedhi par pair rakhte hi

yah kothri ek bulb ke prakash se bhar jaayegi aur ishi kshan ushe kothri me maujood ekmatra shashastra sipaahi se jhoojhna tha.
20ve dande par pair rakhte hi bulb jala.
shashastra sainik Gardner ke sthaan par kisi aur ko dekhkar chounka aur abhi usne apne kandhe par rakhi gun ko utaarne ki koshish hi ki thi ki Hambrig

gorrille ki tarah uspar jhapat pada.
sainik cheekh bhi nahi saka aur Hambrig ka rumaal vaala haath uske munh aur nathuno par kukkar ke dhakkan ki tarah chipak gaya.
guard ka behosh jism sheeghra hi kothri ke farsh par gir gaya.
Hambrig ne jaldi se samay dekha, paanch dus ho rahe the, uski hadbadaht kuch aur badh gayi, usne jaldi se guard ki jeb tatoli aur teen taango vaala plug

nikaal liya.
abhi vah is plug ko switch me lagaane hi vaala tha ki thithak gaya.
jaane kya yaad aa gaya tha ushe.
uff kehkar badi teji se usne apne kapde utaarne shuru kar diye, apne baad usne guard ke behosh jism se uski vardi utaari aur fir vah vardi usne pehan li.
is saare kaam me usshe pandrah minute aur lag gaye.
paanch pacchis par usne plug switch me lagaaya aur baayi taraf ki deewar kisi shutter ke samaan jameen me dhansti chali gayi.
saamne gallery thi aur gallery me khade guard bilkul saavdhaan ki mudra me khade the, deewar ke farsh me dhansne ki aawaj sunkar unhone idhar nahi

dekha.
aisa karne se un anushashit guards ki saavdhaan ki mudra toot-ti thi na.
Hambrig ne chor drishti se chatt ki taraf dekha.
chipkali ke samaan chalta hua Alfaanse us sthaan ko paar kar raha tha, jaha switch me se plug ke nikalte hi jameen me se shutter ke samaan deewar

nikalkaar chatt se sat jaani thi.
mushkil se do minute me Alfaanse vah seemarekha paar karke kothri ki chatt par aa gaya tha aur ye abhiyaan poora hote hi Hambrig ne switch me se plug

nikal liya tha.
deewar ne punah kothri ko gallery se alag kar diya.
chatt par chipke Alfaanse ne kaha," raasta kholo hambrig, jaldi "
" abhi lijiye master " kehne ke baad Hambrig lohe ki seedhi ke bilkul nichle sirey ko tatolne laga.
Alfaanse ne kaha," jaldi karo Hambrig, pehle hi bahut der ho chuki hai "
Hambrig ko ek switch mil gaya, uske dabte hi bathroom vaala darvaaja khul gaya aur bulb swayam hi bujh gaya.
andhere me Alfaanse ki aawaj goonji," sambahlkar Hambrig, seedhi ke aakhiri sirey par tumhaara pair na pade, varna raasta fir band ho jaayega "
" m..mujhe yaad hai master " andhere me dande ko tatolte huve Hambrig bola aur fir seedhi chadhne ke liye usne nichle nahi, balki pair seedha usse upar vaale

dande par rakha tatha fir andhere me tatolte huve chadhne laga.
is beech Alfaanse raasta paar karke bathroom me pahuch chuka tha.
jab Hambrig bathroom me pahucha to Alfaansse vaha bhi maujood nahi tha. darvaaja kholkar usne kamre me kadam rakha to kaanp sa gaya kyonki chakit

sa Alfaanse farsh par pade Gardner aur tooti huyi sheeshi ko dekh raha tha.
" Hambrig " Alfaanse ke lehje me sakhti thi.
" j..ji master " Hambrig hakla gaya.
" ye sab kya hai "
" j..jara si gadbad ho gayi master "
uski taraf ghoomkar laghbhag gurra sa utha Alfaanse," kaisi gadbad "
Hambrig ek hi saans me sabkuch batata chala gaya.
Alfaanse ke chehre par chinta ki lakeerein ubhar aayi thi, abhi kuch kehne ke liye usne munh khola hi tha ki ve dono buri tarah se ucchal pade.
Hambrig bechaare ki to baat hi kya, swayam Alfaanse ke jism ke sabhi masamo ne laave ki tarah paseena ugal diya., jism ka por-por kaanp utha.
aur aisa hua tha achanak hi bajne vaali telephone ki ghanti ke kaaran.
door-door tak chaaye sannaate ko cheerti chali gayi thi vo ghanti.
hakke-bakke se Alfaanse ne Hambrig ki taraf dekha, bechaare Hambrig ka chehra to pehle hi aisa ho raha tha jaise kisi murde ka chehra, bilkul peela, nistej.
swayam Alfaanse ka saara shareer kaanp utha tha.
telephone ki ghanti abhi bhi bajti chali jaa rahi thi.
Alfaanse teji se lapka, ek jhatke se receiver utha liya usne.
dusri taraf se kaha jaa raha tha," hello, hello, hello boss "
Alfaanse ne kayi kshan chupchaap ganva diye, shayad yah sochne me ki vah kya kare, kisi firkani ki tarah ghoomte huve uske dimaag me jaane kya aaya tha

ki agle hi pal uske munh se Gardner ki aawaj nikli," hello, Gardner here "
" s..sir, mai tehkhaane se bol raha hu "
" kya baat hai "
" s..sir samajh me nahi aata, ab se ek ghante pehle achanak hi control room ki deewar apne sthaan se hati aur do minute baad punah band ho gayi, ascharya ki

baat hai ki deewar ke hatne aur band hone ke beech na to koyi control room me hi gaya aur na hi baahar nikla, hum ye sochkar hairat me pad gaye ki aakhir

deewar apne sthaan se hati kyo thi "
" control room me maujood Richard aadi se poochte "
" tab se ab tak hum yahi koshish to karte rahe hai boss, humne sainkado baar deewar ek paas sa..re..ga..ma ki aawaj bajayi parantu andar koyi pratikriya

nahi huyi "
" kya bak rahe ho " Gardner ki aawaj me Alfaanse cheekh pada.
sehma hua swar," m..mai theek keh raha hu sir "
" thehro, kuch der baad hum khud dekhte hai " kehne ke turant baad Alfaanse ne receiver credel par patak diya aur Hambrig ki taraf ghooma.
ghabraaye se Hambrig ne poocha," kya hua master "
" bahut gadbad ho gayi hai, aisa karo Hambrig, kamre ka lock kholkar tum picchle darvaaje se lawn me pahuch jaao, theek is kamre ki is khidki ke paas aur

fir baahar se is khidki ka sheesha todte huve is kamre ke andar kood pado "
is atpate se aadesh ka arth Hambrig ki samajh me bilkul nahi aaya, isliye usne poocha," l..lekin isse kya laabh hai master "
" bataane ka samay nahi hai Hambrig, jaldi karo, quick "
aur Hambrig jeb se chaabi nikalkar kamre ke band darvaaje ki taraf jhapat pada, darvaaja kholkar vah baahar nikal gaya aur Alfaanse ne badi teji se apni jeb

se vah ghadi nikaali jo usne Gardner ki kalaayi se utaari thi.
ab vah Gardner ke haath me bandhi wristwatch ko badalne me vyast ho gaya, sheeghra hi usne chain badli, Gardner ke haath me bandhi wristwatch

nikaalkar jeb me rakhi aur apni jeb se nikaali wristwatch uski kalaayi me baandh di.
yahi waqt tha jab bhadaak ki ek jordar aawaj ke saath khidki ka kaanch todta Hambrig kamre ke farsh par aa gira.
uske saath hi kamre me kaanch ke chote-chote sainkado tukde bikhar gaye.
khud Hambrig ke sir se khoon behne laga tha.
magar is baat ki parvaah kiye bina furti se khada hokar Hambrig bola," ab kya hukum hai master "
" s..shabaash Hambrig, mujhe naaj hai tumpar, magar suno khoon ki ek bhi boond farsh par na gire "
Hambrig ne turant apna coat utaarkar sir par lapet liya.
Alfaanse ka dil chaha ki Hambrig ki is gurubhakti aur kurbaaniyo par ushe choom le, kintu samay nahi tha, bola," samay bahut kam hai Hambrig, baat meri

ummeedo se kahi jyada bigad chuki hai, shayad ab Kohinoor tak pahuchna to hamare liye khwabo ki baat ho jaayegi, filhaal tum jaao, kisi bhi din shaam ko

paanch baje mai tumhe Sadabahaar me milunga "
" o.k. master "
" are ruko, is kamre ki chaabi to dete jaao "
Hambrig ne chaabi Alfaanse ki taraf uchhal di aur swayam tooti huyi khidki ke maadhyam se andhere me gum ho gaya.
chaabi haath me liye Alfaanse kuch der tak kamre me khada raha, kamre ki stithi ko dekhte huve kayi der tak na jaane vah kya sochta raha.
servents quarters theek kothi ke vipreet sirey par the isliye ushe dar nahi tha ki khidki ka kaanch tootne ki aawaj ne unme se kisi ko chounkaaya hoga. kothi

ke andar ekmatra Irvin thi, haalanki vo kamra bhi yaha se kaafi door tha, kintu aawaaj vaha tak pahuchni sambhav thi magar Alfaanse jaanta tha ki Irvin

gehri neend soti thi aur is aawaj se uska jaag paana mushkil tha.
aashvasht hone ke baad vah kamre se baahar nikla, sabse pehle imarat ke picchle bhaag me stith darvaaja band karke aaya aur jab vah apne kamre me

pahucha tab ushe ye dekhkar santosh hua ki Irvin bekhabar so rahi thi, magar un do aankho se vah parichit nahi tha jinhone aaj bhi uski sampoorn

kaaryavaahi dekhi thi.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply