अहसान complete

Post Reply
User avatar
rajsharma
Super member
Posts: 15850
Joined: 10 Oct 2014 07:07

Re: अहसान

Post by rajsharma »

नई कहानी के लिए शुभकामनाएँ दोस्त
Read my all running stories

(शिद्द्त - सफ़र प्यार का ) ......(प्यार का अहसास ) ......(वापसी : गुलशन नंदा) ......(विधवा माँ के अनौखे लाल) ......(हसीनों का मेला वासना का रेला ) ......(ये प्यास है कि बुझती ही नही ) ...... (Thriller एक ही अंजाम ) ......(फरेब ) ......(लव स्टोरी / राजवंश running) ...... (दस जनवरी की रात ) ...... ( गदरायी लड़कियाँ Running)...... (ओह माय फ़किंग गॉड running) ...... (कुमकुम complete)......


साधू सा आलाप कर लेता हूँ ,
मंदिर जाकर जाप भी कर लेता हूँ ..
मानव से देव ना बन जाऊं कहीं,,,,
बस यही सोचकर थोडा सा पाप भी कर लेता हूँ
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ -- raj sharma
User avatar
sexi munda
Novice User
Posts: 1305
Joined: 12 Jun 2016 12:43

Re: अहसान

Post by sexi munda »

Ahasaan

Dosto sabse pehle main is kahani ke main charactors ka thoda sa introduction dena chahunga taki sab logo ko kahani or unke charactors achhe se samajh me aa jaye....

Neer (shera) :- Age- 26 saal, height - 6.1" (Main hero)
Haidar Ali (baba) :- Age 65 saal, dubla or patla (budha side roll me hi rahega)
Naaz (nazi) :- Age- 22 saal, height- 5.6" figure- 34-28-36 (baba ki beti)
Qasim :- Age- 31 saal, height- 5.8" (baba ka beta ek sharabi or londiya baaz jo ab unke sath nahi rehta )
Fiza :- Age-29 saal, height- 5.2" figure- 36-30-38 (baba ki bahu)


(baki or bhi charactors is kahani me aayenge unka intro main unke roll ke sath-sath deta rahunga. meri pehli koshish aapki khidmat me hazeer hai.)

Baat aaj se kuch saal purani hai. Raat ka waqt tha or pahadi rasta tha bareesh bohot tez ho rhi thi. sunsaan sadak par main tez raftaar se apni car bhagaa rha tha. Police mera pichha kar rhi thi or meri gaadi par goliyo ki bochhar ho rhi thi meri peeth par or kandhe par bhi 2 goli lagi hui thi lekin main fir bhi bohot tez raftaar se car chala rha tha ki achanak kisi police wale ki goli meri car ke tyre par lagi or meri gaadi jo ki tez raftaar me thi jake ek pahadi se dhalaan ki taraf niche badhne lagi or ek ped ke sahare meri car hawa me latak gyi ab main or meri car ek gehri khaayi or ek kamzor se ped par latak rhe the maine bohot koshish karke car ko pichhe ki taraf reverse kiya or gaadi ko khayi me jane se bacha liya lekin isse pehle ki main car se bahar nikalta police ki jeep khayi ke pass aake ruk gyi or tabhi meri aankho ke samne bhi andhera chhane laga uske kuch pal baad jab mujhe hosh aya to mujhe apne seene me tez dard ho rha tha or meri poori kameez khoon se bheeg gyi thi shayad unn policewalo ne mujhe car se utaarkar goli maar di thi or phir mujhe wapis car me bitha kar dhalaan ki taraf car ko dhakka de rhe the.

Main uss waqt 1/2 behosh tha or 1/2 hosh me tha phir bhi khud ko bachane ki poori koshish kar rhe tha. maine car ko sambhalne ki bohot koshish ki lekin sambhaal nahi paa rha tha break par apne pao ka poora dabav dene ke bawjood bhi gaadi ghisat kar pahadi se niche jaa giri or dhadaaam ki awaaz ke sath paani me gir gyi or car ka stairing mere sir me lga or behoshi ne mujhe apni aagosh me poori tarah le liya uske baad kya hua kya nahi mujhe kuch nahi yaad. Main nahi janta main kab tak uss paani me rha or paani ka tez bahaav mujhe or meri gaadi ko kaha tak bahake le gaya. Jab aankh khuli to khud ko ek chhote se kamre me paya lekin jab maine chaarpayi se uthane ki koshish ki to mere hath-pair mera sath nahi de rhe the or zor lgane par poore shareer me dard ki ek lehar doud gyi. Itna me achanak ek budha aadmi mere pass jaldi se aaya or mere kandhe par hath rakhkar mujhe letne ka ishara kiya.

Baba: beta tum kaun ho kya naam hai tumhara?
Main: (mujhe kuch bhi yaad nahi tha ki main kaun hoo bohot yaad karne par bhi kuch yaad nahi aa rha tha ki meri pichhali jindagi kya thi or main kaun hoo.isliye bas uss budhe aadmi ko or iss jagah ko dekh rha tha ki achanak ek awaaz mere kaano se takrayi)
Baba: kya hua beta btao na kaun ho tum kaha se aaye ho?
Main: mujhe kuch yaad nahi hai ki main kaun hoo.....(apne sir par hath rakhkar) yeh jagah konsi hai
Baba: beta humne tumhe paani se nikala hai meri beti aksar nadi kinare jati hai waha usko kinare par pade tum mile. jab tum unko mile to bohot buri tarah zakhmi or behosh the woh or meri bahu tumhe yha le aayi.
Main: Achaa!!!!!! baba main yha kitne din se hoo?
Baba: beta tumko yha 3 maheene se jada hone wale hain tum itne din yha behosh pade the. jitna ho saka meri beti or bahu ne tumhara ilaaj kiya hum gareebo se jitna ho saka humne tumhari khidmat ki.
Main: aisa mat kahiye baba aapne jo mere liye kiya aap sabka bohot-bohot shukriya. lekin mujhe kuch bhi yaad kyo nahi hai.
Baba: beta tumhare sir me bohot gehri chot thi jisko bharne me bohot waqt lag gaya mumkin hai uss ghaav ki wajah se tumhari yaddasht chali gyi ho.


itne me ek ladki ki awaaz sunayi di....Baba akele-akele kisse baat kar rhe ho....sathhiya gye ho kya or kamre me aa gyi. (meri nazar uss par padi to maine sir se pair tak usko dekha or uska poora jayeza liya) dikhane me patli si lekin lambi, kaale baal, badi-badi aankhen, gora rang, kale rang ka salwaar kamiz jispar chhote-chhote phool bane the or kandhe se kamar par bandha hua dupatta chaal me azeeb sa be-dhangapan.

Baba :- dekh beti inko hosh aa gaya (khush hote hue)
Nazi :- arre!!! aapko hosh aa gaya ab kaise ho...kya naam hai aapka....kaha se aaye ho aap (ek sath kai sawaal)
Baba : beti zara saans to le itne sare sawaal ek sath puchh liye pehle poori baat to suna kar.
Nazi :- (mooh bnakar) Achha bolo kya hai?
Baba :- beti inko hosh to aa gaya hai lekin inko yaad kuch bhi nahi hai yeh sab apna pichhla bhool chuke hain.
Nazi :- (apne mooh par hath rakhte hue) haaye! ab inke gharwalo ko kaise dhoondhenge?

itne me baba meri taraf dekhte hue.

Baba:- beta tum abhi thik nahi ho or bohot kamjor ho isliye aaram karo yeh meri beti hai nazi yeh tumhari achhe se dekh-bhaal karegi or tum fikar na karo sab thik ho jayega. hum sab tumhare liye dua karenge.(or dono baap beti kamre se bahar chale gye)

yeh baat mere liye kisi jhatke se kam nahi thi ki naa to mujhe yeh pta tha ki main kaun hoo or nahi kuch mujhe mera pichhla kuch yaad tha upar se main 3 maheene se yha pada hua tha. ek hi sawaal mere dimaag me bar-bar aa rha tha ki main kaun hoo....akhir kaun hoo main achanak mere sir me dard hone laga isliye maine apni purani zindagi ke bare me jada nahi socha or apne zakhamo ko dekhne lga meri body ki kaafi jagah par patti bandhi hui thi. main iss parivaar ke bare me soch rha tha ki kitne neq log hai jinhone yeh jante hue ki main ek ajnabi hoo na sirf mujhe bachaya balki itne maheene tak mujhe sambhala bhi or meri dekh-bhaal bhi ki.main apni socho me hi gumm tha ki achanak mujhe kisi ke qadamo ki awaaz sunayi di. maine sir uthake dekha to ek ladki kamre me aati hui nazar aayi yeh koi dusri ladki thi baba ke sath jo aayi thi woh nahi thi woh shayad bhaagkar aayi thi isliye usse saans chadha hua tha...yeh fiza thi jo yeh sunkar bhagti hui aayi thi ki mujhe hosh aa gaya hai.

maine nazar bharke usse dekha....dikhane me na jada lambi na jada chhoti, rang gora, nasheeli si aankhen, peele rang ka salwaar kameez or sir par saleeke se dupatta odhe hue lekin woh dupatta bhi uski chhatiyo ki banawat ko chhupane me naakam tha) main abhi uske roop rang hi gor se dekh rha tha ki achanak ek awaaz ne mujhe chonka diya.

Fiza: ab kaise ho?
Main: thik hoo....aapne jo mere liye kiya uska bohot-bohot shukariya.
Fiza: kaisi baat kar rhe ho...yeh to mera farz tha...lekin mujhe baba ne btaya ki aapko kuch bhi yaad nahi?
Main: (nahi me gardan hilate hue)ji nahi.
Fiza: koi baat nahi aap fikar na karo aap jald hi achhe ho jaoge
Main: aapka naam kya hai?
Fiza: (apna dupatta sir par thik karte hue)mera naam fiza hai main baba ki bahu hoo
Main: Achha.....Aapke pati kaha hai?
Fiza : woh to shehar me ek mill me kaam karte hain isliye saal me 1-2 baar hi aa pate hain.(fiza ne mujhse jhooth bola)
Main: kya main bahar jaa sakta hoo?
Fiza: hila to jaa nahi rha bahar jaoge koi jarurat nahi chup karke yhi pade rho or fir jaoge bhi kaha abhi to aapne kaha ki kuch bhi yaad nahi hai kuch din araam karo iss bich kya pta aapko kuch yaad hi aa jaye to hum aapke gharwalo ko aapki khabar pohoncha sake.
Main : thik hai.
Fiza: bhookh lagi ho to kuch khane ko lau?
Main : nahi main thik hoo.
Fiza: thik hai fir aap araam karo kuch chahiye ho to mujhe awaaz laga lena.
User avatar
sexi munda
Novice User
Posts: 1305
Joined: 12 Jun 2016 12:43

Re: अहसान

Post by sexi munda »


Iss tarah woh kamre se bahar chali gayi or main pichhe se usko dekhta raha. main halaki chal nahi sakta tha lekin fir bhi maine himmat karke uthane ki koshish ki or bed par beth gaya or khidki se bahar dekhne laga or thandi hawa ka mazaa lene lga. bahar ki haseen wadiya unche pahad or unn par safed chaadar ki tarah failly hui barf or unn pahado ke bich doobta hua sooraj kisi ka bhi dil moh lene ke liye kaafi the meri aankhen bas isi haseen manzar ko man hi man nihaar rahi thi. main kaafi der bahar qudrat ki sundarta ko dekhta raha or fir dheere-dheere suraj ko pahado ne apni aaghosh me le liya or neele saaf asmaan me chhote-chhote motiyo jaise taare tim-timaane lage. main yeh to nahi janta ki main kaun hoo or kaha se aaya hoo lekin dil me abhi bhi yhi aas thi ki kaise bhi mujhe meri zingadi ka kuch to yaad aaye taki main bhi mere parivaar mere apno ke pass jaa saku. Jane unka mera bina kya haal ho raha hoga. main apni inhi socho me gum tha ki kisi ne mere kandhe par hath rakh kar mujhe chonka diya.

Fiza: khana teiyaar hai agar bhookh lagi ho to khana lekar aau
Main: nahi mujhe bhookh nahi hai
Fiza: haye allah!!!! aapne itne din se kuch nahi khaya hai khud ko dekho zara kitne zakhmi or kamzor ho agar khana nahi khaoge to thik kaise hoge bolo...
Main: lekin mujhe bhookh nahi hai aap log khaa lo...
Fiza: aise kaise nahi khaoge agar aap khana nahi khaoge to hum bhi nahi khayenge hmare yha mehmaan bhookha nahi so sakta
Main: achha aisa hai kya.... thik hai fir aap mera khana daalkar rakh do mujhe jab bhookh hogi main khaa lunga
Fiza: (apni kamar par hath rakhkar) ji nahi!!!! main abhi khana daal kar laa rahi hoo aap abhi mere samne khana khayenge uske baad aapko lep bhi lgana hai.
Main: thik hai ji jaise aapki marzi.(kuch sochte hue) suniye zara!!!!
Fiza : hanji(palatakar mujhe dekhte hue) ab kya hua?
Main: kuch nahi yeh lep konsa lagayengi aap mere
Fiza : (muskurate hue) aapke jo yeh zakham hai inn par dawa lagane ki baat kar rahi thi main.
Main: achha (or meri nazre fiza ko kamre se bahar jate hue dekhti rahi)

kuch hi der me fiza khana le aayi or maine aaj jane kitne din baad pet bhar khana khaya tha. kuch der baad nazi khane ki thali lai gayi or fiza or nazi dono kamre me aa gayi ek katora hath me liye.

Fiza: arre aap abhi tak lete nahi...khana khaa liya na
Main : (haa me sir hilate hue) hanji khana khaa liya bohot achha bnaya tha khana
Fiza :shukriya!!! ab chaliye let jayiye taki hum dono aapke lep lga sake (or fiza or nazi ne mujhe milkar leta diya)
Main : jab main behosh tha tab bhi aap dono hi mujhe dawayi lagati thi?
Nazi: ji haa or kaun hai yha
Main : mera matlab hai koi aadmi nahi lagata tha mujhe
Nazi: ji nahi baba to ab khud hi badi mushkil se chal-fir pate hain or bhai jaan bahar hi rehte hain ghar kam hi aate hain jadatar isliye hum dono hi aapko dawayi lagati thi or.....
Main: or kya?
Nazi: kapde bhi hum hi aapke badalti thi(nazare jhukate hue)
Main: achha
Fiza : achha chhodo yeh sab woh wali baat to karo na inse
Main: konsi baat?
Fiza: woh hume aapka asal naam to pta nahi hai isliye hum dono ne aapka ek naam socha hai agar aapko achha lage to....
Main: kya naam btayiye?
Fiza: "Neer" naam kaisa lga aapko?
Main: jo aapko achha lage rakh lijiye mujhe to koi bhi naam yaad nahi waise yeh naam rakhne koi khas wajaha?
Fiza : aap maut ko maat dekar fir se iss duniya me laute ho or hume paani me behte hue mile the isliye humne socha ki aapka naam bhi hum "Neer" hi rakh de.
Main: maut ko maat se kya matlab hai aapka?
Nazi : arre kuch nahi bhabhi to bas kahi bhi shuru ho jati hai aap btayiye aapko naam kaisa lga?
Main: agar aap logo pasand hai to mujhe kya aitraaz ho sakta hai
Fiza: to fir thik hai.... aaj se jab tak aapko apna asal naam yaad nahi aa jata hum sab ke liye aap "Neer" ho.
Main: jaisi aapki marzi (halki si muskurahat ke sath)
Fiza: nazi kal yaad karwana mujhe inki daadhi or baal bhi katenge itne maheeno se yeh behosh the to dekho inki daadhi or baal kitne bade ho gaye hain bura mat manna lekin abhi aap kisi jogi-baba se kam nahi lag rahe ho koi ajnabi dekhe to darr hi jaye (dono aapas me hi hasne lagi)
Nazi: koi baat nahi bhabhi yeh kaam main kar dungi baba ki daadhi banate or baal kat te hue main ab mahir ho gayi hoo iss kaam me
Main : ( main dono ka chehra dekh kar sirf haa me sir hilate hue) thik hai
Nazi: chalo "Neer" ji kapde utaaro
Main: (chonkte hue) kyo kapde kyo utaaru?
Nazi: dawayi nahi lagwani aapne?
Main: arre haa main to bhool hi gaya (or apni kameez ke button kholne ki koshish karne lga)
Fiza: aap rehne dijiye roz hum khud hi yeh sab kaam kar leti thi aaj bhi kar lengi aap apne hath-pair jada hilayiye mat nahi to dard hoga.
Main: (khamoshi se sirf haa mein sir hilate hue)
Nazi: fikar mat kijiye hum roz aap chaddar daal dete the dawayi lagane se pehle (uske chehre par yeh baat kehte hue muskurahat or sharam dono thi)

Dono ne meri kameez utari or pajama bhi utaar diya jo mere pair se thoda uncha tha shayad fiza ke pati ka hoga ya fir baba ka hoga or meri taango par ek chaddar daal di. main dawayi lagwate hue bhi apni pichhali jindagi ke bare me soch raha tha lekin mujhe koshish karne par bhi kuch yaad nahi aa raha......main bas apni hi socho me gumm tha ki achanak mujhe ek komal hath apne sir par or aankho par ghumta mehsoos hua sath hi (ek awaz aayi ki ab aankhen mat kholna) fir dusra hath apni baaju par or 2 hath ek sath chaddar ke ander aate hue meri taango se rengte hue jangho par mehsoos hue meri aankhen band thi fir bhi main saaf mehsoos kar raha tha ki jab 2 hath meri jangho par chal rahe the to mere Lund me kuch harkat hui jo ki akad raha tha or iss harkat ke baad jo hath meri jangho par dawayi laga rahe the unme ek ajeeb si kampan maine mehsoos ki.....mujhe uss waqt nahi pta tha ki yeh ahsaas kya hai lekin mujhe usse sukoon bhi mil raha tha or ek ajeeb si bachaini bhi ho rahi thi...iss mile-jule ahsaas ko shayad main samajh nahi paa raha tha ki yeh mere sath kya ajeeb si baat hui or chand seconds me mera lund poori taraf khada hoke chhat ko salami de raha tha or lund mahaaraj ne chaddar me ek tambu bna diya tha. Achanak ek hath mere lund se takraya kuch pal ke liye usne mere lund ko pakda or fir ek dam se chhod diya sath hi ek mithi si awaaz mere kaano se takrayi. bhabhi baki lep aap hi laga do maine niche to lga diya hai ab main sone jaa rahi hoo. shayad yeh awaaz nazi ki thi. uske baad mujhe niche woh ajeeb se maze wala ahsaas nahi mehsoos hua main waise hi aaj bina kisi kapde ke sirf chaadar me lipta hua so raha tha fiza jate hue 2 kambal bhi mere upar daal gayi yeh kehkar ki yha raat me aksar thand ho jati hai. fiza ne bhi mujhe kapde nahi pehnaye or aise hi khadki band karke chali gayi shayad uski nazar bhi mere khade hue lund par pad gayi thi meri uss waqt aankhen to band thi lekin pairo ki door hoti hui awaaz se maine andaaza lga liya tha ki shayad ab kamre me koi nahi siwaye mere or meri tanhayi ke.Raat ko mujhe neend ne kab apni aaghosh me le liya main nahi janta.Subah mujhe nashta karwane ke baad fiza or nazi ne meri shave bhi ki or baal bhi kaat diye. sheeshe me apna yeh naya roop dekhkar mujhe khushi bhi ho rahi thi or bechaini bhi hui. lekin dil me ab yhi sawaal bar-bar aake mujhe bechain kar deta tha ki main kaun hoo....aakhir kaun hoo main.

Aise hi din guzarne lage ab mere jakham bhi kaafi bhar gaye the or ab main chalne-firne ke qabil ho gaya tha. lekin 1 baat mujhe hamesha pareshaan karti woh the mere seene par goli ke nishaan... zakham bhar gaya tha lekin nishaan abhi bhi baqi tha main jab bhi nazi ya fiza se uss nishaan ke bare me puchhta to woh baat gol kar jati or mujhe uss nishaan ke bare me kuch bhi nahi btati main baba se yeh baat nahi puch sakta tha kyoki umar ke sath unki nazar bohot kamjor ho chuki thi isliye unhe dikhayi bhi kam deta tha. main sara din ya to khidki ke samne khada bahar ke nazare dekhte ya fir ghar me dono ladkiyo ko ghar ka kaam karte dekhta rehta lekin fir bhi fiza mujhe ghar se bahar nahi jane deti thi. Mujhe purana kuch bhi yaad nahi tha meri purani jindagi ab bhi mere liye ek qora kagaz hi thi. Nazi ab mujhe dawayi nahi lagati thi lekin fiza roz mujhe dawayi lagane aati thi or aise hi bina kapdo ke upar kambal daal kar sula jati. Aaj dawayi lagate hue fiza bohot khush thi or bar-bar muskura rahi thi uski iss khushi ka raaz puchhe bina main khud ko rok nahi paya.

User avatar
sexi munda
Novice User
Posts: 1305
Joined: 12 Jun 2016 12:43

Re: अहसान

Post by sexi munda »

Main: kya baat hai aaj bohot khush lag rahi ho aap
Fiza: ji aaj mere shohar aa rahe hai 5 maheene baad
Main: arre waah yeh to bohot khushi ki baat hai.
Fiza: hanji (nazare jhuka kar muskurate hue) aap se ek baat kahu to aap bura to nahi manenge?
Main: nahi bilkul nahi boliye kya kar sakta hoo main apke liye?
Fiza: woh aaj mere shohar qasim aa rahe hain to agar aap bura na mane to aap kuch din upar wali kothari me reh lenge...or ho sake to unke samne naa aana.
Main: (baat meri samajh me nahi aayi) kyo unke samne aa jaunga to kya ho jayega?
Fiza: bas unke samne mat aana nahi to woh mujhe or nazi ko galat samjhenge or shaq karenge asal me waise to woh bohot neq-dil hai lekin aise unki gair-hazri me humne ek mard ko rakha hai ghar me to woh aapke bare me galat bhi soch sakte hain naa isliye.
Main: kya aapne unko mere bare me nahi btaya hua?
Fiza: nahi maine aapke bare me unko kuch bhi nahi btaya kabhi. mujhe galat mat samajhna lekin meri bhi majboori thi
Main: koi baat nahi!!! thik hai jaisa aap thik samjhe
Fiza: main abhi aapka bistar kothari me lga deti hoo waha main apko khana bhi wahi de jaungi kuch chahiye ho to roshandaan me se awaaz lga dena rasoyi me or kisi kamre me nahi yaad rakhna bhoolna mat thik hai.
Main: (main sir haa me hilate hue) fiza ji aapke mujh par itne ahsaan hai agar aap na hoti to aaj shayad main zinda bhi nahi hota agar main aapke kuch kaam aa saku to yeh meri khush kismati hogi. aap meri taraf se be-fikar rahe meri wajah se aapko koi pareshani nahi hogi.
Fiza: apka bohot-bohot shukriya aapne to ek pal me meri itni badi pareshani hi asaan kardi.

Fir woh bahar chali gayi or main bas usse jate hue dekhta raha. Main wapis apne bed par let gaya thodi der me mera bistar bhi kothari me lag gaya or main upar kothri me jake let gaya. kothri jada badi nahi thi fir bhi mere liye kaafi thi main usme aaram se let sakta tha or ghum fir bhi sakta tha. waha mera bistar bhi bade sleeke se laga hua tha ab main essi jagah par tha jaha se mujhe koi nahi dekh sakta tha lekin main sare ghar me dekh sakta tha kyoki yeh kothri ghar ke ek dam bich me thi or ghar ke har kamre me hawa ke liye khule hue roshandaan se main kisi bhi kamre me jhaank kar dekh sakta tha. aap yeh samajh sakte hain ki woh sare ghar ki ek band chhat thi. Fiza ke jane ke kuch der baad maine bari-bari har roshandaan ko kholkar dekha or har kamre ka jayeza lene laga. pehle roshandaan se jhanka to waha baba apni chaarpayi par bethe hue hooka pee rahe the. dusre roshandaan se main rasoyi me dekh sakta tha. teesra kamra shayad nazi ka tha jaha woh bed par bethi shayad kagaz par kisi ki tasveer bna rahi thi pencil se. chotha kamra mera tha jaha pehle main leta hua tha jo ab fiza saaf kar rahi thi shayad yeh fiza or qasim ka tha isliye. kothri ke pichhe wala roshandaan kholkar dekha to waha se mujhe ghar ke bahar ka sab nazar aaya yha se main kaun ghar me aaya hai kaun bahar gaya hai sab kuch dekh sakta tha.

Main abhi bister par aake leta hi tha or apni hi socho me gum tha ki achanak ek taanga ghar ke bahar aake ruka or usme se ek aadmi hath me laal atechi liye utraa. shayad yeh qasim tha jiske bare me fiza ne mujhe btaya tha. dekhne me qasim koi khas nahi tha chhote se qad ka ek dubla patla sa aadmi tha fiza uske muqable kahi jada sunder thi. woh taangey se utarkar ghar me dakhil ho gaya main bhi wapis apni jagah par aake wapis let gaya or meri kab aankh lagi mujhe pta nahi chala. shaam ko achanak kisi ke chillane se meri jaag khul gayi maine uthkar dekha to qasim bohot gandi-gandi galiya de raha tha or fiza se paise maang raha tha. fiza lagataar roye jaa rahi thi or usko kahi jane ke liye mana kar rahi thi. lekin woh bar-bar kahi jane ki baat kar raha tha or fiza se paise maang raha tha achanak usne fiza ko thappad mara or galiya dene lga or kaha ki apni aukaat me raha kar randi mere mamlo me taang adayi to uthake ghar se bahar fenk dunga 5 maheene me saali ki bohot jubaan chalne lagi hai. tujhe to aake thik karunga. or qasim tez qadmko ke sath ghar ke bahar nikal gaya. fiza wahi bed par bethi rou rahi thi. yeh dekhkar mujhe bohot bura lga lekin main majboor tha fiza ne hi mujhe ghar ke niche aane se mana kiya tha isliye main bas usko rote hue dekhta raha or qasim ke bare me sochne lga. fiza hamesha mere samne qasim ki tareef karti thi or usne mujhe qasim ek neq-dil insaan btaya tha uske iss tarah ke bartaav ne yeh saaf kar diya ki fiza ne mujhe qasim ke bare me jhooth bola tha. kaafi der tak fiza kamre me roti rahi or main usko dekhta raha.

raat ko fiza mere liye khana leke aayi or chehre par apni sadabahar muskaan ke sath. lekin main iss muskaan ke pichhe ka dard jaan gaya tha isliye shayad fiza ki haalat par udaas tha fir bhi main nahi chahta tha ki usko meri wajah se kisi qism ka dukh ho isliye usko kuch nahi kaha. lekin na chahte hue bhi mere mooh se yeh swaal nikal gaya.

Main: aapke shohar aa gaye?
Fiza: hanji aa gaye tabhi to aaj main bohot khush hoo.(banawati muskurahat ke sath)
Main:achhi baat hai main to chahta hoo aap sab log hamesha hi khush rahe.
Fiza: main aapke liye khana layi hoo jaldi se khana khaa lo nahi to thanda ho jayega
Main: aapne khaa liya
Fiza: hanji maine qasim ke sath hi khaa liya tha
Main: mera to aapko dekhkar hi pet bhar gaya ab iss khane ki jarurat mujhe bhi nahi
Fiza: (chonkte hue) kya matlab?
Main: aapne mujhse jhooth kyo bola tha qasim ke bare me... maaf karna lekin maine aapke kamre me jhaank liya tha.

fiza yeh sunkar khamosh ho gayi or mooh niche karke achanak rou padi. meri samajh me nahi aaya ki usko chup kaise karwau isliye pass pada paani ka glass uske aagey kar diya. kuch der rone ke baad fiza chup ho gayi or pani ka glass hath me pakad liya.

Main: jab aapko pta tha ki qasim aisa ghatiya insaan hai to aapne usse shaadi hi kyo ki?
Fiza: har chij par hmara jor nahi hota mujhe jo mila hai woh mera naseeb hai
Main: aap chahe to mujhse apni dil ki baat kar sakti hai aapke dil ka bojh halka ho jayega
fiza: (nazre jhuka kar kuch sochte hue) iss dil ka bojh shayad kabhi halka nahi hoga. shaadi ke shuru me qasim thik tha fir uski dosti gaav ke sarpanch ke kheto me kaam karne wale logo se hui unke sath rehkar yeh roz sharab peene lga jua khelne lga iske ghatiya dosto ne qasim ko kothe par bhi le jana shuru kar diya. qasim raat-raat bhar ghar nahi aata tha. lekin main sab kuch chup-chap sehti rahi kehti bhi to kisko mujhe anath ka tha bhi kaun jo meri madad karta. waqt ke sath-sath qasim or bura hota gaya or woh roz sharab peekar ghar aata or kothe par jane ke liye mujhse paise mangta. hum jo kheti karke thoda bohot paisa kamate hain woh bhi cheen kar le jata. ek din qasim ne mujhse kaha ki main uske dosto ke sath raat guzaru jab maine mana kiya to qasim ne mujhe bohot mara or ghar chhodkar chala gaya. kuch din baad qasim ne choudhary ke godaam se apne dosto ke sath milkar anaaj ki kuch boriya churayi or bech di apne randibaazi ke shonk ke liye. subah police isko or iske dosto ko pakad kar le gayi or isko 5 month ki saza ho gayi. ab yeh bahar aaya hai jail se to ab bhi waisa hai maine socha tha shayad jail me yeh sudhar jayega lekin nahi meri to kismat hi kharab hai (or fiza fir se rone lag gayi)
Main: (fiza ke kandhe par hath rakhkar) fikar mat karo sab thik ho jayega. agar main aapke kisi bhi kaam aa saku to meri khush-kismati samjhunga.
Fiza: (mere kandhe par apne gaal sehla kar) aapne keh diya mere liye itna hi kafi hai
Main: pehle jo ho gaya woh ho gaya lekin ab khud ko akela mat samajhna main aapke sath hoo
Fiza: kab tak sath ho aap.... tab tak hi naa jab tak aapki yaddasht nahi aati uske baad?
Main: (kuch sochte hue) agar yha se jana bhi pada to bhi jab bhi aap logo ko meri jarurat hogi main aaunga yeh mera vaada hai
Fiza: (herani se mujhe dekhte hue) chalo iss duniya me koi to hai jo mera bhi sochta hai...(muskurate hue)shukriya!!!

uske baad kothari me khamoshi chha gayi or jab tak main khana khata raha fiza mujhe dekhti rahi. fir woh bhi mujhe dawayi lgake niche chali gayi. aaj bhi main sirf ek kambal me pada tha ander jism nanga tha mera. main ab niche fiza ko bister par akele leta hua dekh raha tha. shayad qasim aaj bhi ghar nahi aaya tha iss bar jo fiza ne qasim ke bare me btaya tha woh sahi tha. fiza abhi bhi jaag rahi thi or bar-bar roshandaan ki taraf dekh rahi thi shayad woh kuch soch rahi thi lekin usse nahi pta tha ki main bhi usko dekh raha hoo. aise hi kaafi der tak main usse dekhta raha fir mujhe neend aane lag gayi or main sone ke liye wapis apne bister par let gaya kuch hi der me mujhe neend aa gayi.
Post Reply