एक दिन अचानक Ek din achaanak

Post Reply
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: एक दिन अचानक Ek din achaanak

Post by Jemsbond »

(Doston aap sab se ek request hai. Mujhe pata hai ki Holi ka tyohar aise dhoomdhaam se ek school mein nahin manaya jaata. School mein itna allowed nahin hota isliye is baat ko side mein karke hi is update ko padhe aur mere saath holi ki masti mein kho jayen.)


Ab Holi ke din to school mein chutti hoti hai to usse ek din pehle hi school mein holi manane ka faisla kiya gaya yaani choti holi wale din. Jay aur Sonali bahut utsuk the is holi ko lekar aur iska karan aap log jaante hi hain. Jay ne rang kharida, pichkari kharidi, khusboo wala gulaal kharida job hi wo afford kar sakta tha sab khareeda. Sonali ne sirf gulaal liya aur kuch sweets bhi. Isi tarah baaki bachhon ne bhi apni apni tayyari ki thi holi manane ke liye.

School as usual laga aur classes huyi. Waise to school poora din chalne wala tha lekin bacchon ke recess mein hi holi khelne se school walon ne aadhi chutti declare kar di. Ab bachhe aram se holi khel sakte the.

School ka mahaul kaafi khushnuma tha. Sab taraf students nach rahe the, holi ke gaane gaa rahe the, ekk dusre ke upar rang aur gulaal uda rahe the. Koi kisi ke baalon mein rang bhar raha tha to koi kisi ko pehchanne layak nahin chod raha tha. Koi kisi ko mithai khila raha tha to koi kisi se gale milkar apne gile shikwe door kar raha tha. Har taraf masti ka mausam chaya huya tha.

Jay aur Sonali bhi ek kone ki talash mein yahan se wahan bhatak rahe the kyunki saare bachhe faile huye the poore school mein holi manane ke liye to ye dono kahan jayen. Jay aur Sonali dono baaki bachhon se bachte fir rahe the kyunki pehla haq rang lagane ka woe k dusre ko dena chahte the. Lekin unhen jagah mili bhi to class mein aakar. Dono ne pyaar se ek dusre ko gulaal lagaya. Jab Jay gulaal laga raha tha Sonali ke gore gore gaalon par to Sonali ki sharmo haya dekhte hi banti thi. Thoda jhijhak rahi thi, thoda Sharma rahi thi lekin jab gulaal lag gaya to kya kehna.

Dono jee bhar ke ek dusre ke saath gulaal se khele aur Sonali ki laayi huyi mithai bade pyaar se ek dusre ko apne haathon se khilai. Black board ke paas ka area poora gulaal se rangeen ho gaya tha lekin dono ko is baat ki fikar kahan thi. Thodi der samay ek saath beetane ke baad dono bahar aa gaye aur baaki doston ke saath jee bhar ke holi khele. Poori dress rangeen ho gayi thi lekin kisi ko us din koi hosh nahin tha. Lag raha tha ki jaise sab bhang ke nashe mein hain.

Jawed Bhai bhi apni mandali yaani school cricket team ke baaki sadasyon ke saath wahan upasthith the aur holi ke maje mein magan the. Halanki wo jyada holi nahin khel rahe the lekin unka utsaah baaki bachhon se kisi bhi prakaar kam nahin tha. Ghar se wo bhi kai prakaar ke pakwaan banwa kar laye the aur sab sadasya, Jay aur Sonali samet, unke laye huye pakwano ka swaad lete huye nach gaa rahe the aur gulaal hawa mein uda rahe the.

Ab Holi ka avsar ho aur usme huddang (Chedkhani) na ho ye kaise sambhav hai. Sab masti mein choor the to kai aise bhi the jo rang mein bhang dalne ka kaam kar rahe the. Kisi ke baalon mein chemical wale colour dal dena, unke daaton ka jabardasti colour se manjan karana, aankhon meinn colour dal dena aur bhi isi tarah ke kai kaam mein unko maja aata tha. Jab Jawed Bhai ne aisa hote dekha to unhe bahut gussa aaya aur un bachhon ko samjhate huye kaha “Bhai aise kyun kar rahe ho. Holi khusiyon ka tyohar hai usme aap dusron ko dukh kyun de rahe ho”

“Maana holi rangon ka tyohar hai lekin jo rang aap dusro ke chere par pot rahe ho unse kuch seekh lo. Sab ek sandesh dete hain jinhe aapko jeewan mein utarna chahiye. Udharahan ke taur par laal rang tej aur shakti ka prateek hai. Iska matlab ye nahin aap kamjoron ko satayen balki iska matlab hai aap dusron ki bhalai Karen. Majlumo ke saathi bane, desh ke liye khoon bahayen. Gulabi rang pyaar, care, gusse aur hinsa se bachav ko darshata hai jo hamein seekh deta hai ki halaat chahe kaise bhi ho hamein gusse aur hinsa se kaam nahin lena chahiye. Sab chote bhaiyon aur behnon ko sneh ki najron se dekhna chahiye na ki unhe satana chahiye.

Brown colour hamein jameen se jude rehne aur saaf soch rakhne ki prerna deta hai. Mana aap kitne bhi ameer kyun na ho lekin aapko apne paise ka galat fayda nahin uthana chahiye. Sunhera rang himmat, atamwishwas aur ichhashakti ko darshata hai aur hamein ye seekh deta hai ki agar aap mein ye teeno cheezen hain to aap bure se bure haalat ka asani se saamna kar sakte hain. Peela rang faisla lene ki shakti, ghabrahat se mukti, dimaagi taakat aur communication skills ki taraf ishara karta hai. Aap is rang ko agar apne jeewan mein utar le to aap Einstein, Jagdish Chandra Basu, AryaBhatt aadi bhi ban sakte hain.

Hara rang, paisa, daulat, haryali, santulan, naye naye vishar ko sochna aadi ko darshata hai jo apne aap mein bahut jaroori hai. Hara rang se yaad aaya sab ko kam se kam ek ped apni life mein jaroor lagana chahiye. Hamein bhale is uske fal khane ko na mile lekin dusron ka kuch to bhala karke punya kama hi sakte hain. Neela rang shanti aur ugra emotions ko kabu mein rakhna sikhata hai. Agar aap apne aap par kabu pa lein to bahut kuch apni life mein paa sakte hain. Jamuni rang medidation ki or ishara karta hai. Aapki imagination ko ye ek nayi unchain par le jaa sakta hai.

Isi tarah har rang apne aap mein ek ishara karta hai ki aapka apne jeewan ke prati najariya kaisa hona chahiye. Ab aap log bataiye ki is tarah sabko pareshan karne ki bajay agar in rangon ko apne jeewan mein apnaye to aapka to bhala hoga hi baaki logon ka bhi bhala hoga. Ye sab baatein sunkar wo ladke shaant ho gaye aur apne kiye ke liye Jaawed Bhai se maafi maangi. Jawed Bhai ne unhe gale laga kar maaf kar diya aur iske baad sabne milkar holi ki wo dhoom machayi ki kya kehne uske.

Lekin kehte hain na ki kutte ki poonch sau saal nalki mein rahe tab bhi tedhi ki tedhi rehti hai. Baaki bachhon mein Raj bhi tha jo baar baar Sonali ke saath holi khelne ki koshish kar raha tha lekin Sonali uski taraf koyi dhyaan hi nahin de rahi thi. Isse Raj bahut gusse mein aa gaya aur anaap sanaap bakne laga dono ke baare mein. Uska itna kehna tha ki Jawed Bhai aur baaki kuch bachhon ne uski dhunai kar di (Jawed Bhai ne kaha tha ek thappad se kuch nahin hoga to uski pitai hi karwa di). Gusse aur dard ka ghoont peekar wo wahan se nikal gaya aur seedha Sonali ke ghar ki taraf chal diya.

Idhar sab bhulakar Jay aur Sonali masti mein choor the. Mobile mein gaane special bharaye the holi wale Jawed Bhai ne. Bas wohi baj rahe the aur sab uski awaaz ke saath jhoom rahe the lekin Jay aur Sonali ko hosh nahin tha ki aane wala samay dono ki kismat kahan le jaane wali thi.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: एक दिन अचानक Ek din achaanak

Post by Jemsbond »

राज चल तो दिया सोनाली के घर लेकिन उसे बार बार सोनाली की मम्मी का थप्पड़ याद आ रहा था.वो दुआ कर रहा था कि आज अंकल घर पर मिल जाएँ क्यूंकी आंटी तो उसकी बात सुनेंगी नहीं इसलिए अंकल से ही बात करना बेहतर होगा. ऐसा सोचते सोचते राज सोनाली के घर पहुँच गया. वहाँ भी होली से रंग में सब सारॉबार थे. राज ने पहले तो वापस जाने की सोची लेकिन फिर हिम्मत करके घर में चला ही गया.

अंदर आंटी ने जैसे ही राज को देखा तो गुस्से में आ गयी लेकिन अंकल की वजह से कुछ नहीं बोली. अंकल ने राज को देखते ही कहा “बेटा कैसे हो. आजकल आते ही नहीं हो. और आज स्कूल की जल्दी छुट्टी हो गयी क्या”.

“जी अंकल आज होली की वजह से स्कूल में जल्दी छुट्टी हो गयी है. मैं अच्छा हूँ. आप बताइए.”

“और बेटा तुम सूनाओ घर पर कैसे हैं. सिन्हा साहिब (राज के डॅडी) कैसे हैं”

“अंकल पापा ठीक हैं. मैं आपसे एक ज़रूरी बात करना चाहता था” इतने में सोनाली की मम्मी कमरे में बाहर ड्रॉयिंग रूम में आ गयी जिन्हे देखकर राज चुप हो गया क्यूंकी यही बात करने की वजह से वो थप्पड़ खा चक्का था. आंटी ने उसे गुस्से में देखा तो वो कुछ बोल ही नहीं पाया.

“राज बेटा कहो क्या बात करना चाहते हो”.

“अंकल दरअसल बात … “ इतना कहकर राज ने फिर आंटी की तरफ देखा तो उसे आंटी गुस्से में इशारे से मना करती हुई दिखी. राज ने कहा “अंकल मैं सोच रहा था कि पेपर अगले हफ्ते से शुरू होने वाले हैं और उसके बाद छुट्टियाँ पड़ जाएँगी. मैं कंप्यूटर क्लास जाय्न कर रहा हूँ इन छुट्टियों में. आप भी सोनाली को जाय्न करवा दीजिए”. ऐसा बोलकर राज ने एक बार फिर आंटी की तरफ देखा तो उसे लगा कि आंटी को बहुत सुकून मिला हो उसकी बात सुनकर.

“अरे ये तो बड़ी अच्छी बात है. इसमें इतना झिझक क्यूँ रहे थे”.

“मैं सोच रहा था अंकल कहीं आप मना ना कर दो”

“अरे नहीं बेटा. तुम एक बहुत अच्छे लड़के हो और सोनाली के लिए तुमने बहुत बढ़िया सोचा. मैं खुद ऐसा ही कुछ सोच रहा था. चलो अच्छा हुआ कि तुम और सोनाली एक साथ क्लास में जाओगे”.

राज ये सुनकर बहुत खुस हो गया. कहाँ तो उसने सोचा था कि अंकल को जय के खिलाफ भड़का देगा और अंकल खुद दोनो को अलग कर देंगे. लेकिन अब अंकल उसकी इतनी तारीफ कर रहे हैं तो कुछ ऐसा करना चाहिए कि साँप भी मर जाए और लाठी भी ना टूटे मतलब ज़य और सोनाली दोनो अलग भी हो जाएँ और मेरा नाम भी बीच में ना आए.

इसके बाद राज ने कहा “अंकल अब मैं चलता हूँ. पापा ने किसी काम से भेजा था. बस वोही करने जा रहा हूँ. “

राज के जाने के बाद अंकल ने कहा “कितना शरीफ लड़का है. कैसे अच्छे संस्कार हैं इसके. स्कूल से आया और तुरंत अपने पापा के काम में लग गया”

आंटी ने मूह बनाया और कहा “हां बहुत अच्छा लड़का है.” अब वो बोलती भी तो क्या बोलती.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: एक दिन अचानक Ek din achaanak

Post by Jemsbond »

Raj chal to diya Sonali ke ghar lekin use baar baar Sonali ki mummy ka thappad yaad aa raha tha.Wo dua kar raha tha ki aaj uncle ghar par mil jayen kyunki aunty to uski baat sunengi nahin isliye uncle se hi baat karna behtar hoga. Aisa sochte sochte Raj Sonali ke ghar pahunch gaya. Wahan bhi holi se rang mein sab sarobar the. Raj ne pehle to wapas jaane ki sochi lekin fir himmat karke ghar mein chala hi gaya.

Andar aunty ne jaise hi Raj ko dekha to gusse mein aa gayi lekin uncle ki wajah se kuch nahin boli. Uncle ne Raj ko dekhte hi kaha “Beta kaise ho. Aajkal aate hi nahin ho. Aur aaj school ki jaldi chutti ho gayi kya”.

“Ji Uncle aaj holi ki wajah se school mein jaldi chutti ho gayi hai. Main achha hun. Aap bataiye.”

“Aur Beta tum sunao ghar par kaise hain. Sinha sahib (Raj ke daddy) kaise hain”

“Uncle papa theek hain. Main aapse ek jaroori baat karna chahta tha” Itne mein Sonali ki mummy kamre mein bahar drawing room mein aa gayi jinhe dekhkar Raj chup ho gaya kyunki yahi baat karne ki wajah se wo thappad kha chukka tha. Aunty ne use gusse mein dekha to wo kuch bol hi nahin paaya.

“Raj beta kaho kya baat karna chahte ho”.

“Uncle darasal baat … “ Itna kehkar Raj ne fir aunty ki taraf dekha to use aunty gusse mein ishare se mana karti huyi dikhi. Raj ne kaha “Uncle main soch raha tha ki paper agle hafte se shuru hone wale hain aur uske baad chuttiyan pad jayengi. Main Computer class join kar raha hun in chuttiyon mein. Aap bhi Sonali ko join karwa dijiye”. Aisa bolkar Raj ne ek baar fir aunty ki taraf dekha to use laga ki aunty ko bahut sukun mila ho uski baat sunkar.

“Are ye to badi achhi baat hai. Ismein itna jhijhak kyun rahe the”.

“Main soch raha tha uncle kahin aap mana na kar do”

“Are nahin beta. Tum ek bahut achhe ladke ho aur Sonali ke liye tumne bahut badhiya socha. Main khud aisa hi kuch soch raha tha. Chalo achha hua ki tum aur Sonali ek saath class mein jayoge”.

Raj ye sunkar bahut khus ho gaya. Kahan to usne socha tha ki uncle ko jay ke khilaf bhadka dega ur uncle khud dono ko alag kar denge. Lekin ab uncle uski itni tareef kar rahe hain to kuch aisa karna chahiye ki saanp bhi mar jaaye aur lathi bhi na tute matlab Jay aur Sonali dono alag bhi ho jayen aur mera naam bhi beech mein na aaye.

Iske baad Raj ne kaha “Uncle ab main chalta hoon. Papa ne kisi kaam se bheja tha. Bas wohi karne jaa raha hoon. “

Raj ke jaane ke baad uncle ne kaha “Kitna shareef ladka hai. Kaise achhe sanskar hain iske. School se aaya aur turant apne papa ke kaam mein lag gaya”

Aunty ne muh banaya aur kaha “Haan bahut achha ladka hai.” Ab wo bolti bhi to kya bolti.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: एक दिन अचानक Ek din achaanak

Post by Jemsbond »

अब राज की खुशी का ठिकाना नही था और वो अपनी चाल को कामयाब करने के लिए योजना बनाने में लग गया था. इधर होली और ज़य के प्यार के रंग से सारॉबार सोनाली अपने घर पहुँची तो उसकी मम्मी ने पूछा “बेटी ये क्या हालत बना ली है तुमने. इतना रंग लगा लिया चेहरे और बालों में कहीं कोई नुकसान ना पहुँचा दे. ड्रेस भी कलर में कर ली. अब स्कूल क्या पहन कर जाओगी.”

सोनाली ने कहा “मम्मी मेरे पास और भी दो ड्रेस हैं. और रही कलर की बात तो ये सब अर्बॅल कलर हैं. इनसे कोई नुकसान नहीं होगा. पापा कहाँ गये”

आंटी ने कहा “बेटी वो अपने दोस्तों के साथ ज़रा बाहर गये हैं. आज राज आया था वो जो तेरे साथ ही क्लास में पढ़ता है.”

“वो यहाँ क्यूँ आया था. लगता है स्कूल में उसे मार कम पड़ी है जो पिटने यहाँ भी आ गया.”

“क्या उसको स्कूल में पीटा गया था. लेकिन क्यूँ.”

तब सोनाली ने सारी बात बताई कि कैसे राज सोनाली को तंग कर रहा था, कैसे बेहूदा शब्द इस्तेमाल कर रहा था और कैसे सबने मिलकर उसकी मरम्मत की थी. आंटी ये सब सुनकर चौंक गयी और उन्होने राज और उसके पापा के बाच हुई सारी बात बता दी.

सोनाली समझ गयी कि राज यहाँ क्यूँ आया था. लेकिन उसे ये समझ में नहीं आ रहा था कि उसने पापा को सब कुछ क्यूँ नहीं बताया. क्या गेम खेल रहा है वो. सोनाली ये सब सोच ही रही थी कि अचानक आंटी के सवाल से चौंक गयी.

आंटी ने पूछा “ये ज़य कौन है. और तुम्हारा उससे क्या लेना देना है.”

सोनाली समझ गयी कि राज ने शायद मम्मी को सब बता दिया है और अब इनसे झूट बोलना ठीक नहीं. इसलिए उसने बताया कि “मम्मी मैं और ज़य एक दूसरे से प्यार करते हैं.”

आंटी ने एक ज़ोर का थप्पड़ सोनाली के मूह पर मारा और कहा “तो राज ठीक ही कह रहा था. मैने बिना सोचे समझे उसे मार कर भगा दिया. तुम पर अंधविश्वास जो था. तूमे हमें धोके में रखा. कौन है ये ज़य. कहाँ रहता है क्या करता है, खानदान कैसा है कुछ जानती भी हो उसके बारे में.

“प्यार किस चिड़िया का नाम है पता भी है तुम्हे. तुम जैसे लड़के लड़कियाँ ऐसी उमर में अक्सर बहंक जाते हैं. इसलिए आज ही मैं तेरे पापा से बात करूँगी इस बारे में.”

“सोनाली के पाँव के नीचे से तो जैसे ज़मीन ही निकल गयी. वो बहुत रोई और गिड़गिडाई अपनी ही मम्मी के सामने कि प्लीज़ मुझे माफ़ कर दो. पापा को कुछ मत बताना. हम दोनो ने कोई पाप नहीं किया है. हमारा रिश्ता एक दम पवित्र है. उस राज ने आकर आपको मेरे खिलाफ भड़काया है.”

लेकिन सोनाली की मम्मी कुछ सुनना नहीं चाहती थी. वो बस वहाँ से अपने कमरे में चली गयी. सोनाली की तो जैसे दुनिया ही उजड़ गयी थी. वो अपने बेड पर आकर लेट गयी और उसकी आँखों से आँसू का सैलाब उमड़ने लगा. ये सब क्या हो गया अचानक. पापा को पता चलेगा तो वो मुझे मार ही डालेंगे. मैने प्यार ही क्यूँ किया. मेरी वजह से ज़य पर कोई आँच ना आ जाए. ये राज मुझे कहीं मिल जाए जिंदा नहीं छोड़ूँगी इसे.

ऐसे पता नहीं कितने ख्याल सोनाली के दिमाग़ में चल रहे थे और दिल शाम को होने वाली घटना के डर से घबरा रहा था. आँसू थमने का नाम ही नहीं ले रहे थे. अब क्या होगा ?

इधर जय भी अपने घर पहुँचा तो उसके पापा उसको देख कर आग बाबूला हो गये कारण उसकी ड्रेस का खराब होना था लेकिन होली के पावन अवसर पर वो उस पर हाथ उठना नहीं चाहते थे इसलिए गुस्से को पी कर बोले “बेटे तुम्हे तो पता ही है ना हमारे घर की माली हालत. फिर तुमने ऐसा क्यूँ किया.”

“मैने क्या किया है पापा”.

“तो ये ड्रेस मैने खराब की है क्या”. सारा सारा दिन मज़दूरी करो तुम्हारे लिए और तुम हो सब मिट्टी में मिला रहे हो. अब नयी ड्रेस खरीदने के पैसे कहाँ से आएँगे.” ज़य चौंक गया. उसने तो ये सोचा भी नहीं था होली की मस्ती मैं कि ऐसी नौबत ही आएगी सामने. अब कहते हैं ना कि जब बच्चा खुद अपना खर्चा उठना सीखता है तब ही उसे चीज़ की कीमत समझ में आती है लेकिन तब तक बाप कहीं से भी पैसे लाए उसे कोई मतलब नहीं.

ज़य की आँखों में आँसू आ गये लेकिन उसने कहा कि “पापा मेरे पास एक पुरानी ड्रेस है. थोड़ी पुरानी है लेकिन काम चल जाएगा”. ज़य के पापा की आँखों में आँसू आ गये और अपने बेटे को गले लगा कर बोले “नहीं बेटा तुम वो क्यूँ पहनोगे. तुम्हारा बाप अभी जिंदा है. कल ही तुम्हारे लिए नयी ड्रेस आ जाएगी”. ज़य ये सुनकर अपने पापा के गले से लग गया. इसके बाद उसी रंगीन ड्रेस में उसने अपने घरवालों के साथ जबरदस्त होली मनाई इस बात से बेख़बर कि इस समय सोनाली पर क्या बीत रही है और कल का सूरज दोनो के लिए कितनी मुश्किलें खड़ा करने वाला है.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Jemsbond
Super member
Posts: 6659
Joined: 18 Dec 2014 12:09

Re: एक दिन अचानक Ek din achaanak

Post by Jemsbond »

Ab Raj ki khushi ka thikana nahi tha aur wo apni chaal ko kamyab karne ke liye yojna banane mein lag gaya tha. Idhar Holi aur Jay ke pyaar ke rang se sarobar Sonali apne ghar pahunchi to uski mummy ne pucha “beti ye kya halat bana li hai tumne. Itna rang laga liya chehre aur baalon mein kahin koi nuksaan na pahuncha de. Dress bhi colour mein kar li. Ab school kya pehan kar jaogi.”

Sonali ne kaha “mummy mere paas aur bhi do dress hain. Aur rahi colour ki baat to ye sab herbal colour hain. Inse koi nuksaan nahin hoga. Papa kahan gaye”

Aunty ne kaha “Beti wo apne doston ke saath jara bahar gaye hain. Aaj Raj aaya tha wo jo tere saath hi class mein padhta hai.”

“Wo yahan kyun aaya tha. Lagta hai school mein use maar kam padi hai jo pitne yahan bhi aa gaya.”

“Kya usko school mein peeta gaya tha. Lekin kyun.”

Tab Sonali ne saari baat batayi ki kaise Raj Sonali ko tang kar raha tha, kaise behuda shabd istemal kar raha tha aur kaise sabne milkar uski marammat ki thi. Aunty ye sab sunkar chaunk gayi aur unhone Raj aur uske papa ke baach huyi saari baat bata di.

Sonali samajh gayi ki Raj yahan kyun aaya tha. Lekin use ye samajh mein nahin aa raha tha ki usne papa ko sab kuch kyun nahin bataya. Kya game khel raha hai wo. Sonali ye sab soch hi rahi thi ki achanak aunty ke sawal se chaunk gayi.

Aunty ne poocha “Ye Jay kaun hai. Aur tumhara usse kya lena dena hai.”

Sonali samajh gayi ki Raj ne shayad mummy ko sab bata diya hai aur ab inse jhoot bolna theek nahin. Isliye usne bataya ki “Mummy main aur Jay ek doosre se pyaar karte hain.”

Aunty ne ek jor ka thappad Sonali ke muh par maara aur kaha “To Raj theek hi keh raha tha. Maine bina soche samjhe use maar kar bhaga diya. Tum par andhvishwaas jo tha. Tume hamein dhoke mein rakha. Kaun hai ye Jay. Kahan rehta hai kya karta hai, khandaan kaisa hai kuch jaanti bhi ho uske baare mein.

“Pyaar kis chidiya ka naam hai pata bhi hai tumhe. Tum jaise ladke ladkiyan aisi umar mein aksar behank jaate hain. Isliye aaj hi main tere papa se baat karungi is baare mein.”

“Sonali ke paanv ke neeche se to jaise jameen hi nikal gayi. Wo bahut royi aur gidgidayi apni hi mummy ke saamne ki please mujhe maaf kar do. Papa ko kuch mat batana. Hum dono ne koi paap nahin kiya hai. Hamara rishta ek dam pavitra hai. Us Raj ne aakar aapko mere khilaf bhadkaya hai.”

Lekin Sonali ki mummy kuch sunna nahin chahti thi. Wo bus wahan se apne kamre mein chali gayi. Sonali ki to jaise duniya hi ujad gayi thi. Wo apne bed par aakar let gayi aur uski aankhon se aansun ka sailab umadne laga. Ye sab kya ho gaya achanak. Papa ko pata chalega to wo mujhe maar hi dalenge. Maine pyaar hi kyun kiya. Meri wajah se Jay par koi aanch na aa jaye. Ye Raj mujhe kahin mil jaye jinda nahin chodungi ise.

Aise pata nahin kitne khyaal Sonali ke dimaag mein chal rahe the aur dil sham ko hone wali ghatna ke dar se ghabra raha tha. Aansu thamne ka naam hi nahin le rahe the. Ab kya hoga ?

Idhar jay bhi apne ghar pahuncha to uske papa usko dekh kar aag baboola ho gaye kaaran uski dress ka kharab hona tha lekin Holi ke paawan avsar par wo us par haath uthana nahin chahte the isliye gusse ko pi kar bole “Bete tumhe to pata hi hai na hamare ghar ki mali halat. Fir tumne aisa kyun kiya.”

“Maine kya kiya hai papa”.

“To ye dress maine kharab ki hai kya”. Saara saara din majduri karo tumhare liye aur tum ho sab mitti mein mila rahe ho. Ab nayi dress kharidne ke paise kahan se aayenge.” Jay chaunk gaya. Usne to ye socha bhi nahin tha holi ki masti main ki aisi naubat hi aayegi saamne. Ab kehte hain na ki Jab bachha khud apna kharcha uthana seekhtha hai tab hi use cheez ki keemat samajh mein aati hai lekin tab tak baap kahin se bhi paise laye use koi matlab nahin.

Jay ki aankhon mein aansu aa gaye lekin usne kaha ki “Papa mere paas ek purani dress hai. Thodi purani hai lekin kaam chal jayega”. Jay ke papa ki aankhon mein aansu aa gaye aur apne bête ko gale laga kar bole “nahin beta tum wo kyun pehnoge. Tumhara baap abhi jinda hai. Kal hi tumhare liye nayi dress aa jayegi”. Jay ye sunkar apne papa ke gale se lag gaya. Iske baad usi rangeen dress mein usne apne gahrwalon ke saath jabardast holi manayi is bat se bekhabar ki is samay Sonali par kya beet rahi hai aur kal ka suraj dono ke liye kitni mushkilen khada karne wala hai.
प्यास बुझाई नौकर से Running....कीमत वसूल Running....3-महाकाली ....1-- जथूराcomplete ....2-पोतेबाबाcomplete
बन्धन
*****************
दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं!
यूँ तो मिल जाता है हर कोई!
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं!
*****************
Post Reply