चमत्कारी

Post Reply
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

अपडेट*7



गाड़ी के सामने एक बड़ा सा उल्लू आ गया था …मुझे लगा कि वो मेरी गाड़ी से दबकर ना मर जाए…इसलिए मैने ब्रेक लगा दिए……


मैं नही चाहता था कि मेरे बर्तडे पर मेरे ही हाथो कोई निर्दोष जीव की हत्या का पाप हो जाए… मैने नीचे उतर के देखा तो वहाँ कोई नही था…..मुझे बड़ा ही ताज्जुब हुआ…


डॅनियल—क्या हुआ यार गाड़ी क्यूँ रोक दी तूने……..


अब मैं उनको बताता भी तो क्या कहता…..खुद का मज़ाक बनने से अच्च्छा है कुछ भी बोल दो….


मैं—अरे कुछ नही यार…..एक बिल्ली आ गयी थी सामने….


फ्रॅंक्लिन—तेरे पास पहले से ही दो इतनी ख़तरनाक बिल्लियो के होते हुए वो भी देख के भाग गयी होगी….हाहाहा

दोनो ने फ्रॅंक्लिन को घूर कर देखा तो वो दूसरी तरफ मूह घुमा के हँसने लगा…..


मैं—चलो आइस-क्रीम खाते हैं...


जूलिया—मुझे आइस्क्रीम बहुत पसंद है…..


मारग्रेट—मुझे भी…..


जूलिया (मूह चिड़ाते हुए)—क्या देखी भी है आइस्क्रीम……फ्री की मिल गयी तो…..मुझे भी…हुहम…….


मारग्रेट—तेरी जैसी नही मैं कि कही भी मूह मारने लगूँ……समझी...


मैं—अपनी बकवास बंद करो दोनो.....और अंदर चलो...


हम अंदर आ गये.....सबने अपना अपना ऑर्डर दिया सिवाय मारग्रेट को छोड़ कर.....


जूलिया—मेरे लिए स्ट्रॉबेरी….


कैत—मेरे लिए ऑरेंज वाली…


मैं—मेरे लिए मलाई आइस क्रीम….


मारग्रेट—मेरे लिए भी मलाई वाली.....


जूलिया (तुरंत)—मेरे लिए भी मलाई वाली ही लाना...वो वाली कॅन्सल...कोई खास नही वो वाली....

मारग्रेट—तू अपनी स्ट्रॉबेरी ही ले समझी....


जूलिया—तुझे क्या करना है...मैं कोई सी भी लू....


वेटर—मलाई वाली केवल दो पीस ही हैं......स्ट्रॉबेरी ले आउ क्या....


मैं—ठीक है….


थोड़ी ही देर मे सब का ऑर्डर आ गया….मारग्रेट और जूलिया मलाई वाली आइस्क्रीम के लिए आपस मे झगड़ने लगी…..


जूलिया—मलाई वाली मैं ही खाउन्गी….तू चाहे तो स्ट्रॉबेरी ले ले….


मारग्रेट—मैं क्यूँ लू...तू ही ले ले...


जूलिया—देख ज़्यादा ज़ुबान मत चला....नही तो ठीक नही होगा....


मारग्रेट—मैं तेरा मूह नोच लूँगी…..


डॅनियल—ले भाई तेरी बिल्लियो की लड़ाई चालू हो गयी.......


मैं—क्या यार तुम दोनो कभी तो शांत रहा करो.....


जूलिया—हाँ तो देख ना तू ही आदि ये मुझे नोचने को बोल रही है….


मारग्रेट—तुझे नोचूँगी भी और कातूँगी भी…..

मैं—एक काम करो…ये लो दोनो मलाई आइस्क्रीम और ये स्ट्रॉबेरी मैं ले लेता हूँ…ओके अब ठीक है…


ये देख दोनो का मूह उतर गया…..


मारग्रेट—तू मलाई वाली ही खा..मैं ही स्ट्रॉबेरी ले लेती हूँ...


जूलिया—अब आई ना अपनी औकात पर.....मुझसे पंगा लेती है...


मारग्रेट—आदि क्या मैं और तुम मलाई वाली आधी आधी शेर कर ले....


मैं—हाँ क्यो नही...ये लो...


मारग्रेट—नही पहले तुम खाओ..फिर मैं...


मैने थोड़ा सा खा उसको दिया....उसने थोड़ा सा खा के मुझे खिलाया और फिर खुद खाया...

ये देख जूलिया का दाव उल्टा पड़ गया...मारग्रेट जूलिया को तिर्छि नज़र से देख मुश्कूराने लगी.....


जूलिया (मंन मे)—इसे तो मैं छोड़ूँगी नही....


जूलिया—आदि मेरी वाली से भी खा ना....


मारग्रेट—तेरी वाली तेरी जूती है...वो तू खुद अकेले खा....


मैं—चल आजा तू भी इधर...दोनो की खा लेता हूँ....


ये सुन उसके चेहरे की मुश्कूराहट वापस लौट आई....तुरंत उठ के मेरे पास आ गयी....मैने बारी बारी दोनो की आइस्क्रीम मे से खाया और उनको भी खिलाया....


कैत—आदि रिज़ल्ट कब तक ओपन होगा..मुझे तो टेन्षन हो रही है...


डॅनियल—मैं हूँ ना…फिर किस बात की टेन्षन डार्लिंग


कैत—इसी बात की तो टेन्षन है….कि तू है


हम सब कैत की बात पर हँसने लगे….डॅनियल का तो पोपट बन गया ….


मैं—होने वाला होगा या हो भी गया हो शायद…मैने देखा नही…..


फ्रॅंक्लिन—तुझे क्या टेन्षन है…तू तो टॉप ही आएगा….मेरा क्या होगा….मेरे डेडी लात मार के घर से निकाल देंगे….मेरी शादी भी नही हो पाएगी…ये भी नही की कम से कम मेरी शादी ही कर दे….


मैं—चिंता मत कर तू भी पास हो जाएगा….


जूलिया—और नही तो क्या....चीटर जो है...कितनी नकल करता है एग्ज़ॅम हॉल मे...


फ्रॅंक्लिन—अब तुम लोगो की तरह ब्रिलियेंट नही हूँ तो कुछ तो करना ही पड़ेगा ना….


ऐसे ही बात करते हुए हम घर लौट आए…मेरे रूम मे सभी आ गये…लॅपटॉप पर रिज़ल्ट कैत चेक करने लगी….जो शायद ओपन हो गया था….


कैत—वाउ..मेरे 72% आए हैं…थॅंक गॉड…वरना इसके चक्कर मे तो मेरी लुटिया डूब ही गयी थी…


जूलिया—हमारा भी रिज़ल्ट बता ना….आदि के कितने हैं…


कैत—मारग्रेट के 89%, जूलिया 82%, डॅनियल 54%, अरे फ्रॅंक्लिन भी पास हो गया 50% से….


फ्रॅंक्लिन—क्याआ….मैं सच मच मे पास हो गया…


कैत—हाँ बाबा हाँ….


फ्रॅंक्लिन—आज मैं भी नारियल फोड़ूँगा गॉड जी को….मुझे लात खाने से….


मारग्रेट—आदि का बता ना यार…..


कैत—रुक ना देखती हूँ……आदि…आदि…आदि….हाँ मिल गया….ऑम्ग….आदि का तो…


मारग्रेट—बता ना क्या हुआ…क्यो टेन्षन दे रही है……


कैत—आदि ने टॉप किया है 98% से...


डॅनियल—हुर्राह...अब हमारी ये टीम कॉलेज मे भी धमाल मचाएगी....


फ्रॅंक्लिन—हाँ मैं भी कॉलेज मे जाउन्गा अब….जो भी रगिन्ग लेने आएगा साले को फोड़ डालूँगा…


मारग्रेट—आदि कंग्रॅजुलेशन्स….


मैं—तुम सब को भी….

ऐसे ही नोक झोक मे शाम कब हो गयी पता नही चला.....इस बीच मोम और डॅड ने भी हम सब को रिज़ल्ट की मुबारकबाद दी....मैं मोम को शॉपिंग करा लाया...


शाम की पार्टी जोरो से चली....डॅड ने मुझे सभी बिज़्नेसमॅन से इंट्रोड्यूस कराया...मेरे सभी फ्रेंड्स और स्कूल टीचर्स भी आए थे....


सभी पार्टी एंजाय कर रहे थे मगर मारग्रेट मुझे ही चोर नज़रों से देख रही थी….


मारग्रेट (मंन मे)—आदि….आइ लव यू…कैसे कहूँ…हिम्मत नही होती…मेरे मोम डॅड की हैसियत तुम्हारे बराबर की नही है…इज़हार करने से डरती हूँ कही तू मुझे ठुकरा ना दे…मैं तुम्हे बहुत प्यार करती हूँ आदि….


मैने भी उसे घूरते हुए देख लिया….धीरे से उसके पास जाके अपने हाथो से खिला दिया..जिससे उसका चेहरा खिल उठा….


इसी तरह पार्टी आधी रात तक चलती रही…फिर सभी गेस्ट जाने के बाद मैं भी अपने रूम मे आ गया मगर रूम मे आने के बाद मेरे साथ बड़ी ही अजीब घटना घटी…….


UPDATE*7



Daniel—Jyada kuch nahi...tere pados me jo aunty hain na kisi tarah tu unki nahane ki video banake mujhe de de bas....


Franklin—kyaaa.....sale teri to......dhisum..dhisum


Daniel—abe maar kyo raha hai...uff...tera hath hai ki hathoda...


Vo dono hasi majak me lage huye the jabki kaith ear phone par music sunn rahi thi…


Tabhi achanak gadi me jor ka brake laga…..


Ab Aage………..


Gadi ke samne ek bada sa ullu aa gaya tha …mujhe laga ki vo meri gadi se dabkar na mar jaye…isliye maine brake laga diye……


Main nahi chahta tha ki mere birthday par mere hi hatho koi nirdosh jeev ki hatya ka paap ho jaye… maine niche utar ke dekha to vaha koi nahi tha…..mujhe bada hi tajjub hua…


Daniel—kya hua yaar gadi kyu rok di tune……..


Ab mai unko batata bhi to kya kahta…..khud ka majak banne se achchha hai kuch bhi bol do….


Mai—arey kuch nahi yaar…..ek billi aa gayi thi samne….


Franklin—tere pass pahle se hi do itni khatarnak billiyo ke hote huye vo bhi dekh ke bhag gayi hogi….hahaha

Dono ne franklin ko ghur kar dekha to vo dusri taraf muh ghuma ke hasne laga…..


Mai—chalo ice-cream khate hain...


Juliya—mujhe icecream bahut pasand hai…..


Margret—mujhe bhi…..


Juliya (muh chidate huye)—kya dekhi bhi hai icecream……free ki mil gayi to…..mujhe bhi…huh…….


Margret—teri jaisi nahi mai ki kahi bhi muh maarne lagu……samjhi...


Mai—apni bakwas band karo dono.....aur andar chalo...


Hum andar aa gaye.....sabne apna apna order diya sivay margret ko chhod kar.....


Juliya—mere liye strawberry….


Kaith—mere liye orange wali…


Mai—mere liye malayi ice cream….


Margret—mere liye bhi malayi wali.....


Juliya (turant)—mere liye bhi malayi wali hi lana...vo wali cancel...koi khas nahi vo wali....

Margret—tu apni strawberry hi le samjhi....


Juliya—tujhe kya karna hai...mai koi si bhi lu....


Waiter—malayi wali kewal do piece hi hain......strawberry le aau kya....


Mai—theek hai….


Thodi hi der me sab ka order aa gaya….Margret aur Juliya malayi wali icecream ke liye apas me jhagadne lagi…..


Juliya—malayi wali mai hi khaungi….tu chahe to strawberry le le….


Margret—mai kyu lu...tu hi le le...


Juliya—dekh jyada juban mat chala....nahi to theek nahi hoga....


Margret—mai tera muh noch lungi…..


Daniel—le bhai teri billiyo ki ladayi chalu ho gayi.......


Mai—kya yaar tum dono kabhi to shant raha karo.....


Juliya—ha to dekh na tu hi Adi ye mujhe nochne ko bol rahi hai….


Margret—tujhe nochungi bhi aur kaatungi bhi…..

Mai—ek kaam karo…ye lo dono malayi icecream aur ye strawberry mai le leta hu…ok ab theek hai…


Ye dekh dono ka muh utar gaya…..


Margret—tu malayi wali hi kha..mai hi strawberry le leti hu...


Juliya—ab aayi na apni aukat par.....mujhse panga leti hai...


Margret—Adi kya mai aur tum malayi wali aadhi aadhi share kar le....


Mai—ha kyo nahi...ye lo...


Margret—nahi pahle tum khao..phir mai...


Maine thoda sa kha usko diya....usne thoda sa kha ke mujhe khilaya aur phir khud khaya...

Ye dekh Juliya ka daav ulta pad gaya...Margret Juliya ko tirchhi nazar se dekh mushkurane lagi.....


Juliya (mann me)—ise to mai chhodungi nahi....


Juliya—adi meri wali se bhi kha na....


Margret—teri wali teri juthi hai...vo tu khud akele kha....


Mai—chal aaja tu bhi idhar...dono ki kha leta hu....


Ye sunn uske chehre ki mushkurahat vapas lout aayi....turant uth ke mere pass aa gayi....maine bari bari dono ki icecream me se khaya aur unko bhi khilaya....


Kaith—adi result kab tak open hoga..mujhe to tension ho rahi hai...


Daniel—mai hu na…phir kis baat ki tension darling


Kaith—isi baat ki to tension hai….ki tu hai


Ham sab kaith ki baat par hasne lage….daniel ka to popat ban gaya ….


Mai—hone wala hoga ya ho bhi gaya ho shayd…maine dekha nahi…..


Franklin—tujhe kya tension hai…tu to top hi ayega….mera kya hoga….mere dady laat maar ke ghar se nikal denge….meri shadi bhi nahi ho payegi…ye bhi nahi ki kam se kam meri shadi hi kar de….


Mai—chinta mat kar tu bhi pass ho jayega….


Juliya—aur nahi to kya....cheater jo hai...kitni nakal karta hai exam hall me...


Franklin—ab tum logo ki tarah brilliant nahi hu to kuch to karna hi padega na….


Aise hi baat karte huye ham ghar lout aaye…mere room me sabhi aa gaye…laptop par result kaith check karne lagi….jo shayad open ho gaya tha….


Kaith—wow..mere 72% aaye hain…thank god…varna iske chakkar me to meri lutiya doob hi gayi thi…


Juliya—hamara bhi result bata na….adi ke kitne hain…


Kaith—Margret ke 89%, Juliya 82%, Daniel 54%, arey Franklin bhi pass ho gaya 50% se….


Franklin—kyaaaa….mai sach much me pass ho gaya…


Kaith—ha baba ha….


Franklin—aaj mai bhi nariyal phodunga god ji ko….mujhe laat khane se….


Margret—adi ka bata na yaar…..


Kaith—ruk na dekhti hu……adi…adi…adi….ha mil gaya….omg….adi ka to…


Margret—bata na kya hua…kyo tension de rahi hai……


Kaith—adi ne top kiya hai 98% se...


Daniel—hurrah...ab hamari ye team college me bhi dhamal machayegi....


Franklin—ha mai bhi college me jaunga ab….jo bhi raging lene aayega sale ko phod dalunga…


Margret—adi congratulations….


Mai—tum sab ko bhi….

Aise hi nok jhok me shaam kab ho gayi pata nahi chala.....is beech mom aur dad ne bhi ham sab ko result ki mubarakbad di....mai mom ko shopping kara laya...


Shaam ki party joro se chali....dad ne mujhe sabhi businessman se introduce karaya...mere sabhi friends aur school teachers bhi aaye the....


Sabhi party enjoy kar rahe the magar Margret mujhe hi chor nazaro se dekh rahi thi….


Margret (mann me)—adi….I Love You…kaise kahu…himmat nahi hoti…mere mom dad ki haisiyat tumhare barabar ki nahi hai…izhar karne se darti hu kahi tu mujhe thukra na de…mai tumhe bahut pyar karti hu adi….


Maine bhi use ghurte huye dekh liya….dhire se uske pass jake apne hatho se khila diya..jisse uska chehra khil utha….


Isi tarah party aadhi raat tak chalti rahi…phir sabhi guest jane ke baad mai bhi apne room me aa gaya magar room me aane ke baad mere sath badi hi ajeeb ghatna ghati…….
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

UPDATE*8



Sabhi party enjoy kar rahe the magar Margret mujhe hi chor nazaro se dekh rahi thi….


Margret (mann me)—adi….I Love You…kaise kahu…himmat nahi hoti…mere mom dad ki haisiyat tumhare barabar ki nahi hai…izhar karne se darti hu kahi tu mujhe thukra na de…mai tumhe bahut pyar karti hu adi….


Maine bhi use ghurte huye dekh liya….dhire se uske pass jake apne hatho se khila diya..jisse uska chehra khil utha….


Isi tarah party aadhi raat tak chalti rahi…phir sabhi guest jane ke baad mai bhi apne room me aa gaya magar room me aane ke baad mere sath badi hi ajeeb ghatna ghati…….


Ab Aage……………..


Mai jaise bistar par let kar sone laga to mujhe aisa laga ki kamre ke andar koi moujud hai….maine ankhe khol kar room me charo taraf nazar ghuma kar dekha lekin mujhe kuch bhi nahi dikha….


Mai din bhar ki bhag doud se thak gaya tha to ise apna bhram maan kar phir ankhe band kar ke sone ka prayas karne laga……


Jaldi hi mujhe need aa gayi….magar need me bhi mujhe aisa lagne laga ki koi mujhe awaz e raha hai.. maine apni ankhe khol li…….


Mere samne ki table ke upar vahi subah vala ullu baitha tha….mai use yaha dekh hairat me pad gaya ki ye yaha kaise aaya……..


Mai abhi ye soch hi raha tha ki mere kano me phir se kisi ki awaz gunjne lagi……..


“Shukriya dost tumne aaj meri jaan bacha kar mujh par bahut bada upkar kiya hai…mai tumhara ehsaan mand hu”…….


Awaz sunkar mai hairat se apne charo or baar baar dekhne laga magar koi nahi dikha…..mai ye dekh gahri soch me pad gaya…..ki koun hai jo dikhayi to de nahi raha lekin bolne ki awaz aa rahi hai…


Mai—koun hai..? Jo bhi hai samne aao……


"Ye meri hi awaz hai...apne samne dekho.......aditya "......


Maine ghabrakar samne dekha to mujhe us ullu ke sivay kuch nahi dikha........tabhi vo ullu udkar mere bistar par aa gaya....meri to phat ke hath me aa gayi....


Mai turant kood kar bistar se niche utar gaya.....tabhi mujhe uss ullu ke bolne ki awaz aayi......


"Ghabrao mat aditya......ye mai hi bol raha hu....mere pass aao...daro mat".......


Ab to meri solid phati.....ek ullu kisi insan ki bhasa kaise bol sakta hai....nahi..nahi jarur kuch gadbad hai.. mai yahi soch raha tha aur usko dekhe ja raha tha.......


"Mere pass aao aditya....mai tumhara dost hu....dusman nahi"........


Mai (darte huye)—t..u..m.......y.a.ha.n kaise ......aaye...aur...t..u..m.....hamari bhasa kaise bol sakte ho.... ?


Ullu—Pahle tum mujhse darna band karo tab mai tumhe sab kuch bataunga....mere pass aao....


Mai darte huye bistar ke ek kone par dhire se baith gaya.....kya pata kab mujh par jhapat pade...


Mai—ab bolo......yahan kyo aaye ho.....aur hamari boli kaise bol lete ho.... ?


Ullu—mai to ek maha tapaswi rishi ke shrap se ullu ban gaya.....mera naam munish hai...mai ek dev putra hu....


Mai—shrap.....kaisa shrap..... ?


Munish—Bahut samay pahle ki baat hai....himalay ki tarayi me rishi ashtavakra tapasya kar rahe the… unka sharir kamar se lakwa maara hua tha…jisse vo bade hi bedhange tarike se hilte dulte chalte the ek baar mai dharti lok ghumne ki abhilasa se swarg se prithvi par aa gaya…aur ghumte ghumte himalay ki taraf chala gaya…..


Munish—mai bahut hi sundar tha...jiska mujhe behad abhiman tha apni sundarta par....ghumte huye meri nazar un Ashtavakra Rishi ke upar chali gayi.....unki aisi hirni jaisi chal dekh kar mai koutuhal vash unke piche piche chalne laga....


Munish—unke pichhe chalte huye main baar baar unka mazak udata ja raha tha.....lekin vo mujhe dekhte aur phir aage badh jate....lekin mai unka uphas lagatar karta hi raha.....


Munish—akhir meri aisi uddandata dekh kar unko kroadh aa gaya aur unhone apne kamandal se jal apni hatheli par lekar mujhe shrap de diya......


Ashtavakra (kroadh me)—Uddand abhimani dev putra....ye sharir jaisa bhi hai us parmeshwar ki rachna hai.....tu baar baar mere andekha karne par bhi uss prabhu ki rachna ka uphas udaye ja raha hai.... tu nishchay hi dand ka bhagidar hai....tujhe apni is sundarta par bahut abhiman hai na to ja mai Ashtavakra tujhe abhi isi waqt shrap deta hu ki tu ek Ullu ki yoni me janam lekar yaha vaha dar dar bhatakta rah.......


Aur unhone apni hatheli ka jal mere upar chhidak diya......unke ghor shrap se mai bhaybheet ho gaya aur unke charno me girkar hath jod ke unki anunay vinay karne laga......


Munish—mujhe kshama kar dijiye Rishivar.....mujhse vinodvash bahut bada apradh ho gaya....mujhe maf kare hey maharshi......aap to maharshi hain....aap to daya ke sagar hain....mujhe kshama dan de muni shreshtha...


Meri aisi anunay vinay se un maharshi ka kroadh shant ho gaya......Rishi to hote hi dayalu hain....Pal me Tola aur Pal me Masha...yahi rishi muniyo ka swabhav hota hai......


Ashtavakra—Jis tarah dhanush se nikla teer aur gujra hua samay kabhi vapis nahi aata usi tarah mera shrap bhi atal hai....vo vapis nahi ho sakta......kintu mai tumhari shrap mukti ka upay avashya kar sakta hu......


Munish (hath jod)—kripaya vo upay bataye maharshi......


Ashtavakra—Jab koi nek aur raham dil vala insan tumhari giddho (eagles) se raksha karega…vahi tumhari mukti ka kaaran bhi banega…..vo jaise hi tumhara sparsh karega usi kshan tum mere shrap se mukt ho jaoge…..tumhe shrap mukt karne ke badle me us insan ko kayi adbhut shaktiyo ki prapti hogi jinse vo jan kalyan aur dushto ka sanghar kar sake…….


Munish—apki badi kripa munivar…..


Kuch samay baad mere sharir me tez dard uthne laga aur mai dev yoni se is ullu ki yoni me aa gira…tab se mai in giddho se apni jaan bachane ke liye poora din bhagta rahta hu……aur jyada tar samay kisi na kisi ped ki kandrao me hi vyateet karta hu……

Un giddho se apni jaan bachane ke chakkar me ek baar mai ek jahaz ke andar chhup gaya aur Bharat se yaha aa pahucha…….


Aaj mai bhojan ki talash me bahar nikla tha ki tabhi giddho ka ek jhund mere pichhe lag gaya….mai unse bhagte bhagte thak kar tumhari gadi ke samne ja gira……


Mere upar tumhari gadi chadhne hi vali thi ki tumne achanak brake laga kar use rok liya aur meri jaan bach gayi……


Tabhi mujhe un Ashtavakra rishi ki baat yaad aa gayi …ki tumhi mujhe shrap mukt kar sakte ho….aaj tumne meri jaan bachakar unka kathan satya kar diya…..tum behad nek dil aur raham dil ho….


Mai uss ullu (munish) ki kahani sun kar dang rah gaya….mere liye ye kisi ajoobe se kam nahi thi…jis par mai to kya koi bhi yakin nahi karega aaj ke jamane me….lekin mai to khud hi ek ullu ko insani bhasa me baat karte dekh aur sun raha tha……


Mai—chalo mai maan bhi lu ki tumhari baat sahi hai to phir tum mujhe subah dikhe kyo nahi jab mai gadi se niche utra……


Munish—mai tumhari gadi me chhip kar baith gaya tha,,,,,aur usme hi chhip kar yaha tak aa gaya…ab tum mujhe apne hatho se sparsh kar ke mujhe shrap mukt kar do…….


Mujhe yakin to koi khas nahi tha uski kahani par lekin usse pichha chhudane ki garaj se darte darte uske pass jake pith par apna hath rakh diya……


Uski pith par mera hath touch hote hi jo hua vo sab dekh kar to meri ankhe hairat se khuli ki khuli rah gayi…..
Fan of RSS
Novice User
Posts: 2499
Joined: 31 Mar 2017 20:01

Re: चमत्कारी

Post by Fan of RSS »

UPDATE*9


Munish—mai tumhari gadi me chhip kar baith gaya tha,,,,,aur usme hi chhip kar yaha tak aa gaya…ab tum mujhe apne hatho se sparsh kar ke mujhe shrap mukt kar do…….


Mujhe yakin to koi khas nahi tha uski kahani par lekin usse pichha chhudane ki garaj se darte darte uske pass jake pith par apna hath rakh diya……


Uski pith par mera hath touch hote hi jo hua vo sab dekh kar to meri ankhe hairat se khuli ki khuli rah gayi…..


Ab Aage………….

Mere hath lagate hi uske sharir ka prakash badhne laga aur kuch hi der me uska poora sharir ek tez roshni ke ghere me sama gaya………


Lagbhag 10 minute tak ye roshni aise hi tez bani rahi ..meri to ankhe hi band ho gayi…phir jab ye prakash ka aavran dhire dhire ghatne laga tab maine apni ankhe kholi….


Meri ankho ke samne ek 7” lamba nou-jawan khada tha tha jiske sharir me gajab ka tez tha….mai to hairat me pahle se hi tha….ye meri jeevan ki sabse badi aur pahli avishwasniya ghatna thi……


Kuch der tak vo mujhe dekh kar vo yu hi khade halke halke mushkurata raha…..mai bhi bina palak jhapkaye usko hi dekhta raha….


Munish—ye mera asli roop hai….mai tumhara behad shukra gujar hu…tumhari vajah se aaj mujhe punar jeevan ki prapti huyi hai…..agar ye kahu to isme koi atisanyokti nahi hogi…..


Mai (hath jod kar pranam karte huye)—ye to mera ahobhagya hai ki mai kisi devta ki shrap mukti madhyam bana….maine apko bina pahchane na jane manav buddhi vash kya kuch nahi kah diya hoga use meri agyanta samajh kar mujhe kshama karna..


Munish—tum sach much me ek shreshtha manav ho aditya….tumne apna farz nibhaya ab meri bari hai mere karib aao dost…


Mai—dost……


Munish—ha tum vakayi me dosti ke kabil ho….ab mai un maharshi ke kathnaanusar tumhe tumhari shaktiya soupna chahta hu….


Mai—kaisi shaktiya….?


Munish—ye to mai bhi nahi janta dost….ki unme koun koun si shaktiya hai….Rishi Ashtavakra ka yahi adesh tha ki jab mai shrap mukt ho jau to tumhe manav aur jeev kalyan evam papiyo ke nash hetu tumhe kuch shaktiya pradan karu….


Mai—jaisi apki aagya….mujhe kya karna hoga...


Munish ne bina meri baat ka koi jaab diye apna hath mere sar me rakh kar apni ankhe band kar li aur mann hi mann kuch budbudane laga...shayad koi mantra padh raha tha....


Uske hatho se neeli roshni nikalne lagi jo mere sharir me uske hatho ke jariye pravesh karne lagi mujhe apne sharir me bahut tez dard ka ehsaas hone laga..kuch der baad sab normal ho gaya


Uske hatho se neeli roshni nikalni band ho gayi thi magar mujhe dard ab bhi ho raha tha…khade rahne me bhi taklif mahsus ho rahi thi..


Mai—mujhe itna dard kyo ho raha hai


Munish—ye shaktiya tumhare sharir ko majboot bana rahi hain jisse ye unke anukool ho jaye dharan karne ke....thodi der me sab theek ho jayega...


Mai—magar mujhe kaise in shaktiyo ke baare me pata chalega ko kaise kaam karti hain aur kis tarah ki shaktiya hain


Munish—tumhare dhyan lagane se dost....tum jitna adhik samay dhyan lagane me doge utna jyada se jyada inke vishay me jaan paoge….


Phir munish ne mujhe dhyan lagane ka tarika samjhaya...ki kaise kya karna hai mujhe


Munish—mai tumhe kuch aur bhi dena chahta hu dost...ise meri taraf se dosti ka uphar samjho

Mai—jo agya...aapne mujhe apna dost kaha ye mere liye kisi uphar se kam nahi hai


Munish—tum sach me in shaktiyo ke kabil ho aditya....lekin kisi nirdosh par inka prayog mat karna..ab mai jo bhi tumhe dene ja raha hu...usse tum hamesha hum devtao ki tarah jawan rahoge...tumhara chehra aur bhi sundar aur akarshak ho jayega..isse tum kisi ko bhi theek kar sakte ho chahe vo koi asadhya rog ho ya phir koi bhi chot....


Mai—apka bahut bahut dhanyavad is kripa ke liye


Munish ne ek bar phir mere sar pe hath rakh kar roshni ke jariye mere jism me vo shaktiya pravesh karayi……


Munish—in shaktiyo se tum kisi bhi baanjh aurat ke sath sambhog kar ke use aulad bhi de sakte ho… hum devta to bhog vilas ke adi hote hain to ye gun ab tumhare andar bhi aa jayega…bas kisi se jabardasti mat karna….vaise iski jarurat hi nahi padegi…tumhe dekhte hi har stri tumse sambhog karne ko tadapne lagegi


Mai—ye aapne kya mushibat de di…?


Munish (mushkurate huye)—ye mushibat nahi balki isse tumhari shaktiyo ka santulan bana rahega sharir me...kyon ki itni urja sambhalna ek manushya ke sharir ki kshmata me nahi hota....sambhog karte rahne se ye urja ka santulan bana rahega...vaise ab tumhara sambhog ashtra bhi pahle se bahut bada aur bahut mota ho jayega..jisse har stri ko ek aloukik sukh ki prapti hogi aur vo tumhari gulam ban jayegi


Mai—yahi to mushibat hai


Munish—achchha mai ab chalta hu...jab kabhi bhi meri jarurat ho..apne mann me mujhe yaad karna mai hajir ho jaunga...aur ha tum kahi bhi kewal dhyan matra se pahuch jaoge...jaha bhi jana ho us jagah ka ya us admi ka jisse milna ho dhyan karna bas...kisi ke bhi mann ki baat jaan sakte ho


Mai—ji shukriya


Munish—achchha mai chalta hu...mai tumhara hamesha abhari rahunga dost...tumne mujhe ek nayi jindagi di hai....


Iske baad munish vaha se ek jhatke me chala gaya aur mai use aise gayab hote dekh kar but bane dekhta raha...lekin ab itna kuch dekh chuka tha ki isme koi hairangi nahi huyi


Mai bhi dard se tadap raha tha to bistar me girte hi need ki hasin vadiyo me kho gaya....subah meri need jaldi khul gayi...jaise hi meri nazar apne sharir par padi to hairan ho gaya...mere poore kapde jagah jagah se fate huye the....mera sharir bhi bahut majboot lag raha tha


Mujhe apne andar besumar taqat hone ka ehsaas ho raha tha....tabhi meri nazar niche gayi to meri ankhe vo dekh kar shock se phati ki phati rah gayi.......
Post Reply