'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sharma

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »


Alfaanse aur Irvin ko hill station gaye huve aaj choutha din ho gaya tha, Merlin ke roop me James bond abhi tak mr. Gardner ki hi kothi me maujood tha. parantu ab ushe lagne laga tha ki is kothi me rehkar vah apna samay barbaad karne ke alawa aur kuch nahi kar raha hai.
kaaran thi ve reports jo Alfaanse ko watch karne vaale jasoos bhej rahe the.
kehna padega ki Bond ke liye vo khabarein ekdum niraashajanak aur neeras thi. prateyek report me ve yahi kehte ki ve yaha ghoomne gaye, vaha khaana khaaya, vaha beer pi, ityadi. report me ek bhi point aisa nahi hota tha jisse Bond ki us khabar ko bal mil paata ki Alfaanse Kohinoor ke chakkar me hai.
jasooso ki report ke mutabik Alfaanse 5 minute ke liye bhi Irvin se alag nahi hota tha. Bond ne baar-baar poocha ki kahi Alfaanse ko khud par najar rakhe jaane ka aabhaas to nahi ho raha hai, har baar yahi report aayi ki aisa nahi hai.
vah Irvin ke saath apni hi duniya me mast hai.
itna jyada ki vah Irvin se najar hatakar apne aaspaas dekhta bhi nahi hai.
transmitter par milne vaali inhi reprots ne Bond ko vichlit sa kar diya tha. vah ye sochne par baadhya ho gaya tha ki kahi vah Alfaanse par shak karke apna samay vyarth to nahi ganva raha hai.
kahi aisa to nahi hai ki uska dhyaan Alfaanse par kendrit karke Vijay aadi apne hi kisi chakkar me lage ho, sochte-sochte ushe apna yahi vichaar jyada uchit lagne laga, paksh me tark bhi milne lage.
jaise ki ye, Vijay-Vikas ke baare me koyi bhi soochna nahi aayi thi. picchle ek hafte se unki koyi gatividhi hi najar nahi aa rahi thi.
kya ve apna mission beech me hi chhodkar Bhaarat lout gaye hai.
Bond acchi tarah jaanta tha ki kam se kam Vijay Vikas aisi cheej nahi hai. fir, kyo ve kisi bill me chupe shaant baithe hai, kya is hafte me unhone kuch nahi kiya.
Bond ye bhi nahi maan sakta tha.
vo jaanta tha ki na hi Vijay ek hafte tak shaant baithne vaala hai aur na hi Vikas. ek baar ko to Bond ye maan sakta tha ki Vijay shaant baith sakta hai kyonki vo tarkbuddhi se sochne vaala aur neeti se kaam nikalne vaala jasoos hai parantu vah jaanta tha ki Vikas in sab baato ko nahi maanta. yadi ushe jid chadh jaaye to fir vah Vijay ki bhi ek nahi sunega aur Bond hargij ye nahi maan sakta tha ki vo ek hafte tak shaant baith sakta hai.
nischay hi vah shaitaan apne lakshay ki taarf badhne ke liye kuch na kuch kar raha hoga.
magar kya.
koyi aisi ghatna bhi nahi ghati hai jisse unki kisi bhi gatividhi ka koyi aabhaas mile.
yahi sab sochte-sochte Bond ke sir me dard hone laga, vah ye nischay nahi kar saka ki yaha rehkar Alfaanse ko watch kare ya fir baahar jaakar us khatarnaak tukdi ki khoj kare.
ushe lag raha tha ki yadi Alfaanse Kohinoor ke chakkar me hota to itne mahattvpoorn dino ko hillstation par barbaad na kar raha hota.
uska dimaag kund sa ho gaya tha.
usne socha ki agar saare maamle par vah fresh dimaag se soche to shaayad kisi nateeje par pahuch paaye. fresh hone ke liye ushe gotakhor club ka smaran ho aaya. usne mehsoos kiya ki yadi vah jee bharkar gotakhori kare to uska dimaag bilkul fresh ho jaayega. parantu gotakhori ke liye ushe yaha se apni kothi jaana hoga, vaha apne us Merlin vaale roop ko tyaage aur Bond bankar fir club jaaye. nischay karke vah uth khada hua.

------------------------------

nadi ke garbh me surang banane ka jo kaam chal raha tha, vah chouthe din bhi bina kisi vighn baadha ke samaapt ho gaya tha. ve teen feet vyaas ki teen gaj gehri ek gali si bana chuke the aur is gali me hamesha paani bhara rehta tha.
kal se surang ke kaam me ek naya mod aana tha.
pratidin ki tarah ve ek-ek karke nadi se nikalne lage, sabse pehle Ashraf nikla tha aur tames se baahar aate hi vah ek cabin me ghuss gaya, gotakhori ke liye jo poshaak ushe aaj mili thi uski peeth par 5 likha hua tha.
yaani ki vah poshaak 5 number thi.
cabin me jaakar usne khud ko poshak, cylinder aur gotakhori ke chashme aadi se mukt kiya, dus minute baad vah cabin se baahar nikalkar counter ki taraf badha. pratidin ki pratikriya hone ki vajah se ab vah is saari kaaryavaahi ka abhyast ho chuka tha.

ab ushe ye cylinder aur ye libaas conuter clerk ke register me entry karvakar jama karvaane the.
shaayad likhne ki jaroorat nahi hai ki uska chehra is waqt ek angrej yuvak ke facemask ke peeche chupa hua tha, is chahre par gulaabi rang ki jhuki huyi

moonche aur frenchcut daadhi thi. uski naak ke dono nathuno me do chote-chote spring lage the jisse naak kuch fooli si najar aati thi, aankho ka rang gehra

neela tha.
garj ye thi ki ek najar me Ashraf ko pehchaana nahi jaa sakta tha.
parantu libaas jama karvaane ke baad vah jaise hi muda, vaise hi uske pairo tale se jameen khisak gayi, na chahte huve bhi thithak sa gaya vah, taange

kaanp si uthi.
uski drishti James bond par padi thi aur anjaane me vahi chipakkar reh gayi thi.
Ashraf hakka-bakka reh gaya, apne sthaan par kisi statue ke samaan khada reh gaya tha vah, kayi pal tak kinkartavyavimudh sa Bond ko dekhta raha.
udhar, apne sthaan par thithakkar Bond bhi ushe dekh raha tha.
ekaek hi Ashraf ko khayaal aaya ki vah ye kya bevkoofi kar raha hai, atah ek jhatke se usne apne kadam aage badha diye, Bond par se najre hataayi aur aage

badh gaya.
us waqt usne saanse tak rok li jis kshan ushe Bond ke sameep se gujarna pada.
vah gujar gaya, surakshit.
James bond ne ushe roka nahi tha.
magar Ashraf ko aisa lag raha tha ki Bond abhi bhi ushi jagah khada ushe hi ghoor raha hai, apni peeth par Bond ki drishti chubhan ushe mehsoos ho rahi

thi aur yah chubhan kisi suyi ki si chubhan ke samaan thi.
anjaane me hi uski chaal tej ho gayi.
buri tarah dhak-dhak karta uska dil uski peeth par maano hathode ki tarah chot kar raha ho, jee chah raha tha ki vah bhaage, badi teji se bhaagta chala

jaaye yaha se.
magar tabhi uske vivek ne uske kaan me kaha," aisa karna bevkoofi hogi "
fir bhi gallery ke ek mod par mudne ke baad vah swayam par saiyam nahi rakh saka aur sachmuch bhaagne ke se andaaj me club ko paar karne laga, saamne

hi club ka mukhya dwar tha.
baahar nikalne ke liye vah jaldi se us taraf lapka.
aur mukhya dwar par pahuchne ke baad vo ek baar apne peeche dekhne ka lobh chhod na saka aur us waqt to uske jism ke sabhi masamo ne dher saara

paseena ugal diya jab usne Bond ko apne peeche lapakte dekha.
Ashraf ke tirkan kaanp gaye.
ab ushe is baat me koyi shak nahi reh gaya tha ki Bond ushe pehchaan gaya hai aur yah sacchayi hai ki dil me ye vichaar uthne ke baad Ashraf ne club ke

mukhya dwar se baahar jump laga di tatha is baar vaastav me kisi dhaavak ki tarah doudne laga.
vah ret par doud raha tha, sadak abhi door thi.
daayi taraf, paas me hi parking thi, jaha bahut si cars khadi thi.
Ashraf ko laga ki Bond ke mukhya dwar tak pahuchne se pehle vah car tak nahi pahuch paayega, aisa mehsoos karte hi usne tezi se parking ki taraf doudna

shuru kar diya.
sheeghra hi vah ek Neele rang ki car ke peeche sama gaya.
car ki body se peeth tikakar nidhaal sa vah apni ukadhi huyi saanso ko kaabu me karne ka prayaas karne laga, vah jaanta tha ki abhi vah khatre se baahar

nahi hai isliye usne jhaankar club ke mukhya dwar ki taraf dekha.
vaha ushe James bond najar aaya.
Bond ki saanse fooli huyi thi aur vah bahut hi dhyaan se apne chaaro taraf uchak-uchak kar aur vishesh roop se sadak ki taraf dekh raha tha.
car ke peeche se jhaankar dekh raha Ashraf khuda se dua kar raha tha ki Bond ka dhyaan uski taraf na jaaye.
ekaek Bond ne kisi ko roka, Ashraf ne Bond ko usse baat karte dekha.
ushe laga ki Bond usse pooch raha hai," kya tumne kisi aadmi ko bhaagte huve dekha hai "
" haan " Ashraf ne us aadmi ki gardan kuch aise hi andaaj me hilti dekhi.
fir Ashraf ko laga jaise Bond ne poocha ho," bhaagkar vah kidhar gaya tha "
" idhar " Ashraf ko aisa hi laga jaise us vyakti ne ye kaha ho, kyonki vah saaf dekh raha tha, vah vyakti is neeli car ki taraf ishaara karke hi kuch keh raha

tha.
Bond bhi is taraf dekhne laga.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

Ashraf romachit ho utha, uske saare shareer me cheentiya si doudne lagi. ab ushe laga ki James bond aasaani se uska peecha chhodne vaala nahi hai.
Bond abhi tak parking ki taraf hi dekh raha tha
fir, us waqt to Ashraf ko apni mout sir par mandraati huyi najar aayi jab usne Bond ko us vyakti se vida lekar parking ki taraf badhte huve dekha. kayi

kshan tak to Ashraf ki samajh me hi nahi aaya ki vo kya kare aur jab usne rengkar car ke neeche sama jaane ka faisla kiya to ek adhed umra ki mahila ki

cheekh sunkar ucchal pada.
udhar mahila ko cheekhti dekhkar Bond bhi chounka tha.
mahila ko apne bilkul najdeek dekhkar Ashraf hadbada gaya tha.
aatankit si mahlia ushe is haalat me dekhkar cheekh padi," who are you "
aur Ashraf ek kshan bhi ganvaaye bina kisi babue ki tarah ucchla, koyi anya raast na dekhkar vah jeb se pehle hi revolver nikaal chuka tha, yahi revolver

usne mahila ki kanpatti par rakh diya aur yah dekhkar us taraf lapakta hua James bond thithak gaya.
Ashraf paaglo ki tarah cheekha," stop Bond, stop. otherwise I will kill her "
Bond ke chehre par beshumaar uttejna naach uthi.
" hands up, I say hands up " Ashraf punah chillaya.
daant peeste huve Bond ne apne dono haath upar kar liye.
Ashraf ne fir chetaavni di," agar tumne koyi bhi harkat ki to mai ishe goli mar dunga "
" mai tumhe chhodunga nahi " Bond gurraya.
Ashraf jaanta tha ki mout theek uske sir par mandra rahi hai, jitni jyada der vo vaha rukega utna hi khatra badh jaayega, raahgeer rukkar ye tamasha dekhne

lage the, Ashraf ne adhed mahila ke haath me fansa chaabi ka guccha dekh liya tha.
mahila ki sitti-pitti gum thi, kaato to khoon nahi.
aankho me ummeed liye vo Bond ko dekh rahi thi ki shayad vah uski kuch madad karega, parantu bechaara Bond, bahut kuch chahkar bhi vah kuch nahi kar

paa raha tha, kanoon ushe Ashraf ko pakadne ke liye kisi begunaah ki bali dene ki ijjajat nahi deta tha.
vah kuch bhi nahi kar saka aur vah mahila to Ashraf ke aadesho ka paalan karne ke liye baadhya thi. vo neele rang ki car ushi ki thi, Ashraf ke hukm par

usne car ka lock khola.
mahila ko cover kiye huve car me samate Ashraf ne chetavani di," agar tumne mera peecha karne ki koshish ki to mai is mahila ko goli mar dunga. tum jaante

ho Bond ki car drive karni mujhe bhi aati hai "
car start hokar aage badh gayi.
car drive mahila nahi baalki uski kanpatti par rakha Ashraf ka revolver kar raha tha.
neeli car ke parking paar karte hi Bond aandhi-tufaan ki tarah parking me khadi apni car ki taraf lapka aur agle hi kshan uski car neeli car ka peecha kar

rahi thi. uske chehre par bahut hi sakht bhaav the, apni jeb se revolver nikalkaar usne car ki side vaali seat par rakh liya tha.
yadi vah chahta to apni car ko mahila ki car se aage lejaakar mahila ki car ka raasta avrudh kar le to ye uske baaye haath ka khel tha, lekin vah aisa nahi

karna chahta tha, kyonki vah jaanta tha ki aisi avastha me Ashraf sachmuch hi us mahila ko maar daalega.
sahi baat ye thi ki Bond nirnay nahi kaar paa raha tha ki vah kya kare isliye vah sirf neeli car ka peecha karte chala jaa raha tha. dekhte hi dekhte dono

gaadiya London shahar se baahar nikal aayi, ab sadak ke dono taraf khet the.
achanak hi Bond ne neeli car ka agla darvaaja khulte dekha aur fir us khule huve darvaaje se ek insaani saaya lehraaya tatha Bond ke kuch samajhne se pehle

hi ikh ke khet me jaa gira, maanav aakriti ke jism par vaahi kapde the jo Bond ne Ashraf ke jism par dekhe the aur Bond ke dimaag me jhat se vichaar

koundh gaya ki Ashraf ikh me kooda hai.
usne poori taakat se brakes dabaye.
gaadi charmarahat ke saath ruk gayi.
vah ikh se kuch aage nikal aaya tha, haath me revolver sambhaale vah furti se gaadi se baahar nikla.
neeli car ab sadak par lehraane ke baad seedhi chalne lagi thi, Bond ne us taraf se dhyaan hataya aur ikh ki taraf douda.
najdeek pahuchkar vah thithka, ushe yaad aaya ki Ashraf ke paas ek revolver hai aur is samay vah ushe dikhaayi nahi de raha hai, lekin ho sakta hai ki ikh

me se Ashraf ushe saaf-saaf dekh raha ho.
nischay hi vah revolver ushi ki taraf taane huve hoga.
ye sochkar Bond atyant satark ho gaya, kisi bhi tarah ke khatre se bachne ke liye yaha tak ki khud ko goli see bachaane ke liye bhi usne khud ko taiyaar kar

liya tha.
revolver haath me liye vah bhi ikh me ghuss gaya tha.
10 minute baad jab apni khoj ke parinaamswaroop usne maanavaakriti ki khoj ki to vah daant peeskar reh gaya. ganno ke beech me adhed mahila ka behosh

jism pada hua tha, uske jism par Ashraf ke kapde the.

---------------------------------------

James bond ke chehre par bahut hi gambheer bhaav the, buri tarah se tamtamata hua vah gotakhori club ke counter ki taraf badh raha tha, tej aur lambe-

lambe kadmo ke saath.
" aao mr. Bond, tum itne uttejit kyo ho " counter clerk ne uska swagat kiya.
najdeek pahuchkar Bond ne counter par bahut jor se mukka maara. ye mukka uski jhunjhulaahat ka prateek tha, us jhunjhulaahat ka jo ushe apni asafalta ke

liye khud par ho rahi thi.
fir ekaek hi usne mehsoos kiya ki vah khud ko sambhaal nahi paa raha hai. yadi counter clerk jaisa maamuli vyakti uski maansik stithi bhaanp jaayega to

ishe Bond ki ayogyita hi kaha jaayega, yahi sochkar Bond ne khud ko sambhala.
dimaag ko tanaavmukt kiya aur ab vah saamanya najar aa raha tha.
" kya mai tumse kuch pooch sakta hu mr. Bond " counter clerk bola.
" kya poochna chahte ho " Bond ne saamanya swar me hi prashan kiya.
" yahi ki tum mr. Vaan ke peeche kyo bhaage the "
" V..Vaan, kya tum ushe jaante ho " Bond ne utsuk hokar poocha.
" ji bilkul, register me uske sign bhi hai aur address bhi "
" kya usne gotakhori ki poshaak li thi "
" haan, ushe hi to jama karvakar vah lout raha tha "
" oh, mai uski entry dekhna chahta hu "
" sure " kehne ke saath hi counter clerk ne register khol diya, Bond swayam hi register par jhuk gaya aur usne keval do minute me ye dekh liya ki Vaan ke

naam se Ashraf ne subah 9:30 baje gotakhori ka libaas liya tha aur shaam 5 baje jama karvaaya tha. register me Vaan ke sign me chipi writing ko vo fouran

pehchaan gaya tha. Ashraf ki writing ko vo pehchaanta tha aur ushe ye samajhne me bhi der na lagi ki register me diya gaya address bhi nitant kaalpanik

hai.
magar ye sawaal Bond ke dimaag me atak kar reh gaya ki 9:30 se 5 baje tak ke lambe samay me Ashraf ne gotakhori libaas ka kya kiya hai. itne lambe samay

tak shayad koyi bhi vyakti gotakhori nahi karta hai.
" kya yah vyakti aaj pehli baar hi gotakhori karne aaya hai " Bond ne poocha.
" ji nahi, mr. Vaan picchle 4-5 din se lagataar aa rahe hai "
" k..kya, 4-5 din se " Bond chounk pada.
" haan "
" kya vah roj ishi tarah se gotakhori karta hai, yaani ki 9:30 se shaam 5 baje tak "
" ji haan, is baat ko mehsoos karke to mai khud bhi hairaan hu, piccle 5 saal se mai is counter par hu, maine kabhi nahi dekha ki kisi ne 1-2 ghante se jyada ke

liye kabhi poshak li ho, kisi ne jyada samay liya ho to 3-4 ghante lag gaye honge. magar picchle 4-5 din se mai dekh raha hu ki mr. Vaan ke atirikt 4 aise

vyakti aur hai jo subah poshak lete hai aur shaam ko jama karvaate hai "
" c..chaar vyakti " is baar to Bond ucchal hi pada.
" aap chounk kyo rahe hai "
" kya un chaar vyaktiyo me se koyi ladki bhi hai "
" ji haan, unka naam miss Rubiya hai "
" oh " uske jehan me visfot sa hua fir usne clerk se bina kuch kahe adheertapoorvak register khol liya, 5 minute me hi usne vo paancho naam talaash kar liye jo

subah poshak lekar shaam ko jama karva rahe the.
writing unhi chaaro ki thi.
ab Bond ko isme koyi shak nahi reh gaya tha ki ye Ashraf, Vikram, Vijay, Vikas aur Aasha hai.
kintu ye sach hai ki is sach ko jaanne ke baad uski buddhi kuch aur ulat gayi thi.
spasht tha ki vo poori tukdi picchle 4 din se lagataar Tames me gotakhori karti rahi hai, magar kyo, itni der tak gotakhori karte rehne ka kya arth hai.
ishi sawal ka jawaab Bond ko samajh me nahi aa raha tha.
ushe gehre vichaaro me doobta dekh counter clerk bola," kya sochne lage mr. Bond "
" kya tumne kabhi socha ki ye paancho itni der tak gotakhori kyo karte hai "
" jaroor socha, lekin kabhi kisi parinaam par nahi pahuch paaya "
" kya tumnbe kabhi bhi inme se kisi se iske baare me poocha "
" iccha to kayi baar huyi thi lekin pooch na saka, kyonki poshak ghanto ke hisab se kiraaye par di jaati thi aur ve poori payment karte the. unse ye prashan

karne ka mera koyi vaidhaanik adhikar nahi banta tha, vaise bhi hamare niyamo me is baat par koyi paabandi nahi hai ki jyada se jyada grahak ko kitne

ghanto me poshak loutaani hai "
Bond chup reh gaya.
counter clerk ne kaha," tumne ye nahi bataya ki Vaan aadi ke baare me tum ye sab sawaal kisliye pooch rahe ho, kya ve koyi apraadhi hai "
" haan " Bond ne bada sanshipt sa uttar diya.
" kya kiya hai unhone, koyi hatya ya bank robbery "
" tum ye sab sochkar apna dimaag kharaab mat karo " ekaek hi Bond ka lehja sard ho gaya," aur dekho, jo baatein is waqt mere aur tumhaare beech me huyi hai,
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

unka jikr tum kisi se bhi nahi karoge, raat ko apni patni se bhi nahi, agar tumne aisa kiya to mujrimo ki madad karne ke aarop me tumhe jail bhej diya jaayega aur fir saari jindagi vahi sadte rahoge "
kaanp gaya clerk, paseene-paseene ho gaya vah, bola," b..bhala maine unki kya madad ki hai Bond, mai to unhe jaanta tak nahi "
" mai jaanta hu ki tumne unki koyi madad nahi ki "
" f..fir tum "
" yadi tumne in baato ka jikr kisi se bhi kiya to yahi samjha jaayega "
" m..mujhse tumne koyi bhi baat ki hi kaha hai "
" very good " Bond ne uska kandha thapthapaate huve kaha," ve kal bhi aayenge, tum picchle 4 din ki tarah unhe poshak de doge, chupchaap, unki taraf

vishesh najro se dekhoge bhi nahi. us waqt mai peeche vaali kothri me chupa sabkuch dekh raha hounga, mere sanket ke bina tum kuch bhi nahi karoge "
bechaara counter clerk soch raha tha ki kis musibat me fans gaya hu.

---------------------------------

us waqt raat ke 10 baje the jab Alfaanse aur Irvin apni-apni yaatra khatam karke chouthe din hi lout aaye the, dher saare naukaro aur Gardner ne khud

unka swagat kiya.
ekaek hi usne pooch liya," kya baat hai dad, sab najar aa rahe hai, lekin aapka vah naya naukar, kya naam tha uska, haan, Merlin, vah najar nahi aa raha "
" vah aaj hi chutti par apne gaanv lout gaya hai bete "
Alfaanse ne chutki lete huve kaha," chutti par gaya hai ya hamesha ke liye chutti kar gaya hai "
" nahi bhai, do din ki chutti par gaya hai "
iske baad bahut saari aupchaarik baatein hoti rahi, mr. Gardner tour ke baare me poochte rahe aur Alfaanse aur Irvin chatkhaare lekar batate rahe, 12 baje

mehfil tooti.
goodnight kehkar mr. Gardner apne kamre me chale gaye, Alfaanse aur Irvin bhi apne bedroom me aa gaye. Alfaanse ki aankho me neend ka door-door tak

koyi naam-o-nishaan nahi tha.
hota bhi kaise aaj raat ushe ek bahut hi khaas kaam ko anjaam dena tha.
us waqt raat ke 2 baje the jab Alfaanse dheere se utha, uske jism par night suit tha. usne pairo me sleeper daale aur hanger se gown utaarkar apne jism par

daal liya.
gown ki jeb usne baahar se hi tatoli, kisi vishesh vastu ko jeb me paakar vah santusht hua, ek aakhiri baar usne Irvin par apni drishti daali, uske naak se

halki-halki seeti baj rahi thi, uske gehre kharrate is baat ke gavaah the ki vah gehri neend me hai.
Alfaanse dabe paanv darvaaje par pahucha, bina kisi kism ki aahat utpann kiye bina usne chitkani kholi aue baahar nikal gaya.
gallery me abhed shaanti thi.
vah mr. Gardner ke kamre ke sameep pahuch gaya, pehle usne key-hole se jhaankar andar ka drishya dekha, night bulb ki madhyam roshni me bed par soye

pade mr. Gardner spasht chamak rahe the.
santusht hone ke baad Alfaanse ne jeb se chaabi nikaal lock khola aur andar pravisht ho gaya, andar jaane ke baad usne andar se darvaaje ko lock kar diya.
chaabi jeb me rakhne ke saath hi usne ek jeb se ek rumaal aur dusri jeb se ek choti si sheeshi niakal li thi. bed ke sameep pahuchkar usne sheeshi me se do boond

rumaal par tapkaayi aur sheeshi jeb me rakh li.
rumaal ko Gardner ki naak ke sameep le gaya vah, bas rumaal ko uski naak ke sameep hi le gaya tha Alfaanse, ushe uski naak par rakha nahi tha usne.
do minute tak yahi stithi rahi, fir usne rumaal apni jeb me vaapis rakh li, ab uske haath me rumal ki jagah ek nakli chipkali najar aa rahi thi, bilkul asli lagne

vaali nakli chipkali.
vah bed ke sirhaane farsh se attached safe ki taraf badha, apne jism ko safe ke back side me kar liya usne aur chipkali ko vahi se ucchalkar Gardner ke chehre

par fenka.
chipkali uske maathe aur fir naak se takraane ke baad chaati par gir gayi lekin uske jism me ratti bhar bhi hulchal najar nahi aayi aur yah dekhkar safe ke

peeche chupe Alfaanse ki aankho me safaltamayi chamak spasht ubhar aayi.
ab vah nirvighn vaapis bed ke sameep aaya, sabse pehle usne nakli chipkali uthakar jeb me rakhi, uske baad us wristwatch ko dhyaan se dekhne laga jo

Gardner ke baaye haath me maujood thi.
ab usne apne gown ki jeb se dusri wristwatch nikaali aur bahut hi bareek najar se dono ka muayana karne laga, dono ghadiya bilkul same thi, ek hi model aur

ek hi company dwara nirmit.
Alfaanse ne bade aaraam se chain kholkar Gardner ki kalaayi se ghadi utaar li, fir vahi farsh par baithkar usne Gardner ki wristwatch se uski chain alag ki

aur us wristwatch me laga di jo vah apne saath laaya tha.
chainrahit wristwatch usne apni jeb me daali aur Gardner ki chain vaali dusri wristwatch ko usne Gardner ki kalaayi me vaapis pehna diya.
itna kaam karne ke baad uska dhyaan Gardner ke galey me pade tabeej par gaya, bina ek bhi kshan hichke usne dori samet tabeej ko Gardner ke galey se nikal

liya aur fir usne tabeej ko kholkar dekha.
usme hairpin jaisi koyi vastu thi, picchla sira ek hi tha, jabki agla sira do bareek bhaago me vibhakt ho gaya tha. theek sarp ki jeebh ke samaan.
picchle sirey par rubber ki ek dot thi.
Alfaanse jaanta tha ki yahi us antim hall ki chaabi hai jisme vah shaandaar heera rakha hua hai.
Alfaanse ne jeb se saabun ke do chote-chote tukde nikale aur us ajeeb si chaabi ka aks us par le liya. chaabi ko tabeej me punah rakhne ke baad usne tabeej ko

vaapis Gardner ke galey me daal diya.
Alfaanse ki aankhe buri tarah chamak rahi thi, vajah shayad ushe uske aaj raat ke mission me safalta milna hi tha, poori tarah santusht hone ke baad is

kamre se nikalne ke liye vah darvaaje ki taraf badha parantu surkh rang ki us aankh ko vah nahi dekh saka tha jisne ki key-hole se uski har ek harkat ko

dekha tha aur ushe darvaaje ki taraf badhte dekhte hi kisi bhoot ke samaan key-hole se gaayab ho gayi thi.

-----------------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »



" jab mujhe Bond ko chakma dene ki koyi aur tarkeeb na soojhi to apne kapde utaare, driving seat par khud baitha aur revolver ki nok par us adhed mahila ko

uske kapde utaarne aur mere kapde pehanne ka hukum diya "
" aur usne tumhaara hukum maan liya "
" tani huyi revolver bhala aadmi se kya nahi kara deti "
" chii..chii..chii, tum to poore dus numbari nikle pyaare jhaanjharokhe " Vijay ne bura sa munh banate huve kaha," laanat hai, tumne to saara brahmcharya hi

khoonti par taank diya "
" isme brahmcharya par aanch kaha se aa gayi "
" lo suno diljale, is saale ne aavranheen naari ka avlokan kiya hai aur kehta hai ki brahmcharya par koyi aanch nahi aayi, ab tum aanch ki baat karte ho, us

car me to poora brahmcharya jalkar raakh ho gaya hoga. bas, rehne do, hame aage nahi sunna varna gad-gadakar aasmaan gir jaayega, dharti fat jaayegi, tum

saale apne saath hame bhi le dooboge "
Vijay ki is bakvaas par sabhi muskura uthe.
Vikas ne poocha," haan to uncle, uske baad kya hua "
" jab usne mere kapde pehan liye to maine achanak hi uski kanpatti par revolver ke daste se vaar karke ushe behosh kar diya aur fir mouka dekhkar uske

behosh jism ko ek ikh ke khet me ucchaal diya "
" peeche aa rahe Bond ne socha ki ikh ke khet me aap koode hai, atah usne apni gaadi ikh ke sameep hi rok li aur jab tak ushe haqikat ka pata chala hoga tab

tak aap na keval vaha se bahut door nikal gaye honge balki vah car bhi aapne chhod di hogi "
" haan "
Aasha ne poocha," jab tumne uske behosh jism ko baahar fenka hoga, us waqt steering par koyi bhi nahi raha hoga, un kshano me koyi bhayanak accident bhi

ho sakta tha "
" poori sambhaavna thi lekin ye khatra uthaane ke liye mai vivash tha "
" aur tumne khatra utha liya pyaare " Vijay bola.
" haan "
" kitne vajan ka khatra raha hoga "
" k..kya matlab " Ashraf chounk pada.
Vijay ne ajeeb se andaaj me haath hilaate huve kaha," kamaal hai miya, vajan ka matlab bhi nahi jaante tum, weight, ek kilo, do kilo, chaar kilo, kitne vajan

ka khatra raha hoga vah jishe tumne utha liya tha "
daant pees utha Ashraf," kaam ki baato ke beech mujhe tumhaari bakvaas bilkul acchi nahi lagti Vijay "
" yah baat maine isliye kahi hai pyaare kyonki ab hum sabko us khatre se kayi guna jyada vajni khatra uthaane ko taiyaar ho jaana chahiye "
" kya matlab "
" matlab ye ki tumhaari bevkoofi ne saara gud-gobar kar diya hai "
" kya kehna chahte ho "
" is baat ke prati maine tum sabko pehle hi satark kar diya tha ki club me Bond bhi aata hai aur kisi bhi waqt usse aamna-saamna ho sakta hai, fir ushe

dekhte hi tum itne nervous kyo ho gaye, yadi tum nervous na huve hote, khud par niyantran rakhte to mumkin tha ki vah tum par dhyaan hi nahi deta aur

dhyaan na dene ki surat me vah tumhe pehchaanta hi nahi aur agar pehchaanta hi nahi to ye saara lafda hi nahi hota "
" is baat ko sweekar karta hu Vijay ki mujhse bahut badi galti ho gayi hai, mai sachmuch nervous ho gaya tha aur khud ko sambhaal na saka tha, lekin sach

baat to ye hai ki mujhe khud ko sambhaalne ka mouka hi nahi mila tha. stithi hi yahi thi ki usme mere alawa tumme se koyi aur bhi fansa hota to yahi hota,

libaas jama karvaane ke baad mai jaise hi muda, Bond mere saamne tha, itna najdeek ki mere hosh ud gaye, uska dekhne ka andaaj hi aisa tha jaise ki vo

mujhe pehchaan gaya ho, bas, fir to ghabrahat me jo ho gaya vo kam tha "
" magar pyaare, tumne hum sabke liye musibat ke beej bo diye hai "
Vikas ne poocha," aisa aap kis aadhaar par keh raha hai guru "
" uska naam Bond hai, hum pehkle hi keh chuke hai ki vo lifaafa dekhkar majmoon bhaanp jaane vaali cheej hai, is ghatna ke baad usne nischay hi club ka

vah register tatola hoga jisme libaas lene aur jama karvaane ki entry hoti hai. ushe aise poore paanch naam mile honge jo picchle kuch dino se subah libaas

lete hai aur shaam ko jama karvaate hai. vah hum sabki writing bhi acchi tarah se pehchaanta hai, atah vah acchi tarah se smajah gaya hoga ki picchle 4

dino se hum sab poore-poore din gotakhori karte rahe hai "
" oh " Ashraf ke honth gol ho gaye.
chinta ki lakeerein sabke chehre par ubhar aayi thi.
Vijay ne aage kaha," Bond itna bevkoof nahi hai ki is baat se santosh kar le ki hum poora-poora din Tames me sirf gotakhori hi karte rahe hai, vaj jaroor

sochega ki 4 poore din humne Tames me kya kiya hai "
" kya uski soche surang tak pahuch jaayengi " Aasha ka swar kaanp raha tha.
Vikram jaldi se bola," mera khayaal to hai ki nahi "
Vijay ke hontho par badi hi pyaari si muskaan ubhar aayi jishe dekhkar Vikram thoda jhenp sa gaya, bola," tum muskura kyo rahe ho, is baare me tumhaara

kya khayaal hai "
" ye apne paksh me sochne ki aadat chhod do pyaare vikramaditya, is waqt hum apraadhi hai aur apraadhi ko positive nahi hamesha negetive sochna

chahiye, tabhi uski umra badh sakti hai "


" aapka kya khayaal hai guru " Vikas ne poocha," kya uska dimaag surang tak pahuch jaayega "
" halanki surang tak Bond ka dimaag pahuchna mushkil hai, magar asambhav nahi kaha jaa sakta aur agar kuch der ke liye apne vikramadiyta ki baat maan

li jaaye to usse khatre ka vajan ghatega nahi "
" mai samjha nahi "
" Bond barabar hamare itne samay tak Tames me rehne ke kaaran ko talashta rahega aur iske liye vah jaal bichayega "
" kaisa jaal "
" kal jab hum pratidin ki tarah club ke counter se libaas lenge to vah kahi chupa hua hame dekh raha hoga aur fir Tames ke paani ke andar vah hamara peecha

karega, ushi sawaal ki talaash me jiska ushe jawaab nahi mil raha hai "
baat sabhi ko jami, isliye chup reh gaye, chehro par chinta ki lakeerein spasht ubhar aayi thi, kaafi der tak sawaliya najro se ve ek-dusre ko dekhte rahe. fir

Vikas bola," kahi aap ye to nahi kehna chahte hai guru ki hum kal Tames me jaakar surang ko aage badhaane ka kaam nahi karenge "
" tumhaare bacche jiye pyaare, hum yahi kehna chahte hai "
" m..magar ye stithi to parso bhi rahegi " Ashraf bola.
Vijay ne bade aaraam se kaha," ji haan "
" iska matlab to ye hua ki Bond ke dar se ab hum club se kabhi bhi gotakhori ki poshak nahi le paayenge. bina gotakhori ki poshak ke Tames ke tal me jaana

naamumkin hai aur jab tak hum tal tak pahuchenge hi nahi to surang ko aage banane ka kaam thapp aur jab surang hi nahi banegi to Kohinoor ko prapt

karne ki baat hume dimaag se nikal deni chahiye "
" kaafi samajhdaar ho gaye ho pyaare diljale, moong ki daal to tumhe bahut din se mili nahi hai, fir ye bheemseni kaagaj tumne kis cheej me milakar khaaya "
Vijay ki bakvaas par koyi dhyaan na dete huve Vikas ne kaha," ye to koyi baat nahi huyi guru, kya James bond ke dar se hum apne Kohinoor ko haasil karne

ka lakshya hi chhod denge "
" ye baat tumse kis chidimaar ne kahi "
" to aapki baato ka kya matlab hai "
" ye ki ab hame bina club ki madad ke Tames me kaam karne ki tarkeeb ladani chahiye "
Aasha boli," gotakhori ki poshak aur vishesh roop se oxygen ke cylinder ka intjaam karna kya tum majaak samajhte ho "
" haan " Vijay ne ek jhatke se kaha, kuch aise andaaj me ki ve chaaro kayi pal tak uska chehra hi dekhte reh gaye, bol kuch nahi sake. ve ye samajhne ki

koshish kar rahe the ki Vijay majaak kar raha hai ya sachmuch uske dimaag me koyi scheme hai, jab koyi kuch samajh nahi saka to Vikas bola," vah kaise "
" tum sab bhool rahe ho ki is abhiyaan me hamara ek saathi aur bhi hai, saathi bhi aisa jishe hum trikaldarshi samajh sakte hai, vah sabkuch sunta aur

dekhta hai "
" kahi aapka ishaara us blackmailer ki taraf to nahi "
" jo poori drill machine ka intjaam kar sakta hai vah hamare liye poshak aur oxygen clyinder ka intjaam nahi karega "
" bilkul karunga janaab, sir ke bal karunga " vaha goonj uthne vaali blackmailer ki aawaj se sabhi chounk pade.
sab ek jhatke se khade ho gaye.
sabki najre ushi par thi, us par jo mombatti ke prakash me ek kaale saaye jaisa najar aata tha. jaane kyo Vikas ko usse chidh si ho gayi thi, jaane kyo ushe

saamne dekhte hi Vikas ki nasho me doudne vaala khoon khoulne lagta tha.
Vijay ne kaha," dekho pyaare, maante ho na ki hamara saathi trikaaldarshi hai, hame musibat me dekhte hi prakat ho gaya, kyo pyaare, tum hamari madad

karoge na "
" jaroor hujoor lekin... "
" lekin kya "
" agar aapko meri ek shart manjoor hogi to "
" vo shart bhi bolo "
" mera hissa ek se badhkar do percent ho jaayega "
uske is vaakya ke baad sabko saanp soongh gaya. Vikas ka dil chaha ki vah Vijay guru se kiya gaya vaada todkar ucchle aur is blackmailer ka gala daba de.

apni si prabal aakansha par kabu rakhne me ushe bahut jyada maansik shram karna pada.
jabki Vijay ne kaha," ye to hamare saath naainsaafi hai kaale miya "
" vah kaise sarkar "
" tumse jara sa kaam keh rahe hai to tumne apna hissa hi dugna kar diya "
" aap ishe jara sa kaam keh raha hai bandaparvar, mai hi jaanta hu ki ishe karne ke liye hame kitne paapad belne padenge, yakeen nahi hai to aap khud karke

dekh lijiye, yadi aap kar sake to bahut acchi baat hai, mai ek percent ka hi bhaagidaar rahunga "
" tum jaante ho pyaare ki ye kaam bhi hum kar sakte hai lekin isme samay lagega aur samay hamare paas nahi hai "

" tabhi to janaab se hissa dugna karne ki gujarish kar raha hu "
" majboori hai pyaare, do percent hi sahi, kab tak prabandh kar doge "
bade pyaar se kaha usne," kal shaam tak le lijiye janaab "
jaane kyo Vikas ko us blackmailer ke saamne Vijay guru ka itna bauna hona bilkul accha nahi lag raha tha, yadi uska bas chalta to vo us blackmailer ko

kaccha chaba jaata.

--------------------------------

प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: 'Kafan tere bete ka' -- Complete Novel by Vedprakash sha

Post by Jemsbond »

us waqt raat ke kareeb dus baje the aur James bond apne bedroom me, bed par adhleti avastha me chatt ko ghoor raha tha, uske chehre par chinta ke saath

hulki si jhunjhulaahat ke bhi bhaav the, aankho me neend ka door-door tak naamonishaan nahi tha.
ekaek hi angoothi roopi transmitter spark karne laga. vah yahi transmitter tha jispar Alfaanse ke peeche lage jasoos ushe report dete the, usne transmitter on

karke baat ki to pata chala ki Alfaanse aur Irvin lout aaye hai.
ye jasoos London se hi bol raha tha.
Alfaanse aur Irvin ka lout aana Bond ko aakarshit na kar saka, kyonki is waqt uska dimaag poorntaya Vijay aur uske saathiyo par kendrit tha.
jaane kya sochkar usne report dene vaale jasoos ko apni kothi par hi bula liya.
paune 11 baje tak vah gora-chitta aur majboot kad-kaathi ka vyakti Bond ke saamne sofe par kuch aise andaaj me baitha hua tha, jaise Bond ke kisi aadesh

ki prateeksha kar raha ho, British secret service me vah Bond ka junior jasoos tha.
kaafi der ki khaamoshi ke baad usne poocha," kya mai jaan sakta hu sir ki aap kya soch rahe hai "
darasal Bond ne ushe isliye bulaaya tha kyonki vah chahta tha ki saare haalaat par kisi ke saath baithkar discuss kare, ushe lag raha tha ki jis gutthi ko vo

suljha nahi paa raha hai shayad vah discuss karne se khud hi sulajh jaaye.
is junior jasoos ka naam John tha, kareeb do ghante tak vah John ke saath discuss karta raha. maksad sirf ye pata lagana tha ki koyi vyakti subah se shaam

tak Tames me gotakhori kyo karega. kintu Bond ab bhi kisi aashajanak nirnay par nahi pahuch saka.

----------------------------------

dopahar ka samay.
James bond ke jism par gotakhori ka libaas tha, peeth par gas cylinder, naak aur munh se saans lene ke liye oxygen mask, aankho par chashma lagaye vah

Tames ke swacch aur tej bahaav vaale paani me idhar-udhar fir raha tha.
vah is waqt ek khoobsurat macchli jaisa lag raha tha, parantu aisi macchli, jiski paani me se oxygen prapt karne ki kshamta samapt ho gayi ho, tadapta,

chatpatata sa fir raha tha vah.
gotakhori kar rahe ek-ek vyakti ko usne dhyaan se dekha tha, kintu kisi icchit vyakti ko na paakar vah nirash hi hua tha, ab vah teji se Tames ke garbh me

badhne laga.
suabh ke waqt Tames ke chaaro taraf bichaaya gaya uska jaal khaali hi raha tha, uske paancho shikaar me se koyi ek bhi na fans saka.
poshak lene vaale ek-ek vyakti ko usne dhyaan se dekha tha, kintu koyi laabh nahi nikla. gyarah baje tak intjaar karne ke baad usne gotakhori ke liye

swayam ek suit liya aur Tames me kood pada.
yaha bhi ushe abhi tak niraasha hi haath lagi thi.
Bond Tames ke tal me pahuch gaya tha, vaha pade bade-chote pattharo ke beech vah tairta raha, kabhi bahaav ke saath to kabhi bahaav ke vipreet.
vah kuch talaash kar raha tha.
aisi koyi vastu jisse vo Vijay aadi ki gotakhori ka sambandh Kohinoor se jod sake aur maje ki baat ye thi ki ushe khud nahi maalum tha ki vah kya talaash

kar raha tha. aisi kya vastu ho sakti hai jiska sambandh Kohinoor se jud sake.
apne chaaro taraf Bond ko paani me ghuli niraasha hi niraasha najar aa rahi thi.

--------------------------------------

raat bahut andheri thi, isliye 10 baje hi kaafi gehra gayi maalum padti thi.
vishesh roop se Tames ke aaspaas sannata chaa gaya tha. paani ke behne se utpann hone vaali kal-kal ki aawaj jo din me bahut hi acchi aur karnpriya lagti

thi, is waqt bhayanak aur daravani si maalum pad rahi thi.
door-door tak koyi praani najar nahi aa raha tha, magar...
jara thahariye, shayad upar mai kuch galat likh gaya hu.
spasht bhale hi na chamak rahe ho, parantu paanch vyakti kaale saaye ke roop me jaroor dekhe ja sakte the, haan unke alawa door-door tak vaastav me koyi

nahi tha.
poori khaamoshi ke saath ve Tames ke kinaare pahuche.
jaha ve khade the vaha se peeche ki taraf yadi ek seedhi rekha kheenchi jaaye to vah rekha seedhi bank sansthaan naamak imarat ke mukhya dwar par jaakar

samapt hoti thi.
unke jismo par gas cylinder samet gotakhori ka poora libaas tha.
unme se ek ne jeb se ek lambi par majboogt rassi nikali, fir is rassi ka ek sira apni peeth aur pet par belt ke samaan baandhne ke baad dusra sira apne barabar

me khade saathi ko deta hua bola," lo pyaare jhaanjharokhe "
Ashraf ne apne pet aur kamar par rassi ko ek baar lapeta tatha sira apne barabar me khadi Aasha ko pakda diya.
is prakar Aasha aur Vikram ko lapetne ke baad rassi ka antim sira Vikas ke pet par bandha.
ab ve paancho ek hi rassi se sambandhit the.
ye prabandh shayad unhone Tames ke garbh me chhaaye andhere aur paani ke tej bahaav se bachne ke liye kiya tha, is prakaar bahaav ya andhere ke kaaran

unhe ek-dusre se bichad jaane ka koyi dar nahi tha.
ab paancho ne ek saath naak aur munh par oxygen mask fix kiye, aankho par chashme lagaye tatha Tames me jump laga di, unke koodne se utpann hone vaali

aawaj raat ki khaamoshi me door-door tak goonjti chali gayi, kintu us par dhyaan dene vaala koyi nahi tha.
ve paancho ek saath tairte huve Tames ke tal ki taraf badh rahe the.
gotakhori ki jo caps unhone pehan rakhi thi, un par waterproof searchlights fix thi, jinhe unhone Tames ke garbh me pahuchte hi on kar liya tha.
ab teevra roshni paani ko cheerti huyi unke aage-aage chal rahi thi.
paani ke andar gehre sannate ke beech apne aaspaas ke bhaag ko roshan karte ve paanch saaye bade rahsayamayi prateet ho rahe the.
kareeb ek ghante baad ve ushi vishaal patthar ki jad me pahuche, jiske neeche unhone battery rakhkar sabse pehle din drill chaalu ki thi.
yaha kuch der baithkar unhone apni thakaan door ki.
us taraf jaha unhone pehle din drill fix karke surang banane ka kaam shuru kiya tha, is waqt kuch bhi najar nahi aa raha tha. vaha paani hi paani tha balki

ye kehna chahiye ki ye pehchaan tak nahi ho rahi thi ki unhone drill machine vaha rakhi tak thi.
kuch der sustaane ke baad ve uthe, fir ushi taraf taire, pankti me sabse aage Vijay tha, vah deewar tatolne laga, sheegra hi uski searchlight par fix prakash ek

gol dahane par pada.
yani vah unke dwara taiyaar ki jaa rahi surang ka munh tha.
teen feet vyaas ka gol munh.
Vijay is munh ke andar daakhil ho gaya aur ab uske andar tairne laga, rassi me bandhe uske saathi bhi peeche-peeche hi aa rahe the, surang me labalab paani

bhara hua tha, kintu usme tairne me unhe koyi dikkat nahi thi.
surang me paani keval bhara hua tha, bahaav ka to vaha kuch matlab hi nahi tha. haan, nadi ke paani ki apeksha surang ke andar ka paaani bahut ganda jaroor tha.

surang 12 feet lambi thi yaani ki ve abhi tak surang ko 12 feet lambi bana paaye the, jaha surang band thi vahi unki drill machine aur battery maujood thi.
ab surang ke andar hi ve apna-apna kaam karne me jut gaye.
paani ganda hone ki vajah se unki cap se nikal rahi roshni kaafi maddham si najar aa rahi thi. lekin ve apne-apne kaam me yu vyast the jaise ki pehle se

nirdhaarit karke aaye ho ki gufa me pahuchne ke baad kisko kya kaam karna hai.
ant me stithi ye aa gayi ki Vijay, Vikas, Ashraf aur Vikram ne drill machine ko uthakar ulta kar liya, uska drill unhone surang ki chatt se sata diya.
battery surang ke sameep rakhi thi, uske sameep baithi thi Aasha.
battery unhi do taaro ke dwara drill machine se sambandhit thi, ve chaaro abhi apne ghutno par baithe the aur apne haatho par drill machine ko sambhaale

huve the. abhi ve balance bana rahe the.
balance banane ke baad ve sthir ho gaye.
unka sthir hona hi jaise Aasha ke liye sanket tha.
usne battery on karne vaala switch daba diya aur iske saath hi un chaaro ke haatho me sadhi huyi drill machine chaalu ho gayi.
surang ki chatt me sparsh hua, drill teji se ghoomne laga.
drill ke aaspaas ke paani me manthan sa shuru ho gaya aur saath hi surang ki geeli mitti ko kaat-ta hua drill ek bhatt banane laga.
paani me ghulti huyi mitti paancho par girne lagi.
paani bahut jyada matmaila ho gaya tha.
drill badi teji se ghoomta, apne chaaro taraf mitti ko ucchalta surang ki chatt me dhansta chala jaa raha tha, is prakar ab surang jameen se upar ki or uthne

lagi thi.

-----------------------------------
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply