खौफनाक इमारत (इमरान सीरीज) Hindi noval complete

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: खौफनाक इमारत (इमरान सीरीज) Hindi noval

Post by Jemsbond »


Salwar Ka Lattha Boski Ki Kameez….
Salwar Ka Boska…Latthi…Latthi…Kya Tha….
LAHOL VILA QUWATH….Bhool Gaya Ruko
Yaar…Ruko….Shayad…..Fayaz Ne Motorcycle Rok Di

Bhool Gaya Imran Bola

Kya Bhool Gaye

Kuch Galtee Ho Gayi

Kya Galtee Ho Gayi…? Fayaz Jhunjhula Kar Bola

Yaar
Imran Carier Se Utarta Hua Bola
Jaldi Hai Yaar Fayaz Ne Gardan Jhatak Kar Kaha

Imran Uski Peeth Se Peeth Milaye Hue Dusri Taraf Munh Kar Ke Baith gaya

Yeh Kya…? Fayaz Ne Hairath Se Kaha…

Bas, Chalo Thik Hai

Khuda Ki Qasam Tang Kar Maarte Ho Fayaz Ukta Kar Bola

Kaun Si Musibath Aa Gayi Imran Bhi Jhunjhulane Laga

Mujhe Bhi Tamasha Banaoge Seedhe Baitho Na

To Kya Main Sar K Bal Baitha Hu

Maan Jao Pyare Fayaz Khush-Amad K Laheje Mein Bola,Log Hasenge Hum Par

Yeh To Badi Achi Baat Hai


Munh K Bal Giroge Sadaq Par

Agar Taqdeer Mein Yehi Hai To Banda Be-Bas Aur Lachhaar Imran Ne Darwesh K Andaz Mein Kaha

Khuda Samjhe Tum Se Fayaz Ne Daant Pees Kar Motorcycle Start Kar Di

Uska Munh Pashchim Ki Taraf Tha
Aur
Imran Ka Purab Ki Taraf

Aur

Imran Is Tarah Aage Ki Taraf Jhuka Hua Tha Jaise
Wo Khud Hi Motorcycle Drive Kar Raha Ho
Raahgir Unhe Dekh-Dekh Kar Has Rahe They
Dekha

Yaad Aa Gaya Na Imran Chahek Kar Bola
Salwar Lattha
Aur
Kameez Ki Boski….

Main Pahle Hi Kahe Raha Tha Ki Galtee Ho Gayi Hai
Imran Tum Mujhe Ahmaq Samjhte Ho Fayaz Ne Jhunjhula La Kar Kaha
Kam-Se-Kam Mere Saamne To Is Kambakhteepan Se Baaz Aya Karo

Tum Khud Honge Kambakhti Imran Bura Munh Bana Kar Bola

Aakhir Is Dhong Se Kya Faayadaa..?

Dhong .! Arey Kamaal Kar Diya
Offoh.! Is Lafz Dhong Par Mujhe Wo Baat Yaad Ayi Hai Jise Ab Se Ek Saal Pahle Yaad Aani Chahiye Tha

Fayaz Kuch Na Bola Motorcycle Hawa Se Baate Karti Rahi

Haaye ! Imran Thodi Der Baad Bola
Yeh Motorcycle Piche Ki Taraf Kyun Bhaag Rahi Hai
Arey, Iska Handle Kya Hua…
Phir Usne Be-Tahasha Cheekhna Shuru Kar Diya
Hato…Bacho…Main Piche Ki Taraf Nahi Dekh Sakta

Fayaz Ne Motorcycle Rok Di Aur Jhenpte Hue Andaaz Mein Raahgiro Ki Taraf Dekhne Laga
Shukr Hai Khuda Ka Ki Khud-Ba-Khud Ruk Gayi
Imran Utarta Hua BaDabaDaayaa….Phir Jaldi Se Bola
LAHOL VILA QUWWAT
Iska Handle Piche Hai Ab Motorcycle Bhi Ulti Banne Lagi

Kya Matlab Hai Tumhara.? Kyun Tang Kar Rahe Ho.? Fayaz Ne Be-Basi Se Kaha

Tang Tum Kar Rahe Ho Ya Main !.... Ulti Motorcycle Liye Firte Ho
Agar
Koi Accident Ho Gaya To

Chalo Baitho Fayaz Use Khinchta Hua Bola

Motorcycle Phir Chal Padi

Ab To Thik Chal Rahi Hai.! Imran BaDabaDaayaa
Motorcycle Shaher Se Nikal Kar Veerane Ki Taraf Jaa Rahi Thi

Aur

Imran Ne Abhi Tak Fayaz Se Yeh Bhi Puchne Ki Zehmath Gawara Nahi Ki Thi Ki Wo Use Kahan Le Jaa Raha Hai

Aaj Mujhe Phir Tumhari Madad Ki Zaroorath Mehsoos Hui Hai.! Fayaz Bola

Lekin
Main Aaj-Kal Gareeb Hu.! Imran Ne Kaha

Achha

To Kya Main Tumse Udhaar Maangne Jaa Raha Tha.?

Pata Nahi Main Yehi Samajh Raha Tha

Arey Baap Re.. Phir Bhool Gaya…
Lathmaar Ka…Pyjama… Aur Kameez…. LAHOL VILA QUWWAT…Boska…

Please Shut Up…. Imran… You Fool
Fayaz Jhunjhula Utha

Imran… Captain Fayaz Ne Thandi Saans Le Kar Use Mukhatib Kiya

Haa

Tum Aakhir Dusro Ko Bewaqoof Kyun Samajhte Ho.?

Kyun Ki….Haa… Arey Baap Re
Yeh Jhakte… Yaar Chikni Zameen Par Chalao

Main Kehta Hu Ki Ab Saari Himaqate Khatm Kar Ke Koi Dhang Ka Kaam Karo

Dhang… Lo Yaar… Is Dhang Par Bhi Koi Baat Yaad Aane Ki Koshish Kar Rahi Hai

Jahannum Jao.! Fayaz Jhalla Kar Bola

Achha
Imran Ne Badi Aagyakarita Se Gardan Hilayi
Motorcycle Ek Lambi-Chaudi Imarath K Saamne Ruk Gayi
Jiske Phatak Par Teen-Chaar Vardi-Dhari Constable Nazar Aa rahe They

Ab Utro Bhi.! Fayaz Ne Kaha

Main Samjha Shayad Ab Tum Mujhe Handle Par Bithaoge Imran Utarta Hua Bola

Wo Uss Waqt Ek Dehathi ILaaqe Mein Khade Hue They Jo Shaher Se Zyada Dur Na Tha
Yaha Bas Yehi Ek Imarath Itni Badi Thi Warna Is Basti Mein Mamuli Qism K Kachhe-Pakke Makaan They Is Imarath Ki Banawat Purane Dhang Ki Thi
Chaaro Taraf Surkh Rang Lakhori Eento Ki Unchi-Unchi Deeware Thi
Aur
Saamne Ek Bahut Bada Phatak Tha
Jo
Ghaliban Sadar Darwaze K Taur Par Istemal Kiya Jata Raha Hoga

Captain Fayaz Imran Ka Haath Pakade Hue Imarath Mein Daakhil Ho Gaya

Abhi Bhi Imran Ne Usse Yeh Nahi Pucha Ki Wo Use Kaha Aur Kyun Laya Hai

Dono Ek Bade Dalaan Se Guzarte Hue Ek Kamre Mein Aye

Achaanak

Imran Ne Apni Aankhon Par Dono Haath Rakh Liye
Aur
Munh Fer Khada Ho Gaya

Usne Ek Laash Dekh Li Thi Jo Farsh Par Ondhi Padi
Aur
Uske Gird Khoon Faila Hua Tha

INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI WA RAJIUN

Wo Kaampti Awaaz Mein Badh-Badha Raha Tha
Khuda Uske Rishtedaro Par Rehmath Kare
Aur
Use Sabr Ki Taufeeq Ata Farmaye

Main Tumhe Dua-E-Khair Karne Ke Liye Nahi Laya
Fayaz Jhunjhula Kar Bola

Kafan-Dafan Ke Liye Chanda Wahan Bhi Maang Sakte They Aakhir Itni Dur Kyun Ghaseet Laye

Yaar Imran
Khuda K Liye Bore Na Karo Main Tumhe Apna Ek Behathreen Dost Samajhta Hu.! Fayaz Ne Kaha

Main Bhi Yehi Samajhta Hu

Magar
Pyare 5 Rupiye Zyada Na De Sakunga
Abhi Mujhe…Latthi Ka Boska Khareedna Hai…
Kya
Latthi…Lo Yaar Phir Bhool Gaya
Kya Musibath Hai

Fayaz Chandh Lamhe Khada Use Ghoorta Raha
Phir Bola Yeh Imarath Pichle 5 Saalo Se Bandh Rahi Hai
Kya
Aisi Halath Mein Yaha Ek Laash Ki Maujoodgi Hairath-Angez Nahi Hai

Bikul Nahi Imran Sar Hila Kar Bola
Agar
Yeh Laash Kisi Amrudh K Darakht Par Paayi Jati To Main Use Ajooba Maan Leta

Yaar
Thodi Der K Liye Sanjhida Ho Jao

Main
Shuru Hi Se Ranjida Hu
Imran
Ne Thandi Saans Le Kar Kaha

Ranjida
Nahi
Sanjida
Fayaz Jhunjhula Gaya
Imran
Khamoshi Se Laash Ki Taraf Dekh Raha Tha…
Wo
Ahista Se BaDabaDaayaa
Teen Zakhm

Fayaz
Use Mood Mein Aate Dekh Kar Kuch Nishchint Sa Nazar Aane Laga
Pahle Puri Baat Sun Lo

Fayaz Ne Use Mukhatib Kiya
Thahero
Imran Jhukta Hua Bola Wo Thodi Der Zakhmo Ko Ghaur Se Dekhta Raha

Phir

Sar Utha Kar Bola

Puri Baat Sunane Se Pahle Yeh Batao Ki
Is Laash K Baare Mein

Tum Kya Bata Sakte Ho.?

Aaj Din Mein 12 Baje Yeh Dekhi Gayi.! Fayaz Ne Kaha

Uuh.! Main Zyada Aqalamandi Ka Jawab Nahi Chahta Imran Naak Sikud Kar Bola

Main Yeh Jaanta Hu Ki Kisi Ne Uss Par Teen Waar Kiye Hai

Aur Kuch

Imran Use Sawaliya Nazro Se Dekh Raha Tha

Aur Kya.? Fayaz Bola

Magar

Sheikh-Cheeli Doyam….
Yani
Ali Imran M.s.c P-h.d. Ka Khayal Kuch Aur Hai

Kya.?

Sunn Kar Mujhe Ullu Sahi Ahmaq Bata Do Samajhne Lagoge

Arey Yaar
Kuch Batao To Sahi

Achha Suno

Qaatil Ne Pahla Waar Kiya…
Phir
Pahle Zakhm Se 5-5 Inch Ka Faasla Naap Kar
Dusra Aur Teesra Waar Kiya
Aur
Is Baat Ka Khaas Khayal Rakha Ki Zakhm Bilkul Seedh Mein Rahe Na Ek Sut Idhar Na Ek Sut Udhar

Kya Bakte Ho.? Fayaz BaDabaDaayaa

Naap Kar Dekhlo
Meri Jaan

Agar
Galat Nikle To Mera Kalam Sar Kar Dena…

Aha…Shayad

Main Galat Bol Gaya…
Mere Kalam Pe Sar Rakh Dena….Imran Ne Kaha
Aur
Idhar-Udhar Dekhne Laga
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: खौफनाक इमारत (इमरान सीरीज) Hindi noval

Post by Jemsbond »



उसने एक तरफ पड़ा हुआ एक तिनका उठाया
और फिर झुक कर ज़ख़्मो के बीच का फासला नापने लगा

फायज़ उसे हैरत से देख रहा था

लो इमरान ने उसे तिनका पकड़ाता हुआ बोला

अगर यह तिनका 5 इंच का ना निकले तो किसी की दाढ़ी तलाश करना

मगर इसका मतलब.?फायज़ कुछ सोचता हुआ बोला

इसका मतलब यह है कि क़ातिल और मक़तुल दरअसल आशिक़ और माशूक़ थे

इमरान प्यारे ज़रा संजीदगी से

यह तिनका बताता है कि यही बात है ! इमरान ने कहा

और उर्दू के पुराने शायरो का भी यही ख़याल है

किसी का भी दीवान उठा कर देखलो
दो-चार शेर इस क़िस्म के ज़रूर मिल जाएँगे
जिनसे मेरे ख़याल की टाईड हो जाएगी
चलो एक शेर सुन ही लो

मोच आए ना कलाई में कही
सख़्त जान हम भी बहुत है
प्यारे बकवास मत करो अगर मेरी मदद नही करना चाहते तो सॉफ-सॉफ कहे दो फायज़ बिगड़ कर बोला

फासला तुमने नाप लिया अब तुम ही बताओ कि क्या बात हो सकती है ! इमरान ने कहा

फायज़ कुछ ना बोला

ज़रा सोंचो तो इमरान फिर बोला
एक आशिक़ ही उर्दू शायरी के मुताबिक़ अपने महबूब को इस बात की इजाज़त दे सकता है कि वो जिस तरह चाहे उसे क़त्ल करे क़ीमा बना कर रख दे या नाप-नाप कर सालीक़े से ज़ख़्म लगाए

यह ज़ख़्म बद-हवासी का नतीजा भी नही
लाश की हालत भी यह नही बताती कि मरने से पहले मक़तुल को किसी से ज़द्दो-जेहाद करनी पड़ी हो
बस ऐसा मालूम होता है जैसे चुप-चाप लेट कर उसने कहा जो मिज़ाजे-यार में आए….

पुरानी शायरी और हक़ीक़त में क्या लगाऊ है.? फायज़ ने पूछा

पता नही इमरान ने सोशने वेल अंदाज़ में सर हिला कर बोला

वैसे अब तुम पूरी ग़ज़ल सुना सकते हो मक़था मैं अर्ज़ कर दूँगा

फायज़ थोड़ी देर खामोश रहा फिर बोला
यह इमारत तक़रीबन 5 साल से खाली रही है….
वैसे हर जुमेरात को सिर्फ़ चन्द घंटो के लिए उसे खोला जाता है

क्या.?

यहा दरअसल एक क़ब्र है जिसके बारे में माशूर है कि वो किसी शहीद की है
चुनांचे हर जुमेरात को एक शख्स उसे खोल कर क़ब्र की सॉफ-सफाई करता है

चढ़ावे वाघहैरा चढ़ते होंगे.?इमरान ने पूछा

नही ऐसी कोई बात नही

जिन लोगों का यह मकान है वो शहेर में रहते है
और उनसे मेरे करीबी तालूक़ात है
उन्होने एक आदमी इसलिए रख छोड़ा है कि देख-भाल कर लिया करे….

यहाँ लोगों की भीड़ नही होती

बहेरहाल

आज दोपहर को जब वो यहा आया तो उसने यह लाश देखी

ताला बंद था.? इमरान ने पूछा

हाँ और वो यक़ीन के साथ कहा सकता है कि कुंजी (की) एक लम्हे के लिए भी नही खोई
और फिर यहाँ इस क़िस्म के निशान नही मिल सके जिनकी बिना पर कहा जा सकता कि कोई दीवार फलाँग कर अंदर आया हो

तो फिर यह लाश आसमान से टप्कि होगी.! इमरान ने संजीदगी से कहा

बेहतर तो यह है कि तुम उसी शहीद की मदद तलब करो जिसकी क़ब्र…

फिर बहकने लगे.! फायज़ बोला

इस इमारत के मलिक कौन है और कैसे है.? इमरान ने पूछा

वोई मेरे पड़ोस वाले जड्ज साहब.! फायज़ बोला

हाए वोई जज साहब.! इमरान अपने सीने पर हाथ मार कर होंठ चाटने लगा

हां वोई…यार
संजीदगी से… खुदा के लिए

तब मैं तुम्हारी कोई मदद नही कर सकता.! इमरान मायूस अंदाज़ में सर हिला कर बोला

क्यूँ.?

तुमने मेरी मदद नही की

मैने.? फायज़ ने हैरत से कहा
मैं नही समझा

ख़ुदग़र्ज़ होना भला तुम मेरे काम क्यूँ आने लगे.?




Usne Ek Taraf Pada Hua Ek Tinka Uthaya
Aur
Phir Jhuk Kar Zakhmo K Beech Ka Faasla Naapne Laga

Fayaz Use Hairath Se Dekh Raha Tha

Lo Imran Ne Use Tinka Pakdata Hua Bola

Agar

Yeh Tinka 5 Inch Ka Na Nikle To Kisi ki Dadhi Talaash Karna

Magar
Iska Matlab.?Fayaz Kuch Sonchta Hua Bola

Iska Matlab Yeh Hai Ki Qaatil Aur Maqtul Darasal Aashiq Aur Mashooq They

Imran Pyare
Zara
Sanjhidgi Se

Yeh Tinka Batata Hai Ki Yehi Baat Hai ! Imran Ne Kaha

Aur
Urdu K Purane Shayaro Ka Bhi Yehi Khayal Hai

Kisi Ka Bhi Deewan Utha Kar Dekhlo
Do-Chaar Sher Is Qism K Zaroor Mil Jayenge
Jinse
Mere Khayal Ki Tayeed Ho Jayegi
Chalo

Ek Sher Sunn Hi Lo

Moch Aye Na Kalayi Mein Kahi
Sakht Jaan Hum Bhi Bahut Hai
Pyare
Bakwas Mat Karo

Agar
Meri Madad Nahi Karna Chahte To Saaf-Saaf Kahe Do Fayaz Bigadh Kar Bola

Faasla Tumne Naap Liya Ab Tum Hi Batao Ki Kya Baat Ho Sakti Hai ! Imran Ne Kaha

Fayaz Kuch Na Bola

Zara Soncho To Imran Phir Bola
Ek Aashiq Hi Urdu Shayari K Mutabiq Apne Mehboob Ko Is Baat Ki Ijazath De Sakta Hai Ki Wo Jis Tarah Chahe Use Qatl Kare
Qeema Bana Kar Rakh De Ya Naap-Naap Kar Saleeqe Se Zakhm Lagaye

Yeh
Zakhm Badh-Hawasi Ka Nateeja Bhi Nahi
Laash Ki Halath Bhi Yeh Nahi Batati Ki Marne Se Pahle Maqtul Ko Kisi Se Jaddho-Jehadh Karni Padi Ho
Bas Aisa Malum Hota Hai Jaise Chup-Chaap Let Kar Usne Kaha Jo Mizaje-Yaar Mein Aye….

Purani Shayari Aur Haqeeqat Mein Kya Lagau Hai.? Fayaz Ne Pucha

Pata Nahi Imran Ne Sonchne Wale Andaaz Mein Sar Hila Kar Bola

Waise
Ab Tum Puri Ghazal Suna Sakte Ho Maqtha Main Arz Kar Dunaga

Fayaz Thodi Der Khamosh Raha Phir Bola
Yeh Imarath Taqreeban 5 Saal Se Khali Rahi Hai….
Waise
Har Jumeraat Ko Sirf Chandh Ghanto K Liye Use Khola Jata Hai

Kya.?

Yaha Darasal Ek Qabr Hai Jiske Baare Mein Mashoor Hai Ki Wo Kisi Shaheed Ki Hai
Chunache
Har Jumeraat Ko Ek Shakhs Use Khol Kar Qabr Ki Saaf-Safayi Karta Hai

Chadhave Waghaira Chadhate Honge.?Imran Ne Pucha

Nahi
Aisi Koi Baat Nahi

Jin Logon Ka Yeh Makaan Hai Wo Shaher Mein Rahte Hai
Aur
Unse Mere Khareebi Taaluqath Hai
Unhone Ek Aadmi Isliye Rakh Chodha Hai Ki Dekh-Bhaal Kar Liya Kare….

Yaha Logon Ki Bheed Nahi Hoti

Baherhaal

Aaj Dopahar Ko Jab Wo Yaha Aya To Usne Yeh Laash Dekhi

Taala Bandh Tha.? Imran Ne Pucha

Haa Aur Wo Yaqeen K Saath Kahe Sakta Hai Ki Kunji (Key) Ek Lamhe K Liye Bhi Nahi Khoyi
Aur
Phir Yaha Is Qism K Nishaan Nahi Mil Sake Jinki Bina Par Kaha Jaa Sakta Ki Koi Deewar Phalaang Kar Andar Aya Ho

To Phir
Yeh Laash Aasmaan Se Tapki Hogi.! Imran Ne Sanjhidgi Se Kaha

Behtar To Yeh Hai Ki Tum Usi Shaheed Ki Madad Talab Karo Jiski Qabr…

Phir Bahekne Lage.! Fayaz Bola

Is Imarath K Malik Kaun Hai Aur Kaise Hai.? Imran Ne Pucha

Woi
Mere Pados Wale Judge Sahab.! Fayaz Bola

Haaye Woi
Judge Sahab.! Imran Apne Seene Par Haath Maar Kar Honth Chaatne Laga

Haa Woi…Yaar
Sanjhidgi Se… Khuda K Liye

Tab Main Tumhari Koi Madad Nahi Kar Sakta.! Imran Mayoos Andaaz Mein Sar Hila Kar Bola

Kyun.?

Tumne Meri Madad Nahi Ki

Maine.? Fayaz Ne Hairath Se Kaha
Main Nahi Samjha

Khudgarz Hona Bhala Tum Mere Kaam Kyun Aane Lage.?
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: खौफनाक इमारत (इमरान सीरीज) Hindi noval

Post by Jemsbond »

अरे तो बताओ ना मैं वाक़ई नही समझा

कब से कह रहा हू कि अपने पड़ोसी जज साहब की लड़की से मेरी शादी करा दो

बको मत… हर वक़्त बेतुकी बाते

मैं संजीदगी से कह रहा हू.! इमरान ने कहा

अगर संजीदगी से कहे रहे हो तो शायद तुम अंधे हो

क्यूँ.?

उस लड़की की एक आँख नही है

इसी लिए तो मैं उससे शादी करना चाहता हूँ वो मुझे और मेरे कुत्ते को एक नज़र से देखेगी

यार खुदा के लिए संजीदा हो जाओ

पहले तुम वादा करो.! इमरान बोला

अच्छा बाबा मैं उनसे कहूँगा

बहुत बहुत शुक्रिया.! मुझे सच-मूच उस लड़की से कुछ हो गया है…
क्या कहते है उसे… लो यार भूल गया… हालाँकि कुछ देर पहले उसी का ताज़किरा था

चलो छोड़ो काम की बाते करो

नही उसे याद ही आ जाने दो वरना मुझ पर हिस्ट्रिया का दौरा पड़ जाएगा

‘इश्क़’.! फायज़ मुँह बना कर बोला

जियो.!शाबाश.!
इमरान ने उसकी पीठ ठोकते हुए कहा खुदा तुम्हारी मादा को सलामत रखे

अच्छा अब यह बताओ कि लाश की शिनाख्त हो गयी या नही

नही.! ना तो वो इस इलाक़े का बाशिंदा है और ना जज साहब का के खानदान वाले उससे वाक़िफ़ है

यानी किसी ने उसे पहचाना नही

नही उसके पास कोई ऐसी चीज़ मिली नही जिसे उसकी शिनाख्त पर रोशनी पड़ सके

कोई नही… मगर ठहरो
फायज़ ने एक मेज़ की तरफ बढ़ते हुआ बोला वापसी में उसके हाथ में चमड़े का थैला था
यह थैला हमे लाश के करीब पड़ा मिला था फायज़ ने कहा

इमरान थैला उसके हाथ से ले कर अंदर की चीज़ो का मुआईना करने लगा
किसी बढ़ई (कार्पंटर) के औज़ार उसने कहा

अगर ये मक़तुल ही की है तो…
वैसे उस शख्स की ज़ाहिरी हालत कुछ अच्छी नही….लेकिन फिर भी यह बढ़ई (कार्पंटर) मालूम नही होता…

क्यूँ.?

उसके हाथ बड़े मुलायम है और… हथेलियो में खुरदुरापन नही है यह
हाथ किसी मुसव्विर (कलाकार) या रंगसाज़ (पेंटर) ही हो सकते है.! इमरान बोला

अभी तक तुम ने काम की बात नही बताई.! फायज़ ने कहा

एक अहमक आदमी से इसे ज़्यादा की उम्मीद रखना
अक़ल्मंदी नही.! इमरान हँस कर बोला

उसके ज़ख़्मो ने मुझे उलझन में डाल दिया है फायज़ ने कहा

अगर तुमने मेरे ज़ख़्मो पर मरहम रखा तो मैं उन ज़ख़्मो को भी देख लूँगा

क्या मालतब

जज साहब की लड़की.! इमरान इस तरह बोला जैसे उसे कुछ याद आ गया हो
इस मकान की एक कुंजी जज साहब के पास ज़रूर रहती होगी

हां, एक उनके पास भी है

है या थी

यह तो मैने नही पूछा

खैर फिर पूछ लेना

अब लाश को उठवाओ…पोस्टमॉर्टम के सिलसिले में ज़ख़्मो की गहराई का ख़ास ख़याल रखा जाए

क्यूँ.?

अगर ज़ख़्मो की गहराइया भी एक-दूसरे के बराबर हुई
तो समझ लो कि यह शहीद मर्द साहब की हरकत है

क्यूँ फ़िज़ूल बकवास कर रहे हो

जो कहे रहा हूँ… उस पर अमल करने का इरादा हो तो
अली इमरान एम.एस.सी पी-एच.डी की खिदमत हासिल करना वरना कोई…क्या नही…
ज़रा बताओ तो मैं कौन सा लफ्ज़ भूल रहा हूँ

ज़रूरत.! फायज़ बुरा सा मुँह बना कर बोला

जीते रहो… वरना कोई ज़रूरत नही

तुम्हारी हिदायत पर अमल किया जाएगा…. और कुछ..?

और यह कि मैं पूरी इमारत देखना चाहता हूँ.! इमरान ने कहा
पूरी इमारत का चक्कर लगा लेने के बाद वो उसी कमरे में लौट आया

हां भाई जज साहब से ज़रा यह भी पूछ लेना कि उन्होने सिर्फ़ उसी कमरे की हालत बदलने की कोशिश क्यूँ कर डाली है
जब कि पूरी इमारत उसी पुराने ढंग पर रहने दी गयी है
कही भी दीवार पर प्लास्टर नही दिखाई दिया….

लेकिन यहाँ है

पूछ लूँगा

और कुंजी के बारे में भी पूछ लेना…और अगर वो महबूबा यकचाश्म मिल जाए तो उससे कहना कि तेरे निमकश को कोई मेरे दिल से पूछे…शायद ग़ालिब की महबूबा भी एक ही आँख रखती….क्यूँ कि
तेरे निमकश एक-ळौति आँख का ही हो सकता है


Arey To Bataao Na Main Waqai Nahi Samjha

Kab Se Kahe Raha Hu Ki Apne Padosi Judge Sahab Ki Ladki Se Meri Shaadi Kara Do

Bako Mat… Har Waqt Betuki Baate

Main Sanjeedagee Se Kahe Raha Hu.! Imran Ne Kaha

Agar Sanjeedagee Se Kahe Rahe Ho To Shayad Tum Andhe Ho

Kyun.?

Us Ladki Ki Ek Aankh Nahi Hai

Isi Liye To Main Usse Shaadi Karna Chahta Hu Wo Mujhe Aur Mere Kutte Ko Ek Nazar Se Dekhegi

Yaar Khuda K Liye Sanjida Ho Jao

Pahle Tum Wada Karo.! Imran Bola

Achha Baba
Main Unse Kahunga

Bahut Bahut Shukriya.! Mujhe Sach-Much Uss Ladki Se Kuch Ho Gaya Hai…
Kya Kahte Hai Use… Lo Yaar Bhool Gaya…
Halanki
Kuch Der Pahle Usi ka Tazkira Tha

Chalo Chodo Kaam Ki Baate Karo

Nahi Use Yaad Hi Aa Jane Do
Warna
Mujh Par Histiriya Ka Daura Padh Jayega

‘Ishq’.! Fayaz Munh Bana Kar Bola

Jiyo.!Shabaash.!
Imran Uski Peeth Thokte Hue Kaha Khuda Tumhari Mada Ko Salamath Rakhe

Achha Ab Yeh Bataao Ki Laash Ki Shinaakht Ho Gayi Yaa Nahi

Nahi.! Na To Wo Is Ilaqe Ka Bashinda Hai Aur Na Judge Sahab Ka K Khandaan Wale Usse Waqif Hai

Yani Kisi Ne Use Pehchana Nahi

Nahi Uske Paas Koi Aisi Cheez Mili Nahi Jise Uski Shinakht Par Roshni pad Sake

Koi Nahi… Magar Thahero
Fayaz Ne Ek Mez Ki Taraf Badhte Hua Bola Wapsi Mein Uske Haath Mein Chamade Ka Thaila Tha
Yeh Thaila Hume Laash Ke Kareeb Pada Mila Tha Fayaz Ne Kaha

Imran Thaila Uske Haath Se Le Kar Andar Ki Cheezo Ka Muaaina Karne Laga
Kisi Badhai (Carpenter) K Auzaar Usne Kaha

Agar Ye Maqtul Hi Kee Hai To…
Waise Us Shakhs Ki Zaahiri Halath Kuch Achhi Nahi….Lekin Phir Bhi Yeh Badhai (Carpenter) Malum Nahi Hota…

Kyun.?

Uske Haath Bade Mulayam Hai Aur…
Hatheliyo Mein Khurdurapan Nahi Hai Yeh
Haath Kisi Musawwir (Kalakar) Ya RangSaaz (Painter) Hi Ho Sakte Hai.! Imran Bola

Abhi Tak Tum Ne Kaam Ki Baat Nahi Batayi.! Fayaz Ne Kaha

Ek Ahmaq Aadmi Se Ise Zyada Ki Umeed Rakhna
Aqalmandi Nahi.! Imran Hass Kar Bola

Uske Zakhmo Ne Mujhe Uljhan Mein Daal Diya Hai Fayaz Ne Kaha

Agar
Tumne Mere Zakhmo Par Marham Rakha To Main Unn Zakhmo Ko Bhi Dekh Lunga

Kya Maltab

Judge Sahab Ki Ladki.! Imran Is Tarah Bola Jaise Use Kuch Yaad Aa Gaya Ho
Is Makaan Ki Ek Kunji Judge Sahab K Paas Zaroor Rehti Hogi

Haa, Ek Unke Paas Bhi Hai

Hai Ya Thi

Yeh To Maine Nahi Pucha

Khair
Phir Puch Lena

Ab
Laash Ko Utthawao…Postmortem K Silsile Mein Zakhmo Ki Gehrayi Ka Khaas Khayal Rakha Jaye

Kyun.?

Agar
Zakhmo Ki Gehraiya Bhi Ek-Dusre K Barabar Hui
To
Samajh Lo Ki Yeh Shaheed Mard Sahab Ki Harkat Hai

Kyun
Fizool Bakwas Kar Rahe Ho

Jo Kahe Raha Hu… Uss Par Amal Karne Ka Irada Ho To
Ali Imran M.s.c P-h.d Ki Khidmath Haasil Karna Warna Koi…Kya Nahi…
Zara Bataao To
Main Kaun Sa Lafz Bhool Raha Hu

Zaroorath.! Fayaz Bura Sa Munh Bana Kar Bola

Jeete Raho…

Warna
Koi Zaroorath Nahi

Tumhari Hidayath Par Amal Kiya Jayega….
Aur Kuch..?

Aur
Yeh Ki Main Puri Imarath Dekhna Chahta Hu.! Imran Ne Kaha
Puri Imarath Ka Chakkar Laga Lene K Baad Wo Usi Kamre Mein Laut Aya

Haa Bhai
Judge Sahab Se Zara Yeh Bhi Puch Lena Ki Unhone Sirf Usi Kamre Ki Halath Badalne Ki Koshish Kyun Kar Daali Hai
Jab Ki
Puri Imarath Usi Purane Dhang Par Rahne Di Gayi Hai
Kahi Bhi Deewar Par Plaster Nahi Dikhayi Diya….

Lekin Yaha Hai

Puch Lunga

Aur
Kunji K Baare Mein Bhi Puch Lena…Aur
Agar Wo
Mahbooba Yakchashm Mil Jaye To Usse Kehna Ki

Tere Nimkash Ko Koi Mere Dil Se Puche…
Shayad
Ghalib Ki Mahbooba Bhi Ek Hi Aankh Rakhti….Kyun ki
Tere Nimkash Ek-Lauti Aankh Ka Hi Ho Sakta Hai
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: खौफनाक इमारत (इमरान सीरीज) Hindi noval

Post by Jemsbond »


तो इस वक़्त और कुछ नही बताओगे.! फायज़ ने कहा

यार बड़े एहसान फ़रोश हो…फ़रोश… शायद मैं फिर भूल गया कि कौन सा लफ्ज़ है

फरामोश

जियो हां तो बड़े एहसान फारमोश हो इतनी देर से बकवास कर रहा हूँ
और तुम कहते हो कुछ बताया ही नही
,,,,,,,,
दूसरे दिन
कॅप्टन फायज़ ने इमरान को अपने घर बुलाया

हालाँकि केयी बार के अनुभव ने यह बात साबित कर दी थी कि इमरान वो नही है जो ज़ाहिर करता है ना वो अहमक है
और ना खब्ती लेकिन फिर भी फायज़ ने उसे मूड में लाने के लिए जज शहाब की कानी लड़की को भी बुला लिया

हालाँकि वो इमरान की इस हरकत को भी मज़ाक़ ही समझा था
लेकिन फिर भी उसने सोचा कि थोड़ी तफरीह ही रहेगी

फायज़ की बीवी भी इमरान से अच्छी तरह परिचित थी और जब फायज़ ने उसे उसके ‘इश्क़’की
दास्तान सुनाई तो हँसते-हँसते उसका बुरा हाल हो गया

फायज़ उस वक़्त अपने ड्राइयिंग-रूम में बैठा इमरान का इंतेज़ार कर रहा था

उसकी बीवी और जज साहब की एक आँख वाली लड़की राबिया भी मौजूद थी

अभी तक नही आए, इमरान साहब फायज़ की बीवी ने कलाई पर बाँधी हुई घड़ी की तरफ देखते हुए कहा

क्या वक़्त है.? फायज़ ने पूछा

‘साढ़े सात’

बस दो मिनिट बाद वो उस कमरे में होगा फायज़ मुस्कुरा कर बोला

क्यूँ ! यह कैसे.?

बस उसकी हर बात अजीब होती है वो इसी क़िस्म का वक़्त तय करता है
उसने सात बज कर बत्तीस मिनिट पर आने का वादा किया था
लिहाज़ा मेरा ख़याल है कि वो इस वक़्त हमारे बंग्लॉ के
करीब ही खड़ा अपनी घड़ी देख रहा होगा

अजीब आदमी मालूम होते है.! राबिया ने कहा

अजीब-तरीन कहिए इंग्लेंड से साइन्स डॉक्टोवरेट ले कर आया है

लेकिन उसकी हरकते…वो अभी देख लेंगी इस सदी का सबसे अजीब आदमी…….

ली जिए शायद वही है दरवाज़े पर दस्तक हुई फायज़ उठ कर आगे बढ़ा…

दूसरे लम्हे में इमरान ड्राइयिंग-रूम में दाखिल हो रहा था

औरतो को देख वो ज़रा झुका और फिर फायज़ से हाथ मिलाने लगा

शायद मुझे सबसे पहले यह कहना चाहिए कि मौसम बड़ा ख़ुशगवार रहा इमरान बैठता हुआ बोला

फायज़ की बीवी हँसने लगी और राबिया जल्दी से काले चश्मे वाली ऐनक (स्पेक्स) लगा ली

आप से मिलिए आप मिस राबिया सलीम है हमारे पड़ोसी जज साहब की साहबज़ादी
और आप मिसटर अली इमरान मेरे माहेक्मे के डाइरेक्टर जनरल रहमान साहब के साहबज़ादे

बड़ी खुशी हुई.! इमरान मुस्कुरा कर बोला

फिर फायज़ से कहने लगा तुम हमेशा गुफ्तगू में गैर ज़रूरी अल्फ़ाज़ ठूंसते रहते हो
जो बहुत बुरे लगते है…रहमान साहब के साहबज़ादे दोनो साहिबो का टकराव बुरा लगता है
उसके बजाय रहमान साहब के जादे… या सिर्फ़ रहमान जाड़े कहे सकते है

मैं लिट्रर्री आदमी नही हां.! फायज़ मुस्कुरा कर बोला

दोनो ख्हवतीन भी मुस्कुरा रही थी
फिर राबिया ने झुक कर फायज़ की बीवी से कुछ कहा और वो दोनो उठ कर ड्राइयिंग-रूम से चली गयी

बहुत बुरा हुआ.! इमरान बुरा सा मुँह बना कर बोला

क्या.? शायद वो बावरची-खाने की तरफ गयी है.? फायज़ ने कहा बावरची की मदद के लिए आज कोई नही है

तो क्या तुमने उसे भी बुलाया है

हां भाई, क्यूँ ना बुलाता मैने सोचा कि इस बहाने से तुम्हारी मुलाक़ात भी हो जाए

मगर मुझे बड़ी कोफ़्त हो रही है.! इमरान ने कहा

क्यूँ.?

आख़िर उसने धूप का चश्मा क्यूँ लगाया है

अपना नुक्स छुपाने के लिए

सुनो मिया.! दो आँखो वाली मुझे बहुत मिल जाएँगी यहाँ तो मामला सिर्फ़ इस आँख का है
हाए क्या चीज़ है….किसी तरह उसका चश्मा ऊतर्वाओ
वरना मैं खाना खाए बगैर वापस चला ज़ाउन्गा

बको मत

मैं चला.! इमरान उठता हुआ बोला

अजीब आदमी हो…बैठो फायज़ ने उसे दुबारा बैठा दिया

चश्मा ऊतर्वाओ
मैं इसका क़ायल नही कि महबूब सामने हो और अच्छी तरह दीदार भी नसीब ना हो

ज़रा आहिस्ता बोलो.! फायज़ ने कहा

मैं तो अभी उससे कहूँगा

क्या कहोगे.! फायज़ बौखला कर बोला

यही जो तुमसे कह रहा हूँ

यार खुदा के लिए….

क्या बुराई है इसमे.?

मैने सख़्त ग़लती की.! फायज़ बड़बड़ाया

वाह…ग़लती तुम करो और भुगतु मैं नही फायज़ साहब
मैं उससे कहूँगा कि बारह-ए-करम चश्मा उतार दी जिए
मुझे आप से मरम्मत हो गयी है…
मरम्मत….शायद मैने ग़लत लफ्ज़ इस्तेमाल किया है
बोलो भाई…क्या होना चाहिए

‘मोहब्बत’
फायज़ बुरा सा मुँह बना कर बोला

जियो मोहब्बत हो गयी है…तो वो इस पर क्या कहेगी.?

चाँटा मार देगी.! फायज़ झुन्झुला कर बोला

फ़िक्र ना करो मैं चान्टे को चान्टे पर रोक लेने की आर्ट से बक़ूबी वाक़िफ़ हूँ तरीक़ा वही होता है जो तलवार पर तलवार रोकने का हुआ करता था

यार खुदा के लिए कोई हिमाकत ना कर बैठना

अक़ल्मंदी की बात करना एक अहमक की खुली तौहीन है
अब बुलाओ ना… दिल की जो हालत है बयान कर भी सकता हूँ और नही भी कर सकता…
वो क्या होता है जुदाई में… बोलो ना यार कौन सा लफ्ज़ है.?

मैं नही जानता.! फायज़ झुन्झुला कर बोला

खैर होता होगा कुछ….डिक्षनरी में देख लूँगा…
वैसे मेरा दिल धड़क रहा है, हाथ काँप रहे है
लेकिन हम दोनो के दरमियाँ धूप का चश्मा हायाल है
मैं उसे बर्दाश्त नही कर सकता

चन्द लम्हे खामोशी रही

इमरान मेज़ पर रखे गुल्दान को इस तरह घूरता रहा था
जैसे उससे कोई सख़्त बात कह दी हो

आज कुछ नयी बात मालूम हुई है.!फायज़ ने कहा

ज़रूर मालूम हुई होगी.! इमरान अहमकों की तरह सर हिला कर बोला

मगर नही पहले मैं उन ज़ख़्मो के बारे में बताऊ
तुम्हारा ख़याल सही निकला ज़ख़्मो की गहराई बिल्कुल बराबर है

क्या तुम ख्वाब देख रहे हो.? इमरान ने कहा

क्यूँ.?

किन ज़ख़्मो की बात कर रहे हो.?

देखो इमरान मैं अहमक नही हूँ

पता नही जब तक तीन गवाह पेश ना करो यक़ीन नही आ सकता

क्या तुम कल वाली लाश भूल गये.?

लाश.! अरे…हां याद आ गया और वो टीन ज़ख़्म बराबर निकले…

हां..

अब क्या कहते हो.! फायज़ ने पूछा

संगे-आहन बे-नियाज़े-गम नही देख हर दीवार से सर ना मार.! इमरान ने गुनगुना कर तान मारी और मेज़ पर तबला बजाने लगा

तुम संजीदा नही हो सकते.! फायज़ उकता कर बे-दिली से बोला

उसका चश्मा उतरवा देने का वादा करो
तो मैं संजीदगी से गुफ्तगू करने को तैयार हूँ

कोशिश करूँगा बाबा.! मैने उसे ना-हक़ बुलाया
दूसरी बात यह है कि खाने में कितनी देर है.?

शायद आधा घंटा….वो एक नौकर बीमार हो गया है

खैर…हां जज साहब से क्या बाते हुई.?

वही बताने जा रहा था कुंजी उनके पास मौजूद है और दूसरी बात यह है कि वो इमारत उन्हे विरासत में नही मिली थी

फिर.? इमरान ध्यान और दिलचस्पी से सुन रहा था

वो दरअसल उनके एक दोस्त की मिल्कियत थी
और उस दोस्त ने ही उसे खरीदा था
उनकी दोस्ती बहुत पुरानी थी
लेकिन रोज़गार की फ़िक्र ने उन्हे एक-दूसरे से जुदा कर दिया
आज से पाँच साल पहले अचानक जज साहब को उसका
एक खत मिला जो इसी इमारत से लिखा गया था
उसने लिखा था कि उसकी हालत बहुत खराब है
और शायद वो ज़िंदा ना रहे सके

लिहाज़ा वो मरने से पहले उनसे बहुत ज़रूरी बात कहना चाहता है
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: खौफनाक इमारत (इमरान सीरीज) Hindi noval

Post by Jemsbond »


To Is Waqt Aur Kuch Nahi Bataaoge.! Fayaz Ne Kaha

Yaar
Bade Ehsan Farosh Ho…Farosh… Shayad Main Phir Bhool Gaya Ki Kaun Sa Lafz Hai

Faramosh

Jiyo Haa To
Bade Ehsan Faramosh Ho Itni Der Se Bakwas Kar Raha Hu
Aur
Tum Kahte Ho Kuch Bataya Hi Nahi

Dusre Din
Captain Fayaz Ne Imran Ko Apne Ghar Bulaya

Halaanki
Kayi Baar K Anubhav Ne Yeh Baat Saabit Kar Di Thi Ki Imran Wo Nahi Hai Jo Zaahir Karta Hai Na Wo Ahmaq Hai
Aur Na Khabti
Lekin
Phir Bhi Fayaz Ne Use Mood Mein Laane K Liye Judge Shahab Ki Kaani Ladki Ko Bhi Bula Liya

Halanki

Wo Imran Ki Is Harkat Ko Bhi Mazaq Hi Samjha Tha

Lekin Phir Bhi Usne Soncha Ki Thodi Tafreeh Hi Rahegi

Fayaz Ki Biwi Bhi Imran Se Achi Tarah Parichit Thi Aur Jab Fayaz Ne Use Uske ‘Ishq’Ki
Daastan Sunayi To
Haste-Haste Uska Bura Haal Ho Gaya

Fayaz Uss Waqt Apne Drying-Room Mein Baitha Imran Ka Intezar Kar Raha Tha

Uski Biwi Aur Judge Sahab Ki Ek Aankh Wali Ladki Rabia Bhi Maujood Thi

Abhi Tak Nahi Aye, Imran Sahab
Fayaz Ki Biwi Ne Kalayi Par Baandhi Hui Ghadi Ki Taraf Dekhte Hue Kaha

Kya Waqt Hai.? Fayaz Ne Pucha

‘Saadhe Saat’

Bas Do Minute Baad Wo Uss Kamre Mein Hoga Fayaz Muskura Kar Bola

Kyun ! Yeh Kaise.?

Bas
Uski Har Baat Ajeeb Hoti Hai Wo Isi Qism Ka Waqt Tai Karta Hai
Usne
Saat Baj Kar Battis Minute Par Aane Ka Wada Kiya Tha
Lihaza
Mera Khayal Hai Ki Wo Is Waqt Humare Bunglow K
Kareeb Hi Khada Apni Ghadi Dekh Raha Hoga

Ajeeb Aadmi Malum Hote Hai.! Rabia Ne Kaha

Ajeeb-Tareen Kahiye
England Se Science Doctorate Le Kar Aya Hai

Lekin Uski Harkate…Wo Abhi Dekh Lengi Is Sadi Ka Sabse Ajeeb Aadmi…….

Li Jiye Shayad Wahi Hai Darwaze Par Dastak Hui Fayaz Uth Kar Aage Badha…

Dusre Lamhe Mein Imran Drying-Room Mein Daakhil Ho Raha Tha

Aurto Ko Dekh Wo Zara Jhuka
Aur Phir
Fayaz Se Haath Milane Laga

Shayad
Mujhe Sabse Pahle Yeh Kehna Chahiye Ki Mausam Bada Khushgawar Raha Imran Baithta Hua Bola

Fayaz Ki Biwi Hasne Lagi
Aur
Rabia Jaldi Se Kaale Chashme Wali Ainak (Specs) Laga Li

Aap Se Miliye
Aap Mis Rabia Saleem Hai
Humare Padosi Judge Sahab Ki Sahabzadi
Aur
Aap Mister Ali Imran
Mere Mahekme K Director General Rahman Sahab K Sahabzade

Badi Khushi Hui.! Imran Muskura Kar Bola

Phir Fayaz Se Kahne Laga Tum Hamesha Guftgu Mein Ghair Zaroori Alfaaz Thooste Rahte Ho
Jo Bahut Bure Lagte Hai…
Rahman Sahab K Sahabzade Dono Sahibo Ka Takrav Bura Lagta Hai
Uske Bajai Rahman Sahab K Zade… Ya Sirf Rahman Zade Kahe Sakte Hai

Main Litreri Aadmi Nahi Haa.! Fayaz Muskura Kar Bola

Dono Khawateen Bhi Muskura Rahi Thi
Phir
Rabia Ne Jhuk Kar Fayaz Ki Biwi Se Kuch Kaha Aur Wo Dono Utth Kar Drying-Room Se Chali Gayi

Bahut Bura Hua.! Imran Bura Sa Munh Bana Kar Bola

Kya.? Shayad Wo Bawarchi-Khane Ki Taraf Gayi Hai.? Fayaz Ne Kaha Bawarchi Ki Madad K Liye Aaj Koi Nahi Hai

To Kya Tumne Use Bhi Bulaya Hai

Haa Bhai, Kyun Na Bulata Maine Soncha Ki Is Bahane Se Tumhari Mulaqath Bhi Ho Jaye

Magar
Mujhe Badi Koft Ho Rahi Hai.! Imran Ne Kaha

Kyun.?

Aakhir Usne Dhoop Ka Chashma Kyun Lagaya Hai

Apna Nuqs Chupane K Liye

Suno Miyaa.!
Do Aankho Wali Mujhe Bahut Mil Jayengi Yaha To Maamla Sirf Is Aankh Ka Hai
Haaye Kya Cheez Hai….
Kisi Tarah Uska Chashma Utarwao
Warna
Main Khana Khaye Baghair Wapas Chala Jaunga

Bako Mat

Main Chala.! Imran Uthta Hua Bola

Ajeeb Aadmi Ho…Baitho Fayaz Ne Use Dubara Baitha Diya

Chashma Utarwao
Main Iska Qayal Nahi Ki Mahboob Saamne Ho Aur Achi Tarah Deedar Bhi Naseeb Na Ho

Zara Ahista Bolo.! Fayaz Ne Kaha

Main To Abhi Usse Kahunga

Kya Kahoge.! Fayaz Baukhla Kar Bola

Yahi Jo Tumse Kahe Raha Hu

Yaar Khuda K Liye….

Kya Burai Hai Isme.?

Maine Sakht Galtee Ki.! Fayaz BaDabaDaayaa

Waah…
Galtee Tum Karo Aur Bhugtu Main
Nahi Fayaz Sahab
Main Usse Kahunga Ki Barah-E-Karam Chashma Utar Di Jiye
Mujhe Aap Se Marammat Ho Gayi Hai…
Marammat….Shayad Maine Galat Lafz Istemal Kiya Hai
Bolo Bhai…Kya Hona Chahiye

‘Mohabbath’
Fayaz Bura Sa Munh Bana Kar Bola

Jiyo
Mohabbat Ho Gayi Hai…To Wo Is Par Kya Kahegi.?

Chaanta Maar Degi.! Fayaz Jhunjhul Kar Bola

Fikr Na Karo
Main Chaante Ko Chaante Par Rok Lene K Art Se Baqoobi Waqif Hu Tareeqa Wahi Hota Hai Jo Talwaar Par Talwaar Rokne Ka Hua Karta Tha

Yaar
Khuda K Liye Koi Himaqat Na Kar Baithna

Aqalmandi Ki Baat Karna Ek Ahmaq Ki Khuli Tauheen Hai
AbBulao Na…
Dil Ki Jo Halath Hai Bayaan Kar Bhi Sakta Hu Aur Nahi Bhi Kar Sakta…
Wo
Kya Hota Hai Judaai Mein…
Bolo Na Yaar Kaun Sa Lafz Hai.?

Main Nahi Jaanta.! Fayaz Jhunjhula Kar Bola

Khair Hota Hoga Kuch….Dictionary Mein Dekh Lunga…
Waise
Mera Dil Dhadak Raha Hai, Haath Kaamp Rahe Hai
Lekin
Hum Dono K Darmiyaan Dhoop Ka Chashma Hayal Hai
Main Use Bardasht Nahi kar Sakta

Chandh Lamhe Khamoshi Rahi

Imran Mez Par Rakhe Guldaan Ko Is Tarah Ghurta Raha Tha
Jaise
Usse Koi Sakht Baat Kahe Di Ho

Aaj Kuch Nayi Baat Malum Hui Hai.!Fayaz Ne Kaha

Zaroor Malum Hui Hogi.! Imran Ahmaqo Ki Tarah Sar Hila Kar Bola

Magar Nahi Pahle Main Unn Zakhmo K Baare Mein Batau
Tumhara Khayal Sahi Nikla Zakhmo Ki Gehrayi Bilkul Barabar Hai

Kya Tum Khwaab Dekh Rahe Ho.? Imran Ne Kaha

Kyun.?

Kinn Zakhmo Ki Baat Kar Rahe Ho.?

Dekho Imran Main Ahmaq Nahi Hu

Pata Nahi
Jab Tak Teen Gawaah Pesh Na Karo Yaqeen Nahi Aa Sakta

Kya Tum Kal Wali Laash Bhool Gaye.?

Laash.! Arey…Haa
Yaad Aa Gaya Aur Wo Teen Zakhm Barabar Nikle…

Haa..

Ab
Kya Kahte Ho.! Fayaz Ne Pucha

Sange-Aahan Be-Niyaaze-Gham Nahi Dekh Har Deewar Se Sar Na Maar.! Imran Ne Gunguna Kar Taan Maari Aur Mez Par Tabla Bajane Laga

Tum Sanjida Nahi Ho Sakte.! Fayaz Ukta Kar Be-Dili Se Bola

Uska Chashma Utarwa Dene Ka Wada Karo
To
Main Sanjidgi Se Guftgu Karne Ko Taiyaar Hu
Koshish Karunga Baba.! Maine Use Na-Haq Bulaya
Dusri Baat Yeh Hai Ki Khane Mein Kitni Der Hai.?

Shayad Aadha Ghanta….Wo Ek Naukar Beemar Ho Gaya Hai

Khair…Haa Judge Sahab Se Kya Baate Hui.?

Wahi Batane Jaa Raha Tha Kunji Unke Paas Maujood Hai Aur Dusri Baat Yeh Hai Ki Wo Imarat Unhe Virasat Mein Nahi Mili Thi

Phir.? Imran Dhyan Aur Dilchaspi Se Sunn Raha Tha

Wo
Darasal Unke Ek Dost Ki Milkiyat Thi
Aur
Uss Dost Ne Hi Use Khareeda Tha
Unki Dosti Bahut Purani Thi
Lekin
Rozgaar Ki Fikr Ne Unhe Ek-Dusre Se Juda Kar Diya
Aaj Se Paanch Saal Pahle Achaanak Judge Sahab Ko Uska
Ek Khat Mila Jo Isi Imarat Se Likha Gaya Tha
Usne Likha Tha Ki Uski Halath Bahut Kharab Hai
Aur
Shayad
Wo Zinda Na Rahe Sake

Lihaza

Wo Marne Se Pahle Unse Bahut Zaroori Baat Kehna Chahta Hai
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply